• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,042
47,946
304
Update 35

Avi ne jaldi se ek haar sanjana ke gale me dala aur ye sab kya hua abhi abhi ye sanjana samajh pati isse pehle hi avi us gardi me kahi gayab ho gaya, sanjana use awaz lagati hua us taraf bhagi par waha logo ke awaj me sanjana ka awaj kahi kho gaya, sanjana bhagtew huye jab bahar aayi tab tak avi dobara gayab ho chuka tha

Darshan ke pat band hote hi sare log bahar nikalne lage, sanjana avi ko awaj lagaye ja rahi thi par wo gardi me gayab ho gaya ttha, udhar komal aur aniket ko bhi dhyan me aaya ke sanjana kahi dikh nahi rahi hai to wo use dhundhte huye bahar aaye to unko sanjana avi ko awaj lagate huye dikhi aur wo bhag kar sanjana ke paas pahuche

Aniket- kya hua sanjana ?

Sanjana ne ekdum exited hote huye kaha

Sanjana- avi!! Wo yahi tha ! hamare sath

Aniket- kya ? avi yaha tha

Sanjana- ha wo mere piche hi khada tha

Aniket unko wahi rukne ka bolke avi ko dhundhne bhaga aur sanjana ko dekh kar komal use shant kare huye boli

Komal- puri baat batao sanjana ?

Sanjana- maine avi ko dekha, wo hamare sath hi tha

Komal- hamare sath hota to wo hame bhi to dikhta na sanjana, tum shant ho jao pehle tumhe bhram hua hoga, warna hame bhi to dikhta wo, tumhe hi kyu dikha

Sanjana- mai sach keh rahi hu komal wo sach me avi tha usne mere kaan me I love you kaha mujhe

Par komal manne ko tayar nahi thi

Komal- par ye kaise possible hai, waha itni gardi itna awaj tha, usme tumhe ye kaise sunai diya, theek hai waise agar wo sach me yaha tha to aniket gaya hai use dhundhne wop use le aayega

Sanjana mano kisi sapne se jagi ho wo badbadaye ja rahi thi aur achanak uska dhyan us haar par gaya aur wo haar sanjana komal ko dikhate huye boli

Sanjana- ye dekho, ye dekho, usne mujhe I love you kaha aur ye haar mere gale me dala

Ab komal ko bhi yakin ho gaya tha ke sanjana sach keh rahi hai, avi waha tha

Komal- arey to fir jane kyu diya use ?

Sanjana- wo itna achanak aaya ke mai kuch nahi kar payi

Komal- theek hai, matlab avi lagbhag mil hi gaya hai,

Thodi der baad aniket waha hafte huye aaya

Aniket- nahi, nahi mila wo kahi bhi, ye tumhara weham hoga sanjana

Fir komal ne aniket ko sara kissa sunaya aur do minute tak aniket sanjana ki taraf dekhta raha aur fir achanak nachne laga

Aniket- arey hathi ghoda palki jai kanhaiya laal ki

Komal- ani kya kar rahe ho, yaha hame tension ho rahi hai aur tumko nachna hai

Aniket- arey kammo avi aaj na kal mil hi jayega par usne kya kiya hai samaj rahi ho kya tum

Aniket ne fir jabardasti sanjana ka hath pakda aur bola

Aniiket- Congratulations..!!

Komal- stop it nai, sahi se batao baat kya hai

Aur aniket to full mood me tha, usne apni nautanki style me ek hath kamar par rakha aur dusre hath se komal ka gaal khichte huye bola

Aniket- haay mere bhole sanam itna bhi nahi samjhe ke avi ke sakshat radha krishna ke samne apne pyaar ka ijhar kiya hai aur na sirf pyaar ka ijhar kiya hai balki ye haar sanjana ko pehna kar usne sanjana ke sakshat gandharva vivah kiya hai, ab samajh aaya kuch mai kyu nach raha tha

Ab kahi jake komal ke dimag ki tube jali aur wo sar par hath rakhte huye boli

Komal- hey bhagwan kaha kaha dimag chalate ho tu log

Aur aniket ka tark sunkar sanjana ekdum khush ho gayi, bole to ladki sharmane lagi, aur fir aniket ne apna morcha sanjana ki taraf badhaya

