• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203
UPDATE- 64

Allahabad pahuch kar Sarita sidhe Manisha ke bataye huwe hospital pahuchi. Waha par Rani ji Aur Manisha Aanand ji ke paas ek kamre mein the. Sarita ko dekhte hi rani ji Ne use gale laga liya aur runghe huwe gale se boli.

Raani ji- Ye Sab Kya ho raha hai hamare sath Sarita. Pata nahi kiski buri najar lag gayi hai hamare ghar ko. Pahle tu 1 hafte hospital mein thi, Fir Abhishek 1 hafte hospital mein tha aur ab tere papa hospital mein hain.

Sarita- Aap shant ho jaiye mummy. Aisa kuchh bhi nahi hai. Ise bas ek bura sapna samajhkar bhool jaiye. Bas apna bura vakt chal raha hai. Kuchh samay mein ye bhi bit jayega.

Aanand ji- Yahi to main kab se samjhane ki koshish kar raha tha Sarita. Thodi kamjori ki wajah se mujhe chakkar aa gaya tha. Lekin isne nahi mana aur tumhe phone karke pareshan kiya.

Raani ji- to main kya karti. Kitna ghabra gayi thi main pata hai aapko.

Sarita- Papa. Aap jyada baat mat kariye. Aaram kariye aur jaldi se thik hokar ghar chaliye.

Sarita ne phone karke Savita ko Aanand ji ke haal chal ke bare mein bata diya. Do din hospital mein rahkar Aanand ji ghar par aa gaye. Sarita ne Aanand ji ke sewa ki sari jimmedari apne kandhe par le li. Aanand ji do din mein thik ho gaye. Subah ke lagbhag 10 baje the. Sarita ke paas nishchal ka phone aata hai.

Nishchal- Hello Sarita.

Sarita- Haan Sir boliye.

Nishchal- Ab kaisi tabiyat hain Uncle ki.

Sarita- Ab thik hai papa ki tabiyat.

Nishchal- tum kaisi ho.

Sarita- Main bhi thik hi hoon.

Nishchal- Uncle ka dhyan rakhna. Kab aa rahi ho wapas.

Sarita- 2-3 din mein aa jaungi main. abhi phone rakh rahi hoon. thoda kam hai mujhe.

Nishchal- Thik hain rakho. (Man mein) Thodi der baat bhi nahi kar sakti hai ye ladki. Pata nahi kaun sa kaam hai.

Nishchal se baat karne ke baad jaise hi Sarita ne apna phone rakha. Tabhi Sarita ka mobile fir se bajane laga. Ek Unknown No. se phone tha. Sarita ko samajhte der na lagi ki ye Raghu hi hai. Sarita ne phone uthaya aur kaha.

Sarita- Hello kaun.

Raghu- hey Sarita ji. Nahi pahchana.

Sarita- Jab tak aap batayenge nahi tab tak ham kaise pahchanenge aapko.

Raghu- Meri aawaz to pahchan hi sakti hain aap. Aapne to mera dil tod diya. Chaliye ham hi apna parichay de dete hain. Ham hain Gusldaste wale.

Sarita- (muskura kar) Haan ab pahchan gaye aapko. Aur bataiye kaise hain aap.

Raghu- Ham to ache hain. Aap kaisi hain.

Sarita- Ham bhi thik hi hain.

Raghu- Aapse mulakar ko bahut din ho gaya. Bas phone par hi baat hoti hai apni. Agar aapke paas samay ho to ham aapse milana chahte hain.

Sarita- Ham to abhi Allahabad aaye huwe hain. Abhi to mulakat sambhav nahi hai.

Raghu- Ham bhi Allahabad mein hi hain. Isi liye to aapse milne ke liye phone kiya hai.

Sarita- Aap Allahabad mein kya kar rahe hain. Aapko kaise pata chala ki main Allahabad mein hoon.

Raghu- PS gaya tha apke to pata chala ki aap ghar aayi hui hain. Main apne kaam se Allahabaad Aaya huwa hoon. to socha aapse mulakat bhi kar loon.

Sarita- Abhi to ye sambhav nahi hai. Papa ki tabiyat kharab thi to isliye ghar aayi hoon. Baad mein milte hain aapse.

Raghu- Mujhe aapse kUchh bahut jaroori baat karni thi. Bas adhe ghante ka samay nikal kar mil lijiye mujhse.

Sarita- Thik hai Fir. Usi coffee shop mein milte hain Jahan us din Coffee pi thi. Coffee pite huwe baat karenge.

Raghu- Thik hai Fir. Kab tak aa rahi hain aap waha.

Sarita- 1 ghante mein pahuch rahi hoon main waha.

Sarita Kuchh jaroori kaam ka bolkar Raghu se milne Usi coffee shop par pahuch gayi. Jisme unhone pichhli baar coffee pi thi. Raghu waha par pahle se hi maujhood tha.

Dono Coffee shop ke andar gaye aur ek kone ki table par baith gaye. Raghu ne Coffee ka order diya. Kuchh der mein coffee aa gayi. Coffee pite huwe Sarita ne Raghu se kaha.

