• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
itna samjhane aur maar padne ke baad bhi nahi samjha aur na sudhra to ab kya khak sudharega wo.... pita se leke chhoti bahan tak pyar se phakkad se sabhi se koshish ki lekin mazak hai kiski jo abhishek ko sudhar sake...

Maybe ye jo ho raha hai unke ghar... shayad ek na ek din abhishek apne gusse aur laaparvahi ke chalte kuch aisa kar dega jiski wajah se aanand ushe bahot maarega ya aisa kuch keh deg ki abhishek ghar chhod ke chala jaayega aur shayad kisi bure raah par chal padega... ant mein muthbhed hogi khudki bahan se... aur sarita farz ke chalte uspe goli chalaayegi :gunfire:

Khair ... Present mein bas ek hi insaan abhishek ko sudhaar sakta hai, aur wo koi aur nahi balki manisha ka hone wala pati.... The great one nischal hai.. 

Manisha bhi padhai me thik thak hi thi.
ab ye kya hai :bat: nischal ki premika bas padhayi mein thik thak :bat:
chalo chalo jaldi se manisha ko topper banao :bat:

Khair.....
shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
kirdaaro ke mood, mahol aur unke bich rishte ke varnan kabile tarif raha...

Hamesha ki tarah kirdaaro ke vicharo ka adan pradan jis mul vishay vastu pe hai wo ek lay mein dikhane mein lekhika kamyaab rahi..
Overall the best part of the update is the end, specially the way you have written it...hope ki abhishek ab sudhar jaaye...

Aise hi likhte rahiye aur aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karte rahiye...

Let's see what happens next..

Brilliant update with awesome writing skills... :applause: :applause:
 

Prem pyasa

Member
283
980
94
UPDATE- 01


Bachpan ke Lekar Jawani tak ke kuchh ansh.


Allahabad shahar ke ek chhote se kabse mein Aanand Joshi apni patni Raani Joshi ke sath rahte the. Jo Lower Middle Class se belong karte the. Unka khud ka auto riksha tha jise chalakar wo apna aur apne pariwar ka gujara karte the. Wo jis makan me rahte the wo 3 kamre ke makaan tha jise unke pitaji ne banwaya tha. Jinki kuchh samay pahle hi mrityu ho chuki hai. Maa to bachpan me hi chal basi thi.


Pita ki mrityu hone ke baad eklauti santan hone ke karan unki sari jyayjat Aanand ji ke naam ho gayi. Aanand ji ek beta aur do betiya thi. Badi beti ka naam Sarita, Chhoti beti ka naam Manisha aur unke pyare bete ka naam Abhishek tha. Aanand Joshi ke Betiyo ki umar me 2 se 2.5 sal ka anter tha. Lekin Abhishek Sarita se 4 varsh bada tha. wo thoda gusse wala aur chhoti si baat ko dil par lagaa lene wala ladka tha. uski padhai bhi der me shuru hui. Padhaai me abhishek kamjor hi sabit huwa.


Abhishek Dono bahano se bada tha Aur beta hone ke karan apni maa ka ladla tha. Aisa nahi tha ki Mr. aur Msr. Joshi ko apni betiyon se pyaar nahi tha. Wo apni betiyon se bhi bahut pyaar karte the, lekin akela beta hone ke karan wo unka ladla tha. Unke sath sath Abhishek dono bahnon ka bhi ladla bhai tha. Dono bahane Hamesha Abhishek ke age pichhe Ghumti rahti thi. Abhishek class 6 mein, Sarita claas 4 mein aur Manisha class 1 mein padhti thi. Abhishek maa baap ke jyada lad pyaar ki wajah se thoda bigad gaya tha aur ladai jhagda bhi karne laga tha.


Ek din english ki class chal rahi thi aur Abhishek baitha hua apni copy me kuchh bana raha tha . Abhishek padhai likhai mein bhale hi kamjor tha, lekin Abhishek ki drawing Apni umar ke Aur bachho ke mukable bahut Aachhi thi. Padhaai likhaa se jyada uski ruchi drawing mein thi. Tabhi teacher ki najar Abhishek par padi. Unhone Abhishek se kaha.