Aniket- to fir sanjana bhabhi

Aur aniket ke muh se bhabhi sunkar to sanjana aur bhi jyada sharmane lagi aur aniket ki nautanki wapis shuru par is baar komal bhi uske sath nach rahi thi,

Aaju baju ke log unki taraf dekh rahe the par unko duniya ke kuch lena dena nahi tha aur kuch pal ke liye hi kyu na hi wo log bhul gaye the ke avi dobara gayab hi gaya tha

Teeno wapis apne gadi ki taraf jane lage, sanjana to apni hi duniya ke khoyi huyi thi aur aniket ne gadi me baithte hi sanjana se kaha

Aniket- bhabhi chinta nahi karne ka, mai dekhta hu ab kaha aur kitna bhagta hai wo

Komal- par ab use dhundhe kaha

Aniket- ab to wo uparwala hi rasta dikhayega, ab return to mathura wahi chal ke dekhte hai aage kya hota hai

Sanjana man hi man uski aur avi ki mulakat ko yaad karne lagi aur achanak uske kuch yaad aaya aur wo ekdum se boli

Sanjana- Ek minute mujhe abhi yaad aaya ke ye haar pehnane ke yaad avi ne barsana kaha tha

Aniket ne jyada dhyan nahi diya aur bola

Aniket- kya ? Farsana ? Ab kya isko tekri par jana hai kya ke tu beer la mai farsana lata hu karke

Komal ne aniket ke sar oar tapli maar ke usko roka

Komal- arey bhukkad farsana nahi barsana hamara agla stop barsana hai yani, avi ab barsane ko gaya hai

Aniket- tumko kaise pata ? aur hai kaha ye barsana

Komal- mujhe pata hai :cool:, puri duniya jis krishna ke piche pagal hai wo radha ke diwane the aur barsana radha rani ka gaon hai

Aniket- shabas, tumhare crime pertrol dekhne ka yahi fayda hai sab pata rehta hai tumko sbabas mere female anup soni, nikalo fir map aurt batao rasta

Komal ne maps shuru kiya aur kuch samay me wo barsana pahuche

Bhanugarh parvat par wo mandir bana hua tha jiske niche ki ek bade se gate ne unka swagat kiya, wo shubhra mandir niche se saaf dekha ja sakta tha, 200 seedhiya pahuch kar wo log mandir me pahuche.. sanjana us jagah ki khubsurti me kho gayi thi, unhone mandir me darshan kiya, radha ki murti dekh kar hi aap samajh sakte ho ke jinhone sare jagat ko mohit kiya wo inke diwane kyu the, pyar ki ek nayi paribhasha, nischal niswarth prem ko aaj sari duniya me pujniya hai.. waise dekha jaye to dono ka vivah kabhi nahi hua par aaj bhi krishna ke sath rukmini ya satyabhama ka nahi radha ka hi naam liya jata hai wo bhi krishna se pehle

Sanjana man hi man soch rahi thi ke radha yani prem ki parisima, wo apni antim saas tak krishna se prem karti rahi par kabhi apna adhikar nahi jataya, bas unki raah dekhti rahi par kabhi pyaar karna nahi chhoda aur amar ho gayi, pyaar ko duniya me puri tarah koi samajh nahi paya hai par avi ne pichle kuch dino me sanjana ko pyaar ke kayi rang dikhaye the, sanjana ko apne aap par hasi aane lagi ke aath din pehle usne avi ko kya kya nahi kaha tha wahi radha ne kabhi ek uff tak nahi ki wo bas krishna ki khushi me khush rahi, premi ko pa lena hi sab kuch nahi hota

Idhar komal aur aniket har taraf avi ko dhundh kar thak gaye par wo unko nahi mila aur achanak sanjana ne kaha

Sanjana- chalo wapis, mai uski raah dekhne ko tayar hu, mera pyaar saccha hoga to wo jarur aayega warna mai to jindagi bhar uski raah dekhne ko tayar hu

Aur wo aage nikal gayi

Fir teeno wapis matura aane ke liye nikle, din bhar ki bhagdaud se teeno thak gaye the aur gadi me koi kuch nahi bol raha tha aur achanak aniket chillaya

Aniket- shiiiittt !

Komal- kya hua ani ?

