• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 22



Aniket- saari bato me agar ache se gaur kiya jaye to yahi lagta hai ke tujhe bhi usse pyaar hua hai re bangdu :D

Avi aniket ki baat sunkar muskuraya kyuki kahi na kahi use bhi aniket ki baat sahi lag rahi thi par ab bhi dimag puri tarah se is baat ko manne ko tayar nahi tha..

Ab beer dheere dheere apna asar dikhane lagi thi aur aniket avi ko uksate huye bola

Aniket- oye, harami aadmi, bol na kuch, mere ko malum hai tu bhi pyaar karne laga hai usse :D bol de ab

Aniket ki nautanki dekh ke avi hasne laga aur use aise hasta hua dekh ke aniket ne sidha uth ke nachna shuru kar diya

Aniket- aayyyy gajab… hasa to samjho fasa.. aaj mere yaar ki shadi hai…. :dance:

Aniket jor se chillane laga

Aniket- A avi ko pyaar ho gaya reeee….

Aniket ki aisi nautanki dekh ke avi ki hasi nahi ruk rahi thi aur aniket ne use hath pakad ke uthaya aur nachne laga aur nachte nachte hi aniket ne avi ko gale laga liya… aniket itna khush tha ke uski aankhe bhar aayi thi aur wo thodi kampti awaj me bola

Aniket- Avi aaj bahut khush hu mai..

Avi ko kuch sujh nahi raha tha kyuki aniket ko itna khush to usne uski shadi ke time bhi nahi dekha tha aur aniket ka nachna ruk hi nahi raha tha aur jab bagair music ke nachte nachte dono thak gaye to dhadam se niche baithe..

Avi ki aankho ke samne sanjana ka chehra ghum raha tha, aaj use bhi ye ehsas ho gaya tha ke wo sanjana se pyaar karne laga tha, wo man hi man use yaad kar raha ha aur aniket nachne ke baad apni saas kabu karne me laga hua tha aur fir uska dhyan avi ki or gaya, avi apne ki khayalo me klhoya hua tha, kuch samay dono me se koi kuch nahi bola aurt fir achanak aniket jor se chillaya

Aniket- hhaaaddddd !!

Avi ekdun chauka

Avi- kya hua be

Aniket- nahi kuch nahi, wo kuch samay pehle ek kutta kuch pyaar wagair nahi karke bol raha tha to bas usko bhaga raha tha :D

Aniket ki baat pe dono hasne lage aur aniket avi ke kandhe ko pakad ke hilate huye bola

Aniket- ab to bol bhai, jo bhi man me jama karke rakha hai nikal de bahar, apne ander ka lava fat ke bahar aan de..

Avi muskuraya, beer ab apna pratap dikha rahi thi, aur dheere dheere sanyam me bandh toot rahe the.. aniket ne khushi ne avi ko hila diya tha aur ab use aisa lag raha tha ke sab bhul jaye.. aniket to uski jaan tha aur use usne itna khush kar diya tha yahi feeling avi ke liye anmol thi… ab kuch bhi ho jaye wo is khushi ko najar nahi lagne dena chahta tha..

Aniket ne aaj avi ke man ke sare confusion door kar diye the aur use ab samajh aa gaya tha ke aur kitne dino tak wo aise hi apna dukh samete rahega, uski ek ha se jab aniket itna khush hai to komal kitni khush hogi.. to ab faltu me jidd karke avi unki khushi kam nahi karna chahta tha aur sabse badi baat use bhi khush hone ka pyaar karne ka adhikar tha, aur jab uski ek ha se aniket khush komal khush to sanjana ka kya hoga ? uski baat bhi to sahi thi, mujhe mera pyaar nahi mila iska matlab ye nahi ke mai kisi ya pyaar usse chin lu waise bhi wo kahawat hai don’t marry a girl whom you love, marry a girl who loves you aur avi man hi man sanjana ko yaad karne laga aur bola

