• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
निश्छल के साथ थोड़ा मजाक वाला किस्सा हों गया। सरिता को लगा शायद निश्छल के सिर में चोट लगा हैं तभी सरिता से पूछ रहा था उसका सामान कहा हैं। लेकिन जब निश्छल ने जाना सरिता घर छोड़कर नहीं आया बल्कि आदत से मजबुर होकर टाला लगा आया।

सरिता बच्चे से मिला और शायद बच्चे का दिन अच्छा था जो सरिता ने उसे गुलदस्ता रखते हुऐ पकड़ लिया। क्योंकि बच्चे को अब स्कूल जानें को मिलेगा जो उसका सपना हैं बडा होकर एक काबिल और सक्सेस आदमी बनेगा। वो सरिता पूरा करने वाली हैं।

रघु ने देख लिया तो अब आगे किया होगा जो भी कहने को सरिता ने बच्चे से कहा क्या बच्चा कहेगा या रघु कोई और रस्ता खोज निकलेगा।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
धन्यवाद आपका महोदय।

सरिता के साथ निश्चल की नोकझोंक तो हमेशा होती रहेगी, लेकिन अभी तो सरिता ने बच्चे के लिए अच्छा काम किया है उसे स्कूल में दाखिला दिलवाकर।

साथ बने रहिए।।
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
अनहोनी जब होना होता हैं कदम खुद ब खुद वहा पंहुचा देता हैं। सरिता के साथ भी वैसा ही हुआ इतना माना किया फ़िर भी न रुकी और पहुंच गई जो गोली निश्छल को लगने वाला था वो गोली सरिता को लग गया। सरिता को भाले ही खुद की परवाह न हों लेकिन दूसरे के जान की कीमत सरिता को बखूबी पता हैं। देखते हैं आगे किया होता हैं?

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
धन्यवाद आपका महोदय।

जैसे दाने दाने पर लिखा होता है खाने वाले का नाम वैसे ही गोली गोली पर लिखा होता है मरने वाले का नाम। गोली तो निःसंदेह निश्चल के ऊपर ही चलाई गई थी लेकिन सरिता बीच मे आ गई और गोली उसे लग गई।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
Wah yeh nishchal sahab tow sentiment aadmi h ek dam emotional ho gaye hona bhi chahiye dil k kisi hone pyar ki kali tow khil hi rahi h Sarita k liye tow aisa hona bhi chahiye
Dekhte h goli ziada tow damage tow nahi kia h
Badhiya update Mahi ji
धन्यवाद आपका महोदय।
बिल्कुल सही है। अपने प्यार की ऐसी हालत भला कौन देख सकता है। निश्चल भी सरिता से प्रेम करता है लेकिन उसे इस बात का आभाष नहीं है।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Naik and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
UPDATE- 48


Nurse ke jane ke baad Nishchal hatas hokar baith gaya. Nishchal ka dil baitha ja raha tha. Wah man hi man bhagwan se Sarita ke thik hone ki prarthana kar raha tha. Aaj use Apne sare ishtdev yaad aa rahe the. use Sarita se pahli mulakat yaad aa gayi jab Sarita ne galatfahmi me uske dono gal lal kar diye the.


uski aankho se aanshu thamne ka nam nahi le rahe the. Wo apne soch me hi gum tha ki tabhi uska mobile bajne laga. Usne dekha ki Savita ki call thi. Nishchal ne apne aanshu pochhe aur sanyamit swar me kaha.


Nishchal- Haan di.

Savi- Nishu. Sarita kahan hai kab se uska phone try kar rahi hoon. uska phone lag nahi raha hai uske Office wale number par bhi phone kiya lekin usne wo bhi nahi uthaya. wo thik to hai na.


