• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
UPDATE- 35

Dono bahane apne me hi lagi hui thi. unki baat badhte dekh Rani ji na kaha.

Raani ji- Dekha na main na bol rahi thi ki ye bhale hi waha par udas rahti ho, lekin jaise hi dono milengi. billiyon ki tarah ladna shuru kar dengi ab bas bhi karo tum dono. kabhi to apni bakbak band kar diya karo.

Savi- Isi tarah Sarita Nishu se bhi ladti rahti hai.

Manisha- Ab ye nishu kaun hai.

Savi- Mera bhai hai Nishu.

Manisha- Lekin naam se lag raha hai ki Nishu aapki bahan hai.

Manisha ki baat sunkar ek baar fir se sabhi hansne lage. hansi rukne par raghav ne kaha

Raghav- Bas kariye di aap aaj inka janamdin hai aur aap log aaj bhi inki khichaai karne par tule huwe hain.

Manisha- Achha Ji. agar aap nahi batate to hame pata hi nahi chalta. Hame to abhi pata chal raha hai ki Aaj meri didiya ka janamdin hai.

Manisha ki baat sunkar Raghav Jhenp jata hai aur apni garden jhuka leta hai, jabki manisha ki baat sunkar sabhi muskurane lagte hain. ye dekhkar Sarita kahti hai.

Sarita- Manisha ab tum mere hantho maar khaogi.

Savi- Maar to tum bhi mere hatho kha sakti ho Sarita. Sidhi to tum bhi nahi ho.

Sarita- Achha bas bas. Aap logo ka bas chale to pata nahi kya karo mere sath.

Manisha- Haan didiya. tum sahi kah rahi ho, lekin dikkat ye hai ki Inka bas nahi truck chalta hai.

Manisha ki baat sunkar ek baar fir se sabhi hansne lagte hain. Sarita bura sa munh banakar Manisha se kahti hai.

Sarita- Aakhir aa hi gayi apane ghatiya aur sade huwe joks lekar tum.

Manisha- Haan aa gayi main. aapko koi dikkat hai kyaa.

Savi- Achha ab bahut huwa. tum log bas bhi karo. chalo ab sab log shant ho jaiye aur Sarita tum jakar taiyar ho jao. balcony se lagkar jo doosra room hai wo mera hai. tum usi me chali jao aur taiyar ho jao.

Sarita- Thik hai di. Chal manisha tu mere sath.

Manisha- wo to mujhe chalna hi padega. nahi to pata nahi tum aise taiyar hokar yaha aao ki tumhe dekhkar hi log dar jayein.

Itna kahkar Manisha ne Savita ko tali de di. jise dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- Are waahh kya baat hai. abhi thik se jan pahchan ke kuchh hi ghante huwe hain aur aapne party badal li di. waise aapki jankari ke liye bata doon ki baad me aaapke kaam main hi aaungi ye nahi.

Manisha- (naak sikodte huwe) Aapko nahi lag raha hai ki kahi se jalne ki gandh aa rahi hai didi.

Savi- Jalne wale ko jalne do Manisha.

Savita ki baat sunkar Manisha hanste huwe upar kamre me chali jati hain. Kamre me jakar Sarita taiyar hone lagti hai aur Manisha Sarita ko taiyar karwane lagti hai.

Manisha- Dekho didiya. Apne baal khule rakhna. tum par bahut achha lagega. ye nahi ki roj jo sada sa juda bana leti ho wo banane lag jao.

Sarita- lekin Manisha. khule balo se mujhe pareshani hoti hai

Manisha- jab main taiyaar kara rahi hoon aapko to meri baat mano didiya. tum bahut pyaari lagogi khule balo mein.

Sarita- Thik hai meri maa. jaisa tum kaho. waise ye batao ki tum yaha par pahuchi kaise.

Manisha- Are yaar didiya. tumhari problem kya hai. mujhe lagta hai ki tumhe ham sabko yaha dekhkar jyada khushi nahi hui. tumhe ye jankar jyada khushi hogi ki ham log yaha pahuche kaise. Are yaar. pahle tum taiyaar to ho jao, baad me tumhe pata chal hi jayega. achha tum kapde set karo tab tak main iske set nikal deti hoon.

Sarita- Nahi manisha. itna bahut hai. main jyada kuchh nahi pahnungi.

Manisha- Jyada kuchh nahi hai didiya. bas earing hai aur kuchh nahi.

abhi manisha ne itna hi kaha tha ki tabhi door nock hota hai. aur raghav ki aawaz sunai padti hai.

Raghav- Manisha ji. aapko di bula rahi hain.

Manisha- Aap chaliye main aati hoon.

Raghav- di ne kaha hai ki bahut jaroori kaam hai unhe aapse.

Manisha- (chidhkar) Are yaar bol to rahi hoon na ki aa rahi hoon. aap chalo.

Sarita- Manisha. ye kya tarika hai baat karne ka unse. jao jaldi aur jaldi hi aana.

Sarita ki baat sunkar Manisha niche chali jati hai. Manisha ke jane ke baad Sarita darwaza lock nahi karti hai apna kapda aur earing pahan-ne lagti hai.

Tabhi Nishchal bhi ghar aa jata hai aur wo andar na aakar bahar bani hui sidhiyo se upar aata hai aur kamre ka darwaza kholta hai. darwaza khulne ki aawaz sunkar Sarita ko laga ki Manisha aa gayi hai.

Wahi Nishchal kamre me ek ladki ko dekhkar samajh nahi pata ki wo kaun hai Kyonki darwaze ki taraf Sarita ki pith thi. Nishchal ne upar aate samay Sarita ke gharwalo ke bolne ki aawaz niche suni thi to wo soch raha tha ki sab niche hi hain. jaise hi wo usase poochhna chahta hai waise hi Sarita bhol padti hai.

Sarita- (bina mude) Manisha dekho to ye chain mujhse nahi band ho rahi hai. mera hath thik se pichhe nahi pahuch raha hai.

Sarita ki aawaz sunkar Nishchal use pahchan gaya. Ab use samajh me nahi aa raha tha ki wo kya kare. koi jawab na pakar Sarita fir se kahti hai.

Sarita- Kya kar rahi ho manisha. Jaldi se chain band karo to niche chalte hain.

Sarita itna bolkar Apne balo ko pichhe se samet kar aage ki taraf kar leti hai. Jiske karan uski pith nangi dikhne lagti hai. halanki Sarita ne jo gown pahna tha wo deep back ka nahi tha, lekin fir bhi thoda bahut tha jisase uski chikni pith Nishchal ke samne numaya ho rahi thi.

Nishchal ne jab Uski pith ki halki si jhalak dekhi to uske panv jaha the. wahi par jam ho gaye the. Usne kuchh pal Sarita ki pith dekhne ke baad apni nazare pher li. Abhi tak manisha ka koi jawab na milne ke karan Sarita ghoom jati hai. Sarita jaise ghoomti hai wo Nishchal ko samne khada pati hai.

