• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Jaggu

Banned
129
1,090
123
Update 44 The Diaries

January 5th se Abhi ne shave nahin kiya tha 20 din ho chuke the aur wahin kaam kar raha tha 10kms Ruhi ke ghar se door. Sabhi uss se kehte the shave karne ke liye, magar Abhi shave nahin kar raha tha. Dadhi badh gaya tha usska, look alag lag raha tha, thoda aur bhi tough look ho gaya tha usska uss daadhi se.

Ek Saturday ko Abhi Uss sheher mein gaya dekhne ke kahin Ruhi nah mil jaaye kyunke Saturdays ko wo jaati thi sewing course ke liye nah. Magar address bilkool pata nahin tha Abhi ko phir bhi uss jagah wait karta jahan se Ruhi ke ilakae se ane wala bus rukta passengers ko utaarne ke liye. Ruhi Karib 9 se 9.30 ko ghar se nikalti thi to 10 se 10.30 ko wahan reach hoti hogi aisa anumaan lagaya Abhi ne aur uss terminus par 9 baje chala gaya aur 12 baje tak wait kiya magar Ruhi nahin dikhi….

Phir aur do Saturdays ko gaya wait karne magar nahin mili Ruhi usse.

Abhi ne socha tha ke uss se milkar puchega ke kyun wo nahin chahti thi ke abhi 5th ko usske ghar aaye, aur puchta kia ab bhi uss se pyar karti hai ya nahin aur agar Ruhi haan kehti to Abhi ne soch liya tha ke Ruhi ko udhar se utha lejaega apne ghar aur uss se shaadi kar lega tab usske parents ko batayega…. Magar Ruhi mili hi nahin, shayad ussne wahan jaana bandh hi kar diya…

Phir bhi Abhi 4 mahine baad ek Saturday ko aur gaya tha dekhne ke kahin Ruhi dikh jaaye magar nahin dikhi aur usske baad Abhi kabhi bhi nahin gaya wahan ussko wait karne.

Aur weise hi ek din Mehboob mila Abhi ko ussi terminus par. Abhi khada tha ek pole se tek lagaaye jab Mehboob usske paas aakar usske kaandhe par chhua aur pucha,

“hello Abhi kaisa hai?!”

Abhi ko itna ghussa aya ke ussko gaali dene ka mann kiya, magar Abhi ne buss kaha ke thik hai; to Mehboob ne kaha,

“Tumne daadhi kyun badha rakha hai?!”

Abhi ne koyi jawaab nahin diya ek taraf dekhta raha to Mehboob wahan se nikal liye….

Abhi kissi se baat karne mein interested nahin tha, ghar par bhi kissi se baat nahin karta tha, 5th January se february mein kayi din nikal chuke the Abhi khamosh rehne laga tha… nah doston se milta, naa baahar jaata nah kissi se baat karta….

Ghar mein Naina affect ho rahi thi to ek din naina ne rote hue Abhi se pucha,

“main ne tera kuch bigara hai kia? Mujhse kyun baat tak nahin karta tu? Kitne din ho gaye jab tumne mujhse aakhri baar baat kiya tha yaad hai bhai?!”

Abhi usske gale lag kar rone laga…..

Ab bhi dard baaki tha Abhi ke seene mein. Ab bhi Ruhi ki yaad sata raha tha usse. Ab bhi tadapta tha usski yaad mein magar kissi se kuch kehta nahin tha.

Apni ghar wale diary mein din ginta tha ke kitne din hue jabse apne diaries ko Ruhi ke ghar chorra tha, intezaar mein tha ke kissi se koyi khabar mile usske baare mein…. Aur uss taraf ke kaam ka aakhri din tha, to sunil se Abhi ne kaha,

“yaar mere liye ek kaam karega please?”

Sunil: “tere liye jana haazir hai Abhi bol tu!!”

Abhi: “ek kaam kar yaar, Ruhi se milkar puch kia ussne meri diaries padhe ya nahin? Magar nah usski maa, na usske bhai na kissi aur ke saamne puchna yeh baat…. Bus itna puchna, mujhe jawaab buss haan ya nah mein chahiye…. Aur ek koyi bhi nahin puchna!”

