• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Too-Young-4.gif
Rang dhal jaate hain Din badal jaate hain
Raatein so jati hain Raahein kho jati hain
Pyar khota nahi Pyar sota nahi
Pyar dhalta nahi Haan badalta nahi

Hum hain is pal yahaan Jaane ho kal kahaan
Hum milein na milein Hum rahe na rahein
Rahegi sada yaha Pyaar ki ye daastaan
Sunenge sada jise Ye jameen aasmaan


Javed Akhtar
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Too-Young-1.gif


----: Few Words :----

Ek aur kahani me sabhi mitron ka swagat hai.

Aap sab ka sath kafi lamba raha hai. Aap sab ka pyar bhi mujhe khub mila. Likhne ki jo ek aadat ki shurwat kabhi hui thi, fir wah thamne ka naam nahi liya.

Kisi kahani ke sath achhe to kisi kahani ke sath bure anubhavon ko samete ye krawan aage badhta raha. Ek baar aur ye karwaan badhane ja raha hun. Ummid karunga aap ka sath aur aap sab ka utsah bana rehe.

Kahani ke har patr aur ghatnayen sab man ki upaj hai. Isliye main kewal itna hi kahunga, dil se jude patr ko jiyen, aur jab screen band karne lage to uss patr aur ghatnaon ko wahin chhod den.

Ye ek saaf suthri samanya si romantic story hai, jise likhne me mujhe khud hi kafi samsya ho jati hai. Romance ke 100 word type karna mere liye kisi anya genera me 10000 word type karne jaisa lagta hai. Isliye der sawer ke liye agreem kshma chahunga.

Anth me itna hi. Aap ki smikshayen kisi khurak ki tarah hoti hai jo iss jagah se mujhe jode rakhti hai. Isliye dil ki pahli awaj jo nikle usse panno par utar kar jaroor post kar den, taki aap ke sath sath mera manoranjan bhi hote rahe.


Dhanywad
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Too-Youngca9e55d6dbe1302b.gif

सुकून की बात मत कर ऐ गालिब,
बचपन वाला इतवार अब नहीं आता।
जीवन की भाग दौड मे क्यूँ वक्त के साथ रंगत खो जाती है ?

हँसती-खेलती जिन्दगी भी आम हो जाती है।
एक सवेरा था जब हँसकर उठते थे हम,
आज कई बार बिना मुस्कुराये ही शाम हो जाती है।

कितने दूर निकल गए रिश्तों को निभाते निभाते,
खुद को खो दिया हम ने अपनों को पाते पाते।
लोग केहते है हम मुस्कुराते बहुत है,
और हम थक गए दर्द छुपाते छुपाते।

खुश हूँ और सबको खुश रखता हूँ,
लापरवाह हूँ फिर भी सब की परवाह करता हूँ।
मालूम है कोई मोल नहीं है मेरा फिर भी
कुछ अनमोल लोगों से, रिश्ता रखता हूँ।


मुंशी प्रेमचंद
Naino ki chaal hai,
makhmali haal hai
Neechi palkon se badle samaa

Naina sharamaye jo,
ya anake bar aaye jo
Tham ke ruk jaaye dono jahaan

Rab ki neemat hai teri nigaahein
Jisme basti hai uski duayein
Aise naino ki baaton
mein koi kyun na aaye


Niranjan Iyengar
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Too-Young-3.gif

INDEX



UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
UpdateUpdateUpdateUpdate
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,615
80,592
189
Momorable & Hilerious Comments By Readers