Avi- ha, mujhe pasand hai sanjana, bahut sunder hai re wo, sach bolu to pehli baar usko dekh ke hi dil ke taar jhanjhana gaye the par fir uski aur wo rahul ki harkate :sigh:, wo sath hoti hai to aisa lagta hai aasman me hu, uske chehre ko ghanto dekhne ki icha hota hai, kitni niragas hai wo aur sabse jyada pasand hai mujhe uski aankhe, mrugnayani. Aisa lagta hai dub jau un aankho me.. chafe ke phool jaisi naak.. gulab ki pankhudiyo se najuk hoth, uske baat karne samay jab uske balo ki lat uske chehre par aati hai na to uski khubsuri bayan nahi ki ja sakti… ha thodi maa baap ke laad pyar me bigdi huyi hai par dil ki achi hai, wo sath na ho to kuch acha nahi lagta hamesha uska chehra aankho ke samne ghumta hai aur wo bolne lagi lagta hai kisi ne sitar ke sur chhed diye ho, wo ek baar dear boli thi kya mast feeling aaya tha wo time.. bahut najuk hai wo par jab khud ke taraf dekhta hu to aisa lagta hai ke mere jaisa fatichar kya sachme uske layak hai ? wo itne laad pyaar me pali badi hai uske meri jhopdi me kaise lau, mere pyaar ke khatir wo aa bhi jayegi par fir mujhe hi use aise dekh ke bura lagega… meko bata apni eklauti beti ka hath inspector patil aise mere hath me de dega kya.. hum dono me bahut fark hai bhai.. wo resham ki dor aur mai nariyal ki rassi.. hamra mel ho bhi to kaise, teko lagta utna sab easy nahi hai anya..

Aviket ne ek lambi saas chhodi aur bola

Aniket- kuch mushkil nahi hai lodu, tu jyada sochta hai isiliye teko mushkil lag raha hai, meko bata tu kya kal ke kal jake shadi karega kya ? tu aaj ke halat dekh ke soch raha hai par kalko bhio yahi paristithi rahegi hi aisa nahi hai.. tu padh raha hai, padhai puri karke teko job karni hai sanjana bhi padhi likhi hai wo kya tere ye gothe me rahegi wo bhi kuch na kuch karegi air aisa bhi to ho sakta hai future me halat ekdum alag ho, paisa sab kuch nahi hai, ha mai manya karta hu ke ghar chalane ke liye paisa lagta hai par agar paisa hi sab hota to amir logo ke kabhi talak nahi hote.. paisa thoda kam ho chalega par agar pyaar hi na ho to aise chalega.. aane wala samay uncertain hai to uske liye tu aaj aane wali khushiyo se kyu muh chipa raha hai..khush rehne ka haq teko bhi hai, ab yash ko dekh, wo pyaar me gira bhi aur fir uthke khada hua bhi aur apna career bhi banaya.. aisa kar ke jab ache se settle hoga tab shadi kariyo par abhi to sanjana ko na mat bol aur mujhe terepe pura yakin hai tu kuch na kuch karega hi aur hum to tere sath hai hi.. bhai hai tu apna aise beech me thodi chhodunga teko…

Avi ab sochne laga.. aniket ki baat me point tha.. dil raji ho gaya tha par dimag nahi maan raha tha

Avi- matlab abhi ek saal aur padhai fir naukri..itna time rukegi wo ?

Aniket- kyu nahi rukegi, pyaar karti hai to jarur rukegi..

Avi- aur uske ghar wale

Aniket ne apne sar par hath maar liya

Aniket- abe bsdk wo sanjana ka problem hai wo dekh legi ye bhi baat tu hi dekhega kya lodu ?

Dono hasne lage aur aniket firki lete huye bola

Aniket- ho gaya ab tera confusion dur ke ab bacche kitne paida karne hai unki padhai ka kaisa karega beti huyi to uski padhai shadi ka kaise karega ye bhi abhich soch le..

Avi- o bhai itna kuch nahi hai abhi

Aniket- nahi nahi ab sab soch hi raha to ye bhi soch le le judwa paisa huye to kya karega

Avi- anya hath jode bhai tere aage bas kar de ab..

Aniket- ha ha theek hai ab aage ka kya ?

Avi- aage kya ?

Aniket- abe tu aadmi hai ke pajama.. abhi puri filam ban gayi idhar aur ab tu uski story puch raha abe sanjana ko kab batayega apni feelings

Avi- merese jyada utawala to tu hai.. bahut jaldi hai kya teko meri vaat lagane ki

Aniket- hao..meri vaat lag chuki hai to tu aise sukh me dekha nahi ja raha merese

Avi- bata dunga bhai par pehle confirm tokar lu sanjana sach me pyaar karti hai ya bas ye ek gubbara hai kyuki agar usne kalti maar di to uska baap pata nahi kaha kaha kaise kaise marega

Aniket- beta agar aisa hua to apni jaan pehchan khatam samajh liyo, mai is baar maar nahi khaunga

Avi-shabass to kya bas shadi ki mithai khane aayega..

Aniket- nahi waisa nahi hai..tune maan liya ke tu bhi use chahta hai yahi bas hai apne liye aur iske aage tu ye kar wo kar mai aisa force bhi nahi karunga.. pyaar me ek baar chot kha chuka hai tu ab sahise jaach ne ke baad hi kadam uthaiyo

Avi- ye huyi na baat…

Aur dono wahi tekdi par baate karte baithe….
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 23



Aniket aur avi bahut samay tak tekdi par baithe baate karte rahe, purani yaade taja karte rahe, aaj bahut dino baad tekdi par jane ka muhurat nikla tha aur fir dono ghar ke liye nikal pade, avi aniket ko uske ghar chhodne ke baad apne ghar jane wala tha aur ghar ke paas aate hi aniket bola

Aniket- avya bahut der ho gayi be aaj..

