• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

kas1709

Well-Known Member
6,120
6,521
173
UPDATE- 61

Thodi der baad Savita aur Raghav bhi Hospital mein aa gaye. Savita ko Kuchh pata nahi tha, isliye usne aate hi poochaa.

Savi- Kya huwa. Sab log yaha par kyon ho. Aap log Ro kyo rahe ho.

Savita ki aawaz sunkar Sarita uthkar uske gale lag gayi aur rone lagi. Savi ne pyaar se uske sir par hath phera aur use chup karate huwe poochha.

Savi- Tum ro kyon rahi ho. Chup ho jao aur mujhe batao kya huwa hai.

Sarita- Di. Wo Abhishek bhaiyaa.

Savi- Kyaa. Abhishek. Kaha hai wo.

Sarita- Andar ICU mein hai. Use goli lagi hai.

Savi- Kyaaaa. Kya kah rahi ho tum. Wo tumhe kaha mila aur use goli kaise lagi.

Savita ki baat sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Di main aapko baad mein sabkuchh bata dunga. Abhi aap in sabko ghar lekar jaiye. Main aur jawed yaha par hain. Pahle ye log fresh ho lein uske baad yaha par aa jayegne.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne kaha.

Sarita- nahi di. Mujhe kahi nahi jana. Mujhe apne bhaai ke paas rahna hai.

Savi- Nishu sahi kah rah hai. Tum apni halat dekho, Kya haal bana rakha hai tumne. Aunty ji aur Manisha ki bhi halat thik nahi hai. Ghar chalo fresh hokar fir aa jana yaha.

Savita ki baat par koi ghar jane ko taiyar nahi huwa, lekin Savita sabko jabardasti apne sath le gayi. Sabke jane ke baad Nishchal ne Mohit se kaha.

Nishchal- Tumne Kya bataya tha SSP Sir ko Mohit.

Mohit- Sir maine Kya bataya. Madam ne kaha tha ki SSP Sir ko inform kar dein ki Is jagah par ye ye huwa hai aur itna maal jabt kiya gaya hai. Sir ne poocha ki Permission thi. to maine bol diya ki permission nahi thi.

Nishchal- Kya kiya tumne. Unhe ye nahi batana chahiye tha ki Sarita ne bina mujhe suchit kiye waha rade dali. Tum bhi harishchandra ho gaye ho. Sach bolne ki bimari tumhein bhi lag gai hai sarita ke sath rahte rahte. Bahut Muskil se SSP Sir ko mana kar aa raha hoon. Bahut ukhde huwe the Aur Maine tumko kaha tha na ki Sarita ko bahar mat jane dena. To fir wo bahar gayi kaise.

Mohit- Main Kya karu Sir. Madam meri bat sunti kahan hain. Maine unse kaha ki aapne mana kiya hai kahi jane se. to mere upar hi bhadak gayi aur akele hi nikal padi. to majbooran mujhe sath jana pada. Aap chahe to Janhavi, Kaushal ya Vikas kisi se bhi pooch sakte hain.

Nishchal- Mujhe pata tha ki ye Jiddi kisi ki baat nahi man-ne wali. Iske chakkar mein mujhe SSP Sir se kitna sun-na pada aaj.

Mohit- Waise Achha hi huwa ki madam ne aaj aapki baat nahi mani. Kam-se-kam isi bahane madam ko unka bhaai mil gaya. Jiski talash mein wo Kitne shalo se thi.

Nishchal- ye baat to sahi kahi tumne. Uska bhaai mil to gaya hai, lekin hai to wo apradhi hi. Kanunan use saza to milegi hi.

Mohit- Kuchh karke Unhe bachaya nahi ja sakta kya sir.

Nishchal- Ye namumkin hai. Main isme kuchh nahi kar sakta. Lekin agar wo Sarkari gawah ban-ne ke liye taiyar ho jaye to uski saza jaroor kam ho sakti hai. main koshish karunga ki use sarkari gawah bana liya jaye.

Agar wo Sarkari gawah ban gaya to Hamara kaam aasan ho jayega. Lekin Abhi sabse badi baat ye hai ki use goli lagi hai. Sabse pahle uska hosh mein aana jaroori hai. uske baad dekhte hain ki kya karna hai.

Tum aur Kaushal Vikash ko bolkar waha ka sara kaam finish karwao. Tum dono bhi abhi jao. Baad mein aa jana.

Haan Ek baat aur. Ye Sakhs jo andar leta hai ye Sarita ka bhaai hai ye kewal Utne log jante hain Jitne log Is Opretion mein gaye huwe the. Isliye Sabhi hawaldaro aur Constable ko ye Sakht nidesh de do ki Ye baat unke andar hi dafan rahe ki ye Sakhs Sarita ka bhaai hai. Agar kisi ki bhi juban se Ye raaz bahar aaya to uski naukari gayi samjho,

main nahi chahta ki Bachha Singh Ya Raghu ko is baat ka pata chale ki Unke giroh mein Sarita ka bhaai bhi shamil tha jo ab hospital mein admit hai. Agar unhe is baat ki bhanak bhi lagi to Iski jan ko khatra hai. aur jaha tak mujhe lagta hai ki ham Bachha singh tak hi ye mamla samajh rahe hain to bilkul galat hai. Bachha singh ke upar bhi koi hai jo inhe deal kar raha hai.

