• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304
Update 19 Ruhi Alone At Home

Agle din, subha 8 baje Abhi ne dekha Ruhi ki maa aur Mahesh kahin jaa rahe hein ache kapdon mein, dikh raha tha ke kahin door jaa rahe honge, ghumne.

Abhi ne khud se kaha ke aaj Ruhi ghar par akeli rahegi? Dada ji to bekaar aise weise pade rehta hai armchair par ya baramde mein ek choti si kursi par.

To Ruhi ghar ke andar bilkool akeli hogi. Iss baat ne Abhi ke dil ke andar kuch paida kiya. Wo mann hi mann sochne laga ke ghar ke piche wale darwaze se agar wo Ruhi ke kamre mein daakhil hua to wo Ruhi ke saath kuch waqt usske kamre mein bita sakta hai. Aur of course Abhi ne socha ke usski bed par Ruhi ko kiss kar papega aur jaise khayaalon mein aksar sochta rehta hai ke kis tarah se Ruhi ko bed par jakarte hue kabhi kiss karega, ussko kaise zor se baahon mein bharte hue caress karega aur ussko thoda tang karega – aisa bahot baar khayaalon mein Ruhi ko lekar Abhi soch chuka tha….

To ab, jab Abhi ko pata chala ke Ruhi akeli hai to usske andar uss sapne ko sach karne ka mann hua.

Subha ko jab aya tha to Ruhi apni yellow night gown mein dikhi thi Abhi ko. Hi hello kiya tha donon ne ek dusre ko.

Aur ek baat thi jo kuch dinon pehle Abhi ne Ruhi se kaha tha, wo yeh tha ke Ruhi ke saare dresses ko Abhi jaanta tha aur Abhi ka favourite ek blouse aur skirt tha jo Ruhi ne sirf ek baar pehna tha jitne dinon se Abhi wahan kaam kar raha tha, to Abhi ne Ruhi se farmaayish kiya tha ke wo uss skirt aur blouse ko phir pehne kyunke wo Ruhi ko uss mein dekhna chahta tha.

Ruhi ke saare dress usski ghutnon ke niche hote the sirf ek yeh wala two-piece tha jisski skirt thik Ruhi ke ghutnon par rukta tha. Skirt black tha aur blouse white chote chote flowers motifs ke saath. Ruhi jitni gori thi uss se uss black skirt mein usski tangein itni khubsurat dikhte the ke Abhi ne jiss din ussko uss dress mein dehkha tha usski nazrein baar baar Ruhi ke tangon par hi jaate the, Abhi ka mann karta tha ke apne ghutnon par aakar Ruhi ke tangon ko chumle.

Ruhi ki maa aur bhai ke jaane ke baad karib 9.30 ko Abhi Ruhi ko dhudne laga aur wo nazar aayi kapde dhote hue washing stone ke paas. Tab wo apni neeli dress mein thi.

Abhi gaya uss se baat karne. Abhi ne pucha,

“Where have they been your mom and Mahesh?”

Ruhi ne pathar par kapde dhote hue reply kiya,

“At my nani’s!”

Abhi: “Your nani? Mother’s mother? Where is that too far or nearby?!”

Ruhi: “nearby? Nahin dear, yahan se 100 kilometres door rehti hai meri nani”

Abhi: “tab to weh log late ayenge nah?”

Ruhi: “haan Mahesh ek hafta wahan rahega, maa ussko chorrne gayi hai shaam ko wapas ayegi.”

Abhi ko buss yehi jaanna tha, andar hi andar Abhi bahot khush ho raha tha aur Ruhi se itna kehkar kaam karne wapas chala gaya ke lunch time mein uss se wahin milne ayega apne corner mein. Ruhi ne okay kaha aur add kiya ke wo kuch der nazar nahi aegi kyunke kapde dhone ke baad wo kitchen ke kaam karegi phir nahane jaegi tab tak lunch time ho jaega ussne kaha lunch time se pehle ussko naha lena hai….

Ab kaam karte waqt Abhi bilkool paagal ho raha tha yeh sochte hue ke jab wo Ruhi se milega to usski baal bheege honge, wo ussko baahon mein jakrega aur usske room ke andar hoga…. Yeh sab soch soch kar Abhi bahot utejit hote jaa raha tha. Abhi ko darr bhi tha ke kahin apna sapna pura nah kar sake, kahin kissi kissam ki rukawat nah aajaaye. Sabhi log bahot busy the bus ke kaam mein , mechanics aur elctricians bhi upar se Mehboob painters logon ko lekar aya tha, magar unn logon ko abhi kaam to nahin karna tha, last ke 3 ya 4 din weh log ayenge. Phir Mehboob ko engine ke liye kuch samaan kharidne jaana pada George ke saath, kaafi door ki ek sheher mein.

Abhi ne tamaam situation ko analyse karte hue socha ke Ruhi ki maa aur bhai bhi nahin hein, mehboob bhi chala gaya aur shaam ko wapas aane wala hai, Abhi ne Socha upar wala ussko aaj behtar mauka de raha hai.

To Abhi gaya Saeed se baat karne. Ussne kaha ke aaj lunch mein wo shayad ek ganta ziada lega kyunke ussko Ruhi ke saath akele rehna hai. Saeed khush nahin tha, ussne kaha ke kaam itna important phase par aa chuka hai ab ussko kaam par ziada focus karna chahiye to Abhi ne kaha shaam ko 1 ghata ziada kaam karega akele compensate karne ke liye.

Saeed ne pucha 1 ghanta ziada matlab total 2 gante lega lunch time ke waqt, To Abhi ne kaha haan ho sakta hai. Phir Saeed ne pucha kia karega Ruhi ke saath do ghante tak. To Abhi ne kaha,

“Are bhai aaj wo akeli hai aap ne usski maa aur bhai ko jaate nahin dekha subha ko?”

Saeed ne kaha,

“Haan main ne dekha aur tabhi socha ke tu bada khush hoga kyunke aaj wo akeli hai ghar par, magar nahin socha tha ke tu 2 ghante uss ke saath rahega, acha yeh bata do ghante kahan rahega usske saath wahin ghar ke piche do ghante tak khada rahega usske saath tu? Thak nahin ajega?!”

Abhi ne dhire se Saeed ke kaan mein kaha ke wo usske ghar ke andar jaega aaj uss se milne. Saeed hayraan hua aur pucha,

“Kia ussne tujhe andar aane ko kaha?!”

Abhi: “nahin bhai main khud surprise karunga ussko, wo to baahar hi milegi ghar ke piche magar wahan ek darwaza hai to main uss se andar jaane ki baat karunga, aur kia pata khud invite karegi mujhko andar.

Saeed ne kaha,

“Sala Abhi kuch ghalat mat kar dena uss laldki ke saath, soch le hum yahan kaam kar rahe hein agar kuch bura hua to hum badnaam ho jayenge, log humko kaam nahin denge baahar!”

Abhi: “Are Saeed bhai aisa waisa kuch nahin hoga yaar hum pyar karenge aur kia thoda kiss viss hi hoga nah buss!”

***************************************************************************

11 baj chuke the aur Abhi soch raha tha ke ab shayad Ruhi nahane jaa rahi hogi, magar kuch aur hi hua uss waqt.

Kyunke Ruhi ne Abhi se keh diya tha ke wo ziada nahin dikhegi kyunke kitchen mein pakaane ke baad nahane chali jaegi iss liye Abhi ussko nahin dhund raha tha apne kaam mein busy tha bus ke andar, bus ke shishe charon taraf laga diye gaye the aur andar ceiling panels fit kiya jaa raha tha jisske piche electricians wires ko laga rahe the bulbs ke space mein wire ko fir karte hue, matlab Abhi aur electricians ek saath kaam kar rahe the.

Aur ussi waqt senior electrician ne abhi se kaha,

“Abhi shayad tumhari girlfriend tumko bula rahi hai wahan dekho to zara?!”

Abhi ko tahjub hua aur jhuk kar bus se hi baahar dekha to Ruhi terrace par khadi ussko haath ke ishaare se bula rahi thi.

Bus ke andar jitney log bhi kaam kar rahe the sab ne ruhi ko dekha abhi ko bulaate hue, aur saeed ne kaha,

“jaa sala kismat wala hai tu, tujhko aaj zaroor lunch ke liye invite karegi!”

Abhi ne jaate hue kaha,

“Are nahin bhai kuch aur baat hogi, abhi ata hoon dekhun to kia hua, kyun bula rahi hai, aisa to hota nahin ke wo mujhko bulaane ko aaye, zaroor koyi baat hogi.”

Aur jaate hue Abhi soch raha tha zaroor usska plan fail hone wala hai, ya to Ruhi yeh kahegi ke wo kahin jaa rahi hai, ya usske ghar koyi arahe hein ya kissi tarah se bhi wo yeh kahegi ke wo uss se aaj lunch time mein nahin mil paegi, Abhi weise tha to bada positive ladka magar iss waqt sirf negative sochte hue jaa raha tha aur pareshaan tha ke kuch ulta nah ho jaaye.

Jaate hue Abhi Ruhi ke chehre mein dekhte hue bus se baahar nikla, aur dekha ke abhi tak Ruhi ne nahaya nahin tha aur ussi nili dress mein thi jiss mein wo baahar kapde dho rahi thi, Abhi usski chehre ko read karte hue usske taraf badha…. Ruhi muskura rahi thi Abhi ke chehre mein Khushi se dekhte hue, to Abhi ne socha ke nahin kuch ghalat nahin hoga usski mood bilkool sahi hai, kuch Khushi ki baat lag rahi hai kehne wali hai…

Abhi ne usske karib hote hue kaha,

“kia baat hai aaj pehli baar tumne khud mujhko bulaya, thanks very much main bata nahin sakta ke mujhe kitni Khushi hui sweetheart”

Ruhi Abhi ko sunte hue baar baar usske piche bus ke logon ko dekh rahi thi aur sabse pehle kaha,

“Shayad main ne yehi ghalati kardi, dekho nah sab kaise humare taraf hi dekh rahe hein uff!”

Abhi ne mudhkar piche dekha aur oonchi awaaz mein ek funny tone mein kaha,

“Are kia hua yaaro kaam karo tum sab kabhi kissi ladke aur ladki ko baat karte hue nahin dekha kia?!”

Sab ne zoron se hansse aur Tony ne kaha,

“Abhi bhai hero aur heroine ko kaun dekhna passand nahin karta! Wohi dekh rahe hein hum sab! Autograph lene ayenge kabhi!”

Tab Ruhi ne Abhi ka hath pakar kar ussko lounge mein khincha aur dhire se pucha,

“tum aaj lunch mein khaane ke liye kia laaye ho apne ghar se?!”

Abhi ne kaha,

“Mujhe khud nahin pata kia hai; Naina ne kia dala hai Roti ke saath wo to khane ke time hi pata chalega nah!”

Tab Ruhi ne kaha;

“Main kitchen mein abhi pakaa rahi thi to tumko socha ke kyun nah aaj tumko apni haath ki pakaayi hui kuch khilaun to kia tum aaj mere saath lunch karoge? You are invited for lunch with me do you accept?!”

Abhi ke andar to ladoo phut rahe the Khushi ke maare aur Saeed bhai ki baat ko yaad karte hue kaha,

“Wow, kaise mana kar sakta hoon yaar aaj pehli baar tum invite kar rahi ho aur main nah aaun aisa to ho hi nahin sakta, har roz tumko kitchen mein dekhta hoon to tumhari haath ki pakaayi hui khaane ka bada mann karta hai aur sochta hoon kaash aisa din aaye ke tumhara pakaya hua kuch khaane ko mile mujhe!”

Ruhi ne khushi se muskuraate hue kaha,

“Okay then thik barah baje main piche ka darwaza open karungi tum wahin se aana, wahin ke nal se apne haath munh dho lena main ne soap aur towel bhi wahin rakh diya hai tumhare liye, door andar se lock nahin hoga tum bus andar chale ana tab tak main naha chuki hungi aur wahin lunch karenge main wahin serve karungi tumko thik hai?”

Abhi itna khush hua ke Ruhi ko baahon mein bhar liya aur ussko chumne laga. Ruhi ne khud ko churraate hue kaha,

“buss buss, ab mere paas sirf ek ghanta hai, abhi cooking complete nahin hui hai, nahana bhi hai ab jao, ek ghante mein milte hein, see you soon.”

Magar Abhi ne pucha,

“but why at the back? Kitchen ya yahan kyun nahin? Aur tumhare dada ji kia kahenge?”

Ruhi ne apne maathe par hatheli dabaate hue kaha,

“issi liye to, Dadaji kitchen mein lunch karte hein nah, to usske saamne to main tumko serve nahin kaarungi, phir bhi ussko pata bhi chala to wo kuch nahin kahega, he is very cool and sweet. And I want it to be personal only you and me!”

Abhi ki Khushi ka inteha nah tha. ussne wapas bus mein jane ke baad Tony se kaha ke jo kuch ussne lunch mein laaya hai aaj sab usska. Aur Saeed bhai se kaha ke wo sahi tha ussko Ruhi ne lunch ke liye invite kiya, aur yeh bhi Khushi se kaha Abhi ne ke aaj wo washroom mein wash nahin karega balke jahan Ruhi kapde dhoti hai wahan khudko wash karega kyunke Ruhi ne intezaam kar rakha hai usske liye.

Saeed aur Tony donon ne kaha,

“Wah beta tu to ghar mein bhi ghuss gaya bina official kiye hi, lucky man!”

Abhi bahot khush tha magar saeed ne kuch aisa kaha jiss se Abhi soch mein pad gaya. Saeed ne kaha,

“Abhi magar kyun jab usski maa, bhai ghar par nahin hai tab invite kiya tujhko, kyun apni maa ki presence mein kabhi nahin bulaya tujhe ussne?”

Saeed ka wo sawaal Abhi ke liye bahot positive baat thi. Abhi ziada khush hua ke Ruhi ne ussko akele bulaya apni maa ki presence mein nahin. Yehi to Abhi chahta tha ke ussko Ruhi ke sath akele mein time spend karne ko mile. Shayad Ruhi bhi aisa hi chahti ho. Abhi shaadi se pehle hamesha se romance chahta tha. Chahta tha ke usski ek love story ho, chahta tha ke apni wife ko wo khud passand kare. Ussko arranged marriage nahin karni thi, to usske liye yeh sab jo ho raha tha full romance hi tha. To Abhi bahot khush tha ke Ruhi ne ussko akele lunch ke liye apne ghar ke andar invite kiya. Ek tarah se Ruhi ne Abhi ke plan ko fail kiya. Abhi chorri se usske ghar mein jana chahta tha, Ruhi ke permission ke bina uss se baat karte hue ussko andar chalne ko kehta magar Ruhi ne khud ussko ussi kamre mein invite kiya jahan wo jaana chahta tha, Ruhi ki bedroom mein, jahan kitaabein rakhe hue hein, jiss room ke khidki ke paas baith kar Ruhi kitabein padhti rehti hai, wahin Abhi jaega Ruhi ke saath lunch karne.

Jab lunch time karib kua, 11.50 ko Abhi, Tony ko legaya aur apni bag se khud ki lunch jo ghar se laaya tha ussko diya aur vinay se share karne ko kaha.

Phir Ruhi ke kapde dhone ki jagah par khud ko wash kiya tab washroom mein jaakar apne kapde ko change kiya. Aaj donon pant aur shirt change kiya, jiss kapde mein bus se travel karta tha ussko pehna aur barah baje gaya ghar ke piche wale darwaze ke paas. Abhi ne soch liya tha ke do ghanta guzarega Ruhi ke saath, kia kia karega Ruhi ke saath usski bed par wo sab soch kar utejit ho raha tha, soch raha tha aaj Ruhi ki dress ke andar ussko dekhega, usski jism ko explore karega, ussko bahot pyar karega, had se aaguey guzar jaega aur Ruhi ussko rokegi nahin kyunke khud Ruhi bhi wohi chahegi uss se….

