• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI Treasure ~~ "The Invisible Hunt" {Completed}

Does Anyone read Sci-fi Treasure Story ? (Is Yes, discuss on this thread)

  • Total voters
    71

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
3.5 Saal se kahani ki tayari kar raha tha, Pichla platform chhuta to kabhi likhne ke barre mein socha nahi par jab kahani ka plot bana aur corona ka asar dunia mein badha to zindagi ki bhag daudh se kuch rahat mili aur mene is kahani ko sabke bich lane ka faisla kiya. Ek aisa chetra tha jisme mene abhi tak koi kahani nahi likhi thi aur ye meri lekhan ki ek akhri script aur genre hai jise mein kosish karunga ki ache se likh sakun. Umeed karunga kuch purane sathi yahan milenge aur kuch naye judhenge.

Story PDF LINK Below :

Last edited:

Sakal

Member
288
901
93
Bhai itne sare updates.....hang ho gaya me to padh ke ...kaha se kaha la rahe ho aap hume....sala phir se waha pahuch gaye jaha see kahani start huyi thi.....sala box me hi kuch hai.....sb ki jad wahi hai......na koi use kholta na koi gayab ho jata..
sala wo AKshad bhi fielding laga ke baitha hai....uske assasian bhi hai....⚔⚔ ...lekin sale sb gayab hai....
sala itna uljha diya hai ki apna chintu222 babu bhi isme fas gaya:confuse::confuse:
shandar update bhai:claps::claps:
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
yeh budhha toh bada kamina nikla jis biwi kamai pe aish karta raha ushi ko maar dala (indirectly sahi) :mad2: ...bechari neelam ko maar diya :(.. iski toh.. Kide pade isko :mad2:
... Ohh toh yeh baat hain,jab budhhe ko pata chala "are yeh vikrant to bahut khatarnak sawal karta hain,,, chalo isko bhi kamina bana diya jaye aur bonus mein tharki bhi" ... aur buddha lag gaya kaam pe
Bas gufa dhundega ,sign a u e a h a b c d ka matlab dhundega , treasure dhundega u khushath buddha kahin ka :mad2:
are kounsa pahaad tut padta agar alok thoda samay neelam aur vikrant ke sath bita leta toh... achha sila diya pyar ka.... selfish kahin ka.. :mad:
Achha hua gayab ho gaya us gufa mein.. aur milna bhi nahin chahiye....

Khair hmm ush box mein se lal rang wala wohin pathar niklega shayad..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill harshit ji :bow: :bow: :bow:
 
303
826
93
Alok Life hi treasure se kam nhi lag rha vo insan ayaa kaha se jiska pta nhi tapka vi to hath me ek kagaj le ke or kismat phuti jo thi Neelam ki usi ko mila apna har kam ke liy use Neelam ka kiya shadi vi isliy kiya ki bahr ja ske or apne treasure dhudh sake bechari isi gam me mar gai ki kvi uske akelepan ka sahara ho or beta ka vi use kiya jab khud bimar padne lga akele se kuch ukhar naa pata alok ne apne ek sanki treasure ke liy sab ka use kiya lekin khud apno ka naa hua or last me khud lapta ho gya.
No word i am totally Speechless bro your work extraordinary
But dimag ka achhe se band bajne ke liy:applause:
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Mene apna bag niche rakha aur diary ko baju mein dabate hue box ko chuha. Box par behad kubsurat deisgn bana hua tha, mei use hath se chute hue ye samajhne ki kosish karne laga ki akhir aisa kya hai isme jo ise itne rehasamye tarike se rakha hua hai. Box kholne se pehle mei ache se use samjhna chahta tha isliye jab meri nazar box par likhi hui bhasha par gayi to mei apni book mein khojne laga lekin kuch samajh nahi aya. Mene diary band karke apni bajun mein fansayi aur box ko phir hath se chune laga. Aur gaur se dekhne par aisa laga jaise iske bich mein kuch aisa hai jo mene dekha to hai par dhayan nahi aa raha kidhar. Mene us hisse par chuha to mujhe laga ki vo box par jaise fansaya gaya hai isliye mene use bahar nikalne ki kosish ki par vo nahi nikla. Mene ek dafa piche dekha to vikrant abhi bhi deewar par likhe akshron ko decipher karte hue unhe samajh raha tha.

