• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI Treasure ~~ "The Invisible Hunt" {Completed}

Does Anyone read Sci-fi Treasure Story ? (Is Yes, discuss on this thread)


  • Total voters
    71

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
3.5 Saal se kahani ki tayari kar raha tha, Pichla platform chhuta to kabhi likhne ke barre mein socha nahi par jab kahani ka plot bana aur corona ka asar dunia mein badha to zindagi ki bhag daudh se kuch rahat mili aur mene is kahani ko sabke bich lane ka faisla kiya. Ek aisa chetra tha jisme mene abhi tak koi kahani nahi likhi thi aur ye meri lekhan ki ek akhri script aur genre hai jise mein kosish karunga ki ache se likh sakun. Umeed karunga kuch purane sathi yahan milenge aur kuch naye judhenge.

Story PDF LINK Below :

 
Last edited:
303
826
93
Vikrant bada thrki nikla last tak dimag ka dahi kr ke thark dikha hi diya 17 bar treasure ke pichhe bhaga mila kya baba ji ka thullu. 17 bar se ye vi Neelam ki trah har bar kisi ke sath kand kar ke pida hua hoga yhi sab backchodi krne ke liy mila ghanta story se yhi pta chla sab moh maya he apna kam kro or nikal lo
Story jhakaash tha aise hi likhte rho bhai entertainment vi jaruri he.
 

chintu222

Sab Moh Maya Hai
3,171
6,204
158
Vikrant bada thrki nikla last tak dimag ka dahi kr ke thark dikha hi diya 17 bar treasure ke pichhe bhaga mila kya baba ji ka thullu. 17 bar se ye vi Neelam ki trah har bar kisi ke sath kand kar ke pida hua hoga yhi sab backchodi krne ke liy mila ghanta story se yhi pta chla sab moh maya he apna kam kro or nikal lo
Story jhakaash tha aise hi likhte rho bhai entertainment vi jaruri he.
Aapne sahe pakda hai bhai :approve: Sab moh maya hai ye...ye Treasure mein kuch na rakha :sigh:
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Vikrant bada thrki nikla last tak dimag ka dahi kr ke thark dikha hi diya 17 bar treasure ke pichhe bhaga mila kya baba ji ka thullu. 17 bar se ye vi Neelam ki trah har bar kisi ke sath kand kar ke pida hua hoga yhi sab backchodi krne ke liy mila ghanta story se yhi pta chla sab moh maya he apna kam kro or nikal lo
Story jhakaash tha aise hi likhte rho bhai entertainment vi jaruri he.

Thank you bhai :bow:
Bhai dimag ka bhajipao to hona hi tha :redface:
Han samjh sakta hun man kheej jata hai ki wtf kya hua tha ye abhi :D

Keep reading bro :cheers:
 
  • Like
Reactions: chintu222 and Naina
182
245
43
:haha: abhi pilai mein uski pilai ho jati :D
Han bas bhai jaldi hi vapsi hogi, is scene mein koi kami nhi rakhni thi ki aage lage ki jaldi dikha diya isliye 2 update jada lunga lekin tassali se dikha kar hi aage baadunga...
Keep reading... shukriya bhai :hug:
7th May k baad aaj aya hu story dekhne.... ? Webseries itne dekh dale lockdown me... Pata hi nhi chala story b aage badh chuki hai... Ab to waise b slow slow chalegi story keju chacha ne offices ko shayad kuch riyat de di ho kaam pe jane ki... aap kaam pe jane lage ho Ya nhi b di hogi to company wale kaha apane ko chhodenge... aaj ya kal padhunga sab updates milan b mara ja rha h uski story b baki hai padhne ... ??? Till then I love webseries more than Stories... ???
Armaan's dialogue in modified way... ???
 
182
245
43
Agli subah pandey ke sath raat wala officer khada tha aur sarre kaidi unhi ki taraf khade the. Pandey ne darwaje ke piche jhanka to vahan use dekh kar pata chal gaya ki shelf tut kar gate ke piche gira pada hai.

" kaise gira ye ? " pandey gusse mein bola.

" pata nahi sahab, kal raat apne aap gir gaya "

" bhumanp aya tha kya kal betichod jo apne aap gir gaya " uski awaz gunji.

" vo chuhe sahab, chuhe bahut hai na jane kab se kaat rahe honge isliye gir gaya " officer sochte hue bola.

" madarchod aaj tak to kabhi kuch gira nahi, ab iska nuksan mere sar padega aur gali padegi vo alag " pandey bol kar chup hua ki uski nazar kunde par gayi. " ab ye kaise tuta ? "

" pata nahi sahab "

" ise bhi chuhe ne kutra hoga bhosdi walle bol de " pandey chillaya.

" ho sakta hai sahab kal raat ka dabab gate par pada aur kunda nikal gaya itna purana jo hai " vo darte hue jawab de raha tha.

" purana to tu bhi hai madarchod tu kyun nahi gir jata " zameen par thukte hue bola " gand lag jayegi meri sala " vo soch raha tha ki akshad bol pada.

" mei theek kar sakta hun agar apki izazt ho to uske baad tala laga dena pata hi nahi chalega bas kuch auzar ki jarurat padegi " kaidyun ke bich mein se akshad bola.

" han taki tu us auzar se mera katal kar de haina ? "

" mei kunde ki nahi library ki baat kar raha hun. Kunda to theek ho hi jayega pandeyji " akshad ki baat sahi thi. Pandey sochne laga, kunda to vo khud apne samne theek karwa lega lekin andar jo kand hua hai uske liye andar ka hi admi chahie tha taki kisi ko bhanak na lage ki library usne bina kisi izazt ke khulwaya hai.

" theek hai lekin yaad rahe char din hai tere pas uske baad inspection ke liye bade afsar ayenge, use pehle ho jana chahie " pandey ki baat par hami bharte hue akshad apne cell mein chala gaya. Thodi der baad pandey uske cell ke samne aa kahda hua.

" ek baat bata tu itni mehnat kyun kar raha hai "

" mei apki nahi apni kar raha hun " akshad ne uski ankhon mein dekhte hue kaha.

" matlab ? "

" padne ka shauk raha hai aur itihas mera favorite hai "

" tum bade log kitne madarjat hote ho, dunia ke liye vo kya kehte hain ... jane de jo bhi hai hai aur pith piche ye drugs ka dhanda, apni chinnal ko bhi bechta hai kya?" vo muskurate hue bola. Akshad ek pal use dekhta raha phir apni jagah par baith gaya.

" dhande mein sab chinnal hote hain pandeyji "

" hmm, akele kar lega ye kaam tu ? " uska ishara andar tha.

" jab kisi ki jarurat hogi to bata dunga " pandey ek pal use dekhta raha phir wahan se nikal gaya. Dophar ka khana kar akshad ne khane ki plate apne kapdon ke niche fansai aur library ki taraf badha. Gate kafi kam khul raha tha lekin vo usme se kisi tarah ghus gaya. Shelf bilkul usi tarah giri hui thi jaisa use andaza tha. Vo deewar se satte hue bachte bachate nikal kar shelf ke samne jaa khada hua aur giri hui shelf ko dekhne laga, kitabein bikhar kar felh gayi thi.

Samay kam bacha tha isliye usne step by step kaam shuru kiya. Panch se che books ko ek ke uppar ek rakha aur utha kar kamre ke dusre chor yani ant mein deewar ke samne rakhne laga. Takreeban do ghante bhar ki mehnat ke baad usne deewar ke sahare shelf ki kafi books laga di. Jiske baad zameen par shelf girne se jo tuti hui lakdi padi thi unhe vahan rakhna shuru kiya jis raste se vo abhi andar ghusa tha. Itna karne ke baad usne ek lakdi aur kuch keel uthai jo lakdi tutne par usme se nikal gayi thi aur piche aa gaya. Deewar ke kone par usne L shape mein books ka ek bankar bana liya aur uske andar baithte sath usne deewar par ek keel rakh kar uspar lakdi ka fatta de mara. Books se jo usne bankar banaya tha uska bas yahi fayda tha ki vo jo bhi shor karega uski awaz uske andar dab jaye aur bahar tak na pahunche.

Keel deewar mein ched karte hue ghus gayi, akshad ne phir dubara mara phir vo thodi andar gayi lekin phir vo ruk gayi. Usne kafi kosish ki lekin vo nahi gayi. Usne dusri keel li aur is baar vahan thoka jis jagah chuhon ne ched banaya hua tha theek uski hi sidh mein lekin niche ki taraf aur is baar keel ghusne lagi aur puri ghus gayi. Ye sahi jagah thi todne ki usne lakdi ka fatta vapis rakha aur plate uthai. Is baar shor jada hona tha. Usne plate ka kona deewar par de mara aur jise uski parat halki si tut kar giri aur mitti jhadne lagi. Jaisi umeed thi yahan se deewar kamjor hai, vo ek pal ruka aur jo usne shor kiya tha uska jayza lene laga lekin koi halchal nahi hui. Ek baar usne uppar ki taraf dekha jahan se vo us paar dekhna chahta tha lekin vo kaam mumkin nahi tha kyun ki uski unchai kafi jada thi.

Usne wahan se dhayan hataya aur plate deewar par de mari, ek pal vo ruka aur phir jayza lene laga. Vo deewar par kiye jane har hamle ke baad ruk raha tha, ye kaam sabse jada savdhani wala tha kyun ki zara sa bhi shak uske sarre khel ko kharab kar sakta tha. Takreeban char se panch ghante vo vahan yahi kaam karta raha bich-bich mein officer gate par se chillata aur akshad hath mein books lekar use rakhne ki acting karte hue jawab de deta.

