• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
Awesome story
And awesome updates
Maine ye story abhi kuch din pahle hi suru ki hai aur jald hi Sare update abhi tak ke padh liye.
Bohot hi behtreen kahani hai ye but Mahi mam aapse bas ek shikwa hai ki kahani to aapne aage bdha di sabhi patron ke sath lekin kahani ki suruwaat jis kirdaar arthaat Abhishek se hui thi usko hi gayab kar diya. Aur to aur us bechare ka jikra kewal suruwaat ke updates ke baad sidha sarita ke birthday wale update mein hi hua. Aap sab ki khabar dete hain bas abhishek hi ki nahi kripya karke uska bhi zikra kijiye kahani mein.
Maante hain ki aap suspence create karna chahti hain abhishek ko leke isliye kripa karke agle 10 update mein se kisi ek mein uska bhi vistrit varnan kijiyega. Dhanyavaad.
Aapka Fan
Aapka Shubhchintak
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय।।
आपका शिकवा बहुत जल्द दूर होने वाला है। बधुत जल्द सरिता अपने भाई अभिषेक से मिलने वाली है। आपने 10 अपडेट बताए हैं। हम उससे पहले की अभिषेक और सरिता का मिलन करवा देंगे।
बस ऐसे ही हमारे फैन और शुभचिंतक बने रहिए।।😄😀

साथ बने रहिए।।
 
  • Love
Reactions: Silent_killer

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
Jabardast Updatee

Toh aakhir kar Nischal ne Heera ko pakad liya. Par Heera kuch jyaada hi wafadaar hai Raghu ka. Itna maar khaane ke baad bhi apna muh nhi khola. Dekhte hai kab tak muh band rakh sakta hai woh.

Idher Raghu har roj guldasta aur note rakh kar chala jaata hai aur maze ki baat hai ki ab Sarita ko uss aadmi pe interest aaraha hai. Par gazab ki baat hai har roj koi guldasta rakh kar chala jaata hai woh bhi doctor ke bhess mein par kisi ne nhi dekha aur naahi koi sandheh horaha hai. Yeh baat thodi ajeeb lagi.

Dekhte hai aage kyaa hota hai.
धन्यवाद आपका महोदय
हीरा भी अपना मुंह खोलेगा। पुलिस के पास बहुत से तरीके होते हैं मुंह खुलवाने के लिए।।।

वो रघु है महोदय। दिमाग का बहुत शातिर है वो। इसीलिए आज तक उसे कोई देखा ही नहीं है।
अब जब इंसान इतना शातिर हो तो उसके लिए सरिता से मिलना और गुलदस्ता रखना कोई बड़ी बात नहीं है। साम दाम दंड भेद इन सबमे रघु माहिर है जो आपको बहुत जल्द पता चल जाएगा।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Naik and Jaguaar

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
Me to bolta hu ki in dono ke pas apni-apni revolver to hai hi to kyu na ye dono ek dusre ko goli markar ye kissa hi khatam kar de or fir bad me lead role me Manisha aur raghav ko lakar is story ko aage badhaya jaye :D

Par kuch bhi kaho update bilkul dhasu aa rahe hai :thumbup:
धन्यवाद आपका महोदय।😃😀😂
काहे लिए कहानी खत्म करवाने के चक्कर मे पड़े हुए हैं आप। राघव और मनीषा का रोमांस तो इसके बिना ही शुरू होने वाला है अगले भाग से।

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
दोनों तो अभी से ऐसे मिया बीबी की तरह लड़ते हैं जिनकी शादी को कई साल हो गए हो। बात प्यार से शुरू होती है और झगड़े पर खतम।😂😂😂
धन्यवाद आपका महोदय।
स्थिति और परिस्थिति चाहे जैसी भी हो, दोनों अपने अपने स्वभाव से कोई समझौता करने वाले नहीं हैं।।😀😂

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Chinturocky

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
UPDATE- 53

Udhar Jab Manisha munh fulaye Sarita ke kamre se bahar nikli to Uske pichhe pichee use aawaz dekte huwe Raghv bhi bahar nikla. Manisha Raghav ki baat nahi sunti aur Hospital se bahar chali jati hai. Raghav Daudkar Uska hanth pakad leta hai to Manisha kahti hai.

Manisha- Hath chhodiye mera.

Raghav- ye to galat baat hai Manisha. Tum Mazak karo to Mazak, tum pareshan karo to tumhara sab chalta hai aur yahi maine kiya to tum gussa ho gayii.

