-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Mast zabardast awesome updateUpdate:-58
Vyas:- Sab paglon shant ho jao. Neerav ye poori history mat palat.
Meera:- Haan Neero history palat kar aise facts na de. Aaj kal jawani ka dil jyada kamjor hota hai... Heart atteck na aa jaye..
Vyas:- Bus shanti.... Point to point batao Neerav...
Meera:- Aree dono ko ladne do. Point to point main bata deti hun.
Thappp ki ek jordar awaj aayi. Itni tej thapki maar kar Vyas ne hath jode ki Meera apna chehra pichhe karti... "Haan samjh gayi. Neero tu hi bata"
Neerav:- "Sia didi aur Som Sir, Anurag Malhotra ke bacche hain. Bhabhi (Diksha) Lata Mishra aur Kapendra Mishra ki eklauti beti hai. Jaise main aur Meera class ke pahle din se sath hain, thik waise hi Bhabhi aur Som sir hain."
"Kafi strong bounding hai unke dosti ki bhi. Diksha aur Som aise jude naam hai jaise Vyas, Asif aur Riaz hai. Koi ek dikha to sab ko yakin hai ki baki bhi aas-pass honge. Jaise akele adhure se lagte hon. Ab Som sir aur bhabhi ek dusre ke sath connect the aur wahin boarding me in dono ka jaisa nanhe khilone Sia didi ne admission liya ho. Bacche ki tarah khyal rakhte the ye Sia didi ka. Aur fir jab Lata aunty aur Kapendra uncle se mulakat hui tab ye dono bhai-bahan connect huye Mishra dampatti se. Ab to inke soch me bhi nahi hai ki Lata aur Kapendra Mishra unke parent nahi."
"Aur Mishra dampatti.… Unke samne jis kisi ne bhi unhe ye ehsas karwaya ki ye dono unke bacche nahi. Aaj na kal jab mauka milega apni bhadas nikal lenge. Bhabhi ke nanihal se le kar dadihal paksh tak har koi janta hai aur utne hi strongly manta bhi hai, Sia aur Som, Mishra dampatti ke santan hain. Usme bhi Sia didi poore khandan ki hi jaan hai. Agar yahan ki baat unke ghar me se kisi ko bhanak bhi lagi hoti na, aur jis prakar se Sia didi bhadki thi... Bhagwan jane unka kya hota?..
Riaz:- Fir uss kutte ke bacche ko chhod kyun di...
Asif:- Maan le ki Danish ke bare me Vyas ko pata nahi hota aur dono ke bich serious lafda ke baad pata chalta ki wo Mujib chacha ka beta hai, to kya Vyas aage baat badhata...
Vyas pahle se hasne laga. Riaz, Vyas ko dekhte… "Sale pahle bol lene de. Abe pahli baat..." Itna kah kar Riaz bhi hansne laga...
Meera:- Kya hua khud me hi kyun hanse ja rahe ho...
Asif:- Dono pagal ho gaye hain..
Vyas:- Abe ab tu apne naye abba ko chacha bolega to hansi hi aayegi na. Sale abba bolne ki aadat daal le...
Riaz:- Batao aur compare bhi kis se kar raha. Mujib chacha bechare humare school ke soft teacher me se ek hain. Sale gidgida kar paise aithna to unhi se sikhe the na. Paun jab bhi humne pakde hain bechare ne 50 rupye se kam kabhi nahi diya hume. Upar se master sahab ke dayawan hone ke kisse kaun nahi janta aur ye Faisal ka baap. Sala wo to poora jallad hai.
Vyas:- Ek baat to Sia bahut sahi kah gayi yadi Faisal ke dada ne galti na ki hoti to UP se 4 kamine kam ho jate...
Asif:- Mujhe lagta hai Sia ke maa ya pitaji me se kisi ka koi close relation Kasif ke sath jaroor hoga. Tha to Kasif bhi kisi daur me Mishra hi.
Meera aur Neerav chaunkte huye... "Kya?"
Vyas:- "Haan wo converted muslman hai. Baap ne jis politician ke pass rah kar rajniti sikhne bheja tha ussi ki beti se shadi kar liya. Dono parivar aur unke samaj ke bich lambi jhadap chali thi. 365 din me se 300 din to carfue hi laga rahta tha."
"Iss chakkar me Kasif ka political carrier ghusne laga. Muslim beti bhagane ke liye dhudhkar rahe the to Hindu, muslim ko apne ghar me lane ke liye. Fir kya tha bacha liya apna political carrier..."
Meera:- Baba re UP me kitni kahaniyan hai. Sab se jyada to love marriage ki hi kahani hai.
Neerav:- Haan to yahi hua hoga. Kasif Sehnavaj aur Mishra dampatti ek dusre ke close contact wale honge....
Vyas:- Haan haan thik hai.. thik hai...
Asif:- Abe tujhe kis kide ne kaat liya. Ye achanak kya bake ja raha hai..
Vyas:- "UP ki khabar jis aadmi se banti ho, uske ladke ko humne pahchan kya liya, Miss Meera ne hume gundey aur don ki Wikipedia bol gayi. Lekin apne mentor ke bare me ek shabd nahi..."
"College ke pahle din se Sagar ki maal.. oops… sorry Sagar ki girlfriend ko Sia janti hai. Thappad bhi poore background jaan'ne ke baad mari thi. Phone laga kar uske baap ko aise harka di jaise raah chalta koi aadmi ho... Iss nishkarsh par koi tippni..."
Meera:- Sidhe-sidhe hi puchh lete ki Sia didi Amol Nanda ko kaise janti hai…
Neerav aankh dikhaya aur Meera apne aankhon se hi usse shant rahne ka ishara karti.…
"Sia didi iss waqt apne arbon ki company ki managing director hai. Kya samjhe sir. Poori company single hand dekhti hai aur unke sare competitors unke business growth ko dekh kar hairan hai. Amol Nanda, Sia didi ke company ka wo business associates tha, jiske sath chal rahe business agreement ko bich me hi kharij kar ke bahar ka rasta dikha diya tha"…
Meera ki baat sun kar Neerav muskuraya. Mano aankhon se hi kah raha ho, "haan ye sahi hai"... Ab aisa to tha nahi ki ye teeno in dono ke ishare baji ko samjhe na...