Teacher- Abhisehk. Ram ne Shyam ko khane ke liye 2 Aam diye. Iska Angrezi me anuwad karo.


Lekin Abhishek to apni hi dhun mein drawing kar raha tha. Usne jaise teacher ki baat suni hi nahi ho ya sunkar bhi ansuna kar diya ho. Teacher Abhishek ke paas aa gaye ye dekhne ke liye ki Abhishek kya kar raha hai. Abhishek teacher ko apne paas khada dekh kar apni drowing chhupane laga. Teacher ne uske hanth se paper cheen liya Aur bole.


Teacher- Abhishek. Kya kar rahe ho. Aur ye English ke subject me tum ye drawing kar rahe ho.

Abhishek- wo sir main to wo….

Teacher- Achha to tum mujhe bana rahe the. Waise drawing to tum bahut achhi karte ho, lekin ye drawing ki class nahi hai. Ek to tum padhai me itne kamjor ho aur upar se class me bhi padhai par dyaan dene ke bajay drawing bana rahe ho. Meine tumhe kitni baar manaa kiya hai lekin tum ho ki mante hi nahin ho. Isliye tum bench par khade ho jao. Aur meri class khatam hone tak bench par hi khade raho.


Teacher ne Drawing dekhte huwe muskurate huwe kaha, kyonki Abhishek ne sach me drawing Achhi banai thi. Bas thodi bahut kami thi. Abhishek ne unka kaan aur naak kuchh lamba aur bada kar diya tha, jise dekhkar teacher ke chehre par muskan fail gai thi.


ABhishek ko punishment dekar teacher fir se bachho ko padhane lage. English ki class khatam ho jane ke baad teacher bahar chale gaye to Abhishek ki punishment bhi khatam ho gayi. Wo apni jagah par wapas baith gaya. Teacher ke gaye hue kuchh hi der hui thi ki ek ladke ne uski drawing wala paper le liya aur front me jakar khada ho gaya aur bola.


Ladka- Ye dekho Abhishek ne padhai chhod kitni ghatiya drawing banai hai.

Abhishek- meri drawing de yash. De meri drawing.


Lekin us ladke ne Abhishek ki baat nahi mani aur puri class me ghoom ghoom kar Abhishek ki drawing dikhane laga. Uske baad wo apni pen nikalkar uski drawing par apni pen ghumane laga. Jisase Abhishek ki drawing kharab ho gayi.


Drawing kharab karne ke baad us ladke ne Abhishek ko wo paper wapas kar diya. Apni drawing kharab ho jane par Abhishek ko gussa aa gaya aur usne us ladke ka sir pakadkar 3-4 baar desk par patak diya. jisase uska sir fat gaya aur khoon nikalne laga. Wo ladka jor jor se rone laga.


Ek ladka bhaag kar bahar chala gaya aur principal se Abhishek ki shikayat kar di ki Abhishek ne Yash ka Sir phod diya. Principal Aur kuchh teacher daude daude class me pahuche. To dekha ki yash jameen par apna sir pakadkar bhaitha huwa hai.


Uske sir se khoon nikal raha hai. Wo jor jor se ro raha hai. Abhishek apni seat par baitha huwa chocolate kha raha tha. Principal Sir ko bahut gussa aaya. Wah Ahishek ke paas gaye aur ek jor ka jhapad Abhishek ko rasid kar diya aur bole.


Principal- Ye kya kiya tumne. Iska sir Phod diya aur aaram se baithkar chocolate kha rahe ho. Tumhare andar daya aur insaniyat naam ki koi cheej nahi hai kyaa. Kal tum apne parents ko bulakar lana. Tum jaise shararti bache ko main apne school me nahi rakh sakta.


