• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
UPDATE- 32


Sarita Apne ghar walo se baat kar rahi thi jo use uske janamdin ki badhai de rahe the. Sarita apne ghar walo se baat karke bahut khush thi. Uski aankho me aanshu aa gaye the. Nishchal apni hatheli par apna chahra rakhkar Ek tak Sarita ko dekhe ja raha tha. Pata nahi Kyon Par Nishchal ko bilkul bhi achha nahi lag raha tha Sarita ki Utsukta dekhkar. Wah apne gharwalo se door thi. Janamdin ke mauke par bhi Ghar walo se door rahna kitna mushkil hota hai. Ye Nischal ko achha nahi lag raha tha lekin wo kuchh kar bhi nahi sakta tha.


Use Yaad aata hai ki jab wo bhi akela rahta tha to kisi Khushi ke mauke par wo bhi bhawuk ho jata tha. Abhi to uske sath uski Savi di rah rahi thi. Par jab wo Akela rahta tha to use bahut hi yaad aati thi apne ghar ki. Uska man karta tha ki wo jakar un sab logo ko pite jo ye kahte hain ki ladka hai. Aaram se ghar ke bahar rah Sakta hai. Unhe koi fark nahi padta. Unhe ghar ki yaad nahi aati. Wagairah Wagairah.


Sarita ki baat ho chuki thi aur wo baat karne ke baad Paas me rakhe bed par baith gayi. Uske chehre par udasi saf dekhi ja sakti thi. Nishchal kursi par baitha Sarita ki hi taraf dekh raha tha. Sarita ko dekhte huwe Usne kaha.


Nischal- Achha ab to tumhari baat ho gayi hai. Ab ye bhi bata do ki mujhe Kyon roka tumne.

Sarita- (man me) Are yaar Kitna Akdu insan hai. Hitlar kahi ka. Abhi iske samne hi itni der se main baat kar rahi hoon. Ise bhi maloom chal gaya hoga ki aaj mera janamdin hai. Fir bhi ek baar bhi iske baare me mujhse baat nahi ki. Vish bhi nahi kiya abhi tak. Waise main kyon Soch rahi hoon itna. Is hitlar ke vish ke liye main mari thode hi jar ahi hoon.


Sarita ko chup chap sochte dekh Nischal ne chutki bajate huwe kaha.


Nishchal- Miss Joshi, Miss Joshi, Kaha kho gayi tum. Maine kuchh poocha aapse.

Sarita- Wo haa… kahi.nahi….. Achha mujhe ye bataiye ki Aapko kaise pata chala ki koi mujhe marna chahta hai aur aaj hi mujhe marna chahta hai.

Nishchal- Wo sab chhodo. Jab kuchh der pahle main tumhe call kar raha tha to tum kisase baat kar rahi thi.

Sarita- (Hairani se) Aapne kab mujhe call kiya.

Nischal- Ye poochhne se pahle apna phone chack karo.


Sarita ne apna phone dekha to usme 4 miss call padi thi jo Nishchal ki thi. Miss call dekhne ke baad Sarita ne kaha.


Sarita- Haann.. Soryyy. Maine dhyan hi nahi diya.

Nischal- maine tumhe kitni baar mana kiya ki in sab chakkaro me mat pado, ye bahut khatarnak log hain, lekin tumne to meri baat kabhi bhi na man-ne ki kasam kha rakhi hai. Abhi bhi jab maine tumhe kaha tha ki main tumhare Munh se hath hata raha hoon. Aawaz mat karna, lekin tum. Itni tez tez bol rahi thi ki bahar se logo ko pata chal jaye ki aawaz kahan se aa rahi hai. Tumhe us samay ho kya gaya tha. Mere samjhane ke baad bhi tum meri baat nahi mani.


Nischal ki baat sunkar Sarita hadbada gayi, Kyonki us samay to wo kisi aur hi duniya me thi, usne Nishchal ki baat hi nahi suni thi. Wo hadabadate huwe nishchal se boli.


Sarita- kuchhh nahii.. Kuchh bhii too nahii.. Pahle maine jo.. poocha hai aapse wo bataiye mujhe.

Nischal- To Apne boss ko hi order de rahi hoo tum.

Sarita- Haan de rahi hoon order. To bataiye mujhe.

Nishchal- Main kyon bataun tumhe. Tum meri wife nahi ho ki tum mujhse kuchh bhi poocho aur main tumhe bata dooga.

Sarita- (gusse se) Ye Kya faltu ki bakawas kar rahe hain aap. Ek to wo aadmi pata nahi kya kya anargal bate kar raha tha aur ab aap bhi shuru ho gaye. Shant rahiye aap bilkul bhi.

Nishchal- Haan faltu insan ko har baate faltu hi lagti hain. Abhi to tum bol rahi thi ki main tumhe wo baat bataun aur abhi bol rahi ho ki main chu prahu.

Sarita- Are yaar. Jo puch rahi hoon wo bataiye na.

Nischal- Are yaar. Matlab Main yaar ho gaya tumhara. Ab aage pata nahi kya kya banaogi mujhe tum.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne apne hanth jod liye aur Nischal se kaha.

Sarita- Ab Plz mujhe aur pareshan mat kariye aur main jo pooch rahi hoon uska jawab de dijiye. Agar aap kahiye to main aapke pair bhi pad leti hoon.

Nischal- Nahi Uski jaroorat nahi hai. Aaj ke liye itna hi kafi hai. Mujhe apne mukhbir se khabar mili thi ki tumhari jaan khatre mein hai. Tumhe koi marna chahta hai. Main tumhari tarah kisi baat ki aadhi adhori jankari nahi rakhta hoon.

Sarita- Bade aaye mujhe sikhane wale. Agar wo mujhe marna chahte the to mujhe kahi par bhi maar sakte the. Fir unhone mujhe ghar me hi marne ki koshish kyon ki.

Nishchal- (chidhkar) Mujhe kya pata. Abki baar jab wo tumhe fir se marne aaye na tab tum unhi se hi pooch lena ye bate.

Sarita- Had hai yaar. Aap kisi bhi baat ka siddha jawab nahi de sakte hain kya.

Nischal- Tumhe sidhi baat kabhi samajh me aati hai kya jo mujhse sidhe jawab ki ummeed karti ho. Tum khud apna dimag nahi laga sakti. PS me tumhe aakar maarenge kya ye log. PS se tumhara nikalne ka samay bhi fix nahi hai ki ye log tumhe raste me target karein. Fir bacha ye ghar. Isase Achhi aur aasan jagah aur kya ho sakti hai unhe apna kam poora karne ke liye.

Sarita- Haan ye baat to sahi kahi aapne.

Nishchal- thik hai. Kal se tum mere ghar me rahogi di ke sath.

Sarita- (hairan hote huwe) Kyon. Main kYon rahungi aapke ghar me. Miann nahi rahungi aapke yahan.

Nischal- Jitna kah raha hoon. Tum utna hi karo. Mujhe tumse is bare me bahas nahi karni hai. Samjhi tum.

Sarita- Aap hain kaun jo main aapki baat manu. Aap kahi ke judge hain jo aapne ek baar bol diya to uspar koi bahas nahi ho sakti. Main nahi rahne wali aapke ghar par.

Nishchal- Main CO ke post par hi thik hoon. MUjhe judge mat banao. Maine jitna kaha hai tumse utna karo.

Sarita- Main aisa kuchh bhi nahi karne wali Samjhe aap.

Nischal- Tumhari pareshani kya hai haan. Mujhe samajh me nahi aata ki tumhara upar ki manjil me kuchh hai ya ekdam khali padi hui hai. Tumne meri baat na man-ne ki kahi mannat mang rakhi hai kya.

Sarita- Nahi. Maine ek baar bol diya to bol diya. Main nahi aane wali aapke ghar.

Nishchal- (gusse se) bhad me jao tum. Jo man ho tumhara wo karo.


Itna kahakr Nischal bahar jane lagta hai. Tabhi kuchh sochkar wapas mudta hai aur Sarita ki taraf aane lagta hai. Sarita sochne lagti hai ki ab ise kya ho gaya hai. Fir se dimag chatega mera. Kahi mujhe abhi apne sath ghar to nahi le jane wala. Tab tak nishchal uske paas pahuch chuka tha. Sarita ke paas aakar nishchal ne apna hanth aage badhaya aur kaha.

Nishchal- Happy Birth Day Miss Joshi.


Nischal ke aisa kahne se Sarita ek tuck Nishchal ko dekhne lagti hai use to yakeen hi nahi ho raha tha ki Nishchal use Janamdin ki badhaai de raha hai. Sarita ko apni taraf ektuch ghoorta huwa pakar nishcal ne usase kaha.


Nischal- Aise kya dekh rahi ho Miss Joshi. Main tumhe janamdin ki badhaai de raha hoon. Tumhari jaan nahi mang raha hoon. Jo mujhe ghoor rahi ho.


Abhi Sarita kuchh bolti iske pahle hi Nishchal ka phone bajne lagta hai. Nischal jab phone dekhta hai to Savita ka phone tha. Nishchal uska phone dekh phone cut kar deta hai, lekin yaha par wo galti se cut karne ke bajay receive ka batan daba deta hai aur phone ko cut samajhkar jeb me phone wapas rakh leta hai. Phone wapas jeb mein rakhne ke baad Sarita bolti hai.


Sarita- haan kah to aise rahe hain jaise bahut jaldi bol diya mujhe. Main kab se intzar kar rahi thi lekin abhi koi matlab nahi rah gaya hai.

Nishchal- Tum had karti ho yaar.


Itna kahkar Nishchal 2 kadam aur Sarita ke paas chala gaya is daruan jab usne apna tisra kadam uthaya to uska pair bed se niche aa gayi chadar me fans gaya jiska ek sira uske doosre pair se daba huwa tha.


Pair chadar me fans jane ke karan wo apne aapko sambhal nahi pata aur ladkhadate huwe Sarita ke upar gir padta hai. Par Sarita ne turant apna bachav karte huwe apna hath uske sine par rakh kar use apne sine par girne se rok diya. Jiske karan dono ke bich ek doori ban jati hai.


Sarita ne apna hanth uske Sine par Rakha tha, Sarita ko aisa mahsoos ho raha tha ki Nischal ke sine ki dhadkarn bahut tez gati se chal rahi hai. Sarita ka bhi yahi haal tha. Dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Ek doosre ki aankho me dekhte huwe dono lagbhag kho se gaye. Yahi Sthiti lagbhag 5 Minute tak bani rahi.


