- 36,049
- 47,983
- 304
Update 14
Ab shubham ko mil kar usse avi ke bare me puchne ke alawa koi aur rasta nahi hai ye sanjana ke dhyan me aa gaya tha aur isiliye usne apne do dosto ko madad ke liye bola, ab sanjana thi hi aisi ke agar ko kisi ladke se do shabd pyaar se baat kar le to koi bhi ladka pighal jaye aur yaha bhi wahi hua
Ek din avi kuch samay ke liye shubham ke sath nahi tha aur yahi mauka dekh ke un ladko ne shubham ko jabardast pakda aur canteen me le aaye aur sanjana ke saamne baitha diya aur sanjana ne usse baat karna shuru kiya
Sanjana- HI
shubham- ye sab kya hai sanjana..
sanjana- wo thoda kaam tha tere se, madad chahiye thodi..
shubham- to ye kaunsa tarika hai madad mangne ka ?
sanjana- ye mera tarika hai aur sabse pehli baat is bare me avi ko pata nahi chalna chahiye..
shubham- aur bata diya to ?
sanjana- oye cockroach, ijjat hajam nahi ho rahi, pyaar se baat kar rahi hu jitna bola hai utna sun nahi to tu to jaanta hai pichli baar police ne avi ko uthaya tha is baar tu hoga
sanjana ki baat sunke shubham mayus ho gaya
shubham- nahi nahi, bolo kya madad chahiye ?
sanjana- avi kaha ka rehne wala hai ?
shubham- tum dost ho na uski sidha usse pucho
ab sanjana thoda chidhne lagi thi
sanjana- mujhe lagta hai tu sidhe se nahi manega, ruk papa ko call karti hu
tab shubham ne sanjana ko rokte huye avi ke gaon ka naam bataya aura b sanjana ne sidhe mudde par baat chedi
sanjana- avi kisi se love karta hai kya ? matlab koi pyaar wyar ka chakker hai uska ?
ab shubham ke dhyan me aa gaya tha ke majra kya hai, wo bola
shubham- ek baar bola tha waise wok i koi thi par usse jyada kuch nahi bola kabhi
ye sunte hi sanjana ko jhatka laga par fir apne aap ko sambhalte huye boli
sanjana- wo baat karta hai kya kisi se ? ya us ladki se milta hai kya ? kaun hai wo ?
shubham- mujhe nahi pata kuch, ha par itna confirm hai ke apne college ki nahi hai, shayad uske gaon ke taraf ho, mujhe nahi pata isme ka kuch
sanjana- acha to Narayanrao rane kaun hai uske
shubham- uske kaka hai shayad, uska bada kaam hai gaon me, bade vyapari hai wo..
sanjana- ok
shubham- par ye sab tum usse puchne ki bajay mujhse kyu puch rahi ho
sanjana- kyuki mai use kidnap karne wali hu aur firauti ke paise kisse mangne hai iski info chahiye thi tujhe itna cid kyu banna hai
sanjana aage kuch puchti isse pehle hi use avi waha aata dikhai diya jise dekh ke wo shubham se boli
sanjana- yaad hai na, apni choch band rakhna..
shubham ne bhi ha me gardan hila di aura vi waha shubham ke bagal me baithte huye bola
avi- kya be shubham, mai akkhe college me tujhe dhundh raha tha aur tu idhar iske sath baitha haoi
sanjana- kyu mere sath baitha hai isse kuch problem hai kya tujhe ?
Avi- meko kayki problem ha tumko aur baat karni hai to mai jata hu
Avi hamesha ki tarah relax mood me bola
Shubham- abey AK kuch bhi, hum to aise hi baat kar rahe the, tum log baate karo mau aata hu library se
Itna bol ke shubham waha se satak gaya aur sanjana jaanbujh kea vise boli
Sanjana- Avi, mai kyat ere alawa dusre se baat nahi kar sakti ?
Avi- arey, maine aisa kab bola, teri life hai, tu jisse chahe baat kart u meri dost hai to tu kisi aur ladke se baat nahi kar sakti aisa kuch nahi hai
Sanjana- tujhe koi problem nahi hai, mai aise akele kisi bhi ladke se baat karu to
Avi- sanju bhang chadha ke aayi hai kya, mujhe kyu problem hogi
Sanjana- nahi maine to bas aise hi puch liya, wo kya hai na kisi kisi ko acha nahi lagta tha unki dost kisi aur ladke se baat kare to..
Avi- pehli baat mai aisa nahi hu, aur dusri baat, hua kya hai bada ajeeb behave kar rahi hai aaj tu ?
Ab sanjana ke dimag me ek naye idea ne janm liya
Sanjana- wo mujhe na teko ek kahani sunani hai..
