• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,514
259
Wah kya Baat Hai kahani ke Pehle ansh mai hi itna drama hogaya aur sath hi sath bohut sare sawal bhi Maan mai jag gaye kahani ko lekar ki kyu ek behen ne apne hi bhai par goli chalayi aur kaha chala gaya tha uska bhai jisko ye log khoj rahe they?
Dekhte hai kahani mai aur kitne rang dekhne ko milega abhi to start kiya hai padhna but itne hi bhagh se pata chal gaya ki isey padhne mai bohut maza ayega.
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय।।
कहानी में जो भी सस्पेन्स और ड्रामा है वो कहानी के साथ साथ आपको पता चलता जाएगा।
आपकी अगली प्रतिक्रिया का शिद्दत से प्रतीक्षा रहेगी।

साथ बने रहिए।।
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,514
259
Behtareen update,
Kya hoga jab nishchal Sarita ka driver banke Sarita se milega.
धन्यवाद आपका महोदय।।
अब ये तो आने वाले समय मे पता चलेगा।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,514
259
Yeh dono behne apas m lagi huwi h aas paas kon h yeh pata hi nahi kia zaberdast jodi h dono behno ki
Ab dekhna yeh h jab nishchal aayega or Sarita ko jab pata chalega ki Nishchal ko uski bahen uska driver bana dia tab dekhte sabka kaisa Reaction hota h
Lajawab mazedaar update Mahi ji
धन्यवाद आपका महोदय,
ये तो दोनों बहनों का प्यार है एक दूसरे के लिए। तभी तो दोनों अपना प्यार जता रही हैं।।
अब ये तो आने वाले कुछ भागों में पता चल ही जाएगा कि क्या होने वाला है।

साथ बने रहिए।।
 
  • Like
Reactions: parkas

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,514
259
गुजरते वक्त के साथ आप की लेखनी में गजब का निखार आ रहा है माही जी ! चार अपडेट्स पढ़ा और चारों अपडेट्स ने मुझे काफी आश्चर्यचकित कर दिया । हर घटना रीडर्स को बांध कर रखने में कामयाब रहा । कहीं से भी बोरियत महसूस नहीं हुई ।
सरिता और निश्छल का जब जब एक दूसरे से आमना-सामना हुआ और उनके दौरान खट्टी मीठी झड़प हुई तब तब हमारे चेहरे पर मुस्कान आ गया । कन्वर्सेशन और हालात का अद्भुत अपडेट था
🙏🙏🙏🙏👋👋👋👋👏👏👏👏
अगर ऐसा कुछ है तो ये मेरे लिए बहुत खुशी की बात है कि मेरी तरफ से जो मेहनत की गई है वो सफल साबित हो रही है।।
सरिता और निश्चल के बीच ये प्यार भरी नोंक झोंक आगे भी चलती रहेगी।।
सिर्फ चौथी स्टोरी में आपने एक प्रोफेशनल राइटर्स की तरह लिखना शुरू कर दिया । आप की इस उपलब्धि पर मुझे गर्व होता है । एक ऐसी लड़की जिसने ज्यादा नोवेल न पढ़ा है , को इतना बेहतर लिखते देख बहुत ही खुशी हो रही है ।
ये तो आपका बड़प्पन है महोदय जो आप मुझे इतना मान दे रहे हैं। बाकी अभी हम अपने आपको उस काबिल नहीं समझते। मेरी कोशिश बस इतनी कि कहानी पाठकों को पसंद आए।
एक पुलिस इंस्पेक्टर अपने एरिया का सबसे बड़ा सरकार द्वारा अधिकृत बाॅस " गुंडा " होता है । कोई आई पी एस भी उसका मुकाबला नहीं कर सकता । कोई गुंडा मवाली उससे पार नहीं सकता । वो बहुत कुछ कर सकता है । और यह पुलिस डिपार्टमेंट के सारे अफसर जानते हैं । इस पर बहुत सारे उपन्यास और किताबें लिखी जा चुकी है ।
उसी पावर का सही इस्तेमाल कर रही है हमारी प्रिय सरिता जोशी । वो लड़की है तो स्वाभाविक है त्रिया चरित्र तो प्रदर्शित करेगी ही ।
आपकी बात बिल्कुल सही है महोदय।
अगर एक पुलिसवाला चाहे तो क्या नहीं कर सकता है। अगर वो अपने पर आ जाये तो बड़े से बड़ा गुंडा उसके कदमों पर अपनी नाक रगड़ेगा।। ये भले कहा जाता है कि कानून के हाथ बहुत लंबे होते है लेकिन कुछ ऊंची पहुच वाले उनके हाथ बांध देते हैं। लेकिन सरिता किसी की बात ही नहीं मान रही है और अपना काम किये जा रही है। जिसके कारण उसके ऊपर मुसीबत बढ़ती जा रही है।।
निश्छल का किरदार भी बहुत बढ़िया ढला है आपने । एक केयरिंग और इंटेलिजेंट आफिसर का । सरिता से प्रभावित तो शर्तिया हो गया है वो और शायद आगे चलकर दोनों पति-पत्नी भी बन जाएं पर साली साहिबा भी पटाखा ही पाने वाला है ।
दोनों आगे चलकर पति पत्नी तो बनेंगे ही, लेकिन उसके पहले दोनों के बीच की जो कमेस्ट्री बनेगी वो बहुत लाजवाब होने वाली है। निश्चल का सरिता के प्रति लगाव जाहिर हो चुका है। जिसमे उसकी मदद साली साहिबा ही करने वाली हैं।।
काश , मैं आप की स्टोरी के प्रत्येक अपडेट पर रेभो दे सकता ! पर , चाहकर भी नहीं कर सकता । दिन भर में दो चार कहानी पढ़ना और उस पर लम्बे चौड़े रेभो देने में ही समय निकल जाता है । इसके अलावा खुद का भी काम करना होता है ।
कोई बात नहीं संजू जी।।
समय का पूरा सदुपयोग व्यक्तिगत जीवन में पहले करना चाहिए, उसके अगर समय मिले तो कहीं और।। बस आप ऐसे ही 3-4 भाग बाद अपनी खूबसूरत टिप्पणी दे दिया करिए, वही बहुत है कहानी के लिए।।
यह तो आप भी जानती है कि रोमांस थ्रीड पर रीडर्स की संख्या नगण्य के बराबर होती है । बड़े बड़े राइटर्स के साथ भी ऐसा ही होता है। आप यह मान कर चलना कि लिखना आप का पैशन है । फैंटेसी है । हाॅबी है ।
बाकी सब अपने आप ठीक हो जाएगा ।
सही है महोदय। कम पाठक ही आते हैं लेकीनूनकी टिप्पणी सही होती है। हम उनपर अपनी बात कह सकते हैं। पिछली कहानी में आपने भी देखा होगा कि आई पाठक कैसी कैसी टिप्पणी करते थे जिसके जवाब देना बहुत मुश्किल होता था। तरह तरह के सवाल करते थे हमसे। एक दो का जवाब भी तो अपने भी दिया था।।
रोमांस, सस्पेन्स और थ्रिलर कहानियों में सुकून होता है पढ़ने और लिखने के बाद, उन कहानियों की अपेक्षा।।
पाठक चाहे कितने भी कम या ज्यादा आएं। कहानी पूरी होगी और ऐसे ही चलेगी।।
हमेशा की तरह आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट माही जी ।
जगमग जगमग करता हुआ अपडेट ।
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय इस खूबसूरत समीक्षा के लिए।