Sunil: “Magar Abhi aaj to last day hai yahan, to kab aur kaise tumko bataunga?”

Abhi: “tumko apna address likh kar deta hoon mujhe ek chithi daal dena yaar itna kar sakega kia?”

Sunil raazi hua aur Abhi ne ussko apna address likh kar de diya.

Udhar ka kaam khatam hua to ek hafte tak Abhi ghar par raha. Kahin koyi aur kaam nahin mila tha. Abhi ko ab saeed se nafrat ho gaya tha jab ussko pata chal gaya ke ussne kia kia kaha tha Ruhi ki maa se….

Wo usske saath kaam nahin karna chahta tha.

Abhi ab kuch bada sochne laga tha. Soch raha tha ke kaise uss sapne ko pura karen…. Wo uss bandh garage ko kholna chahta tha aur tamaam unn ex workers ko wapas garage mein kaam karne ko lana chahta tha….

Garage mein seal laga hua tha, sab liquidation par jaane wala tha tamaam machineries etc. matter court mein receivership mein tha. Abhi ne suna tha ke koyi dusre bade company wala sab kharidne wala tha. Usske liye karoron Rupay ki zaroorat chahiye the aur Abhi ke paas der lakh tha sirf.

Phir bhi Abhi ne search karte hue ek aadmi tak pahucha jo broker tha garage aur receivership walon ke beech ka. Usska naam tha Samioullah. Ghatiya kissam ka broker tha. Khud likhna padhna ata to tha nahin aur Abhi ko samjha raha tha.

Aakhir mein bahot saare kagzaat diya ussne Abhi ko dekhne aur padhne ke liye aur pata chala 1.5 crore rupay lagaya gaya tha receivership walon ke taraf se garage kharidne ke liye. Wo dekh kar Abhi hataash gaya aur wapas ghar chala gaya. Ussko laga ke yeh impossible hai usski buss ki baat nahin…..

Sunil ka khat aya ke ussko Ruhi ne kuch nahin bataya. Koyi jawaab nahin diya diaries ke baare mein puchne par bhi.

Ruhi ka ghar, desh ke east mein tha. aur jiss jagah last time 1 mahine ke liye Abhi ne kaam kiya tha wo bhi east mein hi tha magar 10 kilometres baad mein. Aur ab ek kaam mila tha aur ek mahine ke liye saeed ke saath hi jo east mein tha magar iss baar Ruhi ke ghar se 10 kilometres pehle.

To wahan Abhi ne kaam shuru kiya aur Khushi ki baat yeh thi ke Sunil hi uss bus ki painting ke liye aya tha.

Aur ab baat chali Abhi ki di hui diaries ki. Yeh baat saeed ko bhi pata chal chuka tha. Saeed ne Abhi se kaha,

“Mehboob mujhse mila tha aur ghussa tha ke tumne usske ghar jaakar usski wife ko kuch diya tha Ruhi ko dene ke liye!!”

Abhi ko shock laga!

To be continued…. (4807 words from both updates)

Acha laga k Abhi kuch karne ka soch raha hai. Hope ke kaamyaab hoga
Ye kia ab Saeed ko ye bhi pata chal gaya ke Abhi ne Rahima k paas diaries chorra tha isska matlab Ruhi ko diaries nahin mile kia??
 

Komal singh

Banned
293
2,983
123
Update 77 What Abhi Now Feels After Leaving Ruhi

Ab jo main likhne jaa raha hoon iss se shaayad bahot readers iss se raazi nahin honge. Wo hai Abhi ke ab ke aane wale feelings ke baare mein hai.

Jab Abhi ne ne Ruhi se last update wale saare baatein karke ghar jaane laga drive karte hue to ab Abhi ko kuch aur feelings hone laga. Abhi ko ab laga ke wo pyar jo ussko 25 saal pehle Ruhi ke saath tha wo baaki nahin raha. Bilkool wo waale feelings nahin rahe. Abhi ko khud tahjub ho raha tha ke kyun ussko ab weisa feel hone laga tha?

