• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
Update 72 Replies Of Ruhi

Ruhi ne Abhi ke diaries padhte hue replies likhna jaari rakha. Aur jiss din usski mummy ussko akeli chorr kar usske nani ke yahan gayi thi Rui ne likha:

“Uss din mummy ne mujhe jaan bujh kar akela chorra tha aap se mujhko baat karne ke liye. Kuch din uss se pehle mummy mujhse puch rahi thi ke kab tak main aap ko dhoke mein rakhungi, mujhe aap ko sab bata dena chahiye iss se pehle ke aap aur aaguey badho. Aur assal mein mummy ne yeh kaha tha ke wo Nani ke paas jaa kar uss Amit ka khabar lekar aegi kyunke Amit ne mere Nani ke ghar par hi mere liye yeh khabar bheja tha ke wo wapas aega to mera haath mangega mere parents se. mere nani se kaha tha mujhko rokne ke liye ke main kissi aur ki proposal ko accept nahin karun. Meri mummy ko wohi ek rishta mere liye thik laga tha varna mujhko kissi adher shadi shuda aadmi ke saath shadi karna tha kyunke main ek bache ki maa thi. Kissi adher aadmi jisski patni marr gayi ho ya divorce ho gaya ho etc. Yahan par mere liye weise hi rishte aate varna ek wohi France wala Rishta mummy ko sahi laga tha.

To jiss din mummy ne mujhse kaha ke nani ke yahan jaa kar Amit ke baare mein puchega kab wo araha hai etc tab main ne munh fulla liya tha, iss liye mummy ne pucha mera kia irada hai tab main ne aap ka naam liya tha to ussne kaha ke kab aap se baat karungi, kab aap ko bataungi apne baare mein. Tabhi mumy ne decide kiya ke wo nani ke yahan jaegi aur main aap ko lunch par invite karun aur baat karun aap se.

Abhi uss din main ita khush thi aap ke saat ke mujhe aap se wo baat kehkar mood nahin kharaab karna tha. aap itne loving the, mujhse itna pyar kar rahe the, mujh par itna pyar nichavar kar rahe the ke mujhe laga wo baat kehkar main sab kharaab kar dungi issi liye mujhse kuch kaha nahin gaya jitna kaha tha uss se ziada.

Haan Abhi main ne uss black skirt aur white blouse ko aap ke liye hi pehna tha uss roz, aap kitne dinon se mujhko uss mein dekhna chahte the nah? aap ne mujhe usse pehene ko kayi baar kaha tha, jabse aap ne hamare aangan mein kaam karne lage the ek hi baar aap ne mujhe uss mein dekha tha, main aap ko hot lagi thi aap ne kaha tha, aur aap ne likha hai ke kia main ne jaan bujh kar uss dress ko pehna tha aap ke liye, kia main aap ko rijha rahi thi…. The answer is YES Abhi.

Jaise aap mujhko acha dikhna passand karte the obviously main bhi aap ko acha dikhna passand karti thi Abhi…. Normally ladkiyan to ziada sajti sanvarti hai nah apne boyfriend ya apne lover ko khubsurat aur acha dikhne ke liye? To main ne aap ko invite kiya tha, main host thi so I should be looking nice nah? Aur aap ki choice ki dress pehni thi main ne sirf aap ke liye, aap ko khush karne ke liye….

Haan yeh bhi pata tha mujhe ke uss mein main sexy dikhti hoon, main khud ko aine mein dekhti hoon uss dress mein to khud ko pata chalta hai ke kaisi dikhti hoon uss mein…. Issi liye ussko ziada nain pehenti thi, magar aap ke liye pehni thi uss roz…. Magar iss iraade se nahin ke koyi sexual feeling ho, nahin balke sirf iss liye ke aap ko acha dikhun, aap mujhko passand karo.

Haan main yeh bhi jaanti thi ke kuch der pehle main ne nahaya tha aur mere baal bheege hue the, paani ki boondein bhi tapak rahe the baalon se…. wo bhi aap ke liye hi tha…. mujhe yeh bhi pata tha kea ap ko wo passand aega…. Bahot novel padhti hoon nah? to ideas udhar se aate hein (lol)…. Aur phir aap mujhko itna observe karte the mujhko itna sar se paon tak dekhte rehte the ke mujhko yakeen tha aap ko zaroor dikhega ke mere baal bheege hue hein kyunke milne se pehle aap se keh diya tha nah ke nahane jaungi….

Ab aap ne describe kiya ke main kaisi dikh rahi thi aap ko aur aap ke feelings kia ho rahe the…. Aap akarshit ho rahe the sexually yeh mujhe pata nahin tha aur mera irada bhi wo nahin tha Abhi….

Uss romantic lunch ko main kabhi nahin bhoolungi Abhi. Jiss tarah se aap ne mere haath se ek niwala khilaane ko kaha tha, aur main ne apne niwale ko aap ne munh mein dala tha… that was very romantic for me…. Main ne life mein kissi ladke ko apnaa niwala kabhi nahin khilaya hai you were the only one Abhi! Aur aap ne wo sab exacly weisa hi likha aur describe kiya hai ke padhte waqt mujhko lag raha tha main sab kuch dekh rahi hoon aur feel kar rahi hoon… I was smiling reading all that Abhi.

Aap ne kaha tha agar main uss din aap ko andar nahin aane deti to aap mujhe goad mein utha ke andar laate, to main ne pucha tha ke kia aap mujhko utha sakte ho aur jiss tarah aap ne mujhe goad mein uthaya tha Abhi…wo bhi kissi aadmi ne mujhe kabhi nahin uthayatha aaj tak aap ke ilawa…. Aap ne wo dobara kiya kal mujhko wheelchair se utha kar sofe par rakha tha weise hi…. Magar uss din was the first time someone lifted me up in his arms that way…. I can never forget those moments Abhi. Thank you very much for making me feel special on that day Abhi. Kal jab aap ne mujhe wheel chair se utha kar sofe par rakha to mujhe normal feel hua, aisa laga wo aap ka haq tha mujhe uss tarah sse uthana aur rakhna…. Jaise ke wo weisa hi hona chahiye tha…..

Uss din aap ne mujhko bed par leytaya tha Abhi aur mere ankle ko kiss kiya tha aur main ne jhat se tang upar uthaya tha aur aap ke naak mein lag gayi thi….. And Abhi let me tell you one thing today… Abhi you are a very good kisser. No one ever kissed me that way ever in my life till date. We were lying over the bed, you made me pull the curtains and over the curtain cloth I had put two heavy books so that the curtain won’t move out with the wind and you had started kissing me…… I shivered still loved your touches very much.

Yeh kaha tha aap ne:

{ “Ruhi jiss din main ne tumko iss skirt aur blouse mein dekha tha ussi waqt apne ghutnon ke bal aakar tumhare tangon ko baahon mein bharke chumne ka mann kiya tha aaj wohi karne jaa raha hoon….”}

Main chhup ho gayi thi aur aap ke honton ko feel karti gayi thi saath saath aap ka haath mere skirt ke niche mere jaanghon ke upar chalta jaa raha tha….. main uth baithi thi aap ke haath ko rokte hue aur aap ne kaha tha:

{“I wish to explore you sweetheart, want to see deep inside you, want to feel you, wish to see how the colour of your skin changes under your skirt, please let me do!”}

Abhi, you had licked my nipple on that day…… do you know how I had felt? Had you thought what was going on within me? Mujh par kia beet rahi thi kaise samjhaun aap ko main….. main khud ko agar nahin sambhaalti to shaayad uss din behtar hota…. Mujhe aap ko rokna nahin chahiye tha…. I should have let you go ahead….. I regret having stopped you on that day Abhi….. your touches made me tremble, my whole body was on fire, I needed it as much as you, no one ever aroused me ever that way in my life. You were the only man who made me feel the need of making love….. I wanted it but had to control myself Abhi…… I was afraid also because I had erred in the past in my teenage so could not let same mistake happen again, that is Why I had to stop you. Despite that you kept on asking again and again to let you do I had to refuse…. Sorry Abhi!

Aur uss din ko aap se sirf itna keh paayi thi ke kia agar main ne koyi ghalati kiya hai to kia aap mujhko maaf karoge…. Iss se ziada nahin keh paayi thi, rone lagi thi aur aap ko mummy se puchne ko kaha tha……

I had spoiled the lovely moments we were having by asking you that on that day. It was not the appropriate time to ask that. Sorry again Abhi.

Dusre din aap ka pehla love letter mila tha mujhe Abhi jissko main ne aaj tak sambhaal kar rakha hua hai. Ap ne uss mein ikraar kiya tha kea ap mujhse behad pyar karte ho aur. Sunbha 3.30 ko likha tha aap nen uss khat ko aur subha 4 baje sone gaye the aap aur kuch der baad savera ho gaya tha aur yahan chale aaye the early in the morning hamesaha ki tarah.

Abhi uss din aap ka khat padhi main ne aur bahut royi thi, kyunke ek din pahle jab mummy nani ke ghar se wapas aayi thi to bahot kuch bhua tha jo aap ko nahin bataya gaya tha.

