• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 4 Ruhi Comes in Abhi’s Life Once More

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”

Ab aaguey….

Jab Abhi ne kissi ko Ruhi naam phukaarte suna to usska dil zoron se dhadka, usska chehra thoda sa laal hua aur usski nazar bus se hatkar uss awr dekhne laga jahan se ussne uss awaaz ko Ruhi naam phukaarte hue suna…. Ussko aisa feel hua ke ussko saans lene mein takliff hone laga tha uss pal ko, mushkil se ek lamba saans liya aur aankhon ko wahin jamaaye rakha iss intezaar mein ke koyi Ruhi naam wali udhar aaye….. tab ek oonche stair par khadi ek aurat ko dekha Abhi ne; aur andaza lagaya ke ussi aurat ne Ruhi ke naam ko phukara, aur sochne laga kia yeh uss Ruhi naam wali ladki ki maa hogi kia? Apni beti ko bus dekhne ke liye bula rahi hogi? To kia bus owner Mehboob uss Ruhi ka chacha hai? Matlab yahan Ruhi ek muslim girl hai, magar Abhi wala Ruhi to hindu thi…. Phir bhi dharm aur jaat ko bhool kar iss pal ko Abhi ne yeh dekhna chaha ke yeh Ruhi kaisi hogi? Khubsurat hogi aur apni Ruhi ki tarah adaon ki maalkin hogi? Chanchal hogi? Modern hogi, ya gharelu hogi? English bolna ata hoga? Padhi likhi hogi? Usski umar kia hogi? Kahin koyi bachi to nahin hogi? Aur agar shaadi shuda already hogi to? Usski baal keise honge, apni Ruhi jaisi hogi? Aur sabse pyare 2 chiz jo Abhi apni Ruhi mein ziada passand karta tha wo the usski muskurahat, aur usski meethi awaaz, to kia iss Ruhi ki bhi weisi muskurahat aur awaaz hogi kia?

Abhi ka dhyaan ab bus par bilkool nahin tha. Wo to wahan nazrein gadaaye khada tha jahan se yeh nayi Ruhi aane wali thi. Saeed ji ne Abhi se pucha,

“kia khayal hai, kaam kitne dinon tak chalega?!”

Abhi ne Saeed ji ko suna hi nahin, usska dhyaan to kahin aur hi tha uss waqt. Saeed ji ne tab Abhi ke chehre mein dekha, phir usski nazron ko follow karte hue saeed ji ne bhi wahan dekha jahan abhi ke nazrein thehre hue the aur ek aurat ko dekha khada hokar unn donon ke taraf bus ko dekhte hue. Faasla koyi 3 metres ke the jiss jagah bus tha aur jahan wo aurat khadi thi.

Saeed ji ne Abhi ki kehuni ko apne kehuni se takraate hue kaha,

“kyun miyan auraton ko taadne lage aate hi?”

Tab Abhi ka dhyaan wapas wahan aaya aur chahunkte hue kaha,

“nahin bhai main buss aise hi….. kuch soch raha tha….”

Aur tabhi uss aurat ne phir kaha,

“Ari Ruhi aah nah dekh to!”

Aur andar se awaaz aayi jissko Abhi ne bade dhyaan se suna,

“ofo maa, tum bhi nah, yeh chulhe par tarkaari kaun dekhega agar main tumhaare paas aa khadi hui to? Sab jal jaega yahan, dekh nahin rahi main paka rahi hoon!”

Abhi ke dil ka dhadakna jaise ruk sa gaya uss awaaz ko sunkar, jitni meethaas aur komalta uss awaaz mein suna Abhi ne, aur jiss adaa se uss ladki ki awaaz suna Abhi ne, wo machal gaya ab usski ek jhalak dekhne ke liye. Magar usske samajh mein nahin araha tha ke kaise ussko dekhein…. Abhi dil hi dil mein praathna karne laga ke wo ladki at least ek baar apni maa ki baat maan le aur ek baar bus ko dekhne aajaaye….

Tab tak Saeed ji ne phir Abhi se pucha ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai. Abhi ko dar tha ke kahin idhar udhar dekhte waqt wo ladki aakar wapas bhi nah chali jaaye to usski nazrein wahi jami rahe aur Saeed ko jawaab diya jaise hawa mein baat kar raha tha, “PATA NAHIN BAI!”

Ab to Abhi yeh chahne laga ke yahan ka kaam kabhi khatam hi nah ho, kyunke usska yahan kaam karne ka ek aur maksad mil gaya tha….

Abhi tarapne laga ussko dekhne ke liye, kaash wo ladki ek baar apni maa ke paas aakar khadi ho jaati, eisa soch raha tha abhi, aur achaanak uss aurat ne mehboob ji se kuch kaha jo sunaayi nahin diya Abhi ko, magar abhi unn donon ko hi dekh raha tha tab tak Saeed ji buss ke dusre taraf chale gaye the moaena karne bus ki. Aur abhi ki nazar wahi tikke hue the uss stair par, aur ladki ki maa ne phir se kaha,

“Ruhi aakar dekh to sahi nah!”

Aur andar se awaaz aayi,

“uff aati hoon wait karo, karhaayi ko utaar to doon!”

Jiss stair par wo aurat khadi thi wo kitchen mein daakhil hone wali stairs the. Uss makaan ka aakhri hissa tha aur jahan bus tha uss garden ki saamne wale hisse ke bilkool nazdeek tha. bus left hand side mein tha aur wo ghar right hand side mein tha. Chalo ek plan bana deta hoon taake aap sab ko samajh mein ajaaye sab kaisa tha wahan….

Ruhis-house-plan.jpg


To yeh raha plan. Bus ek badi si darkhat ke niche tha jiss se aadha din chaon hota tha bus ke niche, baad mein kada dhoop mein kaam karna padta tha. Jahan Ruhi ki kitchen hai wahan ek jagah stair likha hua hai wahin par usski maa khadi dekh rahi thi aur Abhi jahan tap one likha hai wahan opposite bus ke paas khada uss stairs ke taraf dekh raha tha ke kab Ruhi naami ladki saamne dikhe ussko. Bus ka front side Mehboob ke ghar ke taraf tha aur back side Ruhi ke cousin ke ghar ke taraf. Bus ki right side Ruhi ke ghar ke taraf, balke tap 1 aur tap 2 jahan Ruhi kapde dhoti hai, uss taraf tha. Aur Mehboob ke ghar ke piche washroom tha jahan fresh hona jata tha, kapde change karte the workers aur toilet bhi wahin the. Mehboob aur Ruhi ke ghar ke beech ka jo space tha wahan ziada tar kaam kiya jaata tha jaise, alliminium sheets ka kaatna, measurements lena, aur bahot saare lohe ka samaan rakha gaya tha aur kuch kaam karne ka samaan add hota gaya din ba din. Matlab jab bhi Abhi uss space mein hota to Ruhi ke ghar ke ziada kareeb hota. Bus se Ruhi ka ghar ka fasla buss der metre ka tha, usski kitchen, aur stairs 2 metres ki doori par the.

****************************************************************************************

Abhi besabri se wait karta raha ke kab wo Ruhi naam wali ladki stairs par aaye taake wo ussko dekh sake, usski awaaz to sun liya tha aur bekaraar tha ussko dekhne ke liye. Usski awaaz se Abhi ko samajh mein aaya; ya yun kahen ke uss patli, narm awaaz se andaza lagaya jaa sakta tha ke uss awaaz ki maalkin kaisi dikhti hogi. Matlab Abhi ne apne dimaagh mein seikron tasvirein bana liye the usski, apne tassavur mein iss Ruhi ki tasveer ko utaar liya tha ussne ab intezaar tha ussko dekhne ko aur natija kia niklega isska wait kar raha tha Abhi.

Abhi ko laga ek bahot khubsurat, naazuk, kamsin si ladki hogi, yeh usski awaaz se pehchana ya andaza lagaya tha Abhi ne… usski bekaraari badhne lagi thi aur mann mein hulchal paida ho gaye the, bechain ho raha tha Abhi usski ek jhalak dekhne ke liye.

Abhi ka Ruhi naam se gehra Rishta tha yeh sirf Abhi ko pata tha aur kissi ko bhi nahin uss waqt. Iss Ruhi naam se usska kia naata raha hai pichle kayi saalon se, kia ehmiyat thi usskki life mein Ruhi naam ka kissi ko kia pata tha usske siwa. Aur abhi sochne laga ke kismat kia khel khel raha tha usske saath ke ussi naam ki ladki se phir milwa raha tha ussko, aisa kyun tha? Kia yeh wala Ruhi Abhi ki life mein khushian laegi? Kia Abhi ki life mein jo kami hai wo ab puri hogi? Jo khaalipan abhi ko aaj tak apne viraan dil ke andar mehsoos ho rahi thi wo ab gulzaar hone wala tha?

Abhi ne ek gehri saans lete hue uss kitchen ki stair par apne nazron ko jamaaye rakha…. Aur ussko ek nili dress nazar aayi kitchen ke darwaze ke paas, dress uss ladki ki maa ki dress ko chhuh rahe the, magar dress pehnne wali nazar nahin arahi thi, phir ladki ki ek tang dikhi abhi ko, dress usski ghutnon tak thi, hawa se dress lehra rahi thi….

Abhi dil hi dil mein sochne laga kia kar rahi hai, kyun dikh nahin rahi hai, usska chehra kidhar chhupi hui hai?! Phir abhi ne ghaur se dekha to samjha ke ladki khule hue darwaze aur deewaar ke beech se bus ke taraf dekh rahi thi; Wo jab ek darwaza full khula hota hai aur khul kar deewaar se chipak jaati hai phir uss khule hue hisse aur deewaar ke beech ke hisse se baahar dekha jaa sakta hai nah? Ruhi ussi hisse se bus ko dekh rahi thi..….

