• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

dhparikh

Well-Known Member
6,545
7,910
173
UPDATE- 30

Sarita Auto se apne Quarter pahuchi aur fresh wagairah hokar PS ke liye nikal gayi. PS me aaj roz ki apeksaha aaj jyada bhid thi. pata chala ki media wale fir se Sarita ka interview lena chahte hain. jisase unke channel ki trp badh jaye. Sarita ko limelite me rahna achha nahi lagta tha isliye usne sabhi ko ye kahkar jane ke liye bol diya.

Sarita- maine jo bhi kiya use apna farz samajh kar kiya. maine aisa koi kaam nahi kiya hai jiske liye mujhko itni tavajjo di ja rahi hai. samaj me sabhi ko ek doosre ki madad karni chahiye. har jagah police nahi pahuch sakti. isliye aap logo ki bhi kuchh naitik jimmedari hai. jiske liya aapka bhi kuchh farz banta hai.

Meri news dikhane ke bajay aap desh me badh rahi berojgari ki samasya ke bare me news dikhaiye. Roj balatkaar ki ghatnaon ghat rahi hain uspar lagaam lagane ke liye prashashan aur janta ko jagruk katne ki news dikhaiye. mahilao ka samman karna chahiye aisi news dikhaiye. meri news dikhakar aapko kuchh hasil hone wala nahi hai. isliye aap sab meharbani karke yaha se chale jaiye aur mujhe apna kam karne dijiye.

Media walo ke chale jane ke baad Sarita apne cabin me chali gayi. thodi der baad use Rawat Sir ne apne paas bulaya aur kaha.

Rawat Sir- Ye sab kya hai Sarita beti. ye sab karne ki kya jaroorat thi.

SArita- Jaroorat thi Sir, Kabhi na kabhi to in sab par laggam lagane ki jaroorat thi hi. ham kab tak aise hath par hath dhare huwe baithe rahte. Hamare isi attutute ka wo fayda uthate hain. Unhe lagta hai ki police wale kisi kam ke nahi hain. wo un logo ka kuchh nahi bigad sakte. wo samajhte hain ki wo chahe kuchh bhi kar jaye. pulice unka kuchh nahi kar payegi. police to unki jeb me hai.

unka jab man chahega unse kaam nikalwa lenge. lekin unki soch galat hai police itni nikammi bhi nahi hai ki wo kuchh bhi kar le aur ham hath par hath dhare baithe rahe.

Rawat Sir- Tumhari baat bilkul sahi hai Beti. Police ko unpar lagam lagani chahiye, lekin Abhi tum nayi ho aur in sab mamlon se anjan ho, tum abhi kuchh din pahle hi aayi ho aur hame salon ka anubhav hai is mamle mein.

Sarita- Main manti hoon Sir ki main abhi aap logo ki tarah Anubhavi nahi hoon. par jo galat hota hai wo hamesha galat hota hai. aur meri aankho ke samne jo galat hota hai ya galat ho raha hai main use rokne ki poori koshish karungi. Ab chane mujhe isme kamyabi mile ya nakami. mujhe isase koi fark nahi padta.

Rawat Sir- Tumhari baat bilkul thik hai beti. lekin aise to tumhari jaan ko khatra ho sakta hai.

Sarita- Mujhe uski koi parwah nahi hai Sir. Aap nahi jante Sir ye log upar se dikhne me jitney khonkhar dikhte hain andar se utne hi bujdil hote hain. agar ham apni par aa jaye to ye log 1 minute bhi hamara samna nahi kar sakte.

Rawat Sir- Tum bilkul thik kah rahi ho beti. Police agar apni par aa jaye to sare gunde ek minute mein maidan chhodkar bhaag jayein. Tumne jo abhi tak kiya so kiya, lekin aage jo bhi karna thoda soch vichar kar aur sawdhani se karna.

Sarita- thik hai Sir. Waise Sir ek baat aur poochhni thi. wo jis area me pulice ko tainat karna tha uski permission mil gayi hai ya nahi mili abhi.

Rawat Sir bhi jante the ki usase bachha singh ke mamle me kuchh bhi baat karne ka koi fayda nahi hai. Saarita jab dhire dhire yahan ke mahaul ko janegi to sab samajh jayegi, isliye Rawat Sir ne Aage is mudde par baat nahi ki bas Sarita ke poochhe gaye sawal ka jawab unhone diya.

Rawat Sir- Haan. SP Sir ne permission de di hai. tum turant kuchh aadmiyon ko tainaat karwa do waha par.

Sarita- Okk Sir. Thank you. Ab main ja rahi hoon. bahut kaam pending hai Sir.

Itna bolkar Sarita Apne cabin me chali gayi aur apna kam karne lagi. Sarita ne Jin logo ko pakada tha unse Bachha singh ka pata ugalwane ki bahut koshish ki lekin koi bhi munh kholne ko taiyaar nahi tha. Sarita ne fir kuchh sochte huwe apne aap se hi kaha.

Sarita- (man me) Ye bachha Singh to bahut pahuchi hui cheez hai, isne ab tak koi action bhi nahi liya. lagta hai ye Undar ground ho gaya hai. Abhi mujhe bhi kuchh din shant ho jana chahiye. Kabhi na Kabhi to Wo samne aayega hi. tab dekhti hoon main isko. ye sab police ka itna torchar sah rahe hain lekin apna munh kholne ke liye taiyar nahi hain. lagta hai bachha singh ki pakad bahut Upar tak hai. isiye ye dark e karan apna munh band kiye huwe hain. Abhi mujhe bhi shanti se kaam lena padega.