Na Sarita ne Nishchal ko apne upar se hatne ke liye kaha aur na hi apne hanth se use dhakka dekar hataya. Aur na hi Nishchal ne uske upar se uthne ki koshish ki. Nishchal ke phone par bajane wali ringtone ne us dono ko vastvikta ke dharatal par la patka. Sarita ne nishchal ko apne upar se dhakka dekar pare kiya aur uthkar khadi ho gayi. Nishchal ne apna phone nikal kar dekha to phone Savita ka tha. Nishchal ne phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Hello di.

Savi-Nishu kaha hai tu. kitni raat ho gayi hai aur tu abhi tak ghar nahi aaya.

Nishchal- Haan di. kuchh kaam me fans gaya hoon. main ghar nahi aa paunga aaj shayad.

Savi- mujhe pata hai tumhara jaroori kaam aur kaha par hai tu ye bhi pata hai mujhe. tu itni raat ko Sarita ke paas kya kar raha hai.


Savi ki baat sunkar Nishchal chauk gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki Uski di ko kaise pata chala ki wo Sarita ke yaha par hai. use dar nahi tha ki uski di uske bare me kuchh galat sochegi, Kyonki Savi ko NIshchal par poora bharosha tha. Nischal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Haan di main Sarita ke paas hi hoon. jaldi hi nikalta hoon yaha se.


Udhar se Savita ne phone rakh diya. Sarita ne jab ya suna to uski aankhe badi ho gayi. wo gusse se Nishchal ko dekhne lagi. jaise use kacha chaba jayegi. tabhi Nishchal ne isi baat ka phayda uthakar Sarita ko pareshan karne ki sochi aur jhoth moth ke phone kan ke paas lagaye huwe kaha.


Nishchal- Ab main Kya batauun di. Isi ne mujhse jid ki ke aaj raat mujhe iske sath rahna hai to main kya karta. maine bhi socha ki main iski baat maan leta hoon. nahi to ye aapse meri shikayat karegi.


Sarita ne uski baat sunkar use gusse se dekhne lagi. Nishchal ne usko ignore karte huwe kaha.


Nishchal- Nahi di aap bilkul bhi fikar mat kariye. main iske sath iske kamre me hi sounga.


Sarita ne jab ye suna to wo turant Nishchal ke paas pahuchi aur uske hanth se phone cheenkar apne kan me lagate huwe kaha.


Sarita- Nahi di aisa kuchh bhi nahi hai. maine inhe nahi bulaya. ye khud aaye hain yaha. inhone aapse jo bhi kaha hai sab jhooth hai. maine inhe kuchh baat karne ke liye rukne ke liye kaha tha.


doosari taraf se jab koi aawaz nahi sunai di Sarita ko to wo 2-3 baar hello hello boli. jab udhar se koi aawaz nahi aayi to Sarita ne phone ki screen par dekha to waha par koi call nahi dikhi Sarita ne Jab Nishchal ki taraf dekha to wo jor j0r se hans raha tha. Nishchal ko hansta huwa dekhkar Use samajhte der na lagi ki Nishchal ne use chutiya banaya hai. use pareshan kiya hai. ye samajh me aate hi Sarita ne kaha.


Sarita- Aapne ye bilkul bhi achha nahi kiya. main aapko chhodungi nahi.


itna kahkar Sarita Nishchal ko marne ke liye daudi. Ye dekhkar Nishchal apne apko bachane ki koshish karne laga. isi pakadam pakadai me Sarita ka pair bed ke paruwa (paya) me ulajh gaya aur wo niche girne ko hui to Nischal ne furti dikhate huwe Sarita ko tham liya.

tumblr-e615c4084213561262ffe4f624a6eb07-b42cc3b6-400

Sarita ne bhi girne se bachne ke liye apna hanth chalaya to ek Nischal ke kandhe par aur ek hanth Nishchal ki chaudi chhati par aa gaya. Nishchal ne Sarita ko dono hantho se uski kamar ko tham rakha tha. Is samay Sarita jhuki hui Nishchal ki baaho me thi. dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Sarita ko aisa prateet ho raha tha ki Uske hanth ke niche Nishchal ka dil bahut tezi se dhadak raha tha.


Nishchal ke dhadkan ki aawaz sunkar Sarita ke dil ki dhadkan bhi tez ho gayi. Uske honth fadfadane lage. sharir me ek anchahi sihran si daudti chali gayi. dono ek doosre ki aankho me dekhte huwe kho se gaye. dono bahut der tak ek doosre ki aankho me khoye rahe. dono ka dhyaan Sarita ke phone ne toda, jis par kisi ka phone aa raha tha.


Nishchal hadbadate huwe Sarita ko khada kiya Sarita ne sharam ke mare apni najare jhuka li aur phone Sarita ki saheli ka tha jise receive karke apni Saheli se baat karne lagi. jisne use janamdin ki badhai dene keliye phone kiya tha.


Thodi der Sarita ne apni Saheli se baat karne ke baad phone rakha aur apni najar upar uthayi to Nishchal waha par nahi tha. Sarita bed se niche utar kar bahar aayi aur idhar udhar dekhne lagi. magar Nishchal use kahi dikhayi nahi pada to Sarita ne Use aawaz lagayi.


Sarita- Nishchal Sir. Aap kaha par hain.


Magar Use Nischal ki aawaz nahi sunai padi. Nishchal Sarita ke yaha se chala gaya tha. Sarita ne apne kamre ka darwaza band kiya aur Apne bister par late gayi aur sone ki koshish karne lagi.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
कहानी का बत्तीसवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 

Naik

Well-Known Member
20,207
75,222
258
UPDATE- 28


Sarita ki baat sunkar Nishchal hospital se bahar chala gaya aur bahar jakar ek chaai ki dukan par baith gaya aur chhai ka order de diya. kuchh hi der me chaai aa gayi to Nishchal Chaai pine laga. Chaai ki dukan par lagbhag 1 ghante baithe rahne ke baad Nishchal Fir se Hospital ke andar aaya to usne dekha ki Sarita Ward me ladkiyo ke bister ke paas lage bench par bathkar so rahi hai.


Usne apne Sir ka take deewar se lagaya huwa tha. Uski gardan ek or jhuki hui thi. Jiske karan Sarita ki latein Uske chehre par aa gayi thi. jo seeling fan ki hawa ke karan lahrakar uske chehre ko chum rahe the. Jiske karan Sarita ka chehra aur bhi nikhar aaya tha. Nishchal to Sarita ke Is Roop ko dekhkar mantra mugdh ho gaya. Wo Sarita ko ektak niharne laga. Sarita ke chehre par duniya Jahan ko dhero masumiyat is samay chhai hui thi. Wo Sarita ke chehre ko dekhte huwe soch raha tha.


Nishchal- (apne man me) Dekho to Sote huwe kitni maSOOm dikhti hai. Aisa lagta hai jaise kuchh janti hi nahi. Kitni kashish hai Iske chehre par. Kisi ko bhi is roop ko dekhkar pyaar ho jaye. Lekin jab apna munh kholti hai to bap re baap. Jina mushkil kar deti hai. Ek baar bolna shuru karti hai to rukne ka naam hi nahi leti. Ise dekhkar kaun kahega ki isne bachha singh jaise shatir gunde ki naak me dam kar rakha hai. Sach me ye lady don hai.


Nishchal yahi sab sochte huwe Sarita ke paas pahuch gaya aur bade pyaar se uska chehra dekhne laga. Sarita ka chehra dekhte huwe use pata nahi kya huwa Usne apna hanth badhakar Sarita ke chehre par ud rahi uski lato ko uske kan ke pichhe karne ki koshish ki, is koshish me Nishchal ka hanth Sarita ke chehre par lag gaya Jisase Sarita ki neend khul gayi. Apne chehre par kisi ka hanth mahsoos hote hi sarita turant khadi ho gayi. Ye dekhkar Nishchal Hadbada kar pichhe hat gaya. Sarita ne Use ghurte huwe kaha.


Sarita- Ye kya badtamizi hai Aapki. Aapki himmat kaise hui mujhe chhune ki. Koi manner wagairah hai ya nahi ki kisi ladki ko bina uski izazat ke touch nahi karna chahiye.

Nischal- (harkate huwe) Are tu.... tum galat samajh rahi ho. main to wo tumhare chehre par kuchh laga huwa tha use hi saf kar raha tha.

Sarita- Mujhe pata hai ki aap kya karne ki koshish kar rahe the. Abhi mera mod bahut kharab hai. Aap jaiye yaha se. kahi aisa na ho ki mere munh se kuchh aisa nikal jaye jo aapko achha na lage.


Nischal uski baat sunkar chupchap bahar nikal gaya. Sarita fir se bench par Baith gayi aur thodi der baad use neend aa gayi. Subah Sarita ki Aankh pas me hone wali khat pat ki aawaz se khuli.


Sarita ne dekha ki Akkhu uske paas bench par hi baithi hui hai aur use dekh rahi hai. Sarita ne uske sir par pyaar se hath phera aur uske mathe par ek chumban ankit kar waha par upasthit nurse se kuchh baat karke apne kamre me chali gayi aur kaam marne chali gayi. Waha se fresh hokar wo PS chali gayi. usne thodi der PS ka kam kiya aur market chali gayi.


waha jakar usne Akku ke liye kapde aur shoes liye aur Hospital ke liye nikal gayi. Wo raste me hi thi ki tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Savita ka tha to usne phone uthakar kuchh der me aane ke liye bol diya aur hospital me pahuch gayi.


Sabhi ladkiyon me Akku ki halat behtar thi isliye Wo Akku ko apne sath le jana chahti thi. Sarita ne Akku ko Kapde aur Shoes diye to wo khush ho gayi aur jaldi se taiyaar ho gayi. Sarita Usko lekar NGO pahuch gayi.


Sarita ne Savita ko phone kiya. Savita bahar gate tak aayi aur Sarita ko lekar Andar chali gayi. Waha ek bade se hall me Ye programme rakha gaya tha. Hall ko bahut hi achhi tarike se sajaya gaya tha. Hall ke bahar hi khane pine ki vyavastha thi.


