• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Uff! Ye Mohabbat ! (completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Phir bas gaya ye chirkut Ak :banghead:
is sanjana aur rahul ki to :spank: ek bhi kaam dhang se kar nahi sakte :banghead:
ye dono kisi kaam ke nahi :bat:
achha hua dono ke sath, khas Kar us rahul ke sath..
lagta koi aur hi kirdaar ak bhagau kaam pe lagani hogi hogi... :bat:

Khair.... shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan, sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
bola tha AK ko halke me nahi lene ka :D
bahut bahut shukriya :thank_you:
 
Last edited:

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Jabardast update bhidu......jaisa socha tha bilkul waisa hi hua....Rahul aaay tha AK ki band bajane ulta uski band baj gyi.....AK ne Rahul ke ego pr waar kiya...AK khud to pani pita raha pr Rahul ko asli vodka pila di...sanjan ab to pakka AK ki band baja ke rahegi...itni aasani nhi rukne wali wo......khaiR dekhte hai...aage kya majedar hoat hai...
bahut bahut shukriya bhai :thank_you:
 
Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
35,701
47,491
304
Update 5

Is din ke baad sanjana jyoti aur Rahul ek hafta college me dikhe hi nahi, college me kya college ke aas paas bhi nahi dikhe, ab beijatti hi itni bhari wali huyi thi to koi kya kare, ek hafte baad ye tikdi fir se ikattha huyi, AK ke liye gussa ab aur bhi badh gaya tha aur tabhi rahul bola

Rahul- AK AK AK, dimag badheer kar diya hai ye AK ne, hamari planning hum pe hi ulti kar di aura b muh chipana pad raha

Sanjana- gussa to mujhe bhi bahut aa raha hai ye ek hafta kaise nikala mai hi janti hu par kare to kare kya? Waise kuch bhi ho jaye mai use chhodne wali nahi

Fir thodi der wapis se shanti chha gayi aur sanjana fir kuch soch ke boli

Sanjana- meko lagta hai ab is AK se badla lene ka aakhri rasta ek hi hai..

Sanjana ne jaise hi ye baat boli jyoti aur Rahul ko ek jhatka laga aur Rahul sanjana ko samjhate huye bola

Rahul- nahi sanjana ye theek nahi rahega, ye sab apne tak hi theek hai baat yahi khatam karna hi theek hoga ise badhane se ab koi fayda nahi hai

Par Rahul ki baat se sanjana aur bhadak gayi

Sanjana- baat khatam ? aur ye tu bol raha hai Rahul ? bhul gaya kya us halkat ne tujhe kachre me feka that u bhale hi use chhod de par mai nahi chhodne wali use bhi to pata chale ki usne sanjana mohite-patil se panga liya hai

Jyoti- to kya ab tu ye baat apne papa ko batane wali hai kya :shocking:

Sanjana- ha, ab to ye baat papa tak jayegi aur mai hi unhe bataung, wo police hai au raise logo ko sidha karna ache se aata hai unhe ye to mano unke baye hath ka khel hai

Rahul- arey par jab wo puchenge ki usne kya kiya hai tab ?

Sanjana- puri baat kaun batane wala hai unhe

Itna bol ke sanjana ne apne papa sangram mohite-patil ko call lagaya jo ki usi area ke inspector the..

Sanjana- hello papa, wo mujhe aapki ek help chahiye

Sangram - ha bol na beta

Sanjana- papa mere college me ek ladka hai AK naam ka wo mujhe pareshan kar raha hai..

Bas itna sunte hi sangram patil ka para chadh gaya

Sangram- kaun hai wo, din bhar lage ab uske, tu chinta mat kar aaj hi pakadta hu usko aur sidha karta hu, kal pair pakad ke mafi mangega wo teri..

Sanjana- ok papa, mai uska photo send karti hu aapko

Sangram- jaldi bhej aur bilkulchinta nahi karna tera baap hai yaha pe wo sab dekh lega…

Sanjana ne ek ladke se AK na number liya tha usi se usne uska WA dp copy kiya aur apne papa ko bhej diya aur fir khush hote huye boli..