Sarita- (muskura kar) Haa ji guldaste wale. Bataiye Aise kaun si baat karni thi aapko jo aap ne mujhe urgent mein bulaya.

Raghu- Guldaste wale nahi Sarita ji. Bande ko Raghu kahte hain.

Sarita- Aapka kitna Achha naam hai, lekin aapne is naam ko mujhse chhupakar rakha. To aapne mujhe naam batane ke liye yaha bulaya hai. Wo to aap mujhe phone par hi bata sakte the.

Raghu- Bata to sakta tha Sarita ji, Lekin main jo baat aapse kahne jar aha hoon. wo phone par batane wali baat nahi thhi. Aur naam ka maine kaha tha aapse ki jab apni agli mulakat hogi to main aapko apna nam bhi bata dunga. Dekhye. Maine apna wada nibhaya.

Sarita- Kuchh bhi kahiye aap aadmi bahut dilchasp maloom padte hain. Ab mudde ki baat kar le. Aap mujhse kuchh jaroori baat karna chahte hain.

Raghu- Baat to karni thi. Lekin samajh mein nahi aa raha hai ki kaise shuruaat karu.

Sarita- Are Aap ek baat kahne ke liye itna soch rahe hain. Jo bhi aapko kahna hai bol dijiye bindas hokar.

Raghu- Main bol to doon, lekin mujhe dar lagta hai ki kahi aap naraz ho gayi mujhse to kya hoga.

Sarita- Aise kaun si baat kahne ja rahe hain aap jo main naraz ho sakti hoon.

Raghu- Aap naraz ho sakti hain. Aap apni dosti bhi tod sakti hain. Isliye himmat nahi ho rahi hai bolne ki.

Sarita- Aisa kuchh nahi hoga Raghu ji. Aap ko jo kahna ho nihsankoch kahiye.

Raghu- Main kah to doonga, lekin aapko wada karna hoga ki aap meri baat sun-ne ke baad naraz nahi hongi, Apni dosti nahi todengi. Aur meri baato par vichar karengi. Agar aap ye wada karein to main apni bat kahunga.

Sarita- Aisi kya baat hai jiske liye aap bato ka Pulinda bandh rahe hain. Chaliye thik hai main wada karti hoon ki main aapki baato se naraz nahi houngi, aapni dosti aisi hi rahegi aur aapki baato par main vichar karungi, Ab bataiye kya baat kahni hai aapko.

Raghu- Sarita ji. Main apni baat ghuma firakar nahi karunga aapse. Isliye main siddha siddha bolta hoon. maine jis din se aapko dekha hai. Main aap par fida ho gaya hoon. main aapse pyaar karne laga hoon aur shadi bhi karna chahta hoon.

Sarita- (Chauk kar) Kyaa. Kyaaa kaha aapne. Aap aisa kaise soch sakte hain.

Raghu- Dekhiye. Aapne kaha tha ki aap naraz nahi hongi. Isliye maine apne dil ki baat aapse kahi hai. Jaroori nahi hai ki jo aapke liye mere dil mein jagah hai wohi jagah mere liye aapke dil mein ho. Main aapke sath koi jabardasti to kar nahi raha hoon. bas mujhe jo feel ho raha tha itne din se wo maine kaha hai aapse.

Sarita- Dekhiye Raghu ji. Main naaraz nahi hoon aapse. Lekin main abhi iske liye taiyar bhi nahi hoon. Aap sach mein bahut ache ladke hain. Jis ladki se aapki shadi hogi wo bahut kismatwali hogi, lekin main shadi apni gharwalo ki marji se hi karungi.

Filhaal to mere life mein pyaar ke liye koi jagah nahi hai, lekin agar kabhi aisa huwa bhi to isme bhi ghar walo ki marji shamil hogi. Main aapke jajbato aur bhavnaon ki kadar karti hoon, lekin abhi main iske bare mein nahi sochna chahti.

Mera abhi ek goal hai jo mujhe hasil karna hai. Jiske bare mein maine bahut pahle se soch rakhaa hai. Isliye Mujhe maaf kar dijiyega Aap.

Raghu ko Sarita ki baat sunkar gussa to bahut jyada aa raha tha, lekin usne badi muskil se apne jajbato aur gusse ko control kiya aur apne gusse ko chhupate huwe apne chehre par muskan late huwe bola.

Raghu- Are Sarita ji. Aapko maafi mangne ki jaroorat nahi hai. Jaroori thodi hi hai ki jo aapse pyaar kare aap bhi usase pyaar karo. Shayad meri kismet mein aapka pyaar nahi likha, lekin aapki dosti par mera adhikar hamesha rahega.

Sarita- Jaroor Raghu ji. Hamari dosti hamesha aise hi rahegi. Mujhe lagta hai ki mujhe ab chalna chahiye. Ghar mein papa aur mummy mera intezar kar rahe honge. Do din baad jaunpar aaungi tab mulakat hogi.

Raghu- Thik hai Sarita ji. Ham aapka intezar karenge jaunpur mein.

Uske baad Sarita Raghu se vida lekar ghar chali gayi. Uske jate hi Raghu ne gusse se apna hanth deewar par de mara aur kaha.