Yahan ek ghatna ye ghati ki jis samay Sarita pichhe ki taraf ghoomti hai usi samay Nishchal bhi Sarita ki taraf dekhta hai. dono ki najarein aapas me milti hain. Nishchal se najar milte hi Sarita jor se chillane wali hoti hai ki tabhi Nishchal duadkar uske paas pahuchta hai aur uske munh par apna hanth rakhkar use chup karata hai aur use deewar se sata deta hai aur bolta hai.

Nischal- Pagal ho kya tum. marwaogi kya. sab niche hall me baithe huwe hain. tumhari aawaz sunkar upar aa jayenge. tumhe aur mujhe ek kamre me dekhkar pata nahi kya sochenge. so please main apna hanth hata raha hoon. aawaz bilkul bhi mat karna.

Nishchal ke aise aakar uske munh par hanth rakhne aur uski ek banh pakad kar use deewar se satate Samay Nishchal ke sparsh se Sarita sharer mein jhurjhuri hone lagti hai. wo bas ek tuk Nishchal ki aankho me dekhne lagti hai aur usme kho jati hai. Nishchal kya bol raha hai use kuchh sunai nahi pad raha tha. Sarita ki taraf se koi jawab na pakar Nishchal ne Sarita ko jhinjhodte huwe kaha.

Nishchal- tum sun rahi ho na main kya kah raha hoon. chillana mat. main hanth hata raha hoon.

Nishchal ke jhinjhodne se Sarita vartman me wapas aayi aur apna sir haan me hilaya to nishchal ne apna hath uske munh se hata liya. Munh se hath hatne ke baad Sarita ne kaha.

Sarita- aaappp… aap yahaa kya kar rahe hain.

Nishchal- Yahi to main tumhse jan-na chahta hoon ki tum mere kamre me kya kar rahi ho. agar tumhe kapde change karna tha to tum di ke room me chali jati.

Sarita- Kyaa… ye aapka room haiii. Lekin di ne to bola tha ki balcony se laga huwa doosra room di ka hai. main usme chali jaun.

Nishchal- Haan di ne sahi kaha tha. balcony se laga huwa doosra room, lekin balcony se laga huwa ye room mera hai aur balcony se laga huwa udhar wala room di ka hai. to di ne us wale room ke bare me kaha tha.

Sarita- Ohhhhh.. Sorry. mujhe nahi pata tha ki ye aapka room hai. main jati hoon dii ke room me taiyar hone ke liye.

Itna kahkar Sarita apna saman sametane lagti hai to Nishchal usase kahta hai.

Nishchal- Nahi Sarita Uski koi jaroorat nahi hai. tum yahi par taiyar ho jao. main niche ja raha hoon.

Sarita- Nahi. aap yahi rahiye. main di ke kamre me ja rahi hoon.

Itna kahkar Sarita apna saman samet kar jane lagti hai . Jaise hi Sarita Nishchal ko cross karke aage badhti hai. Nishchal uski kalai pakad leta hai aur ek halka sa jhatka dekhar apni taraf kheech leta hai. jiske karan Sarita Nishchal ke sine se ja lagi.

Sarita Nishchal ki aankho me dekhne lagi aur Nishchal Sarita ki aankho me dekhne lagta hai. dono ek doosre ki aankho me dekh kar fir se kho jate hain. Kuchh der aise hi ek doosre ki aankho me khoye rahne ke baad Nishchal hosh me aata hai aur Sarita se kahta hai.

Nishchal- tumhe ek baar me samajh nahi aata kya. jab main kah raha hoon ki tum yahi par change kar lo main niche jar aha hooon to meri baat kyon nahi manti tum. tumne meri baat na man-ne ki koi kasam wasam kha rahi hai kya.

Sarita- Mera hanth chhodiye. main aaj ke din aapko thappad marker koi tamasha nahi khada karna chahti.

Nishchal- Tumhe to bas ek hi kaam aata hai mujhe thappad marna. mere gaal ko tumhe mandir ka ghanta samajh rakha hai kya ki tumhara jab man karega tum baja kar chali jaogi. nahi chhodta main tumhara hanth. tum chaho to mujhe thappad mar sakti ho.

Sarita- Please Sir. mera hanth chhod dijiye. mujhe dard ho raha hai.

Sarita ke munh se dard sunkar Nishchal uska hath chhod deta hai. lekin abhi bhi dono bahut kareeb khade huwe the. tabhi Manisha kamre me dakhil hoti hai aur bolti hai.

Manisha- Kya didiya. ABhi tak tum taiy…………….

Aage ke shabd uske munh mein ho rah gaye jab Manisha Nishchal ko kamre me dekha. Wo use ghoorti hui bolti hai.

Manisha- Ae Driver tum kamre me kya kar rahe ho. tumhe pata bhi hai ki didiya kapde badal rahi hai. tum yaha kyon aaye. tumhare irade mujhe thik nahi lag rahe hain. ruko main abhi sabko bulati hoon.

Sarita Manisha ke munh se Nishchal ko Driver kahkar sambodhit karne par chauk jati hai aur Sawaliya najaron se Nishchal ko dekhne lagti hai. Sarita apne man me sochti hai ki ye Nishchal ko driver kyon kah rahi hai. Aakhir chakkar kya hai. Ye hitlar bhi Manisha ki baat sunkar kuchh nahi bol raha hai.

wahi itna kahkar Manisha kamre se jane ke liye mudti hai to Sarita daudkar uska hanth pakad leti hai aur bolti hai.

Sarita- Aisa kuchh bhi nahi hain Manisha jaisa tum samajh rahi ho.

Manisha- Dekho didiya tum bilkul bhi mat daro. mujhe pata hai ki ye tumhara driver hai. lekin iski ye himakat ki ye tumhare sath galat karne ki koshish kare. main ise aise chhodne wali nahi hoon.

Manisha ki baat sunkar Nishchal jor jor se hansne lagta hai. Jisase Manisha chhidkar Nishchal se kahti hai.

Manisha- Ae Driver. Tum kyon apne colgate se ghis ghis kar chamkaye huwe danto ki numaish kar rahe hain. kya maine tumhe koi chutkula sunaya kya. bade dheeth Aadmi ho tum to. main yaha sabko bulane ki baat kar rahi hoon aur tum pagalo ki tarah jor jor se hase ja rahe ho.

Nishchal- hansu nahi to aur kya karu. abhi tumne jo kuchh kaha hai na. wo kisi chutkule se kam nahi hai. Miss Joshi Ko dar lag raha hai. hahahaha. Dar aur wo bhi Miss joshi ko. kabhi nahi. Miss joshi ko dekhkar to dar ko bhi dar lagne lagta hai. hahahahahahaaa.

Sarita- Rahne do Manisha. ye to inka roj ka kam hai. Inhe aise daure hamesha padte rahte hain. Inhe ignore karo aur chalo ham doosre kamre me chalte hain.

Manisha- Aap is driver ko inhe kahkar kyon baat kar rahi hain. Maana ki aap sabko samman deti hain. Lekin isne to Samman dene wala koi kaam kiya nahin hai. Aur doosre kamre me kyon jayenge ham. Jayega to ye driver yaha se.

