• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,183
259
एक जान कि कीमत क्या हैं? ये गुंडे मवालियो पता नहीं होता हैं। जानते भी होंगे लेकिन कदर नहीं करते। गोली चलाने वाले ने तो खुन्नश निकलने के लिया गोली चला दिया। गोली से घायल जो हुआ उसका भला चाहने वाले कितने परेशान हैं। निश्छल जिसका सरिता से 36 का अकड़ा हैं। घायल होते ही रो रो कर सरिता के साथ बिताए एक एक पल को याद कर रहा था।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
धन्यवाद आपका महोदय।
पता सबको होता है लेकिन कोई दूसरों के लिए जल्दी फिक्रमंद नहीं होता लेकिन जब अपने ऊपर बीतती है तब उसे एहसास होता है इस बात का।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,183
259
Awesome update!!..

Nishchal ko sarita ki bahot hi jyada fikar ho rahi hai ... usne apna khun bhi diya sarita ko chhadne ke liye..

ab dekhte hai jab sarita ko hosh aayega tab vo kya reaction deti hai ..
धन्यवाद आपका महोदय।।

सरिता को जब होश आएगा तो वो क्या करेगी। उसे तो बस एक काम आता है लड़ाई करना निश्चल से तो वही करेगी वो।।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,183
259
Sarita mana karne ke bawajud pahoch gay.. or jo goli nishchal ko lagni wali thi use apne upar le liya..

Awesome update...
धन्यवाद आपका महोदय।
अब सरिता अपनी आदत से मजबूर है साथ मे फर्ज के प्रति ईमानदार भी तो पहुंच गई वो घटनास्थल पर।।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Lucky.. and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,183
259
UPDATE- 49


Idhar Manisha ka phone aane ke baad Savita pareshan ho gayi thi. Use samajh me nahi aa raha tha ki jab Sarita ke gharwalo ko ye baat pata chalegi to wo unhe kya jawab degi. Yahi baat usne Nishchal se kahi.


Savi- Nishu. Ye baat to Sarita ke gharwalo ko bhi der saber pata chal hi jayegi, Agar wo ham logo se sawal karenge to ham kya jawab denge unhe. Sarita Apne ghar me rahti thi to wo Apni jimmedari thi. Aunty ji ne bhi jate samay mujhe Sarita ka dhyan rakhne ke liye kaha tha, lekin main uska dhyaan nahi rakh payi.

Raghav- Ab jo hona tha wo ho gaya di. Aap itna pareshan mat hoiye. Ab Bas bhagwan se prarthana kijiye ki Unhe jaldi se hosh aa jaye aur sabkuchh thik ho jaye. mujhe vishwas hai ki bhagwan hamari prarthana jaroor sunega aur Unhe kuchh nahi hone dega.

Nishchal- Di. aap thak gai hogi. aap ghar jaiye. jaise hi Sarita ko hosh aayega main use bula lunga.

Savi- (Nam aankho se) Nahi Nishu. mera ghar me bilkul bhi man nahi lagega. mujhe yahi baithe rahne do.


Itna kahkar Savita Nishchal ke bagal me baith gayi. Raghav bhi uske bagal mein baith gaya. Tino man hi man prarthana kar rahe the ki Sarita ko kuhch na ho. Watavaran me khamoshi thii.


Is khamoshi ko bhang kiya Savita ke bajne wale phone ne. Phone kisi Unknown Numbar se tha. Savita ne Phone ko silant par dal diya. Phone kat chukka tha. Kuhh second mein phone fir se bajane laga to Savita ne phone uthaya aur bola.


Savi- Hello.

Raani ji- Hello Savita bitiya. main Sarita ki mummy bol rahi hoon. Manisha ne bataya ki tum NGO ke kam se bahar gayi hui ho. mujhe Nishchal bête ka Number de do. Mujhe usase baat karni hai. Yaha T.V. mein kaisi kaisi News dikha rahe hain ki Jaunpur mein danga ho gaya hai. ye danga ……………… ke paas huwa hai. Isi thane me Sarita bhi to hai.

Ye bata rahe hain ki dhange mein kuchh log ghayal huwe hai. Ek lady Inspector ko goli lagi hai… Main Sarita ka Numbar Dophar se laga rahi hoon lekin Uska number lag nahi raha hai. Mere man me bahut bechaini ho rahi hai. bahut bure bure khayal aa rahe hain. ek baar Nishchal beta Sarita se baat kara de main nishchint ho jaungi.


Rani jii ye baat bahut hadbadakar bol rahi thi. Unki baat sun-ne ke baad Savita ko samajh me nahi aa raha tha ki wo kya kare. Savita ki aankhe bhi ro ro kar lal ho gayi thi. use kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki Ye khabar kaise Sarita ke ghar walo ko di jaye. aur is khabar ko sunkar unka kya haal loga. fir bhi Sarita ne kaha.