Usne deewar ki uppar parat kafi hadh tak utar di thi. Uske hath thakne lage the lekin vo phir bhi ruka nahi tha. Ek dafa apne hath dekhte hue vo ruka, uspar alag-alag jagah se cut padh chuka tha phir dhayan hata kar deewar todne laga aur eka ek use lakdiyun par kisi ke per padne ki awaz sunai di jo usne shelf ke piche bekhairi thi aur isliye hi bikhairi thi taki koi aye to use pata chal jaye. Vo fauran apni jagah se khada hua, plate vapis kapdon ke piche dali aur apna banaya bunker kharab karke use deewar ke sahare lagana shuru kar diya. Vo kadam uske kareeb pahunchte ise pehle usne deewar ke aage books laga kar cover kar diya.

" mehnat to tu bahut kar raha hai " awaz pandey ki thi jise sun akshad samajh gaya. " lekin kitabein baad mein bhi padh sakta hai " Akshad book ke dher ke uppar ek kitab rakh kar padh raha tha.

" apko pata hai angrezo ne hindustan par itne lambe arse tak raaz kaise kiya ? " usne ghum kar sawal kiya.

" unke tatton ko sone ki khusbu jo mil gayi thi " vo hans pada.

" kyun ki unhe pata tha hindustaniyun ki jebein kaise garam karni hai " akshad ka jawab tha ya tanna ek pal pandey use dekhta raha lekin bola kuch nahi.

" ye yahan kya kar raha hai ? " akshad ne uski nazron ka picha kiya to vo lakdi ka fatta wahin pada tha. Ek pal akshad use dekhta raha " chuhe sahab chuhe, unhe bhagane ke liye rakha hai " use ab man mein chinta satane lagi ki kahin pandey uppar na dekh le. Isliye vo fatta utha kar khud wahan se chal diya. Pandey wahan khada reh kar ek pal idhar udhar dekhta hua nazrein uppar uthane hi wala tha ki akshad ki awaz ne uska dhayan uski taraf ghuma dia.

" ek pencil milegi " pandey akshad ke pass aya.

" itni mehnat kar raha hai kuch to jugad iska bhi kar hi dunga, jaldi khatam ho jana chahie " bol kar pandey wahan se nikal gaya. Akshad ne gehri sans khinchi use ye samajh aa gaya ki uska dhayan bahar ki taraf bhi hona chahie varna koi na koi idhar aa hi dhamkega aur agar har baar usne mujhe ek hi jahag par dekha to gadbad ho jayegi. Usne samay ka andaza nahi lag paa raha tha isliye dikkat ho rahi thi, vo deewar ko bahar se chil kar ento tak to pahunch gaya tha par ab use thodi dikkat hone lagi thi. Use apni plate ka bhi pura dhayan rakhna tha kyun ki agar uski shape bigadti to dikat ho jati isliye bich bich mein vo mug se nikala handle usko istemal karte hue khodne laga jise uska kaam ban raha tha.

Kafi der tak kaam karne ke baad jab use laga ki uska time pura hone wala hai to vo fauran vahan se nikla, mitti bahut jada ho gayi thi jise usne apne pairon se ek jagah ikhata kiya aur vahan book rakhni shuru kar di aur agle das minute mein bilkul waisa kar diya jaisa vahan kuch hua na ho. Usne apne hath saaf kiye aur bahar ane se pehle tuti lakdi ki mithi haathon par lagali taki bahar kis ko shak na ho. Vo bahar nikla sabne uski taraf dekha lekin usne kisi ki taraf ankh nahi uthai. Vo bas apna hath jhadta hua apne cell mein pahuncha, apne hath muh ko dhoya jo pasine aur lakdi ki mitti se sanne hue the aur mauka dekhte hue plate nikal kar takiye ke niche dal di jise vo khane se pehle dhone wala tha kyun ki us waqt sab line mein lage hote hain aur dhayan kam jata hai.

Theek aath baje light band hui par akshad apne cell use pehle hi so chuka tha. Agle din phir usne wahi kiya lekin aaj savdhani rakh kar, vo bich bich mein enton ko todta aur uth kar apna kaam bhi karta isliye kal ke mukable aaj kaam ki gatti dhimi thi. Uske pas samay kam tha lekin savdhani rakhna behad jaruri thi isliye aaj ke din mein ek bhi ent nikal nahi payi thi. Dusra din khatam ho chuka tha ab sirf do din reh gaye the.

Tisre din vo adhi ent tod chuka tha lekin uske aage ek aur samsya aa khadi hui thi, mitti itni jada ho gayi thi ki use ab chupana mushkil tha jiske liye use ek tarkib nikalni thi. Vo shelf ke pass kahda book khojne laga aur kuch der ki mehnat ke baad kitab mil hi gayi jaisi use chahie thi. Purane jamane mein kai kitab aisi hoti thi jiske andar se agar panne hata diye jaye to use ek gathhe ka khali box banya jaa sakta tha. Vo ek dharmik kitab thi, usne ek pal ishwar se mafi mangi aur ant mein uske panne faad kar bahar nikal diye. Par usne panne aise fadde taki uski lekhan kharab na ho isliye usne alag-alag hisson mein un kagaz ko kai books ke niche daba diya. Usne book ka cover uthaya jo bahar se hi kafi majbut aur bhari tha aur mitti ko usme bharna shuru kar diya aur bahar nikalne se pehle usne adhi ent tak tod diya tha. Vo usi routine ke sath bahar nikla aur roz ki tarah hath muh dho kar khane ke baad liat gaya.

Raat ko sote waqt vo bas itna hi soch raha tha ki uske pas ab sirf ek hi din bacha haia jiske baad use dubara mauka nahi milne wala tha. Kal ka din uske liye behad eham din hone wala tha aur har haal mein use apna kaam pura karna tha.

Ent par plate se thokte thokte ab to plate ke charon taraf ki shape badal chuki thi lekin usne aaj parwah nahi ki aur marta raha aur tabhi ent tut kar piche gir gayi. Akshad ki mehnat safal ho gayi, jaisa usne socha tha vaisa hi hua. Vo vahan se piche dekhne laga par andhera jada tha isliye samajh nahi aya. Ab use baki ki itni ent hatani thi ki vo andar asani se ghus sake. Ek ent nikalte hi baki kamjor ho gayi jisme use jada mehnat nahi karni padi aur vo jaldi hi tod kar bikhar gayi jiske baad uske samne ek choti si jagah ban gayi jahan se nikal kar us paar jaya jaa sakta tha. Usne tuti hui entein dusri jagah faink di aur baki ki mitti utha kar book mein bhar kar banaye hue ched ke aage book laga di jaisa vo roz karta tha. Usne book uthai jisme mitti bhari thi aur jahan se shelf ka payan tuta tha wahan lakar rakh di. Ab akhri kaam karna tha, shelf se sari book vo hata kar piche rakh chuka tha ab ye shelf sidhi karwani thi jiske liye use bahar se madad chahie thi. Usne ek patli kitab apne kapdon ke andar fansayi aur phir bahar awaz lagai.

" pandeyji do admi bhej do to ye uthwa de " akshad ki awaz sun pandey ne apne do hawaldaron ko bhej diya vo kisi aur ko bhej kar tamasha nahi karna chahta tha. Vo dono hawaldar andar aye aur akshad ki madad karne lage. Teeno ne mil kar shelf uthai aur use uthate hue khada kar diya, jiske khade hote hi vo sidhi khadi ho gayi. Pandey usi waqt andar aya.

" wah bhai.. kaam to tune chokas kiya hai, par ye khadi kaise hui, iska payan to tut gaya tha "

" jarurat ki chizen yahin hai usi ki istemal kiya " akshad ne ishara se dikhaya. Jahan par shelf ka paya hona chahie tha vahan usne vo kitab rakh di thi jisme usne mitti bhari thi.

" dimag to hai tere mein lekin yahan ki kitabein, unka kya hua "

" vo ache se piche rakh di hai aap chahe to dekh sakte hain " akshad ne jaan kar kaha kyun ki vo janta tha pandey ka jawab kya hoga.

" jane de tera kaam sahi hi kiya hoga, phir bhi hawaldar jakar tu dekh aa sab sahi hai ya nahi " akshad ko is baat ki umid nahi thi aur vo hawaldar ko vahan se jata dekhta raha.

" oye.. " pandey ne teen-char awaz lagane ke baad akshad ko hosh aya " thodi der pehle karke deta to iski kundi theek karwata ab kal subah karwani padegi " itne mein hawaldar vapis aa gaya. Akshad ne uski taraf nazar ki vo shant khada tha. " bol bhi ab " pandey bol pada.

" ji theek hai sahab sab " akshad ne sunte hi rahat bhari sans li aur vo iske aage bina kuch sune vahan se nikal gaya. Cell mein ghus kar hath muh dhone ke baad vo apni plate nikalne laga aur tabhi piche se pandey ki awaz ayi aur use apni galti ka ehsas hua.

" kya kar raha hai ? " pandey bhanp chuka tha. Akshad ghum kar uski taraf dekhne laga " hath bahar nikal " pandey ek dum chaukna hua. Akshad ne ek pal use dekha aur phir hath bahar nikala, uske hath mein kitab dekh pandey muskura diya. " ye le " usne ek pencil penki " ise kaam chal jayega " akshad ne hami bhari aur pandey chala gaya. Akshad ne uske jatte hi book ke sath plate bhi takiye ke niche khiska di jiske baad raat mein pehra dene wala officer mere cell ke bahar aa khada hua.

" kaam to tune sahi kiya, varna pandey sahab meri laga dete "

" farz tha mera " akshad bas itna hi bola.