Savita ki baat sunkar Nishchal ki aankho se phir se aanshu nikalne lage. Usne kisi tarah apne aapko sanyamit kiya aur kaha



Nishchal- (jhooth bolte huwe) Pata nahi di. main to Usase mila bhi nahi aaj. main to bahar aaya hoon. ho sakta hai ki wo kisi kaam me vyast ho aur mobile band kar diya ho. ho sakta hai ki wo apne cabin me na ho isliye wo office wala phone nahi utha rahi hai. AaP ghar aa gayi hain kya di.

Savi- Abhi nahi pahuchi nishu. Abhi raste mein hoon. Kuchh samay lagega abhi mujhe.

Nishchal- Thik hai di aap ghar pahuchiye. aap se baad me baat karta hoon di. abhi kuchh jaroori kaam kar raha hoon.


Nishchal ne jhooth bolkar phone rakh diya. agar wo thodi der aur Savi se baat karta to nishchit hi rone lagta. phone rakhne ke baad usne apne dono hantho se apne sir ko pakad liya aur sir niche karke baith gaya. Tabhi waha par nurse daudkar aati hai aur nishchal se kahti hai.


Nurse- Sir, Madam ko goli lagne ke karan khun bahut bah gaya hai. Unhe khoob chadhana padegaa.

Nishchal- to aap der kyon kar rahi hain. Khun chahaiye na use. Mujhe kyon bataa rahi hain ye aap.

Nurse- madam ka jo blood group hai us group ka blood kahi mil nahi raha hai. Hamne kai blood bank aur hospital mein phone karke pata lagaya hai, lekin blood nahi milaa.

Nishchal- (pareshan hokar) Kya. Ye kya kah rahi hain aap. Kaun se blood group hai sarita kaa..

Nurse- O Negative.

Nishchal- Mera bhi blood group O Negative hai. aap mera blood use chadhana dijie. Jaldi kariye aap log. Use bachaa lijiye.

Nurse- Aap jaldi se mere sath aaiye.


Itna kahkar nurse Wapas andar chali gai. Nishchal bhi uske pichhe pichhe andar chala gaya. Nishchal ko sarita ke bagal ek khali bed par lita diya gaya aur khun nikalne sur sarita ko khoon chadhane ki prakriya shuru ho gayi.


Nishchal ek tuck sarita ko dekhe ja raha tha jo besudh si padi hui thi. Ye dekhkar Nishchal ki aankhon aanshu nikalne lage. Thodi der baad nishchal ko bahar bhej diya gaya. Nishchal bahar aakar waiting area mein apne sir ko thaam kar baith gaya. Tabhi waha par jawed aur Mohit aa gaye aur Jawed ne poochha.


Jawed- Sir ab madam ki halat kaisi hai.


Jawed ko dekhkar Nishchal ko pata nahi kyon gussa aa gaya aur wo tez aawaz me Jawed se bola.


Nishchal- Tum log kisi kaam ke nahi ho. kya kar rahe the tum log. Use mana nahi kar sakte the waha aane se. Maine tumko kaha tha na ki thane phone karke Sarita ko aane ke liye mana karo. Wo to ek number ki ziddi aur pagal ladki hai kisi ki nahi sunti. Lekin tum logo ko to thodi bahut akal honi chahiye thi.

Mohit- Sir Us samay ham log thane me nahi the apke sath hi the. Jawed ne Ranjana ko bola tha ki Madam ko waha mat aane de. lekin madam ne uski baat nahi suni. Waise ab madam ki halat kaisi hai.


Mohit ki baat sunkar Nishchal ko dhyan aaya ki Jawed aur Mohit to usi ke sath the poore samay. use apne aap par gussa aaya ki usne bewajah dono ko dant diya. sath me Hospital me use is tarah se chilla kar baat nahi karni chahiye thi. Nishchal ne apne aapko sanyamit karke sir niche jhuka liya aur kaha.


Nishchal- Sorry yaar. main bahut tension me hoon. isliye tum logo ko pata nahi kya kya bol gaya. maaf kar dena. ABhi use hosh nahi aaya hai. doctor ne bhi 24 ghante se pahle kuchh bhi batane se mana kar diya hai.