साथ बने रहिए।।
 

dhparikh

Well-Known Member
6,787
8,134
173
UPDATE- 34


Nischal Manisha se baat kar ke use station par intezar karne ke liye bol deta hai aur Sarita ke mobile screen par kuchh der dekhne ke baad mobile cut kar cabin se bahar nikal jata hai. Jaise hi Nishchal Sarita ke cabin se bahar nikal kar bahar ki taraf jata hai thik usi wakt Sarita Rawat Sir ke cabin se bahar nikal kar aati hai. Usne Nischal ko apne cabin se nikalte huwe dekha aur man me sochne lagi.


Sarita- (man me) Ye hitlar mere cabin me kya kar raha tha. Janhavi se poochkar dekhti hoon.


Yahi sochkar wo Janhavi ke paas jati hai jo apne kam me busy thi. Sarita ko dekhte hi wo apni chair se khadi ho jati hai. Sarita ne use baithne ka ishara karte huwe poochha.


Sarita- Sir Mere cabin me kya kar rahe the Janhavi.

Janhavi- Pata nahi madam, shayad apka intezar kar rahe the. abhi wo Mohit Sir ke sath kahi par nikal gaye.

Sarita- Achha Thik hai fir.

Janhavi- waise aapko kuchh kaam tha kya Sir se.

Sarita- Nahi to, aisi koi baat nahi hai. maine to bas unhe apne cabin se nikalte huwe dekha, isliye tumse poocha maine.


Itna kahkar Sarita apne cabin me chali jati hai. udhar Mohit ko lekar Nishchal PS se bahar aata hai aur use kuchh jaroori disha nidesh dete huwe kahi bhej deta hai aur khud gadi lekar Station chala jata hai Manisha aur uske mummy papa ko lene ke liye.


lagbhag 20-25 minute me hi wo Station par pahuch jata hai aur Manisha ko phone karta hai. manisha ne phone uthaya aur kaha.


Manisha- Hello.

Nishchal- Ji main Station par aa gaya hoon Aap log kaha par hain.

Manisha- Achha Driver bol rahe ho tum. main station ke bahar main gate se aa rahi hoon. tum waha par aa jao.

Nishchal- (man me) Are yaar is ladki ne to mujhe sach me driver bana diya hai.


Manisha ki baat sunkar Nishchal Main gate par pahuch jata hai aur apne sir par cap lagakar Manisha ka intezar karne lagta hai. thodi der baad manisha aur uske mummy papa uski gadi ke paas aaye. Nishchal ne aage badhkar Aanand jj aur Raani ji ke pair chuwe to unhone Nishchal ko jeete raho beta bolkar aashirwad diya.


Saman gadi me rakhne ke baad Nishchal driving sheet par baith gaya. Manisha bhi aa kar uske aage wali sheet par baith gayi. Aanand ji aur Rani ji ke baithne ke baad Nishchal ne apni cap utari aur gadi start karke aage badha di.


Nishchal ke cap utarne ke baad Manisha use gaur se dekhne lagi aur pahchan-ne ki koshish karne lagi. Aur Nishchal se boli.


Manisha- Mujhe aisa kyon Lag raha hai ki maine aapko kahin dekhaa hai.


Manisha ki baat sunkar Nishchal man hi man sochane laga ki isne jaroor mujhe Sarita se baazar me thappad khate hue dekhaa hoga. Kahin ise ye baat yaad na aa jaye aur jaise ye hai usase to lagta hai ki ye kisi ke samne ye baat bol bhi degi, isliye Nishchal ne jhooth bolte huwe kaha.


Nishchal- Ji nahin ham pahli baar mil rahe hain..


Niahchal ki baat sunkar Manisha apne gaal par apni ungli rakhkar sochne lagi. thodi der baad wo Nishchal ko pahchan gayi. Usne Nishchal se kaha.


Manisha- Are tum to wahi ho na Jisko meri didiya ne thappad mara tha market mein.


Uski baat sunkar Nishchal ne apna sir pit liya. Jisase wo bachne ki koshish kar raha tha. Usi baat ko manisha ne bol diya. usne socha ki abhi itni beijjati kya kam thi jo apne mummy papa ke samne aur beijjati kar rahi hain. Manisha ki baat sunkar Aanand ji ne kaha.