Asif, Neerav ka collar khinch kar uske sar ko aage kiya aur mathe par pani udelte... "Ye ankhiyon ke ishare kya hai be. Ye bhasha hume bhi thodi-thodi aati hai. Bol aankhon ke ishare se Sia ke bare me batane se mana kyun kar raha tha..."
Neerav:- Kyunki tum sab ko ye na lage ki wo carorepati ya arabpati hai. Wo kaam karne ke evaj me shayad 40k salary leti hai aur itni hi unki apni income hai...
Vyas:- Khud ke hi company se salary..
Meera:- Haan har koi jo company me kaam karta hai wo salary leta hai. Company ke profits jo hain wo shareholders me devide hote hain. Wo sara profit ka paisa wapas se company me lagta hai. Jis shareholders ne apna profit company se nikala, uske share company se kamti hote jate hain... Ye hai mota-moti aur upar-upar hisab kitab. Baki detail ke liye company laws Google kar lena...
Vyas:- Abhi jo humne second class chhodi hai filhaal to uske liye Google karo… shukr hai Neerav aaj ke combined study ke baad Delhi niklega warna fir kitab ki khak chhante... Chalo re mandli samay dekho third class ka time ho raha hai...
12th tak boarding, post graduation tak UK. Sia ko aaj tak kabhi aise logon se vasta hi nahi pada jo itne ghatiya tarike se muh par baat kare. Wo bhi anth me kaun nikla... Sia bardast hi nahi kar payi... Car chala to rahi thi lekin uski aankhen jhilmil thi. Sadak dhundhla najar aa raha tha aur dil se bus yahi nikal raha tha... "Kash koi aur hota tab dil me aisa dard na hota"…
Sia ko rah rah uski ghatiya baten yaad aa rahi thi jo kisi teer ki tarah uske kaleje me chubh rahi thi. Ghar ka mukhya darvaja samne tha. Sia aaene me apna khincha chehra dekhi aur apne chehre ki bhavna ko apne muskaan ke niche dabati, ghar me praves ki.
Sia car park karti cottage ke darvaje par najar dali. Diksha to jaise darvaje par hi najar bichhaye thi. Sia dur se hi Diksha ko dekh kar samjh gayi ki wo subah se uske intzar me hai aur uske jhuthe facial expressions ko wo turant bhaanp legi... Isliye Sia ne khud ko hi divert karne ka faisla kiya...
"Jija ji... O jija ji"…. Sia cottage ke darvaje par aane ke sath hi chillana shuru kar dee...
Pranshu:- Kya ho gaya sali sahiba, mujhe bade siddat se yaad kiya ja raha hai..
Sia ek najar Diksha par mari aur uske pichhe khade Pranshu ko dekhti... "Kyun na yaad karun, duniya me ek hi to jija ji mile hain. Jaldi se taiyar ho jao hum dono movie chalenge."
Diksha:- Baad me chali jana... Prince abhi Ahmedabad ke liye nikal rahe hain...
Pranshu:- Lekin main to weekend tak hun na... Monday morning jaunga...
Diksha apne khinche chehre par jabardasti ki muskaan laati... "Office se phone aaya tha aaj, 5 baje evenig ki meeting hai"..
Pranshu:- Haan lekin wo to kewal info diya gaya tha. Wahan mera hona thode na jaroori hai.
Diksha:- Jao kaam karo... Aur ja kar meeting aatend karo...
Sia:- Maa kahan ho.. dekho Diksha ko, main jija ji ko film kah rahi dikhane, to ye jabardasti unhe wapas bhej rahi hai...
Diskha:- Maa meri malik hai kya? Shadi kar di aur ganaga naha lee samjhi... Prince jaeye packing kijiye..
Sia:- Had hai, jija ji kyun jayenge... Ja kar tu attend kar meeting. Tu apne sasural ki hogi to kya jija ji apne sasural ke nahi honge... Jao jija ji taiyar ho jao.... Jisko meeting ki jyada chinta hai wo khud jaye...
Diksha:- Som bahar aa... Som...
Lata Mishra:- Kyon chilla rahi aur kitna bahar jayega wo to pahle se bahar gaya hua hai...
Diksha:- Ohhh.. Prince aap ab tak khade ho...
Pranshu:- Sia ek film ki hi baat to kar rahi hai… usme itna chidh kyun rahi ho?
Sia:- Haan itna chidh kyun rahi ho... Tum jao humare liye khana banao....
Diksha:- Tu janti hai na tera jaan bujh kar ignore karna bhi mujhe bura lagta hai. Tune darvaje se dekha tha na main yahin chaukhat par baith kar tera intzar kar rahi thi... Fir pahle mujh se baat nahi kar sakti thi....
Sia natkiya andaz me apna chehra sukod kar, ghurti najron se Diksha ko dekhti... "Aaj raat Nirbhay chahu ke yahan chori karegi to main ignore nahi karti"…
Diksha:- Na... Chori chhod di maine…
Sia:- To ek kaam karte hain.. 2 burkha laate hai aur Riaz ke ghar chalte hain. Tujhe dhoka diya usne aur main teri chhoti bahan... Khub drame karenge udhar... .
Diskha:- Subah-subah paglon jaisi baaten kar rahi hai... Main ye nahi karne wali...
Sia:- To fir Excitment kaise aayega..