Usska gora chehra aur ek aankh dikha Abhi ko, aur Abhi ka dil bade zoron se dhadakne laga… Ruhi apni maa se dhire dhire baat kar rahi thi yeh maa ki response se samajh mein araha tha…. bus ke taraf dekhte hue donon maa beti baatein kar rahe the, Abhi pray karne laga ke kaash wo ladki stair par ek baar aajaati to Abhi usskko pura dekh paata….

Mehboob apne ghar se nikla to ladki ki maa ne Mehboob se zor se kaha,

”Yeh kia gandagi khada kar diya aap ne aangan mein? Kitna ganda aur sada hua bus hai, aap kia karoge iss sade hue gande lohe se?!”

Apni maa ki baat sunkar wo ladki khilkhila kar hanssi. Abhi ne sab suna aur usski taraf dekhta raha. Aur ladki ne kuch ahiste se kaha apni maa ko jaise daantte hue. Abhi ke samajh mein aya ke ladki ne apni maa se kaha ke bus ki marammat karne wale log sab sun rahe hein, unnko acha nahin lagega….

Aur aakhir mein buss ek pal ke liye, koyi 2 seconds ke liye ladki stair par aayi, wo bhi jaise khud ko ek tang par sambhalte hue jaise stair par ana nahin chahti thi magar ek peyr fissal gayi iss liye majbooran ana pada, phir turant wapas piche chali gayi aur ussi darwaze aur deeewar ke beech se dekhne lagi.

Jiss pal wo nikli thi stair par Abhi ne bahot kuch dekha, aur uss par kia beeta, kia feel hua, kaise sambhala ussne khud ko yeh bayaan karna mushkil hai. Abhi ki nazrein tike rahe uss ek pal ke liye unn stairs par aur ussko to laga ke ek ghante bhar dekh liya uss ladki ko. Usske baal khule hue the jo hawa se lehra rahe the, kaale ghane baal, aur baal bhi bilkool weisi jaisi Abhi ko passand tha aur jaise baal usski Ruhi ke the, uss ladki ka rang bhi bilkool usski apni Ruhi ka rang tha, bilkool gori thi, chehra maan lo chand ka ek tudka dikh gaya Abhi ko, usski dress ek midi type thi, jo usski ghuton ko dhanke hue the, par talwe se thoda upar usski gori tang dikhe Abhi ko aur usski baazuwon par bhi nigahein pade the Abhi ke… Abhi ne khud se kaha,

“Haan komal dikhi mujhe wo, kamseen bhi hai, naazuk bhi lagi….”

Aur chehra? Muskurahat? Aankhen? Inn sab ko dekhne ka mauka hi nahin mila sahi se abhi ko, kyunke tab tak wo wapas chhup gayi thi…sirf ek jhalak dikha tha buss….. Abhi ne mann mein bassa liya ussko ussi pal…..

Uss din wahan se ghar lautne ke baad Abhi ne apni diary mein likha ke muddat baad aaj ussko apni Ruhi ki jhalak dikhi kissi mein, aur taahjub ki baat yeh thi ke ladki ka naam bhi Ruhi hi tha.

To be continued…… (2100 words)
 
Last edited:

Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354
huum bahut hi pyara update tha bhai to ye jo nayi ruhi aayi hai uska didaar ho gaya abhi ko magar abhi ko to nafrat honi chahiye thi magar pyar ho gaya ruhi naam se..wonderfull update bhai ummid hai bas ki tarah abhi ki kismat bhi chamak jaye
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 3 A new turn in Abhi’s Life

Ek jaana maana bus owner tha Mehboob Jaan naam ka. Usske 4 buses running already the roads par. Magar usski nazar ek puraane sade hue bus par padi kahin ek jangal mein jo kissi bus owner ne dump kar diya tha. Uss par ghaans phuss, pawde bhi ug uthe the. Mehboob Jaan ne uss bus ka moaena kiya to paaya ke usski chassi bilkool mazbut aut achchah hai, magar engine tha hi nahin bus mein sirf chasis samet sada hua coach tha uss par. Mehboob jaan ne socha ke 50,000 mein ek second hand engine to mil hi jaega, chasis sahi hai to sirf coach building karna padega aur bus wapas road par chalaya jaa sakta hai. Chasis ka number note kiya ussne aur legal matter ke liye road traffic branch walon ke contact se pata kar liya ke sab legally banaya jaa sakta hai agar wo bus ko wapas road par lana chaahe to.

To ussko ab Saeed se milna baaki tha jo ussne kiya. Saeed ko lekar wo bus dikhaane legaya. Uss bus mein kaam wohi karna tha jo bilkool ek naye bus mein kiya jaata hai shuru se ant tak. Matlab chasis se shuru karna hoga aur end tak coach building karni hogi. Eise kaam ke liye garage mein 20 laakh rupay lag jata hai. Aur agar naye bus par coach building karna hota hai tab 40 se 50 laakh lagta hai. Yeh sab Mehboob ko bhi pata tha aur Saeed ko bhi. Mehboob ne Saeed se pucha ke kitne ki material takreeban kharidne padenge? Aur bus ko pura banaane mein kitna time lagega?

Saeed ke dimaagh mein kayi batein chal rahe thee uss waqt. Wo soch raha tha garage ke hisaab se kitna paisa lagta mehbob ko aur ab saeed garage wala kaam pura karne wala tha to kitna paisa lena chahiye ussko Mehboob se ek pura bus ki coach banaane ke liye. Saeed ne socha ke Abhi se milkar decision lena padega ussko, to ussne Mehboob se kaha,

“Mujhe apne workers se baat karna hoga pehle, yeh unn ke haath mein hein ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai aur materials ke liye ek quotation banwa kar dunga aap ko, bahot saare sheets of alluminium kharidne honge, bahot metals kharidne honge pura frame ke liye aur bus ke tamaam seats ke liye alag se metals lene honge aur saare seats bhi banana hein, tamaam shishe bus ke kharidne hein….sab kuch from zero start karna hai….. upar se saare rivets, floorings, ceilings ke pannels, sides ke frames, sab kuch shuru se start karna hai bilkool jaise ek naya bus banta hai weise karna hai….”

Mehboob ne kaha ke wo sab karne ko tayyaar hai ussko wo bus wapas road par chahiye hi chahiye!

*******************************************************

Saeed jaakar Abhi se mila aur ussko lekar uss jangal mein bus dikhaane legaya aur donon milkar discuss karne lage ke kitna cost hoga saare meterials ka aur kitna paisa lena padega Mehboob se bus ko road par laane ke liye aur kitne dinon mein kaamm pura ho sakta hai.

Saeed aur Abhi phir usske ghar par mile aur kagaz kalam lekar baithe donon sab kuch likhne ke liye.

Saare materials ko soch soch kar likha gaya ek ek karke, sab yaad karte hue ke bus ki coach banaane ke liye kia kia istemaal hota hai, ek kil se lekar alliminium sheets tak sab kuch likha gaya aur daam ek kone mein note kiya gaya.

Ek pura quotation tayaar kiya abhi ne. kyunke wo padha likha tha to iss liye Saeed ne Abhi par count kiya wo sab tayyaar karne ke liye. Sab kuch kalam aur kaagaz par kiya gaya computer to tha nahin tab.

Usske baad ab donon ne discuss kiye ke kitna paisa lena hoga Mehboob se uss kaam ke liye. Saeed aur Abhi ne milkar discuss kiya ke company ki garage mein to uss kaam ke liye kum se kum do ya teen laakh liye jaate aur 3 mahinon mein kaam pura kiya jaata…. To baat yeh hui ke garage mein aur bhi kayi mulaazim kaam karte tab 3 mahinon mein kaam pura hota, yahan to 4 mulazim hein to ziada din to lagenge hi…… 6 mahine socha donon ne… phir socha ke Mehboob ko 6 mahine bahot ziada lagenge, to 4 se 5 mahine kehne ko socha donon ne. Tab baat aayi paise ki, labour ki, matlan mazdoori ki….. Saeed ne kaha ke 75,000 mangega. Aur kaha ke wo 50,000 lega aur Abhi ko 25,000 dega.

Abhi ne kaha,

“75,000? Aap paagal ho kia saeed ji? 3 laakh ka kaam aap 75 hazaar rupay mein karoge? Aur do workers ke bhi payment karne honge to keise mujhko 25 aur aap 50 loge unn mein se? Main kehta hoon do laakh mangna hai Mehboob ji se iss kaam ke liye.”

Abhi door ka sochta tha. Saeed ji ke liye 75 hazaar bahot bada rakam tha iss liye ussko ziada maangna ajeeb lag raha tha, magar Abhi ko pata tha ke Mehboob ji agar garage ko 3 laakh ki payment kar sakte hein to 2 laakh to de paega iss kaam ke liye. To Saeed ji ne kaha,

“Dekho Abhi, mujh mein himmat nahin hai Mehboob ji se itna bada rakam maangne ki, ek kaam karte hein, tum mere saath chalo, main tumko apne assistant kehkar milwaunga uss se aur tum price discuss karna unnke saath dekhte hein kia hota hai.”

Abhi maan gaya. Aur donon mile Mehboob ji ke ghar par. Abhi ne quotation de diya Mehboob ji ko. Derr laakh ki materials kharidne the Mehboob ji ko. Tab ussne Saeed ji se pucha ke kitna lenge iss kaam ke liye aur kitne dinon mein kaam pura hoga. To Saeed ne Mehboob se kaha,

“Ussi se puchiye nah janaab, yeh Abhi hai nah wohi sab accounting karta hai. Wo sahi figures dega aap ko.”

