• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
lovely update ..ladke ke baap bahut lalchi aur harami kism ka aadmi tha jo ye soch raha tha ki bahana banake paise le lega aanand ji se par ain mauke par sarita ne himmat se usko jawab diya .
aur mama ne bhi sarita ka saath dekar achcha kiya .
inspector ki biwi wakai ghatiya aurat hai jo kisika dukh dekhkar maja lena chahti thi par manisha ne uski bhi bolti band kar di .
aur kuch achche padosiyo ne manisha ka saath bhi diya .
धन्यवाद आपका महोदय।।
कुछ लोग होते है ऐसे जीने लिए गुणों से ज्यादा पैसा महत्त्व रखता है। सरिता जैसी संस्कारी और सद्गुणों वाली लड़की से ज्यादा लड़के के बाप को पैसा प्यार था। तभी तो उसने सरिता के बदले पैसे को अहमियत दी।। पड़ोसी भी ज्यादा सेज नहीं होते। मौका मिलते ही वो अपनी औकात दिखा ही देते हैं।।

साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
Jabardast Update thaa

Sarita ne ekdum sahi kiyaa. Aise lalchi logo ke ghar rishtaa karna hi nhi chahiyeee.

Sarita ne unlogo ka muh pe mana karna ekdum jabardast laga mujhe.

Aur yeh kuch padoshi kisi ke sage nhi hotee. Khushi mein jalte hai toh dukh mein khush hote hai.

Aur aise hi hai Sarita ke padoshi. Ladki ki shaadi tooti hai kaha uske aur uske parivaar ko support karenge lekin uske jagah ladki ke character pe hi ungli utha rahe hai.

Jab unki ladki ke saath aisa hogaa tab unko samaj aayega.

Aur yeh inspector ki biwi aur beti. Yeh toh bahot bade kamine hai. Pati aur beta sarkari naukri karte hai matlab inki bahot izzat hai aur baaki sab ki koi izzat nhi.

Jab unki beti ki aisi hi halat hogi naa tab samaj aayega unko.
धन्यवाद आपका महोदय।
सरिता के पड़ोसी ठीक हैं जो पहले से ही उसके पड़ोस में रहते हैं लेकिन इंस्पेक्टर की पत्नी ने तो जोशी परिवार की बेइज्जती करने में कोई कसर नहीं छोड़ी। उसने गलत मौके पर ये सब किया।

साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
UPDATE- 8


Sabke chale jane ke baad Aanand ji jameen par baith kar phoot phoot kar rone lage. Andar Sarita ro rahi thi aur bahar Aanand ji aur Raani ji ro rahe the. Aanand ji aur Raani ji ko rishtedar sambhal rahe the to Sarita ko Manisha sambhal rahe the. Sarita ko Apni shadi tutne ka koi dukh nahi tha balki wo khud apni shadi todkar aai thi.


Lekin inspector ki wife aur beti ki baate unse dil aur dimag ko chhalni kar rahi thi. Uske character par ilzam lagaya tha dono ne. jo usne kabhi sapno me bhi nahi socha tha. Uske baare me un dono ne bola tha. Lekin jaise hi uske kano me aanand ji ke rone ki aawaz sunai padi wo apna dukh dard bhoolkar apne kamre se bhagkar apne mummy papa ke paas aai aur unke gale lagkar rone lagi.


Sabhi rishtedar ki aankho me aanshu the. Sath me paas padosh ke jo log Sarita aur Manisha ko jante the. Sabhi Inspector ki wife aur Beti ki baato se nakhush the. Sabhi rishtedar maan , baap beti ko dilasha dekar chup karwa rahe the. Aanand ji rote huwe bole.


Aanand- Usne meri bachhi ke character par ungli uthaai. Meri bachhi ko gali di usne. Meri bachhi ne kuchh nahi kiya. Meri bachhi galat nahi kar sakti. Wo jhooth bol rahi hai.

Sarita-(rote huwe) papa Aap chup ho jaiye. Usko jo kahna hai kahne dijiye. Uske kahne se Sachhai thodi hi badal jayegi. Aapko mujhpar bharosha hai na papa. Agar aapko mujhpar bharosha hai to mujhe koi fark nahi padkta ki koi mere bare mein kya bolta hai. AB aap chup ho jaiiye papa. Aap hi meri takat ho papa. Agar aap hi toot gaye to mujhe kaun sambhalega. Mujhe is samay aapki sabse jyada jaroorat hai papa.