Nazar dubara box par dali aur is baar nikalne ki jagah mene us hisse ko ghuma diya kyun ki mujhe aisa laga jaise mene pehle bhi ise ghuma rakha hai. Jaise hi mene use ghumaya usi pal box ka deisgn badal gaya aur jab vo badla to bich mein us akriti ko dekh mei hairan ho gaya kyun ki ye wahi symbol tha jise mei aaj tak decipher nahi kar paya tha aur book mein uska kai baar jikar tha. Shayad ab vo nikal sakta tha isliye mene use fauran box se utha liya aur use dekhta raha. Tha coin jaisa par ise nikalte hi box ka deisgn badal chuka tha aisa laga jaise koi chabi ho iski? kya rishta hai iska treasure se? mene apni nazar box ki taraf badhai shayad jawab andar maujud tha. Uski taraf dekhte hue mene hath se us coin ko chhod diya aur vo ret mein jaa gira.

Kya mujhe ab andar koi raaz pata chalega ya phir ek paheli hi hogi? Soch kar mene box ko khol diya aur jaise hi vo khula ankhon mein ek chamakti hui roshni ne pultiyun ko gher liya. Vo lal rang ki chamakti hui kanch jaisi cheez thi jiska koi aakar samajh nahi aa raha tha kyunki vo ek tute hue stone ka tukda lag raha tha. Mei use uthane se khud ko rok nahi paya aur akhir use apni hatheli par rakh liya kya ye wahi khazana hai jiski mei itni khoj kar raha tha par isme aisa kya hai? khud ke sawal pane ke liye mene stone palta. Vo piche se khurdura sa tha mene use apne anguthe se ragda lekin samajh nahi aya ki ye chiz kya hai, mei use vapis ghuma kar dekhta use pehle mujhe laga jaise uspar kuch hai jo hil raha hai aur phir mei use gaur se dekhne laga. Dekhte hue mujhe dubara usme se kuch hilte hue dikha jiske baad sab badal gaya, meri ankhon ek samne tezz tivrta mein roshni aayi aur ek pal laga ki mei behosh ho chuka hun lekin agle hi pal mujhe hosh aya aur jaise hi hosh aya.

Mei jaise kuch der baad hosh mein aya aur jab aya to apne ird-gird ke mahol ko dekh chaunk pada. Mei kisi vishal khali maidan mein khada tha dur-dur tak sirf lal parat wali zameen dikhai de rahi thi, vatavaran mei itna andhera aur dhuan tha ki suraj uske piche chup chuka tha. Mujhe laga ek pal mein sapna dekh raha hun par tabhi mujhe kuch sunai diya jaise koi mujhse baat karna cha raha ho, awaz meri dayein aur se aa rahi thi. Mene apni nazre udhar modii to dekha, vo lal zameen ke niche se nikalta lava bahar aa raha tha yani mein jawalmukhi ke uppar khada tha. Mene piche hatne ki kosish ki lekin apni jagah se nahi hil paya. Dimag mein awaz ne fir dastak di aur dhayan us taraf gaya. Kahan se aa rahi hai awaz, nikalte lava ki aur dekhte hue meri nazar ek jagah jakar ruk gayi.

Ye to wahi stone hai jo mujhe mila tha ye yahan kaise? aur mei yahan kaise? kya hai ye? dimag ke itne sawalon ke bich ek dafa phir awaz ayi.

" jo tum khoj rahe ho vo mei hi hun "

" kaun ? " mei ghabra gaya kyun ki dimag ne awaz to suni par koi dikhai nahi diya.

