- 36,043
- 47,954
- 304
Update 28
Sanjana ko jab aniket ne canteen se jane ko kaha to sanjana jo waha se bhagi to sidha apne ghar jakar ruki aur sidha apne room me jake rote huye baith gayi
Kuch samay baad sanjana ko apni pith par kisi ka hath mehsus hua, usne palat kar dekha to waha uski maa uske bagal me baithi thi
Shakuntala- kya hua hai sanju ?
Sanjana apni aankhe pochte huye boli
Sanjana- nahi kuch nahi maa wo bas aise hi.
Shakuntala- kya hua hai bataogi ab ?
Sanjana- nahi kuch nahi hua hai maa
Shakuntala- dekha sanjana- har ladki ki pehli dost uski maa hi hoti hai aur abhi tum jis umra me ho na to mai tumhari maa kam dost jyada hu, mujhe nahi bataogi kya hua hai ? beech me tum ekdum khush thi bilkul kisi titli ki tarah ghar me ghumti thi par pichle do hafto se mai dekh rahi hu ke tum udas ho, kisi se theek se baat nahi karti ho, apne call receive nahi karti ho, kya hua hai..
Maa ke mamta bhare shabd sun kar sanjana aur bhi rone lagi aur maa ko jo samajhna tha wo samajh chuki thi
Shakuntala- mujhe pata hai ye jarur dil ka mamla hoga, kya hua hai sanju..
Ab sanjana ka sanyam tut gaya tha aur wo apni maa se bilakh kar aur bhi jor se rone lagi
Sanjana- mujhe kuch samajh nahi aa raha hai, mai kya kar rahi hu kyu kar rahi hu, kuch kuch samajh nahi aa raha
Shakuntala- tum shant ho jao pehle aur mujhe ache se batao ke kya hua hai, mai madad kart hu tumhari
Itna bolke unhone sanjana ko pani diya aur ab sanjana bolne lagi.. maa ko apne sath jaan kar sanjana ka darr thoda kam hua tha isiliye usne bagair koi baat chhipaye sab kuch bata diya.. sanjana ki maa sab sun rahi thi, sanjana ne sab bata diya tha, av ki boli aakhri line bhi
Aur uske baad jo hua wo sanjana ne sapne me bhi nahi socha tha
Saaataaaakkkkkk !!
Maa ne ek sansanik thappad sanjana ke gaal par jad diya tha aur wo gusse me garaj kar boli
Shakuntala- pagal ladki, akkal hai tujhme thodi.. ye tumne kya kiya hai samajh aa raha hai tumko kuch ? ye wahi ladka hai na jiski tumne ragging li thi ?
Sanjana ne apna gaal malte huye ha kaha jise sun kar uski maa aur bhadak gayi aur gusse me room me chakker lagane lagi aur boli
Shakuntala- kis baat ka ghamand hai tumme ? kaunsi baat ka itna attitude hai ? ameeri ka, thoda acha dikhti ho iska ? ratti bhar ki bhi akal nahi hai tumme, kya samajhti kya ho tum apne aap ko ?.. kis baat ka itna ghamand pale baithi ho.. apne aap se pucho ye.. ye sab tumhara nahi hai ye tumhe mila hai.. ye tumhara roop meri den hai.. tumne aise kaunse jhande gade hai apne dun par batana jara.. kartavya shunya.. pehle kam bawal hua tha kya jo dobara us ladke ke piche gayi..