Raghu- Sarita. Tune mera pyaar Sweekar nahi kiya to kya huwa. Tu meri dost banker hi mera sara kaam karegi. Bas kuchh din aur. Ek baar tujhe apne vishwas mein le lu. Fir tu wahi karegi jo main chahunga.

Raghu yahi sab badbadata huwa chala gaya. Udhar Nishchal aaj office nahi gaya tha. Usne aaj Office nahi jane ka man banaya tha. dophar ka samay tha. Nishchal apne kamre mein baithkar aaram kar raha tha ki tabhi uska mobile bajne laga. Usne dekha to call jawed ki thi. Nishchal ne call pich kiya aur bola.

Nishchal- Hello Jawed,

Jawed- Sir. Jaldi se aap yaha aa jaiye. Heera toot chuka hai. Wo apne sathi ka Screch banwane ke liye taiyar ho gaya hai. Sath hi uska naam bhi bata diya hai usne..

Nishchal- Kyaa. Ye sab huwa kaise, Ruko main aa raha hoon waha.

Itna kahkar Nishchal ne phone cut kar diya aur taiyaar hokar Jawed ke paas chala gaya. Jawed ke paas pahuch kar Nishchal bola.

Nishchal- Jawed jo aadmi apni juban nahi khol raha tha. hamara itna bhayankar torchor sahta raha. Tumne aisa kya kar diya ki uska Schreach banwane ke liye taiyar ho gaya hai.

Jawed- Jyada kuchh nahi Sir, bas maine iske ghar walo ki information nikalwayi aur isko bata diya, uske baad to mujhe kuchh karna hi nahi pada, ye sab kuchh apne aap ugalta chala gaya.

Nishchal- bas gharwalo ke bare main sunkar hi isne sabkuchh bata diya aur schreach ke liye taiyar ho gaya. Vishwas nahi hota.

Jawed- Are nahi sir . Bahut mehnat lagi hai iske pichhe.

Nishchal- (hairani se) Tum kahna kya chahte ho.

Jawed- ghar walo ki information nikalne ke baad jab maine ise bataya to ye kuchh bol hi nahi raha tha, lekin jab maine isase kaha ki agar ye chupchap baitha rahega to iski saza iske gharwalo ko milegi.

Main sabko ek ek karke kisi case mein fansakar jail mein dal dunga. Fir sath mein happy family khelna jail mein hi. Fir bhi ye nahi mana to maine iske bhai ko pakadkar jail mein dal diya. Tab jakar ye toota hai.

Nishchal- Lekin ye to galat baat hai na jawed. Aakhir iske gharwalo ka iski kartoot mein hissedari nahi hai. Isme koi Kasur nahi hai iske pariwar ka. Fir ham kisi nirdosh aur begunah ko aise kaise jail mein dal sakte hain. Waise kaun kaun hai iski family mein.

Jawed- Sir. Iski maa aur bhaai hi hain pariwar ke naam par. Maine iske bhaai ko aise hi nahi pakda hai. Wo pocket marte huwe range hantho pakda gaya tha, jo Heera ko nahi pata tha.

Ise lag raha tha ki maine sach mein iske bhaai ko jail mein dal diya hai aur agar isne hamara sath nahi diya to iski maa ko bhi jail mein dal dunga. Tab jakar ye hamara sath dene ke liye ready huwa.

Nishchal- Bahut babhiya kaam kiya hai Jawed tumne. Main bahut khush hoon tumse.

Jawed- Sir ye sab aapki sangat ka kamal hai.

Nishchal- To chalo dekhte hain progress kahan tak pahuchi hai.

Heera bhale hi Raghu ke liye kaam karta tha, lekin wo apne bhaai aur apni maa se bahut pyaar karta tha. wo nahi chahta tha ki uske karan uski maa aur bhaai kabhi musibat mein pade. Isliye wo apni maa aur bhaai ko apne se door rakhta tha, bas samay samay par unhe paise bhej deta tha. ye alag baat thi ki Heera ki maa aur uske bhaai ko iske karnamo ke bare mein pata nahi tha.

Screach artist ko lekar Nishchal aur Jawed Heera ke paas chale gaye. Thodi hi der mein Heera ke bataye gaye huliye ke anusar screech banker taiyaar ho gaya. Nishchal ne us screech ko Jawed aur Mohit se kahkar poore area mein Circulate karwa diya.

Idhar Sarita bhi apne ghar aa gayi thi aur apne kamre mein baithi hui aaram kar rahi thi.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Awesome update
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203
UPDATE- 65

Idhar Sarita ghar aane ke baad apne kamre mein baithi hui aaram kar rahi thi. Fir usne Savita ko phone laga diya.

Savi- Hello Sarita.

Sarita- Hiii di. Kaisi ho aap.

Savi- main thik hoon. tum apna sunao. Uncle ki tabiyat ab kaisi hai.

Sarita- main thik hoon di. Papa bhi thik hain. Main aapse naraz hoon. aap bas Manisha ko phone karti hain. Mujhse to aap baat hi nahi karti.

Savi- Nahi Sarita aisi baat nahi hai. Is bich NGO ka kam thoda jyada badh gaya hai, isliye main usme busy rahti hooon. Manisha jab phone karti hai tabhi meri usase baat ho pati hai. Tum jaldi se aa jao. Tumhare bina mera man nahi lagta yaha.