" tujhe kuch batana hai jo mei pandey se sun kar aya hun "

" kya "

" usko bolna mat ki mene bataya hai "

" bilkul nahi "

" mei janta hun tu kya de raha hai use "

" kaho to apko " akshad ne bolna cha par usne bich mein rok diya.

" jarurat nahi, vaise bhi in sab mamlon mein fasne ka nahi mere ko "

" to kya baat suni ? " akshad mudde par aya.

" pandey keh raha tha ki parso tumhari peshi hai lekin hum log kaidyun ko nahi batate kyun ki yahan se pandey kisi ko janne nahi deta aur vo tujhe to bilkul nahi. Uske liye tu sone ki chidiya hai isliye teri file mein maar-peet ka ilzam laga kar teri peshi khariz karwa dega "

" hmm " akshad is baat ko pehle se janta tha ki pandey jaisa harami kabhi use nikalne nahi dega, vaise bhi vo is chiz ki tayari kar chuka tha " apke liye kuch hai, light band karte waqt ana " akshad ki baat sun kar vo vahan se chala gaya.

Uske jatte hi akshad ne pandey ki di hui pencil uthai aur use mug ke handle se chillne laga aur kuch hi der mein uski led bahar nikal di. Led ko usne zameen par rakha aur pees kar uska chura kar diya aur bachi hui pencil ko pot ke andar dal diya. Ab bas raat ke khane ka intezar tha jo kuch hi der mein aa gaya. Akshad ne khana liya, khana dalte hue ek ki nazar uski plate par gayi jo kafi kharab dikh rahi thi lekin vo kuch nahi bola. Khana lekar akshad cell mein aya aur khane mein apni pisi hui led mila kar khana khane laga, bich-bich mein ubkai ati lekin use kisi tarah khana hi tha.

Time hote hi sabhi ke cell par officer tala lagane laga lekin akshad ke cell par tala lagane se pehle usne light band ki aur phir akshad ke pas aya. Akshad use dekhte hi khada hua.

" ab bol kya dena tha tujhe " tala lagane ke liye usne kunda dala. Akshad ne turant patli book nikal kar uske aage kar di. " ye kya hai ? " kunda chhod vo hairnai mein use dekhta hua bola.

" jawani hai isme, itihas ki " vo fusfusate hue bola " vo bhi angrezi. Ye sun kar officer use dekhta raha, akshad ko laga ki vo shayad lega nahi par agle hi pal usne use pakad liya. " subah hone se pehle de jana kisi ko nahi pata chalega, apne liye laya tha lekin pandey ki baat bata kar jo ehsan kiya uske liye ye to choti si baat hai vaise bhi aur bhi hai andar roz lakar dunga, lena raat mein maze kab tak hum haramiyun ke chehre dekhoge " officer muskuraya aur bina kuch bole kitab lekar vahan se chala gaya bina salkhon par tala lagaye. Akshad uske jatte hi vahan lait gaya aur sochne laga.

Insan ki kamjori aur uski takat sab samne tabhi ati hai jab usko uske hi mayajal mein fansaya jaye. Vikrant sahi kehta tha hum insan vahi dekhte hain jo dikhaya jata hai. Sochte hue usne ankhein band ki lekin vo soya nahi aur kuch der baad jab sab so gaye tab usne apni ankhein kholi aur sanate ko mehsus karte hue khada ho gaya. Usne apni salakhon ki kundi kholi aur bahar nikal kar dabe paun library ki taraf badha jiska darwaja pehle se hi halka khula tha usne halka sa khola aur andar ghus gaya.
Kadak update hariya bhai... Maja aa gya .. ap ne update likhne me bahut jada dimag lagaya h... Har ek chij ko bahut hi achchhe se likha h.... Dhanyawad... Akshad ne akhirkar kuch kaam ka kiya... Nhi to wahi shelf deewar chuhe me hi g*nd marwa rha tha ??? lagta h chokre ko ander jane ka rashta mil gya hai... Bc ye pandey b kaidiyo ke liye ye recession period me retention plan ke sath chalta hai..???. Uchh koti k harami hai..?? dekh lena pandey ko ek din bawasir hoga... Hag hag ke marega... ????
 
182
245
43
Akshad behad savdhani se andar ghusa aur dabbe kadam ke sath andar badhne laga, uska dil zoron se dhadak raha tha vo is baat ko janta tha ki ye kaam jitna khatarnak hai utna hi jaruri bhi. Halki si bhi ahat hoti to vo piche ghum kar darwaje ki taraf dekhne lagta. Dabbe panv vo todi hui deewar ke pas aya aur kapdo ke andar se usne torch nikalte hue on karke muh mein daba li. Ek-ek kar usne vahan se book hata kar andar jane ke liye jagah banai aur phir jhuk kar ghasita hua andar ghusa. Andar ghuste hi muda aur kitabon ko usi tarah rakhne laga taki deewar ko jitna ho sake utna kitabon ke piche chupa sake. Jab use laga ki ise jada vo yahan se band nahi kar payega tab vo ghuma aur vapis us kamre mein aa khada hua jiske liye usne itni mehnat ki thi.

Muh se torch nikal kar torch hath mein pakdate hue charon taraf roshni dali. " this is it, yahi hai vo kamra " akshad chat par bani akrityun ko dekhte hue badbadaya aur phir charon taraf dekhne laga. Kamra jada bada nahi tha aur uske deewaron par shelf lagi hui thi jinpar kitabein rakhi gayi thi. Usne pillar par hath lagaya jo theek uske ghuste hi sidhe hath par tha aur aise hi pillar charon konon mein lage hue the. Samay ko jada bekar na karte hue usne shelf se book uthai aur funk karte hue miti jhadi lekin book adhe se jada khai hui thi. Chuhe ne kutari hogi soch kar usne book wahin rakh di. Phir vo kamre ke antim chor par aya aur vahan rakhi kitabon par roshni dalne laga. Mitti ko hath se hatane laga " book to mughlon ke jamane ki hai lekin ye bhi kafi jada kutar di gayi hai " dekhte hue aage badha tab use book ke alawa vo chiz mili jisko vo kab se dhund raha tha " maps " usne shelf se maps uthaye aur use zameen par patkte hue ghutno ke bal baith gaya. Torch ki madad se usne jaise hi map khole uski ankhein hairani mein khul gayi. Ek-ke baad ek map dekhte hue jab koi bhi map aaur dekhna baki na raha to vo bhaukla gaya " ye sab to adhe se jada kutar diye gaye hain " apni jagah se khada hokar usne har kitabon ko dekhna shuru kiya par jadatar kitabein adhi to use kuch kam kutri hui thi aur jo bachi thi vo uske kisi kaam ki nahi thi.

" fuck.. fuck... fuck... what the fuck is this? " chillate hue usne zameen par pade maps par laat de mari " no,no,no,no this can't be right aaaahhhhhh " usne shelf se kitabein girani shuru kar di aur chillata hua kamre ke charon kono mein dekhne laga. " nooooooo fuck fuck fuck " vo chillaya aur ankhein band kar ke ek kone mein baith gaya. Vikrant ki planing uski khud ki mehnat sab ek jhatke mein kharab hoti nazar ane lagi. Jis baat ka dar use pehle se tha yahan kuch na hone ka jiske liye usne itna bada risk liya tha ab vo sab bekar hota hua nazar ane laga. Vo ek pal shant baitha raha phir usne yahan se nikal jane ka fiasla kiya kyun ki agar vo yahan pakda jata to escape planning ke chakar mein use na hone wali saza bhi mil jati. Vo apni jagah se khada hua lekin fauran uske kadam ruk gaye, mano dimag nahi chahta tha ki vo yahan se bahar jaye.

" helo " ek pal shant rehne ke baad vo bola aur ek kadam aage bada " koi hai " ek kadam aur aage badhte hue usne awaz di par uske alawa vahan khamoshi chayi rahi.

" meri awaz " vo thoda zor se bola " gunj nahi rahi yani vo in deewaron mein hi absorb ho rahi hai " Vo sochne laga aur use vikrant ki baat yaad ayi " usne use chupa kar rakha hoga aur hume vo jagah khojni hai iska maltab usne isliye use kamre mein aaur kitabon ke sath nahi rakha kyun ki use dar tha ki bahar rakhe jane par uski kitab ka wahi haal hoga jo abhi in kitabon ka hua hai yani vo humse kitab ko chupana nahi chahta tha balki use bachana chahta tha taki hum use sahi salamat khoj paye" akshad ne samjhte hi apne khojne ka tarika badal diya. Uske pet mein halka dard utha lekin usne nazar-andaz kar diya kyun ki abhi uske pas samay tha.

Sabse pehle usne deewar par hath se thokte hue khojne ki kosish ki taki vo deewar ke piche koi gupt jagah ya rasta jahan map ya kitab chupai jaa sake uske bare mein pata kar sake jiske liye usne sabhi kitabon ko zameen par gira dia lekin use koi safalta hath nahi lagi. Isi khoj mein use ek badi si book mili jiska cover kisi metal se bana hua tha. Akshad ne use utha kar niche rakaha aur uske piche deewar par thokne laga par vahan bhi nirasha hath lagi. Vo samajh raha tha ki kuch to hai jo vo galat kar raha hai, usne mathe se aya pasina pocha aur sochne laga. Kamre ke har kone mein vo dekh chuka tha ab aisi koi bhi chiz nahi bachi thi jahan usne nahi dekha tha. Sochte hue vo kamre ke bichon-bich khada chatt ki taraf dekhne laga. Roshni itni nahi thi ki uspar bani akriti ko samajh sake lekin vo janta tha use kuch madad nahi milne wali thi. Vo usi tarah dekhta raha aur phir uski nazar chat ke charon konon par gayi aur phir ek kone par tikte hue usne dhire-dhire roshni niche ki. Dekhte hue vo phir us taraf aya jahan se vo kamre mein ghusa tha aur apna hath pillar par rakha aur usko hath se thoka. Uski awaz aisi thi mano kisi metal ko bajaya gaya ho.