Mohit- Aap thik to hain Sir.

Nishchal- Haan main thik hoon. mujhe kya hoga. waise waha ki kya khabar hai.

Jawed- Sir bahut Muskil se bheed ko kabu kiya gaya hai. Aanshu gais ke gole tak chhodne pade. lathi charge karni padi. Apne Yadav ji aur Patel ji bhi is hatha paai me ghayal huwe hain. Unki bhi marham patti ki gayi hai. Abhi kuchh hi der me Rawat Sir Aur SSP Sir aate hi honge yaha par.

Nishchal- (kuchh sochkar) Tum log abhi yaha par rahoge na kuchh der.

Jawed- Ji Sir. ABhi rahenge ham dono.

Nishchal- Thik hai tum log yahi ruko. main ghar jakar Apni uniform change karke aata hooon. Poori khoon ke dhabbe se kharab ho gayi hai. Jab tak main na aa jaun tum log jana mat yaha se. Sarita ki jaan ko pahle bhi khatra tha. ab uske liye khatra aur bhi badh gaya hai. Isliye Sarita Ke paas bina ID prouf ke kisi ko bhi jane mat dena. fir wo chahe koi bhi Kyon na ho.

Mohit- Thik hai Sir. Aap jaiye.


NIshchal Hospital se bahar chala jata hai. Waha se nikal kar wah ek sunsan jagah par chala gaya. Uska dil kar raha tha ki wah jor jor se roye apne dil ki poori bhadas nikal de. Aur aakhirkar uske aanshuwo ne uski aankho ka sath chhod diya aur hichkiyo se shuru hui aawaz rudan me badal gayi.


Nishchal 10 minute tak rota raha. fir usne apne aanshu saaf kiye aur apne aapko sanyamit kar ghar ke liye nikal gaya. thodi hi der me wo ghar pahucha. ghar pahuchkar wo bathroom mein ghus gaya aur apne aapko Aaine me dekha. Jagah Jagah Uniform par khoon ke dhabbe. rone ke karan aankhe lal ho gayi thi. ball poori tarah se bikhar gaye the.


Usne jaldi se apni uniform uthari aur washing mashine me dal di aur jaldi jaldi hanth munh dhokar apne kamre me jakar formal kapde pahankar wo bahar jane laga. tabhi Savita ki gadi aa gayi. jise Raghav Drive kar raha tha. Savita gadi se utarkar Nishchal ki taraf aayi. to wo use najarandaz karke jane laga to Savita ne poocha.


Savi- Kya huwa Nishu. tum is vakt ghar par. aur ye kapde pahan kar kahan ja rahe ho.


Savita ki baat par Nishchal ne koi pratikriya nahi di. Nishchal ne to SAvita ki taraf dekha tak nahi. Use samajh me nahi aa raha tha ki wo Savita ka samna kaise kare. Koi jawab na pakar Savita ne pichhe se daudkar uska hanth pakad liya aur kaha.


Savi- Kya huwa Nishu. Sab thik to hai na. tum thik ho. Sarita thik hai.

Nishchal- (najar churakar) Haan di. sab thik hai. wo di mujhe kuchh kaam yaad aa gaya hai. main thoda jaldi mein hoon. aakar baat karta hoon aapse.



Nishchal ne ye baat thoda gambhir hokar kahi. Raghav ne ye baat note kar li. use samajh me nahi aa raha tha ki NIshchal aisa vyavhar di ke sath kyon kar raha hai. Nishchal ki baat sunkar Savita ne kaha.


Savi- Achha thik hai tum jao. Sarita aai ki nahi abhi tak.

Nishchal- Nahi di. aa jayegi.

Savi- pata nahi ye ladki kaha par hai. na hi mera phone utha rahi hai aur na hi abhi tak ghar pahuchi hai. kuchh bataya bhi nahi usne.

Nishchal- Di main jar aha hoon.

Savi- Thik hai tum jao. jaldi aana.