To be continued….. (2525 Words)
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304
Update 20 Ruhi Receives Abhi In Her Room

Abhi ne soch liya tha ke do ghanta guzarega Ruhi ke saath, kia kia karega Ruhi ke saath usski bed par wo sab soch kar utejit ho raha tha, soch raha tha aaj Ruhi ki dress ke andar ussko dekhega, usski jism ka explore karega, ussko bahot pyar karega, had se aaguey guzar jaega aur Ruhi ussko rokegi nahin kyunke khud Ruhi bhi wohi chahegi uss se….

Ab aguey….

Jab Abhi uss ghar ke piche wale darwaze ke paas khada hua andar jaane ke liye to ussko himmat nahin ho raha tha darwaze ke kholne ke liye. Lakdi ka bana darwaza tha, Pura ghar lakdi aur tin ka tha, bada ghar tha, saamne wala chota sa lounge ke saamne se bahot saare shishe the, bich mein lakdi ka darwaza jissme aadha shisha tha aur baaki ke niche lakdi. Saamne safed rang ka tha sab kuch aur kitchen ka darwaza bhi lakdi ka aur harra rang ka tha aur wo piche wala darwaza bhi hare rang ka tha. Best quality ke lakdi the jisse carpenters ne specially darwaze ke liye hi select kiye the. Unn dinon bahot saare ghar hua karte the uss tarah ke. Aur jinnke paas concrete blocks wale ghar hote the weh log ya to ziada amir hote the ya special sarkaari daftar mein kaam karne waale log. Sabhi mamooli logon ke ghar lakdi aur tin ke hi hua karte the, chhatt tin ka bana hua hota tha magar look bahot dilkasht hote the unn gharon ke aur mazbut ghar hote the. Ek pehchaan hota tha logon ke gharon se. Jinn logon ke ghar concrete ke hote the to unn logon ke standard thoda high hota tha, aur lakdi ke ghar mein rehne walon ko unn ke mukable lower standard ka maana jata tha halaan ke bahot saare lakdi ke ghar mein rehne wale log behtar aur ache log hote the. Magar khud ladki ke ghar wale log khud se concrete ke ghar mein rehne walon ko higher standard ke samajhte the.

Mehboob ka ghar concrete ka tha aur Ruhi ke chacha ka ghar bhi concrete ka tha, matlab weh donon ke standard Ruhi ke muqable oonche the. Aur khudh Ruhi and family jaante the ke weh log lower standard ke hein aur Mehboob aur Ruhi ke chacha ko oonche standard ke maante the. Issi liye Ruhi ke pita Saudi Arabia gaya tha kaam karne taake thoda jiada paisa kamaa paaye aur baad mein concrete ka ghar bana sake apne family ke liye to usska bhi standard unn logon ke jitna ho jaaye.

Abhi ne darwaze ko nahin khola balke khatkhataya, aur khada raha ke Ruhi aakar kholegi. Magar koyi 3 minat tak wait karne ke baad bhi darwaza nahin khula to Abhi ne ahiste se darwaze ko kholne ki koshish kiya aur wo khul gaya. Abhi ka dil zoron se dhadakne laga, wo direct Ruhi ke kaamre ke saamne tha, wo darwaza Ruhi ke kamre se hi khulta tha…. Abhi soch raha tha ke 12.08 ho gaye the to kyun Ruhi wahan nahin thi…. Abhi ko thoda darr bhi lag raha tha kyunke agar uss waqt koyi aur wahan aajata to lagta ke Abhi ghar mein chorri karne jaa raha hai, ya kissi buri niyat se aya hua hai wahan kyunke Abhi ke ilawa aur koyi tha hi nahin wahan uss waqt.

Abhi ne sirf itna socha ke kahin agar Reza ya koyi bhi uss kapde dhone wale pathar ke nal se paani bhi bharne agaya to dekh paega ke Abhi Ruhi ke kamre ki dehleez par khada hai akele andar dekhte hue…. Aur agar Reza ke dimaagh jaisa kissi ne bhi ussko dekha to tamasha ban jaega. To abhi ne socha darwaza wapas bandh kar lega to safe rahega, aur wohi kiya ussne. Ussko Ruhi ka naam phukaarne ka mann kar raha tha, magar socha ke dada ji sun lenge, iss liye khamosh raha aur intezaar karta raha yeh sochte hue ke ho sakta hai ke Ruhi abhi tak naha rahi ho….

Aur phir kitchen se spoon aur plate ki awaazein sunaayi de rahe the, aur bartanon ka istemaal karna sunaayi dene laga tha Abhi ko to wo samajh gaya ke Ruhi khana pados rahi hogi dada ji ko ya yahan iss kamre mein laane ke liye serve kar rahi hogi plates mein. Abhi bhavuk jaise ho gaya uss kamre ko ghaur se dekhte hue, yaad karne laga kiss tarah baahar se itne dinon tak Ruhi ko issi kamre ke andar dekhta raha aur kitni khwahishein paal rakha tha Abhi ne ke kaash wo iss kamre ke andar Ruhi ke paas ho sakta…. Aur aaj ussko khud yakeen nahin ho raha tha ke wo uss kamre ke andar khada hai… do kadam chal kar ussne Ruhi ke kitaabon mein se ek book liya aur pages ko palatne laga, Ruhi ke bed ko ghaur se dekhte hue. Jiss taraf takiye rakhe the uss se samajh mein ata tha ke Ruhi uss taraf sar rakhti hogi sote hue, to Abhi ne uss takiye se naak lagaya yeh dekhne ke liye kia uss se Ruhi ki khushbhoo aati hai ya nahin, aur haan ussko apni Ruhi ki mehek aayi uss takiye se. Takiya usske haath mein tha ke Ruhi donon haathon mein do bowl liye dakhil hui to Abhi chahunk gaya aur takiya usske haath se chhuth gira, to Ruhi ne bowls ko table par rakhte hue apni meethi awaaz mein kaha,

“I am sorry thoda sa late ho gaya, yeh soup tayaar hone mein thoda time lag gaya aur dada ji ko khana padosna tha nah! magar aap kar kia rahe the mere takiye ke saath Abhi?!”

Abhi ka bolti bandh tha wo bina palak jhapke Ruhi ko dekhe jaa raha tha khule hue munh se. Ruhi ne usske aankhon ke saamne hatheli ferra, to jaise Abhi hosh mein aate hue kaha,

“Thank you very much Ruhi, thank you so very very much ke aaj tumne iss dress ko pehna, sirf mere liye pehna nah tumne isse? hmm bolo nah!”

Haan Ruhi ussi two-piece mein thi, jiss mein Abhi usse dekhne ko taras raha tha, jiss mein Ruhi kuch ziada hi sexy dikhti thi, jiss mein usski taangein ziada dikhte the, jo ghutnon ke kuch cemtimeters upar tha, kaale rang ka tha aur wohi safed blouse phoolon wale chhote motifs ke saath….. Aaj Ruhi ne Abhi ko invite kiya to usske favourite dress mein bhi thi.

Kia Ruhi ne jaan bujh kar uss dress ko pehna tha? kia wo Abhi ko rijha rahi thi? Kia ussko pata nahin tha ke wo uss mein kuch ziada sexy dikhti hai? Kia itne dinon se Abhi ussko baar baar nahin kehte aya tha ke ussko uss dress mein dekhna chahta hai? Aur itne din jab usski maa yahan thi tab kyun nahin pehna Ruhi ne uss dress ko? Kyun aaj pehna jab usski maa ghar par nahin thi? Abhi yeh sab soch raha tha Ruhi ko nihaarte hue, to Ruhi yeh kehte hue wapas kitchen gayi,

“wait wait please aur chizein laani hai…..”

Wo do baar aur aayi aur gayi plates, rotis, rice, aur curry laane ke liye.

Ruhi ne jab sab kuch set kar diya table par (Wo table uss kamre ki nahin thi, kissi aur kamre se laaya tha Ruhi ne lunch karne ke liye) to Abhi ko baithne ko kaha.

Magar Abhi to Ruhi ko nazron se chorr hi nahin raha tha.

Ruhi ke baalon se ab bhi kuch katre paani ke usski end se tapakte hue dikh rahe the, ghane baal bheege hue the saaf nazar araha tha, Ruhi ekdum fresh dikh rahi thi aur pata nahin kaun si perfumes lagaayi thi ussne ke Abhi aur diwana hote jaa raha tha…. table par khaane se ziada Abhi ka interest Ruhi mein tha. Ruhi baith gayi thi chair par aur Abhi ko wait kar rahi thi baithne ke liye. Jiss side mein Ruhi ki chair thi wo uss darwaze ke paas thi jahan se Ruhi kitchen ke taraf jaati hai, aur jiss taraf Abhi ka chair tha wo Ruhi ke bed ke paas tha. Donon aamne saamne baithne wale the bagal mein nahin, Ruhi ne jaan bujh kar weise arrange kiya tha taake donon ek dusre ko dekh sake.

To chair par baithne ki bajae Abhi bed pat baita aur kaha,

“Aise to start nahin karna hai lunch mujhe!”

Ruhi ne socha ke kissi chiz ki kami hai to wo table par dekhne lagi ke kia miss kiya hai uss ne, phir Abhi ko dekha aur apni eyebrows uchkaate hue pucha,

“kyun? Kia hua Abhi?”

Abhi ne muskuraate hue kaha,

“I first need a good hug, an embrace only then we will start lunch!”

Ruhi muskuraayi aur uth kar usske paas gayi. Kyunke Abhi bed par baitha hua tha aur Ruhi khadi thi to height difference nahin the aur Ruhi chali gayi Abhi ke baahon mein. Ek tight hug kiya Abhi ne Ruhi ko, Ruhi ne bhi Abhi ko zor se gale lagaya, magar Abhi ne Ruhi ke gardan se sunghte hue, usske bheege baalon ko sunghte hue kaha,

“haaaye, kia baat hai sweetheart diwana bana rahe ho mujhe, weise perfume kia hai yaar…. Aur nahane ke baad tumhare baal kitne ache mehek rahe hein, uff main paagal ho jaunga Ruhi…. Tadpa rahi ho mujhe tum!”

Ruhi ussne baahon se nikalte hue wapas chair par gayi yeh kehte,

“Tadpa vadpa main nahin rahi main lunch khila rahi hoon aap ko, iss se pehle ke aap ka lunch time end ho jaaye kha lijiye!”

Abhi Ruhi ke chair ke paas usske piche khada hua aur jhuk kar Ruhi ke baalon ko gardar se hattate hue usski gardan par ek chumban diya jiss se Ruhi ke rowan khade ho gaye to Ruhi ne apne baazuwon par zoron se haath chalaate hue kaha,

“ufffff mujhko thand lag gayi aap ka uss tarah se mujhe chuuhne se…. baithiye nah please….”

Magar tab tak Abhi ne ussko jhuk kar chair ke piche se hi kiss kiya aur kaha,

“Ek kiss to banta hi banta tha Ruhi ab lunch ka swadh alag hoga….”

Pehle Ruhi ne soup serve kiya Abhi ko aur khud bhi liya, aur baatein karte hue soup ko end kiya gaya to Ruhi ne butter chicken banaya tha, aur usske saath rotiyan serve kiya Ruhi ne khud ko bhi serve karte hue. Magar jab roti khaane ka time aya to abhi ne kaha,

“Meri ek tamanna thi Ruhi”

Ruhi ne ek tukda roti ka le liya tha butter chicken ke saath jissko apne munh mein daalne hi wali thi to ruk, niwale ko haath mein liye hue pucha,

“Tamanna? Kaun si?!”

Abhi ne bade pyar se Ruhi ne chehre mein dekhte hue kaha,

“ke tum apne haath se ek niwala khilao mujhe!”

Ruhi muskuraayi aur jo niwala apne liye liya tha Ruhi ne ussko Abhi ke munh ke taraf kar diya. Abhi ne bade Khushi se usske taraf apna sar karte hue uss niwale ko liya aur khaate hue kaha,

“Now you wait, main tumko khilata hoon nah!”

Aur uss tarah donon ne ek dusre ko roti khilaaye end tak.

Aur rotiyan ke end hone ke baad Ruhi ne thoda chawal serve kiya magar Abhi ne kaha usska ho gaya wo aur nahin kha sakta. Par Ruhi ne zid kiya ke ussko thoda sa chawal khana hi padega, kyunke ussne baasmatti rice khaas usske liye banaayi thi wo bhi fried rice the. Aur thoda sa serve kiya ek plate mein abhi ko jo ussne liya aur donon ne end kiye.

Lunch karte hue 40 mins ho gaye the. Paani aur juice lene ke baad, jab Ruhi sab bartanon ko wapas kitchen mein rakhne gayi to dekha ke dada ji ke aankh lag gaye hein armchair par leyte hue to wo wapas aayi aur Abhi se help liya uss table ko wapas dusre room mein rakhne ke liye. Iss tarah Abhi ne Ruhi ke ghar ke kuch aur hisson ko dekh liya, sirf kitchen tak nahin gaya jo ussko baahar se full dikhta hi tha hamesha.

Jab donon wapas Ruhi ke room mein gaye to Ruhi ne Abhi ko dekhte hue kaha,

“Aap ka lunch time end ho gaya 12.45 ho gaye ab aap ko jana paddega nah?!”

Abhi ne Khushi se jawaab diya,

“Aaj mera lunch 2 ghanton ka hai, main 1.45 ko wapas jaunga sweetheart!”

Ruhi ke chehre mein ek chamak dikhaayi diye uss waqt aur kaha,

“What? Really? Wo kaise?!”

Abhi ne Ruhi ko jakra aur pyar se kaha,

“Jab main ne tumhari mummy ko subha ko jaate dekha tabhi main ne soch liya tha ke aaj main tumhare saath do ghante bitaunga, iss liye tabhi apne team ko bata diya ke aaj main 1.45 ko job wapas resume karunga, kyunke main khud aaj iss room mein aane ko soch liya tha Ruhi, issi liye subha tumse puchne aya tha ke tumhari mummy kitne baje wapas ayegi.”

Ruhi ne apne munh par haath rakhte hue heyraan tone mein kaha,

“Really? Itna kuch soch liya tha aap ne? kyun? Aur agar main aap ko andar nahin aane deto to?!”

Ruhi Abhi ke baahon mein hi rahi apne chehre ko usske seene par dabaaye hue aur Abhi ne usske sar ke baalon mein ungliyan ferrte hue kaha,

“Agar tum andar nahin aane deti to main bahot udaas to hota hi magar main tumko goad mein utha kar andar laane ko soch liya tha!”

Ruhi hanss padi aur pucha,

“kia aap mujhko goad mein utha sakoge Abhi?!”

Abhi ne turant Ruhi ko apne goad mein uss tarah se uthaaya jaise koyi baby ko lete hein, yaane Ruhi Abhi ke baazuwon mein horizontal position mein ho gayi aur Abhi ne weisa karte hue kaha,

“Yeh lo, utha liya nah tumko ab bolo meri jaan!”

Ruhi ke Aankhen bhar aaye aur Abhi ke chaati par chhre chhupaate hue kaha,

“Mujhe kabhi kissi ne aise nahin uthaya hai Abhi, bahut acha feel ho raha hai, thank you.”

Ahi ne Ruhi ko weise hi liye hue funny tone mein pucha,

“Kyun? Tum baby thi to sab ne tumko aise hi goad liye honge nah?!”

Tab shararaati andaaz mein ruhi ne kaha,

“hmmm you naughty main badi hone ke baad ki baat kar rahi hoon baby thi tab ki nahin!”

Abhi standing position mein tha aur teen ya chaar round kiya Ruhi ko weise liye hue jiss se Ruhi ke saare baal latak gaye the aur usski skirt kaafi upar uth gaye the to Abhi ki nazar udhar gaye…. Aur Ruhi Abhi ke chehre mein muskuraate hue dekh rahi thi uss dauraan.