Lata Mishra:- Kacche aam laye hain usse kaat kar achar ke liye sukhne de. Aalu ko chhil kar chips bana.. Nimbu ko ghis kar usse achar bana. Kaam shuru kar. Jab 12 baj jaye to in kamo ko kinare karna aur sabke liye lunch banana. Lunch me kathal ka kofta aur aalu parval ki sabji bana. Aaj dal makhni khane ki ikchha hai to wo bhi bana lena aur sath me Bundi rayta. Mithe me gajar ka halwa aur chawal ke kheer. Ye lunch jab taiyar ho jaye to sath lunch karne ke baad wapas se achar aur chips me bhid jana... Aur ek baad fry ke liye nahi boli to iska matlab bhul mat jana, papad, aloo fry, aur bhindi fry ye sab bhi bana lena lunch ke liye... Ho gaya na aaj ke din ka excitment...
Diskaha aur Sia butt bani kuchh der tak to item ke naam apne dimag me hi adjust karti rahi. Dono ko aise putle ki tarah khada dekh kar... "Chal ja jaldi se kitchen aise khade rahne se kaam thode na hoga"..
Sia, gusse me Pranshu ko dekhti... "Jija ji sab aap ke karan hua hai... "
Diksha:- Khush to ho gaye hoge aap... Mil gayi tasalli... Chal Sia...
Pranshu dono ko hairani se dekhte... "Mammi ji ye sab kuchh aapas me hi ki aur jate jate mujh par hi gussa ho gayi"…
Lata Mishra:- Mujhe kya pata teeno ke bich kya baaten ho rahi thi. Main, Mishra ji se gussa kar jati to wo poora din mere sath kitchen me sabjiyan kaat rahe hote. Baki aap ki understanding hai...
Kam to Lata Mishra bhi nahi thi, bechare Pranshu ko kahan jane kah dee. Som jab bahar se aaya aur Sia aur Diksha se baat karne kitchen me pahuncha, wahan Pranshu ki haalat dekh kar sar pit liya. Bechare ko sabji katne wali chhoti si chaku thama di gayi thi aur gode me ye ek fit jitna bada kathal. Wo chhote se chaku se kathal kam kaat raha tha aur khud ki aisi ki taisi kiye huye tha...
Aur idhar ye dono aaram se kitchen slab par baithi kacche aam ko namak mirch ke sath khati hui hansi thitholi kar rahi thi. Ghar ke 4-5 maid alag-alag tarah ke kaam kar rahe the... Jaise ki koi nimbu ghis raha tha to koi chhile huye aalu ko chips ke size kaat raha tha.
Som ko laga shayad Shanti aunty ka kaam kar rahe hain aur ye dono apna kaam Pranshu se karwa rahe. Som dono ko ghurte huye dekha... "Jadeja ji ye aap kya kar rahe ho"...
Pranshu:- Wo main shart haar gaya, isliye kathal chhil kar inhe pieces me katunga aur ubal kar dena hai...
Som apna matha pit'te... "Itna bada kathal kisne kaha katne. Ye to pake honge"…
Pranshu:- Haan meri kismat... 3-4 to pahle kaat chuka hun lekin sab ke sab pake huye nikle...
Som:- Aye paglon sharm nahi aati hai tum dono ko. Paka hua kathal jaan bhujh kar katwate...
Diskha:- Maine socha ek hi kathal me poore parivar ke liye kofte taiyar ho jaye ..
Diksha ki baat sun kar sabhi maid hasne lage. Kyunki ye baat khud Pranshu ne kahi thi. Som ab kya kahe. Bichara bhola Pranshu, lagta hai kabhi kitchen me gaya hi nahi.
Lunch jab taiyar hua tab khane ke bade se table par sabhi baithe huye the. Nirbhay aur Mishra family dono. Pranshu ke veerta ke kisse sun-sun kar sab lotpot ho rahe the. Sham ke waqt Lata aur Kapendra Mishra Pranshu ke sath ghumne nikle the... Teeno, Dikaha, Sia aur Som aapas me baith kar baten kar rahe the... ..
Tabhi achanak se Sia.… "Som, Diksha dono ek baat sach sach batana"…
Dono sath me... "Haan"
"Kya mere UK jane ke pichhe ki koi aur vajah bhi hai... Kya kuchh aisa jo tum dono mujh se chhipa rahe ho aur mujhe un sab chijon se dur rakhne ki kosis kar rahe ho. Aur kya main jis campus me padhti hun wo wakai me students ke padhne ki jagah hai? kyonki wahan ke chhote jhagde jis hisab se deal hote hain poore bharat hi nahi poore vishv me waise students nahi jhagadte"…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Hahaha ,ary bahi hm mazrat khah hain ap se kia krain busy chal raheNahi dikhate kuchh din aur tak to Aqsa ke sath break up pakka karwa deta![]()
majedarUpdate:-61
Call disconnect hote hi Som "Diksha..." bola hi tha tabhi Diksha usse hath dikhati... "Wahan Sia hai aur tu lautne kahega to lautungi kya? Main aur Sia wahan se sath aayenge samjha. Call laga kar bol wahan se sab ko le kar abhi nikle"..
Som call lagata uss se pahle hi phone dekh kar... "Oh no... Sia ka emergency msg hai. Ruk sun'ne de, wahan kya ho raha hai"…
Diksha car bhagayi aur idhar Som phone par kaan lagaye, wahan ki baat sun raha tha. Udhar se aati awaj sun kar Som ne Sia ko relax ka ek return message bheja, aur DiSi ke bache 10 tranier ko bhi wahin bula liya...
Kuchh waqt purv..
Sia darvaje se bahar nikli. Dar aur milne ki utsah dono hi ek sath paida ho rahi thi. Zindgi me aisi manodasha kabhi nahi hui. Sia ke ander pahli baar ye mehsus ho raha tha.... "koi jaan gaya to". Fir achanak hi Vyas ka hansta chehra samne aa jata aur Sia apne dar ko dil me dabaye kadam aage badha leti...