Mehboob ka bahot bada haath tha mummy ke saath milkar mujhko jhukaane mein. Main Mehboob se darrti thi. Kyunke main ne pehle ghalatiyan kiye the aur papa desh mein nahin tha aur ussko hum sab ka khayal rakhne ke liye keh gaya tha to Mehboob mujh par nazar rakhta tha meri uss ek ghalatti ke liye aur mummy se kehta rehta ke mujh par kadi nazar rakhna chahiye kahin baahar nahin jaane dena chahiye, kissi se milne nahin dena chahiye, wo nahinchahta tha ke main koyi aur weisa kadam uthaaun. Wo samajhta tha ke main Gaurav se pyar karti hoon aur usske saath kabhi bhaag jaungi, mujhko bahot sunata tha wo aksar… aur meri aadat thi hi nahin kissi bade ko jawaab dena aur wo pita ki tarah hi the to main khamosh rehti thi, magar mumy aur wo mujhko aise treat karte the jaise main ek bahot bada gunehgaar hoon.

Aur main khud ko guhengaar samajhne lagi thi, main khud dab kar rehna passand karne lagi thi, main samajhti thi ke mujhko jo gunah hua hai usski wohi saza thi keg har walon ke baton ko maanun aur wohi karun jo wo log kahe….

Aap se milne se pehle main pichle 6/7 saalon tak mummy aur Mehboob ke saare baton ko maanti ayi thi. Main teenager se adult ho bhi gayi tab bhi unn donon ke baton ko maanti thi. Wo sab karti thi jo weh log kehte the…. Jab main ne silaayi seekhna chaha to Mehbob nahin razi tha ke main jaun uss sheher mein silaayi seekhne… ussne mummy se kaha tha main phir bhatak jaungi, kuch ghalat karungi….

Magar mummy khud mujhe lekar gayi thi pehli baar udhar aur udhar ka supermarket wala chacha ke jaan pehchaan wali thi silaayi seekhane wali aur ussko mujh par nazar rakhne ko kaha gaya tha…..

Mehboob bhi bus driver/owner tha to aksar ussi ke bus se aati jaati thi aur himmat bhi nahin hoti ke kissi aur ke taraf dekhun ya kissi se baat karun…. Main unn logon ke vishwaas jeetna chahti thi kuch ghalat nah karke iss liye seedha silaayi seekhne jaati aur seedha ghar wapas aati….

Jiss din aap ne pucha tha ke kidhar silaayi seekhne jaati hoon to aap ko bataate bataate ruk gayi thi usska reason yehi tha.. ke agar aap ko bata diya to kissi din aap mujhse milne ajaate aur idhar sabko pata chalta to Mehboob aur mummy kehte ke dekho firse wohi tamasha kar rahi hai Ruhi!! Buss issi liye aap ko nahin bataya tha ke kidhar jaati thi silaayi seekhne Abhi. Ab aap batao agar main bataati aap ko to aap mujhse milne aate nah hai ke nahin? Pakka aate aap mujhe pata hai!..... magar aap ke chale jaane ke baad 5th January ke baad main sochne lagi kaash main ne aap ko bata diya hota, to aap uss date ke baad mujhse milne to aate…. Kyunke uss date ke baad sirf aur 3 Saturdays ko gayi thi wahan phir jaana chorr diya!!

Haan to jab mummy nani ke yahan se wapas aayi thi uss roz wo seedhe Mehboob se mili aur kaha ke udhar Amit ne phone kiya tha nani ke ghar aur mere baare mein pucha tha, kaha tha ke 4 mahine baad wapas araha hai aur mujhse shaadi karke lejayega mujhko apne saath!

Mehboob aur mummy ne mujhko bahot sunaya uss raat ko…. Din mein aap se mili aur jitna khush thi utna hi royi uss raat ko mummy ke aane ke baad. Mehboob aur mummy ne milkar mujhko samjhaya ke mujhko ab aap se door rehna chahiye aur Amit ke saath shaadi karke chale jaana chahiye….

To be continued…. (2306 words)
Woooooowww
Very good update

Ruhi ki situation or uski feelings or reactions par mai kaafi kuch pahle hee kah chuka hu.....

Ha ye sahi hai ki Ruhi unn sab se dabi hui thi....unki nazron mai khud ko upar uthana chahti thi....chahti thi ki wo sab ak bar phir se uska vishwas kare.....

To aaj bahut time baad aisa koi scene ya matter Milla hai jis par ki dil se kuch likhne ka mann kar raha hai.....to aaj ham usi ki baat karenge....shaayad kichad jyada hee deep chali jaaye baate....aisa mujhe lagta hai.......

ISME RUHI NE AK BAAT KAHI HAI.....@@Main unn logon ke vishwaas jeetna chahti thi kuch ghalat nah karke iss liye seedha silaayi seekhne jaati aur seedha ghar wapas aati….@@

Sach kahu to kaafi emotional kar diya aapki iss lines ne mujhe or pichle kai saari yaade bhi ak bar phir yaad karwa di.....

MAANTA HU USME RUHI KI GALATI NAHI THI....LEKIN WO IS
YE BAAT JO RUHI NE KAHI HAI.....MUJHE AAJ ISI PAR BAAT KARNI HAI......
YE SABHI LOGO NE PADHI HOGI OR ISME KISI KO KOI BHI ALAG CHIJ YA KOI JYADA EMOTIONAL BAAT NAZAR NAHI HOGI.....I'M SURE.....

LEKIN ISS AK BAAT NE MUJHE RUHI KI TAKLEEF OR USKE LIFE KI DIFFICULTIES YA SANGHARSH DIKHAAI DE RAHE HAI....BAS INN 2 LINES MAI.....SAMJHATA HU....

JAB SE YE STORY START HUI HAI....USKE LAGBHAG SABHI READERS....APNI LIFE KO ABHI SE RELATE KARKE DEKH RAHE THE.....ABHI KI LIFE MAI AISE KAI EVENTS THE....JO KI YANHA MAUJOOD HAR READER KI LIFE MAI KABHI NA KABHI TO AAYE HEE HONGE.....
OR ISI LIYE HEE WO ISS STORY OR ABHI SE ITNA JYADA OR DEEP JUD GAYE....ABHI KO KHUSHI ME KHUSH HOTE HAI ABHI KE GAM MAI ROTE BHI....

OR MAI BHI UNSE ALAG NAHI HU....LEKIN SAATH HEE SAATH MAI KHUD KO RUHI KI LIFE SE BHI RELATE KAR PAA RAHA HU....USKI JO STRUGGLE THA USE SAMAJH PAA RAHA HU....KAAFI JYADA GAHRAAI SE....

HA TO BAAT KATE KI MUJHE UNN 2 LINES MAI KYA DIKHA.....TO

GUILT.....PRAYASHCHIT...ATONEMENT....YA JO KUCH BHI ISE KAH LO....DEKHA JAAYE TO YE AK KAAFI BADI CHIJ HOTI HAI APNE AAP MAI.....OR PRAYASHCHIT KARNA BHI KAAFI KATHIN HOTA HAI KISI GALATI KE LIYE......

LEKIN.....LEKIN ISS SE KAHI JYADA KATHIN HOTA HAI APNI LAST POSITION KO WAPAS KAMANA.....APNI IZZAT OR HESIYAT KO LOGO KI NAZAR MAI WAPAS PAHLE JAISI KARNA....OR WO BHI ISS HAD TAK KI LOG AAPKE LIFE KI USS GALATI YA EVENT KO....BILKUL BHOOL HEE JAAYE....

JAISE KI WO EVENT AAPKI......YA AAPKI OR AAPKE JAAN NE WAALO KI.....LIFE MAI WO EVENT EXIST HEE NAHI KARTA HO.....

YE CHIJ BAHUT MUSHKIL HOTI HAI....HAD SE JYADA MUSHKIL....KHUD KO LOGO KI NAZRON MAI UTHANA......APNI AK NAYI SELF RESPECT BANANA.....

JAB AAPSE KOI GALATI HOTI HAI.....GALATI....GUNAH....MISTAKE JO BHI KAH LO....TAB....
BHALE HEE USS PURE INCIDENT MAI AAPKI GALATI NA KE BARABAR HO YA AAPKO FASA YA GAYA HO.....

LEKIN LOGO KE SAAMNE AATE HEE....QO APNE AAP MAI PURI KI PURI AAPKI HO JAATI HAI.....OR PHIR WO BAS AK GALATI NAHI RAHTI....LOG USE GUNAH KA NAAM DE DETE HAI....

OR TAB SHURU HOTA HAI APNA ASLI STRUGGLE....DUSRE TO CHHOD AAPKE APNE ....BHI AAPKO AK ALAG HEE NIGAAH SE DEKHNE LAGTE HAI.....

PAL PAL UNKI NAZREIN....UNKI BAATE HAME YE AHSAAS DILATATION AISA KI HAMNE KUCH GALAT KIYA HAI.....

MUH PAR BHALE HEE WO KAH DETE HAI KI HA HAMNE TUMHE MAAF KAR DIYA YA BHOOL JAO USS KO USME TUMHARI KOI GALATI NAHI.....
LEKIN MANN MAI UNKE BHI AGAL THOUGHTS HOTE HAI.....OR UNKI NAZAR OR UNN LOGO KI HARKATE ....YA AAPSE UNKA BEHAVIOUR OR BAAT KARNE KA TARIKE....SE AAPKO ISS BAAT KA PATA CHALTA HAI.....