Mehboob ke yahan aane se pehle to baat 2 laakh ki hui thi magar yahan Abhi ne Mehboob se 3 laakh ki farmaayish kiye! Saeed ji ko jhatka laga 3 laakh sunkar! Magar Mehboob ji ne abhi se pucha,

“3 laakh kuch ziada nahin hai barkhurdaar? Garage mein bhi to utna hi lagta nah?”

Abhi ne kaha,

“Kia aap ke yahan garage hai janaab? Ya aap ke yahan hum khule hawa mein kaam karenge, dhoop mein tapte hue saare kaam karne honge, inn sab ko khayal mein rakhte hue hi nah humne sab kuch socha hai? Aur phir do aur mulaazim honge hamaare saath, unnke bhi to payments karne honge, travellings ka bhi socha hai humne saare mulazim ke travelling ka khayal bhi to karna padta hai nah?”

Mehboob ji ne muskuraate hue wapas Saeed ji ko dekha aur kaha,

“Are saeed bhai aap to apne finance manager ko lekar saath aaye ho ya yeh aap ka HR hai?!” aur wo hanss pade.

Mehboob ji ne 3 laakh ko Manzoor kiya jiss se Saeed ji ko zabardast jhatka laga, ussne to sapne mein bhi nahin socha tha ke life mein kabhi kissi se 3 laakh maangega kaam karne ke liye.

Saeed chup chaap baitha raha aur Abhi ko sab deal pura karne diya.

Mehboob ji ne pucha ke kitne dinon mein kaam pura hoga. Abhi ne kaha 5 se 6 mahine to lag jaega, aur Mehboob ji ko mechanics wale kaam alag se karwane honge engine ko lekar aur paintings bhi alag se wo karwaega apne taraf se. Mehboob ji raazi hue aur pucha ke payment kaise karega sab ek saath kaam pura hone ke baad ya advance payment chahiye?

Bina Saeed ko dekhe ya puche Abhi ne kaha,

“Agar aap 1 laakh de dete hamein kaam shuru hone se pehle to hamaare liye asaan hota baaki ke mulazimon ki payment karne ke liye kyunke unn logon ko weekly payment karte hein hum.”

Saeed ji ko ek aur jhatka laga abhi ki baat ko sunkar. Ussne to life mein kabhi 1 lakh rupay nah liya tha nah dekha tha. Aur 22 saal ki umar ka Abhi 1 lakh rupay maang raha tha ek bus owner se, wo bhi advance aur 2 lakh kaam pura hone ke baad milne wala tha….. Saeed soch raha tha ke sala ussne to 75 hazaar pura kaam ke liye maangne wala tha! aur yahan abhi advance 1 lakh mang raha hai aur Mehboob dene ko tayyaar tha!

Mehboob ji ne ek cheque kata 1 laakh rupay ki aur Abhi ko thama diya Saeed ko dekhte hue. Phir pucha ke kaam shuru kab hoga. To Abhi ne kaha kaam kal se hi shuru hoga, bus ko tow kiya jaega unnke aangan mein aaj hi.

Wahan se nikle to Saeed ne abhi se kaha,

“kamaal karte ho tum abhi? Sala 2 laakh ki baat hui thi aur tumne 3 laakh mang liya?”

Abhi ne zor se hansste hue kaha,

“Yeh ek laakh mera apna kamaayi hai saeed ji. Iss mein se main aap ko kuch nahin dene wala” aur zoron se hanssta gaya. Saeed ji khamosh rahe.

Kuch der baad Abhi ne pucha,

“yeh cheque aap apne account mein debit karoge ya main apne account mein daal dun?”

Saeed ne kaha,

“are beta mera to aaj tak koyi bank account hai hi nahin! To tumhi dalo apne account mein nah!”

Uss din life mein pehli baar Abhi ki bank account mein 1 lakh rupay deposit kiya gaya! Jiss bande ko 10 rupay ke liye tarasna padta tha, ek cigarette pine ke liye doston se maangna padta tha aaj 1 lakh rupay deposit kiya gaya usske account mein ussko khud yakeen nahin ho raha tha!

Shaam ko bus tow kiya gaya aur Mehboob ji ke aangan mein ek bade se peyr ke niche rakha gaya. Saeed aur Abhi wahin maujood the. Bus ko dekh kar log hanss rahe the. Pados ke log aakar bus ko dekhne lage jiss par ghanns phuss uge hue the, itna mayla tha, ganda tha, gande hare rang ke paani kayi jaga jama hua tha bus mein, jo ek do sheeshe bache hue the sab dark green gande iss kadar dikh rahe the ke ghin araha tha… kuch log Mehboob ji ko paagal keh rahe the ke ek sade hue bus ko jangal se uthakar apne aanagn mein laa rakha tha….

Abhi sun raha tha sabhi ke comments ko aur apne dil mein kaha,

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”

To be continued………..
Kamal ka talented banda hai abhi saeed to bilkul hairan hi ho gya kaise usne mehboob ko approach kiya mast updates
Ye ruhi kon hai?
 

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159
Update 4 Ruhi Comes in Abhi’s Life Once More

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”

Ab aaguey….

Jab Abhi ne kissi ko Ruhi naam phukaarte suna to usska dil zoron se dhadka, usska chehra thoda sa laal hua aur usski nazar bus se hatkar uss awr dekhne laga jahan se ussne uss awaaz ko Ruhi naam phukaarte hue suna…. Ussko aisa feel hua ke ussko saans lene mein takliff hone laga tha uss pal ko, mushkil se ek lamba saans liya aur aankhon ko wahin jamaaye rakha iss intezaar mein ke koyi Ruhi naam wali udhar aaye….. tab ek oonche stair par khadi ek aurat ko dekha Abhi ne; aur andaza lagaya ke ussi aurat ne Ruhi ke naam ko phukara, aur sochne laga kia yeh uss Ruhi naam wali ladki ki maa hogi kia? Apni beti ko bus dekhne ke liye bula rahi hogi? To kia bus owner Mehboob uss Ruhi ka chacha hai? Matlab yahan Ruhi ek muslim girl hai, magar Abhi wala Ruhi to hindu thi…. Phir bhi dharm aur jaat ko bhool kar iss pal ko Abhi ne yeh dekhna chaha ke yeh Ruhi kaisi hogi? Khubsurat hogi aur apni Ruhi ki tarah adaon ki maalkin hogi? Chanchal hogi? Modern hogi, ya gharelu hogi? English bolna ata hoga? Padhi likhi hogi? Usski umar kia hogi? Kahin koyi bachi to nahin hogi? Aur agar shaadi shuda already hogi to? Usski baal keise honge, apni Ruhi jaisi hogi? Aur sabse pyare 2 chiz jo Abhi apni Ruhi mein ziada passand karta tha wo the usski muskurahat, aur usski meethi awaaz, to kia iss Ruhi ki bhi weisi muskurahat aur awaaz hogi kia?

Abhi ka dhyaan ab bus par bilkool nahin tha. Wo to wahan nazrein gadaaye khada tha jahan se yeh nayi Ruhi aane wali thi. Saeed ji ne Abhi se pucha,

“kia khayal hai, kaam kitne dinon tak chalega?!”

Abhi ne Saeed ji ko suna hi nahin, usska dhyaan to kahin aur hi tha uss waqt. Saeed ji ne tab Abhi ke chehre mein dekha, phir usski nazron ko follow karte hue saeed ji ne bhi wahan dekha jahan abhi ke nazrein thehre hue the aur ek aurat ko dekha khada hokar unn donon ke taraf bus ko dekhte hue. Faasla koyi 3 metres ke the jiss jagah bus tha aur jahan wo aurat khadi thi.

Saeed ji ne Abhi ki kehuni ko apne kehuni se takraate hue kaha,

“kyun miyan auraton ko taadne lage aate hi?”

Tab Abhi ka dhyaan wapas wahan aaya aur chahunkte hue kaha,

“nahin bhai main buss aise hi….. kuch soch raha tha….”

Aur tabhi uss aurat ne phir kaha,

“Ari Ruhi aah nah dekh to!”

Aur andar se awaaz aayi jissko Abhi ne bade dhyaan se suna,

“ofo maa, tum bhi nah, yeh chulhe par tarkaari kaun dekhega agar main tumhaare paas aa khadi hui to? Sab jal jaega yahan, dekh nahin rahi main paka rahi hoon!”

Abhi ke dil ka dhadakna jaise ruk sa gaya uss awaaz ko sunkar, jitni meethaas aur komalta uss awaaz mein suna Abhi ne, aur jiss adaa se uss ladki ki awaaz suna Abhi ne, wo machal gaya ab usski ek jhalak dekhne ke liye. Magar usske samajh mein nahin araha tha ke kaise ussko dekhein…. Abhi dil hi dil mein praathna karne laga ke wo ladki at least ek baar apni maa ki baat maan le aur ek baar bus ko dekhne aajaaye….

Tab tak Saeed ji ne phir Abhi se pucha ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai. Abhi ko dar tha ke kahin idhar udhar dekhte waqt wo ladki aakar wapas bhi nah chali jaaye to usski nazrein wahi jami rahe aur Saeed ko jawaab diya jaise hawa mein baat kar raha tha, “PATA NAHIN BAI!”

Ab to Abhi yeh chahne laga ke yahan ka kaam kabhi khatam hi nah ho, kyunke usska yahan kaam karne ka ek aur maksad mil gaya tha….