Principal Sir ne Abhishek ko ghar jane ke liye bolkar Yash ko hospital bhijwaya. Abhishek Akele hi ghar pahucha to uski maa ne usase kaha


Raani ji- Are mera beta. Aaj to badi jaldi Ghar aa gaya. School ki chhutti ho gayi kya. Aur ye tere gaal kyon lal ho gaye hain. Kya tumne fir kisi se ladai Jhagda kiya hai.
Abhishek- Nahi mammy Wo Principal Sir ne mujhe mara. Principal Sir ne meri chhutti pahle hi kar di. Isliye main pahle ghar aa gaya.


Rani ji - Aise kaise maara unhone tujhe. Koi aise marta hai kya bachhe ko. Main baat karungi tere principal se. Chal hanth munh dho le. Main tere liye khana lagati hoon. Tu khaa le. Sarita aur Manisha ko aane ke baad khana khila dungi.


Abhishek ne apni maa ko maar khane ki poori wajah nahi batai. Isliye Rani Principal Sir ke uppar gussa ho rahi thi. Tabhi Abhishek ne kaha.


ABhishek- mummy. Kal principal Sir ne Aapko aur Papa ko school mein bulaya hai kuchh kam se. wo bol rahe the ki agar aap dono unse milne nahi gaye to wo mujhe school se nikal denge.

Rani ji- Tune kuchh ulta siddha to nahi kiya na school me. Jiski wajah se principal Sir aisa bol rahe the.

Abhishek- Nahi mummy. Maine kuchh nahi kiya. Wo yash hai na usne meri drawing kharab kar di thi. Isliye maine use mara. Isi baat ko lekar principal sir ne mujhe mara aur bole ki kal apni mummy papa ko lekar hi school aana.

Raani ji- Thik hai main chalungi tere sath. Dekhti hoon kaise nikalte hain tujhe school se principal Sir.


Thodi der baad school ki chhutti hone ke baad Sarita aur Manisha bhi Ghar aa gaye. Rani ne unhe bhi pyaar se khana khilaya. Khana khakar wo dono so gaye. Sham ko dono sokar uthi aur Apne Bhai Abhishek ke sath khelne lagi. Aanand ji ke Ghar aane ke baad Raat me khane ke samay Rani Ji ne Aanand ji se kaha.


Raani ji- Suniye ji. Kal Abhishek ke Principal Sir ne hame School me bulaya hai. Unhe kuchh jaruri baat karni hai hamse Abhishek ke bare me.

Aanand Ji- Baat kya karni hogi. Isne fir se kisi se jhagda kiya hoga. Isi silsile me unhone bulaya hoga. Ye jaise jaise bada hota ja raha hai waise waise iski shararat badhti ja rahi hai.

Raani ji- Aap to har samay mere bachhe ko hi koste rahte hain. Abhi iska bachpna hai. Abhi agar shararat nahi karega to kya buddha hone ke baad shararat karega kya. Aapko to hamesha mere bete ki hi galti najar aati hai.

Aanand Ji- Tumhare lad-pyaar ne hi ise bigad rakha hai. Aage chalkar kahi aisa na ho ki tumhe apne is lad-pyaar ki wajah se pachtana pad jaye. Abhi bhi samay hai. Use ache aur bure ke baare me samjhao. Meri to wo suntan nahi hai. Agar maar peet kar use kuchh samjhaunga to ho sakta hai wo aur bhi bigad jaye aur jiddi ho jaye. Tumhari sunta hai to kam se kam tumhi use sahi aur galat ke bare me batao.

Raani Ji- Aapko to hamesha mere bete ki hi galti dikhai deti hai. Fir bhi main use samjhaungi. Chalo ab jaldi se khana khatam karo aur so jao. Subah iske school bhi chalna hai.


Uske baad kisi ne koi baat nahi ki aur khana khakar Aanand Ji apne kamre me sone ke liye chale gaye.