Avi- ha to bol..
Sanjana- main na, ek ladke se pyaar karti hu
Itna bol ke sanjana avi ke chehre ke haav bhav dhyan se dekh rahi thi, ek pal ke liye uske chehre ke bhav badle par agle hi pal usne unhe ache se chupa liya aur normal chehra karte huye bola
Avi- arey gajab !
Ab sanjana use jaanbujh kar uksate huye boli
Sanjana- puchega nahi ki kaun hai wo
Avi- ab tu smart hai, samajhdar hai tu usse pyaar karti hai matlab hoga koi handsome, smart ameer..
Sanjana- ha wo to hai, par tujhe gussa nahi aaya na
Avi- meko kyu gussa aayega, ulta koi problem hoga to bata, apun expert hai aisi shadiya karane me ( again iske bare me adhik jaankari ke liye read Ek Hateli Lovestory ) apne paas har samasya ka samadhan hai..
Ab sanjana chup ho gayi aura vi bola
Avi- agar hua to mujhe milana usse aur ha, shadi me bulana mat bhulna, chal lecture hai abhi nikalta hu mai..
Avi itna bol ke waha se chala gaya aur sanjana man hi man chidh rahi thi, kaisa khadus banda hai, man me kya chal raha hai pata hi nahi chalne deta, baki jagho par bada chhati chaudi karke ghumta hai par personal baat aayi ke bhigi billi aur achanak uske dhyan me aaya ke avi ki girlfriend hai, kaun hai wo ? pata to lagana hi tha, sanjana ne apne phone nikala aur avi ka fb profile open kiya aur check karne lagi, waise to fb pea vi ke dhero dost the aur unme sirf 4-5 hi ladkiya thi, sabse pehle to sanjana ne avi ke saare photos check kiye par usme use kuch nahi mila, fir avi ka har update check karne lagi par kahi se aisa nahi lag raha tha ke wo kisi se pyaar karta hai fir uska dhyan gaya uske updates ke likes par, sanjana ne jab gaur se check kiya to use samajh aaya ke aviket komal aur yash in teeno ne kareeb kareeb har post ko like kiya hua tha (ab ye teen kaun hai vistaar se janne ke liye padhe EK Hateli Lovestory :declare ), fir usne sabse pehle komal ka page check kiya to uske profile par uske aur aniket ke shadi ke photos the, baki ki ladkiyo ke profile bhi sanjana ne dekh dale jisme se ek dr. suman ka tha aur shadi uski bhi ho chuki thi aur baaki ladkiya to dada bhaiya wali thi to unka to yaha sawaal hi nahi tha
In sab me ek chiz sanjana ke dhyan me aa gayi thi ke avi aur aniket bestfriends hai matlab avi ke bare me agar koi sahi info de sakta hai to wo sirf aniket hai sath hi aniket madad bhi karega aisa sanjana ko laga par usse pehle ek baar checkto karna tha, aisa bhi ho sakta hai ki avi kisi se pyaar hi na karta ho aur usne faltu me shubham ke dimag me ye baat daali ho,
Sanjana- agar to ye baat jhuth nikli to shubham cockroach tujhe to mai nahi chhodne wali
Sanjana ne apne aap se kaha aur aage kya karna hai sochne lagi
Wahi dusri taraf avi ki halat vichitra ho gayi thi, wo is waqt apne room me pada tha aur aage ke bare me soch raha tha aur khud se hi baate kar raha tha
Avi- ye sab kya chal raha hai bc ? komal ki shadi ke baad maine decide kar liya tha kea b pyaar ke chakker me nahi panda hai, meko to bc shadi bhi nahi karni, aur abhi saal bhar bhi nahi hua aur ye ? nahi nahi, aisa kuch nahi hai, sanjana bas dost hai aur kuch nahi, par agar wo sirf dost hai to jab aaj usne pucha ki kisi se pyaar karte ho kya to ajeeb kyu feel hua, kisi ki baat na sunne wala uski jabardasti kaise sehan kar leta hu mai? Waise bhi chali gayi thi wo, kya jarurat thi dobara usse dosti karne hi upar se uske liye gaana bhi gaaya, sach sach bata usne jab gale lagaya tab pighal gaya than a.. avi wo teri dost nahi hai tu pyaar karne laga hai usse……. Nahi nahi mai koi pyaar wyar nahi karta kisi se, mai koi dilfek aashiq nahi hu jo ek jayegi to dusri ka picha karunga, mai aur sanjana sirf dost hai isse jyada nai aur agar ye kissa aage badha to use wahi khatam karke dur nikal jaunga mai
Avi ne man hi man decide kar liya tha ke dobara pyaar wyar ke chakker me nahi padna hai…..