Savita Sarita ko lekar Sabse Aage ki row me gayi. Sarita ne dekha ki Waha par bahut bade bade nami girami log cheaf guest banker aaye huwe hain, lekin ab Sarita bhi Us din ke action ke karan kafi famous ho gayi thi. Sabhi Sarita ko pahchan-ne lage the. Sabhi se Sarita ne Abhivadan kiya aur Wahi par khali kurhi par baith gayi. Akku bhi uski bagal me baith gayi. Stage par chhote bachhe apne karykram ki prastuti kar rahe the. Jise dekhkar Akku bahuty khush ho rahi thi aur tali bhi baja rahi thi.


Tabhi Use Nishchal aata huwa dikhayi diya jo usi ki taraf aa raha tha. Nishchal uske paas aaya aur Uske bagal ki khali chair par baith gaya. Sarita ne Use poori tarah se Ignore kiya aur man hi man use bhala bura kahne lagi.


Sarita- (man me) ye hitlar andha ho gaya hai kya. Ise aur koi jagah nahi dikhi poore hall me . Kahi bhi baith sakta tha, lekin nahi ise to mere sir ke upar aakar Nachna tha..


Man hi man sochte huwe Sarita ne Akku ko apne bagal se uthaya aur apni sheet par biatha diya aur Khud Akku ki sheet par baith gayi. Nischal ne Sarita ko ghoorkar ek najar dekha aur Samne ki taraf dekhne laga. Bich bich me wo Akku se bhi baat kar leta tha. Kuchhh der aise hi baithe rahne ke baad Nischal ne Akku se poocha.


Nischal- Aap bahut pyari ho. Aap ka naam kya hai beta.

Akku- Mera nam Akku hai Uncle. Aapka naam kya hai Uncle.


Akku ke munh se Uncle sunkar Nishchal hairan rah jata hai. Wahi Akku ka Nishcal ko Uncle bolne par Sarita se Chehre par muskan tair jati hai. Jaise hi Nishchal ki najar Sarita ki taraf jati hai use muskurate hhuwe dekhkar uske chehre par khisiyane wale bhav aa jate hain. Usne Akku se kaha.


Nischal- Akku beta. Main Uncle kahan se lagta hoon. Abhi meri umar hi kya hai.

Akku- Ab aap uncle lagte hain tabhi to maine aapko uncle kaha.

Nischal- To Agar main Uncle hoon. To us hisab se to aapke bagal me jo baithi hui hain wo aapki aunty hui na.


Nischal ne Sarita ki taraf ishara karte huwe Akku se kaha, Jab Sarita ne Nischal ki baat suni to wo Nischal ko ghoorne lagi. Nischal ki baat sunkar Akku ne kaha.


Akku- Nahi wo meri didi hain (FIR KICHH sochte huwe boli) Agar aap uncle hain aur aap didi ko aunty bol rahe hain to kya aap dono ki shadi ho gayi hai kya.


Nishchal Akku ki baat sunkar muskurane laga wahin Sarita Akku ki bat sunkar Sarita ne use ghoorkar dekha aur boli.


Sarita- Nahi Akku main tumhari didi hoon. Inko tumhe jo bulana ho wo tum bula sakti ho. agar tumne ab mujhe didi ke alava aur kuchh kaha to main tumse baat nahi karungi. Ab chupchap baithkar function injoy karo.


Sarita ki baat sunkar akku chupchap baithkar programm dekhne lagti hai. Thodi der baad kuchh bachhiyon ka dance performance hone lagta hai jise dekhkar Akku bahut khush hoti hai aur tali bajane lagti hai. Akku tali bajate huwe Sarita ko dekhte huwe puchhti hai.


Akku- Didi, Kya aap bhi is tarah ka dance kar Sakti hain. Agar aapko aata hoga to mujhe bhi sikha dijiyega. Mujhe dance karne ka bahut shauk hai.


Abhi Akku ki baat ka jawab Sarita deti. Isase pahle hi Nishchal bol pada.


Nishchal- Tumhari didi ko dance wance karna nahi aata. Tumhari didi ko ek kaam bahut Achhe se aata hai, wo hai ladna-jhagadna aur gussa karna. Agar tumhe ye sab sikhna ho to tumhari didi tumhe bahut ache se sikha sakti hain.


Akku- Nahi meri didi bahut achhi hai. Ye kisi se ladai jhagda nahi karti.

Nishchal- Lekin Mujhse to hamesha ladti jhagadti rahti hain.

Akku- Didi. Aap in uncle se kyon ladti jhagadti rahti hain.

Sarita- Mujhe pagal kutte ne kata hai. Jo main inse ladti jhagadti rahti hoon.

Nishchal- Sahi kaha. Mujhe bhi aisa hi lagta hai,

Saritai- Aap chupchap baith nahi sakte. Jab dekho mere pichhe hi pade rahte ho. Kya mil jata hai aapko aisa karke. Plz mera pichha karna chhod dijiye.

Nishchal- Oohhh Hello, Mere itne bhi bure din nahi aaye hain ki main tumhara pichha karu. Samjhi

Sarita- To fir Poora Hall me aapko yahi jagah mili thi baithne ke liye. Hall me itni jagah khali hai kahi bhi baith sakte the. To fir yahan par kyon aaye. Isase to yahi sabit hota hai ki aap mera pichha kar rahe hain.

Nischal- Kitni galat fahmi pal rakhi hai tumne mere bare me. Tumhari tarah mujhe bhi Invite kiya gaya hai. To main bhi first row mein baithne ka hakdar hoon. Isliye main yahan baitha. Aur ye baat apnne dimag se nikal do ki main tum jaisi nakchadhi ka pichha karunga. My foot.

Sarita- Mujhe nakchadhi kaha aapne. Aap bhi nakchadhe ho.


Sarita aur Nishchal ke bich me baithi Akku Samne chal rahe presentation ko chhodkar jab Sarita bolti to uski taraf dekhti aur jab Nishchal bolta to uski taraf dekhne lagti. In dono ki tu tu main main se tang aakar Akku ne kaha.


Akku- Didi. Mujhe bhookh lagi hai. Chalo na khana khate hain. Aap Kyon Uncle ke munh lag rahi hain.

Sarita- Sahi kaha tumne. Main kyon inke munh lag rahi hoon. Chalo khana khate hain.


Itna kahkar Sarita Akku ko lekar khane ke counter ki taraf nikal jati hain. Nishchal Un dono ko food counter ki taraf jate huwe dekhta rahta hai aur sochta hai.


Nishchal- (man me) Kya ladki hai yaar. Kitna bolti hai. Lagta hai isne galat profession chun liya hai. Ise to Politics me hona chahiye tha. Waha to ye sabki khatiya khadi kar deti.


Nishchal abhi ye sab soch hi raha tha ki tabhi Uske kandhe par kisi ne hanth rakha. Nishchal ne jab hanth rakhne wale insan ko dekha to Waha par Raghav khada tha.



(Raghav 23-24 Sal ka Ek bahut hi aakarshak yuvak tha. Wo Nischal ki tarah Agresive aur tej tar-rar nahi balki shant swabhav ka vyakti tha. Dono ki Dosti Bachpan Se thi, Ye dono dost kam bhaai jyada the)


Raghav ko dekhkar Nishchal bahut khush huwa. Usne turant uthakar usko gale laga liya aur bola.


Nishchal- Raghav mere bhai. Kaisa hai Yaar tu.

Raghav. Thik hoon bhaai. Tu apna bata.

Nischal- Main bhi bahut Achha hoon aur tere samne khada hoon. Tu kab aaya.

Raghav- Bas Abhi aaya aur tere paas hi chala aa raha hoon.

Nishchal- fir to di se abhi mila nahi hoga.

Raghav- Abhi nahi mila di se.

Nishchal- Kya karta hai bhai. Pitwayega kya mujhe. Agar di ne jaan liya to meri class laga dengi. Chal pahle di se mil le.


Nishchal aur Raghav dono Savita ke paas aaye. Raghav ne Savita ki aankh par apne dono hanth rakh diye. Savita ne uske hathon ke sparsh se turant use pahchan liya aur kaha.


Savi- Raghav. Tum aa gaye.

Raghav- Kya di. aap to mujhe hamesha pahchan leti hain.

Savi- Tujhe pata hai na ki tu mujhe kitna ajeej hai. Ek baar ko main Nishu ko pahchan-ne mein bhool kar sakti hoon. Lekin tujhe pahchan-ne mein kabhi bhool nahi kar sakti. tum kab aaye.

Raghav- Bas di. kuchh hi der hui hai. Aap ne bulaya tha to aana hi tha mujhe.

Savi- Safar kaisa raha tumhara.

Raghav- Bahut Achha Raha di.


Abhi Savi iske aage kuchh kahti Nishchal bich me bol pada.


Nishchal- Ye kya baat hui. Main bhi yahi par hoon. Mujhse to aapne kabhi itne pyaar se baat nahi ki. Aur Raghav ke aate hi mujhe bhool gayi aap di.

Savi- Tu to mere paas rahta hai. Raghav to mere paas nahi rahta na. to mujhe Raghav ko bahut pyaar karna hai. Achha ye sab chhodo. chalo khana khate hain. Ye Sarita kahan gayi. dikhayi hi nahi de rahi hai.

Nishchal- Jayegi kahan. Bhukkhad jo hai to khane ke stal par hi hogi wo dekho.


Sarita ko samne ki kursi par na pakar Savita ne uske bare mein jab nishchal se poocha to nishchal ne javab diya. uske jawab par savi ne kaha.


Savi- Kha rahi hai ye Akku ke pichhe hi pareshan hai. Chalo Raghav main tumhe usase milati hoon.

Nishchal- (chidhkar) Wo koi prime minister ye cheaf minister nahi hai jo aap usase milwane le ja rahi hain Raghav ko. Jangali billi hai wo.

Savi- To tumhe kya pareshani hai. Main tumhe to nahi le ja rahi hoon usse milwane.


Itna bolkar Savita Raghav ko lekar Sarita ke paas gayi aur kaha.


Savi- Are Sarita tum yaha ho aur main tumhe udhar dhoondh rahi thi.

Sarita- Wo Akku ko bhookh lagi thi to maine socha ise khana khila doon.

Savi- Sarita Isse mile. Ye hai Nishu ka dost aur mera Sabse pyara bhaai. Aur Raghav ye hain hamare Shahar ki sabse kabil, honhar, Aur Nidar police officer Sarita Joshi.