Sanjana- AK ab to tu gaya, bahut ghamand hai na tujhe ab dekhti hu mere papa ke samne kitni der tikta hai tu..

Tab jyoti use samjhate huye boli

Jyoti- sanjana ye jyada ho raha hai ab, aur usne humne kya kya kiya hai ye tere papa ko bata diya to ?

Sanjana- mai mere papa ko ache se jaanti hu mere bare me koi kuch bhi bole wo kuch nahi sunenge don’t worry ab bas tum maja dekho AK ki..

Yaha AK aur shubham road par chalte huye college ki taraf ja rahe the tabhi ek police ki gaadi unke paas aakar ruki aur ek hawaldar ne kadak awaj me pucha

Hawaldar- ye, tu AK hai kya ?

AK thoda chauka

AK- ha sir mai hi hu..

Hawaldar- chal police station sahab ne bulaya hai tujhe..

AK- par maine kiya kya hai sir..

Hawaldar- kuch nahi bas tere ander jyada masti bhari huyi hai usi ko nikal na hai

AK- sir aapko galat fehmi ho rahi hai maine kuch nahi kiya hai

Hawaldar- oye harishchandra ab side chalega ke ghasitke leke jau

Ab AK thoda sambhla aur bola

AK_ ghasitke lene jane ko mai aparadhi hu kya ya koi gunda, maine kya kiya hai wo batao pehle fir mai khud chalunga tumhare sath..

AK ki baat sunkar hawaldar garam ho gaya

Hawaldar- borkar utha isko aur daal gaadi me, deta hu teko jawab abhi, bahut bada aadmi hai na tu

Tabhi AK ne apni jeb se ek card nikala aur shubham ko diya

AK- inko call karke ye sab bata de

Tab tak hawaldar ne AK ko pakdaaur gadi me daal diya aur AK ko leke police station pahuche, waha hawaldar ne AK ka hath pakad ke use khichte huye ander laya aur ek kadak salute mar ke bola

Hawaldar- sahab yahi hai wo mawali, bahut bolta hai bahut masti hai isme..

Sangram- theek hai jao tum ab

Wahi AK ne jab inspector ki chati par lagi name plate dekhi tabhi wo ye sab majra samajh gaya tha aur wo thoda normal hua aur wahi sangram apna police wala raub dikhate huye bola

Sangram- AK tera hi naam hai na

AK- ha

Sangrm- to college me padhne aaya hai ya ye sab karne

AK- maine kiya kya hai sir wo to bataiye pehle

Sangram- sanjana meri beti hai aur ab dobara tune uski taraf aankh uthakar bhi dekha to jindagi bhar jail me sadaunga tujhe

AK- maine kuch nahi kiya..

Par inspector sahab ka gussa badh raha tha aur unhone ek joprdar jhapad AK ke gaal pe lagayi aur bole

Sangram- teri itni himmat ke mere samne khada hoke aise jawab dega, borkar ander daal isko bahut masti hai isme aur iske jaise mawali ko sidha karna aata hai mujhe

Borkar jaldi se bhag ke aaya aur uske AK ko lejakar lockup me band kar diya

Abhi insab ko kuch 1 ghanta hi bita hoga k eek gadi dandanati huyi police station me aake ruki aur usme se ek raubdar aadmi utra, wo koi aam insab nahi tha uska naam sare jile me famous tha waha maujud kuch police walo ne bhi us insan ka abhivadan kiya par wo aadmi sidha dandanate huye inspector sangram ke office me ghusa, use dekhte hi inspector bhi uth kar khada hua aur unka swagat karte huye bola

Sangram- arey narayanrao ji aap, aaj yaha kaise aa gaye? Aaiye baithiye…

Tab narayanrao rane khurchi par baithte huye bole

Narayanrao- maaf karna inspector aapko takleef deni hai thodi

Sangram- arey aap aur takleef, ye kya baat kar di aapne aapke jaise ache aur nekdil insan ke kaam aana to hamare liye khushi ki baat hai, boliye

Narayanrao- mujhe ghuma fira ke baat karne ki adat nahi hai inspector, mere bete ko ander kyu dala hai ye pata chal jata to acha hota..