Abhi tarapne laga ussko dekhne ke liye, kaash wo ladki ek baar apni maa ke paas aakar khadi ho jaati, eisa soch raha tha abhi, aur achaanak uss aurat ne mehboob ji se kuch kaha jo sunaayi nahin diya Abhi ko, magar abhi unn donon ko hi dekh raha tha tab tak Saeed ji buss ke dusre taraf chale gaye the moaena karne bus ki. Aur abhi ki nazar wahi tikke hue the uss stair par, aur ladki ki maa ne phir se kaha,

“Ruhi aakar dekh to sahi nah!”

Aur andar se awaaz aayi,

“uff aati hoon wait karo, karhaayi ko utaar to doon!”

Jiss stair par wo aurat khadi thi wo kitchen mein daakhil hone wali stairs the. Uss makaan ka aakhri hissa tha aur jahan bus tha uss garden ki saamne wale hisse ke bilkool nazdeek tha. bus left hand side mein tha aur wo ghar right hand side mein tha. Chalo ek plan bana deta hoon taake aap sab ko samajh mein ajaaye sab kaisa tha wahan….

Ruhis-house-plan.jpg


To yeh raha plan. Bus ek badi si darkhat ke niche tha jiss se aadha din chaon hota tha bus ke niche, baad mein kada dhoop mein kaam karna padta tha. Jahan Ruhi ki kitchen hai wahan ek jagah stair likha hua hai wahin par usski maa khadi dekh rahi thi aur Abhi jahan tap one likha hai wahan opposite bus ke paas khada uss stairs ke taraf dekh raha tha ke kab Ruhi naami ladki saamne dikhe ussko. Bus ka front side Mehboob ke ghar ke taraf tha aur back side Ruhi ke cousin ke ghar ke taraf. Bus ki right side Ruhi ke ghar ke taraf, balke tap 1 aur tap 2 jahan Ruhi kapde dhoti hai, uss taraf tha. Aur Mehboob ke ghar ke piche washroom tha jahan fresh hona jata tha, kapde change karte the workers aur toilet bhi wahin the. Mehboob aur Ruhi ke ghar ke beech ka jo space tha wahan ziada tar kaam kiya jaata tha jaise, alliminium sheets ka kaatna, measurements lena, aur bahot saare lohe ka samaan rakha gaya tha aur kuch kaam karne ka samaan add hota gaya din ba din. Matlab jab bhi Abhi uss space mein hota to Ruhi ke ghar ke ziada kareeb hota. Bus se Ruhi ka ghar ka fasla buss der metre ka tha, usski kitchen, aur stairs 2 metres ki doori par the.

****************************************************************************************

Abhi besabri se wait karta raha ke kab wo Ruhi naam wali ladki stairs par aaye taake wo ussko dekh sake, usski awaaz to sun liya tha aur bekaraar tha ussko dekhne ke liye. Usski awaaz se Abhi ko samajh mein aaya; ya yun kahen ke uss patli, narm awaaz se andaza lagaya jaa sakta tha ke uss awaaz ki maalkin kaisi dikhti hogi. Matlab Abhi ne apne dimaagh mein seikron tasvirein bana liye the usski, apne tassavur mein iss Ruhi ki tasveer ko utaar liya tha ussne ab intezaar tha ussko dekhne ko aur natija kia niklega isska wait kar raha tha Abhi.

Abhi ko laga ek bahot khubsurat, naazuk, kamsin si ladki hogi, yeh usski awaaz se pehchana ya andaza lagaya tha Abhi ne… usski bekaraari badhne lagi thi aur mann mein hulchal paida ho gaye the, bechain ho raha tha Abhi usski ek jhalak dekhne ke liye.

Abhi ka Ruhi naam se gehra Rishta tha yeh sirf Abhi ko pata tha aur kissi ko bhi nahin uss waqt. Iss Ruhi naam se usska kia naata raha hai pichle kayi saalon se, kia ehmiyat thi usskki life mein Ruhi naam ka kissi ko kia pata tha usske siwa. Aur abhi sochne laga ke kismat kia khel khel raha tha usske saath ke ussi naam ki ladki se phir milwa raha tha ussko, aisa kyun tha? Kia yeh wala Ruhi Abhi ki life mein khushian laegi? Kia Abhi ki life mein jo kami hai wo ab puri hogi? Jo khaalipan abhi ko aaj tak apne viraan dil ke andar mehsoos ho rahi thi wo ab gulzaar hone wala tha?

Abhi ne ek gehri saans lete hue uss kitchen ki stair par apne nazron ko jamaaye rakha…. Aur ussko ek nili dress nazar aayi kitchen ke darwaze ke paas, dress uss ladki ki maa ki dress ko chhuh rahe the, magar dress pehnne wali nazar nahin arahi thi, phir ladki ki ek tang dikhi abhi ko, dress usski ghutnon tak thi, hawa se dress lehra rahi thi….

Abhi dil hi dil mein sochne laga kia kar rahi hai, kyun dikh nahin rahi hai, usska chehra kidhar chhupi hui hai?! Phir abhi ne ghaur se dekha to samjha ke ladki khule hue darwaze aur deewaar ke beech se bus ke taraf dekh rahi thi; Wo jab ek darwaza full khula hota hai aur khul kar deewaar se chipak jaati hai phir uss khule hue hisse aur deewaar ke beech ke hisse se baahar dekha jaa sakta hai nah? Ruhi ussi hisse se bus ko dekh rahi thi..….

Usska gora chehra aur ek aankh dikha Abhi ko, aur Abhi ka dil bade zoron se dhadakne laga… Ruhi apni maa se dhire dhire baat kar rahi thi yeh maa ki response se samajh mein araha tha…. bus ke taraf dekhte hue donon maa beti baatein kar rahe the, Abhi pray karne laga ke kaash wo ladki stair par ek baar aajaati to Abhi usskko pura dekh paata….

Mehboob apne ghar se nikla to ladki ki maa ne Mehboob se zor se kaha,

”Yeh kia gandagi khada kar diya aap ne aangan mein? Kitna ganda aur sada hua bus hai, aap kia karoge iss sade hue gande lohe se?!”

Apni maa ki baat sunkar wo ladki khilkhila kar hanssi. Abhi ne sab suna aur usski taraf dekhta raha. Aur ladki ne kuch ahiste se kaha apni maa ko jaise daantte hue. Abhi ke samajh mein aya ke ladki ne apni maa se kaha ke bus ki marammat karne wale log sab sun rahe hein, unnko acha nahin lagega….

Aur aakhir mein buss ek pal ke liye, koyi 2 seconds ke liye ladki stair par aayi, wo bhi jaise khud ko ek tang par sambhalte hue jaise stair par ana nahin chahti thi magar ek peyr fissal gayi iss liye majbooran ana pada, phir turant wapas piche chali gayi aur ussi darwaze aur deeewar ke beech se dekhne lagi.

Jiss pal wo nikli thi stair par Abhi ne bahot kuch dekha, aur uss par kia beeta, kia feel hua, kaise sambhala ussne khud ko yeh bayaan karna mushkil hai. Abhi ki nazrein tike rahe uss ek pal ke liye unn stairs par aur ussko to laga ke ek ghante bhar dekh liya uss ladki ko. Usske baal khule hue the jo hawa se lehra rahe the, kaale ghane baal, aur baal bhi bilkool weisi jaisi Abhi ko passand tha aur jaise baal usski Ruhi ke the, uss ladki ka rang bhi bilkool usski apni Ruhi ka rang tha, bilkool gori thi, chehra maan lo chand ka ek tudka dikh gaya Abhi ko, usski dress ek midi type thi, jo usski ghuton ko dhanke hue the, par talwe se thoda upar usski gori tang dikhe Abhi ko aur usski baazuwon par bhi nigahein pade the Abhi ke… Abhi ne khud se kaha,

“Haan komal dikhi mujhe wo, kamseen bhi hai, naazuk bhi lagi….”

Aur chehra? Muskurahat? Aankhen? Inn sab ko dekhne ka mauka hi nahin mila sahi se abhi ko, kyunke tab tak wo wapas chhup gayi thi…sirf ek jhalak dikha tha buss….. Abhi ne mann mein bassa liya ussko ussi pal…..

Uss din wahan se ghar lautne ke baad Abhi ne apni diary mein likha ke muddat baad aaj ussko apni Ruhi ki jhalak dikhi kissi mein, aur taahjub ki baat yeh thi ke ladki ka naam bhi Ruhi hi tha.

To be continued…… (2100 words)
Aakhir ruhi ki halki si jhalak dikhi abhi ko Kya ye ruhi abhi ki ruhi ban payegi kya abhi ko uska pyar mil payega
Interesting update
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
Hmm toh yeh nayi wali ruhi ko dekh kar phir se jhankar baja abhi ke dil mein....
chaliye.. yeh achha hua....abhi ka dil laga rahega waha pe....

waise yeh nayi wali ruhi khubsurat toh hain lekin english fatafat bol sakti hain ki nahin.? ...:D


Sayad.. Saeed soch raha tha ki kahi abhinav us moti pe toh dil nahin de baitha... ek sec. Ke liye mujhe bhi laga :lol:
kaam khatam hi naa hoo bus ki.. Maybe wahin pe kahin ghar naa basa le abhinav... har roz deedar karne ke liye apni mehbooba ko....
Khair.....

