• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
49,440
259
Nice update....🤗🤗

Thora aur bada update dene ka kosis kijiye please....
धन्यवाद आपका मान्यवर।
2500 से ज्यादा शब्दों का अपडेट रहता है और कितना बड़ा लिखें।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
49,440
259
Amazing update
Abhi kuch updates tak to halka-fulka hasi mazak aur romance chal raha tha, ab aayega action wale update :iambest:
धन्यवाद आपका महोदय।।
अब कहानी में सस्पेन्स अपने चरम पर रहेगा और एक्शन भी अपने चरम पर रहेगा।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Mbindas and parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
49,440
259
Emotional update

Sarita kidnap ho gayi hai 😳 ye shayad bachcha Singh ka hi Kiya dhara hai

Ab fir se nishu apni jaan par khel Kar usko bachayega aur bachne ke baad wo paglet fir usko thappad maregi :lol:

Isse acha Nishu ka charu ke sath hi patch up karwa do :hehe:

Savi ko uska hero mil hi Gaya & raghav ko Manisha mil hi gayi hai :superb:

Waiting for next update
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता का अपहरण हो गया है तो जाहिर सी बात है निष्चल पीछे रहने वाला है नहीं। वो जरूर सरिता के ढूंढने के लिए जमीन आसमान एक कर देगा।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
49,440
259
Superbbb Updateee

Sarita ka kidnap jarur bachha singh yaa phir Boss ya Sarkar ke aadmiyon ne hi kiya hogaa. Jarur Sarita ko pakad ke woh Raghu ko nikalwana chahte hai.

Sarita ki jyaada bahaduri ke wajah se hi aaj woh kidnap hui hai. Ab dekhna yeh hai Nischal usse kaise bachata hai. Aur kyaa Raghu chutt jaayega yaa phir Nischal phir se koi karnaama kar dikhayega.
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता का अपहरण किसने किया है ये तो आने वाला वक्त ही बताएगा, लेकिन सरिता की जान इस समय बहुत मुश्किल में है क्योंकि जिसनर भी उसका अपहरण किया है वो जरूर उसे नुकसान पहुंचाएगा।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas and Jaguaar

Tanmay20

Well-Known Member
3,912
8,608
144
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता का अपहरण हो गया है तो जाहिर सी बात है निष्चल पीछे रहने वाला है नहीं। वो जरूर सरिता के ढूंढने के लिए जमीन आसमान एक कर देगा।

साथ बने रहिए।।
Waiting for next update mahi ji
 

dhparikh

Well-Known Member
6,913
8,251
173
UPDATE- 89


Sarita ko Manisha mandap mein kahi dikhayi nahi pad rahi thi to wo use dhoondhne ke liye chali gayi. Wah use dhoondhti huwi aage badh rahi thi ki tabhi Nishchal uske samne aakar khada ho gaya. Sarita ne Nishchal se kaha.


Sarita- Mera Rashta chhodiye.

Nishchal- pahle meri baat to sun lijiye.

Sarita- Mujhe kuchh nahi sun-na hai. Mera Rashta chhodiye.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne uski banh pakadkar diwar se lagate huwe bola.


Nishchal- Maine jaan-bujhkar nahi kiya tha. Wo sab galti se ho gaya tha.

Sarita- Hmmmm to ye baat aap mera hath chhodkar bhi kah sakte hain na.


Nishchal ne Sarita ka hath turant chhod diya. Sarita ne apne dono hath bandh liye aur boli.


Sarita- Haan ab boliye.

Nishchal- I am sorry.

Sarita- Its Okkk. Ab mujhe jane do.

Nishchal- tumne sach mein mujhe maaf kar diya na.

Sarita- Haan kar diya.


Itna bolkar Sarita jane lagi. Jab Nishchal ne uska haath pakda tha to uska lahnge ka ek chhor Nishchal ke pair ke niche dab gaya tha. Jiski wajah se aage badhne ke karan wah girne wali thi tab tak Nishchal ne use thaam liya.


Nischal ka ek hath Sarita ki kamar par tha. Girne se bachne ke liye Sarita ne bhi Nishchal ke kandhe ko mazbooti se pakad rakha tha. Dono ki aankhe ek doosre ko dekh rahi thi. Jab Sarita Mandap se bahar nikli thi to thodi der baad charu bhi Sarita ke pichhe pichhe aa gayi thi. Jab usne dono ko is halat mein dekha to wo bahut gussa ho gayi aur apna pair patakti hui waha se chali gayi. Sarita ki aankho mein dekhte huwe Nishchal ne kaha.