Dono ne ek doosre ko hello kaha. Kuchh der waha Rahane ke baad Savi na Sarita se kaha.


Savi- Achha tum log batein karo main thoda guest ko dekhkar aati hoon.


Itna kahkar Savita Waha se chali gayi. Uske jane ke baad Raghav ne Sarita se kaha.


Raghav- Aap wahi hain na jinhone abhi kal gundon ke hathon ladkiyon ko chhudaya tha.


Raghav ki baat sunkar Sarita ne apna sir haan mein hilaya to Raghav ne khush hote huwe kaha.


RAGHAV- Aapse milkar bahut khushi hui. Aapne sach mein bahut hi achha kaam kiya hai.

Sarita- Dhanywaad Raghav Ji.

Raghav- To aap yahi se hain kya.

Sarita- Ji nahi. Mera ghar Allahabad me hai. Ye meri pahli job hai aur posting yahan hui to mujhe yahan aana pada.

Raghav- To iska matlab aap yahan Akeli rahti hain.

Sarita- Haan. Ab job karni hai to rahna to padega hi.

Raghav- Achha… Nischal bhi to aapke hi department me hai na.

Sarita- (Munh banakar) Ji nahi wo to DSP hain to bas kabhi kabhi round ke liye aate rahte hain. Meri unse jyada baat nahi ho payi hai abhi tak.

Raghav- Achha. Aapko ek baat pata hai. Wo to mujhe bhi isi line me ghasit raha tha. Lekin mujhe is field me intrest nahi tha isliye maine mana kar diya use.

Sarita- (dhire se) Hitlar kahi ka. Apne dost par bhi hukum chalata rahta hai. Main to sochti thi ki ye mujhpar hi apna hukumm chalata hai.

Raghav- Aapne kuchh kaha kya??

Sarita- Nahi to. Wo main kah rahi thi ki aap kya karte hain.

Raghav- Wo apna bas ek chhota mota business hai. Bas usi me laga rahta hoon aur apna gujara ho jata hai.

Sarita- Aisa nahi hai Raghav ji. Koi bhi kaam chhota ya bada nahi hota. kam ke prati apni mehnat, Imandari aur nishtha hi use chhota bada banati hai.

Raghav- Aapki baat bilkul Sahi hai Sarita ji.


Idhar Nishchal ko ye baat achhi nahi lag rahi thi ki Sarita Raghav se baat kar rahi hai. Lekin uski majboori ye thi ki wo unke paas ja nahi sakta tha, nahi to sarita fir se bhadak sakti thi, isliye usne Raghav ko phone kiya to Raghav ne Sarita se kaha.


Raghav- Mujhe ab jana hoga. Nishchal ka phone aa raha hai.

Sarita- Haan Kyon nahi.


Sarita ka jawab sunkar Raghav waha se chala gaya aur Sarita Akku ko lekar Savita ke paas chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Badhiya shaandaar update Mahi ji
Yeh dono jaha milte h bas shuru ho jate h jhagadne yeh bhi nahi dekhte amne samne aage peeche bhi koyi betha h ya nahi
Tow doosre hero ki bhi entry ho gayi badhiya h
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
UPDATE- 32


Sarita Apne ghar walo se baat kar rahi thi jo use uske janamdin ki badhai de rahe the. Sarita apne ghar walo se baat karke bahut khush thi. Uski aankho me aanshu aa gaye the. Nishchal apni hatheli par apna chahra rakhkar Ek tak Sarita ko dekhe ja raha tha. Pata nahi Kyon Par Nishchal ko bilkul bhi achha nahi lag raha tha Sarita ki Utsukta dekhkar. Wah apne gharwalo se door thi. Janamdin ke mauke par bhi Ghar walo se door rahna kitna mushkil hota hai. Ye Nischal ko achha nahi lag raha tha lekin wo kuchh kar bhi nahi sakta tha.


Use Yaad aata hai ki jab wo bhi akela rahta tha to kisi Khushi ke mauke par wo bhi bhawuk ho jata tha. Abhi to uske sath uski Savi di rah rahi thi. Par jab wo Akela rahta tha to use bahut hi yaad aati thi apne ghar ki. Uska man karta tha ki wo jakar un sab logo ko pite jo ye kahte hain ki ladka hai. Aaram se ghar ke bahar rah Sakta hai. Unhe koi fark nahi padta. Unhe ghar ki yaad nahi aati. Wagairah Wagairah.


Sarita ki baat ho chuki thi aur wo baat karne ke baad Paas me rakhe bed par baith gayi. Uske chehre par udasi saf dekhi ja sakti thi. Nishchal kursi par baitha Sarita ki hi taraf dekh raha tha. Sarita ko dekhte huwe Usne kaha.


Nischal- Achha ab to tumhari baat ho gayi hai. Ab ye bhi bata do ki mujhe Kyon roka tumne.

Sarita- (man me) Are yaar Kitna Akdu insan hai. Hitlar kahi ka. Abhi iske samne hi itni der se main baat kar rahi hoon. Ise bhi maloom chal gaya hoga ki aaj mera janamdin hai. Fir bhi ek baar bhi iske baare me mujhse baat nahi ki. Vish bhi nahi kiya abhi tak. Waise main kyon Soch rahi hoon itna. Is hitlar ke vish ke liye main mari thode hi jar ahi hoon.


Sarita ko chup chap sochte dekh Nischal ne chutki bajate huwe kaha.


Nishchal- Miss Joshi, Miss Joshi, Kaha kho gayi tum. Maine kuchh poocha aapse.

Sarita- Wo haa… kahi.nahi….. Achha mujhe ye bataiye ki Aapko kaise pata chala ki koi mujhe marna chahta hai aur aaj hi mujhe marna chahta hai.

Nishchal- Wo sab chhodo. Jab kuchh der pahle main tumhe call kar raha tha to tum kisase baat kar rahi thi.

Sarita- (Hairani se) Aapne kab mujhe call kiya.

Nischal- Ye poochhne se pahle apna phone chack karo.


Sarita ne apna phone dekha to usme 4 miss call padi thi jo Nishchal ki thi. Miss call dekhne ke baad Sarita ne kaha.


Sarita- Haann.. Soryyy. Maine dhyan hi nahi diya.

Nischal- maine tumhe kitni baar mana kiya ki in sab chakkaro me mat pado, ye bahut khatarnak log hain, lekin tumne to meri baat kabhi bhi na man-ne ki kasam kha rakhi hai. Abhi bhi jab maine tumhe kaha tha ki main tumhare Munh se hath hata raha hoon. Aawaz mat karna, lekin tum. Itni tez tez bol rahi thi ki bahar se logo ko pata chal jaye ki aawaz kahan se aa rahi hai. Tumhe us samay ho kya gaya tha. Mere samjhane ke baad bhi tum meri baat nahi mani.


Nischal ki baat sunkar Sarita hadbada gayi, Kyonki us samay to wo kisi aur hi duniya me thi, usne Nishchal ki baat hi nahi suni thi. Wo hadabadate huwe nishchal se boli.


Sarita- kuchhh nahii.. Kuchh bhii too nahii.. Pahle maine jo.. poocha hai aapse wo bataiye mujhe.

Nischal- To Apne boss ko hi order de rahi hoo tum.

Sarita- Haan de rahi hoon order. To bataiye mujhe.

Nishchal- Main kyon bataun tumhe. Tum meri wife nahi ho ki tum mujhse kuchh bhi poocho aur main tumhe bata dooga.

Sarita- (gusse se) Ye Kya faltu ki bakawas kar rahe hain aap. Ek to wo aadmi pata nahi kya kya anargal bate kar raha tha aur ab aap bhi shuru ho gaye. Shant rahiye aap bilkul bhi.

Nishchal- Haan faltu insan ko har baate faltu hi lagti hain. Abhi to tum bol rahi thi ki main tumhe wo baat bataun aur abhi bol rahi ho ki main chu prahu.

Sarita- Are yaar. Jo puch rahi hoon wo bataiye na.

Nischal- Are yaar. Matlab Main yaar ho gaya tumhara. Ab aage pata nahi kya kya banaogi mujhe tum.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne apne hanth jod liye aur Nischal se kaha.

Sarita- Ab Plz mujhe aur pareshan mat kariye aur main jo pooch rahi hoon uska jawab de dijiye. Agar aap kahiye to main aapke pair bhi pad leti hoon.

Nischal- Nahi Uski jaroorat nahi hai. Aaj ke liye itna hi kafi hai. Mujhe apne mukhbir se khabar mili thi ki tumhari jaan khatre mein hai. Tumhe koi marna chahta hai. Main tumhari tarah kisi baat ki aadhi adhori jankari nahi rakhta hoon.

Sarita- Bade aaye mujhe sikhane wale. Agar wo mujhe marna chahte the to mujhe kahi par bhi maar sakte the. Fir unhone mujhe ghar me hi marne ki koshish kyon ki.

Nishchal- (chidhkar) Mujhe kya pata. Abki baar jab wo tumhe fir se marne aaye na tab tum unhi se hi pooch lena ye bate.

Sarita- Had hai yaar. Aap kisi bhi baat ka siddha jawab nahi de sakte hain kya.

Nischal- Tumhe sidhi baat kabhi samajh me aati hai kya jo mujhse sidhe jawab ki ummeed karti ho. Tum khud apna dimag nahi laga sakti. PS me tumhe aakar maarenge kya ye log. PS se tumhara nikalne ka samay bhi fix nahi hai ki ye log tumhe raste me target karein. Fir bacha ye ghar. Isase Achhi aur aasan jagah aur kya ho sakti hai unhe apna kam poora karne ke liye.

Sarita- Haan ye baat to sahi kahi aapne.

Nishchal- thik hai. Kal se tum mere ghar me rahogi di ke sath.

Sarita- (hairan hote huwe) Kyon. Main kYon rahungi aapke ghar me. Miann nahi rahungi aapke yahan.

Nischal- Jitna kah raha hoon. Tum utna hi karo. Mujhe tumse is bare me bahas nahi karni hai. Samjhi tum.

Sarita- Aap hain kaun jo main aapki baat manu. Aap kahi ke judge hain jo aapne ek baar bol diya to uspar koi bahas nahi ho sakti. Main nahi rahne wali aapke ghar par.

Nishchal- Main CO ke post par hi thik hoon. MUjhe judge mat banao. Maine jitna kaha hai tumse utna karo.