Idhar Nishchal ne Mohit aur Jawed ko Phone karke ek jagah milne ke liye bulata hai. Nischal ka phone aane se dono bahut dare huwe the. Dono ko dar tha ki us din ke baad se Nishchal ne unko phone nahhi kiya tha. kahi wo dono ko saza den eke liye to nahi bula rahe hain. dono Nishchal ki batayi hui jagah par pahuche to Nishchal waha pahle se hi maujood tha. Use dekhte hi dono ne Use selute kiya.

Dono- Jai hind Sir.

Nishchal- Jai Hind. Aa gaye tum dono. main tum dono se pichhle kai din se milne ki koshish kar raha tha, lekin samay hi nahi mil pa raha tha. aaj finely samay mil hi gaya. Aur bataiye aap dono Kya haal hain aapke.

Mohit- Dekhiye Sir Agar aap us baat ke liye Hamse naraz hain aur Saza dena chahte hain to Saza kewal mujhko hi dijiye. Madam ko maien hi Sabkuchh bataya hai. Isme Jawed ki koi galti nahi hai.

Mohit ne ye baat Ek hi Sans me Nischal se kah di. Mohit ki baat Sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Are Shant raho tum Mohit. Us baat ke liye main tum dono ko kuchh nahi bolunga. Jab wo mujhe chakma de sakti hai to fir bhi tum log Uske samne kya tikoge.

Nischal ki baat sunkar Mohit aur Jawed ek doosre ko dekhne lage. Jawed ne Apne hanth upar hava me uthate huwe kaha.

Jawed- Hey Khuda. Ye Sarita madam to kitni chalak hain. Mohit to Mohit. Unhone to Sir ko bhi nahi chhoda.

Nishchal- (muskurate huwe) Achha ab ye nautanki band karo tum dono. Maine jis kam ke liye tum dono ko bulaya hai wo to sun lo. Maine tum dono ki us galti ko maaf kar diya hai aur uski koi saza nahi de raha hoon, lekin agar is baar tum dono se koi chuk hui to samajh lena main kya karunga tum dono ke sath.

Mohit- Koi gadbad nahi hogi Sir. Is baar ham apne kaam me poori tarah samarpit hokar karenge.

Uske baad Nishchal ne dono se kuchh der tak kisi mudde par baat ki aur Dono ki hidayat dekhar nishcahl waha se chala gaya. Nishchal ke jane ke baad Jawed ne mohit se kaha.

Javed- Chaliye ab Sarkar aur is baar koi gadbad mat kariyega. nahi to Sir khatiya khadi kar denge ham dono ki.

Mohit- (muskurate huwe) Hhhmmmmm. Is baat poori mustaidi ke sath kaam karnege.

Sarita Sam tak PS ke kam me uljhi rahi aur Apna kam khatam karne ke baad Wo Hospital chali gayi aur. Sabhi Bachho ko discharge karwakar Unhe lekar NGO chali gayi. Savi ko Usne pahle hi phone kar diya tha isliye wo NGO me pahle se hi maujood thi. Sabhi Bachhiya NGO pahuchkar bahut khush thi. Akku ki khushi ka thikana nahi tha.

Sabi bachhiyo ko NGO me chhodne ke baad kuchh der tak Savi se baat karne ke baad Raat ke lagbhag 10-10.30 par sarita Apne Quarter ki taraf nikal gayi. Quarter par pahuch kar fresh hone ke baad Sarita ne Apne liye coffee banayi aur Aangan me rakhi kursi par baithkar coffee pine lagi. Tabhi unka phone bajne laga. SArita ne phone dekha to wo Manisha ka phone tha. Sarita ne phone uthaya.

Sarita- Hello Manisha.

Manisha- Hey Didiya. Kaisi ho aap.

Sarita- Main Achhi hoon. tum batao apna.

Manisha- (udas hokar) Thik hi hoon main bhi.

Sarita- Kya huwa Meri Manisha ko. Itna Udaas kyon hai.

Manisha- Kya karu didiya. KHush rahu kya. Ek to tum apna birthday bhi hamare sath nahi mana rahi ho. upar se pooch rahi ho ki main udas kyon hoon.

Sarita- Achha, Isliye meri Manisha Udas hai. Waise tujhe udas hone ki jaroorat nahi hai. maine chhutti ke liye application dal diya hai. Shayad 1 hafte me main ghar aa jaun.

Manisha- Kyaa fayada didiya. Tumhara janamdin to kal hai na. to tum ek hafte baad aakar kya karogi. Rahne do tum aane ke liye.

Sarita- To tumhe kya lagta hai ki main apna janamdin selebarate karne ke liye aa rahi hoon. nahi. mujhe tumhari aur mummy papa ki bahut yaad aati hai isliye main milne ke liye aa rahi hoon.

Manisha- Are Wahh. Tumko to bahut jaldi ham logo ki yaad aa gayi didiya.

Sarita- Achha chup kar Ab. nahi to bahut pitegi mujhse tu.

Manisha- Achha ye sab chhodo didiya. Tumhe yaad hai na ki ham log birthday par kya kya karte hain.

Sarita- Haan meri maa. mujhe sab yaad hai. mujhe aate samay sabki liye gift lekar aana hai. hamare yaha par ulta riwaz hai. Birthday par Gift milta nahi hai balki birthday ke din gift diya jata hai.

Manisha- Wahh Wahhh Inspector Sahiba. Dekha meri sangat me rahkar tumhara dimag kitni tezi se kaam karta hai..

Sarita- Haann dadii amma. Agar abhi tum mere samne hoti to ek kan ke niche lagati to sahi ho jati tum.

Manisha- Kya yaar didiya. Har samay Marne ki hi baate karti rahti ho. jaise lag hi raha tum lady don ho koi inspector nahi ho tum.

Sarita- Achha chal bas kar ab. bahut baate karne lagi ho tum ab. ye sab chhod. ye bata mummy papa sab kaise hain.

Manisha- Sab bahut Achhe hain aur tumko bahut yaad karte hain. kal tumhara janamdin hai to maan tumhe bahut yaad kar rahi hain.

