• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,511
34,400
219
ye update.............. turning point hai
ab tak in maa beti ne jitne drame kiye........................
uske bad is update mein jo raj bataye,.... dramatic tareeke se...............
baar-baar baat badalke......................

mujhe ruhi ki har bat jhooth lag rahi hai......................
uska pyar aur ansoo bhi

abhi ke andar bachpana hai.... wo seedha bhi hai......
aur shayad pahli bar pyar ke ahsas mein wo apne ap ko bhi bhool gaya
ek perfect deal karnewale businessman se.... ek college going ashiq ban gaya
uske is showoff par meine criticise bhi kiya tha....
lekin wo makkar nahi hai..... thoda chhichhora jarur hai.............

par ruhi hi nahi uski maa bhi mujhe..................
makkar hi nahi............ kameeni bhi lag rahi hain..................
pahle jarurat se jyada shah di abhi ko.............
kiss, hug sab kiya
fir har bar ek naya bahana............ek naya drama........
shadi karne mein aitraj bhi hai aur peechhe bhi nahi hat rahi poori tarah se.........
sabkuchh khatm bhi nahi hone de rahi
sirf abhi ko apne age jhukane........use tadpane mein jyada interest hai inka

dekhte hain ab aur kya hai inke man mein

abhi to raat hi baki hai...................
kal to uske bad hoga
 

Amity

Banned
532
4,092
123
Update 25 Ruhi Reveals It

Shaam ke 5.15 se 6.45 tak Abhi ne Ruhi se baat kiye, aur usski maa sath thi uss waqt. Maa ki haaziri mein sab kuch kaha suna gaya, thoda English mein thoda hindi mein baatein kiye donon ne, rona dhona bhi hua, aur maa ne bhi beech beech mein baat kiye.

Mehboob ne jab dekha saare kaam karne wale chale gaye aur Abhi Ruhi ke kitchen ke chaukath par khada hai to pucha,

“are Abhi aaj ghar nahin jana hai kia tumko?”

Rahima ne Abhi ki jagah jawab diya apne pati ko,

“lagta hai aaj Abhi Ruhi ke saat dinner karke jaega ya ussi ke yahan rahega!”

Ruhi hansste hue Abhi ke chehre mein dekh raha tha, aur Mehboob ne kaha,

“Acha yeh baat hai, to thik hai kal subha phir sab se pehle kaam shuru kar dena tumko door se nahin ana padega.”

Aur Abhi ne Ruhi aur usski maa se kaha,

“Dekha, sahi to keh raha hai Mehboob, main yahin theher jaata hoon aaj ek jagah milega kia raat beetane ke liye?”

Donon maa beti hanss rahe the aur Ruhi ne thoda gambhirta se kaha,

“Aap sapnon ki dunya se nikaliye nah Abhi main ne aap se kaha nah ke it’s too late now main kissi aur ki amaanat hoon!”

Abhi ko thoda ghussa aya aur usska dil ne chaha ke chilla kar Ruhi se kahe “phir kia naatak kar rahi hai itne dinon se usske saath, kyun ussko kiss kiya kyun uss se milne aati rahi ghar ke piche, kyun ussko lunch par invite kiya, kyun ussko jeeb se chidhati hai kyun itna kuch kiya, khilwaad samajh rakah hai kia?!!”

Magar Abhi ne sayyam rakhte hue araam se kaha,

“please ghar ke piche aao nah tumse akele mein baat karni hai mujhe, bahot serious baatein karni hai.”

Ruhi ne kaha,

“nahin jo kuch kahna hai yahin kehiye aap.”

Abhi ne usske maa ke taraf dekha aur kaha,

“Magar hum donon ke beech ki baatein hein tumhari mummy ki zaroorat nahin hai nah yaar!”

Ruhi ne kaha,

“are meri mummy ko sab kuch pata hai nah usske saamne hum kuch bhi baat kar sakte hein!”

Aur mummy ji ne kaha,

“haan Abhi mere saamne baat karoge to koyi sawaal bhi nahi karega nah, agar Ruhi ke saath akele piche gaye to sawaal uthenge!”

To Abhi ne kaha okay thik hai aur baton baton mein aise hi ek ke baad ek baat nikalte gaye.

Ruhi ne kaha,

“Agar aap ko nahin yakeen ke koyi hai jo mera intezar kar raha hai to meri mummy se puch lijiye.”

Abhi ne usski maa ke taraf dekha to ussne kaha,

“Haan yeh sach hai, Ruhi ko propose kar diya gaya hai shadi ke liye humne ladke walon ko zubaan de diye hein to kuch nahin kar sakte nah ab!”

Abhi bhi serious hua aur kaha,

“Main yakeen nahin karta,yeh sab aap donon ne milkar khichdi pakaaye hue hein hai nah?!”

Ruhi Abhi ke chehre mein dekhte hue jaise usski haar par khush ho rahi thi jab usski mummy ne wo sab kuch kaha to. Aur Ruhi boli,

“kia meri maa aap se jhoot bolegi?”

Abhi: “haan jaise subha kaha tha ke tum apni nani ke ghar chali gayi ho!”

Abhi ne uss aadmi ke baare mein pucha, to Ruhi ki maa ne kaha,

“wo wahin ka rehne wala hai jahan isski naani rehti hai.”

Abhi ne kaha,

“Aap Ruhi ko France bhej rahi ho, itni door aap ko pata bhi hai wahan isski kia haal ho sakta hai?!”

Mummy ji ne kaha,

“khair dekhte hein isski kismat mein kia hai, Ruhi ko hamesha se foreign jaane ki tamanna thi to jane diya jaye main ne socha.”

Abhi ne tab Ruhi ko dekhte hue kaha,

“issi liye main ne tumse kuch der pehle pucha tha kia tumko life ki luxuries chahiye?!”

Abhi bahot depressed feel karne laga tha yeh usski chehre se zaahir tha, jab bhi Abhi udaas hota ya koyi bhi chiz ussko pareshan karta to Abhi ke chehre pe saaf nazar ata tha aur wo Ruhi ko achi tarah se pata tha, wo Abhi ke chehre mein hi dekhe jaa rahi thi, ussko pata tha ke Abhi ko gehri choat lagi hai yeh sab baatein sunkar…… Abhi itna khushnuman insaan tha ke usske chehre par hamesha ek raunak hua karta tha, doston ke beech bhi koyi bhi usske chehre se pehchan leta tha jab bhi Abhi ko koyi pareshani hoti thi, kyunke Abhi tha hi aisa ke usska chehra sab bata deta tha. Abhi ek joyful happy going insaan tha. ab aise insaan ko choat lage to saaf dikhta hai.

To Ruhi Abhi ke chehre mein dekh kar samajh sakti thi ke Abhi ghayal hua hai aur khud Ruhi ke aankhen bhar aayi abhi ko weise dekh kar.

Abhi ne sar jhuka liya tha aur kuch der tak kuch nahin bola, aur jab phir se Ruhi ke chehre mein dekha to Ruhi ne ussko jeeb se chidhaya. Iss baar Abhi ko usska chidhana acha nahin laga, Abhi ne bahot seriously Ruhi ke chehre mein dekha ur ek gehra saans liya….

Bina kuch kahe Abhi ne apne kadam ko jaane ke liye moda, sar jhukaate hue to Ruhi ki maa ne usskko roka yeh kehte hue,

“are ruko to, abhi sirf 15 mins baat kiye hein aur jaane lage thehro to aur baatein karte hein nah!”

Abhi ne dabbe awaaz mein kaha,

“Ab kia kehna baki hai aunty?!”

Abhi ne ek cigarette jalaya, aur Ruhi ko piche apne kamre ki khidki ke paas aane ko kaha. Magar usski maa ne kaha,

“nahin wo ab aap se akeli baat nahin karegi, jo kuch kehna hai mere saamne kehye nah aap!”

To bhi ne kaha,

“To aap bhi wahin aaiye usski kamre mein wahin baat karte hein nah yahan Mehboob aur Rahima hamaare baton ko sun sakte hein nah!”

To Abhi piche gaya Ruhi ke khidki ke paas aur dekha ke Ruhi wahan uss se pehle pahunch gayi hai aur apne donon kehuniyon ko khidki se tek kar sar baahar nikaal kar muskuraate hue Abhi ko aate hue dekh rahi thi…. Jab Abhi wahan reach hua to dekha usski maa usske piche khadi hai.

Abhi ne ruhi ke aankhon mein dekhte hue kaha,

“Ruhi ab main apne gharwalon se, Naina se, doston se kia kahunga?!”

Donon maa beti ne ek saath kaha,

“Yeh aap ki ghalati hai kyun sabko bataya aap ne?!”

Baatein gambhir hote gaye, Abhi bahut hi seriously baat kar raha tha, ussne apni maa ke baare mein kaha Ruhi ko, uss se kaha ke ussko usski maa ki jaisi saas life mein kahin nahin milegi, usskki maa itni achchi hai…..

Ruhi ki maa ne Abhi ke thartharaate hue honth ko dekhte hue kaha,

“Ab yahan rona mat Abhi….”

Abhi ne kaha,

“nah, yahan nahin yeh tab hoga jab akele tanhaayi mein hunga tab…”

Jab Abhi ne weisa kaha to dekha ke Ruhi ki aankhen bhar aaye aur ansoo chalak gaye… Abhi ne turant apna haath badhaya usske chehre ke taraf aur Ruhi ne ek kadam piche kiya aur Abhi ne usski honton ko kaampte dekha…. Usski maa wahin rahi bina hille to Abhi ne usski maa se kaha,

“Ab aap mujhe yeh samjhao ke Ruhi kyun rone lagi? Dil mera tuta nah? dard mujhe hua, takliff mujhko ho rahi hai to Ruhi kyun ro rahi hai? Samjhaiye aap mujhe yeh baat! Agar Ruhi mujhse pyar nahin karti to ussko kyun aise mere haal par rona ata?!”

Ruhi apni bed par leyt kar ro rahi thi apne aankhon se aansoo poncte hue, to Abhi ne ussko bulaya, paas aane ko kaha…. Aur kaha,

“Ab tumhi batao mujhe Ruhi, ke kyun rone lagi tum? Rona to mujhe tha nah? wo main ghar jaakar kar lunga ya bus mein jaate hue munh chhupa kar ro lunga magar tum kyun rone lagi agar mujhse pyar nahin hai to?!”

Ruhi ne aur zor se rona shuru kiya apni takiye mein munh dabaate hue to Abhi ke bhi aankhen bhar aaye aur chalak bhi gaye aur tadapti awaaz mein, rote hue Abhi ne kaha,

“aao nah Ruhi ek saath milkar rote hein aao rona share karte hein donon aah nah Ruhi!!”

