• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
UPDATE- 58


Raat ko Nishchal diner ke samay se ghar aa gaya. Sabhi log baith kar dinner karne lage. Nishchal aur Sarita aamne samne ki kursi par baithe huwe the. Sarita to apne khane mein vyast thi. Usne ek bhi shabd Nishchal se nahi bola tha, lekin nishchal khane ke sath sath Sarita ko bhi dekh raha tha.


Udhar Raghav bhi khan eke sath bich bich mein Manisha ko dekh leta tha. Savi khana khate huwe Nishchal ko hi dekh rahi thi ki uski najrein kaha par hain to usne Nishchal se kaha.


Savi- Kya huwa nishu. Khana achha nahi bana kya jo tu thik se khana nahi kha rah hai.

Nishchal- (hadbadakar) haan di. nahi di.. woo haan kuchh kaha aapne kya.

Savi- (Muskurate huwe) di ke bachhe. Chupchap khana kha.

Nishchal- (Sir niche kar ke) Haan di kha to raha hoon.


Uske baad sabhi ne chupchap apna khana finish kiya Khana khane ke baad Sabhi sone chale gaye. Nishchal Sone se pahle Sarita ko dekhna chahta tha lekin usko dar tha ki agar wo Sarita ke kamre mein gaya to usase bahana kya banayega. Isliye usne Sarita ke paas jane ka vichar tyag diya aur so gaya.


Agle din Sarita uthkar jaldi se taiyar hokar samay se PS chali gayi. Sarita ko PS mein dekhkar Sabhi bahut khush huwe. Sarita ka PS mein jordar swagat kiya gaya. Sarita apne cabin mein chali gayi to kuchh der baad Rawat Sir uske cabin mein aaye. Jinhe Dekhte hi Sarita uthkar khadi ho gayi aur boli.


Sarita- Are Sir aap yaha. Mujeh bula liya hota to main aa jati.

Rawat Sir- Koi baat nahi beti. Ab tumhari tabiyat kaisi hai. Better feel kar rahi ho na.

Sarita- Haan Sir. Bas thodi si dikkat hai, baki sab thik hai.

Rawat Sir- Agar tumhe dikkat lag rahi hai to kuchh din aur aaram kar lo.

Sarita- Nahi Sir. Bahut aaram kar liya hai. Ab kam karne ka samay hai.

Rawat Sir- I am proud of You beti. Mujhe tumhara yahi dedication bahut pasand hai kaam ko lekar. Thik hai tum apna kaam karo. Main chalta hoon.


Itna kahkar Rawat Sir uske cabin se bahar nikal gaye. Unke jane ke baad Mohit, Jawed, Janhavi, Kaushal, vikas, amit aur Ranjana uske cabin mein aaye. Sarita ne unhe dekh kar kaha.


Sarita- Are waah. Aaj meri poori paltan ek sath kaise.

Janhavi- Aapko dobara PS mein dekhkar bahut achha lag raha hai madam.

Mohit- haan madam. Aapki jo condition thi us hisab to aap bahut jaldi recover ho gai madam, hame to ummeed nahi thi ki aap itni jaldi PS Join karne wali hain.

Sarita- Thik kyon nahi hoti. Jab mere itne Achhe shubhchintak hain to mujhe kya ho sakta hai bhala.

Jawed- Hamko bahut Khushi ho rahi hai aapko yaha dekhkar. Ho sake to aap kuchh din PS mein hi baithkar kaam kijiye. Field ka ham sambhal lenge madam.

Sarita- Shayad aap sahi kah rahe hain Jawed ji. Main PS mein hi kuchh din rahna chahti hoon. Baki aap aur mohit ji bahar ka dekh lijiyega aur mujhe bhi uski jankari dete jaiyega.

Mohit- Ji madam. Aap bilkul bhi fikar mat kijiye. Ham manage kar lenge.

Sarita- Thik hai ab aap log jaiye. Main bhi thoda kam kar leti hoon.


Uske baad Sarita apne kam mein busy ho gayi. Sarita ko abhi bi thodi bahut kamjori thi to wo sham ko jaldi hi ghar ke liye nikal jati hai.


Isi tarah do din bit gaye. In do dino mein Raghav aur Manisha ki nok jhonk barabar jari rahi. Nishchal bhi Sarita se baat karne ki koshish karta tha, to sarita haan huun mein jawab de deti thi.


Do din baad Manisha chali gayi. usko chhodne Raghav khud station gaya tha. Station par Manisha ko drop karne ke baad Raghav ne kaha.


Raghav- Ab kab aaogi tum.