Nishchal ke kahne ke baad Kaushal aur Mohit ne haan mein apna sir hilaya aur hospital se Chale gaye. Jawed ko wahi baithne ka bolkar Nishchal Doctor se milne chala gaya. Doctor ke chamber mein jakar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Sir. Wo patient jisko goli lagi hai uski kya report hai.

Doctor- Sir. Wo khatre se to bahar hai, lekin jab tak usko hosh nahi aa jata ham kuchh nahi kah sakte.

Nishchal- Kuchh bhi karke use bachaiye Sir. Wo ek Aham case ka Accuse hai aur sath mein Uske paas aisi bahut si jankari hai jo hamare bahut kaam aa sakti hai. isliye aap usko best se best treatment dijiye.

Doctor- Thik hai Sir ham apni taraf se poori koshish karenge.

Uske baad nishchal Doctor ke chamber se bahar chala gaya.

*******

Udhar Raghu apni jaan bachakar Godam se bhagkar Apne bhaai Bachha Singh ke paas pahucha. Bachha singh ne jab Raghu ko dekha to Usne chintit swar mein poocha.

Bachha- Kya Huwa chhote. Tere kandhe se ye khoon kyon bah raha hai.

Raghu- Kuchh nahi bhaiya. Bas goli chhu kar nikal gayi hai.

Bachha- Kyaa. Kiski maut aayi hai jine tumpar goli chalayi hai. Mujjhe poori baat bata.

Raghu- Aaj main maal ko destibute karne ke liye godam mein mal load karwa raha tha to Us Sarita ne dhava bol diya aur Apne Sare aadmiyon ko ghayal kar diya. Sath mein Sara Maal jabt kar liya. Usi ke sath muthbhed mein mujhe Sarita ki gun se nikli goli lag gayi. lekin main kisi tarah waha se bhaag aaya.

Bachha- (Chillate huwe) Sarita Sarita Sarita. Ye ladki Na To marti hai aur na hi chain se jeene deti hai. Hamara karodo ka nuksan ho gaya hai. Ab tak to ye khabar Boss Aur Sarkar ko bhi chal gayi hogi. Pata nahi wo log Kya karenge hamare sath.

Raghu- Mujhe ye samajh mein nahi aata ki aap un dono se itna darte kyon hain. Hamari hi badaulat wo aaj Boss aur Sarkar banker baithe hain. Agar ham logo ne apne hath kheech liye to unki koi aukat nahi rahegi. Kya kar lenge wo hamara. Kuchh nahi ukhad payenge wo dono.

Bachha- Chup kar tu. Tujhe nahi pata ki tu kya bol raha hai chhote. Hamare jaise kaiyo desh ke kone kone mein unke liye kaam kar rahe hain. Agar wo dono ham logo ki wajah se boss aur Sarkar bane baithe hain to Ham bhi un dono ko wajah se hi Is mukam tak pahuche hain.

Isliye apna dimag Thanda rakh tu. Unko kaise deal karna hai ye main dekh lunga.

Bachha singh aur Raghu baat kar hi rahe the ki udhar se Boss ka phone aa jata hai. Bachha singh ne Raghu ko apna mobile dikhaya to Usne kaha.

Raghu- Lo Saitan ka naam liya aur Saitan ka phone bhi aa gaya.

Bachha- Tum ekdam chup raho. Main baat karta hoon usase.

Itna kahkar Bachha Singh ne phone utha liya. Phone uthane ke baad Baccha Singh ne kaha.

Bachha- Hello Boss.

Boss- Apna hello apne paas rakho tum. Ye sab Kya ho raha hai. Hamara Mall fir pakda gaya. Tum log kya kar rahe the. Ek kal ki aai chhokri tum logo ki gand lal karke chali gayi aur tum log hath par hath dare baithe rahe.

Bachha- Nahi boss. Hamne poori koshish ki thi, Balki Hame to ye pata chala tha ki wo Field mein nahi aa rahi hai kuchh din to hamne badi savdhani se kaam kiya tha. Patan ahi kaha se use pata chal gaya.

Boss- Mujhe tumhare bahane nahi sun-ne hain. Tumhara har baar ka koi na koi bahana rahta hai. Are Use wahi maar kyon nahi diya tumne jab wo godam mein gayi thi to.

Bachha- Are boss. Mere bhaai Raghu ne Poori koshish ki thi use marne ke liye, lekin Wo badi sakht jan hai. Uska to kuchh nahi huwa, lekin Raghu ko jaroor goli lagi hai.

Boss- Tumhe pata hai. Tum logo ki wajah se mujhe Sarkar ki kitni khari khoti sun-ni padi. Karodo ka mall tha. Sab dubo diya tum logo ne. Ek Laundiya nahi samabhalti tum Logo se. Kisi kaam ke nahi ho tum log

Bachha- Dekhiye boss. Ham logo ne apni taraf se poori koshish ki thi. Lekin fir bhi aapko lagta hai ki ham kisii kaam ke nahi hain to Aap Itne bade aadmi hain. Uska Transfer Kyon Nahi karwa dete. Aapki to bahut jaan pahchaan hai Bade bade logo, politician se.