Sangram- aapka beta ??

Narayanrao- Avinash Kanitkar

Sangram- oh AK

Narayanrao- usne agar galti ki hai to saja use milni hi chahiye, mai aapke beech me nahi aaunga par pata to chale usne kiya kya hai ?

Sangram- ladki ki ched chad ka mamla hai sir

Narayanrao- kuch galatfehmi huyi hai inspector, maine avinash kobachpan se dekha hai, wo shararti hai dangekhor hai par itna mai jaanta hu ke wo ladki ko kabhi nahi chedega, ha woe k baar ko char ladko ko maar sakta hai par ladkiyo ke mamle me bilkul nahi..

Sangram- hmare paas complaint hai sir

Narayanrao thoda muskuraye

Narayanrao- aur complaint aapki beti ne hi ki hai ?

Ispar inspector ne koi jawab nahi diya

Narayanrao- inspector chahe to mai mafi mangta hu aapse abhi maaf kar dijiye

Ab sangram patil soch me pad gaye, narayanrao rane jile ke jane man vyakti the aur unki pahuch bhi kafi jyada thi to akhir wo bole

Sangram- borkar chhod ko us AK ko

Borkar bhi jakar AK ko le aaya aur jab narayanrao ne dekha ki Avi ko mara gaya hai wo chidh gaye

Narayanrao- inspector manya hai aap ek baap hai par sath me ek adhikari bhi hai ye dhyan me rakhna, dhanyawaad..

Par narayanrao ki baat inspector ko jami nahi wo AK ki taraf gusse se dekhte huye bola

Sangram- aaj chhd raha hu dobara complaint aayi to kisi ki nahi sununga

Narayanrao bhi samajh gaye the ki wo kya kehna chah raha hai

Narayanrao- bilkul galti ki saja milni hi chahiye par agli baar dono baju ki chanbeen karoge aisi umeed hai

Ab un dono meshabdik ladayi shuru ho gayi thi

Sangram- wo to karunga hi aur doshi ko ek baap aur adhikari dono saja denge

Narayanrao muskuraye aur bole

Narayanrao- agar aisi naubat aayi to saja dene me sabse aage mai rahunga par agar bagair matlab ke kuch hua to wo bhi sehan nahi kiya jayega.. aura b lagta hai ye baat yahi khatam honi chahiye aur mujhe ye batane ki jarurat nahi padni chahiye ki hum kaun hai aur aap kaun, dhanyawaad.

Narayanrao ki awaj me raub thaw o avio ko sath lekar baahar aaye aur bahar aate hi avi unke pair chune niche jhuka to unhone use lage laga liya

Narayanrao- shubham ne phone par sab bataya tha chal tujhe hostel chhod du….
 
mashish

BHARAT
8,082
25,904
203

nice update
 
9,380
39,528
218
ए के " एक हटेली लव स्टोरी " वाला अविनाश है । ये तो पता ही नहीं था । अच्छा सस्पेंस बनाया आपने भाई !

एक्चुअली " एक हटेली लव स्टोरी " का प्रमुख नायक अनिकेत था और नायिका कोमल । हम लास्ट तक यही सोचते रहे कि दोनों की लवस्टोरी कुछ हटकर थी पर बाद में पता चला कि असल नायक तो अविनाश था । उसके मोहब्बत करने का तरीका अनूठा था । मन ही मन कोमल को चाहता रहा । किसी को एहसास तक नहीं होने दिया कि कोमल के लिए उसके दिल में बेइंतहा प्यार है । यहां तक कि कोमल को भी पता नहीं चला । उसके जिगरी दोस्त अनिकेत तक को भनक नहीं लगने दिया ।

