• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,448
259
nice update ..sarita ne apne aap ko padhai me jhonk diya aur ye baat sabko pata chal gayi ki sarita police banna chahti hai to sabne badhai di wahi wo ins. ki wife apne swabhaw ki tarah burai hi karne lag gayi sarita ki .
uska pati bhala aadmi hai isliye jab usko sab pata chala to maafi maangi aanand ji se .
sarita ne dono exam aaram se clear kar liye par interview dene ke liye thodi ghabra rahi thi ,aur tab uske papa ne usko sahi se samjhaya .
interview bekar gaya sarita ka jisse wo mayus hokar bahar aayi .
ek baar fail ho bhi jaaye to bhi hausla nahi haarna chahiye sarita ko .
धन्यवाद आपका महोदय इस खूबसूरत समीक्षा के लिए।।
असफलता ही सफलता की कुंजी है एक बार असफल होने पर हर मानकर नहीं बैठना चाहिए।दोबारा फिर से कोशिश करनी चाहिए।।

साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,448
259
Sarita ne apni lakshya hasil k liye sabkuch bhul kar exam ki tayari kiya,prelims,mains clear kar liya he but thoda nervous thi interview k liye.lekin interview attend kiya but dukhi he 2 answer galat hua.sarita ko interview clear karva do.
Amazing update...
धन्यवाद आपका महोदय।
अगर इरादा पक्का हो तो मंजिल आसान ही नजर आती है सरिता ने अपनी मंजिल को पाने के लिए जीतोड़ मेहनत की है।

साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,448
259
Mahi ji 2 saal mai se Kitna time gujar chuka hai abhi or hero ko gaye Kitna time ho gaya na koi Ata na hi pta aakhir or Kitna time lega apna hero wapis and mai
धन्यवाद आपका मान्यवर।
बहुत जल्द हीरो का प्रवेश कहानी में होने वाला है। थोड़ी प्रतीक्षा कीजिए।

साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,448
259
UPDATE- 10


Fir anand ji Aur Sarita wapas ghar ko aa gaye. Sarita ne Raani ji aur Manisha ko bhi ye bata diya ki uske paas hone ki ummeed kam hai.


Near About Four Month Later


Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ka Result aa gaya tha. Jisase Sabhi Ghar walo ke sath sath Sarita ke chehre par bhi pareshani saf dekhi ja sakti thi. Sarita ko bahut bechaini ho rahi thi ki uska examination ka result kya hoga. Uski himmat nahi ho rahi thi ki wo ApnA result dekhe.


Manisha ke baar baar kahne par jab Sarita ne parinam dekhne ki himmat nahi dikhayi to Manisha ne khud hi result dekhne ke liye Sarkari result ki Site open ki aur result dekhne lagi. Manisha ke sath Sarita bhi bagal me baithi thi. Raani ji aur Aanand ji bhi sath me hi baithe huwe the.


Manisha ne roll number dala aur Search par click kar diya. Result samne tha. Sarita ne jab dekha to uski aankho se aanshu bahne lage. Kyonki Screen par likha tha Result not found. Sairta rone lagi. Uski itne din ki mehnat par ek jhatke me pani phir gaya. Wo rote huwe Aanand ji se boli.


Sarita- Papa main haar gayi. Maine apna sapna poora karne ke liye din raat ek kar diya tha, Lekin itni mehnat ke bavjood mera sapna toot gaya papa.
9
Aanand ji- Kuchh nahi huwa beti. Is baar nahi huwa to tum agli baar aur koshish karna. Mujhe tumpar porra bharosha hai. Tum is baar nahi paas hui to kya huwa agli baar jaroor paas ho jaogi.


Aanand ji Sarita ko dilasha de rahe the. Udhar Manisha ko shak huwa ki usne shayad galat roll number dal diya hai to usne fir se roll number check kiya aur Chillate huwe boli.