Sarita- Main aisa kuchh bhi nahi karne wali Samjhe aap.

Nischal- Tumhari pareshani kya hai haan. Mujhe samajh me nahi aata ki tumhara upar ki manjil me kuchh hai ya ekdam khali padi hui hai. Tumne meri baat na man-ne ki kahi mannat mang rakhi hai kya.

Sarita- Nahi. Maine ek baar bol diya to bol diya. Main nahi aane wali aapke ghar.

Nishchal- (gusse se) bhad me jao tum. Jo man ho tumhara wo karo.


Itna kahakr Nischal bahar jane lagta hai. Tabhi kuchh sochkar wapas mudta hai aur Sarita ki taraf aane lagta hai. Sarita sochne lagti hai ki ab ise kya ho gaya hai. Fir se dimag chatega mera. Kahi mujhe abhi apne sath ghar to nahi le jane wala. Tab tak nishchal uske paas pahuch chuka tha. Sarita ke paas aakar nishchal ne apna hanth aage badhaya aur kaha.

Nishchal- Happy Birth Day Miss Joshi.


Nischal ke aisa kahne se Sarita ek tuck Nishchal ko dekhne lagti hai use to yakeen hi nahi ho raha tha ki Nishchal use Janamdin ki badhaai de raha hai. Sarita ko apni taraf ektuch ghoorta huwa pakar nishcal ne usase kaha.


Nischal- Aise kya dekh rahi ho Miss Joshi. Main tumhe janamdin ki badhaai de raha hoon. Tumhari jaan nahi mang raha hoon. Jo mujhe ghoor rahi ho.


Abhi Sarita kuchh bolti iske pahle hi Nishchal ka phone bajne lagta hai. Nischal jab phone dekhta hai to Savita ka phone tha. Nishchal uska phone dekh phone cut kar deta hai, lekin yaha par wo galti se cut karne ke bajay receive ka batan daba deta hai aur phone ko cut samajhkar jeb me phone wapas rakh leta hai. Phone wapas jeb mein rakhne ke baad Sarita bolti hai.


Sarita- haan kah to aise rahe hain jaise bahut jaldi bol diya mujhe. Main kab se intzar kar rahi thi lekin abhi koi matlab nahi rah gaya hai.

Nishchal- Tum had karti ho yaar.


Itna kahkar Nishchal 2 kadam aur Sarita ke paas chala gaya is daruan jab usne apna tisra kadam uthaya to uska pair bed se niche aa gayi chadar me fans gaya jiska ek sira uske doosre pair se daba huwa tha.


Pair chadar me fans jane ke karan wo apne aapko sambhal nahi pata aur ladkhadate huwe Sarita ke upar gir padta hai. Par Sarita ne turant apna bachav karte huwe apna hath uske sine par rakh kar use apne sine par girne se rok diya. Jiske karan dono ke bich ek doori ban jati hai.


Sarita ne apna hanth uske Sine par Rakha tha, Sarita ko aisa mahsoos ho raha tha ki Nischal ke sine ki dhadkarn bahut tez gati se chal rahi hai. Sarita ka bhi yahi haal tha. Dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Ek doosre ki aankho me dekhte huwe dono lagbhag kho se gaye. Yahi Sthiti lagbhag 5 Minute tak bani rahi.


Na Sarita ne Nishchal ko apne upar se hatne ke liye kaha aur na hi apne hanth se use dhakka dekar hataya. Aur na hi Nishchal ne uske upar se uthne ki koshish ki. Nishchal ke phone par bajane wali ringtone ne us dono ko vastvikta ke dharatal par la patka. Sarita ne nishchal ko apne upar se dhakka dekar pare kiya aur uthkar khadi ho gayi. Nishchal ne apna phone nikal kar dekha to phone Savita ka tha. Nishchal ne phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Hello di.

Savi-Nishu kaha hai tu. kitni raat ho gayi hai aur tu abhi tak ghar nahi aaya.

Nishchal- Haan di. kuchh kaam me fans gaya hoon. main ghar nahi aa paunga aaj shayad.

Savi- mujhe pata hai tumhara jaroori kaam aur kaha par hai tu ye bhi pata hai mujhe. tu itni raat ko Sarita ke paas kya kar raha hai.


Savi ki baat sunkar Nishchal chauk gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki Uski di ko kaise pata chala ki wo Sarita ke yaha par hai. use dar nahi tha ki uski di uske bare me kuchh galat sochegi, Kyonki Savi ko NIshchal par poora bharosha tha. Nischal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Haan di main Sarita ke paas hi hoon. jaldi hi nikalta hoon yaha se.


Udhar se Savita ne phone rakh diya. Sarita ne jab ya suna to uski aankhe badi ho gayi. wo gusse se Nishchal ko dekhne lagi. jaise use kacha chaba jayegi. tabhi Nishchal ne isi baat ka phayda uthakar Sarita ko pareshan karne ki sochi aur jhoth moth ke phone kan ke paas lagaye huwe kaha.


Nishchal- Ab main Kya batauun di. Isi ne mujhse jid ki ke aaj raat mujhe iske sath rahna hai to main kya karta. maine bhi socha ki main iski baat maan leta hoon. nahi to ye aapse meri shikayat karegi.


Sarita ne uski baat sunkar use gusse se dekhne lagi. Nishchal ne usko ignore karte huwe kaha.


Nishchal- Nahi di aap bilkul bhi fikar mat kariye. main iske sath iske kamre me hi sounga.


Sarita ne jab ye suna to wo turant Nishchal ke paas pahuchi aur uske hanth se phone cheenkar apne kan me lagate huwe kaha.


Sarita- Nahi di aisa kuchh bhi nahi hai. maine inhe nahi bulaya. ye khud aaye hain yaha. inhone aapse jo bhi kaha hai sab jhooth hai. maine inhe kuchh baat karne ke liye rukne ke liye kaha tha.


doosari taraf se jab koi aawaz nahi sunai di Sarita ko to wo 2-3 baar hello hello boli. jab udhar se koi aawaz nahi aayi to Sarita ne phone ki screen par dekha to waha par koi call nahi dikhi Sarita ne Jab Nishchal ki taraf dekha to wo jor j0r se hans raha tha. Nishchal ko hansta huwa dekhkar Use samajhte der na lagi ki Nishchal ne use chutiya banaya hai. use pareshan kiya hai. ye samajh me aate hi Sarita ne kaha.


Sarita- Aapne ye bilkul bhi achha nahi kiya. main aapko chhodungi nahi.


itna kahkar Sarita Nishchal ko marne ke liye daudi. Ye dekhkar Nishchal apne apko bachane ki koshish karne laga. isi pakadam pakadai me Sarita ka pair bed ke paruwa (paya) me ulajh gaya aur wo niche girne ko hui to Nischal ne furti dikhate huwe Sarita ko tham liya.

tumblr-e615c4084213561262ffe4f624a6eb07-b42cc3b6-400

Sarita ne bhi girne se bachne ke liye apna hanth chalaya to ek Nischal ke kandhe par aur ek hanth Nishchal ki chaudi chhati par aa gaya. Nishchal ne Sarita ko dono hantho se uski kamar ko tham rakha tha. Is samay Sarita jhuki hui Nishchal ki baaho me thi. dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Sarita ko aisa prateet ho raha tha ki Uske hanth ke niche Nishchal ka dil bahut tezi se dhadak raha tha.


Nishchal ke dhadkan ki aawaz sunkar Sarita ke dil ki dhadkan bhi tez ho gayi. Uske honth fadfadane lage. sharir me ek anchahi sihran si daudti chali gayi. dono ek doosre ki aankho me dekhte huwe kho se gaye. dono bahut der tak ek doosre ki aankho me khoye rahe. dono ka dhyaan Sarita ke phone ne toda, jis par kisi ka phone aa raha tha.


Nishchal hadbadate huwe Sarita ko khada kiya Sarita ne sharam ke mare apni najare jhuka li aur phone Sarita ki saheli ka tha jise receive karke apni Saheli se baat karne lagi. jisne use janamdin ki badhai dene keliye phone kiya tha.


Thodi der Sarita ne apni Saheli se baat karne ke baad phone rakha aur apni najar upar uthayi to Nishchal waha par nahi tha. Sarita bed se niche utar kar bahar aayi aur idhar udhar dekhne lagi. magar Nishchal use kahi dikhayi nahi pada to Sarita ne Use aawaz lagayi.


Sarita- Nishchal Sir. Aap kaha par hain.


Magar Use Nischal ki aawaz nahi sunai padi. Nishchal Sarita ke yaha se chala gaya tha. Sarita ne apne kamre ka darwaza band kiya aur Apne bister par late gayi aur sone ki koshish karne lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Jabardastt Updateeee
 

Naik

Well-Known Member
20,207
75,222
258
UPDATE- 29


Raghav ke jane ke baad Sarita Akku ko lekar Savita ke paas chali jati hai aur Savita se kahti hai.


Sarita- Di. Kal subah hi doctor Sabhi bachhiyo ko discharge kar denge. To main soch rahi thi ki kal hi main unhe yaha par chhod doon. Jab tak unke mata pita nahi aa jate unhe lene ke liye. Aapko to pata hai ki mujhe PS ke kaam se kabhi kabhi bahut der ho jati hai kamre par lautne me to Inke liye mere kamre me dikkat ho jayegi.

Savi- To isme itna sochna kya. Kal sabhi bachhiyo ko lekar aa jana. Waise bhi nishu bhi yahi kah raha tha ki jab tak inke maa baap nahi aa jate inhe lene ke liye tab tak main un bachhiyon ko apne NGO me hi rakhu. Agar tum na bhi kahti tab bhi main unhe yahan rakhti.

Sarita- Kya sir ne aisa kaha. Chaliye achha hai koi to achha kaam kiya unhone. Thank You didi aapne meri itni badi pareshani door kar di.


Itna kahkar Sarita Savita ke gale lag jati hai. Thodi der gale lage rahne ke baad wo Savita se alag hoti hai aur usase kahti hai.


Sarita- Thik hai di ab main nikalti hoon. Subah mujhe PS bhi jana hai.

Savi- Itni raat ko tum kahan jaogi. Main tumhe jane ki parmission nahi de sakti. aisa karo aaj raat yahi ruk jao. Main Nishu aur Raghav bhi yahi rukenge. Subah yahi se PS nikal jana.