Iske aage ki kahaani agle bhag mein..
Maahi ji, aaj aapki kahani ka shuruat kar diya. Pehla update padha jo ki kafi dilchasp tha. Abhishek ki shararat se paripurn iss update Ko aapne bahut behtareen likha hai. Kahi koi galti Nazar nahi aaya. Lekin chunki ye ek Prem kahani hai to Abhi khas kirdaaron ki entry baaki hai ya sambhavta ye baal-kirdaar hi aage chalkar mukhya paatra banenge. Dekhte hain kya hota hai.
Nice update 👏
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Maahi ji, aaj aapki kahani ka shuruat kar diya. Pehla update padha jo ki kafi dilchasp tha. Abhishek ki shararat se paripurn iss update Ko aapne bahut behtareen likha hai. Kahi koi galti Nazar nahi aaya. Lekin chunki ye ek Prem kahani hai to Abhi khas kirdaaron ki entry baaki hai ya sambhavta ye baal-kirdaar hi aage chalkar mukhya paatra banenge. Dekhte hain kya hota hai.
Nice update 👏
Kyunki is story ka hero the great one Nischal hai.... :woohoo:
Bas ek heroine hella ki kami hai yahan .. :woohoo:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
waise sarita pehle update se hi hai... bas ek wo mahendra hi gayab hai abhi tak :hint:
Bichara ,.lagta hai mahi maurya ushe dhamki di ho ki abhi uska time nahin aaya hai story mein entry ki... :roflol:
Aisa koi karta hai kya ,..kya beet rahi hogi uske dil par :D
udhar bichari savita......
Savita be like
Sambhala usne bahot apne dil ko
Juba pe phir bhi uska hi naam kyun aa raha hai :D
 
Last edited:

Sauravb

Victory 💯
8,091
14,191
174
Abhishek nehni sudharne wala usko sirf drawing me interest he..Sabki baat ko sirf sunta he kaam me nehni lagata.wo sirf apni behen ki baat man raha he..Future batayega dono bhai behen ka pyar ka rang layegaa.. Amazing update..
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Abhishek nehni sudharne wala usko sirf drawing me interest he..Sabki baat ko sirf sunta he kaam me nehni lagata.wo sirf apni behen ki baat man raha he..Future batayega dono bhai behen ka pyar ka rang layegaa.. Amazing update..
Ushe bas uska jija nischal hi sudhaar sakta hai .. :D
 

park

Well-Known Member
7,918
9,805
173
UPDATE- 03


Apne kamre mein pahunchkar Raani ji bister par baith gai aur kuchh sochne lagi. Aanand ji abhi tak soye nahin the. Jab unhone apni dharmapatni ko soch mein dooba huwa dekha to unhone Unse poochha.


Aanand ji- Kya baat hai bhagyawaan. Kis soch mein doobi hui ho.

Raani ji- main abhishek ke bartav ko lekar thodi pareshan hoon. Uski padhaai ko lekar chintit hoon.

Aanand ji- Yahi chinta to mujhe bhi khaye ja rahi hai. Pata nahin aage chalkar kya hone wala hai. Kismat mein kya likha hai, main nahin chahta ki abhishek bhi meri tarah muflasi mein apna jeevan gujare. Main chahta hoon ki wo padh likhkar ek kamyaab insan bane.

Raani Ji- Main bhi to yahi chahti hoon ki use jeevan mein koi dukh dard na ho. Wo achhe se padhaai kare aur kaamyaab ho, lekin wo padhaai mein bahut kamjor hai. Main soch rahi hoon ki kyon na uske liye koi tution laga diya jaye. Jisase uski padhai mein sudhar ho sake.

Aanand ji- kah to tum thik hi rahi ho bhagawaan, main kal hi kisi achhe teacher ko dekhta hoon. Ho sakta hai tution se hi uski padhaai sudhar jaye.


Iske baad donon pati patni so gaye. Subah sabko school bhejne ke baad Raani ji ne Aanand ji ke liye bhi tifinn pack kiya. aanand ji bhi apna nashta lekar auto chalane chale gaye.


Isi tarah do din bit gaye. In do dino mein Aanand ji ne apne parichit se tution teacher ke bare mein baat ki thi to unhone ek bahut hi kabil teacher ki vyavastha kar di abhishek ko padhane ke liye.