Sarita- Mujhe bhi maa papa ki bahut yaad aati hai. main jaldi hi aati hoon maan papa se milne ke liye.

Manisha- Thik hai didiya. ab main phone rakhti hoon. Raat ko thik 12.00 baje video call karungi. so mat jana tum.

Sarita- Thik hai. main intezaar karungi.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. Abhi wo phone rakhti hi hai ki Achanak se light cut ho gayi. light cut hone ke sath hi kuchh niche girne ki aawaz tannn ki ayi. Jise sunkar Sarita ne man me hi kaha.

Sarita- (Man me) Is light ko bhi abhi jana tha aur ye kya girne ki aawaz aayi. chalkar dekhti hoon.

Yahi sochkar Sarita ne apna mobile kursi par rakh diya aur us taraf chali gayi jis taraf se use aawaz aayi thi. jaise hi wah us kamre ke paas pahuchi tabhi kisi ne use pichhe se daboch liya aur uska hanth pakadkar apni taraf pith ke bal kheech liya. jiske karan wo us sakhs ke sine se pith ke bal chipak gayi. jaise hi us sakhs ne use kheecha wo chillane hi ja rahi thi ki tabhi Us sakhs ne apna hanth aage badhakar unke munh par rakhkar uski cheekh ko daba diya.

Sarita Hast Prad thi ki ye kaun ho sakta hai jo itni raat ko uske kamre me aakar use pakad rakha hai. Sarita use dhakka dene hi wali hoti hai ki wo sakhs Sapna honth Sarita ke kano ke paas lakar dhire se bolta hai.

Sakhs- Aawaz mat karna. Main Nishchal hoon. Mujhe pata chala hai ki 2-3 Log tumhare ghar me ghus chuke hain aur tumhe nuksan pahuchana chahte hain. main apna hanth tumhare munh se hata raha hoon. plz tum chillana bilkul bhi mat nahi to unhe pata chal jayega.

lekin yaha ek Ajeeb baat ye ho gayi ki jab Nishchal apna honth Sarita ke kan ke paas lakar use sab bata raha tha. tab do char shabd bolne ke baad uska honth Sarita ke kan ko touch kar gaya. jiske karan Sarita ek but banker khadi rah gayi. jaise jaise Nishchal Sarita ke kan me bol raha tha. waise waise Sarita ke sharer me ajeeb si sansanahat daudne lagi.

Uske sanso ki chhuwan se Sarita siharne lagi. Sarita ke rongte khade ho gaye Nischal ki garam sanso aur uske hontho ki chhuwan se. Sarita ne bas ‘’Main Nishchal hoon’’ itna hi suna. uske baad to Sarita alag hi duniya me pahuch gayi. Nishchal ne Apna Hanht uske munh se hata liya tha, parnatu uska ek hanth abhi bhi Sarita ke pet par tha. munh se hanth hatne ke baad bhi Sarita abhi bhi but bani khadi thi, Use dekhkar Nishchal ne kaha.

Nischal- Tum thik to ho na Miss joshi.

Lekin Sarita ko koi hosh nahi tha ki wah kya bol raha hai. ye dekhkar Nischal ne apna hanth uske pet se hataya aur dono hanth uske kandhe par rakhkar use jhakjhorte huwe bola.

Nishchal- Sarita . tum thik to ho na. tum sun rahi ho jo maine tumse kaha.

Sarita (Neend se jagte huwe) haa……… Aaa….. Aaap itni Raat ko yahaa kyaa kar rahe hain.

Nishchal- (fusfusate huwe) Dheere bolo Sarita. maine abhi tumse jo kuchh bhi kaha wo tumhe sunai nahi diya kya.

Sarita- (chillakar) Main kyon dhire bolu. ye mera ghar hai. aap itni raat ko mere ghar me kya kar rahe hain. mujhe aapki niyat par shak ho raha hai.

Nishchal- (fusfusakar) Tum Kuchh bhhiii………….

Abhi Nishchal ne itna hi kaha tha ki light aa gayi. light aane ke baad Sarita aur Nishchal ne dekha ki Samne do Aadmi khade the. jinme se ek ke hath me gun thi aur doosre ke hanth me danda tha. Sarita aur Nishchal kahi bahar bhag bhi nahi sakte the. Kyonki Darwze ke samne wo dono Aadmi khade the. pichhe ki taraf deewar thi. Ab dono poori taraf se kamre me fans chuke the. Nishchal ne apne sir Pit-te huwe kaha.

Nischal- Tumne meri baat na man-ne ki kasam kha rakh hai kya. kabhi to meri baat maan liya karo. ab bhugto.

sarita ko kuchh samajh nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai. use to bas yahi dikh raha tha ki wo do aadmi uske samne hanth me gun aur danda liye khade huse hain. Tabhi Sarita ko apni sthiti ka bhan huwa to wo Nischal ka hath apne Kandhe se hataya aur us-se alag khadi hote huwe boli.