Abhi Ruhi ko zorse apne seene se lagaana chahta tha uss waqt, magar wo ghar ke baahar tha aur Ruhi andar thi apni bed par thi to behte aansoowon se Abhi ne usski maa ko dekha aur kaha,

“Please aap piche wala darwaza open karo nah, main Ruhi ko hug karna chahta hoon chaahe wo aakhri baar hi kyun nah ho, kholo nah please….”

Ruhi ki maa ne nah mein sar hillaya magar Ruhi apne aansoo ponchte hue uth kar piche wale darwaze ko khol diya, to jhapat kar Abhi wahan gaya aur uss chawkat par Ruhi ko zor se baahon mein bhar kar rone laga… donon ek dusre ko baahon mein bhade ro rahe the, maa dekh rahi thi aur kaha,

“Ruhi!! ahista sabko batana hai kia sssshhhh”

Aur maa ne uth kar darwaza band kiya aur donon ko bed par baithne ko kaha, khidki ke parde ko khinncha aur donon ko bilkool aahiste baat karne ko kaha, magar baat kahan donon ek dusre ke baahon mein rote jaa rahe the do chhote bachon ki tarah…..

Aur ab Ruhi ne kal ki tarah dobara apni maa ke saamne pucha,

“aap mere saare ghalatiyan maaf kar sakte ho Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke aankhon ko ponchte hue kaha,

“are baba kal keh diya nah HAAN” HAAN” HAAN” sab maaf kiya main ne kuch bhi ho!”

Tab Ruhi ne English mein baat kiye….

“And if I am not what I am looking to you, if I am someone else, different then?!”

Abhi ne kaha,

“It makes no difference to whatever it be! I would accept to marry you even if you had a child, even if you are a divorcee, even if you are a widow!”

Ruhi ne Abhi ke uss baat ko sunkar, upar chhat ko dekha, usski aankhen phir bhar aaye aur ek bacchi ki tarah rote hue Abhi ka haath bahut zor se pakar kar Ruhi ne pucha;

“AND IF I AM NOT A VIRGIN ABHI??!”
To be continued…. (5,752 words from all 3 updates)

Emotional, sad, glad, lovely, heart touching, this is how i would qualify this update.
It made me cry quite a lot.
That moment they held each other and cry was too emotional and heartbreaking.
Its fortunate that Abhi got the chance to get inside or else this would not hv been that intense....
Yes Ruhi's telling that she is not a virgin was not at the placed as Abhi said higher stuff regarding that....
Well now that was a really lovely update, Abhi has not said his word yet.... so... oh yeah there is one more update
Reading that now
 

Amity

Banned
532
4,092
123
Update 26 The Unexpected Happened

“It makes no difference to whatever it be! I would accept to marry you even if you had a child, even if you are a divorcee, even if you are a widow!”

Ruhi ne Abhi ke uss baat ko sunkar, upar chhat ko dekha, usski aankhen phir bhar aaye aur ek bacchi ki tarah rote hue Abhi ka haath bahut zor se pakar kar Ruhi ne pucha;

“AND IF I AM NOT A VIRGIN ABHI??!”

Ab aaguey….

Ruhi ki uss baat ko sunkar Abhi ko nah shock laga, nah heyraan hua nah kuch kyunke Abhi ko yakeen ho gaya tha ke aisi hi koyi baat hogi jissko Ruhi “apni life ki ghalatti” kehti ya maanti thi. To bina soche turant on the spot Abhi ne kaha,

“Main tab bhi tumse shaadi karne ke liye tayyaar hoon Ruhi”

Ruhi kuch der khamosh rahi, tab pucha,

“Are you sure Abhi?”

Palak jhapakne se pehle Abhi ne kaha,

“YES I AM SURE A THOUSAND, A MILLION, A BILLION PERCENT SURE”

Aur Abhi ne tutant pucha,

“kia yehi vajah thi ke tum mere proposal ko refuse kar rahi thi?!”

Sar jhuaaye hue, zameen taakte hue, aankhon ko saaf karte hue Ruhi ne udaas awaaz mein kaha,

“haan”

Phir Abhi ke chehre mein ek chamak dikhaayi diya aur Khushi se pucha,

“Aur phir baaki jo kuch bhi tumne kaha ke kissi ka tumhara intezaar karna, wo Amit, wo abroad wala, sab planned tha nah? sab naatak the nah?!”

Ruhi thodi si hanssi, Abhi ke chehre mein dekha aur kaha,

“Now, please don’t tell this matter to anyone, I have not told anybody about it”

Abhi ne pucha,

“your relatives hereabout know about it?”

Ruhi: No, No, No one.”

Abhi: “your father?”

Ruhi: “Noooooo”

Abhi: “your bothers?”

Ruhi: “No Abhi not at all!!!”

Abhi: “hmm only your mother knows all!”

Ruhi: “No, even she does not know!”

Aur Ruhi ki maa uss waqt hanss rahi thi to lag raha tha ke wo donon ke baton ko samajh rahi thi halaan ke English mein baat kar rahe the donon.

To Abhi ne kaha,

“Now you must be lying, your mother must be aware of all, I am sure!”

Ruhi: “No Abhi, she is not aware, no one else know it!”

Phir kuch der kamre mein bilkool sannata ho gaya, khamoshi chah gayi, koyi kuch nahin bol raha tha, Abhi Ruhi ki saanson ko sun sakta tha uss waqt.

Ruhi ka haath Abhi ke haath mein tha, donon bed par baithe hue the, maa, do kadam bagal mein khadi donon ko dekh rahi thi. Baahar andhera hone laga tha, suraj dhal chuka tha, kamre mein thoda andhera hone laga tha…. Abhi ne ek haath Ruhi ke kaandhe par kiya, usski gardan ko khud se sataaya, usski gaal ko chuma, tab mudhkar usski maa ko dekha ek smile ke saath, aur Abhi uss baare mein Ruhi se swaaal karna chahta tha, socha ke puchein ya nahin puchein, mauka sahi tha uss topic par hi baat karne ko kyun ke wo topic cheda gaya tha, magar Abhi soch raha tha usske sawaal karne se Ruhi ko takliff ho sakta hai, phir socha ke abhi nahin pucha to kabhi bhi puchega tab bhi takliff hi hogi, to ya iss baat ko kabhi nah karen ya aaj hi sab puch kar khatam karen, to Abhi ne Ruhi se puchne hi jaa raha tha ke Ruhi ne kaha,

“aap ko aur kuch puchna hai to puchiye, main sab bataungi,

To Abhi ne pucha,

“Who did that to you? The one who is abroad?”

Ruhi ne sar jhukaaye hue hi jawaab diya,

“No, not he”

Abhi jhuk kar Ruhi ke chehre mein dekhte hue phir pucha,

“when did that happen? Long time ago or recently?”

Ruhi: “A long time ago!”

Abhi: “then who did that?”

Ruh bahot upset dikh rahi thi aur kaha,

“Oh, I don’t want to talk about it, please.”

Abhi: “OKAY…NEVER MIND….. SO RUHI NOW ITS ALL OKAY BETWEEN ME AND YOU? ALL IS FINE? SEE I LOVE YOU DESPITE THAT, YOU MUST BE HAPPY RIGHT?”

Ruhi ne Abhi ke chehre mein dekha aur kaha,

“Maa andhera ho gaya light on karo nah mujhe Abhi ka chehra nahin dikh raha thik se!”

Usski maa ne light ko on kiya, aur chali gayi baaki ke Kamron mein light on karne tab Ruhi ne Abhi ko baahon bharkar kaha,

“yes, it’s all okay now Abhi. Thank you Abhi.”

Abhi ne ne usske peeth ko thapthapaate hue kaha,

“Dekho Ruhi ab mere tumhare beech mein koyi doorie nahin honi chahiye okay?”

Ruhi ne apni dheemi, meethi, pyari awaaz mein kaha,

“OKAY ABHI”

Aur baahar baarish sunaayi diye, to Ruhi ki maa wapas kamre mein aayi aur kaha,

“Baarish hone lagi, Manoj Shweta wapas nahin aaye Abhi tak, bheeg jayenge donon!”

Maghrib ki namaz ki azaan sunaayi diye phir, aur Ruhi ki maa ne kaha,

“Aazan ho rahi hai Mehboob masjid jaega ab!”

To Abhi ne pucha,

“Mehboob religious hai? Mujhe nahin pata tha din mein to bilkool nahin jata wo!”

Ruhi ne kaha,

“Sunset ke baad aur raat ki last prayer ko jaate jein wo.”

Tab Ruhi ki maa ne donon ko dekhte hue Abhi se kaha,

“Abhi tum kitne lambe ho aur Ruhi tumhare saamne kitni chhoti hai”

Abhi ne turant kaha,

“jisski biwi chhoti usska bu bada naam hai”

Iss par Ruhi hanssi aur Abhi ko maara usske haath par.

Phir Abhi ne continue kiya

“goad mein bithalo bachche ka kia kaam hai…”

Ruhi zor se hanssi aur phir Abhi ko maarna chaha magar Abhi wahan se hatt gaya to Ruhi ne ussko miss kiya iss liye aur bhi hanssne lagi….

Phir achanak Ruhi ne Abhi se pucha,

“Are you sure that you still love me despite that?... you see I do not want to deceive you that’s why it was my duty to tell you the truth”

Abhi ne phir usske kaandhe par haath rakh kar kahaa,

“yes sweetheart I love you and will always do, look Ruhi, I told you I am a very sentimental person, I need LOVE AND YOU WILL GIVE ME MUCH MUCH LOVE AND THAT LOVE WILL COVER EVERYTHING ELSE.”

Abhi ke baat ko sunkar Ruhi muskuraayi aur kaha,

“YES.”

Abhi ne phir pucha,

“Can you give me that much love Ruhi?”

Ruhi kuch der khaamosh rahi, to Abhi ne sawaal ko dohraya, tab Ruhi muskuraayi aur kaha,

“YESSSS”

Abhi bahot hi khush hua, ussko jaise naachne ka mann kar raha tha, jhumne ko mann kar raha tha, socha Khushi se aaj bus mein safar karega….

Aur tab Abhi ne kaha,

“okay ab mujhe jana hoga, kaafi der ho gayi hai…”

Ruhi ne achanak Abhi ka haath zor se pakra aur udaas hokar kaha,

“Aap jaa rahe ho? Main ne socha aap rahoge, please aaj yahin theher jao nah please!”

Abhi ko heyraani hui aur Usski maa ke chehre mein dekhne laga. To maa ne kaha,

“thik hair reh jaiye aaj, kal chale jana nah!”

Abhi ne sapnon mein aisa kayi baar socha tha aur aaj usska sapna pura hote dikhaayi de raha tha ke wo Ruhi ke ghar mein raat guzaarega….. phir bhi ussne pucha,

“magar abhi Manoj aakar sawaal karega to kia jawaab denge ussko?!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“wo aap mujh par chor do, wo kuch nahin kahega hum uss se kahenge ke aap ko rehne ka mann kiya buss aur phir dada ji hai nah ghar mein aur ussko to pata hai”

Tab Abhi ne kaha,

“mere ghar par sab intezaar karenge, yahan kiss ke paas phone hai main ghar phone karke bata dun ke kal ghar aunga….”

