• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
22,758
46,183
259
बेहद अमेजिंग अपडेट
आउटस्टैंडिंग....👌
धन्यवाद आपका महोदय।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

parkas

Prime
22,370
51,799
258
UPDATE- 65

Idhar Sarita ghar aane ke baad apne kamre mein baithi hui aaram kar rahi thi. Fir usne Savita ko phone laga diya.

Savi- Hello Sarita.

Sarita- Hiii di. Kaisi ho aap.

Savi- main thik hoon. tum apna sunao. Uncle ki tabiyat ab kaisi hai.

Sarita- main thik hoon di. Papa bhi thik hain. Main aapse naraz hoon. aap bas Manisha ko phone karti hain. Mujhse to aap baat hi nahi karti.

Savi- Nahi Sarita aisi baat nahi hai. Is bich NGO ka kam thoda jyada badh gaya hai, isliye main usme busy rahti hooon. Manisha jab phone karti hai tabhi meri usase baat ho pati hai. Tum jaldi se aa jao. Tumhare bina mera man nahi lagta yaha.

Sarita- 2-3 din mein main pahuch rahi hoon di.

Savi- thik hai Sarita. Tum jaldi se aana. Kyonki main yaha kuchh hi samay aur hoon.

Sarita- Aisa kyon kah rahi hain aap di. Kaha ja rahi hain aap.

Savi- 1-2 Hafte mein main Doosre Shahar sift ho rahi hoon na.

Sarita- Itni jaldi bhi kya hai di. Abhi to mujhe aapke sath aur rahna hai.

Savi- Jaldi kahan hai Sarita, Tumhe bataya to tha ki NGO ka kam khatam ho jane ke baad mujhe doosre Shahar jana padega.

Sarita- Haan di. Bataya to tha, lekin mere dhyan se utar gaya, lekin main aapke bina waha kaise rahungi.

Savi- Kyon. Kyon nahi rah sakti tum.

Sarita- Aapko maloom hai fir bhi aap pooch rahi hain.

Savi- Achha haan. Tum Nishu ki wajah se waha nahi rahna chahti ho na. Tumhe Nishu se darne ki jaroorat nahi hai. Main use bol doongi ki wo tumhe parshan na kare. Agar fir bhi usne tumko thoda sa bhi pareshan kiya to mujhe batana. Main uski ache se khabar lungi.

Sarita- Fir bhi di. Main waha par nahi rahungi aapke bina.

Savi- Achha thik hai baba. Mat rahna yaha. Pahle tum aao to sahi baad ka baad mein dekhte hain. Waise tumhe ek khushkhabri bhi deni hai.

Sarita- Kya Khuskhabri. Bataiye na di.

Savi- Nishu Anant se milne ke liye maan gaya hai.

Sarita- (khush hota huwe) Are waah di. Ye to sach mein bahut badi khushkhabri hai. Chalo kam se kam hitlar ko akal to aayi.

Savi- (majakiya lahje mein) Are Wo mera bhaai hai, koi akdu ya hitlar nahi hai wo.

Sarita- Achhaa. Waise ek baat bataiye. Sir razi kaise ho gaye. Anant ji ka naam sunkar hi unka para chadh jata tha, to ye pariwartan unme aaya kaha se.

Savi- Tumhare jane ke baad mujhe achha nahhi lag raha tha to main ke raat Anant se baat kar rahi thi. Unse baat karne ke baad jab main jab kamre mein jane ke liye mudi to mere pichhe Nishu khada tha.

Use dekhkar main ek baar to bahut dar gayi. Mujhe laga ki Nishu fir se chillana shuru kar dega, lekin wo kuchh nahi bola. Apne kamre mein jate wakt wo mujhse itna hi bola ki di aap apne kamre mein chaliye mujhe aapse kuchh baat karni hai.

Main apne kamre mein pahuchi. Kuchh der baad Nishu mere kamre mein aaya. Main bister par pair jameen par latka kar baithi hui thi. Nishchal aakar mere pairo ke paas jameen par baith gaya aur mere pairo se lipat kar rote huwe bola ki di main bahut bura bhaai hoon di. Jo maine aapko itna rulaya.

Mujhe aapki baat pahle hi man leni chahiye thi. Mujhe ek baar Anant se mil lena chahiye the. Main Anant se milna chahta hoon, uske bare mein pura pata lagaana chahta hoon. Usko jan-na chahta hoon.

lekin aapko bhi mujhse ek wada karna hoga ki agar wo mujhe thik nahi laga to aapko usase sara Rishta todna hoga. Mujhe Anant par poora bharosa hai. Isliye maine Nishu ko ha kar di.

Sarita- Ye to aapne bahut achha kiya di. Anant ji bahut ache insan hain. Sir unse milkar ek baar baat karne ke baad na nahi kar payenge.

Savi- Tumhare munh mein ghee sakkar Sarita. Bhagwan kare aisa hi ho.

Sarita- Sab thik hi hoga di. Aap bilkul bhi chinta mat kariye. Anant ji Sir ko mana lenge. Aapka khana pina ho gaya.

Savi- Abhi kaha Sarita. Main Nishu ka intezar kar rahi hoon. Wo bahut late se ghar aane laga hai. Abhi bhi Jisme tumhe goli lagi thi aur abhishek wale case mein uljha huwa hai. Na hi khane ki sudh aur na hi sone ki sudh. Din bhar bas kaam mein hi laga rahta hai.