Savi- Thik hai Aunty ji. main Numbar de rahi hoon aap note kar lijiye. 9876543210


Number note karne ke baad Savita ka phone cut gaya. kuchh hi second me Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne khud ko sanyam it kar phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Hello.

Rani jii- Nishchal beta main Sarita ki mummy bol rahi hoon.

Nishchal- Namste Aunty. Kaisi hain aap.

Raani ji- Main thik hoon beta. wo Sarita ka phone nahi lag raha hai aur news mein pata nahi kya kya bata rahe hain. mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai. meri ek baar Sarita se baat karwa do. mera man shant ho jayega.

Nishchal- (Jhooth bolte huwe) Aunty. News wale sahi bata rahe hain. Sarita ko mamuli si chot aayi hai. Us dhange ki afra tafri me Sarita ka phone kahin gir gaya hai isliye uska phone uske pas nahi hai. wo abhi hospital mein hai. main bhi uske sath hi hoon.

Doctor ne use neend ki dawa di hai, isliye wo so rahi hai. doctor ne disturb na karne ke liye kaha hai isliye main abhi aapki baat nahi karwa sakta Sarita se.

Aap nishchint rahiye main uska poora dhyan rakhunga. Kuchh der me di bhi aa jayengi. Subah ham Sarita ko ghar lekar jayengi to aapse baat karwa denge. Abhi main phone rakh raha hoon. Doctor bula rahe hain.


Nishchal ne jhooth bolkar phone rakh diya. Udhar jaise hi Raani ji ne ye suna ki Sarita ko bhi chot lagi hai aur wo hospital mein hai Wo rone lagi. Unke rone ki aawaz sunkar Manisha kamre se bahar aayi to Rani ji ne use sab kuchh bata diya. Manisha Unhe chup karane lagi. Udhar Nishchal ne phone rakhne ke baad Savita se kaha.


Nishchal- di kya ham log sahi kar rahe hain.

Savi- Matalab.

Nishchal- Main ye kahna chahta hoon ki Sarita ke bare me Poori jankari unko honi chahiye aakhir Sarita Unki beti hai. Ham log kab tak ye baat chhupayenge unse aur mujhe ye thik bhi nahi lag raha hai.

Savi- Baat to tum sahi kah rahe ho nishu. Unko batana jaroori hai, lekin batayein kaise. mujhe kuchh samajh me nahi aa raha hai.

Nishchal- Main manisha se baat karta hoon aur use ache se samjha dunga. wo kisi tarah Waha apne mummy papa ko handle kar legi.

Raghav- Haan ye thik rahega.


Nishchal ne Manisha ko phone laga diya. udhar manisha apni maa ko samjha rahi thi. chup kara rahi thi. sath me Aanand ji bhi baithe huwe the wo bhi Rani ji ko samjha rahe the tabhi Manisha ka phone baja. Manisha ne phone uthaya.


Manisha- Yes boos.

Nishchal- Mujhe tumse ek jaroori baat karni hai. tum thoda Aunty se door ho kar mujhse baat karo.


Nishchal ki baat sunkar Manisha tension me aa gayi. Wo Apne ghar se bahar sadak par chali gayi aur boli.


Manisha- Haan main ab ghar se bahar aa gayi hoon. Kya baat hai.

Nishchal- Dekho main jo kahne ja raha hoon. use sunkar tum chillana mat. Ye baat tum logo ko jan-na jaroori hai isliye bata raha hoon.

Manisha- Aakhir baat kya hai. Didiya thik to hai na. Mummy bata rahi thi ki us dange me didiya bhi ghayal hui hain.

Nishchal- Dekho Manisha. ye sahi hai ki us dange me Sarita bhi ghayal hui hai, lekin Jis lady Inspector ko goli lagi hai wo tumhari didi hai. Abhi wo ICU mein Admit hai. main di aur Raghav Sab Abhi Hospital mein hi hain.


Nishchal ki baat sunkar Manisha rone lagi. Nishchal ne use chup karate huwe kaha.


Nishchal- Dekho Manisha Ye samay rone ka nahi hai. ye baat tumhe apne mummy papa ko bhi batani hai. unhe sambhalna hai. yaha ham Sabhi SArita ke sath hain. Use kuchh nahi hoga. Main ab phone rakhta hoon. tum Aunty aur uncle ka dhyan rakhna.


Phone par baat karke jab Manisha andar gayi to Aanand ji ne Manisha se poocha.


Aanand ji- Kiska phone tha manisha.

Manisha- Kisi ka nahi papa, ab aise hi koi wrong Numbar tha.