" agar mujhe koi chiz chupani hoti to mei us kis jagah chupata, jahan vo hardum mere samne ho par phir bhi kisi ko na dikhe. Jo dikhta hai wahi samjha jata hai. Dekhne mein pathar ka pillar hai par asal mein isliye piche to koi aur raaz chupa hai. Vo chiz iske andar hi chupai gayi hai " akshad ne ek gehri sans chhodi aur farsh par padi ent uthai.

Kamre ka shor bahar nahi jata ise sochte hi usne zor se ent pillar ke ek hisse par de mari lekin ent se uspar kuch bhi asar nahi hua balki ent ke tukde ho gaye. Usne dusri ent uthai aur phir tisri aur akhri tak jitni bhi wahan maujud thi sabke sath wesa hi kiya par asar na ke barabar. " isse todne ke liye to kuch bhi nahi hai mere pass " khud se bolte hue vo ghuma aur uski nazar kitab par gayi jiska cover ek majbut metal ki madad se banaya gaya tha. Use apna aujar mil chuka tha. Vo book ke pas gaya aur use khol kar uske bache hue pane fadne laga, kitab kafi moti thi isliye use kuch waqt laga lekin usne kagaz fad kar zameen par bikhair diye. Pasina mathe se pochte hue usne booka ka cover uthaya aur usko ek kone se pakad liya.

" isko kaam karna hi hoga " ek chor se pakde rehne par usne kitab ka dusra chor pillar par de mara. Hamla kafi zor se kiya tha isliye mitti uppar se jhadti hui kuch uske uppar giri aur kuch library ki chatt se bhi jhadne lagi. Akshad ne pillar se kitab hatai aur sabse pehle pillar ko gaur se dekha aur phir kitab ko. " kaam ban raha hai " utsukta mein usne ab ek-ke baad ek pillar par hamle karne chalu rakha aur takreeban das se barah bar marne ke baad use kuch chatkne ki awaz sunai di. Usne turant kitab ko niche rakha aur pillar dekhne laga, crack padh chuka tha. Jiske baad usne zameen par tuti hui ent lekar pillar par de mara aur pillar ka tukda tut kar andar gir gaya. Pillar par ek bada sa ched ho chuka tha, usne torch uthai aur ched se jhankte hue uppar se lekar niche dekhne laga jiske sath use vo mila jise man mein utsah doguna ho gaya. Ek kitab niche rakhi hui thi " got it " usne pillar ko todna shuru kiya aur itna tod diya ki vo andar rakhi kitab bahar nikal sake. Usne fauran kitab bahar nikali aur torch lekar zameen par aa baitha.

" awaz jarur is pillar ke andar hi absorb ho rahi hogi tabhi to metal ke is kavach ko banaya gaya " usne kitab ka cover dekha, sone se gadda hua behad khubsurat cover tha. Kitab kholi jispar tasveer bani hui thi jiske niche naam likha hua tha " Auranjeb " padte hue usne panna palta. Kitab ki lekhan urdu mein thi jiska akshad ko gyan tha. Vo kafi moti thi isliye usne bas nazar marte hue ek-ek kar panne palatne laga. Kitab ke andar auranjeb ne bahut se chaunkane wali baatein likhi thi jise vo bhi vanchit tha. Kitab ko padte waqt kafi waqt guzar chuka tha kaam jaldi bhi karna tha lekin vo kuch miss bhi nahi kar sakta tha kyun ki jo bhi tha vo ab is book mein hi likha tha. Ghutan ke chalte vo bich-bich mein apne pasine ko pochta aur panna palatta akhir kuch der beet jane ke baad usne panna palta aur kitab ka akhri panna bhi aa gaya. " End of part one " akhri line padte hue sochne laga. Kya iske alawa bhi koi part likha gaya hai ? lekin kyun? jab isme hi khazane ke bare mein koi zikar nahi kiya gaya to itna chupa kar kyun rakha gaya? Isme uski personal soch ke alawa kuch likha hi nahi hai. Pareshan, hairan vo baitha sochne laga ek baar phir vo dead-end par khada tha. Usne book band kar di, chehre par ata hua pasina pocha aur jaise use kuch yaad aya.

Usne kitab piche se dubara kholi. Ye kitab ka vo hissa tha jahan akhri panne ke baad jo ek safed panna chhoda jata hai theek usi panne par blkul niche chota sa ek sign bana hua tha.

" ye to wahi nishan hai " Akshad ko gaur se dekhne ke baad samajh aya ki ye wahi nishan hai jo us coin/key par bana tha jise vikrant jail mein laya tha " is book par is nishan ka hona yani us khazane ki sachai " akshad ne mug ka handle nikala aur kitab par rakh kar chala diya. Kagaz bich mein se cut gaya jiske baad usne apni ungli fansa kar dono hisson ko alag kar diya aur uske samne wo chiz aa gayi jiske liye ki gayi itni mehnat ki gayi thi. Vo kagaz ka tukda jo uske piche chupaya hua tha mano usi ka intezar kar raha ho. Akshad ne use kitab ke andar se uthaya aur dekhne laga, uspar kuch bana hua tha jaise koi naksha. Kagaz kafi purana tha par vo sirf uska ek chauthai hissa tha yani abhi teen hisse baki the. Aur utni hi kitab is kamre mein maujud thi. Akshad ki nazar filal dusre pillar par thi, vo janta tha use kya karna hai.

Dusre pillar ko tod kar usne kitab nikali aur sidhe uske antim page par aya " End of part 3 " us pillar se kitab nikli jiske ant par wahi sybmol bana hua tha jise dekh akshad ne wahi kiya jo usne pehli kitab ke sath kiya tha. Usne kitab mein chipe kagaz ko nikal kar pocket mein dal diya. Vo apni jagah se khada hua aur dard mein karhate hue usne apne pet par hath rakh liya. " bas thodi der aaur " khud ko samjhata hua usne tisra pillar todna chalu kiya " End of Part 2 " padte hue usne phir ant ka panna fada aur piche chupe kagaz ke tukde ko nikal kar apni pocket mein dal diya. Ab sirf ek hi pillar bacha tha, use bahut jada pyas lag rahi thi aur vo thak kar ek pal jhuk kar khada ho gaya. Pasina chehre se tapak kar zameen par ikhata hone laga tha. Phir vo sidha kahda hua aur book utha kar chauthe aur akhri pillar ke pas ja kahda hua. Usne kitab ka ek chor pakda aur agla chor pillar par de mara aur phir marta gaya. Uppar se mitti uske sar par aur kamre ke alag-alag hisson mein girne lagi.

" aarrghhhhh " vo phir dard mein chillaya aur usne kitab ko pillar par de mara jise pillar tut gaya lekin dard ki wajah se akshad ne dhayan nahi diya aur marta gaya jiski vajah se ab chot piche pillar ki majbuti par padne laga aur uspar darar padhne lagi. Jab tak use pata chala vo aath se das bar pillar ki deewar par maar chuka tha. Darar kafi badh gayi thi, usne dekha lekin nazar-andaz kar diya. Sansein hadh se jada ukhad gayi thi, hath kanpne lage the kisi tarah usne kitab niche rakhi aur akhri aur chautha panna bhi kitab se nikal kar apne pocket mein rakh liya. Uska kaam ho chuka tha, ise pehle vo chakar kha kar vahin gir jata vo kamre se bahar aa nikla. Bahar akar usne book se deewar dhaki aur dabbe panv vo vapis apne cell ki aur badha. Usne library ka darwaja behad aram se khol kar band kiya aur apne cell mein ghus kar kundi behad aram se laga di.

Cell ke andar ghuste hi vo fisla lekin usne salkhon ko pakad liya, ankhon ke aage dhundla pan ane laga tha. Andar atte hi usne pani se muh hath dhoya aur phir paani pine ke baad kapde jhad kar apni jagah lait gaya. Vo janta tha bas kuch hi samay ki baat hai shayad das se barah minute.

" aaaaaaaahhhhhhhhhhhh-hhhhhhhhhhhhhhhhhhh " achank se chillane ki awaz se vahan sabhi ki nind khul gayi, kursi par baitha officer utha aur bhagta hua cell ke pas aya. Usne torch ki roshni andar dali to akshad zor-zor se pait pakdte hue cheekh raha tha.

" kya hua " officer fauran bola.

" mera pet bahut dard kar raha hai.. aaaaaaaaaaaaahhhhhhhhh aahhhhhhhhhhhhh hota hai, doctor... mujhe doctor ki jarurat hai aahahahhhhh " vo tez-tez cheekh raha tha.

" itni raat doctor kahan se milega "

" mei mar jaunga is dard se aaahahahhahhhhhhhhhhhhhh " uski cheekh officer ko sahi lagi to vo fauran vahan se bhaga. Pehli baar jail ke is samay light jalai gayi thi, adhe se jada kaidi akshad ki taraf dekh rahe the jo is waqt buri tarah chilla raha tha. Takreeban 15 minute baad vo officer kuch admiyun ke sath vapis aya aur vo akshad ko utha kar vahan se le jane lage. Akshad apni dhundli ankhon se bas khud ko yahan se jatta hua mehsus karne laga phir uski ankhein band ho gayi.

Halka-halka hosh aya to ek do se jada awazein uske kano mein padhi, halki ankhein khuli to mehsus hua ki abhi-abhi use palang par laitaya gaya hai aur doctor uska gaal thap-thapa raha hai. Akshad itne dard mein bhi muskura dia kyun ki uski tarkeeb kaam kar gayi thi. Khai hui led ne apna kaam kar diya tha, vo janta tha ki pani pite hi led apna asli kaam karega aur vo ek aisi gas release karega jise uske sharir mein aseem dard uthega jiske liye use doctor ke pas lekar jana hi padega.