Kuchh dur aage sadak ka mod tha aur wahin apna Vyas, Meera ki scooty liye intzar kar raha tha. Sia jhatak kar apne kadam badhayi. Jis waqt wo scooty par baith rahi thi, ghabrahat se uski dharkane badhi hui thi. Paun kaanp rahe the... Sia fatfat baith'ti... "Sweeto baat baad me kar lena pahle gadi bhagao. Mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai."
Vyas scooty ko mod kar pichhe se nikalte... "Tumhe aur ghabrahat... Kisi ne pareshan kiya kya?".
Sia, thoda chidhti... "Sweeto kaisa sawal hai. Main ghar se aa rahi hun. Dar lag raha tha kisi ne dekh liya to"…
Vyas:- Don't fear when Vyas is here...
Sia:- Sweeto, waise to mera bhai dur-dur tak bilkul shant rahta hai lekin uski maa ek baar bhadki na to bhagwan bachaye tumhe. Chalo jaldi...
Vyas:- Chill Sia ghar se dur nikal aaye hain...
Sia:- Are inka koi thik hai kabhi bhi kahin bhi pahunch sakte hain...
Vyas:- Bus shant baba... Kyun ghabra rahi ho... Lo aa gaye, safe & secure place…
Sia najar utha kar jagah ka poora muaayna karti… "Ye construction site safe aur secure kaise ho gaya"…
Vyas:- Kyunki yahan Pandit Vyas Prasad Shashtri hai aur uske hone se hi ye jagah safe ho gayi... Chale meri sweety...
Vyas ki baat sun kar Sia ko hansi aa gayi, kyunki iss site ki safety aur security ke bare me Sia bhi janti thi. Sia kuchh nahi boli bus Vyas ko khush dekh kar wo bhi khushi khushi uske sath chal di.
Dono construction site ke makan ke niche the. Jamin se 4 fit uncha floor tha, dono kinare niche paun latka kar baithe. Sia, Vyas ke kandhe par apna sar dal kar apni ghabrahat ko kam karne ki kosis kar rahi thi...
"Ab sath aaye hain to itni khamosh kyun ho?"… Vyas dhime se apne hath badha'kar Sia ke hath thamte huye puchhne laga...
"Soch rahi hun ki aakhir Vyas sir mujhe iss Viran se counstruction site par kyun le kar aaye hain. Maine socha kisi garden me chalenge"…
"Jagah ko chhodo aur meri suno na please"… Vyas, Sia ke gal par apna hath firate kahne laga...
Sia, Vyas ko dekh kar hansti hui... "Achha ji matlab mujhe idhar udhar haath lagaana hai isliye iss khandhar si jagah me le kar aaye"…
"Siaaaaaaa"….. "Vyassss"
"Off o... Tum mere dil ka haal kyun nahi samjh rahi"…
"Kyun samjhun dil ka haal. Uss raat apne dil ka haal bata gayi ussi ka fayda uthaya ja raha hai Shashtri ji, warna apna haal-e-dil, dil me dabaye canteen me pade rahte. Mujhe ghar se yun bahar nikalne me ajib sa dar lag raha hai. Tum mera haal-e-dil kyun nahi samjhte"..
"Tumhe bhi ghar se dar lagta hai".. Vyas mazakiya andaz me hanste huye kaha..
"Vyas mujhe chhedna band karo. Sach me mujhe bahut ghabrahat ho rahi hai"… Sia nakiyate hui kahne lagi...
"Tumhe pata hai Neerav aaj apni gf se milne Delhi gaya hai. Budhwar ko lautega. Khuchh sikho apne junior se"..
"Achha kya sikhna hai apne junior se mujhe Sweeto"…
"Neerav apni lover se milne kal gaya aur Wednesday ko lautega. Poore tin din uske sath"…
"Tum bhi humare bare me sab ko bata do fir mujhe bhi koi aapatti nahi hogi"…
"Haan to thik hai aaj hi bade bhaiya ko bata deta hun"…
Sia, Vyas ko ghurti... "Khabardar jo abhi kisi ko bataye to"…
Vyas, Sia ke mathe ko apne kandhe se wapas lagaate... "Chaunkna bhi ho to kandhe par lete-lete chaunko na. Waise meri sasu maa kamal ki hai... Maa bata rahi thi ki pahle minute me hi meri saas ne tumhari saas se humare rishte ki baat kar lee"…
Sia vays ke baanh ko apne dono hath se jakar kar sar ko sine se tikaye, sukoon ki shwans khinchti... "Sir main wahin par thi aur mujhe bata rahe ho. Meri saas ne to kah bhi diya ladki pasand hai"..
"Haan aur wo seriously kah rahi thi bhale uss waqt mahol hansi mazak ka tha. Maa mujhe akele me le ja kar kahti hai, Sia ko dekh kar to mere dil me jalan hone lagi ki wo sirf teri dost kyun hai. Mera to mann kar raha hai tere papa ko abhi bhej dun"…
"Abhi mujhe upar-upar dekhi hai na isliye. Poora janti to kahti beta pahle bantwara kar le fir shadi karna"…
"Pagal kahin ki... Janti ho tumne jab mera phone nahi uthaya tha kitni taklif hui thi"…
Sia, Vyas ko khud me bhinchti... "Band karo baat. Aise shant mahol achha lagta hai"…
"Hammm !!!" Ki ek dhwani nikli. Vyas, Sia ke gaal par hath ferne laga. Sia apne chehre par hath ke iss madhur sparsh ko mehsus karti dhire dhire apni aankhen band kar li. Dono ki shawns gahri aur dube se khyalat the.
Dur se motercycle ki aa rahi aawaj dhire-dhire pass aane lagi. Bilkul boundry ke bahar se aa rahi motercycle ki aawaj se Sia ka dhyan toota. Sia sidhi hoti... "So gaye kya Vyas"..