Tution teacher Roj sham ko aakar ek ghante tak abhishek ko padhane laga. Teacher kyonki bahut kabil tha. Wah abhishek ko har tarah se nipun banane mein jut gaya.


Isi tarah samay gujarta raha, Abhishek ka padhai me bilkul man nahi lagta tha, to teacher ne bhi ek do mahine mein apne hath khade kar diye. Ab to abhishek ki maar-pit aur Shararat ke karan uske naam par shaikayte bhi badhne lagi. Jiske karan kabhi kabhi Aanand ji ki maar bhi padti thi Abhishek ko, maar khane ke kuchh din tak to wo thik se padhta, aur ladai Jhagda nahi karta tha, lekin kuchh din baad phir se uska wahi ravaiya ho jata.


Aanand ji aur raani ji bahut pareshan ho gaye the abhishek ke bartav se, wahi Sarita padhaai me hamesha aowwal aati. Jisase uski Sarahna bhi hoti thi. Manisha bhi padhai me thik thak hi thi. Ek din raat me bachho ke sone ke baad Aanand ji Aur raani ji baithkar baat kar rahe the.


Aanand- Abhishek ka kya hoga bhagyawaan. Roj kisi na kisi ki shikayat aati rahti hai. Wo bahut bigad gaya hai. Mujhe to uska bhavishyaa andhere me dikhayi de raha hai. Sarita ko dekho, Kitni samajhdar hai aur padhai me bhi kitni hoshiyaar hai. Manisha ki bhi koi chinta nahi hai mujhe. Wo bhi padhai me achhi hai , Lekin abhishek ko lekar mujhe din raat chinta lagi rahti hain.

Raani ji- Chinta to mujhe bhi uski lagi rahti hai, lekin Aap Itni chinta mat kiya kariye ji. Gujarte samay ke sath wo sudhar jayega. Abhi bachpna hai usmein. Abhi samajhdari ki kami hai usme. Thoda samay dijiye use. Dhire dhire sab thik ho jayega.

Aanand Ji- Bhagvan kare Sab thik ho jaye. Mujhe to abhishek ki chinta din rat khaye ja rahi hai. Agar Thik se padhai likhai nahi karega to meri tarah hi din raat khatega. Ham to apni jindagi jaise taise gujar rahe hain. Lekin main to chahta hoon ki hamare bachhe achhi jindagi jiye. Lakin Abhishek ko to jaise kuchh fikar hi nahi hai. Har samay ladai jhagda karta rahta hai.

Rani Ji- Aap chinta na kare. Main usase baat karti hoon. Wo meri baat jaroor sunega. Aap dekhna jald hi wo ladai jhagda chhodkar jimmedar ladka ban jayega. Chaliye ab so jaiye raat bahut ho gayi hai.


Uske baad Aanand Jj aur Rani Ji so jate hain. Subah Uthkar raani Ji ne Sabhi bachho ko taiyar kar school bhej diya aur khana banakar aanand ji ko bhi de diya. aur ghar ka aur kaam karne lagi. Jab Abhishek school se ghar aaya to Raani Jj ne use fir se samjhate huwe kaha.


Raani ji- Abhishek tu kab sudharege. Har samay ladai jhagda karta rahta hai. Har koi teri shikayat karta hai. Tu padhai likhai par dhyan de beta. Kyon apne bhavishya ke sath khel raha hai.

Abhishek- Thik hai maa main Is baat ka dhyan rakhunga ki aage se aisa kuchh na ho. Aur main padhai bhi man lagakar karunga. Ab main sone jaun.


Rani ne abhishek ko sone ke liye bhej diya. Sarita aur Manisha bhi so gayi, Abhishek ki baat sun-ne ke baad Raani ji ne jaan liya ki Abhishek sudharne wala nahi hai wo bas uski baat ko tarkakar unke pas se jana chahta tha isliye usne haan kar li. Ab unka bhi pareshan hona banta tha.


