• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
996
93
UPDATE- 06


Abhishek ke ghar chhodkar jane ke baad Sabhi ka ro ro kar bura haal ho gaya tha. Raani ji rote huwe Aanand ji se boli.


Raani ji- Aapne use jane ke liye kyon bola. Dekhiye Aap ke kahne ke baad wo ghar chhodkar chala gaya. Mera beta. Aapne aisa kyon kiyaa.

Aanand ji- Jane do use. Jab jamane ki thokar khayega to Zindagi ki hakikat se rubaru hoga. Use bhi to pata chalna chahiye ki Zindagi itni aasan bhi nahin hai jitni wo samajh raha hai. Jab Aante dal ka bhav pata chalega to wo khud hi lautkar ghar aa jayega.

Sarita- Nahi papa. Bhaiyaa ab nahi aayenge. Unhe meri baat buri lag gayi hai. Maine to bas yahi kaha tha ki unhone jo kiya wo galat tha. Mujhe nahi pata tha ki meri ye baat unko itni buri lag jaegi ki wo ghar chhod kar chale jaenge.

Raani Jii- Tujhe bolna hi nahi chahiye tha kuchh. Agar tu chup rahti to wo shayad nahi jata.

Aanand ji- Isme Sarita ki koi galti nahi hai. Usne kuchh bhi galat nahi kaha. Achha ab tum dono shant ho jao. Wo kahi nahi jayega. Laut ke ghar hi aayega.


Aaj Sarita ne District me 6th position ke sath 95% Number lakar apne papa ka naam roshan kar diya tha, Sabhi bahut khush the. Uske itne number se paas hone ki khabar jangal me aag ki tarah fail gayi thi. Lekin kuchh hi pal me sari khushiya matam me badal gayi. Unki sari khushiya Abhishek apne shath le gaya tha.


Isi tarah raat ho gayi. Kisi ne thik se khana nahi khyaa aur apne apne bister par chale gaye. Kisi ki aankho mein neend nahi aa rahi thi. Jab bhi koi khatka hota. Raani ji ya Sarita turant jakar darwaza is ummeed mein kholti ki shayad Abhishek ghar aa gaya hoga, lekin wo ghar nahi aaya.


jab is baat ki khabar Sarita ke mama ko hui to wo bhi apni patni ke sath Aanand ji ke yahan aaye aur unhe dilasa dene lage. Wo dil asha dene ke alava aur kar bhi kya sakte the.


Isi tarah din gujarte rahe din mahino me badle aur mahine varsh me tabdeel ho gaye, lekin abhishek jo ghar chhodkar ek baar gaya to wo wapas nahi Lauta. Usne sarita ki baat ka bahut bura maan liya tha. Ek baar bhi uski baat ka matlab samajhne ki koshish bhi nahi ki thi abhishek ne.


Sarita ne kuchh bhi galat nahi kaha tha. Ek ladki jab jawan hoti hai to uske upar jism ke bhukhe giddhon ki najar hamesha rahti hai. Lekin sabse lada nahin ja sakta, kuchh ko avoid kar diya jata hai kuchh ko samjhaya jata hai. Tab jakar ladki safe hoti hai.


Baharhaal Abhishek bhale hi ek bigda huwa ladka tha. Lekin usne kabhi bhi kisi ki bahan beti ko buri najar se nahi dekha tha. Uski jo bhi shikayat ghar par aati thi wo kewal ladai jhagda ya maarpit ki hi aati thi.


Aanand ji ko baad mein pata chal gaya tha ki un dono ladko ne Sach mein Sarita aur Manisha ke bare me buri baat ki thi isliye Abhishek ne unhe mara. Aanand ko bahut afsos ho raha tha ki unhone gusse me aakar abhishek ko ghar se jane ke liye bol diya. aur abhishek ghar chhodkar chala bhi gaya. Wo sabke samne bhale hi apne aapko mazboot banana ki koshish karte the, lekin jab akele hote the to unhe apni ye bat sochkar aansu bahate the.


Ghar ke sabhi shadashyo ka bhi yahi haal tha. Abhishek ghar chhodkar kya gaya unki sari khushiya aur hansi apne sath le gaya. Usko gaye poore do sal ho chuke the. Aaj fir se Sarita ka Inter mediate ka result aaya. Jisme usne fir se 93% mark laye. Lekin ab uske liye inka koi mahatva nahi rah gaya tha.


Uski khushiyo me shamil hone wala bhai nahi tha ab. Sarita ke marks ke baare me sunkar aas paas ke log khush the, lekin Sarita ke chehre par koi Khushi nahi thi. Jise dekhkar Manisha Samajh Gai ki Sarita kisliye dukhi hai. Isliye usne Sarita ko samjhate huwe mahaul ko halka banate huwe kaha.


Manisha- ye kya didiya. Kab tak aise gumsum rahogi tum. Jo ho gaya use bhool jao. Bhaiya ko agar hamse pyaar hota to wo kabhi bhi ham sabko chhodkar nahi jate. Aur agar gusse mein chale bhi gaye the to aaj do saal ho gaye hain. Wo wapas jaroor lautkar aate. Wo ab hamse pyaar nahin karte didiya. Achha chhodo ye sab. tum itne acche nambero se paas hui ho. Chalo dukan par chalte hain mithai khane.