WO AAPKO APNI BAATO SE YA APNE KAISI NA KISI ISHAARE SE....YE BAAT YAAD DILATA RAHTE HAI KI AAPNE KUCH AISA KIYA HAI JO UNKI NAZAR MAI GALAT HAI....

OR I HI SITUATION KO FACE KARNA OR UNSE NIKALNA APNE AAP MAI AK ALAG HEE LEVEL KI AK EXTREME FEEL HOTI HAI....

KHUD KO DABA HUA SABSE HEEN OR SABSE ALAG MEHSUS KARNA....LOGO SE NAZREIN JHUKA KAR MILNA OR KOSIS SE BAAT NAHI KARNA....LOGO SE BACHNA....
SABSE CHHUP KAR RAHNA.....
AISE RAHNA PADTA HAI....

OR AISE TIME PAR TO SIRF LOG HEE NAHI AAPKA DIMAAG AAPKO DIKHATA HAI KI SAARE KE SAARE LOG OR CHIJE HEE AAPKE AGAINST HAI...

YE WO TIME HAI JISKE LIYE KI RUHI NE KAHA KI WO SABKI BAAT MAANTI TAAKI AK BAR PHIR SE SABKA VISHWAS JEET SAKE....OR LOG US PE BHAROSA KAR SAKE....

LEKIN YE TIMWORTH MAI JAANTA HU KAAFI EXTREME OR TORTURE BHARA HOTA HAI.....

OR LOGO KE NAZRON MAI KHUD KO UTHAANE KE LIYE.....
KHUD KO BHULANA PADTA HAI....GIRAYA PADTA HAI....APNI LIFE KO PURI TARAH DUSRO KE ANUSAR JEETA PADTA HAI.....APNA ZAMEER BHI GIRAYA PADTA HAI....
JIS CHIJ SE HAME SAKHT NAFRAT HO...WO BHI APNI IZZAT BANAANE KE LIYE....APNI KHOI HUI IZZAT DUBARA BANAANE EK LIYE....
OR ISME KAAFI SAMAY LAGTA HAI....SHAAYAD AK UMAR BHI....

RUHI KI ISS SITUATION OR USKA SABHI KI BAAT BAAT KO BINA KISI AITRAZ KE MAAN NE KI JO MAZBURI HAI USE MAI KAAFI ACHCHE SE SAMAJH SAKTA HU.....

KI KAISE USNE KHUD KO DUBARA DUSRO KE SAATH PAHLE JAISE RAHNE KE LAAYAK BANAYA HOGA....KAISE USNE KHUD KO WAPAS SIR UTHA KAR JEE NE LAAYAK BANAYA HOGA....

Ak ladaayi hoti hai khud se hee khud ki.....ki kaise usne pahle waali Ruhi ko mara hoga or nayi Ruhi ko banaya hoga.....

2 LINES RUHI KI USS SITUATION KE LIYE.....

Khud Se Dil Dar Sa Gaya Hai
Ander Kuchh Mar Sa Gaya Hai..
Dil Se Dil Ghabra Raha Hai..
Khud Se Bikhar Sa Gaya Hai..
Khud Se Dil Dar Sa Gaya Hai
Ander Kuchh Mar Sa Gaya Hai..
Dil Se Dil Ghabra Raha Hai..
Khud Se Bikhar Sa Gaya Hai..
Khud Se...Khud Se...

KHAIR AAJ KAAFI KUCH KAH DIYA....
ANYWAYS
VERY GOOD UPDATE
THANKS....
 
Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
bahot shukriya Vikram bhai.... hmm waqt word par aise kai gaane hein
aap ke choice bhi behtareen hote hein bhai
Casinar bhai .....
Yar iss naye forum ne na bada tang kar diya hai mujhe.....
Ak bhi kaam thik se Nahi ho raha ....update 72 ka reply pichle 2 din se likh hua tha lekin update nahi ho raha.....ak bar to laga phone phek du....
Badi dikkat hai yar....
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,195
78,117
304
In today's update, I was surprised to hear Navina but when it comes to Aruhi, I too feel that this is correct. Navina's talk has confused Abhi. But I don't want Abhi to hide anything from Ruhi. Will Abhi marry Ruhi?
The burden that was on both of them for so long has become lighter today, now both are feeling relaxed. The decisions we make in life determine the life ahead of us. Ruhi's mother did wrong with Ruhi, which causes Ruhi's hatred towards her mother.
Manoj, Mehboob and Ruhi's mother Trio get the punishment for their mistake. People tell the truth, we get results as we do.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,305
12,574
158
Jaisa kaha jaata hai ki Ati har cheej ki buri hoti hai.
Usi tarah Navina ki jarurat se jyada achchhi banana bhi galat hai, wo dheere dheere abhi ko khud se dur karti jaa rahi hai, pyar me Saath dena jitna jaruri hai utna hi hak jatana bhi, nahi to Abhi ko lagane lagega ki Ab Navina ko usase pyar ya lagav nahi hai.
Abhi ko bhi sabse pahale usaki khushi ke baare me sochana chahiye, usake kahe ya maange bina hi. Khud ko usaki jagah rakhkar sochana chahiye wo hota to use kya chahiye hota.
 
Savi

Banned
443
4,366
123
Update 75 Abhi Meets Ruhi Again

Jiss din ko Abhi ko Ruhi ke ghar jaana tha ussne Navina ko bata diya ke wo Ruhi se mil chuka hai ussko diaries bhi de diya hai aur ab wapas lene jaa raha hai. Navina heyraan hui kyunke ussko bhi Ruhi se milna tha to Navina ne sawaal kiye ke kab mile kaise mile etc aur Abhi ne sab bataya jiss din ussko university nahin lene aya tha wahin se baat kiya tha aur tab Shweta se milne gaya tha uss se puchne ke kyun ussne nahin bataya ke wo Ruhi ko beti thi.

Matlab ab Navina ko bhi sab confirmation mil gayi ke Shweta Ruhi ki hi beti hai jaise ussne socha tha.

Navina ne Abhi se ek ajeeb baat kaha. Navina ne pehle Abhi ko baithne ko kaha kyunke ussko kuch important baat karni thi. Donon lounge mein sofe par baith aur Navina ne kaha,

“Aap ko Shweta se shaadi kar lena chahiye!”

Abhi chahunk kar khada ho gaya zor se “WHAT” kehte hue.

Navina ne ussko dobara baithne ko kaha, aur ussko samjhaya,

“Dekho, wo akeli hai, aap donon ke bich sexual relationship to ho hi rahe hein jisska mujhe koyi problem nahin, to shaadi hi kyun nahin kar lete? Main yeh Aruhi ke liye keh rahi hoon… wo badi hoti jaegi to sochegi ke tum kaise usske pita ho aur kyun do gharon mein rehte ho, inn sabka uss par ghalat assar ho sakta hai…. Shaadi kar loge Shweta se to kum se kum Aruhi ko itna to pata hoga ke usski papa ke do wives hein aur iss liye usski do mothers hein…. Haan shaadi kehne ko keh rahi hoon iss ghar mein laane ko nahin…. Usske liye alag ghar banwa lo, aur jab chaho wahan rehna jab chaho yahan! Jaise Aruhi inn do gharon mein pali badhegi ussi tarah tum bhi udhar idhar aate jaate rehna. Kabhi Aruhi ko mere paas rehne dena ekaat din aur tum Shweta ke yahan reh jana……”

Abhi ka yeh sab sunkar jaise dimaagh blank ho gaya. Ussko pata tha ke Shweta to bahot hi khush hogi agar uss se abhi ne shaadi kiya to….. magar abhi ab ruhi ke baare mein sochne laga tha aur Navina se kaha;

“Tum ek important chiz bilkool bhool gayi ho….. usske baare mein nahin socha tumne?!”

Navina heyraan hote hue pucha,

“what? Kia bhuli hoon?!”

Abhi: “Ruhi! Ussko nahin pata chalega ke main ne usski beti se shaadi kiya hai? Wo usski maa hai… aur wo meri premika THI!!”

Navina: “Abhi shukar hai tumhare aur Ruhi ke beech koyi sexual relationship nahin hua tha kabhi varna tumko Shweta se shaadi karna bilkool bhi allowed nahin hota, magar abhi ho sakta hai, moral values par bhi normal hai, legally bhi allowed hai…. Sunon ek kaam karo, mujhko kab Ruhi se milwaoge, kaha tha nah aap se ke kabhi uss se milo to mujhe milwana uss se? Ussko thanks Karna hai mujhe.”

Abhi: “Tum ne yeh shaadi wali baat kehkar mere dimaagh ko sun kar diya…. Dekho mera dil zoron se dhadakne laga hai…. Shweta to bahot khush hogi magar Ruhi kia sochegi…. Main to ussko yeh surprise dene wala hoon ke main ne Aruhi ko adopt kiya hai….. ab shaadi ki baat suni ussne to??!! Oh no, It’s not okay I feel!!”

Navina: “agar ussko pata hi nah chale to? Aur jab ussko pata chalega ke aap ne usske poti ko goad liya to ussko shak to hoga hi ke tum donon ke beech kuch zaroor hai…..!”

Abhi: “do you think so? Ussko shak hoga? Kaise?!”