Akshad abhi puri tarah se behosh hota ki zameen zoron se hilne lagi " ye kya ho raha hai, earthquake aa raha hai kya ? " doctor use injection lagate hue ruka aur uski nazar khidki se bahar gayi jise dekh hairani mein usne apna chasma utar diya.

Ye bhi jabarjast update bidu... Akshad ne apna kaam pura kiya aur puri planning ke sath kiya... Chokre ko jo chahiye tha wo mil gya lekin ek sawal jo akshad ko mila h kya wo vikrant k ka ayega ? ? Ya aise hi hilata rahega maal log k samne ??? ye sare nakse 4 part me usne collect kiye h wo vikrant ko kaise dega... Dekhte h kab vikrant sahab story me wapas aate hai aur akshad se naksha le ke jate h... Lagta h ye bhukamp wahi library se aa rha h? kahi under k pillar na dhah gye ho...?
 
182
245
43
Akshad abhi puri tarah se behosh hota ki zameen zoron se hilne lagi " ye kya ho raha hai, earthquake aa raha hai kya ? " doctor use injection lagate hue ruka aur uski nazar khidki se bahar gayi jise dekh hairani mein usne apna chasma utar diya.

Pillar mein darar padne ki wajah se vo ab badhne lagi aur darar chat tak pahuch gayi jiske baad pathar ka bada tukda niche gira aur uske girne ke kuch hi palon baad vo pillar bhar-bharata hua tut kar kamre mein gir gaya. Ab uppar ki deewar sirf teen pillar par tiki hui thi lekin jada der ke liye nahi. Chatt se mitti girne lagi aur agle hi pal dusre aur tisre pillar par dabav padhne ke karran usme bhi darar aa gayi aur vo bhi tut kar bikhar gaya jab sara dabav ek hi pillar par pada to usne jada der nahi lagai aur vo turant hi bich mein se tut kar gir gaya jiske girte hi chat se kuch pal tak mitti jhadti rahi phir ek sath hi vo niche aa giri. Uske girte hi jail ki zameen zoron se hillne lagi jiska asar kaidiyun ko bhi hua par vo kuch samajh patte dekhte hi dekhte library ki chatt girne lagi aur chand hi palon mein jail ki chat bhi usi ke sath deh gayi aur ek sath puri jagah us malve ke andar dhas gayi.

Doctor khidki se apni nazron ke samne puri wing ko dehta hua dekh raha tha. Jab zameen hilni band hui aur wing puri tarah se bikhar gayi to vo akshad ki taraf dekhne laga jaise use uski kismat par bharosa nahi ho raha ho. Akshad behosh ho chuka tha use nahi malum ki abhi-abhi kya hua hai.

" what ? kab hua and " pratiksha palang se khadi hui abhi-abhi dixit ka phone aya tha aur vo jail mein hue hadse ke bare mein bata raha tha. Akshad ki kal raat tabiyat kahrab hone se use wahan se shift kar diya gaya tha isliye vo abhi tak sole surviver tha. Aur aaj sham ko use puch tach hone wali thi. " yani kal court mein peshi nahi hogi ? "

" mushkil hai par i am trying " dixit se baat hote hi pratiksha ne phone rakh diya aur bathroom mein chali gayi. Vikrant dono ki baat sun raha tha, uska installed application abhi tak pratiksha ke phone mein active tha, usne ghadi mein time dekha subah ke 5:45 baj rahe the. Dono ki baat sunne ke baad usne phone milaya.

" shama "

Centeral Jail

Agli subah jab uski ankh khuli to wahan koi bhi maujud nahi tha lekin siren aur logon ke chillane ki awaz uske kano mein gunj rahi thi. Vo apni jagah se khada hua aur usne khidki ki taraf ghum kar bahar ka nazara dekha. Bahar firebrigaid ki gadiyun ke sath na jane kitne hi police wale maujud chilla rahe the par uski ankhein hairani mein tab khuli jab usne paya ki jis jagah uski jail hua karti thi ab wahan sirf malva pada tha vo puri wing ab malve mein tabdeel ho chuki thi.

" jaag gaye tum " doctor andar atte hi bola.

" doctor ye kaise hua ? " akshad ne fauran pucha.

" pata nahi kal raat meri ankhon ke samne vo wing deh gayi, suna hai kafi purana hissa tha vo jail ka "

" koi zinda ? "

" abhi tak to malva hi hata rahe hain lekin han ek survivor hai "

" kaun ?"

" tum mr. " usne file padhi " Akshad Walia, tum bas yahan pahunche ho aur ye hadsa hua hai, lagta hai tumhara karma abhi pura nahi hua. Ab dard kesa hai ? " usne sawal par apni baat khatam ki.

" pehle se kam hai "

" kya khaya tha kal ? "

" khana "

" bas ? koi purani basi chiz ? "

" jail mein taza milega ? "

" baat to ye bhi theek hai, gastric attack ki wajah se dard utha hoga, kal raat injection to de diya tha baki kuch hoga to ek dawai ki dose wahan rakha hai varna raat ko dubara aunga tab kuch batana hoga to bata sakte ho "

" aap sara din yahan nahi rehte ? " akshad ne sawal kiya.

" subah ata hun kuch der ke liye aur kuch der ke liye raat ko "

" aur jab aap nahi hote to koi aur hota hai apki jagah ? " doctor akshad ki baat sun kar hans diya.

" dusra koi doctor nahi hota yahan "

" lekin apki absence mein kisi ko kuch ho gaya to ? "

" to vo intezar karega, tumhare sawal khatam ho gaye ho to mei chalta hun, ghar jakar biwi ke liye saman lana hai tumhari wajah se vaise hi late hun " keh kar doctor ne file drawer ne rakhi aur bahar nikal gaya. Kamre ke bahar ek hawaldar khada tha, akshad vapis piche ghum kar bahar dekhne laga. Use is chiz ki bilkul umeed nahi thi lekin vo samajh gaya tha ki iske hone ke piche uska kal raat kiya hua kaam hi tha. Vo ankhein band karke lait gaya, abhi tak doctor ke alawa koi bhi use milne nahi aya tha aur shayad koi ane wala bhi nahi tha. Jail ke hadse se usne apna dhayan hataya, vaise bhi uske liye sahi hua tha, ab kabhi bhi uske kiye gaye kaam ka sabut nahi milne wala tha. Ek pal usne nazar utha kar phir bahar dekha aur phir ankhein band karke sochne laga. Vo janta tha ki kuch hi dino mein vikrant use bahar niklwa dega lekin sabse badi chinta use is baat ki thi ki agar use map mil bhi jaye to vo use Vikrant tak kaise pahunchata kyun ki vo jab bhi jail se nikalta uski puri checking hoti aur us checking mein vo map sahi salamat chupana mushkil nahi asambhav tha isliye usne bimari ka natak kiya taki vo yahan reh kar iske bare mein kuch soch sake. Kal uski court mein peshi honi thi par use yakin tha ki vo nahi ja payega lekin use court jane ki chinta nahi thi vo bas kisi tarah us map ko vikrant tak bhejna chahta tha ya phir uski khabar hi lekin us tak is baat ki khabar pahunchaye kaise vo usi bare mein soch raha tha.

" uth ja bade sahab ane wale hai " akshad ko uthane ke liye hawaldar chillaya. Akshad fauran uth baitha, bade sahab ke bare mein sun kar use bas ek baat khatki, agar usne talashi le li aur map mil gaya to khel khatam. Use samajh nahi aya ki vo kya kare aur jada samay bhi nahi tha uske pas isliye filal ke liye usne map ke charon tukde drawer mein rakhi file ke andar rakh diya kyun ki vo janta tha ki doctor is samay nahi ayega isliye vo subah use sawal kar raha tha taki sari jankari le sake. Abhi vo drawer mein rakh kar palang par lauta tha ki do-teen log andar aye aur sath mein doctor bhi jise dekh akshad ki ankhein hairani mein khul gayi.

" doctor ab kaisi tabiyat hai iski ? " civil dress mein khade afsar ne sawal kiya. Akshad ne use dekh socha aur uski nazar pandey par gayi jo usi ki taraf dekh raha tha.

" i guess he is fine now, khane ki wajah se jo gas banti hai uski jalan ki wajah se iski ye halat hui thi "

" hmm, mr Akshad waliya tum jante ho ki kal raat jail mein hadsa hua hai "

" ji, subah doctor sahab ne bataya "

" hmm, kuch bata sakte ho uske bare mein? "

" kya ? "

" yahi ki jab tak tum wahan the kuch tumne aisa mehsus kiya ho jise tum hamari madad kar sako ye pata lagane mein ki ye hadsa hua kaise ? " akshad chup raha " dekho hum isliye puch rahe hain kyun ki tum hi eklaute insan ko jo vahan se jinda bache ho, ek officer aur 23 kaidi maare jaa chuke hain jo us waqt wahan maujud the. Tumhe kuch bhi yaad hai kal ke barre mein ? " officer ne thoda zor laga kar pucha.

" nahi sir, mei bhi bakiyun ki tarah apne cell mein so raha tha jab ye dard utha aur phir meri ankh subah khuli " akshad ne chota jawab dekar baat khatam kar di.

" hmm, doctor kya ise yahan se chutti mil sakti hai ? " usne ab uske bajaye doctor se sawal kiya.