Sarita- 2-3 din mein main pahuch rahi hoon di.

Savi- thik hai Sarita. Tum jaldi se aana. Kyonki main yaha kuchh hi samay aur hoon.

Sarita- Aisa kyon kah rahi hain aap di. Kaha ja rahi hain aap.

Savi- 1-2 Hafte mein main Doosre Shahar sift ho rahi hoon na.

Sarita- Itni jaldi bhi kya hai di. Abhi to mujhe aapke sath aur rahna hai.

Savi- Jaldi kahan hai Sarita, Tumhe bataya to tha ki NGO ka kam khatam ho jane ke baad mujhe doosre Shahar jana padega.

Sarita- Haan di. Bataya to tha, lekin mere dhyan se utar gaya, lekin main aapke bina waha kaise rahungi.

Savi- Kyon. Kyon nahi rah sakti tum.

Sarita- Aapko maloom hai fir bhi aap pooch rahi hain.

Savi- Achha haan. Tum Nishu ki wajah se waha nahi rahna chahti ho na. Tumhe Nishu se darne ki jaroorat nahi hai. Main use bol doongi ki wo tumhe parshan na kare. Agar fir bhi usne tumko thoda sa bhi pareshan kiya to mujhe batana. Main uski ache se khabar lungi.

Sarita- Fir bhi di. Main waha par nahi rahungi aapke bina.

Savi- Achha thik hai baba. Mat rahna yaha. Pahle tum aao to sahi baad ka baad mein dekhte hain. Waise tumhe ek khushkhabri bhi deni hai.

Sarita- Kya Khuskhabri. Bataiye na di.

Savi- Nishu Anant se milne ke liye maan gaya hai.

Sarita- (khush hota huwe) Are waah di. Ye to sach mein bahut badi khushkhabri hai. Chalo kam se kam hitlar ko akal to aayi.

Savi- (majakiya lahje mein) Are Wo mera bhaai hai, koi akdu ya hitlar nahi hai wo.

Sarita- Achhaa. Waise ek baat bataiye. Sir razi kaise ho gaye. Anant ji ka naam sunkar hi unka para chadh jata tha, to ye pariwartan unme aaya kaha se.

Savi- Tumhare jane ke baad mujhe achha nahhi lag raha tha to main ke raat Anant se baat kar rahi thi. Unse baat karne ke baad jab main jab kamre mein jane ke liye mudi to mere pichhe Nishu khada tha.

Use dekhkar main ek baar to bahut dar gayi. Mujhe laga ki Nishu fir se chillana shuru kar dega, lekin wo kuchh nahi bola. Apne kamre mein jate wakt wo mujhse itna hi bola ki di aap apne kamre mein chaliye mujhe aapse kuchh baat karni hai.

Main apne kamre mein pahuchi. Kuchh der baad Nishu mere kamre mein aaya. Main bister par pair jameen par latka kar baithi hui thi. Nishchal aakar mere pairo ke paas jameen par baith gaya aur mere pairo se lipat kar rote huwe bola ki di main bahut bura bhaai hoon di. Jo maine aapko itna rulaya.

Mujhe aapki baat pahle hi man leni chahiye thi. Mujhe ek baar Anant se mil lena chahiye the. Main Anant se milna chahta hoon, uske bare mein pura pata lagaana chahta hoon. Usko jan-na chahta hoon.

lekin aapko bhi mujhse ek wada karna hoga ki agar wo mujhe thik nahi laga to aapko usase sara Rishta todna hoga. Mujhe Anant par poora bharosa hai. Isliye maine Nishu ko ha kar di.

Sarita- Ye to aapne bahut achha kiya di. Anant ji bahut ache insan hain. Sir unse milkar ek baar baat karne ke baad na nahi kar payenge.

Savi- Tumhare munh mein ghee sakkar Sarita. Bhagwan kare aisa hi ho.

Sarita- Sab thik hi hoga di. Aap bilkul bhi chinta mat kariye. Anant ji Sir ko mana lenge. Aapka khana pina ho gaya.

Savi- Abhi kaha Sarita. Main Nishu ka intezar kar rahi hoon. Wo bahut late se ghar aane laga hai. Abhi bhi Jisme tumhe goli lagi thi aur abhishek wale case mein uljha huwa hai. Na hi khane ki sudh aur na hi sone ki sudh. Din bhar bas kaam mein hi laga rahta hai.

Sarita- Ab isme koi kya kar sakta hai di. Hamari job hi aisi hai ki hame apni duty ko first priority deni padti hai. Baki sab to baad mein aata hai.

Savi- Sahi kaha Sarita. Tum logo ki wajah se hi ham safe hain. Mujhe Nishu par bahut proud feel hota hai. Main apne aapko bahut khushnaseeb manti hoon ki main Nishu ki bahan hoon. Haan wo thoda gussail hai. Akdu hai, lekin dil ka bahut achha hai.

Sarita- Are di ab aap bhi Nishchal puraan lekar baith gayi hain.