Aanand ji- Wrong Number tha ya tum mujhse kuchh chuupa rahi ho. Wrong Number par koi itni der baat nahi karta hai aur tumne phone uthakar Yes boss bola tha, iska matlab tum use janti ho. batao manisha baat kya hai. tumhara chehra bhi latka huwa hai aur aankho me aanshu bhi hain.


Aanand ne itna kaha ki Manisha daudkar unse lipat gayi aur rone lagi. Manisha ko rote dekhkar Rani ji use chup karane lagi aur poochne lagi ki baat kya hai. fir manisha ne sab kuchh sach sach bata diya.


Jise sun-ne ke baad to Rani ji aur Aanand ji bhi rone lage. Rani ji turant Sarita ke paas jane ki zid karne lagi. Aanand ji ne turant apne jan-ne wale ko phone kiya aur ek car ke liye bol diya.


Raat ke 10 baj gaye the. lekin kisi ko khane pine ki fikar nahi thi. Allahabad me Aanand ji, Rani ji aur Manisha aur Hospital mein Raghav, Nishchal aur Savita ki bhookh mar chuki thi. sabhi ke chehre par dukh aur pareshani chhai hui thi.


Nishchal, Savi aur Raghav OT ke bahar Waithing hall mein baithe huwe the tabhi doctor OT se bahar nikale to tino ne unhe gher liya. Savita ne poochha.


Savi- Doctor sahab, Sarita thik to hain na, use hosh aaya ki nahi. Please Doctor Sahab. Meri bahan ko bacha lijiye. pls.


Savita ne doctor se rote huwe vinti ki. doctor ne kaha.


Doctor- Ji nahi. Abhi to unhe hosh nahi aya hai, lekin Itna kah sakta hoon ki ab wo khatre se bahar hai. jaldi hi unhe hosh aa jayega.

Raghav- Kab tak hosh aayega Doctor sahab.

Doctor- Ab kab tak hosh aayega ye to main nahi bata sakta. 1 ghante bhi lag sakte hain aur 1 din bhi lag sakta hai. darasal goli bahut andar tak ghus gayi thi. Jise hamne nikal diya hai, lekin Goli kandhe ki handi mein touch ho gayi thi isliye body ko sence mein aane mein thoda samay lagega.

Nishchal- Aur koi pareshani ki baat to nahi hai na doctor sahab.

Doctor- Dekhiye Sir. jaha tak mujhe lagta hai ki Body Movement mein kuchh din tak problems aayegi. chunki goli right side ke kandhe ke paas haddi ko touch ho gayi thi to right hand ke movement mein bhi problems aayegi. lekin abhi is bare me shyor nahi hoon. ye to patient ke hosh me aane ke baad hi pata chalega ki aur kya problems ho sakti hain.

Savi- Kya ham use dekh sakte hain Doctor Sahab.

Doctor- Haan Kyon nahi. lekin 1 hours baad hi aap log unhe dekh sakte hain wo bhi door se.


Itna kahkar Doctor waha se chala gaya. Udhar Nishchal bhi Waha se hatkar Hospital ke bahar chala jata hai aur bahar neem ke ped ke paas bane huwe chabutare par baith jata hai.


Sadak ke us paar Chaai ki dukan par radeo par gana baj raha tha jo Raat ki tanhaiyo ko cheetah huwa apni taan bikher raha tha. us gane ko Nishchal khud mein mahsoos kar raha tha.


bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2

kasam chahe le lo
kasam chahe le lo khuda ki kasam
bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2
hamari gajal hai tasavvur tumhara
tumhare bina ab na jeena gawara.
tumhe yuun hi chahenge
tumhe yuun hi chahenge jab tak hai dam
bahut pyaar karte hain tumko sanam-2
sagar ki bahon mein mauje hain jitni.
hamko bhi tumse mohabbat hai uthi.
ki ye bekarari.
ki ye bekarati na ab hogi kam

bahut pyaar karte hain tumko sanam- 2


ye gana bajkar band ho gaya to doosra gana shuru ho gaya jo Nishchal ko Sarita se jodne laga Nishchal us gane ko sunte huwe Kho gaya.


Kitne bhi tu kar le sitam.

hans hans ke sahenge ham.
ye pyaar na hoga kam
sanam teri kasam
ho o o sanam teri kasam.- 2
Jitna tadpayegi mujhko.
utna hi tadpegi tu bhi
jo aaj hai aarzu meri
vo kal teri aarzu hogi-2
ye Jhoth nahi sach hai sanam
sanam teri kasam
ho o o sanam teri kasam

sanam teri kasam.


Aise hi gane bajte rahe aur nishchal un gano mein khota raha. rota raha. bahut der tak Nishchal Wahi par baitha raha Tabhi uske kandhe par kisi na apna hanth rakha.


Nishchal ne Apni najre uthakar dekhi to Wo Raghav tha jo use dhoondhta huwa waha aaya tha. Raghav bhi uske bagal mein baith gaya aur bola.