अनिकेत और कोमल के शादी के बाद ही हम जान पाए कि वो कोमल से कितना मोहब्बत करता था । अकेला बैठा कोमल की यादों को संजोए शराब पीते हुए कहानी का समापन हो गया था ।
वो स्टोरी और अविनाश का किरदार मुझे बहुत पसंद आया था ।

एक बार फिर से अविनाश को देखकर बहुत अच्छा लगा । कोमल तो उसके लाइफ से हमेशा के लिए चली गई पर इस बार उसके साथ ऐसा कुछ नहीं होना चाहिए । उसके भी लाइफ में कोई हसीना दस्तक दे और उसके बगिया को महका दे ।

और ऐसा होता दिख रहा है । संजना के रूप में उसकी " कोमल " वापस आ गई है । थोड़ी टेढ़ी खीर है , थोड़ा मगरूर भी है लेकिन इसके साथ साथ अक्लमंद और साहसी भी है वो ।

अपने फादर के पुलिस इन्स्पेक्टर होने का फायदा तो उठाई लेकिन मुझे विश्वास है उसे अपनी गलती का भी अहसास होगा । उसके मन में भी प्रेम के अंकुर जरूर फुटेंगे ।

वैसे राहुल महाशय का अच्छा खासा पोपट हुआ । चेहरे पर कुत्ते ने पेशाब तक कर दी । लेकिन यह लड़का भी कोई बुरा नहीं है । बस थोड़ी बहुत संगति का असर है और संगति भी तो संजना की है तो उसका असर उस पर तो पड़ना ही था ।

Outstanding and Amazing Update Adirshi bhai.
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
Update 5

Is din ke baad sanjana jyoti aur Rahul ek hafta college me dikhe hi nahi, college me kya college ke aas paas bhi nahi dikhe, ab beijatti hi itni bhari wali huyi thi to koi kya kare, ek hafte baad ye tikdi fir se ikattha huyi, AK ke liye gussa ab aur bhi badh gaya tha aur tabhi rahul bola

Rahul- AK AK AK, dimag badheer kar diya hai ye AK ne, hamari planning hum pe hi ulti kar di aura b muh chipana pad raha

Sanjana- gussa to mujhe bhi bahut aa raha hai ye ek hafta kaise nikala mai hi janti hu par kare to kare kya? Waise kuch bhi ho jaye mai use chhodne wali nahi

Fir thodi der wapis se shanti chha gayi aur sanjana fir kuch soch ke boli

Sanjana- meko lagta hai ab is AK se badla lene ka aakhri rasta ek hi hai..

Sanjana ne jaise hi ye baat boli jyoti aur Rahul ko ek jhatka laga aur Rahul sanjana ko samjhate huye bola

Rahul- nahi sanjana ye theek nahi rahega, ye sab apne tak hi theek hai baat yahi khatam karna hi theek hoga ise badhane se ab koi fayda nahi hai

Par Rahul ki baat se sanjana aur bhadak gayi

Sanjana- baat khatam ? aur ye tu bol raha hai Rahul ? bhul gaya kya us halkat ne tujhe kachre me feka that u bhale hi use chhod de par mai nahi chhodne wali use bhi to pata chale ki usne sanjana mohite-patil se panga liya hai

Jyoti- to kya ab tu ye baat apne papa ko batane wali hai kya :shocking:

Sanjana- ha, ab to ye baat papa tak jayegi aur mai hi unhe bataung, wo police hai au raise logo ko sidha karna ache se aata hai unhe ye to mano unke baye hath ka khel hai

Rahul- arey par jab wo puchenge ki usne kya kiya hai tab ?

Sanjana- puri baat kaun batane wala hai unhe

Itna bol ke sanjana ne apne papa sangram mohite-patil ko call lagaya jo ki usi area ke inspector the..

Sanjana- hello papa, wo mujhe aapki ek help chahiye

Sangram - ha bol na beta

Sanjana- papa mere college me ek ladka hai AK naam ka wo mujhe pareshan kar raha hai..