Boss- Ab tum mujhe sikhaogi ki kya karna hai Mujhe. Are Is samay wo public figure ban chuki hai. Uska Transfer Kis bas par karwaye ham. Itna hi nahi Maine aur Sarkar ne Uska Transfer karwane ki bahut koshish ki lekin Koi hai jo uska transfer hone nahi de raha hai.

lekin wo kaun hai ye mujhe nahi pata. Kyonki Mujhe khabar mili hain ki CM ki taraf se Uska Transfer Roka gaya hai. Jald hi main iska pata laga lunga, lekin tumm logo ne Jo nuksan karwaya hai uski bharpayi jaldi se karo. Nahi to achha nahi hoga tum logo ke liye.

Bachha- Thik hai boss. Ham karte hain kuchh.

Boss- Jo bhi karna. Is baar dhyan se karna. Koi galti nahi honi chahiye.

Bachha- Thik hai boss.

Uske baad BAchha singh ne phone rakh diya. Raghu jo sari bate sun-ne ke baad bahut gusse mein tha. Phone rakhte hi wo bola.

Raghu- ye kya bhaiyaa. Aapne use kuchh kaha kyon nahi. Sala Khud to kuchh kar nahi pa raha hai aur upar se Ham logo ko kah raha hai ki ham log nikamme hain. Jab Sala itna bada aadmi hokar Ek Inspector ka transfer nahi karwa pa raha hai to ham logo se kyon ummeed rakhta hai ki ham log uska Kuchh kyon nahi kar pa rahe hain.

Bachha- Shant ho ja Chhote. Tune suna nahi ki CM ki taraf se Uska transfer rokne ki recommendation aayi thi. to uska transfer hone se raha. Wo itni nidar hai ki darti hi nahi. Upar se Sakht jaan bhi hai. marti bhi nahi. Kuchh aur sochna padega uske liye.

Raghu- Aap fikar mat kijiye bhaiya. Maine kuchh socha hai uske liye. Main lagbhag aadha kaam poora kar chuka hoon. Bahut jald bacha huwa aadha kaam bhi poora kar lunga. Fir wo inpector meri muthhi mein hogi.

Bachha- (khush hote huwe) Achha Kya socha hai tumne aur kis kam ki baat kar raha hai tu.

Raghu- Abhi nahi bhaaiya. Main aapko bataunga nahi balki dikhaunga. Wo bhi bahut jald.

Bachha- Mujhe tujhpar poora bharosha hai. tum jaroor karoge jo tumne socha hai. Lekin ek baat ka dhyan rakhna chhote. Kuchh bhi ho jaye. Aisa koi bhi kaam mat karna jiske chalte ham dono ko aur hamare kaam ko koi nuksan ho.

Raghu- Thik hai bhaiya. Aap befikar rahiye. Main jo bhi karunga usme nuksan nahi balki fayda hi fayda hai. Ab main chalta hoon. Apne kaam ko anjam dene ke liye koi naya plan sochne.

Bachha- Thik hai Chhote. Apna dhyan rakhna.

Iske baad Raghu Bachha singh ke paas se chala jata hai

******

Udhar Raat ho gayi thi, lekin Abhishek ko abhi tak hosh nahi aaya tha. Sabhi pareshan the. Kisi ki aankho mein aanshu the to kisi ke chehre par tanav. Sabhi Hospital ke parisar mein baithe huwe the.

Raghav sabke liye raat ka khana lekar aaya tha. Koi khana khan eke liye razi nahi tha, lekin Savi ne jabardasti sabko khana khilaya tha. Raat aise hi bit gayi. Subah Nishchal Hospital se jane se pahle Sarita se kaha.

Nishchal- Sarita. Jara ek minute idhar aana kuchh jaroori baat karni hai tumse.

Nishchal ki baat sunkar Sarita uske paas chali gayi. dono sabse thodi door chale gaye to sarita ne kaha.

Sarita- Ji kahiye.

Nishchal- Dekho Sarita. Main ye kah raha tha ki tum apni tabiyat kharab hone ka bolkar chutty ke liye apply kar do. Abhishek tumhara bhai hai ye baat Abhi JItne log jante hain Utne log hi jane to jyada achha hai. Kyonki Agar Bachchha Singh ya Raghu ko pata chal gaya ki Wo tumhara bhaai hai to uski jaan ko bahut khatra ho sakta hai.

Kyonki unhe ye lagega ki wo unka raaz khol dega, Maine Kal tumhare sath jitney log gaye hain Sabhi ko sakhti se mana kiya hai. Tum bhi is baat ka dhyan rakhna ko agar koi PS se phone kare to tum is bare mein apna munh mat kholna. Koi matlab Koi bhii. Samajh rahi ho na ki main kya kah raha hoon.

Sarita- Ji Sir Samajh gayi.

Nishchal- Thik hai Tum jao apne gharwalo ke paas. Main Kam se ja raha hoon. Sham ko ata hoon.

Nishchal ki baat sunkar Sarita Apne gharwalo ke paas chali gayi. Nishchal ne jawed ko Apne paas bulaya aur kaha.

Nishchal- Jawed. Main kaam se bahar ja raha hoon. Tum yaha par sab sambhal lena. Main mohit ko bhejta hoon yaha par. Uske baad tum chale jana. Main shaam ko wapas aaunga. Tum samajh rahe ho na.