Savi- Achha sorry sorry. Main bhi kitni pagal hoon jo tom ki badai jerry ke samne kar rahi hoon. main to bhool hi jati hoon ki tum dono ke bich sheet yudha chhida rahta hai.

Itna kahkar Savita jor jor se hansne lagi. Jiske karan Sarita chidh gayi aur boli.

Sarita- Kya di. Aap bhi mera majak udati rahti hain.

Savi- Kyon. Mere alava bhi koi udata hai kya tumhara mazak.

Sarita- Aur nahi to kya. Wo hai na aapki chaheti Manisha devi. Wahi mera mazak udati hai.

Savi- (hanste huwe) Achha to ab tumhe meri bholi bhali Manisha se bhi pareshani hai.

Sarita- Kya kaha di. Wo aur bholi bhali. Bholi bhali shabd uske liye bana hi nahi hai. Wo bahut badmash hai.

Savi- Achha. Chalo ye bhi Achha hai. Kam se kam wo badmash to hai. Tumhari tarah boring to nahi hai.

Sarita- Chaliye Aap dono hi interesting hain. Main boring hi sahi hoon.

Savi- Waah badi samajhdaar ho gayi ho tum to, lagta hai Aunty ji ke haath ka khana in dino tumhe bahut shut kar raha hai.

Sarita- Aate wakt wahi khana aapke liye bhi leti aaungi.

Savi- Jaroor leti aana. Acha ab main rakhti hoo. Lagta hai Nishu aa gaya hai. Baad mein baat karti hoon.

Sarita- Thik hai di. Bye. (Man mein) Di chali jayengi to main kaise Sir ke sath rahungi akele, Nahi Nahi. Main unke sath kaise rah sakti hoon. Hillar hai ekdam. Hamesha meri ladai hoti rahegi unse. Di thi tab tak to thik tha, lekin ab nahi rahungi. Main jawed ko bolkar apna Quarter saaf karwa leti hoonn. Taki waha jane par koi dikkat na ho.

Yahi sab sochkar wo Jawed ko call karti hai, lekin wo phone nahi uthata. Sarita Kai baar phone karti hai lekin uska phone nahi utha.

Udhar Nishchal ne Drugs case ki ek report taiyar ki. Jisme usne ye bataya ki us chhape mari ke dauraan 5 Gunde aur 1 police wala ghayal hua tha aur ek gunde ki goli lagne se maut ho gai. Jiska antim sanskar uski dekharekh me kiya gaya.

Sath hi postmartam Karne wala dosto bhi nishchal ke parichit ka tha to usne ek jhoothi Report bhi Usase banwa li thi aur Use mamale ki gambhirta ke bare mein bhi bata diya tha.

Nishchal ne ye isliye kiya tha kyonki der saber Bachha Singh aur Raghu ko ye pata chal hi jana tha ki unka ek aadmi (Abhishek) gayab hai kai dinon se. Unka shak Abhishek ke upar na jaye ki wo jeevit hai. Aur bachha singh aur Raghu use dhoondhne ki koshish karein.

Use ye bhi pata tha ki iski khabar bahar jarur leak ho jayegi aur bachha singh ko ye pata chal jayega ki unka ek aadmi mara gaya hai yo wo abhishek ko hojna band kar denge. Waise wo itna syhor bhi Nahin tha ki wo jaisa soch raha tha waisa ho hi, fir bhi usne ek huwa khel diya tha.

ye report Nishchal ne Office mein Submit kar di thi.

udhar Bachha Singh aur Raghu abhishek ke gayab hone ke karan Use khojne ki koshish kar rahe the. Unhe abhishek par kabhi kabhi shak bhi hota tha, lekin unka shak us din door ho gaya jab ye khabar unhein pata chali ki us chhape mari ke dauran unka ek aadmi mara gaya tha jiska police ne antim sanskaar kiya tha.

ye khabar jankar Wo dono bhi thoda shant baith gaye..

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Fantastic update
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203
UPDATE- 66

Quarter ki Safaai karwane ka sochkar wo Jawed ko call karti hai, lekin wo phone nahi uthata. Sarita Kai baar phone karti hai lekin uske phone nahi utha. to sarita man mein sochti hai.

Sarita- Ho sakta hai kahin kaam mein busy ho. Dekhega to phone karega hi.

Poora din bit gaya lekin Jawed ka phone nahi aaya. Agle din subah Jawed ka phone aaya to Jawed ne kaha.

Jawed- Madam, Heera ne apna munh khol diya hai. Us aadmi ka screech banker taiyaar ho gaya hai jisne us din Dange mein mukhya Bhumika nibhayi thi. Wah bahut hi jald hamari pakad mein hoga.

Sarita- Achha ye to bahut achhi baat hai. Aap aisa kariye mujhe bhi uska screech bhejo. Jara main bhi to dekhun wo kaun hai.

Jawed- Thik hai madam. Main bhej raha hoon.

Sarita- Jawed ji. Samay nikal kar mera Quarter bhi saf karwa dijiyega. Main ab wahi sift hone wali hoon.

Jawed- Thik hai madam.