Sanjana jaise taise boli
Sanjana- mai pyaar karti hu usse
Ye sunte hi maa aur bhadak gayi
Shakuntala- muh tod dungi mai.. aayi pyaar karne wali.. isko pyaar bolte hai kya ? kisi bhi faltu chiz ko dimag me bitha kar sab kuch satyanash karne ko pyaar nahi kehte.. aur pyaar me kuch bada chhota nahi hota.. fir bhi usne bataya tha ke wo kisi ko chahta hai fir tumhare paas do options the ya to uska picha chhod do ya fir uske dil me apne liye jagah banao par nahi tumhare liye to pyaar ek compitition hai, usne mujhe sataya ab mai sataungi.. sab pagalpan hai sirf, mujhe ye bilkul pasand nahi aaya sanjana.. us ladke ne tumhari galtiyo par prda dala, tumhari harkato ke bare me tumhe papa ko nahi bataya tumhe rusticate hone se bachaya ye sab kya kam tha ye batane ke liye ke uske man me bhi tumhare liye kuch hai
Maa kuch samay tak kuch sochne lagi aur fir wo shant huyi aur wapis sanjana ke paas baith kar use samjhane lagi
Shakuntala- bacche, pyaar aise nahi hota hai.. ghar kabhi akele insan se nahi banta hai, uske liye kisi apne ka sath chhiye hota hai.. ek agar galti kare to dusre ko use sambhalna hota hai… pyaar me koi bada chhota nahi hota.. apne maan sanmaan se pehle dusre ke bare me sochne ko pyaar kehte hai.. sach kahu to mujhe lagta hai ki ye ladka hi tumhare liye sabse sahi hai.. aaj na kal use bhi ye baat samajh jayegi ki wo bhi tumse pyaar karta hai aur mei mano to dhundho use
Sanjana ko apni maa ki baat jach gayi thi aur ab uski aankhe khul chuki thi.. sara amangal ansuo se saaf ho gaya tha aur aur fir se ek baar pyaar ki roshni dil dimag par chha gayi thi
Sanjana- sach me mujhse bahut badi galti huyi hai par ab mujhe sab samajh aa gaya hai par mai use dhundhu kaise
Shakuntala- tumne kaha tha na ke uska dost aur uski biwi use dhundh rahe hai, bas unhi ke sath dhundho use
Sanjana- par maa wo mujhse bahut jyada naraj hai aur wo meri shakal bhi nahi dekhna chahta
Maa hasi aur boli
Shakuntala- beta tumne unka gussa dekha unki baate suni par us gusse ke piche chipi chinta aur apnapan nahi dekha.. sach hai jaha koi rishta kaam nahi aata waha dost ek saccha dost aapke liye duniya idhar se udhar kar deta hai, maine to bas unlogo ki dosti ke bare me tumse suna hai aur usse lagta hai ke Avinash kismat wala hai jo use aise dost mile hai, aur aise dost milne ke liye avinash bhi to utna hi saaf dil wala hoga isme koi doubt nahi hai..aur jab galti ki hai to mafi mangne se kyu darna.. kyuki mafi mangne ke liye bhi bahut himmat chahiye hoti hai aur kisi se mfi mangne se tum chhoti thode hi ho jaogi, aise log bahut kismat se milte hai sanju bhale hi wo tumse pyaar na kare par aisa dost hona bhi bahut badi baat hai..
Sanjana- par wo karenge mujhe maaf ?
Shakuntala- tumne kiya tha avinash ko itni jaldi maaf ?
Sanajana ke paas iska koi jawab nahi tha
Shakuntala- jyada se jyada kya hoga, wo log tumne do char baate sunayenge, galiya denge jiski tum hakdar ho to sun lena par use dhundhne me bhi wahi log madad karenge, aur avinash ko dhundhna hoga warna ye guilt jindagi bhar tumhara picha nahi chodega
Sanjana- aur papa ?
Shakuntala- uski chinta tum mat karo mai sambhal lungi unhe, bata dungi ke tumhara kya wo koi industrail visit hai…
Sanjana apni maa ke gale lag gayi aur maa uske sar par hath ferte huye boli
Shakuntala- ye agar tumhe mil gaya na sanjana to tumhari jindi itniachio hogi jo tumne kabhi sochi bhi na ho
Sanjana- thank you so much maa
Shakuntala- au ye sab maine tumne maa ban ke nahi ek dost ke nate bataya hai…
Apni maa se baat karke sanjana ke dimag se sara confusion dur ho gaya tha aur ab use pyaar ka matlab samajh aa gaya tha aur ab usne than liya tha ke chahe kuch bhi ho jaye wo avi ko dhundh ke rahegi aur usne man hi man decide kar liya tha ke ab bhale aniket kitni hi galiya de de wo piche hatne wali nahi
Wo apne ghar se nikal kar sidha aniket ke dukan par pahuchi aur waha se ghar ka pata lekar sidha uske ghar par, darr to use lag raha tha par ye darr uske nishchay ke samne ab bahut chhota tha
Wo aniket ke ghar pahuchi to darwaja aniket ne hi khola aur sanjana ko dekhte hi wo bhadak gaya
Aniket- tum fir se aa gayi ? ek baar bola hua samajh nahi aaya kya ? mujhe shakal bhi nahi dekhni tumhari chalo niklo idhar se
Sanjana- mujhse galti huyi hai aniket, mujhe maaf kar do
Aniket- ha karta hu na maaf, jao jakar pehle avi ko dhundh kar lao
Sanjana- par mai akeli kaha dhndhungi use
Aniket- ye uska dil todne ke liye sochna chahiye tha ab chalo nikl;o idhar se mai akela samarth hu mere dost ko dhundhne ke liye
Itna bolke aniket se sanjana ke muh par darwaja band kar diya par ab sanjana bhi jidd par ad chuki thi aur chahe kuch ho jaye wo waha se nahi jane wali nahi thi fir chahe koi use gali de ya maare aur wo waise hi darwaje ke paas khadi rahi….