Aniket- nahi kuch nahi mai abhi aaya

Itna bol ke aniket ne ek jagah gadi side me lagayi aur thoda dur ek kone me jake ek cigarette jalayi aur aaram kash lete huye kuch sochne laga

Aniket jab gadi ke paas wapis aaya to wo ekdum khush tha aur wo gadi me baithte hi bola

Aniket- bhabhi maine to tumko shadi ka koi gift hi nahi diya, boli kya chahiye

Aur sanjana ne achanak kaha

Sanjana- avi

Sanjana anjane me bol gayi aur aniket bhi utni hi tatparta se bola

Aniket- theek hai done, kal chahe kuch ho jaye mai tumko avi se mila ke rahunga wo bhi hamesha ke liye

Sanjana aur komal ne ekdusre ko dekha aur fir komal boli

Komal- tumko pata hai wo kaha hai

Aniket- nahi

Komal- fir

Aniket- ye khel usne shuru kiya hai khatam mai karunga wo bhi kal hi…
 
Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,042
47,946
304
Update 36

Aniket ki baat sunkar komal aur sanjana bhi khush ho gayi par unhe samajh nahi aa raha tha ke aniket karne kya wala hai par aniket ka chera aur uspar ki khushi bata rahi thi ke uske dimag me kuch to chal raha hai

Teeno mathura pahuchne wale the aur aniket kisi gahan vichar me khoya hua tha, wo kuch nahi bol raha tha aur akhir me komal boli

Komal- tum bataoge ki kya karne wale ho ? kya hua hai ? aur jab tumhe pata nahi hai ke avi kaha hai to kal milwane ka promise kyu kiya ? mujhe tumpar pura bharosa hai par agar bata doge to acha lagega

Aniket apni hi tandri me tha aur wo bola

Aniket- kammo tumko pata hai yaha sab log radhe radhe kyu bolte hai

Komal- ha kyuki yaha ki manyata hai ke jaha radha hai waha krishna apne aap aayenge isiliye sab radhe radhe kehte hai

Aniket- barabar, hum agar krishna ke piche jaye to wo hame nahi milne wale par radha ke paas jaye to waha krishna se mulakat jarur hogi, waise hi jitna hum avi ke piche jayenge wo bhagta rahega to ab hum uske piche nahi jayenge balki use apne piche aane lagaye to ?

Komal- aisa hua to sari samasya hi khatam par kya ye baat work karegi

Aniket- karegi kammo rani kyuki apne sath radha hai :cool:

Sanjana ko aniket ne radha kaha to wo sharma di par komal ke samajh me nahi aaya tha ke aniket karne kya wala hai

Komal- idea to sahi hai par ye hoga kaise

Aniket- wo sab mere pe chhod do, you just enjoy the ride

Komal- ok

Teeno mathura pahuche, dharamshala me pahuche par aniket ne waha avi ke bare me koi puchtach nahi ki, teeno badhiya fresh hokar khana khane gaye, unka order aane me abhi samay tha to aniket ne apna phone nikal kar yash ko call kiya

Aniket- ha yash ek kaam kar de bhai, kal hum log agra ja rahe the avi wahi hai tu bas wohotel booking ka dekh le

Yash ekdum khush ho gaya

Yash- to avi mil gaya

Aniket- nahi mila nahi hai par kal mil jayega

Yash-par teko kaise pata chala ke wo agra me hai

Aniket- arey bahut lambi kahani hai aaram se bataunga tu bas booking ka dekh le

Sanjana aur komal ekdusre ko dekh rahe the aur jaise hi aniket ne call khatam kiya dono ekdum se boli

“agra !”

Aniket- ha agra

Komal- par agra kyu ?

