• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Both updates 73 &74 are very impressive. Intense, strong, very powerful.
Emotional, hesrtbreaking, still fabulous, fantastic amazing, magical, and awesome.
It was a real pleasure to read and know all about Ruhi and what she had been through.
She vomited all that he had kept inside her the past 25 years.
Wonderful updates mate.
Thank you wholeheartedly for these super mega updates.
heartfelt thanks for the appreciation Vikram bro
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
amazing update bro,
Very very well written.
this is a marvellous job done by you. hats off.
1. Mehboob was sort of using Abhi to get his work done and she was also using Ruhi to lure Abhi by seducing him....
2. Shweta: so Ruhi said it Shweta was very intelligent and had the capacity of remembering things since her childhood,
yes this is true there are some kids who have that special power of remembering tigs when they were three years old....
I have a family member who is like that.... he is unique.... and Shweta belongs to that kind....
And sad to learn that Ruhi had developed a sort of hatred for Shweta as she was sort of a disturbance for her being a bachelor mother, but I can understand Ruhi and that awkward position.
And Ruhi was being used by her mother and Mehboob she really was like a puppet controlled by them
Well wonderfully written update bro really appreciated it.
will reply on the other one now

thanks so very very from the bottom of my heart Rowdy bro
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 75 Abhi Meets Ruhi Again

Jiss din ko Abhi ko Ruhi ke ghar jaana tha ussne Navina ko bata diya ke wo Ruhi se mil chuka hai ussko diaries bhi de diya hai aur ab wapas lene jaa raha hai. Navina heyraan hui kyunke ussko bhi Ruhi se milna tha to Navina ne sawaal kiye ke kab mile kaise mile etc aur Abhi ne sab bataya jiss din ussko university nahin lene aya tha wahin se baat kiya tha aur tab Shweta se milne gaya tha uss se puchne ke kyun ussne nahin bataya ke wo Ruhi ko beti thi.

Matlab ab Navina ko bhi sab confirmation mil gayi ke Shweta Ruhi ki hi beti hai jaise ussne socha tha.

Navina ne Abhi se ek ajeeb baat kaha. Navina ne pehle Abhi ko baithne ko kaha kyunke ussko kuch important baat karni thi. Donon lounge mein sofe par baith aur Navina ne kaha,

“Aap ko Shweta se shaadi kar lena chahiye!”

Abhi chahunk kar khada ho gaya zor se “WHAT” kehte hue.

Navina ne ussko dobara baithne ko kaha, aur ussko samjhaya,

“Dekho, wo akeli hai, aap donon ke bich sexual relationship to ho hi rahe hein jisska mujhe koyi problem nahin, to shaadi hi kyun nahin kar lete? Main yeh Aruhi ke liye keh rahi hoon… wo badi hoti jaegi to sochegi ke tum kaise usske pita ho aur kyun do gharon mein rehte ho, inn sabka uss par ghalat assar ho sakta hai…. Shaadi kar loge Shweta se to kum se kum Aruhi ko itna to pata hoga ke usski papa ke do wives hein aur iss liye usski do mothers hein…. Haan shaadi kehne ko keh rahi hoon iss ghar mein laane ko nahin…. Usske liye alag ghar banwa lo, aur jab chaho wahan rehna jab chaho yahan! Jaise Aruhi inn do gharon mein pali badhegi ussi tarah tum bhi udhar idhar aate jaate rehna. Kabhi Aruhi ko mere paas rehne dena ekaat din aur tum Shweta ke yahan reh jana……”

Abhi ka yeh sab sunkar jaise dimaagh blank ho gaya. Ussko pata tha ke Shweta to bahot hi khush hogi agar uss se abhi ne shaadi kiya to….. magar abhi ab ruhi ke baare mein sochne laga tha aur Navina se kaha;

“Tum ek important chiz bilkool bhool gayi ho….. usske baare mein nahin socha tumne?!”

Navina heyraan hote hue pucha,

“what? Kia bhuli hoon?!”

Abhi: “Ruhi! Ussko nahin pata chalega ke main ne usski beti se shaadi kiya hai? Wo usski maa hai… aur wo meri premika THI!!”

Navina: “Abhi shukar hai tumhare aur Ruhi ke beech koyi sexual relationship nahin hua tha kabhi varna tumko Shweta se shaadi karna bilkool bhi allowed nahin hota, magar abhi ho sakta hai, moral values par bhi normal hai, legally bhi allowed hai…. Sunon ek kaam karo, mujhko kab Ruhi se milwaoge, kaha tha nah aap se ke kabhi uss se milo to mujhe milwana uss se? Ussko thanks Karna hai mujhe.”