Manisha- Didiya ke samne tumhe nahi karna chahiye tha ye sab. Didiya ke samne to kaise dant chamka chamka kar meri shikayat kar rahe the. Maza aa raha tha na mujhe pareshan karne mein aapko.

Raghav- Maaf kar do yaar, Mujhe pata nahi tha ki tum is baat ko itni seriously le logi. Nahi to main nahi karta.

Manisha- Thik hai pahle mera hath chhodo. uske baad kaan pakadkar do baar maafi aur mango.

Raghav- Ye to galat hai. Pareshan to tum bhi mujhe karti ho, lekin maine to tumhe kabhi nahi kaha mafi mangne ke liye. Ab main mafi mang raha hoon to tumhari demand badhti ja rahi hai.

Manisha- Agar maffi chahiye to ye karna padega.

Raghav- Thik hai mujhe bhi mauka milega fir bataunga tumhe main. Sorry, sorry, sorry, sorry,

Raghav ne mansiha ka hanth chhod kar apne dono hatho se apne kan pakadkar Manisha se mafi mangi Ye dekhkar Manisha hanste huwe boli.

Manisha- Are baas karo ab. Maine tumhe maaf kar diya. aur ek baat bataun main kabhi kisi baat ko seriously nahi leti. Ye sab maine aapko pareshan karne ke liye kiya tha. Hahahahaha

Manisha hanste huwe wapas Hospital mein chali gayi aur Raghav use jate huwe dekhta raha. Raghav ke chehre par Manisha ke is bartav par muskan aa gayi. Thodi der baad Doctor chackup ke liye aata hai aur Sarita ki janch karta hai. Janch karne ke baad Doctor Nishchal se kahta hai.

Docotr- Sir. Ab ye bilkul thik hain. Aap kal inhe ghar le ja sakte hain, lekin kuchh jaroori procisure hain jo aapko roj follow karne padenge.

Sabhi ye sunkar bahut khush huwe. Sabse jyada Khush to Manisha hui. Sarita ne doctor se kaha.

Sarita- bahut bahut dhanyawaad apka doctor. Ab mujhe kam se kam us sade khane se to chhutkara mil jayega. Poore munh ka jayka kharab ho gaya hai in dino.

Doctor- Ji bilkul nahi. Abhi aapko kam se kam 10 din tak sada khana hi khana padega.

Sarita- Ohhh nooo.

Sabhi ek sath- Ohhh Yessssss.

Doctor- main aapko ghar jane ki permission de raha hoonn miss, lekin aapko apna poora dhyan rakhna padega. Kyonki aapka right sida abhi thik se kaam nahi kkar raha hai to right side par jyada jor mat dijiyega. Nahi to aapko aur jyada takleef ho jayegi. Khane pine par vishesh dyan rakhiyega. Prakritik hawa Use kariyega. Baki aur baatein aapko sister samjha degi.

Sarita- Ookkk Doctor .Thank You so much.

Iske baad kuchh khas nahi huwa. Ye din isi tarah gujar gaya. Agle din Sarita ko liwakar sabhi ghar aa gaye. Khana khakar Aaram karne ke baad Raani ji ne Savita se kaha.

Rani ji- Beta. Is dino mein tumne, Raghav ne aur Nishchal ne ham logo ka bahut khyal rakha hai. Ab Ham log Sarita ko lekar Allahabad jana chahte hain. Isliye hame ab jane ki izazat do. Jaise hi Sarita bilkul thik ho jayegi wo wapas aa jayegi.

Ye sunkar Sahi Savita ka Chehra utar gaya. Us samay Nishchal aur Raghav Ghar par nahi the. Savita ne Raani ji se kaha.

Savi- Aunty ji. Kya Sarita ka jana jaroori hai. Kya Sarita yaha Achhe se nahi rah payegi. Kya ye Sarita ka ghar nahi hai. Kya ham Sarita ke kuchh nahi hain.

Rani ji- Aisi baat nahi hai bitiya. Mera kahne ka wo matlab nahi tha. Tum Khud hi is hafte kitni busy thi. apna kam bhi thik se nahi kar paayi. Tum ham logo ki aur Sarita ki seva mein lagi rahi. Ab hamm tumhe aur pareshan nahi karna chahte hain.

Savi- Ye aap kaisi baat kar rahi hain. Isme pareshani wali kya baat hai.

Rani ji- plz Savi. Maan jao na. Jab se Sarita yaha aayi hai tab se ek baar bhi ghar nahi gai hai. Kam se kam isi bahane ham log bhi kuchh din Sarita ke sath samay gujar lenge. Mana mat karna bitiya.