Samay apni rafter se chalta raha aur dekhte hi dekhte Abhishek kisi tarah girate padhte passing mark lata gaya aur highschool me pahuch gaya. Sarita 8th class me aur Manisha class 5th me pahuch gayi. Sarita aur Manisha ab ghar ke kamo me Raani ji ka hath batane lagi aur bache huwe samay me apni padhai aur uske baad jo samay bachta usme wo dono khelne jaya karti thi.


Lekin abhishek ke bartav mein abhi tak koi sudhar nahi aaya tha. Ab to uski maar pith bhi badh gayi thi, lekin Abhishek ne kabhi itni buri tarah se kisi ko nahi maara tha. Jisase baat had se jyada badh jaye. Bas 2-4 jhapad ya mukke marta tha.


Fir bhi shikayate to aani hi thi. Aur inhi shikayato ke karan Aanand ji Abhishek ki pitai bhi kar dete the. Lekin abhishek thahra ekdam dheeth aur nirbuddhi. wo na to RaAni ji ki pyaar ki bhasha samajhta tha Aur na hi Aanand ji ki maar ki bhasha. Aur padhaai se to uska nata jaise toot hi gaya tha. Isi ke chalte wo highschool ki board ki pariksha me fail ho gaya.


Usko kewal ek Vishay me dictention mila tha 90 Number wo bhi drawing me. Aur hindi me use 45 Number mile the. Baki ke sabhi Vishayo mein milakar bhi wo 33 Number nahi la paya tha. Yah dekhkar Aanand ji ka gusse ka para high ho gaya aur unhone Abhishek ko ji bhar kar kutaa. Raani ji, Sarita aur Manisha Abhishek ko bachane ke liye bhi aage aaye. Par Aanand jj ne kisi ki bhi nahi suni aur jii bhar kar uski pitaai kar di. Jisake karan poori raat abhishek rota raha.


Raani ji ne raat me khane ke liye use bulaya, lekin usne khana khane se mana kar diya, jiske karan Aanand ji ka gussa aur bhi badh gaya aur wo Abhishek ko marne ke liye uthe. Lekin Raani ji ne unhe shant kara kar khana khane ke liye de diya aur khud khana lekar Abhishek ke kamre me chali gayi, lekin abhishek khana khane ke liye taiyaar nahi hua. Thak haar kar wo wapas bahar chali aai. Fir Sarita na khana khaya aur ek thali khana lekar Abhishek ke paas gayi aur boli.


Sarita- bhaiya khana kyon nahi kha rahe hain aap. Chaliye jaldi se khana khaiye.

Abhishek- Mujhe nahi khana. Tu ja yahaa se.

Sarita- Aap khane se kyon gussa hain. Isne to aapko kuchh nahi kaha. Jo bhi kaha hai papa ne kaha hai to papa ka gussa khane par nikalna achhi baat thodi na hai.

Abhishek- Maine kaha na. mujhe nahi khana. Tujhe ek baar me samajh me nahi aata hai kya.


Abhishek ne ye baat thoda tez aawaz me kahi thi. Jisase Sarita Rone jaisi ho gayi aur uski aankho se do bund aanshu uski aankho se bahar nikal gaye. Abhishek ghar me sabse jyada apni dono bahano ko pyaar karta tha. Unki aankho me aanshu nahi dekh sakta tha, isliye jab Sarita ki aankho me aanshu aaye to use apni bhool ka ehsas huwa ki usne bewajah hi Sarita ko dat diya, isliye usne Sarita ko apne paas bithaya aur uske aanshu pochhte huwe bola.


Abhishek- Are meri lado. Dekho rona nahi. Chalo main khana khata hoon. Apne hantho se khilao mujhe.


Abhishek ki baat sunkar Sarita bahut khush hui aur apne hantho se Sarita Abhishek ko khana khilane lagi. Kamre ke bahar se Raani ji aur Aanand ji ye nazara dekh rahe the. Unhe Abhishek par bhale hi gussa aa raha tha, lekin dono bhai bahano ka pyaar dekhkar dono ko bahut Khushi ho rahi thi. Wo dono chupchap bahar chale gaye aur Aanand ne Rani se kaha.