Nishchal- (hanste huwe) Ye bhi achanak hi ho gaya.


Itna kahkar Nishchal ne Sarita ko khada kiya. Sarita bina kuchh bole hi waha se chali gayi. Aise hi nok jhonk ke bich Shadi ki Rasham poori ho Rahi thi. Raghav ko kisi kaam se Mahendra ji ne fir se mandap mein bulaya to Buwa ji fir se gussa ho gayi aur waha se uthkar jane lagi to Manisha ne unka hath pakadkar fir se wapas baitha liya.


Buwa ji ne gusse se ghoorkar Manisha ki taraf dekha aur bolne ke liye apna munh khola hi tha ki Manisha ne unke Munh mein Rasgulla Dal dilya aur kaha.


Manisha- Buwa dadi ji. Jyada gussa Aapki sehat ke liye thik nahi hai hai. Aap apni sehat ko dekhiye. Sukhkar kanta ho gayi hain. Kuchh khaya piya kijiye.


Manisha ki is harkat par sabhi apna munh dabakar hans rahe the. Uski is harkat ko dekhkar Raghav bhi mand mand muskurane laga. Buwa ji ke paas ab koi chara hi nahi bacha tha kuchh karne ke liye. Munh mein rasgulla tha aur jab wo uthne ki koshish karti to Manisha unhe turant pakadkar baitha deti.


Ek to budhape ka sharir aur bar baar uthak baithak se buwa ji thak gayi thi, isliye majboor hokar wah wahi par baithi rahi aur apni aankho se Manisha ke liye jwala hi ugal rahi thi.


Manisha ko in sab se koi matlab hi nahi tha. Wo to bas aaram se baithi hui thi aur buwa ji ko kheech kheech kar baitha rahi thi. Manisha ne apna man mein kaha.


Manisha- Abhi tak aapka pala aapke takkar ke insan se nahi pada tha. Ab aapka pala mujhse pada hai buwa dadi ji. Ab aapko samajh mein aayega ki kisi cheez ke liye jabardasti karna kise kahte hain. Main bhi dekhti hoon ki ab aap Raghav ko kitna pareshan karti ho.


Sara karyakram bahut achhe se ho gaya tha. Subah bhi ho gayi thi. Baratiyo ke nashte ki vyawastha ki ja rahi thi. sath hi sath munh dikhayi ki bhi taiyari ho rahi thi. Sabhi baratiyon ko nashta karwane ke baad munh dikhayi ki Rasham shuru ho gayi. Jo lagbhag ghante bhar chali.


Manisha aur bhabhiyo ne milkar Anant ko bahut pareshan kiya munh dikhayi mein. Juta ki churaai mein manisha aur deepali ne anant se 21000 rupye liye tab jakar anant ka juta vapas kiya. Munh dikhayi ki Rasham ho jane ke baad Savita ki vidayi ki taiyari hone lagi. Munh dikkhayi ki Rasham tak Khushiyo ka mahaul achanat udasi mein badal gaya.


Har ek chehre par udasi chalak rahi thi. Savita bhi bahut udas thi. rah rah kar uski aankho mein aanshu aa rahe the. Bachpan ki yadein use bahut sata rahi thi. Vidayi ke samay wo sabke gale lagkar bahut royi.


Sab use dilasha dete rahe. Sabse jyada Use dukh Raghav ko chhod kar jane ka tha. Use pata tha ki ghar mein Raghav ko sabhi pyaar karte hain lekin sabse jyada Raghav ke sath usi ka lagav tha. Wo Raghav ke gale lagkar khoob royi aur boli.


Savi- Raghav. Mere bhaai. Mujeh tumhari bahut yaad aayegi.

Raghav- (Rote huwe) Di rote nahin hain. Ye to bahut Khushi ka din hai aapke liye. Aur main kahi ja thodi raha hoon jo aap aise ro rahi hain. Main aapse milne aata rahunga. Roz aapse phone par baat karunga. Aapka jab bhi man kare mujhse milne aa jaiyega. Ab Chup ho jaiye nahi to main bhi ro dunga.


Dono bhai bahan kafi der tak aise hi rote rahe. Uske baad Savita Nishchal ke gale lagkar khoob roi,. Nishchal bhi bahut ro raha tha. Bhabhiyon ne milkar Savita aur niahchal ko shant karwayaa, lekin aise mauke par bichhadne ka dard itni jaldi kam nahin hotaa.


Fir Savita apne aane wale khushhal jivan ki dher sari shubhkamnaye lekar Vida hokar Chali gayi. Sabke chehre par udasi aur Aankho mein aanshu the, Mahendra ji. Naina ji, Raghav, Nishchal Sabhi yaha waha Akele baith kar ro rahe the.