"Tum uthi kyun… aa jao sine se apna sar tika kar apne baju lapet lo"…
"Bahar koi aaya hai... Ye kiski jagah par le aaye"…
"Kisi bewakoof malik ki khubsoorat si jagah hai. Shandar location ki jamin aur shandar figure wali ladki ko kabhi khule me nahi rakhna chahiye. Bhediye loot lete hain"…
Vyas, poore flow me bol gaya. Sia ka ho gaya para high... "Matlab khubsoorat ladki dekho aur loot lo. Koi jagah pasand aa gayi to uss par kabja kar lo. Aam insan ke sampatti bich sahar me ho hi nahi. Kisi aam insan ke yahan khusurat ladki paida ho to uska gala hi ghont do"…
Vyas khud ko hi 4 galiyan dete… "Sala ye mavaliyon ki kahawat mere juban par kaise aa gayi. Itna ganda matlab tha kya... Flow maintain ke chakkar me ye kya bol gaya"
Sia gusse me ab tak Vyas se 4 fit ki duri bana chuki thi. Vyas apne baton par vichar kar raha tha aur Sia boundry ke ander aate couple ko hairani se dekh rahi thi. Dono ek dusre me khoye aur ek dusre ke kamar me hath dale chale aa rahe the.
"Haan issi ki kami thi. Ab ye tumhe dekh kar hansega aur bhadda sa ishara karte puchh lega... "Ladki pat gayi kya"... Uss se bhi nahi hoga to indirect tanj karega. Main kyun bhul gayi ki aaj to Pandit Vyas Prasad Shashtri mujhe 50 ladkon ke bich chum kar usse jalayega... Kahega dekho meri girlfriend."…
"Sorry... Sorry... Sorry... Shant ho jao gadadhari bhim"…
"Main tumhe bhim dikh rahi hun kya Shashtri"…
Sia itni tej chillayi ki boundry se ander aa rahe Asif aur Aqsa dono chaunk kar alag ho gaye. Vyas khud ka muh chhipa kar pichhe mudte... "Shant ho jao Sia please"…
Aqsa ki najar jaise hi samne ke ore gayi, ek ladka pith uski ore kiya tha. Piller ke side me ek ladki khadi thi magar kinare se khadi hone ke karan dikh nahi rahi thi.… "Asif ye kaisi jagah le aaye... Yahan kisi ne pahchan liya to alag hi matlab nikalenge"…
Asif:- Areee tum darti kyun ho, kuchh bhi baat hui to turant hi tumhara ye aashiq.. kabul hai, kabul hai, kabul hai karta hua tumhe apni begum bana lega… Ab bilkul nahi darna hai. Waise chalo yahan se chalte hain. Lagta hai kuchh premiyon ne pahle se ye jagah book kar lee hai"…
Bechara Asif... Ab Vyas pichhe muda rahe, ya chadar odh kar chalte rahe. Itna lamba sath tha ki bhala pahchane nahi. Usse lag gaya ki wo Vyas hai, isliye Aqsa ko wahan se wapas le jana chah raha tha. Haan lekin ye bhi Vyas ki tarah flow maintain karne ke chakkar me fansa...
Aqsa, Asif ka hath chhod kar uske samne khadi hoti.... "Aur tumhe aisa kyun lagta hai ki ye jagah pahle se book hai. Tumhe itna confidence kaise ki ye jagah khali milegi... Kiske sath aate rahte ho jo iss jagah ka itna gyan hai tumhe Asif"…
Aqsa ki baat sun kar Asif ka dimag thanka. Kabhi bechara Asif, Aqsa ko dekhe to kabhi pichhe mude Vyas ko. Bole to kya bole, chup-chap khada ho gaya...
"Aise chup chap kyon khade ho... Jawab kyun nahi dete?"… Aqsa bhi poore jor se chillayi... Iss baar Aqsa ki aawaj sun kar Vyas chaunk gaya... Aur ussi waqt boundry se ander aate shaks ko dekh kar, Sia khud ko piller ke pichhe chhipati... "Vyas pitaji…" … Sia ki awaz sunai to nahi dee lekin pichhe mud kar dekh jaroor liya, kya pata Aqsa, Asif ko thappad maar rahi ho…
Bach gaya usse bhagte koi nahi dekha kyunki wahan to kuchh aur hi chal raha tha.... "Tum kaun ho ladke, kyun pareshan kar rahe ho iss ladki ko"… Maaniya shree Kapendra Mishra ji, Makhan Lal ke sath pahunch chuke the jinhe ek ladki ki tej awaz sunai de gayi thi. Iss se pahle ki Asif kuchh jawab de pata, netaji Asif ko pahchante... "Asif ye sab kya hai. Ye ladki kaun hai aur tum par aise chilla kyun rahi thi"…
Pahchan ka koi nikla. Aqsa ki ho gayi haalat kharab aur hakka bakka sa Asif, ghabraya sa.… "Wo ye netaji...'
Kapendra:- Tum "ye wo" kya laga rakhe ho. Beti ye tumhare sath koi jabardasti to nahi kar raha tha.
"Nahi nahi chacha ji dantiye mat..." Aqsa bus itna hi kah payi aur najren jamin ko takne lagi..
Makhan laal hanste huye... "Bhaiji apna hi baccha hai Asif... Lagta hai ab ladke ki shadi jaldi karwani hogi. Suno Asif tum isse le kar yahan jao...
Kapendra:- Beti tum dono ek dusre ko chahte ho kya?…
Kapendra ki baat sun kar Aqsa kuchh nahi boli..… "Kitne dino se ye sab chal raha hai"… Aqsa ko khamosh dekh kar Kapendra Mishra ek aur sawal kar diye...
"Sala khadus pichhe hi pad gaya hai... Itni detail me kaahe usse ghusna hai"…. Asif mann me khisyate aur bahar se muskurate… "Uncle ji hum jayen, bechari thodi dar gayi hai"..
Makhan Lal:- Asif tumse kuchh puchh rahe hain bhaiji...