Usske baad Ruhi weise hi usske baahon mein rehte hue pucha,

“Aur mujhko aise uthaane ke baad ap kia karte Abhi?”

To Abhi ne Ruhi ko bed par leytaate hue kaha,

“Yeh karta main, yahan tumko aise bed par leytata aur tumse bahot pyar karta!”

Ruhi ne apne chehre ko apne haathon mein chhupa liya aur ungliyon ke beech se Abhi ko dekhne lagi apne bed par leyte hue.

Aur abhi bed par usske taangon ke paas baitha aur ruhi ki takhne par haath rakha aur ahiste ahiste apne ungliyon ko usski takhne se ferrte hue upar usski calf tak kiya….. Ruhi uss pal khud mein simat rahi thi apne ek tang ko upar ke taraf karte hue… usski black skirt mein usski tang itna khubsurat lag raha tha ke jaise doodh mein makhi…. Abhi ne ek nazar Ruhi ko utha kar dekha, Ruhi ne apne daanton mein niche wala honth dabaya hua tha Abhi ke chehre mein dekhte hue, abhi ke honton par ek Muskaan dekha ruhi ne aur dheemi awaaz mein pucha,

“kia kar rahe ho Abhi, mera khidki khula hai koyi yahan se guzra to dekh lega aur main musibat mein par jaungi….”

Abhi ne jhuk kar apne honton ko Ruhi ke takhne se lagaya aur Ruhi ki aah nikli aur ussne uss tang ko zor se upar khincha jiss se Abhi ke naak par lag gayi….

To jhat se Ruhi uth baithi jab dekha ke Abhi ko usski peyr se zor se laga uss movement mein, aur sorry kehte hue wo Abhi ke chehre ko chumne lagi…. Aur ussko apne baahon mein kaske bhar liya.

Abhi ne kaha,

“khidki ko band kar leta hoon”

Ruhi boli,

“No, baahar sab sochenge ke kyun khidki band hai jab har roz din bhar khula rehta hai”

Abhi: “To kia karen phir?!”

Ruhi: “Wait main parde ko khich deti hoon”

Abhi: “magar wo hawa se hatt jaega”

Ruhi: “Main parde ke last end par ek do mota kitabein rakh deti hoon nahin hatega “

Aur wo karne ke baad Ruhi bed par baiti aur Abhi ke chehre mein dekhne lagi ek smile ke saath.

Abhi ne ussko phir letaate hue Ruhi ko kiss karte gaya… ruhi abhi ke kiss ko achchi tarha se respond karte hue leyt gayi aur abhi wapas usski tangon ke paas gaya to ruhi ne kaha,

“uff, kyun baar baar mere peyr ko chhuh rahe ho aap, idhar aao nah, mujhe wahan gudgudi ho rahe hein!”

Abhi ne aashikana andaz mein kaha,

“Ruhi jiss din main ne tumko iss skirt aur blouse mein dekha tha ussi waqt apne ghutnon ke bal aakar tumhare tangon ko baahon mein bharke chumne ka mann kiya tha aaj wohi karne jaa raha hoon….”

Ruhi chhup ho gayi ek gehri saans lete hue aur Abhi ke honton ko feel kiya apne tang par aur Abhi ka haath Ruhi ke skirt ke niche chalta gaya upar usski jaaghon tak…..

Ruhi uth baithi Abhi ko dekhte hue aur ek siskari mein Ruhi ne apne haath ko Abhi uss haath par rakha jo usski skirt ke niche tha aur nah mein sar hillaya….

To Abhi ne please kehte hue ek tadapti awaaz mein kaha,

“I wish to explore you sweetheart, want to see deep inside you, want to feel you, wish to see how the colour of your skin changes under your skirt, please let me do!”

Ruhi ke laga ke wo Mils and Boons wali kissi kitab ka ek panna padh rahi hai…. Bahot se aise situations ko wo padh chuki thi kayi novels mein aur khud ko unn kitaabon ka ek character feel kar rahi thi uss waqt.

Phir bhi Ruhi ne Abhi ke haath ko aaguey badhne se roke rakha magar khud apne hont ko Abhi ke honth se takra gayi aur donon ek dusre ko kiss karte karte bed par lete hue paaye gaye.

Kiss karte hue donon kabhi ek dusre ke upar hote, kabhi Ruhi Abhi ke niche to kabhi Ruhi Abhi ke upar magar kiss barkaraar raha, aur ussi mauke ka faeda uthaate hue Abhi ne Ruhi ke blouse ke teen buttons khol diye jiss se Ruhi ki bra, bra ke strap nazar aane lage aur Abhi ka ek haatn usski bra ki strap ko kaandhe ke niche kiya thoda sa aur Abhi ke honth Ruhi ke honthon ko chorr kar usski haandhe tak gaya….

Ruhi uss waqt jhuk kar simat gayi, Abhi ko apne peth aur chaati ke beech dabaaye hue, usski gardan upar uthe hue nazrein chhatt taak rahe the jabke Abhi ka jeeb haule haule Ruhi ke kaandhe se hokar usski boob ko reach hone lage the…

Ruhi kasmasaayi aur usski jism kaamp uthi phir, ek gehri saans lete hue Ruhi ne Abhi ko ziada kaske apne baahon mein jakra tab tak Abhi ka jeeb Ruhi ki ek nipple par chala gaya tha jiss se Ruhi ki aah nikli aur khud ko Abhi se door karte hue Ruhi ne apni bra ko thik kia aur blouse ke buittons lagaane lagi Abhi ke aankon ki gehraayi mein kaampte honthon se dekhte hue…..

Abhi ne socha ke Ruhi naraaz ho gayi, ruk gaya, Ruhi ki nigaahon ko padhne ki koshish mein tha, aur jab dekha ke ruhi ne halki si Muskaan mein apne baalon ko sanwara tab Abhi ne kaha,

“please karne do nah, please….”

Ruhi ne kaha,

“naah!”

Abhi ne usska haath thaama phir binnati kiya, Ruhi nahin maani aur kaha,

“itna kaafi hai aaj ke liye, buss!”

Abhi ne jhat se ussko baahon mein liya aur dobara bed par leyta kar kiss karne laga, Ruhi ne phir respond kiya magar iss baar Abhi ke haath ko thaam liya taake wo usski blouse ke buttons ko nahin khol sake….

Magar iss baar Abhi ka haath Ruhi ke jaanghon par gaya aur upar pahuncha takriban Ruhi ki panty ko chhuh liya tab Ruhi ne usske haath ko roka kiss barkaraar rakhte hue…. Abhi ne kiss roka aur tadapti awaaz mein kaha,

“Ruhi I have never done this in my life, I want to do it, let me nah, please, I will not penetrate you, upar hi karunga karne do nah please dekho kitna tanna hua hai”

Wo kehte hue Abhi ne Ruhi ka haath apne hath mein lekar apne dick par kiya, Ruhi ne usska erection apne haath mein feel kiya, magar sharmaayi nahin, jaise usske liye wo normal tha, balke Ruhi ne apne haath ko Abhi ki erection par rehne diya kuch lamhon ke liye abhi ke chehre mein dekhte hue.

Tab Abhi ne Ruhi se kaha,

“Thoda sa sehlaao nah isse please.”

Ruhi ne apne haath ko wahin rehne diya usske pant ke upar erection par magar munh fulla kar “naah” kaha Ruhi ne.

Yeh sab karte hue 1.30 ho gaye the aur Abhi ne ghadi dekhte hue kaha,

“Ruhi sirf 15 minats bache hein please ek baar yaar….”

Ruhi ne kaha,

“Okay ab 15 mins tak baat karte hein mujhe kuch kehna hai aap se, jo bahot important hai. Issi liye main ne aap ko lunch par invite kiya aaj!”

Yeh sun kar Abhi dheela par gaya aur bed par baith gaya Ruhi ko sunne ke liye.

Donon koyi 3 minats tak khamosh rahe, Ruhi ne sar jhuka liya tha aur Abhi ussko buss dekh raha tha. khamoshi todte hue abhi ne hi Ruhi ke thudi ko apne ungliyon se upar uthaate hue kaha,

“hey sweetheart, kia kehna hai bolo nah!”

Ruhi ke donon Aankhen bhar aaye the aur aansoo buss chalakne hi wale the ke Abhi ne jalde se Ruhi ko zor se baahon mein lete hue pucha,

“Ari kia ho gaya baby? kyun rone lagi tum, batao nah baat kia hai my love?!”

Ruhi ne apne Aansuwon ko ponchte hue Abhi ke chehre mein dekha aur kaha,

“Kia agar main ne life mein koyi ghalati kiya ho to aap meri uss ghalati ko maaf kar paoge?”

Abhi ne Ruhi ke chehre ko chumte hue kaha,

“Of course, my love 100% maaf karunga, why? Kia hua hai?”

Aur ruhi zoron se rone lagi phut phut kar, usska sharir kaampne laga tha usski awaaz baahar jaane lagi thi, awaaz tut rahi thi, Abhi ne ussko zor se jakra hua tha ussko tassali dete hue ussko khamosh karne ki koshish mein laga raha aur usska chehra sehlaata, to kabhi uski peeth par hath ferrta…..

Abhi ke baahon mein simti Ruhi bilat bilat kar khub royi, aur naak se behte paani ko ponchte hue, Abhi ke chehre mein dekha aur kaha,

“Mujhse nahin kaha jaega meri ghalati, meri mummy se puch lena, ussko pata hai aur ussko yeh bhi pata hai ke main aaj aap ko ghar par khaane ko invite karungi yeh baat bataane ke liye magar mujhse nahin bola jaa rahaa, please aap mummy se puchna wo aap ko asaani se bata degi, mujhse se nahin hoga!”

Last minat tak Abhi puchta raha magar Ruhi har baar rone lagti aur kuch nahin boli, to Abhi pareshan, heyraan wahan se wapas kaam par gaya. Shaam tak sochta raha ke kia hua hoga Ruhi ke life mein? Kyun wo itna rone lagi. Kia ghalati kiya hoga ussne? Abhi ke samajh mein nahin araha tha ke kia soche aur kia samjhe Ruhi ko lekar. Wo bahot hi pareshaan tha aur gham mein dooba raha.

Uss raat ko Abhi so nahin paaya, apni diary mein likhta raha sawaal par sawaal karta raha khud se. Ruhi se kia ghalati ho sakti hai? Kia kiya hoga ussne aisa ke wo bata nahin paa rahi thi aur itna ro rahi thi. Abhi ko chain nahin tha, neendh nahin arahi thi, paagal hota jaa raha tha, subha ka intezaar karta raha. Usski maa wapas nahin aayi thi shaam 6 baje tak wait kiya Abhi ne iss liye bina sawaal ka jawaab jaane hi Abhi ko wapas ana pada tha, aur ab raat bhar suspense mein raat kati Abhi ki.

To be continued…. (4101 words)
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304
Update 22 The Differences Again
Baaki ke log bus mein se Abhi ko dekh rahe the ke kyun wo ab Ruhi ke paas nahin ja raha kyunke usske seeti ko sun kar wo terrace par aagayi thi….

Abhi ne khayal kiya bus ke andar se hi ke Ruhi ka chehra kuch utra hua tha aur lag raha tha abhi abhi so ke uthi hai.

Abhi ne jaldi se uss book ko liya jiss mein Ruhi ka khat tha aur Ruhi ko dene gaya. Ruhi bimaar dikh rahi thi. Abhi ne ussko kitab dete hue kaha,

“Iss mein kuch hai tumhare liye abhi issi waqt andar jaate hi padhna bahot hi zaroori hai, aur jawaab bhi dena aaj hi please.”

Ruhi ne kitab lete hue abhi ko ek halki Muskaan mein kaha,

“meri mummy se baat kar liya aap ne?”

Abhi: “nahin, ussne to kaha ke tumko tumhare nani ke yahan chorr aayi hai….”

Ruhi: “ofo mazaak kiya hoga, magar aap ne kal wali baat kyun nahin pucha mummy se?!”

Abhi: “isska jawaab andar hai kitab mein jao padho please, aur ek baat, tumhari tabiyat thik nahin kia? Chehra aaj utra hua hai? Kia hua?!”

Ruhi: “hmmm subha 5 baje soyi, raat bhar roti rahi maa ne khub daanta, mujhe neendh hi nahin arahi thi.”

Abhi ne turant Silsila ka sher kaha,

“Majboor yeh haalaat idhar bhi hai udhar bhi

Tanhaayi ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi

Kehne ko bahot kuch hai magar kiss se kahe hum

Kab tak yunhi dabte, yunhi sehte rahe hum

Dil kehta hai ke dunya ki har rasm utha dein

Deewaar jo hum donon mein hai aaj gira dein

Ab dil mein yehi baat idhar bhi hai udhar bhi.”

Ruhi ne sab suna aur muskura kar kaha

“hmmm Silsila…. Kitna acha bla aap ne sher ko, aap Amitabh ki fan ho kia?”

Abhi ne chamakte aankhon se kaha,

“Are tumko nahin pata? Yahan sabhi ko pata hai ke main usska kitna bada fan hoon, mera idol hai wo!”

Ruhi ne kaha,

“Ajeeb baat hai har wo chiz jo mujhe passand wohi aap ko bhi passand aisa kyun hai?!”

Abhi khush hua aur kaha,

“Our souls are inter connected sweetheart, read about this in the letter”

Ruhi: “Aap ne iss sissila ki sher ko kuch iss andaaz mein read kiya ke laga Amit ji hi bol rahe hein, kitni tadap thi aap ke awaaz mein, kaise kiya aap ne?”

Abhi: “sweetheart, jo bhi kaha hakikat tha issi liye, main bhi kal raat nahi soya subha 3 se 4 baje tak tumko likh raha tha, tumse connected tha main issi liye tum bhi nahin so paayi thi shaayad, samjhi kia?!”

Ruhi heyraan hui aur Abhi ke aankhon ke geraayi mein pyar se dekhte hue kaha,

“Aap kyun aisa karte ho, din bhar kaam karna hai aap ko, main to din mein so bhi lungi aap apna health kyun bigaar rahe ho?!”

Abhi: “Tum jo the mere khayaalon mein, kaise so paata main? Neendh kahan se aati jab tumne kuch aisa keh diya jiss se neendh udh gaye….. hum to diwane hai aap ke pyar ke, baithe hein aap par zindagi vaar ke, socha hai aap ne kia hamare liye, nah saha jaye ab thoda bhi faasla….”

Ruhi: “shaayar bhi ho aap kia Abhi?”

Abhi: “Ishk sab kuch seekha deta hai meri jaan, shaairi to apne aap ajaata hai.”

Ruhi: “Agar Aap Amit ji ka itna bada fan ho to aap unnko dekhne nahin gaye hamare ilaake mein usski kissi film ki shooting chal rahi hai aap ko pata hoga nah?!”

Abhi: “Haan Manmohan Desai ki film “Mard” ki shooting chal rahi hai, magar yahan se koyi 10 kms door hai nah wo jagah? Kaam itna hai kaise jaa paunga, kal Tony bhi bata raha tha.”

Ruhi: “hmmm ab main samjhi ke koyi aap ko ‘lambu’ kyun bulaate hein Amit ji ke fan ho aap bhi, tabhi to!”

Abhi: “are, khud lamba nahin hoon kia main?!”

Ruhi: “Iss mein koyi shak hai bhala? Kia aap Amit ji se bhi lambe ho?”

Abhi: “barabar hoon, ek baar mila tha uss se, saath khade hokar dekha tha, same height hai hamara!”

Ruhi machal gayi, aur oonchi awaaz mein Khushi se ek bachche ki tarah pucha,

“kiaaaa, aap Amit ji se mil chuke ho?! wow, photos liye ke nahin? Mujhe dikhana please!”

