- 36,041
- 47,920
- 304
Update 26
Sab khatam ho gaya tha sanjana ka pyaar bhi aur dosti bhi. Aur yahi sab sochte sochte ab avnash ka dimag fata ja raha tha..
Uske dimag me khayal rukne ka naam hi nahi le rahe the, wo bas soche ja raha tha, kya sala naseeb hai, chhota tha tab pitaji chhod kar chale gaye.. aniket ka sath tha isiliye padhai puri ho pay, pyaar bhi aisi ladki se hua ke ant me dosti aur pyaar me kisi ek ko chunna pada aur ab jab dobara koi dil me basne laga tha to kismat se wo bhi bardasht nahi hua aur ab to mano sab khatam hi hai.. bhagwan ne bhi jindagi se sath ajeeb khel chalaya hua hai kyu mujhe sukh se jine nahi deta.. bas ab bahut ho gaya, pareshan ho gaya hu aisi jindagi se.. kya matlab hai aise jine me aur kya meko dharti par isiliye bheja hai kya aur agar aisa hai to bhagwan dhikkar karta hu mai tumhara aur is jindagi ka..
Din par din raat dar raat beet rahe the aur avi aisa hi ek jagah baitha hua tha.. shubham nebhi use bahut samjhane ki koshish ki ab avi ne muh se ek shabd bhi nahi nikalta tha wo baat karta tha to bas aniket se wo bhi phone par, ekdum normal hokar aur fir baad me wapis maun..
Dekhte dekhte ek hafta beet gaya, ab sanjana ko bhi ab avi ki gairmaujudgi ka ehsas ho raha tha par kya kise pata wo najane ye kaisi jidd pakad kar baithi thi aur fir ek din avi kuch soch kar utha aur sidha college me pahucha..
Wo sanjana ko dhundh raha tha har jagah dekh liya par wo use kahi nahi mili.. wo dhundhne ke sath sath use call bhi lagane ja raha tha par wo phone hi nahi utha rahi thi aur jab thak ke wo wapis hostel jane ke liye nikla to itne me parking me use sanjana dikhai di, avi daud kar sanjana ke paas pahucha, sanjana ka gussa ab bhi kam nahi hua tha..
Avi- sanjana ruko mujhe tumse kuch baat karni hai..
Par sanjana apni hi aka me thi
Sanjana- to ek hafta mujhse baat karne hi himmat juta rahe the kya ?
Avi- tu mere se aise baat kyu kar rahi hai ?
Sanjana- to tum ab kya chahte ho mai tumhare piche katora lekar ghumu, mujhe pyaar karo kehte huye
Avi- a-sa mat bolo sanjana mai bhi tumse pyaar karta hu, apna gussa chhod do mai mafi mangne aaya hu tumse, maine bahut sataya hai tumhe
Avi ko laga tha uske muh se pyaar ka ijhar sun ke sanjana ka gussa dur ho jayega par aisa nahi hua, is pichle ek hafte me sanjana ka gussa uske ego me badal gaya tha
Sanjana- tumhe kya lagta hai tum aise aakar ek baar bol doge ki tum mujhse pyaar karte ho to mai tumhari baho me aa jaungi, aisa sochte ho to pagal ho tum, mujhe jo chiz chahiye hoti hai mai use kisi bhi haal me hasl karti hu par agar wo chiz mujhe samay par na mile to dobara uski taraf dekhti bhi nahi, maine tumse ek baar nahi hajar baar kaha tab meri feelings nahi dikhi tumhe, tumne bahut tadpaya hai ab meri bari hai..
Avi- theek hai, mai maanta hu galti meri thi aur ek baar nahi dus baar sorry bolta hu aur hajar baar love you..
Sanjana- ab utar gayi saari masti par jaruri nahi ke isse mera vichar badle.. cholo theek hai tumhari mafi kabul hai par meri ek shart hai.. aainda jindagi me wo jo koi bhi tumhari heroine hogi uska jo bhi naam hoga uska jikra tum mere saamne kabhi nahi karoge..
Avi kuch bhi sun sakta tha par komal ke bare me aise shabdo ka upyog use sehan nahi hone wala tha ab tak apni premika ko manane wale premi avi ab wapis se wo purana aashiq ban gaya tha aur wo khawal gaya
Avi- bas ho gaya sanjana. Bahut bol liya, meri galti thi mai maanta hu aur mai uske liye mafi bhi mang raha hu, mai tumse pyaar karta hu ye bhi kabul hai pat khabardar ye aisi behudi bhasha mujhe bilkul bardasht nahi hai..
Sanjana bhi khawal gayi kyuki kahi na kahi uske man me avi ki pehli premika ko leke irshya ke bhav the..