Abhi: “Tum ne yeh shaadi wali baat kehkar mere dimaagh ko sun kar diya…. Dekho mera dil zoron se dhadakne laga hai…. Shweta to bahot khush hogi magar Ruhi kia sochegi…. Main to ussko yeh surprise dene wala hoon ke main ne Aruhi ko adopt kiya hai….. ab shaadi ki baat suni ussne to??!! Oh no, It’s not okay I feel!!”

Navina: “agar ussko pata hi nah chale to? Aur jab ussko pata chalega ke aap ne usske poti ko goad liya to ussko shak to hoga hi ke tum donon ke beech kuch zaroor hai…..!”

Abhi: “do you think so? Ussko shak hoga? Kaise?!”

Navina: “uss se kia kahoge ke kyun aap ne Aruhi ko Adopt kiya? Shweta kaise mili aap ko, kab se donon itne close hue ke Aruhi ko adopt bhi kar liya aap ne?!”

Abhi: “main yehi surprise to dunga nah Ruhi ko ke main pichle 7 saalon se Shweta se mil chuka hoon aur Aruhi ko bhi jaanta hoon ussko badhte hue dekha hai main ne…..”

Navina: “Tabhi Ruhi ko sab samajh mein ajaega Abhi, she is a woman who loved you nah? But where is she? She is not married? She must have her husband and kids nah?!”

Tab Abhi ne Ruhi ke baare mein sab kuch jitna jaanta tha bataya Navina ko. Ussko bahot afsos hua Ruhi ke baare mein jaan ke. Usske baad Navina ne ziada kuch nahin kaha buss itna kaha ke Shweta se ussko shadi karni hi chahiye.

Abhi chala gaya Ruhi se milne. Jaane se pehle phone karke bata diya Ruhi ko ke wo araha hai diaries lene. Ruhi ne Abhi ke taang khinchte hue kaha,

“Acha aap sirf diaries wapas lene aa rahe ho mujhse milne nahin?!”

Wahan pahunchne par kehne ki zaroorat nahin donon ke rona dhona phir shuru hua…. Abhi Ruhi ke jawaab padhte hue rone laga, aur Ruhi Abhi ko rote dekh kar rone lagi…. Ghanton baad donon chhup hue….

Abhi ne kaha,

“Bahot ro liye hum ne…. ab rona bandh… jitna jiss jiss ko jhelna tha jhel liye donon ne hai nah? Tum assal mein mujhse se ziada takliff mein rahi dekh sakta hoon samajh sakta hoon…. Tum akeli rahi, mujhe to Navina mil gayi mujhe sambhaalne ke liye, mera dekh bhaal karne ke liye, wo nahin aati meri zindagi mein to pata nahin main aaj kia hota….”

Ruhi ne kaha,

“Abhi jaise ek bojh utar gaya seene se nah? kia aap ko bhi weisa feel ho raha hai?”

Abhi: “Exactly yes!! Itne dinon se main khud se kehta raha ke kab yeh donon diaries tum tak pahuncha paunga, kab padhogi ke main tumse kitna pyar karta tha, kab tum sab samajh paogi…. Main marne se pehle tumko donon diaries dena hi dena chahta tha…. aur aaj ek sukoon feel hua sach mein…. Ek bojh utar gaya seene se yes you are right…. Yes true!”

Donon kuch der khamosh rah ek dusre ko dekhte hue aur Abhi ne pucha,

“Tum apni mummy aur Mehboob ke baare mein kuch kehne wali thi nah?”

Ruhi ne tab kaha,

“Hold me please Abhi”

Abhi ne turant Ruhi ko apne baahon mein bhar liya. Bahot kaske liya Ruhi ussne apne baahon mein, aur usske seene se lag kar Ruhi ne kaha,

“Itni mazbut baahein mili thi mujhe aur main ne innko thukraya, kitni bewakuf thi main Abhi? Kitne baar aap ne mujhe aise baahon mein liya tha phir bhi mujhe kyun tab pehchaan nahin hui thi ke yehi wo baahein hein jinn mein main apni umar guzaar sakti hoon, yehi wo baahein hein jo mujhe umar bhar araam de sakte the, yehi wo seena hai jiss par main zindagi bhar apna sar rakh kar araam haasil kar sakti thi, tab kyun mujhko isska ehsaas nahin hua tha Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke sar par haath ferrte hue jawaab diya,

“Yehi ghalati to kiya tha tumne nah, ke Amit aur wahan ke chaka chaund aur amiri ko socha tha aur upar se tumko tumhari maa aur Mehboob influence karte rehte the, issi liye tumne mujhko paa kar bhi kho diya…. Ghalati tumhari hai bhi aur nahin bhi… Uss waqt agar tumne mujhko sab bata diya hota to main pakka tumko convince kar leta, main tumhare iss bheje mein baat achchi tarah se daal deta ke hum donon ek dusre ke liye bane hein, hamaare rooh ek dusre se judh chuke the magar ussko alag tum ne kia Ruhi aur kissi ne nahin, tum wo bold decision nahin le paayi jab lena chahiye tha… tumne decision tab liya jab tumne dekha mujhko kaise zalil karke yahan se nikaala gaya… tab tumne decide kiya sabko sabak seekhaane ki…. Magar tab bhi tum mujhko approach kar sakti thi, mujhko ek khat likh deti main dauda chala aata tumhaare paas….