Jawed ne phone rakh diya. Thodi der baad Sarita ke whatsapp par jawed ne Us Aadmi ka Screech bheja. Sarita Us Screach ko dekhne lagi. Sarita ko uska chehra kuchh jana pahchana laga. Eka ek Sarita ke chehre ka bhav badalne laga. Uske dimag mein dwand sa chalne laga. Sarita man hi man sochne lagi.

Sarita- Ye kaise ho sakta hai. Iska chehra to guldaste wale se milta hai. Kahi aisa to nahi hai ki ye aadmi guldaste wala hi ho, Lekin ye kaise ho sakta hai. Wo to bahut hi achha aur Sarif Aadmi hai. Lekin fir Heera ne Screach Aatist ko Guldaste wale ka chehra kyon bataya.

Guldasta wale aur is schreach wale ka naam bhi same hai. Lekin ye kaise ho sakta hai. Guldasta wale ko dekhkar aur usase baat karke to lagta nahin hai ki wo koi galat kaam karta hoga.

Sarita Jyada mat soch. Hone ko to kuchh bhi ho sakta hai. Mujhe iski tah tak jana hoga. Bhagwan kare jo main soch rahi hoon wo sahi ho. Ye Aadmi guldaste wala na ho.

Yahi sab sochkar Sarita ne Jawed ko phone kiya.

Jawed- Ji madam.

Sarita- Jawed ji. Abhi main aapko 4-5 Number bhej rahi hoon. Jara use trace karke uski location batao ki wo number is samay kaha par hain. Thoda Jaldi karna

Jawed- Yes madam aap number bhejiye.

Sarita ne Jawed ko Raghu ke jitney bhi number se call aaye the sabhi bhej diye. Sarita ka man bahut bechain ho raha tha. uske dimag mein bahut uthal puthal machi hui thi.

Usne kisi tarah apne aapko sanyamit kiya aur Jawed ke call ka wait karne lagi. thodi der baad jawed ka phone aaya. Sarita ne jhat se jawed ka phone uthaya.

Sarita- Haan Jawed ji. Kuchh pata chala.

Jawed- Madam jis phone mein ye Number the. Wo sare phone chori ho gaye hain. Jinki missing complain bhi darz karayi gayi hai alag alag thano mein. Inme se kuchh Number Ki Last and Current Location Bata raha hai.

Usme se kuchh ka last location Jaunpur aur Allahabad hai. Lekin ek number ka Location kal Allahabad ka tha, uske baad se us phone ki location band ho gayi hai. Ek Aadmi bhi giraftar kiya gaya hai jo mobile chori karne aur bechne ka kaam karta hai.

Sarita ye sunkar jad si ho gayi. Uske dil ki dhadkane badhti ja rahi thi. Sarita ke kuchh na bolne par jawed ne kaha.

Jawed- Madam aap mujhe sun rahi hain.

Sarita- Haammmmm. Thank you Jawed ji.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. Udhar jawed ko bhi kuchh samajh me nahi aaya ki Sarita ko achanak se kya ho gaya hai aur usne phone kyon kaat diya. Idhar sarita taiyar hokar apna bag uthakar bahar jane lagi to Raani ji ne kaha.

Raani ji- Sarita. Itni jaldbazi mein kaha jar ahi ho.

Sarita- Mummy bahut jaroori kaam hai. 1 ghante mein main wapas aa rahi hoon.

Itna bolkar Sarita ghar se chali gayi.

Udhar Abhishek ka right hand ab thik ho gaya tha. wo subah se Raghu aur Bachha Singh ki tasvir bana raha tha. Jab usne dono ki tasvir bana liya to Abhishek ne Nishchal ko apne paas bulaya.

Nishchal- Abhishek ji. Bataiye. Ab aapki tabiyat kaisi hai.

Abhishek- Main bilkul thik ho gaya hoon ab. Maine Raghu aur Bacha singh ki tasvir bana li hai. Ye dekhiye.

Nishchal ne jhat se Us tasvir ko le liya aur dekhne laga. Wo tasweer Scratch ke mukable bahut jyada achhi bani thi. Wo Abhishek ko thanks bolkar ghar se nikal gaya. Nishchal ne Jawed aur Mohit ko Wo tasvir bhej di aur use dhhondhne ke kaam par laga diya.

Abhishek ko jitney bhi thikane ka pata tha. jaha par Raghu aur Bachha Singh mil sakte the. Wo bhi Nishchal ko bata diya tha. Nishchal apni team ke sath waha par gaya, lekin use un jaghon par Na to bachcha Singh mila aur na hi Ragu.

Idhar Ghar se nikalkar Sarita Usi Coffee shop mein pahuchi jaha par Raghu ke sath baithkar Sarita ne coffee pi thi. Waha Par CCTV laga huwa tha jo Sarita ne dekha tha. Sarita sidhe maneger ke paas pahuchi aur kaha.

Sarita- Suniye Sir. Mujhe kal subah 11 baje se 12 baje tak ka CCTV footage dekhn hai.

Manager- Sorry madam. Ham ye jankari public ke sath sajha nahi kar sakte hain. Ye hamare rules ke khilaf hai.