Aanand- Ye kya bol rahi ho manisha. Aaise kisi ko apmanit nahi kiya jata beti. chalo mafi mango inse.

Nishchal- Nahi uncle. uski jaroorat nahi hai. main wahi hoon. jise tumhari didiya ne thappad mara tha.

Manisha- Mujhe pata tha ki didiya ko apni galti ka pachhtava jaroor hoga. maine bhi diidiya ko kaha tha ki unhone aapko thappad marker galat kiya. usme aapki galti nahi thi. lekin didiya ko baad me aakhir realize ho hi gaya. Isiliye didiya ne apni galti realize hote hi aapko naukari par rakh liya aur apna driver bana liya.


Nishchal- (man me) Had hai yaar. Miss joshi ne to aaj tak sorry ka ek shabd nahi bola aur ye apni bahan ka bakhan kiye ja rahi hai. ye ladki to apni bahan se jyada tez hai. Miss joshi ne to nahi lekin isne mujhe apna driver jaroor bana liya hai.


Nishchal- Haan aapne sahi kaha. aise hi huwa tha.

Manisha- Dekha main na kahti thi. Meri didiya duniya ki best didiya hai. I Am proud of You Didiya.


Isi tarah Manisha Sare Raste bak bak karti rahi. Nishchal ne gadi apne ghar par ja kar roki aur Phone karke Savita ko bahar aane ke liye kaha. thodi der baad Savita ghar se bahar aayi. Nishchal ne Savita ko un logo se thoda door lejakar usase kaha.


Nischal- Di . ye Sarita ke mummy papa aur Uski bahan hain. aap inhe andar le jaiye. main ja raha hoon. baad me aaunga. Aaj Sarita ka janamdin hai. ye log Uska janamdin Celebrate karne ke liye aaye hain. inhe abhi mere bare me kuchh mat batana.

Savi- Kya sach me aaj Sarita ka janamdin hai. Lekin usne to mujhe kuchh nahi bataya. aur ye log tujhe kaha mil gaye.


Savita ke poochne par Nishchal ne use Sabkuchh bata diya. Jise sun-ne ke baad Savita ki hansi nikal gayi. Savita ne hanste huwe kaha.


Savi- Nishu. tu to Sarita ko lady don bolta hai na. Lekin Uski bahan to Usase bhi jyada khatarnak hai. isne to tumhe Sarita ka driver bana diya. tu ise kya bolega.

Nishchal- Main ja raha hoon. baad me aata hoon main.


Nishchal ne Savita ki baato ko darkinar karte huwe jane ko bolkar gadi wapas lekar chala gaya. Nischal ke jane ke baad Savita ne jakar Sarita ke mummy papa ke pair chhukar aashirwad liya aur Unse kaha.


Savita- Aaiye Uncle, Aunty andar chaliye.

Manisha- Aap kaun hai. meri didiya to yaha par nahi rahti to driver ne hamko yaha par kyon chhoda.

Savi- Main Savita. Sarita ki dost. AB sari baate yahi karni hai ya ghar ke andar chalein.


Itna kahkar Savita ne Naukar ko bulakar unka saman andar rakhne ke liye bol diya aur sabko liwakar ghar ke andar chali gayi. ghar ke andar jane ke baad Sarita ne Unhe hall me baithakar naukar ko pani lane ka bolkar ek kone me jakar Sarita ko phone kiya. Sarita us samay Apne cabin me baithkar kaam kar rahi thi. Phone Receive karne ke baad Sarita ne kaha.


Sarita- Hello di. kaisi hain aap.

Savi- Main to thik hoon Sarita. lekin Mujhe tumse aisi ummeed nahi thi.

Sarita- Kya Huwa di. sab thik to hai na. maine kya kiya di. jo aap mujhse aise baat kar rahi hain.

Savi- to aur kaise baat karun main tumse. Itni badi baat ho gayi aur tumne mujhe batana bhi jaroori nahi samjha. main itni parayi ho gai hoon tumhare liye.

Sarita- (tension me aakar) Aakhir baat kya hai di. Aap aise kyon bol rahi hain. Jo bhi baat hai Saf saf bataiye na.

Savi- Aaj tumhara janamdin hai na. tumne ye baat mujhe batana jaroori nahi samjha. Mujhe doosro se pata chal raha hai ki aaj tumhara janamdin hai.

Sarita- (muskurate huwe) Kya di itni chhoti si baat ke liye aapne mujhe dara hi diya tha. Mujhe galti ho gayi di. mujhe tanik bhi yaad nahi raha aapko batana.

Savi- wo to mujhe Nishu ne bataya nahi to mujhe pata hi nahi chalta ki aaj tumhara janamdin hai. Nishu bata raha tha ki aaj subah tum NGO bhi gayi thi aur waha apna janamdin bhi manaya.

Sarita- Haan di. wo is baar main ghar se door hoon, aur yaha par mera koi hai nahi to maine socha ki is baar bachho ke sath hi apna janamdin mana loon.

Savi- Ye kya bol rahi ho tum. ek thappad padega to akal thikane aa jayegi tumhari. Kya main kuch nahi hoon tumhari. Kya tum bas munh se hi mujhe di kahti ho. dil se mujhe apni di nahi manti. Kya main tumhare liye parayi hoon jo tum bol rahi ho ki tumhara yaha koi nahi hai.

Sarita- Are nahi di. mere kahne ka wo matlab naahi tha.

Savi- To aur kya matlab tha tumhare kahne ka. tum yahi to kahna chahti ho ki main kuchh bhi nahi hoon tumhare liye.

Sarita- Nahi di. aap mujhe galat samajh rahi hain. Is anjane shahar mein ek aap hi to hain. jinse meri mulakat hui hain aur maine socha bhi nahi tha ki itne kam samay me aap mere liye itni khas ban jayengi. aaj mera janamdin hai aur aap mujhe thappad marne ke liye bol rahi hain.

Savi- Aur nahi to kya. Ye thappad hi meri taraf se tumhare liye janamdin ka tohfa hoga.