Ruhi ne Abhi ke chehre mein ghaur se dekhte hue pucha,

“Aap ke yahan phone hai Abhi?”

Abhi: “lines lagaa rahe hein telecom waale ek do mahine mein lag jaega, main ne application kar diya hai, abhi paas ke dukaan mein phone karke ghar bataane ko kahunga.”

Ruhi ne kaha,

“Hum ne bhi apply kiya hua hai, papa Saudi Arabia se uss filling station wale ke yahan phone karta hai to humko weh log bulaate hein tab hum jaate hein papa se baat karne ke liye, chaliye aap uss dukaan se phone kar sakte ho jahan aap cigarette kharidne jaate ho……. Maa main Abhi ko phone karane lejaa rahi hoon!”

Aur Ruhi aur Abhi ghar se nikle, main road ke taraf jaate hue dikhe uss aangan mein jahan Abhi ne sapna dekha tha ke wo Ruhi ke saath wahan weise hi chalega kabhi. Andhera tha, street light to main road par tha uss aagan mein to nahin, to Ruhi ne chalte hue khud Abhi ke baazu ko pakra hua tha, wo Abhi ke right hand side mein thi to usske right arm ko apne donon haathon se thaame hue thi.

Abhi ko kitna achcha feel ho raha tha, usska dil machal raha tha wo itna khush tha ke ussko zoron se chilla kar apni Khushi ko izhaar karne ka mann kar raha tha uss waqt. Wo uss pal ko jee bhar ke jina chahta tha, Ruhi ko thaamna chahta tha magar Ruhi ne usske baazu pakre hue the aur wo ussko disturb nahin karna chahta tha.

Aur Abhi ne araam se aur dhimi awaaz mein jhuk kar Ruhi ne gardan ke paas apne munh ko laakar kaha,

“kitna romantic lag rahe honge hum donon iss waqt aise chalte hue, kaash koyi hum donon ki film utaarta aise, ya Manoj hamara ek photo leta iss position mein!”

Ruhi ne thoda sa darr dikhaate hue kaha,

“uff wo ata hi hoga Shweta ke saath, hum ussko cross kar sakte hein raaste par….”

Aur Ruhi ne turant Abhi ke baazu ko chorr diya.

Tab Abhi ne Ruhi ke kaandhe par hath rakh kar ussko khud se sataya, to Ruhi ne kaha,

“ofo chorro nah main road agaya, yahan kitne log honge, dekho dukaan wahan hai jahan se phone karna hai…”

Ruhi ne phir filling station ko dikhaate hue kaha,

“aur wo hai filling station, usska maalik piche rehta hai, wahin papa phone karta hai humko!”

{main ne sketch mein uss filling station ko lagana bhool gaya. Wo station main road par nikalte hi thik opposite mein hai Ruhi ke ghar se wo filling station dikhta hai, agar Ruhi apne kitchen ke chaukath par khadi hoti hai to seedha filling station ki maalik ka ghar, aur aadha filling station saamne dikhta hai main road ke uss paar --- yeh iss liye bata raha hoon kyunke uss filling station ke baare mein baad mein kuch part aane wala hai}

To Abhi aur Ruhi uss dukaan tak gaye, kuch log pee kar ladkhadaate hue dukan se nikal rahe the, kuch log pee rahe the kone mein, Ruhi Abhi ke piche hokar jaise usske piche chhup rahi thi wo sab dekhte hue.

Abhi ne phone kiya apne mohalle ki dukaan par aur by chance uss waqt usske pita wahin tha uss dukaan mein, wo bhi daru hi pine gaya hua tha udhar, to dukaandar ne Abhi se kaha ke usska pita wahin hai uss waqt to ussi ko phone diya baat karne ko.

Abhi ne apne pita se keh diya ke aaj wo ghar nahin araha kal sham ko aayega. Baap ne sawaal kiya ke kahan rehega kiss ke ghar, to Abhi ne kaha jisska bus bana raha hai ussi ke ghar par rukega aaj ki raat.

Phir Abhi ne Ruhi ke liye chocolates kharida, aur kuch snacks aur pucha ke Shweta kia passand karti hai, to Ruhi ne Abhi ko unn chizon ko dikhaya jo Shweta ko passand hai aur Abhi ne ek plastic bag bhar ke cakes aur sweets liya sabke liye, Ruhi aur usski maa ke liye ice creams bhi liye Abhi ne, aur apne liye cigarettes chhupa kar liya bina Ruhi ko dikhaaye.

Wapas aate hue Ruhi ne abhi se kaha,

“kitna kharch karte ho aap, itna kuch kharidne ki kia zaroorat thi, Rs.250 ke cakes hmmm?!”

Abhi ne buss Ruhi ko jakar liya aur us aangan mein donon ne ek dusre ke kamar mein haath daale hue chal kar ghar aaye….. Aur jab bus tak pahunche jahan Abhi har roz kaam karta tha to Ruhi ne kaha,

“rukiye nah ek baat bataati hoon aap ko….”

Abhi ruk gaya bus ke paas, to Ruhi ne Abhi ka haath khinch kar uss bade darkhat ke paas gayi aur Abhi ke gale mein apne bahon ko lapet kar kaha,

“Har shaam ko jab aap chale jaate ho nah to main yahan aakar aap ko yaad karti hoon, din bhar jo kuch aap ne kiya, kahan kahan kaam kiya sab unn jagahon par jaakar dekhti hoon ke Abhi aaj yahan kaam kar raha tha, yeh kar raha tha wo kar raha tha yahan se mujhko dekh raha tha…..”

Abhi ne Ruhi ko zor se baahon mein bhadte hue kaha,

“Ruhi tum bhi mere jaise feelings rakhti ho, are main ne tumko letter mein yeh sab kaha hai nah? Main bhi har subha ata hoon to tumko har uss jagah par feel karta hoon jahan jahan tum mujhe dikhti ho, yaar yeh hum donon ek jaise hein yaar!!”

Aur donon ne ek dusre ko uss darkhat ke niche kiss kiya. Ek lamba aur passionate kiss. Ruhi ko jaise Abhi ko chorrne ka mann hi nahin tha.

Abhi behad khush tha, yeh ussko sab ek sapna jaisa lagne laga tha. Ussko yakeen nahin ho raha tha ke yeh sab sach mein ho raha hai. Haan ussne yeh sab khayaalon mein kayi baar socha tha magar sab hakikat mein badal jaega yeh ussne bilkool nahin socha tha. Tha to wo bilkool positive, hamesha bhala hi sochta tha, aur umeed karta tha ke jo soch raha hai wo sach aur sahi ho jaaye magar weisa sach mein hoga wo nahin sochta tha. Aur aaj jo ho raha tha usske saath wo buss ek dream come true tha.

To be continued…… (2307 words)

Wooooowww at least now we get a very beautiful and positive update. This update is so close to the heart. Such a lovely one. Full of love, plenty of it. Soooo romantic.
I am feeling so happy with this update BUT STILL I hv that fear as I know what the title of the story means. And now this makes me wonder, if at this stage both are showing how far they love each other, then WHAT will get them apart?
Ruhi proves to be really in love with him and Abhi is madly in love with her.
Then is there the possibilty to part away?
Pheeeeewwww I wonder what will Abhi go through THEN??
A new boy in her house and the night is there to be spent. Something gonna happen? Something bad Casinar ji? Sincereltly hope nothing such happens. Let both live this happy night together and in love. At least Abhi will hv sweet memories to write in his diary then.
Thanks for this gem my dear.
:bow: :bow: :bow: :bow: :bow: :bow:
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Amazing update casi bhai,
abhi ne as expected expression hi diya hai ruhi ki virginity vale baat par,
ruhi ki maa ne aaj abhi ko uske ghar par hi rok liya hai,
aakhir kar ruhi ne bhi abhi ko apne feelings ke baare mein bata hi diya hai, ki vo bhi un jagahon par abhi ko vaise hi feel karti hai jaise ki abhi karta hai,
ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Waiting for next update
 

king cobra

Well-Known Member
5,259
9,857
189
Update 23 How Abhi Faced It

Subha usski maa ne tang khincha tha Abhi ka yeh keh kar ke Ruhi apni nani ke yahan hai, kia ek baar phir Ruhi ki maa ne jaan bujh kar khidki band kiya Abhi se sharaarat karne ke liye? Kia andar se maa beti sab dekh aur sun rahe hein?! Kia Ruhi ne apni maa ko sab bata diya jo Abhi ne khat mein likha hai? Bina awaaz ke Ruhi ne kia kaha tha Abhi se?

Abhi kaam karne chala gaya kyunke lunchtime end ho gaya tha magar nah khidki khuli aur naa hi Ruhi dikhi. Abhi ka dimaaghi haalat bahot kharab tha uss waqt. Ghussa bhi kar raha tha aur kaam sahi se nahin ho raha tha uss se. bus ke baahar ke panels par aluminium sheet measurement se kaat kar rivet se chipkana tha, din bhar ka kaam tha, shaam tak wohi karna tha, pehla hi sheet kata to ghalat kata, kum tha, ek sheet waste hue. Aur Saeed ne kaha,

“Agar Mehboob ko pata chala ke yeh sheet kharab hua to naraaz hoga iss sheet ko chhupado kahin!”

Abhi ne ghusse mein reply kiya,

“Kaun si badi baat hai? Kate hue sheet ko dusri jagah istemaal kiya jaa sakta hai, kayi jagahon par uss se bhi chhota dimension ke liye kaatna hai to uss bigre hue hisse se kaat lenge not a big deal!”

Tony Abhi ka help kar raha tha. Jab sheets ko kaatna tha to kissi ek ko dusre taraf sheet ko pakarna padta tha. aur kata jaata tha ek tin kaatne wale kainchi se jissko Tin Snip kehte hei wo aisa hota hai jaise iss tasveer mein hai:


Tin-snipper.jpg
Ab measurement par kaatne ke liye, pehle bus ki panel par naap liya jata tha, aur ussi naap ko sheets par pencil se mark kiya jaata phir ek line khincha jata tha sheet par tab uss line par tin snip se kata jata tha. jaise ke agar naap hai 5mts by 7 mts and 15 cms. To sheet par itna naap kar line khincha jaata tab uss line par tin snipper ko chalaate hue kaatta tha Abhi.

Ab yeh saare kaam thik Ruhi ke kitchen ke saamne karna hota tha, wo blank space hai nah sketch mein uss hisse mein yeh sab kaam kiya jaata tha. to har baar jab Abhi tin kaatne jaata to kitchen ke andar dekhta magar wo khaali tha koyi bhi nahin tha kitchen ke andar, magar Abhi ko ek ummed thi ke 3 bajne ke baad ruhi ko kitchen mein ana hi padega pakaane ke liye aur tab se shaam 6 baje tak to kitchen mein hi rehti hai, so abhi uss waqt ka intezaar karta raha kaam karte hue.