Abhi: “nahin liya main manoj to nahin jo camera lekar chalun!!”

Ruhi udaas hui aur kaha,

“Agar main shooting dekhne jaun to aap chaloge mere saath?”

Abhi: “kaam ke iss mod par nikalna naamumkin hai Ruhi, phir bhi puch kar bataunga, magar pehle tum batana ke kab, kiss din aur kiss waqt jaana hai taake main team ko bata sakun, aur jayenge kaise? Paidal to nahin nah?!”

Ruhi: “bus se jayenge nah, ek saath, donon, aap khush nahin honge mere saath jaana?!”

Abhi: “of course, bahot ziada Khushi hogi mujhe tumhare saath jaana Ruhi, yeh bhi puchne ki baat hai!”

Itne mein Reza ne piche se kaha,

“Ruhi main jaa raha hoon shooting dekhne aaj 1 baje chalogi?!”

Abhi ko ghussa aya aur kaha ke wo kaam karne jaa raha hai aur wahan se hatt gaya.

Bus ke andar se Reza ko Ruhi se baat karte hue dekh raha tha, Abhi ko jalan to nahin ho raha tha magar kyunke uss Reza ko wo bilkool passand nahin karta tha iss liye ussko acha nahin lag raha tha aur khaas kar ussko jaldi tha ke Ruhi usska khat jaa kar padhe.

Donon ke baatein sunaayi de rahe the, aur Reza full koshish mein laga hua tha ke Ruhi usske saath shooting dekhne chale. Ruhi ko dekh kar lagta tha usska bahot mann hai jaane ke liye, baar baar Abhi ko bhi dekh rahi thi bus ke andar Reza se baat karte hue.

Ab Abhi sochne laga ke kia iss se pehle Ruhi kahin gayi hogi kia Reza ke saath? Wo yahin ka rehne wala tha, Mehboob ki bus ka conductor tha to kayi saalon se iss aangan mein ata jaata hoga, to Ruhi se bachpan se jaan pehchaan hoga usska, yeh sab soch kar ab Abhi ko jalan sa feel aane laga tha, aur wo buss Reza aur Ruhi ko dekhe ja raha tha.

Abhi ko chain mila jab Ruhi ne Abhi ko dekhte hue Reza se kaha,

“Jaungi to unnke saath varna nahin jaungi, okay?!”

Reza ka chehra laal hua aur Abhi ko dekha bus mein munh banaate hue, aur Abhi ne hanss diya.

Abhi kaam karte hue sochta raha ke ab Ruhi usska khat padh rahi hogi, ab iss paragraph ko padh rahi hogi, ab yeh padh rahi hogi, ab ussko pata chal gaya hoga ke main ne ussko “I love you” bol diya…..

Abhi soch raha tha ke ab Ruhi kia feel kar rahi hogi uss khat ko padh kar? Bahot khush ho rahi hogi, ussko acha feel ho raha hoga Abhi ke khat padh kar, aur Abhi ab dekhna chahta tha ke Ruhi ka reaction kia hoga jab wo usske saamne aegi. To Abhi ke nazrein baar baar washing stone ke taraf to kabhi Ruhi ke khidki par hota raha.

Phir kuch der baad Abhi ko heyrani hui Manoj ko terrace par dekh kar. Aaj wo kaam par nahin gaya Abhi ne socha, usska camera usske haath mein tha aur bus ke kuch photos liye ussne usske baad Manoj aur Ruhi donon garden mein gulaab todte hue dikhe gaye.

Ab Abhi sochne laha ke kia Manoj ne Abhi ka khat to nahin padha? Kia Ruhi ne ussko dikhaya hoga khat ko? Abhi Ruhi ke chehre ki expressions ko padhne ki koshish kar raha tha. Abhi ke khat padhne ke baad Ruhi par kuch to assar hona chahiye tha magar Ruhi normal thi, jaise kuch hua hi nah ho. Magar Ruhi ne ekaat baar garden se bus mein Abhi ko dekha, kayi baar dekha. Magar normal tarike se dekha, jo Abhi ko passand nahin aya…. Abhi ne socha usske khat ko padhne ke baad Ruhi ke chehre mein ek chamak hona chahiye tha, bahot pyar ubhar kar baahar aate hue dikhna chahiye tha Abhi ke liye, aur wo Abhi ko nahin dikh raha tha. Abhi naakhush tha Ruhi ki reaction se.

Phir Abhi ne khud se kaha ke kia Ruhi ne chithi nahin padhi hogi ab tak kyunke Manoj ghar par hai? Ya abhi koyi reaction nahin de rahi kyun ke manoj usske saath hai? Abhi confused tha kyunke ussko nahin pata tha ke Ruhi ne chithi padhi ke nahin.

Phir ek baar aisa hua ke manoj jhuka hua tha main road ke taraf dekhte hue aur Ruhi bus mein dekhte hue Abhi se kuch kaha apne honton ko hillaate hue bina awaaz ke…. Abhi samah gaya ke ussne khat padh liya kyunke Ruhi ke chehre mein Khushi chalak rahi thi aur bade pyar se Abhi ko dekh rahi thi, lag raha tha ke keh rahi thi, “I love you too” usske honton ke form ussi movements mein move ho rahe the. Abhi bahot khush hua aur usske seene ke andar jaise usska dil naachne laga tha.

Phir kuch der baad Ruhi nahin dikhi aur Manoj ne ishaare se Abhi ko bulaya bus ke baahar. Abhi samajh gaya ke bus ke photos dene wala tha ussko aur Saeed ko nahin dikhana chahta tha jaise ke Abhi ne uss se pehle keh diya tha.

75 photos the ek envelope mein jo Manoj ne Abhi ko diya aur kaha ke 5 rolls ko ek saath develop karwaya ussne issi liye late de raha hai. Par Abhi ne ussko 500rupay diye the aur 50 pics ke utna hote hein matlab aur 25 pics ke liye paise dene the Manoj ko jisske liye Manoj ne kaha,

“Baad mein adjust kar lenge, abhi aur bus ke photos lene hein nah, jab full ready ho jaega bus, andar bhi kuch pics lene hein, phir jab paint ho jajega, har step par lete jaa raha hoon, complete hokar road par jaega tab last pics lunga bus ki. Tab baaki ke paise de dena okay”

Abhi maan gaya aur uss lifaafe ko apne bag mein jaakar rakh diya. Kissi ne nahin dekha George ke siwa, magar kissi ko pata nahin tha ke uss lifafe mein manoj ne kia diya Abhi ko.

Abhi ne kuch der baad Manoj ko ready hokar jaate hue dekha jab Ruhi ne ussko bye wave kiya.

Usske baad Ruhi kayi baar saamne aayi Abhi ke. Khush dikh rahi thi, Abhi samajh gaya ke usske chithi ka assar hoga. Aur kuch der baad Ruhi aur usski maa donon terrace par nazar aaye. Ruhi polish laga rahi thi terrace par baith kar aur usski maa usske piche khadi thi. Kyunke maa piche thi to Ruhi ne dobara ussi tarah bina sound ke Abhi ko kuch kaha. Abhi nahin samjha ke ussne kia kaha, phir turant Ruhi ne mudh kar apni maa ko dekha ke kia ussne ussko ishaare se baat karte hue dekkha to nahin.

Phir kuch khaas nahin hua. Lunch ke baad Abhi Ruhi ke khidki ke paas gaya to wo bandh tha. Abhi bahot heyraan hua. Jabse wo yahan kaam kar raha tha aaj pehli baar uss khidki ko bandh dekha ussne. Abhi chal kar piche ke darwaze tak gaya wo bhi bandh tha. Abhi heyraan hua, pareshan hua usske samajh mein kuch nahin araha tha. Ab sochne laga ke do baar Ruhi ne kia kaha tha uss se? kuch khaas kaha hoga jo usski maa aur manoj ko nahin pata chalna chahiye iss liye bina awaaz ke kaha tha.

Abhi ki pareshaani ussko ab bahut tang karne laga usske samajh mein nahin aya ke wo ab kia karen. Usska mann kiya ke darwaza khatkhata ke Ruhi ko phukaare… paagal hone laga Abhi…..

30 mins tak Abhi washing stone par baitha wait karta raha magar Ruhi ne nah khidki kholi aur nah wo nazar aayi. Tony cigarette kharidne jaa raha tha to Abhi ko wahan dekha to pucha kia hua. Abhi ne oonchi awaaz mein Ruhi ko andar sunaane ke liye kaha,

“pata nahin yaar aaj pehli baar iss khidki ko band dekh raha hoon, koyi hoga andar shayad issi liye nah band hai!!”

Tony chala gaya main road ke taraf, aur Abhi yaad karne laga kiss tarah kal iss waqt wo andar issi kamre mein tha aur Ruhi ko khidki band karne ko kaha tha to Ruhi ne kaha tha ke baahar log sochenge ke kyun khudki band hai to ussne parda khinch kar books se dabaya tha…. aur soch raha tha ke iss waqt Ruhi apni kamre mein hi to hogi, to shaayad Ruhi jaan bujh kar aisa kar rahi hai, ya Abhi ko ab avoid kar rahi hai ya usski maa ne Ruhi ko weisa karne ke liye kaha hoga…..

Kal Ruhi ne kaha tha ke wo usski maa se usski ghalati ke baare mein puche wo bataegi, to kyun ab khidki band hai, abhi to Abhi ko usski ma se baat karna chahiye tha to khidki band hai to kaise Abhi baat karega?! Abhi ko ghussa bhi araha tha.

Phir Abhi ne yaad kiya ke khat mein ussne Ruhi se kaha ke usske munh se sab kuch sunna chahta hai usski maa se nahin, to kia iss liye Ruhi ne khidki band kiya kyunke wo nahin bata paegi? Ya ruhi shararat kar rahi hai, Abhi ki patience ka imtehaan le rahi hai? Subha usski maa ne tang khincha tha Abhi ka yeh keh kar ke Ruhi apni nani ke yahan hai, kia ek baar phir Ruhi ki maa ne jaan bujh kar khidki band kiya Abhi se sharaarat karne ke liye? Kia andar se maa beti sab dekh aur sun rahe hein?! Kia Ruhi ne apni maa ko sab bata diya jo Abhi ne khat mein likha hai? Bina awaaz ke Ruhi ne kia kaha tha Abhi se?

To be continued…. (4001 words from both updates)
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304
Update 21 Abhi Tells her

Subha ke 3 baje Abhi ne ek letter likha Ruhi ke liye jiss mein ussne apne dil ki baat ko kaha. Beshak English mein likha. Pehle 5 pages likha. Phir ussko kuch ziada laga. Sab phaad ke feink diya, phir likhna shuru kiya. 4 pages hue, phir sab phaad diya, teesri baar likha short karke 1 page mein yeh likha:

“Dearest Ruhi,

It’s 3.30 A.M and I am not yet asleep. Have been thinking of you all night. You have rendered me really mad. I am in love with you since day one I saw you in your yard. Remember that day?

From that day on I have been working with great love at that place only because of you. Everything in that yard encloses your smell, your fragrance, your love, your thoughts for me. In the yard, the soil, the stones, the garden, the flowers, the trees, your kitchen’s threshold, the taps, the washing stone, your room’s window are all witness how far my love is true for you. Talk to them, ask them when you are alone, they will all tell you how madly I am in love with you Ruhi. I am writing in English since I express my feelings better when I write in this language and because I know you love reading in English. Thus I am sure I may succeed to convey my heart’s message to you.

You had said that never in your yard had you ever heard any name other than that of Abhi being called as much, like you have heard my name being called. Ruhi, someday when I reach there much earlier, I talk to the places I use to see you, I ask them either they have seen you, I talk to them telling them to convey you my heart’s message, have not they ever told you?

One day try to wake up very early in the morning, go to you washing stone it may have a message for you, talk to it, ask it if Abhi has said anything about you, go out side and stand near the window from outside and talk to your window ask it if Abhi has told it anything, you will get an answer.

When I am not around, talk to the place I work in the bus, you may feel my presence like I always feel your presence when you are not around. Talk to that huge tree under which the bus is, I often talk to that tree, he knows all our secrets. SECRETS. What are you hiding from me Ruhi?

I cannot see you crying, the way you sobbed today made my heart ache. Please never cry like that my love. I forgive all your mistakes, past and present and accept you as you are. Your mistakes do not count for me, what counts for me is you and your love. If I get your love, its enough for me to live a whole life, not one but I can live hundreds of lives only with your love.

I really don’t know what to tell you more. What is important for me is that I get your love in return of my love for you. I love you very very much and I am serious, I mean it, I want you to be my wife and mother of my kids. I will marry you. We will have a happy life you will see and I bet that you will ever be happy with me. I will take care of you all my life, will love and cherish you till my last day, when we grow old one day you will say thank you for the love, I bestowed over you. I am sure of that. I love you with my soul, I feel our souls must have already connected with each other, and you must have felt that. When two souls get connected with each other, the vibes from both sides are full positive and the people get attracted to each other. And I feel that with you and I am sure you must have felt the same. I know that you love me too but you are reluctant to say it, here you go today I said all in writing. I announced my love to you, and it is written. What more precious could you have on this subject now?

Ruhi, instead of your mother I would have loved it that you, yourself tell me what you were trying to say, say it yourself, if you can’t say it while talking then do write it the way I am writing, write me your pains I will end them for you.

Hope to get the opportunity to give you this letter today.

With lots and lots of love

Yours only

Abhinav. Muuuuuuuuaaaaaaaaaaah.

I LOVE YOU.”

Abhi ne khat ko kayi baar padha tab tak subha ke 4 baj gaye the, tab ussko thoda sukoon haasil hua aur usski aankh lag gayi.

Phir bhi subha 6.30 ko Abhi Ruhi ke aangan mein haazir ho gaya tha kaam ke liye. Ussne uss khat ko ek book mein rakha hua tha aur uss book ko hi Ruhi ko dena tha usse.

Wo aangan mein ghumta raha Ruhi ke intezar mein magar wo nahin dikhi, 7 baj gaye aur sab kaam karne wale aagaye magar Ruhi nahin aayi to Abhi ne kaam start kar diya Ruhi ko dil aur dimaagh mein basaaye hue. Baar baar Ruhi ke ghar ke chaaron or dekhe jaa raha tha Abhi phir bhi no sign of Ruhi. Abhi ko jaldi tha ussko wo khat dene ko, wo chahta tha ke Ruhi jald se jald uss khat ko padhe aur shaam ko jab wapas jaaye to Ruhi ussko khat ka jawaab de.

Abhi ke mann mein achaanak ek darr ne ghar kiya. Ussne socha kahin aisa to nahin ke kal raat ko Ruhi ki maa Ruhi ko bhi lekar usski nani ke ghar lekar chali gayi?!

To abhine apna gaana whistle karna shuru kiya…..15 mins tak wistle karta gaya washing stone ke paas dekhte hue, kitchen ki darwaze par dekhte, terrace par dekhte magar ruhi nahin arahi thi. Abhi pareshan hone laga, udaas ho gaya, seeti bajaate hue usska munh dukh gaya phir bhi ruhi nahin dikhi. Bus mein kaam karne wale log bhi Ruhi ko dhund rahe the kyunke sab ko pata tha ke Abhi ke seeti bajaane par wo aati hai, to ssab baar baar baahar dekh rahe the ke wo abhi ko dekhne ya milne ayegi, au raise 1 ghanta beet gaya magar ruhi nahin dikhi.

Abhi ka bura haal tha, wo kaam mein concentrate nahin kar paa raha tha. baith gaya. Tony ne pucha,

“kyun nahin aayi wo? Aaj ghar par nahin hai kia bhai?”

Aur ekectrician ne bhi pucha,

“Kia hua Abhi bhai? Aaj aap ki girlfriend nahin aayi aap ke seeti bajaane par?”

