• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,181
259
UPDATE- 63

Sabhi bahar aakar shanti ke sath baith gaye. Thodi der baad khamoshi ko todte huwe Raani ji ne kaha.

Raani ji- Sarita Ye Abhishek Kya kah raha tha. Kya Sach mein use saza milegi. Use jail jana padega.

Sarita- haan mummy. Bhaiya sach bol rahe the. Aap ko bhi pata hai ki bhaiya ne kya kiya hai.

Raani ji- Lekin tum aise kaise kar sakti ho Sarita. Wo tumhara bhaai hai. tum apne bhaai ko kaise jail mein bhej sakti ho.

Sarita- Ab isme main kya kar sakti hoon mummy. Main khud nahi chahti ki bhaiya ab hamse door jaye. Lekin hamari kismet mein abhi bhaiya se aur judai likhi hui hai.

Raani ji- Aise kaise tu use jail mein daal degi. Tu uski bahan hai. main bol deti hoon tu aisa kuchh nahi karegi. Agar use jail mein dala sa samajh lena. Main tumse kabhi baat nahi karungi.

Aanand Ji- (bich mein) Kaisi baat kar rahi ho bhagyawan. Isme Sarita kya kar sakti hai. wo khud mazboor hai. Abhishek ne jo gunah kiya hai uski saza to use bhugatni hogi. Main khud nahi chahta ki ab abhishek hamse ek pal ke liye bhi door ho, lekin abhi hamein abhishek ke liye aur tadapna hoga.

Tumhe Aage badhkar Sarita ki himmat badhani chahiye ki wo sachhai aur imandari ke raste se kabhi na bhatke aur tum use hi suna rahi ho. Kya tumhar pata nahi hai ki wo ham dono se jyada Abhishek se pyaar karti hain.

Raani ji- Agar Ye Abhishek se pyaar karti hai to isase kahiye ki mere bete ko bachaye ye. Use jail mein na dale. Nischal beta. Tum hi samjhao na Sarita ko. Tum to isase bhi bade Officer ho na. tum to abhishek ko bacha lo beta. Tum Bolo Sarita se ki Apne bhaai ko jail mein na dale.

Nishchal- Aunty Ji. Sarita Sahi kah rahi hai. Abhishek ne jo apradh kiya hai uske liye use saza to milegi, Ham use Jail jane se to nahi bacha sakte, lekin ek rashta hai. jisase ham uski saza ko kam se kam karwa sakte hain.

Raani ji- Tum batao beta. Mere bete ki saza kaise kam ho sakti hai.

Nishchal- Aunty ji. Aap logo ke aane se pahle hi maine Usase baat ki thi. Usne aap logo ko bhavishya mein koi nuksan na pahuche isliye naam badalkar aur apni pahchan chhupakar is dhandhe mein aaya tha. Mere aap logo ka naam lene par wo dar ke karan mujhe sab batane ke liye taiyar ho gaya tha,

lekin ab jabki use sari sachhai pata chal gayi hai. To Main chahta hoon ki aap log usase baat kijiye. Agar wo sarkari gawah ban jata hai aur police ki madad karta hai asali apradhi tak pahuchne mein to uski saza kam ho sakti hai.

Raani ji- Agar aisi baat hai to main usase baat karungi. Main use manaungi sarkari gawah ban-ne ke liye. Lekin use kuch hoga to nahi na.

Nishchal- Is baat ki gaurenttee main deta hoon ki mere jite ji use koi nuksan nahi pahuchega. Bas aap use mana lijiye.

Raani- Thanks beta. Tumne ek maa par bahut bada Ehsan kiya hai beta.

Nishchal- Maine kuchh nahi kiya hai Aunty ji. Jo bhi kiya hai Sarita ne kiya hai. Achha huwa Sarita ne meri baat is baar bhi nahi mani aur waha chali gayi. Nahi to Abhishek Pata nahi kab milta use. Ab main jata hoon. Mujhe Kuchh kam hai. Raat mein aaunga.

Itna kahkar Nishchal waha se chala gaya. Nishchal Sidhe Court Pahucha aur Ek Lawyer ko hire kar Abhishek ki Custody ki Permission le li. Iske piche dalil ye thi ki Abhishek Is Sahar mein chal rahe Drugs ke giroh ka ek mukhya sadasya hai aur wo Sarkari gawah ban chuka hai jiske karan uski jan ka khatra hai isliye wo use ek safe jagah rakhna chahta hai.

Abhishek ke Uske Custody se bhag jane par sari jimmedari usi ki hogi. Abhishek Abhi Is halat mein nahi hai ki use court laya ja sake aur Sarkari gawah ban jane par uski jaan ko bhi khatra badh gaya hai. Is base par Court ne use Permission de di.