Navina: “uss se kia kahoge ke kyun aap ne Aruhi ko Adopt kiya? Shweta kaise mili aap ko, kab se donon itne close hue ke Aruhi ko adopt bhi kar liya aap ne?!”

Abhi: “main yehi surprise to dunga nah Ruhi ko ke main pichle 7 saalon se Shweta se mil chuka hoon aur Aruhi ko bhi jaanta hoon ussko badhte hue dekha hai main ne…..”

Navina: “Tabhi Ruhi ko sab samajh mein ajaega Abhi, she is a woman who loved you nah? But where is she? She is not married? She must have her husband and kids nah?!”

Tab Abhi ne Ruhi ke baare mein sab kuch jitna jaanta tha bataya Navina ko. Ussko bahot afsos hua Ruhi ke baare mein jaan ke. Usske baad Navina ne ziada kuch nahin kaha buss itna kaha ke Shweta se ussko shadi karni hi chahiye.

Abhi chala gaya Ruhi se milne. Jaane se pehle phone karke bata diya Ruhi ko ke wo araha hai diaries lene. Ruhi ne Abhi ke taang khinchte hue kaha,

“Acha aap sirf diaries wapas lene aa rahe ho mujhse milne nahin?!”

Wahan pahunchne par kehne ki zaroorat nahin donon ke rona dhona phir shuru hua…. Abhi Ruhi ke jawaab padhte hue rone laga, aur Ruhi Abhi ko rote dekh kar rone lagi…. Ghanton baad donon chhup hue….

Abhi ne kaha,

“Bahot ro liye hum ne…. ab rona bandh… jitna jiss jiss ko jhelna tha jhel liye donon ne hai nah? Tum assal mein mujhse se ziada takliff mein rahi dekh sakta hoon samajh sakta hoon…. Tum akeli rahi, mujhe to Navina mil gayi mujhe sambhaalne ke liye, mera dekh bhaal karne ke liye, wo nahin aati meri zindagi mein to pata nahin main aaj kia hota….”

Ruhi ne kaha,

“Abhi jaise ek bojh utar gaya seene se nah? kia aap ko bhi weisa feel ho raha hai?”

Abhi: “Exactly yes!! Itne dinon se main khud se kehta raha ke kab yeh donon diaries tum tak pahuncha paunga, kab padhogi ke main tumse kitna pyar karta tha, kab tum sab samajh paogi…. Main marne se pehle tumko donon diaries dena hi dena chahta tha…. aur aaj ek sukoon feel hua sach mein…. Ek bojh utar gaya seene se yes you are right…. Yes true!”

Donon kuch der khamosh rah ek dusre ko dekhte hue aur Abhi ne pucha,

“Tum apni mummy aur Mehboob ke baare mein kuch kehne wali thi nah?”

Ruhi ne tab kaha,

“Hold me please Abhi”

Abhi ne turant Ruhi ko apne baahon mein bhar liya. Bahot kaske liya Ruhi ussne apne baahon mein, aur usske seene se lag kar Ruhi ne kaha,

“Itni mazbut baahein mili thi mujhe aur main ne innko thukraya, kitni bewakuf thi main Abhi? Kitne baar aap ne mujhe aise baahon mein liya tha phir bhi mujhe kyun tab pehchaan nahin hui thi ke yehi wo baahein hein jinn mein main apni umar guzaar sakti hoon, yehi wo baahein hein jo mujhe umar bhar araam de sakte the, yehi wo seena hai jiss par main zindagi bhar apna sar rakh kar araam haasil kar sakti thi, tab kyun mujhko isska ehsaas nahin hua tha Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke sar par haath ferrte hue jawaab diya,

“Yehi ghalati to kiya tha tumne nah, ke Amit aur wahan ke chaka chaund aur amiri ko socha tha aur upar se tumko tumhari maa aur Mehboob influence karte rehte the, issi liye tumne mujhko paa kar bhi kho diya…. Ghalati tumhari hai bhi aur nahin bhi… Uss waqt agar tumne mujhko sab bata diya hota to main pakka tumko convince kar leta, main tumhare iss bheje mein baat achchi tarah se daal deta ke hum donon ek dusre ke liye bane hein, hamaare rooh ek dusre se judh chuke the magar ussko alag tum ne kia Ruhi aur kissi ne nahin, tum wo bold decision nahin le paayi jab lena chahiye tha… tumne decision tab liya jab tumne dekha mujhko kaise zalil karke yahan se nikaala gaya… tab tumne decide kiya sabko sabak seekhaane ki…. Magar tab bhi tum mujhko approach kar sakti thi, mujhko ek khat likh deti main dauda chala aata tumhaare paas….

Main uss din yahan se jaane ke baad kayi mahinon tak tadapta raha tumhare liye, tabhi diaries ko likha apne daily diaries se inn par sab copy kiya aur Rahima ko dene aaya…… tab bhi tum agar chahti to mujhse mil sakti thi… tum uss din ghar mein hi thi nah? tumhare papa ne mujh se haath uthaya tha, shaayad wo samjha tha main tumhare liye aya hoon phir se….. mere chale jaane ke baad aayi thi tum diaries lene Rahima se, to jiss waqt main Rahima ke yahan tha tabhi kyun nahin nikli thi tum? Ussi waqt ussi taxi mein mere saath chali aati… tumne tab to sab se munh ferr hi liya tha nah? Manoj se baat nahin karti thi nah? ghar mein kuch nahin karti thi nah tab? Apni maa ko bhi sunaati rehti thi nah tab? To at least tab kyun nahin nikli thi tum Ruhi?!”

Ruhi rone lagi, aur rote hue Abhi ke seene se satt kar kaha,

“Main tab badal gayi thi, ghussa bhara hua tha mujh mein, uss din jab aap aaye the dunya mein aag laga dene ka mann kar raha tha mera, uss din main ne aap ke aane se pehle bahot bahot ghussa kiya tha ghar mein, plate tode the kitchen mein, thik taxi jab aangan mein aaye tab main apni kamre mein kuch kapdon main aag lagaya tha, sab jal rahe the aur mummy papa dhadpadaate aaye the paani daalne unn kapdon par, tabhi taxi ruki thi aur main ne jhanka tha baahar to aap ko dekh kar mere dil ke dhadkanen jaise ruk gaye the… main rone lagi thi, maa ne bhi aap ko Rahima ke ghar jaate hue dekha tha aur uss din mujhse kaha tha,

“jaa wo aya hai jaa chali jaa usske saath, bhaag ja usske saath tab tere kaleje mein thandak padegi”

Aur main ne maa ko jawaab yeh diya tha,

“kyun chali jaun? Main tujhko issi ghar mein rehkar teri kaal banungi, tujhko ahiste ahiste marna dekhna hai mujhe, tujhko dhire dhire saare chizon ka ehesaas dilana hai mujhe tum sab ko abhi aur bahot kuch jhelna hai, mujhe tum sabko bahot kuch dikhana hai abhi… main aur 50 saal iss ghar mein rehkar tadpaane wali hoon tum sab ko? Main kyun jaaun jab ussko aap sab ne beizat karke iss ghar se nikala tha aur main ne kuch nahin kiya tha, kiss munh se usske saamne jaungi main? Mujhe munh chhupana hai uss se, sharam aati hai mujhe ab usske saamne jaane ke liye kaise jaaun main usske saamne kiss munh se jaun usske saamne main?!”

Yeh sab sunke Abhi ne Ruhi ke maathe ko chuma aur Ruhi ne aur kaha,

“main jiss tarah se behave kar rahi thi unn dinon sab samajh rahe the mere upar koyi aatma agayi hai, Ojha ke paas le gaye the mujhe, phir doctor ke paas, doctor ne phsychiatric medecines diye the aur kaha tha ke agar aisi hi rahi to breakdown ho sakta hai paagal ho jaungi sach mein aur mental asylum mein bharrti hona padega…. Mujhko paagal ka tag de diya gaya tha iss ghar mein mere behaviour ki vajah se hihihihihi……. Yeh sab aap ke diaries dene ke 3 mahine baad hua tha….. aur jab doctor ne mujhse wo sab kaha tab main ne socha ke mujhko ab sambhlna chahiye aur control mein rehna chahiye….. ghar mein apne kone mein rehti thi, ek bhi kaam nahin karti, TV dekhti, books read karti aur apni room mein ghussi rehti…. Kayi saalon tak weisi hi rahi… maa baat karti to ussko ghusse mein jawaab deti aur kehti ke mujhse baat nah karen…. Sirf Mahesh se thik se baat karti aur kissi se bhi nahin… maa kapde dhone jaati aur bulaati to ussko gaali deti…. Sirf apne kapdon ko dhoti thi, aur kissi ki nahin, kitchen mein ek kaam bhi nahin karti thi, sab maa karti, main khaati thi hehehehe!! Bahot buri ban gayi thi main…. Saalon tak ghussa bhara hua tha mujh mein…”

“Aur normal kab hue tum?” Abhi ne pucha.