Sarita- mera man nahi hai kahin jane ka. Aaj bhaiya ki bahut yaad aa rahi hai. Mere hi karan bhaiyaa ko ghar chhodkar jana pada. Main achi bahan nahi hoon Manisha. Main achhi bahan nahi hoon. Agar us samay main chup rahti ho bhaiya hame chhodkar kabhi nahin jate. Ye sab mere hi karan huwa hai.

Manisha- nahi didiya. Aap bahut achhi ho. Main to aapse bahut pyaar karti hoon. Aap sabse achhi ho. Dekhna ekdin bhaiya ko apni galti ka ehsas hoga aur wo wapas jaroor laut kar ayenge.

Sarita- Kash aisa ho jaye Manisha. Wo din meri zindagi ka sabse bada din hoga. Us din mujhe zindagi ki sabse badi Khushi milegi.


Aanand ji aur Raani ji unki baate sun rahe the. Unhe bhi jitna dukh Abhishek ke jane ka tha. Usase jyada Khushi is baat ki bhi thi ki uski dono betiya apne bhai se ab bhi bahut pyaar karti hain. Wo dono unke paas aaye aur unhe samjhate huwe bole.


Aanand Ji- Dekho beti sarita. Jo bhi ho gaya use na tum badal sakti ho aur na hi main. Jo niyati ne likha tha. Wo to hona hi tha. Uske liye tum apne aapko dosh mat do. Uske liye agar koi doshi hai to wo main doshi hoon, kyonki maine hi use ghar se jane ke liye kaha tha. Ab abhishek to chala gaya hai beti. Ab tumhi dono hamari zindagi ho, tum dono ke sahare hi ham aage ki zindagi jiyenge. Isliya apne man ko udas mat karo. Aur jo ho gaya use bhoolkar Jeevan ke har kshetra me aage badho.

Raani ji- haan beti Tumhare papa thik kah rahe hain. Jo ho gaya use wapas nahi laya ja sakta, lekin jo samne hai use to hansi khusi jiya ja sakta hai na. to tum apne aapko doshi man-na band kar do beti. Jo karam kismet me hota hai usase adhik nahi milta.


Apne mummy papa ki baat sunkar dono unke gale gal gayi. Wo kahte hain na ki samay har Zakham ko bhar deta hai. Lekin yahan par Sarita ko abhishek ke jane par jo jakhm laga tha uski bharpai hona bahut mushkil thi.


Gujarte samay ke sath Sarita ne Abhishek ko dhoondhne ki bahut koshish ki, lekin wo apne ghar se jyada door ja nahi sakti thi, fir bhi jitna sambhav ho saka usne apne hath panv chalaye abhishek ko dhoondhne ke liye.



5 Varsh baad.


Aaj Sarita 23 Sal ki bharpoor jawan ladki ban gayi thi. Aanand ji ne ji tod mehnat karke Sarita ko M.Sc ki padhai karwai thi. Wo bhi math subject se. Sarita ne M.Sc. Bhi bahut Achhe marks me uttiran ki thi. Manisha bhi 20 varsh paar karke 21ve me pravesh kar chuki thi aur B.Sc. final me thi.


Aaj Aanand ji ka ghar Phoolo se sajaya gaya tha. Tarah Tarah ke pakwan banaye ja rahe the. Sabke chehre par Khushi jhalak rahi thi. Aanand Ji aur raani Ji daud daud kar har kaam kar rhe the. Halwai ko samjha rahe the ki kaise kaun sa pakwan banana hai. Kitne baje khana ban jana hai. Aanand ji ki bahane aur Sale sabhi samay par aa gaye the.


Iska Kaaran tha Aaj Sarita ki sagai ho rahi thi. Ladka Sarkari vibhag me 2400/- GP par TA ke pad par Jabalpur mein kaam karta tha. Badi masakkat ke baad ye Rishta jama tha. Ladke ke gharwalo ne moter cycle aur 2 lakh Rs. Nagad dene ki baat ki thi. Tab jakar Rishta final huwa tha.


Iske baare me jab Sarita ko pata chala to usne is rishte ke liye saf inkar kar diya. uska kahna tha ki main apne maa baap ko karz me dalkar unke dukh aur dard par apne khushiyo ka mahal nahi khada kar sakti. Jiske baad Aanand ji aur Sarita ke bich tikhi nock jhok hui (jhagde wali nahi Samjhane wali) bahut mushkil se Sarita is shadi ke liye taiyaar hui.


Aisa nahi tha ki Sarita aage nahi padhna chahti thi. Aur aage ki padhai karna uska sapna tha. Wo padh likh kar apne pairon par khada hona chahti thi. Lekin wo apni aarthik shtiti ko bhi bhali bhanti samajhti thi. Use pata tha ki uske bhaai ke chale jane ke baad uske papa bahut toot chuke hain, kyonki sachhai pata chalne par wo khud ko doshi maan rahe the.


Aanand ji bahut mehnat karke dono betiyon ko padha rahe the. Sarita ko ache sa abhash tha ki uske pichhe Manisha bhi padhai kar rahi hai aur Uske baad Manisha ki shadi bhi karni hai. Jiske liye paiso ki bahut jaroorat hai. Do betiyon ki shadi kuchh samay ke antaral par karna Uske papa ke liye bahut Mushkil thaa.