" han bilkul aaj raat tak mil sakti hai "

" theek hai to kal ye court mein pesh ho sakta hai " vo itna bol kar doctor ke sath nikal gaya. Pandey ek pal use dekhta raha aur vo bhi vahan se chala gaya. Akshad samajh gaya ki pandey ki shakal aisi kyun hai sone ki murgi to gayi aur sath mein uska dhanda chalane wali factory bhi gayi. Sabke jatte hi uski jaan mein jaan ayi aur vo apni jagah se khada hua lekin itne mein hi doctor vapis aa gaya.

" tumhare discharge ke papers banane hai " doctor ne drawer se file nikali aur akshad ki taraf dekhte hue wahan se chala gaya. Akshad ke chehre ka rang safed padh gaya ek jhatke mein uski mehnat khatam. " fuck " usne apna matha pakad liya.

Sunqai wale din theek waqt par vo court ke liye rawana hua, jaisa use umid thi, nikalne se pehle uski checking hui phir uske kapde badalwaye gaye. Par ab in sab baton ka koi mayina nahi reh gaya tha, vo map kho chuka tha, uske dimag mein bas yahi baat aa rahi hi ki itni mehnat ke baad usne us chiz ko itni asani se kho diya tha. Ab vo kya bolega vikrant ko ki khoji hui chiz ko usne itni laparwahi ke sath gawa diya. Vo apni ankhein band kar map ko yaad karne laga lekin kuch samajh nahi aya " shit, shit, shit " vo balon par hath ferte hue badbadaya aur phir gadi ruki aur use khinch kar court le jaya gaya.

Ye sunwai uske jeevan ki sabse badi sunwai hone wali thi, aaj ka din ye tay karne wala tha ki ane wala uska future kis tarah hone wala tha. Vo nahi janta tha ki vikrant ne usko bachane ke liye kya plan banaya hai par use bharosa jarur tha.

" Akshad " dixit ki awaz sun kar uska dhayan uspar gaya, uski sachai janne ke baad ye pehli dafa tha jab use mulakat hui thi. Akshad kuch nahi bola, ek pal usne piche dekha jahan pratiksha baithi uski hi taraf dekh rahi thi aur phir dixit ke bagal wali kusri par baith gaya. " i know tumhe sab pata hai lekin "

" vikrant ne koi sabut diya hai apko ? " akshad ne bich mein rokte hue pucha.

" nahi " jawab sun akshad hairani mein use dekhne laga " mujhe pehle se hi pata tha vo game khel raha hai lekin tum nahi mane and he played us all. Tum uski baton mein influence ho gaye aur ye soch nahi paye ki vo insan tumhe kyun bachayega jisne tumhe fansaya hai " dixit ki baat akshad sun raha tha par uska dhayan vikrant ki kahi gayi baton par tha use yakin nahi ho raha tha ki vikrant ne uske sath itna bada dhoka kiya hai. Ek pal use laga ki acha hua usne us map ko kho diya par agle hi pal use apni zindagi jail ki salakhon ke piche dikhne lagi.

" to ab ? mei yahan kya kar raha hun " akshad ne fauran sawal kiya.

" they will put you on stand today. Tumhe kya lagta hai jail ke hadse ke baad bhi tumhe permission kaise mil gayi. CBI wants your confession akshad " vo bol kar ruka.

" and ? " akshad ke mathe par chinta badne lagi.

" agar tum confess karte ho to we can agree them with life imprisonment " dixit ne keh kar ankhein chura li.

" what ? " akshad ise jada kuch kehta use pehle judge ke ane ki suchna pakar sab apni jagah par khade ho gaye.
Bit confusing update... Ye map kaha nikal liya bhai... Lagta h dr se setting lagwa kr rakha ko vikrant uske map pahuch gya ho... ? Aur sahi guess tha puri library gyi... Lekin pura wing jayega ye nhi socha tha. .. ?? sabko khapa diya akshad ohh sorry plan to vikrant ka tha... Vikrant se sbko khapa diya ?? ab ye vikrant kaha gayab h dost... Peshi me ayega ki nhi? Akshad ki jarurat to use lagegi age b mere hisab se. Bachayega jarur... Dekhte h age kya hota hai...
 
182
245
43
Court ki karwahi shuru ho chuki thi prosecutor apni daleli judge aur jury ke samne rakh raha tha, dixit bhi uspar sawal jawab kar raha tha. Phir prosecutor ne akshad ko stand par bulane ki izazat mangi aur akshad ab stand par khada tha.

" han to walia sahab ye bataiye ki kya aap us raat Kavya ke kamre mein gaye the ? " akshad se ye sawal pehle bhi kai baar kiye gaye the " mr. walia judge aur jury apke sawal ka jawab chahti hai " prosector ne dubara pucha to akshad ne jawab dia.

" han "

" yani aap puri raat kavya ke bedroom mein the aur jab subah security guards ne apko kavya ke sath paya to wahan apke alawa kavya ki dead body thi iske alawa koi aur nahi, am i correct? "

" han "

" apke jawab se mei ye samjhun ki apke alawa us kamre mein koi tisra shaks na aya aur na hi bahar gaya "

" han "

" point to be noted judge sahab, mr walia khud mante hain ki us raat sirf wahi kavya ke sath maujud the yani unke alawa na koi kamre mein ghusa aur na hi kamre se vo khud bahar nikle, aise mein mere sehpatti dixit sahab ka ye kehna hai ki galle par padne walle nishan mr. walia aur kavya ke bich banaye gaye sambhand ki vajah se pade na ki galla ghotne ki wajah se. Ab aap khud bataiye ki bhala koi sambhand banate waqt kisi ka galla itni behrami se kyun dabayega ? koi sense hi nai hai right ? Asliyat to ye hain judge sahab ki akshad aur kavya dono hi ek dusre ko jante the aur us raat kavya ne hi use invite kiya tha lekin mr walia ke sath sambhand banane ke liye nahi balki sirf baat-cheet ke liye lekin mr walia ne sirf na hi unka rape kiya balki jab unhe laga ki unse galti ho gayi hai to nashe ki halat mein unhone kavya ka galla daba kar uski hatya bhi kar di, mei ab apko ek simulation ki video dikhana chahta hun jisme apko saaf pata chalega ki sambhand ke waqt galla dabana aur kisi ko jaan se marne ke waqt galla dabane mei kya antar hota hai aur is kriya ko sabhi bade-bade expert ke antargat kiya gaya hai " usne ek CD di jo vahan play ki gayi jisme alag-alag tarah se simulate ki video dikhai gayi aur ye samjhaya gaya ki sex ke waqt galle par koi pressure dalta hai to uske hath sans chhok nahi karte vo pleasure ke liye kiya jata hai lekin kisi ko marne ke liye uske hathon ki grip swans ki nali ko rokti hai jo ki is case mein hua tha. Video puri hui aur ek pal sanata court room mein pasar gaya.

" jaisa aap sabhi ne dekha, bilkul wesa hi us raat kamre mein hua. Ab mei mr walia se sirf ek aur akhri sawal karna chahta hun " vo akshad ke pas aya " mr walia ab aap court ko ye bataiye ki kya apne kavya ka rape aur phir uske baad unka murder kiya hai ya nahi? tell the court and the jury, are you guilty mr walia ? " uska sawal akshad ke kano mein gunjne laga, vo chup khada ek pal ke liye dekhta raha. Use dixit ki baat yaad aa rahi thi agar use jina hai to confess karna hi hoga iske alawa koi aur chara nahi tha. Achanak usne apni nazar modi aur use court ke sabse akhri mein baitha vikrant dikha jo usi ko dekh raha tha mano vo cha raha ho ki akshad uski taraf hi dekhe.

" boliye mr walia, are you guilty ? " prosecutor chillaya.

" not guilty " akshad ke man se awaz ayi aur usne bol dia jise sun prosecutor to hairan hua hi balki dixit bhi uski taraf dekhne laga. Prosecutor ne ek pal dixit ki taraf dekha aur phir apni seat par jaa baitha. Judge ne dixit se pucha par usne koi bhi sawal karne se mana kar diya jise sun judge ne ek ghante baad jury aur apna faisla sunane ka adesh diya. Akshad ko vahan se le jaya gaya aur court ke piche use salakhon ke andar dal dia. Ek ghante baad uski kismat tay honi thi.

" what have you done ? " dixit uske salakhon ke bahar khada tha aur akshad apni soch mein tha " mene tumse kaha tha "

" apne juth bolne ko kaha tha, jo mene nahi kiya vo mei nahi kabulunga "

" to tumhe kaun bachayega "

" bachane wala kaun hota hai ? sab pehle se hi tay hota hai " awaz dusri taraf se ayi. Vikrant wahan aya aur dixit ki ankhon mein dekhne laga. " Mr walia ke sath time bitane se acha hai ki aap apne desk par jaye shayad apko wahan kuch mil jaye "

" kya matlab hai tumhara ? " dixit bola.

" shayad apka phone bata de " vikrant ke kehte hi uska phone bajne laga. Dixit ne ek pal use dekha aur phone uthaya " helo, kab, source ? ok mei aa raha hun " phone par baat karte time tak uski nazar vikrant par hi thi.

" agar tumhari ye koi chaal nikli to i will not spare you " dixit ne vikrant se kaha par vikrant ne use jane ka rasta diya aur dixit use ghurta hua wahan se nikal gaya.

" tum court mein confess karne wale the " vikrant dixit ke jatte hi bola.

" mujhe tum par bharosa tha vikrant "

" aur mujhe tum par " ise jada vikrant ne jab kuch na kaha to akshad ne apni nazar utha kar uski taraf dekha, uske hath mein kagaz tha, kagaz nahi ye wahi map ka tukda tha jo ab hisson ki jagah vikrant ne use chipka diya kar ek kar diya tha.