Abhi ke paas jawaab to tha hi nahin dene ko, khamosh raha wo, to Saeed ne kaha,

“Abhi, jaa, usske door ko knock karke puch kahin bimaar to nahin? Jaa koyi baat nahin!”

Abhi ne ek gehri saans liya, apne bag se book liya, aur jaise bus se nikla to Ruhi ki maa nazar aayi kapde dhone wali jaga par tub mein kapdon ke saath.

To Abhi ke jaan mein jaan aayi aur book lekar gaya uss jagah iss umeed se ke Ruhi wahin hogi ghar ke piche wale hisse par.

Magar wahan paunchne ke baad Abhi niraash hua kyunke Ruhi nahin thi wahan.

Ruhi ki maa ne Abhi ko usske taraf aate dekh liya tha to bade araam se muskuraate hue kaha,

“kaisa hai Abhi? Raat thik se guzra kal tumhara?!”

Abhi: “raat to kaise bhi kat gaya aunty, magar abhi waqt bhaari hai, aakir Ruhi hai kahan, kyun nahin aayi mujhse milne abhi tak wo? Kab se bula raha hoon ussko!”

Ruhi ki maa ne kapdon ko tub se nikaal kar ek dusre Balti mein bhigote hue kaha,

“Ruhi yahan nahin hai, kal raat wo apni nani ke ghar chali gayi! Yahan ussko bahot pareshaan kar rahe ho tum uss se sehen nahin ho raha iss liye main ne ussko tumse door kiya taake meri beti paagal nah ho jaaye!”

Abhi ko chilla kar rone ka mann kiya, usska chehra utar gaya aur gala sukh gaya, saans lene mein ussko jaise takliff hone lagi aur, dil ke dhadkanen abnormal hone lage. Usska mann kiya ke Ruhi ki maa ko hi sunaaye. Soch raha tha ke kaisi aurat hai, ussko apni beti ki takliff dikhi aur Abhi ki takliff nahin dikha ussko, ab Abhi ka kia hoga yeh nahin socha ussne? Aur kia Ruhi apne nani ke ghar mein dukhi nahin hogi? Kia wahan wo khush rahegi Abhi ko yaad nahin karegi?

Abhi bahot saare sawaal karnaa chahta tha magar bina kuch kahe hi wapas bus mein chala gaya halaan ke Ruhi ki maa ussko awaaz deti rahi.

Jab Abhi bus mein wapas pahunch gaya to baahar wapas dekha washing stone ke taraf to Ruhi ki maa ussko bula rahi thi, magar Abhi ne hath ke ishaare se nah kaha. Aur slow speed mein kaam karta gaya Abhi, halaan ke ussko pata tha Ruhi yahan nahin hai phir bhi Abhi ki nazrein baar baar terrace par, lounge ke andar dekhe jaa rahe the…. Aur Abhi ne phir se apna seeti uss gaane ke sur mein bajana shuru kiya, “Pyar karte hein hum tumhein itna, do Aankhen to kia do jahan mein samaaye nah jitna, pyar karte hein hum tumhein itna…..”

Aur lounge ke parde hatte, darwaza khula aur Ruhi nikli terrace par aayi Abhi ke chehre mein pyar se dekhte hue!

Ussko dekh kar Abhi ko ab Khushi se chillaane ka mann kiya, ussne Ruhi ki maa ke taraf dekha jo Abhi ko dekh kar hanss rahi thi, ussne mazaak kiya tha Abhi ke saath yeh kehkar ke Ruhi apne nani ke ghar gayi hai…. Wo Abhi ki taang khinch rahi thi!!

To be continued in the next update immediately….
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304
Update 23 How Abhi Faced It

Subha usski maa ne tang khincha tha Abhi ka yeh keh kar ke Ruhi apni nani ke yahan hai, kia ek baar phir Ruhi ki maa ne jaan bujh kar khidki band kiya Abhi se sharaarat karne ke liye? Kia andar se maa beti sab dekh aur sun rahe hein?! Kia Ruhi ne apni maa ko sab bata diya jo Abhi ne khat mein likha hai? Bina awaaz ke Ruhi ne kia kaha tha Abhi se?

Abhi kaam karne chala gaya kyunke lunchtime end ho gaya tha magar nah khidki khuli aur naa hi Ruhi dikhi. Abhi ka dimaaghi haalat bahot kharab tha uss waqt. Ghussa bhi kar raha tha aur kaam sahi se nahin ho raha tha uss se. bus ke baahar ke panels par aluminium sheet measurement se kaat kar rivet se chipkana tha, din bhar ka kaam tha, shaam tak wohi karna tha, pehla hi sheet kata to ghalat kata, kum tha, ek sheet waste hue. Aur Saeed ne kaha,

“Agar Mehboob ko pata chala ke yeh sheet kharab hua to naraaz hoga iss sheet ko chhupado kahin!”

Abhi ne ghusse mein reply kiya,

“Kaun si badi baat hai? Kate hue sheet ko dusri jagah istemaal kiya jaa sakta hai, kayi jagahon par uss se bhi chhota dimension ke liye kaatna hai to uss bigre hue hisse se kaat lenge not a big deal!”

Tony Abhi ka help kar raha tha. Jab sheets ko kaatna tha to kissi ek ko dusre taraf sheet ko pakarna padta tha. aur kata jaata tha ek tin kaatne wale kainchi se jissko Tin Snip kehte hei wo aisa hota hai jaise iss tasveer mein hai:


Tin-snipper.jpg
Ab measurement par kaatne ke liye, pehle bus ki panel par naap liya jata tha, aur ussi naap ko sheets par pencil se mark kiya jaata phir ek line khincha jata tha sheet par tab uss line par tin snip se kata jata tha. jaise ke agar naap hai 5mts by 7 mts and 15 cms. To sheet par itna naap kar line khincha jaata tab uss line par tin snipper ko chalaate hue kaatta tha Abhi.

Ab yeh saare kaam thik Ruhi ke kitchen ke saamne karna hota tha, wo blank space hai nah sketch mein uss hisse mein yeh sab kaam kiya jaata tha. to har baar jab Abhi tin kaatne jaata to kitchen ke andar dekhta magar wo khaali tha koyi bhi nahin tha kitchen ke andar, magar Abhi ko ek ummed thi ke 3 bajne ke baad ruhi ko kitchen mein ana hi padega pakaane ke liye aur tab se shaam 6 baje tak to kitchen mein hi rehti hai, so abhi uss waqt ka intezaar karta raha kaam karte hue.

Kate hue tin ko laakar bus ki panel par sahi se dabaa kar hole dril karna hota, aur uss hole mein rivet pop kiya jata tha. River Tony pop kar raha tha jabke Abhi tin ko sahi disha mein laga raha tha taake wo hille nahin bilkool. Ek panel ke tin ko chipkaane ke liye kareeb 25 holes drills karne hote the aur utna hi rivet lagana padta tha. to ek sheet ko kaat kar, wapas aakar panel par chipkaane mein koyi 30 mins lag raha tha…. Abhi ne jaan bujh kar slow kiya aur 45 se 50 mins liya ek sheet ko chipkaane ke liye taake Ruhi ko kitchen mein aane ke time Abhi ko ussko dekhne aur baat karne ka mauka mile.

Shaam 3 baje tak Abhi ne apne kaam ko slow chalaya….. aur jab 3 baja aur Ruhi kitchen ki chaukath par nazar aayi bus ke taraf dekhte hue, to Abhi gaya aluminium sheet kaatne…. Abhi ka dil phir bhi khush hua ke pehla chiz jo Ruhi ne kiya wo tha direct bus mein dekhna, matlab Abhi ko dhundna ya usske taraf dekhna.

To Abhi aur Tony gaye thik Ruhi ke kitchen ke saamne, Ruhi wahin khadi rahi jab Abhi ko uss taraf aate hue dekha. Ruhi ke chehre mein dekhte hue hi abhi wahan rakhe aluminium sheet par baitha, koyi 14 sheet rakhe hue the niche kuch blocks par. Ruhi ke chehre par ek muskan saji hui thi aur usski aankhon mein ek chamak dikh rahi thi, khush thi. Magar Abhi heyraan tha ke aaj mili nahin aur aise behave kar rahi hai jaise sab kuch normal hai.

Abhi ne measuring tape ka ek end Tony ko pakarne ko kaha aur apne pencil se measure ke hisaab se mark kar raha tha sheets par aur Ruhi ko baar baar dekhe jaa raha tha to Tony ne kaha,

“Bhai kahin koyi mistake mat kar dena firse, mujhe cross check karne do ke aap ne sahi measurement par mark dala hai ya nahin aap ka dhyan udhar ziada hai abhi….”

Abhi ne hansste hue tape Tony ko diya aur ussko khud measurement mark karne ko kaha, aur line khinchne ko bhi kaha jahan jahan tin snipper chalana hai tab tak wo ishare se Ruhi se baat karta raha. Ruhi ne sone ka ishara karke Abhi ko samjhaya ke wo so gayi thi, tab Abhi ko yaad aya ke raat bhar wo soyi nahin thi kal, issi liye ussne kidki band karke so gayi thi, abhi abhi uthi hai.

Abhi ne phir pucha ke khat ka jawaab likha ya nahin? To Ruhi ne na mein sar hillaya hansste hue. Tony baar baar sar utha kar Tuhi aur Abhi ko dekh raha tha to Abhi ne uss se kaha,

“Abe tu kyun ab humko dekh raha hai? Tu markings kar nah!”

Phir Abhi baitha apne tangon par tin snip se sheet kaatne ke liye, shuru hi kiya tha ke Manoj Shweta ko lekar aangan mein aate hue dikha….. Aur Shweta Manoj ka haath chhura kar bhaagte hue seedhe Abhi par jhapki aur usske kaandhon par apni choti choti baazuwon ko lapet kar zorr se “Abhhhiiiiii” chilaate hue ussko gale lagaaya aur kayi puppiyan diya Abhi ko. Ek hafte baad Shweta wapas aayi thi aaj. Aisa lag raha tha Abhi ki beti apne papa ko pyar kar rahi thi….. Ruhi aur Manoj donon kitchen ke stairs par khade hansste hue dekh rahe the Shweta ko. Phir Manoj andar chala gaya aur Ruhi ne kaha,

“Shwetu, tu mujhse milne nahin aayi seedhe Abhi ke goad mein chali gayi, main teri kuch nahin lagti, Abhi sab kuch hai ab?!”

Tab tak Abhi ne Shweta ko goad mein utha kar khada ho gaya tha aur Ruhi ke taraf dekhte muskura raha tha, aur Shweta ne Ruhi ko jawaab diya,

“Aap to upar the aur Abhi niche baitha hua tha, yeh itna ooncha hai ke issko puppy dene ke liye innko jhukne ko bolna padta hai tab puppy de sakte hein to aaj innko niche dekha, to chali gayi usske goad mein aap jealous ho rahe ho kia?!”

Sab Shweta ki masoom baton ko sunkar hanssne lage, khud Ruhi zor se hansi aur Shweta ko reply kiya,

“haan main jealous hoon kyunke tumse pehle Abhi ko main jaanti hoon”

Shweta ne apne naazuk ungli ko daanton mein dabaya aur Abhi se dhire se kaha,

“Wo aap ko pehle se jaanti hai?!”

Abhi ne bhi ussko dhire se kaha,

“haan jaanti to hai, magar hum aap se bahuuuuuuut ziada pyar karte hein, Ruhi se utna nahin karte!”

Shweta ne “hihihihihihi” kiya phir Abhi ke kaan mein kaha,

“ab agar ussko pata chala ke aap mujhse bahuuuuuuut pyar karte ho tab aur ziada jealous hogi nah hihihihihi”

Abhi ne apne shak ko mitana chaha aur Ruhi ko weise hi goad mein lekar bus ke taraf chalta gaya usske kaan mein baat karte hue. Abhi ko uss bachi mein Ruhi ki bachpan dikh raha tha, wohi naak naksha, wohi Aankhen, wohi Muskaan, to apni shak ko mitaane ke liye Abhi ne Shweta ke kaan mein kaha,

“kiss ne aap ko kaha jhut muth ke Ruhi ko didi bulaane ko? Wo to mummy hai nah aap ki?!”

Ruhi ne jawaab nahin diya buss daanton mein apni ungli dabaayi. To Abhi ne Shweta se sawaal jaari rakha,

“achah batao aap rehte kahan ho aap ki address pata hai aap ko?”

Shweta ne apni sheher ka naam bataya Abhi ko, tab Abhi ne pucha,

“Aap apne papa ke ghar rehti ho?”

Shweta ne haan mein sar hillaya, phir Abhi ne pucha,

“aap ke papa ka kia naam hai, aur surname bhi batao, aur aap ka surname?!”

Ruhi ki surname “Nunhuck” hai, to Abhi jaanna chahta tha ke agar Shweta usski chacha ki beti to Shweta ki surname bhi wohi hogi nah…. aur Shweta ne jawaab diya,

“mere papa ka naam hai Anirud Nunkuck, aur mera Shweta Nunhuck”

Abhi ne ek gehri saans liya aur pucha,

“Aap ki mummy bhi rehti hai nah saath uss ghar mein?”

Shweta ne jawaab diya,

“haan hamare saath hi rehti hai, mummy nurse hai hospital jaati hai roz.”

Abhi ne kaha,

“hmmm to phir Ruhi aap ki badi didi hi hui nah baby!”

Shweta ne apni muthi kholke usse dolte hue kaha,

“haan wo badi didi hi hai meri”

Abhi ne ek gehra saans liya, ussko kabhi shak hota tha ke Shweta Ruhi ki beti hai aur yehi secret chhupa rahi thi Ruhi uss se aur issi baat ko apni ghalati batana chahti thi aisa Abhi ko laga tha, ab Shweta ne confirm kar diya tha ke wo Ruhi ki chacha ki beti thi.

Phir bhi Abhi ne ek sawaal aur kiya Shweta se,

“aap ka koyi aur bhai behen hein kia wahan ghar par? bada bhai ya badi behen ya chhota bhai ya chhoti behen?!”

Shweta ne apni masoom aur Ruhi ki jaisi awaaz mein kaha,

“main akeli hoon mera koyi bhai aur behen nahin hai!”

Abhi ke mann mein dobara shak ne ghar kiya, Ruhi ke chacha aur chachi ke koyi aulaad nahin iss liye Shweta ko apne naam dekar adopt kiya hoga….. Abhi iss liye aisa sochne laga kyunke wo sheher wala chacha Ruhi ka bada chacha tha, aur uss age mein itni chhoti Shweta ki umar ki bachi hona kuch ajeeb lag raha tha….

Tab tak Manoj apne camera ke saath ghar se nikla aur Shweta se kaha,

“chal tujhe Amitabh Bachchan ki shooting dikhaunga aaj chal Shwetu!”

Aur Manoj Shweta ko lekar chala gaya, aur kitchen ke chaukath se Ruhi ne oonchi awaaz mein Shweta se kaha,

“mujhe ek puppy bhi nahin diya, mujhse mili bhi nahin, Abhi ke goad mein chipki rahi aur bina mile jaane lagi shooting dekhne, mat aana mere paas Shweta!”

Shweta main road ke taraf jaate hue Ruhi ko wave kiye ja rahi thi hansste hue….

Aur Ruhi ki maa bhi nikli stairs par Shweta aur Manoj ko jaate hue dekhne, phir Abhi gayi Ruhi ke kitchen ke chaukath ke paas aur usski maa ke saamne kaha,

“Tum kyun nahin chali gayi shooting dekhne apne bhai ke saath?”

Ruhi ne Abhii se hansste hue kaha,

“main ne kissi aur ke saath jaane ko socha hai magar wo busy hai sirf kaam kaam kaam karta rehta hai!!