Wo kehte hsi na ki aapka vyavhar hi aapka parichay hai.... jab kisi aur se is baat ki aasha karte hai ki wo achha aacharan kare, to khud bhi apne bartav ka dhyan rakhna chahiye.....
Disksa ki shaadi mein aaye ye Kumar, Jay, sadhna jaise log amir to ban gaye, besumar paise bhi kama liye par in sab khoye ye log ek cheej kama nahi paya.. ya phir shayad sikh nahi paya inlogo ne aur wo hai achha acharan...
ye log bhi to school college gaye honge, inke bhi teachers rahe honge... kya aaj agar unme se koi teacher waha hota to aise hi acharan karte..... to Kalpana madam ko dhakka dene par inlogo ne apne Bodyguards ko kuch kyun nahi kaha....
Kya isliye ye bhed bhav kyunki madam inki un teachers mein se nahi hai...
par guru to guru hi hote hai na... siksha to guru se mile..
ek teacher ki ijjat jo log karna na jaane unki jindagi pe hi thu hai...
Khair... actually galti inki nahi hai... galti inki parwaris ki hai..
Bhale hi inlogo ne maafi maang li hai par Som ne jo aisi ki taisi ki inlogo ki,, andar hi andar inke ahankar ko inke ego ko aaghat pahucha hai... baad mein mauka dekh palatkar jarur waar karenge ye namurad log..
Waise ye log aise hai to inke maa baap kaise rahe honge :akshay:
Inka pura khandaan kaisa raha hoga :akshay: shayad gatar ki paidayas hai ye Kumar, Jay, sadhna jaise log... aur inka pura khandaan bhi :D
Mana ki Lata aur madam ne mamle ko sambhaal liya lekin Som ne jo unlogo ko jawab mein bas thuk ke bejjati ki hai wo sach mein kabile taarif tha.... coz.... kisi ko dekh ke thukna ye jahir karta hai ki samne wale ki aukat thuk barabar hi hai :D
matlab itna gira hua ki uspe sirf thuk hi sakte hai..... superb yaar... jaise ko taisa diya.... Som ne thuk kar hi bata diya ki Kumar, sadhna, Jay ya wo commissioner jaise log chahe kitne bhi amir kyun na ya powerful uske liye thuk barabar hi hai... :D
Baaki Som bhi kuch zyada hi gusse mein aa gaya tha upor frustration mein aake Sharab bhi pi li isliye madam, Lata aur diksha ne ushe room mein ekant mein rehne ke liye bhej diya... taaki aur bakheda na khada ho...
lekin ye anchaahi ghatana ghati isme Som ki galti nahi... galti to un dusre paks walo ki hi thi.... jo apne paise aur power mein itne magrur aur ahankari ban baithe.... ki ye log Baakiyo logo ko kuch samjhte hi nahi... Like kide makode ho..
lekin aaj ke baad ye log yaad rakhenge ki samne wala sadhe khapde mein simple sa vyakti bhi inko inki aukat dikha sakta hai wo bhi bhari mehfil mein ....
Khair... kaafi dilchasp update tha... aur Som ne jo role aada kiya hai update mein bole to
20210422-142725
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:


toh suru karte hum review...
par kare kaha se.... :hmm2: ....... :idea:
Update ke suruwat mein jaise Faisal kisi sher ki tarah dahar raha tha, interval hote hote kisi memne ki mi miya ne laga..... aur lo students se panga... aur sabse badi baat.. saamne wala ya wali ki aukat aur power kya hai, kitni hai... ye jaankari rakhe bina hi yun aise abuse karne chala aaya tha... ye bas murkhta ki atirikt aur kuch nahi....
Sia jis family se belong karti hai, wahan se kisiko aane jarurat hi nahi hai.... bas ye khabar pahunch jaani chahiye Som ke kaano tak.... phir Faisal ke sath sath uske dad ka bhi bajud hi mit jaaye puri tarah....
Par yahan ek twist hai, jiske chalte na sirf Sia ne Faisal ko bina kuch bole ya kiye jaane di ya yun kahi jaaye kasif uska dad hai ye sunte hi ushe waha se baizaat jaane diya ...
usko to chhod di bina kuch kiye par shayad kaafi bada Sadma laga hai ye baat jaan ke... ki kasif ka beta Faisal hai , jis Faisal ne abhi abhi ushe itni ghinoni baatein kahi thi.....
lekin Sia bichari bhi kya kare, wo bhi majboor... isliye Vyas, meera & party se baad mein milne ki baat keh ke waha se nikal gayi....
ab Sia ko jo hua tha us topic ko lekar Vyas & party ne kayi baatein ki, baatein kahi aur se kahin aur hi pahunch gayi......
Par in baaton se Vyas, Asif aur Riaz ne Sia se related kayi baatein jaan gaye... kayi baatein clear bhi ho gayi, wohi dusri taraf meera aur neero bhi ye jaan gaye ki kasif Mishra family se belong karte hai..
Ki gayi bejjati ka badla na le paane ki majboori se satayi Sia ghar pahunchte hi dil mein uth rahe dard ko chupake hanshti muskurahati ghul mil gayi....
waha ghar par bhi ajib hi drama chaling... Khair baaton baaton mein Sia ne mann mein uth rahe ek sawal bhi puch liya Diksha aur Som se.... I think,, aaj jo hua college mein shayad isse kuch atit mein ghati ghatanao ki bhanak lagi ho Sia ko... jo uske bina jaankari ke ghati thi.... shayad Sia jo UK chali gayi thi, ye UK jaana aur ghatana aapach mein connected ho... isliye wo sawal puch rahi thi....
chaliye aate hai hum masoom reader naina ki point of view se chuni gayi kuch aham baaton par vichar kar lete hai...
Dono update mein pasandida kirdaar?
are ye bhi puchne wali baat hai kya... are shat pratishat Vyas hi favorite raha hai aur aage bhi rahega :love:
lekin I'm extremely sorry Vyas
Coz aaj teri aisi ki taisi karne wali hoon main....
Meera pe kya soch ke hath uthaya.... tere hath indino kuch zyada hi nahi chal rahe.... teri kamayi pe pal rahi kya wo... kamine... mana ki uske gharwale khaskar uski khudki mom ushe neglect karti hai... Wo saal dar daal wo karwi baatein, wo nazar andaz karna sakti aa rahi hai aur saamna karti aa rahi hai... par iska hargiz ye matlab na hua ki tu ushe baar baar thappad maare aur wo hanshti rahe, just because ab ushe apno se hi ruswayi ki adad ho gayi hai.
dost ho na to meera ke liye kuch aisa karo ki uske dil mein jo dard hai wo thoda kam ho jaaye... kuch aisa karo ki kuch pal ke liye saare gamo ko bhool dil se hanshne muskurane lag jaaye.... Dost ho na to dosti nibhao.... Hath kahe utha rahe ho uspe :mad1:
next time hath uthaya meera pe to main bhi bhool jaungi shayad ki tu mere favorite characters ki list mein hai... phir to writer sahab bhi bacha na paaye teko....