Jawed- Yes Sir. Main samajh gaya. Aap nishchint rahiye.

Uske baad Nishchal Chala gaya. Lagbhag 1 ghante baad Mohit aaya to Jawed waha se chala gaya. Subah Nashta aur Chaai Raghav lekar aaya to Savi ne Sabko chaai aur Nashta karwaya. Sabhi ne beman se Chaai aur nasta kiya.

Dophar mein Raghav khana bhi lekar aaya. Sabhi ne thoda bahut khana khaya. Isi tarah Ye din bhi beet gaya. Abhishek ko abhi tak hosh nahi aaya tha. Sabhi gharwale chintit the. Doctor bhi Abhishek ki halat ko lekar chinta vyakt kar rahe the. Sham ko lagbhag 7 Baje ke kareeb Nurse bhagte huwe Doctor ke paas gayi aur bataya ki Jis patient ko goli lagi thi use hosh aa gaya hai.

Doctor ne jakar use dekha aur Kuchh injection laga kar ICU se bahar aa gaye. Doctor ko dekhkar Sabhi gharwalo ne unhe gher liya. Aanand ji ne doctor se poocha.

Aanand jj- Ab mera beta kaisa hai doctor Sahab.

Doctor- Ab khatre ki koi baat nahi hai. mareej ko hosh aa gaya hai.

Ye sunkar Sabhi ke chehre par Khushi chha gayi. sath mein aankho se aanshu bahne lage. Rani ji ne Doctor se poochha.

Raani ji- Kya ham usase mil sakte hain.

Doctor- Ji nahi. Abhi unhe dawa di hai to wo so rahe hain jab sokar uthenge tab aap log unse mil sakte hain.

Doctor ye kahkar chale jate hain. Sabhi baithkar Abhishek ke hosh mein aane ka intezar karne lagte hain.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 
dhparikh

Well-Known Member
6,545
7,913

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
एक पुलिस अधिकारी के लिए उसका फर्ज सबसे सर्वोपरि होता है । अगर उसके फर्ज में रिश्ते नाते बाधा उत्पन्न करते हैं तो वो फर्ज को ही अहमियत देता है ।
ये सारी चीजें उन्हें शपथ लेते वक्त कहना पड़ता है ।

फर्ज और रिश्तों की दीवार पर आधारित कई फिल्में आ चुकी है । अमिताभ बच्चन और शशि कपूर अभिनीत " दीवार " , जितेंद्र और हेमा मालिनी अभिनित " फर्ज और कानून " दिलिप कुमार और अमिताभ बच्चन अभिनीत " शक्ति " ऐसी ही फिल्में थी ।
दीवार मूवी में शशि कपूर ने अपने भाई अमिताभ को, फर्ज और कानून मूवी में जितेंद्र ने अपने लड़के को और शक्ति मूवी में दिलिप कुमार ने अपने लड़के अमिताभ को शूट कर दिया था । और ये सभी अपराधी थे ।
🙏🙏🙏🙏🙏🙏
आपकी बात बिल्कुल सही है महोदय।
लेकिन वर्तमान समय मे जब पैसे और रुतबे की महत्ता बढ़ चुकी है। ये सब बातें चांद को दिया दिखाने के समान लगती हैं। कानून तो बस चंद पैसे वालों की मुट्ठी में है। जो शपथ ली जाती है उसे कौन पूरा करता है। ये सब अब फिल्मो और कहानियों में ही अच्छा लगता है और वही होता है। असल जिंदगी में इसका दूर दूर तक ताल्लुक नहीं है। हाँ लाखों में शायद एक मिल जाए आपको ऐसा जो रिश्तों से ज्यादा आने फर्ज को अहमियत देता हो।।
वैसे तो सरिता को पता नहीं था कि वो जिस इंसान पर गोली चला रही है वो उसी का बिछड़ा हुआ भाई अभिषेक था । पर अगर उसे पता होता भी तो उसे वही करना चाहिए था जो उसने शपथ लेते वक्त कही थी ।
सरिता को भले ही पता नहीं था लेकिन अब जबकि उसे पता चल चुका है अभिषेक के बारे में फिर भी वो अपना फर्ज ही निभाएगी। जो अगले भाग में पता चल जाएगा।।
अभिषेक एक नजर में ही अपनी बहन को पहचान गया था । इससे लगता है उसकी जानकारी में सभी फेमिली मेम्बर शुरू से ही थे । लेकिन वो अपने फेमिली से मिला क्यों नहीं ? क्या उसकी नफरत अभी तक कम नहीं हुई ?
अब ये तो अभिषेक ही बताएगा। वो सरिता को पहचान गया था। लेकिन पूरी कहानी तो वही बताएगा।।
मुझे लगता है किसी पुलिस इंस्पेक्टर को चोर उचक्कों और स्मगलर को पकड़ने के लिए एवं किसी स्मगलिंग प्वाइंट पर रेड डालने के लिए किसी उच्च अधिकारी के परमिशन की आवश्यकता नहीं पड़ती ।
हां , यदि जहां रेड डालनी है और वो लोग बड़ी हस्तियां हैं तब ऐसे परमिशन की आवश्यकता पड़ती है ।