Waha se permission lekar wo apni duty par chala gaya. Udhar Raghav sabke liye khana lekar aaya. Sabhi ne khana khaya. Khana kha kar Manisha hospital se bahar chali gayi. uske pichhe piche Raghav bhi aa gaya. Manisha bahar bane chabutare par baithkar kuchh soch rahi thi. Raghav jakar uske paas baith gaya aur bola.

Raghav- Kya soch rahi ho Manisha.

Manisha- Kuchh khas nahi. Bas ye soch rahi thi ki Zindagi bhi kitni ajeeb hai. Hame kab kis mod par lakar khada kar de kuchh kaha nahi ja sakta.

Raghav- Sahi kaha tumne. Is samay ham sabki setuation jyada achhi nahi chal rahi hai. hamare sitare gardish mein lag rahe hain. Hospital ke chakkar jyada lag rahe hain.

Manisha- Sahi kaha tumne. Tum jante ho. Bhaiya ham dono se kitna pyaar karte the. Ham Sab kitna hanste bolte the. Hansi majak karte the. Kam sansadhan mein bhi kitne khush rahte the. Lekin bhaiya ne ghar kya chhoda. Ham dono bahno ki sari khushiya apne sath le kar chale gaye.

Is baat ka sabse jyada sadma didiya ko laga. Unke baad to didiya ne jaise hansna aur khus rahna hi chhod diya. apne aapko sirf apne tak hi samet liya unhone. Iske chalte thoda Chidchidi ho gayi hain wo.

Main thoda bahut unse hansi Mazak karke unka dil bahlati thi. wo upar upar hansti thi, lekin andar se wo dukhi bhi thi, Kyonki Unhe hamesha se yahi lagta tha ki bhaiya ne unki baat ko dil par laga kar ghar chhoda hai. Hamesha apne aapko kosti rahti thi. Meri didiye ne bahut kuchh jhela hai Raghav Samaaj ke tane aur jillat, logo ki khari khoti. Bahut kuchh sahas hai meri didiya ne.

Raghav- Manisha. Is sansar mein jo bhi hota hai achhe ke liye hi hota hai, ho sakta hai ye bhi achhe ke liye hi huwa ho. Kya pata iske pichhe koi karan chhipa ho. Lekin Ab to tumhare bhaiya bhi mil gaye hain. Ab sabkuchh thik ho jayega.

Manisha- Bhagvan kare aisa hi ho. mere bhaiya bure nahi hain. Bas unki sangat galat logo ke sath ho gayi thi.

Raghav- Tum chinta mat karo. Nishchal ne bola hai ki Unki saza kam ho jayegi, bahut jald wo aap logo ke sath rahenge hamesha ke liye. Ab chalo andar chalte hain. Nahi to sab pareshan honge.

Fir dono andar aa gaye. Isi tarah 4 din bit gaye. Ab Abhishek ki halat mein sudhar ho gaya tha. Doctor ki permission ke baad Abhishek ko Hospital se discharge karwakar Nishchal apne ghar le gaya. Usne Pahle hi Abhishek ke liye Apne Ghar se bagal Ek kamra Abhishek ke liye le liya tha.

Mohit aur Jawed bhi uske sath hi the. Sarita ka sara pariwar uske sath tha. Abhishek ko us kamre mein sift kar diya gaya. Sarita aur Raani ji ne Abhishek se baat kar li thi. wo Sarkari gawah ban-ne ke liye taiyar ho gaya tha.

PS mein Is baat ki kisi ko khabar nahi thi ki Sarita ne Kis wajah se chhutti li hai aur Uska bhaai use mil gaya hai. Abhishek ko Ghar aaye huwe 3 din aur bit gaye the. Aaj Sarita ka pariwar fir se Allahabaad ja raha tha. jane se pahle Rani ji ne Abhishek ko samjhate huwe kaha.

Raani ji- Abhishek beta. Tu jaha abhi rah raha hai ye log bahut achhe hain. Sarita bhi yahi paas mein rahti hai, isliye darne ki koi baat nahi hai. Ab tu sare galat kaam chhod dena beta.

Hame tumhari bahut jaroorat hai. Apni bahan ki poori madad karna. Uska Sahara banker Uske dushmano ko pakadne mein uski madad karna. AB ham log ghar ja rahe hain. Tum hamse phone karke baat karte rahna. Yaha kisi ko pareshan mat karna tum.

Abhishek- Ab main pahle wali galti nahi karunga mummy. Main Ab hamesha apni bahan ka sath doonga. Aap befikar hokar jaiye. Main bahut jaldi saza kaatkar aap logo ke paas hamesha hamesha ke liye aa jaunga.

Uske baad Aanand ji aur Manisha Abhishek se milkar station ke liye nikal gaye. Nishchal Unhe chhodne station gaya. Unhe gadi par baithakar Nishchal ne Manisha se kaha.