Bas itna sunte hi sangram patil ka para chadh gaya

Sangram- kaun hai wo, din bhar lage ab uske, tu chinta mat kar aaj hi pakadta hu usko aur sidha karta hu, kal pair pakad ke mafi mangega wo teri..

Sanjana- ok papa, mai uska photo send karti hu aapko

Sangram- jaldi bhej aur bilkulchinta nahi karna tera baap hai yaha pe wo sab dekh lega…

Sanjana ne ek ladke se AK na number liya tha usi se usne uska WA dp copy kiya aur apne papa ko bhej diya aur fir khush hote huye boli..

Sanjana- AK ab to tu gaya, bahut ghamand hai na tujhe ab dekhti hu mere papa ke samne kitni der tikta hai tu..

Tab jyoti use samjhate huye boli

Jyoti- sanjana ye jyada ho raha hai ab, aur usne humne kya kya kiya hai ye tere papa ko bata diya to ?

Sanjana- mai mere papa ko ache se jaanti hu mere bare me koi kuch bhi bole wo kuch nahi sunenge don’t worry ab bas tum maja dekho AK ki..

Yaha AK aur shubham road par chalte huye college ki taraf ja rahe the tabhi ek police ki gaadi unke paas aakar ruki aur ek hawaldar ne kadak awaj me pucha

Hawaldar- ye, tu AK hai kya ?

AK thoda chauka

AK- ha sir mai hi hu..

Hawaldar- chal police station sahab ne bulaya hai tujhe..

AK- par maine kiya kya hai sir..

Hawaldar- kuch nahi bas tere ander jyada masti bhari huyi hai usi ko nikal na hai

AK- sir aapko galat fehmi ho rahi hai maine kuch nahi kiya hai

Hawaldar- oye harishchandra ab side chalega ke ghasitke leke jau

Ab AK thoda sambhla aur bola

AK_ ghasitke lene jane ko mai aparadhi hu kya ya koi gunda, maine kya kiya hai wo batao pehle fir mai khud chalunga tumhare sath..

AK ki baat sunkar hawaldar garam ho gaya

Hawaldar- borkar utha isko aur daal gaadi me, deta hu teko jawab abhi, bahut bada aadmi hai na tu

Tabhi AK ne apni jeb se ek card nikala aur shubham ko diya

AK- inko call karke ye sab bata de

Tab tak hawaldar ne AK ko pakdaaur gadi me daal diya aur AK ko leke police station pahuche, waha hawaldar ne AK ka hath pakad ke use khichte huye ander laya aur ek kadak salute mar ke bola

Hawaldar- sahab yahi hai wo mawali, bahut bolta hai bahut masti hai isme..

Sangram- theek hai jao tum ab

Wahi AK ne jab inspector ki chati par lagi name plate dekhi tabhi wo ye sab majra samajh gaya tha aur wo thoda normal hua aur wahi sangram apna police wala raub dikhate huye bola

Sangram- AK tera hi naam hai na

AK- ha

Sangrm- to college me padhne aaya hai ya ye sab karne

AK- maine kiya kya hai sir wo to bataiye pehle

Sangram- sanjana meri beti hai aur ab dobara tune uski taraf aankh uthakar bhi dekha to jindagi bhar jail me sadaunga tujhe

AK- maine kuch nahi kiya..

Par inspector sahab ka gussa badh raha tha aur unhone ek joprdar jhapad AK ke gaal pe lagayi aur bole

Sangram- teri itni himmat ke mere samne khada hoke aise jawab dega, borkar ander daal isko bahut masti hai isme aur iske jaise mawali ko sidha karna aata hai mujhe

Borkar jaldi se bhag ke aaya aur uske AK ko lejakar lockup me band kar diya

Abhi insab ko kuch 1 ghanta hi bita hoga k eek gadi dandanati huyi police station me aake ruki aur usme se ek raubdar aadmi utra, wo koi aam insab nahi tha uska naam sare jile me famous tha waha maujud kuch police walo ne bhi us insan ka abhivadan kiya par wo aadmi sidha dandanate huye inspector sangram ke office me ghusa, use dekhte hi inspector bhi uth kar khada hua aur unka swagat karte huye bola