Avi- ha be chal mai bhi chalta hu

Avi ki baat sunkar aniket hath hilate huye bola

Aniket- aise kaise jayega be tu.. itna time ho gaya hai hamara pehalwan gusse me hoga ab to.. aur tu sale shanti se kat lega

Avi- ha to mai kya karu isme :roll:

Aniket- kya karu :shoced: kya karu ? bsdk sharam nahi aati us sherni ke muh me meko akele ko bhejte huye.. wo kuch nahi tu bhi chalega ander, khana khayenge sath me aur yahi rukega tu subah chale jaiyo ghar bas final ho gaya ye, mai tere ghar pe bata dunga ke tu yahi ruk raha hai

Avi- bol to aise raha jaise bhabhi kha jayegi teko

Aniket- abe sirf khayegi nahi, pehle talegi fir masala chidak ke khayegi aur baad me dakar bhi nahi maregi..

Avi- ti itna darta hai kya bc komal bhabhi se :shocking:

Aniket- komal ? abe meko to ab kabhi kabhi lagta hai ke iske baap ko yani mere sasur ko jake puchu ke ye itne khatarnak item ka naam komal kya soch ke rakha tha, aur saas ko puchunga ke pregenency ke time ya sirf mirchi khayi thi kya jo aisi jwala paida huyi ..

Avi- kuch bhi bolta hai bc tu.. ha manta hu wo thodi kadak hai par bsdk pyar bhi to karti hai tere se..

Aniket- malum hai re.. wo sach me thode hi itna kuch karegi par ek baad batau, wo gusse me na aur bhi jyada khubsurat dikhti hai bas isiliye chidhate rehta hu usko, sara ghar sambhal liya hai bhai usne, maa ko jara koi kaam karne nahi deti aur bapu ko bhi bola hai ke jyada kaam nahi karne ka aur mere ko kaam pe laga diya bhai :sweat:

Avi- sahi hai

Aniket- mera naseeb hai bhai ke komal mili hai mujhe..

Aniket pure man se bol raha tha aur avi bhi pure man se uski baat sun raha tha

Avi- ab tu mere ko batayega kya teri lovestory :roll: apun tun dono ko ache se jaanta hai 😌

Aniket- isiliye to bata raha bhai bahut danger hai wo, sabke samne badi savitri banii rehti hai par akela milne pe hath chalane me bhi idhar udhar nahi sochti..

Avi- hatt be, feke mat ab

Inki ye uljulool baate shuru hi thi ke tabhi ek jordar awaj waha aayi, narayanrao rane balcony me khade inko dekh rahe the

Narayanrao- oye jai viru, ab ghar me aaoge ke darwaja laga du fir baitho raat bhar baahar hi apni baate karte huye

Narayanrao ka awaj sunte hi dono chup huye aur aniket dheere se bola

Aniket- chya aaila aaj to bapu bhi jaag rahe hai ab to beta teko ander chalna hi padega nahi to mera bachna mushkil hai tu dhal hai aaj meri samjha

Dono khud ko wo normal hai aisa batate huye ghar me ghuse, narayanrao avi ko dekhte hi usse milne aaye

Narayanrao- aur avi kaisa hai bete, kya chal raha hai ?

Ab avi kuch bolta isse pehle hi aniket dheere se bola

Aniket- tumhare liye ek aur bahu lane ka vichar chal raha hai

Aur avi ne aniket ko kohni maar ke chup karaya aur bola

Avi- kuch nahi kaka sab theek ekdum, pehla saal khatam hote aaya hai, agle saal masters degree aur fir job

Narayanrao- badhiya hai, aur baki sab theek na ?

Avi- ha ha ekdum majeme

Narayanrao- mujhe aaya tha inspector patil ka phone, bata rahe the thodi galat fehmi ho gayi thi par tune sab sambhal liya..

Avi- arey kaka college ki baate college tak hi rahe to sahi hai aur waise bhi un logo ko rusticate kar dete to unka bhi to nuksan hota na

Narayanrao- sahi hai, ab to kuch problem nahi na ? koi bhi dikkat ho to bata dena aur na patil bahut tarif kar rahatha teri, bole bahut samajhdar hai tu itna sab hone ke baad bhi ek shabd nahi nikala, acha hai ab jao jaldi se khana khao, time bahut ho gaya hai

Itna bol ke narayanrao apne room me chale gaye aur unke jate hi aniket bola

Aniket- kya baat hai avi seth ladkike pehle uske baap ko pata liya, gajab :D

Avi- bsdk chup karega thodi der aur muh band rakh apna, kya bol raha tha be kaka ke samne bahu lane ke bare me

Aniket- machal re, wo jane de meri phulan devi kidhar dikh nahi rahi

Fir idhar udhar dekh ke aniket ko awaj lagayi

Aniket- arey o phulan, shayad kitchen me hogi, phulan.