Asif apne dono haath jodte... "Aap dono ko pata hai kitna muskil hota hai aaj ke samay me pyar karna. 3-4 sal se ek dusre ko chahte hain, lekin kabhi khul kar mil nahi sake. Pahle din raat ghis kar ladki patao. Fir uska haath maangne se pahle khud ko kabil banao. Lekin aap ka kabil hona jaroori nahi, kyunki naukri to 5000 ki bhi hoti hai aur 5 lakh ki bhi. Aap ka status ladki wale se uncha hona chahiye. Ab itne sare conditions ke sath hum jaise ladke pyar kare ki ladki ke pariwar se uncha status bataye, shadi hone tak to zindgi issi me ghus jati hai..."
"Upar se aap log. Maang kar bike laya tha main. Bade bhaiya se 3 din pahle bike liya tha aaj tak wapas na kiya. Stylish bike hath lagi to main bhi thoda apni jaan ke sath ghumne firne ka maza le raha tha. Hum dono bhi darte-darte thoda zindgi ka luft utha rahe the."
"Har couple ki tarah humare bich bhi yahan bahas ho gayi. Sari baten bata bhi diya, lekin nahi aap logon ko to detail me ghusna hai. Kaun ho, ladki ko ghuma rahe ho ya serious affair hai. Maa baap jante hain ki nahi... Chalo apne-apne maa baap ki detail do... Kyun.. aakhir kyun dara rahe ho. Sukoon de do hume..."
Kapendra Mishra ki najar pahle to bike par nahi gayi thi, lekin heavy dialoges ne Asif ye bhed khol chuka tha… "To tum Asif ho... Tumhara wo dost Riaz kidhar hai. Wo bhi kisi ladki ke sath yahan aane wala hai kya?"
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>


Ye bhi Sahi hai Asif Ka to hogya Kuch vyas Ka bhi Kara doUpdate:-66
Pandit ji hanste huye apne hath jor liye.. "Mujib bhaiya ek ladki ka pita hai. Apne bacchon ke shadi ki charcha bhi na kare kya? Ek din hum school me the tabhi Asif ko le kar charcha hui thi, lekin mamla dono taraf ka hai mujhe to aaj meri betiyon se pata chala, warna mujhe laga tha ki Mujib bhaiya (Aqsa ke pita) Asif jaise honhar ladke ke liye apni beti ke bare me soch rahe."
Jannat:- Jhoot.. jhoot … jhoot..
Pandit ji:- Nahi sach me...
Nirali:- Baba, fir itni hansi kyun chhut rahi hai. Zarina chachi ne jaise hi shadi ki baat chhedi fir aap hanste huye sidha Asqa ke abbu ka naam kaise le liye. Kisi aur se rishte ki baat nahi ho sakti thi kya?
Jannat:- Chacha ab bolti kyun band hai. Ab pichhe se Alka Shastri ka wahi purana dialogue aayega… Chachi bol bhi do...
Alka dono ke baal pakad kar sir ko ghumati... "Ja kar chay aur pakode ka intzam kar sabke liye. Aur Pandit ji aap, kam se kam Asif ko 2 thappad to lagao."
Pandit ji:- Mujhe Mujib ki chhoti beti pasand hai. Sabhya aur sanskari hai. Utna hi maan aadar bhi karti hai. Shadi aise hi to dekhe-sune jagah par hona chahiye. Ab ladki hum pasand kare ya Asif khud, bus ladki parivar me milnsar honi chahiye... Haan lekin mujib bhaiya ke yahan rishta karne me ek hi dikkat hai...
Sabhi ek najar tak-taki lagaye... "Kya?"..
Pandit ji:- Uss din Mujib bhaiya kah rahe the, soch raha hun Aqsa ki baat Asif ke liye kar aaun aur Danish ke liye Jannat ki"..
Sabhi ek tak Najar gadaye pandit ji par.… "Fir aapne kya jawab diya baba"… Vyas thoda chinta jahir karte huye puchha…
Pandit ji:- Main kya kahta. Main khamosh rah gaya. Uske chhote ladke ko kaun nahi janta hai. Pata nahi Mujib bhaiya ne aisa socha bhi kaise...
Zarina:- Fir ab...
Pandit ji:- Masroof kahan hai.. tum logon ne usse yahan nahi bulaya kya?
Zarina:- Bada aadmi ho gaya hai... Din se phone kar rahi hun... Lekin garaj me hi vyast rahega...
"Bhabhi pith pichhe burai karte sharm nahi aati"… Masroof bhi hall me aate huye kahne laga...
Nirali:- Hum chacha bol de to kahte ho nana bhai bola kar, aur abhi chachi ko bhabhi... Paltu aadmi...
Masroof:- Ja chay laa sabke liye... Are Alka bhabhi ye dono yahan hai kitchen ka kaam kaun kar rahi.. .
Alka Shashtri…. "Masroof bacchon ki baat ko chhodo, pahle ye batao 15 dino se gayab kahan ho? Phone karo to uthate nahi ho aur ghar jao to milte nahi ho. Saaf saaf bata do kya mansa hai."…
Sab log bus ye indirect baat ko samjhne ki kosis kar rahe the ki aakhir dono ke bich chal kya raha tha... "Alka, abhi hum kaun si baat kar rahe hain aur tum kaun si baat chhed rahi"… Pandit ji ne toka
Alka:- Ruko 2 minute aap. Masroof...
Masroof:- Janta tha aaj family meeting hogi aur aap ka para garam hoga. Kya karun bhul jata tha. Ye lo aap ka kaam kar diya hai...
Masroof sabke bich jewellery ke kuchh box rakh diya. Alka 2 box Nirali aur 2 box Jannat ke hath me deti. Ander ja kar check kar ke aa, sab sahi hai ki nahi"…
Pandit ji:- Ye sab kya hai?