Manisha- Kyon. Aapko kya padi hai mere aane ki. Aapko to mujhe satane mein jyada maza aata hai na.

Raghav- Nahi to. Maine kab sataya tumhe.

Manisha- To aap kahna kya chahte hain ki main jhooth bol rahi hoon.

Raghav- Maine aisa kab kaha tumse.

Manisha- Jab aapko kuchh pata hi nahi hai to baat hi kyon kar rahe hain mujhse.

Raghav- Are yaar tum fir se naraz ho gayi. Achha main maan leta hoon ki tum sahi kah rahi ho. main tumse mafi mangta hoon. Ab main tumhe pareshan nahi karunga

Manisha- Sahi kah rahe ho na.

Raghav- Haan main ab tumhar pareshan nahi karunga. Balki chhedunga.


Manisha uski baat sunkar use marne ke liye aage badhi, to Raghav ne uska hanth pakad liya aur wo bhi do kadam Raghav ke aur kareeb ho gaya. Ab Raghav ki sanse Manisha ke chehre par mahsoos ho rahi thi. Dono ek doosre ki aankho mein dekhne lage.


Thodi der aise hi khade rahne ke baad gadi ke horn se dono ki tandra tooti to Raghav ne Manisha ka hanth chhod diya. Manisha bina kuchh bole jakar gadi mein baith gayi.


Kuchh der baad gadi Allahabad ke liye rawana ho gayi. Raghav tab tak waha khada raha jab tak gadi uski aankho se ojhal nahi ho gayi.


Udhar Sarita taiyar hokar PS chali gayi thi. wo apne cabin mein baithi hui thi ki tabhi Uska phone bajne laga. Sarita ne dekha ki kisii unknow number se phone kiya gaya hai. Sarita ko thoda bahut andaza ho gaya ki shayad ye Raghu ho sakta hai. Sarita ne phone uthaya aur kaha.


Sarita- Hello.

Raghu- Sarita ji. Kaisi hain aap.

Sarita- Ji aap kaun.

Raghu- Are itni jaldi bhool gayi aap. Main wahi hoon aapka dost guldaste wala.

Sarita- Achha aap hain. Aaj fir new no. se aapne phone kiya hai.

Raghu- Haan mere wo dono number Verification ke karan band ho gaye hain. Isliye new number lena pada. Ye sab chhodiye ye bataiye ki aap kaisi hain.

Sarita- Main Achhi hoon, aap kaise hain.

Raghu- ham bhi thik hain. Ham aapse naraz hain aur apse ek shikayat bhi hai.

Sarita- Are maine kya kiya hai jo aapko mujhse narazgi aur shikayat hai.

Raghu- Aap Allahabad se jaunpur aa gayi hain aur aapne mujhe bataya bhi nahi.

Sarita- Ab isme bhi galti aapki hi hai. Aapka koi number hi exist nahi kar raha tha to aapko kaise batata main.

Raghu- Haan ye baat bhi sahi hai aapki. Achha ye bataiye aapne apni duty join kar li hai ya nahi.

Sarita- Haan tin din ho gaya hai join kiye huwe. Lekin Abhi main PS ka kam kar rahi hoon. Field par abhi nahi jati.

Raghu- Achha. Aap jaldi se thik ho jaiye aur field ka kam bhi sambhal lijiye. Aap jaise bahadur officers ki field mein bahut jaroorat hain.

Sarita- Abhi kuchh din tak to PS ka kaam hi karungi. Uske baad field ka kam dekhungi.

Raghu- To ab aap hamare Shahar mein hain to hame aap mejbani ka mauka kab de rahi hain. Kab mulakat kar rahi hain hamse aap.

Sarita- Abhi thodi vyast-ta hai. Kuchh din baad aapse milti hoon.

Raghu- Thik hai Sarita ji. Ab main phone rakhta hoon. Kuchh kaam hai mujhe. Aap apna dhyan rakhiyega.


Itna kahkar Raghu ne phone rakh diya aur ek kamini muskan muskurane laga. Idhar Sarita ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Raghu se baat karne ke baad Sarita PS ka kaam karne lagi.



******

Raghu Heera ko lekar bahut pareshan tha. Uski sari koshish nakam ho chuki thi Heera ko chhudane ki. Lekin abhi tak ganimat ye thi ki Heera ne itni torchor ke baad bhi Jawed aur Mohit ke samne kisi ka naam nahi ugla tha.


Boss aur Sarkar bhi apni taraf se poori koshish kar chuke the, lekin Court ka Aadesh hone ke karan wo bhi kuchh nahi kar paa rahe the. Abhi Raghu ne Apne doosre chamcho ke sath baithe huwe hi Sarita se baat ki thi.