Aniket- kyuki agra teen chizo ke liye famous hai, pehla tajmahal, dusra agre ka petha aur teesra

Komal- teesra kya

Aniket- mental hospital, bharat ka sabse bada mehtal hospital agra me hai :laughing:

Komal- aur avi waha hai ye tumse kisne kaha

Aniket ne aankh marte huye jawab diya

Aniket-khud bhagwan ne

Komal- ani bahut ho gaya ab, sidhe sidhe batao baat kya hai, avi kyu jayega waha

Aniket- kyuki kal puranmasi ki raat hai

Komal- :mad1: ab baat bataoge ke mai batau tumhe ? bas jalebi ki tarah ghumaye ja rahe ho baat ko

Komal ka gussa dekh ke aniket ki nautanki wapis shuru

Aniket- haay please batao na :blush: waise bhi bahut time ho gaya tumhare hath ka maar khaye huye

Aniket ki baat sunkar sanjana has padi aur komal jhuthe gusse me boli

Komal- mai kab marti hu tumhe, kuch bhi bolte ho

Itna bol ke wo gusse me dusri taraf dekhne lagi aur aniket use manaye huye bola

Aniket- arey suno na, komu , mujhe batao ke avi ka milna jyada jaruri hai ya mujhe ye baat kisne batayi ye jyada jaruri hai

Komal- tumhe jo karna hai karo par agar kal avi nahi mila to tumhari koi khair nahi

Aniket- jo hukum rani sarkar, ab agar aapki agya ho to khana kha le ?

Teeno ne fir badhiya khaya khaya aur dharamshala me aaye aur aniket sanjana ko chhedte huye bola

Aniket- bhabhi sara tension chhod ke chader taan ke so jane ka tumko kal tumhare saiyaa mil jayenge

Aur aniket ki baat sunkar sanjana to mano sarve asman me thi

Aur aniket gana gaa raha tha

Aniket- bairi piya bada hai dard... Uff

Agle din wo teeno subah hi agra ke liye nikal gaye aur avi raat ko dharamshala me nahi aaya ye receptionist ne unhe bataya aur wo bhi agra ja rahe hai bolke nikal liye

Aniket ke bataye mutabik yash ne sari booking kar rakhi thi aur address aniket ko message kar diya tha, un teeno ne agra me hotel me check in kiya aur piche se awaj aaya

"Surprise"

Teeno ne piche mud ke dekha to waha yash aur priya dono khade the, aniket jake sidha yash ke gale lag gaya

Aniket- aaila yashya tu idhar ?

Yash- tu to humko jalti de ke aa gaya idhar ghumne aur socha ke jab avi milne hi wala hai to humara bhi sath me rehna banta hai bas subah ki flight pakad ke aa gaye idhar

Aniket- sahi kiya kiya bhai tune

Fir aniket ne unki pehchan sanjana se karayi

Aniket- inse milo sanjana ye hai yash, mera bhai, mera dusra jigar aur ye hai uski better half priya, kamal ki baat batau, ye meri better half hone wali thi par ye yash ain mauke pe nautanki karke isko bhaga le gaya

Aniket ki baat sun sab hasne lage aur fir yash sanjana ki taraf dekhte huye bola

Yash- to ye hai wo sanjana patil jisne apne avi ka dil churaya hai

Komal- hao, yahi hai wo jinki wajah se hum aaj yaha mil rahe hai

Fir yash ekdum bola

Yash- anya avi kidhar hai ?

Aniket- mereko kya malum

Aniket ki baat sunkar sabko dhakka laga aur sabse jyada yash chauka

Yash- malum nahi boleto?tune hi bataya tha na ke wo yaha hai

Aniket- ha wo yahi hai par usko dhundhne ki koi jarurat nahi hai wo khud aayega apne ko dhundhte huye, nahi aaya to rahega yahi hum yaha se sidha ghar ke liye niklenge, bahut ho gaya iska natak ab

Yash- tere dimag me kya hai tu hi jane, acha jaldi se ready ho jao fir badhiya nashta karke taj dekhne chalte hai

Aniket ki baat sunkar sanjana ko tension aa gaya aur fir aniket dheere se use bola

Aniket- mujhpar bharosa hai na

Sanjana ne bhi ha me gardan hila di

Sablog tayar huye aur tajmahal dekhne nikal gaye, aniket ne sanjana aur komal ko saaf saaf keh diya tha ke avi ko dhundhne ki jhanjhat me na pade, tajmahal dekhne ja rahe hai uska pura maja le

Komal, priya kafi khush thi, sach hai waise, insabhi jindagiya pyaar ne badal di thi aur jab duniya ka prem ka pratik kehlane wala tajmahal aaj wo apni aankho se dekhne wali thi to khush hona swabhavik tha