Sarita- Aap jo bhi tohfa dengi wo mujhe dil se kubul hoga di.

Savi- Tumhe tohfa aur bomb dono milega tumhare janamdin par Sarita.

Sarita- Sach me di. sorry di. aapko na bata pane ke liye.

Savi- Ab maffi to tumhe tabhi milegi, jab tum ghar aaogi warna bhol jao ki main tumhe maff karungi.

Sarita- Ye kya baat hui di. aapne to mujhe musibat me daal diya hai. main aaj nahi aa paungi di. main kal aati hoon aapke paas.

Savi- Aaj matlab Aaj. agar aaj nahi aayi to fir kabhi mat aana mere paas.

Sarita- Are di. maine to NGO jane ka plan banaya tha. bachho ke sath apna janamdin manane ke liye.

Savi- Mujhe kuchh nahi sun-na. tum waha subah to gayi thi na. to sham ko jane ki kya jaroorat hai.

Sarita- wo to thik hai di. lekin maine unko bola tha ki main sham ko unse milne jaroor aaungi

Savi- Achha. to apna waha jane ka plaan cancle karo . kyonki aaj sham ko tum mere ghar par aa rahi ho. iske aage mujhe tumhari ha ya na nahi sun-ni hai. main tumhe batane ke liye phone nahi kiya hai , aane ke liye phone kiya hai. to tum sham ko aa rahi ho matlab aa rahi ho. tumhare liye ek surprise hai.

Sarita- Sach me di. Kya surprise hai di. batao na.

Savi- Surprize hai bhai. Agar abhi bata diya to wo surprise kaise rahega phir. wo to tumhe tabhi pata chalega jab tum sham ko ghar aaogi. achha ab main rakh rahi hoon. sham ko tumhara intezar karungi.


Itna kahkar Savita ne phone rakh diya aur Sabke sath aakar baith gayi aur baate karne lagi. idhar phone rakhne ke baad Sarita man hi man sochne lagi.


Sarita- (man me) Kya yaar. ye di ne to mujhe fansa hi diya. ab to mujhe jana hi padega di ke yaha. nahi to wo mujhse naraz ho jayengi.


Sarita PS me baithi sham tak kaam me busy rahti hai. sara kam niptakar wo PS se nikal jati hai aur apne kamre par jane ka sochti hai. fir pata nahi kuchh sochkar Savita ke ghar ki taraf nikal jati hai. jaise hi wo ghar ke andar dakhil hone lagti hai to gate keeper Sarita ko rok deta hai.


Gate keeper- Are kaha ghusi ja rahi ho.

Sarita- Are kaka main Hoon Sarita. aapne mujhe pahchana nahhi kyaa. mujhe Savita di ne bulaya hai

Gate keeper- Aap abhi rukiye. pahale main Savita bitiya se pooch leta hoon. uske baad aap andar jaiyega.

Sarita- Thik hai Kaka. aap di se baat kar lijiye. tab tak main yahi intezar kar rahi hoon.


Sarita ki baat sunkar gate keeper ne Savita ke paas phone lagaya aur use Sarita ke bare me bata diya. Savita ne 5 Minute baad Sarita ko bhejne ke liye kaha. phone rakhne ke baad gate keeper ne Sarita se kaha.


Gate keeper- Savita bitiya ne aapko 5 minute baad andar aane ke liye kaha hai,

Sarita- (man me) Ye kya ho gaya hai aaj sabko. ye mujhe jane nahi de rahe hain aur di mujhe 5 minute baad andar bula rahi hain, lagta hai di mujhe naraz hain jo maine unhe apne janamdin ke bare me nahi bataya. mujhe sabse pahle di ki narazgi door karni hogi.


5 Minute baad gate keeper ne Sarita ko andar bhej diya. Sarita jab ghar ke andar jati hai to poore ghar me andhera tha. Sarita Lobby se hi Savita ko aawaz deti hai.


Sarita- Savita di. kaha hain aap. di kuchh to boliye di. aap aise to naraz mat hoiye mujhse.


Tabhi Ghar ki light on hoti hai aur Sabhi ek sath chillate huwe bolte hain.


Sabhi- Baar Baar din ye aaye. baar baar dil ye gaye. tum jiyo hazaron sal ye meri hai aarju. happy baithday to you. happy baithday to you. happy baithday dear Sarita. happy birthday to you.


Sarita ki aankhe Aashcharya se fati ki fati rah gayi jab usne samne Aanand ji, Rani ji aur Manisha ko dekha to. unke sath Raghav aur Savita bhi khadi thi. Sarita ko to pata bhi nahi tha ki Uske mummy papa aur Manisha uska janamdin Celebrate karne ke liye aa rahe hain aur wo Savita ke yahan par use milenge.


Apne mummy papa aur Manisha ko dekhkar Sarita ki aankho me aanshu aa gaye. Itne din baad wo apni aankho ke samne wo unhe dekh rahi thi. wo doudkar apni maa ke gale lipat gayi aur rone lagi. Rani ji ne uski pith par thapki dete huwe kaha.


Rani ji- Are meri bachhi. tum ro kyon rahi ho. ye to khushi ka mauka hai. chalo ab chup ho jao.


Rani jii ki baat sunkar Sarita ne apne aanshu saf kiye aur unse alag hokar apne papa ke panv chhune ke liye jhuki to Aanand ne uska hanth bich me pakadkar apne gale laga liya aur kaha.


Aanand ji- Kaisi hai meri bachhi. tu thik to hai na.

Sarita- Haa papa main bilkul thik hoon.


Tabhi Manisha ne kkhoo khooo ki aawaz nikal kar apna gala saf karne ki acting karte huwe kaha.


Manisha- Are koi hamko bhi pooch le. ham bhi yahi par hain.


Manisha ke aisa bolne par Sarita apne papa se alag hui aur manisha se jakar mili aur poocha.


Sarita- Aap logo ne mujhe kyon nahi bataya ki aap log aa rahe hain.