Nishchal- Chhote miya. Aunty aur Uncle ka khayal rakhna. Wo Abhishek ko lekar pareshan na ho jyada. Main aur Sarita yaha par hain. Ham sab kuchh sambhal lenge.

Manisha- Thik hai boss. Main mummy aur papa ko sambhal lungi. Aap plz bhaiya ka dhyan rakhiyega.

Nishchal- Thik hai chhote miya. Ab main ja raha hoon. Apna dhyan rakhna.

Itna kahkar Nishchal apne kaam ke liye nikal gaya. Udhar Sarita ne bhi PS jane ka socha aur wo bhi Abhishek se baat kar PS ke liye nikal gayi. Waha par Sarita ko dekhkar Sabhi bahut khus huwe.

Sarita ne din bhar PS mein kaam kiya aur sham ko wo ghar wapas aa gayi. sham ko Sarita. Savita, Nishchal aur Raghav ne sath mein khana khaya. Khana khane ke baad Sarita Abhishek ka khana lekar uske kamre mein gayi.

Sarita ne Abhishek ko apne hatho se khana khilaya. Abhishek ki ankho se aanshu nikal gaye. Ye dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- Kya huwa bhaiya. Aap ki aankho mein aanshu.

Abhishek- Ye Khushi ke anshu hain Sarita. Mujhe tumhara pyaar dekhkar rona aa raha hai apni badnashibi par. Agar main pahle hi sambhal gaya hota to aaj main bhi mummy papa Manisha aur tumhare sath kitni khushhal zindagi bita raha hota.

Sarita- Jo ho gaya use bhool jaiye bhaiya. Ye samajh lijiye ki wo hamari zindagi ka ek bura samay tha jo ab gujar gaya hai. bahut jald sabkuchh thik ho jayega aur ham log fir se ek sath rahenge.

Fir Sarita ne Abhishek ko khana khilaya aur thali bagal mein rakh di. thodi der mein Nishchal bhi waha pahuch gaya aur Abhishek se bola.

Nishchal- Ab kaisi tabiyat hai aapki.

Abhishek- Achhi hai Sir.

Nishchal- Not call me Sir, Call me Nishchal. Aakhir main aapse chhota hoon.

Abhishek- bhale hi aap mujhse chhote hain. Lekin hoon to main is samay ek mujrim hi na aur aap thahre police wale. To Sir kahna to banta hi hai na.

Nishchal- aap mujrim bhale hi ho, lekin Aap Sarita ke bhaai aur Uncle Aunty ke bete hain to aap mujhe naam se bulaiye.

Abhishek- jaisa aap kahiye.

Nishchal- main ek baat karne aaya tha apse. Aapne to Raghu aur Bachha Singh ke sath kaam kiya hai to. Unki kuchh pahchan. Kuchh clue. Jisase ham unhe pakad sake. Aur is drugs ke gorakh dhandhe ka khatma kar sake is Shahar se.

Abhishek- Aap befikar rahiye Nishchal ji. Main Khud ek bahut achha chitrakar hoon. Mera hath thik se kaam karne lage tab main aapko Raghu aur BAchha Singh ki Tasweer banakar de dunga. Jisase aap unhe asani se pakad sakte hain,

lekin unko pakadne se kuchh nahhi hoga. unhe pakadne se kewal is Shahar mein Drugs ki supply band hogi. Kyonki wo to bas pyaade hain. Raaza to koi aur hai, jiske ishare par ye kaam hota hai.

Sarita- Kya. In sabke pichhe koi aur hai.

Abhishek- Haan Sarita. Koi aur hai. jisko maine nahi dekha. Wo do log hain. Bachha Singh unhe Boss aur Sarkar kah kar bulata hai. Mujhe nahi pata ye kaun hain.

Lekin haan video call par kai baar maine inhe dekha hai, lekin ye dono apne chehre ko cover kiye the us samay. Isliye agar mere samne se bhi ye dono nikal jaye to main shayad inhe pahchan hi na paun.

Nishchal- Mujhe to pahle se hi shak tha ki iske piche jaroor kisi doosre ka hath hai. ye dono usi ke ishare par kaam karte hain, lekin main shyor nahi tha. Phir bhi aap koi aisa clue ya koi aisi nishani dekhi ho jiske sahare ham un tak pahuch sakein.

Abhishek- mujhe to koi nishani aur clue dhyan mein nahi aa raha hai, maine kewal inki aankhe dekhi hain.

Sarita- bhaiya aap to bahut achhi drowing karte hain. Hubahu taswir bana dete hain aap. Kya aap us boss aur Sarkaar ki aankhon ki tasweer bana sakte hain. Jiski madad se ho sakta hai hame koi clue mil jaye.

