Update 9
Agle din avinash aur shubham canteen me baithe the tabhi shubham ko sanjana waha aati dikhayi di aur use dekhte hi shubham bola
Shubham- AK wo dekh tufan..
Avi- chya aaila na to ye chain se jiyegi na jine degi, chal satakte hai idhar se.. par un dono ke waha se satakne ke pehle hi sanjana waha aa pahuchi aur aake boli
Sanjana- oye kidhar chale tum log ?
Avi- hehe lecture ko
Sanjana- abhi kaunsa lecture hai abhi to break hua hai
Tab shubham bola
Shubham- arey nahi lecture nahi library ja rahe the
Sanjana- (shubham ko gusse se dekhte huye) teko kisi ne kuch pucha kya, cockroach, mujhe AK se baat karni hai, baith niche
Wo dono wapis apni jagah par baith gaye tab sanjana wapis se shubham ko dekh ke boli
Sanjana- tuhe library jana tha na ? chal nikal fir..
Shubham ne ek baar avi ki taraf dekha avi ne bhi use ishare se jane ke liye kaha aur bola
Avi- tu chal aage main aaya abhi
Shubham man maar ke waha se chala gaya aur uske jate hi sanjana ne sawal daga
Sanjana- mujhe dekh ke bhag kyu raha tha re ?
Avi- tu to aise baat kar rahi hai jaise mere namkaran ke time maujud thi
Sanjana- mujhe dekh ke bhag kyu raha tha
Avi- mai kyu bhagu
Sanjana- mai koi tujhe khane wali nahi hu
Avi- aur kha liya to
Sanjana- nahi khaungi
Avi- fir theek hai
Sanjana- dosti karni hai
Avi- kisse ?
Sanjana- hamare watchman se
Avi- wo bhi apne college me hai
Sanjana- nahi
Avi- fir kaha hai :tinking:
Sanjana- kaun ?
Avi- watchman
Ab sanajana ka para garam hone laga
Sanjana- mujhe tere se dosti karni hai
Avi- ek sawal, kyu ?
Sanjana- kyuki teri wajah se ab koi mujhse college me baat nahi karta isiliye
Avi- oh aisa hai kya, theek hai fir mai aath dus ladko se pehchan karwa deta hu bichare bahut marte hai tujhpar
Sanjana- marne de mujhe tujhse dosti karni hai
Avi- arey par kyu ?
Sanjana- tu theek se baat nahi kar sakta kya
Avi- kar to raha hu
Sanjana- ache se bol
Avi- ache se, le bol diya
Sanjana- teko itna kis chiz ka ghamand hai re, AK
Avi- ghamand? Mujhe ? kisi ne tumko mere bare me galat information di hai mai to sidha sadha ladka hu
Sanjana- ha, ekdum jalebi jaisa sidha hai tu to
Avi- mujhe ye samajh nahi aa raha tujhe mere se dosti karni kyu hai, apne classes alag hai, rehan sahan alag hai, tu kaha college queen mai apna fatichar..
Sanjana- wo sab mujhe kuch nahi pata aur tujhe kya problem hai friendship karne me
Avi- sach batau, mujhe darr lagta hai
Sanjana- kaisa darr
Avi- tere kurafati dimag me kab kya nayi kurafat aaye koi nahi keh sakta
Sanjana- ab tak ki sari planning mujhpar hi ulti padi hai
Sanjana ki baat sunkar avi bhola chehra bana ke bola
Avi- kya baat kar rahi ho sach me
Sanjana- jyada bhola banne ki koshish mat karo jaise tumhe kuch pata hi nahi hai mujhe pata hai tum kya chiz ho
Avi do minute ke liye shant baitha tab sanjana dobara boli
Sanjana- o hello, tumhari kidney nahi mangi hai jo itna sochna pad raha hai
Avi- baat wo nahi hai sanjana, rahul bhi aise hi dosti karne ke liye aaya tha..
Sanjana- (dheemi awaj me) Sorry
Avi- sorry, tune sorry bola
Sanjana- kaan fut gaye hai kya
Avi- nahi..
Sanjana- fir...
Avi- fir kuch nahi sab maje me, tu bata..
Sanjana- AK mai ye jug tere sar me de marungi agar dimag kharab kiya to..
Avi- sorry sorry, par iski kya guarantee hai ki tu koi nayi khurafat nahi karegi
Sanjana- kuch kiya to rusticate ho jaungi na
Ab avi ne sanjana ki firki lene ka socha
Avi- aur agar maine dosti ke liye mana kiya to
Sanjana kuch pal soch ke boli
Sanjana- for mai patthar se tera sar fod dungi, fir mai bhi rusticate aur tu bhi
Avi- mai kyu
Sanjana- bhul gaya principal ne jo kaha tha, wo takla sabko rusticate karega
Avi- theek hai soch ke batata hu
Itna bol ke avi apni jagah se uthne laga ab sanjana ka para chadhne laga wo avi ke piche bhag ke bahar aayi aur ek patthar utha ke boli
Sanjana- AK ha bol warna ye patthar abhi tere sar pe girega
Avi bhag kar aaya aur uske hath me se patthar chhin kar bola
Avi- tu pagal ho gayi hai kya sanjana ?