Aisa laga Abhi ko ke itne dinon tak usske dil mein sirf unn diaries ko Ruhi ko dena tha padhne ke liye, sirf Ruhi ko maloom karaana tha ke ussne kitna jhela tha Ruhi ke liye….. jab tak Ruhi ne unn diaries ko nahin padha tha tab tak Abhi ke dil par ek bahot bhaadi bojh jaisa tha, ab Ruhi ne sab padh liye aur apni taraf se saare jawaab de diye to Abhi ko laga jaise usska mission COMPLETE ho gaya ussko buss itna hi karna tha.

Haan magar Rishta bilkool nahin todna tha, Ruhi ke liye Abhi ke dil mein ab ek hamdardi jaisa paida hua…. Ek insaan jissne Abhi ke pyar ki khaatir apni life kurbaan kar diye, khud ki ghalati ki vajah se apni life ko aise jhela jaise khud ko sazaa de rahi thi, usske liye Abhi ke dil mein ab izzat paida hua magar wo pyar jo 25 saal pehle tha, wo junoon jo tha usske liye 1986 mein wo bilkool bhi nahin tha… wo wala feel bilkool bhi nahin araha tha Abhi ke seene mein Ruhi ke liye…. Kia wo dhire dhire marr gaya? Kia insaan ke dil se pyar marrta bhi hai kissi ke liye? Ya aisa tha ke Abhi ab itna pyar baant hi nahin paa raha tha? Navina ke liye pyar tha, Shweta ke liye bahot pyar tha, Aruhi ke liye pyar tha magar Ruhi ke liye wo wala pyar bilkool nahin feel ho raha tha Abhi ko. Haan hamdardi feel ho raha tha, insaaniyat ke naate uss se Rishta barkaraar rakhna tha….. Abhi yeh sab sochte hue drive kiye jaa raha tha, aur apne unn diaries ko dekha, wohi puraane lifaafe mein 25 saal se rakha hua tha diaries ko….. ussko feinkne ka mann kiya usse ab…. Phir socha ghar jaa kar donon diaries ko ab jalaa dega, kyunke jiss ke liye likha tha ussne ab padh liya tha aur jawaab bhi de diya tha..

Abhi sochta gaya ke sala pichle 25 saalon tak jiss kashmakash aur ghum mein raha wo Ruhi ko yaad karke, ussko dekhne ki tamanna karke, itne saalon tak apne dil mein Ruhi ko basaaye rakha ek jhatke mein aaj sab normal lagne laga sirf diaries dekar aur wapas lekar…. Kahin yeh diaries hi to nahin roka hua tha Abhi ko itne dinon tak, kahin inn diaries ne hi to usske dil ke andar Ruhi ke liye chaahat aur yaadein nahin bhare hue the ab tak? Aur jab Ruhi ne sab padh liya to Abhi ko chain aur sukoon haasil hua aur iss liye ab Abhi ko lagne laga ke ab ussne apna kaam tamaan kar liya?! Yeh kia tha aise feelings kyun arahe the Abhi ko khud samajh nahin paaya. Naata to nahin todega kabhi bhi Ruhi se aisa socha Abhi ne, ussko bhulega nahin, usske liye jitna ho sake utna kakrega, uss se milta rahega jab tak Ruhi rahegi, yeh sab tey tha magar dil ke andar wo jazbaa, wo pyar, wo chaahatein baaki nahin rahe the Abhi ke dil ke andar. Ab yeh bhi ho sakta tha ke Abhi ko wo wala pyar Shweta se milne laga tha iss liye aisa tha, kia pata?!

Qurbaaniyan diye Ruhi ne, aur sab kuch khoya kiss ne? Ruhi ne hi…. Jo pyar tha Abhi ke dil mein Ruhi ke liye ab wo pyar bhi kho diya tha Ruhi ne. Magar ussko isska pata bilkool chala hi nahin…. Yeh sirf Abhi ke feelings the jo sirf Abhi ke dil ke andar rahe.