Abhishek- Haan bana Sakta hoon Sarita, lekin maine in dono ki aankhe lagbhag mahine bhar ke upar ho gaya tab dekhi thi, to mujhko thoda samay lagega in dono ki aankho ki hubahu taswir banane mein,

ho sakta hai mujhe is dauran kuchh aisa clue yaad aa jaye. Jisase in dono ko pakadne mein aasani ho. lekin ye main tabhi kar paaunga jab mera hath ekdam sahi tarike se kam karne lage. Mujhe kuchh din ka samay chahiye aur.

Nishchal- Thik hai Abhi aap aaram kariye. Main baad mein milta hoon aapse.

Itna bolkar nishchal uske kamre se bahar chala jata hai. thodi der Sarita usase baat karti hai fir wo bhi apne kamre mein chali jati hai.

In dino Nishchal Sarita se jyada baat nahi karta tha, kyonki Sarita uski baato se chidhti thi. is samay Sarita khud bahut pareshan thi. Nishchal use chhidakar aur pareshan nahi karna chahta tha.

Isi tarah din bit rahe the. Jawed ne Heera ki bahut ache se khatirdari ki, lekin Heera ne apna munh nahi khola, halanki Abhishek ne kaha tha ki wo Raghu aur Bachha singh ki taswir banayega thik hone ke baad, lekin Nishchal jald se jald Us Aadmi ko pakadna chahta tha. jisne Uske upar goli chalayi thi jise Sarita ne apne upar liya tha. Isiliye Nishchal Raghu tak pahuchane ka rasta talash kar raha tha.

Sarita bhi PS jati aur apna kam karti rahti. Sarita ke Mummy papa ko gaye huwe 3 din hi huwe the Subah 8 baje ka samay tha tabhi Sarita ke paas Ek khabar aayi. Manisha ne Sarita ko phone kiya.

Manisha- Hello. Didiya.

Sarita- Haan Bolo Manisha. Kya huwa. Tum itni ghabrai hui kyon ho.

Manisha- Didiya. Papa chakkar kha kar gir pade hain. Wo hospital mein admit hain. Aap jaldi se aa jao.

Sarita- Kya. Ye sab kaise huwa. Main aa rahi hoon. tum chinta mat karo.

Manisha se baat karne ke baad Sarita ne phone rakha to Savita ne poocha.

Savi- Kya huwa Sarita. Kiska phone tha. tum itni pareshan kyon ho.

Sarita- Di mUjhe ghar jana hoga. Papa hospital mein hain. Unhe chakkar aa gaya tha.

Savi- kya. Ye sab kaise ho gaya.

Sarita- Pata nahi di. Manisha ne bataya. Jaisa bhi hoga ghar jakar aapko phone karti hoon. Aap Sir ko bata dijiyega.

Savi- Thik hai tum jao. Main Nishu ko bata dungi.

Sarita- Di. Bhaiya ka thoda dhyan rakhiyega.

Savi- Tum uski fikar mat karo. Main sab sambhal lungi.

Iske baad Sarita Abhishek ke paas chali gayi. Use papa ki condition ke bare mein bataya aur apne kamre mein aakar taiyar hui aur gadi se hi Allahabad ke liye nikal gayi.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,181
259
तिरसठवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244

Jabardast Updatee

Toh Abhishek Sarkari gawah banne ko taiyaar hogya hai. Aur usne kaha hai woh Raghu aur Bachha Singh ka sketch bana dega.

Dekhte hai kabtak banata hai woh. Aur kahi uske pehle kahi kou anhoni naa hojaaye.

Ab yeh Anand ji ko kyaa hogyaa. Woh kaise chakar khaa kar girr gaye. Kahi koi khatra toh nhii. Dekhte hai kyaa nikalta hai
 
parkas

Prime
22,369
51,797
258

Bahut hi badhiya update diya hai Mahi Maurya ji....
Nice and beautiful update....
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,181
259
Jabardast Updatee

Toh Abhishek Sarkari gawah banne ko taiyaar hogya hai. Aur usne kaha hai woh Raghu aur Bachha Singh ka sketch bana dega.

Dekhte hai kabtak banata hai woh. Aur kahi uske pehle kahi kou anhoni naa hojaaye.

Ab yeh Anand ji ko kyaa hogyaa. Woh kaise chakar khaa kar girr gaye. Kahi koi khatra toh nhii. Dekhte hai kyaa nikalta hai
धन्यवाद आपका महोदय।
अब ये तो समय बताएगा कि अभिषेक पहले तस्वीर बनाता है या हीरा अपना मुंह खोलता है या फिर कोई घटना घटती है।
इतने दिन से इतने परेशानियों से गुजर रहे हैं तो ये उसी का परिणाम है।

साथ बने रहिए।।
 
Top