Waise bhi hamare samaj ki vidambna yahi hai ki ladki chahe jitni bhi sundar kyon na ho, gunvaan aur padhi likhi kyon na ho. bina dahez ke uski shadi hona bahut hi mushkil hai, inhi sab paristhitiyon ko dekhte huwe sarita ne Shadi ke liye haan kar diya tha. Yahi nahi. Usne 2-4 Sarkari naukari ke liye bhi form bhara tha.


Do bar wo uttiran bhi hui thi. Lekin uski kishmat me shayad naukari nahi thi. Isliye uska selection nahi ho paya tha. Sarita ek samajhdar aur sankari ladki thi. Usne apne papa ki condition ko dekhte huwe apne sapno ka gala ghot diya tha.


Kuchh hi der baad sagai ke liye ladke wale aane ko the. Lekin Sarita ko Aaj Abhishek ki bahut yaad aa rahi thi. Waise to use har koi yaad karta tha, lekin Sarita sabse jyada yaad karti thi use. Wo use yaad karte huwe gumsum biathi hui thi, uski aankho me aanshu aa gaye the. Manisha ne jab uski haalat dekhi to wo samajh gayi ki uski didiya Bhaiya ko yaad kar rahi hai. Isliye wo uske paas jakar baith gayi aur Sarita ke balo me hanth firate huwe boli.


Manisha- Kya huwa didiya. Tum ro kyon rahi ho. Aaj to Khushi ka din hai. Tumhari sagai hone wali hai.

Sarita- tujhe to pata hai ki main kyon ro rahi hoon. Mujhe bhaiya ki bahut yaad aa rahi hai. Kaash wo aaj hamare sath hote to bahut khush hote wo. Lekin mere karan wo ghar chhod kar chale gaye.

Manisha- Aap har baar apne aapko kyon dosh deti ho didiya. Wo aapki wajah se nahi gaye. Wo niyati ka fer tha didiya jo bhaiya ko hamse door le gaya. Bhaiya bhi ham logo ko bahut yaad karte honge.

Sarita- Agar bhaiya ham logo ko yaad karte to ab tak laut kar ghar jaroor aate. Kam se kam ek baar to aakar dekh lete ki unki bahano ka unke bina kya haal ho gaya hai. Unki bahane unse kitna pyaar karti hain.

Manisha- Aap aisa kyon sochti hain didiya. Bhaiya ko ek din apni galti ka ehsaas hoga aur wo jaroor laut kar aayenge. Chalo ab ye aanshu poch dalo. Aaj to Khushi ka din hai. Aap ko aankhon me aanshu ache nahi lagte didiya.


Fir dono bahane kuchh der baat karti rahi. Thodi hi der me ladke wale aa gaye. Apni kshamta ke anusar Aanand ji ne poori vyawastha ki thi. Kuchh hi der mein sagai ki rashm shuru ho gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein.

गलती हो जाय और बाद में पता चले की किया हुआ गलती निराधार था अब वोही हाल आनंद जी और सरिता का है दोनों ही अपनी अपनी गलती का बुझ ढोए का रहे हैं। अपने भई को याद कर रही हैं सभी ख़ुशी के पल सरिता को भई के बिना अधुर लाग रहा हैं। इतने अच्छे नंबरी से पास होने पार भी सरिता के मन में कोई खुशी की भावना नहीं हैं और अपनी भई के लौट आने की आस में बैठी हैं लेकिन अभिषेक न जानें किस मिट्टी के बना हैं यूज घर के याद भी नहीं आ रहा हैं। यह तक की कभी आपने बहनों मां बाप का खबर टक नहीं लिया बड़ा ही नालायक बेटा हैं।

शानदार अपडेट कुछ शब्द ऐसे हैं जो समाज के विकृत सच्चाई को बयां कर गई लडक़ी भले हि कितना भी सुंदर हो अच्छे गुणों वाली हो सभी तरह से शिक्षित हों फिर भी उसके शादी कहा होगी इसका फैसला उसके भाप के जेब से होते हैं ।

अप्रतिम
 

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,637
25,212
204
UPDATE- 05


Sabhi khana khane ke baad apne apne bister par sone chale gaye. Isi tarah din gujarte rahe. Par abhishek ke ravaiye mein Jyada badlav nahi aaya. Haan itna jaroor huwa tha ki ab wo palat kar jawab nahin deta tha. Jab uske papa use dant-te the ya samjhate the, yaa maa samjhati thi, ya Sarita samjhati thi.


Samjhane ke kuchh din baad tak to Abhishek thik rahta tha, lekin uske baad uski harkate fir se shuru ho jati thi. Wo baat baat par maarpit shuru kar deta tha. Jisase uski shikayate ghar par aati rahti thi. Aanand ji Aur Raani ji ne ise apni buri kismet maankar Swikar kar liya tha aur apne kaan me rui daal liiya tha.


Jab bhi koi Abhishek ki shikayat karta to wo dono bol dete the ki aap khud hi apne tarike se use dekh lijiye. Isi chakkar me abhishek kabhi kabhi pit kar bhi ghar aata tha. Kul milakar ye kaha jaye to galat na hoga ki abhishek ke karan hi Aanand ji ko hamesha Sharmindagi Jhelni padti thi, Lekin Sarita ke kuchh Achhe kaam, baat vyavhaar aur badon ke prati samman ke karan Log unki tareef bhi kar dete the.