Itne me komal baahar aayi aur kamar par hath rakh ke boli

Komal- kya ?

Aniket kaha kya.. :D

Komal- ye phulan kya hai :huh: ?

Aniket- phulan ? kaun bola phulan :hmm: itni khubsurat biwi ko koi daku phulan devi bolega kya, tumhare kaan baj rahe honge, mai to komal hi bola :relievd:

Komal- jitne bhole bante ho aap tutne ho nahi, mai jaanti huache se aur ab chup chap hath muh dho ke dining table par aao mai khana lagati hu

Komal ki baat sun ke aniket bathroom ki taraf bhaga aur usne aise bhagte dekh avi jor jor se hasne laga to ab komal ka rukh uski taraf hua

Komal- tujhe alag se bolna padega kya :huh:

Avi bhi bathroom ki taraf chala gaya,

Kuch samay baad teeno khane ke table par the par koi kuch bol nahi raha tha aur akhir me komal ko hasi aa gayi aur usko haste huye dekh ke aniket bhi mood me aa gaya

Aniket- haayy! Teko haste huye dekh ke baar baar pyaar ho jata hai tere se

Aniket ki baat sun ke komal ne avi ko dekha aur boli

Komal- jise pyaar hona chahiye use top kuch ho nahi raha aur tumko dekho..

Aniket- arey kaun bola mere yaar ko pyaar nahi hua hai…

Komal ne aniket ko beech me rokte huye aankho ke ishare se pucha ke kya hua to aniket ne bhi baithe baithe hi apne hath upar karke nachne laga aur komal mano uska ishara samajh gayi thi wo bhi ekdum khush huyi aur boli

Komal- avi… sach ?

Avi kuch nahi bola bas usne ha me gardan hila di aur fir kya komal bas seeti bajane ki wali thi ke avi un dono ko shant karte huye bola

Avi- ruko be dono chup baitho, tumhara awaj sun ke kaka kaku aa jayenge abhi kya hua puchne

Komal- aane de, khushi ki baat hai aur unhe bhi to pata chalna chahiye na, wo bhi khush honge

Avi ne apne sar pe hath maar liya

Avi- sala mere se kyada utawale to tum dono ho

Fir komal avi ki maja lete huye boli

Komal- fir ? aage kya :hinthint:

Avi- kuch nahi

Komal- tu bhi waisa aur tera dost bhi, dono duffer, arey pyaar karte ho to bindass bolne ka na

Avi komal ke aage hath jodte huye bola

Avi- ha meri maa bata dunga usko jald hi, khush

Komal- wo to theek hai par bolega kya usko hame bhi to pata chale :D

Avi- anya ne jab propose kiya tha tab hum the kya waha :redface:

Komal- isi me itni himmat nahi thi tumme kaha se hoti, maine thodi mana kiya tha

Avi- ka wo to kaisa bhandara tha na ki akkhe gaon ko leke aate :redface:

Komal- arey tu bata na kab karega sanjana ko propose

Avi khurchi par se uthte huye bola

Avi- abhi jau kya ?

Aniket ne uska hath pakad ke usko bithaya aur bola

Aniket- o bhai maine beer pike propose kiya tha tujhe wo time bataya nahi tha ba batata hu tab ye kammo ne aise kaan ke niche bajayi thi ke do din tak kaan sunn tha mera, aaj bhi yaad karke kuuuiiiii aisa awaj kaan me gunjta hai

Avi ne yahi point pakda aur baat badalne laga

Avi- kya baat kar raha bhai, direct kaan ke niche

Aur fir aniket shuru ho gaya aur wo baat batane laga tab komal ne use rokte huye kaha

Komal- Mr. Rane ruko jara hamesha kya beech beech me apni baat shuru kar dete ho, yaha baat hamari nahi avi ki ho rahi hai, tu bata avi kab karega sanjana ko propose

Avi bhi apne parichit gambhir awaj me bola

Avi- sahi samay aane par kar dunga propose…..
 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 24



Agle din avi wapis aane ke liye nikal gaya, safar me uska man bus se jyada gati se bhag raha tha waise dekha jaye to wo bas do din sanjana se dur tha par aisa lag raha tha mano bahut samay beet gaya ho use dekhe aur aaj wapis sanajan se mulakat hoti bas isi khayal se uska man jhum raha tha, wo man hi man sanjana ko yaad kar raha tha aur khush ho raha tha aur ab to use ye safar bada lamba lagne laga tha..