Savi- Aap Aisa kyon kah rahi hain Aunty. Sarita aapki beti hain. Uspar Mujhse kahi jyada hak aapka hai. Aap Uske apne sath le ja sakti hain, lekin aaj nahi. Aaj aap sab log yahi ruk jaiye. Kal nikal jaiyega aap sab.

Rani ji- (Khushi se) Jaisa tum kaho Savita.

Fir dono muskurate huwe gale lagi. Isi tarah din gujar gaya. Raat ko jab Nishcahl ghar aaya to Savita ne kaha.

Savi- Nishu. Kal subah Aunty Uncle aur Manisha ja rahe hain. Unke sath Sarita bhi ja rahi hai.

Nishchal- (chaukte huwe) Kya. Wo kyon ja rahi hai. Aise kaise ja sakti hai wo.

Savi- Kyon nahi ja sakti wo. Wo apne ghar jaye to isme burai kya hai.

Nishchal ko ab ehsas huwa ki wo kya bol gaya hai. Usne apni bat ko chhupate huwe kaha.

Nishchal- Di mera matlab wo nahi tha. Main to ye kahna chahta tha ki Uski dekhbhal to yaa bhi ho sakti hai. Fir use Ghar jane ki kya jaroorat hai.

Savi- Tum sahi kah rahe ho Nishu, Lekin Aunty aur Uncle use le jana chahte hain to main rok nahi sakti unhe. Aakhir wo unki beti hai.

Nishchal- Haan di. Shayad aap sahi kah rahi hain. Thik hai main kapde badal kar aata hoon.

Nishchal Savita se bahana banakar apne kamre mein chala gaya. Use bilkul bhi achha nahi lag raha tha ki Sarita usase door ja rahi hai. Uska chehra utar gaya tha.

Apne kamre mein jakar kuchh der baithe rahne ke baad Nishchal Sarita ke kamre mein chala gaya. Sarita ke sath Manisha bhi doosri charpai par leti hui thi, takii Sarita ko agar raat mein kisi cheez ki jaroorat pade to use koi pareshani na ho.

Nishchal ne halka sa dhakka diya to darwaza khul gaya. Sarita to dawai ke asar se bilkul bekhabar hokar so rahi thi, lekin darwaza khulne ki aahat sunkar Manisha ki neend khul gayi. Usne darwaze ke taraf deha to Darwaze par Nishchal khada tha.

Kamre mein halki Roshni thi to Dono ek doosre ko saaf dekh sakte the. Nishchal aur Manisha ki nigahein ek doosre se mili to Manisha doosri taraf karwat lekar late gayi. Manisha ke aisa karne se Nishchal ke chehre par muskan aa gayi.

Nishchal chalte huwe Sarita ke bed ke paas pahuch gaya. Nishchal bed ke paas khada hokar Sarita ko niharne laga. Kuchh der Sarita ko niharne ke baad Nishchal ne apna mobile nikala aur Sarita ki photo kheech li. Photo kheechne par ek kachhhhh ki aawaz aayi. Manisha ko pata chal gaya ki Nishchal ne Sarita ki photo kheechi hai.

Tasvir nikalne ke baad Kuchh der sarita ko niharta raha fir aage badhkar Nishchal ne Sarita ke Sir par hath phera Aur Jhukkar Sarita ke lalat par halka sa kiss kiya aur kamre se bahar jane laga. Bahar jane se pahle usne ek Najar Manisha ko dekha to wo Nishchal ki taraf dekh kar muskura rahi thi. Nishchal bhi muskurate huwe kamre se bahar nikal gaya.

Apne kamre mein pahuchkar Nishchal apne bister par late gaya aur Apna mobile nikal kar Abhi kheechi hui tasveer ko dekhne laga. Tasvir thodi si dhundhli aayi thi, kyonki Roshni kam thi, lekin fir bhi chehra saf saf dikh raha tha. Tasvir ko dekhte huwe wo apnea ap mein badbadaya.

Nishchal- Ab tum ja rahi ho to kuchh din tumhari tasvir dekhkar hi kaam chalana padega. Tum nahi rahogi to mujhe bilkul bhi achha nahi lagega. Kash aisa kuchh ho jaye ki tum jao hi na.

main to tumhe apne dil mein basa kar rakhna chahta hoon Sarita, lekin pata nahi jab tumhe is bat ka pata chalega to tum kaisa react karogi. Hey bhagwan kuchh aisa chamatkar kar do ki Sarita ke dil mein bhi mere liye feeling jaga do. Bahut Ehsan hoga tumhara mujhpar.