Sarita- Manisha ye mere driver nahi hain. Ye mere Boss hain. Nishchal Singh Rathod. main inhi ke undar me kaam karti hoon. ye Savita di ke chhote bhai Nishu hain aur ye room inhin ka hai.

Sarita ki baat sunkar Manisha haran rah gayi. Kyonki Nishchal ko driver samajhkar Manisha ne kuchh jyada hi rude bartav kiya tha. dhamki bhi de di thi. Usne Savita se Nishchal ke bare me thoda bhut suna tha. manisha ne hairani ke sath Sarita se kaha.

Manisha- Kya. Ye aap kya bol rahi hain didiya. ye to aapke driver hain. Inhone hi to mujhe bataya tha.

Manisha ki baat Sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Maine kab kaha ki main Miss joshi ka driver hoon. tumne hi meri baat nahi suni aur mujhe apni di ka driver bana diya. to maine bhi socha ki ek din driver banker bhi dekh leta hoon.

Manisha- Mujhe maaf kar dijiye. jane anjane agar mujhse koi galti ho gayi ho to.

Nishchal- Are koi baat nahi. thoda bahut to chalta hi rahta hai.

Manisha- Matlab aap wahi hain jinhone……..

Nishchal Manisha ki baat poori hone se pahle hi Sir na me hilakar use mana karta hai aur kahta hai.

Nishchal- Aap dono bhi jakar taiyar ho jaiye nahi to abhi di ka bulawa aa jayega.

Nishchal ki baat sunkar Sarita aur Manisha doosre kamre me chali jati hain aur taiyar hone lagti hain. Sarita ko taiyar karke Manisha Sarita ko niche jane ke liye bolti hai to Sarita kahti hai.

Sarita- Tum bhi chalo na sath me. tum yaha baith kar kya karogi.

Manisha- Tum chalo na didiya. main ye sab samet kar aati hoon.

Manisha ki baat sunkar Sarita Niche chali jati hai. Sab Saman sametane ke baad Manisha bhi bahar jane lagti hai. Phir kuchh soch kar Nischal ke room ki taraf jati hai. Manisha Uske room ka darwaza khatkhatati hai. To Nishchal ki aawaz aati hai.

Nishchal- Darwaza khula hai. Andar aa jaiye.

Nishchal ki baat sunkar Manisha kamre me aakar darwaza band kar leti hai aur Nishchal se kahti hai.

Manisha- sorry. Mujhe maaf kar dijiye aap. Maine aapse ache se baat nahi ki mujhe nahi pata tha ki aap Savita didi ke bhaai hain. Maine bahut kuchh ulta siddha bol diya tha aapko. Phone par bhi maine aapko dhamki de di. Aapko driver bola. Uske liye maaf kar dijiye.

Nishchal- Are Koi baat nahi. Aise wakiye ho jate hain kabhi kabhi. Waise mujhe bhi is wakiye me bahut maza aaya.

Manisha- (chahakte huwe) Waise mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki jab main didiya ko bata rahi thi to aapne mujhe mana kyon kiya ki aapne hi ham logo ko yaha bulaya hai didiya ke birthday me shamil hone ke liye. Unko surprize dene ke liye.

Nishchal- tum nahi samjhogi. Meri aur uski bilkul bhi nahi banti. 36 ka aankda hai ham dono ke bich. Agar use pata chal gaya ki maine hi tum logo ko yaha bulaya hai to wo chidh jayegi aur isase bhi sada surprise ham sabko de degi.

Manisha- (shatir nigaho se dekhte huwe) Achha. Banti nahi hai aapki didiya se. fir bhi usko itni badi Khushi de di aapne.

Nishchal- Matlab. Tum kahna kya chahti ho.

Manisha- Aapko nahi pata ki didiya mummy papa ko kitna pyaar karti hai. Unki to jaan basti hai mummy papa mein. Unhe is tarah se achhanak yahan dekhakar wo bahut khush hain.

Nishchal- Chalo Achha hi hai. Kam se kam use Khushi to mili kisi cheez se. fir bhi mera naam galti se bhi mat lena nahi to uski Khushi gusse me badalte der nahi lagegi. Itna din baad to wo khush dikh rahi hai. Nahi to lady don bani firti rahti hai. Jangali billi.

Manisha- (Hanste huwe) Yes boss. Waise didiya ke upar ye naam bahut shut kar raha hai. Lady don. Jangali billi.

Manisha ki baat sunkar Nishchal hansne laga aur bola.

Nishchal- Ek baat bolu tumse.

Manisha- Yes boss. Kahiye.

Nishchal- wo kya hai ki mujhe aisa lagta hai ki tum apni bahan se kuchh jyada hi samajhdar ho.

Manisha- (khush hokar) Dhanyawaad Boss. Mujhe ye sunkar bahut Khushi hui. Kam se kam kisi ne to meri kabiliyat ko pahchana. Nahi to didiya hamesha kahti hai ki main kisi kaam ki nahi hoon.

Itna kahkar Manisha hansne lagti hai Uske sath me Nishchal bhi hansne lagta hai. Hanste huwe nishchal ne kaha.

Nishchal- Aaj se main tumhe chhote miya bulaunga. Chalega na.

Manisha- chalega nahi daudega. Aur main aapko aaj se boss bulaungi. Chalega na.

Nishchal- (hanskar) Chalega nahi daudega.

Nishchal ki baat sunkar Manisha hansne lagi sath me Nishchal bhi hansne laga. Tabhi Savita ki aawaz aati hai jo unhe niche bula rahi thi. Dono hanste huwe niche aata hain.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
lovely update ..manisha ne din bana diya sabko hansa hansakar 😍.. apne hi style me jo dil me aaye bol deti hai .

sarita aur nischal ka room me pyar bhara saath majedar laga 😍.. 36 ka aankda hai dono me par ab dil se ek dusre ki taraf khichaw bhi hai .
 
Mana6262

Active Member
713
2,382
123
New Year Wow GIF by Yeremia Adicipta
Happy New Year Celebration GIF by Omer Studios
 
DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
lovely update ..sarita ko saj sawarkar dekha to nischal dekhte hi reh gaya 😍.. aur baadme ye bhi soch liya ki kaise sambhalega usko 🤣..
cake kaatte waqt abhishek ki yaad aa gayi sarita ko aur usko rona aa gaya ,,aur uske baad sabko pata chal gaya abhishek ke baare me ..
aaj bhi apne bhai ko yaad karke dukhi hote rehti hai sarita ..

manisha kuch jyada hi bachchi bani ghum rahi hai 🤣. khud takra gayi raghav ko aur natak karne lag gayi .aur ab raghav bhi manisha se dur rehne ki sochne lag gaya 🤣. manisha kab kya bol de pata nahi chalta usse bachke rehne me hi bhalai hai .
 
park

Well-Known Member
8,044
9,916
173
UPDATE- 36

Nishchal ki baat sunkar Manisha hansne lagi sath me Nishchal bhi hansne laga. Tabhi Savita ki aawaz aati hai jo unhe niche bula rahi thi. Dono hanste huwe niche aata hain.