Sarita- Kaun ho tum log. tum log yaha kya kar rahe ho. aur tumhari himmat kaise hui mere ghar me ghusne ki. tumhe pata hai ki tum kiske ghar me ghuse ho.

pahla aadmi- Hamko pata hai ki ham kiske ghar me ghuse hain. maine to socha tha ki tu bhag gayi hogi, lekin yaha to tum dono ka romance chal raha hai. jise shayad ham dono ne disturb kar diya hai, lekin koi nahi tum dono chinta mat karo. tum dono apna romance upar jakar kar continue rakhna. ab tum dono marne ke liye taiyar ho jao. hamare paas jyada samay nahi hai.

itna kahkar wo aadmi apne doosre sathi ko dekhkar hansne laga.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,745
46,177
259
अब समझ में आया कि इतना सब कुछ होने के बाद भी निश्छल ने इंस्पेक्टर सरिता जोशी को सस्पेंड क्यों नहीं किया । वो शुरुआत से ही उसके हुस्न का दिवाना हो गया था । उसी दिन से, जब सरिता ने उसे पहला तमाचा जड़ा था ।
🙏👋🙏👋🙏👋
😀😂😁😛
प्यार की शुरुआत तो हो ही चुकी है निश्चल के मन मे। लेकिन अभी इतनी पुख्ता तरीके से नहीं हुई है। अभी बस शुरुआत है।
वो बाजार वाली जो घटना घटी थी वो अनजाने में हुई थी। उसमें निश्चल का कोई हाथ नहीं था। बहरहाल सरिता को टच तो उसका हाथ ही हुआ था।😂😀
वो उसकी खूबसूरती ही नहीं बल्कि उसके पंखुड़ियों के समान लबों से निकलते हुए शहद भरे बोल से भी बहुत ज्यादा इम्प्रेश हो गया है । उसकी तीखी बोली उसके कानों में कोयल की कूक की तरह भाने लगी है । :D
खटक रहा है राघव से भी उसका बातें करना जिसे वह बहुत मानता है ।‌‌ शायद जलन की भावना पैदा होने लगी है ।
अब जब प्यार हो रहा है तो चाहे सरिता के मुंह से शहद टपके या गाली, वो सब निश्चल को अच्छी ही लगेंगी न।😁😛
जब किसी इंसान का दूसरे इंसान से बात करने पर जलन होने लगे हमें तो समझ जाना चाहिए कि वो सामने वाले के प्यार में गिरफ्तार हो चुका है।
वैसे अपने को ज्यादा अनुभव नहीं है इसके बारे में।।😂
उसकी हर गलतियों को नजरंदाज किया है उसने । जो फटकार आला अधिकारियों से सरिता को मिलनी चाहिए थी उसे अपने ऊपर ले लिया और उनके कोप से बचने में उसकी अप्रत्यक्ष रूप से मदद की ।

सरिता के पहलू में ज्यादातर समय व्यतीत हो , के लिए भी भरसक प्रयास किया उसने ।‌‌
माही जी , निश्छल को प्यार हो गया है । अब पता नहीं वो कैसे उस निर्मोही मैडम को मनाने में कामयाब हो पाता है !
सच बात तो यही है।
पाया इंसान को पागल अंधा बना देता है उसे सामने वाला का गलत दिखता तो है लेकिन वो नहीं चाहता कि उसे इसके लिए किसी की डांट पड़े। निश्चल भी सब अपने तरीके से देख रहा है।
बहुत मुश्किल है मानना महोदय।
उसने एक बार सरिता से कहने की कोशिश की है आगे, लेकिन सरिता ने निश्चल की अच्छी खासी क्लास लगा दी है।।
अपडेट नम्बर छब्बीस में लाजवाब कन्वर्सेशन था निश्छल और सरिता के दरम्यान । सरिता का प्रत्येक शब्द आउटस्टैंडिंग था । साथ में डायलॉग बोलते वक्त उसके चेहरे का इम्प्रैशन भी महसूस किया जा सकता था । बहुत बढ़िया लगा वो दृश्य
हम तो उस दृश्य को और लंबा खीचने के फिराक में थे, लेकिन फिर सोचा कि कहीं ज्यादा के चक्कर में कुछ गड़बड़ ने हो जाए इसलिए उतना ही रहने दिया। वैसे भी दोनों अपनी अपनी जगह सही थे। लेकिन परिस्थितियां ऐसी बन गई थी कि दोनों को वो कदम उठाना ही पड़ा।।
इसके अलावा भी सभी अपडेट्स बेहद ही खूबसूरत थे ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग माही जी
बहुत बहुत धन्यवाद आपका इस खूबसूरत समीक्षा के लिए।

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,745
46,177
259
majedar update ..nischal ko chhodne ke liye kaha ghar pe to sarita ne Ngo me hi rukne ka faisla kar liya 🤣..
dono ke sar ki takkar ho gayi to savita ne maja liya ye kehke ki agar dobara sar nahi takraya to kutta kaat lega .
dono ka aapas me jhagadna wahi shuru ho gaya tha 🤣..
raghav ne poll khol di savita ki , ki wo majak kar rahi thi 😁..

nischal ke saath ghar jana achcha nahi laga isliye haath chhodte hi bhag gayi sarita 🤣.. aur nischal bhi usko junglee billi kehne laga hai 😁..
धन्यवाद आपका महोदय।।
अब सरिता निश्चल को इतना नापसन्द करती है तो उसके साथ जाने से अच्छा उसने ngo में ही रुकना सही समझा।
गांव देहात में ये कहावत है बधुत पुरानी।
हम लोग भी जब छोटे थे तब ये करते थे। अभी भी करते हैं। एक बार और सिर लड़ा लेने से क्या बिगड़ जाएगा। कम से कम 2000 रुपया तो बच ही जाएंगे।।😀😁

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,745
46,177
259
romanchak update ..sarita ne news walo ko bhaga diya aur unki aukat bhi dikha di 😍😍..
rawat sir ne sarita ko samajhane ki koshish ki par sarita buraai ke khilaf ladhne ke apne faisle par kayam rahi .
usko ye baat to pata chal gayi ki bachcha singh ki pahuch kitni hai isliye itna torcher karne par bhi uske aadmiyo ne mooh nahi khola .

manisha se baat huyi jisme dono ne ek dusre ka maja liya 😍.. sarita ke ghar ka riwaj jaankar maja aaya ki jiska birthday hota hai wo dusro ko gift deta hai 😁..

