- 36,245
- 48,353
- 304
Update 8
Sanjana college se apne ghar pahuchi aur jaldi jaldi fresh hokar apne room me ja baithi, waise to uske papa kabhi uspar gussa nahi karte the normally par ek baar chidh gaye ki fir unhe koi nahi rok sakta tha aur isi baat ko sochte huye sanjana ko tension aa raha tha aur uska dil joro se dhadak raha tha aur itne me uske pitaji inspector sangram ghar par aa gaye
Ghar aate hi sangram ne sanjana ko awaj di.. unki awaj sunkar sanjana ki maa bhi hall me aa gayi aur fir sanjana darte darte thartharate huye hall me aayi aur mundi jhukar khadi ho gayi
Sandhya( sanjana’s mom)- kyu ji kya hua? Aate aate hi kyu chilla rahe ho ? ab kya baat ho gayi..
Par sangram ne apni patni ki taraf dhyan nahi diya aur sanjana par bhadke
Sangram- sharam nahi aayi aisi harkat karte huye ? college me padhne jati ho ya ye sab dhande karne jati ho ?
Sanjana darr ke mare kamp rahi thi wo kuch nahi boli
Sangram- sanju main tumse baat kar raha hi, kya hai ye sab…
Sanjana ko kuch samajh nahi aa raha tha ke ab kya bole par kuch bolna tha isiliye wo boli
Sanjana- papa mai nahi wo Rahul….
Sangram- achaa.. aisa hai kya.. aur tum to chhoti bacchi ho na ache bura kaha samajhta hai tumko hai na ? tu uske piche piche chalu gayi, tere baap policfe inspector hai ye baat dhyan me rakhna mujhe do minute bhi nahi lagenge sach bahar nikalne me samajh aaya..
Sanjana- sorry papa..
Sangram- sorry ? dimag diya hai na uparwale ne kabhi istamal kiya hia kya uska ? tumko pata hai na ragging kayde se gunah hai ek to tumne us ladke ko sataya aur upar se usne tumhe chheda hai aisa bolke mujhe bhi fasane ki koshish ki, tumhari wajah se maine nayaranrao rahe jaise bhale aadmi se ache se baat bhi nahi ki…
Sanjana- mujhse galti ho gayi papa, maaf kar dijiye please..
Sangram- mujhse mafi mat mango us ladko se mango jakar jisne itna sab hone ke baad bhi tumhe bachaya hai aur ek baat kaan khol ke sun lo dobara agar tumhari aisi koi harkat ki khabar mujhtak aayi to mujhse bura koi nahi hoga aur agar tumko college se rusticate kiya gaya to yaad rakhna main chahe road ke bhikari ko pakadkar teri shadi karwa dunga wo bhi ek mahine ke ander
( kya kya dhamki diyele hai uncle tum 70’s ke tame ki dhamki hai ye aise banoge gunda )
Tab sanjana ki maa beech me aate huye boli
Sandhya- kuch bhi kya abhadra bol rahe hai aap, bache is umra me masti nahi karenge to kab karenge, budhape me ?
Sangram- bacchi nahi hai wo ab, badi ho gayi hai..
Sandhya- arey abhi umra hi kya hai meri bacchi ki..
Sangram- aisa hai biwi ji ke isi umra me ye aapki god me khel rahi thi, mastoid alag haiaur gunah alag..
Uske baad inspector sahab ne apni biwi ko sab bata diya, ab waise to sandhya sanjana ko bachane aayi thi daant se par sabkuch sunne ke baad unhe bhi gussa aa gaya aur wo sanjana par shadakte huye boli
Sandhya- sanjana ek baat tum meri bhi sun lo maine aajtak tumhari har baat me tumhara sath diya hai par tumhari kisi bhi harkat ki wajah se mere pati ko kisi ke samne gardan jhukani pade ye mujhse bardasht nahi hoga, dobara agar aisa kuch hua to unse pehle mai hu..
Sanjana ki abtak ki jindagi me ye pehli baar tha ke uske mata pita ne eksath use daanta tha aur us din se sanjana puri badal gayi, wo kuch bhi she sakti thi par apne mata pita ki naraji nahi..
(finally matter end hua BC nacho ab )
Us din se sanjana dobada avinash ke chhedi nahi gayi, Rahul ne to ab usse baat karna hi band kar diya tha par jyoti uske sath thi aur ab halat ye thi ke wo jaise hi avinash ho dekhti to thoda sakuchati thi gardan jhukar chalti thi
Wahi avinash to apni hi dhun me khush tha par ye baat uske bhi dhyan me aa gayi thi au raise hi ekbaar sanjana gardan jhuka kar uske samne se ja rahi thi to avi ne use awaj di
Avi- hello madam..
Sanjana jaha thi ruk gayi, usne man me alag alag khayal aa rahe the ki ab avi college ke samne uka majak banayega wagaire wahi avinash se samne se aate huye bola
Avi- hello, kashi haay
Sanjana- theek.