Manisha- Are didiya rowo mat. Maine roll number galat dall diya tha. Main dobara dekhti hoon.


Manisha itna kahkar dobara se roll number dal kar Search kiya aur Result dekhte hi Khushi se uchhal padi aur Sarita se lipat gayi aur boli.


Manisha- Huuuuurrrrreeeee. Meri didiya paas ho gayi. Didiya paas ho gayi.


Sarita ko to uski baato par vishwas nahi huwa to wo mobile hanth me lekar screen par dekhne lagi. Jisme roll number ke samne pass/selected likha huwa tha. Aur rank 123th aayi thi. Sarita ki aankho me Khushi ke anshu aa gaye. Wo Raani ji aur Aanand ji ke pair chukar unke gale lagte huwe boli.


Sarita- papa. Main paas ho gayi. Maine apna sapna sach kar dikhaya. Maine apna wada poora kiya papa. Main bahut khush hoon aaj. Kash aaj bhaiya yahan hote to wo bhi bahut khush hote.


Sarita ko aaj fir se Abhishek ki yaad aa gayi. Waise Sarita ki aadat me ye sumar ho gaya tha ki jab bhi koi Khushi ka mauka aata tha to Sarita ek baar Abhishek ko jaroor yaad karti thi. Aanand ji ne Sarita ke sir par hanth ferte huwe kaha.


Aanand ji- mujhe tumpar poora bharosha tha beti ki tum ye pariksha jaroor paas kar logi. Ab Abhishek ko yaad karna chhod de 8 varsh se jyada ka samay ho gaya hai usko ghar chhodkar gaye hue. Pata nahi kis haal me hoga. Wo kya kar raha hoga. Wo hai bhi ya nahi.


Aakhiri shabd bolte huwe Aanand ji ki aankho me bhi aanshu aa gaye. Aakhir apne bete ke jinda na hone ka soch kar kis baap ki aankho me anshu nahi aayenge. Unki baat sunkar raani ji ne kaha.


Raani ji- ye kaisi bat kar rahe hain aap. Is Khushi ke mauke par aap Ashubh bate kyon kar rahe hain. Mera beta jaha bhi hoga sahi Salamat hoga. Dekhna ek din wo apni maa ke paas jaroor laut kar aayega.

Sarita- Aur nahi to kya. Bhaiya ko kuchh nahi hoga. Main unhe khud dhondh kar laungi.

Manisha- Ye hui na baat didiya. Mujhe tum par poora bharosha hai didiya. Tum bhaiya ko jaroor dhoondh nikalogi.


Isi tarah ye sab baate karte rahe. Sarita kaUttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) achchhi rank se clear kar lena bahut badi baat thi. Kyonki us area mein aur aas paas ke kai kilometer ke area mein koi bhi is pariksha ko clear nahi kar paya tha aur Sarita ne Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ki pariksha ko pahle hi prayash me crack kar liya tha.


Upar se wo ladki thi , Isliye ye charcha ka Vishay ban-na hi tha. Dophar ko ghoshit huwe result ke karan aas paas ke kshetro me ye kabar ki Aanand Ji ki beti Sarita ne pahle hi prayash me Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ko clear kar liya hai, jangal me aag ki tarah fail gayi.


Poore kshetro me log Sarita ki tareef karte nahi thak rahe the. Jaise jaise logo ko pata chalta gaya. Waise waise badhai dene walo ka tanta lag gaya Aanand keg har.


Jo bhi badhai dene aata aanand ji se unki Aur Sarita ki bahut tareef karte. Jise sunkar unhe apni beti ko bahut garv ho raha tha. Unki aankho me Khushi ke aanshu aa gaye the. Aaj Sarita ke karan unhe bahut maan samman mil raha tha.


Raat bhar badhai dene walo ka tata laga raha, jo aanand ji ko pasand nahi karte the wo bhale hi samne na aaye hon lekin pith pichhe unke munh se bhi Sarita ke liye tareef nikli. Badhaii dene walo me Wo inspector bhi tha. Jiski patni ne Sarita ke character par sawal uthaye the. Inspector Achha aadmi tha.