Haall ke bich me ek bada sa round table laga huwa tha. Jis par cack rakha huwa tha. Hall ki sajawat ki gayi thi. Table ke charo or gubbare lagaye gaye the. Hall ko ekdam Dulhan ki tarah sajaya gaya tha. is sajawat ke poore kaam ko Mohit, Javed aur Raghav ne milkar kiya tha.

Usi table ke paas sabhi log maujood the. Niche aane ke baad Manisha Sarita ke paas chali gayi. Nishchal ki najar jab Sarita par padti hai to wo apni aankhe jhapkana bhool jata hai.

Sarita ke badan par is samay Halke green aur blue colour ka party gown tha. uske sath hi chehre par halka sa make-up, khule huwe baal, kano me gown se maching colour ki earing aur bahut hi pyaari muskan ke sath uski khoobsurti me char chaand laga rahi thi.

Uske sath hi uske balo ki ek lat uske chehre par aa rahi thi. Jise wo apne hantho se baar baar sanvar rahi thi. Nishchal ne Sarita ka aisa roop pahli baar dekha tha aur ye roop dekhne ke baad wo Sarita mein kho sa gaya tha. Uski najarein Sarita par se hat hi nahi rahi thi.

Nishchal na Sarita ko hamesha se Vardi me dekha tha ya fir sadharan se kurte aur jeens me dekha tha. par aaj party gown me Nishchal Sarita ko pahli baar dekh raha tha. jisme sarita kahar dha rahi thi. Nishchal Sarita ki khoobsurti me khoye huwa tha. Uska dhyaan Manisha ki khanakti hui aawaz se bhang huwa.

Manisha- Chalo dididya ab cack cut karo. bahut joro ki bhookh lagi hai.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne hanth me chaku uthaya. Manisha ne mombatti jalayi aur sarita jaise hi cack katne ke liye nichhe jhuki. uske hath wahi par jam ho gaye aur aankho se jhar jhar aanshu bahane lage. Sarita ne chaku niche rakh diya. ye dekhkar Savi ne kaha.

Savi- Kya huwa Sarita Chaku kyon niche rakh diya. Cack kato na.

Lekin Sarita ne uski baato ka jawab nahi diya aur rote huwe kamre me chali gayi. Nishchal. Raghav, Savita, Mohit aur Javed Aashcharya se Sarita ko jate huwe dekhte rahe. Unhe samajh me hi nahi aa raha tha ki Sarita ko Achhanak kya ho gaya.

Manisha, Aanand ji aur Rani ji samajh gaye the ki baat kya hai. isliye Manisha Didiya Didiya karke Uske pichhe pichhe bhagte huwe uske kamre me chali gayi. Khushiyo ka mahaul gamgeen ho gaya tha. Savita ne Rani ji se poochha.

Savi- Sarita ko Kya ho gaya Aunti Ji. Ye Achhanak rone kyon lagi.

Raani jj- Ab Kya batau beti tumhe. meri to kismat hi kharab hai. meri bachhi ne Jindagi mein bahut dukh jhele hain. ye dukh meri bachhi ka pichha hi nahi chhod raha hai.

Savi- Aakhir baat kya hai Aunti. Sarita ne achanak aisa react kyo kiya. ham logo ne to use aisa kuchh nahi kaha jiski wajah se wo rone lag jaye.

Aanand jj- Aap logo ne kuchh nahi kaha. wo to apne bhaai ki wajah se ro rahi hai.

Nishchal- Apne bhaai ki wajah se. main kuchh samjha nahi.

Aanand ji- Baat ye hai ki mera ek beta bhi tha. Abhishek naam tha uska. wo apni bahano se bahut pyaar karta tha. Uski to jaan basti thi apni bahano mein. Sarita aur Manisha bhi Use bahut pyaar karti thi. Meri ek galti ki wajah se wo ghar chhod kar jo ek baar gaya to kabhi lautkar dobaara ghar nahi aaya.

Meri baat ko ignore karke wo shayad ghar aa bhi jata, lekin jab Sarita ne bhi use galat kaha to shayad wo bardast nahi kar paya. isliye wo ghar kabhi laut kar nahi aaya. hamne use bahut dhoondha, lekin wo nahi mila. uske baat to jaise meri bachhi ke jeewan se khushiya hi chali gayi.

Koi bhi tyohar, khushi ka mauka, Birthday Sarita ka aise hi bit-ta hai. har khushi ke mauke par wo apne bhai ko yaad karke aise hi roti hai aur ham sabko bhi rulati hai. wo kahti hai ki wo apne bhai ko dhooondh legi. lekin pata nahi wo kaha hoga, kiss haal me hoga, hai bhi ya nahi pata nahi.

Itna kahkar Aanand ji aur Rani ji ki aankho me bhi aanshu aa gaye. SaVi ne Rani ji ko jabki Nishchal ne Aanand ji ko sambhala. Sabhi ke chehre par gam saf dikhayi de raha tha. Udhar Manisha Kamre me Sarita ko samjha rahi thi.

Manisha- Ye kya hai didiya. tum fir se bhaiya ko yaad karke rone lagi.

Sarita- Main kyaa karu Manisha. mujhe bhaiya ki bahut yaad aati hai. jab bhi aisa koi mauka hota hai to main apne aapko rok nahi pati hoon. kaas aaj bhaiya bhi hamare sath hote to kitna achha hota. meri ek galti ke karan bhaiya mujhse itna naraz ho gaye ki ek baar bhi apni bahan se milne tak nahi aaye. kya main itni buri hoon manisha.

Manisha- Nahi didiya. Aap duniya ki Sabse Achhi bahan ho. Dekh lena ek din bhaiya ko apni galti ka ehsas hoga aur wo hamare paas laut kar aayegne.

Sarita- Wo din kab aayega manisha. jab bhaiya laut kar aayege aur hame pahle ki tarah pyaar karenge.

Manisha- Wo din bahut jaldi aayega didiya. Ab chalo bahar aur cack kato. tumne apne chakkar me sabko rula diya hai. tumko pata hai na ki jab tum bhaiya ko yaad karke roti ho to mummy papa ko kitni takleef hoti hai. chalo ab jaldi se apna chehra saf karo aur bahar chalo. sab tumhara intezar kar rahe hain.

Sarita- Tum chalo main aati hoon.

Manisha SArita ki baat sunkar bahar chali gayi aur Sarita bathroom me ghus gayi. Manisha jab bahar aayi to Rani ne poochha.

Raani ji- Kaisi hai meri bachhi manisha.

Manisha- Aap ki bachhi ko kuchh nahi huwa hai. wo aa rahi hai. faltu me drama karti rahti hain didiya.

Rani ji- Tu chup kar. meri beti ke pyaar ko drama kah rahi hai.

tabhi Sarita kamre se bahar aati hai. uske chehre par ab pahle jaisi khushi nahi dikh rahi thi. wo aakar table ke samne khadi ho gayi. Manisha ne fir dobara se Candle jalai. Sarita ne cack kata aur sabko ek ek peace khilane lagi. Sabne use birthday wish kiya.