Manisha- (Sisakte huwe) Haan papa Didiya sahi kah rahi hai. Aap shant ho jaiye. Hamko kisi se matlab nahi hai papa. Bas aap hampar bharosha rakhte hain to duniya kuchh bhi bole hame koi fark nahi padata papa.

Aanand ji- (Rote huwe) Mujhe tum dono par apne se bhi jyada bharosa hai beti. Main to ye sochkar ro raha hoon ki maine tum dono ko jeewan me kabhi khushiya nahi de paya. Hamesha dukh diye hain maine tum dono ko. Mujhe maaf kar do beti.

Sarita- (unka hanth pakadkar) Aap aisa mat kahiye papa. Aap ne kuchh nahi kiya hai. Aap ne hamare liye jo kiya hai wo koi aur nahi kar sakta papa. Aap duniya ke sabse best papa ho. Ab aap shant ho jaiye. Nahi to main aur bhi jor jor se rone lagungi.


Fir Manisha aur Sarita ne apne papa ko uthakar khatiya par baithaya. Manisha ne ek gilas pani lakar apne papa ko diya. Aanand ji ne pani pikar thoda aaram karne ke liye kaha. Kyonki aanand ji Sharirik rup se jyada manshik roop se thak gaye the. Isliye wo wahi khatiya par letkar aaram karne lage.


Subah khushiyo se shuru huwa ye din sham hote hote matam me badal gaya. (Sahi hi hai kisi kisi ke naseeb me khushiyaa aane se pahle itna jyada dukh aata hai ki log hatas ho jate hain apni jindagi se). Raani ji ke bhaiyo ne milkar poora tant, gadda, kurshi aur jo bhi saman Sagai ke liye kiraye par laya gaya tha, unhe wapas pahuchaya.


Sabhi do din tak ruke rahe, lekin ghar ka mahaul aisa ho gaya tha ki jaise ghar me kisi ki mrityu ho gayi ho. Sabhi jaise hansna khana pina sab kuchh bhool gaye the. Do din baad Raani ji ke dono bhaaii apne pariwar ke sath wapas apne ghar chale gaye. Aakhir Sabhi ke ghar me kaam hota hai.


Unke jane ke baad yahan par Raani ji aur Aanand ji ki halat kharab hi thi. To Dono bahano ne Sab kuchh bhulakar khud ko mazboot kiya aur samane aai paristhiti ka samna karte huwe apne maa aur baap ko bhi is vichitra paristhiti se bahar nikala.


Is Stithi se ubarne ke liye aanand ji ko 1 hafte ka samay laga. In 1 hafto me Aanand ji ne Auto bahar nahi nikala tha, lekin wo kab tak aisa karte. Aakhir papi pet ke liye wo apni dincharya par wapas laut aaye. Ab wo wapas pahle ki tarah samanya ho gaye the. Kabhi kabhi unhe ye baat jaroor salti thi ki unki beti ko kisi ne unke samne hi charitraheen kaha tha. Ye yaad aate hi unki aankho me aanshu aa jate the.


Sarita khud ko apna mummy papa ke samne mazboot dikhati, jaise kuchh huwa hi nahi hai, lekin jeb wo akeli hoti to Inspector ki wife aur uski beti ki bate uske dilo dimag me ghunjne lagti. Apne upar lagaye gaye lanchan ko yaad karke uski aankho me aanshu aa jate the. Ye Sab dimaag me aate hi kabhi kabhi to wo itni hatas aur pareshan ho jati ki uske man me galat vichar panapne lagte (Galat vichar se matlab koi ganda khyal nahi hai).


Kabhi sochti ki wo hi apne papa ke dukho ka karan hai usi ke karan aske bhaiya ghar chhodkar chale gaye aur usi ke karan aaj uske papa ki ye halat hui hai. Uske karan hi papa ki kitni beizzati hui thi. Use is ghar me rahne ka koi hak nahi hai. Use mar jana chahiye. Lekin jaise hi ye khyal dimag me aata. To uski rooh kanp jati,


kyonki usne dekha tha ki Abhishek ke chale jane ke baad aanand ji raat raat bhar apni galtiyo ke karan rote the. Agar usne aisa kuchh kiya to Us aurat ka lagaya gaya ilzaam sahi sabit ho jayega. Fir to papa sharmindagi ke karan kuchh bhi ulta siddha kar sakte hain. Nahi nahi main aisa nahi hone doongi. Main papa ko kuchh nahi hone doongi. Main aisa kuchh bhi nahi karungi. Main ye sab karne ke bajay kuchh aisa karungi ki papa ke sir fakar se ucha ho jaye. Logo ke samne papa sina tan kar bol sake ki main unki beti hoon.