sarita ko maarne kuch gunde aaye hai aur nischal sahi waqt pe bachane aa gaya par sarita kuch sun hi nahi paayi ,nischal ke chhune se madhosh si ho gayi thi wo 😍..
aur ab light ke aane par dono khade hai gundo ke saamne par kya nischal gun lekar nahi aaya jo un gundo ki baat sun raha hai 🤔🤔..

dekhte hai kaise nikalte hai is situation se dono .
धन्यवाद आपका महोदय।।
बच्चा सिंह की पहुँच है तभी तो वो बेखौफ होकर अपने काम को अंजाम देता है।।
सरिता को मारने जो लोग आए हैं उनकी हालत खराब होने वाली है दोनों की बक बक सुनकर।
निश्चल समझदार आदमी है। ऊपर से साथ मे सरिता है इसलिए वो कोई खतरा मोल नहीं लेना चाहता है।

वो इस स्थिति को किस तरह से संभालता है वो आपको अगले भाग में पता चल ही जाएगा।

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,745
46,177
259
To, Nischal ke mann mein ghantiyan bajni shuru ho gayi hain Sarita ko dekh kar... Saath hi jalan bhi utpann huyi usse Raghav ke saath dekhne par... Aur jab Sarita NGO se nikalne lagi tab bhi Raghav ki jagah Nischal hi gaadi mein maujood tha... I don't think ke ye maatra ek ittefaq tha... Ab kaise wo Sarita ko Raghav ke saath jaane deta... Ab Sarita ki baaton par gussa bhi nahi aaya Nischal ko... Aur nischit hi uske behaviour mein aaya ye badlaav jaldi hi Sarita bhi note kar hi legi... Aur tab shayad thappadon ka agla session shuru hoga... :lotpot:
👋🙏🙏👋👏👏
😁😀😂😛😃

अरे नहीं ।
निश्चल चालाक भी है। अगर सरिता उसे पकड़ भी लेगी तो भी निश्चल अपनी बातों से उसे कंफ्यूज़ कर ही देगा।
जलन तो स्वाभाविक ही है। आखिर वो सरिता से प्यार जो करने लगा है।।
Idhar achha laga dekh kar ke aaj ke samay mein bhi log paraayon ko apne sagon ke jaise hi pyaar karte hain... Raghav ke kirdaar ka introduction hua... Apnon ke pyaar se vanchit tha wo but Sarita ne usse ek sage bhai ke samaan bhi prem diya aur Nischal ke roop mein ek dist cum bhai mila...
ये तो अभी थोड़ा था राघव ने बताया सरिता को।
इसकी विस्तृत जानकारी आगे समय आने पर कहानी में आएगा, कि राघव को कैसे और किन परिस्थितियों में सरिता राठौड़ परिवार ने अपनाया था।
Wahin Manisha naaraz thi Sarita se kyonki wo apni job mein kuchh zyada hi leen ho gayi hai... Sarita ke oopar nayi job ka khumaar shayad kuchh adhik hi ho chala hai, imaandaar to hai wo ismein koyi shalh nahi par wo shayad bahut zyada, shayad Over excited word sahi rahega uski present condition ke liye... Wo sab kuchh khud hi kar lena chahti hai... Aur ek hi din mein kar lena chahti hai... Issi sabmein shayad wo apne parivaar ko bhi andekha saa kar rahi hai... Maybe uski family hi uske paas aa jaayegi aur usse birthday ka surprise degi...
क्या आईडिया दिया है आपने। सरिता को सरप्राइज देना ही होगा अब।
आपकी बात बिल्कुल सही है कि सरिता सबकुछ एक ही दिन में कर लेना चाहती है। बधुत अधीर सी हो गई है। इसी चक्कर मे वो अपना परिवार भी भूल गई है।। लेकिन निश्चल कुछ नहीं भूला है।।😀
Idhar Nischal aaya Sarita ke ghar par aur Romance, I mean uss se baat karne laga... But uske itne nazdeek hone ke karan Sarita ka dhyaan uski baaton par gaya hi nahi... Aur idhar do mustande aa gaye hain haathon mein bandook liye Sarita ko nuksaan pahunchane... Aur mujhe lag raha hai ke ye dono wahi Police Waale hain jinhe din mein Nischal ne milne bulaaya tha... agar kahin Sarita ne inhe pakad liya to Nischal to giyo...
वो निश्चल के आदमी नहीं हैं वो वाकई में बच्चा सिंह के भेजे हुए गुंडे हैं जो सरिता को मारने के लिए आए हैं। लेकिन यहां भी दोनों की तू तू मैं मैं शुरू होने वाली है।
Khair, behadh hi shaandar updates Mahi Madam... Bhaasha shaili, Dialogues, Kirdaaron ki bhaavnaye aur saath hi paristhitiyon ka varnan sab kuchh shaandar tha...

Outstanding Updates Madam & Waiting For Next..
धन्यवाद आपका महोदय।

साथ बने रहिए।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,745
46,177
259
UPDATE- 31

pahla aadmi- Hamko pata hai ki ham kiske ghar me ghuse hain. maine to socha tha ki tu bhag gayi hogi, lekin yaha to tum dono ka romance chal raha hai. jise shayad ham dono ne disturb kar diya hai, lekin koi nahi tum dono chinta mat karo. tum dono apna romance upar jakar kar continue rakhna. ab tum dono marne ke liye taiyar ho jao. hamare paas jyada samay nahi hai.

itna kahkar wo aadmi apne doosre sathi ko dekhkar hansne laga.