Sarita ne apne mummy papa ko cack khilane ke baad usne unka aashirwad liya. fir Savita ko Sarita ne cack khilaya fir ek tukda uthakar manisha ko khilane jane lagi. lekin manisha gubbaara phodne ke liye idhar udhar bhag rahi thi. Manisha ne apna phone SAvi ko de diya aur photo kheechne ke liye bol diya. Sarita ne Manisha se kaha.

SArita- Tum ek jagah khadi nahi ho sakti ho kya. gubbare baad me phod lena, tumhare alawa yaha par koi chhota bachha nahi hai. sab tumhe hi phodne ke liye milega.

Manisha- Lo khadi ho gayi hoon Khilao.

Sarita ne cack ka tukda liye apna hanth aage badhaya. Manisha ko pata nahi kya shararat sujhi ki jaise hi Sarita ka hanth uske munh ke paas pahucha wo waha se hat gayi. Manisha ke thik pichhe Nishchal khada tha.

jaise hi manisha hati. Sarita ke samne Nishchal khada tha. jab tak Sarita apna kuchh samajhti tab tak Sarita ka hanth Nishchal ke munh tak pahuch gaya tha, Fir bhi Sarita ne apna hanth rok liya aur hanth wapas karne lagi to Nishchal ne kaha.

Nishchal- AB hath aage badhaya hai to khila bhi do. waise bhi kisi ne kaha hai ki dane dane par likha hota hai khane wale ka naam.

Nishchal ki baato ka Sarita ne koi jawab nahi diya. wo waha se jaise hi jane ko hui. Nishchal ne uska hanth pakad liya aur uske hanth se cack lekar uske munh ke paas karke bola

Nishchal- Agar mujhe khila nahi sakti ho to kam se kam mere hantho se kha hi lo. aur haan Janamdin kii bahut bahut badhaai Miss Joshi.

Sarita ne Nishchal ko gusse se dekha, lekin is samay wo koi tamasha create nahi karna chahti thi. isliye usne chupchap cack kha liya. Savi ne Manisha ke phone se is movement ko kaid kar liya. cack khane ke baad Sarita ne Nischal ko thank You kaha aur waha se chali gayi. Nishchal ke chehre par muskan aa gayi.

udhar Manisha gubbare phodne ke chakkar me idhar udhar bhag rahi thi. tabhi wo Raghav se takra gayi. dono ki takkar kuchh jyada hi tez thi. jiske kaaran dono ka balance bigad gaya aur dono jameen par gir pade. ab setuation ye thi ki Raghav jameen par pith ke bal gira huwa tha aur Raghav ke upar Manisha pet ke bal giri hui thi.

manisha poori tarah se Raghav ke upar dhah gayi thi. girne ke karan uske munh se cheekh nikal gayi. uski cheekh sunkar Sabhi ki najar unki taraf gayi to Sarita jaldi se unke paas pahuchi aur Manisha ko pakadkar Raghav ke upar se uthaya. Manisha ke uthane ke baad Raghav bhi uth kar khada ho gaya.

Manisha Chunki Raghav ke upar giri thi, isliye use jyada chot nahi aayi thi, lekin wo thahri ladki aur ladkiyan jaldi apni galti manti nahi hai aur ladki hone ke karan natak bhi karti hain Sampathy gain karne ke liye to Manisha ne Raghav ko ghoorkar dekhate huwe kaha.

Manisha- Andhe ho tum. tumhe dikhayi nahi deta kya. dekh ke nahi chal sakte kya. tumhari aankhe hain ya aalu. aahhhhhhh maar dala reeee. bahutt tezz dardd hoo raha haiiii mujhee. uuuuuiiiiii mummyyy.

Raghav- Mujhe maaf kar dijiye Manisha Ji. maine aapko dekha nahi tha ki aap udhar se aa rahi hain.

Sarita- Are nahii Raghav ji. Aap kyon maffi mang rahe hain. ye sab iski nautanki hai. Jab bandro ki tarah idhar udhar uchaal kood kar rahi hai to yahi hoga na. ise chhot wot kuchh nahi lagi hai. choot to aapko lagi hogi, kyoki ye bhais aapke upar jo giri thi. (hanste huwe)

Manisha- (ghorkar) Didiya. tum meri side ho ya uski side. he bhagwaan mera to koi hai hi nahi is kalyugi sansar me. Mujhe utha le bhagwan. Mujhe nahi rahna in praniyo ke bich.

Manisha ki nautanki dekhkar sabhi hans rahe the. Raghav ke chehre par bhi muskaan aa gayi Rani ji ne Manisha se kaha.

Rani ji- Chalo manisha ab bas karo. bahut ho gaya tumhara. kahi bhi shuru ho jati ho. ye tumhara ghar nahi hai Manisha.

Rani ji ki baat sunkar Manisha bura sa munh banati hai. Sabhi log fir se haal mein baith jate hain. Mohit aur Jawed Ko ghar jana tha isliye wo khana khane chale gaye. Manisha ko fir se kuchh shararat sujhi to Manisha sofe par khadi ho gayi aur apne hanth ko mike banakar boli.

Manisha- hello, hello, mike testing hello. haan Attention Please. Sabhi Sarv Samanya ko suchit kiya jata hai aur jaisa ki aap sab jante hain ki aaj hamari pyaari didiya, sundar didiya, thodi si nakchadhi didiya aur bahut hi jyada gussail didiya ka janamdin hai. aaj meri didiya poore… kitne sal ki ho gayi ho didiya. haan poore 52 saal ki ho gayi hain.

Manisha ki baat sunkar Sabhi hansne lage. SArita ne manisha ko gusse se dekhte huwe kaha.

Sarita- Abhi to tumko chot lagi thi aur bahut dard bhi ho raha tha. lagta hai usi ka prabhav hai ki tumhara dimag thik se kam nahin kar raha hai.

Manisha- Ohhhhh, legta hai ki maine kuchh jyada bol diya. to deviyon aur sajjano. maine abhi jo apni didiya ki umar 52 varsh batayi hai wo bahut jyada ho gaya hai. meri didiya to abhi 25 sal ki hui hain. to is khushi ke mauke par kyon na kuchh masti majak aur dance gana ho jaye. Kya kahte hain aap sab log.

Raghav- Lekin aap dance kaise karengi. Aapko to abhi kuchh der pahle chot lagi hai na.

Manisha- Wo to thik ho gayi.

Raghav- Aise kaise thik ho gayi.

Manisha- To aap kya chahte hain ki meri chot aapse puchhkar thik hoti. baat karte hain.

Sarita- Maine kaha tha na ki ise kuchh nahi huwa hai. ye sab iski nautanki hai. Ise yahi kaam bahut achhi tarike se aata hai.

Manisha- Lagta hai aap dono ko kuchh jyada hi takleef ho rahi hai mujhe thik dekhkar. agar aap dono kahe to main apne hanth pair tudwakar baith jaun. matlab ek bhali changee ladki dekhi nahi ja rahi hai dono ko. khair chhodo main aap dono ki baato par dhyan nahi doongi. ye bataiye ki aap sab taiyaar hain ya nahi.

Savi- Main to taiyaar hoon aur mujhe lagta hai ki baki sab bhi taiyaar honge.