Yahi sab sochte huwe nishchal chain ki neend so gaya. Agli subah Joshi & Family ko nikalna tha to sabhi subah tadke hi uth gaye the aur fresh hokar nashte ki table par baithe huwe the. Nishchal bhi apne kamre se fresh hokar nashte ki table par baith gaya. Jab nashta shuru huwa to Manisha ko ek shararat sujhi to usne kaha.

Manisha- Tumhein pata hai didiya. Kal rat mein tum sote samay itni khoobsurat lag rahi thi ki man kar raha tha ki tumhari ek tasveer kheech lun.

Manisha ne ye baat Nishchal ko dekhte huwe kaha. Manisha ki baat sunkar Nishchal ka nashta uske gale mein atak gaya. Jisase use thaska laga aur use khansi aa gayi. Manisha ne turant uski taraf pani ka gilas badhate huwe kaha.

Manisha- main Sahi kah rahi hoon na boos. Waise aapko itni khansi kyon aa gahi hai.

Raani ji- Chup kar. Dikh nahi raha hai ki uske gale mein khana atak gaya hai. Pani pi lo beta. Khasi thik ho jayegi.

Nishchal- (Manisha ko ghurte huwe) Ji Aunty ji. (fir Manisha ki taraf dekhkar dhire se) Chhote miya tumhe to main baad mein dekhta hoon.

Nishchal ki baat sunkar Manisha ne bhi uski taraf jhukkte huwe dhire se kan mein kaha.

Manisha- Mujhse dushmani aapko bahut mahngi padegi boss. Allahabad mein main hi ek eklauti hoon jo aapka bhala sochegi. Jo didiya se aapki baat karwa sakti hai.

Manisha ko aise fusfusate huwe dekhkar Rani ji ne use dant-te huwe kaha.

Raani ji- Manisha. Tum pahle chupchap nashta kar lo. Uske baad khusar fusar karna.

Manisha- haan mummy. Kha to rahi hoon. Main to bas boss ko ye tips de rahi thi ki jab khansi aane lage to kya karna chahiye.

Raghav- Mujhe bhi bata dijiye Manisha ji. Mujhe bhi bahut khansi aati hai.

Manisha- (ghoorkar) Jab aapko khansi aayegi to main aapko khansi ki puri tips de dungi.

Manisha ki baat sunkar Sab hansne lage. Raghav thoda jhep gaya. Fir aise hi hansi Mazak karte huwe sab ka nashta khatam huwa. Fir Joshi & Family jane ki taiyari karne lage. Ghar se nikalte samay Savi ne Raani ji aur Aanand ji ke pair chhuwe. Fir Savita ne Sarita ko gale lagate hue kaha.

Savi- (Nam aankho se) Jaldi se thik hokar jaldi se aana. Mera man nahi lagega tumhare bina.

Manisha- Aap chainta mat kariye didi. Abhi 4-5 din mein hi mummy pareshan hokar didiya ko wapas bhej dengi.

Raani ji- (kan umethte huwe) Tu kuchh jyada hi bolne lagi hai ab Manisha.

Manisha- (chillate huwe) Are mummy Kya kar rahi ho. Mera kaan ukhad dogi kya. Chhodo mera kaan. Main didiya ke kamre mein dekhkar aati hoon ki didiya ki koi dawai to nahi rah gai hai waha par.

Aanand ji- Are waah. Meri Manisha kab se itni samajhdar ho gayi hai.

Manisha- main to bachpan se hi samajhdar thi papa, lekin aap logo ne kabhi dhyaan hi nahi diya.

Itna kahkar Manisha hanste huwe Sarita ke kamre ki taraf chali gayi. Sarita ke kamre mein pahuchkar usne kamre ka achhe se jayja liya aur wapas aane lagi, jaise hi wo darwaze par pahuchi. Apne kamre ki taraf jate huwe Raghav se takra gayi.

jaise hi wo girne ko hui Raghav ne use tham liya. Manisha bhi uski banh pakadkar latak gayi. thodi der aise hi rahne ke baad dono alag hokar khade ho gaye. Raghav ko dekhte huwe Manisha ne kaha.

Manisha- Itni toofan mail ki tarah kaha bhage ja rahe hain. Kuchh chahiye kya.

Raghav- Haan, ek jawab.