Kate hue tin ko laakar bus ki panel par sahi se dabaa kar hole dril karna hota, aur uss hole mein rivet pop kiya jata tha. River Tony pop kar raha tha jabke Abhi tin ko sahi disha mein laga raha tha taake wo hille nahin bilkool. Ek panel ke tin ko chipkaane ke liye kareeb 25 holes drills karne hote the aur utna hi rivet lagana padta tha. to ek sheet ko kaat kar, wapas aakar panel par chipkaane mein koyi 30 mins lag raha tha…. Abhi ne jaan bujh kar slow kiya aur 45 se 50 mins liya ek sheet ko chipkaane ke liye taake Ruhi ko kitchen mein aane ke time Abhi ko ussko dekhne aur baat karne ka mauka mile.

Shaam 3 baje tak Abhi ne apne kaam ko slow chalaya….. aur jab 3 baja aur Ruhi kitchen ki chaukath par nazar aayi bus ke taraf dekhte hue, to Abhi gaya aluminium sheet kaatne…. Abhi ka dil phir bhi khush hua ke pehla chiz jo Ruhi ne kiya wo tha direct bus mein dekhna, matlab Abhi ko dhundna ya usske taraf dekhna.

To Abhi aur Tony gaye thik Ruhi ke kitchen ke saamne, Ruhi wahin khadi rahi jab Abhi ko uss taraf aate hue dekha. Ruhi ke chehre mein dekhte hue hi abhi wahan rakhe aluminium sheet par baitha, koyi 14 sheet rakhe hue the niche kuch blocks par. Ruhi ke chehre par ek muskan saji hui thi aur usski aankhon mein ek chamak dikh rahi thi, khush thi. Magar Abhi heyraan tha ke aaj mili nahin aur aise behave kar rahi hai jaise sab kuch normal hai.

Abhi ne measuring tape ka ek end Tony ko pakarne ko kaha aur apne pencil se measure ke hisaab se mark kar raha tha sheets par aur Ruhi ko baar baar dekhe jaa raha tha to Tony ne kaha,

“Bhai kahin koyi mistake mat kar dena firse, mujhe cross check karne do ke aap ne sahi measurement par mark dala hai ya nahin aap ka dhyan udhar ziada hai abhi….”

Abhi ne hansste hue tape Tony ko diya aur ussko khud measurement mark karne ko kaha, aur line khinchne ko bhi kaha jahan jahan tin snipper chalana hai tab tak wo ishare se Ruhi se baat karta raha. Ruhi ne sone ka ishara karke Abhi ko samjhaya ke wo so gayi thi, tab Abhi ko yaad aya ke raat bhar wo soyi nahin thi kal, issi liye ussne kidki band karke so gayi thi, abhi abhi uthi hai.

Abhi ne phir pucha ke khat ka jawaab likha ya nahin? To Ruhi ne na mein sar hillaya hansste hue. Tony baar baar sar utha kar Tuhi aur Abhi ko dekh raha tha to Abhi ne uss se kaha,

“Abe tu kyun ab humko dekh raha hai? Tu markings kar nah!”

Phir Abhi baitha apne tangon par tin snip se sheet kaatne ke liye, shuru hi kiya tha ke Manoj Shweta ko lekar aangan mein aate hue dikha….. Aur Shweta Manoj ka haath chhura kar bhaagte hue seedhe Abhi par jhapki aur usske kaandhon par apni choti choti baazuwon ko lapet kar zorr se “Abhhhiiiiii” chilaate hue ussko gale lagaaya aur kayi puppiyan diya Abhi ko. Ek hafte baad Shweta wapas aayi thi aaj. Aisa lag raha tha Abhi ki beti apne papa ko pyar kar rahi thi….. Ruhi aur Manoj donon kitchen ke stairs par khade hansste hue dekh rahe the Shweta ko. Phir Manoj andar chala gaya aur Ruhi ne kaha,

“Shwetu, tu mujhse milne nahin aayi seedhe Abhi ke goad mein chali gayi, main teri kuch nahin lagti, Abhi sab kuch hai ab?!”

Tab tak Abhi ne Shweta ko goad mein utha kar khada ho gaya tha aur Ruhi ke taraf dekhte muskura raha tha, aur Shweta ne Ruhi ko jawaab diya,

“Aap to upar the aur Abhi niche baitha hua tha, yeh itna ooncha hai ke issko puppy dene ke liye innko jhukne ko bolna padta hai tab puppy de sakte hein to aaj innko niche dekha, to chali gayi usske goad mein aap jealous ho rahe ho kia?!”

Sab Shweta ki masoom baton ko sunkar hanssne lage, khud Ruhi zor se hansi aur Shweta ko reply kiya,

“haan main jealous hoon kyunke tumse pehle Abhi ko main jaanti hoon”

Shweta ne apne naazuk ungli ko daanton mein dabaya aur Abhi se dhire se kaha,

“Wo aap ko pehle se jaanti hai?!”

Abhi ne bhi ussko dhire se kaha,

“haan jaanti to hai, magar hum aap se bahuuuuuuut ziada pyar karte hein, Ruhi se utna nahin karte!”

Shweta ne “hihihihihihi” kiya phir Abhi ke kaan mein kaha,

“ab agar ussko pata chala ke aap mujhse bahuuuuuuut pyar karte ho tab aur ziada jealous hogi nah hihihihihi”

Abhi ne apne shak ko mitana chaha aur Ruhi ko weise hi goad mein lekar bus ke taraf chalta gaya usske kaan mein baat karte hue. Abhi ko uss bachi mein Ruhi ki bachpan dikh raha tha, wohi naak naksha, wohi Aankhen, wohi Muskaan, to apni shak ko mitaane ke liye Abhi ne Shweta ke kaan mein kaha,

“kiss ne aap ko kaha jhut muth ke Ruhi ko didi bulaane ko? Wo to mummy hai nah aap ki?!”

Ruhi ne jawaab nahin diya buss daanton mein apni ungli dabaayi. To Abhi ne Shweta se sawaal jaari rakha,

“achah batao aap rehte kahan ho aap ki address pata hai aap ko?”

Shweta ne apni sheher ka naam bataya Abhi ko, tab Abhi ne pucha,

“Aap apne papa ke ghar rehti ho?”

Shweta ne haan mein sar hillaya, phir Abhi ne pucha,

“aap ke papa ka kia naam hai, aur surname bhi batao, aur aap ka surname?!”

Ruhi ki surname “Nunhuck” hai, to Abhi jaanna chahta tha ke agar Shweta usski chacha ki beti to Shweta ki surname bhi wohi hogi nah…. aur Shweta ne jawaab diya,

“mere papa ka naam hai Anirud Nunkuck, aur mera Shweta Nunhuck”

Abhi ne ek gehri saans liya aur pucha,

“Aap ki mummy bhi rehti hai nah saath uss ghar mein?”

Shweta ne jawaab diya,

“haan hamare saath hi rehti hai, mummy nurse hai hospital jaati hai roz.”

Abhi ne kaha,

“hmmm to phir Ruhi aap ki badi didi hi hui nah baby!”

Shweta ne apni muthi kholke usse dolte hue kaha,

“haan wo badi didi hi hai meri”

Abhi ne ek gehra saans liya, ussko kabhi shak hota tha ke Shweta Ruhi ki beti hai aur yehi secret chhupa rahi thi Ruhi uss se aur issi baat ko apni ghalati batana chahti thi aisa Abhi ko laga tha, ab Shweta ne confirm kar diya tha ke wo Ruhi ki chacha ki beti thi.

Phir bhi Abhi ne ek sawaal aur kiya Shweta se,

“aap ka koyi aur bhai behen hein kia wahan ghar par? bada bhai ya badi behen ya chhota bhai ya chhoti behen?!”

Shweta ne apni masoom aur Ruhi ki jaisi awaaz mein kaha,

“main akeli hoon mera koyi bhai aur behen nahin hai!”

Abhi ke mann mein dobara shak ne ghar kiya, Ruhi ke chacha aur chachi ke koyi aulaad nahin iss liye Shweta ko apne naam dekar adopt kiya hoga….. Abhi iss liye aisa sochne laga kyunke wo sheher wala chacha Ruhi ka bada chacha tha, aur uss age mein itni chhoti Shweta ki umar ki bachi hona kuch ajeeb lag raha tha….

Tab tak Manoj apne camera ke saath ghar se nikla aur Shweta se kaha,

“chal tujhe Amitabh Bachchan ki shooting dikhaunga aaj chal Shwetu!”

Aur Manoj Shweta ko lekar chala gaya, aur kitchen ke chaukath se Ruhi ne oonchi awaaz mein Shweta se kaha,

“mujhe ek puppy bhi nahin diya, mujhse mili bhi nahin, Abhi ke goad mein chipki rahi aur bina mile jaane lagi shooting dekhne, mat aana mere paas Shweta!”

Shweta main road ke taraf jaate hue Ruhi ko wave kiye ja rahi thi hansste hue….

Aur Ruhi ki maa bhi nikli stairs par Shweta aur Manoj ko jaate hue dekhne, phir Abhi gayi Ruhi ke kitchen ke chaukath ke paas aur usski maa ke saamne kaha,

“Tum kyun nahin chali gayi shooting dekhne apne bhai ke saath?”

Ruhi ne Abhii se hansste hue kaha,

“main ne kissi aur ke saath jaane ko socha hai magar wo busy hai sirf kaam kaam kaam karta rehta hai!!

Yeh reply sunkar andar se Abhi ka dil khush to hua magar Ruhi ko jawaab diya Abhi ne,

“sirf kaam hi karta wo; to kal do ghante tumhare saath nahin hota aur aaj aadha ghanta tumhare kapde dhone wale pathar par baith kar wait nahin karta!”

Ruhi ki maa ne hansste hue kaha,

“le! Ab de jawaab ussko, wo itna tez hai ke tujhe hara dega hamesha sawaal jawaab mein tujhse bahot ziada tez hai Abhi”

Ruhi ne muskuraate hue kaha,

“hmm very intelligent boy with witty replies always… aap se baat karna asaan nahin hai nah Abhi?!”

To be continued in the next update immediately

Bahut badhya update bidu. Ye Abhi ki naukri k bare me bada dilchasp chij likhte ho bidu. Jabardast.
Iss update me ye bacchi shwetu ka role bada mast tha. Ussko bidu tumne bade cute tarike se likha aur darshaya.
Bahut bahut passand aya apun ko
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,042
78,017
304
Ruhi does not understand Abhi's love, so maybe she said so. Ruhi did not answer Abhi's questions, there must be some reason for this as well. Tonight Abhi will be in his in-laws house.
The best part of today's update is that the two have been reunited. After reading today's update I am very happy and Abhi too. The night has just started and let's see what happens next. After reading the review of kamdev99008 Ji, I too started having doubts.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story. Thank You...:heart::heart::heart:
 
Last edited:

king cobra

Well-Known Member
5,259
9,857
189
Update 24 How Abhi Faced It (ii)

Abhi ne kaha,

“iss sawaal ke badle tumko yeh batana behtar suit karta ke tum kehti ke tum ne uss aadhe ghante tak kyun mujhe wait karwaya?!”