" ye tumhare pas ? " vo apni jagah se uth kar uske pas aya.

" sach kabhi ankhon se nahi hatta mr. walia tumhe laga ki mene tumhare sath dhoka kiya ? " vo ek pal chup hua " mei chahta tha ki vo tumhe ek baar stand par khada kar ke apni sari dalile pesh kare "

" par kyun ? "

" vo tumhe kuch hi der mein pata chalega "

" lekin tumhare pas ye map kahan se aya ? " akshad ko apne se jada is baat ke janne ki icha thi.

" jab mujhe malum hua ki tumhari tabiyat kharab ho gayi hai aur tumhe jail se bahar nikala gaya hai mei tabhi samajh gaya ki tum kamyab ho chuke ho aur ab tum mujhe ye map dene ki kosish karoge kyun ki tumhare man mein ek veham tha ki agar tumne map ke bare mein mujhe suchna nahi di to shayad mei tumhe na bachaun " akshad abhi bhi nahi samjha " vo doctor mr walia " sunte hi akshad fauran samajh gaya ki uske pas map aya kaise.

" par doctor ko kaise pata chala ki vo mene file mei dala hai "

" use malum nahi tha, vo tumhe isharon hi isharon mei samjha kar map lene wala tha lekin itefak se tumne map ko usi file ke bich mein rakh dia " vikrant ne shama ko us roz subah isliye hi phone kiya tha taki vo jail ke doctor ke bare mein jankari nikal kar de sake jiske baad usne uska itihas nikala aur uski kamjor nas pakad kar use kaam karwaya. Akshad ki nazar map par thi vo janna chahta tha ki iske piche kya raaz chupa hai.

" to phir kya mila ? " akshad ne sawal kiya.

" bahar aa jao phir sab batata hun " vikrant vahan se jane laga par ruk gaya " mei tumhare bare mein sahi tha, ye kaam tumhare alawa koi aur nahi kar sakta tha " itna keh kar vahan se chala gaya.

" agar mei confess kar leta to ? " akshad wahin se chillaya par vikrant ne koi jawab nahi diya.

Nidharit samay par court ki karwhai phir se chalu hui, Akshad ki faisle ki ghadi aa chuki thi, uska dil zoron se dhadak raha tha. Judge ne ate hi vredict ke liye jury se pucha par mr. dxit ne bich mein dhakal dete hue ek evidence milne par karwhai ka rukh mod diya. Dixit ne ek aisa video dikhaya jise dekh na kewal akshad, prosecutor, judge aur CBI ke sath wahan baitha har vyakti chakit ho gaya. Prosecutor ne video ka source pucha to Dixit ne CBI par ek gehra sawal khada kar diya. Usne ek aisa kagaz dikhaya jispar CBI ki taraf se hui findings thi lekin unhone use court mein pesh nahi kiya tha. Ispar na hi prosecutor ke pass jawab tha aur na hi CBI ke pas. Case ki kahani is tarah badalegi iska andaza vahan baithe kisi bhi shaks ko nahi tha.

" mei in sabuton aur mr. walia ke confession par ye dakhwast karta hun ki unpar lagaye gaye har charges ko hataya jaye kyun ki is evidence ke baad ye baat sabit hoti hai ki is case mein bar-bar mere client Mr. Akshad Walia ko hi fansane ki kosish ki jari hai, itne evidence milne ke baad bhi CBI court ke aage in sabuton ko chupa rahi hai aur case ka rukh modte hue Kavya ke murder aur rape ka ilzam mr walia par laga rahi hai jabki evidence ke mutabik khoon Devdoot dwara kiya gaya hai aur ab meri court aur jury se yahi guzarish hai ki is case ko sahi tarah se dekhte hue faisla liya jaye, that's all your honor " dixit bol kar baith gaya.

" kya aap kuch kehna chahenge ? " judge ne prosecutor se pucha par usne na mein sar hila diya use to abhi tak vishwas nahi ho raha tha ki ye sab sabut aye kahan se aur utna hi jhatka CBI ke baithe officials ko laga tha jinhone apne pichle dino mein ki gayi khoj ko court se chupaya tha.

" court apna fiasla 15 dino baad jury ki sehmati se sunayegi " judge ne order dekar aaj ki karwahi ko khatam kiya. Ab sab samjh chuke the ki natiza kya ana hai, akshad ne us taraf dekha jahan vikrant baitha tha lekin vo ab vahan nahi tha. Akshad ko 15 dino vapis jail mein dala gaya, vo do hafte kaise bechaini se katte vahi janta tha phir vo din aya jise use kabse intezar tha, aaj uske karwahi ka akhri din tha.

" Sari dalilon aur sabuton ke adhar par jury ne jo failsa kiya hai vo hai " ruk kar judge ne jury ke ek member ki taraf dekha to vo apni jagah se khada hua. Akshad ke dil ki dhadkane itni tez chal rahi thi ki use kan sun ho chuke the.

" not guilty " sunte hi akshad ne ek gehri sans li aur ankhein band kar li. Uske itne hafton ki takleef aaj samapt ho chuki thi. Vo case jeet chuka tha lekin court ke according vo abhi bhi bina bataye desh chhod kar nahi jaa sakta tha agar kabhi jana bhi ho to uske liye Majestrate ke dastkhat aur court se izazt lene ke baad hi vo jaa sakta tha iske alawa court ne CBI ko jabradast fatkar lagate hue unpar 5 lakh rupee ka jurmana is baat par lagaya ki unhone eham sabuton ko court se chupaye aur case ka rukh sirf Akshad ki taraf hi rakha iske sath hi court ne is case se jude sabhi sabuton ko dubara study karna aur 'devdoot' ki shaksiyat ko jald se jald pakadne ka farman suna kar case ke sabhi sahi sabuton ke sath court mein pesh hone ka adash diya.

Akshad apne ghar par sharab ka glass hath mein liye gehri soch mein baitha tha. Dixit aur pratiksha uske samne sofe par baithe hue uske kuch kehne ka intezar kar rahe the. Aaj akshad ke liye bada din hona chahie tha par bahut se sawal uske man mein chal rahe the aur tabhi vikrant ne is khamoshi ko toda jisne abhi abhi kadam rakhe the. " one malt scotch " Awaz sun jab pratiksha aur dixit ghume to vikrant andar ata hua nazar aya.

" tum hamara picha kab chhodoge ? " pratiksha use dekhte hi boli.

" abhi tak tumhare piche aya hi nahi hun aa jata to chudwati nahi " vikrant akshad ke bagal wali kursi par ja baitha aur apna glass khud hi bharne laga.

" disgusting " pratiksha badabdati hui reh gayi.

" kahan hai vo jagah " vikrant ko daru pita dekh akshad bol pada. Vikrant ko umid thi ki pehla sawal kuch aur hoga lekin uski dilchaspi dekh use hairani hui. Usne glass ki bachi hui sharab pite hue use table par rakha aur akshad ki taraf dekhte hue bola.

" Hunga Tonga, South pacfic "
Akhirkar vikrant ki entry ho hi gyi... ??? Jada review dene me jaunga nhi qki aage k bhi update padhne hai... Shayad 10 update aur baki ho... Naam to bhaut bhari hai... Hunga, Tonga south Pacific... ??? Aisi jagah ho bhi sakti hai... Acha hua la*da lassun nhi rakha... ?? CBI ke to L lagne hi the... Wo to vikrant ne pahle hi bata diya tha... CBI ne wo firing wale sabut chhipa ke ro rakhe the... ?

" abhi tak tumhare piche aya hi nahi hun aa jata to chudwati nahi "
Ye line smjhi nhi... Vikrant ne kab choda isko... ? Bhaiya ji pls explain... Ans chahiye iska... ??
Review na dene ke chakkar me bhi itna bada reply kar diya... ? Yahi hota h achi story ke sath... ?
Next padhta hu...
 
182
245
43
" kahan hai vo jagah " vikrant ko daru pita dekh akshad bol pada. Vikrant ko umid thi ki pehla sawal kuch aur hoga lekin uski dilchaspi dekh use hairani hui. Usne glass ki bachi hui sharab pite hue use table par rakha aur akshad ki taraf dekhte hue bola.

" Hunga Tonga, South pacfic "

" to ? " akshad sharab ka ghunt pite hue bola " kab jaa rahe ho tum ? "

" jaldi hi, vaise kis kaam ke liye bulaya tha tumne " vikrant mudde ki baat par aya jiske liye use akshad ne ghar par bulaya tha.

" Tumne apne kaam ke liye mujhe itne bade plan ka hissa banaya isliye mei chahta hun ki ab tum mujhe is treasure ka hissa banao " vikrant ko jaise is baat ki umid pehle se hi thi ki akshad use kuch yahi kehne wala hai.

" puch sakta hun is dilchaspi ki vajah ? " vikrant ne sharab muh se lagate hue pucha.

" itna sab kuch ek insan kisi mamuli chiz ke liye nahi karta aur na hi ye treasure mamuli lag raha hai. Shayad tum sahi ho iske piche koi bada raaz chupa hai "

" sorry par mei tumhe nahi le ja sakta " vikrant apni jagah se khada hua. Akshad ne uski taraf dekha par kuch nahi bola. " map ke liye shukriya, iske badle mei tumhe case se bacha chuka hun aur isi ke sath hamara kaam khatam " vikrant ke pal khada rehne ke baad jane laga.

" tumne hi kaha tha ki ek mauka mila hai apni galti sudharne ka " akshad ki baat sun vikrant ruka " mujhe vo mauka chahie vikrant haar kimat par " vikrant ne apni nazar piche modhi to akshad usi ki taraf dekh raha tha.