Avi- tere se kuch baat karni thi, do minute baat kar sakte hai kya ?
Wahi in dono ko dekh ke aaju baju ke students unhe hi dekh rahe the kyuki inke beech jo rada hua tha akkhe college me famous jo tha itne sare logo ko apni taraf dekh sanjana kuch nahi bol rahi thi aur avi ne bhi uski halat samajh li
Avi- canteen me baat kare ?
Sanjana ne bhiha me apna sar hilaya aur ye use hi samajh me nahi aaya ke usne aisa kyu kiya khair dono canteen me aaye aur fir avinash ne bolna shuru kiya
Avi- ek baat hai jo mai bahut dino se notice kar raha hu, mujhe dekhte hi tum thoda uncomfortable hone lagti ho aur apni gardan jhuka kar jati ho to aisa kyu ?
Sanjana- aisa to kuch nhi hai
Avi- nahi hai tab to badhiya hai par mai koi rakshas nahi hu ya tum koi chudail nahi ho aur kitne din sar jhuka kar ghumogi, jo hua bhul jane ka men, college life dobara nahi milegi usko aise waste nahi karne ka, tereko ghabrane ka ya guilt feel karne ka koi reason hi nahi hai, jo hua mai sab bhul chukka hu tum bhi bhul ja and enjoy, tension nahi lene ka
Itna bolke avi to apne raste nikal gaya par sanjana aur jyoti ekdusre ka muh dekhne lage wahi sanjana sochne lagi ke “ye ladka hai kya chiz, itna kuch ho gaya, ye police station tak pahuch gaya par ispe koi asar hi nahi hai us baat ka, waise to mujhe ise sorry kehna chahiye tha par meri himmat hi nahi huyi upar se ye tufan jaise aaya aur sara scene hi change kar diya, kamaal hai, baki ye baat bhi utni hi sach hai ke dimag bahut sahi chalta hai iska, bagair kuch kare hame pareshan kar diya aur hum samajh rahe the ke hum iski ragging le rahe hai, aaj principal, college ka GS aur yaha tak ki mere maa baap bhi iske gun ga rahe hai aur hum sabke samne joker ban gaye itna kam tha to ab isne sorry bolne ka mauka bhi nahi diya, aur ye hai kaun ? kaha ka hai ? kisi ko nahi pata wo to chhodo kisi ko pura naam bhi nahi pata iska, bas AK itna pata hai fir narayanrao rane jaise insan se iska kya sambandh, aur agar ye unka beta hota to AK ki jagah AR hota na ?”
Avi ne sanjana ke dimag me ek naya tufan utha diya tha aur wo hamesha ki tarah apni duniya me mast tha
Wahi sanjana ab fir avi ke bare me soch rahi thi gusse ki jagah ab curiosity ne le leli thi aur ab sanjana ke dimag ka tension thoda kam hua tha wo dheere dheere normal ho rahi thi, wo aate jate avi ko dekha karti thi par avi to apni hi dhun me rehta tha wo sanjana ki taraf dekhta bhi nahi tha ekdum hi aamna samna hua to wo apni battisi faad smile de deta tha aura b sanjana ko is baat ka gussa nahi balki hasi aati thi, ab sanajana normal ho chuki thi aur ek din usne avi ko awaj di
Sanjana- hello AK..!
Avi bhi uske paas aate huye bola
Avi- bolo madam hows ares yous
Sanjana- sorry
Avi- ye kis liye
Sanjana- tujhe pata hai kis liye..
Avi- na mere ko nahi pata, arey ye college ke chakker me sunah mess par kya khaya wo yaad nahi rehta to ye sorry kis liye kya ghanta yaad rahega
Sanjana- mat pareshan karo na
Avi- arey sach me, tumko pata hai main ka bachpan pe barabar nishana sadh kar sar ke bal gira tha isiliye dimag me thoda chemical locha hai apne aura pun part time ghajini hai
Sanjana- fir bhi sorry
Avi- hey bhagwaan ye ladki ab bhi 1857 me atki hai re deva arey mai bhul gaya tu bhul ja matter close baat khatam apne ko nahi chahiye koi sorry
Sanjana- matlab tu maaf nahi karega
Avi- karta hu na pehle ek sawal ka jawab de
Sanjana- puch
Avi- apne dono ke loche ki wajah se apan akkhe college me famous hai aur sab apne ko dekh rahe hai to ab batao ki ek sunder aur Bandar agar aise sath khade honge to log sunder ko dekhenge ya bander ko..
Sanjana- bander ko
Avi- ha dekh sab tujhe hi dekh rahe hai
Itna bol ke avi waha se haste huye khisak liya wahi sanjana ko samajh hi nahi aaya ke ye hua kya wo khud se hi bol rahi thi
Sanjana- sunder mai hu par maine jaan bujh ke bola log bander ko dekhenge par isne bola log mujhe dekh rahe hai matlab mai bander yoooooouuuu oye AK ruk, log sunder ko dekhenge………………..