Sarita- Mujhe koi Intrest nahi hai in sab mein. Mujhe nahi khelna ye game.

Manisha- Dekho na ma. didiya kya kah rahi hain.

Sarita- Maa se kya baat kar rahi ho. mujhse baat kar. maine ek baar kah diya na to tumhe samajh me nahi aa raha hai kya. mujhe intrest nahi hai is game me.

Nishchal- (apne man me) Kya ladki hai ye yaar. Kitna gussa karti hai. Main ise kaise sambhalunga. Ohhh shiiiittt. ye main kyaa sochane laga. agar is baat ki bhanak bhi ise lag gayi to ye mujhe kachha chaba jayegi.

Manisha- Tum chupchap baithi raho didiya. maine tumse to nahi kaha na. maine mummy se kaha hai.

Raani ji- Ye kya hai Sarita. Manisha itne pyaar se kah rahi hai aur tum naraz ho rahi ho.

Sarita- Meri sach me is game me ruche nahi hai aur meri ichhha bhi nahi ho rahi hai koi game khelne ki. aap samajh sakti hain na maa.

Savi- Chalo koi baat nahi. fir kabhi ye game vagairah ka programme ho jayega. Chaliya ab sabse pahle khana kha lete hain uske baad sona bhi to hai. aap log subah se safar me thake huwe honge.

Manisha- (Sarita ko ghoorkar) tum bahut boring Prani ho didiya. tumhare man ka ho gaya na. kabhi to khul kar kisi cheez mein intrest dikhaya karo na. hamesha mujhe nahi khelna mujhe nahi khelna karti rahti ho. (Raghav ko dekhkar) tumhare man ka bhi ho gaya na. tum bhi to yahi chahte the na

Raghav- (man me) kya ladki hai yaar. job hi man me aata hai bol deti hai. ye bhi nahi sochti ke samne wala kya sochega. beijjati kar deti hai ekdam se. isase bachkar rahna padega. jab tak ye yaha par hai main isase door hi rahunga.

Nishchal- (man me) Kya baat bol di tumne chhote miya. kaun kahta hai ki tumhari didi ko kisi cheez me intrest nahi hai. gussa karna aur thappad marna in dono me bahut achhi tarah se interest leti hai.

Sarita- Di. main soch rahi thi ki khana khakar main sabhi ko lekar apne room par chali jaungi. aap bilkul bhi pareshan na ho.

Savi- Kyon. Yaha rukne me kya burai hai. Aaj yahi ruk jao. kal subah nashta wagairah karke chali jana. Aaj sab log sath me hain to kitna achha lag raha hai. Roj kaha Uncle, Aunty se mulakat hogi. Please Aunty ji aaj yahi par ruk jaiye na. kal subah chali jaiyega.

Raani ji- Are bitiya tumhe please kahne ki jaroorat nahi hai. jaise manisha aur Sarita meri beti hain. waise tum bhi to meri beti hi ho. ham aaj raat yahi rukenge.

Rani ji ki baat sunkar Savita khush ho jati hai. fir sabhi log milkar khana khate hain. Sarita Aaj apni maa ke sath hi soyi unse lipatkar. Itne mahine baad apni maan ke aanchal me lipatkar use sukoon ki neend aayi. Uske bagal me Manisha so rahi thi. Aanand ji Nishchal ke sath uske kamre me sone ke liye chale gaye.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice and superb update...
 
dhparikh

Well-Known Member
6,894
8,239

Nice update...
 
Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
UPDATE- 30

Sarita Auto se apne Quarter pahuchi aur fresh wagairah hokar PS ke liye nikal gayi. PS me aaj roz ki apeksaha aaj jyada bhid thi. pata chala ki media wale fir se Sarita ka interview lena chahte hain. jisase unke channel ki trp badh jaye. Sarita ko limelite me rahna achha nahi lagta tha isliye usne sabhi ko ye kahkar jane ke liye bol diya.

Sarita- maine jo bhi kiya use apna farz samajh kar kiya. maine aisa koi kaam nahi kiya hai jiske liye mujhko itni tavajjo di ja rahi hai. samaj me sabhi ko ek doosre ki madad karni chahiye. har jagah police nahi pahuch sakti. isliye aap logo ki bhi kuchh naitik jimmedari hai. jiske liya aapka bhi kuchh farz banta hai.

Meri news dikhane ke bajay aap desh me badh rahi berojgari ki samasya ke bare me news dikhaiye. Roj balatkaar ki ghatnaon ghat rahi hain uspar lagaam lagane ke liye prashashan aur janta ko jagruk katne ki news dikhaiye. mahilao ka samman karna chahiye aisi news dikhaiye. meri news dikhakar aapko kuchh hasil hone wala nahi hai. isliye aap sab meharbani karke yaha se chale jaiye aur mujhe apna kam karne dijiye.

Media walo ke chale jane ke baad Sarita apne cabin me chali gayi. thodi der baad use Rawat Sir ne apne paas bulaya aur kaha.

Rawat Sir- Ye sab kya hai Sarita beti. ye sab karne ki kya jaroorat thi.

SArita- Jaroorat thi Sir, Kabhi na kabhi to in sab par laggam lagane ki jaroorat thi hi. ham kab tak aise hath par hath dhare huwe baithe rahte. Hamare isi attutute ka wo fayda uthate hain. Unhe lagta hai ki police wale kisi kam ke nahi hain. wo un logo ka kuchh nahi bigad sakte. wo samajhte hain ki wo chahe kuchh bhi kar jaye. pulice unka kuchh nahi kar payegi. police to unki jeb me hai.

unka jab man chahega unse kaam nikalwa lenge. lekin unki soch galat hai police itni nikammi bhi nahi hai ki wo kuchh bhi kar le aur ham hath par hath dhare baithe rahe.

Rawat Sir- Tumhari baat bilkul sahi hai Beti. Police ko unpar lagam lagani chahiye, lekin Abhi tum nayi ho aur in sab mamlon se anjan ho, tum abhi kuchh din pahle hi aayi ho aur hame salon ka anubhav hai is mamle mein.

Sarita- Main manti hoon Sir ki main abhi aap logo ki tarah Anubhavi nahi hoon. par jo galat hota hai wo hamesha galat hota hai. aur meri aankho ke samne jo galat hota hai ya galat ho raha hai main use rokne ki poori koshish karungi. Ab chane mujhe isme kamyabi mile ya nakami. mujhe isase koi fark nahi padta.

Rawat Sir- Tumhari baat bilkul thik hai beti. lekin aise to tumhari jaan ko khatra ho sakta hai.

Sarita- Mujhe uski koi parwah nahi hai Sir. Aap nahi jante Sir ye log upar se dikhne me jitney khonkhar dikhte hain andar se utne hi bujdil hote hain. agar ham apni par aa jaye to ye log 1 minute bhi hamara samna nahi kar sakte.

Rawat Sir- Tum bilkul thik kah rahi ho beti. Police agar apni par aa jaye to sare gunde ek minute mein maidan chhodkar bhaag jayein. Tumne jo abhi tak kiya so kiya, lekin aage jo bhi karna thoda soch vichar kar aur sawdhani se karna.