Manisha- Are bhai. Surprize nam ki bhi koi cheez hoti hai. Uska naam to suna hi hoga. ye wahi hai.


Manisha ki baat sunkar sab hansne lage. Sarita ne Manisha ke sir par halki si chapat lagai aur kaskar usko apne gala laga liya. Abhi bhi sarita ke man me bahut sare sawal chal rahe the. use abhi bhi ye samajh me nahi aa raha tha ki uske mummy papa aur manisha bina use bataye yaha kaise aa gaye. Sarita ne apne man me chal rahe sawalo ko Savita ke samne khol kar rakh diya.


Sarita- ek baat mujhe samajh me nahi aati ki aap log yaha par aaye kaise. kaun lekar aaya aapko yaha par. mera matlab hai ki maine to Savi di ko apne janamdin ke bare me kuchhh bataya bhi nahi tha aur sabse badi baat aap logo me se kisi ko di ke ghar ka address bhi pata nahi tha. to phir ye sab huwa kaise.

Savi- Are thoda sabar to karo. tumhe sab ka jawab mil jayega. pahle tum jao fresh ho jao. mujhe lag raha hai ki tum sidhi PS se hi yaha aa gayi ho. tum jakar apni uniform badal lo.

Sarita- main kamre par gayi thi aur waha se yaha aa gayi. mujhe nahi pata tha ki yaha par aisa kuchh hoga. nahi to main uniform badal kar hi aati. aapne bhi mujhe kuchh nahi batya iske bare me.

Manisha- Are Didiya. baat to tum aise kar rahi ho jaise didi ke bata dene par to tum aati hi. maine hi didi ko mana kiya tha ki aapko kuchh na bataye. aakhir aapko surprise jo dena tha. waise kapade ki chinta aap bilkul na kare di. main apne sath lekar aayi hoon..

Sarita- Kyaa. Itni door se tum kapde lekar aai hoo.

Manisha- Haan jaise ham landon me rahte hain na. Are yaar Inko inspector kisne bana diya. aisa karo didiya. kal hi resigne dekar tum vakeel ban jao . bahut sawal jawab karti ho. main to pak jati hoon tumhare sawalo se. apna yah durlabh talent tum apne clint ke case me lagana. tum pakka har case jeetogi. pata nahi kitne sawal karti ho. tumhare sawalo ka jawab to judge ke paas bhi nahi milega.

Sarita- Achha ab jyada mat bol aur ye bata ki kaun se kapde lekar aayi hai mere liye.

Manisha- Wo gown tumhe yaad hai didiya. jo main tumhe yaha aate samay lane ke liye bola tha. ki ise apne paas rakh lo kisi parti me pahan-ne ke liye kaam aayenge. use hi lekar aayi hoon. Mummy to bol rahi thi ki koi doosra naya kapda khareedne ko, lekin maine hi mana kar diya mummy ko ki didiya ke liye gown hi lekar chalenge.

Sarita- haan pata hai mujhe tu jalbhun kar raakh ho gayi hogi. jab mummy ne mere liye naye kapde khareedne ke liye kaha hoga, tu nahi chahti thi ki mere paas tumse jyada kapde ho.

Manisha- Kyaa baat hai didiya. tumhare dimag to yaha bhi bilkul sahi kam kar raha hai. maine socha tha ki apradhi ko pakadte pakadte tumhare dimag ka dahi ho gaya hoga. lekin ab lagta hai ki main galat thi.

Sarita- Mera dimag to pahle bhi sahi kaam karta tha aur ab bhi sahi kam karta hai, lekin tumhare dimag par mujhe pahle bhi shak tha aur abhi bhi shak hai ki usme lagi hui jang abhi tak saaf hui bhi hai ya abhi bhi lagi hui hai. kabhi kabhi use istemal bhi kar liya karo.


dono bahane apne me hi lagi hui thi. Dono ek doosre se pichhe nahi rahcha chahti thi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update...
 

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,514
259
UPDATE- 35


Dono bahane apne me hi lagi hui thi. unki baat badhte dekh Rani ji na kaha.


Raani ji- Dekha na main na bol rahi thi ki ye bhale hi waha par udas rahti ho, lekin jaise hi dono milengi. billiyon ki tarah ladna shuru kar dengi ab bas bhi karo tum dono. kabhi to apni bakbak band kar diya karo.


Savi- Isi tarah Sarita Nishu se bhi ladti rahti hai.

Manisha- Ab ye nishu kaun hai.

Savi- Mera bhai hai Nishu.

Manisha- Lekin naam se lag raha hai ki Nishu aapki bahan hai.


Manisha ki baat sunkar ek baar fir se sabhi hansne lage. hansi rukne par raghav ne kaha


Raghav- Bas kariye di aap aaj inka janamdin hai aur aap log aaj bhi inki khichaai karne par tule huwe hain.

Manisha- Achha Ji. agar aap nahi batate to hame pata hi nahi chalta. Hame to abhi pata chal raha hai ki Aaj meri didiya ka janamdin hai.


Manisha ki baat sunkar Raghav Jhenp jata hai aur apni garden jhuka leta hai, jabki manisha ki baat sunkar sabhi muskurane lagte hain. ye dekhkar Sarita kahti hai.


Sarita- Manisha ab tum mere hantho maar khaogi.

Savi- Maar to tum bhi mere hatho kha sakti ho Sarita. Sidhi to tum bhi nahi ho.

Sarita- Achha bas bas. Aap logo ka bas chale to pata nahi kya karo mere sath.

Manisha- Haan didiya. tum sahi kah rahi ho, lekin dikkat ye hai ki Inka bas nahi truck chalta hai.


Manisha ki baat sunkar ek baar fir se sabhi hansne lagte hain. Sarita bura sa munh banakar Manisha se kahti hai.


Sarita- Aakhir aa hi gayi apane ghatiya aur sade huwe joks lekar tum.