Ghar lautne par Abhi ne Navina ko zor se apne bahon mein bharke ussko utha liya aur kaha,

“Aaj main bahot khush feel kar raha hoon. Muuuuah. Thank you for coming in my life, thank you for being part of my life, thank you for being my wife and thank you for doing all that you did for me. You are my angel. God sent you for me especially”

Navina ne Abhi ko kiss back karke pucha,

“kyun ji? Aisa kia ho gaya? Ruhi ne reply de diya aap ko? Itna khush to once in a blue moon hi dikhte ho aap?!”

Abhi ne Navina ko tab niche utaarte hue kaha,

“Diaries wapas le aya hoon sochta hoon ab ussko jala doon usska kaam ho gaya ab. Diaries ne apna mission complete kar diya, jisske liye likha tha ussne padh liya, jawaab de diya kaam khatam. Jala doon?!”

Navina ne kaha,

“No, not at all? Kyun jalaoge? Wohi sab to apni daily diaries mein bhi likha hai nah? to kia apne diaries ko jalaoge? You have to keep them. Lock them somewhere and never look back at them. They are the past. Now move on….. Ab meri ek baat maanna hoga aap ko!”

Abhi: “Kaun si baat?!”

Navina: “Shweta se shaadi karlo. It is important!”

Abhi ne Navina ko seene se lagaya aur kaha,

“I never wanted to marry neither her nor Ruhi. Because I married you. Tumko main secondary nahin karna chahta…. Shaadi to ek se hoti hai aur wo tum ho. Tumhara darja alag hai. You are at the top of all. I do not want you to get hurt sweetheart. Wo jagah sirf tumhara hai.”

Navina ne muskuraate hue bade hi araam se Abhi ko samjhaya.

“Meri jagah koyi le bhi nahin sakta, main jaanti hoon aap meri jagah kissi ko nahin dena chahte, main jaanti hoon aap chaah kar bhi mujhko alag nahin kar paoge aur nah hi bhool paoge, main jaanti hoon aap ki life mein meri kia ehmiyat hai, magar jab main khud keh rahi hoon aap ko Shweta se shaadi karna chahiye to karna chahiye. Aur wo sirf Aruhi ke liye hai. It is important my love. Uss bachi ko kabhi yeh sawaal nahin uthana chahiye future mein, ussko kabhi yeh kehne ka mauka nahin dena chahiye ke usski maa aap ki rakhel hai, do you want her to tell her mother one day that she is your keep?? Aap ne ussko adopt kar to liya, ab Shweta se shaadi karke uss rishte ko legal kar do, paak kar do. Mujhe Khushi hogi, please do this for me and Aruhi, and of course for Shweta too. I know she really loves you, and she needs you too. She will be very happy and will feel secured…. Aap ko mere baare mein koyi fikar nahin karna hai, mujhe pata hai aap mera hi rahoge, magar main hi chahti hoon ke aap Shweta ke liye bhi raho. Donon khush rahenge. Aap har roz to usske paas nahin rahoge nah? haffte mein 3 din usske paas , 4 din mere paas.. magar main chaahti hoon aap ussko separate ghar mein rakho, jab aap iss ghar mein raho to sirf mere raho aur usske ghar mein raho to sirf usski raho…. It is fine with me”

Abhi Navina ke aankhon ke gehraayi mein dekhte hue kaha,

“yaar tum insaan ho ya sach mein farishta ho, koyi wife khud apne husband ko kissi aur se shadi karne ko kehti hai kabhi? Tum kiss chiz ki bani ho?!”

Navina ne muskuraate hue kaha,

“Do it for me please!”

Abhi: “And what about Ruhi? She must be aware one day about it!”

Navina: “She will not be a problem I am sure.”

Abhi ne kaha,

“I will have to think a lot about it, will let you know later.”

Itna kehkar Abhi apne diaries rakhne ja raha tha ke mudhkar achanak Navina se pucha,

“Hello, kia tumse Shweta ne kaha mujhe convince karne ke liye ke uss se shaadi karun?!”

Navina ne chhatt taakte hue kaha,

“Oh my God! Kia ab mujhe kissi ke kehne par ap se kuch kehna chahiye? This is my own and personal thinking and suggestion Abhi!”