Sarita- Ab isme koi kya kar sakta hai di. Hamari job hi aisi hai ki hame apni duty ko first priority deni padti hai. Baki sab to baad mein aata hai.

Savi- Sahi kaha Sarita. Tum logo ki wajah se hi ham safe hain. Mujhe Nishu par bahut proud feel hota hai. Main apne aapko bahut khushnaseeb manti hoon ki main Nishu ki bahan hoon. Haan wo thoda gussail hai. Akdu hai, lekin dil ka bahut achha hai.

Sarita- Are di ab aap bhi Nishchal puraan lekar baith gayi hain.

Savi- Achha sorry sorry. Main bhi kitni pagal hoon jo tom ki badai jerry ke samne kar rahi hoon. main to bhool hi jati hoon ki tum dono ke bich sheet yudha chhida rahta hai.

Itna kahkar Savita jor jor se hansne lagi. Jiske karan Sarita chidh gayi aur boli.

Sarita- Kya di. Aap bhi mera majak udati rahti hain.

Savi- Kyon. Mere alava bhi koi udata hai kya tumhara mazak.

Sarita- Aur nahi to kya. Wo hai na aapki chaheti Manisha devi. Wahi mera mazak udati hai.

Savi- (hanste huwe) Achha to ab tumhe meri bholi bhali Manisha se bhi pareshani hai.

Sarita- Kya kaha di. Wo aur bholi bhali. Bholi bhali shabd uske liye bana hi nahi hai. Wo bahut badmash hai.

Savi- Achha. Chalo ye bhi Achha hai. Kam se kam wo badmash to hai. Tumhari tarah boring to nahi hai.

Sarita- Chaliye Aap dono hi interesting hain. Main boring hi sahi hoon.

Savi- Waah badi samajhdaar ho gayi ho tum to, lagta hai Aunty ji ke haath ka khana in dino tumhe bahut shut kar raha hai.

Sarita- Aate wakt wahi khana aapke liye bhi leti aaungi.

Savi- Jaroor leti aana. Acha ab main rakhti hoo. Lagta hai Nishu aa gaya hai. Baad mein baat karti hoon.

Sarita- Thik hai di. Bye. (Man mein) Di chali jayengi to main kaise Sir ke sath rahungi akele, Nahi Nahi. Main unke sath kaise rah sakti hoon. Hillar hai ekdam. Hamesha meri ladai hoti rahegi unse. Di thi tab tak to thik tha, lekin ab nahi rahungi. Main jawed ko bolkar apna Quarter saaf karwa leti hoonn. Taki waha jane par koi dikkat na ho.

Yahi sab sochkar wo Jawed ko call karti hai, lekin wo phone nahi uthata. Sarita Kai baar phone karti hai lekin uska phone nahi utha.

Udhar Nishchal ne Drugs case ki ek report taiyar ki. Jisme usne ye bataya ki us chhape mari ke dauraan 5 Gunde aur 1 police wala ghayal hua tha aur ek gunde ki goli lagne se maut ho gai. Jiska antim sanskar uski dekharekh me kiya gaya.

Sath hi postmartam Karne wala dosto bhi nishchal ke parichit ka tha to usne ek jhoothi Report bhi Usase banwa li thi aur Use mamale ki gambhirta ke bare mein bhi bata diya tha.

Nishchal ne ye isliye kiya tha kyonki der saber Bachha Singh aur Raghu ko ye pata chal hi jana tha ki unka ek aadmi (Abhishek) gayab hai kai dinon se. Unka shak Abhishek ke upar na jaye ki wo jeevit hai. Aur bachha singh aur Raghu use dhoondhne ki koshish karein.

Use ye bhi pata tha ki iski khabar bahar jarur leak ho jayegi aur bachha singh ko ye pata chal jayega ki unka ek aadmi mara gaya hai yo wo abhishek ko hojna band kar denge. Waise wo itna syhor bhi Nahin tha ki wo jaisa soch raha tha waisa ho hi, fir bhi usne ek huwa khel diya tha.

ye report Nishchal ne Office mein Submit kar di thi.

udhar Bachha Singh aur Raghu abhishek ke gayab hone ke karan Use khojne ki koshish kar rahe the. Unhe abhishek par kabhi kabhi shak bhi hota tha, lekin unka shak us din door ho gaya jab ye khabar unhein pata chali ki us chhape mari ke dauran unka ek aadmi mara gaya tha jiska police ne antim sanskaar kiya tha.

ye khabar jankar Wo dono bhi thoda shant baith gaye..

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Bahut hi badhiya update diya hai Mahi Maurya ji....
Nice and beautiful update....
 
DARK WOLFKING

Supreme
15,545
31,865
244
nice update ..ye ek achchi khabar hai savita ke liye ki nischal maan gaya hai anant se milne ke liye aur ye khushkhabar usne sarita ko suna di jisse sarita bhi khush ho gayi .
par nischal ko hitler kehna nahi chhoda abhi tak .
nischal ne din raat kaam karke abhishek ko safe karne ka kaam kar diya .
drugs deal me ek aadmi ke maare jaane ki report bana daali jisse bachcha singh abhishek ko dhund nahi sake .

savita ke dusre shahar jaane ke baad sarita nischal ke saath rehna nahi chahti .kyunki savita ne sahi kaha ki dono tom and jerry hai 🤣.
 
kas1709

Well-Known Member
6,120
6,523
173

Nice update...
 
Top