Yeh reply sunkar andar se Abhi ka dil khush to hua magar Ruhi ko jawaab diya Abhi ne,

“sirf kaam hi karta wo; to kal do ghante tumhare saath nahin hota aur aaj aadha ghanta tumhare kapde dhone wale pathar par baith kar wait nahin karta!”

Ruhi ki maa ne hansste hue kaha,

“le! Ab de jawaab ussko, wo itna tez hai ke tujhe hara dega hamesha sawaal jawaab mein tujhse bahot ziada tez hai Abhi”

Ruhi ne muskuraate hue kaha,

“hmm very intelligent boy with witty replies always… aap se baat karna asaan nahin hai nah Abhi?!”

To be continued in the next update immediately
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304
Update 24 How Abhi Faced It (ii)

Abhi ne kaha,

“iss sawaal ke badle tumko yeh batana behtar suit karta ke tum kehti ke tum ne uss aadhe ghante tak kyun mujhe wait karwaya?!”

Ruhi ne jeeb ko daanton mein dabaate hue kaha,

“sorry Abhi, kal raat nahin soyi thi nah to 11 baje hi main gehri neendh mein thi, aap log bus mein kaam karte hue shor kar rahe the nah to main ne nahin mummy ne khidki band kar diye taake meri neendh nah tute!”

Abhi ne kuch nahin kaha thik tabhi uss taraf se Rahima ne Ruhi ko bulaya kuch dikhaane ke liye, aur Ruhi nikli aur yeh gungunaate hue Abhi ke bagal se guzri, “pyar karte hein hum tumhein itna…..”

Abhi ne suna aur usska dil bahot khush hua Ruhi ko uss geet ko gungunaate hue sun kar.

Aur Ruhi turant wapas aayi Rahima se kuch haath mein lekar aur wohi geet gungunaate hue Abhi ke bahot karib se guzri, to turant Abhi ne bhi gungunaya, “pyar karte hein hum tumhein itna….” Ruhi ne mudhkar usse dekha, muskuraayi aur kitchen ke chaukath par apni maa ke paas khadi ho gayi.

Abhi gaya unn donon ke paas khada hua aur Ruhi se pucha,

“did you read the letter?”

Ruhi ne ek pyari si muskurahat mein kaha,

“oh yes, yes thank you very much hmmmm thanks very very much for that, its so, so nice of you. But you will not get any answer for that okay Abhi?”

Abhi: “And why I won’t get any reply?”

Ruhi: “I am not worth to reply to such a lovely letter.”

Ruhi bade pyar se muskuraate hue baat kar rahi thi Abhi se apni maa ke saamne. Maa sirf muskura rahi thi.

To Abhi ne pucha,

“Is you mum understanding what we are talking?”

Ruhi: “No she is not!”

Abhi: “So will you tell me, what about the mistake you were talking yesterday?”

Ruhi ne baat ko badalte hue kuch aisa kaha jiss se Abhi ka dil baith gaya, ussko ghutan sa feel hua, Ruhi ne kaha,

“chalo maan lo ke aap ke khat ka mera jawaab nah hua to?!”

Abhi ne koyi jawaab nahin diya, buss Ruhi ke chehre mein utarte hue chehre se dekkhta raha. Kuch tha hi nahin Abhi ke paas kehne ke liye. Ruhi phir bhi muska rahi thi… to Ruhi ne khud kaha,

“Aur agar main aap se kahun ke meri mangni ho chuki hai to?!”

Yeh sunkar Abhi ke dimagh ne kaam karna bandh kar diya. Usske samajh mein nahin aya ke wo ab kia jawaab de Ruhi ko!!

Kuch pal khamosh rehne ke baad Abhi ne kaha,

“Main nahin manta, impossible….. So, you have someone in your life?”

Ruhi ne bade asaani se kaha,

“No not in my life, but he is abroad.”

Abhi ne dil ko sambhaalte hue pucha,

“he will come back to stay?!”

Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke aankhon mein dekhte hue kaha,

“No, he will not come to stay, he will return.”

Abhi ne phir kaha,

“phir meri duah hai ke wo kabhi bhi wapas nah aaye!”

Ruhi ne hansste hue kaha,

“Hey bhagwaan aisa bhi koyi kehta hai kissi ke liye?!”

Ruhi ki maa sab sun rahi thi aur hanssti jaa rahi thi.

Abhi ne tab Ruhi ka haath thaam kar kaha,

“To kia tum mere liye ussko chorr nahin sakti, ussko bhool kar meri nahin ho sakti tum?”

Ruhi ne kaha,

“I don’t know that depends on my parents!”

Abhi ne object karte hue kaha,

“tumhare parents tumhare liye decide nahin kar sakte,tumko apna choice karna tumhara haq hai, weh log tumhare liye decide nahin kar sakte!”

Ruhi ne kaha,

“but it is my duty to obey my parents”

Abhi ne ussko jawaab diya,

“but it is also your duty to obey yourself”

Tab Ruhi zor se hanssi, to Abhi ne kaha,

“okay phir thik hai main abhi issi waqt tumhare mummy se shaadi ke kiye tumhara haath mangne jaa raha hoon….”

Iss par Ruhi aur bhi hanssne lagi…..

Abhi ko lagne laga ke jo kuch abhi Ruhi ne kaha sab banawti baatein the, magar usske dil mein darr tha ke kahin yeh sab sach nah ho….

Aur Ruhi ne kaha,

“have you ever realised how tall you are and how I am?”

Abhi ne turant kaha,

“That’s not important, how tall is Amitabh Bachchan and how tall is Jaya Badhuri?”

Ruhi iss par bahut hanssi usski maa bhi hanssti gayi Abhi ki baat sunkar….

Aur Abhi ne kaha pyar mein yeh sab nahin dekha jaata, lambaayi, rang, jaat paat sab koyi maene nahi rakhta….

Abhi ne tab Ruhi se kaha ke aaj kaam 5 baje end hoga magar wo 6 se 6.30 ya7 baje tak issi aangan mein rahega aur chahta hai ke Ruhi se akele mein baar kare…..

Phir Abhi kaam karne laga… Ruhi aas paas hi rahi aur apne jeeb se Abhi ko ghanton bhar chidhaati rahi, hanssti rahi, khush dikh rahi thi, chanchal adaaon se jaise Abhi ko rijha rahi thi apni maa ke saamne.

Ruhi ab Abhi ko nazar se bilkool bhi nahin chorr rahi thi. Abhi ko bus ke piche wale hisse par sheets chipkana tha, to kitchen se bus ke piche to nahin dikh raha tha, kafi derf tak Abhi wahan raha to Ruhi khud aayi udhar…. Ussne apne cousin ke yahan jaane ka bahana kiya taake Abhi ke paas aa sake…. To Abhi ne ussko roka, aur bus ke andar dekhte hue Ruhi ne kaha,

“dekho tumhara boss tumko dekh raha hai”

Abhi ne kaha,

“dekhne do ussko sab pata hai!”

Ruhi ne kaha:

“what ussko sab pata hai? To main chali bye bye….”

Abhi ko bolna pada ke nahin saeed ko kuch pata nahin hai tab Ruhi ruki Abhi se baat karne ke liye…. Aur Abhi ne kaha,

“mere taraf dekho to!”

Ruhi Abhi ke chehre mein, balke aankhon mein dekhne lagi, to abhi ne kaha,

“Dekho Ruhi, agar tum mujhe nahin mili, agar tum meri nahin hui, to main zindagi bhar kabhi shaadi nahin karunga, mujhe sirf aur sirf tum chahiye”

Ruhi ke donon Aankhen bhar aaye Abhi ko sunkar, ekaat katre aansoo ke chalak bhi gaye aur aasmaan taakte hue Ruhi ne roni awaaz mein kaha,

“oh my god, kyun aakhir kyun?

Abhi ne seriously kaha,

“kyunke main iss Ruhi ko nahin khona chahta ek ko kho diya hoon aur nahin khona mujhe!”

Ruhi samjhi nahin, ussne socha Abhi aise hi keh raha hai, Ruhi ne apne aansoo pochte hue kaha,

“Ab main jaa rahi hoon, main ab kuch dinon mein apni nani ke yahan chali jaungi.”

Abhi ne heyraan hote hue kaha,

“What?”

Ruhi rote rote hanss pari

Phir Abhi ne kaha,

“To yahan mera kia hoga? Main kaise kaam karunga yahan? Main kisse dekhunga har baar yahan, main Ruhi ke bina kia karunga phir yahan?”

Ruhi ne tab hansste hue kaha,

“phir dusre jagah kaise kaam karoge aap?”

Abhi ne kaha,

“Issi liye to tumhari ek tasveer mangi hai nah main ne? Please ek photo de do apni, please.”

Ruhi: “nah, main kabhi kissi ko apni koyi bhi photo nahin dene wali”

Abhi ne kayi baar manga, request kiya, minatein kiye magar Ruhi ne mana kiya.

Abhi ne tab uss abroad rehne wale aadmi ke baare mein pucha, aur Ruhi ne kaha wo France mein hai, aur usska naam Amit hai. Abhi ne kaha ke wo abhi abhi uss naam aur aadmi ko khud CREATE kar ke bata rahi hai weisa koyi hai hi nahin, to Ruhi ne kaha ke nahin wo hakikat hai.

Tab Abhi ne kaha,

“ya tum iss liye mana kar rahi ho kyunke meri yeh Naukri tumko aur tumhari maa ko nahin passand, main ganda rehta hoon, mere kapde gande hein iss liye?”

Ruhi ne jo jawaab diya wo Abhi ko passand aayi,

“kyun iss mein kia hai? Koyi bhi kaam ho, kaam to kaam hota hai”

To Abhi ne kaha,

“ya phir tumko eysh o araam wali life chahiye, luxuries chahiye, amir aadmi ke saath hona passand hai tumhe jisske paas car, naukar chaakar ho, jo abroad rehta ho….”

Ruhi ne kaha

“nahin bilkool bhi nahin main weisi nahin hoon!”

To Abhi bola;

“Shakespeare ne kaha hai – ‘Uneasy lies the head that wears a crown’ isska matlab pata hai nah?”

Ruhi ne phir kaha,

“Aap kitne padhe likhe ho Abhi, kia kuch nahin pata aur yaad hai aap ko hmmm?!”

Tab tak Ruhi ki maa ne ussko awaaz diya to Ruhi ne kaha ab ussko jaana hai aur wo phir wohi geet gungunaate hui gayi, “pyar karte hein hum……”

Abhi ek bhaaripan feel karne laga, phir bhi ussko Ruhi se bus ke piche itni der baat karke achcha laga.

Aur kuch hi der baad Abhi ko ab bus ke andar ke ceiling ke liye kuch istemal karna tha jo Ruhi ki lounge mein rakha hua tha to wo gaya wahan usse lene, Ruhi ki maa ne darwaza khola aur deewar se tek laga kar khadi Abhi ko dekh rahi thi to Abhi ne uss se kaha,

“Ruhi se keh dijiye main ek baar phir usske ghar ke andar aya hoon”

Ruhi ne dusre kamre se jawaab diya,

“kehdo unnko ke danda padega ab unnko!

Kuch der baad Abhi wapas panels par sheets chipka raha tha jo Ruhi ke terrace ke paas tha aur Ruhi aur usski maa donon wahi the aur baar baar phir Ruhi ne ussi tarah apni maa ke saamne Abhi ko apne jeeb se chidhaya… Abhi ko to Ruhi ka uss tarah se jeeb se chidhaana bahot pasand tha to Abhi ne socha ke Ruhi ka wohi “I love you” bolne ka tarika tha shaayad.

Aur kuch der baad aur Ruhi apni khidki par tek lagaye hue dekhi gayi, aur Abhi ussko fix dekh raha tha, to dhire se Ruhi ne kaha,

“Kia dekh rahe ho aap? Uss tarah se mat dekhiye mujhe.

Magar abhi ne aur behtar position liya Ruhi ko behtar se dekhne ke liye tab Ruhi ne kaha,

“aap bilkool paagal ho!”

Abhi ne jawaab diya ke “haan hoon main paagal!”

Ab Ruhi ki maa baahar nikli aur Ruhi chaukath par aayi aur Abhi ko ishaare se bulaya, to Abhi kaam chorr chaar kar gaya usske paas, Ruhi kuch kehne jaa rahi thi Abhi ko magar jab Abhi usske paas pahuncha to Ruhi ne kaha,

“main ne aap ko nahin bulaya!”

To wapas lautte hue Abhi ne kaha,

“mere jaane ka time ho gaya, please yahin rehna jab main jaane lagun mujhe tum dikhna chahiye jaate hue, varna main nahin jaunga aaj yahin rahunga! I will stay at your place all night!”

Ruhi ne Khushi se hansste hue kaha,

“Really aap yahin rahoge hamare yahan? Yeh to Khushi ki baat hai rehye nah!”

Uss waqt Abhi ke haath mein ek cigarette tha aur Ruhi ne kaha,

“kitna cigarette peete ho aap, feinkiye isse Abhi issi waqt!”

Abhi ko Ruhi ka weise kehna bahot achcha laga, ussko laga jaise ek wife apni husband ko cigarette feinkne ko keh rahi hai to Abhi ne jawaab mein kaha,

“Wo kab hoga tumko keh diya hai main ne, agar chahti ho ke hamesha ke liye cigarette feink dun to wo din jaldi se aaye pray karo! Matlab jab tum meri ban jaogi tab!”

Aur Abhi ne sach mein soch liya aur khud se kassam kha liya tha ke jiss din Ruhi usska hua wo cigarette kabhi nahin piyega uss din se.

Abhi ne phir yaad kiya ke ussne Abhi tak apni wo baat nahin bataayi hai to kaha,

“Ari suno to, kiss baat ke liye kal tum ne kaha tha ke kia main tumhari ghalatiyon ko maaf kar sakta hoon ya nahin? Tumne abhi tak kuch kaha hi nahin, sunon jab sab chale jaenge tab main rukunga, late tak piche ana hum baat karenge….”

Ruhi ne haan mein sar hillaya…..

Ab tak jitna kuch hua wo sab Abhi soch raha tha ke sab Ruhi ki maa ki banaayi hui plan hai Abhi ko aazmaane ke liye. Jo kuch Ruhi ne kaha, jaise wo behave karne lagi thi sab kuch Abhi samajh raha tha ke sab uski maa ne Ruhi ko seekhaya hai Abhi ko parakhne ke liye usska imtehaan lene ke liye Ruhi waisa kar aur keh rahi thi.

To be continued in the next update immediately
Awesome update
 

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304
Update 25 Ruhi Reveals It

Shaam ke 5.15 se 6.45 tak Abhi ne Ruhi se baat kiye, aur usski maa sath thi uss waqt. Maa ki haaziri mein sab kuch kaha suna gaya, thoda English mein thoda hindi mein baatein kiye donon ne, rona dhona bhi hua, aur maa ne bhi beech beech mein baat kiye.

Mehboob ne jab dekha saare kaam karne wale chale gaye aur Abhi Ruhi ke kitchen ke chaukath par khada hai to pucha,

“are Abhi aaj ghar nahin jana hai kia tumko?”

Rahima ne Abhi ki jagah jawab diya apne pati ko,

“lagta hai aaj Abhi Ruhi ke saat dinner karke jaega ya ussi ke yahan rahega!”

Ruhi hansste hue Abhi ke chehre mein dekh raha tha, aur Mehboob ne kaha,

“Acha yeh baat hai, to thik hai kal subha phir sab se pehle kaam shuru kar dena tumko door se nahin ana padega.”

Aur Abhi ne Ruhi aur usski maa se kaha,

“Dekha, sahi to keh raha hai Mehboob, main yahin theher jaata hoon aaj ek jagah milega kia raat beetane ke liye?”

Donon maa beti hanss rahe the aur Ruhi ne thoda gambhirta se kaha,

“Aap sapnon ki dunya se nikaliye nah Abhi main ne aap se kaha nah ke it’s too late now main kissi aur ki amaanat hoon!”