Bahot hi pyara update hain..... sayad abhinav ka joh adhure pan ka ehsaas hain.... dur ho jaye aage chalke...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill casi sir :applause::applause::applause::applause:
 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,045
78,017
304
Abhi loves Ruhi so much that he falls in love with the word Ruhi. But this Ruhi is probably someone else. You gave a house map, which made it very easy to understand the situation. Abhi was eagerly waiting for Ruhi and finally got a glimpse of Ruhi. You haven't mentioned anything about the former Ruhi, so I'm a little confused and I can't say anything now.
Today's update was very beautiful. You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story. Thank You...
:heart::heart::heart:
 

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228
Update 4 Ruhi Comes in Abhi’s Life Once More

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”

Ab aaguey….

Jab Abhi ne kissi ko Ruhi naam phukaarte suna to usska dil zoron se dhadka, usska chehra thoda sa laal hua aur usski nazar bus se hatkar uss awr dekhne laga jahan se ussne uss awaaz ko Ruhi naam phukaarte hue suna…. Ussko aisa feel hua ke ussko saans lene mein takliff hone laga tha uss pal ko, mushkil se ek lamba saans liya aur aankhon ko wahin jamaaye rakha iss intezaar mein ke koyi Ruhi naam wali udhar aaye….. tab ek oonche stair par khadi ek aurat ko dekha Abhi ne; aur andaza lagaya ke ussi aurat ne Ruhi ke naam ko phukara, aur sochne laga kia yeh uss Ruhi naam wali ladki ki maa hogi kia? Apni beti ko bus dekhne ke liye bula rahi hogi? To kia bus owner Mehboob uss Ruhi ka chacha hai? Matlab yahan Ruhi ek muslim girl hai, magar Abhi wala Ruhi to hindu thi…. Phir bhi dharm aur jaat ko bhool kar iss pal ko Abhi ne yeh dekhna chaha ke yeh Ruhi kaisi hogi? Khubsurat hogi aur apni Ruhi ki tarah adaon ki maalkin hogi? Chanchal hogi? Modern hogi, ya gharelu hogi? English bolna ata hoga? Padhi likhi hogi? Usski umar kia hogi? Kahin koyi bachi to nahin hogi? Aur agar shaadi shuda already hogi to? Usski baal keise honge, apni Ruhi jaisi hogi? Aur sabse pyare 2 chiz jo Abhi apni Ruhi mein ziada passand karta tha wo the usski muskurahat, aur usski meethi awaaz, to kia iss Ruhi ki bhi weisi muskurahat aur awaaz hogi kia?

Abhi ka dhyaan ab bus par bilkool nahin tha. Wo to wahan nazrein gadaaye khada tha jahan se yeh nayi Ruhi aane wali thi. Saeed ji ne Abhi se pucha,

“kia khayal hai, kaam kitne dinon tak chalega?!”

Abhi ne Saeed ji ko suna hi nahin, usska dhyaan to kahin aur hi tha uss waqt. Saeed ji ne tab Abhi ke chehre mein dekha, phir usski nazron ko follow karte hue saeed ji ne bhi wahan dekha jahan abhi ke nazrein thehre hue the aur ek aurat ko dekha khada hokar unn donon ke taraf bus ko dekhte hue. Faasla koyi 3 metres ke the jiss jagah bus tha aur jahan wo aurat khadi thi.

Saeed ji ne Abhi ki kehuni ko apne kehuni se takraate hue kaha,

“kyun miyan auraton ko taadne lage aate hi?”

Tab Abhi ka dhyaan wapas wahan aaya aur chahunkte hue kaha,

“nahin bhai main buss aise hi….. kuch soch raha tha….”

Aur tabhi uss aurat ne phir kaha,

“Ari Ruhi aah nah dekh to!”

Aur andar se awaaz aayi jissko Abhi ne bade dhyaan se suna,

“ofo maa, tum bhi nah, yeh chulhe par tarkaari kaun dekhega agar main tumhaare paas aa khadi hui to? Sab jal jaega yahan, dekh nahin rahi main paka rahi hoon!”

Abhi ke dil ka dhadakna jaise ruk sa gaya uss awaaz ko sunkar, jitni meethaas aur komalta uss awaaz mein suna Abhi ne, aur jiss adaa se uss ladki ki awaaz suna Abhi ne, wo machal gaya ab usski ek jhalak dekhne ke liye. Magar usske samajh mein nahin araha tha ke kaise ussko dekhein…. Abhi dil hi dil mein praathna karne laga ke wo ladki at least ek baar apni maa ki baat maan le aur ek baar bus ko dekhne aajaaye….

Tab tak Saeed ji ne phir Abhi se pucha ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai. Abhi ko dar tha ke kahin idhar udhar dekhte waqt wo ladki aakar wapas bhi nah chali jaaye to usski nazrein wahi jami rahe aur Saeed ko jawaab diya jaise hawa mein baat kar raha tha, “PATA NAHIN BAI!”

Ab to Abhi yeh chahne laga ke yahan ka kaam kabhi khatam hi nah ho, kyunke usska yahan kaam karne ka ek aur maksad mil gaya tha….

Abhi tarapne laga ussko dekhne ke liye, kaash wo ladki ek baar apni maa ke paas aakar khadi ho jaati, eisa soch raha tha abhi, aur achaanak uss aurat ne mehboob ji se kuch kaha jo sunaayi nahin diya Abhi ko, magar abhi unn donon ko hi dekh raha tha tab tak Saeed ji buss ke dusre taraf chale gaye the moaena karne bus ki. Aur abhi ki nazar wahi tikke hue the uss stair par, aur ladki ki maa ne phir se kaha,

“Ruhi aakar dekh to sahi nah!”

Aur andar se awaaz aayi,

“uff aati hoon wait karo, karhaayi ko utaar to doon!”

Jiss stair par wo aurat khadi thi wo kitchen mein daakhil hone wali stairs the. Uss makaan ka aakhri hissa tha aur jahan bus tha uss garden ki saamne wale hisse ke bilkool nazdeek tha. bus left hand side mein tha aur wo ghar right hand side mein tha. Chalo ek plan bana deta hoon taake aap sab ko samajh mein ajaaye sab kaisa tha wahan….

Ruhis-house-plan.jpg


To yeh raha plan. Bus ek badi si darkhat ke niche tha jiss se aadha din chaon hota tha bus ke niche, baad mein kada dhoop mein kaam karna padta tha. Jahan Ruhi ki kitchen hai wahan ek jagah stair likha hua hai wahin par usski maa khadi dekh rahi thi aur Abhi jahan tap one likha hai wahan opposite bus ke paas khada uss stairs ke taraf dekh raha tha ke kab Ruhi naami ladki saamne dikhe ussko. Bus ka front side Mehboob ke ghar ke taraf tha aur back side Ruhi ke cousin ke ghar ke taraf. Bus ki right side Ruhi ke ghar ke taraf, balke tap 1 aur tap 2 jahan Ruhi kapde dhoti hai, uss taraf tha. Aur Mehboob ke ghar ke piche washroom tha jahan fresh hona jata tha, kapde change karte the workers aur toilet bhi wahin the. Mehboob aur Ruhi ke ghar ke beech ka jo space tha wahan ziada tar kaam kiya jaata tha jaise, alliminium sheets ka kaatna, measurements lena, aur bahot saare lohe ka samaan rakha gaya tha aur kuch kaam karne ka samaan add hota gaya din ba din. Matlab jab bhi Abhi uss space mein hota to Ruhi ke ghar ke ziada kareeb hota. Bus se Ruhi ka ghar ka fasla buss der metre ka tha, usski kitchen, aur stairs 2 metres ki doori par the.

****************************************************************************************

Abhi besabri se wait karta raha ke kab wo Ruhi naam wali ladki stairs par aaye taake wo ussko dekh sake, usski awaaz to sun liya tha aur bekaraar tha ussko dekhne ke liye. Usski awaaz se Abhi ko samajh mein aaya; ya yun kahen ke uss patli, narm awaaz se andaza lagaya jaa sakta tha ke uss awaaz ki maalkin kaisi dikhti hogi. Matlab Abhi ne apne dimaagh mein seikron tasvirein bana liye the usski, apne tassavur mein iss Ruhi ki tasveer ko utaar liya tha ussne ab intezaar tha ussko dekhne ko aur natija kia niklega isska wait kar raha tha Abhi.

Abhi ko laga ek bahot khubsurat, naazuk, kamsin si ladki hogi, yeh usski awaaz se pehchana ya andaza lagaya tha Abhi ne… usski bekaraari badhne lagi thi aur mann mein hulchal paida ho gaye the, bechain ho raha tha Abhi usski ek jhalak dekhne ke liye.

Abhi ka Ruhi naam se gehra Rishta tha yeh sirf Abhi ko pata tha aur kissi ko bhi nahin uss waqt. Iss Ruhi naam se usska kia naata raha hai pichle kayi saalon se, kia ehmiyat thi usskki life mein Ruhi naam ka kissi ko kia pata tha usske siwa. Aur abhi sochne laga ke kismat kia khel khel raha tha usske saath ke ussi naam ki ladki se phir milwa raha tha ussko, aisa kyun tha? Kia yeh wala Ruhi Abhi ki life mein khushian laegi? Kia Abhi ki life mein jo kami hai wo ab puri hogi? Jo khaalipan abhi ko aaj tak apne viraan dil ke andar mehsoos ho rahi thi wo ab gulzaar hone wala tha?

Abhi ne ek gehri saans lete hue uss kitchen ki stair par apne nazron ko jamaaye rakha…. Aur ussko ek nili dress nazar aayi kitchen ke darwaze ke paas, dress uss ladki ki maa ki dress ko chhuh rahe the, magar dress pehnne wali nazar nahin arahi thi, phir ladki ki ek tang dikhi abhi ko, dress usski ghutnon tak thi, hawa se dress lehra rahi thi….

