• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
Sarita ne duty join kar liya jahan uske vyavhaar aur kaam pe prti lagav ko dekh sabhi ke dil me bas gayi. Hamesha time se ps jane wali ek din let ho gayi usi din hi dsp sahav aa padhare vichari ka kismat hi kharab hai.

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल :claps:
:claps:
धन्यवाद आपका महोदय।
जब किस्मत खराब होती है तो ऐसा बहुत कुछ हो जाता है जिसके बारे में हम सोच भी नहीं पाते।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
Super update...sarita bekasur sabit ho gayi lekin kese? Savita khus he dinner k lite invite kiya he lady don ko.
धन्यवाद आपका महोदय।
जब तक निश्चल है उसे कुछ हो सकता है क्या।
आखिर कहानी की नायिका जो है।🤣

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
UPDATE- 21


Sarita bhi apne kamre ma jakar so gayi. Subah uthakar har kam se finish hokar nashta karke Sarita PS pahuch gayi. Waha par Sarita ne dekha ki Mohit aur Javed kisi baat ko lekar gahan vichar vimarsh kar rahe the. Jab Sarita Unke paas pahuchi to wo dono chup ho gaye. Sarita ko dekhte hi dono ne ek sath Sarita se kaha.


Mohit & Javed- Good Morning Madam.

Sarita- Very good morning both of You. Aaj to mera din hi ban gayaa jo dono ke subah subah ek sath mein darshan ho gaye. Kya baat hai dono bahut gahri mantrana kar rahe the. Lagta hai kisi mahatvapurna Mudde par charcha ho rahi thi, isliye mujhe dekhte hi dono chup ho gaye.

Mohit- Nahi madam aisi koi baat nahi hai main to bas aise hi javed ke sath bat cheet kar raha tha.

Sarita- Achha thik hai. Main apne cabin me jati hoon. Tum logo ki charcha agar samapt ho gayi ho to tum dono bhi apne kam par dhyan do.

Javed- Ji madam.


Itna kahkar sarita Apne cabin me chali gayi. Sarita ne Kaushal ko apne cabin me bulakar use samjha diya ki jab Mohit akela ho to use inform kare. Dopahar ko Javed ko kisi ka phone aaya to wo PS se bahar chala gaya. Kaushal ne Sarita ko inform kar diya ki Mohit akela hai to Sarita ne mohit ko apne cabin me bulaya. Mohit Sarita ke cabin me gaya Sarita ne use baithne ka ishara kiya, Mohit Ek kursi par baith gaya aur bola.


Mohit- JI madam aapne bulaya mujhe.

Sarita- Haan mohit ji mujhe tumse kuchh bat karni hai.

Mohit- Ji madam kahiye.

Sarita- Dekhiye mohit ji. Javed ne mujhe sabkuchh bata diya hai. To ab main chahti hoon ki aap bhi mujhse koi baat na chhupaye aur sach sach bataye.

Mohit- (hadbadate huwe) Kaun si baat Madam, Mujhe to kuchh pata hi nahi hai. Aap kya baat kar rahi hain.

Sarita- Dekhiye Mohit ji. Main apne case ke bare me aapse baat kar rahi hoon. Mujhe ye to pata chal chuka hai ki budhi dadi ko aapke sir ne kaha chhupakar rakha hai. Iske baare me Javed ne kal mujhe sabkuchh bata diya hai. Kal aap aaye nahi the, isliye aapko iske baare me kuchh pata nahi hai.

Mohit- (Chaunk kar) Kyaa… Javed ne aapko sabkuchh bata diya. Vishwas nahi hota. Lekin usne to mujhe is bare me kuchh nahi bataya.

Sarita- Kyonki maine hi use mana kiya tha ki main tumse khud is bare me baat karungi wo tumhe kuchh bhi na bataye. Ab agar aapne mujhse kuchh bhi chhipane ki koshish ki to main DSP Sir ko bol dungi ki aap logo ne mujhe mere case se sambandhit sari information de di hai.

Mohit- Kyaa. Ye kya kah rahi hain aap madam. Aap mujhe bich me kyon la rahi hai. Aapko bataya to us javed ne hai to mera nam kyon Sir ko bataengi aap.