Abhi: “Sorry, okay okay I will let you know later!”

Navina: “Mujhko Ruhi ke replies padhne ko nahin doge?”

Abhi: “You want to read that? Not important! Usska rona dhona hai aur guilt ki feelings hai aur khud ko sazaa dekar aaj tak khud se aur apni family se badla leti rahi, she is crippled, in a wheelchair, I will take her for a check-up someday and I am sure she will walk again!”

Navina ne heyraan hote hue pucha,

“What? Itna sab kuch hua usske saath aur aap ne mujhe batana zaroori nahin samjha Abhi? Why?”

Abhi wapas Navina ke paas aya aur kaha,

“You know what? I am feeling relieved and I feel the love that I had for her 25 years back is no longer there now. If I compare her to you she has no value at all. You stay with me, we have shared happy and sad moments together, you have supported me all along in everything, you have been with me in ups and downs…. She did NOTHING for me….. that was not love for me from her side…. Had she really loved me she would have done things for me when I needed her, not now, not by burying herself that she proves that she loved me…. She used that opportunity when I was thrown out of her house to revenge against her family and all others because they had tormented her since she had given birth to Shweta…..

I was just a mean for her to avenge her family members….. I got nothing from all that, she was able to stand against her family due to me, I was only a way for her to help her to be brave and strong…. My love helped her to get strong and brave…. Main ek zarya tha usske liye, ussko apne khilaaf ke logon se ladne ke liye jo mera pyar ka naam aur sahara lekar ussne kiya…. Mere liye to kuch nahin kiya tha Ruhi ne!! Mere dil meijn ab usske liye wo pyar baaki raha hi nahin, ab hamdardi hai usske liye, Insaaniyat ke naate usski madad karunga, haan iss liye ke dil ka Rishta tha usske saath to ek Rishta rakhunga marte dam tak, magar wo pyar baaki nahin raha yaar!!!”

Navina ne sab tawajo se suna aur kaha,

“I see…. Do, mujhko usske jawaab do main padhne ke baad aap ko apna opinion deti hoon!”

Abhi: “okay lo, read it, but mujhe pehle yeh batao ke kia main ne jo abhi kaha sahih ai? Kyun ab mujhe lag raha ke 25 saal pehle wala pyar baaki nah raha? Mujhe bus yeh diaries ussko dena tha, de diya ussne sab padh liya main halka ho gaya aur wo 25 saal wala nah to pyar baaki hai nah junoon , nah kuch?! Aisa kyun feel ho raha ab mujhe!”

Navina ne kaha,

“Ho sakta hai ke aap sirf iss din ke intezaar mein the ke Ruhi tak inn diaries ko pahucha sako, aap ke liye Ruhi ko yeh sab pata hona zaroori tha ke aap kinn haalaaton se guzre the usske liye, usske pyar mein, may be aap chahte the ke Ruhi ko pata chale ke aap ka pyar usske liye kitna sacha tha, aur ab jab Ruhi ko sab pata chal gaya to aap ko araam mila, aur ab Ruhi bhi wo Ruhi to nahin nah jo 25 saal pehle thi? Aap 25 saal pehle wali Ruhi se pyar karte the junoon ki had tak, aaj jiss Ruhi se milkar aaye ho aap wo Ruhi 25 saal pehle wali Ruhi to nahin hai…. Jab koyi kissi ke saath har roz lagaataar rehta hai 25 saal tak to usske apne saamne badhte, ek ek pal usske haav bhaav, usske bure aur bhale saari chizon ko dekhta aur jaante hue 25 saal guzaarta hai to ussko koyi difference nahin dikhta uss mein…. Magar aap ne ussko 25 saal baad dekha to aap ko wo 25 saal pehle wali Ruhi nahin dikhi, to obviously aap ke wo sab feelings same nahin honge…. Mera aisa khayal hai, phir bhi main sab kuch padhne ke baad ap ko ziada deep opinion de paaungi….. Let me read her replies Abhi”

Abhi ne Navina ko Ruhi ke replies dekar nahane chala gaya.