Sarita- thik hai Sir. Waise Sir ek baat aur poochhni thi. wo jis area me pulice ko tainat karna tha uski permission mil gayi hai ya nahi mili abhi.

Rawat Sir bhi jante the ki usase bachha singh ke mamle me kuchh bhi baat karne ka koi fayda nahi hai. Saarita jab dhire dhire yahan ke mahaul ko janegi to sab samajh jayegi, isliye Rawat Sir ne Aage is mudde par baat nahi ki bas Sarita ke poochhe gaye sawal ka jawab unhone diya.

Rawat Sir- Haan. SP Sir ne permission de di hai. tum turant kuchh aadmiyon ko tainaat karwa do waha par.

Sarita- Okk Sir. Thank you. Ab main ja rahi hoon. bahut kaam pending hai Sir.

Itna bolkar Sarita Apne cabin me chali gayi aur apna kam karne lagi. Sarita ne Jin logo ko pakada tha unse Bachha singh ka pata ugalwane ki bahut koshish ki lekin koi bhi munh kholne ko taiyaar nahi tha. Sarita ne fir kuchh sochte huwe apne aap se hi kaha.

Sarita- (man me) Ye bachha Singh to bahut pahuchi hui cheez hai, isne ab tak koi action bhi nahi liya. lagta hai ye Undar ground ho gaya hai. Abhi mujhe bhi kuchh din shant ho jana chahiye. Kabhi na Kabhi to Wo samne aayega hi. tab dekhti hoon main isko. ye sab police ka itna torchar sah rahe hain lekin apna munh kholne ke liye taiyar nahi hain. lagta hai bachha singh ki pakad bahut Upar tak hai. isiye ye dark e karan apna munh band kiye huwe hain. Abhi mujhe bhi shanti se kaam lena padega.

Idhar Nishchal ne Mohit aur Jawed ko Phone karke ek jagah milne ke liye bulata hai. Nischal ka phone aane se dono bahut dare huwe the. Dono ko dar tha ki us din ke baad se Nishchal ne unko phone nahhi kiya tha. kahi wo dono ko saza den eke liye to nahi bula rahe hain. dono Nishchal ki batayi hui jagah par pahuche to Nishchal waha pahle se hi maujood tha. Use dekhte hi dono ne Use selute kiya.

Dono- Jai hind Sir.

Nishchal- Jai Hind. Aa gaye tum dono. main tum dono se pichhle kai din se milne ki koshish kar raha tha, lekin samay hi nahi mil pa raha tha. aaj finely samay mil hi gaya. Aur bataiye aap dono Kya haal hain aapke.

Mohit- Dekhiye Sir Agar aap us baat ke liye Hamse naraz hain aur Saza dena chahte hain to Saza kewal mujhko hi dijiye. Madam ko maien hi Sabkuchh bataya hai. Isme Jawed ki koi galti nahi hai.

Mohit ne ye baat Ek hi Sans me Nischal se kah di. Mohit ki baat Sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Are Shant raho tum Mohit. Us baat ke liye main tum dono ko kuchh nahi bolunga. Jab wo mujhe chakma de sakti hai to fir bhi tum log Uske samne kya tikoge.

Nischal ki baat sunkar Mohit aur Jawed ek doosre ko dekhne lage. Jawed ne Apne hanth upar hava me uthate huwe kaha.

Jawed- Hey Khuda. Ye Sarita madam to kitni chalak hain. Mohit to Mohit. Unhone to Sir ko bhi nahi chhoda.

Nishchal- (muskurate huwe) Achha ab ye nautanki band karo tum dono. Maine jis kam ke liye tum dono ko bulaya hai wo to sun lo. Maine tum dono ki us galti ko maaf kar diya hai aur uski koi saza nahi de raha hoon, lekin agar is baar tum dono se koi chuk hui to samajh lena main kya karunga tum dono ke sath.

Mohit- Koi gadbad nahi hogi Sir. Is baar ham apne kaam me poori tarah samarpit hokar karenge.

Uske baad Nishchal ne dono se kuchh der tak kisi mudde par baat ki aur Dono ki hidayat dekhar nishcahl waha se chala gaya. Nishchal ke jane ke baad Jawed ne mohit se kaha.

Javed- Chaliye ab Sarkar aur is baar koi gadbad mat kariyega. nahi to Sir khatiya khadi kar denge ham dono ki.

Mohit- (muskurate huwe) Hhhmmmmm. Is baat poori mustaidi ke sath kaam karnege.

Sarita Sam tak PS ke kam me uljhi rahi aur Apna kam khatam karne ke baad Wo Hospital chali gayi aur. Sabhi Bachho ko discharge karwakar Unhe lekar NGO chali gayi. Savi ko Usne pahle hi phone kar diya tha isliye wo NGO me pahle se hi maujood thi. Sabhi Bachhiya NGO pahuchkar bahut khush thi. Akku ki khushi ka thikana nahi tha.

Sabi bachhiyo ko NGO me chhodne ke baad kuchh der tak Savi se baat karne ke baad Raat ke lagbhag 10-10.30 par sarita Apne Quarter ki taraf nikal gayi. Quarter par pahuch kar fresh hone ke baad Sarita ne Apne liye coffee banayi aur Aangan me rakhi kursi par baithkar coffee pine lagi. Tabhi unka phone bajne laga. SArita ne phone dekha to wo Manisha ka phone tha. Sarita ne phone uthaya.

Sarita- Hello Manisha.

Manisha- Hey Didiya. Kaisi ho aap.

Sarita- Main Achhi hoon. tum batao apna.

Manisha- (udas hokar) Thik hi hoon main bhi.

Sarita- Kya huwa Meri Manisha ko. Itna Udaas kyon hai.

Manisha- Kya karu didiya. KHush rahu kya. Ek to tum apna birthday bhi hamare sath nahi mana rahi ho. upar se pooch rahi ho ki main udas kyon hoon.

Sarita- Achha, Isliye meri Manisha Udas hai. Waise tujhe udas hone ki jaroorat nahi hai. maine chhutti ke liye application dal diya hai. Shayad 1 hafte me main ghar aa jaun.

Manisha- Kyaa fayada didiya. Tumhara janamdin to kal hai na. to tum ek hafte baad aakar kya karogi. Rahne do tum aane ke liye.

Sarita- To tumhe kya lagta hai ki main apna janamdin selebarate karne ke liye aa rahi hoon. nahi. mujhe tumhari aur mummy papa ki bahut yaad aati hai isliye main milne ke liye aa rahi hoon.

Manisha- Are Wahh. Tumko to bahut jaldi ham logo ki yaad aa gayi didiya.

Sarita- Achha chup kar Ab. nahi to bahut pitegi mujhse tu.

Manisha- Achha ye sab chhodo didiya. Tumhe yaad hai na ki ham log birthday par kya kya karte hain.

Sarita- Haan meri maa. mujhe sab yaad hai. mujhe aate samay sabki liye gift lekar aana hai. hamare yaha par ulta riwaz hai. Birthday par Gift milta nahi hai balki birthday ke din gift diya jata hai.