Us Aadmi ki baat sunkar Nishchal ka khun khaul utha. lekin abhi wo is setuation me nahi tha ki koi action le pata. fir Nishchal ne socha ki apne dimag se abhi kaam lena padega, josh josh me use hosh nahi khona hai, kyonki un dono ke nishane par is samay Sarita thi. Nischal ko ye bhi nahi pata tha ki in dono ke sath aur kitne aadmi hain. Isliye wo koi bhi khatra mol lene se abhi dar raha tha.

agar Nischal ne thodi si bhi hoshiyari dikhayi to Sarita ki jaan ja sakti thi. Jab wo dono Aadmi ek doosre ko dekhkar hans rahe the. Tabhi Nishchal ne Sarita ko kuchh ishara kiya kuchh samjhane ke liye. lekin Sarita shayad samjhi nahi. tabhi doosre aadmi ki aawaz sunai padi.

Dusra Aadmi- Chalo achha hi hai. waise to ham is inspectorni ko marne ke liye aaye the. lekin DSP tum iske bich me faltu ka aa gaye. Ab hame tumko bhi khatam karna padega, kyonki tum ab iski maut ka tamasha live dekhoge.

ham apne kisi bhi katal ka koi surag nahi chhodte, isliye tumhe bhi iske sath marna hoga. Waise bhi jab tum dono ek doosre se itna pyaar karte ho to tum dono ko ek sath marne me koi problem nahi aayegi. Kyo DSP Sahi kaha na maine.

Gunde ki baat Sunkar Sarita ne use khaa jane wali najaro se dekha, lekin wo abhi kuchh bol bhi nahin sakti thi. Uski baat sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Pyaar aur isase. Mujhe pagal kutte ne kata hai kya. tum log mujhe kyon marna chahte ho. waise bhi maine to kuchh kiya hi nahi. jo kuchh bhi kiya hai is Jangali billi ne kiya hai. Mujhe chod do.

Nishchal ne Sarita ki taraf dekhkar us aadmi se kaha. Nishchal ki baat sunkar Sarita ne hairani se Nishchal ki taraf dekha aur kaha.

Sarita- Ye kya kah rahe hain aap sir. Aap itne Darpok kaise ho sakte hain. maine socha nahi tha ki aap mere sath aisa kuchh karenge. aaj mere upar musibat aayi to aap mujhe bachane ke bajay apni jaan ki bheekh mang rahe hain.

Nishchal- to kya karu main. main tumhari tarah bewkoof nahi hoon. Jan hai to jahan hai. Tabhi Naukri bhi hai aur tabhi pyaar bhi hai. Agar zinda hi nahi rahunga to Naukari aur Pyaar Khaak karunga. waise bhi bahadur banker kaun sa tamga mil jayega mujhe. Tumne to bahaduri dikhayi thi na. dekho aaj us bahaduri ka parinam samne hai. main darpok hi thik hoon.

Nishchal ne apne hanth khade kar diye. Ye dekhkar Sarita Gusse se boli.

Sarita- Aapko Sharam aani chahiye Sir. Aap jaise darpok insan ke liye ye naukari hai bhi nahi. Are jo ek Ladki ki hifajat nahi kar sakta wo is Vardi ki hifajat kya karega.

Nishchal- Mujhe nahi karni kisi ki hifajat. Mujhe apni jaan bahut pyaari hai. Tumhe bahut shauk hai khatro se khelne ka to tum hi bano lady don aur tum mujhe bachaao. Ab dekho tumhari jaan khatre me pad gayi. meri mano to inse mafi mang lo. shayad tumhari jaan bakhsh de ye log. Kyon bhaai sahi kaha na maine.

Nishchal ki maafi wali baat Sunkar Sarita ne use gurjar dekha aur gusse se boli.

Sarita- Kabhi nahi. main mar jana pasand karungi, lekin inke samne apne ghutne nahi tekungi. Aur aap. main to aapko bahut bahadur samajhti thi, lekin aap to bujdil aur darpok nikle. in sadak chhap taporiyo se dar gaye.

Nishchal- Ab ye tapori ho ya dhapori ho. lekin inke hanth me gun hai aur mujhe gun dekhkar bahut dar lagta hai. Are bhai. Aapke sath jo aur bhai log bahar hain unke paas bhi gun hai kya. Sabko Andar bula lo.

Pahla Aadmi- Kaisi baat karte ho DSP. ham to tumhe bahut bahadur samajhte the. lekin tum to ek nambar ke darpok nikle. Waise bhi. Iske liye to ham dono hi kafi hain. Ek Adna si ladki ko marne ke liye agar poori fauj lekar aaun to ye ham logo ke liye sharam se doob marne ki baat hai. are ham log bhale hi gunde aur khuni hain, lekin apna bhi ek usul hai.

Nischal apni baato me unhe uljahkar jo kuchh bhi jan-na chahta tha wo usne jaan liya ki in dono ke alava aur koi bhi inke sath nahi hai. Nishchal ne apna drama continue kate huwe kaha.

Nishchal- Sahi kaha bhaai. Ek ladkii ko marne ke liye 2 log bahut hain. Agar fir bhi tum log mujhe chhodne ka wada karo to main hi is ladki ko tapka deta hoon. Jab se ye Aai hai Isne bhi meri naak mein dam karke rakhaa huwa hai.

Nishchal ki baat sunkar Sarita Hairani se use dekhne lagi. Nishchal ki baat sunkar Sarita ne kaha.

Sarita- Kitne Ghatiya insane ho aap Sir. Apne hi junior ko marne ki baat kar rahe hain. Are aap to Sir kahlane ke layak hi nahi hain. aapke liye mere dil me thoda bahut jo samman tha wo aapki is baat ko sunkar khatam ho gaya hai. Are aap to police department ke upar ek kalank hain. jisne gundo ke talve chatne ke liye ye naukari join ki hai. Main marne se nahi darti hoon, lekin aap jaise ghatiya aadmi ke samne marungi is baat ka mujhe afsos hai. Thoo hai aapke upar.

Itna kahkar Sarita ne apna munh fer liya. Nischal ne Sarita se kaha.