बच्चा सिंह और रघु , मुझे नहीं लगता कोई बड़ी हस्तियां हैं । न तो ये पोलिटिशियन है और न ही बड़े व्यापारी । और न ही कोई बड़े अधिकारी ।
हो सकता कि उच्च अधिकारी की अनुमति की जरूरत न पड़ती ही लेकिन उच्च अधिकारी को सूचित करना जिम्मेदारी थी सरिता की जो उसने नहीं किया, लेकिन निष्चल ने सब संभाल लिया।
बच्चा और रघु भले ही बड़ी हस्ती न हों लेकिन इतना दम तो वो भी रखते हैं कि अच्छे अच्छे पुलिस वाले भी उनका कुछ नहीं बिगाड़ पाते।
मुझे लगता है एस एस पी जरूर अपराधियों से मिला हुआ है ।
🤣😀😄
ये बात कहनीं जरूरी थी क्या महोदय।
सारा सस्पेन्स खत्म कर दिया आपने तो महोदय।🤣
खैर देखते हैं अभिषेक के साथ अब क्या होने वाला है ! क्या वो जुर्म की दुनिया को अलविदा कहेगा या जरायमपेशा को ही अपनी जिंदगी बना लेगा !
अब तो ऐसा होता फिलहाल संभव नहीं दिख रहा है कि वो वापस उस दुनिया में जाए। फिर भी उसे होश आने के बाद ही ये पता चलेगा।
सभी अपडेट्स बेहद ही खूबसूरत थे माही जी ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड जगमग जगमग ।
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय।

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
UPDATE- 62

Raat ke lagbhag 10 baje ke kareeb Nishchal Hospital mein aaya. Usko filhal Mohit ne phone karke bata diya tha ki Abhishek ko hosh aa gaya hai, Aane ke baad Nishchal ne Aanand ji se baat ki aur Abhishek ka hal chal poocha.

Savi aur Manisha ghar chali gayi thi. Raghav sabke liye khana lekar aaya tha. Nishchal ne Sabko ghar jane ke liye bol diya aur raat khud Hospital mein rukne ke liye bol diya. Nishchal ki baat sunkar Raani ji ne kaha.

Raani ji- Nahi beta. Main nahi jaungi. Mujhe yahi rahna hai.

Nishchal- Dekhiye Aunti ji. Aap jab se aayi hain Hospital mein hain. Raat mein thik se soyi bhi nahi hongi. Aap ghar jakar thoda aaram kar lijiye. Main hoon yaha par.

Agar Abhishek ko raat mein hosh aa gaya to main aapko phone kar dunga. Agar aap aise jagengi, pareshan rahengi to aapki bhi tabiyat kharab ho jayegi. Meri baat maniye aur ghar jaiye. Main hoon yaha par.

Aanand ji- Nishchal thik kah raha hai Bhagyawan. Hame ghar chalkar thoda aram kar lena chahiye. Subah ham fir aa jayenge.

Kafi samjhane ke baad Sarita aur Raani ji ghar jane ke liye taiyar hui. Raghav unhe apne sath ghar le gaya. Nichchal ne Mohit ko bhi ghar bhej diya aur Jawed ko Hospital bula liya. Isi Tarah Raat beet gayi.

Subah ke lagbhag 5 baje ke kareeb Abhishek ko hosh aaya. Doctor ke check karne ke baad Nurse ne aakar Nishchal ko jagaya jo bahar lagi kursi par baitha ungh raha tha. Nishchal ne Jawed ko uthaya aur Abhishek ke paas chala gaya. Nishchal ne Abhishek ko dekhte huwe kaha.

Nishchal- Tum Thik to ho na Abhishek.

Abhishak- (chaukkar) Kaun Abhishek.

Nishchal- Jyada bano mat. Main tum hi se baat kar raha hoon. Tumhi Abhishek ho. Ab jyada natak mat karna mere samne tum.

Nishchal ki baat sunkar Abhishek samajh gaya ki ye log use pahchan gaye hain. Fir bhi usne ek do baar koshish ki is baat se inkaar karne ki, lekin aakhir mein usne haar mante huwe kaha.

Abhishek- (Shant hokar) haan main thik hoon, Aap DSP Nishchal Singh Rathod hain na. Lekin aap mera naam kaise jante hain. Ye naam to kisi ko nahi pata. Yaha tak ki mere giroh walo ko bhi nahi pata mera ye naam.

Nishchal- Ji haan. Main wahi hoon. Shayad tumhe pata nahi hai ki Ham police wale hain. Jab hamne tumhe dhoondh liya to Tumhara naam pata lagana kaun si badi baat hai.

Abhishek- Tum kya chahte ho mujhse.

Nishchal- Wahi. Jo har policewala ek apradhi ko pakadne ke baad chahta hai. Tumhe boss ka naam aur thikana.

Abhishek- Wo main tumhe kabhi nahi bataunga.

Nishchal- Wo to tumhe batana hi padega Abhishek. Sarita aur Manisha ko to jante hi hoge.

Nishchal ke munh se Apni bahno ka naam sunkar wo chauk gaya. Wo behosh hone se pahle Sarita ki aawaz nahi sun paya tha jab usne use bhaiya kaha tha, use laga ki shayad sarita ne use pahchana nahi tha. isliye use nahi pata tha ki Sarita ne use hospital me admit kiya hai.