Aanshu to sab ki aankho mein the, sab unhe samjhane ki koshish kar rahe the. Aise hi udasi bhara ye din bhi bit gaya. Ghar ki sari saaf safaai ka kaam Mulajimo ne kiya. Ek- Ek karke lagbhag Sare mehman chale gaye. Mohit aur Javed subah hi chale gaye the. Ab ghar mein bas ek do mehman rah gaye the.


Agla din bhi aise hi bit gaya. Lekin Us din udasi kam thi. sab thoda bahut hans bol rahe the. 3re din Raani ji ne Naina ji se kaha.


Raani ji- Ab hamein bhi chalne ki izazat do Naina. Jeth ji bhi yahi rahte hain to ham soch rahe hain ki ham unse milkar hi Allahabad wapas jayenge. Nahi to wo gussa karenge ki ham log Kanpur aane ke baad bhi unke paas kyon nahi gaye.


Naina ji- Kya Sarita aur Manisha bhi sathi mein jayengi.??

Raani ji- Sarita to yahan se siddha jaunpur ke liye chali jayegi aur Manisha hamare sath Allahabad Jayegi.

Naina ji- Jis tarah tumhari dono betiyon ne aakar pura kaam samabhal liya uske liye main tumhe kaise dhanyawaad karun samajh mein nahi aa rahi hai.


Raani ji ki baat sunkar Naina ji ne apne hath jod kar ye baat kahi to Raani ji ne Naina ji ko gale lagate huwe kaha.


Raani ji- Dost haath jodte huwe nahi balki gale milte huwe achhe lagte hain. Aur kya Sarita aur Manisha tumhari betiya nahi hain kya??


Naina ji ne unki baat sunkar muskura diya aur kaskar Rani ji ko gale laga liya.


Sarita aur Manisha ki paking ho gayi thi. Manisha aur Sarita ne Sabhi bado ke charan chukar aashirwad liya. Naina ji Sarita ko dher sara saman dene lagi to Sarita ne kaha.


Sarita- Kyaa main aapki beti nahi hoon. Kya aap mujhe mehman manti hain Aunty ji.

Naina ji- Are nahi beta. Mera liye tum aur Savi Ek jaisi hi ho,

Sarita- To bas apni Is beti ko apna Aashirwad dijiye aur mujhe kuchh bhi nahi chahiye.

Naina ji- Mera Aashirwaad hamesha tumhare sath hi hai. par main tumhe khali hath kabhi nahi jane dungi.

Sarita- Thik hai Aunty ji. Jaisa aapko thik lage.


Thodi der mein sArita apne mummy papa ke sath jane lagi to Bhabhi ne kaha


Bhabhi- Aap sabse milkar bahut hi achha laga. Ummeed hai Ham fir se milenge.

Sarita- Kyon nahi Bhabhi ji. Aap jab kahiyega main turant aapse milne ke liye aa jaungi.

Manisha- Aap boliye to main jaun hi na. yahi ruk jati hoon.


Manisha ki baat sunkar Raani ji ne uske kan marodte huwe kaha.


Raani ji- Ab ye sab tumhari aur saitani nahi jhel sakte hain Samjhi.

Manisha- Ohhhh mummy. Kam se kam jagah to dekh liya karo. Har jagah shuru ho jati ho.

Raani ji- Achha thik hai Thik hai. Ab jyada baatein nahi. Chalo bhi ab. Deri ho rahi hai.

Naina ji- Main Ragahv ko bol deti hoon wo aap logo ko ghar tak chhod dega.

Aanand ji- Are nahi bahan ji. Iski koi jaroorat nahi hai. maine cab bula li hai.


Sarita aur Manisha sabse milne ke baad buwa ji se milne ke liye jati hain to buwa ji dono ko dekhte hi darwaza band kar leti hain. Sarita ne to kuchh nahi kaha lekin Manisha ne unke darwaze ke paas khade hote huwe kaha.


Manisha- Buwa dadi ji Raam Raam. Ham log ab ja rahe hain. Lekin is shadi mein aapke sath maza bahut aaya. Agar aapko kabhi meri yaad aa jaye to Rasgulla kha lijiyega.


Itna kahkar wo hanste huwe waha se chali gayi. jab sabhi bag uthakar bahar nikalne lage to Manisha ne kaha.


Manisha- main didi ke kamre mein kuchh saman bhool gayi hoon. Main wo lekar aati hoon.