Sarita bhi Apne maa baap ki takleef samajhti thi isiliye usne Abhishek ko samjhane ka har sambhav prayash kiya. Lekin kahte hain na ki galat raste par jane ke liye bahut si dishaye hoti hain, lekin wapas aane ke liye wo sabhi dishaye band ho jati hain bas ek Sankra rasta nazar aata hai jo har koi paar nahi kar sakta, yahi haal Abhishek ka bhi tha.


Wo koshish to karta tha buri sangat chhodne ki lekin chhod nahi pata tha. Aise hi samay gujarta gaya aur Sarita ki board pariksha bhi ho gayi. Kuchh din baad uski board pariksha ka parinam aa gaya. Sarita 1st Division me paas hui thi wo bhi 95 % Number ke sath. Poore District mein 6ve number par aayi thi.


Sabhi ghar wale aur aas paas ke log jinhone bhi is baare me suna sabhi ne Sarita ki tareef ki. Sabhi ghar wale bahut khush the. Aur sabse jyada khush tha Abhishek. Wo bhale hi kitna hi bigda huwa tha. Lekin apni bahnon se bahut pyaar karta tha.


Isi Khushi me Abhishek ne Sarita aur Manisha ko apne paas bitha liya aur unse kaha.


Abhishek- main bahut khush hoon Sarita. Bahut jyada khush hoon. Jo main kabhi nahi kar paya wo tumne kar dikhaya. Maine to hamesha hi mummy papa ka naam dubaya hai, lekin ek tum hi ho jo unka sir ucha kar deti ho. Main bahut khush hoon aur isi Khushi ke mauke par main tum dono ki drawing banaunga. Bas tum dono Kuchh Samay tak aise hi baithe rahna. Uthana nahi.

Manisha- Lekin bhaiya. Didiya paas hui hai to mithai khilao pahle.

Abhishek- Nahi pahle tum dono ki tasvir banaunga. Uske baad hi mithai lene jaunga.


Aanand ji aur Raani ji ye dekhkar bahut khush the ki Abhishek bigda huwa hone ke baad bhi Apni dono bahano se bahut pyaar karta hai. unke bachho me pyaar bahut hai. Fir Abhishek ne apni drawing ka kamal dikhaya aur 1/2 hours se bhi kam samay me hi Bahut hi achhi hu-ba-hu tasvir apni dono bahanon ki bana di.


Fir kuchh colour aur pencil ki karigari ne tasvir me chaar chand laga diye. Bahut hi khoobsurat tasvir bani thi. Aisa lagta tha jaise Sarita aur Manisha shakshat tasvir me utar gayi ho. Abhishek ne tasvir banane ke baad Sarita ko dikhate huwe kaha.


Abhishek- Dekh Sarita kaisi bani hai tasvir tum dono ki.


Sarita aur Manisha ne tasvir dekhi to wo bhi khush ho gayi. Bahut khoobsurat bani thi un dono ki tasvir. Thodi der Sarita ne tasvir dekhne ke baad kaha.


Sarita- Isme kuchh kami hai bhaiya. Aap yahan baithiye main us kami ko sudhar deti hoon.

Abhishe- Lekin kami kya hai ye to tumne bataya hi nahi.

Sarita- Kami ye hai ki is tasvir me mere pyaare bhaiya ham dono ke sath nahi hain.


Uske baad Sarita ne Abhishek ko baithaya aur Apni karigari ka aisa namuna pesh kiya ki Abhishek ko namuna banakar tasvir mein utar diya. Jab Sarita ne Abhishek ko tasvir dikhayi to Abhishek hanste huwe bola.


Abhishek- hahahaha. Ye main hoon. Tumne to mujhe namuna bana diya Sairta. Tum bhi naa. Hahahaha.

Sarita- (narajgi ke sath) kya bhaiya maine aapki itni achhi tasvir banayi hai aur aap hain ki hasna rahe hain. Jaiye main aapse baat nahin karti.

Abhishek- (apne KAAN PAKADKAR) Are tum to naraz ho gayi. Main to mazak kar raha tha. Tumne bahut achhi koshish ki meri bahanaa. Khair jaisi bhi hai ab tumne banayi hai to Achhi hai. Main ise hamesha apne paas hi rakhunga.


Fir Abhishek ghar ke andar gaya aur ek chikni .05 MM ki polithin le aaya. Aur us tasvir wale kagaj ko us polithin me dalkar Stapler karte huwe apni pursh me rakh liya aur bola.


Abhishek- Ab main ja raha hoon apni bahan ke liye mithai lane.

Aanand ji- Mithai to maine subah hi la li thi. Fir kyon ja rahe ho.

Abhishek- Nahi papa. Meri bahan itne achchhe number se paas hui hai. Main apne paise se apni bahan ke liye mithai lekar aaunga.