Main uss din yahan se jaane ke baad kayi mahinon tak tadapta raha tumhare liye, tabhi diaries ko likha apne daily diaries se inn par sab copy kiya aur Rahima ko dene aaya…… tab bhi tum agar chahti to mujhse mil sakti thi… tum uss din ghar mein hi thi nah? tumhare papa ne mujh se haath uthaya tha, shaayad wo samjha tha main tumhare liye aya hoon phir se….. mere chale jaane ke baad aayi thi tum diaries lene Rahima se, to jiss waqt main Rahima ke yahan tha tabhi kyun nahin nikli thi tum? Ussi waqt ussi taxi mein mere saath chali aati… tumne tab to sab se munh ferr hi liya tha nah? Manoj se baat nahin karti thi nah? ghar mein kuch nahin karti thi nah tab? Apni maa ko bhi sunaati rehti thi nah tab? To at least tab kyun nahin nikli thi tum Ruhi?!”

Ruhi rone lagi, aur rote hue Abhi ke seene se satt kar kaha,

“Main tab badal gayi thi, ghussa bhara hua tha mujh mein, uss din jab aap aaye the dunya mein aag laga dene ka mann kar raha tha mera, uss din main ne aap ke aane se pehle bahot bahot ghussa kiya tha ghar mein, plate tode the kitchen mein, thik taxi jab aangan mein aaye tab main apni kamre mein kuch kapdon main aag lagaya tha, sab jal rahe the aur mummy papa dhadpadaate aaye the paani daalne unn kapdon par, tabhi taxi ruki thi aur main ne jhanka tha baahar to aap ko dekh kar mere dil ke dhadkanen jaise ruk gaye the… main rone lagi thi, maa ne bhi aap ko Rahima ke ghar jaate hue dekha tha aur uss din mujhse kaha tha,

“jaa wo aya hai jaa chali jaa usske saath, bhaag ja usske saath tab tere kaleje mein thandak padegi”

Aur main ne maa ko jawaab yeh diya tha,

“kyun chali jaun? Main tujhko issi ghar mein rehkar teri kaal banungi, tujhko ahiste ahiste marna dekhna hai mujhe, tujhko dhire dhire saare chizon ka ehesaas dilana hai mujhe tum sab ko abhi aur bahot kuch jhelna hai, mujhe tum sabko bahot kuch dikhana hai abhi… main aur 50 saal iss ghar mein rehkar tadpaane wali hoon tum sab ko? Main kyun jaaun jab ussko aap sab ne beizat karke iss ghar se nikala tha aur main ne kuch nahin kiya tha, kiss munh se usske saamne jaungi main? Mujhe munh chhupana hai uss se, sharam aati hai mujhe ab usske saamne jaane ke liye kaise jaaun main usske saamne kiss munh se jaun usske saamne main?!”

Yeh sab sunke Abhi ne Ruhi ke maathe ko chuma aur Ruhi ne aur kaha,

“main jiss tarah se behave kar rahi thi unn dinon sab samajh rahe the mere upar koyi aatma agayi hai, Ojha ke paas le gaye the mujhe, phir doctor ke paas, doctor ne phsychiatric medecines diye the aur kaha tha ke agar aisi hi rahi to breakdown ho sakta hai paagal ho jaungi sach mein aur mental asylum mein bharrti hona padega…. Mujhko paagal ka tag de diya gaya tha iss ghar mein mere behaviour ki vajah se hihihihihi……. Yeh sab aap ke diaries dene ke 3 mahine baad hua tha….. aur jab doctor ne mujhse wo sab kaha tab main ne socha ke mujhko ab sambhlna chahiye aur control mein rehna chahiye….. ghar mein apne kone mein rehti thi, ek bhi kaam nahin karti, TV dekhti, books read karti aur apni room mein ghussi rehti…. Kayi saalon tak weisi hi rahi… maa baat karti to ussko ghusse mein jawaab deti aur kehti ke mujhse baat nah karen…. Sirf Mahesh se thik se baat karti aur kissi se bhi nahin… maa kapde dhone jaati aur bulaati to ussko gaali deti…. Sirf apne kapdon ko dhoti thi, aur kissi ki nahin, kitchen mein ek kaam bhi nahin karti thi, sab maa karti, main khaati thi hehehehe!! Bahot buri ban gayi thi main…. Saalon tak ghussa bhara hua tha mujh mein…”

“Aur normal kab hue tum?” Abhi ne pucha.