Pichle char paanch dino me uski jindagi me bhari utar chadhav aaye the, pehle komal fir aniket, do din pehle tak to wo ye manne ko bhi tayar nahi tha ke wo sanjana se pyaar karne laga hai aur ab usse milne ke liye bechain ho raha tha, komal aur aniket ne uska sara confusion dur kar diya tha, tekdi ki daru aur aniket ke ghar ka scene yaad karke wo muskura raha tha, in do dino me sanjana ne bhi use koi phone nahi kiya tha kyuki use bhi pata tha ke avi bahut dino baad apne ghar gaya hai aur use thoda space dena chahiye..

Avi apne ki khayalo me khoya hua tha par itni baat saaf thi ke jaisa aniket ke sath uska discussion hua tha wo har chiz ko parakh ke aage ka decision lene wala tha, wo pehle ye confirm karke dekhna chahta tha ke sanjana sach me usse pyaar karti hai ya ye bas ek attarction hai, waise to use bhi samajh nahi aaya tha ke use kaise maan liya tha ke wo bhi sanjana ko chahta hai, ye ek alag hi feeling thi, ek taraf to use ye bhi lag raha tha ke kah komal ka naam samne na aaye isliye to usne sanjana ke pyaar ko accept nahi kiya tha na ?

Waise ye bata bhi nakari nahi ja sakti thi, use khud samajh nahi aaya tha ke komal ka naam chupate chupate wo kab apna pyaar kabul kar baitha aur bahut sochne ke baad usne decide kiya ke abhi filhal shant rehna hi sahi hai

Avi shahar pahuch ke sidha college pahucha aur canteen me gayaaur waha sanjana ki raah dekhne laga, man to kar raha tha ke ek call kar le par fir baad me usne socha ke sanjana ko surprise de par wo ab tak aayi nahi thi, aur jaise jaise samay beet raha tha avi ka man vyakul ho raha tha aur fir achanak use apne aap par hi hasi aayi, wo is waqt itna nervous tha mano sanjana se pehli baar mil raha ho.. waise ye bhi sahi tha, ab tak wo dost ban ke usse milta tha par aajbaat alag thi aaj ek premi apni premika ki raah dekh raha tha,premika ki ek jhalak dekhne ko aatur tha, ek ek second mushkil se beet raha tha aur bechain hote huye avi ekdun se utha aur sanjana ke class ki or ek round laga ke aaya, shayad wo direct class me na chal gayi ho par wo waha bhi nahi thi, fir avi ko laga ke shayadwo library me hogi to wo bhag ke library ki taraf gaya par sanjana waha bhi nahi thi

Avi thoda naraj hote huye bhari kadmo se wapis canteen me aaya aur canteen ke gate par pahuchte hi wo ruka, saamne sanajan baithi huyi thi, thodi si udas aur apne hi khayalo me gum, ek pal ko avi ko laga ke sab bhul jaye, saara gyan saari baate bhut bhavishya sab aur jake samjana kogale laga le par ye bas ek khayal hi tha, hum kayi baar aisi najane kitni baate kar lete hai jo karna nahi chahte par wo nahi kar pate jise karne ki hamari prabal icha hoti hai, avi ke sath bhi aisa hi hua aur wo wahi ruk me sanjana ko dekhne laga

Sanjana ka is or jara bhi dhyan nahi tha, kaise rahega avi uska sukh chain apne sath ho le gaya tha, wo yaha nahi tha to sanjana ka kisi chiz me dhyan nahi lag raha tha, uski bahut icha ho rahi thi ke avi ko call kare usse baat kare par usne apne aap ko samjha liya tha, use ache se pata tha ke komal ne bahut thode samay me jaise uske dimag ne ujala kiya tha waise hi ab aniket aur komal mil ke avi ko aaisa jarur dikhayenge par kya hoga agar avi sach me usse pyaar na karta hoga to? Ye khayal dimag ne aata hi sanjana ka chehra utar gaya, use ye bhi pata tha ke aise kisi se jabardasti pyaar nahi karaya ja sakta

Sanjana ne ek lambi saas chhodi aur khud ko samjhane lagi, haay ye kismat, dil bhi aise insan par aaya jo kabhi uske man me kya chal raha hai pata nahi chalne deta.. aur man me gaana bajne laga

‘bairi piya…bada bedardi… dilka dard na jane saudai harjai zulmi..raamduhai…’

Gaana rto sanjana ne pehle bhi kayi baar suna tha par gaane ka matlab aaj samajh aa raha tha… wo kehte hai na hum khush hote hai tab sangeet sunayi deta hai aur dard me gaane ke bol samajh aate hai..