Sarita- To isiliye main aapse pooch rahi hoon ki aakhir mere case solve kaise huwa. Aur wo buddhi dadi mili kahan Sir ko. Javed ko to main bacha lungi, kyonki uska nam main lungi hi nahi sir ke samne. Bache aap. To aap apne bare me khud soch lijiye. Ki agar sir ko pata chala ki aapne mujhe sab bataya hai to wo aapka kya hal karenge.

Mohit- Lekin ye to galat hai madam. Aap javed ki sabhi galat ka thikra mere sir kyon fodna chahti hain.

Sarita- Sahi galat ka mujhe kuchh nahi pata mohit ji. Agar aapne mere sath co-oprate kiya to main Sir ko kuchh nahi bataungi. Is tarah ye baat ham tino ke bich me hi rahegi. Ab batao Sachhai kya hai.

Mohit- Thik hai Madam main batata hoon aapko. In sab ke pichhe bacha Singh ka hath tha. Usi na sabkuch kiya tha. Aapne aadmiyon se apki khilaf rishwat ki false complain darz karwai. Usme jo bhi pata aur naam tha. Usme kuchh pate hi galat the. Aur jo pate sahi the waha par complain karne wale naam ka koi aadmi nahi mila.

Sarita- Bachha singh. Achha haan Javed ne mujhe bataya tha ki in sabke pichhe bacha singh ka hath hai. Usi ne mujhe fansane ke liye ye sab kiya hai, lekin mujhe ye samajh me nahi aa raha hai ki usne mujhe jhoothe case me kyon fansana chaha.

Mohit- Wo kya hai madam ki aapki wajah se uske kam me bahut nuksan ho raha tha. Usne do baar aapko do-do lakh Rupaye dene ki koshish ki thi lekin aapne wo rupaye uske munh par maar diye the. Isliye wo aapse bhinnaya huwa tha aur aapko apne raste se hatana chahta tha. Taki uska karobar fir se pahle jaisa chalne lage.


Wo yaha ka bahut bada gunda hai. Apne karobar ke bich me aane wale kisi bhi insan ko apne raste se hatane ke liye wo kisi bhi had tak ja sakta hai. Sabhi usase darte hain. Isliye Sir nahi chahte the ki aap is sab pachdo me pado. Jaisa ki maine abhi bataya ki wo apne kam me rukawat ban-ne wale ko apne raste se hatane ke liye kisi bhi had tak ja sakta hai. Khoon kharaba uske liye nayi baat nahi hai. Isliye Sir nahi chahte the ki aapki jaan ko koi Khatra ho. Isliye Unhone Kaha hai ki wo Khud hi ye case handle karnege. Aur aapko batane ke liye Sakhti se mana kiya tha.


Mohit ne ye sari baate ek hi sans me jaldi jaldi bata di. Jise dunkar Sarita kuchh der sochti rahi fir Mohit se boli.


Sarita- Achha Mohit ji. To kya dadi bhi Bachha singh ke paas hi hai abhi bhi.

Mohit- Nahi Madam, Use to Sir ne Yaha se Kuchh hi doori par Ek kamre me chhupa kar rakha huwa hai. Kyonki unhe bahut sare logo se bacha kar rakhna hai aage ki Investigation ke liye.

Sarita- ( bholepan ke sath) Kisase bachakar rakhna hai ab dadi ko. Ab to case solve ho chuka hai.

Mohit- dadi ko bacha singh se bachakar rakhna hai aur aapse bhi.

Sarita (Hairani se) Kya Mujhse. Lekin mujhse kyon. Bachha singh ka to samajh me aata hai, ki kahi wo dadi ko koi nuksan na pahucha de, lekin mujhse kyon. Main to unhe koi nuksan nahi pahuchaungi.

Mohit- Kyoki sir nahi chahte ki aapki jaan ko khatra ho, kyonki Agar aapko pata chal jata ki dadi kaha hai to ab tak aap fir Investigation karne baith jati. Jo Sir nahi chahte the.

Sarita- Aur Sir na Jahan par dadi ko chhupakar rakha hua hai wo uska address kya hai.

Mohit- Yahan se aage jane par agle chawk se left lekar 1 K.M. aage ………………….. is Address par Sir ne dadi ko rakha hai.