Sarita Akele me yahi sab sochti rahti, lekin use kya karna hai ye nirnay wo nahi le pa rahi thi. Aise hi din gujarne lage. Aur Sarita sochti rahi ki use kya karna hai. Is ghatna ko ek mahina bit chuka tha. Ek din Sarita apne mobile me vacancy search kar rahi thi. Tabhi Sarita ki najar Uttar pradesh public Servic Commission ke Vacancy Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) par padi.


Vacancy ko dekhne ke baad Sarita ko apna rasta mil gaya. Usne nishchay kar liya ki wo Isi madhyam se apne papa ka sir ucha karegi aur un dono ma beti ko dikhaegi ki samaj me unki bhi izzat hai. Sarita ne nischaya to kar liye tha lekin iske pahle use apne papa se baat karni thi. Unse sahmati leni thi. Abhi wo isi soch me thi ki Tabhi Manisha bhi vaha aa gayi. Apni didiya ko soch me dekhkar wo boli.


Manisha- Didiya. O didiya. Kya soch rahi ho. Mujhe bhi batao jara.

Sarita- Mujhe apna target mil gaya hai manisha. Bas ab mujhe us target ko achieve karna hai

Manisha- Kaisa target didiya. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai.

Sarita- Tumhe pata hai. Jis din se un dono maa beti ne yaha hangama kiya tha. Us din se main yahi sochkar pareshan hoon ki meri wajah se papa ko itne logo ke samne sharminda hona pada. Meri vajah se papa ko Un lalchi logo ke samne mere liye Gidgidana pada. Tabhi se main yahi soch rahi hoon ki mujhe kuchh aisa karna hai ki papa ka sir meri vajah se jhuke nahi balki uchaa ho jaye. Aur mujhe aaj wo rasta najar aa gaya hai. Mujhe meri manjil najar aa gayi hai.

Manisha- par wo manjil hai kya didiya. Mujhe kuchh samajh nahi aa raha hai.

Sarita- ye hai meri manjil jise hasil karke main papa ko gift dena chahti hoon.


Itna kahkar Sarita ne Manisha ke samne apna mobile rakh diya. Manisha ne jab dekha to uski aankhe badi badi ho gayi. Wo apni aankhein badi karke Sarita ko dekhte huwe boli.


Manisha- Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) matlab police ki Naukri karengi aap. Papa iske liye kabhi taiyar nahi honge. Aur waise bhi ye naukri koi bachho ka khel nahin hai. Iske liye bahut mehnat karni padegi aapko.

Sarita- mujhe pata hai ki iske liye mujhe bahut nahin bahut jyada mehnat karni padegi, lekin main karungi. Papa ke liye main din raat ek kar doongi, lekin ye gift main papa ko jaroor dungi. Papa ko manana mera kaam hai. Ab tum meri thodi help kar dena. Mere support me bol dena.

Manisha- main apni didiya ke liye kuchh bhi karungi.


Itna kahkar Manisha Sarita ke gale lag gayi. Isi tarah din bit gaya. Sham ko jab Aanand ji Auto lekar Ghar aaye to wo bahut khush the. Raani ji ne unki Khushi ka karan poocha to unhone bataya


Aanand ji- Ari bhagywan Sarita ke liye ek Acha Rishta mil gaya hai. Ladka Lucknow me sichai vibhag me clerk hai. Ghar pariwar bhi thik hai. Agar ye Rishta jam gaya to isi sal Sarita ke hanth pile kar denge.

Raani ji- Ye to bahut Khushi ki baat hai. To aap rishte ki baat aage badhaiye fir.

Aanand ji- maine apne dost ko bol diya hai ki wo baat ko aage badhaye. Do char din me wo batane ke liye bola hai.


Sarita apne papa ki baat sun rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ki wo apne papa ki Khushi ko apni baat kahkar gam me to nahi badal degi. Fir bhi usne himmat jutayi aur Aanand ji se kaha.


Sarita- papa mujhe aapse kuchh jaroori baat karni hai.

Aanand ji- Are Sarita beta. Mujhe bhi tumse kuchh jaroori baat karni hai.