Manisha- Haan aa gayi main. aapko koi dikkat hai kyaa.

Savi- Achha ab bahut huwa. tum log bas bhi karo. chalo ab sab log shant ho jaiye aur Sarita tum jakar taiyar ho jao. balcony se lagkar jo doosra room hai wo mera hai. tum usi me chali jao aur taiyar ho jao.

Sarita- Thik hai di. Chal manisha tu mere sath.

Manisha- wo to mujhe chalna hi padega. nahi to pata nahi tum aise taiyar hokar yaha aao ki tumhe dekhkar hi log dar jayein.


Itna kahkar Manisha ne Savita ko tali de di. jise dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Are waahh kya baat hai. abhi thik se jan pahchan ke kuchh hi ghante huwe hain aur aapne party badal li di. waise aapki jankari ke liye bata doon ki baad me aaapke kaam main hi aaungi ye nahi.

Manisha- (naak sikodte huwe) Aapko nahi lag raha hai ki kahi se jalne ki gandh aa rahi hai didi.

Savi- Jalne wale ko jalne do Manisha.


Savita ki baat sunkar Manisha hanste huwe upar kamre me chali jati hain. Kamre me jakar Sarita taiyar hone lagti hai aur Manisha Sarita ko taiyar karwane lagti hai.


Manisha- Dekho didiya. Apne baal khule rakhna. tum par bahut achha lagega. ye nahi ki roj jo sada sa juda bana leti ho wo banane lag jao.

Sarita- lekin Manisha. khule balo se mujhe pareshani hoti hai

Manisha- jab main taiyaar kara rahi hoon aapko to meri baat mano didiya. tum bahut pyaari lagogi khule balo mein.

Sarita- Thik hai meri maa. jaisa tum kaho. waise ye batao ki tum yaha par pahuchi kaise.

Manisha- Are yaar didiya. tumhari problem kya hai. mujhe lagta hai ki tumhe ham sabko yaha dekhkar jyada khushi nahi hui. tumhe ye jankar jyada khushi hogi ki ham log yaha pahuche kaise. Are yaar. pahle tum taiyaar to ho jao, baad me tumhe pata chal hi jayega. achha tum kapde set karo tab tak main iske set nikal deti hoon.

Sarita- Nahi manisha. itna bahut hai. main jyada kuchh nahi pahnungi.

Manisha- Jyada kuchh nahi hai didiya. bas earing hai aur kuchh nahi.


abhi manisha ne itna hi kaha tha ki tabhi door nock hota hai. aur raghav ki aawaz sunai padti hai.


Raghav- Manisha ji. aapko di bula rahi hain.

Manisha- Aap chaliye main aati hoon.

Raghav- di ne kaha hai ki bahut jaroori kaam hai unhe aapse.

Manisha- (chidhkar) Are yaar bol to rahi hoon na ki aa rahi hoon. aap chalo.

Sarita- Manisha. ye kya tarika hai baat karne ka unse. jao jaldi aur jaldi hi aana.


Sarita ki baat sunkar Manisha niche chali jati hai. Manisha ke jane ke baad Sarita darwaza lock nahi karti hai apna kapda aur earing pahan-ne lagti hai.


Tabhi Nishchal bhi ghar aa jata hai aur wo andar na aakar bahar bani hui sidhiyo se upar aata hai aur kamre ka darwaza kholta hai. darwaza khulne ki aawaz sunkar Sarita ko laga ki Manisha aa gayi hai.


Wahi Nishchal kamre me ek ladki ko dekhkar samajh nahi pata ki wo kaun hai Kyonki darwaze ki taraf Sarita ki pith thi. Nishchal ne upar aate samay Sarita ke gharwalo ke bolne ki aawaz niche suni thi to wo soch raha tha ki sab niche hi hain. jaise hi wo usase poochhna chahta hai waise hi Sarita bhol padti hai.


Sarita- (bina mude) Manisha dekho to ye chain mujhse nahi band ho rahi hai. mera hath thik se pichhe nahi pahuch raha hai.


Sarita ki aawaz sunkar Nishchal use pahchan gaya. Ab use samajh me nahi aa raha tha ki wo kya kare. koi jawab na pakar Sarita fir se kahti hai.


Sarita- Kya kar rahi ho manisha. Jaldi se chain band karo to niche chalte hain.


Sarita itna bolkar Apne balo ko pichhe se samet kar aage ki taraf kar leti hai. Jiske karan uski pith nangi dikhne lagti hai. halanki Sarita ne jo gown pahna tha wo deep back ka nahi tha, lekin fir bhi thoda bahut tha jisase uski chikni pith Nishchal ke samne numaya ho rahi thi.


Nishchal ne jab Uski pith ki halki si jhalak dekhi to uske panv jaha the. wahi par jam ho gaye the. Usne kuchh pal Sarita ki pith dekhne ke baad apni nazare pher li. Abhi tak manisha ka koi jawab na milne ke karan Sarita ghoom jati hai. Sarita jaise ghoomti hai wo Nishchal ko samne khada pati hai.


Yahan ek ghatna ye ghati ki jis samay Sarita pichhe ki taraf ghoomti hai usi samay Nishchal bhi Sarita ki taraf dekhta hai. dono ki najarein aapas me milti hain. Nishchal se najar milte hi Sarita jor se chillane wali hoti hai ki tabhi Nishchal duadkar uske paas pahuchta hai aur uske munh par apna hanth rakhkar use chup karata hai aur use deewar se sata deta hai aur bolta hai.


Nischal- Pagal ho kya tum. marwaogi kya. sab niche hall me baithe huwe hain. tumhari aawaz sunkar upar aa jayenge. tumhe aur mujhe ek kamre me dekhkar pata nahi kya sochenge. so please main apna hanth hata raha hoon. aawaz bilkul bhi mat karna.