Sarita- Ohhh. Thank You Mohit ji. Aapne bhi wahi bataya jo Mujhe javed ne bataya tha.

Mohit- Isme thanks ki kya baat hai madam. Ye to mere farz hai, lekin ek baat mujhe samajh me nahi aayi ki jab javed ne aapko sabkuchh bata diya tha to aapne wahi baat mujhse kyon jan-na chahi.

Sarita- Main ye dekhna chahti thi ki Javed ne mujhko kitna sahi aur kitna galat bataya hai, lekin tumhari baate sun-ne ke baad to ye confirm ho gaya ki javed ne poori bate sach hi batai thi. Ab tum jao aur apna kam karo.


Mohit Sarita ke cabin se bahar aa gaya. Thodi der baad jab javed PS wapas aaya to Mohit uspar bhadak gaya aur bola.


Mohit- Tumhare pas dimag hai ya nahi. Kya jaroorat thi tujhe madam ko sab kuchh batane ki.

Javed- (Sochte huwe) Are bhai maine kya bataya madam ko jo tu mere upar bhadak raha hai.

Mohit- Bhadku nahi to aur kya karu. Tune case ke bare me madam ko kyon bataya.

Javed- (sochte huwe) Are bhai kis case ki baat kar raha hai jiske bare me madam ko maine bataya hai.

Mohit- Madam wale Rishwat ke case ki baat kar raha hoon main.

Javed- Maine unhe kuchh nahi bataya.

Mohit- Dekho Javed ab jhooth bolne se koi fayada nahi hai. Mujhe madam ne sabkuchhh bata diya hai ki tumne unhe case ke bare me sabkuchh bata diya hai.

Javed- Are mere bhai. Maine madam ko kuchh nahi bataya. Kal jab tu nahi aaya tha to madam ne mujhe apne cabin me bulaya tha case ke bare me poochne ke liye, lekin maine ek bhi information madam ko nahi di. Kyonki Sir ne Madam ko kuchh bhi batane ke liye mana kiya hai.

Mohit- Ye kya baat kar raha hai bhai tu. Madam ne hi to mujhse kaha ki tumne unhe ek ek baat sach sach bata di hai.

Javed- (Chaukte huwe) Ek minute… Kahi tumne to madam ko sari bate nahi bata di hai.

Mohit- (afsos ke sath) Yaar mujhse bahut badi galti ho gayi hai. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe sochna chahiye tha ki madam ko agar tumne sabkuchh bata diya hota to madam ab tak investigate mein lag gayi hoti. Ohhhhh siittt yaar. Maine itni badi galti kaise kar di. Madam ne mujhe apni bato me fansakar sara sach ugalwa liya. Aur main ugalta chala gaya.

Javed- (Tez Aawaz me) Kyaaaa. Tune itni badi galti kaise kar di bhaiii. Kam se kam ek baar mujhse puchhh to liya hota.

Mohit- Tu bahar gaya tha PS se. tabhi madam ne mujhe bulaya tha.

Javed- Ohhhhh. Ab to gaye kaam se. Mujhe ab Samajh me aaya. Waise man-na padega madam ke dimag ko. Kaise unhone tumhe convince kar liya apni bato me aur tumse jhooth bola ki maine unhe sabkuchh sach bata diya hai. Taki tum unhe sabkuchh sach sach bata do. Isliye Unhone tumhe Us samay bulaya jab main PS me nahi tha. Taki Tum Mujhse pooch bhi na sako iske bare me.


Javed ki baar sunkar mohit apna Sir pakadkar baith gaya aur bola.


Mohit- Are yaar ye kya ho gaya. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe ek baar madam se poochna to chahiye tha ki Javed ne aapko kya bataya hai. Siiitttt yaaarrr.

Javed- Sahi kaha. Agar maine unhe sach me kuchh bataya hota to wo tumse poochhti hi nahi aur agar poochhti bhi to mere samne tumse poochti. Madam to bahut chalak nikli.

Mohit- Ab kya kare yaar. Agar Sir ko is baat ka pata chal gaya ki maine Madam ko sabkuchh bata diya hai to wo mujhe chhodenge nahi.