Abhi dil hi dil mein sochne laga kia kar rahi hai, kyun dikh nahin rahi hai, usska chehra kidhar chhupi hui hai?! Phir abhi ne ghaur se dekha to samjha ke ladki khule hue darwaze aur deewaar ke beech se bus ke taraf dekh rahi thi; Wo jab ek darwaza full khula hota hai aur khul kar deewaar se chipak jaati hai phir uss khule hue hisse aur deewaar ke beech ke hisse se baahar dekha jaa sakta hai nah? Ruhi ussi hisse se bus ko dekh rahi thi..….

Usska gora chehra aur ek aankh dikha Abhi ko, aur Abhi ka dil bade zoron se dhadakne laga… Ruhi apni maa se dhire dhire baat kar rahi thi yeh maa ki response se samajh mein araha tha…. bus ke taraf dekhte hue donon maa beti baatein kar rahe the, Abhi pray karne laga ke kaash wo ladki stair par ek baar aajaati to Abhi usskko pura dekh paata….

Mehboob apne ghar se nikla to ladki ki maa ne Mehboob se zor se kaha,

”Yeh kia gandagi khada kar diya aap ne aangan mein? Kitna ganda aur sada hua bus hai, aap kia karoge iss sade hue gande lohe se?!”

Apni maa ki baat sunkar wo ladki khilkhila kar hanssi. Abhi ne sab suna aur usski taraf dekhta raha. Aur ladki ne kuch ahiste se kaha apni maa ko jaise daantte hue. Abhi ke samajh mein aya ke ladki ne apni maa se kaha ke bus ki marammat karne wale log sab sun rahe hein, unnko acha nahin lagega….

Aur aakhir mein buss ek pal ke liye, koyi 2 seconds ke liye ladki stair par aayi, wo bhi jaise khud ko ek tang par sambhalte hue jaise stair par ana nahin chahti thi magar ek peyr fissal gayi iss liye majbooran ana pada, phir turant wapas piche chali gayi aur ussi darwaze aur deeewar ke beech se dekhne lagi.

Jiss pal wo nikli thi stair par Abhi ne bahot kuch dekha, aur uss par kia beeta, kia feel hua, kaise sambhala ussne khud ko yeh bayaan karna mushkil hai. Abhi ki nazrein tike rahe uss ek pal ke liye unn stairs par aur ussko to laga ke ek ghante bhar dekh liya uss ladki ko. Usske baal khule hue the jo hawa se lehra rahe the, kaale ghane baal, aur baal bhi bilkool weisi jaisi Abhi ko passand tha aur jaise baal usski Ruhi ke the, uss ladki ka rang bhi bilkool usski apni Ruhi ka rang tha, bilkool gori thi, chehra maan lo chand ka ek tudka dikh gaya Abhi ko, usski dress ek midi type thi, jo usski ghuton ko dhanke hue the, par talwe se thoda upar usski gori tang dikhe Abhi ko aur usski baazuwon par bhi nigahein pade the Abhi ke… Abhi ne khud se kaha,

“Haan komal dikhi mujhe wo, kamseen bhi hai, naazuk bhi lagi….”

Aur chehra? Muskurahat? Aankhen? Inn sab ko dekhne ka mauka hi nahin mila sahi se abhi ko, kyunke tab tak wo wapas chhup gayi thi…sirf ek jhalak dikha tha buss….. Abhi ne mann mein bassa liya ussko ussi pal…..

Uss din wahan se ghar lautne ke baad Abhi ne apni diary mein likha ke muddat baad aaj ussko apni Ruhi ki jhalak dikhi kissi mein, aur taahjub ki baat yeh thi ke ladki ka naam bhi Ruhi hi tha.

To be continued…… (2100 words)
Nice update sir
 

Vikram singh rana

Active Member
509
3,075
138
Update 2 What Will Abhi Do Now?

Aur teesri salary milne ke baad company ka dilwala nikla gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

Ab aaguey….

Company band iss liye hua ke jiss company ko aaj ki owners ke baap ne shuru kiya tha ab 4 bhai chala rahe the…. Charon mein tutu main main hota rehta tha company ke profits ko lekar inn mein se har ek jiada paisa chahta tha, koyi udata phirta tha paisa, sabhi ke wives the aur inn mein se kayi ke wives aise the jo bekaar mein kharch karte, desh videsh ghumne jaate, bekaar ke samaan kharidte, bade bade 5 star hotelon mein din guzaarte, high society walon ke beech waqt guzaarte, aur itna expense karte jitney ki heysiyat thi hi nahin…. Loan par loan lete gaye company ke naam par karonron mein aur bank ko pay back nahin kar paaye iss liye sab chaupath ho gaya….. company ke 300 karamchaari raaste par aagaye… kuch nahin ho paaya, seal lag gaye kaarkhaane mein aur sab apne jobs kho baithe…. Abhi bhi bekaar ho gaya….

Iss ek mahine mein abhi ne bahot enjoy kiya life ko. Har roz peena, ghumna, doston ke saath eysh karna, ache ache jagah jaana, Goa bhi chala gaya mauj masti karne, ladkiyon ko cherrna etc…

Phir takriban ek mahine tak dar dar ke thokrein khaane ke baad, Abhi ko ek din usska master milne aya. Master matlab jiss se Abhi ne company mein kaam seekha tha. usska naam tha Saeed. Saeed koyi 55 saal ka adher aadmi tha aur kyunke Abhi ne bahot jaldi kaam seekha tha aur bahot acha aur saaf kaam karta tha Saeed Abhi ko passand karta tha as a worker.

Ab hota yeh tha uss company mein ke jitney bhi bus owners the wahan se bus kharidne waale, unn logon se Saeed ki jaan pehchaan the. Wo ek bahot purana mulazim tha uss company ka to bus ke maalik log Saeed ko pehchaante the aur kabhi koyi bus ka hissa bigad jata tha to company mein marammat karne ki bajaaye weh log Saeed ke ghar jaakar uss se milte the aur bus ki marammat karne ko kehte jo saeed kar deta tha. Ab samajhlo ke uss marammat ko company mein bus lejaate to 50,000 rupay lagta, to wohi kaam Saeed bus owner ke ghar jaakar kar deta tha aur 10,000 mein kaam ho jata tha.

Iss liye ek din Saeed Abhi se milne aya aur kaha ke usske saath kaam par chalna hai. To Abhi gaya saeed ke saath aur koyi 25 kms ki doorie par ek bus owner tha jisski bus ka accident hua tha aur bus ke front side bilkool bigar gaya tha, to ussko wapas banana tha. uss kaam ke liye 20,000 manga Saeed ne aur owner daam par raazi hua aur kaam shuru hua. 20 dinon mein kaam ko pura kiya Saeed aur Abhi ne.

Saeed ne unn 20 dinon ke liye Abhi ko 5,000 diye aur apne liye 15,000 rakha. Abbi ke liye 5,000 kaafi tha 20 dinon ke kaam ke liye aur ussne Saeed se kaha ke weise hi aur kaam dhundein to kum se kum rozi roti chalta rahega, to Saeed ne kaha dhundna to mushkil hai magar bus owners khud usske paas ayenge tabhi kaam milega.

Jab wo bus wapas kaam karne laga to baaki ke bus owners jinko pata tha uss bus ki accident hui thi aur bus bilkool bigar gaya tha saamne se, phir 20 din baad uss bus ko wapas kaam karte hue dekh kar baaki ke bus owners heyraan hue aur pucha ke kiss ne bus ki marammat itni jaldi kar diye ke lagta hi nahin ke kabhi accident hua tha. iss tarah se saeed ka naam mashoor hone laga bus owners ke darmiyaan. Ek ke munh se dusre ke kaan tak baat feylti gayi aur saeed aur Abhi kaafi mashoor ho gaye tamaam bus owners ke beech. Thik ek hafte baad ek purane bus owner ne apne bus ki marammat karne ko socha kyunke usska bus kaafi purana tha 15 saal se kuch nahin kiya tha uss bus mein aur bahot saare andar ke lohe lagbhag sadh gaye the aur jab bus chalti thi to bahot saare shor hote the aur awaazein sunaayi dete the, passengers complaints karte the. To uss owner ne Saeed se contact kiye aur ek general repair ka kaam shuru hua uss bus mein jo Abhi aur saeed ne karna shuru kiya. Kaam bahot ziada tha bus mein, chasis se lekar upar ke tamaam welded lohe kharaab ho gaye the, naye lohe kharidne the aur kaafi sara alliminium ke tin bhi puraane ho gaye the wo bhi kharidna tha, to uss mein welding ka kaam bhi tha aur alliminium ke bhi, saare bus ke seats nikaale gaye, floorings mein dobara naye rivets lagaane the, wapas seats lagaane the, paint bhi karna tha, bus ke tamaan shishe bhi utaar kar naye rubber lagana tha tin mein jiss par sheeshe chipakte hein; iss liye Abhi ke ilawa Saeed ne aur do mulazimon ko dhunda saath kaam karne ke liye.

Yeh kaam 2 mahinon tak chala. Aur daam hua 60,000 rupay jo owner ne Khushi Khushi diya kyunke ussko pata tha yehi kaam agar company ki garage mein karwata to kariban 2 laakh rupay lag sakte the. Uss mein se Abhi ko 15,000 mila. Abhi bahot khush hua. Ussko life mein pehli baar itna paisa ek saath mila tha ussko. Itna paisa ussne kabhi dekha hi nahin tha ek saath. Ghar mein baap ko ussne 10,000 thama diya. Maa baap donon behad khush hue, bhai behen sab bahot khush hue. Baap ko ab samajh mein aya ke usska beta ab kuch ban gaya hai aur ghar ko sambhaal paega usske marne ke baad.