Raghav- Kya baat hai dost. pareshan ho.

Nishchal- Nahi to.

Raghav- Achha beta. Ab dost se bhi jhooti bologa. ham bachpan se sath hain. tumhare chehre par har badalte huwe bhavo ko dekh raha hoon main aur samajh raha hoon ki tumhare man mein is samay kya chal raha hai. Tumhe dar lag raha hai na ki kahin tum use kho na do.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ne uski taraf dekha, lekin bola kuchh nahi aur samne ki taraf dekhne laga. Raghav ne aage kaha.


Raghav- Tumhe pata hai maine doosri baar tumko is tarah se hairan pareshan dekha hai. ek abhi aur ek tab dekhta hoon jab Anant ji ko lekar tumhai Di ke sath tikhi bahash hoti hai. wo bhi khoob roti hain aur tum bhi khoob rote ho.. tab se lekar abhi tak maine aaj tumko us hal detha hai.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ne fir uski taraf dekha aur koi jawab nahi diya aur jameen ki taraf dekhne laga. Raghav ne phir kaha.


Raghav- Chinta mat karo aur pareshan mat ho. tumhara pyaar haar nahi sakta. wo bahut jaldi thik ho jayegi.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ke sabar ka bandh toot gaya aur wo uske gale lagkar rone laga. Raghav ne bhi kuchh bolna sahi nahi samjha aur Nishchal ki pith ko sahlate huwe use santvana dene laga. Raghav janta tha ki Nishchal par is samay kya bit rahi hogi isliye usne aage koi baat nahi chhedi aur Nishchal ko santvana deta raha.


fir Nishchal Raghav se alag ho gaya. dono shanti se baithe rahe Is samay raat ke lagbhag 1 baj raha tha. Tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne phone dekha to chhote miya naam flase ho raha tha. Nishchal ne phone uthaya.


Nishchal- Hello.

Manisha- Boss. Ham log yaha par aa gaye hain.

Nishchal- ( hadbadakar) Kaha par aa gayi ho.

Manisha- Matlab ki ham log Jaunpur aa gaye hai. Hospital ka address sent kaiye jaldi.

Nishchal- (chaukte huwe) Kyaa….. yaha aa gayi ho.. Achha ruko main address bhej raha hoon.


Itna kahkar NIshchal ne phone rakh diya. Raghav ne Nishchal se poocha.


Raghav- Kya huwa. Kiska phone tha.

Nishchal- Manisha ka phone tha. wo log Jaunpar aa gaye hain. hospital ka address mang rahe the.

Raghav- Hmmmmm. AB Khabar hi aisi hai ki koi bhi maan baap beti ko is hall me jankar kaise nahi aate.


Nishchal ne Hospital ka Address Whatsupp kar diya. 30 minute me hi Sarita ka pariwar Hospital aa gaya. Nishchal aur Raghav hospital ke bahar hi Unhe mile. Milne ki aupcharikta ke baad Dono Sarita ki family ko lekar andar gaye. Rani ji Andar jate hi Savi ke gale milkar rone lagi. Savi ne Rani ji ko samjhate huwe kaha.


Savi- Aap shant ho jaiye Aunty ji. Sarita ko kuchh nahi hoga. wo ab thik hai.

Rani- Ye sab kaise ho gaya. meri bachhhi.

Savi- Doctor ne kaha hai ki wo khatre se bahar hai. lekin aap log yaha par itni jaldi kaise.

Manisha- Jab Boss ne.. matlab Nishchal ji ne mujhe bataya ki didiya ko goli lagi hai to maine mummy aur papa ko bhi bata diya. mummy ne to rote rote bura hall kar liya aur yaha aane ki zid karne lagi. to papa ne car ka intezam kiya. isliye ham itni jaldi yaha par aa gaye.

Aanand- Ab main kya karta. mera bhi man tha apni beti ko dekhne ka, upar se jab ye zid karne lagi to maine bhi socha ki waha par rahkar Sarita ke bare mein sochne se behtar hai ki yaha aakar Sarita se mil lein.


Sabhi ne ICU ke bahar se hi Sarita ko dekha. Nishchal ne jakar Car wale ka payment kar diya. Sarita ko abhi tak hosh nahi aaya tha. isliye sabhi uske hosh me aane ki pratiksha kar rahe the. Isi tarah baithe baithe.


Sarita ki salamti ki prarthana karte huwe subah ho gayi. raat mein koi bhi nahi soya. Subah hone par Nishchal ne sabhi ke liye chaai, biskit aur tost lekar aaya. lekin sabne sirf chaai hi pi.


Subah ke lagbhag 9 baje ke kareeb Sarita ko hosh aaya. Jiski suchna Nurse ne aakar Unhe di.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,183
259
कहानी का उनचासवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Top