Sarita ki Shadi tootne ke baad jab wo ghar wapas aaya tha to use apni patni ke bartav ke bare me pata chala tha to usne apni patni ko bahut data tha, lekin patni aadat se majboor thi isliye use inspector ki bato se koi fark nahi pada tha. Sarita ke pass hone ki khabar sunkr wo jal bhunkar raakh ho gayi thi. Use ek jalan si ho rahi thi aanand ji aur uski family se.


Us samay Inspector chhutii par ghar aaya huwa tha. Jab use pata chala ki Sarita ne UPPCS ka exam crack kar liya hai pahle hi prayash me to wo bhi sarita ko badhai dene ke liye aaya tha. Usne Sarita ko badhai dete huwe kaha.


Inspector- Bahut Bahut badhai ho beti. Mujhe bahut Khushi hui tumhare bare me sunkar.

Sarita- Dhanywad Chacha ji. Ye Sab mere papa aur mummy ke karan hi sambhav ho paya hai. Kyonki mera mata pita ne har mushkil paristhitiyon me mera har kadam par sath diya hai.

Inspector- Aapko bhi bahut bahut badhaii bhaai sahab aur bhabhi ji. Aapne sach me apni bachhiyo ko bahut ache sanskar diye hain. Maine apki bachhiyo ki bahut tareef suni hai.

Aanand ji- Dhanywad aapka Sahab. Ye to aap logo ka badappan hai jo aap log mujhe itna samman de rahe hain. Baki ye sab meri beti ki mehnat ka phal hai jo usne apne sapne poora karne ke liye kiye the.

Inspector- Aapki beti bahut mehanti hain tabhi usne pahle hi prayash me exam clear kar liya. Sarita beta, tum janti ho na ki ye job kaisi hoti hai.

Sarita- Thoda bahut janti hoon chacha ji. Baki ka join karne ke baad sikh jaungi.

Inspector- Posting Allahabad me to nahi hogi tumhari, isliye ye sochkar pareshan mat hona. posting chahe jaha bhi ho. Bas tum apna kam poori mehnat aur imandari se karna. Jaise tumne abhi tak kiya hai. Tumhe aur jyada safalta milegi.

Sarita- Ji chacha ji. Main apni job ke prati poori tarah se samarpit rahoongi.


Press wale bhi aaye. Unhone Sarita aur uske mummy papa ka interview liya. Sarita ne apne interview me apne mummy papa Manisha ke bare me hi jikar kiya tha. Ki unhone kis tarah se har kathin paristhitiyon mein uska sath diya tha. Sath hi sath usne apne bhaai ke bare mein bhi jikar kiya.


Isi tarah poora tin din nikal gaye. Rishtedar bhi Sarita ke paas hone ki khabar sunkar ghar aaye the badhai dene. Sarita ka interview aur uski photo newspaper mein bhi chhapi thi. Dhire dhire samay gujarta ja raha tha. Sarita ke selection ke baad kuchh ache rishte bhi aaye the. Lekin aanand ji ne Sarita ke upar aakhiri nirnay chhod diya tha ki agar wo abhi aur samay chahe to le sakti hai.


Kyonki Sarita ki Sarkari job lag jane ke baad Aanand ji ko Uski shadi ki jyada chinta nahi rah gayi thi. (Jyada chinta se matlab hai financial problems nahi rah gayi thi). Sarita ne Abhi 2 Sal ke liye Shadi se mana kar diya. to aanand ji ne Rishta bhejne wale ko bata diya. dhire dhire Sarita ki joining ka samay bhi nirdharit ho gaya


Samay ko jate der Nahi lagti aur Sarita ke sath bhi aisa hi huwa. Uski training poori ho chuki thi aur Kal usko joining ke liye doosre shahar jana tha.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Top