Abhi apne doston ko nahin bhoola tha, ussne kaafi saare programns banaaye doston ke beech, jinn dinon wo mushkil mein tha, tangi chal rahi thi, unn dinon jinn doston ne usska help kiya tha financially, abhi ne unn sabhi doston ke liye party diye, khub mauj masti kiye, daru pina, picnic jaana, goa jana ladkiyon ko taadna, flirt karna vaghaira vaghaira… wohi jo har naujawaan karta hai abhi bhi bilkool weisa hi tha aur sab kuch enjoy kiya karta tha….

Do hafte tak koyi kaam nahin mila tha to unn do hafton tak Abhi har roz peeta, masti karta, movies dekhne jaata, khub ghumta, long drives par jaata etc…

Phir chhote chhote kaam mile saeed ko jo hafte bhar mein pura ho jaata, chhote marammat, kabhi front windshield badalna, kabhi kahin ke seat banana, kabhi kuch aur karna…magar har kaam karne ke liye saeed abhi ko saath zaroor lejata tha kyunke akele unn kaamon ko karna naamumkin hote the.

Weise ahiste ahiste abhi kuch nah kuch kar liya karta tha jiss se jeb mein paisa bana rehta tha. kabhi iss sheher ke bus owner se jaan pehchaan hota to kabhi door kissi sheher mein, lagbhag 10 se 15 shehron tak ghum chuke the Saeed aur Abhi bus ke marammat karte hue. Fihaal sab sahi chalne laga tha…. magar abhi ke dil mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha…. Wo apne dil ki maalkin ki talaash mein bhi laga hua tha…

Pure do saal beet gaye company ko bandh hue, aur inn do saalon mein takriban 20 se 25 bus owners ke yahan kaam kar liye the Saeed aur Abhi ne. Donon mashoor ho gaye the as bus coach builders. Aur door door tak desh mein innke naam ho gaye the bus ke maalikon ke beech.

Abhi raat ko jab apne diary mein likhta to udaas ho jaata aur likhta ke abhi tak usski zindagi mein wo nahin aayi hai jisski usse talaash hai. Likhta ke kahin na kahin to koyi bani hogi usske liye aur wo bhi abhi ka intezaar kar rahi hogi kissi kone mein. Abhi sochta, tassavur mein khote hue kehta ke…

“Wo din kaisa hoga jab ussko pehli baar dekhunga? Wo mujhko dekh kar kaisa feel karegi? Kia mere nazron mein wo padh paegi ke main usske liye bana hoon? Kia main ussko pehchaan lunga? Aur wo? Kia wo mujhko ek nazar mein hi pehchaan legi? Haan main to ussko dekhte hi samajh jaunga ke wo mere liye bani hai…. Kia mujhko uss tak pahunchne mein mushkilein pesh ayenge? Ya sab kuch asaan se ho jaega? Bichadna to nahin padega jaise Ruhi se bichda hoon?.”

Abhi almost har raat ko yeh sab sochta, yehi kuch likhta apne diary mein, aur kabhi uss copy book ko padhta jiss mein usske aur Ruhi ke beech ka tamaam kissa likha hai ussne, wo padhkar usske aakhen nam ho jaate aur wo ruhi ko sochne lagta aur sochta ke iss waqt Ruhi kitni badi ho gayi hogi, wo kitni khubsurat lag rahi hogi. Agar aaj wo yahan hoti to wo Abhi ke baahon mein hoti…. Abhi har raat ko kuch eisa sochte hue neendh ke aagosh mein chala jata….

To be continued…..

Woooooo.......
Very good update......
Well written and well described......

And now for the update.....
A new character introduced.....saeed....
Hero ke liye madadgar.....OR partner......ho sakta hai future me iska koi bada role ho....

Baat kare hero ki......
Wo abhi Sikh raha hai.....life me aage badh raha hai.....
10000 family ko dekar 5 khud rakhna thik nahi hai.....2 ya 3 rakh sakta tha.....
Khair koi na itna to chalta hai.....
Aakhir chhora mehnat kar raha hai....

Problem kya hoti hai.....KI aadmi din bhar kaam karke guzar leta hai.....chahe wo kaam kitna bhi mehnat ka ho ya normal.....

Lekin jab raat ko wo sone jata hai.....to neend aane se pahle ak bar....uska dil or dimaag jarur kahta hai.....

KAASH....KAASH KI WO SAATH HOTA.....TO DUNIYA JEET LETE.....USKO ITNA PYAR KARTE....USE WANHA LE JAATE.....ETC.....

OR PHIR AADMI AISE SOCHTA SOCHTA......SAPNE KI DUNIYA ME CHALA JATA HAI.....JAAGTE HUE BHI.....

PHIR CHAHE SITUATION KAISI BHI HO.....USKA MAN YAHI KAHTA HAI.....YAR KAASH WO HOTI.......TO KUCH OR HEE BAAT HOTI......

OR YAHI KAASH......USE KUCH PAL KA SOOKUN PAHUCHA TA HAI......

SAME YAHI SITUATION APNE HERO KE SAATH HAI.....
WO BHI USE KHAYALO ME YAAD KAR DIN GUZAR RAHA HAI....


Very good update...
Thanks.....
 
Last edited:

Indian001

Active Member
1,102
6,330
143
Update 4 Ruhi Comes in Abhi’s Life Once More

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”

Ab aaguey….

Jab Abhi ne kissi ko Ruhi naam phukaarte suna to usska dil zoron se dhadka, usska chehra thoda sa laal hua aur usski nazar bus se hatkar uss awr dekhne laga jahan se ussne uss awaaz ko Ruhi naam phukaarte hue suna…. Ussko aisa feel hua ke ussko saans lene mein takliff hone laga tha uss pal ko, mushkil se ek lamba saans liya aur aankhon ko wahin jamaaye rakha iss intezaar mein ke koyi Ruhi naam wali udhar aaye….. tab ek oonche stair par khadi ek aurat ko dekha Abhi ne; aur andaza lagaya ke ussi aurat ne Ruhi ke naam ko phukara, aur sochne laga kia yeh uss Ruhi naam wali ladki ki maa hogi kia? Apni beti ko bus dekhne ke liye bula rahi hogi? To kia bus owner Mehboob uss Ruhi ka chacha hai? Matlab yahan Ruhi ek muslim girl hai, magar Abhi wala Ruhi to hindu thi…. Phir bhi dharm aur jaat ko bhool kar iss pal ko Abhi ne yeh dekhna chaha ke yeh Ruhi kaisi hogi? Khubsurat hogi aur apni Ruhi ki tarah adaon ki maalkin hogi? Chanchal hogi? Modern hogi, ya gharelu hogi? English bolna ata hoga? Padhi likhi hogi? Usski umar kia hogi? Kahin koyi bachi to nahin hogi? Aur agar shaadi shuda already hogi to? Usski baal keise honge, apni Ruhi jaisi hogi? Aur sabse pyare 2 chiz jo Abhi apni Ruhi mein ziada passand karta tha wo the usski muskurahat, aur usski meethi awaaz, to kia iss Ruhi ki bhi weisi muskurahat aur awaaz hogi kia?

Abhi ka dhyaan ab bus par bilkool nahin tha. Wo to wahan nazrein gadaaye khada tha jahan se yeh nayi Ruhi aane wali thi. Saeed ji ne Abhi se pucha,

“kia khayal hai, kaam kitne dinon tak chalega?!”

Abhi ne Saeed ji ko suna hi nahin, usska dhyaan to kahin aur hi tha uss waqt. Saeed ji ne tab Abhi ke chehre mein dekha, phir usski nazron ko follow karte hue saeed ji ne bhi wahan dekha jahan abhi ke nazrein thehre hue the aur ek aurat ko dekha khada hokar unn donon ke taraf bus ko dekhte hue. Faasla koyi 3 metres ke the jiss jagah bus tha aur jahan wo aurat khadi thi.

Saeed ji ne Abhi ki kehuni ko apne kehuni se takraate hue kaha,

“kyun miyan auraton ko taadne lage aate hi?”

Tab Abhi ka dhyaan wapas wahan aaya aur chahunkte hue kaha,

“nahin bhai main buss aise hi….. kuch soch raha tha….”

Aur tabhi uss aurat ne phir kaha,

“Ari Ruhi aah nah dekh to!”

Aur andar se awaaz aayi jissko Abhi ne bade dhyaan se suna,

“ofo maa, tum bhi nah, yeh chulhe par tarkaari kaun dekhega agar main tumhaare paas aa khadi hui to? Sab jal jaega yahan, dekh nahin rahi main paka rahi hoon!”

Abhi ke dil ka dhadakna jaise ruk sa gaya uss awaaz ko sunkar, jitni meethaas aur komalta uss awaaz mein suna Abhi ne, aur jiss adaa se uss ladki ki awaaz suna Abhi ne, wo machal gaya ab usski ek jhalak dekhne ke liye. Magar usske samajh mein nahin araha tha ke kaise ussko dekhein…. Abhi dil hi dil mein praathna karne laga ke wo ladki at least ek baar apni maa ki baat maan le aur ek baar bus ko dekhne aajaaye….

Tab tak Saeed ji ne phir Abhi se pucha ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai. Abhi ko dar tha ke kahin idhar udhar dekhte waqt wo ladki aakar wapas bhi nah chali jaaye to usski nazrein wahi jami rahe aur Saeed ko jawaab diya jaise hawa mein baat kar raha tha, “PATA NAHIN BAI!”

Ab to Abhi yeh chahne laga ke yahan ka kaam kabhi khatam hi nah ho, kyunke usska yahan kaam karne ka ek aur maksad mil gaya tha….