Ruhi: “NAHIN HUI!! UNN LOGON KE SAATH NORMAL HUI HI NAHIN MAIN, KHAAS KAR MAA KE SAATH TO AAJ TAK NAHIN HUI NORMAL…….. Manoj ke liye ladki dekhne gaye sab, main nahin gayi, Manoj binati karte thak gaya mujhe chalne ke liye magar pata hai main ne ussko kia jawaab diya tha? 5 saal baad uss se baat kiya tha uss din aur jawaab mein uss se kaha ‘kitna acha hoga ke tujhe bhi kutte ki tarah wo log ghar se laat maar kar nikaale jaise tumne Abhi ko nikala tha, main kyun jaungi? Kia tum ne mere Abhi ko accept kiya tha? jaise tu ladki dekhne ja raha hai wo bhi aya tha, tab tumne kia kiya tha?!”

Abhi: “kaash jiss din main aya tha tab tumne uss se wo sab kaha hota!!”

Ruhi: “Tab main bahot achchi, obedient beti thi iss ghar ki nah? aap ke jaane ke baad main sabki baap bani thi hehehehe, sab kuch aap ke badaulat hi hua, main strong bhi hui to aap ki vajah se…. meri life mein aap ne bahot changes laaye, positivity bhi laaye buss aap nahin mile mujhe!”

Abhi: “phir kia kehna tha tumhare mummy aur Mehboob ke baare mein?”

“Mummy ko breast cancer hui, papa S.Arabia se wapas aaye phir kabhi nahin gaye. 1994 ki baat hai. Manoj ki shaadi ho chuki thi, uss se ekaat baat kar leti thi, aur usski biwi se banti thi meri. usski biwi ko sab kuch bata diya tha khud manoj ne aap ke aur mere baare mein…. Baad mein Mahesh ki shaadi hui to ussne bhi meri aur aap ki kahani bata diye apni wife ko…. Donon bahuwon ko meri muhabat ki dastaan pata hai…. Iss liye bataaye donon bhaiyon ne kyunke weh sawaal karte nah ke ghar mein ek behen kyu baithi hai bina shaadi kiye…. To manoj ki wife ko bahot hamdardi hui mujhse sab jaan kar aap ke aur mere baare mein aur uss se achi dosti hui… maa ko breast cancer hua tab wo rote hue mujhse maafi maange main ne ussko maaf NAHIN KIYA AUR BAAT BHI NAHIN KI BUSS ITNA KAHA KE WO APNI SAZAA bhugat rahi hai bhagwaan ne ussko sazaa diya hai….

Usski breast ko operate kiya gaya, ek breast nikala gaya 2 mahine tak hospital mein rahi , main ek din bhi ussko dekhne nahin gayi…wapas aayi to roti rahi bed par main bilkool dekhne nahin gai ussko….. main ussko dusre kamre se sunaati yeh sab kehkar,

“paise ki bhooki kitna paisa feinka operation ke liye? Mere papa ke sab paise khaa gayi tu? Ek boob gaya hai aur bhi jaega tu maregi nahin jeeti rahegi magar tadapte hue jiyegi”….. main usski dushman bah gayi thi…. Aur usski cancer aaj tak thik nahin hua… saalon baad dusri boob mein bhi cancer feyla, fir se wohi daudna, chemo therapy, radio therapy… usska dard se tarapna… chillaana, saare baal jhad gaye the phir uge phir jhade….. uss din yahan aayi thi to aap ne notice nahi kiya kitni patli lakdi jaisi ho gayi hai? Thik se chal nahin paati hai… aaj bhi therapy baaki hai usski…kabhi mahinon bhar hospital mein rehti hai.. kissi waqt bhi tapak sakti hai….. usski yehi sazaa milna tha zinda rehna aur sehna…seh rahi hai aur mujhko chain aur sukoon aa raha hai…..”

Abhi ne Ruhi ka sar sehlaate hue kaha,

“chorro jaane do, tumhari maa hai maaf kardo… jaane do ab…. Just forget and forgo!”

Ruhi Abhi ke seene se alag hote hue kaha,

“NEVER ABHI, I WILL NEVER FORGET AND NEVER LET GO…. WO MARR BHI JAYE TO MUJHE KOYI DUKH NAHIN HOGA ABHI!”