Nischal- To aur kya karun main. mujhe apni jaan bahut pyaari hai. tumhari tarah main bahadur nahi hoon. main to bas paise kamane ke liye hi ye naukari join ki hai.

pahla gunda jo in dono ki tu-tu main-main sunkar jhunjhala gaya aur gusse se cheekhne huwe bola.

Pahla Gunda- Chuk karo tum dono. Kab se dekh raha hoon ki tum donon apni bakwas kiye ja rahe ho. Ham yahan tumhe marne aaye hain tumhari bakwas sunane nahin aaye hain.

Gunde ki baat Sunkar Sarita ne Usase kaha.

Sarita- Tum shant raho thodi der. Marne aaye ho to maar lena. Main Kahni Bhagi nahi ja rahi hoon. (Fir nishchal se mukhatib hogar) Aur aap. Ab samjhi main. Mujhe rishwat ke case me aapne hi fansaya tha. rishwat aap lete the aur uska thikra mere upar dalte the aap. Savi didi ke kahne par aap ne is mamle ko rafa dafa kiya. Tabhi to main sochu ki aapko dadi itni aasani se mil kaise gayi jo mujhe jameen aasman ek kar dene se nahi mili. Aapne hi bachha singh ke sath milkar ye sara khel khela tha mere sath. Hai na.

Nischal- To kya karta main. Jab se aayi ho meri naak me dam karke rakh diya hai tumne. tumhari wajah se meri upri kamai band hone ki kagar par aa gayi. to kya karta main. Wo to di ki baat main kabhi nahi tal-ta isliye tumhe mujhe majbooran is case se nikalna pada.

Sarita- (gusse me) Jo log galat hain main unki nak me dam karti aayi hoon aur aage bhi karti rahungi. Mujhe koi nahi rok saktaa.

In dono ki tu tu, main main fir se shuru ho gayi thi. Jo har pal badhti ja rahi thi. jise dono gunde bahut der se sun rahe the. Jab un gundo ke bardast ki sima par ho gayi to ek gunda cheekha huwa bola.

Dusra Aadmi- Chup bilkul Chup raho tum dono. Agar dono ki ek bhi aawaz bahar nikli to 6 ki 6 goliya uske bheje me utar doonga. yaha maut tum dono ke sir par khadi hai aur tum dono apne me hi vyast ho gaye ho. marne ke liye taiyar ho jao tum dono. pahle is ladki ko tapkata hoon uske baad tujhe dekhta hoon DSP.

Itna kahkar Doosre Aadmi ne apni gun Sarita par taan di. ye dekhkar Nishchal ne furti se jhukkar apne shoos se gun nikali aur Us Aadmi ke pairo par goli maar di jiske hanth me gun thi. pairo me goli lagne se wo aadmi dard se chillate huwe jameen par gir pada. jiske karan uske hanth se gun chhitak kar door ja giri.

ye dekhkar doosra aadmi chaukanna ho jata hai aur danda fenk kar Sarita ko marta hai, lekin Sarita pahle se hi chaukanni thi. isliye usne niche jhukkar apne aapko bachaya aur furti se daudkar wo niche giri hui gun utha leti hai. tab tak wo aadmi ek chaku nikal leta hai. Sarita uske hanth me nishana lagakar trigger daba deti hai. jisase goli jakar uske hanth me lagti hai aur uske hanth se chaku chhutkar jameen me gir jati hai.

goli hath me lagne se wo aadmi bhi tadapta huwa jameen par gir jata hai. fir Sarita aur Nischal dono apni apni gun dono ke sir par tan dete hain ye sab kuchh kuchh hi pal me ghatit huwa tha. Sarita hairani se Nishchal ki taraf dekhte huwe kahti hai.

Sarita- Jab aapke paas gun thi to aap ne ise chalayi kyon nahi unse apnee jaan ki bheekh kyon meng rahe the.

Nischal- kyonki main tumhari tarah bevkoof nahin hoon. Waise bhi Tumse baat karne ka abhi mera mood nahi hai. tumko samjhate samjhate main pagal ho jaunga.

itna kahkar Nishchal apna phone nikalta hai aur Jawed ko phone karta hai aur use sari setuation se avgat karata hai. Jawed thodi der me ambulance lekar pahuchne ke liye bol deta hai. Thodi der baad Jawed aur Mohit ek Ambulance lekar aate hain aur Un dono Aadmiyon ko Ambulance me dalkar hospital chale jate hain.

Uske baad Sarita ne jameen par khoon ke dhabbo ko saaf kiya. Nishchal Sarita se bina koi baat kiya jane lagta hai to Sarita Nischal se kahti hai.

Sarita- Rukiye Sir. Mujhe aapse baat karni hai.

Nischal- Nahi mujhe tumse koi baat nahi karni hai.

Sarita- Lekin mujhe to karni hai na.

Usi samay Nishchal ko ek purani baat yaad aati hai jab Sarita Bachha singh ko pakadne ki jid kar rahi thi aur nishchal use samjha raha tha. Nishchal uski nakal karte huwe kahta hai.

Nischal- Main aapka naukar nahi hoon. main bhi ek police officer hoon.

Nischal ki baat sunkar Sarita use ghoorkar dekhti hai aur bolti hai.

Sarita- Aap baat baat par meri nakal mat utara kariye.

Nischal- Kyon na utaru. tum meri baat kabhi sunti ho jo main tumhari baat sunu.

Sarita- Aap apne aapko samajhte kya hain. Baat Baat par mujhe suna dete hain.

Nischal- Main apne aapko kuchh nahi samajhta, lekin tum jab se aai ho apne apko top samajhne lagi ho. Bina soche samjhe kuchh bhi karti rahti ho. Akele hi bachha singh jaise gunde se pakadne chali ho. Lekin main tumhein kyon bata raha hoon ye sab. Tumse kuchh kahne ka koi matlab hi nahin hai, kyonki tum meri baat sunti kahan ho. main jab bol raha tha ki main hanth hata raha hoon aawaz mat karna to meri baat nahi maan sakti thi kya tum.