Nishchal ke aise aakar uske munh par hanth rakhne aur uski ek banh pakad kar use deewar se satate Samay Nishchal ke sparsh se Sarita sharer mein jhurjhuri hone lagti hai. wo bas ek tuk Nishchal ki aankho me dekhne lagti hai aur usme kho jati hai. Nishchal kya bol raha hai use kuchh sunai nahi pad raha tha. Sarita ki taraf se koi jawab na pakar Nishchal ne Sarita ko jhinjhodte huwe kaha.


Nishchal- tum sun rahi ho na main kya kah raha hoon. chillana mat. main hanth hata raha hoon.


Nishchal ke jhinjhodne se Sarita vartman me wapas aayi aur apna sir haan me hilaya to nishchal ne apna hath uske munh se hata liya. Munh se hath hatne ke baad Sarita ne kaha.


Sarita- aaappp… aap yahaa kya kar rahe hain.

Nishchal- Yahi to main tumhse jan-na chahta hoon ki tum mere kamre me kya kar rahi ho. agar tumhe kapde change karna tha to tum di ke room me chali jati.

Sarita- Kyaa… ye aapka room haiii. Lekin di ne to bola tha ki balcony se laga huwa doosra room di ka hai. main usme chali jaun.

Nishchal- Haan di ne sahi kaha tha. balcony se laga huwa doosra room, lekin balcony se laga huwa ye room mera hai aur balcony se laga huwa udhar wala room di ka hai. to di ne us wale room ke bare me kaha tha.

Sarita- Ohhhhh.. Sorry. mujhe nahi pata tha ki ye aapka room hai. main jati hoon dii ke room me taiyar hone ke liye.


Itna kahkar Sarita apna saman sametane lagti hai to Nishchal usase kahta hai.


Nishchal- Nahi Sarita Uski koi jaroorat nahi hai. tum yahi par taiyar ho jao. main niche ja raha hoon.

Sarita- Nahi. aap yahi rahiye. main di ke kamre me ja rahi hoon.


Itna kahkar Sarita apna saman samet kar jane lagti hai . Jaise hi Sarita Nishchal ko cross karke aage badhti hai. Nishchal uski kalai pakad leta hai aur ek halka sa jhatka dekhar apni taraf kheech leta hai. jiske karan Sarita Nishchal ke sine se ja lagi.


Sarita Nishchal ki aankho me dekhne lagi aur Nishchal Sarita ki aankho me dekhne lagta hai. dono ek doosre ki aankho me dekh kar fir se kho jate hain. Kuchh der aise hi ek doosre ki aankho me khoye rahne ke baad Nishchal hosh me aata hai aur Sarita se kahta hai.


Nishchal- tumhe ek baar me samajh nahi aata kya. jab main kah raha hoon ki tum yahi par change kar lo main niche jar aha hooon to meri baat kyon nahi manti tum. tumne meri baat na man-ne ki koi kasam wasam kha rahi hai kya.

Sarita- Mera hanth chhodiye. main aaj ke din aapko thappad marker koi tamasha nahi khada karna chahti.

Nishchal- Tumhe to bas ek hi kaam aata hai mujhe thappad marna. mere gaal ko tumhe mandir ka ghanta samajh rakha hai kya ki tumhara jab man karega tum baja kar chali jaogi. nahi chhodta main tumhara hanth. tum chaho to mujhe thappad mar sakti ho.

Sarita- Please Sir. mera hanth chhod dijiye. mujhe dard ho raha hai.


Sarita ke munh se dard sunkar Nishchal uska hath chhod deta hai. lekin abhi bhi dono bahut kareeb khade huwe the. tabhi Manisha kamre me dakhil hoti hai aur bolti hai.


Manisha- Kya didiya. ABhi tak tum taiy…………….


Aage ke shabd uske munh mein ho rah gaye jab Manisha Nishchal ko kamre me dekha. Wo use ghoorti hui bolti hai.


Manisha- Ae Driver tum kamre me kya kar rahe ho. tumhe pata bhi hai ki didiya kapde badal rahi hai. tum yaha kyon aaye. tumhare irade mujhe thik nahi lag rahe hain. ruko main abhi sabko bulati hoon.


Sarita Manisha ke munh se Nishchal ko Driver kahkar sambodhit karne par chauk jati hai aur Sawaliya najaron se Nishchal ko dekhne lagti hai. Sarita apne man me sochti hai ki ye Nishchal ko driver kyon kah rahi hai. Aakhir chakkar kya hai. Ye hitlar bhi Manisha ki baat sunkar kuchh nahi bol raha hai.


wahi itna kahkar Manisha kamre se jane ke liye mudti hai to Sarita daudkar uska hanth pakad leti hai aur bolti hai.


Sarita- Aisa kuchh bhi nahi hain Manisha jaisa tum samajh rahi ho.

Manisha- Dekho didiya tum bilkul bhi mat daro. mujhe pata hai ki ye tumhara driver hai. lekin iski ye himakat ki ye tumhare sath galat karne ki koshish kare. main ise aise chhodne wali nahi hoon.


Manisha ki baat sunkar Nishchal jor jor se hansne lagta hai. Jisase Manisha chhidkar Nishchal se kahti hai.


Manisha- Ae Driver. Tum kyon apne colgate se ghis ghis kar chamkaye huwe danto ki numaish kar rahe hain. kya maine tumhe koi chutkula sunaya kya. bade dheeth Aadmi ho tum to. main yaha sabko bulane ki baat kar rahi hoon aur tum pagalo ki tarah jor jor se hase ja rahe ho.

Nishchal- hansu nahi to aur kya karu. abhi tumne jo kuchh kaha hai na. wo kisi chutkule se kam nahi hai. Miss Joshi Ko dar lag raha hai. hahahaha. Dar aur wo bhi Miss joshi ko. kabhi nahi. Miss joshi ko dekhkar to dar ko bhi dar lagne lagta hai. hahahahahahaaa.

Sarita- Rahne do Manisha. ye to inka roj ka kam hai. Inhe aise daure hamesha padte rahte hain. Inhe ignore karo aur chalo ham doosre kamre me chalte hain.