Ruhi: “NAHIN HUI!! UNN LOGON KE SAATH NORMAL HUI HI NAHIN MAIN, KHAAS KAR MAA KE SAATH TO AAJ TAK NAHIN HUI NORMAL…….. Manoj ke liye ladki dekhne gaye sab, main nahin gayi, Manoj binati karte thak gaya mujhe chalne ke liye magar pata hai main ne ussko kia jawaab diya tha? 5 saal baad uss se baat kiya tha uss din aur jawaab mein uss se kaha ‘kitna acha hoga ke tujhe bhi kutte ki tarah wo log ghar se laat maar kar nikaale jaise tumne Abhi ko nikala tha, main kyun jaungi? Kia tum ne mere Abhi ko accept kiya tha? jaise tu ladki dekhne ja raha hai wo bhi aya tha, tab tumne kia kiya tha?!”

Abhi: “kaash jiss din main aya tha tab tumne uss se wo sab kaha hota!!”

Ruhi: “Tab main bahot achchi, obedient beti thi iss ghar ki nah? aap ke jaane ke baad main sabki baap bani thi hehehehe, sab kuch aap ke badaulat hi hua, main strong bhi hui to aap ki vajah se…. meri life mein aap ne bahot changes laaye, positivity bhi laaye buss aap nahin mile mujhe!”

Abhi: “phir kia kehna tha tumhare mummy aur Mehboob ke baare mein?”

“Mummy ko breast cancer hui, papa S.Arabia se wapas aaye phir kabhi nahin gaye. 1994 ki baat hai. Manoj ki shaadi ho chuki thi, uss se ekaat baat kar leti thi, aur usski biwi se banti thi meri. usski biwi ko sab kuch bata diya tha khud manoj ne aap ke aur mere baare mein…. Baad mein Mahesh ki shaadi hui to ussne bhi meri aur aap ki kahani bata diye apni wife ko…. Donon bahuwon ko meri muhabat ki dastaan pata hai…. Iss liye bataaye donon bhaiyon ne kyunke weh sawaal karte nah ke ghar mein ek behen kyu baithi hai bina shaadi kiye…. To manoj ki wife ko bahot hamdardi hui mujhse sab jaan kar aap ke aur mere baare mein aur uss se achi dosti hui… maa ko breast cancer hua tab wo rote hue mujhse maafi maange main ne ussko maaf NAHIN KIYA AUR BAAT BHI NAHIN KI BUSS ITNA KAHA KE WO APNI SAZAA bhugat rahi hai bhagwaan ne ussko sazaa diya hai….

Usski breast ko operate kiya gaya, ek breast nikala gaya 2 mahine tak hospital mein rahi , main ek din bhi ussko dekhne nahin gayi…wapas aayi to roti rahi bed par main bilkool dekhne nahin gai ussko….. main ussko dusre kamre se sunaati yeh sab kehkar,

“paise ki bhooki kitna paisa feinka operation ke liye? Mere papa ke sab paise khaa gayi tu? Ek boob gaya hai aur bhi jaega tu maregi nahin jeeti rahegi magar tadapte hue jiyegi”….. main usski dushman bah gayi thi…. Aur usski cancer aaj tak thik nahin hua… saalon baad dusri boob mein bhi cancer feyla, fir se wohi daudna, chemo therapy, radio therapy… usska dard se tarapna… chillaana, saare baal jhad gaye the phir uge phir jhade….. uss din yahan aayi thi to aap ne notice nahi kiya kitni patli lakdi jaisi ho gayi hai? Thik se chal nahin paati hai… aaj bhi therapy baaki hai usski…kabhi mahinon bhar hospital mein rehti hai.. kissi waqt bhi tapak sakti hai….. usski yehi sazaa milna tha zinda rehna aur sehna…seh rahi hai aur mujhko chain aur sukoon aa raha hai…..”

Abhi ne Ruhi ka sar sehlaate hue kaha,

“chorro jaane do, tumhari maa hai maaf kardo… jaane do ab…. Just forget and forgo!”

Ruhi Abhi ke seene se alag hote hue kaha,

“NEVER ABHI, I WILL NEVER FORGET AND NEVER LET GO…. WO MARR BHI JAYE TO MUJHE KOYI DUKH NAHIN HOGA ABHI!”

Abhi: “Itni karwahat thik bhi nahin sweetheart….. ab bhool bhi jao nah!”

Ruhi: “25 Saal se main iss ghar mein baithi hoon bhool jaun? Aaj mere bache hote aap ke saath. Ek ghar hota, mera pati hota main kitni khush hoti wo sab bhool jaun? Sab kuch usski vajah se hua? Kabhi nahin bhoolungi main Abhi kabhi nahin!!”

Abhi chhup ho gaya….. phir pucha ke Mehboob ko kia hua.

Ruhi zor se hanssi aur kaha,

“hhahahaha kutte ho heart attack aya tha 2 Baar…. Hospitalize hua tha wo bhi… kumzor ho gaya… heart ka operation hua, wo bhi mujhse maafi mangne aya tha main ne maaf nahin kiya ro raha tha main ne kaha jitna Abhi ko aur mujhko rulaya hai uss se hazaar guna ziada tujhe bhi rona hai… usske dil ke andar ek koyi electronic apparatus hai varna wo kabhi bhi tapak sakta hai….. kabhi bhi farfaraane lagta hai sab ussko utha kar jaldi se hospital lejaate hein….. ek din hospital jaate hue hi marega wo kutta!!”

Abhi ko Ruhi ki wo ghussa, wo karwahat un donon ke liye samajh mein araha tha… aur ussne aur kuch nahin kaha Ruhi ko buss ussko aur zor se apne baahon mein bhar ke ussko chuma ussko cool karne ke liye.

Aur kuch der baad Ruhi ne kaha,

“Achah chorro yeh sab Abhi, aap ab mujhe yeh batao kaun sa surprise dene wale the aap mujhe?!

To be continued….
(2901 Words)

Behtareen update casi ji.
Ab to Abhi ki duvidha aur badh gayi hai. Wo kia Shweta se shadi karega?
Ruhi se to nahin kar paega kyunke usski beti ke sath sexual relationship mein hai. Navina ne sahi kaha ke Abhi ne kabhi bhi Ruhi k sath sex nahin kiya to Shweta ke sath sahi hoga shadi kiya to. Aruhi k liye bahut achi baat hogi.
Haan to donon k saare shikwe gile ab to dooe hue. Mehboob aur Ruhi ki maa ko bhi saza mili thik hua. Jaisi karni waisi bharni reet hai dunya ki.
Main ab sirf issi soch mein hoo ke Abhi ab kia karega. Wo to maa beti ko milane wala tha nah?
Anyway dekhte hein kia hota hai ab iss kahani ka.
Very goos update. :superb:
 
bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 67 Abhi, Shweta And Aruhi

Abhi unn donon ke lekar ek lawyer se mila, Aruhi ko legally adopt karne ke liye….. magistrate se bhi milna pada chamber mein aur aakhir mein apne paison ke dum se Abhi ne kuch chakkar chalaaye jiss se kaam jitni jaldi ho sake kiya jaaye. Jawaab mila ke 10 ya 15 dinon mein legal adoption ke paper ban jayenge filhaal application bhar diya gaya….. Uss mein ek chhota sa problem yeh tha ke Aruhi ke asli pita doctor sahab ke signature bhi chahiyega kyunke wo alimony deta tha Abhi tak Aruhi ko, to jab Abhi ka adoption accept ho jaega usska alimony dena bandh ho jaega kaha gaya Abhi ko.

Abhi ne saara kaam lawyer ke haath mein chorr diya ussko tagda paisa de kar, ab wohi jaega uss doctor ke signs lene tab tak lawyer aur magistrate donon ne kaha ke abhi se hi Aruhi ko samajh liya jaye ke wo adopt kar chuka hai…. Paisa bolta hai bhai!!

Abhi bahot khush tha aur ab Aruhi ko khush karna chahta tha, Aruhi ko shikayat thi nah ke usska papa usske saath nahin rehta, kahin door kaam karta hai ghar kayi dinon baad aata hai, aur aata bhi hai to turant chala jata hai…. To Abhi ne Shweta aur Aruhi ko lekar ghumne gaya….

Jaane se pehle Abhi ne Aruhi ko goad mein lekar pucha,

“hmmm to ab bata papa ke saath aaj kahin ghumne chalegi?!”

Aruhi ne Abhi ke gaal par pappy dete hue kaha,

“yessss papa, aaj first time aap ke saath ghumne jaungi, varna sirf mamma lejaati hai mujhe!”

Abhi ne Aruhi ko chumte hue pucha,

“To bata kahan jaegi papa ki gudya!”

Aruhi: “seaside!”

Abhi: “seaside? Yeh bhi koyi ghumne ki jagah hai kia?!”

Aruhi: “haan hai nah, main swim karungi, sand castle banaungi, sand par walk karenge, bahut maza aega papa, sunset bhi dekhenge….”

Abhi ne socha tha jiss taraf Ruhi rehti hai uss taraf ke seaside jaega magar jab Aruhi ke kaha ke sunset dekhegi tab samjha ke west ke seaside jana hoga…..

Jab tak Abhi Aruhi ko uss tarah se goad mein lekar khelta batiyata raha, Shweta bade pyar se donon ko dekh rahi thi aur usski aankhen bhar aayi….

Abhi tab ek shop par ruka aur khudke liye Shweta aur Aruhi ke liye bhi swimming costumes kharide aur gaye drive karte hue west ki ek mashoor seaside par.