To be continued….
(2204 words)

Lo kallo baat ab Abhi ko purana wala pyar nahin feel ho raha jo Ruhi k liye pehle tha.
Ye kia ho gaya?! Kaise ho gaya?
Kia yahin tak tha wo pyar? Ya 25 saal pehle hi mar gaya tha magar sirf diaries mein kaid tha itne salon se aur ab kyunke Ruhi ne padh liya sara pyar furr udh gaye Ruhi k padhne aur replies karne ke baad?
Update to dilchasp hai Casi ji. Bilkool nahin socha tha aisa bhi hoga. Surprise hai.
Shweta mein tabdil ho gaya hai Ruhi wala pyar issi liye Abhi ko ab Ruhi se wo wala pyar nahin feel ho raha. Mera yehi maanna hai.
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259
Abhi aur Ruhi ke bich ka faasla ab end hua. Donon ke taraf se jitne shikayatein the sab ab tamaam shudh.
Shweta ke bare mein jab Abhi ne bataya Ruhi ko to Ruhi ko heyrani jarur hua hoga aur shak to 100% hua hi hoga.
Maana ka Abhi sachaayi Ruhi ko nahin bata paega magar jab Abhi ye bataega k ussne Aruhi ko adopt kiya hai tab kua Ruhi samajh nahin jaegi sab kuch?
Anyw6 dekhte hein aage kia hota hai. Very good update.

appreciate karne ke liye bahut dhanyawaad Shambhu bhai
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259
:reading:


I believe Ruhi is aware of all, i mean she has discovered all that Abi is with Shweta and is hiding it from her
She in love with abhi and she must very well be aware of his expressions, if she found abhi blishing she mush have understood that Abhi is with shweta but is hiding it from Ruhi and ruhi will and must understand why abhi cannot tell her that
very mice update buddy

thanks loads for the appreciation Rowdy bro
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259
:superb::good: amazing update casi bhai,
Behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
Bhai aaj ke update ne dil khush kar diya,
abhi ki feelings bilkul sahi hai, 25 salon baad na to ruhi pahle wali rahi aur na hi abhi pahle wala hai aur abhi 25 saalon se kewal ruhi ko vo diary ek baar padhwana chahta tha,
vahin shweta ke baare mein naveena ke khyal se main bilkul sahmat hoon,
Ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
waiting for next update

appreciate karne keliye bahot shukriya aman bhai
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259
pyar kabhi khatm nahi hota.....................aakarshan khatm hota hai
yahi wajah hai ki abhi ka mohbhang ho gaya ruhi se..............pahli ruhi se bhi aur dusri ruhi se bhi

akarshan sirf sundarta ya umr ka nahin...............iske alawa kuchh pane--dene ka bhi tha..................
pane ka matlab jism nahin.............gam aur khushiyon mein sath pane ka.........aur sath dene ka bhi

lekin in mein se kuchh bhi nahin raha dono hi ruhi ke sath....................

agar kuchh raha to navina ke sath ya shweta ke sath..............khushiyan aur gam ek dusre ke............apas mein bante
isiliye in dono ka pyar aj bhi jinda hai


perfect jawaab hai bhai..... aaj ki update mein kuch aisa hi milega aap ko padhne keliye :D
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259
I can understand that. YES i understand and agree too.
Navina said it right, that when living with a person through odd and good days your love and emotional attachment and feelings remain stronger, the bonding keeps growing and remains. but for 25 years being away from each other, it will, of course, fade out. it will not extinguish completely, but lessens diminishes.
This is what happened with Abhi.
And above all Abhi had a sort of mission, and that was to give those diaries to Ruhi,
He had a sort of obsession in him that before he dies he must make Ruhi read all that he had gone through the days he loved her; and as he said after completing the mission, of course, he will feel relieved and happy. this is what happened.
that love of 1986 would still have been ALIVE and stronger today only IF RUHI REMAINED IN COMPANY OF ABHI FROM THEN TILL NOW, LIKE NAVINA STAYED BY HIS SIDE TILL NOW.
Very good update, realistic and logical one. hats off mate. keep it up. :thumbup:

Right Vikram bro, I agree with your point of view, thanks my friend
 
Top