Manisha- Aap is driver ko inhe kahkar kyon baat kar rahi hain. Maana ki aap sabko samman deti hain. Lekin isne to Samman dene wala koi kaam kiya nahin hai. Aur doosre kamre me kyon jayenge ham. Jayega to ye driver yaha se.

Sarita- Manisha ye mere driver nahi hain. Ye mere Boss hain. Nishchal Singh Rathod. main inhi ke undar me kaam karti hoon. ye Savita di ke chhote bhai Nishu hain aur ye room inhin ka hai.


Sarita ki baat sunkar Manisha haran rah gayi. Kyonki Nishchal ko driver samajhkar Manisha ne kuchh jyada hi rude bartav kiya tha. dhamki bhi de di thi. Usne Savita se Nishchal ke bare me thoda bhut suna tha. manisha ne hairani ke sath Sarita se kaha.


Manisha- Kya. Ye aap kya bol rahi hain didiya. ye to aapke driver hain. Inhone hi to mujhe bataya tha.


Manisha ki baat Sunkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Maine kab kaha ki main Miss joshi ka driver hoon. tumne hi meri baat nahi suni aur mujhe apni di ka driver bana diya. to maine bhi socha ki ek din driver banker bhi dekh leta hoon.

Manisha- Mujhe maaf kar dijiye. jane anjane agar mujhse koi galti ho gayi ho to.

Nishchal- Are koi baat nahi. thoda bahut to chalta hi rahta hai.

Manisha- Matlab aap wahi hain jinhone……..


Nishchal Manisha ki baat poori hone se pahle hi Sir na me hilakar use mana karta hai aur kahta hai.


Nishchal- Aap dono bhi jakar taiyar ho jaiye nahi to abhi di ka bulawa aa jayega.


Nishchal ki baat sunkar Sarita aur Manisha doosre kamre me chali jati hain aur taiyar hone lagti hain. Sarita ko taiyar karke Manisha Sarita ko niche jane ke liye bolti hai to Sarita kahti hai.


Sarita- Tum bhi chalo na sath me. tum yaha baith kar kya karogi.

Manisha- Tum chalo na didiya. main ye sab samet kar aati hoon.


Manisha ki baat sunkar Sarita Niche chali jati hai. Sab Saman sametane ke baad Manisha bhi bahar jane lagti hai. Phir kuchh soch kar Nischal ke room ki taraf jati hai. Manisha Uske room ka darwaza khatkhatati hai. To Nishchal ki aawaz aati hai.


Nishchal- Darwaza khula hai. Andar aa jaiye.


Nishchal ki baat sunkar Manisha kamre me aakar darwaza band kar leti hai aur Nishchal se kahti hai.


Manisha- sorry. Mujhe maaf kar dijiye aap. Maine aapse ache se baat nahi ki mujhe nahi pata tha ki aap Savita didi ke bhaai hain. Maine bahut kuchh ulta siddha bol diya tha aapko. Phone par bhi maine aapko dhamki de di. Aapko driver bola. Uske liye maaf kar dijiye.

Nishchal- Are Koi baat nahi. Aise wakiye ho jate hain kabhi kabhi. Waise mujhe bhi is wakiye me bahut maza aaya.

Manisha- (chahakte huwe) Waise mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki jab main didiya ko bata rahi thi to aapne mujhe mana kyon kiya ki aapne hi ham logo ko yaha bulaya hai didiya ke birthday me shamil hone ke liye. Unko surprize dene ke liye.

Nishchal- tum nahi samjhogi. Meri aur uski bilkul bhi nahi banti. 36 ka aankda hai ham dono ke bich. Agar use pata chal gaya ki maine hi tum logo ko yaha bulaya hai to wo chidh jayegi aur isase bhi sada surprise ham sabko de degi.


Manisha- (shatir nigaho se dekhte huwe) Achha. Banti nahi hai aapki didiya se. fir bhi usko itni badi Khushi de di aapne.

Nishchal- Matlab. Tum kahna kya chahti ho.

Manisha- Aapko nahi pata ki didiya mummy papa ko kitna pyaar karti hai. Unki to jaan basti hai mummy papa mein. Unhe is tarah se achhanak yahan dekhakar wo bahut khush hain.

Nishchal- Chalo Achha hi hai. Kam se kam use Khushi to mili kisi cheez se. fir bhi mera naam galti se bhi mat lena nahi to uski Khushi gusse me badalte der nahi lagegi. Itna din baad to wo khush dikh rahi hai. Nahi to lady don bani firti rahti hai. Jangali billi.

Manisha- (Hanste huwe) Yes boss. Waise didiya ke upar ye naam bahut shut kar raha hai. Lady don. Jangali billi.


Manisha ki baat sunkar Nishchal hansne laga aur bola.


Nishchal- Ek baat bolu tumse.

Manisha- Yes boss. Kahiye.

Nishchal- wo kya hai ki mujhe aisa lagta hai ki tum apni bahan se kuchh jyada hi samajhdar ho.

Manisha- (khush hokar) Dhanyawaad Boss. Mujhe ye sunkar bahut Khushi hui. Kam se kam kisi ne to meri kabiliyat ko pahchana. Nahi to didiya hamesha kahti hai ki main kisi kaam ki nahi hoon.


Itna kahkar Manisha hansne lagti hai Uske sath me Nishchal bhi hansne lagta hai. Hanste huwe nishchal ne kaha.


Nishchal- Aaj se main tumhe chhote miya bulaunga. Chalega na.

Manisha- chalega nahi daudega. Aur main aapko aaj se boss bulaungi. Chalega na.

Nishchal- (hanskar) Chalega nahi daudega.


Nishchal ki baat sunkar Manisha hansne lagi sath me Nishchal bhi hansne laga. Tabhi Savita ki aawaz aati hai jo unhe niche bula rahi thi. Dono hanste huwe niche aata hain.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Top