Car ke andar hi sab ne swimming costume badle aur seedhe samundar ke namkin paani mein teenon paaye gaye.

Shweta ko swimming aati thi to Abhi Aruhi ko swimming sikhaane laga….. Aruhi darr rahi thi, aur Abhi ussko apne haathon mein flat sulaakar haath peyr chalana seekhaya jaise swim karna seekhaate hein…. Ghanton bhar paani mein rahe teenon…. Aruhi bahot khush thi aur bahot hi enjoy kar rahi thi.

Shweta Abhi aur Aruhi ko pyar bhade nazron se dekhe jaa rahi rahi thi. Ussko bahot Khushi ho rahi thi ke Aruhi ko ek pita mil gaya aur kitni khush thi Aruhi… baar baar chilla rahi rahi “papa yeh papa wo, papa aise, papa mujhe swim karao…. Papa mujhe utha kar feinko paani mein…..”

Jab thand lagne lage, Aruhi thoda kaampne lagi tab Abhi ne paani se nikalne ko decide kiya aur ussne khud Aruhi ko paani se nikala apne goad mein uthakar aur ussko towel mein lapeta…. Shweta ko kuch karne ki zarorat hi nahin padi, Abhi ne hi Aruhi ko change kiya dusra dress pehnaya, jabke Shweta apni kapde change kar rahi thi….

Usske baad ab Aruhi ko sand castle banana tha to Abhi hi legaya ussko… aur bap beti milkar sand castle banaane lage…. Shweta khadi dekh rahi thi….. Shweta jaan bujh kar donon ke beech nahin arahi thi… jitna Aruhi ko baap ki kami mehsoos hui thi pichle 7 saalon mein wo Abhi ek din mein pura kar raha tha aur Shweta ko itni Khushi ho rahi thi Aruhi ko utna khush dekh kar ke khud apni bachpan yaad karne lagi thi, ke ussko itna pyar nahin mila tha bilkool bachpan mein, jo usska baap bana tha ussko lagao hi nahin tha Shweta se, maa busy rehti thi kaam mein ussko nursery chorr diya jaat tha, din bhar nursery mein rehti, hosh sambhala to kindergarten mein rehti thi, shaam 5 baje ek van ussko ya to supermarket mein chorrta jahan se baap raat ko usse band karta tan Shweta ghar aati, maa to hospital mein rehti ya to raat bhar ya din bhar… Shweta ko nah maa ki nah baap ka pyar mila tha….

Issi liye Shweta Ruhi se itna naraaz thi aur jab ussko pata chala ke usski asli maa Ruhi thi to uss se issi vajah se ladaayi karke ussko chorr aayi thi, ke ussne ussko kisi aur ke ghar kyun chorra tha aur uskso maa baap ka pyar nahin naseeb hua.

Ussko bhi pyar aur sneh mila to Abhi se hi, bachpan mein bhi aur Jawaani mein bhi ussko sirf Abhi se hi sacha pyar mila tha, iss liye Shweta Abhi ko khona nahin chahti thi, aur ab Shweta ko pakka yakeen ho gaya tha ke ab Abhi uss se kabhi door ho hi nahin sakta kyunke ab Aruhi ke zarye Abhi hamesha ke liye usske paas bhi rahega. Shweta bhi bahot khush thi ke ab usski beti ke badaulat ussko Abhi mil gaya tha hamesha ke liye.

Ghanton bhar castle banaate tutte, phir banaane ke baad, Aruhi ne mobile se photos liye unn castles ki aur Abhi se khud ke pics nikalwaaye castles ke paas baith kar…. Usske baad donon sand walk ke liye nikle…. Kayi kilometres tak walk kiye teenon ne reth par nange paon…. Aur tab sunset dekhne ko baithe….

Kitna khubsurat hota hai suraj ko samundar mein doobki lagaate hue dekhna issko describe karne ki zaroorat to nahin sab ne dekha hi hoga…. Bahot saare photos liye Abhi ne uss dhalte suraj ki. Ahiste ahiste suraj ka rang laal hota gaya aur jab aakhri hissa reh gaya to usski khubsurti aur bhi badhti gayi door se lagta tha samundar mein door aag lagi hui hai….

Abhi ne tab Navina ko phone kiya, aaj usski University ka course nahin tha to navina 3.30 ko ghar aajati hai unn dinon…. Abhi ne Navina se kaha ke wo Shweta aur Aruhi ko ghar laa raha hai wahin dinner karenge donon. Navina bhi khush hui kyunke wo Aruhi se milna chahti thi…. Aur beshak Shweta se bhi.

Ab Shweta ko ajib lag raha tha wo nahin jana chahti thi… magar Abhi ne ussko samjhaya ke jana to padega aur ab aksar aisa hota rahega, kabhi Aruhi usske saath usske ghar par rahega, Navina ko bhi bache ka pyar chahiye….. tab Shweta samjhi aur agree kiya jaane ke liye apni lecturer ke paas.

Abhi ne Shweta ko pata nahin chalne diya ke Navina ko usske aur Shweta ke rishte ke baare mein pata hai, aur text karke Navina ko bhi bata diya ke unn donon ke sambandh ke baare mein Shweta se koyi bhi baat nah karen, buss aise lagna chahiye ke Shweta ko bilkool nah lage ke Navina ko Shweta aur Abhi ke sambandh ke baare mein pata hai….

Navina ne reply kiya ke wo samajh gayi wo aisa kuch nahin pata chalne degi.

Jab sab Abhi ke ghar reach hue to Shweta Abhi ke ghar aur aangan ko dekhti reh gayi….. andhera ho chuka tha phir bhi Abhi ke aangan mein itne lights the ke din lag raha tha wahan…. Shweta ne dhire se Abhi se kaha,

“Aap ka ghar to ek mahal jaisa hai…. How beautiful, yeh garden kaun maintain karta hai? Kitni khubsurat hai, wow look at those roses, kitne saare phool hein aap ki gartden mein wow!!”

Aur Aruhi ne pehla sawaal yeh kiya,

“Papa hum kisske yahan aaye hein? Kaun rehta hai idhar?!”

Abhi ne Aruhi ko goad mein uthaate hue kaha,

“Baby idhar tumhari badi mummy rehti hai!”

Shweta Aruhi ko dekh rahi thi aur Aruhi Shweta ko, to Shweta ne apna sar haan mein hillate hue Aruhi ko ikraar karne ka ishara kiya, magar Aruhi ne phir bhi Abhi se sawaal kiya,

“Badi mummy? Wo kaun hoti hai? Itne dinon se kyun nahin mili wo mujhe? Aur wo yahan kyun rehti hai? Hamaare saath kyun nahin rehti?!”

Abhi ke samajh mein agaya ke ab bahot sare sawaalon ka jawaab bana kar dena hoga Aruhi ko aur teenon ghar ke darwaze ke taraf bahdne lage jahan Navina apni khubsurat smile se sabko receive karne ko wait kar rahi thi.

To be continued…..
wish all my friends, readers, fans, followers, Admins, mods, sumos of XF a very Happy Holi
abhi ko finally ek beti ka pyar mil gya a hi aaruhi pr sab nyochavar kr dena chahta hai swetha abhi ka ghar dekh k4 achambhit hui wahin navina dono bahein failaye khusi se sabka welcome krne ko tyaar hai
fabulous update
 
Indian001

Active Member
1,102
6,330
143
Update 75 Abhi Meets Ruhi Again

Jiss din ko Abhi ko Ruhi ke ghar jaana tha ussne Navina ko bata diya ke wo Ruhi se mil chuka hai ussko diaries bhi de diya hai aur ab wapas lene jaa raha hai. Navina heyraan hui kyunke ussko bhi Ruhi se milna tha to Navina ne sawaal kiye ke kab mile kaise mile etc aur Abhi ne sab bataya jiss din ussko university nahin lene aya tha wahin se baat kiya tha aur tab Shweta se milne gaya tha uss se puchne ke kyun ussne nahin bataya ke wo Ruhi ko beti thi.

Matlab ab Navina ko bhi sab confirmation mil gayi ke Shweta Ruhi ki hi beti hai jaise ussne socha tha.

Navina ne Abhi se ek ajeeb baat kaha. Navina ne pehle Abhi ko baithne ko kaha kyunke ussko kuch important baat karni thi. Donon lounge mein sofe par baith aur Navina ne kaha,

“Aap ko Shweta se shaadi kar lena chahiye!”

Abhi chahunk kar khada ho gaya zor se “WHAT” kehte hue.

Navina ne ussko dobara baithne ko kaha, aur ussko samjhaya,

“Dekho, wo akeli hai, aap donon ke bich sexual relationship to ho hi rahe hein jisska mujhe koyi problem nahin, to shaadi hi kyun nahin kar lete? Main yeh Aruhi ke liye keh rahi hoon… wo badi hoti jaegi to sochegi ke tum kaise usske pita ho aur kyun do gharon mein rehte ho, inn sabka uss par ghalat assar ho sakta hai…. Shaadi kar loge Shweta se to kum se kum Aruhi ko itna to pata hoga ke usski papa ke do wives hein aur iss liye usski do mothers hein…. Haan shaadi kehne ko keh rahi hoon iss ghar mein laane ko nahin…. Usske liye alag ghar banwa lo, aur jab chaho wahan rehna jab chaho yahan! Jaise Aruhi inn do gharon mein pali badhegi ussi tarah tum bhi udhar idhar aate jaate rehna. Kabhi Aruhi ko mere paas rehne dena ekaat din aur tum Shweta ke yahan reh jana……”

Abhi ka yeh sab sunkar jaise dimaagh blank ho gaya. Ussko pata tha ke Shweta to bahot hi khush hogi agar uss se abhi ne shaadi kiya to….. magar abhi ab ruhi ke baare mein sochne laga tha aur Navina se kaha;

“Tum ek important chiz bilkool bhool gayi ho….. usske baare mein nahin socha tumne?!”