Ruhi ne jeeb ko daanton mein dabaate hue kaha,

“sorry Abhi, kal raat nahin soyi thi nah to 11 baje hi main gehri neendh mein thi, aap log bus mein kaam karte hue shor kar rahe the nah to main ne nahin mummy ne khidki band kar diye taake meri neendh nah tute!”

Abhi ne kuch nahin kaha thik tabhi uss taraf se Rahima ne Ruhi ko bulaya kuch dikhaane ke liye, aur Ruhi nikli aur yeh gungunaate hue Abhi ke bagal se guzri, “pyar karte hein hum tumhein itna…..”

Abhi ne suna aur usska dil bahot khush hua Ruhi ko uss geet ko gungunaate hue sun kar.

Aur Ruhi turant wapas aayi Rahima se kuch haath mein lekar aur wohi geet gungunaate hue Abhi ke bahot karib se guzri, to turant Abhi ne bhi gungunaya, “pyar karte hein hum tumhein itna….” Ruhi ne mudhkar usse dekha, muskuraayi aur kitchen ke chaukath par apni maa ke paas khadi ho gayi.

Abhi gaya unn donon ke paas khada hua aur Ruhi se pucha,

“did you read the letter?”

Ruhi ne ek pyari si muskurahat mein kaha,

“oh yes, yes thank you very much hmmmm thanks very very much for that, its so, so nice of you. But you will not get any answer for that okay Abhi?”

Abhi: “And why I won’t get any reply?”

Ruhi: “I am not worth to reply to such a lovely letter.”

Ruhi bade pyar se muskuraate hue baat kar rahi thi Abhi se apni maa ke saamne. Maa sirf muskura rahi thi.

To Abhi ne pucha,

“Is you mum understanding what we are talking?”

Ruhi: “No she is not!”

Abhi: “So will you tell me, what about the mistake you were talking yesterday?”

Ruhi ne baat ko badalte hue kuch aisa kaha jiss se Abhi ka dil baith gaya, ussko ghutan sa feel hua, Ruhi ne kaha,

“chalo maan lo ke aap ke khat ka mera jawaab nah hua to?!”

Abhi ne koyi jawaab nahin diya, buss Ruhi ke chehre mein utarte hue chehre se dekkhta raha. Kuch tha hi nahin Abhi ke paas kehne ke liye. Ruhi phir bhi muska rahi thi… to Ruhi ne khud kaha,

“Aur agar main aap se kahun ke meri mangni ho chuki hai to?!”

Yeh sunkar Abhi ke dimagh ne kaam karna bandh kar diya. Usske samajh mein nahin aya ke wo ab kia jawaab de Ruhi ko!!

Kuch pal khamosh rehne ke baad Abhi ne kaha,

“Main nahin manta, impossible….. So, you have someone in your life?”

Ruhi ne bade asaani se kaha,

“No not in my life, but he is abroad.”

Abhi ne dil ko sambhaalte hue pucha,

“he will come back to stay?!”

Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke aankhon mein dekhte hue kaha,

“No, he will not come to stay, he will return.”

Abhi ne phir kaha,

“phir meri duah hai ke wo kabhi bhi wapas nah aaye!”

Ruhi ne hansste hue kaha,

“Hey bhagwaan aisa bhi koyi kehta hai kissi ke liye?!”

Ruhi ki maa sab sun rahi thi aur hanssti jaa rahi thi.

Abhi ne tab Ruhi ka haath thaam kar kaha,

“To kia tum mere liye ussko chorr nahin sakti, ussko bhool kar meri nahin ho sakti tum?”

Ruhi ne kaha,

“I don’t know that depends on my parents!”

Abhi ne object karte hue kaha,

“tumhare parents tumhare liye decide nahin kar sakte,tumko apna choice karna tumhara haq hai, weh log tumhare liye decide nahin kar sakte!”

Ruhi ne kaha,

“but it is my duty to obey my parents”

Abhi ne ussko jawaab diya,

“but it is also your duty to obey yourself”

Tab Ruhi zor se hanssi, to Abhi ne kaha,

“okay phir thik hai main abhi issi waqt tumhare mummy se shaadi ke kiye tumhara haath mangne jaa raha hoon….”

Iss par Ruhi aur bhi hanssne lagi…..

Abhi ko lagne laga ke jo kuch abhi Ruhi ne kaha sab banawti baatein the, magar usske dil mein darr tha ke kahin yeh sab sach nah ho….

Aur Ruhi ne kaha,

“have you ever realised how tall you are and how I am?”

Abhi ne turant kaha,

“That’s not important, how tall is Amitabh Bachchan and how tall is Jaya Badhuri?”

Ruhi iss par bahut hanssi usski maa bhi hanssti gayi Abhi ki baat sunkar….

Aur Abhi ne kaha pyar mein yeh sab nahin dekha jaata, lambaayi, rang, jaat paat sab koyi maene nahi rakhta….

Abhi ne tab Ruhi se kaha ke aaj kaam 5 baje end hoga magar wo 6 se 6.30 ya7 baje tak issi aangan mein rahega aur chahta hai ke Ruhi se akele mein baar kare…..

Phir Abhi kaam karne laga… Ruhi aas paas hi rahi aur apne jeeb se Abhi ko ghanton bhar chidhaati rahi, hanssti rahi, khush dikh rahi thi, chanchal adaaon se jaise Abhi ko rijha rahi thi apni maa ke saamne.

Ruhi ab Abhi ko nazar se bilkool bhi nahin chorr rahi thi. Abhi ko bus ke piche wale hisse par sheets chipkana tha, to kitchen se bus ke piche to nahin dikh raha tha, kafi derf tak Abhi wahan raha to Ruhi khud aayi udhar…. Ussne apne cousin ke yahan jaane ka bahana kiya taake Abhi ke paas aa sake…. To Abhi ne ussko roka, aur bus ke andar dekhte hue Ruhi ne kaha,

“dekho tumhara boss tumko dekh raha hai”

Abhi ne kaha,

“dekhne do ussko sab pata hai!”

Ruhi ne kaha:

“what ussko sab pata hai? To main chali bye bye….”

Abhi ko bolna pada ke nahin saeed ko kuch pata nahin hai tab Ruhi ruki Abhi se baat karne ke liye…. Aur Abhi ne kaha,

“mere taraf dekho to!”

Ruhi Abhi ke chehre mein, balke aankhon mein dekhne lagi, to abhi ne kaha,

“Dekho Ruhi, agar tum mujhe nahin mili, agar tum meri nahin hui, to main zindagi bhar kabhi shaadi nahin karunga, mujhe sirf aur sirf tum chahiye”

Ruhi ke donon Aankhen bhar aaye Abhi ko sunkar, ekaat katre aansoo ke chalak bhi gaye aur aasmaan taakte hue Ruhi ne roni awaaz mein kaha,

“oh my god, kyun aakhir kyun?

Abhi ne seriously kaha,

“kyunke main iss Ruhi ko nahin khona chahta ek ko kho diya hoon aur nahin khona mujhe!”

Ruhi samjhi nahin, ussne socha Abhi aise hi keh raha hai, Ruhi ne apne aansoo pochte hue kaha,

“Ab main jaa rahi hoon, main ab kuch dinon mein apni nani ke yahan chali jaungi.”

Abhi ne heyraan hote hue kaha,

“What?”

Ruhi rote rote hanss pari

Phir Abhi ne kaha,

“To yahan mera kia hoga? Main kaise kaam karunga yahan? Main kisse dekhunga har baar yahan, main Ruhi ke bina kia karunga phir yahan?”

Ruhi ne tab hansste hue kaha,

“phir dusre jagah kaise kaam karoge aap?”

Abhi ne kaha,

“Issi liye to tumhari ek tasveer mangi hai nah main ne? Please ek photo de do apni, please.”

Ruhi: “nah, main kabhi kissi ko apni koyi bhi photo nahin dene wali”

Abhi ne kayi baar manga, request kiya, minatein kiye magar Ruhi ne mana kiya.

Abhi ne tab uss abroad rehne wale aadmi ke baare mein pucha, aur Ruhi ne kaha wo France mein hai, aur usska naam Amit hai. Abhi ne kaha ke wo abhi abhi uss naam aur aadmi ko khud CREATE kar ke bata rahi hai weisa koyi hai hi nahin, to Ruhi ne kaha ke nahin wo hakikat hai.

Tab Abhi ne kaha,

“ya tum iss liye mana kar rahi ho kyunke meri yeh Naukri tumko aur tumhari maa ko nahin passand, main ganda rehta hoon, mere kapde gande hein iss liye?”

Ruhi ne jo jawaab diya wo Abhi ko passand aayi,

“kyun iss mein kia hai? Koyi bhi kaam ho, kaam to kaam hota hai”

To Abhi ne kaha,

“ya phir tumko eysh o araam wali life chahiye, luxuries chahiye, amir aadmi ke saath hona passand hai tumhe jisske paas car, naukar chaakar ho, jo abroad rehta ho….”

Ruhi ne kaha

“nahin bilkool bhi nahin main weisi nahin hoon!”

To Abhi bola;

“Shakespeare ne kaha hai – ‘Uneasy lies the head that wears a crown’ isska matlab pata hai nah?”

Ruhi ne phir kaha,

“Aap kitne padhe likhe ho Abhi, kia kuch nahin pata aur yaad hai aap ko hmmm?!”

Tab tak Ruhi ki maa ne ussko awaaz diya to Ruhi ne kaha ab ussko jaana hai aur wo phir wohi geet gungunaate hui gayi, “pyar karte hein hum……”

Abhi ek bhaaripan feel karne laga, phir bhi ussko Ruhi se bus ke piche itni der baat karke achcha laga.

Aur kuch hi der baad Abhi ko ab bus ke andar ke ceiling ke liye kuch istemal karna tha jo Ruhi ki lounge mein rakha hua tha to wo gaya wahan usse lene, Ruhi ki maa ne darwaza khola aur deewar se tek laga kar khadi Abhi ko dekh rahi thi to Abhi ne uss se kaha,

“Ruhi se keh dijiye main ek baar phir usske ghar ke andar aya hoon”

Ruhi ne dusre kamre se jawaab diya,

“kehdo unnko ke danda padega ab unnko!