Aur akhir me sanjana ne avi ko call lagane ka socha..

Sanjana- hi avi.. kaise ho

Idhar avi ko bhi masti sujhi

Avi- mai ekdum mast tum batao phone kaise kar liya..koi khas baat

Sanjana- nahi khas to kuch nahi hai bas tumhari yaad aa rahi thi, tum waha gaye aur waha ke hi ho gaye… sahi hai jab bachpan ke dost mil jaye to hamari yaad kyu aayegi

Avi apni hasi control karte huye bola

Avi- aisa kuch nahi hai tumko to pata hai apne dost apni jaan hai, dosto ke liye mai kuch bhi kar sakta hu

Sanjana- acha ji aisa kya kya ? To fir mai aati hu kya us category me fir

Avi- arey ye bhi koi puchne ki baat hai kya, dost to tum bhi ho ek bhi khas wali

Sanjana- tum hamesha aisa hi karte ho, jara gussa nahi karne dene uske pehle hi mana lete ho..

Avi- aisa bhi hota hai kya par tum gussa thi kya

Sanjana- jaise tumhe to kuch pata hi nahi hai

Sanjana jhutha gussa dikhate huye boli aur avi bhi bhola bante huye aage bola

Avi- na, apne ko kuch nahi pata bata na kyu thi gussa

Sanjana- kucch nahi hamare building ka watchman has ke line maar raha tha mere pe isiliye gussa thi

Avi- aisa hai kya, fir tune bhi badle me aankh maar deni chahiye the hisab barabar ho jata :D

Sanjana- tum aao yaha patthar se swagat karti hi ache se

Avi- fir nahi aa raha mai

Sanjana- aisa mat bol na yaar avi jaldi aaja na bahut bore ho raha yaha

Avi- na, tu patthar maregi

Sanjana- nahi marungi jaldi aajao bas

Avi- pakka ?

Sanjana- ekdum pakka promise tu jaldi aaja bas

Avi- aisa hai to fir abhi adhe minute me aaya maj waha

Sanjana- saachh

Avi- arey ekdum...

Aur avi ekdum se sanjana ke saamne jake khada ho gaya.

Avi- dhantadannnn....

Sanjana ko apni aankho pae yakeen nahi ho raha tha wo bahut jyada khush ho gayi aur utsah se khadi huyi par agle hi pal uske dhyan me aa gaya ke avi ye pure samay yahi tha aur uski firki le raha tha aur ye baat dimag me strike hote hi sanjana ne ek mukka ghuma ke avi ne pet me mara

Sanjana- mere sath bhankas

Avi bhi apna pet pakad ke niche baitha aur bola

Avi- kya dusht hai be tu, nahi maregi aisa bola tha na

Sanjana- ha to patthar nahi marungi bola tha mukka maarne ke bare me koi baat hi nahi ki thi

Avi- ye sahi hai, dur raho to jaldo aao aur aagaya to direct maar peet

Sanjana- direct kaha aaye ho tum, ye to tumne phone par abhi nautanki ki hai na ye uska prasad hai

Sanjana ki baat sunkar dono hasne lage

Bas ek pal hi kafi hota hai sari mataji sari bechaini dur karne ke liye sirf koi apna banda apne paas chahiye

Sanjana- aniket aur komal kaise hai, kya bole wo

Avi- wo dono hamesha majeme hi hote hai bahut maja kiya humne do din, kafi samay baad jo mile the..

Sanjana- aniket mujhse naraj to nahi hai na maine usss jhuth bola tha isliye

Avi- arey anya hai wo, aisi chhoti chhoti baato ki taraf to wo dekhte bhi nahi Uske bare me sochna to dur ki baat hai

Sanjana- Thank God, par kuch bhi bolo wo dono hai ek number ke awli mujhe bade pasand aaye dono

Avi- aur mai ?

Sanjana- tum to meri jaan ho sweetheart bas tumhe hi meri kadar nahi hai..

Sanjana ke muh se sweetheart sunte hi avi ke man me guitar bajne lagi thi fir bhi dil ki baat dil me hi rakhte huye wo bola

Avi- aisa kuch nahi hai tumhari kadar hai isiliye to bhagye huye bas tumse milne pahucha hu

Aur sanjana avi ki aankho me dekhte huye boli

Sanjana- sach ?........

 

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 25



Sanjana- tu to jaan hai meri sweetheart bas tujhe hi kadar nahi hai meri..

Sanjana ke aisa bolne par avi bola

Avi- aisa kuch nahi hai, teri kadar hai isiliye bhag kar aaya hu tumse milne ko

Sanjana bhi avi ki aankho me aankhe daalte huye boli

Sanjana- sach ?