Sanjana- ha mai hu pagal aur pagal aadmi kuch bhi kar sakta hai
Avi- arey mata hath jode tere aage, aaj se apan dost, ekdum best wale friend jigri ekdum, jigar ka tukda ekdum, bass ! khush !
(ye kaunsa tarika hai BC dosti karne ka patthar dikha ke /avi- hase mat bsdk meko malum hai tera hi kiya dhara hai ye / isme mera koi hath nahi hai dimag hai )
Sanjana- Fir milao hath
Avi- aur kuch
Sanjana- ab dosti ho gayi hai to roj milne ka dhamal karne ka
Avi- sanjana tu subah subah daru pi ke aayi hai kya
Sanjana- nahi kya kuch bhi matlab
Avi- jau mai ab,ho gayi teri nautanki
Sanjana- ja AK ja jile apni jindagi
Avi- tu jine de tab na
Sanjana- chal tujhe teri class tak chhod du
Avi- merko malum hai mera class
Sanjana- patthar uthau ?
Avi- o mata nahi kuch bhi kar par patthar mat utha
Sanjana- good boy, chalo fir..
Fir sanjana AK ke sath uske class tak aayi aur fir sabko dikhe aise avi ke sath hath mila kar jor se bye bol kar chali gayi aur avine apne sar parhath maar liya
Wahi jyoti ye sab chup chap dekh rahithi aura b wo sanjana ke paas jake boli
Jyoti- sanjana tera dimag kharab hogaya hai kya? Jisne apni waat lagayi usi se dosti ke liye mari ja rahu hai tu ?
Fir sanjana ne muskura kar jawab diya
Sanjana- kyuki mujhe ab ache se samajh aa gaya hai ke usne nahi apan ne khud apni waat lagwa li thi, wo acha ladka hai yaar
Jyoti- acha ladka aur achanak ye sakshatkar kaise hua aapko
Sanjana- ab simple si baat lele, mujhse baat karne ke liye ye akkha college marta hai par ye ek aisa namuna hai jo meri taraf palat ke bhi nahi dekhta, aur uski sabse khas baat yahi wo har chiz soch samajh ke karta hai, bakiyo jaisa chehre par marne walo me se nahi hai, isse dushmani karke koi fayda nahi hai, ise to dost banke satane me maja aayega
Jyoti- kamal hai tub hi,dushman se dosti karne nikli hai..
Sanjana- jyoti tujhe pata hai na mai auro se alag hu, dushmani ho ya dosti apan bindass karte hai aur ye namuna to bilkul mere jaisa hai, masterpiece
Udhar shubham bhi ye sab dekh ke hairan tha
Shubham- ye tera kya chal raha hai ? jara dur reh bhai us afat ki pudiya se dost dost bolke khadde me na gira de wo
Avi- abe to karne de na, hum bhi dekhe kya karti hai wo, aur itni baat dhyan me rtakhiyo, kisi ka bura karne ke liye bahut sochna padta hai, apan apne raste chalne ka, apna niyam hai kisi ko chedo nahi aur kisi ne apne ko cheda to usko chhodo nahi
Shubham- fir bhisambhal ke rehna
Wahi avi soch raha tha ke ajeeb ladki hai, kuch din pehle mere piche hath dho ke padi thi mujhesabak sikhane aura b hath dho ke piche padi hai dosti karne, ajeeb hai, par ek baat hai upar se bhale hi wo mastoid khor ho par dil ki saaf hai, aaj avi ne sanjana ki aankho me sacchai dekhi thi, avi man hi man muskurane laga…..
Awesome Update
Toh ab Avi aur Sanjana ki dosti hogyi hai. Aur yeh dosti aage jaake pyaar mein badlegi hi badlegi. Dono ki jodi mast hai. Dono pagal aur satkele hai.
Aur aise kaun dosti karta hai bhai. Haath mein patthar leke bolrahi hai haa bol. Ab agar woh bechara naa bhi bolne ka hota toh darr se haa bolde. Great hai yeh Sanjana.
Sanjana- (shubham ko gusse se dekhte huye) teko kisi ne kuch pucha kya, cockroach, mujhe AK se baat karni hai, baith niche
Shubham be Like:- Gazab beizaati hai yaar. Aisa kaun karta hai.