• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 82 The Wedding

Hall mein koyi 30 se 40 log the sirf. Stage par dulhan ki dress mein Shweta chamak rahi thi, apne umar se 15 saal aur bhi jawaan dikh rahi thi au khubsurti to jaan lewa thi hi usski. Usski muskurahat aur bhi dil dhadkaane wala tha, aur Abhi kuch kum nahin dikh raha tha, kitne saare jawaan ladkiyon ke dil ke dhadkhan tha wo bhi. Very handsome guy indeed.

Abhi ki behen Naina ne ek chota sa speech diya donon ko introduce karte hue aur shubkaamnayein dete hue.

Phir kuch der sab normal guzra aur gate mein entry hui Ruhi ki. Navina ussko push karte hue stage ke taraf laa rahi thi. Ruhi white dress mein thi, chasma pehne hue wo bhi achi tarah se dressed thi aur achchi dikh rahi thi. Ruhi, Shweta aur Aruhi teenon ke chehre closely milte julte the. Aruhi badi hogi to bilkool Shweta ki tarah hi dikhegi. Aur Shweta ke chehre mein abhi Ruhi ki wo jhalak the jo 25 saal pehle Ruhi mein thi. Abhi Shayad iss vajah se bhi Shweta se ziada karib hua tha usske jism ke khushbhoo ke ilawa.

Ruhi bahot hi khush dikh rahi thi jaise usske dil ke saare bojh utar gaye the, aur armaan pure ho gaye the.

Stage par wheelchair ko kiya gaya to sabse pehle Ruhi ne Shweta ko gale lagaa kar ussko ek envelope mein kuch gift diya aur shubkaamnayein wish kiye usske donon gaalon par kiss karte hue... Tab Abhi ke seene se lag kar ussko bhi ek envelope diya aur ussko bhi good wishes diye aur Abhi ke gaalon par kiss kiya.

Phir Ruhi ko bithaya gaya donon wedded couple ke paas.

Aur kuch der baad family members mein se ek ek karke sab Abhi aur Shweta ko wish karne aur gift dene gaye; bahot saaare pics liye gaye aur aakhir mein Navina ne mike liya aur announce kiya ke Ruhi ek speech degi ceremony ko close karne ke liye.

Naina interest se sunne ke liye baithi, Ruhi ki wheelchair ko front mein kiya gaya aur mike usske haath mein diya gaya.

Ruhi ne gala saaf kiya aur muskuraate hue sorry kaha phir mudhkar Shweta ke taraf ishaare karte hue bolna shuru kiya,

“Yeh meri ek lauti beti hai, Shweta. Janam issko main ne diya magar paala issko meri chachi ne jo wahan baithi hai. Aap sabhon se mwaafi chahti hoon agar main kuch ziada bolne lagi to, magar aaj mujhe bolna hai, aaj meri baari hai bolne ki, ek bahot lambe arse tak mujhko khamosh kiya gaya, mujhse bolne ka haq chhina gaya tha.

Ek maa se usski bachi ko koyi kabhi kissi haal mein juda nah kare yeh meri aap sab se iltejah hai aaj. Mujhko sirf iss liye meri beti se alag kiya gaya kyunke main ek bin biyahi maa thi. Underage thi main jab issko janam diya tha main ne aur ek underage bachi kia kar sakti hai, wohi karna pada jo mere maa baap aur pariwaar walon ne decide kiya, mera koyi sunta kahan mujhko sirf ungliyan dikhaye jaate the mujhko dabba kar rakha jaata tha. majboor, laachaar, bebuss main khud bachchi thi aur dabbi rahi sabke niche. Roti bilakti rahi apni bachchi ko seene se lagaane ke liye magar nahin mujhko kaha gaya ke yeh mera paap hai, main ne gandagi ko janam diya tha, main ne gunah kiya tha, meri gunah thi meri beti.

Kissi aur ne issko baap ka naam diya apne naam par issko declare kiya, mera to koyi naata hi nahin tha iss se….. mujh par kia guzar rahi thi kissi ko koyi parwah hi nahin tha. mera dum ghhut raha tha, main chhup chhup kar roti rehti, gila karti bhi to kiss se, yeh to meri gunah thi, aur gunah ko chhupaya jaata hai sabke saamne nahin laaya jaata, iss liye mujhse issko chhupaya gaya, dunya ko pata nahin chalne diya ke yeh meri paidayish hai.