Javed- Ab jab Okhli me mundi dal hi di hai to musal se kyon dar raha hai. Ab kuchh bhi nahi ho sakta. Dekhte hain aage kya hota hai.


Mohit ko apni bevkoofi par itna gussa aa raha tha ki unsne apna hanth table par de mara.

**********

Usi vakt Shahar se door Usi khandhar numa makan me jaha par Bachha ka adda tha. Bachha, Kaluwa ke sath baith kar baate kar raha tha. Uske sath Raka aur Sambhu bhi the.


Kaluwa- I ham ka sun rahe hain Bachha bhai. U laundiya Fir se Naukari par aa gayi hai.

Bachha- Haan Sahi sune ho tum. Usne fir se naukari join kar li hai.

Kaluwa- Lekin bhai. Aapne to Oke Rishwat ke jhoothe case me fansa diya tha. Aur U pardhanva ne oke Range hantho pakad liya tha. Fir Ei kaise hoi gawa.

Bachha- Pata nahi ye kaise ho gaya Kaluwa. Lekin Suna hai ki Uske yaarr Us DSP ne Use begunah Sabit kar diya. Lekin ye samajh me nahi aa raha hai ki usne Us laundiya ko begunah sabit kiya to kaise kiya.

Raka- (bich me) Mai baap- wo DSP Us laundiya ka yaar nahi hai. U dono jani dushman hain. Dono ki bilkul bhi nahi banti. To wo DSP us laundiya ko kyon begunah sabit karega.

Bachha- Achha. Tujhe kaise pata ki U DSP Laundiya ka yaar nahi hai.

Raka- Maai baap. Police thana me thodi bahut jaan pahchan hamari bhi hai. To hamka is bare me thodi bahut jankari mil gayi ki Un dono me bilkul bhi nahi banti.

Bachha- Achha. Fir usne Kyon bachaya Us Ladki ko.

Sambhu- Kyon nahi bacha sakta hain wo DSP Us ladki ko malik. Bale dono me kitni bhi dushmni ho lekin apne dusman ko sikast khud ke hantho se dene ka maza hi kuchh aur hota hai. Shayad yahi sochkar Us DSP ne Use bacha liya hoga.

Kaluwa- Haan be. Tohre E baat me bam baa. Jaroor Yahi baat hogi.

Bachha- Lekin Usne begunah sabit kaise kiya. Kahi aisa to nahi hai ki wo budhiya us DSP ke hanth lag gayi ho aur usne sab sach ugal diya ho. Agar us budhiya ne aisa kiya hoga to wo bahut pachhtayegi. Sambhu. Pata kar ki wo budhiya kaha par hai wo jaha bhi mile use lekar mere paas aa.

Kaluwa- Chalo E sab to hota rahega bhai, lekin ab E batava ki Ab aage kya karna hai. U nayi Inspetarain bahut Sakht jaan ba. Agar jaldi okre ke apne raste se na hatawa gaya to apna karobar to band hi samjho.

Bachha- Aaisa kuchho nahi hoga Kaluwa. Main koi na koi rasta nikal lunga. Maine to socha tha ki khoon kharaba se koi matalab nahi nikalega. Khoon kharaba to aakhiri upay hai, isliye maine mamla is tarah suljhane ki koshish ki thi, lekin lagta hai ki us laundiya ki Zindagi ke din khatam ho chuke hain. Uska bandobast karna hi padega. Lekin Abhi hamko Sarkar aur Boss ne kuchh din shant Rahne ke liye kaha hai, Isliye abhi kuchh din kuchhh hone se rha aur Sath me abhi Raghu bhi bahar hai. Ab jo bhi karega Raghu hi karega. Bahut din ho gaya hai bhaai ko kisi ka murdar kiye huwe. Us ladki ki maut Raghu bhai ke hi hantho hogi.

Kaluwa- Sahi kaha bhai. Raghu bhai bahut berahami se marte hain. Bahut maza aayega.


Itna kahkar kaluwa hansne lagta hai uske sath sath Bachha, Raka aur Shambhu bhi hansne lagte hain.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,177
259
कहानी का इक्कीसवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।

पढ़िए, आनंद लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Top