Abhi tarapne laga ussko dekhne ke liye, kaash wo ladki ek baar apni maa ke paas aakar khadi ho jaati, eisa soch raha tha abhi, aur achaanak uss aurat ne mehboob ji se kuch kaha jo sunaayi nahin diya Abhi ko, magar abhi unn donon ko hi dekh raha tha tab tak Saeed ji buss ke dusre taraf chale gaye the moaena karne bus ki. Aur abhi ki nazar wahi tikke hue the uss stair par, aur ladki ki maa ne phir se kaha,

“Ruhi aakar dekh to sahi nah!”

Aur andar se awaaz aayi,

“uff aati hoon wait karo, karhaayi ko utaar to doon!”

Jiss stair par wo aurat khadi thi wo kitchen mein daakhil hone wali stairs the. Uss makaan ka aakhri hissa tha aur jahan bus tha uss garden ki saamne wale hisse ke bilkool nazdeek tha. bus left hand side mein tha aur wo ghar right hand side mein tha. Chalo ek plan bana deta hoon taake aap sab ko samajh mein ajaaye sab kaisa tha wahan….

Ruhis-house-plan.jpg


To yeh raha plan. Bus ek badi si darkhat ke niche tha jiss se aadha din chaon hota tha bus ke niche, baad mein kada dhoop mein kaam karna padta tha. Jahan Ruhi ki kitchen hai wahan ek jagah stair likha hua hai wahin par usski maa khadi dekh rahi thi aur Abhi jahan tap one likha hai wahan opposite bus ke paas khada uss stairs ke taraf dekh raha tha ke kab Ruhi naami ladki saamne dikhe ussko. Bus ka front side Mehboob ke ghar ke taraf tha aur back side Ruhi ke cousin ke ghar ke taraf. Bus ki right side Ruhi ke ghar ke taraf, balke tap 1 aur tap 2 jahan Ruhi kapde dhoti hai, uss taraf tha. Aur Mehboob ke ghar ke piche washroom tha jahan fresh hona jata tha, kapde change karte the workers aur toilet bhi wahin the. Mehboob aur Ruhi ke ghar ke beech ka jo space tha wahan ziada tar kaam kiya jaata tha jaise, alliminium sheets ka kaatna, measurements lena, aur bahot saare lohe ka samaan rakha gaya tha aur kuch kaam karne ka samaan add hota gaya din ba din. Matlab jab bhi Abhi uss space mein hota to Ruhi ke ghar ke ziada kareeb hota. Bus se Ruhi ka ghar ka fasla buss der metre ka tha, usski kitchen, aur stairs 2 metres ki doori par the.

****************************************************************************************

Abhi besabri se wait karta raha ke kab wo Ruhi naam wali ladki stairs par aaye taake wo ussko dekh sake, usski awaaz to sun liya tha aur bekaraar tha ussko dekhne ke liye. Usski awaaz se Abhi ko samajh mein aaya; ya yun kahen ke uss patli, narm awaaz se andaza lagaya jaa sakta tha ke uss awaaz ki maalkin kaisi dikhti hogi. Matlab Abhi ne apne dimaagh mein seikron tasvirein bana liye the usski, apne tassavur mein iss Ruhi ki tasveer ko utaar liya tha ussne ab intezaar tha ussko dekhne ko aur natija kia niklega isska wait kar raha tha Abhi.

Abhi ko laga ek bahot khubsurat, naazuk, kamsin si ladki hogi, yeh usski awaaz se pehchana ya andaza lagaya tha Abhi ne… usski bekaraari badhne lagi thi aur mann mein hulchal paida ho gaye the, bechain ho raha tha Abhi usski ek jhalak dekhne ke liye.

Abhi ka Ruhi naam se gehra Rishta tha yeh sirf Abhi ko pata tha aur kissi ko bhi nahin uss waqt. Iss Ruhi naam se usska kia naata raha hai pichle kayi saalon se, kia ehmiyat thi usskki life mein Ruhi naam ka kissi ko kia pata tha usske siwa. Aur abhi sochne laga ke kismat kia khel khel raha tha usske saath ke ussi naam ki ladki se phir milwa raha tha ussko, aisa kyun tha? Kia yeh wala Ruhi Abhi ki life mein khushian laegi? Kia Abhi ki life mein jo kami hai wo ab puri hogi? Jo khaalipan abhi ko aaj tak apne viraan dil ke andar mehsoos ho rahi thi wo ab gulzaar hone wala tha?

Abhi ne ek gehri saans lete hue uss kitchen ki stair par apne nazron ko jamaaye rakha…. Aur ussko ek nili dress nazar aayi kitchen ke darwaze ke paas, dress uss ladki ki maa ki dress ko chhuh rahe the, magar dress pehnne wali nazar nahin arahi thi, phir ladki ki ek tang dikhi abhi ko, dress usski ghutnon tak thi, hawa se dress lehra rahi thi….

Abhi dil hi dil mein sochne laga kia kar rahi hai, kyun dikh nahin rahi hai, usska chehra kidhar chhupi hui hai?! Phir abhi ne ghaur se dekha to samjha ke ladki khule hue darwaze aur deewaar ke beech se bus ke taraf dekh rahi thi; Wo jab ek darwaza full khula hota hai aur khul kar deewaar se chipak jaati hai phir uss khule hue hisse aur deewaar ke beech ke hisse se baahar dekha jaa sakta hai nah? Ruhi ussi hisse se bus ko dekh rahi thi..….

Usska gora chehra aur ek aankh dikha Abhi ko, aur Abhi ka dil bade zoron se dhadakne laga… Ruhi apni maa se dhire dhire baat kar rahi thi yeh maa ki response se samajh mein araha tha…. bus ke taraf dekhte hue donon maa beti baatein kar rahe the, Abhi pray karne laga ke kaash wo ladki stair par ek baar aajaati to Abhi usskko pura dekh paata….

Mehboob apne ghar se nikla to ladki ki maa ne Mehboob se zor se kaha,

”Yeh kia gandagi khada kar diya aap ne aangan mein? Kitna ganda aur sada hua bus hai, aap kia karoge iss sade hue gande lohe se?!”

Apni maa ki baat sunkar wo ladki khilkhila kar hanssi. Abhi ne sab suna aur usski taraf dekhta raha. Aur ladki ne kuch ahiste se kaha apni maa ko jaise daantte hue. Abhi ke samajh mein aya ke ladki ne apni maa se kaha ke bus ki marammat karne wale log sab sun rahe hein, unnko acha nahin lagega….

Aur aakhir mein buss ek pal ke liye, koyi 2 seconds ke liye ladki stair par aayi, wo bhi jaise khud ko ek tang par sambhalte hue jaise stair par ana nahin chahti thi magar ek peyr fissal gayi iss liye majbooran ana pada, phir turant wapas piche chali gayi aur ussi darwaze aur deeewar ke beech se dekhne lagi.

Jiss pal wo nikli thi stair par Abhi ne bahot kuch dekha, aur uss par kia beeta, kia feel hua, kaise sambhala ussne khud ko yeh bayaan karna mushkil hai. Abhi ki nazrein tike rahe uss ek pal ke liye unn stairs par aur ussko to laga ke ek ghante bhar dekh liya uss ladki ko. Usske baal khule hue the jo hawa se lehra rahe the, kaale ghane baal, aur baal bhi bilkool weisi jaisi Abhi ko passand tha aur jaise baal usski Ruhi ke the, uss ladki ka rang bhi bilkool usski apni Ruhi ka rang tha, bilkool gori thi, chehra maan lo chand ka ek tudka dikh gaya Abhi ko, usski dress ek midi type thi, jo usski ghuton ko dhanke hue the, par talwe se thoda upar usski gori tang dikhe Abhi ko aur usski baazuwon par bhi nigahein pade the Abhi ke… Abhi ne khud se kaha,

“Haan komal dikhi mujhe wo, kamseen bhi hai, naazuk bhi lagi….”

Aur chehra? Muskurahat? Aankhen? Inn sab ko dekhne ka mauka hi nahin mila sahi se abhi ko, kyunke tab tak wo wapas chhup gayi thi…sirf ek jhalak dikha tha buss….. Abhi ne mann mein bassa liya ussko ussi pal…..

Uss din wahan se ghar lautne ke baad Abhi ne apni diary mein likha ke muddat baad aaj ussko apni Ruhi ki jhalak dikhi kissi mein, aur taahjub ki baat yeh thi ke ladki ka naam bhi Ruhi hi tha.

To be continued…… (2100 words)

Wow pyar bhara update tha bhai. Full Romance shuru ho gaya.
Ab abhi kaam kar paega kia wahan? Bilkool diwana ho gaya ab to.
Jiss tarah se aap se likha aur sab kuch itni detail mein explain kiya wo bahut hi badhya hai Casi bhai. Extraordinary.
Jo plan banaya aap he samjhane k liye wo taarife kabil hai. Main baar baar plan ko check kar raha tha padhte waqt. Jiss tarah se aap ne samjhaya ke ek full khula hua darwaja k bich se kaise dikhta hai, to yahan main ne ek darwaje ko full open karke dekhne gaya k kaise koyi dekh sakta hai aur yakinan bahut kuch dikhaayi deta hai ye to main me kabhi socha hi nahin tha. Aur aap ke plan ko dekh kar samajh mein aa gaya k Ruhi ko wahan se bus full dikh raha hoga aur shaayad wo bhi Abhi ko jhank rahi thi wahan se, kia pata?
Bahut pyara update hai bhai, mujhko bahut passand aaya, aur yakeen maanon main me 3 baar padh liya update ko.
Superb. :yourock:
 
Top