Manager ki baat sunkar Sarita ne apne bag se apna ID Card nikal kar dikhaya. ID Card dekhkar ek baar to manager bahut dar gaya. Fir Wo Sarita ko liwakar CCTV footage control room mein le gaya aur apne Employee ko Sarita ke dwara bataye huwe samay ke Anusar CCTV Footage dikhane ke liye kaha.

Sarita CCTV Footage bade dhyan se dekhne lagi. Jis jagah par Raghu ka chehra spasth dikhayi de raha tha usne waha par pouse kiya aur zoom karke dekhne lagi. zoom karke dekhne ke baad Sarita ne Manager se kaha.

Sarita- Plese Take out Print of this Picture immediately.

Sarita wo Print out lekar ghar wapas aa gayi aur apne kamre mein jakar darwaza andar se band kiya aur us print out ko Screach wali Tasvir se milane lagi. fir kuchh der milan karne ke baad Sarita ne ek pen uthaya aur Print out ki tasvir mein kuchh karne lagi.

Thodi der baad jab Sarita ka Process complete huwa to Sarita ki aankhe badi ho gayi. Fir bhi abhi Sarita ke man mein ek doubt tha. Sarita apne bister par baithi gahri soch mein doobi hui thi ki tabhi Jawed ka phone aaya. Sarita ne phone uthaya.

Sarita- Haa Jawed ji boliye.

Jawed- Madam. Aapke bhaai ne Raghu aur Bachha singh ki tasvir banayi hai. Main use aapko bhej raha hoon. aap dekh lijiye unhe.

Sarita- Thik hai jaldi bhejiye.

Kuchh der mein hi Whatsapp par jawed ne do Tasvir bheji. Sarita ne Jab Un Tasviro ko dekha to Uska raha sahaa Doubt bhi clear ho gaya, Kyonki Abhishek ke dwara banayi gayi tasvir hubhu waisi hi thi jaisa Raghu dikhta tha.

Sarita Apne mobile mein dekhti rahi. Sarita ki dono aankho se aanshu nikal kar uske galo se hote huwe uske phone par gira. Sarita ne apne aanshu poche aur badbadane lagi.

Sarita- Main itni bewkoof kaise ho sakti hoon. Wo aadmi mere samne tha. mere sath guma tha. sath mein coffee bhi pi thi. Fir bhi main usko Pahchan nahi paayi. Usase dosti bhi kar li, Usne mujhko Propose bhi kiya. Maine is bare mein sochne ka samay bhi maang liya.

Chhiiii. Main ye kya anarth karne jaa rahi thi. Main to use ek achha insan samajh rahi thi. Ab Kya karu main. Kya main ye baat Sir ko bataun ya nahin. Agar bata diya to pata nahi wo kaise react karenge. Bahut jyada naraz ho jayenge.

Itni badi galti kaise ho gayi mujhse. Tabhi iska phone hamesha band ho jata tha. hamesha alag alag numbaro se phone karta tha. main ye baat kyon nahi samajh payi ki Uska Number baar baar band kyon ho jata hai aur wo alag alag number se har baar phone kyon karta tha.

Use shak tha ki kahi main iski janch padtal na karne lag jaun isliye wah chhori ke phone se call karta tha hamesha mujhe.

Maine is baat par dhyan kyon nahi diya pahle. Ab main kya karun. Kaise pata lagaun uska main. Wo to itna chalak hai ki phone karne ke turant baad hi number badal deta hoga.

Tabhi uske kamre ka darwaza khatka. Sarita ne darwaza khola to Samne Uske mummy papa khade the. Jo taiyar hokar kahi jane ki taiyari kar rahe the. Sarita ne Unhe dekhte huwe kaha.

Sarita- Kya bat hai papa. Kahin ja rahe hain kya.

Aanand ji- haan wo tumhare mama ka phone aaya tha. koi jaroori kaam hai to isliye jana pad raha hai. Sath mein tumhari mummy bhi ja rahi hain.

Sarita- Lekin aise kaise aap ja rahe hain. Aapko pata hai na ki aapki tabiyat thik nahi hai. Mama ko yahi bula lijiye.

Aanand ji- Are Ab to main bilkul thik hoon. Agar wo aa sakte to aa jate. Nahi aa sakte tabhi to bulaya hai unhone. Ham kal subah tak aayenge wapas. Tum dono apna khyal rakhna.

Sarita- Thik hai papa. Jaiye aap. Ham dono apna khyal rakhenge.

Aanand ji aur Raani ji Sarita ke mama ke yaha chale gaye. Unke jane ke bad Sarita aur Manisha baith kar aapse mein baat karne lagi. sham ko lagbhag 8 baje ke kareeb Sarita ka mobile bajane laga. Sarita ne dekha ki Nishchal ka phone tha to Sarita ne phone uthaya.

Sarita- Hello Sir.

Nishchal- Kaisi ho tum.

Sarita- Thik hoon Sir.

Nishchal- Tum thik nahi ho. Kuchh pareshan si lag rahi ho. Baat kya hai.

Nishchal ki baat sunkar Sarita apne man mein sochne lagi ki inhe kaise pata ki main pareshan hoon. Sarita ki taraf se koi jawab na pakar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Hello Sarita, Are you OK.

Sarita- hmmm. Main thik hoon Sir. Kisi kaam se phone kiya tha.