" wahi jise tumne apni hateli mein thama tha " baat sun ek pal mei chup raha phir agle hi pal baad yaad aya ki is stone ko mene box se utha kar apni hateli par rakha tha jo abhi theek samne lava ke uppar pada tha. Ek pal uthate hue dar laga par agle pal jab dhayan diya to mei bhi usi ke uppar khada tha aur mujhe kuch nahi ho raha tha. Mei jhuka aur mene us stone ko utha liya jisme meri parchai dikh rahi thi.

" kahan hun mei ? " sawal mene use hi dekhte hue kiya kyun ki dimag mei atti awazein usi taraf se ayi thi jahan se stone uthaya tha.

" tum wahi ho jahan gaye the bas farak itna hai ki tum waqt ke sath dharti ke us chakr mein ho jab dharti apne nirman mein thi " awaz phir dimag mein gunji par bolte hue koi nahi dikh raha tha. Uska jawab sun mene phir apne charon taraf dekha kya ye dharti thi? Par mei yahan kaise aa sakta hun aur ye hai kaun aur kaise kar sakta hai ye sab.

" kaun ho tum? aur kya chahte ho ? " mene stone ki taraf dekhte hue pucha kyun ki mujhe lag raha tha jaise koi hai jo us stone ke madhyam se mujhe dekh raha hai.

" mei vo hun jo dharti ke atit, vartaman aur bhavishye ko dekh sakta hai " usne mere sirf ek hi sawal ka jawab diya jise sun mei hi hairan ho gaya.

" kya ? " mere sawal ka koi jawab nahi aya lekin tabhi mere samne ka drishye badal gaya. Agle hi pal jawalamukhi ki jagah khali banjar zameen mein dharti tabdeel ho gayi. Aur phir vo hua jis kaam ko karne mein dharti ko sainkdon saal lage the yani vo dharti ki parat jo tut-tut kar mitti mein tabdeel hui thi jise mene kuch hi pal mein hota hua dekh liya jiske baad mausam mein badlav aya, kabhi dhoop to kabhi baarish aur phir ek paude ka janam hua jo dhire-dhire badha hota dikhne laga aur phir dekhte hi dekhte khub sarre bade-bade pedon ke sath puri jagah ek jungle mein tabdeel ho gayi. Jisme che-ekhte hue chidiyun ki awaz ke sath dharti ke nirman ke baad sabse pehla janwar dikha dinasaur aur unki puri zindagi jo ek hi pal mein gayab ho gayi jab vo astroid dharti par girne shuru hue jiske baad phir dharti ek lavve mein tabdeel ho gayi aur dheron dinasaur dharti par pade pade gal gaye. Ek pal dharti phir usi tarah nasht hui aur uske baad uska janam hua jisme insano ne dharti ko apni chapet mein liya.

Achanak hi kahani ulti ghum gayi, insanon se dinasaur, dinasur se pehle dharti ka nirman aur is baar waqt sirf yahan tak hi nahi thama, jis jawalamukhi par mei khada tha waqt use bhi jada piche le gaya jahan ab ek banjar zameen thi aur kuch nahi sirf ek banjar zameen jiska rang cement ke rang jaisa tha mano abhi neev rakhi gayi ho aur tabhi asman se bade-bade asteroid dharti se takrane lage jisne vishal visfot karke dharti ke bhitar jal rahi aag ko dharti par failana shuru kar diya. Samajh nahi aya ki kab tak vo astroid dharti par girte rahe lekin usi mein jaise mera dimag kahin khinch kar meri nazar ko ek taraf modna chahta tha.

Meri nazar asman ki taraf gayi, jahan par aag mein jalta hua gola theek mere samne aa gira, vo behad chota meteroid tha jo dharti par girte hi jawalamukhi ki chapet mein atte hi gal gaya jiske andar se jo nikla use dekh meri hairaniyat ka koi tikhana nahi raha. Ye wahi stone tha aur is baar vo is tarah dikh raha tha jise mei uske dono hisson ko dekh paa raha tha aage ke hisse par chamkila stone aur piche ke hisse par jo chipka hua tha aur shayad lakhon ki sankhya mein tha isliye jab vo ek sath hila tab mujhe samajh aya ki ye kya hai. Uske stone ke piche ek living organism tha yani dharti par jo abhi girte hue mene dekha vo bharmand ki dunia se ayi hui ek prajati thi.