Sarita- Are nahi didi. Aap kyon takleef karti hain. Mujhe koi dikkat nahi hogi raat ko jane mein. Main chali jaungi.

Savi- Achha thik hai jab tum jana hi chahti ho to main tumhe nahi rokungi, main Nishu ko bol deti hoon wo tumhe kamre tak chhod aayega.


Sarita ne jab ye suna ki Hitlar ko use chhodne ke liye Savita bhej rahi hai to use us din wali ghanta yaad aa gayi jab raat me dinner ke baad Nischal use chhodne ghar aaya tha. Sarita ne socha ki Hitlar ke sath jane se achha hai ki main aaj raat yahi par ruk jaun. Yahi sochkar Sarita ne kaha.


Sarita- Are nahi di. main ja hi nahi rahi hoon. Main to majak kar rahi thi. main to ye dekhna chahti thi ki aap mujhe fir se kahnti hain ki nahi rukne ke liye.

Savi- (muskurate huwe) Haan main samajh rahi hoon Sarita ki tum majak kar rahi thi. Kyonki Nishu ke sath to tum jane se rahi. Achha ab tum dono mere sath aao chalkar sote hain.


Itna kahkar Savita use Aur Akku ko lekar ek kamre me chali gayi. bed par baithne ke baad Akku ne Sarita se kaha.


Akku- Kya ham yaha par rahenge didi.

Sarita- Haan. Kal se aap sabko yahi par rahna hai. Bahut maza aayega aap sabko yaha par. Yaha par aap sabko khelne ke liye bhi milega. Lekin abhi aap so jaiye. Raat bahut ho gayi hai. Subah jaldi se uthkar aap khel sakti hoo.


Akku ne Sarita ki baat sunkar apni aankhe band kar li aur thodi hi der me wo so gayi. uske so jane ke baad Sarita ne Savita se kaha.


Sarita- Kya aap hamesha raat me yahin par rukti hain kyaa.

Savi- Hamesha to nahi, lekin jab kabhi bhi koi function hota hai to main yahi par rukti hoon. Achha ab bahut raat ho gayi hai tum bhi ab so jao.

Sarita- Mujhe neend nahi aa rahi hai di. Kya main kuchh der bahar jakar baith sakti hoon.

Savi- Thik hai. Tab tak main bhi bahar ki sthithi dekh loon.


Dono baat karte huwe bahar ki taraf aane lage. Dono jaise hi kamre ke darwaze ke paas pahuchte hain Bahar se kamre me aa rahe Nischal se Sarita ki takkar ho jati hai. Dono ke sir aapas me takra gaye.


Huwa yun tha ki Nishchal apne mobile se baat karte huwe Sir niche kiye huwe kamre me aa raha tha aur Sarita Savita se baat karne me vyast thi, dono me se kisi ka bhi dyan ek doosre ki taraf nahi tha. Sir me takkar ho jane se Sarita aur Nischal done ne apna sir pakadkar kaha.


Sarita- Kaun hai yaar. Dekh kar nahi chal sakta hai kya.

Nischal- Kaun hai……….


Iske aage ke shabd uske munh me hi rah gaye jab usne samne ki taraf dekha. Sarita bhi Nischal se kuchh nahi bolti bas apna sir sahlati rahti hai. Savi ne dono se kaha.


Savi- Chalo apna sir ek baar fir se ladao.

Sarita- (hairani se)- Kyon.

Savi- Agar dobara sir nahi ladaya to pagal kutta kat lega.

Sarita- Kyaa baat kar rahi hain dii. Sir na ladane se pagal kutta kaise katega.

Nischal- Apne danto se katega aur kaise katega.

Sarita- (ghoorkar) maine aapse poochha kya ?

Nishchal- to tumko bata hi kaun raha hai. Main to di ko bata raha tha.

Sarita- Dekho jyada Smart ban-ne ki koshish mat karo aap. Samjhe.

Nishchal- main kyon smart banunga. Main to bachapan se smart hoon.

Sarita- chup rahiye aap nahin to..

Nischal- Nahi to kya. Kya kar logi tum.


Dono ki tu tu, main main fir se shuru ho gayi. Savita ne bich me rokte huwe kaha.


Savi- Bas karo tum dono. Jab dekho tab tum dono shuru ho jate ho. na jagah dekhte ho aur na hi samay dekhte ho. pahle jo bola hai wo karo.

Sarita- Main in sab baton ko nahi manti di.

Nishchal- (ekdam dhime se) Mat mano. Jab pagal kutta katega tab pata chalega.

Sarita- Dekhiye jo bhi bolna hai aapko wo samne se boliye. Aise madhumakkhiyon ki tarah bhinbhinana band kar dijiye.

Nishchal- tum Kya samajhati ho ki main tumse darta hoon jo tumhare samne bolne me main thar thar kanpne lagunga.

Sarita- Darte ho tabhi to makkhi ki tarah bhinbhina rahe ho.

Savi- (gusse se) Bas bahut huwa tum dono ka bachho ki tarah jhagadna. Agar abhi bhi tum dono shant nahi huwe to main tum dono ko ek kamre me band kar dungi. Fir ladte rahna dono raat bhar. Kab se kah rahi hoon chup ho jao chup ho jao lekin meri baat samajh me hi nahi aati tum dono ko.

Nischal- (Ekdam se) Mujhe koi problem nahi hai kamre me band hone me.

Sarita & Savi- Kya kaha ???

Nischal- (man me) Are Yaar. Ye kya bol gaya main. Pata nahi dono kya soch rahi hongi mere bare me. (fir Savi se) woo…. Dii.. mera matlab tha ki mujhe sir wala jo matter hai usake liye main taiyaar hoon.

Savi- Achha tum iske liye taiyar ho. main to kuchh aur samjhi thi.


Savi ki baat sunkar Sarita Nischal ke bagal me jakar khadi ho gayi aur apne sir se uske sir me halki si takkar mar di aur Savita se kaha.

Sarita- Ab to maine dobara sir lada diya hai. Ab to pagal kutta nahi katega na.


Sarita ki baat sunkar Savita jor jor se hansne lagi. Tabhi pichhe se Raghav ki aawaz aayi.


Raghav- Kyaa di. Abhi tak aapki Mazak karne ki aadat nahi gayi hai.

Sarita- (Chaunkar) Mazakkk.

Raghav- Haan ye jo abhi didi kar rahi thi na ye inki bahut purani aadat hai. Main ye sir ladane wali hi baat kar raha hoon. Di hamesha aise hi karti thi. agar kisi ka sir galti se doosre se takra jata tha to di hamesha uska sir doosri baar ladwati thi. is chakkar mein kai baat jhagda bhi ho jaya karta tha jab doosri baar gusse ke karan koi bahut jor se apna sir doosre ke sir par marta tha. Ye dekhkar didi maza leti thi. ye pagal kutta wutta kuchh nahi kat-ta. Ye to bas didi Mazak me bola karti thi. Are pagal kutta katne se jyada to didi pahle hi unka sir phodwa deti thi.


Raghavv ki baat sunkar Sarita Savi ki taraf hairan hokar dekhne lagi thi. Udhar Nishchal ka koi phone aa jata hai to wo waha se bahar chala jata hai. Sarita ke hairani se dekhne ke karan Savi usase kahti hai.


Savi- Are Sarita aise mat dekho mujhe. Maine to ye Mazak sirf tumhara mood thikk karne ke liye kiya tha. Iske alava mera koi aur irada nahi tha.

Sarita- Koi baat nahi di. ab main bahar ja kar baithti hoon.


Itna kahkar Sarita bahar aa jati hai aur kuchh hi doori par lagi bench par aakar baith jati hai. Kuchh der baad Raghav bhi waha aa jata hai aur bench ke doosre kone par baith jata hai. Baithne ke kuchh der baad Raghav Sarita se kahta hai.


Raghav- Lagta hai aap ne didi ki baato ka bura man liya.

Sarita- Nahi Raghav ji. Mujhe di ki baat ka bilkul bhi bura nahi laga.

Raghav- Agar di ki baat ka aapko buran ahi laga to fir aap yaha par aakar kyon baith gayi hain.

Sarita- Are aisi baat nahi hai. Aaj di ko maine pahli baar itna khush dekha hai. Unko dekhkar aaj mujhe apni chhoti bahan ki yaad aa gayi. wo bhi aise hi hansti muskurati rahti hai.

Raghav- Di aisi hi hain Sarita ji. Sabko Hamesha Khush rakhne ki koshish karti rahti hain. Aap mujhe hi dekh lijiye. Unse mera khoon ka Rishta nahi hai. Fir bhi wo mujhe apna bhai manti hain. Nishchal se jyada wo mujhe pyaar karti hain.

Sarita- Kya aap unke sage bhai nahi hain??

Raghav- Nahi Sarita ji. Di se meri mulakat NGO me hui thi.

Sarita- Ohhhh Achha. To aap bhi NGO me kam karte hain.

Raghav- Nahi to. Main to aapko pahle hi bata diya hai ki main ek chhota sa business karta hoon. Darasal baat ye hai ki main ek anath hoon. Main bhi in bachhon ki tarah NGO mein rahta tha. Wahi par meri mulakat Di aur Nishchal se hui thi. Nishchal ne mujjhe apna dost ban aliya aur di ne mujhe apna bhaai. Aaj Di, Nischal aur unke mummy papa hi mere pariwar hain.

Sarita- Ohhhh. I Am Sorry, Mera irada aapka dil dukhane ka nahi tha.

Raghav- Are nahi sarita Ji. Isme soryy ki koi baat hai hi nahi. Achha ab raat bahut ho gayi hai. Main sone ja raha hoon. Good night.

Sarita- Good Night.

Itna bolkar Raghav sone ke liye chala gaya. Kuchh der baithne ke baad Sarita bhi sone ke liye chali gayi. wo jakar Akku ke bagal me late gayi aur neend ki aagosh me chali gayi. Subah Sarita ki neend Savita ka jagane se khuli.

Savi- Good Morning Inspector Sahiba. Aapko Duty par nahi jana kya?


Sarita jhatne se apne aankhe khol di aur idhar udhar dekhne lagi. Sarita ne Savi ko dekhkar kaha.


Sarita- Good Morning Di. Aap yaha kaise di.

Savi- Yaha kaise ka kya matlab. Achha ab samjhi. Tum apne ghar par nahi ho. tum meri NGO me ho. Ab uth jao.