Taj ki enrty par laal rang ki diware aisi banayi huyi thi ke tajmahal jaldi se kisi ko dikhe na, ek bada sa rasta aur uske bagal me bagiche me lagaye ped, sahi se kaat ke set kiye huye, bada lawn aur samne ek laal safed pattharo se bana bada sa gate, jiske aaju baju chhote darwaje bane huye the, uski banawat aisi thi ke jab tak aap uske ander nahi jate tab tak taj aapko najar nahi aayega, sab jaldi jaldi ander aaye

Aur samne ka najara dekh ke sab ka dl dhakk reh gaya, samne safed Taj jab usni najro me pada to sab use hi rekhte reh gaye, jis tajmahal ko dekhne ke liye duniya bhar se log aate hai, jis tajmahal ko aaj tak bas TV film ya photos me dekha tha use sab aaj apni aakho se dekh rahe the, niche bichi huyi hari jamin upar neela asman aur saamne shubhra tajmahal, sab bedhundh hokar ye drishya apni aankho me bhar rahe the

Wo taj najro ke madhyam se dil me utar raha tha aur priya wo wo tajmahal yaad aaya jo yash ne use unki pehli mulakat me gift kiya tha, komal to taj ko dekh kar itni khush thi ke uske aniket ka hath pakad ke use gale laga liya wahi sanjana ko avi ki yaad aa rahi thi aur wo man hi man boli

Sanjana- is jagah tumhe mere sath hona chahiye tha avi, ab bas bhi karo samne aa jao, ab ye virah mujhse sehan nahi hota, bairi piya……
 
Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
36,042
47,946
304
Update 37

Wo taj najro ke madhyam se dil me utar raha tha aur priya wo wo tajmahal yaad aaya jo yash ne use unki pehli mulakat me gift kiya tha, komal to taj ko dekh kar itni khush thi ke uske aniket ka hath pakad ke use gale laga liya wahi sanjana ko avi ki yaad aa rahi thi aur wo man hi man boli

Sanjana- is jagah tumhe mere sath hona chahiye tha avi, ab bas bhi karo samne aa jao, ab ye virah mujhse sehan nahi hota, bairi piya……

Jab sabne taj kojee bhar ke dekh liya to ab sab waha patapat photo lene lage, sach kaha jaye to sab wo khuhi ke pal photo me kaid kar rahe the, kyuki samay ko rokne ki takat bas photo me hi to hoti hai, jab kai salo baad wo photo dekhte hai to apne aap ko fir usi samay me feel karne ka maja hi alag hai, wo pal photo ke madhyam se kayam rehte hai hamare chehre par smile lane ke liye

Yash aage bola

Yash- arey chalo ab aage kab tak yaha dur se dekhte rahoge

Sach tha kyuki taj ko kitna hi dekh lo man nahi bharta tha

Beechobeech ek lamba pond aur usne fawaro ki line, baju me thode thode distance par lage huye ped sab ek aakar me kate huye, sab taraf lawn me faili hariyali aur unke beech se jata laal pattharo ka rasta aisa lag raha tha mano ye swarh ka rasta hai, dono couple ek dusre ka hath pakde taj ki taraf ja rahe the, aur ye dono kya waha jitne couplemaujud the sabne apne jeevansathi ka hath pakda hua tha

Wo shubhra sangmarmari taj aur uske paas char gagan chumbi minar.. wo sab taj ke paas pahuche aur jaise hi unhone tajmahal ki diwaro ko chua ek alag hi feeling se sabka dil bhar aaya, ek pal ko to aisa bhi laga ke isko hath lagane se kahi ye maila na ho jaye, sangmarmar aur uske upar ki gayi sunder nakkashi, phool vel bane huye the aur bahut kuch urdu me likha hua tha, shuruwat me laga le ye phool pattiya color se bahaye gaye honge par karib se dekh kar dhyan me aaya ke wo paint na hokar alag alag rang ke patther the wo us sngmarmar ke fitkiye gaye the.. apratim aisa khubsurti ka wo avishkar tha, ander jakar dekha to ucha bada ghumat aur sab taraf nakshikam kiya hua tha par usme bhi sadgi saaf jhalak rahi thi, upar se dekha to niche beecho bich mumtaj ki kabar thi aur uske baju me shahajahan ki kabar