Aur aaj mujhe ap sab ke saamne bataate hue kitni Khushi ho rahi hai mujhe ke yeh meri beti hai, aap sab, umeed hai samajh sakte ho…..”

Hall mein taaliyan goonjne lage aur Shweta ke aankh se aansoo jaari hue….

Ruhi ne bolna jaari rakha,

“Jinn dinon Shweta 6/7 ki hui to meri life mein koyi aaya. Koyi aisa jiss ko main ne sapnon mein bhi nahin socha tha kyunke jabse Shweta ko janam diya tha tabse main ne ape baare mein sochna bandh kar diya tha kyunke mere apnon ne hamesha kaha tha ke mere iss gunah ki vajah se main ne apni zindagi barbaad kar li thi to umar bhar akeli jina tha mujhe iss liye main ne bilkool socha hi nahin tha ke koyi mujhse pyar bhi kar sakta tha kabhi.

Uss handsome, dashing ladke ke pyar ko bhi mujhko thukrana pada, aur wohi karna pada jo mere gharwale keh rahe the karne ko. Uss ladke ke pyar ka istemaal karna seekhaya gaya mujhe. Usske pyar ko accept karne ka dil kiya kayi baar, kayi baar main ne mehsoos bhi kiya ke wo ladka sach mein mujhse pyar karta tha, phir bhi main usske saath khelti rahi, apne bhaavnaon ko dabaa kar main ek chuhe billi ka khel khelti rahi usske saath. Wo apne pyar ka waasta deta raha aur main usske pyar ko rawndti rahi…. Kayi baar aankhon se aansoo bhi chalak gaye the usske pyar ko thukrate hue, ussko chorrte hue, ussko khote hue….

Mujhko ehsaas tab hua ke mujhko bhi uss se pyar hua jab yeh, yeh Shweta jo sirf 7 saal ki thi, isne mujh mein wo ehsaas jagaaya ke uss ladke ka pyar sacha hai, asli hai dil se chahta hai mujhe…. Yeh 7 saal ki umar mein ek adult wala feeling aur dimaagh rakht thi, yeh bachpan se hi badi sayaani thi….

Aur naseeb ne bhi aisa khel khela ke uss ladke ko jab main ne bataana chaha ke haan main bi ab uss se pyar karne lagi hoon to kuch aisa hua ke ussko hamesha ke liye kho diya kyunke mere ghar par jab wo aya mere haath maangne shaadi ke liye to ussko dhakka dekar ghar se nikala gaya… aur baat yeh thi ke main kuch nahin kar paayi….. nahin. Kuch bhi nahin kiya main ne ussko uss waqt uss haal mein chhorr diya… baad mein pata chala us din ko uss ladke ne MARNE KI TAMANNA KI THI…. Mar jaata wo uss din, aaj wo hota hi nahin sab meri vajah se…. to kia main ussko deserve karti thi? Nahin bilkool bhi nahin…. Meri vajah se jiss insaan ne marne ki tamanna kiya tha uss fateful 5th January 1987 ko main kaise ussko deserve karti thi, hargiz nahin… to main ne ek game khela….. haan main ne ek zabardast game shuru kiya ussi din ko jiss din uss ladke ne mere liye marne ki tamanna kiya tha idhar mera game shuru hua tha….

Mera game simple tha. main ne uss ladke ko kho diya tha ussi din, ussi pal isska ehsaas ho gaya tha mujhe ke wo mujhko wapas milne se raha. To mujhe ab uthna tha. mujhko apnon se badla lena tha. jinn logon ne mujhko daba ke rakha tha 6 Saalon tak. unn sabke saamne ab uthne ka mauka diya tha uss ladke ke pyar ne mujhe. Agar wo ladka meri ife mein nahin ata to main shayad aaj tak dabi hi rehti. To ussi din ko main ne uthne ka faisla kiya aur utthi main, aisi uthi ek toofaan ke jaise, ek jwalamukhi phatta hai jaise weise uthi main uss roz. Tabaahi macha di main ne ghar mein aur unn sab ke saamne seena taan kar khadi hui main.