Abhi: “Itni karwahat thik bhi nahin sweetheart….. ab bhool bhi jao nah!”

Ruhi: “25 Saal se main iss ghar mein baithi hoon bhool jaun? Aaj mere bache hote aap ke saath. Ek ghar hota, mera pati hota main kitni khush hoti wo sab bhool jaun? Sab kuch usski vajah se hua? Kabhi nahin bhoolungi main Abhi kabhi nahin!!”

Abhi chhup ho gaya….. phir pucha ke Mehboob ko kia hua.

Ruhi zor se hanssi aur kaha,

“hhahahaha kutte ho heart attack aya tha 2 Baar…. Hospitalize hua tha wo bhi… kumzor ho gaya… heart ka operation hua, wo bhi mujhse maafi mangne aya tha main ne maaf nahin kiya ro raha tha main ne kaha jitna Abhi ko aur mujhko rulaya hai uss se hazaar guna ziada tujhe bhi rona hai… usske dil ke andar ek koyi electronic apparatus hai varna wo kabhi bhi tapak sakta hai….. kabhi bhi farfaraane lagta hai sab ussko utha kar jaldi se hospital lejaate hein….. ek din hospital jaate hue hi marega wo kutta!!”

Abhi ko Ruhi ki wo ghussa, wo karwahat un donon ke liye samajh mein araha tha… aur ussne aur kuch nahin kaha Ruhi ko buss ussko aur zor se apne baahon mein bhar ke ussko chuma ussko cool karne ke liye.

Aur kuch der baad Ruhi ne kaha,

“Achah chorro yeh sab Abhi, aap ab mujhe yeh batao kaun sa surprise dene wale the aap mujhe?!

To be continued….
(2901 Words)
 
Last edited:

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158

Update 75 Abhi Meets Ruhi Again

Jiss din ko Abhi ko Ruhi ke ghar jaana tha ussne Navina ko bata diya ke wo Ruhi se mil chuka hai ussko diaries bhi de diya hai aur ab wapas lene jaa raha hai. Navina heyraan hui kyunke ussko bhi Ruhi se milna tha to Navina ne sawaal kiye ke kab mile kaise mile etc aur Abhi ne sab bataya jiss din ussko university nahin lene aya tha wahin se baat kiya tha aur tab Shweta se milne gaya tha uss se puchne ke kyun ussne nahin bataya ke wo Ruhi ko beti thi.

Matlab ab Navina ko bhi sab confirmation mil gayi ke Shweta Ruhi ki hi beti hai jaise ussne socha tha.

Navina ne Abhi se ek ajeeb baat kaha. Navina ne pehle Abhi ko baithne ko kaha kyunke ussko kuch important baat karni thi. Donon lounge mein sofe par baith aur Navina ne kaha,

“Aap ko Shweta se shaadi kar lena chahiye!”

Abhi chahunk kar khada ho gaya zor se “WHAT” kehte hue.

Navina ne ussko dobara baithne ko kaha, aur ussko samjhaya,

“Dekho, wo akeli hai, aap donon ke bich sexual relationship to ho hi rahe hein jisska mujhe koyi problem nahin, to shaadi hi kyun nahin kar lete? Main yeh Aruhi ke liye keh rahi hoon… wo badi hoti jaegi to sochegi ke tum kaise usske pita ho aur kyun do gharon mein rehte ho, inn sabka uss par ghalat assar ho sakta hai…. Shaadi kar loge Shweta se to kum se kum Aruhi ko itna to pata hoga ke usski papa ke do wives hein aur iss liye usski do mothers hein…. Haan shaadi kehne ko keh rahi hoon iss ghar mein laane ko nahin…. Usske liye alag ghar banwa lo, aur jab chaho wahan rehna jab chaho yahan! Jaise Aruhi inn do gharon mein pali badhegi ussi tarah tum bhi udhar idhar aate jaate rehna. Kabhi Aruhi ko mere paas rehne dena ekaat din aur tum Shweta ke yahan reh jana……”

Abhi yeh sab sunkar jaise usska dimaagh blank ho gaya. Ussko pata tha ke Shweta to bahot hi khush hogi agar uss se abhi ne shaadi kiya to….. magar abhi ab ruhi ke baare mein sochne laga tha aur Navina se kaha;

“Tum ek important chiz bilkool bhool gayi ho….. usske baare mein nahin socha tumne?!”

Navina heyraan hote hue pucha,

“what? Kia bhuli hoon?!”

Abhi: “Ruhi! Ussko nahin pata chalega ke main ne usski beti se shaadi kiya hai? Wo usski maa hai… aur wo meri premika THI!!”