Upar se Yahan par is samay mohit, vikas ya kaushal bhi nahi the jisase use shak ho ki unhone hi nishchal ko Sab kuchh bataya ho. Abhishek ko laga ki shayad Usake aur Sarita aur Manisha ke bare mein use Nishchal ko batana sahi nahi hoga isliye Abhishek ne apni ghabrahat chhupate huwe kaha.

Abhishek- Kaun Sarita. Main Kisi Sarita ko nahi janta.

Nishchal- Tab to tum Manisha ko bhi nahi jante hoge. Aanand ji aur Raani ji ko bhi nahi jante hoge. Kyon Sahi kaha na.

(Abhishek jab ghar se bhaga tha to Apne unhi kamine dosto ke kahne par jaunpur aa gaya tha. Yahi par uski mulakat Bachha Singh se hui thi. Jisne use apne yaha Kaam par rakh liya tha. Paise ki tangi ke karan use kaam ki jarurt thi aur us samay wo kuchh bigda hua bhi tha isliye usne bachha singh ke sath kaam karne se mana bhi nahi kiya.

Abhishek Padhai likhai mein jitna kamjor tha. ladai jhagda karne mein aur kisi ko chakma dene mein mahir tha. isliye kuchh din baad Bachha singh ne use Apne Saman ko lane aur le jane ki jimmedari use de di thi. Use driver bana diya tha truck ka.

Bachha Singh se milne ke baad Usne apni Pahchan chhupayi thi sath mein apna naam bhi badal liya tha. Usne isliye aisa kiya tha ki agar kismet kharab hui aur wo kisi ke hatthe chadh gaya to uski wajah se uske gharwalo par koi musibat na aaye. Itna kuchh soch liya tha abhishek ne apne gharwalon ke liye. Lekin ye nahi soch paya ki bachha singh ke sath kaam karke wo kis raste par ja raha hai.)

Nishchal ki baat ne Abhishek ke sir par jaise kisi ne bum phod diya tha. Wo jis ghadi ko sochkar ab tak dar raha tha, aaj wo ghadi uske samne aa gayi thi. Use samajh mein nahi aa raha tha ki Aakhir Nishchal ko Uske background ke bare mein pata kaise chala. Nishchal ki baat sunkar wo jaise blank ho gaya tha ki Uske maa baap aur bahno ke bare mein use jankari kaise mili.

Isne mujhe pahchana kaise. Asie bahut sare sawal se jo uske dimag mein ghoom rahe the. Lekin fir bhi usne apne dil ko majboot kiya aur Nishchal se kaha.

Abhishek- Mujhe nahi pata tum kiske baare mein baat kar rahe ho. Main aise kisi bhi naam ke insan ko nahi janta.

Nishchal- Tum kaise Insan ho. Tumhari bahan Sarita ne tumhe dhoondhne ke liye din raat ek kar diya. Tumhari yaad mein kitna roti hai wo. Tumhare jane ke baad wo kabhi khush nahi hui. Tum kah rahe ho tum use nahi jante.

Tumhare maan baap, jo aaj bhi isi aas main baithe hain ki unka beta ek din ghar lautkar wapas aayega, pal pal mar mar kar ji rahe hain wo tumhare liye aur tum kah rahe ho ki tum unhe nahi jante.

Tumhari bahan Manisha bhale hi wo upar se khus rahne ka dikhawa karti hai, lekin uska haal bhi Sarita ki tarah hi hai. Tumhe Andaza bhi hai tumne ghar se bhaag kar kya khoya hai. Tumne ghar se bhagkar apne maa baap aur bahan ko kitna dukh diya hai. Tum na bhaai kahlane layak ho aur na hi beta kahlane layak ho.

Nishchal ki baat sunkar Uska dil bhar aaya. Uska dil kah raha tha ki wo uske samne foot foot kar roye, lekin wo ye nahi kar pa raha tha. Usne apne aap par kabu kiya aur Nishchal se kaha.

Abhishek- Tum kaise jante ho mere ghar walo ko. Dekho tumhe jo bhi karna hai mere sath karo. Mere ghar walo ko bich mein mat lao. Unka isme koi kasoor nahi hai. Un sabko in sabse door rakho. Mujhe jitna pata hai main sab tumhe bataunga, lekin meri bahano aur mere mummy papa ko tum hath bhi mat lagana. Nahi to tumhare liye achha nahi hoga.

Nishchal- Bich mein to Sarita aa gayi hai Abhishek. Tumhare poore gharwale aa gaye hain wo dekho.

Nishchal ne itna kahkar darwaze ki taraf ishara kiya Abhishek na jab darwaze ki taraf dekha to waha par uske mummy papa Manisha aur Sarita khadi thi. Asal mein jab Nurse ne Nishchal ko bataya ki abhishek ko hosh aa gaya hai to Nishchal ne turant Sarita ko phone karke bata diya tha.

Apne mummy ko dekhkar abhishek ka wajud hi kanp gaya. Usne dekha ki rani ji ki aankhe ro ro kar lal ho chuki thi. Ankhon se aanshu bah rahe the. Ye sab dekhte hi Abhishek ke munh se nikal gaya.

Abhishak- Mummyyyyy.