Itna kahkar Savita ghar ke andar chali gayi. Nishchal ne apne aankho par kala chashma lagaya tha jiske karan uski aankho ke aanshu SAvita ko najar nahi aaye.


Uske jane ke baad Nishchal ne chashme ke dono kone par apni ungli se aankh se bah aaye aanshu saf kiye, lekin ye Raghav ki najaro se nahi bach saka. Jaise hi NIshchal chalne ko huwa. RAghav ne use aawaz dete huwe kaha.


Raghav- Nishchal tum thik to ho na bhaai. Kuchh pareshan se lag rahe ho.

Nishchal- Nahi Raghav main bilkul thik hoon. Abhi main jaldi mein hoon baad mein baat karta hoon.

Raghav- Agar tumhe koi samasya hai to tum mujhse share kar sakte ho.


Lekin Raghav ki is baat par Nishchal bina koi jawad diye aage badh gaya. Raghav ko Nishchal ka yah bartav bahut ajeeb laga. Nishchal ne kabhi bhi aisa bartav nahi kiya tha Raghav ke sath. Use kabhi Ignore nahi kiya tha, Raghav ne bhi Abhi Nishchal ko pareshan karna sahi nahi samjha aur ghar ke andar chala gaya.


Udhar Nishchal ghar se nikal kar sidha hospital ke liye chala gaya. Jab wo hospital pahucha to Rawat Sir Aur SSP Sir dono hospital aakar chale gaye the. Nishchal jab waha pahucha to Sarita ka poora staff waha par jama tha. Nishchal ne waha pahuchte huwe sabse kaha.


Nishchal- Kya jaroorat thii aap sabko pareshan hone ki. main to yaha par tha hi Sarita ki dekh bhal ke liye.

Janhavi- Koi baat nahi Sir. Ham log bhi aapke sath yahi rahenge. jab tak Madam ko hosh nahi aa jata.

Nishchal- Ye hospital hai. Yaha par bewajah bhid lagane ka koi fayda nahi hai. Abhi uske hosh mein aane me bahut samay hai. waise bhi doctor ne bola hai ki 24 ghante wo kuchh kah nahi sakte. to aap sab ghar jaiye. jaise hi use hosh aata hai main sab ko inform kar donga.

Ranjana- Lekin Sir.

Nishchal- (uski baat katkar) Lekin Vekin kuchh nahi. Abhi aap log jaiye.


Abhi Nischal ne itna hi kaha tha ki tabhi Ek Nurse waha par aayi aur boli.


Nurce- Yaha par bhid mat lagaiye. Pateint ke sath koi ek do log hi ruk sakte hain. aur log jaiye yaha se.


Nurse ke kahne ke baad Nishchal ne bhi sabhi ko jane ke liye bol diya. SAbhi ke jane ke baad NIshchal wahi par lagi kursi par baith gaya aur upar wale se Sarita ke liye prarthana karne laga.


Udhar Savita aur Raghav jab ghar mein gaye to dono bathroom me jakar fresh huwe. fresh hokar niche aane ke baad Savita kitchen me chaai banane ke liye chali gayi aur Raghav T.V. On karke Hall me lage sofe par baith gaya. wo channel change karne laga. tabhi news channel par uski nigah gayi to uske hanth remote se hat gaye aur wo Jor Jor se Savita ko aawaz dene laga.


Raghav- Di. Kahan hain aap jaldi aaiye.

Savi- (kitchen se) Do minute Ruko Chaai bana rahi hooon.

Raghav- Di chaai ko maro goli. Ye dekhiye News mein kya dikha raha hai.


Raghav ki aawaz sunkar Savita bhagkar haal me pahuchi aur News dekhne lagi. News me dikha raha tha ki Aaj ……………..Area me hinsa bhadak gayi. Jise kabu karne me police ko bahut masakkat karni padi. Is dauran Bhid se hui hathapai mein Kuchh police karmi bhi ghayal ho gaye hain sath hi ek Lady Inspector ko goli lagi hai aur wo Hospital me admit hain. Bataya jata hai ki wo Lady Inspector …………… thane me tainat hain aur ye area Unke thane ke undar aata hai.