Itna kahkar Abhishek mithai lane dukan par chala gaya. Abhishek dukan se mithayi le raha tha. Uski pith road ki taraf thi. Tabhi usne do ladko ko kuchh baat karte suna. Wo dono ladke uske ghar se thodi door hi rahte the apne pariwar ke sath. Unki baat sunkar Abhishek ka dimag satak gaya aur fir wo huwa jo joshi pariwar ne sapne mein bhi nahi socha tha.


P.ladka- Yaar suna hai Apni item bahut Achhe Number se paas hui hai.

D.ladka- Abe tu kiski baat kar raha hai. Kahi wo Sarita ki baat to nahi kar raha hai.

P. ladka- Haan be. Aanand Joshi ke beti Sarita. Suna hai 95% Number laya hai usne.

D.ladka- Haa be. Padhai me wo jitni Hoshiyar hai. Utni mast dikhti bhi hai Sali. Uski jawani bahut hilore maar rahi hai. Dekha nahi kitni mast maal banti ja rahi hai din-ba-din. Use dekhkar to man me halchal hone lagti hai yaar. Control hi nahin hota hai ab. Kash Use Chakhne ka ek mauka mil jaye to zindgi gan jaye.

P.ladka- Tu sahi kah raha hai be. Are Sarita to jo hai so hai hi. Tune kabhi Chhoti wali ko dekha hai. Manisha ko. Wo bhi Sali abhi chhoti hi hai, lekin is umar me bhi bahut katili ho gayi hai. Use dekhkar bhi mere munh me paani aa jata hai. Dono bahane ekdam patakha ban chuki hain. Man to karta hai ki dono ko Utha kar Kahin le jaun aur unke sath……………………………….


Ladke ke Aur shabd uske munh me hi rah gaye, Kyonki Abhishek na uski pith par apni kohni ka bharpoor waar kiya tha. Wo ladka dard se bilbilane laga.


(Darasal abhishek ne shuru mein unki baaton par dhyaan nahin diya, lekin jab unke munh se Sarita ka naam suna to uske kaan khade ho gaye).

Apna dost ka hal dekhkar doosra ladaka Abhishek ko marne aaya. Lekin Abhishek ne Ek joordar laat uske pet par maari. Uske baad Abhishek ne Aas paas dekha to use dukan ke bahar ek bans ka danda dikhai diya jo halwai ne kutto ko darane ke liye rakha tha. Abhishek ne wo danda utha liya aur dono ladko ko buri tarah marne laga aur bolne laga.


Abhishek- Sale Madar……d, Bhos……..le, meri bahano par buri najar rakhta hai, unke bara me gandi baat bolta hai. Aaj tum dono ko jinda nahi chhodunga. Meri bahane meri jaan hain aur tum dono ne meri jaan par buri nazar dali. Main tum dono ki aankhe phod dunga.


Abhishek bahut buri tarah se un dono ladko ko maar raha tha. Aas paas ke kuchh log Abhishek ko pakadne ke liye aaye. Lekin abhishek kisi ke kaboo mein nahi aa raha tha, wo bas lagatar un ladkon ko mare ja raha tha. Aur bad badbadaye ja raha tha. Thodi hi der me wo ladke Adhmari halat me ho gaye. Agar Abhishek unhe thodi der aur marta to dono ladke mar hi jate,


3-4 logo ne kisi tarah abhishek ko un lagko se kheechkar alag kiya aur use kheechte huwe uske ghar ki taraf le jane lage. Lekin abhishek baar baar unse apne aapko chhudane ki koshish karta aur bolta.


Abhishek- Chhod do mujhe. Mar dalunga salo ko. meri bahano par gandi najar rakhte hain sale. Chhodo mujhe. Ek ko bhi nahi chhodunga main.


Wo tino Aadmi kisi tarah Abhishek ko Uske ghar tak le jate hain. Shor sharaba sunkar jab Aanand ji bahar aate hain to unhe samajhte der nahi lagti ki Abhishek na fir se jhagda kiya hai, lekin unhe is baare me kuchh nahi pata tha ki jhagda karne ki main vajah kya thi, isliye unhone un aadmiyo se poocha.


Aanand- Kya huwa bhai. Fir se isne jhagda kiya kya kahi.

Aadmi- Jhagda nahi kiya Aanand ji. Jaan se marne ki koshish ki isne …………… aur ………… ladko ko, wo to sahi samay par ham logo ne ise pakad liya, nahi to aaj wo dono ladke to gaye hi samajh lijie. Lekin isne unhe itna jyada maar diya hai ki kahi koi mar mura na jaye. Shayad unhone kuchh kaha tha abhishek se jiske karan abhishek ne unko mara.


Aadmi ki baat sunkar Abhishek ke papa ne Abhishek ka gireban pakad kar use jhinjhodate huwe poocha.


Aanand Ji- Ab kya yahi karne ko baki rah gaya tha kya. Sab kuchh to tu kar chuka hai, Kisi ki jaan lena baki rah gaya tha, aaj tune wo bhi karne me koi kasar nahi chhodi.

Abhishek- Isme meri koi galti nahi hai, wo dono Sarita aur Manisha ke baare me gandi gandi bate kar rahe the isliye mujhse bardast nahi huwa aur maine unhe mara.


Abhishek ki baat sunkar Aanand ji ko bahut gussa aa gaya, Sachhai pata na hone ke karan unhe ye laga ki abhishek apne aapko bachane ke liye bahaane bana raha hai. Unhone gusse se garajte huwe abhishek se kaha.