Avi- ekdum sach 😌

Ab sanjana bhi thoda maja lete huye boli

Sanjana- itna bhag ke aane ke liye aisa kya tha yaha..

Avi-tum to ho..

Sanjana- acha, aur mujhpar itni meharbani kyu..

Avi- kyuki tu dost hai meri..

Bas avi ke muh se dost sunte hi sanjana ne apne sar par hath maar liya

Sanjana- hey bhagwan! Ye kya mand buddhi bana ke bheja hai tumne, mujhme hi akal nahi thi wo mai isse pyaar kar baithi..

Avi sanjana ka frustration dekh raha tha par kuch bol nahi raha tha aur ab sanjana chidh gayi

Sanjana- bas tum yahi karo yaha baith ke haste raho bas aur fir hoga ye keek na ek din mereghar wale mere liye koi ladka dekh lenge aur fir mai uske sath chali jaungi waise bhi maa ne to warning di hi thi ke padhai khatam hote hi mera band bajwa degi..

Avi ekdum serious ho gaya aur thode bhari awaj me bola

Avi- shadi karke jane se pehle mera ek kaam karogi ?

Sanjana ko ashcharya hua, wo boli

Sanjana- kaisa kaam ?

Avi- meko bata teri shadi me veg khana rahega ke non veg ?

Aur avi ke itna puchte hi sanjana ke utsah par pani fir gaya aur wo chidh kar boli

Sanjana- tumko kya karna hai

Avi- wo kaam aisa tha ke agar khana nonveg hua to us catering wale se meri pehchan kara dena bas.. jindagi bahut khubsurat hai bas catering wala pehchan ka chahiye.. kya khane me dikkat nahi hogi fir

Itna bol ke avi jor jor se hasne laga aur sanjana bhadakne lagi aur avi ke hath par jor se maarte huye boli

Sanjana- mand buddhi kahi ka, sharam aati hai kuch, mujhe yaha meri life ka tension hai aur tumko nonveg ki padi hai.. jake kisi restaurant ke malik ke beti se shadi karna fir aur ache se nonveg khana

Avi- oye sanjana sun na

Sanjana- mujhe nahi sunna kuch bhi jake apni non veg wali ko sunana

Sanjana ne gusse se apna muh dusri taraf kar liya aur dusri taraf dekhne lagi aur avi usko samjhate huye bola

Avi- sanjuu… oye sanju, le kaan pakadta hu, sorry mai to bas majak kar raha tha..

Par sanjana to sanjana thi wo kaha gusse me kisi ki baat sunti thi

Sanjana- khadde me gaya tumhara sorry mujhe nahi karni tumse baat

Avi- bas thodi si bata kar le

Sanjana- ek shabd ki bhi baat nahi karni hai tumse, tumne dil dukhaya hai mera, mai hi pagal thi jo patthar par apna sar patak ne chali aayi

Avi- sanju sorry bola na, chahiye to patthar bhi la deta hu maar de mere sar me

Sanjana- nahi uski koi jarurat nahi hai, waise bhi mai hoti kaun hu tumhe kuch bolne wali

Avi- arey kuch bhi kya sanjana, dost hai tu meri

Ab tak sanjana bas thode gusse me thi aur ab wapis dist sunkar wo ekdum aagbabula ho gayi

Sanjana- mujhe nahi banna tumhari dost, pareshan ho gayi hu mai dost dost dost, tum samajhte kyu nahi pyaar karti hu mai tumse

Avi kuch nahi bola aur isse sanjana aur bhadak gayi aur uth kar khadi huyi

Sanjana- tum aise hi baithe raho, bura to lag raha hai mujhe par ab aur koi upay nahi hai isiliye keh rahi hu, hamare beech jo bhi tha sab khatam

Avi par mano bijli giri ho, wo sanjana ko samjhate huye bola

Avi- kya..? niche baitho pehle aur ye kya laga rakha hai, kaha ki baat kaha leke ja rahi ho, kya bachpana hai ye

Sanjana ko kya hua pata nahi par wo kuch sunne ko tayar hi nahi thi

Sanjana- bas ho gaya ab, tum mujhe batao tum mujhse pyaar karte ho ya nahi?

Avi- ab ye jyada ho raha hai sanjana, tum aise jabardasti nahi kar sakti

Sanjana- mai jabardasti karungi, abhi ke abhi, ha ya nahi

Avi- styop it, ye kya laga rakha hai

Sanjana jhatke se khadi huyi aur boli

Sanjana- mujhe mera jawab mil gaya I think its time to say good bye, hamare beech jo bhi tha sab khatam, ab tumhare raste alag aur mere alag..