Kuch der baad Abhi wapas panels par sheets chipka raha tha jo Ruhi ke terrace ke paas tha aur Ruhi aur usski maa donon wahi the aur baar baar phir Ruhi ne ussi tarah apni maa ke saamne Abhi ko apne jeeb se chidhaya… Abhi ko to Ruhi ka uss tarah se jeeb se chidhaana bahot pasand tha to Abhi ne socha ke Ruhi ka wohi “I love you” bolne ka tarika tha shaayad.

Aur kuch der baad aur Ruhi apni khidki par tek lagaye hue dekhi gayi, aur Abhi ussko fix dekh raha tha, to dhire se Ruhi ne kaha,

“Kia dekh rahe ho aap? Uss tarah se mat dekhiye mujhe.

Magar abhi ne aur behtar position liya Ruhi ko behtar se dekhne ke liye tab Ruhi ne kaha,

“aap bilkool paagal ho!”

Abhi ne jawaab diya ke “haan hoon main paagal!”

Ab Ruhi ki maa baahar nikli aur Ruhi chaukath par aayi aur Abhi ko ishaare se bulaya, to Abhi kaam chorr chaar kar gaya usske paas, Ruhi kuch kehne jaa rahi thi Abhi ko magar jab Abhi usske paas pahuncha to Ruhi ne kaha,

“main ne aap ko nahin bulaya!”

To wapas lautte hue Abhi ne kaha,

“mere jaane ka time ho gaya, please yahin rehna jab main jaane lagun mujhe tum dikhna chahiye jaate hue, varna main nahin jaunga aaj yahin rahunga! I will stay at your place all night!”

Ruhi ne Khushi se hansste hue kaha,

“Really aap yahin rahoge hamare yahan? Yeh to Khushi ki baat hai rehye nah!”

Uss waqt Abhi ke haath mein ek cigarette tha aur Ruhi ne kaha,

“kitna cigarette peete ho aap, feinkiye isse Abhi issi waqt!”

Abhi ko Ruhi ka weise kehna bahot achcha laga, ussko laga jaise ek wife apni husband ko cigarette feinkne ko keh rahi hai to Abhi ne jawaab mein kaha,

“Wo kab hoga tumko keh diya hai main ne, agar chahti ho ke hamesha ke liye cigarette feink dun to wo din jaldi se aaye pray karo! Matlab jab tum meri ban jaogi tab!”

Aur Abhi ne sach mein soch liya aur khud se kassam kha liya tha ke jiss din Ruhi usska hua wo cigarette kabhi nahin piyega uss din se.

Abhi ne phir yaad kiya ke ussne Abhi tak apni wo baat nahin bataayi hai to kaha,

“Ari suno to, kiss baat ke liye kal tum ne kaha tha ke kia main tumhari ghalatiyon ko maaf kar sakta hoon ya nahin? Tumne abhi tak kuch kaha hi nahin, sunon jab sab chale jaenge tab main rukunga, late tak piche ana hum baat karenge….”

Ruhi ne haan mein sar hillaya…..

Ab tak jitna kuch hua wo sab Abhi soch raha tha ke sab Ruhi ki maa ki banaayi hui plan hai Abhi ko aazmaane ke liye. Jo kuch Ruhi ne kaha, jaise wo behave karne lagi thi sab kuch Abhi samajh raha tha ke sab uski maa ne Ruhi ko seekhaya hai Abhi ko parakhne ke liye usska imtehaan lene ke liye Ruhi waisa kar aur keh rahi thi.

To be continued in the next update immediately

Ab kia hi gaya?ye sali Ruhi k dimag me koi locha hai kia bidu?
Itne dinon se nach rahi aur nacha rahi hai abhi ko an koyi hai jo foreign me Ruhi ka wait kar rela hai. Ab kia naatak laga rakha hai yaar?
Ye kia khilwaar kar reli hai kia?
Apun ko Ruhi ki ye sab kuch kehna bilkool accha nahin laga bidu. Aisa raha to Abhi ko udhar se nikal jana hai, sali maa beti milkar kuch paka reli hein mere ku to aisa hich lag rela hai
Aage dekhta hun kia hua
 

king cobra

Well-Known Member
5,259
9,857
189
Update 25 Ruhi Reveals It

Shaam ke 5.15 se 6.45 tak Abhi ne Ruhi se baat kiye, aur usski maa sath thi uss waqt. Maa ki haaziri mein sab kuch kaha suna gaya, thoda English mein thoda hindi mein baatein kiye donon ne, rona dhona bhi hua, aur maa ne bhi beech beech mein baat kiye.

Mehboob ne jab dekha saare kaam karne wale chale gaye aur Abhi Ruhi ke kitchen ke chaukath par khada hai to pucha,

“are Abhi aaj ghar nahin jana hai kia tumko?”

Rahima ne Abhi ki jagah jawab diya apne pati ko,

“lagta hai aaj Abhi Ruhi ke saat dinner karke jaega ya ussi ke yahan rahega!”

Ruhi hansste hue Abhi ke chehre mein dekh raha tha, aur Mehboob ne kaha,

“Acha yeh baat hai, to thik hai kal subha phir sab se pehle kaam shuru kar dena tumko door se nahin ana padega.”

Aur Abhi ne Ruhi aur usski maa se kaha,

“Dekha, sahi to keh raha hai Mehboob, main yahin theher jaata hoon aaj ek jagah milega kia raat beetane ke liye?”

Donon maa beti hanss rahe the aur Ruhi ne thoda gambhirta se kaha,

“Aap sapnon ki dunya se nikaliye nah Abhi main ne aap se kaha nah ke it’s too late now main kissi aur ki amaanat hoon!”

Abhi ko thoda ghussa aya aur usska dil ne chaha ke chilla kar Ruhi se kahe “phir kia naatak kar rahi hai itne dinon se usske saath, kyun ussko kiss kiya kyun uss se milne aati rahi ghar ke piche, kyun ussko lunch par invite kiya, kyun ussko jeeb se chidhati hai kyun itna kuch kiya, khilwaad samajh rakah hai kia?!!”

Magar Abhi ne sayyam rakhte hue araam se kaha,

“please ghar ke piche aao nah tumse akele mein baat karni hai mujhe, bahot serious baatein karni hai.”

Ruhi ne kaha,

“nahin jo kuch kahna hai yahin kehiye aap.”

Abhi ne usske maa ke taraf dekha aur kaha,

“Magar hum donon ke beech ki baatein hein tumhari mummy ki zaroorat nahin hai nah yaar!”

Ruhi ne kaha,

“are meri mummy ko sab kuch pata hai nah usske saamne hum kuch bhi baat kar sakte hein!”

Aur mummy ji ne kaha,

“haan Abhi mere saamne baat karoge to koyi sawaal bhi nahi karega nah, agar Ruhi ke saath akele piche gaye to sawaal uthenge!”

To Abhi ne kaha okay thik hai aur baton baton mein aise hi ek ke baad ek baat nikalte gaye.

Ruhi ne kaha,

“Agar aap ko nahin yakeen ke koyi hai jo mera intezar kar raha hai to meri mummy se puch lijiye.”

Abhi ne usski maa ke taraf dekha to ussne kaha,

“Haan yeh sach hai, Ruhi ko propose kar diya gaya hai shadi ke liye humne ladke walon ko zubaan de diye hein to kuch nahin kar sakte nah ab!”

Abhi bhi serious hua aur kaha,

“Main yakeen nahin karta,yeh sab aap donon ne milkar khichdi pakaaye hue hein hai nah?!”

Ruhi Abhi ke chehre mein dekhte hue jaise usski haar par khush ho rahi thi jab usski mummy ne wo sab kuch kaha to. Aur Ruhi boli,

“kia meri maa aap se jhoot bolegi?”

Abhi: “haan jaise subha kaha tha ke tum apni nani ke ghar chali gayi ho!”

Abhi ne uss aadmi ke baare mein pucha, to Ruhi ki maa ne kaha,

“wo wahin ka rehne wala hai jahan isski naani rehti hai.”

Abhi ne kaha,

“Aap Ruhi ko France bhej rahi ho, itni door aap ko pata bhi hai wahan isski kia haal ho sakta hai?!”

Mummy ji ne kaha,

“khair dekhte hein isski kismat mein kia hai, Ruhi ko hamesha se foreign jaane ki tamanna thi to jane diya jaye main ne socha.”

Abhi ne tab Ruhi ko dekhte hue kaha,

“issi liye main ne tumse kuch der pehle pucha tha kia tumko life ki luxuries chahiye?!”

Abhi bahot depressed feel karne laga tha yeh usski chehre se zaahir tha, jab bhi Abhi udaas hota ya koyi bhi chiz ussko pareshan karta to Abhi ke chehre pe saaf nazar ata tha aur wo Ruhi ko achi tarah se pata tha, wo Abhi ke chehre mein hi dekhe jaa rahi thi, ussko pata tha ke Abhi ko gehri choat lagi hai yeh sab baatein sunkar…… Abhi itna khushnuman insaan tha ke usske chehre par hamesha ek raunak hua karta tha, doston ke beech bhi koyi bhi usske chehre se pehchan leta tha jab bhi Abhi ko koyi pareshani hoti thi, kyunke Abhi tha hi aisa ke usska chehra sab bata deta tha. Abhi ek joyful happy going insaan tha. ab aise insaan ko choat lage to saaf dikhta hai.

To Ruhi Abhi ke chehre mein dekh kar samajh sakti thi ke Abhi ghayal hua hai aur khud Ruhi ke aankhen bhar aayi abhi ko weise dekh kar.

Abhi ne sar jhuka liya tha aur kuch der tak kuch nahin bola, aur jab phir se Ruhi ke chehre mein dekha to Ruhi ne ussko jeeb se chidhaya. Iss baar Abhi ko usska chidhana acha nahin laga, Abhi ne bahot seriously Ruhi ke chehre mein dekha ur ek gehra saans liya….

Bina kuch kahe Abhi ne apne kadam ko jaane ke liye moda, sar jhukaate hue to Ruhi ki maa ne usskko roka yeh kehte hue,

“are ruko to, abhi sirf 15 mins baat kiye hein aur jaane lage thehro to aur baatein karte hein nah!”

Abhi ne dabbe awaaz mein kaha,

“Ab kia kehna baki hai aunty?!”

Abhi ne ek cigarette jalaya, aur Ruhi ko piche apne kamre ki khidki ke paas aane ko kaha. Magar usski maa ne kaha,

“nahin wo ab aap se akeli baat nahin karegi, jo kuch kehna hai mere saamne kehye nah aap!”

To bhi ne kaha,

“To aap bhi wahin aaiye usski kamre mein wahin baat karte hein nah yahan Mehboob aur Rahima hamaare baton ko sun sakte hein nah!”

To Abhi piche gaya Ruhi ke khidki ke paas aur dekha ke Ruhi wahan uss se pehle pahunch gayi hai aur apne donon kehuniyon ko khidki se tek kar sar baahar nikaal kar muskuraate hue Abhi ko aate hue dekh rahi thi…. Jab Abhi wahan reach hua to dekha usski maa usske piche khadi hai.