Itna varsho baad Abhishek ke munh se Mummy sunkar Raani ji ki aankho se aanshu aur tezi se bahne lage. Ye aankhu Khushi ke aanshu the. Abhishek ki Munh se mummy sunkar Raani ji Daudkar Andar gayi aur Abhishek ke chahre ko apne dono hatho mein bhar liya aur uske poore chehre ko chumne lagi.

Raani Ji ne chum chum kar Abhishek ka poora chehra gila kar diya. Thodi bahut jo kasar bachi thi wo unki aankh se bahne wale aanshuo ne poori kar di thi. Apni Mummy ka Itna pyaar dekhkar Abhishek ki aankho mein bhi aanshu aa gaye. Uski bhi aankho se aanshu bahne lage. Isi pyaar aur dulaar se to wo apni galti aur jid ke chalte itne din door raha.

Abhishek ko chumne ke baad Raani ji uske sine se lagkar rone lagi. thodi der baad jab unke aanshu thame to Unhone Abhishek se kaha.

Raani ji- Kaha chala gaya tha tu. Itne din mein tumhe hamari tanik bhi yaad nahi aayi. Tumne kabhi ye bhi jan-ne ki koshish ki ki tere bin tere mummy papa aur bahno ka kya haal huwa hoga. Wo zinda bhi hain ya mar gaye. Ek baar jo tu ruth kar gaya to tune palat kar bhi nahi dekha wapas.

Abhishek- (Rote huwe) Mujhe maaf kar dijiye mummy. Us samay maine gusse mein aakar bahut hi galat kadam utha liya tha. Jiska mujhe baad mein bahut pachhtawa huwa. Lekin jab tak mujhe is baat ka ehsas hota tab tak bahut der ho chuki thi mummy.

Main chahkar bhi wapas nahi aa saka ghar. main majboor ho gaya tha mummy isliye ghar wapas nahi aa paya. Mujhe maaf kar do. Ab main aap ko chhodkar kahi nahi jaunga..

Raani Ji- Ab tu aa gaya hai to main tujhe kahi jane bhi nahi doongi. Tujhe hamesha apne paas rakhungi.

Aise hi abhishek aur rani ji ek dusre ke gale mile huwe, aanshu bahate huwe, ek dusre ke aanshu poochte huwe apne gile shikve kar rahe the. Kuchh der baad Aanand ji ne kaha.

Aanand Ji- Are bhagyawaan Hame bhi to apne bete se milne ka mauka do. Ham kab se line mein khade apni bari ki intezar kar rahe hain.

Raani ji- (halka sa muskurate huwe) Maine kab mana kiya hai aapko milne ke liye.

Aanand ji- Kaise ho beta Abhishek. Tumhe meri ek chhoti si baat itni buri lag gayi ki tum apna ghar hi chhod kar chale gaye. Main tumhe maarta tha, dat-ta tha to wo tumhare bhale ke liye karta tha beta. Lekin tumne to mujhe apna dushman samajh liya aur ghar chhodkar chala gaya.

Tujhe nahi pata ki main tere ghar se chale jane ke pichhe khud ko doshi samajhta tha. Tumhe ek baar bhi apne buddhe baap ki yaad nahi aayi. Tumne hamara bahut dil dukhaya hai Abhishek. Main tumhe iske liye maaf nahi karunga.

Aanand ji ki baat sunkar Abhishek ne unke samne apna hath jodna chaha lekin uska hath upar nahi uth paya. Aanand ji ne uska hath apne hath mein lie liya . Abhishekne apne papa ka hath apne sir par lagakar rote huwe kaha.

Abhishek- Ho sake to aap apne is nalayak bete ko maaf kar dijiye. Main jab ghar chhodkar aaya tha tab aapse gussa tha, lekin jab mujhe ye samajh mein aaya ki aapne hamesha mera bhala chaha tha aur mujhe mar dant jo padti thi wo meri bhalayi ke liye padti thi. tab mujhe apni galti ka ehsah huwa.

Us samay main bahut pachhtaya tha. Main ghar wapas aana chahta tha, lekin main itna door nikal gaya tha aap logo se ki mere wapas aane ke sare raste band ho chuke the. Ho sake to mujhe maaf kar dena.

Maine aapki baat ki wajah se ghar nahi chhoda. Sarita ne jab mujhe galat thahra diya. to uski wo baat mere dil par lag gayi. Jiske liye main ghar chaodkar chala gaya, lekin jab mujhe ehsas huwa ki Sarita ne kuchh galat nahi kaha tha.

Usne jo bhi baat us samay kahi thi wo mere hi bhale ke liye thi. Par main hi nadaan tha jo uski baat ko na samajh saka, Lekin jab tak mujhe is baat ka ehsas huwa tab tak bahut der ho chuki thi.

Main aap sabka gunahgaar hoon. Sabse jyada main Sarita ka gunahgaar hoon. Mujhe maaf kar dijiye papa. Mujhe mAaf kar dijiye.

Itna kahkar wo jor jor se rone laga. Sarita abhi tak andar nahi aayi thi. Usne Abhishek ko goli mari thi, Isliye wo abhishek ka samna karne mein katra rahi thi. Wo darwaze ke paas khadi bas abhishek ko hi dekh rahi thi.

jab use pata chala ki Uski baat ko dil par lagakar Abhishek ne ghar chhoda tha. Wo wo wahi darwaze ke paas khadi hui phoot phoot kar rone lagi. Jab Sarita ke jor jor se rone ki aawaz kamre ke andar ke logo ne suni to unhone darwaze ki taraf dekha.