Ye khabar dekhkar Savita chaunk gayi aur Sath me Raghav bhi chaunk gaya. Savita ne Raghav se kaha.


Savi- Ye to Sarita ka thana hai.

Raghav- Haan di. ye to Sarita ji ke thane ka nam bata raha hai.

Savi- Kahi wo Lady Inspetor Sarita to………….. nahi nahiii aisa nahi ho sakta. Agar aisa hota to nishu mujhe batata, lekin Sarita ka phone bhi to dopahar se band aa raha hai aur uske office wala phone bhi nahi uth raha hai. Nishu bhi kuchh ajeeb bartav kar raha hai roj ki apeksha. mera dil bahut ghabra raha hai. Tum phone lagao Nishu ko.


Savi ki baat sunkar Raghav ne Nishchal ko phone laga diya. Udhar Sabke jane ke baad Nishchal wahi rakhi chair par baith kar Sarita ke thik hone ki bhagwan se man hi man prarthna kar raha tha ki tabhi uska phone baja.


Phone Raghav ka tha. Raghav ka Number dekhkar usne phone silant me kar diya. poori bell bajne ke kuchh second baad hi phone phir se baja to is baar Nishchal ne Khud ko sanyamit karte huwe phone uthaya. aur kaha.


Nishchal- Haan Raghav.

Savi- ( gusse mein) Sarita kahan hai Nishu.


Savita ki baat ka kya jawab de Nishchal use kuchh samajh me nahi aa raha tha. Nischal ki taraf se koi jawab na pakar Savi ne fir se aur jyada gusse me kaha.


Savi- Nishu maine poochha Sarita kaha hain. Plz Nishu Kuchh to bolo. Kaha hai Sarita. Ye news Channels wale pata nahi kya kya news dikha rahe hain. Mera dil bahut ghabra raha hai Nishu. Sarita se Abhi meri baat karao. Plz Nishu.


Nishchal bhi ab samajh gaya tha ki ab jhooth bolkar koi fayda nahi hone wala to usne sach bolna hi sahi samjha aur bola.


Nishchal- Di … Sarita ko goli lagi hai.

Savi- (Chillate huwe) Kyaa. Kyaa bol rahe ho tum Nishu. kah do ki ye sab majak kar rahe ho tum.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ki aankho se aanshu bahne lage. Nishchal ko hichkiya aane lagi. Jo samne Savi ko bhi sunai pad rahi thi. Hichki lete huwe Nishchal ne kaha.


Nishchal- Nahiii.. diii. mainnn sachh boll.. rahaa hoon. Saritaa koo goliii lagiii hai. wo is Samay ICU mein haiii.


Savi- (pareshan hokar Nam aankho se) Tum Mujhe address send karo main aa rahi hoon.


Nishchal- Use abhi hosh nahi aaya hai di. 24 ghante baad hi doctor kuchh bata sakte hain. jab use hosh aa jayega to main aapko bata dunga tab aap aaiyega.

Savi- (gusse se) maine kaha na ki mujhe address do. mujhe abhi aana hai. jaldi se address bhejo.


Nischal Savita ko Address bhej deta hai. 20-22 Minute baad hi Savita aur Raghav Hospital pahuch aate hain. Hospital pahuchte hi Savita Nishchal ke paas gayi aur kheechkar ek jhapad Nishchal ke gal par jama diya aur gusse se boli.


Savi- Tum pagal ho gaye ho kya. Itni badi baat ho gayi aur tumne mujhe batana jaroori nahi samjha. ghar par bhi mujhse jhooth bolkar yaha chale aaye. wo to achha huwa ki Raghav ne News dekh li aur hame pata chal gaya. nahi to tum batane wale hi nahi the ham logo ko kuchh.