Jaise hypnotize ke baad chutki bajate hi insan hosh mein ata hai usi tarah mei hosh mein aya aur ek baar phir mei hath mein stone ko liye usi jawalamukhi wale waqt mein khada tha jahan se in sab ki shuruwat hui thi.

" is greh par jab mei aya tha to yahan ke haalat aise hi the isliye mei ise apni janam bhumi manta hun"

Yani is stone par jiti jagti ek zindagi hai. Mene stone ghumaya jise ghumate hi vo lakhon ki tadat mei chipke organism hil rahe the jise dekh mene ghabrate hue use hath se chhod diya. Dil ghabrahat mein duba hua tha, ek pal use hi dekhta raha, man mein itne sawal the ki samajh nahi aya kahan se shuruwat karun aur kahan se nahi.

" Tumne dharti ko kyun chuna? " man mein pehla sawal yahi utha. Ek pal tak khamoshi rahi aur phir vo organism zor-zor se hilne laga aur unki awaz mere dimag mein jawab ban kar ane lagi.

" jab bharmand mein visfot hua jise insan big bang kehta hai to sirf greh ka hi nirman nahi hua balki tarah tarah ki zindagi banni usi mein mera nirman bhi hua aur phir us samay jab mein bhraman mein ghum raha tha uski khubsurti ko dekh raha tha, use samajh raha tha tab mei ek greh ki aaur khincha chala aya aur uspar aa gira "

" dharti "

" han mei dharti ke waqt hun jo sab janta hai, uski shuruwat bhi aur uska ant bhi " dimag mein ek baar phir awaz ayi aur mei samay mein aage chala gaya shayad bahut aage yani kalyug ka ant, insano ka ant jisme mene vo ladai dekhi jisne kalyug ka ant kiya aur ek bade visfot ke baad itni teevr matra mein roshni hui ki puri dharti jal mein sama gayi ek pal to mano laga ki mei bhi dub raha hun par agle hi pal vapis usi jagah par aa pahuncha. Mera sina zoron se dhadak raha tha, sharir kanp raha tha. Par itna samajh aa gaya ki us sadi ke logon ko waqt ke aage aur piche ka sab kuch kaise pata chala.

" tabhi us sadi ke insano ko pata tha ki ane walle waqt mein kya hone wala hai " mei aur bhi chizen soch raha tha par usne mujhe bich mein rok dia.

" tumhe pata tha " ek pal mujhe samajh nahi aya ki usne kya kaha. " mujhe matlab? mujhe to abhi pata chala hai " mene uski taraf dekha.

" nahi vo pehle insan tum the jisne mujhe khoja tha, Jisne mujhe jana tha " uske kehte hi ek jhalki mere samne aa khadi hui jisme mein usi umar mein tha jis umar ka abhi tha, saddi vo thi jo mei aaj ke zamane mein khoj raha tha aur mere hath mein ye stone tha jiske aage hazaron log mastak tek rahe the. Mene hi us jagah ka nirman karaya aur phir wahan rehne laga. Vo mei hi tha jisne vo kamra banwaya jahan mene vo stone box mein rakh kar use chupaya. Vo mei hi tha jisne waqt mein hone wali baton ko us bhasha mein likha tha jis basha ko mei aaj ke waqt mein decipher kar raha tha. Sab kuch karne wala koi aur nahi bali vo insan mei tha na ki us sadi ke insan. Vo to sirf meri pooja karte the.

" nahi.. nahi nahi " mei chilane laha " kaise ho sakta ha ye? nahi.. mei... " mere samajh nahi aya ki kya ho raha tha, jhalkiyan hat chuki thi lekin mujhe yakeen nahi ho raha tha.