Nischal ki is baat ka Sarita ke paas koi jawab nahi tha. kyonki Us samay to Sarita kisi aur hi duniya me chali gayi thi Nischal ki chhuwan se. Usne baat ko badalte huwe kaha.

Sarita- Jab aapke paas gun thi to aapne unhe pahle kyon shoot nahi kiya. unse apni jaan ki bheekh mangne ki kya jaroorat thi.

Nischal- Mujhe to ye samajh nahi aata ki Tumko Ye naukari kisne di. Tum Sach mein Padhaai aur training karke hi join ki ho na ya kahi se sourse sifarish se tumhe ye naukari mili hai. Tumhare paas dimag hai bhi ya nahi. Mujhe nahi pata tha ki Wo akele aaye hain ya uske sathi bhi sath me hain unke.

Yahi pata lagane ke liye main drama kar raha tha. jiske liye maine tumhe ishara bhi kiya tha. lekin tum sach me bail buddhi ho ya tumne meri baat kisi bhi kimat par na man-ne ki kasam kha rakhi hai. tum to unhe uksa sahi thi goli chalane ke liye. tumhe marne ki bahut jaldi thi kya. kabhi to meri baat maan liya karo. agar main samay par nahi aata to pata nahi kya ho jata aaj. aur kya bol rahi thi tum. main darpok hoon. ghatiya insane hoon main. thu hai mujhpar.

Sarita- (sharmindagi ke sath) Sorry Sir. us samay mujhe yahi laga to maine bol diya. aur kya ab meri jaan bachane ke liye jeevan bhar mujhe ehsan jataoge kya aap. aur main itni kamjor bhi nahi hoon ki apni hifajat na kar saku.

Nischal- Tumse to baat karna hi bekar hai. pata nahi tumhare paas har baat ka uttar kaha se maujood rahta hai.

SArita- Haan to mat baat kariye ne. maine nahi bulaya aapko yaha par baat karne ke liye.

Dono ki tu tu main main fir se shuru ho gayi thi. Abhi inki tu tu main main aur aage badhti tabhi Sarita ka phone bajne laga. ye dekhkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Kyaa baat hai Miss Joshi. Itni raat ko kaun phone kar raha hai. tumhara boyfriend hai kya.

Sarita- (ghoor kar) Aapse matlab.

Nishchal- Matlab kYon nahi hai. Aakhir uske Girlfrnd ki jaan bachayi hai maine. Use bol dena ki sirf phone par baat karne se hi koi Boyfrnd nahi ban jata. Girlfrnd ko protect karna bhi jaroori hota hai.

Sarita- Aap thodi der shant rahenge. Aap apna munh band kar chupchap kursi par baith jaiye. Aur haan munh se aawaz bilkul bhi nahi aani chahiye.

Nischal- Haan. mere munh se aawaz niklegi to tumhara Boyfrnd tumhe chhod dega. isliye tum dar rahi ho na.

SArita- Please Sir. Do minute ke liye shant hokar baith jaiye.

Nishchal- (dhire se) Apne boyfrnd se baat karni hai to mujhe kyon baitha rahi ho.

Sarita- (phone receive karke) Ruko main video one karti hoon.

Sarita- (phone ka mike hath se band kar Nischal se) main video calling karne ja rahi hoon. koi aawaz nahi nikalni chahiye munh se aapke aur is jagah se hiliyega bhi mat. Nahi to samajh lijiyega fir.

Itna kahkar kahkar Sarita ne Video call laga diya. doosri taraf se Manisha ne Video call receive kiya aur call receive karte hi Manisha gana gane lagi.

Manisha- Baar baaar din ye aaye. baar baar dil ye gaye. tum jiyo hajaro sal ya meri hai aarzoo.

Happy baithday too you. Happy birthday too you. Happy birthday Dear Didiya Happy Birthday too you.

Janamdin ki bahut bahut badhayi aur Shubhkamna didiya. Bhagwan ji Tumhe jald hi IAS bana dein taki tum mera pichha chhod do.

Sarita- (Khush hokar) Thank You Thank you Thank You So Muchh Manisha. waise tumhara pichha mera IAS ban-ne ke baad bhi nahi chhutega. waise agar tumne apne gane ki pratibha ka pradarshan kar liya ho to mummy papa se bhi baat karwa do jo tumhare pichhe khade hain.

Udhar Nishchal Kursi par baitha Apne man hi man bola.

Nishchal- Are ye to badi achhi baat hai. aaj to is lady don ka birthday hai. agar main sahi samay par nahi pahuchta to pata nahi aaj kya ho jata.

ye sochte huwe uske chehre par ek udasi aakar chali gayi. wo man hi man Jawed aur Mohit ko dhanyawaad de raha tha. jinke karan Aaj usne Sarita ko bacha liya tha. Sarita apne gharwalo se baat karne me vyast thi aur badi khush lag rahi thi. Idhar Nischal Kursi par baitha apne ek hanth ki hatheli par apna ek gaal tikaye Sarita ko ektak nihare ja raha tha.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,745
46,177
259
कहानी का अगला भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244

Jabardast Updatee

Nischal ne badi hi samajdaari se Sarita ko bachha liyaa. Warna uska janamdin hi marandin ban jaata.

Nischal ne ek baat toh sahi kahi Sarita mein akal ki kami hai. Harbaar josh se kaam lene se nhi hota kabhi kabhi hosh se bhi kaam lena chahiye.

Sarita ko toh Nischal ko thank you bolna chahiye tha par woh uske upar hi bhadak rhi hai.

Ab dekhte hai Nischal Sarita ke birthday pe kuch karta hai yaa Sarita phir koi naya kaand kardeti hai.
 
Top