Sarita se baat karne ke baad Raghu ne jab phone rakha to Uske sath baithe doosre gunde ne kaha.


G- Kya baat hai bhaai. Kisase baat kar rahe the.

Raghu- Kuchh nahi be. Tumhari Bhabhi thi phone par.

G- Bhabhi. Are waah bhaai. Kya kaha Bhabhi ne.

Raghu- Wo sab tu chhod. Abhi bahut achha mauka hai maal ki delevary karne ka. Tum log aisa karo. Jo consignment mila tha Use customer tak pahucha do.

G- Lekin Bhaai wo policewali hai na. Uske rahte ye sab kaise hoga. Agar use bhanak bhi lag gayi to sara maal pakda jayega. Upar Se Bachha bhaai ne bhi mana kiya hai abhi kuchh bhi bada khatra mol lene se.

Raghu- Abhi Wo kuchh din kuchh nahi karegi. Wo abhi field ke kaam se bahar hai. To jab tak wo field ke kaam par wapas nahi aa jati tab tak ham apna kaam aasani se kar sakte hain.

G- Thik hai bhaai ji. Jaisa aap kah rahe hain waisa hi karenge. Lekin Delevary ke samay aap bhi rahiyega waha par.

Raghu- Thik hai main bhi rahunga sath mein. Chalo ab kal ke kal maal delever karne ki taiyari karo.

G- Thik hai bhai.


Uske baad sab apne apne ghar ke liye chale jate hain.



*****

Sarita ne Sara din PS mein baith kar kaam kiya aur Sham ho Samay se ghar wapas aa gayi. Savi bhi kaam ki wajah se bahar gayi hui thi. jo abhi tak wapas nahi lauti thi. Raghav bhi Savita ke sath hi gaya huwa tha.

Sarita ne fresh hokar apne liye chaai banayi aur balcony mein jakar chaai ki chuskiya lene lagi. Tabhi Sarita ke mobile par Manisha ka phone aa gaya. Dono bahno nein kuchh der baat ki. Fir Sarita apne kamre mein aa gayi.


Raat ko khane ke samay par Nishchal bhi ghar aa gaya. Savita ne phone karke Sarita ko bata diya tha ki wo Agle din subah tak aayegi. Nishchal aur Sarita baithkar khana khane lage to Nishchal ne baat chedi.


Nishchal- Aaj ka din kaisa raha tumhara.

Sarita- Achha tha.

Nishchal- Achha ye batao. Aajkar tumahre chahne wale ki kya khabar hai.

Sarita- (Chaunk kar) Ye kya kah rahe hain aap. Mera kaun chahne wala.

Nischal- Are wahi jo tumhe guldaste bheja karta tha. Aajkal uske guldaste nahi aa rahe hain.

Sarita- Kyon Aapko usase kyaa matlab. Jalan ho rahi hai kya aapko.

Nishchal- Bhala mujhe kis baat ki jalan. Chahne wala tumhara hai to mujhko kyon jalan hogii.

Sarita- (chidhate huwe) Haan to kya huwa mera chahne wala hai to meri baat manega hi. Maine use mana kiya tha ki mujhe guldaste na bheje.

Nishchal- Kya baat hai. Bahut baat manta hai tumhari wo. Kabhi mujhe bhi milwao usase.

Sarita- Kyon aapko kyon milna hai usase. Taki aap bhi use Anant ji ki tarah gunda mawali sabit kar dein.

Nishchal- Ab isme bich mein Anant kaha se aa gaya. Naam bhi mat lena uska mere samne.

Sarita- Kyon. Kyon na naam lu unka main.

Nishchal- Kyonki mujhe pasand nahi hai ki koi Us gunde mawali ka naam bhi le mere ghar mein.

Sarita- Jo jaisa hota hai use sab waise hi najar aate hain.

Nishchal- Tum kahna kya chahti ho ki main gunda hoon.

Sarita- Aur nahi to kya. Agar Anant ji aapko gunda lagte hain to aap bhi kisi gunde se kam nahi hain. Aap bhi to logo ko marte firte hain.

Nischchal- (gusse se) Sarita. Tum meri tulna ek gunde mawali se kar rahi ho. main gunahgaro ko marta hoon. Unko saza deta hoon. Nirdosh ko maine kabhi hath tak nahi lagaya.

Sarita- To Anant ji ne bhi Gunahgar ko hi mara hai. Unhone usko mara hai jisne unke papa ke upar hanth uthaya. Lekin aap to apne aapko bahut bada top samajhte hain. Kisi ki baat man-ni nahi aapko. Ek baar aapne Anant ji ke bare mein apni galat soch bana li hai to Aapko wo galat hi lagenge.