" vikrant " usne naam liya aur mujhe vikrant ki yaad ayi. Mei yahan kab se tha shayad " vikrant mujhe khoj raha hoga "

" fikar mat karo tum abhi wahin ho aur vikrant bhi wahin hai tumhari hi baton ko padh raha hai jo tumne un deewaron mei likhwai thi. Waqt ki maya hai mene tumhe waqt mein dhima kar diya hai isliye tum ab dharti ke waqt ke sath nahi chal rahe ho "

" par ye kaise ho sakta hai "

" bilkul ho sakta hai vikrant "

" mera naam alok hai "

" alok aur vikrant dono ek hai " ek aur jhatka mera intezar kar raha tha par baat wahin nahi ruki usne mere dimag mei sari jhalkiyan dikha di aur sab kuch samne aa gaya. Mei vikrant tha jisne treasure ki khoj ki aur phir 1985 mei aa pahuncha, jahan mujhe neelam mili aur mera hi dwara pakdaya gaya vo kagaz ka tukda bhi jise khojte hue mein yahan pahuncha tha. Vikrant alok ka beta tha aur alok hi vikrant tha.

" Ye nahi ho sakta " hairani mei meri ankhein khuli reh gayi.

" ye pehla mauka nai hai jab mei tumhe ye sab bata raha hun tum abhi tak meri khoj satrah bar kar chuke ho aur meri tumse ye sataravi mulakat hai "

" kya bola tumne satarvi baar ? " meri ankhein bas khuli hui thi, sans lena jaise mei ab bhul chuka tha.

" tumhara maksad tha mujhe yahan se le jane ka aur mera istemal insano ki bhalai karne ka lekin aaj tak tum isme safal nahi hue ho aur waqt ke chakr mein fans kar reh gaye "

" lekin kyun ? " jawab ki jarurat nahi thi ab mujhe sab vaise bhi yaad aa chuka tha akhir baar Akshad ne us box se key nikali thi aur tabhi mein 1985 mein jaa pahuncha tha yani us key aur is waqt ka ek judav tha jiske alag hote hi waqt ka chakr ghum gaya " to tumne hi us key ko waqt ke sath jod rakha hai "

" mei sirf waqt par kabu kar sakta hun ye kaam to tumne kiya tha taki koi bhi mera duropyog na kar sake. Tumne hi mujhe us bakse mei dal kar mujhe use bandha tha aur is rehsaye ko tumne kabhi nahi likha " uske jawab dete hi mene dhayan diya ki abhi-abhi mene bhi wahi kaam kiya tha.

" mene abhi us key ko box se alag kiya tha, mujhe fauran udhar le chalo use vapis lagana jaruri hai varna mei phir use khoj mein niklunga aur phir wahi sab karunga jo mei abhi soch bhi nahi sakta " meri baat ko usne bich mein rok diya.

" waqt ka paiyan ghum jata hai to kya hota hai? "

" kya ? " mene uski taraf dekhte hue sawal kiya par koi jawab nahi aya aur jab mene kuch aur puchna cha to achanak se jaise phir kisi ne mujhe hypnotize se bahar nikala ho aur mei usi jagah aa pahncha jahan par mujhe hona chahie tha, usi kamre mein, stone mere hath mein tha. Ise pehle der hoti mene apni nazar piche vikrant ki taraf modii vo ek hi taraf dekh raha tha use vo akriti samajh nahi aa rahi thi aur ati bhi nahi kyun ki vo akriti book mein kahin nahi bani thi kyun ki vo akriti kisi khazane ki nahi thi balki meri thi aur africa ka statue bhi meri akriti ka bana hua tha jiske hath mein book thi.

" vikrant " mere muh se halki awaz mein uska naam nikla aur usi pal " dad " vikrant piche ghuma lekin wahan koi nahi tha " dad, dad " vikrant chillata hua khojne laga lekin use sivai bag ke kuch nahi mila. Pathar ke uppar khula hua box rakha tha aur phir uski nazar farsh par pade coin par gayi jise usne utha liya aur jaise hi usne box uthaya zameen zor-zor se hilne lagi aur dekhte hi dekhte vahan pathar girne lage jisme se ek uske sar par aa gira aur vo behosh ho gaya.