Navina heyraan hote hue pucha,

“what? Kia bhuli hoon?!”

Abhi: “Ruhi! Ussko nahin pata chalega ke main ne usski beti se shaadi kiya hai? Wo usski maa hai… aur wo meri premika THI!!”

Navina: “Abhi shukar hai tumhare aur Ruhi ke beech koyi sexual relationship nahin hua tha kabhi varna tumko Shweta se shaadi karna bilkool bhi allowed nahin hota, magar abhi ho sakta hai, moral values par bhi normal hai, legally bhi allowed hai…. Sunon ek kaam karo, mujhko kab Ruhi se milwaoge, kaha tha nah aap se ke kabhi uss se milo to mujhe milwana uss se? Ussko thanks Karna hai mujhe.”

Abhi: “Tum ne yeh shaadi wali baat kehkar mere dimaagh ko sun kar diya…. Dekho mera dil zoron se dhadakne laga hai…. Shweta to bahot khush hogi magar Ruhi kia sochegi…. Main to ussko yeh surprise dene wala hoon ke main ne Aruhi ko adopt kiya hai….. ab shaadi ki baat suni ussne to??!! Oh no, It’s not okay I feel!!”

Navina: “agar ussko pata hi nah chale to? Aur jab ussko pata chalega ke aap ne usske poti ko goad liya to ussko shak to hoga hi ke tum donon ke beech kuch zaroor hai…..!”

Abhi: “do you think so? Ussko shak hoga? Kaise?!”

Navina: “uss se kia kahoge ke kyun aap ne Aruhi ko Adopt kiya? Shweta kaise mili aap ko, kab se donon itne close hue ke Aruhi ko adopt bhi kar liya aap ne?!”

Abhi: “main yehi surprise to dunga nah Ruhi ko ke main pichle 7 saalon se Shweta se mil chuka hoon aur Aruhi ko bhi jaanta hoon ussko badhte hue dekha hai main ne…..”

Navina: “Tabhi Ruhi ko sab samajh mein ajaega Abhi, she is a woman who loved you nah? But where is she? She is not married? She must have her husband and kids nah?!”

Tab Abhi ne Ruhi ke baare mein sab kuch jitna jaanta tha bataya Navina ko. Ussko bahot afsos hua Ruhi ke baare mein jaan ke. Usske baad Navina ne ziada kuch nahin kaha buss itna kaha ke Shweta se ussko shadi karni hi chahiye.

Abhi chala gaya Ruhi se milne. Jaane se pehle phone karke bata diya Ruhi ko ke wo araha hai diaries lene. Ruhi ne Abhi ke taang khinchte hue kaha,

“Acha aap sirf diaries wapas lene aa rahe ho mujhse milne nahin?!”

Wahan pahunchne par kehne ki zaroorat nahin donon ke rona dhona phir shuru hua…. Abhi Ruhi ke jawaab padhte hue rone laga, aur Ruhi Abhi ko rote dekh kar rone lagi…. Ghanton baad donon chhup hue….

Abhi ne kaha,

“Bahot ro liye hum ne…. ab rona bandh… jitna jiss jiss ko jhelna tha jhel liye donon ne hai nah? Tum assal mein mujhse se ziada takliff mein rahi dekh sakta hoon samajh sakta hoon…. Tum akeli rahi, mujhe to Navina mil gayi mujhe sambhaalne ke liye, mera dekh bhaal karne ke liye, wo nahin aati meri zindagi mein to pata nahin main aaj kia hota….”

Ruhi ne kaha,

“Abhi jaise ek bojh utar gaya seene se nah? kia aap ko bhi weisa feel ho raha hai?”

Abhi: “Exactly yes!! Itne dinon se main khud se kehta raha ke kab yeh donon diaries tum tak pahuncha paunga, kab padhogi ke main tumse kitna pyar karta tha, kab tum sab samajh paogi…. Main marne se pehle tumko donon diaries dena hi dena chahta tha…. aur aaj ek sukoon feel hua sach mein…. Ek bojh utar gaya seene se yes you are right…. Yes true!”

Donon kuch der khamosh rah ek dusre ko dekhte hue aur Abhi ne pucha,

“Tum apni mummy aur Mehboob ke baare mein kuch kehne wali thi nah?”

Ruhi ne tab kaha,

“Hold me please Abhi”

Abhi ne turant Ruhi ko apne baahon mein bhar liya. Bahot kaske liya Ruhi ussne apne baahon mein, aur usske seene se lag kar Ruhi ne kaha,

“Itni mazbut baahein mili thi mujhe aur main ne innko thukraya, kitni bewakuf thi main Abhi? Kitne baar aap ne mujhe aise baahon mein liya tha phir bhi mujhe kyun tab pehchaan nahin hui thi ke yehi wo baahein hein jinn mein main apni umar guzaar sakti hoon, yehi wo baahein hein jo mujhe umar bhar araam de sakte the, yehi wo seena hai jiss par main zindagi bhar apna sar rakh kar araam haasil kar sakti thi, tab kyun mujhko isska ehsaas nahin hua tha Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke sar par haath ferrte hue jawaab diya,

“Yehi ghalati to kiya tha tumne nah, ke Amit aur wahan ke chaka chaund aur amiri ko socha tha aur upar se tumko tumhari maa aur Mehboob influence karte rehte the, issi liye tumne mujhko paa kar bhi kho diya…. Ghalati tumhari hai bhi aur nahin bhi… Uss waqt agar tumne mujhko sab bata diya hota to main pakka tumko convince kar leta, main tumhare iss bheje mein baat achchi tarah se daal deta ke hum donon ek dusre ke liye bane hein, hamaare rooh ek dusre se judh chuke the magar ussko alag tum ne kia Ruhi aur kissi ne nahin, tum wo bold decision nahin le paayi jab lena chahiye tha… tumne decision tab liya jab tumne dekha mujhko kaise zalil karke yahan se nikaala gaya… tab tumne decide kiya sabko sabak seekhaane ki…. Magar tab bhi tum mujhko approach kar sakti thi, mujhko ek khat likh deti main dauda chala aata tumhaare paas….

Main uss din yahan se jaane ke baad kayi mahinon tak tadapta raha tumhare liye, tabhi diaries ko likha apne daily diaries se inn par sab copy kiya aur Rahima ko dene aaya…… tab bhi tum agar chahti to mujhse mil sakti thi… tum uss din ghar mein hi thi nah? tumhare papa ne mujh se haath uthaya tha, shaayad wo samjha tha main tumhare liye aya hoon phir se….. mere chale jaane ke baad aayi thi tum diaries lene Rahima se, to jiss waqt main Rahima ke yahan tha tabhi kyun nahin nikli thi tum? Ussi waqt ussi taxi mein mere saath chali aati… tumne tab to sab se munh ferr hi liya tha nah? Manoj se baat nahin karti thi nah? ghar mein kuch nahin karti thi nah tab? Apni maa ko bhi sunaati rehti thi nah tab? To at least tab kyun nahin nikli thi tum Ruhi?!”

Ruhi rone lagi, aur rote hue Abhi ke seene se satt kar kaha,

“Main tab badal gayi thi, ghussa bhara hua tha mujh mein, uss din jab aap aaye the dunya mein aag laga dene ka mann kar raha tha mera, uss din main ne aap ke aane se pehle bahot bahot ghussa kiya tha ghar mein, plate tode the kitchen mein, thik taxi jab aangan mein aaye tab main apni kamre mein kuch kapdon main aag lagaya tha, sab jal rahe the aur mummy papa dhadpadaate aaye the paani daalne unn kapdon par, tabhi taxi ruki thi aur main ne jhanka tha baahar to aap ko dekh kar mere dil ke dhadkanen jaise ruk gaye the… main rone lagi thi, maa ne bhi aap ko Rahima ke ghar jaate hue dekha tha aur uss din mujhse kaha tha,

“jaa wo aya hai jaa chali jaa usske saath, bhaag ja usske saath tab tere kaleje mein thandak padegi”

Aur main ne maa ko jawaab yeh diya tha,

“kyun chali jaun? Main tujhko issi ghar mein rehkar teri kaal banungi, tujhko ahiste ahiste marna dekhna hai mujhe, tujhko dhire dhire saare chizon ka ehesaas dilana hai mujhe tum sab ko abhi aur bahot kuch jhelna hai, mujhe tum sabko bahot kuch dikhana hai abhi… main aur 50 saal iss ghar mein rehkar tadpaane wali hoon tum sab ko? Main kyun jaaun jab ussko aap sab ne beizat karke iss ghar se nikala tha aur main ne kuch nahin kiya tha, kiss munh se usske saamne jaungi main? Mujhe munh chhupana hai uss se, sharam aati hai mujhe ab usske saamne jaane ke liye kaise jaaun main usske saamne kiss munh se jaun usske saamne main?!”