Navina: “Abhi shukar hai tumhare aur Ruhi ke beech koyi sexual relationship nahin hua tha kabhi varna tumko Shweta se shaadi karna bilkool bhi allowed nahin hota, magar abhi ho sakta hai, moral values par bhi normal hai, legally bhi allowed hai…. Sunon ek kaam karo, mujhko kab ruhi se milwaoge, kahan tha nah aap se ke kabhi uss se milo to mujhe milwana uss se? Ussko thanks kakrna hai mujhe.”

Abhi: “Tum ne yeh shaadi wali baat kehkar mere dimaagh ko sun kar diya…. Dekh mera dil zoron se dhadakne laga hai…. Shweta to bahot khush hogi magar ruhi kia sochegi…. Main to ussko yeh surprise dene wala hoon ke main ne Aruhi ko adopt kiya hai….. ab shaadi ki baat suni ussne to??!! Oh no, It’s not okay I feel!!”

Navina: “agar ussko pata hi nah chale to? Aur jab ussko pata chalega ke aap ne usske poti ko goad liya to ussko shak to hoga hi ke tum donon ke beech kuch zaroor hai…..!”

Abhi: “do you think so? Ussko shak hoga? Kaise?!”

Navina: “uss se kia kahoge ke kyun aap ne Aruhi ko Adopt kiya? Shweta kaise mili aap ko kab se donon itne close hue ke Aruhi ko adopt bhi kar liya aap ne?!”

Abhi: “main yehi surprise to dunga nah Ruhi ko ke main pichle 7 saalon se Shweta se mil chuka hoon aur Aruhi ko bhi jaanta hoon ussko badhte hue dekha hai main ne…..”

Navina: “Tabhi Ruhi ko sab samajh mein ajaega Abhi, she is a woman who loved you nah? But where is she? She is not married? She must have her husband and kids nah?!”

Tab Abhi ne Ruhi ke baare mein sab kuch jitna jaanta tha bataya Navina ko. Ussko bahot afsos ua Ruhi ke baare mein jaan ke. Usske baad Navina ne ziada kuch nahin kaha buss itna kaha ke Shweta se ussko shadi karni hi chahiye.

Abhi chala gaya Ruhi se milne. Jaane se pehle phone karke bata diya ruhi ko ke wo araha hai diaries lene. Ruhi ne Abhi ke taang khinchte hue kaha,

“Acha aap sirf diaries wapas lene aa rahe ho mujhse milne nahin?!”

Wahan pahunchne par kehne ki zaroorat nahin donon ke rona dhona phir shuru hua…. Abhi ruhi ke jawaab padhte hue rone laga, aur Ruhi abhi ko rote dekh kar rone lagi…. Ghanton baad donon chhup hue….

Abhi ne kaha,

“Bahot ro liye hum ne…. ab rona bandh… jitna jiss jiss ko jhelna tha jhel liye donon ne hai nah? Tum assal mein mujhse se ziada takliff mein rahi dekh sakta hoon samajh sakta hoon…. Tum akeli rahi, mujhe to Navina mil gayi mujhe sambhaalne ke liye, mera dekh bhaal karne ke liye, wo nahin aati meri zindagi mein to pata nahin main aaj kia hota….”

Ruhi ne kaha,

“Abhi jaise ek bojh utar gaya seene se nah? kia aap ko bhi weisa feel ho raha hai?”

Abhi: “Exactly yes!! Itne dinon se main khud se kehta raha ke kab yeh donon diaries tum tak pahuncha paunga, kab padhogi ke main tumse kitna pyar karta tha, kab tum sab samajh paogi…. Main marne se pehle tumko donon diaries dena hi dena chahta tha…. aur aaj ek sukoon feel hua sach mein…. Ek bojh utar gaya seene se yes you are right…. Yes true!”

Donon kuch der khamosh rah eek dusre ko dekhte hue aur Abhi ne pucha,

“Tum apni mummy aur Mehboob ke baare mein kuch kehne wali thi nah?”

Ruhi ne tab kaha,

“Hold me please Abhi”

Abhi ne turant Ruhi ko apne baahon mein bhar liya. Bahot kaske liya ruhi ussne apne baahon mein, aur usske seene se lag kar Ruhi ne kaha,

“Itni mazbut baahein mili thi mujhe aur main ne innko thukraya, kitni bewakuf thi main Abhi? Kitne baar aap ne mjhe aise baahon mein liya tha phir bhi mujhe kyun tab pehchaan nahin hui thi ke yehi wo baahein hein jinn mein main apni umar guzaar sakti hoon, yehi wo baahein hein jo mujhe umar bhar araam de sakte the, yehi wo seena hai jiss par main zindagi bhar apna sar rakh kar araam haasil kar sakti thi, tab kyun mujhko isska ehsaas nahin hua tha Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke sar par haath ferrte hue jawaab diya,