Sarita- Aap se jyada jaroori meri baat hai papa. Ek baar meri baat sun to lijiye.

Aanand ji- Thik hai beti batao kya baat hai.

Sarita- Pahle aap wada kariye ki meri baat sunkar aap gussa nahi karenge. Meri baat aap dhyan se sunenge. Aur use samjhne ki koshish karenge. Meri bhavnao ko samajhne ki koshish karenge.

Aanand ji- (Pareshan hote huwe) tu aisa kyon kah rahi hai beti. Kya baat hai.

Sarita- Nahi papa pahle aap wada kariye. Ki aap gussa nahi karenge. Fir main bataungi.

Aanand ji- Thik hai beti wada karta hoon ki main gussa nahi karunga.

Sarita- papa baat ye hai ki Mujhe Abhi shadi nahi karni hai.


Sarita ki baat sunkar Aanand ji Aur Rani ji ke hosh hi udd gaye. Unhe ummeed nahi thi ki Sarita aisa kuchh bolegi. Uski baat sunkar Raani ji ne kaha.


Raani ji- Kyon. Kyon Shadi nahi karogi tum, Shadi ki Umar ho gai hai tumhari. Itna achha Rishta aaya hai hath me. Tere pichhe pichhe teri bahan bhi shadi ki Umar par aa gayi hai.

Sarita- maa main Abhi do sal shadi nahi karna chahti hoon. Mujhe naukari karna hai. kuchh banna hai. Uske baad shadi karni hai.

Aanand ji- ye kya dhun sawar ho gayi hai tujhpar beti. Tujhe pata hai na Apni mali halat. Tere sath tere bahan ki bhi shadi ki jimmedari aa jayeyi mujhpar in do shalo me. Tu khud soch agar tu do sal shadi nahi karegi to tere se pahle to Manisha ki shadi nahi kar sakta hoon na. fir tum dono ki shadi ka bojh eksath kaise utha paungi main beti.

Sarita- maine is bare mein bahut socha hai papa, lekin us (Inspector Wife) ki baat mere dimag me ghumti rahti hain. Main bhi usko batana chahti hoon ki mere papa ki bhi izzat hai. Main use batana chahti hoon ki usne jo ilzam lagaya hai ham dono bahno aur bhai ke upar wo galat hai. Mujhe do sal ka samay de dijiye papa. Uske baad aap jis ladke se bolenge main usase shadi kar lungi. Maine aaj tak apse kuchh nahi manga papa. Aaj maang rahi hoon. Mujhe meri zindagi ke do sal de dijiye papa.


Sarita ye baat karte karte aanand ka hanth pakad kar ro padi. Uske rone se sabhi ki aankho me aanshu aa gaye. Raani ji ne Sarita se kaha.


Raani jii- ham teri bhavnaye samajh rahe hain beti, lekin tum bhi hamari majboori samajhne ki koshishh karo beti. Itna achha Rishta baar baar nahi milta.

Aanand ji- Mujhe apni beti ki kushi sabse jyada pyari hai. Tujhko do sal chahiye na. diya tujhko do sal, lekin beti do sal baad tumhe meri baat man-ni hogi. Kyoki tumse kuchh chhupa huwa nahi hai.

Raani ji - ye aap kya kah rahe hain. Itna achha Rishta naukari wala ladka……….

Aanand ji- (bat ko bich me katkar) Nahi bhagyawan. Meri beti ne pahli baar mujhe kuchh manga hai. Main itna bhi nirdayi nahi hoon ki apni beti ke armano ka gala ghot doon. Main janta hoon ki Khushiya is ghar se ruthi hui hain, lekin samay hamesha ek sa nahi rahta. Ho sakta hain ye koi samay ka chakr ho jo Sarita ke madhyam se kuchh achha karwana chahta ho. Rishton ka kya hain agar bhagwan ki marji hui to isase bhi ache ache rishte aayenge hamari Sarita ke liye.

Sarita- Dhanyawad papa. Apne meri baat mani. Main man lagakar wo kamm karungi jiske liye maine aapse do sal mange hain. Main aapki sar garv se ucha karungi papa.


Itna kahkar Sarita Sisakte huwe Aanand ji se lipat gayi.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,755
46,178
259
कहानी का आठवाँ भाग लिख दिए हैं दोस्तों और पाठकों।।

पढ़िए, आनन्द लीजिए और अपने महत्त्वपूर्ण विचार भी व्यक्त कीजिए।।
 
Top