Sanjana- suno hero, agar itna hi bura lag raha hai to jake uske pallu me chip mere samne hath jode kyu khada hai
Avi- tere jaisi badtamiz urmat ladki se jyada mai uske paas jana jyada pasand karunga tu uske nakhun ki bhi barabari nahi kar sakti samjhi na aur aaj to mai ja raha hu par ye mat samajhna ke sab khatam ho gaya hai, nai tujhe mere pyaar ka eksas dilaya to mera bhi naam Avinash nahi, bhale uske liye mujhe meri jaan kyu na deni pade…
Itna bool ke avi waha se jhatke se nikal gaya, sanjana bhi gusse se fanfana rahi thi, eklauti pyaar me pali badhi ladki usse aajtak kisine aise baat nahi ki thi..
Usdin ho Avi gaya to hamesha ke liye..
Usdin ke baad avi kisi ko nahi dikha.. shuruwat ne avi gaon ko gaya hoga aisa shubham ko laga, usne bhi ek hafte tak call nahi kiya par baad me jab call lagaya to uska phone band aa raha tha, ab shubham ko lagne laga tha ke kuch to gadbad hai, ek hafte tak avi room ke bahar nahi nikla aur fir achanak gayab.. use ab chinta hone lagi thi, usne kayi logo se avi ke bare me pucha par kisi ko avi ke bare me kuch nahi pata tha aur akhir me use yaad aaya ke police ke matter ke time avi ne use ek card diya tha, shubham se akkha room chan mara aur wo card milte hi usne us number par call lagaya
Wo number narayanrao rane ka tha, shubham ne call karke avi ke bare me pucha par narayanrao ko ne bataya ki wo gaon nahi aaya tha par unhe chinta na ho isiliye shubham ne koi or bahana bana ke call cut kiya.. uskko pehle ye confirm karna tha ke majra kya hai.. aur sanjana ka naam uske dimag me aaya swabhavik tha, shayad sanjana ko pata ho ke avi kaha gaya hai kyuki pichli baar bhiwo aniket ke sath do din ke liye gayab hua tha..
Shubham sanjana ke paas pahucha aur usne sidha pucha
Shubham- Avi kaha hai ?
Sanjana use taalte huye boli
Sanjana- tera roommate hai tujhe pata hoga mujhse kyu puch raha hai ?
Shubham- sanjana, wo pehle ek hafta room se nahi nikla aur ab wo gayab hai, uska phone nahi lag raha hai, college me koi nahi jaanta wo kaha gaya hai yaha tak ke wo apne gaon me bhi nahi hai, tum dono ke beech kuch hua hai kya ?
Sanjana baat chipate huye boli
Sanjana- nahi, kuch nahi hua hai
Shubham- to wo aise achanak gayab kaise hua, mujhe lagta hai ab uske ghar walo ko bata dena chahiye taki wo use dhundh sake aur police complaint kar sake
Itna bol ke shubham waha se nikal gaya
Aur ab sanjana ko tension aane laga tha, ek secon me sara ego gayab ho gaya tha aur ab gusse ki jaga darr ne le li thi, sanjana darr ke mare kamp rahi thi, ab jab use hi aake is bare me puchte to wo kya jawab degi,wo soch rahi thi, aniket ko phone kiya jaye aisa use laga par agar aniket ne usse hi sawal kar liye to wo kya jawab degi.. wo to aniket komal tak pahuch chuki thi aur un dono ko to sab pata tha ab kya kare ? kaha gaya hoga avi ?
Man me alag alag khayal aa rahe the aur achanak use avi ka bole akhri shabd yaad aa gaye
“nai tujhe mere pyaar ka eksas dilaya to mera bhi naam Avinash nahi, bhale uske liye mujhe meri jaan kyu na deni pade…”
Aur ye yaad aate hi mano uspar bijli giri ho aur apne aap uski aankho se aansu behne lage, ye kya ho gaya tha, ye maine kya kar diya, apne hu gusse ke chalte apne hi jivan me aag laga di.. wo to aaya tha.. maafi mang raha tha, apna pyaar bata raha tha par pata nahi mujhe kya ho gaya tha ? aisi kounti sanak mere dimag par chadi huyi thiwo mai use itna kuch suna gayi.. aisa kaunsa badla usse lena chahti thi wo maine use itna kuch bola
Sanjana ne dimag me ab bure bure khayal aa rahe the aur unhe rokna namumkin tha.. sanjana ke khayal uska darr aur badha rahe the, use avi ki chinta ho rahi thi par asal pariksha to tab hone wali thi jab aniket aayega aur aniket ke sawalo ka jawab dena uske liye mushkil hone wala tha
Sanjana abi bas avi ke sahi salamayt hone ki dua kar rahi thi…..