Manisha- Kaisa jawab.

Raghav- (Manisha ke kareeb aakar) ye main tumse bahut din se poochna chah raha tha par pooch nahi paya. Aaj soch raha hoon ki pooch hi loon.

Manisha- Kaun si baat.

Raghav- Jab tum pichhli baar Sarita ji ke janamdin par aayi thi. Jab Tum jane lagi thi tab tumne mujhe dekhkar apne kaan pakadkar kuchh ishara kiya tha. Wo kyat ha.

Manisha- Yahi bat poochni thi aapko.

Raghav- Ji haan.

Itna bolkar Raghav Uske aur kareeb aa gaya. Ab dono ke bich kuchh hi inch ka fansla tha. Manisha Raghav ki aankhon mein dekhne lagi aur Raghav Manishaa ki aankho mein dekhne laga. Raghav thoda aur aage huwa to Raghav ka chauda sina Manisha ke sine se takra gaya. Jiske karan Manisha ghabra gayi aur haklate huwe boli.

Manisha- wo..wooo… wo. Mai..main… nee aapko pare….pareshaan kiyaaa… th… thaaa naa. Isliyee maa….maafiii manggg. Rahii th…thiii.

Raghav- Achha Aur agar main ye kahu ki mujhe tumhara yuun mujhe pareshan karna, ladai jhagda karna, mujhe satana, mujhe chhedna achha lagta hai to tum kya kahogi.

Raghav ki baat sunkar Manisha Raghav ke chehre ki taraf dekhne lagi. Uske chehre par muskan thi. Jise Sunkar Manisha ki to bolti hi band ho gayi wo kuchh bolna to chah rahi thi, lekin uski aawaz bahar nahi nikal rahi thi. Manisha man hi man sochne lagi.

Manisha- Ye mujhe kya ho gaya hai yaar. Waise to meri juban din bhar chapar chapar chalti rahti hai aur ab jab bolne ka samay aaya hai to meri aawaz hi bahar nahi nikal rahi hai.

Manisha ke jawab na dena par Raghav ekdam uske kareeb lagbhag usase sat gaya aur bola.

Raghav- Batao Manisha . Kya kahogi tum.

Raghav ke ekdam usase sat jane ke karan Raghav ki sans uske chehre par pad rahi thi. Uske Shareer mein ek ajeeb si sihran daud gayi. Manisha Raghav ki aankho mein khone lagi.

Tabhi use hosh aaya aur usne apne pair ko poori takat se Raghav ke pair par maar diya aur waha se bhag gayi. Achanak huwe is hamle se Raghav ko kuchh samajh mein nahi aaya aur uske munh se tez cheekh nikal gayi. Nishchal turant uske paas aaya aur kaha.

Nishchal- Kya huwa bhai. Tu chillaya kyon.

Raghav- Wo breeks (eent) gir gaya tha mere pairo par.

Raghav ki baat sunkar Nishchal idhar udhar dekhne laga, lekin use kahi bhi breeks dikhayi nahi di to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Breeks. par yaha par to kahi par dikhayi nahi pad rahi hai .

Raghav- Ye apni investigation tum baad mein kar lena. Pahle main un logo ko station to chhod doon.

Nishchal- Are haan. Main isi liye to tumhe bulane aaya tha.

Raghav ne apne sine par hanth rakhkar chain ki sans lete huwe kaha.

Raghav- Bacha liya tumne bhagwan.

Uske baad Nishchal aur Raghav ghar se bahar aa gaye.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,722
46,166
259
कहानी का तिरपनवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244

Superbb Updatee

Toh Sarita ko hospital se chutti mil gayi. Aur ab woh apne parivaar ke saath Allahabaad jaa rahi hai.

Sarita ke ghar ki jaane ki baat sunkar Nischal udaas hogya hai. Woh ab Sarita ko khud se durr nhi karna chahta. Par woh bhi majbur hai. Aur isiliye usne Sarita ki ek tasveer khinch li.

Idher Manisha aur Raghav ka bhi lagta hai taanka jald bhidega. Waise dono ki jodi achhi jamegi.

Dekhte hai ab Raghu kyaa karta hai jab usko pata chalega ke Sarita apne ghar jaa chuki hai.
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,312
12,563
158
दोनो भाइयों का रिश्ता दोनो बहनों से हो जाएगा, बहूत बढ़िया। अब बेचारी सविता की प्रेम कहानी पर भी ध्यान दे और थोड़ा उसे भी आगे बढ़ाएं।
 
Top