Ye kahkar Manisha Upar ke kamre mein jane lagi ki tabhi Raghav use kisi kaam mein uljha huwa mil gaya. Usne Raghav ka hath pakda aur ek taraf le kar chali gayi. Kamre mein pahuch kar wo Raghav se boli.


Manisha- Apni Aankhen band karo .

Raghav- (hairani se) Kyon?? Tumhe jana hai na main to bas aa hi raha tha ye kaam finish karke.

Manisha- Aaye to nahi na. to ab tumhe meri baat man-ni padegi.


Manisha ki baat sunkar Raghav ne apni aankhe band kar li to Manisha ne jhat se uske gaal ko chuma aur waha se bhag gayi. Raghav hairani se khada hokar use jata dekhta raha.


Jab tak use kuchh samajh mein aata Manisha waha se chali gayi thi. Raghav jab bahar aaya to sabhi gadi mein baith rahe the. Raghav uske paas gaya aur dhire se uske kan mein bola.


Raghav- Iska badla to main lekar rahunga tumse.


Raghav ki baat sunkar Manisha apni gardan niche karke muskurane lagi. Sarita ne bhi jate wakt ek baar Nishchal ki taraf dekha aur muskurane lagi. Sarita ko Muskurate dekhkar Nishchal bhi muskurane laga.


Uske baad Sarita & family Waha se chale gaye. Nishchal ka ghar ab ekdam suna ho gaya tha. Manisha aur Sarita ke ghar mein rahne se jo chahal pahal thi ghar mein wo ab khatam ho chuki thi.


Sarita ke ghaye huwe abhi 3.5 se 4 ghante hi beet chuke se. Nishchal kisi kaam se bahar gaya huwa tha Aur apna mobile ghar mein hi chhod kar gaya tha. Wo jab lautkar ghar aaya aur usne apna mobile check kiya to uske mobile mein Manisha ke 15 se bhi jyada miss call pade huwe the.


Ye dekhkar wo bahut ghabra gaya aur usne turant Manisha ka number dile kar diya. Do ring ke baad hi phone receive huwa aur Manisha ne ghabrayi hui aawaz mein kaha.


Manisha- kahan the aap boss. Main kab se aapko phone kar rahi hoon??

Nishchal- Kuchh kaam se bahar gaya tha. Mobile ghar mein hi rah gaya tha, lekin tum itni ghabrayi hui kyon ho.


Manisha Nishchal ki baat sunkar rone lagi. Jisase Nishchal ko bahut ghabrahat hone lagi. Rote huwe Manisha ne kaha.


Manisha- wo didiyaa…..


Nishchal Manisha ke aisa bolne aur rone se dar gaya aur bola.


Nishchal- Kya huwa Tumhari didiya ko aur tum aise ro kyon rahi ho??

Manisha- Wo… Wo… diidya mil nahi rahi hai.

Nishchal- (hairani se) Kyaa. Mill nahi rahi hai se kya matlab hai tumhara. Wo tumhare sath hi to gayi thi yaha se. Wahi kahi hogi mil jayegi. Tum ro mat. Mujhe address bhejo main aata hoon.


Manisha ne turant Address bhej diya. Nishchal kapde badalkar apni ID card lekar turant hi nikal gaya.


Kuchh hi der mein Nishchal Manisha ke bataye huwe address par pahuch gaya. Wo Sarita ke bade papa ka ghar tha. Ghar ka darwaza khula huwa tha to Nishchal ghar ke andar chala gaya Waha hall mein Sarita ke Bade papa, badi mummy, unke bachhe, Raani ji aur Aanand ji udas baithe huwe the. Manisha ek bagal baithi hui ro rahi thi. Nishchal ne Manisha ko aawaz di.


Nishchal- Chhote miya.

Manisha- Boss Aap aa gaye.


Itna kahkar Manisha daudkar aayi aur uske gale lagkar rone lagi. Nishchal ne use apnea apse alag kiya aur uske aanshu pochhte huwe kaha.


Nishchal- Poori baat batao ye sab kaise huwa??


Nishchal ke poochhne par Manisha ne batana shuru kiya.



Kuchh der pahle


Manisha- Jab ham yaha par pahuchhe to maine hi didiya se bola tha ki chalo yahi paas ke mall mein ghoomkar aate hain. Kyonki didiya yahi se wapas Jaunpur chali jati.


Main didiya ke sath time spend karna chahti thi. lekin didiya ne jane se mana kar diya to main zid karne lagi. Mummy ne bhi kaha ki ab to tum apni duty par chali jaogi to fir pata nahi kab sath ghoomne ka mauka milega to wo mere sath chale. Mummy ki baat didiya maan gayi.