Manisha- Wahh Wahhh Inspector Sahiba. Dekha meri sangat me rahkar tumhara dimag kitni tezi se kaam karta hai..

Sarita- Haann dadii amma. Agar abhi tum mere samne hoti to ek kan ke niche lagati to sahi ho jati tum.

Manisha- Kya yaar didiya. Har samay Marne ki hi baate karti rahti ho. jaise lag hi raha tum lady don ho koi inspector nahi ho tum.

Sarita- Achha chal bas kar ab. bahut baate karne lagi ho tum ab. ye sab chhod. ye bata mummy papa sab kaise hain.

Manisha- Sab bahut Achhe hain aur tumko bahut yaad karte hain. kal tumhara janamdin hai to maan tumhe bahut yaad kar rahi hain.

Sarita- Mujhe bhi maa papa ki bahut yaad aati hai. main jaldi hi aati hoon maan papa se milne ke liye.

Manisha- Thik hai didiya. ab main phone rakhti hoon. Raat ko thik 12.00 baje video call karungi. so mat jana tum.

Sarita- Thik hai. main intezaar karungi.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. Abhi wo phone rakhti hi hai ki Achanak se light cut ho gayi. light cut hone ke sath hi kuchh niche girne ki aawaz tannn ki ayi. Jise sunkar Sarita ne man me hi kaha.

Sarita- (Man me) Is light ko bhi abhi jana tha aur ye kya girne ki aawaz aayi. chalkar dekhti hoon.

Yahi sochkar Sarita ne apna mobile kursi par rakh diya aur us taraf chali gayi jis taraf se use aawaz aayi thi. jaise hi wah us kamre ke paas pahuchi tabhi kisi ne use pichhe se daboch liya aur uska hanth pakadkar apni taraf pith ke bal kheech liya. jiske karan wo us sakhs ke sine se pith ke bal chipak gayi. jaise hi us sakhs ne use kheecha wo chillane hi ja rahi thi ki tabhi Us sakhs ne apna hanth aage badhakar unke munh par rakhkar uski cheekh ko daba diya.

Sarita Hast Prad thi ki ye kaun ho sakta hai jo itni raat ko uske kamre me aakar use pakad rakha hai. Sarita use dhakka dene hi wali hoti hai ki wo sakhs Sapna honth Sarita ke kano ke paas lakar dhire se bolta hai.

Sakhs- Aawaz mat karna. Main Nishchal hoon. Mujhe pata chala hai ki 2-3 Log tumhare ghar me ghus chuke hain aur tumhe nuksan pahuchana chahte hain. main apna hanth tumhare munh se hata raha hoon. plz tum chillana bilkul bhi mat nahi to unhe pata chal jayega.

lekin yaha ek Ajeeb baat ye ho gayi ki jab Nishchal apna honth Sarita ke kan ke paas lakar use sab bata raha tha. tab do char shabd bolne ke baad uska honth Sarita ke kan ko touch kar gaya. jiske karan Sarita ek but banker khadi rah gayi. jaise jaise Nishchal Sarita ke kan me bol raha tha. waise waise Sarita ke sharer me ajeeb si sansanahat daudne lagi.

Uske sanso ki chhuwan se Sarita siharne lagi. Sarita ke rongte khade ho gaye Nischal ki garam sanso aur uske hontho ki chhuwan se. Sarita ne bas ‘’Main Nishchal hoon’’ itna hi suna. uske baad to Sarita alag hi duniya me pahuch gayi. Nishchal ne Apna Hanht uske munh se hata liya tha, parnatu uska ek hanth abhi bhi Sarita ke pet par tha. munh se hanth hatne ke baad bhi Sarita abhi bhi but bani khadi thi, Use dekhkar Nishchal ne kaha.

Nischal- Tum thik to ho na Miss joshi.

Lekin Sarita ko koi hosh nahi tha ki wah kya bol raha hai. ye dekhkar Nischal ne apna hanth uske pet se hataya aur dono hanth uske kandhe par rakhkar use jhakjhorte huwe bola.

Nishchal- Sarita . tum thik to ho na. tum sun rahi ho jo maine tumse kaha.

Sarita (Neend se jagte huwe) haa……… Aaa….. Aaap itni Raat ko yahaa kyaa kar rahe hain.

Nishchal- (fusfusate huwe) Dheere bolo Sarita. maine abhi tumse jo kuchh bhi kaha wo tumhe sunai nahi diya kya.

Sarita- (chillakar) Main kyon dhire bolu. ye mera ghar hai. aap itni raat ko mere ghar me kya kar rahe hain. mujhe aapki niyat par shak ho raha hai.

Nishchal- (fusfusakar) Tum Kuchh bhhiii………….

Abhi Nishchal ne itna hi kaha tha ki light aa gayi. light aane ke baad Sarita aur Nishchal ne dekha ki Samne do Aadmi khade the. jinme se ek ke hath me gun thi aur doosre ke hanth me danda tha. Sarita aur Nishchal kahi bahar bhag bhi nahi sakte the. Kyonki Darwze ke samne wo dono Aadmi khade the. pichhe ki taraf deewar thi. Ab dono poori taraf se kamre me fans chuke the. Nishchal ne apne sir Pit-te huwe kaha.

Nischal- Tumne meri baat na man-ne ki kasam kha rakh hai kya. kabhi to meri baat maan liya karo. ab bhugto.

sarita ko kuchh samajh nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai. use to bas yahi dikh raha tha ki wo do aadmi uske samne hanth me gun aur danda liye khade huse hain. Tabhi Sarita ko apni sthiti ka bhan huwa to wo Nischal ka hath apne Kandhe se hataya aur us-se alag khadi hote huwe boli.

Sarita- Kaun ho tum log. tum log yaha kya kar rahe ho. aur tumhari himmat kaise hui mere ghar me ghusne ki. tumhe pata hai ki tum kiske ghar me ghuse ho.

pahla aadmi- Hamko pata hai ki ham kiske ghar me ghuse hain. maine to socha tha ki tu bhag gayi hogi, lekin yaha to tum dono ka romance chal raha hai. jise shayad ham dono ne disturb kar diya hai, lekin koi nahi tum dono chinta mat karo. tum dono apna romance upar jakar kar continue rakhna. ab tum dono marne ke liye taiyar ho jao. hamare paas jyada samay nahi hai.

itna kahkar wo aadmi apne doosre sathi ko dekhkar hansne laga.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Sarita ne shant baithne ka socha hai. Shayad ye uske liye sahi fhaisla ho sakta hai aur nehi bhi. Ye do admi kaun hai jo sarita ke room par aaya hai.

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,231
49,440
259
Sarita ne shant baithne ka socha hai. Shayad ye uske liye sahi fhaisla ho sakta hai aur nehi bhi. Ye do admi kaun hai jo sarita ke room par aaya hai.

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
धन्यवाद आपका महोदय।

सरिता शांत बैठने वालों में से नहीं है।
पल भर में उसका मूड बदल जाता है।
आगे खुद ही पता चल जाएगा कि वो दो आदमी कौन हैं।
साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: Destiny and parkas
Top