Aanand ji- Ek to itna bada kand karke aaya hai aur upar se jhooth bhi bol raha hai. Tujhe sharam nahi aati. Apni karni ka thikra apni bahano par phod raha hai. Kis janam ka badla le raha hai mujhse tu. Tujhe paida karke Hamne aisa kaun sa paap kar diya jo tu hame ye din dikha raha hai. Aaj tak main teri har galtiyon ko jyada gambhirta se nahi leta tha, lekin tu sudharne wala nahi hai. Aaj main tujhe aisa sabak sikhaunga ki tu hamesha yaad rakhega.


Itna kahkar Aanand ji ne Abhishek ke upar apne thappado ki barsat kar di. Use tab tak marte rahe jab tak wo thak nahi gaye. Jab thak gaye to wo wahi jameen par baithkar rone lage. Abhishek ne Apne papa ko dekhte huwe kaha.


Abhishek- maine kuchh nahi kiya papa. Wo dono Sarita aur Manisha ke baare me gandi gandi bate kar rahe the. Isliye maine unhe mara. Kya maine galat kiya.

Aanand ji- haa tumne galat kiya. Agar wo kuchh bol rahe the to maar pit karne ki kya jaroorat thi. Unhe samjha bhi to sakte the. Tumne hame kahi munh dikhane layak nahi chhoda. Har jagah se tumhari shikayate milti rahi hain. Kabhi bhi tumne hamare bare me socha hai. Tumhare jaisa beta hone se Achha hai ki mera koi beta hi nahi hota.

Kab tak apne baap ki chhati par baitha use takleef deta rahega. Agar tujhme jara bhi sharam aur ham logo ke liye ijjat baki hai tere dil me to chala ja yaha se aur fir kabhi apni shakal bhi mat dikhana. Main bhi samajh loonga ki mera koi beta tha hi nahi.


Aanand ji ki baat sunkar raani aur Sarita ne unhe samjhate huwe kaha.


Sarita- ye kya kah rahe hain aap papa. Mana ki Bhaiya ne galat kiya hai, lekin Iske liye Aap unhe itni badi Saza mat dijiye. Hamare eklaute bhai hain ye.

Raani ji- Haan Ji. Apne Iklaute bete ko Aise koi Ghar se nikal jane ke liye kahta hai kya.


Abhishek na jab Sarita ke munh se ye suna ki wo bhi use galat samajh rahi hai to use bahut takleef hui ki uski bahan bhi usko galat samajh rahi hai. usne Sarita se kaha.


Abhishek- Tumne mujhko galat kaha sarita. Maine kya galat kiya. Wo tumhare aur Manisha ke baar me gandi gandi bate kar raha tha. Isliye maine mara. To kya maine galat ho gaya.

Sarita- Haan Bhaiya. Apne galat kiya hai. Mana ki wo hamare bare me galat bol rahe the, lekin Maar pit iska hal nahi hai. Ham unke ghar unke mammy papa se shikayat karte. Wo unhe marte. Aap kaun hote hain unhe marne wale. Wo bhi itni buri tarah se mara aapne unhe. Agar un donon ko kuchh ho gaya to aapko pata hai ki kitni badi musibat aa sakti hai ham sab par. Har samasya ka samadhan ladai jhagda hi nahi hota. Kuchh bate pyaar se bhi samjhai jati hain. Kitno ko marenge aap bhaiya. Aaj un dono ne kaha. Aap ne unhe mara. Kal koi aur kahega. To aap unhe maroge. Parso sara mohalla kahega to Kis kis se ladenge aap.

Abhishek- Main Sab ko maar dalunga jo tum dono ke bare me bura bolega. Kisi ko nahi chhodunga.

Aanand- Are nalayak Abhi bhi tu yahi khada hai. Kya mujhe maar kar hi tujhe chain milega. Maine kitne Armaan sajaye the ki mera beta bada hokar mera naam roshan karega. Mere budhape ke sahara banega, lekin tumne Achha naam roshan kiya hai mera. Are begairat. Agar tujhme jara bhi sharam bachi hai to nikal ja mere ghar se. aur dobara kabhi apni shakal mat dikhana.


Ye baat lagbhag har baap apne bachho se bol deta hai jab wo bahut gusse mein hota hai. Ek najariye se dekha jaye to abhishek ne yahan par kuchh galat nahin kiya tha, kyonki is baat baat uski bahanon ki thi, lekin wo iske pahle itni baar ladaai jhagda kar chuka tha ki uska ye jhagda jo usne apni bahano ke liye kiya tha wo bhi galat hi najar aane laga tha uske papa ko jo abhi bahut gusse mein the. Rahi sahi kasar Sarita ne ye bolkar poori kar di ki abhishek ne galat kiya hai. Bachpan se hi chhoti- chhoti baton ko dil se lagaane wale abhishek ne Sarita ki is baat ko bahut jyada dil pe le liya. Abhishek ne Sarita ko dekhte huwe kaha.


Abhishek- Sarita mujhe papa ki baat sunkar itna bura nahi laga jitna tumhari baato ka.