Achanak se uski ankh khuli aur vo uth baitha. Ubasi lete hue usne apne pajame ke uppar se lund khujaya aur laptop ki screen utha di. Password dal kar usne pichli raat wali video resume ki aur pajame ke uppar lund ko masalte hue screen par chal rahi chudai dekhta raha aur phir ek kampan ke sath gehri sans lete hue apni jagah se khada ho gaya.

Kamre ke usi kone mein ek chota se washbasin se pani ko muh mein dala aur thuk dia. Phir zameen par pade akhbar ko uthaya apni kursi par vapis aa baitha.

" President ki beti ke sath rape aur murder, aropi Manish Mehra sakht kaid mein " ubasi lete hue usne akbhar ko wahin chhod dia aur uth kar piche kamre mein chala gaya.

Akhbar par tareekh thi 21 May, 2020

"The End"
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Thank you Everyone for being with me for 62 Days in this story. I have written something after so long time and this is what i have wanted to write 3.5 years back. Sabhi doston ko dil se shukriya, umid karta hun kahani ko apne pasand kiya hoga :hug: Thank you all :thankyou: I hope you all do well in life and be safe in this pandemic period. Good bye everyone :flybye:
 
Last edited:

Indrajeet

Active Member
822
1,567
138

" kya ? " mene uski taraf dekhte hue sawal kiya par koi jawab nahi aya aur jab mene kuch aur puchna cha to achanak se jaise phir kisi ne mujhe hypnotsize se bahar nikala ho aur mei usi jagah aa pahncha jahan par mujhe hona chahie tha, usi kamre mein, stone mere hath mein tha. Mujhe sab yaad aa chuka tha ise pehle der hoti mene apni nazar piche vikrant ki taraf modii vo ek hi taraf dekh raha tha use vo akriti samajh nahi aa rahi thi aur ati bhi nahi kyun ki vo akriti book mein kahin nahi bani thi kyun ki vo akriti kisi khazane ki nahi thi balki meri thi aur africa ka statue bhi meri akriti ka bana hua tha jiske hath mein book thi.

" vikrant " mere muh se halki awaz mein uska naam nikla aur usi pal " dad " vikrant piche ghuma lekin wahan koi nahi tha " dad, dad " vikrant chillata hua khojne laga lekin use sivai bag ke kuch nahi mila. Pathar ke uppar khula hua box rakha tha aur phir uski nazar farsh par pade coin par gayi jise usne utha liya aur jaise hi usne box uthaya zameen zor-zor se hilne lagi aur dekhte hi dekhte vahan pathar girne lage jisme se ek uske sar par aa gira aur vo behosh ho gaya.

Achanak se uski ankh khuli aur vo uth baitha. Ubasi lete hue usne apne pajame ke uppar se lund khujaya aur laptop ki screen utha di. Password dal kar usne pichli raat wali video resume ki aur pajame ke uppar lund ko masalte hue screen par chal rahi chudai dekhta raha aur phir ek kampan ke sath gehri sans lete hue apni jagah se khada ho gaya.

Kamre ke usi kone mein ek chota se washbasin se pani ko muh mein dala aur thuk dia. Phir zameen par pade akhbar ko uthaya apni kursi par vapis aa baitha.

" President ki beti ke sath rape aur murder, aropi Manish Mehra sakht kaid mein " ubasi lete hue usne akbhar ko wahin chhod dia aur uth kar piche kamre mein chala gaya.

Akhbar par tareekh thi 21 May, 2020

"The End"
Areeeee sala ye to time loop h but bc ye samjh me nhi aaya ki agar Alok aur Vikrant ek kaise ho sakte h ...they are different personalities...Vikrant is biological son of alok then how is this possible that they both are same person??....
 
Top