Aanand ji- Dekha tumne bhagyawan. Kitna pyaar hai dono bhai bahano mein. Sarita ke ek aanshu ne uska sara gussa aur narazgi khatam kar diye. Bhagwan in dono ka pyaar hamesha banaye rakhe.


Aanand ji ne ye duwa bhagwan se maang to li thi, lekin jaroori nahi hai ki ham jo bhi bhagwan se mangte hain wo duwa bhagwan hamesha poori hi kare, aisa hi abhishek aur Gharwalo ke sath bhi hone wala tha. Jiska unhe door door tak anumaan nahi tha. Khair. Sarita ne Abhishek ko khana khila diya tha aur Abhishek ke hanth dhulakar boli.


Sarita- Aaap aisa kyon karte hain bhaiya. Aap ko pata hai papa kitni mehnat karte hain taki ham sab ache se padhe. Lekin aap hamesha pahdai ke alawa wo sab kuchh karte hain jo papa ko achha nahi lagta. Isiliye papa ne aapko mara. Isme papa ki koi galti nahi hai bhaiya. Isme aapko galti hai. Fir bhi aap sabse naraz ho gaye. Mujhko bhi data diya. aapko papa se maffi mangni chahiye.

Abhishek- Achha meri maa. Mujhse galti ho gayi. Mujhe maaf kar de. Main papa se subah mafi mang lunga. Ab to khush ho jaa. Aur mujhe sone de.

Sarita- Bas yahi kariye aap. Ghoomiye, ladhiye- jhagadiye, naraz hoiye aur khana khakar so jaiye. Isle alava padhai bhi hoti hai jo aapki dictionary me nahi hai. Isiliye aapko maar padti hai. Agli baat agar maar padi to main nahi aaungi bachane aapko dekh lena.

Abhishek- haa haa kah to aise rahi hai jaise tu hi mujhe bachati hai har baar. Ab jaa yaha se.


Sarita Abhishek ko jeebh dikhate huwe thali lekar bahar chali gayi aur Abhishek bister par late kar gahri neend me so gaya. Subah bhor me uthkar sabse pahle wo fresh huwa aur fir apne papa ke paas chalga gaya aur unke paas baith kar bola.


Abhishek- papa. Mujhhe maaf kar do. Maine jo kal raat me aap sab ke sath vyavhar kiya uske liye.

Aanand ji- {Abhishek ke sir par pyaar se hath firate huwe} beta ham tumhare koi dusman nahi hain. Agar ham tumhe maarte hain ya data-te hain to tumhare bhale ke liye hi to karte hain. Agar tum thik se padhai karo. Main ye nahi kahta ki tum dictention le aakar dikhao. Main to bas itna chahta hoon ki tum bas paas ho jao. Aakhir padh likh jaoge to kahi kaam handha pakad loge. Tumhari zindagi ache se bitegi. Nahi to beta. Mujhe dekho din bhar khat-ta rahta hoon tab jakar do vakt ki roti ka juwad hota hai. Main nahi chahta beta ki tumhare sath bhi aisa ho. Isliye main tumko data-ta rahta hoon. Padaai karne ke liye kahta hoon.

Abhishek- thik hai papa main poori koshish karunga ki is baar paas ho kar dikhaunga.

Aanand ji- mujhko tumse yahi ummeed hai mere bete. Koshish karna ki tum meri ummeedon par khare utro.