Nishchal- Haan. Wo Number jo tumne jawed ko Track karne ke liye diya tha wo number tumhe kahan se mila. Wo number tumhare paas kaise aaya.

Sarita ke paas nishchal ki baat ka koi jawab nahi tha. Nishchal ki baat sunkar Sarita haklate huwe boli.

Sarita- wo..wo. mai..main.. mujhee… na…nahii paataaa.

Nishchal- Kyaa. Fir tumhare paas wo number kaha se aaya. Tum thik to ho na. Itna hakla kyon rahi ho.

Sarita- Nahi to. Main wo hann mere sir mein thoda sa dard hai. Main aapse baad mein baat karti hoon.

Nishchal- Kyaa huwa hai. Hello Sarita. Hello hello.

Nishchal hello hello karta raha lekin Sarita ne Nishchal ke sawalo se bachne ke liye phone cut kar diya uar swichoff bhi kar diya. Nishchal ne fir se call lagayi to phone band aa raha tha.

Nishchal ne kai bar koshish ki lekin Sarita ka phone band hi bata raha tha. Nishchal ne gusse mein Manisha ko phone kiya. Manisha ne phone uthaya.

Manisha- Hello boss.

Nishchal- Hey Chhote miya. Kaisi ho.

Manisha- Main badhiya hoon boss. Aap bataiye.

Nishchal- Main bhi thik hoon. ek baat batao. Tumhari didiya ko kuchh huwa hai kya. Koi pareshani hai kya use.

Manisha- Nahi boss. Didiya to bilkul thik hai. Even subah wo bahar bhi gayi thi do ghante baad wapas aayi thi. Kyon koi baat hai kya.

Nishchal- Nahi kuchh bhi nahi hai. Tum jara Whatsapp se apni location send karo.

Manisha- Kya baat hai boss. Didiya ke bina man nahi lag raha hai kya jo location mang kar aane ka irada hai.

Nishchal- tumhare dimag mein har samay khurafaat hi chalti rahti hai. Aisa kuchh bhi nahi hai main tumhe baad mein bataunga. Abhi jo bol raha hoon wo karo.

Itna kahkar Nishchal ne phone rakh diya. Nishchal ko sArita ka Is tarah ka bartav karna bahut khatak raha tha. Nishchal ke shak karne ka main karan yah bhi tha ki Nishchal ne jis tarah se Sarita se baat ki thi. Agar normal Setuation hoti to dono mein ladai shuru ho gayi hoti, lekin Sarita ne aisa kuchh nahi kiya tha balki phone band karke rakh diya tha. yahi baat nishchal ko khatak rahi thi.

Manisha ne whatsapp par location share kar di thi. Raat mein dono bahnon ne khana banaya. Khana kha kar Sarita ne dawa kha li thi, kyonki sarita ka Sir wakai mein Aaj subah ki hui bato ko soch soch kar fata ja raha tha. Raat ke kareeb 11 baje Sarita ka mobile fir se bajane laga.

Sarita ne dekha to Nishchal ka phone tha. Sarita ne phone silante mein kar diya. Phone aakar cut chuka tha, kuchh pal baad phir se mobile ke ghhiii ghhiii ki aawaz aane lagi to Sarita ne phone uthaya aur gusse se boli.

Sarita- Kyon pareshan kar rahe hain aap mujhe. Ye koi time hai phone karne ka. Mujhe neend aa rahi hai main subah baat karti hoon aapse.

Nishchal- (Sakht aawaz mein) Tumhare ghar ke bahar khada huwa hoon. jaldi bahar aao.

Sarita- (ghabrate huwe) Aapp. .. aa.aaap. gharr ke…. Bahaar… kaise kyon. Kab……

Ghabrahat ke mare uske munh se pata nahi kya kya nikal raha tha. Nishchal ne thodi tez aawaz mein kaha.

Nishchal- Agar 1 Minute mein tumne darwaza nahi khola to main darwaza pitna shuru kar dunga. Fir baad mein mujhe dosh mat dena tum.

Sarita- Plz Sir aisa mat karna. Main aa rahi hoon.

Aanand ji aur Raani ji to ghar par the nahi to Sarita ne Manisha ko Nishchal ke baare mein bataya. Manisha ye sunkar pahle to chauki. Chuaki isliye ki usne location bhejne ke baad socha nahi tha ki Nishchal yaha pahuch aayega.

Usne to socha tha ki shayad aise hi location mangi hogi nishchal ne. Manisha Nishchal ke aane ka sunkar bahut exited hui. Wo Khud nishchal se milna chahti thi.

Manisha Sarita ke sath bahar aayi to dekha bahar Nishchal Sach mein apni gadi ke paas khada huwa tha. bahar streaght light ki Roshni mein Jab Nishchal ne Sarita ko dekha to use dekhta rah gaya.

Aaj poore hafte bhar baad Nishchal Sarita ko dekh raha tha. Sarita ki to Nishchal ke paas jane ki himmat hi nahi ho rahi thi, Isliye Manisha koodte huwe Nishchal ke paas pahuch gayi.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update
 
B k maurya

Member
190
330
63

Mast update mahi ji
 
Top