Itna bol ke sanjana waha se chali gayi avi ne use rokne ki bahut koshish ki par wo kuch sunne ko tayar hi nahi thi aur avi apna sar pakad ke baith gaya

Avi man hi an bol raha tha, kya sala life hai mera, pura rollar coaster kabhi upar kabhi nicheaur ye sanjana ko achanak kya hua ? kuch sunne ko tayar hi nahi hai.. ise kaise samjhau samajh nahi aa raha aur ye kya tarika hua ki samne wale ko talwar ki nok par pakad kar pucho pyaar hai ya nahi, ye ladki samajh se pare hai bc, kabhi kabhi ekdum samajhdar to kabhi ekdum balish, kabhi kabhi lagta hai iske jitna mujhe koi nahi chah sakta to kabhi lagta hai ki kya ye sach me wo ladki hai…

Kabhi kabhi gusse me hum chhoti chhoti baato ko pakad kar baith jate hai aur wo baat kab hamare ego tak pahuchti hai pata hi nahi chalta aur fir hum hamara ego satisfy karne ke chakkar me hamara hi nuksan kar lete hai, aur ye baat kisi ke samjhane se samajh nahi aati ye baat samjhata hai samay, samay hame bata deta hai ke humse galti kaha huyi par tak tak time nikal chuka hota hai aur fir bachta hai to sirf pachtava

Fir avi ne socha ke chalo baad me gussa shant ho jayega fi baat karenge par is baar sanjana bahut jyada gusse me thi aur avi ne najane kitni baar usse baat karne ki koshish ki par wo kuch sunne ko tayar h nahi thi aur akhir me ek din avi ne uska rasta roka

Avi- sanjana ba jane bhi do kaunsi baat leke baith gayi ho

Par sanjana bagair kuch bole wala se jane lagi to avi ne uska hath pakad liya to wo aur bhadak gayi

Sanjana- mera hath chhodo AK

Avi- shabas! Avi se sidha AK, mujhe baat karni hai tumse

Sanjana- ha AK, aur mera aur tumhara koi sambandh nahi hai aur mujhe tumse koi baat nahi karni, aisa samjho ke mere sar par pyaar ka bhoot chadh gaya tha jo ab utar chuka hai to ab aainda mera hath pakda ya mera rasta roka to acha nahi hoga

Pyaar ka bhoot sunte hi avi shock ho gaya fir bhi wo bola

Avi- par mujhe wo bolna hai jo tum sunna chahti thi, mai bhi…..

Avi aage kuch bolta isse pehle hi sanjana garji

Sanjana- mujhe kuch nahi sunna hai, its over , I hate you

Ye sunte hi avi ekdum sunn ho gaya, sanjana ka hath uske hath se chhut gaya aur sanjana waha se pair patakte huye nikal gayi aur wo jati huyi sanjana ko dekhta raha par ab wo use dikhai nahi de rahi thi kyuki aankhe aansuo se bhar gayi thi aur avi usi or dekhe ja raha tha jidhar sanjana gayi thi…

Pair jamin par jam gaye the aur dimag sunn ho gaya tha, usne abhi abhi jo suna uspar use yakin nahi ho raha tha aur kaano me bas teen shabd ghum rahe the, I hate you. Aur ye teen shabd uske dimag me hatode jaise baras rahe the aur ek pal aisa aaya jab usse ye bardasht nahi hua, aur ab ye sab uski sahanshakti ke aage nikal gaya aur avi ne apne dono hatho se apna sar jor se pakad liya

Badi mushkil se avi ne apne aap par kabu paya aur bhari kadmi ko ashrupurit nayno se wo hostel ki taraf nikal gaya

Room ne avi akela ki baith ke soch raha tha ke ye sab achanak kya ho gaya ?

Dil keh raha tha ke “ye sab teri hi galti hai, isko tu hi jimmedar hai, wo jab samne se aake keh rahi thi ki wo tere se pyaar karti hai tab tu hi nakhre kar raha tha wo bhi kya karegi kab tak raah dekhegi “

Fir jald hi dimag bola “ par ye kaisa pyaar tha jo hafta bhar bhi nahi tika, itna asan hota hai kya pehle pyar ko bhul kar kisi aur se pyar karna, fir bhi aniket ne pyaar ka ehsas dilaya tha, aur itna asan hota hai kya kisi ko propose karna fir bhi wo bata raha tha par sanjana kuch sunna hi nahi chahti thi”

Fir dil bola “tune baat ko jarurat se jyada khincha hai”

Fir jhat se dimag bola “ chalo ek tarah se acha hi hua kam se kam ye to pata chal gaya ke uska pyaar bas akarshan tha aur aaj uska gussa itna bada ho gaya ke use jo sunna tha wo sunna hi nahi chahti hai”

Sab khatam ho gaya tha, sanjana ka pyaar bhi aur dosti bhi…
 
Top