Fir Aanand ji ne apna khana pack karwaya aur Auto lekar apne kaam par chale gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice and superb update...
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,501
259
itna samjhane aur maar padne ke baad bhi nahi samjha aur na sudhra to ab kya khak sudharega wo.... pita se leke chhoti bahan tak pyar se phakkad se sabhi se koshish ki lekin
🙏🙏👏👏👋👋👋
यही तो।।
अभिषेक अब नहीं सुधारने वाला ऐसा मुझे भी लग रहा है। लेकिन माँ बाप और बहन अभी भी कोशिश कर रहे हैं कि वो सुधर जाए और इसके लिए वो हर संभव प्रयाश कर रहे हैं अब आगे वो सुधरता है या नहीं ये तो बाद में पता चलेगा।।
Maybe ye jo ho raha hai unke ghar... shayad ek na ek din abhishek apne gusse aur laaparvahi ke chalte kuch aisa kar dega jiski wajah se aanand ushe bahot maarega ya aisa kuch keh deg ki abhishek ghar chhod ke chala jaayega aur shayad kisi bure raah par chal padega... ant mein muthbhed hogi khudki bahan se... aur sarita farz ke chalte uspe goli chalaayegi :gunfire:
आपका अनुमान सही है। ऐसा ही कुछ होने वाला है लेकिन कुछ बातें और हैं जो बाद में पूरे परिवार को पछताने पर विवश कर देंगी क्योंकि स्थिति और परिस्थिति दोनों अजब गजब खेल खेलेंगी।
Khair ... Present mein bas ek hi insaan abhishek ko sudhaar sakta hai, aur wo koi aur nahi balki manisha ka hone wala pati.... The great one nischal hai.. 

ab ye kya hai :bat: nischal ki premika bas padhayi mein thik thak :bat:
chalo chalo jaldi se manisha ko topper banao :bat:
अब ये तो आने वाला समय बताएगा कि अभिषेक कैसे सुधरता है और कौन उसको सुधारता है।
सरिता बनती है निश्चल की प्रेमिका या फिर मनीषा बनती है उसकी प्रेमिका ये तो आने वाला वक्त ही बताएगा। मनीषा पढ़ाई में ऐसी ही है।।
Khair.....
shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
kirdaaro ke mood, mahol aur unke bich rishte ke varnan kabile tarif raha...

Hamesha ki tarah kirdaaro ke vicharo ka adan pradan jis mul vishay vastu pe hai wo ek lay mein dikhane mein lekhika kamyaab rahi
ये सब आप सभी पाठकों का कहानी के प्रति अपार प्रेम के कारण संभव हुआ है। आगे भी ऐसे ही सहयोग की आशा है।।
Overall the best part of the update is the end, specially the way you have written it...hope ki abhishek ab sudhar jaaye...
अब ये तो आने वाला वक्त ही बताएगा कि क्या लिखा है अभिषेक के नसीब में।।
Aise hi likhte rahiye aur aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karte rahiye...

Let's see what happens next..

Brilliant update with awesome writing skills... :applause:
धन्यवाद आपका नैना जी।

संघ बनी रहिए।।
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Present mein bas ek hi insaan abhishek ko sudhaar sakta hai, aur wo koi aur nahi balki manisha ka hone wala pati.... The great one nischal hai.. 
Jo khud gaya guzra hai. Hardin ladkiyon se ya police walo se maar khaata hai woh kyaa kisi ko sudharega. Last mein dekha jaayega iss Nischal ke sangati ke chalte hi Sarita Abhishek pe goli chalayegi.:lol1::lol1::lol1:
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,501
259
Maahi ji, aaj aapki kahani ka shuruat kar diya. Pehla update padha jo ki kafi dilchasp tha. Abhishek ki shararat se paripurn iss update Ko aapne bahut behtareen likha hai. Kahi koi galti Nazar nahi aaya. Lekin chunki ye ek Prem kahani hai to Abhi khas kirdaaron ki entry baaki hai ya sambhavta ye baal-kirdaar hi aage chalkar mukhya paatra banenge. Dekhte hain kya hota hai.
Nice update 👏
धन्यवाद आपका महोदय।
सबसे पहले तो हमारी कहानी में आपका स्वागत है।। अभी तो थोड़ा कहानी का बेस बना रहे हैं जैसे जैसे कहानी आगे बढ़ती जाएगी वैसे वैसे कहानी के अन्य पात्र इससे जुड़ते जाएंगे।।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: mashish
Top