“Yehi ghalati to kiya tha tumne nah, ke Amit aur wahan ke chaka chaund aur amiri ko socha tha aur upar se tumko tumhari maa aur Mehboob influence karte rehte the, issi liye tumne mujhko paa kar bhi kho diya…. Ghalati tumhari hai bhi aur nahin bhi… Uss waqt agar tumne mujhko sab bata diya hota to main pakka tumko convince kar leta, main tumhare iss bheje mein baat achchi tarah se daal deta ke hum donon ek dusre ke liye bane hein, hamaare rooh ek dusre se judh chuke the magar ussko alag tum ne kia Ruhi aur kissi ne nahin, tum wo bold decision nahin le paayi jab lena chahiye tha… tumne decision tab liya jab tumne dekha mujhko kaise zalil karke yahan se nikaala gaya… tab tumne decide kiya sabko sabak seekhaane ki…. Magar tab bhi tum mujhko approach kar sakti thi, mujhko ek khat likh deti main dauda chala aata tumhaare paas….

Main uss dil yahan se jaane ke baad kayi mahinon tak tadapta raha tumhare liye, tabhi diaries ko likha apne daily diaries se inn par sab copy kiya aur rahima ko dene aaya…… tab bhi tum agar chahti to mujhse mil sakti thi… tum uss din ghar mein hi thi nah? tumhare papa ne mujh se haath uthaya tha, shaayad wo samjha tha main tumhare liye aya hoon phir se….. mere chale jaane ke baad aayi thi tum diaries lene Rahima se, to jiss waqt main Rahima ke yahan thi tabhi kyun nahin nikli thi tum? Ussi waqt ussi taxi mein mere saath chali aati… tumne tab to sab se munh ferr hi liya tha nah? manoj se baat nahin karti thi nah? ghar mein kuch nahin karti thi nah tab? Apni maa ko bhi sunaati rehti thi nah tab? To at least tab kyun nahin nikli thi tum Ruhi?!”

Ruhi rone lagi, aur rote hue Abhi ke seene se satt kar kaha,

“Main tab badal gayi thi, ghussa bhara hua tha mujh mein, uss din jab aap aaye the dunya mein aag laga dene ka mann kar raha tha mera, uss din main ne aap ke aane se pehle bahot bahot ghussa kiya tha ghar mein, plate tode the kitchen mein, thik taxi jab aangan mein aaye tab main apni kamre mein kuch kapdon main aag lagaya tha, sab jal rahe the aur mummy papa dhadpadaate aaye the paani daalne unn kapdon par, tabhi taxi ruki thi aur main ne jhanka tha baahar to aap ko delkh kar mere dil ke dhadkanen jaise ruk gaye the… main rone lagi thi, maa ne bhi aap ko rahima keg har jaate hue dekha tha aur uss din mujhse kaha tha,

“jaa wo aya hai jaa chali jaa usske saath, bhaag ja usske saath tab tere kaleje mein thandak padeg”

Aur main ne maa ko jawaab yeh diya tha,

“kyun chali jaun? Main tujhko issi ghar mein rehkar teri kaal banungi, tujhko ahiste ahiste marna dekhna hai mujhe, tujhko dhire dhire saare chizon ka ehesaas dilana hai mujhe tum sab ko abhi aur bahot kuch jhelna hai, mujhe tum sabko bahot kuch dikhana hai abji… main aur 50 saal iss ghar mein rehkar tadpaane wali hoon tum sab ko? Main kyun jaaun jab ussko aap sab ne beizat karke iss ghar se nikala tha aur main ne kuch nahin kiya tha, kiss munh se usske saamne jaungi main? Mujhe munh chhupana hai uss se, sharam aati hai mujhe ab usske saamne jaane ke liye kaise jaaun main usske saamne kiss munh se jaun usske saamne main?!”