Sangram- arey narayanrao ji aap, aaj yaha kaise aa gaye? Aaiye baithiye…

Tab narayanrao rane khurchi par baithte huye bole

Narayanrao- maaf karna inspector aapko takleef deni hai thodi

Sangram- arey aap aur takleef, ye kya baat kar di aapne aapke jaise ache aur nekdil insan ke kaam aana to hamare liye khushi ki baat hai, boliye

Narayanrao- mujhe ghuma fira ke baat karne ki adat nahi hai inspector, mere bete ko ander kyu dala hai ye pata chal jata to acha hota..

Sangram- aapka beta ??

Narayanrao- Avinash Kanitkar

Sangram- oh AK

Narayanrao- usne agar galti ki hai to saja use milni hi chahiye, mai aapke beech me nahi aaunga par pata to chale usne kiya kya hai ?

Sangram- ladki ki ched chad ka mamla hai sir

Narayanrao- kuch galatfehmi huyi hai inspector, maine avinash kobachpan se dekha hai, wo shararti hai dangekhor hai par itna mai jaanta hu ke wo ladki ko kabhi nahi chedega, ha woe k baar ko char ladko ko maar sakta hai par ladkiyo ke mamle me bilkul nahi..

Sangram- hmare paas complaint hai sir

Narayanrao thoda muskuraye

Narayanrao- aur complaint aapki beti ne hi ki hai ?

Ispar inspector ne koi jawab nahi diya

Narayanrao- inspector chahe to mai mafi mangta hu aapse abhi maaf kar dijiye

Ab sangram patil soch me pad gaye, narayanrao rane jile ke jane man vyakti the aur unki pahuch bhi kafi jyada thi to akhir wo bole

Sangram- borkar chhod ko us AK ko

Borkar bhi jakar AK ko le aaya aur jab narayanrao ne dekha ki Avi ko mara gaya hai wo chidh gaye

Narayanrao- inspector manya hai aap ek baap hai par sath me ek adhikari bhi hai ye dhyan me rakhna, dhanyawaad..

Par narayanrao ki baat inspector ko jami nahi wo AK ki taraf gusse se dekhte huye bola

Sangram- aaj chhd raha hu dobara complaint aayi to kisi ki nahi sununga

Narayanrao bhi samajh gaye the ki wo kya kehna chah raha hai

Narayanrao- bilkul galti ki saja milni hi chahiye par agli baar dono baju ki chanbeen karoge aisi umeed hai

Ab un dono meshabdik ladayi shuru ho gayi thi

Sangram- wo to karunga hi aur doshi ko ek baap aur adhikari dono saja denge

Narayanrao muskuraye aur bole

Narayanrao- agar aisi naubat aayi to saja dene me sabse aage mai rahunga par agar bagair matlab ke kuch hua to wo bhi sehan nahi kiya jayega.. aura b lagta hai ye baat yahi khatam honi chahiye aur mujhe ye batane ki jarurat nahi padni chahiye ki hum kaun hai aur aap kaun, dhanyawaad.

Narayanrao ki awaj me raub thaw o avio ko sath lekar baahar aaye aur bahar aate hi avi unke pair chune niche jhuka to unhone use lage laga liya

Narayanrao- shubham ne phone par sab bataya tha chal tujhe hostel chhod du….
chalo kalejo ko thandak mili.. Kam se Kam kaskar ek thappad to para us chuje ke gaal par :roflol:.
sabbas sanjana.. good work yaar... :D
ye jyoti air rahul ki baatien mat suniyo,, bas apni marzi karo :D
Sach mein maja aa gaya yaar..
bada tees maar kha ban raha tha.. gaya na hawalat :D
well . shaandar update, shaandar lekhni,, shaandar shabdon ka chayan.. sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Top