Itna kahkar Abhishek ghar ke andar chala gaya aur apna saman ek bag me rakhne laga. Raani ji Sarita aur Manisha sabhi uske pichhe gaye aur use rokte rahe. Lekin wo nahi mana. Bas yahi kahta raha ki Use Sarita ki baton ne dukhi kiya. Use Sarita se aisi ummeed nahin thi. Wo apna bag lekar kamre se bahar aaya aur jane laga to Raani, Sarita aur Manisha use rokne ki koshish karne lage to Aanand ji ne kaha.


Aanand ji- Jane do isko. Badi garmi chadhi hain iske khoon me na. Jab duniya ki thokre khayega tab akal aayegi. Jab jindagi ki hakikat ka samna hoga tab aante dal ka bhav pata chalega. ChAr din baad jab khoon ka ubaal kam hoga to apni galtiyan najar aayegi ise. Tab pata chalega ki duniya apne hisab se nahin chalti. Hame duniya ke hisab se chalna padta hai.


Aanand ji ki baat sunkar Abhishek Sabhi se apne ko chhudakar ghar se bahar nikal gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
To anand ji ka sabr ki seema tut gay or aakhir kai vo bol diya jo nahi bolna chahiye tha... ab ghar se nikal kar kaha jayega ulta jyada galat raste pe chala jayega ab to..

or sarita ne bhi apne pita ka sath diya...
Mana ki abhishek ne mar pit ki par agar koi bhi bhai uski jagah hota to wahi karta jo abhishek ne kiya bhala apni baheno ke bare me aisa sun kar bhi sunta rahe kuch bhi na kare to vo bhai hi kaisa...

Abhishek ke sath galat kiya sab ne bichara apni behno se kitna pyaar karta hai or ab uska kisine bhi sath nahi diya...
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,743
354
नमस्कार मित्रों और पाठकों।।

सभी पाठकों से मैं क्षमा चाहती हूं कि मैं कुछ दिन शायद ही कहानी को आगे बढ़ा पाऊँ, क्योंकि मेरे भाई की शादी दिनांक 21-11-2021 को है, जिसके कारण घर में काम बहुत है साथ में खेती का काम भी है। अभी आलू और गेहूं की बुआई होनी है, साथ में अभी शादी की बहुत सी तैयारियां भी करनी है, जिसके कारण मुझे कहानी लिखने का और लिखकर पोस्ट करने का बिल्कुल भी समय नहीं मिल रहा है।।

अब कहानी का अगला भाग भाई की शादी के बाद ही लिखना संभव हो पाएगा। तब तक आप सब पाठक दूसरी कहानियों का मज़ा लीजिए। जिन भी पाठकों ने कहानी पर अपनी टिप्पणी की है और उसका रिप्लाई हम नहीं दे पाए हैं वो समय मिलने पर हम दे देंगे।। कहानी का अगला भाग संभवतः 25 तारीख को लिखें, जैसा भी होगा हम आप सभी को सूचित कर देंगे।।


धन्यवाद।।
आपके भाई को शादी की ढेर सारी शुभकामनाएं। ईश्वर आपके भ‌इया भाभी की जोड़ी सदा सलामत रखे और उन्हें जीवन के हर मोड़ पर हज़ारों खुशियां दे। :flowers2:
 

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
नमस्कार मित्रों और पाठकों।।

सभी पाठकों से मैं क्षमा चाहती हूं कि मैं कुछ दिन शायद ही कहानी को आगे बढ़ा पाऊँ, क्योंकि मेरे भाई की शादी दिनांक 21-11-2021 को है, जिसके कारण घर में काम बहुत है साथ में खेती का काम भी है। अभी आलू और गेहूं की बुआई होनी है, साथ में अभी शादी की बहुत सी तैयारियां भी करनी है, जिसके कारण मुझे कहानी लिखने का और लिखकर पोस्ट करने का बिल्कुल भी समय नहीं मिल रहा है।।

अब कहानी का अगला भाग भाई की शादी के बाद ही लिखना संभव हो पाएगा। तब तक आप सब पाठक दूसरी कहानियों का मज़ा लीजिए। जिन भी पाठकों ने कहानी पर अपनी टिप्पणी की है और उसका रिप्लाई हम नहीं दे पाए हैं वो समय मिलने पर हम दे देंगे।। कहानी का अगला भाग संभवतः 25 तारीख को लिखें, जैसा भी होगा हम आप सभी को सूचित कर देंगे।।


धन्यवाद।।
Aap bhaujai ghar lane ki tiyari acchhe se kariye. Kahani ke liye wet kar lenge lekin bhaujai ko apne hi ghar aane ke liye wet nehi karvana chahiye
 

Rocky.