Mujhko pata chala aur gehra ehsaas hua ussi din ke main ne pyar ko khokar khudko uthaya. Balke kehna yun chahiye ke uss pyar ne mujhko taaqat diya khud ko upar uthaane mein. Aur uss din ke baad aaj tak main uthi rahi, aisi uthi ke wheelchair par baith gayi.

Agar main chahti to tabhi uss ke pyar ke paas jaa sakti thi, uss se contact karne ka zarya tha mere paas, magar main nahin gayi kyuke mujhko sabse badla lena tha, sabke liye wahan ek kaal banke khada rehna tha, agar main apne pyar ke pas chali jaati to main wo nahin kar paati jo pichle 25 saalon mein kiya wahan rehkar. Dil ke andar jo Khushi hui sabko mujhse darrte hue dekh kar wo nahin hota. Agar main apne pyar ke paas chali jaati to sab unn logon se milkar rehna padta, sab se tab mera pyar bhi jaata wapas milne aur sab ek ho jaate jo main nahin chahti thi, unn logon ke saath ek nahin hona tha mujhe iss liye main ne apne pyar ko kurbaan kiya unn darindon ko sabak seekhaane ke liye.

Aur aaj uss pyar ko khush dekh kar mujhe jo Khushi mil rahi hai main bayaan nahin kar sakti. Usske saath wo aaj bandhi hui hai jissko main ne seene se laga kar rakhna chaaha tha magar wo bhi nahin kar paayi thi unn darindon ke vajah se. Aur mere do taraf ke pyar ek sath bandh rahe hein iss se ziada Khushi mujhe aaj tak nahin mili mujhe life mein. Donon taraf se mera pyar hai, ek Abhi ke taraf se ek Shweta ke taraf se. Donon mere hein aur aaj mere shubkaamnaayein dil ke andar se unn donon ke liye pesh karti hoon.

Jiss Khushi ko main paa nah saki, jiss Khushi aur pyar ko main ne thukraya apnon se badla lene ke liye aaj wo pyar apni beti ke paas jaate hue dekh kar kitni Khushi hoti hai yeh ek maa ke dil se puchna padega. Haan main ne jaan bujh kar apne pyar ko thukraya tha, usska pyar to sacha tha, paak tha, dil ki gehrayi se tha, magar mera mann stable nahin tha jiss waqt usska pyar chattaan ki tarah mazbut aur sirf mere liye tha…. to mera pyar usske pyar ke aage ek shunya ke barabar tha, khud ko usski pyar ke kaabil samajhti hi nahin thi main issi liye thukrana aur door rehna behtar tha mere liye. Haan bahot dukh, gham aur aansoo diye the main ne apne pyar ko, isska ehsaas tha mujhe, magar yeh bhi pata tha ke mera pyar kitna STRONG insaan ka pyar tha , pata tha wo manage kar lega mere bina…. Raat din usske liye duaaein karti rehti thi ke usska bhala ho hamesha, wo tarraaki kare aur aasmman ki bulandiyon ko chhuwe…. Duawein kubool hue aur wo upar pahuncha jissko dekh kar main itna khush hui ke lagaa main khud upar udhne lagi usske taraaki ke saath… aur usski tarrakki ne mujhe aur bahut ziada mazbut kiya aur apnon ke munh par zordaar tamacha maarne ka mauka bhi mila. Jitna mera pyar ubharta gaya jitna wo aasmaan ke bulandiyon ko chhuta gaya utna zordaar mera tamaacha banta gaya unn darindon ke liye…

Aaj main bahot khush hoon….. behad khush….. Navina ji ka aabhaari hoon ussne mujhse sach aur sahi baat bolne ki binati kiye mere ghar aakar uss roz iss liye aaj mauka hi aisa hai ke mujhe sab sach batana pada… Abhi aur Shweta ko koyi ghalat faimi nah ho ke mujhse koyi daga kiya ya mujhko dukh hua, naah….. ulta tum donon ne mujhe zindagi bhar ki Khushiyan de diye aaj. Jeete raho donon, hamesha khush raho, phoolo phalo. Aap sab ka bahot dhanyawaad. Thanks, all of you for bearing my boring speech. Thanks all.”

To be continued….
 
Last edited:
Top