Yeh sab sunke Abhi ne Ruhi ke maathe ko chuma aur Ruhi ne aur kaha,

“main jiss tarah se behave kar rahi thi unn dion sab samajh rahe the mere upar koyi aatma agayi hai, Ojha ke paas le gaye the mujhe, phir doctor ke paas, doctor ne phsychiatric medecines diye the aur kaha tha ke agar aisi hi rahi to breakdown ho sakta hai paagal ho jaungi sach mein aur mental asylum mein bharrti hona padega…. Mujhko paagal ka tag de diya gaya tha iss ghar mein mere behaviour ki vajah se hihihihihi……. Yeh sab aap ke diaries dene ke 3 mahine baad hua tha….. aur jab doctor ne mujhse wo sab kaha tab main ne socha ke mujhko ab sambhlna chahiye aur control mein rehna chahiye….. ghar mein apne kone mein rehti thi, ek bhi kaam nahin karti, TV dekhti, books read karti aur apni room mein ghussi rehti…. Kayi saalon tak weisi hi rahi… maa baat karti to ussko ghusse mein jawaab det aur kehti ke mujhse baat nah karen…. Sirf Mahesh se thik se baat karti aur kissi se bhi nahin… maa kapde dhone jaati aur bulaati to iussko gaali deti…. Sirf apne kadon ko dhoti thi, aur kissi kis nahin, kitchen mein ek kaam bhi nahin karti thi, sab maa karti, main khaati thi hehehehe!! Bahot buri ban gayi thi main…. Saalon tak ghussa bhara hua tha mujh mein…”

“Aur normal kab hue tum?” Abhi ne pucha.

Ruhi: “NAHIN HUI!! UNN LOGON KE SAATH NORMAL HUI HI NAHIN MAIN, KHAAS KAR MAA KE SAATH TO AAJ TAK NAHIN HUI NORMAL…….. Manoj ke liye ladki dekhne gaye sab, main nahin gayi, Manoj binati karte thak gaya mujhe chalne ke liye magar pata hai main ne ussko kia jawaab diya tha? 5 saal baad uss se baat kiya tha uss din aur jawaab mein uss se kah ‘kitna acha hoga ke tujhe bhi kutte ki tarah wo log ghar se laat maar kar nikaale jaise tumne Abhi ko nikala tha, main kyun jaungi? Kia tum ne mere Abhi ko accept kiya tha? jaise tu ladki dekhne ja raha hai wo bhi aya tha, tab tumne kia kiya tha?!”

Abhi: “kaash jiss din main aya tha tab tumne uss se wo sab kaha hota!!”

Ruhi: “Tab main bahot achchi, obedient beti thi iss ghar ki nah? aap ke jaane ke baad main sabki baap bani thi hehehehe, sab kuch aap ke badaulat hi hua, main strong bhi hui to aap ki vajah se…. meri life mein aap ne bahot changes laaye, positivity bhi laaye buss aap nahin mile mujhe!”

Abhi: “phir kia kehna tha tumhare mummy aur Mehboob ke baare mein?”

“Mummy ko breast cancer hui, papa S.Arabia se wapas aaye phir kabhi nahin gaye. 1994 ki baat hai. Manoj ki shaadi ho chuki thi, uss se ekaat baat kar leti thi, aur usski biwi se banti thi meri. usski biwi ko sab kuch bata diya tha khud manoj me aap ke aur mere baare mein…. Baad mein Mahesh ki shaadi hui to ussne bhi meri aur aap ki kahani bata diye apni wife ko…. Donon bahuwon ko meri muhabat ki dastaan pata hai…. Iss liye bataaye donon bhaiyon ne kyunke weh sawaal karte nah ke ghar mein ek behen kyu baithi hai bina shaadi kiye…. To manoj ki wife ko bahot hamdardi hui mujhse sab jaan kar aap ke aur mere baare mein aur uss se achi dosti hui… maa ko breast cancer hua tab wo rote hue mujhse maafi maange main ne ussko maaf NAHIN KIYA AUR BAAT BHI NAHIN KI BUSS ITNA KAHA KE WO APNI SAZAA bhugat rahi hai bhagwaan ne ussko sazaa diya hai….

Usski breast ko operate kiya gaya, ek breast nikala gaya 2 mahine tak hospital mein rahi , main ek din bhi ussko dekhne nahin gayi…wapas aayi to roti rahi bed par main bilkool dekhne nahin gai ussko….. main ussko dusre kamre se sunaati yeh sab kehkar,

“paise ki bhooki kitna paisa feinka operaton ke liye? Mere papa ke sab paise khaa gayi tu? Ek boob gaya hai aur bhi jaega tu maregi nahin jeeti rahegi magar tadapte hue jiyegi”….. main usski dushman bah gayi thi…. Aur usski cancer aaj tak thik nahin hua… saalon baad dusri boob mein bhi cancer feyla, fir se wohi daudna, chemo therapy, radio therapy… usska dard se tarapna… chillaana, saare baal jhad gaye the phir uge phir jhade….. uss din yahan aayi thi to aap ne notice nahi kiya kitni patli lakdi jaisi ho gayi hai? Thik se chal nahin paati hai… aaj bhi therapy baaki hai usski…kabhi mahinon bhar hospital mein rehti hai.. kissi waqt bhi tapak sakti hai….. usski yehi sazaa milna tha zinda rehna aur sehna…seh rahi hai aur mujhko chain aur sukoon aa raha hai…..”

:reading:
 
Top