Dono update ki khoobi?
Pehli baat to kabhi kabhi insaan ko aise situations ka samna kar jana padta hai, jaha insaan chaah kar kuch kar nahi paate, waise aise situations kayi tarah ke kayi prakar ke hote hai... jaise ye situation jo Sia saamna kar rahi thi....... wo chaahkar bhi kuch nahi kar saki, just because Faisal kasif ka beta hai....
........ well is baat zyada nahi kinchti, chaliye point to point baat pe hi aati hun...... Sach mein Sia jab se entry li har baari kuch aisa kar jaati hai ki ye bachhi mujhe hi hairangi mein daal deti hai.... waise haalhi mein jo hua hai ushe dekh ke ye baat clear hai ki jab Sia kisi se dil se rishta jodti hai to puri tarah wafadar, nischal aur niswarth tarike se nibhati hai... na keval jise apna mana usse balki unse bhi jo un apno se jude ho....
ishi niswarth, nischal aur wafa wale guno ke chalte bina kuch haani pahunche Faisal saaf saaf bach nikla, warna jo rodra roop dhari thi Sia ne I thought ki ye Faisal aur uska dad to giyo aaj se....

Kya kahani ke kirdaar ek dusre ki ahmiyat samjhte hai.. .?
Haan... of course... Kyunki maine aise kayi kahaniya padhi hai jaha sakaratmak soch hote huye bhi kayi kirdaar aapach mein hi bair rakhte the.. haalaki ye galatfamiyo ke chalte zyada hota hai.. jo apne paas hai unki hi ahmiyat nahi samajhte... aur jab tak samajh paate hai wo itne door chale jaate hai ki chaah kar bhi unko pa nahi sakte.... chaahe romantic story ke way mein hi sahi lekin aapach mein kaise mil jhul ke, ek understanding ke sath rahna chaahiye is baat darshane ki koshish ki lekhak ne.. .. Khair.... aate hai situation aur kirdaar pe.... Sia..... rishto ki kya ahmiyat hai, ye koi usse sikhe.... Warna college mein aaj jo hua agar koi aur hoti to ab tak dono baap bete ki reli nikal deti pure shahar mein.... lekin apno se hi jude logo ke sath bura ho iss baat se aitraaz hai Sia ko, chaahe gaaliya wo khud sun le, chaahe beijjati khud seh le lekin mazal hai kiski ki jo uske apno par ya unse jude log par ungli bhi uthaye.... is mamle Sia sach mein respect ki kabil hai.
KUCH SAKARATMAK MAMLO MEIN aaj uski jagah aur uchi ho gayi meri nazar mein...
vastavikta?...
agar Vyas, Riaz, Asif aur thodi bahot meera ki taraf turn lu to haan ye kirdaar, background, family aur unki bhumika bahot had tak realistic lage... lekin wohi dusri taraf Som /Sia /Diksha & party ko dekh lage ki fantasy story read kar rahi hun.... kyunki inki achievements, kuch dialogues, inki kuch aadatein, inki kuch ajibo garib bhumika dekh lage ki kalpnao jagat rahne wale kuch insaano ki activities ko padh rahi hu.....
e. g. Sia ko hi pakadti hun example ke liye :D
Meera jo bata rahi thi manager banager, apni hi company pe job, tankha, aur baaki sab bla bla.....
ushe padh ye lage ki shayad Sia koi supergirl hai...... kaalpanik paatr jo kuch bhi kar sakti hai, abhi dekhiyo kaise 2 saal mein hi complete kar legi mbbs...... :D
Khair..... Mujhe Kya..... :p:

Thrill, suspense, Romance, action, brutality, emotions ka level ..?

action writer ne hone nahi diya... :bat: thrill aur brutality bhi add hone nahi diya :chop:
agar Sia, fasal ko maut ke ghaat utar deti detikhaufnaak aur dardnaak tarike se wohi, ushi waqt to padhke dil ko bhi ek thandak mil jaani thi...
ki chalo maut ka silsila to suru hua :D
waise aapke purane readers mein se ek main hu abhi yahan pe so aapki is reader ki kaleje ko thandak mile uske liye kuch murder mystery bhi add kijiye :D
agar Sia nahi jaanti kaise murder mystery create ki jaaye to ushe nain11ster saheb ki Story series ishq risk pe bhej dijiye... nischal aur nandu sikha denge :D
phir dekhiye kaise sab okay okay ho jaane hai....
Baaki is do update mein romance ki kami rahi....
Coz jo ghatana ghati uske baad akshar insaan kise apne ke kandho ki jarurat hoti hai, unse baatein kar apne dil ko halka karne ki jarurat hoti hai..
us ghatana ke baad I thought ki Vyas hi wo insaan hai jiske agosh mein jaake Sia apne dil mein reh, reh kar uth rahe dard ko halka karne ki koshish karegi, lekin wo to gam chupaye family ke sath ghul mil gayi... par us dard ka kya jo kisi sui ki tarah dil ko chubh rahi ho...
emotions...... Sia jis dard se gujar rahi ushe dekh khud emotional ho jau...
Update mein jo bhavnatmak roop se Sia tut gayi thi ushe padh lage ki kuch aise bhi dukh dard bhi hote jo khud se hi jhelni hoti hai... abhi ye jis kaaran dil mein ek tees si uth rahi thi iske baare mein Som ya apno ko bata deti to shayad mamla hi out of control ho jata... isliye dard chupaye muskuharti rahi...
Suspense.... Update ke last mein jo sawal Sia ne som aur Diksha puch rahi thi... usse kuch suspense create ho rahi hai... uske alawa to suspense ki baatein na dikhi mujhe.... waise UK achhi study ke liye ki koi aur hi kaaran hai, Btw jo bhi kaaran ho lekin itna to jarur hai ki sia ki bhalayi ke liye hi UK bhej di hogi.

kya kirdaar aur kahani ne a aapko abhi tak kahani ke sath jude rehne ko majboor kiya...?

shat pratishat.... aur shayad aage bhi kayi baar padhu is kahani ko... readers ke yahi bolu ki ek baar aap jarur padhiye is kahani ko.... aap log jitni baar padhenge is kahani ko... utni aapke dil ke karib hoti jayegi ye kahani....

Story related Kuch mann ki baatein .... :D

Well Kayi kahaniyo mein bahot saare update hote hai, to kayi kahaniyo mein hazar ke upor tak update hote hai, lekin mujhe wo kayi hazar update nahi chahiye, mujhe bas wo chuninda update wali kahani chaahiye jisse padh mann ko tassali aur khushi mile... (jin update se Vyas, Riaz, Asif & family & unki simplicity judi hai, haan kuch ek update mein Sia aur meera bhi best performance di hai )
kirdaaro se, unki paristithi se, unki haalat aise jud jau ki lage ki haan main unke sath kadhi hun us situation mein, un paristithiyo ka samne karne ke liye....
is kahani ke har wo update un chunida update mein se hai, Jo ye ehsaas dilane sampurn roop se saksam rahe .. Pehlu, mod aise ki hazar baar kahani aur update se jude kirdaaro se dil se judne ko jee kare.... abhi haalhi ke do update mein jo situations create huye the .. Uske sath itna kuch ho jaane ke baad bhi wo chup rahi... wajah simple hai yaar... wo kabhi nahi chaahegi uski wajah se kisi apne ko dil mein dukh na pahunche .. waise romance king nain11ster ki story pe dono update mein romance ki bhaari kami rahi... par upcoming update mein writer sahab kut kut romance bhar de kirdaaro ke jariye .. wo kehte hai na ki picture abhi baaki hai mere dost....
ant mein dono hi update dilchasp aur dilkash the aur sath hi kirdaaro ki bhumika bhi.... Kash kar Sia.... bahot behtareen tarike se role nibha rahi thi.... ..
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
( Aur haan meko sakaratmak counter reply chaahiye is revo ke badle.... warna :bat:)
 
Last edited:
Top