Sarita- Sorry di. maine socha ki main apne kamre me hoon aur aap subah subah mere kamre me aa gayi hain.

Savi- Wo sab chhodo. Tumne jo karnama kiya hai uski khabar aaj bhi News papar me chhai hui hai. Har taraf tumhare hi charche hain. Sarita

Sarita- Are di. maine aisa kya kar diya.

Savi- Achha. To bachhiiyo ke rescue karna koi aasan kam tha kya. Aur kah rahi ho maine aisa kya kar diya.

Sarita- Achha aap uski baat kar rahi hain. Wo to mera farz tha di. 8 baj gaye hain mujhe PS bhi jana hai to main chalti hoon abhi. PS se hospital jakar bachhiyo ko lekar aa jaungi main. Akku ko main yahi par chhod deti hoon.


Sarita aur Savita sath me hi ghar jane ke liye nikalte hain. Bahar aane ke baad Savita ne Ek gadi ki rafar ishara karte huwe kaha.


Savi- Sarita Raghav kuchh kam ke silsile me usi taraf ja raha hai maine use bol diya hai. Wo tumhe tumhare quarter tak chhod dega. Wo us gadi me baitha hua hai.

Sarita- Thik hai di.


Itna kahkar Sarita Savita ki batayi hui gadi ki taraf jane lagti hai. Jab wo us gadi ka gate kholkar usme baithne lagti hai to use us gadi me Raghav ki jagah Nishchal baitha hua dikhayi deta hai. Use dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Sorry. I think main galat gadi me aa gayi hoon.


Itna kahkar Sarita bahar nikalne lagti hai to Nischal ne uska hanth pakad liya aur kaha.


Nishchal- tum bilkul sahi gadi me baith rahi ho Sarita. Raghav di ko chhodne ja raha hai.

Sarita- Dekhiye mera hanth chhodiye. Main auto se chali jaungi.

Nishchal- Kahi nahi ja rahi ho tum. Ab chupchap gadi me baitho. Di ne bola hai tumhe drop karne ke liye to mujhe koi drama nahi chahiye. Main di ko kya jawab doonga.

Sarita- Di ne aapko nahi Raghav ko bola tha mujhe drop karne ke liye. Isliye aap mera hanth chhodiye.

Nishchal- Ab chahe Raghav ko bole ya mujhe bole. Baat to ye hai ki tumhe drop karna hai. Ab wo main drop karun ya Raghav drop kare.

Sarita- (masoomiyat ke sath) Achha Mera hanth chhodiya. Main kahin nahi ja rahi hoon. Aap hi mujhe drop kariyega.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ko dal me kuchh kala laga. Wo sochne laga ki ye jangli billi itni aasani se man kaise gayi. jaroor kuchh soch rahi hogi. Fir bhi Nishchal ne Sarita ka hath chhod diya. Sarita ka hath chhutne bhar ki der thi ki Sarita gadi ka gate kholkar 9-2-11 ho gayi aur road ki doosri taraf bhag gayi. Nishchal ke chehre par muskan aa gayi aur usne apnea ap se kaha.


Nischal- Mujhe pata tha ki iske man me kuchh n kuchh jaroor chal raha hai. Aakhir itni aasani se kaise maan gayi ye. Apni aadat se kabhi baaz nahi aayegi ye ladki. Mujhe iska hanth chhodna hi nahi chahiye tha. Jangali billi..


Sarita road ke doosri taraf khadi auto me baith gayi aur apne quarter ki taraf chal padi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Bahot behtareen
Shaandaar update Mahi ji
 

Naik

Well-Known Member
20,207
75,222
258
UPDATE- 30


Sarita Auto se apne Quarter pahuchi aur fresh wagairah hokar PS ke liye nikal gayi. PS me aaj roz ki apeksaha aaj jyada bhid thi. pata chala ki media wale fir se Sarita ka interview lena chahte hain. jisase unke channel ki trp badh jaye. Sarita ko limelite me rahna achha nahi lagta tha isliye usne sabhi ko ye kahkar jane ke liye bol diya.


Sarita- maine jo bhi kiya use apna farz samajh kar kiya. maine aisa koi kaam nahi kiya hai jiske liye mujhko itni tavajjo di ja rahi hai. samaj me sabhi ko ek doosre ki madad karni chahiye. har jagah police nahi pahuch sakti. isliye aap logo ki bhi kuchh naitik jimmedari hai. jiske liya aapka bhi kuchh farz banta hai.

Meri news dikhane ke bajay aap desh me badh rahi berojgari ki samasya ke bare me news dikhaiye. Roj balatkaar ki ghatnaon ghat rahi hain uspar lagaam lagane ke liye prashashan aur janta ko jagruk katne ki news dikhaiye. mahilao ka samman karna chahiye aisi news dikhaiye. meri news dikhakar aapko kuchh hasil hone wala nahi hai. isliye aap sab meharbani karke yaha se chale jaiye aur mujhe apna kam karne dijiye.


Media walo ke chale jane ke baad Sarita apne cabin me chali gayi. thodi der baad use Rawat Sir ne apne paas bulaya aur kaha.


Rawat Sir- Ye sab kya hai Sarita beti. ye sab karne ki kya jaroorat thi.

SArita- Jaroorat thi Sir, Kabhi na kabhi to in sab par laggam lagane ki jaroorat thi hi. ham kab tak aise hath par hath dhare huwe baithe rahte. Hamare isi attutute ka wo fayda uthate hain. Unhe lagta hai ki police wale kisi kam ke nahi hain. wo un logo ka kuchh nahi bigad sakte. wo samajhte hain ki wo chahe kuchh bhi kar jaye. pulice unka kuchh nahi kar payegi. police to unki jeb me hai.

unka jab man chahega unse kaam nikalwa lenge. lekin unki soch galat hai police itni nikammi bhi nahi hai ki wo kuchh bhi kar le aur ham hath par hath dhare baithe rahe.

Rawat Sir- Tumhari baat bilkul sahi hai Beti. Police ko unpar lagam lagani chahiye, lekin Abhi tum nayi ho aur in sab mamlon se anjan ho, tum abhi kuchh din pahle hi aayi ho aur hame salon ka anubhav hai is mamle mein.

Sarita- Main manti hoon Sir ki main abhi aap logo ki tarah Anubhavi nahi hoon. par jo galat hota hai wo hamesha galat hota hai. aur meri aankho ke samne jo galat hota hai ya galat ho raha hai main use rokne ki poori koshish karungi. Ab chane mujhe isme kamyabi mile ya nakami. mujhe isase koi fark nahi padta.

Rawat Sir- Tumhari baat bilkul thik hai beti. lekin aise to tumhari jaan ko khatra ho sakta hai.

Sarita- Mujhe uski koi parwah nahi hai Sir. Aap nahi jante Sir ye log upar se dikhne me jitney khonkhar dikhte hain andar se utne hi bujdil hote hain. agar ham apni par aa jaye to ye log 1 minute bhi hamara samna nahi kar sakte.

Rawat Sir- Tum bilkul thik kah rahi ho beti. Police agar apni par aa jaye to sare gunde ek minute mein maidan chhodkar bhaag jayein. Tumne jo abhi tak kiya so kiya, lekin aage jo bhi karna thoda soch vichar kar aur sawdhani se karna.

Sarita- thik hai Sir. Waise Sir ek baat aur poochhni thi. wo jis area me pulice ko tainat karna tha uski permission mil gayi hai ya nahi mili abhi.


Rawat Sir bhi jante the ki usase bachha singh ke mamle me kuchh bhi baat karne ka koi fayda nahi hai. Saarita jab dhire dhire yahan ke mahaul ko janegi to sab samajh jayegi, isliye Rawat Sir ne Aage is mudde par baat nahi ki bas Sarita ke poochhe gaye sawal ka jawab unhone diya.


Rawat Sir- Haan. SP Sir ne permission de di hai. tum turant kuchh aadmiyon ko tainaat karwa do waha par.

Sarita- Okk Sir. Thank you. Ab main ja rahi hoon. bahut kaam pending hai Sir.


Itna bolkar Sarita Apne cabin me chali gayi aur apna kam karne lagi. Sarita ne Jin logo ko pakada tha unse Bachha singh ka pata ugalwane ki bahut koshish ki lekin koi bhi munh kholne ko taiyaar nahi tha. Sarita ne fir kuchh sochte huwe apne aap se hi kaha.


Sarita- (man me) Ye bachha Singh to bahut pahuchi hui cheez hai, isne ab tak koi action bhi nahi liya. lagta hai ye Undar ground ho gaya hai. Abhi mujhe bhi kuchh din shant ho jana chahiye. Kabhi na Kabhi to Wo samne aayega hi. tab dekhti hoon main isko. ye sab police ka itna torchar sah rahe hain lekin apna munh kholne ke liye taiyar nahi hain. lagta hai bachha singh ki pakad bahut Upar tak hai. isiye ye dark e karan apna munh band kiye huwe hain. Abhi mujhe bhi shanti se kaam lena padega.


Idhar Nishchal ne Mohit aur Jawed ko Phone karke ek jagah milne ke liye bulata hai. Nischal ka phone aane se dono bahut dare huwe the. Dono ko dar tha ki us din ke baad se Nishchal ne unko phone nahhi kiya tha. kahi wo dono ko saza den eke liye to nahi bula rahe hain. dono Nishchal ki batayi hui jagah par pahuche to Nishchal waha pahle se hi maujood tha. Use dekhte hi dono ne Use selute kiya.


Dono- Jai hind Sir.

Nishchal- Jai Hind. Aa gaye tum dono. main tum dono se pichhle kai din se milne ki koshish kar raha tha, lekin samay hi nahi mil pa raha tha. aaj finely samay mil hi gaya. Aur bataiye aap dono Kya haal hain aapke.

Mohit- Dekhiye Sir Agar aap us baat ke liye Hamse naraz hain aur Saza dena chahte hain to Saza kewal mujhko hi dijiye. Madam ko maien hi Sabkuchh bataya hai. Isme Jawed ki koi galti nahi hai.


Mohit ne ye baat Ek hi Sans me Nischal se kah di. Mohit ki baat Sunkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Are Shant raho tum Mohit. Us baat ke liye main tum dono ko kuchh nahi bolunga. Jab wo mujhe chakma de sakti hai to fir bhi tum log Uske samne kya tikoge.