Searching the Unsearchables
Supreme
39,259
22,261
259
नमस्कार मित्रों और पाठकों।।

सभी पाठकों से मैं क्षमा चाहती हूं कि मैं कुछ दिन शायद ही कहानी को आगे बढ़ा पाऊँ, क्योंकि मेरे भाई की शादी दिनांक 21-11-2021 को है, जिसके कारण घर में काम बहुत है साथ में खेती का काम भी है। अभी आलू और गेहूं की बुआई होनी है, साथ में अभी शादी की बहुत सी तैयारियां भी करनी है, जिसके कारण मुझे कहानी लिखने का और लिखकर पोस्ट करने का बिल्कुल भी समय नहीं मिल रहा है।।

अब कहानी का अगला भाग भाई की शादी के बाद ही लिखना संभव हो पाएगा। तब तक आप सब पाठक दूसरी कहानियों का मज़ा लीजिए। जिन भी पाठकों ने कहानी पर अपनी टिप्पणी की है और उसका रिप्लाई हम नहीं दे पाए हैं वो समय मिलने पर हम दे देंगे।। कहानी का अगला भाग संभवतः 25 तारीख को लिखें, जैसा भी होगा हम आप सभी को सूचित कर देंगे।।


धन्यवाद।।

Mahi ji, aapke bhai ko shadi ki shubhkamnaye, aasha hai ki sare karya mangal purvak sampann hue honge. Vaise ab to aapko bhabi mil gayi, ab to aap un par kuchh din hukum chalayegi na.. :D
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,743
354
UPDATE- 06
Chhoti umar me bachche aksar josh aur gusse me aa kar galtiya kar dete hain lekin mata pita ko har situation me samajhdaari se hi kaam lena hota hai. Abhishek ne jo kiya tha wo ek bhai ki haisiyat se josh aur gusse me aa kar kiya tha kintu uske pita ne jo kiya wo sarasar murkhata thi. Unhe situation ko behtar tariek se samajhna chahiye tha aur fir is baat ko dhyaan me rakh kar koi kadam uthana chahiye tha ki unke kisi kadam se kya parinaam niklenge. Khair jo bhi ho, sach to ye hai ki sab kuch hamare hisaab se kaha hota hai. Waqt aur halaat aise ban jate hain ki achhe se achha samajhdaar byakti bhi bevkoofi kar baithta hai,,,,:dazed:
Abhishek ko kadachit is baat ka zyada ranz nahi hua tha ki uske baap ne use ghar se nikal jane ko kah diya tha balki is baat ka zyada ranz hua tha ki uski bahan ne use galat thahraya. Halaaki sarita bhi apni jagah galat nahi thi lekin ab iska kya kiya jaye ki jisse hame sabse zyada apne paksh ki ummeed hoti hai wahi agar khilaaf me bole to dil jal jata hai. Abhishek ki haalat us waqt kuch aisi hi thi. Khair, present me ab jo halaat hain wo kaafi nazuk hain. Jaha ek taraf ek baap ji tod mehnat kar ke apne pariwar ko paal raha hai to wahi dusri taraf Abhishek aaj bhi unse juda hai aur na jane kaha hai. Itne saalo se ghar na aane ki vajah kya sirf bahan se narazgi ho sakti hai ya iske peechhe dusri bhi koi vajah hai??? :hmm2:
 

parkas

Prime
22,832
52,572
258
नमस्कार मित्रों और पाठकों।।

सभी पाठकों से मैं क्षमा चाहती हूं कि मैं कुछ दिन शायद ही कहानी को आगे बढ़ा पाऊँ, क्योंकि मेरे भाई की शादी दिनांक 21-11-2021 को है, जिसके कारण घर में काम बहुत है साथ में खेती का काम भी है। अभी आलू और गेहूं की बुआई होनी है, साथ में अभी शादी की बहुत सी तैयारियां भी करनी है, जिसके कारण मुझे कहानी लिखने का और लिखकर पोस्ट करने का बिल्कुल भी समय नहीं मिल रहा है।।

अब कहानी का अगला भाग भाई की शादी के बाद ही लिखना संभव हो पाएगा। तब तक आप सब पाठक दूसरी कहानियों का मज़ा लीजिए। जिन भी पाठकों ने कहानी पर अपनी टिप्पणी की है और उसका रिप्लाई हम नहीं दे पाए हैं वो समय मिलने पर हम दे देंगे।। कहानी का अगला भाग संभवतः 25 तारीख को लिखें, जैसा भी होगा हम आप सभी को सूचित कर देंगे।।


धन्यवाद।।
Mahi Maurya ji aaj 25 tarikh hai to update aane ke chances hai...
Besabari se intezaar kar rahe hai...
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
नमस्कार मित्रों और पाठकों।।

सभी पाठकों से मैं क्षमा चाहती हूं कि मैं कुछ दिन शायद ही कहानी को आगे बढ़ा पाऊँ, क्योंकि मेरे भाई की शादी दिनांक 21-11-2021 को है, जिसके कारण घर में काम बहुत है साथ में खेती का काम भी है। अभी आलू और गेहूं की बुआई होनी है, साथ में अभी शादी की बहुत सी तैयारियां भी करनी है, जिसके कारण मुझे कहानी लिखने का और लिखकर पोस्ट करने का बिल्कुल भी समय नहीं मिल रहा है।।

अब कहानी का अगला भाग भाई की शादी के बाद ही लिखना संभव हो पाएगा। तब तक आप सब पाठक दूसरी कहानियों का मज़ा लीजिए। जिन भी पाठकों ने कहानी पर अपनी टिप्पणी की है और उसका रिप्लाई हम नहीं दे पाए हैं वो समय मिलने पर हम दे देंगे।। कहानी का अगला भाग संभवतः 25 तारीख को लिखें, जैसा भी होगा हम आप सभी को सूचित कर देंगे।।


धन्यवाद।।
:peep: kamse kam ek reply hi de dijiye
 
Top