Kuchh der mein ham dono paidal hi ghoomte tahalte mall mein pahuch gaye. Didiya ko shuru se hi shoping jyada interest nahi hai to usne andar jane se mana kar diya. mall ke bahar hi hand made saman lage the to didiya ne mujhe andar jane ke liye kaha aur wo un samano ko dekhne lagi.


Didiya ne kaha ki use kuchh handmade saman lena hai to main andar chali jaun. Uske baad main mall ke andar chali gayi.


Main jab shoping karke bahar aayi to didiya waha par nahi thi. maine didiya ko phone kiya lekin uska phone nahi laga.. fir maine mummy ko call kiya ye sochkar ki kahi wah ghar to nahi chali gayi kyonki jab main jyada time lagati hoon to wah gussa hokar chali jati hai.


mummy ne kaha ki abhi didiya ghar nahi pahuchi hai. maine socha ki kahi chali gayi hongi isliye main ghar aa gayi, lekin 1 ghante tak hamne didiya ka intezar kiya jab wo nahi aayi to mujhe bahut ghabrahat hone lagi aur maine aapko phone laga diya.



Back to present.


Raani ji- Pata nahi meri bachhi kaha hogi. Beta tum uska pata lagao na.

Nishchal- Aap bilkul bhi pareshan mat hoiye Aunty ji. Mere hote huwe Sarita ko kuchh nahi hoga. main dekhta hoon. (fir Manisha se) Us mall ka nam batao jaha se Sarita gayab hui hai.


Manisha ne Nishchal ko mall ka naam bata diya to wo turant hi waha se nikal gaya. Aas paas puchhtachh ki to use jyada kuchh pata nahi chala.


Huliya aur kapde batane par Handmade saman wale ne kewal itna hi bataya ki is huliye ki ek lady kuchh ghante pahle aayi thi. fir ek gadi yaha aakar ruki thi. uske baad ka mujhe nahi maloom.


Nishchal ki najar waha par lage cctv camare par padi jo mall ke entry gate par laga huwa tha.


Nishchal turant hi mall ke andar chala gaya aur camare ki footega mangne laga. Pahle to mall ke owner ne cctv footage dikhane se mana kar diya par jab Nishchal ne use apni ID dikhayi aur CCTV dekhne ka reason bataya to wo maan gaya.


CCTV footage mein dikh raha tha ki Sarita saman lakar khadi thi ki tabhi ek gadi waha aakar ruki. Usme se 2 aadmi bahar nikalkar Sarita ke paas aaye aur kuchh poochhne lage. Usi samay ek aadmi ne Sarita ki naak par rumal rakh diya.


Sarita ne us aadmi ka hath jhatak diya lekin tab tak Sarita ke upar behoshi ka asar ho gaya aur wo ladkhadane lagi to dono aadmiyon ne use pakad kar gadi mein dal liya aur use lekar chale gaye.


Nishchal ko ye dekhkar bahut gussa aaya. Usne gadi ka number joom karke dekha aur bola.


Nishchal- Ye to yahin ki gadi ka number hai.


Gadi na number note karke wo mall se bahar aaya aur Police thane pahuch gaya aur unki madad li. Apna ID card dikhakar Nishchal ne Turant Gadi ke owner ka pata lagaya.


Jab Nishchal Gadi ke owner ke paas pahucha to usne mana kar diya ki uske bare mein wo kuchh nahi janta. Aur uski gadi kal subah se hi gayab hai isliye use iske bare mein kuchh bhi pata nahi.


Nishchal ne use apna ID card dikhaya aur Jail mein dalne ki dhamki dete huwe kaha.


Nishchal- Tum jhooth bol rahe ho. tumhare paas 5 minute ka samay hai. sab kuchh sach sach bata do warna fir tumhari achhe se khatirdari hogi.


Par wah aadmi apni baat par adig raha. Gadi chori hone ki report ke bare mein jab Nishchal ne poochha to usne bataya ki usne abhi tak koi report darz nahi karayi hai. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Mujhe tumhari baato par bharosha nahi hai. isliye agar tum jhooth bol rahe ho to ye tumhare liye bilkul bhi achha nahi hoga. Tumhari gadi kaha se chori hui thi.



Us Aadmin ne wo jagah bata di jaha se wo gadi chori hui thi. Nishchal ne us par ek police wale ko najar rakhne ke liye kah diya aur wo us jagah chala gaya jaha ka pata us aadmin ne bataya tha. Lekin Nishchal ko waha par kuchh bhi nahi mila.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 
Top