Waha samay kaise bita pata hi nahi chala aur jab bahar aaye to najro ke samne thi kal kal behti shant yamuna nadi.. us shant pani me taj ka pratibimb mohak dikh raha tha aur dur ek kila najar aa raha tha.. koi bata raha tha ke us kile se shahajahan apne aakhri samay tak taj ko dekhta rehta tha

Ye sab khubsurti aankho me samete sab wapis aane ko nikle par sanjana ki najre har taraf bas avi ko talash kiye ja rahi thi, taj ki ek visheshta ye hai ye bhale dinbhar safed dikhne wala tajmahal suryast ke samay dubte suraj ki kirno me sunehra najar aa raha tha

Wo sab hotel wapis aane ke liye nikle to sanjana boli

Sanjana- ani, avi kaha hai ? tumhe to kaha tha ke aaj use mu;lakat hogi?

Aniket- ha bola tha aur let me remind you my dear bhabhiji ke aaj ka din khatam nahi hua hai

Sanjana ka chehra utar gaya tha wahi komal aur priya ne bahut sari shopping ki thi

Sab hotel pahuche aur badhiya fresh hokar khana khane gaye, komal yash priya sab aniket ko baarbaar sawal kiye ja rahe he

Komal- avi kaha hai ani ? wo sach me milne wala hai ya tum bas aise hi fek rahe the ?

Aniket- arey nahi komu tumhari kasam aisa kuch nahi hai, avi aaj raat ko mil jayega aisa mujhe pura yakin hai

Komal- raat me ? ab kya raat me use dhundhne jana hai kya ? aur raat me hi kyu ?

Aniket- kyuki aaj puranmasi ki raat hai

Ab komal chidh gayi

Komal-ab agar tumne sahi se nahi bataya to mai tumhara gala daba dungi

Uski baat sunkar priya hasi aur boli

Priya- ye log bahut nalayak hai komal, ant tak kuch nahi batayenge aur ain mauke par baji palat denge, mujhe bahut acha anubhav hai is nautanki ka, meri shadi ka kissa to tumko pata hi hai, so chill aur jo ho raha hai bas uska maja lo aur is ani ke dimag me kab kya aa jaye koi nahikeh sakya

Aniket- thank you priyu

Aur aniket ke aisa bolte hi komal ne aankhe badi karke use dekha

Aniket- bhabhi priya bhabhi

In sab me sanjana shant thi aur komal aur priya use samjha rahe the aur jaise hi khana khatam hua ekdum aniket bola

Aniket- thoda aaram karo, theek dus baje apne ko bahar jana hai

Komal- itni raat me ? kaha ?

Aniket- avi se milna hai to chup chap chalne ka fir

Avi se milne ka sunte hi sanjana ka mood ekdum sahi ho gaya aur room me jate hi komal boli

Komal- ab bas bhi karo kya jaan hi leke manoge sanjana ki

Komal ki baat sunkar aniket use baho me bharte huye bola

Aniket- jitna virah jyada utna hi milan ka aanand atut aur adwitiya, aur pehle hi sab bata dnga to surprise ka maja kaise aayega ?

Paune dus baje ye sab log lobby me jama huye aur bahar jane ke liye nikle, kuch samay baad raste me priya ekdum se boli

Priya- arey ye to taj ki taraf jane wala hi rasta hai

Aniket- my dear bhabhi, sahi jawab, hum taj ki taraf hi ja rahe hai kyuki aaj pournima ki raat hai aur aaj hum taj ko raat me bhi dekh sakte hai

Sab log wapis se tajmahal pahuche aur waha bench par baith kar tajmahal ko dekhne lage, aniket ne yash ko kuch ishara kiya aur sanjana ko bola

Aniket- sanjana hum sab yahi aas paas hai, chinta nahi karne ka aur ghabrane ka bilkul bhi nahi, be ready for surprise

Sanjana ke dil ki dhadkan ekdum se badh gayi thi, yash aur priya ek taraf to aniket aur komal dusri or chale gaye the, dono couple alag alag bench par jakar baith gaye hatho me hath liye, komal aniket ke kandhe par to yash priya ke kandhe par sir tika kar taj ki or dekh rahe the

Aur achanak sare lights band ho gaye aur pournima ke chand ki chandni ke sara taj chamakne laga, chand ki chandi me taj ki khubsurti ka varnan nahi ho sakta itna sunder