Abhi ko thoda ghussa aya aur usska dil ne chaha ke chilla kar Ruhi se kahe “phir kia naatak kar rahi hai itne dinon se usske saath, kyun ussko kiss kiya kyun uss se milne aati rahi ghar ke piche, kyun ussko lunch par invite kiya, kyun ussko jeeb se chidhati hai kyun itna kuch kiya, khilwaad samajh rakah hai kia?!!”

Magar Abhi ne sayyam rakhte hue araam se kaha,

“please ghar ke piche aao nah tumse akele mein baat karni hai mujhe, bahot serious baatein karni hai.”

Ruhi ne kaha,

“nahin jo kuch kahna hai yahin kehiye aap.”

Abhi ne usske maa ke taraf dekha aur kaha,

“Magar hum donon ke beech ki baatein hein tumhari mummy ki zaroorat nahin hai nah yaar!”

Ruhi ne kaha,

“are meri mummy ko sab kuch pata hai nah usske saamne hum kuch bhi baat kar sakte hein!”

Aur mummy ji ne kaha,

“haan Abhi mere saamne baat karoge to koyi sawaal bhi nahi karega nah, agar Ruhi ke saath akele piche gaye to sawaal uthenge!”

To Abhi ne kaha okay thik hai aur baton baton mein aise hi ek ke baad ek baat nikalte gaye.

Ruhi ne kaha,

“Agar aap ko nahin yakeen ke koyi hai jo mera intezar kar raha hai to meri mummy se puch lijiye.”

Abhi ne usski maa ke taraf dekha to ussne kaha,

“Haan yeh sach hai, Ruhi ko propose kar diya gaya hai shadi ke liye humne ladke walon ko zubaan de diye hein to kuch nahin kar sakte nah ab!”

Abhi bhi serious hua aur kaha,

“Main yakeen nahin karta,yeh sab aap donon ne milkar khichdi pakaaye hue hein hai nah?!”

Ruhi Abhi ke chehre mein dekhte hue jaise usski haar par khush ho rahi thi jab usski mummy ne wo sab kuch kaha to. Aur Ruhi boli,

“kia meri maa aap se jhoot bolegi?”

Abhi: “haan jaise subha kaha tha ke tum apni nani ke ghar chali gayi ho!”

Abhi ne uss aadmi ke baare mein pucha, to Ruhi ki maa ne kaha,

“wo wahin ka rehne wala hai jahan isski naani rehti hai.”

Abhi ne kaha,

“Aap Ruhi ko France bhej rahi ho, itni door aap ko pata bhi hai wahan isski kia haal ho sakta hai?!”

Mummy ji ne kaha,

“khair dekhte hein isski kismat mein kia hai, Ruhi ko hamesha se foreign jaane ki tamanna thi to jane diya jaye main ne socha.”

Abhi ne tab Ruhi ko dekhte hue kaha,

“issi liye main ne tumse kuch der pehle pucha tha kia tumko life ki luxuries chahiye?!”

Abhi bahot depressed feel karne laga tha yeh usski chehre se zaahir tha, jab bhi Abhi udaas hota ya koyi bhi chiz ussko pareshan karta to Abhi ke chehre pe saaf nazar ata tha aur wo Ruhi ko achi tarah se pata tha, wo Abhi ke chehre mein hi dekhe jaa rahi thi, ussko pata tha ke Abhi ko gehri choat lagi hai yeh sab baatein sunkar…… Abhi itna khushnuman insaan tha ke usske chehre par hamesha ek raunak hua karta tha, doston ke beech bhi koyi bhi usske chehre se pehchan leta tha jab bhi Abhi ko koyi pareshani hoti thi, kyunke Abhi tha hi aisa ke usska chehra sab bata deta tha. Abhi ek joyful happy going insaan tha. ab aise insaan ko choat lage to saaf dikhta hai.

To Ruhi Abhi ke chehre mein dekh kar samajh sakti thi ke Abhi ghayal hua hai aur khud Ruhi ke aankhen bhar aayi abhi ko weise dekh kar.

Abhi ne sar jhuka liya tha aur kuch der tak kuch nahin bola, aur jab phir se Ruhi ke chehre mein dekha to Ruhi ne ussko jeeb se chidhaya. Iss baar Abhi ko usska chidhana acha nahin laga, Abhi ne bahot seriously Ruhi ke chehre mein dekha ur ek gehra saans liya….

Bina kuch kahe Abhi ne apne kadam ko jaane ke liye moda, sar jhukaate hue to Ruhi ki maa ne usskko roka yeh kehte hue,

“are ruko to, abhi sirf 15 mins baat kiye hein aur jaane lage thehro to aur baatein karte hein nah!”

Abhi ne dabbe awaaz mein kaha,

“Ab kia kehna baki hai aunty?!”

Abhi ne ek cigarette jalaya, aur Ruhi ko piche apne kamre ki khidki ke paas aane ko kaha. Magar usski maa ne kaha,

“nahin wo ab aap se akeli baat nahin karegi, jo kuch kehna hai mere saamne kehye nah aap!”

To bhi ne kaha,

“To aap bhi wahin aaiye usski kamre mein wahin baat karte hein nah yahan Mehboob aur Rahima hamaare baton ko sun sakte hein nah!”

To Abhi piche gaya Ruhi ke khidki ke paas aur dekha ke Ruhi wahan uss se pehle pahunch gayi hai aur apne donon kehuniyon ko khidki se tek kar sar baahar nikaal kar muskuraate hue Abhi ko aate hue dekh rahi thi…. Jab Abhi wahan reach hua to dekha usski maa usske piche khadi hai.

Abhi ne ruhi ke aankhon mein dekhte hue kaha,

“Ruhi ab main apne gharwalon se, Naina se, doston se kia kahunga?!”

Donon maa beti ne ek saath kaha,

“Yeh aap ki ghalati hai kyun sabko bataya aap ne?!”

Baatein gambhir hote gaye, Abhi bahut hi seriously baat kar raha tha, ussne apni maa ke baare mein kaha Ruhi ko, uss se kaha ke ussko usski maa ki jaisi saas life mein kahin nahin milegi, usskki maa itni achchi hai…..

Ruhi ki maa ne Abhi ke thartharaate hue honth ko dekhte hue kaha,

“Ab yahan rona mat Abhi….”

Abhi ne kaha,

“nah, yahan nahin yeh tab hoga jab akele tanhaayi mein hunga tab…”

Jab Abhi ne weisa kaha to dekha ke Ruhi ki aankhen bhar aaye aur ansoo chalak gaye… Abhi ne turant apna haath badhaya usske chehre ke taraf aur Ruhi ne ek kadam piche kiya aur Abhi ne usski honton ko kaampte dekha…. Usski maa wahin rahi bina hille to Abhi ne usski maa se kaha,

“Ab aap mujhe yeh samjhao ke Ruhi kyun rone lagi? Dil mera tuta nah? dard mujhe hua, takliff mujhko ho rahi hai to Ruhi kyun ro rahi hai? Samjhaiye aap mujhe yeh baat! Agar Ruhi mujhse pyar nahin karti to ussko kyun aise mere haal par rona ata?!”

Ruhi apni bed par leyt kar ro rahi thi apne aankhon se aansoo poncte hue, to Abhi ne ussko bulaya, paas aane ko kaha…. Aur kaha,

“Ab tumhi batao mujhe Ruhi, ke kyun rone lagi tum? Rona to mujhe tha nah? wo main ghar jaakar kar lunga ya bus mein jaate hue munh chhupa kar ro lunga magar tum kyun rone lagi agar mujhse pyar nahin hai to?!”

Ruhi ne aur zor se rona shuru kiya apni takiye mein munh dabaate hue to Abhi ke bhi aankhen bhar aaye aur chalak bhi gaye aur tadapti awaaz mein, rote hue Abhi ne kaha,

“aao nah Ruhi ek saath milkar rote hein aao rona share karte hein donon aah nah Ruhi!!”

Abhi Ruhi ko zorse apne seene se lagaana chahta tha uss waqt, magar wo ghar ke baahar tha aur Ruhi andar thi apni bed par thi to behte aansoowon se Abhi ne usski maa ko dekha aur kaha,

“Please aap piche wala darwaza open karo nah, main Ruhi ko hug karna chahta hoon chaahe wo aakhri baar hi kyun nah ho, kholo nah please….”

Ruhi ki maa ne nah mein sar hillaya magar Ruhi apne aansoo ponchte hue uth kar piche wale darwaze ko khol diya, to jhapat kar Abhi wahan gaya aur uss chawkat par Ruhi ko zor se baahon mein bhar kar rone laga… donon ek dusre ko baahon mein bhade ro rahe the, maa dekh rahi thi aur kaha,

“Ruhi!! ahista sabko batana hai kia sssshhhh”

Aur maa ne uth kar darwaza band kiya aur donon ko bed par baithne ko kaha, khidki ke parde ko khinncha aur donon ko bilkool aahiste baat karne ko kaha, magar baat kahan donon ek dusre ke baahon mein rote jaa rahe the do chhote bachon ki tarah…..

Aur ab Ruhi ne kal ki tarah dobara apni maa ke saamne pucha,

“aap mere saare ghalatiyan maaf kar sakte ho Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke aankhon ko ponchte hue kaha,

“are baba kal keh diya nah HAAN” HAAN” HAAN” sab maaf kiya main ne kuch bhi ho!”

Tab Ruhi ne English mein baat kiye….

“And if I am not what I am looking to you, if I am someone else, different then?!”

Abhi ne kaha,

“It makes no difference to whatever it be! I would accept to marry you even if you had a child, even if you are a divorcee, even if you are a widow!”

Ruhi ne Abhi ke uss baat ko sunkar, upar chhat ko dekha, usski aankhen phir bhar aaye aur ek bacchi ki tarah rote hue Abhi ka haath bahut zor se pakar kar Ruhi ne pucha;

“AND IF I AM NOT A VIRGIN ABHI??!”
To be continued…. (5,752 words from all 3 updates)
Awesome update
 

Indian001

Active Member
1,102
6,330
143
Update 54 Talking With Shweta

“Mujhe kissy do jaise aap dete the bachpan mein…..”

Abhi ko laga ke Shweta ko affection ki bahot zaroorat hai, ussne kaske Shweta ko apne baahon mein bharke usske pure chehre par puppiyan kiye, aur Shweta rone lagi apne sar ko Abhi ke chati se laga kar….

Ab Aaguey….

To Abhi ne kaha,

“Ari itne saare kissy kiye to! ro kyun rahi ho ab?”

Shweta ek saath rote aur muskuraate hue ek bachkani harkat mein kaha,

“hmmm pata nahin kyun rona aya mujhe….”

Abhi ussko weise hi seene se lagaaye hue kaha,

“Aur ab mere kissy do mujhe jaise tum diya karti thi, yaad hai tum ne jab pehli baar mujhko kissy kiya tha tab buland awaaz mein keh diya tha sab ke saamne ke Ruhi ne tumko mujhe kissy dene ke liye kaha tha!!”

Shweta: “What? Sach? Aisa kaha tha main ne mujhe nahin yaad!”

Abhi ne hansste hue kaha,

“Haan main kaam se wapas ghar jaa raha tha, Ruhi kitchen ke stairs par khadi thi aur tum mujhko bye kehne aayi thi, aur mujhse tumne kaha, ‘“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Phir donon zoron se hanssne lage Shweta ki uss masoomiyat par aur Shweta ne kaha,

“Aap kitne oonche lagte the mujhe tab, aap ko jhukna hi padta tha mere height reach hone ke liye, mujhe yaad hai ek baar main Manoj ke saath aayi thi aur aap kitchen ke saamne baithe hue kaam kar rahe the to main bina Ruhi se mile aap se lipat gayi thi aur Ruhi kitna jealous ho rahi thi yaad hai aap ko?”

Abhi: “hahahahaha tumko wo sab yaad hai sweetheart? Mujhe to pura scene yaad hai, main kuch bhi nahin bhoola hoon baby…. uss din Manoj ke saath tum shooting dekhne gayi thi aur wapas aayi thi to main wahin kitchen mein mila tha tumhein, main uss raat ko wahan ruka tha yaad hai?!”

Shweta: “haan sab yaad hai mujhe, aksar sab yaad karti hoon main aap ko yaad karte hue; kia aap ko pata hai main kyun uss din aap se lipat gayi thi bina Rui se mile?”

Abhi: “kyun?”

Shweta: “Are simple! Iss liye ke aap baithe hue the to mujhe aap ko jhukne ko nahin kehna pada tha, direct aap ke goad mein chali gayi thi, aap khade hue hote to mujhe sar upar uthaake aap se baat karni padti nah issi liye, Ruhi samajhti nahin ke main kyun uss se mile bina aap se mil gayi thi main hihihihihi!”

Abhi: “how strange, you were only 6 years old phir bhi tumko sab kuch itna clearly yaad hai baby?!”

Shweta: “It is because I adored you, I loved you so much because you loved Ruhi so much, I wished I was Ruhi and you loved me that way, maybe I was jealous of Ruhi in fact!”

Abhi ne ab tak Shweta ko bahon mein jakra hua tha aur kaha,

“Don’t say that sweetheart, that was not jealousy darling, that was affection you got from me because I equally loved you loads too…. Agar tum uss time 18 ke upar ki hoti to shaayad main tumhare bare mein sochta agar Ruhi tab inkaar karti to, I am sure of that hehehehe!!..... Iss liye ke tum mein aur Ruhi mein mujhe 95% of smililarities dikhte the…. Main ne Ruhi se kaha bhi tha ke tum junior Ruhi lagti ho mujhe… jab Ruhi tumhari umar ki rahi hogi to exactly weisi hi rahi hogi jaise tum thi….”

Shweta ne tab bilkool wo kiya jo kabhi Ruhi ne kiya tha…. Shweta ne apne hatheli ko Abhi ke chaati par ferra usske chaati ke baalon mein ungliyan ferrte hue aur apne sar ko wahan rakha….

Abhi ke jism mein jaise ek aag bhadka aur puraane din aur guzre hue lamhe wapas aaye….. Abhi ka dil zor se dhadka aur kaske Shweta ka haath ko apne haath mein jakarte hue ussko apne chati se door kiya ghaur se Shweta ke chehre mein ek ajeeb si naron se dekhte hue…..

Shweta ne pucha,

“Okay tab main 18 saal ki nahin thi, magar abhi 24 ki hoon to ab aap ko mujh mein wo Ruhi dikhti hai kyun ke unn dinon to Ruhi bhi takriban 20/21 ki hogi nah? so tell me now how closely do I look like her?!”

“mat pucho sweetheart, tumhare dimples ke ilawa sab kuch Ruhi hai tujh mein baby…. body, look, baal, muskuraahat, awaaz, bolne ki ada, thoda natkhatpan, naak modne ki ada, honthon ko twist karne ki ada sab bilkool Ruhi ki tarah hi hai tujh mein sweetheart…..”

Shweta: “Oh my God you make me love you even more, kissi ne meri itni taarif nahin kiye hein aaj tak husband bhi nahin ussko wo sab nahin dikhta jo aap ko dikhte hein…. Aap mujhko bahot ziada jaante ho…. aap ek true lover ho, aap ek ladki ki khubsurti pehchaante ho, aap ko ladki ki taarif karna ata hai ussko credit dena ata hai, aap ko koyi kaise pyar nah kare Abhi?!

Abhi ne Shweta ko ghaur se dekha aur pucha,

“how come you got married so early?”

Shweta: “because of you only!!”

Abhi: “What? How come? Main nahin samjha!”