Abhi ne ruhi ke aankhon mein dekhte hue kaha,

“Ruhi ab main apne gharwalon se, Naina se, doston se kia kahunga?!”

Donon maa beti ne ek saath kaha,

“Yeh aap ki ghalati hai kyun sabko bataya aap ne?!”

Baatein gambhir hote gaye, Abhi bahut hi seriously baat kar raha tha, ussne apni maa ke baare mein kaha Ruhi ko, uss se kaha ke ussko usski maa ki jaisi saas life mein kahin nahin milegi, usskki maa itni achchi hai…..

Ruhi ki maa ne Abhi ke thartharaate hue honth ko dekhte hue kaha,

“Ab yahan rona mat Abhi….”

Abhi ne kaha,

“nah, yahan nahin yeh tab hoga jab akele tanhaayi mein hunga tab…”

Jab Abhi ne weisa kaha to dekha ke Ruhi ki aankhen bhar aaye aur ansoo chalak gaye… Abhi ne turant apna haath badhaya usske chehre ke taraf aur Ruhi ne ek kadam piche kiya aur Abhi ne usski honton ko kaampte dekha…. Usski maa wahin rahi bina hille to Abhi ne usski maa se kaha,

“Ab aap mujhe yeh samjhao ke Ruhi kyun rone lagi? Dil mera tuta nah? dard mujhe hua, takliff mujhko ho rahi hai to Ruhi kyun ro rahi hai? Samjhaiye aap mujhe yeh baat! Agar Ruhi mujhse pyar nahin karti to ussko kyun aise mere haal par rona ata?!”

Ruhi apni bed par leyt kar ro rahi thi apne aankhon se aansoo poncte hue, to Abhi ne ussko bulaya, paas aane ko kaha…. Aur kaha,

“Ab tumhi batao mujhe Ruhi, ke kyun rone lagi tum? Rona to mujhe tha nah? wo main ghar jaakar kar lunga ya bus mein jaate hue munh chhupa kar ro lunga magar tum kyun rone lagi agar mujhse pyar nahin hai to?!”

Ruhi ne aur zor se rona shuru kiya apni takiye mein munh dabaate hue to Abhi ke bhi aankhen bhar aaye aur chalak bhi gaye aur tadapti awaaz mein, rote hue Abhi ne kaha,

“aao nah Ruhi ek saath milkar rote hein aao rona share karte hein donon aah nah Ruhi!!”

Abhi Ruhi ko zorse apne seene se lagaana chahta tha uss waqt, magar wo ghar ke baahar tha aur Ruhi andar thi apni bed par thi to behte aansoowon se Abhi ne usski maa ko dekha aur kaha,

“Please aap piche wala darwaza open karo nah, main Ruhi ko hug karna chahta hoon chaahe wo aakhri baar hi kyun nah ho, kholo nah please….”

Ruhi ki maa ne nah mein sar hillaya magar Ruhi apne aansoo ponchte hue uth kar piche wale darwaze ko khol diya, to jhapat kar Abhi wahan gaya aur uss chawkat par Ruhi ko zor se baahon mein bhar kar rone laga… donon ek dusre ko baahon mein bhade ro rahe the, maa dekh rahi thi aur kaha,

“Ruhi!! ahista sabko batana hai kia sssshhhh”

Aur maa ne uth kar darwaza band kiya aur donon ko bed par baithne ko kaha, khidki ke parde ko khinncha aur donon ko bilkool aahiste baat karne ko kaha, magar baat kahan donon ek dusre ke baahon mein rote jaa rahe the do chhote bachon ki tarah…..

Aur ab Ruhi ne kal ki tarah dobara apni maa ke saamne pucha,

“aap mere saare ghalatiyan maaf kar sakte ho Abhi?!”

Abhi ne Ruhi ke aankhon ko ponchte hue kaha,

“are baba kal keh diya nah HAAN” HAAN” HAAN” sab maaf kiya main ne kuch bhi ho!”

Tab Ruhi ne English mein baat kiye….

“And if I am not what I am looking to you, if I am someone else, different then?!”

Abhi ne kaha,

“It makes no difference to whatever it be! I would accept to marry you even if you had a child, even if you are a divorcee, even if you are a widow!”

Ruhi ne Abhi ke uss baat ko sunkar, upar chhat ko dekha, usski aankhen phir bhar aaye aur ek bacchi ki tarah rote hue Abhi ka haath bahut zor se pakar kar Ruhi ne pucha;

“AND IF I AM NOT A VIRGIN ABHI??!”
To be continued…. (5,752 words from all 3 updates)

Lo kallo baat sali gadhi hai kia ye Ruhi?
Jab Abhi ne keh diya k vidwa, bachi ki maa ta divorced bhi hua to shadi manaega uss se to virgin vidwa, maa aur divorcee hote hein kia :lotpot:
Haan donon ke gale milke rona thoda imosonal kiya mere ku, rona aya apun ko bhi. Wo Ruhi k liye nahin apun k hero k liye rona aya han maa se kaha k darwaja kholo plij mujhe Ruhi ko hug karna mangta, bahut dard feel hua apun ko.
Jhakaas update hai bidu :yourock:
 

king cobra

Well-Known Member
5,259
9,857
189
Update 26 The Unexpected Happened

“It makes no difference to whatever it be! I would accept to marry you even if you had a child, even if you are a divorcee, even if you are a widow!”

Ruhi ne Abhi ke uss baat ko sunkar, upar chhat ko dekha, usski aankhen phir bhar aaye aur ek bacchi ki tarah rote hue Abhi ka haath bahut zor se pakar kar Ruhi ne pucha;

“AND IF I AM NOT A VIRGIN ABHI??!”

Ab aaguey….

Ruhi ki uss baat ko sunkar Abhi ko nah shock laga, nah heyraan hua nah kuch kyunke Abhi ko yakeen ho gaya tha ke aisi hi koyi baat hogi jissko Ruhi “apni life ki ghalatti” kehti ya maanti thi. To bina soche turant on the spot Abhi ne kaha,

“Main tab bhi tumse shaadi karne ke liye tayyaar hoon Ruhi”

Ruhi kuch der khamosh rahi, tab pucha,

“Are you sure Abhi?”

Palak jhapakne se pehle Abhi ne kaha,

“YES I AM SURE A THOUSAND, A MILLION, A BILLION PERCENT SURE”

Aur Abhi ne tutant pucha,

“kia yehi vajah thi ke tum mere proposal ko refuse kar rahi thi?!”

Sar jhuaaye hue, zameen taakte hue, aankhon ko saaf karte hue Ruhi ne udaas awaaz mein kaha,

“haan”

Phir Abhi ke chehre mein ek chamak dikhaayi diya aur Khushi se pucha,

“Aur phir baaki jo kuch bhi tumne kaha ke kissi ka tumhara intezaar karna, wo Amit, wo abroad wala, sab planned tha nah? sab naatak the nah?!”

Ruhi thodi si hanssi, Abhi ke chehre mein dekha aur kaha,

“Now, please don’t tell this matter to anyone, I have not told anybody about it”

Abhi ne pucha,

“your relatives hereabout know about it?”

Ruhi: No, No, No one.”

Abhi: “your father?”

Ruhi: “Noooooo”

Abhi: “your bothers?”

Ruhi: “No Abhi not at all!!!”

Abhi: “hmm only your mother knows all!”

Ruhi: “No, even she does not know!”

Aur Ruhi ki maa uss waqt hanss rahi thi to lag raha tha ke wo donon ke baton ko samajh rahi thi halaan ke English mein baat kar rahe the donon.

To Abhi ne kaha,

“Now you must be lying, your mother must be aware of all, I am sure!”

Ruhi: “No Abhi, she is not aware, no one else know it!”

Phir kuch der kamre mein bilkool sannata ho gaya, khamoshi chah gayi, koyi kuch nahin bol raha tha, Abhi Ruhi ki saanson ko sun sakta tha uss waqt.

Ruhi ka haath Abhi ke haath mein tha, donon bed par baithe hue the, maa, do kadam bagal mein khadi donon ko dekh rahi thi. Baahar andhera hone laga tha, suraj dhal chuka tha, kamre mein thoda andhera hone laga tha…. Abhi ne ek haath Ruhi ke kaandhe par kiya, usski gardan ko khud se sataaya, usski gaal ko chuma, tab mudhkar usski maa ko dekha ek smile ke saath, aur Abhi uss baare mein Ruhi se swaaal karna chahta tha, socha ke puchein ya nahin puchein, mauka sahi tha uss topic par hi baat karne ko kyun ke wo topic cheda gaya tha, magar Abhi soch raha tha usske sawaal karne se Ruhi ko takliff ho sakta hai, phir socha ke abhi nahin pucha to kabhi bhi puchega tab bhi takliff hi hogi, to ya iss baat ko kabhi nah karen ya aaj hi sab puch kar khatam karen, to Abhi ne Ruhi se puchne hi jaa raha tha ke Ruhi ne kaha,

“aap ko aur kuch puchna hai to puchiye, main sab bataungi,

To Abhi ne pucha,

“Who did that to you? The one who is abroad?”

Ruhi ne sar jhukaaye hue hi jawaab diya,

“No, not he”

Abhi jhuk kar Ruhi ke chehre mein dekhte hue phir pucha,

“when did that happen? Long time ago or recently?”

Ruhi: “A long time ago!”

Abhi: “then who did that?”

Ruh bahot upset dikh rahi thi aur kaha,

“Oh, I don’t want to talk about it, please.”

Abhi: “OKAY…NEVER MIND….. SO RUHI NOW ITS ALL OKAY BETWEEN ME AND YOU? ALL IS FINE? SEE I LOVE YOU DESPITE THAT, YOU MUST BE HAPPY RIGHT?”

Ruhi ne Abhi ke chehre mein dekha aur kaha,

“Maa andhera ho gaya light on karo nah mujhe Abhi ka chehra nahin dikh raha thik se!”

Usski maa ne light ko on kiya, aur chali gayi baaki ke Kamron mein light on karne tab Ruhi ne Abhi ko baahon bharkar kaha,

“yes, it’s all okay now Abhi. Thank you Abhi.”

Abhi ne ne usske peeth ko thapthapaate hue kaha,

“Dekho Ruhi ab mere tumhare beech mein koyi doorie nahin honi chahiye okay?”

Ruhi ne apni dheemi, meethi, pyari awaaz mein kaha,

“OKAY ABHI”

Aur baahar baarish sunaayi diye, to Ruhi ki maa wapas kamre mein aayi aur kaha,

“Baarish hone lagi, Manoj Shweta wapas nahin aaye Abhi tak, bheeg jayenge donon!”

Maghrib ki namaz ki azaan sunaayi diye phir, aur Ruhi ki maa ne kaha,

“Aazan ho rahi hai Mehboob masjid jaega ab!”