Nishchal- (gusse mein) Dekho Sarita. Main is samay ladai karne ke mood mein bilkul bhi nahi hoon. Isliye is baat ko karne se koi matlab nahi hai.

Sarita- Mujhe bhi koi shauk nahi hai aapse ladai karne ka, lekin baat aapne hi shuru ki hai. Aap bina kisi se mile, bina usase baat kiye, bina uske baare mein jane. Uska character certificate kaise de sakte hain. Aap kaise uske charitra par ungli utha sakte hain ki wo gunda hai.

Nishchal- Bas Sarita. Ab ek lafz bhi mat bolna. Nahi to mujhse bura koi nahi hoga.

Sarita- (gusse se) Waise bhi Aapse bura koi hai bhi nahi. Jo insan apni bahan ki khushiyo ka dushman hai. Usase bura koi ho hi nahi sakta.

Nishchal- (gusse se) Sarita. Bas bahut huwa. Main kab se tumhari bak bak sun raha hoon to iska matlab ye nahi hai ki tum kuchh bhi bolti jaogi aur main chupchap suntaa rahunga. Chup ho jao. Warna.

Sarita- Warna kya. Nahi chup hoti main. Kya kar loge aap. Maroge mujhe. Jaise auro ko marte ho. maro. Maro na. main aapse darti nahi hoon Mr. Nishchal Singh Rathod.


Nishchal ko bahut gussa aa raha tha Sarita ki baato ko sunkar. Nishchal ne aage badhkar Sarita ki banh pakad li aur use kursi par hi dabakar bola.


Nishchal- main ladkiyo par hath nahi uthata isliye tumhari bak bak sun raha hoon. Tum kya samajhti ho ki main apni bahan ka dushman hoon. Main nahi chahta ki meri di hamesha khus rahe. Meri di meri jaan hai. Unke liye main kuchh bhi kar sakta hoon.

Lekin tum nahi samjhogi mere pyaar ko, meri phikar ko di ko lekar. Main unke future ko lekar koi aisa faisala nahi lena chahta. Jiske liye mujhe poori jindagi pachhtana pade.


Nishchal ne bahut kaskar Sarita ki banh pakadi thi. Jiske karan usko bahut dard ho raha tha. Sarita ki aankho mein aanshu aa gaye. Sarita ne apni aanshu bhari aankho se Nishchal ko dekhte huwe kaha.


Sarita- Agar aap sach mein chahte hain ki di hamesha khush rahe. Agar aapko sach mein di ki fikar hai. Unke bhavishya ki chinta hai to ek baar di ki baat mankar Anant Ji se mil lijiye. Jis din aap Anant ji se mil liye us din aapki sari galat fahmi door ho jayegi jo aapne unko lekar apne man mein pal rakhi hai.

Kahi aisa na ho ki jab aapko is baat ka ehsas ho ki aapse galti hui hai. Tab tak bahut der ho jaye aur aapko pachhtane ke siway kuchh bhi na mile. Us din aap rowoge. Chillaoge, lekin aapka ye gunah nahi dhulega jo aap di ke sath kar rahe hain.


Sarita ki baat aur Uske aanshuwo ne Nishchal ka sara gussa kafoor kar diya tha. Uski pakad apne aap uski banh se dhili ho gayi. Sarita ki aankhon mein Aanshu dekhkar Nishchal ke man mein tees uthi. Use bilkul bhi achha nahi lag raha tha ki usne Sarita ko heart kiya,


lekin is samay Sthiti aisi ho gayi thi ki wo maffi bhi nahi mang sakta tha, isliye usne Sarita ki banh chhodi aur bina kuchh bole Apne kamre mein chala gaya.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
कहानी का अट्ठावनवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
  • Like
Reactions: Jaguaar and Luffy

Mbindas

Active Member
1,928
4,105
158
Superb update :thumbup:
Ye Anant ne to bhawal karke rakh diya hai. Kahi ye Anant hi nishchal ke first side love ka ant na ban jaye :D
 

HPR 2020

Member
174
753
93
Bohot hi behtareen update mam
Manisha & Raghav ki chemistry to jam rahi hai sahi se Sarita aur Nischal ka Mellodrama bhi chalta rahega lagta hai
Dekhte hain ab sarita Or anant ki love story ka kya hota hai...
But again abhishek babu ka bhi kuch btaiye?...?
Dhanyavaad
Aapke agle update ka intezaar rahega
 
Top