Masroof:- Wo Alka bhabhi aap se chhipa ke LIC me paise jama karti thi. Ussi ke paise aaye to Jannat aur Nirali ke liye jewar banwa liye... Gala aur kaan me ka hai...
Pandit ji:- Itni tangi chal rahi thi aur usme bhi paise chori…
Alka:- Abhi shadi ki baat nahi karni hai kya? Ab ho gaya na kyon BP high karte ho. Mujhe dono ke gale me artificial haar aur artificial kaan wala achha nahi lagta tha bus...
Masroof:- Asif ke shadi ki baat ho rahi hai kya???? Wahi master ki chhoti beti ke sath??
Zarina:- Masroof tumhe sapna aaya tha kya? Humne to kuchh bataya bhi nahi...
Masroof:- Ab padosi hun to itni khabar to main bhi rakh hi sakta hun na bhabhi...
Alka:- Kyun hum Jannat ya Nirali ke ladke ki baat nahi kar sakte...
Masroof:- Chhodo bhi baat ko ghumana... Jitna khinchoge utna khinchega. Maine apni galti maan li… Ab batao kyun bulaya hai?
Ye ek aur jise pahle se pata tha ki Asif aur Asqa ke bich kya chal raha hai. Pandit ji hanste huye puchhne lage… "Koi aisa hai jise nahi pata ho?"…
Masroof:- Chauhaddi ke har ghar ka to survey le chuka hai Asif ka sasoor.. jo nahi bhi jante the wo bhi samjh gaye ki Aqsa aur Asif ke bich jaroor kuchh hai... Haan lekin uska Sasoor kuchh mental type dikha... Jannat ke bare me bhi puchh raha tha. Batao uske yahan uska wo nakara beta bacha hai. Waise nakare ko to Mustaak apni beti ke liye mana kar gaya aur wo Jannat ke bare me puchh raha tha...
Pandit ji:- Masroof puchh hi raha tha na.. kyon aise chidh rahe...
Masroof:- Na kahan humari Jannat poora UP topper, usse kuchh soch kar baat karni chahiye thi. Uss ladke ki aukkad hai Jannat ke ore dekhe bhi. Upar se wo padhna chahti hai ye baat kisko nahi pata. Abhi to munchhon par tab tau denge jab Jannat aur Nirali wo kya kahte ho wo kaun sa badi asfar banegi...
Vyas:- District Magistrate… .
Pandit ji gusse me chillate... "Khabardar jo kisi ne ummid bana kar bacchiyon par pressure dala to. Padhne do unhe... Kosis khud se karegi hoga tab bhi shaan ki baat hai na hoga tab bhi shaan ki baat hai... Aise to tum log uss par pressure daal kar dipression me le aaoge...
Masroof:- Haan aapne pahle bhi ye baat batayi thi... Ab hum padhe likhe nahi, koi afsar garaj me aata hai... Ree areee karke baat karta hai aur hume ji hujoor karna padta hai. Ander dil me hota hai koi apne pachan ka afser hota na to ek din sar utha kar unko kahte... Muftkhor tumhari aukaad nahi aise baat karne ki. Humari bitiya district majistrate hai khade-khade tumhari aisi ki taisi ho jayegi…
Jannat:- Masroof bhai... Aap sab ka pyar aur dua raha to wo din bhi jaroor aayega lekin abhi yahan...
Masroof:- Maaf karna bhavnao me bah gaya...
Nirali:- Koi baat nahi hai Masroof bhai.. Sab ka din aata hai, ek din aap ka bhi aayega... Pahle Asif bhaiya par baat kar le..
Pandit ji:- Ek kaam karte hain kal hi rishte ki baat karne chalte hain…
Masroof:- Aur iske mental Sasoor ne fir se Jannat ka jikr kahin bich me ghused diya tab... Iss par pahle baat kar lijiye...
Zarin:- Ye to jabardasti hai... Aisa kaise kar sakte hain…
Masroof:- Haan wahi to main bhi kah raha hun...
Vyas:- Aap log rishte ki baat ki taiyari karo, yadi Jannat ki baat uth'ti hai to main sambhal lunga...
Jo charcha iss waqt Shashtri family me ho rahi thi wahi charcha Mishra family me bhi ho rahi thi. Lata Mishra ko rah-rah kar ye khyal aa raha tha ki uske disputed property ke chakkar me ek achhe admi ke sath bahut galat ho gaya.
Dono dampatti uss maa Samina ki ikchha ko kisi bhi prakar se bus poore hote dekhna chahte the. Som ne bata diya ki site se sidha wo Asif ke ghar hi pahuncha tha aur sari baten ho gayi hai. Udhar se update aayega ki kab tak ye log rishte ki baat karne jayenge...
Wahin Sia thodi khush to thodi ghabrayi bhi thi. Subah bina bataye gayab ho kar achanak se dikh jana. Maa ke gusse ki jhalak to dikh gayi thi lekin logon ke bich tab wo jyada kuchh nahi kah payi thi. Wahin khush isliye thi ki ek ke baad ek hui ghatnao ne shayad maa ka dhyan divert kiya tha.
Haan lekin kab tak? Ye ek bada sawal tha. Aur Sia apni maa ke sawalon ko face nahi karna chahti thi isliye kam se kam unke samne jati thi. Ek ajib hi kas-m-kas ander chal raha tha, jahan kuchh galti karne ka ehsaas tha. Raat ke takriban 9 baje Vyas ke kayi sare message ek ke baad ek aate rahe.
Jab bhi message aaye dil joron se dhak-dhak karne lage. Ikchha aisi ki abhi messaage khol kar check karun, thoda naraj rahun aur wo manaye. Lekin utni hi ghabrahat bhi ho rahi thi. Vyas vyakul hua ja raha tha ki Sia ka mood kaisa hai, naraj hai ya baad me mamla sambhal gaya isliye normal hai.