Yeh sab sunke Abhi ne Ruhi ke maathe ko chuma aur Ruhi ne aur kaha,

“main jiss tarah se behave kar rahi thi unn dinon sab samajh rahe the mere upar koyi aatma agayi hai, Ojha ke paas le gaye the mujhe, phir doctor ke paas, doctor ne phsychiatric medecines diye the aur kaha tha ke agar aisi hi rahi to breakdown ho sakta hai paagal ho jaungi sach mein aur mental asylum mein bharrti hona padega…. Mujhko paagal ka tag de diya gaya tha iss ghar mein mere behaviour ki vajah se hihihihihi……. Yeh sab aap ke diaries dene ke 3 mahine baad hua tha….. aur jab doctor ne mujhse wo sab kaha tab main ne socha ke mujhko ab sambhlna chahiye aur control mein rehna chahiye….. ghar mein apne kone mein rehti thi, ek bhi kaam nahin karti, TV dekhti, books read karti aur apni room mein ghussi rehti…. Kayi saalon tak weisi hi rahi… maa baat karti to ussko ghusse mein jawaab deti aur kehti ke mujhse baat nah karen…. Sirf Mahesh se thik se baat karti aur kissi se bhi nahin… maa kapde dhone jaati aur bulaati to ussko gaali deti…. Sirf apne kapdon ko dhoti thi, aur kissi ki nahin, kitchen mein ek kaam bhi nahin karti thi, sab maa karti, main khaati thi hehehehe!! Bahot buri ban gayi thi main…. Saalon tak ghussa bhara hua tha mujh mein…”

“Aur normal kab hue tum?” Abhi ne pucha.

Ruhi: “NAHIN HUI!! UNN LOGON KE SAATH NORMAL HUI HI NAHIN MAIN, KHAAS KAR MAA KE SAATH TO AAJ TAK NAHIN HUI NORMAL…….. Manoj ke liye ladki dekhne gaye sab, main nahin gayi, Manoj binati karte thak gaya mujhe chalne ke liye magar pata hai main ne ussko kia jawaab diya tha? 5 saal baad uss se baat kiya tha uss din aur jawaab mein uss se kaha ‘kitna acha hoga ke tujhe bhi kutte ki tarah wo log ghar se laat maar kar nikaale jaise tumne Abhi ko nikala tha, main kyun jaungi? Kia tum ne mere Abhi ko accept kiya tha? jaise tu ladki dekhne ja raha hai wo bhi aya tha, tab tumne kia kiya tha?!”

Abhi: “kaash jiss din main aya tha tab tumne uss se wo sab kaha hota!!”

Ruhi: “Tab main bahot achchi, obedient beti thi iss ghar ki nah? aap ke jaane ke baad main sabki baap bani thi hehehehe, sab kuch aap ke badaulat hi hua, main strong bhi hui to aap ki vajah se…. meri life mein aap ne bahot changes laaye, positivity bhi laaye buss aap nahin mile mujhe!”

Abhi: “phir kia kehna tha tumhare mummy aur Mehboob ke baare mein?”

“Mummy ko breast cancer hui, papa S.Arabia se wapas aaye phir kabhi nahin gaye. 1994 ki baat hai. Manoj ki shaadi ho chuki thi, uss se ekaat baat kar leti thi, aur usski biwi se banti thi meri. usski biwi ko sab kuch bata diya tha khud manoj ne aap ke aur mere baare mein…. Baad mein Mahesh ki shaadi hui to ussne bhi meri aur aap ki kahani bata diye apni wife ko…. Donon bahuwon ko meri muhabat ki dastaan pata hai…. Iss liye bataaye donon bhaiyon ne kyunke weh sawaal karte nah ke ghar mein ek behen kyu baithi hai bina shaadi kiye…. To manoj ki wife ko bahot hamdardi hui mujhse sab jaan kar aap ke aur mere baare mein aur uss se achi dosti hui… maa ko breast cancer hua tab wo rote hue mujhse maafi maange main ne ussko maaf NAHIN KIYA AUR BAAT BHI NAHIN KI BUSS ITNA KAHA KE WO APNI SAZAA bhugat rahi hai bhagwaan ne ussko sazaa diya hai….

Usski breast ko operate kiya gaya, ek breast nikala gaya 2 mahine tak hospital mein rahi , main ek din bhi ussko dekhne nahin gayi…wapas aayi to roti rahi bed par main bilkool dekhne nahin gai ussko….. main ussko dusre kamre se sunaati yeh sab kehkar,

“paise ki bhooki kitna paisa feinka operation ke liye? Mere papa ke sab paise khaa gayi tu? Ek boob gaya hai aur bhi jaega tu maregi nahin jeeti rahegi magar tadapte hue jiyegi”….. main usski dushman bah gayi thi…. Aur usski cancer aaj tak thik nahin hua… saalon baad dusri boob mein bhi cancer feyla, fir se wohi daudna, chemo therapy, radio therapy… usska dard se tarapna… chillaana, saare baal jhad gaye the phir uge phir jhade….. uss din yahan aayi thi to aap ne notice nahi kiya kitni patli lakdi jaisi ho gayi hai? Thik se chal nahin paati hai… aaj bhi therapy baaki hai usski…kabhi mahinon bhar hospital mein rehti hai.. kissi waqt bhi tapak sakti hai….. usski yehi sazaa milna tha zinda rehna aur sehna…seh rahi hai aur mujhko chain aur sukoon aa raha hai…..”

Abhi ne Ruhi ka sar sehlaate hue kaha,

“chorro jaane do, tumhari maa hai maaf kardo… jaane do ab…. Just forget and forgo!”

Ruhi Abhi ke seene se alag hote hue kaha,

“NEVER ABHI, I WILL NEVER FORGET AND NEVER LET GO…. WO MARR BHI JAYE TO MUJHE KOYI DUKH NAHIN HOGA ABHI!”

Abhi: “Itni karwahat thik bhi nahin sweetheart….. ab bhool bhi jao nah!”

Ruhi: “25 Saal se main iss ghar mein baithi hoon bhool jaun? Aaj mere bache hote aap ke saath. Ek ghar hota, mera pati hota main kitni khush hoti wo sab bhool jaun? Sab kuch usski vajah se hua? Kabhi nahin bhoolungi main Abhi kabhi nahin!!”

Abhi chhup ho gaya….. phir pucha ke Mehboob ko kia hua.

Ruhi zor se hanssi aur kaha,

“hhahahaha kutte ho heart attack aya tha 2 Baar…. Hospitalize hua tha wo bhi… kumzor ho gaya… heart ka operation hua, wo bhi mujhse maafi mangne aya tha main ne maaf nahin kiya ro raha tha main ne kaha jitna Abhi ko aur mujhko rulaya hai uss se hazaar guna ziada tujhe bhi rona hai… usske dil ke andar ek koyi electronic apparatus hai varna wo kabhi bhi tapak sakta hai….. kabhi bhi farfaraane lagta hai sab ussko utha kar jaldi se hospital lejaate hein….. ek din hospital jaate hue hi marega wo kutta!!”

Abhi ko Ruhi ki wo ghussa, wo karwahat un donon ke liye samajh mein araha tha… aur ussne aur kuch nahin kaha Ruhi ko buss ussko aur zor se apne baahon mein bhar ke ussko chuma ussko cool karne ke liye.

Aur kuch der baad Ruhi ne kaha,

“Achah chorro yeh sab Abhi, aap ab mujhe yeh batao kaun sa surprise dene wale the aap mujhe?!

To be continued….
(2901 Words)

Mast update bhai.
Navina ne Abhi ko shweta se shadi karne ko kaha Aruhi ki bhalaayi ke liye. Sahi baat hai. Sex to kar rahe hein donon 7 saal se to buss shadi karna baaki hai. Aise to Shweta ko ek rakhel ko tarah rakha hua hai, shayad yehi soch kar Navina ne waisa kaha.
Magar haan Abhi ne bhi sahi baat yaad dilaya RUHI..... shweta to usski beti hai aur Ruhi Abhi ka ex pyar. Ajeeb uljhan hai. Kia kahani hai bhai, main ne bilkool nahin socha tha aisa mod bhi aa sakta hai iss story mein. Wah.
Abhi aur Ruhi mile to ab donon ke dil ka boj halka hua. Donkn taraf se kaha suna maaf hua.
Mehboob aur Ruhi ki maa ko bhi sazaa mil gi gaye, aisa hona hi tha. Acha laga jaan kar...
Ab Abhi ko Shweta aur Aruhi ke bare mein batana hai Ruhi ko. Kaise bataega aur kia bataega? Gambhir situation hai Abhi ke liye ab.
Om aage dekhte hein kaise Abhi sambhaalta hai
Great update bhai. :thumbup:
 
Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228

Fantastic update
Ruhi ki maa or mehboob ko apne kiye ki saza mil gyi
Navina ne bilkul sahi salah di abhi ko shweta se shadi krne ki nhi tohh aruhi bdi hoke apni mom ko galat smjhti
Pr ruhi ko jb pta chlega wo kaise react krti dekhte hai
Waiting for next
 
Top