Abhishek ki najar Jab Sarita par padi to wo use Ummeed bhari najro se dekhne laga. Raani ji ne Sarita se kaha.

Raani- Are Sarita beti. Tu waha par kyon khadi hai aur tu ro kyon rahi hai. Dekh tere bhaai ko hosh aa gaya hai. Aakar mil usase.

Abhishek ne bhi Sarita ki taraf dabdabayi aankho se dekhne laga. Aaj kitne din baad wo Sarita ko apne Samne dekh raha tha. Goli lagne wale wakye ko chhodkar.

(Jab Abhishek ne Ghar chhoda Us baat ko 8 sal se jyada ka samay bit chuka tha. In 8 salo mein Sarita ke roop rang, Sharirik banawat mein bahut Fark aa gaya tha. Kuchh aisa hi fark abhishek mein bhi aaya tha.)

Sarita ko dekhte hi uski aankho se aanshu bahna aur tez ho gaya. Abhishek ne Sarita ko Aawaz lagate huwe kaha.

Abhishek- Sarita. Meri bahan.

Abhishek ke munh se itna sun-na tha ki Sarita rote huwe daud kar andar gayi aur Abhishek ke sine se lipatkar jor jor se rone lagi. Rote huwe Sarita ne Abhishek se kaha.

Sarita- Mujhe maaf kar dijiye bhaiyaa. Maine aap par goli chalayi. Mujhse galti ho gayi bhaiya. Jis-se main itna pyaar karti hoon. Usi ko maine goli mar di. Mujhe maaf kar do bhaiya. Maine jaan bujhkar aisa nahi kiya.

Abhishek- Ro mat Sarita. Tumne kuchh galat nahi kiya bahan. Main jis raah par chal raha tha, us raah par chalkar mujhe ek din goli to milni hi thi. Mujhe Khushi hai ki wo goli kisi aur ne nahi meri bahan ne chalayi.

Tujhe Police ke roop mein dekhkar mera man prafullit ho gaya Sarita. Main bahut badnaseeb bhaai hoon. Jisne ek chhoti si baat par itna pyaar karne wali bahano ko chhodkar chala gaya. Aap sab mujhe maaf kar dijiye. Khaaskar tum dono mujhe maaf kar dena.

Sarita- Main aapko maaf nahi karungi bhaiya itni jaldi. Pahle aap thik ho jaiye. Fir aapse gin gin kar badla loongi jo aapne mujhe itna rulaya hai.

Manisha bhi ab tak jakar Abhishek ke gale lag gayi thi. Usne bhi rote huwe Abhishek se kaha.

Manisha- Aap bahut bure ho bhaiya. Aapko hamari tanik bhi yaad nahi aayi. Didiya ki baat ko itna dil par lag aliya ki ghar hi chhodkar chale gaye aap. Aapko pata hai ki aapke jane ke baad hame kitna kuchh sahna pada, kitna kuchh bhala bura sun-na pada logo ke munh se. Aap bahut kharab ho bhaiya. Aapne hamko bahut rulaya hai.

Abhishek- Mujhe us baat ka bahut pachhtawa hai Manisha, Lekin ab main tum logo ko kabhi chhodkar nahi jaunga. Saza katne ke baad main hamesha hamesha ke liye tum dono ke sath rahunga. Apne mummy papa ke sath rahunga.

Raani jii- Saza Kis baat ki Saza. Main tumhe koi Saza nahi dungi Abhishek. Tu bas jaldi se thik ho ja.

Abhishek- main aap sabka gunahgar hoon. Aapka Aur kanoon ka bhi. Isliye Saza to mujhe milegi hi. Aap nahi denge to kya huwa mummy. Kanoon to mujhe saZa dega hi.

Raani jii- Koi Saza nahi dega tujhe. Main tujhe kahi jane nahi doongi. Sarita dekh na ye kya bol raha hai.

Sarita- Bhaaiyaa. Abhi aap is baare mein mat sochiye. Abhi aap aaram kijiye. Is baare mein ham baad mein baat karenge. Jab aap thik ho jayenge.

Raani ji- Lekin Abhishek kis saza ki baat kar raha hai. Nishchal beta. Tum kuchh bolo. Kya Abhishek ko tum log Saza dilaoge.

Nishchal- Aunty ji. Dekhiye. Ham aapki bhavnao ko samajhte hain, lekin abhishek bhi jo kah raha hai wo sach hai. lekin hame abhi uske bare mein nahi sochna chahiye. Pahle abhishek thik ho jaye. Fir iske bare mein bat karnege.

Abhi ye sab baat kar rahe the ki doctor ne kamre mein pravesh kiya aur bola.

Doctor- Chaliye ab aap log bahar jaiye. Mareez ko aaram ki jaroorat hai. aap log baad mein aa jaiyega.

Doctor ke kahne ke baad Sabhi Abhishek ke kamre se bahar chale gaye. Doctor ne Abhishek ko ek injection laga diya, jiske baad Abhishek neend ki wadiyon mein kho gaya. Udhar Us hamle mein ghayal Doosre gundo aur Hawaldar ka bhi treatment doosre hospital mein chal raha tha.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
बाँसठवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Top