Light band hote hi pehle to sanjana chauki par fir chandni me dube taj ko dekh kar uski khubsurtime kho gayi, wo bagair palke jhapkaye taj ki or dekh rahi thi aur tabhi kisi ne piche se uski aankho par hath rakha, sanjana ne jhat se us sparsh ko pehchan liya aur isi ke sath uske kano me kuch shabd pade

“sanju, my love my life, I love you so much”

Us pal ko mano uska dil dhadakna bhul gaya ho, wo samne aaya aur snjana I aankho par se apna hath hataya, sanjana ko apni aankho par viswas nahi ho raha tha, ek hi samay meuski aankho ke samne uska pyaar aur ek pyaar ki nishani the, wo stabdh khadi thi, uske anand ki koi sima nahi thi aur uska apne aap par se niyantran hata, itne virah ke baad avi ko apni aankho ke samne dekh kar sanjana ko kuch sujh nahi raha tha, ye stya hai ya swapna

Avi ko sanjana ka halat ka andaja hua aur usne halke se sanjana ki kamar me hath daal ke use apne kareeb khicha, sanjana ab bhi uski aankho me sudh budh khokar dekh rahi thi aur fir wo moment aaya, avi ne apne hoth sanjana ke hotho se milaye aur puranmasi ki us raat taj ke samne dono premi ekdusre se mil gaye

Wo pal wo feeling apratim thi jiska varnan shabdo me karna mushkil hai, agar kiya bhi to shayad adhura reh jaye kyuki in feeling ko shabdo me bayan karna thoda mushkil hai, sara virah, gussa vivanchanaye sab ek pal me khatam ho gaya, do premi nahi to do aatmao ka milan hua tha, aur unka pyar dekh kar to shayad aaj chand aur wo taj bhi khush ho raha hoga, aaj taj ke un sangemarmaro me bhi us pal ka anubhav kiya tha… wo pyaar dekh ke chand bhi badlo me chip gaya hoga aur taj ke galo par lali hogi, dono ekdusre ki baho me kho gaye the, yaha shabdo ki jarurat hi nahi thi, bol raha tha bas sparsh aur dil ki dhadkan, jisme bas sanjana aur avinash the, dono ekdusre me khoye huye the..

Sara virah, takleef, purani galtiya jhagde sab sab us ek pal me samapt ho gaya tha bacha tha bas anant aur atut prem

Kuch pal baad jab hoth alag huye aur sanjana ko thoda hosh me aayi aur ekdum bol

Sanjana- I love you Avi

Aur itna bol ke usne dobara avi ko gale laga liya

Aaj fir do premi dop aatmaye prem bandhan me bandh gaye the, aisa lag raha tha ke ye pal kabhi khatam na ho samay yahi ruk jaye aur aaj is baat ki gawahi khud chand de raha tha aur uske sath tha Tajmahal…….
 
Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244

Superb Updatee

Toh Avi ne Sanjana se gandharva vivah karke usko ek jabardast surprise diyaa. Par shayad abhi bhi surprise baaki hai isiliye wapas se gayab bhi hogyaa.

Dekhte hai aage kya hota hai
 
Sauravb

Victory 💯
8,091
14,191
174

Avi ne surprise karke phirse gayab ho gaya lekin sanjana ko gandhrav vivah kar liya wo bhi sri krishna k mandir me.barsana iss liye avi sanjana ko bola taki sanjana ko sache pyar ki ehsas ho sake.amazing update..
 
Mujhe lagta hai jab Aniket mandir mein Avi ko dhundhne gaya tabhi shayad usne aur Avi ne milke yeh Agra ka plan banaya tha. Warna achanak se Agra aana aur same Avi ka bhi agra aana ajeeb hai.
 
Awesome Updateee

Iss update ko bahot hi khubsoorati se bayan kiya hai apane. Khaash kar last wala hissa.

Toh ab keh sakte hai ke Avi mil gaya hai. Aur dono premiyon ke beech pyaar ka izhaar bhi hogya hai sath hi pehla kiss bhi woh bhi puranmaasi ki raat ko pyaar ke pratik Taj ke saamne.

Dekhte hai aage kyaa hota hai.
 
Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Top