" theek hai phir jane ka sara intezam tum karoge " vikrant ne akshad ke jawab ka intezar nahi kiya aur chala gaya. Vikrant ke jane ke baad akshad vapis kursi par baith kar sharab glass mein dalne laga. " court se razamandi lijeye dixit ji "

" akshad what are you doing ? " pratiksha dixit ke jawab dene de pehle bol padi.

" what i needed to " usne sharab pite hue jawab diya.

" par akshad this will take time, tum abhi-abhi case se bahar aye ho itni jaldi tumhe bahar jane ki izazt nahi milegi " dixit bola.

" to unhe meri travel history aur mera kaam dikhao aur use bhi na ho to aap dusra tarika jante hi ho "

" theek hai mei kosish karta hun "

" kosish nahi dixitji mujhe result chahie "

" ok " vo apni jagah se khada hua " i guess mujhe ab chalna chahie "

" ek aur chiz " akshad uski taraf ghuma to vo ruk gaya " hire the best assassin "

" for what ? "

" to remove vikrant and his existance " akshad ke bolte hi pratiksha hariani mein apni jagah se khadi hui. Dixit bhi hairani mein use dekhne laga. Akshad apni jagah se khada hua " aap logon ko kya laga usne jo mere sath kiya use mei khush hun " vo ek pal chup hua " nahi, mei to bas us treasure ko pana chahta hun. Vo mera karma badalne chala tha mei uski zindagi ko uske karma se hi alag kar dunga " vikrant se badla lene ka faisla usne usi din le liya tha jab use ye malum hua tha ki usne Kavya ka murder kiya hai vo to uska sath isliye deta raha taki vikrant ka maksad jaan sake aur jab use pata chala ki vo koi treasure hunt ke piche hai jiski wajah se usne itna bada plan banaya aur jis din vikrant ne treasure ki sachai batai tab vo usi pal soch baitha tha ki vo uski madad sirf isliye karega taki vo treasure apne kabze mein le sake.

" pratiksha tum vikrant ki madad karogi, whatever he needs, use bilkul shaq nahi hona chahie ki vo vahan se vapis kabhi nahi aa payega " akshad ne ek gehri sans chhodi, pratiksha use mana karna chahti thi lekin ye shayad sahi mauka tha akshad ko khud par bhaorsa vapis dilane ka. Dixit to wahan se chala gaya lekin pratiksha ruk gayi uske man mein kuch sawal chal rahe the. Dono bar counter ki kursi par baithe the, samne sharab ka glass bhara hua rakha tha.

" how do you know vikrant ? " is sawal ko bahut dino se puchna chahti thi, kafi kosish ke baad bhi is sawal ka jawab vo khoj nahi payi thi.

" Devraj dutta yaad hai tumhe ? " akshad gehri soch mein tha mano yahi soch raha ho aur pratiksha ne uski soch ko pakad liya ho. Pratiksha ne dimag par zor dala to use yaad aya ki akshad kiske bare mein keh raha hai.

" Godfather " vo behad dhimi awaz mein boli aur chup ho gayi. Akshad ko han mein sar hilata dekh vo boli " par uska tumse kya connection ? "

" har raaz tum logon ne hi nahi chupaye pratiksha, kuch mujhse bhi jude hain " akshad ki awaz shabdon ke sath gehrati gayi. Pratiksha jaise bas jawab ka intezar kar rahi thi " tumne Priates ki kahani suni hogi ? " akshad ki baat par pratiksha ne hami bhari " to unke ships par sone ki kahani bhi suni hogi ? "

" wahi gold jise ek myth bataya jata hai "

" hmm, wahi gold jiske liye mene apni zindagi ke pandrah saal lagaye lekin sirf mein hi nahi tha jo us gold ke piche tha, Devraj dutta bhi uske piche tha "

" par vo to sirf ek myth hai, aaj tak kabhi kisi ko uske bare mein pata nahi chala "

" mujhe vo gold mil chuka tha pratiksha " akshad ki ankhein sharab ke glass par tiki hui thi aur pratiksha hairani mein ankhein khol use ghure jaa rahi thi.

" lekin mei abhi bhi tumhara aur vikrant ka connection samjhi nahi "

" Mene godfather ke sath gaddari ki thi pratiksha " vo ek pal chup hua " Dutta ko mei kafi waqt se janta tha, godfather banne se pehle vo dock par kaam karta tha. Smuggling aur phir dhire-dhire drugs mein pakad lene ke baad usne illegal weapons par apna hath dala. Meri use custom ke dauran mulakat hui thi, vo mere kaam aa sakta tha isliye mene use dosti badai par ek din pata chala ki vo usi gold ki talash mein hai jise mein khoj raha hun. Uske pas unlimited resouce ke karran mei uske sath kaam karne ke liye razi hua lekin mei use usme se kuch bhi na dene ka faisla kar chuka tha. Jis gold ka vo 80% apne pass rakhna chahta tha usme se use mene 1% bhi nahi diya. Uske liye vo sona kabhi mila hi nahi lekin mene usi ke resource ko use karke us sone ko khoja aur chupa diya lekin use mujhpar doubt hone laga tha. Mei samajh chuka tha ki ab kisi din bhi meri maut tay hai lekin mei janta tha ki jab tak use sona nahi milega tak tak mei zinda hun bas mujhe us sone ko aisi jagah chupana tha jahan vo use kabhi khoj na sake " vo ek pal phir chup hua " insan puri dunia mein dhundta hai lekin kabhi apne ghar mein nahi khojta. Vo sona usi ke ghar ke niche chupa hua hai " pratiksha ko apne kaano par yakin nahi hua jo bhi usne suna.

" Pandrah Saal pratiksha, mene apne jeevan ke pandrah saal diye the, sari zindagi ki ayashi chhod kar. Tumne sahi kaha tha mene bahut kurbani di hai " vo kuch pal shant raha, pratiksha ko connection nahi mil raha tha lekin vo chup rahi use pata tha ki akshad shayad wahi batane wala hai " Dutta dhire-dhire godfather banta jaa raha tha aur mujhpar usne nazar kafi tezz kar di thi. Sona abhi bhi uske bangle ke niche chupana baki tha lekin pata nahi kaise use pata chala ki mene use sone ki khoj chupai hai. Har thode din mein mujhe alag-alag tarah ki dhamkiyan milne lagi par phir mere pas ek envolope aya takreeban aaj se che saal pehle. Mei office mein baitha bas yahi soch raha tha ki kaise is musibat se bahar niklu aur jaise koi jadugar meri batein sun raha tha. Envolope dekh kar mujhe laga ki shayad Devraj ki hi ek chaal hogi. Uspar ek black stamp laga hua tha aisa stamp mene aaj se pehle kabhi nahi dekha tha. Mere hath kanp rahe the ki ise kholo ya nahi lekin mene use khola. Usme likha tha ki mujhe jo pehchan pareshan kar rahi hai us pareshani ka hal nikal chuka hai. Kabhi dubara jarurat pade to yaad jarur karna "

" vikrant " pratiksha boli.

" naam ke alawa bas ek number jo mene tumhe diya tha jise tumhe uska ghar ka address mila tha "

" kya use pehle tumne us number ko use nahi kiya tha ? "

" kiya tha.. lekin jab bhi number milata vo kabhi reach nahi hota aur ek hi message bar-bar milta ' Karma is in Process ' " akshad jitna hairan hua karta tha utni pareshani ab pratiksha ke chehre par thi.

" uske baad ? "

" Dutta usi raat mara gaya "

" vikrant " uska muh khul gaya.

" han pratiksha vikrant, vo janta tha ki sona mere pas hai lekin use meri jarurat thi isliye usne dutta se mujhe bachaya taki vo mera istemal baad mein kar sake. Vo envelope sirf mujhe isliye bheja gaya taki jab mera waqt aye to mei use hi chunnun aur jo admi mujhe dutta se bacha sakta hai sirf wahi mujhe is case se bacha sakta tha isliye mene tumhe bheja aur har kimat par use mere liye hire karne ko kaha lekin mujhe us waqt ye nahi pata tha ki it was all planned " Akshad ne glass ko majbut hathon se pakad liya tha. Pratiksha ko jawab mil chuka tha ki kyun akshad vikrant ko apne liye har haal mein chahta tha. Galti uski nahi thi agar vo uski jagah hoti tab vo bhi wahi karti.

" par kaise ? "

" iska jawab sirf vikrant ke pas hai aur shayad iske baad vo koi aur jawab kabhi nahi de payega " usne sharab pite hue jawab diya aur glass wahin rakh khada ho gaya.

" kitna sona tha ? " pratiksha sawal karna nahi chahti thi lekin akshad ko jatte jatte usne puch hi liya.

" itna ki is desh ki gareebi mit jaye " akshad kamre mein ghuste hue bola " good night pratiksha " aur uski ankhon ke aage se ojhal ho gaya.

Chalis din ki mehat aur noton ki gaddi ke baad kanun se akshad ko izazt mil chuki thi. Vikrant ki tayari puri ho chuki thi vo apne dad ke gayab hone ke sach se bas kuch hi kadam dur tha. Vo apne dad ki tasveer ke aage khada use dekhe jaa raha tha, usne ek baar tasveer ke niche likhe naam par hath faira " i am coming dad " uski awaz aur akhein dono hi bhari thi. Ek pal vo aur khada raha phir ghar se sara saman lekar nikal gaya.
Vikrant ko shayad pahle se hi malum hoga... Akshad uske sath gaddari karega.. uske liye bhi uske pass plan honge... Nhi bhi malum hoga to naina k phone me waise bhi application installed h.. akshad aur naina ke apas me phone ki bato se hi pata chal jayega... Let's go to Hunga, Tonga South Pacific ???
 
Last edited:
Top