To Abhi ne pucha,

“Mehboob religious hai? Mujhe nahin pata tha din mein to bilkool nahin jata wo!”

Ruhi ne kaha,

“Sunset ke baad aur raat ki last prayer ko jaate jein wo.”

Tab Ruhi ki maa ne donon ko dekhte hue Abhi se kaha,

“Abhi tum kitne lambe ho aur Ruhi tumhare saamne kitni chhoti hai”

Abhi ne turant kaha,

“jisski biwi chhoti usska bu bada naam hai”

Iss par Ruhi hanssi aur Abhi ko maara usske haath par.

Phir Abhi ne continue kiya

“goad mein bithalo bachche ka kia kaam hai…”

Ruhi zor se hanssi aur phir Abhi ko maarna chaha magar Abhi wahan se hatt gaya to Ruhi ne ussko miss kiya iss liye aur bhi hanssne lagi….

Phir achanak Ruhi ne Abhi se pucha,

“Are you sure that you still love me despite that?... you see I do not want to deceive you that’s why it was my duty to tell you the truth”

Abhi ne phir usske kaandhe par haath rakh kar kahaa,

“yes sweetheart I love you and will always do, look Ruhi, I told you I am a very sentimental person, I need LOVE AND YOU WILL GIVE ME MUCH MUCH LOVE AND THAT LOVE WILL COVER EVERYTHING ELSE.”

Abhi ke baat ko sunkar Ruhi muskuraayi aur kaha,

“YES.”

Abhi ne phir pucha,

“Can you give me that much love Ruhi?”

Ruhi kuch der khaamosh rahi, to Abhi ne sawaal ko dohraya, tab Ruhi muskuraayi aur kaha,

“YESSSS”

Abhi bahot hi khush hua, ussko jaise naachne ka mann kar raha tha, jhumne ko mann kar raha tha, socha Khushi se aaj bus mein safar karega….

Aur tab Abhi ne kaha,

“okay ab mujhe jana hoga, kaafi der ho gayi hai…”

Ruhi ne achanak Abhi ka haath zor se pakra aur udaas hokar kaha,

“Aap jaa rahe ho? Main ne socha aap rahoge, please aaj yahin theher jao nah please!”

Abhi ko heyraani hui aur Usski maa ke chehre mein dekhne laga. To maa ne kaha,

“thik hair reh jaiye aaj, kal chale jana nah!”

Abhi ne sapnon mein aisa kayi baar socha tha aur aaj usska sapna pura hote dikhaayi de raha tha ke wo Ruhi ke ghar mein raat guzaarega….. phir bhi ussne pucha,

“magar abhi Manoj aakar sawaal karega to kia jawaab denge ussko?!”

Ruhi ki maa ne kaha,

“wo aap mujh par chor do, wo kuch nahin kahega hum uss se kahenge ke aap ko rehne ka mann kiya buss aur phir dada ji hai nah ghar mein aur ussko to pata hai”

Tab Abhi ne kaha,

“mere ghar par sab intezaar karenge, yahan kiss ke paas phone hai main ghar phone karke bata dun ke kal ghar aunga….”

Ruhi ne Abhi ke chehre mein ghaur se dekhte hue pucha,

“Aap ke yahan phone hai Abhi?”

Abhi: “lines lagaa rahe hein telecom waale ek do mahine mein lag jaega, main ne application kar diya hai, abhi paas ke dukaan mein phone karke ghar bataane ko kahunga.”

Ruhi ne kaha,

“Hum ne bhi apply kiya hua hai, papa Saudi Arabia se uss filling station wale ke yahan phone karta hai to humko weh log bulaate hein tab hum jaate hein papa se baat karne ke liye, chaliye aap uss dukaan se phone kar sakte ho jahan aap cigarette kharidne jaate ho……. Maa main Abhi ko phone karane lejaa rahi hoon!”

Aur Ruhi aur Abhi ghar se nikle, main road ke taraf jaate hue dikhe uss aangan mein jahan Abhi ne sapna dekha tha ke wo Ruhi ke saath wahan weise hi chalega kabhi. Andhera tha, street light to main road par tha uss aagan mein to nahin, to Ruhi ne chalte hue khud Abhi ke baazu ko pakra hua tha, wo Abhi ke right hand side mein thi to usske right arm ko apne donon haathon se thaame hue thi.

Abhi ko kitna achcha feel ho raha tha, usska dil machal raha tha wo itna khush tha ke ussko zoron se chilla kar apni Khushi ko izhaar karne ka mann kar raha tha uss waqt. Wo uss pal ko jee bhar ke jina chahta tha, Ruhi ko thaamna chahta tha magar Ruhi ne usske baazu pakre hue the aur wo ussko disturb nahin karna chahta tha.

Aur Abhi ne araam se aur dhimi awaaz mein jhuk kar Ruhi ne gardan ke paas apne munh ko laakar kaha,

“kitna romantic lag rahe honge hum donon iss waqt aise chalte hue, kaash koyi hum donon ki film utaarta aise, ya Manoj hamara ek photo leta iss position mein!”

Ruhi ne thoda sa darr dikhaate hue kaha,

“uff wo ata hi hoga Shweta ke saath, hum ussko cross kar sakte hein raaste par….”

Aur Ruhi ne turant Abhi ke baazu ko chorr diya.

Tab Abhi ne Ruhi ke kaandhe par hath rakh kar ussko khud se sataya, to Ruhi ne kaha,

“ofo chorro nah main road agaya, yahan kitne log honge, dekho dukaan wahan hai jahan se phone karna hai…”

Ruhi ne phir filling station ko dikhaate hue kaha,

“aur wo hai filling station, usska maalik piche rehta hai, wahin papa phone karta hai humko!”

{main ne sketch mein uss filling station ko lagana bhool gaya. Wo station main road par nikalte hi thik opposite mein hai Ruhi ke ghar se wo filling station dikhta hai, agar Ruhi apne kitchen ke chaukath par khadi hoti hai to seedha filling station ki maalik ka ghar, aur aadha filling station saamne dikhta hai main road ke uss paar --- yeh iss liye bata raha hoon kyunke uss filling station ke baare mein baad mein kuch part aane wala hai}

To Abhi aur Ruhi uss dukaan tak gaye, kuch log pee kar ladkhadaate hue dukan se nikal rahe the, kuch log pee rahe the kone mein, Ruhi Abhi ke piche hokar jaise usske piche chhup rahi thi wo sab dekhte hue.

Abhi ne phone kiya apne mohalle ki dukaan par aur by chance uss waqt usske pita wahin tha uss dukaan mein, wo bhi daru hi pine gaya hua tha udhar, to dukaandar ne Abhi se kaha ke usska pita wahin hai uss waqt to ussi ko phone diya baat karne ko.

Abhi ne apne pita se keh diya ke aaj wo ghar nahin araha kal sham ko aayega. Baap ne sawaal kiya ke kahan rehega kiss ke ghar, to Abhi ne kaha jisska bus bana raha hai ussi ke ghar par rukega aaj ki raat.

Phir Abhi ne Ruhi ke liye chocolates kharida, aur kuch snacks aur pucha ke Shweta kia passand karti hai, to Ruhi ne Abhi ko unn chizon ko dikhaya jo Shweta ko passand hai aur Abhi ne ek plastic bag bhar ke cakes aur sweets liya sabke liye, Ruhi aur usski maa ke liye ice creams bhi liye Abhi ne, aur apne liye cigarettes chhupa kar liya bina Ruhi ko dikhaaye.

Wapas aate hue Ruhi ne abhi se kaha,

“kitna kharch karte ho aap, itna kuch kharidne ki kia zaroorat thi, Rs.250 ke cakes hmmm?!”

Abhi ne buss Ruhi ko jakar liya aur us aangan mein donon ne ek dusre ke kamar mein haath daale hue chal kar ghar aaye….. Aur jab bus tak pahunche jahan Abhi har roz kaam karta tha to Ruhi ne kaha,

“rukiye nah ek baat bataati hoon aap ko….”

Abhi ruk gaya bus ke paas, to Ruhi ne Abhi ka haath khinch kar uss bade darkhat ke paas gayi aur Abhi ke gale mein apne bahon ko lapet kar kaha,

“Har shaam ko jab aap chale jaate ho nah to main yahan aakar aap ko yaad karti hoon, din bhar jo kuch aap ne kiya, kahan kahan kaam kiya sab unn jagahon par jaakar dekhti hoon ke Abhi aaj yahan kaam kar raha tha, yeh kar raha tha wo kar raha tha yahan se mujhko dekh raha tha…..”

Abhi ne Ruhi ko zor se baahon mein bhadte hue kaha,

“Ruhi tum bhi mere jaise feelings rakhti ho, are main ne tumko letter mein yeh sab kaha hai nah? Main bhi har subha ata hoon to tumko har uss jagah par feel karta hoon jahan jahan tum mujhe dikhti ho, yaar yeh hum donon ek jaise hein yaar!!”

Aur donon ne ek dusre ko uss darkhat ke niche kiss kiya. Ek lamba aur passionate kiss. Ruhi ko jaise Abhi ko chorrne ka mann hi nahin tha.

Abhi behad khush tha, yeh ussko sab ek sapna jaisa lagne laga tha. Ussko yakeen nahin ho raha tha ke yeh sab sach mein ho raha hai. Haan ussne yeh sab khayaalon mein kayi baar socha tha magar sab hakikat mein badal jaega yeh ussne bilkool nahin socha tha. Tha to wo bilkool positive, hamesha bhala hi sochta tha, aur umeed karta tha ke jo soch raha hai wo sach aur sahi ho jaaye magar weisa sach mein hoga wo nahin sochta tha. Aur aaj jo ho raha tha usske saath wo buss ek dream come true tha.

To be continued…… (2307 words)

Lo!!
Ab firse donon ek hue.
Sala future mother in law ne Abhi ko rehne k liye keh diya raat bhar usske ghar bina mangni sagaayi ke hi? Arrrrrreeeee ye kaise ho gaya? Khud to darwaja kholne se inkaar kar rahi thi, aur ab rehne ko bol diya raat bhar usske ghar mein? Wah kia baat hai? Ussne donon ko rote dekha bachon ki tarah to mamta ubhar aayi hogi lagta hai.
Aur Ruhi ko baahar bhu jaane diya jab raat ho gayi tab? Kia karna chahti hai ye maa? Khud badhawa de rahi hai donon ko ya ye sab pehle se maa beti ne milkar llan kiya hua tha?
Samajh me to nahin araha magar Abhi k liye bahut acha feel ho raha. Yssko kitni khushi ho rahi hai Ruhi k saath romance karte hue.
Romantic scenes bahut badhya likhte ho bidu sab bahut mast gaya iss update mein.
Ab raat mein kia hota hai ye dekhna baaki hai.
Superb update :yourock:
 
Top