Shweta: “Aap ki Diwani ho gayi thi, kissi bhi tarah aap ko paana chahti thi…. Jab pata chala ke you are married to ghar mein ghussa karne lagi, lagta tha depression mein chali jaungi, mummy nurse hai to ek doctor se milwaya mujhe treat karne ke liye aur ussko mujhse love ho gaya…. Main refuse karti rahi, mummy zor deti gayi ke acha ladka hai, doc hai main usske saath khush rahungi etc etc…. phir wo mujhko itna tang karne laga ke main ne aap ko socha jiss tarah aap Ruhi ke piche piche rehte the ussko dhundte rehte the yeh bhi weisa karne laga tha to main ne socha ke jiss tarah Ruhi ne aap ko tadpaya mujhe ussko nahin tadpana chahiye so I finally accepted! And mummy ne meri shadi karaa di ussi doc ke saath!!”

Abhi: “very good, acha kiya baby… I wish you all happiness in life my love.”

Shweta: “I AM NOT HAPPY ABHI…. NOT HAPPY AT ALL….. jaise ek duty nibha rahi hoon shaadi karke…. Wo doc hai jab dekho hospital, ya private consultation, kabhi raat ko thoda sa mila to bed par enjoy kar liya buss yehi hai hamara relation… ab mujhe kaam bhi karna, ghar bhi dekhna aur bache ka bhi khayal rakhna I am fed up…. He does not care for me like you would have cared… there is no love between me and him, it is just like an official matter, a duty towards each other respecting the marriage bond, that’s all!!”

Abhi: “You must talk to him Shweta. A conversation between both of you will settle the matter otherwise your married life will suffer!”

Shweta:”In vain Abhi, we have talked several times, he is not interested. He says his work is more important and it comes first of all in his life…. Its to no avail talking to him….. ab aap mil gaye ho to I have now a way to be happy…. Abhi aap mujhse hamesha ab milte rehna…..apna phone number do nah we will talk and sms whenever we want… I am so so happy to have found you back…. Oh my God, this is the best and happiest day in my life!”

Abhi ko Shweta se Ruhi ke baare mein puchne ka mann kar raha tha, magar socha ke khud Shweta ko apne taraf se kehne diya jaaye. Abhi chahta bhi tha uss se Ruhi ke baare mein puche aur nahin bhi chahta tha…. soch raha tha ke apne aap baat ayegi Ruhi ki Shweta ke taraf se…. magar 45 mins car mein baithe rehne ke baad bhi Shweta ne Ruhi ke baare mein ek bhi baat nahin kaha, sirf apne baare mein aur khud Abhi ke baare mei baat karti rahi aur aakhir mein kaha,

“Abhi main yahin rehti hoon, university se 10 mins drive hai mera ghar, aap mere ghar chalo nah please….”

Abhi: “magar tumhara course?!”

Shweta: “Its already late wo to kab ka shuru ho gaya, baad mein doston se notes le lungi, please lets to go my place please, please nah mat kehna!”

Abhi: “Aise achanak? Kaun kaun hai tumhare ghar par abhi?!”

Shweta: “koyi bhi nahin, I am alone!”

Abhi: “And your baby?!”

Shweta: “Wo mummy ke paas hai raat ko papa aur mummy ussko wapas mere ghar chorrne ayenge!”

Abhi: “aur your husband wo kab aega?!”

Shweta: “wo to abhi gaya mere yahan aane se pehle, night shift hai kal subha aega jab main college chali jaungi tab, we often do not even meet!”

Abhi:”Aur baby ka kia karti ho subha ko college jaane se pehle?!”

Shweta: “Ek nursery ki van ati hai subha baby ko lejate hein aur shaam ko mummy ke ghar chorr jaata hai wohi van.”

Abhi: “Oh that’s very hectic schedule! Mujhe nahin acha lag raha baby ko tumhara aur usski papa ka pyar aur affection nahin mil raha hai….”

Shweta: “mere saath bhi to exactly aisa hi hota tha nah Abhi that’s why I lacked affection and got attached to you, you were so caring, so loving, so affectionate to me….”

Abhi: “to tum apni baby ke saath kyun weisa kar rahi ho sweetheart? The baby needs your affection, you must take care of her…. Socho wo bhi ek din tumhari tarah kahegi ke ussko maa baap ka pyar aur sneh nahin mila….”

Shweta: “hmmmm weekends mein din bhar mere saath rehti hai, bahot pyar karti hoon usse, aur raat bhar bhi to mere se satt kar soti hai….”

Abhi: “You need to be educated on how to raise a child sweetheart!!”

Shweta: “wo aap seekha dena abhi lets go at my place please Abhi!”

Abhi: “okay then let’s go ….”

Aur abhi drive karne laga Shweta ke new home ke taraf, Shweta aage baithi ussko guide kar rahi thi apne ghar ke taraf…

To be continued……

Dilchasp update bhai.
Shweta aur Abhi purane dinon ko sochte hue unn khubsurat palon ko yaad kar rahe hein.
Shweta bata rahi hai ke wo apni shaadi se khush nahin hai buss ek kartavya ki tarah usse kaat rahi hai....
Aakhir mein Abhi ko apne ghar chalne ko kaha Shweta ne. Pata nahin wo Abhi se kia expect kar rahi hai.... Aur Abhi Shweta puchna chahta tha magar kuch nahin pucha Ruhinke baare mein. Main bhi issi intejar me tha....
Chalo dekhte hein Shweta k ghar jane k baad kia hota hai.
Lovely update
 

Husein Ali

Banned
510
4,753
123
Update 54 Talking With Shweta

“Mujhe kissy do jaise aap dete the bachpan mein…..”

Abhi ko laga ke Shweta ko affection ki bahot zaroorat hai, ussne kaske Shweta ko apne baahon mein bharke usske pure chehre par puppiyan kiye, aur Shweta rone lagi apne sar ko Abhi ke chati se laga kar….

Ab Aaguey….

To Abhi ne kaha,

“Ari itne saare kissy kiye to! ro kyun rahi ho ab?”

Shweta ek saath rote aur muskuraate hue ek bachkani harkat mein kaha,

“hmmm pata nahin kyun rona aya mujhe….”

Abhi ussko weise hi seene se lagaaye hue kaha,

“Aur ab mere kissy do mujhe jaise tum diya karti thi, yaad hai tum ne jab pehli baar mujhko kissy kiya tha tab buland awaaz mein keh diya tha sab ke saamne ke Ruhi ne tumko mujhe kissy dene ke liye kaha tha!!”

Shweta: “What? Sach? Aisa kaha tha main ne mujhe nahin yaad!”

Abhi ne hansste hue kaha,

“Haan main kaam se wapas ghar jaa raha tha, Ruhi kitchen ke stairs par khadi thi aur tum mujhko bye kehne aayi thi, aur mujhse tumne kaha, ‘“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Phir donon zoron se hanssne lage Shweta ki uss masoomiyat par aur Shweta ne kaha,

“Aap kitne oonche lagte the mujhe tab, aap ko jhukna hi padta tha mere height reach hone ke liye, mujhe yaad hai ek baar main Manoj ke saath aayi thi aur aap kitchen ke saamne baithe hue kaam kar rahe the to main bina Ruhi se mile aap se lipat gayi thi aur Ruhi kitna jealous ho rahi thi yaad hai aap ko?”

Abhi: “hahahahaha tumko wo sab yaad hai sweetheart? Mujhe to pura scene yaad hai, main kuch bhi nahin bhoola hoon baby…. uss din Manoj ke saath tum shooting dekhne gayi thi aur wapas aayi thi to main wahin kitchen mein mila tha tumhein, main uss raat ko wahan ruka tha yaad hai?!”

Shweta: “haan sab yaad hai mujhe, aksar sab yaad karti hoon main aap ko yaad karte hue; kia aap ko pata hai main kyun uss din aap se lipat gayi thi bina Rui se mile?”

Abhi: “kyun?”

Shweta: “Are simple! Iss liye ke aap baithe hue the to mujhe aap ko jhukne ko nahin kehna pada tha, direct aap ke goad mein chali gayi thi, aap khade hue hote to mujhe sar upar uthaake aap se baat karni padti nah issi liye, Ruhi samajhti nahin ke main kyun uss se mile bina aap se mil gayi thi main hihihihihi!”

Abhi: “how strange, you were only 6 years old phir bhi tumko sab kuch itna clearly yaad hai baby?!”

Shweta: “It is because I adored you, I loved you so much because you loved Ruhi so much, I wished I was Ruhi and you loved me that way, maybe I was jealous of Ruhi in fact!”

Abhi ne ab tak Shweta ko bahon mein jakra hua tha aur kaha,

“Don’t say that sweetheart, that was not jealousy darling, that was affection you got from me because I equally loved you loads too…. Agar tum uss time 18 ke upar ki hoti to shaayad main tumhare bare mein sochta agar Ruhi tab inkaar karti to, I am sure of that hehehehe!!..... Iss liye ke tum mein aur Ruhi mein mujhe 95% of smililarities dikhte the…. Main ne Ruhi se kaha bhi tha ke tum junior Ruhi lagti ho mujhe… jab Ruhi tumhari umar ki rahi hogi to exactly weisi hi rahi hogi jaise tum thi….”

Shweta ne tab bilkool wo kiya jo kabhi Ruhi ne kiya tha…. Shweta ne apne hatheli ko Abhi ke chaati par ferra usske chaati ke baalon mein ungliyan ferrte hue aur apne sar ko wahan rakha….

Abhi ke jism mein jaise ek aag bhadka aur puraane din aur guzre hue lamhe wapas aaye….. Abhi ka dil zor se dhadka aur kaske Shweta ka haath ko apne haath mein jakarte hue ussko apne chati se door kiya ghaur se Shweta ke chehre mein ek ajeeb si naron se dekhte hue…..

Shweta ne pucha,

“Okay tab main 18 saal ki nahin thi, magar abhi 24 ki hoon to ab aap ko mujh mein wo Ruhi dikhti hai kyun ke unn dinon to Ruhi bhi takriban 20/21 ki hogi nah? so tell me now how closely do I look like her?!”

“mat pucho sweetheart, tumhare dimples ke ilawa sab kuch Ruhi hai tujh mein baby…. body, look, baal, muskuraahat, awaaz, bolne ki ada, thoda natkhatpan, naak modne ki ada, honthon ko twist karne ki ada sab bilkool Ruhi ki tarah hi hai tujh mein sweetheart…..”

Shweta: “Oh my God you make me love you even more, kissi ne meri itni taarif nahin kiye hein aaj tak husband bhi nahin ussko wo sab nahin dikhta jo aap ko dikhte hein…. Aap mujhko bahot ziada jaante ho…. aap ek true lover ho, aap ek ladki ki khubsurti pehchaante ho, aap ko ladki ki taarif karna ata hai ussko credit dena ata hai, aap ko koyi kaise pyar nah kare Abhi?!

Abhi ne Shweta ko ghaur se dekha aur pucha,

“how come you got married so early?”

Shweta: “because of you only!!”

Abhi: “What? How come? Main nahin samjha!”

Shweta: “Aap ki Diwani ho gayi thi, kissi bhi tarah aap ko paana chahti thi…. Jab pata chala ke you are married to ghar mein ghussa karne lagi, lagta tha depression mein chali jaungi, mummy nurse hai to ek doctor se milwaya mujhe treat karne ke liye aur ussko mujhse love ho gaya…. Main refuse karti rahi, mummy zor deti gayi ke acha ladka hai, doc hai main usske saath khush rahungi etc etc…. phir wo mujhko itna tang karne laga ke main ne aap ko socha jiss tarah aap Ruhi ke piche piche rehte the ussko dhundte rehte the yeh bhi weisa karne laga tha to main ne socha ke jiss tarah Ruhi ne aap ko tadpaya mujhe ussko nahin tadpana chahiye so I finally accepted! And mummy ne meri shadi karaa di ussi doc ke saath!!”

Abhi: “very good, acha kiya baby… I wish you all happiness in life my love.”

Shweta: “I AM NOT HAPPY ABHI…. NOT HAPPY AT ALL….. jaise ek duty nibha rahi hoon shaadi karke…. Wo doc hai jab dekho hospital, ya private consultation, kabhi raat ko thoda sa mila to bed par enjoy kar liya buss yehi hai hamara relation… ab mujhe kaam bhi karna, ghar bhi dekhna aur bache ka bhi khayal rakhna I am fed up…. He does not care for me like you would have cared… there is no love between me and him, it is just like an official matter, a duty towards each other respecting the marriage bond, that’s all!!”

Abhi: “You must talk to him Shweta. A conversation between both of you will settle the matter otherwise your married life will suffer!”

Shweta:”In vain Abhi, we have talked several times, he is not interested. He says his work is more important and it comes first of all in his life…. Its to no avail talking to him….. ab aap mil gaye ho to I have now a way to be happy…. Abhi aap mujhse hamesha ab milte rehna…..apna phone number do nah we will talk and sms whenever we want… I am so so happy to have found you back…. Oh my God, this is the best and happiest day in my life!”

Abhi ko Shweta se Ruhi ke baare mein puchne ka mann kar raha tha, magar socha ke khud Shweta ko apne taraf se kehne diya jaaye. Abhi chahta bhi tha uss se Ruhi ke baare mein puche aur nahin bhi chahta tha…. soch raha tha ke apne aap baat ayegi Ruhi ki Shweta ke taraf se…. magar 45 mins car mein baithe rehne ke baad bhi Shweta ne Ruhi ke baare mein ek bhi baat nahin kaha, sirf apne baare mein aur khud Abhi ke baare mei baat karti rahi aur aakhir mein kaha,

“Abhi main yahin rehti hoon, university se 10 mins drive hai mera ghar, aap mere ghar chalo nah please….”

Abhi: “magar tumhara course?!”

Shweta: “Its already late wo to kab ka shuru ho gaya, baad mein doston se notes le lungi, please lets to go my place please, please nah mat kehna!”

Abhi: “Aise achanak? Kaun kaun hai tumhare ghar par abhi?!”

Shweta: “koyi bhi nahin, I am alone!”

Abhi: “And your baby?!”

Shweta: “Wo mummy ke paas hai raat ko papa aur mummy ussko wapas mere ghar chorrne ayenge!”

Abhi: “aur your husband wo kab aega?!”

Shweta: “wo to abhi gaya mere yahan aane se pehle, night shift hai kal subha aega jab main college chali jaungi tab, we often do not even meet!”

Abhi:”Aur baby ka kia karti ho subha ko college jaane se pehle?!”

Shweta: “Ek nursery ki van ati hai subha baby ko lejate hein aur shaam ko mummy ke ghar chorr jaata hai wohi van.”

Abhi: “Oh that’s very hectic schedule! Mujhe nahin acha lag raha baby ko tumhara aur usski papa ka pyar aur affection nahin mil raha hai….”

Shweta: “mere saath bhi to exactly aisa hi hota tha nah Abhi that’s why I lacked affection and got attached to you, you were so caring, so loving, so affectionate to me….”

Abhi: “to tum apni baby ke saath kyun weisa kar rahi ho sweetheart? The baby needs your affection, you must take care of her…. Socho wo bhi ek din tumhari tarah kahegi ke ussko maa baap ka pyar aur sneh nahin mila….”

Shweta: “hmmmm weekends mein din bhar mere saath rehti hai, bahot pyar karti hoon usse, aur raat bhar bhi to mere se satt kar soti hai….”

Abhi: “You need to be educated on how to raise a child sweetheart!!”

Shweta: “wo aap seekha dena abhi lets go at my place please Abhi!”

Abhi: “okay then let’s go ….”

Aur abhi drive karne laga Shweta ke new home ke taraf, Shweta aage baithi ussko guide kar rahi thi apne ghar ke taraf…

To be continued……

Pyar bhara update bhai
Magar ye Shweta ka irada kia hai?
Abhi se pyar karti hai aur akeli apne ghar leja rahi hai hab koyi bhi nahin hai ghar par :hmm: kahim kych ho nah jaaye :laugh:
Wo apni shadi se khush nahin, Abhi se love karti, abhi itne din baad mila, an akele ghar jaying kuch to hai
Majedar update bhai
 
Top