Nischal ki baat sunkar Mohit aur Jawed ek doosre ko dekhne lage. Jawed ne Apne hanth upar hava me uthate huwe kaha.


Jawed- Hey Khuda. Ye Sarita madam to kitni chalak hain. Mohit to Mohit. Unhone to Sir ko bhi nahi chhoda.

Nishchal- (muskurate huwe) Achha ab ye nautanki band karo tum dono. Maine jis kam ke liye tum dono ko bulaya hai wo to sun lo. Maine tum dono ki us galti ko maaf kar diya hai aur uski koi saza nahi de raha hoon, lekin agar is baar tum dono se koi chuk hui to samajh lena main kya karunga tum dono ke sath.

Mohit- Koi gadbad nahi hogi Sir. Is baar ham apne kaam me poori tarah samarpit hokar karenge.


Uske baad Nishchal ne dono se kuchh der tak kisi mudde par baat ki aur Dono ki hidayat dekhar nishcahl waha se chala gaya. Nishchal ke jane ke baad Jawed ne mohit se kaha.


Javed- Chaliye ab Sarkar aur is baar koi gadbad mat kariyega. nahi to Sir khatiya khadi kar denge ham dono ki.

Mohit- (muskurate huwe) Hhhmmmmm. Is baat poori mustaidi ke sath kaam karnege.


Sarita Sam tak PS ke kam me uljhi rahi aur Apna kam khatam karne ke baad Wo Hospital chali gayi aur. Sabhi Bachho ko discharge karwakar Unhe lekar NGO chali gayi. Savi ko Usne pahle hi phone kar diya tha isliye wo NGO me pahle se hi maujood thi. Sabhi Bachhiya NGO pahuchkar bahut khush thi. Akku ki khushi ka thikana nahi tha.


Sabi bachhiyo ko NGO me chhodne ke baad kuchh der tak Savi se baat karne ke baad Raat ke lagbhag 10-10.30 par sarita Apne Quarter ki taraf nikal gayi. Quarter par pahuch kar fresh hone ke baad Sarita ne Apne liye coffee banayi aur Aangan me rakhi kursi par baithkar coffee pine lagi. Tabhi unka phone bajne laga. SArita ne phone dekha to wo Manisha ka phone tha. Sarita ne phone uthaya.


Sarita- Hello Manisha.

Manisha- Hey Didiya. Kaisi ho aap.

Sarita- Main Achhi hoon. tum batao apna.

Manisha- (udas hokar) Thik hi hoon main bhi.

Sarita- Kya huwa Meri Manisha ko. Itna Udaas kyon hai.

Manisha- Kya karu didiya. KHush rahu kya. Ek to tum apna birthday bhi hamare sath nahi mana rahi ho. upar se pooch rahi ho ki main udas kyon hoon.

Sarita- Achha, Isliye meri Manisha Udas hai. Waise tujhe udas hone ki jaroorat nahi hai. maine chhutti ke liye application dal diya hai. Shayad 1 hafte me main ghar aa jaun.

Manisha- Kyaa fayada didiya. Tumhara janamdin to kal hai na. to tum ek hafte baad aakar kya karogi. Rahne do tum aane ke liye.

Sarita- To tumhe kya lagta hai ki main apna janamdin selebarate karne ke liye aa rahi hoon. nahi. mujhe tumhari aur mummy papa ki bahut yaad aati hai isliye main milne ke liye aa rahi hoon.

Manisha- Are Wahh. Tumko to bahut jaldi ham logo ki yaad aa gayi didiya.

Sarita- Achha chup kar Ab. nahi to bahut pitegi mujhse tu.

Manisha- Achha ye sab chhodo didiya. Tumhe yaad hai na ki ham log birthday par kya kya karte hain.

Sarita- Haan meri maa. mujhe sab yaad hai. mujhe aate samay sabki liye gift lekar aana hai. hamare yaha par ulta riwaz hai. Birthday par Gift milta nahi hai balki birthday ke din gift diya jata hai.

Manisha- Wahh Wahhh Inspector Sahiba. Dekha meri sangat me rahkar tumhara dimag kitni tezi se kaam karta hai..

Sarita- Haann dadii amma. Agar abhi tum mere samne hoti to ek kan ke niche lagati to sahi ho jati tum.

Manisha- Kya yaar didiya. Har samay Marne ki hi baate karti rahti ho. jaise lag hi raha tum lady don ho koi inspector nahi ho tum.

Sarita- Achha chal bas kar ab. bahut baate karne lagi ho tum ab. ye sab chhod. ye bata mummy papa sab kaise hain.

Manisha- Sab bahut Achhe hain aur tumko bahut yaad karte hain. kal tumhara janamdin hai to maan tumhe bahut yaad kar rahi hain.

Sarita- Mujhe bhi maa papa ki bahut yaad aati hai. main jaldi hi aati hoon maan papa se milne ke liye.

Manisha- Thik hai didiya. ab main phone rakhti hoon. Raat ko thik 12.00 baje video call karungi. so mat jana tum.

Sarita- Thik hai. main intezaar karungi.


Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. Abhi wo phone rakhti hi hai ki Achanak se light cut ho gayi. light cut hone ke sath hi kuchh niche girne ki aawaz tannn ki ayi. Jise sunkar Sarita ne man me hi kaha.


Sarita- (Man me) Is light ko bhi abhi jana tha aur ye kya girne ki aawaz aayi. chalkar dekhti hoon.


Yahi sochkar Sarita ne apna mobile kursi par rakh diya aur us taraf chali gayi jis taraf se use aawaz aayi thi. jaise hi wah us kamre ke paas pahuchi tabhi kisi ne use pichhe se daboch liya aur uska hanth pakadkar apni taraf pith ke bal kheech liya. jiske karan wo us sakhs ke sine se pith ke bal chipak gayi. jaise hi us sakhs ne use kheecha wo chillane hi ja rahi thi ki tabhi Us sakhs ne apna hanth aage badhakar unke munh par rakhkar uski cheekh ko daba diya.


Sarita Hast Prad thi ki ye kaun ho sakta hai jo itni raat ko uske kamre me aakar use pakad rakha hai. Sarita use dhakka dene hi wali hoti hai ki wo sakhs Sapna honth Sarita ke kano ke paas lakar dhire se bolta hai.


Sakhs- Aawaz mat karna. Main Nishchal hoon. Mujhe pata chala hai ki 2-3 Log tumhare ghar me ghus chuke hain aur tumhe nuksan pahuchana chahte hain. main apna hanth tumhare munh se hata raha hoon. plz tum chillana bilkul bhi mat nahi to unhe pata chal jayega.


lekin yaha ek Ajeeb baat ye ho gayi ki jab Nishchal apna honth Sarita ke kan ke paas lakar use sab bata raha tha. tab do char shabd bolne ke baad uska honth Sarita ke kan ko touch kar gaya. jiske karan Sarita ek but banker khadi rah gayi. jaise jaise Nishchal Sarita ke kan me bol raha tha. waise waise Sarita ke sharer me ajeeb si sansanahat daudne lagi.


Uske sanso ki chhuwan se Sarita siharne lagi. Sarita ke rongte khade ho gaye Nischal ki garam sanso aur uske hontho ki chhuwan se. Sarita ne bas ‘’Main Nishchal hoon’’ itna hi suna. uske baad to Sarita alag hi duniya me pahuch gayi. Nishchal ne Apna Hanht uske munh se hata liya tha, parnatu uska ek hanth abhi bhi Sarita ke pet par tha. munh se hanth hatne ke baad bhi Sarita abhi bhi but bani khadi thi, Use dekhkar Nishchal ne kaha.


Nischal- Tum thik to ho na Miss joshi.


Lekin Sarita ko koi hosh nahi tha ki wah kya bol raha hai. ye dekhkar Nischal ne apna hanth uske pet se hataya aur dono hanth uske kandhe par rakhkar use jhakjhorte huwe bola.


Nishchal- Sarita . tum thik to ho na. tum sun rahi ho jo maine tumse kaha.

Sarita (Neend se jagte huwe) haa……… Aaa….. Aaap itni Raat ko yahaa kyaa kar rahe hain.

Nishchal- (fusfusate huwe) Dheere bolo Sarita. maine abhi tumse jo kuchh bhi kaha wo tumhe sunai nahi diya kya.

Sarita- (chillakar) Main kyon dhire bolu. ye mera ghar hai. aap itni raat ko mere ghar me kya kar rahe hain. mujhe aapki niyat par shak ho raha hai.

Nishchal- (fusfusakar) Tum Kuchh bhhiii………….


Abhi Nishchal ne itna hi kaha tha ki light aa gayi. light aane ke baad Sarita aur Nishchal ne dekha ki Samne do Aadmi khade the. jinme se ek ke hath me gun thi aur doosre ke hanth me danda tha. Sarita aur Nishchal kahi bahar bhag bhi nahi sakte the. Kyonki Darwze ke samne wo dono Aadmi khade the. pichhe ki taraf deewar thi. Ab dono poori taraf se kamre me fans chuke the. Nishchal ne apne sir Pit-te huwe kaha.


Nischal- Tumne meri baat na man-ne ki kasam kha rakh hai kya. kabhi to meri baat maan liya karo. ab bhugto.


sarita ko kuchh samajh nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai. use to bas yahi dikh raha tha ki wo do aadmi uske samne hanth me gun aur danda liye khade huse hain. Tabhi Sarita ko apni sthiti ka bhan huwa to wo Nischal ka hath apne Kandhe se hataya aur us-se alag khadi hote huwe boli.


Sarita- Kaun ho tum log. tum log yaha kya kar rahe ho. aur tumhari himmat kaise hui mere ghar me ghusne ki. tumhe pata hai ki tum kiske ghar me ghuse ho.

pahla aadmi- Hamko pata hai ki ham kiske ghar me ghuse hain. maine to socha tha ki tu bhag gayi hogi, lekin yaha to tum dono ka romance chal raha hai. jise shayad ham dono ne disturb kar diya hai, lekin koi nahi tum dono chinta mat karo. tum dono apna romance upar jakar kar continue rakhna. ab tum dono marne ke liye taiyar ho jao. hamare paas jyada samay nahi hai.


itna kahkar wo aadmi apne doosre sathi ko dekhkar hansne laga.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Badhiya shaandaar update Mahi ji
Yeh kon aa gaya Sarita ko marne or uski galti k chkker m nischal bhi fas gaya dekhte kia hota h
 
Top