Itna bolte bolte Savita ki aawaz bharra gayi aur uski bhi aankho se aanshu bahne lage. Nishchal ne Savita ke aanshu pochhte huwe kaha.


Nishchal- Sorry di. main aap ko pareshan nahi karna chahta tha. isliye nahi bataya.

Raghav- (bich mein) Achha chalo maan liya ki tum di ko pareshan nahi karna chahte the isliye tumne unko nahi bataya, lekin jab maine tumse poocha ki koi pareshani ho to tum mujhse share kar sakte ho tab tumne mujhko bhi kuchh nahi bataya.

Nishchal- Mujhe Us samay samajh me nahi aa raha tha ki main Kya karu. Is baat ko kaise bataun aap dono ko.


Abhi ye baat hi kar rahe the ki Savi ka phone bajne laga. Savi ne phone uthakar dekha to Manisha naam likha dikh raha tha. Manisha ka phone dekhte hi tino ke chehre ke bhav hi badal gaye. phone bajkar kat chukka tha. kuchh second baad hi dobara phone aane laga to Raghav ne kaha.


Raghav- Di phone to uthao. Ek baar bajkar kat chukka hai. wo bhi pareshan ho jayenge.

Savi- (kanpti hui aawaz me) Manisha ka phone hai… lag raha hai ki un logo ko bhi khabar mil gayi hai. main kaise aur kya baat karungi unse. kya bataungi unhe.

Raghav- Aap mujhe phone dijiye main bat karta hoon.


Itna kahkar Raghav ne Savita ke hath se phone le liya aur freehand me daal diya. jaise hi phone receive huwe. Raghav ke bolne se pahle hi Manisha bol padi.


Manisha- Hello didi. Phone kyon nahi utha rahi thi aap. wo didiya ka Phone band aa raha hai. Main dophar se unhe phone kar rahi hoon, lekin phone lag nahi raha hai. Mummy bahut pareshan hain. AAp unse baat karwa sakti hain.

Maine mummy ko samjhaya ki didiya abhi duty par hogi isliye phone band karke rakha hoga, lekin ab to duty bhi khatam ho gayi hogi didiya ki. phone ab bhi band aa raha hai unka. didiya ne pahle aisa kabhi nahi kiya. aap meri baat karwaiye didiya se.


Manisha bina ruke bole ja rahi thi. Jab sabne suna ki abhi unko is khabar ki jankari nahi hai to unhone rahat ki sans li. Uske baad Raghav ne phone normal kar diya aur kan me lagakar kaha.


Raghav- Hello main Raghav bol raha hoon.

Manisha- Ohhhh. aap hain. Par ye to Savi didi ka phone hai na to aapke paas kya kar raha hai unka phone.

Raghav- Haan ye unka hi phone hai. wo baat ye hai ki main aur Di NGO ke kam se thoda bahar aaye the. abhi ham log raste mein hain. ghar pahuchte hain to aapki baat karwate hain aapki didi se.

Manisha- Haan thik hai. baat karwaiyega. Lekin ye bataiye didiya ka phone band kyon hai. didiya to aisa kabhi nahi karti thi iske pahle.

Raghav- Ho sakta hai ki wo kisi Important Kaam mein fans gayi ho. isliye unhone apna phone band rakha ho. Ye aap apni didi se hi pooch lijiyega.

Manisha- Haann ye baat aapne thik kahi. Meri didiya Workoholic jo hai. Kaam ke aage kuchh dikhai hi nahi deta didiya ko. Ye sabh chhodiye. ye bataiye ki aap kaise ho.

Raghav- Main bilkul thik hoon. Aap kaisi hain.

Manisha- Main bhi bilkul thik hoon.

Raghav- Achha main ab phone rakhta hoon. drive kar raha hoon. ghar pahuchkar aapki didi se baat karata hoon. bye.

Manisha- Hhmmmm. bye.


Itna kahkar Manisha ne phone rakh diya.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
कहानी का अड़तालीसवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Top