Lagatar message ke baad bhi jab reply nahi aaya tab Vyas ka muh utar gaya. Sia ka chehra bhi utra tha ye soch kar ki Vyas ko lag raha hoga main gussa me hun aur wo udas hoga. Sia kisi tarah himmat kar ke apni manobhavna badi teji me likhti...
"Sweeto naraj nahi hun, bus maa ke samne thodi ghabrai hun. Ab tak unhone humare bare me baat nahi ki hai. Kal mil kar aaram se baat karenge. Abhi please so jana, jaagna mat"… aur anth me 4-5 love emoji send kar di.
Vyas na jane kitni der tak wahi message dekhta raha. Idhar dwidha me fansi Sia, Lata Mishra ke pass chup-chap baithi thi. Der raat ka waqt tha aur sabhi so chuke the... Lekin inho dono ko nind nahi aa rahi thi...
Sia, Lata Mishra ke pichhe ja kar uske sar ko halka-halka dabati... "Maa naraj ho"..
Sia bol to rahi thi lekin ghabrahat se uski dharkane badhi hui thi... "Haan thoda sa. Mujhe ummid nahi thi ki tum wahan milogi."..
Sia:- Maaf kar do maa...
Lata:- Idhar aa samne baith…
Jaise hi Sia samne aayi, uski aankhen dab'dabayi thi. Chehra utra… Lata Mishra turant apne hathon se uske aanshu ponchhti uska sar gode me leti... "Ae pagal ro kyun rahi hai"…
Sia:- Pata nahi maa, bus rona aa raha hai..
Lata Mishra:- Chal chup ho ja. Haan thoda gussa aaya tha, ummid nahi thi ki tum wahan milogi.. Tumhari baten jhoot thi. Meri beti uss waqt jhoot bol rahi thi mujhe bura lag raha tha…
Sia:- Main dar gayi thi maa. Mujhe Vyas ke sath dekh kar pata nahi aap kya socho, iss baat se ghabra gayi thi. Tabhi se aisa lag raha hai ki maine koi galti kar di. Kuchh bhi achha nahi lag raha...
Lata:- Tujhe Vyas pasand hai...
Sia:- "Vyas, wo hai jisme mujhe mere kalpna ka Som dikhta hai... Hansta khelta, masti mazak aur utna hi jimmedar. Som jimmedar to hai lekin wo itna gambhir kyun hai maa? Wo kyun nahi humare alawa kisi aur ke pass hansta bolta hai…"
"Main shadi kar ke chali gayi fir mera Som mujhe kabhi nahi milega. Wo fir kisi mauke par mil le wahi bahut hai. Itna samjhdar hai ki kuchh bhi samjhane jao to ulta samjha deta hai. Wo dur ho jayega mujh se.."
Lata:- Pagal... Wo najron se bhale hi dur ho lekin kabhi kisi ko chhod sakta hai kya?
Sia:- Nahi wo mere najron se bhi dur nahi jaye. Issi baat ka to dar hai... Maine shadi kar lee to wo mujhe kabhi-kabhi hi dikhega.
Lata:- Iska matlab tujhe Vyas pasand hai.. .
Sia:- Maaaaa... Meri baat ka galat matlab mat nikalo...
Lata:- Thik hai pahle Som ki shadi par dhyan dete hain. Aur haan kabhi kisi ke sath dikho to dhang ke jagah par dikho aisi jagah nahi jahan mujhe gussa aa jaye..
Sia:- Bilkul maa... Ab dobara galti nahi hogi...
Sia apni baat kah kar Lata ke gode me thodi aur simat gayi. Lata Mishra pyar se uske sar par hath ferti Sai ka sukoon bhada chehra dekh rahi thi. Kuchh pal khamoshi ke baad.….
Sia:- Maa, meri maa kaisi thi.. kya wo bhi tumhari tarah rahi hongi…
Lata:- Haan shayad... Ya fir mujh se kahin jyada behtar..
Sia, Lata ke gode me sikud kar aankh mundti... "Aap se achhi nahi ho sakti."
Lata:- Tu nirmal bhavna ki hai na, isliye tumhari maa ki bhavna bhi bilkul nirmal hi hogi. So ja.. Subah college bhi jana hoga na...
Sia:- Haan... Maa tumhari koi ikchha nahi ki tumhari beti padh kar kuchh bane..
Lata:- Haan hai na. Padh likh kar ek achha insan bano...
Sia:- Maa insan shabd puling hai striling..
Lata:- Beta main history padhi hun. Ye sawal apne pitaji se karna..
Sia:- Achha maa..
Lata:- Bus kar ab muh band kar aur so ja..
Lata ki baat par Sia uth kar baith'ti... "Suno na.. suno na.. maa, maa.. "
Lata:- Tujhe kahi aankh band kar ke chup rahne to tu uth kar baith gayi..
Sia:- Suno to pleaseee...
Lata:- Ye aakhri hoga.....
Sia:- Maaaa
Lata:- Boli na aakhri...
Sia:- Jao mujhe puchhna hi nahi hai...
Lata:- Haan thik hai ja so ja...
Sia, huhhh karti ek kinare karwat le kar let gayi. Sia ko dekh kar Lata muskurati hui uske pass let gayi. Sia gussa hone ka natak karte karte kab so gayi usse khud bhi pata nahi chala...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
jao jaake pehle sadhna puchho ki wo kahe is tarah se gul khilati rahti hai
... . aainda agar is tarah se bhool kar bhi vyas ko order diya,,,, to kajal ka to pata nahi lekin Haan som tere sath kya hoga ye shayad writer sahab bhi na jaane....
usime teri bhalayi hai.. samajhe.. 

Huma ko to Dubai wali ju ne hi bataya tha na... Bin pendi ke lotiya kyun hui ja rahi hain...
Meri marzi.... mujhe hargiz pasand nahi ki masoom kirdaar us family se naata jode jinki history aur past aise waise ho 