• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

The XForum Scoop - JUNE 2021 Edition

Status
Not open for further replies.

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
EDITOR's DESK

WELCOME TO THE JUNE EDITION OF THE XFORUM SCOOP

JUNE 4th, 2021

I hope you all enjoy reading it, and please be sure to check out every section.
Your can check out all the old editions here XForum Scoop
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
MEMBER NEWS

TOP 5 POSTERS TILL NOW
#
Username
No. of Messages
1
2
3
4
5



TOP 5 POSTERSMOST TIME ONLINE
#
Username
Online Time
1
3126 hours
2
2575 hours
3
1960 hours
4
1642 hours
5
1227 hours




NOTABLE THREADS
(section wise)

THE LOUNGE





SPORTS







OTHER DISCUSSIONS





HINDI









ENGLISH









PDF's & DOC's








REGIONAL







BENGALI








TELUGU







PUNJABI








PICS - ADULT








PICS - GLAMOUR





 
Last edited:

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
ezgif-com-gif-maker-6.gif

XF's Top Threads With Highest Ranking On Google



NOTABLE TOP 30 THREADS ON GOOGLE
(Jan - June 2021)





XF'S TOP 10 ALL TIME HIT STORIES


 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
MEMBER OF THE MONTH
Now its time to announce the "MOTM" for this month. The members who are actively contributing to the forum will get an award.
Every Month a winner will be decided and the user will get the following Benifits.

WINNERS
#
Members Name
Benefits
Section
1
Award
(for 1 month)
2
Award
(for 1 month)
3
Award
(for 1 month)
4
Award
(for 1 month)
5
Award
(for 1 month)
6
Award
(for 1 month)





BEST READER's AWARD

Now the time has come to announce the best reader of the month. This award is given every month to a new member whose reviews are the best in every story thread and this month's best reader award is given to Xabhi .

 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
THE INTERVIEW
Hello guys Genius here, last time wale me aaya nahi to bhool to nahi gaye :D



Mujhe miss kiya na last wale scoop me ( isme han bolna compulsory hai :D)



To aaj ke guest hain TheBlackBlood previously known as Shubham kumar, inhone hindi story section me shandar yogdan diya hai. Abhi thoda kam dikhte hain udhar lekin ek story ab bhi running me hai aur last story ke sath kafi achi fan following bhi hai



Abhi jab ninja (XF’s super noob BOT aur trinity darling ) ne kuch logon ko suggest kiya interview ke liye to maine Shubham bhai se milne ka faisla liya kyonki aaj kal ke corona time me sabse kam yahi dikhte hain to jab ye itna precaution le hi rahe hain to ye relatively safe option the kyonki baaki sab ss or lounge ki galiyon me aapko bina mask lagaye ghoomte dikh jayenge :sigh:



Khair inke doorstep par hi 2 balti (bucket) sanitizer se snan karne ke baad aakhir mujhe andar aane ki permission mil hi gai :D



Inka appearance mai tum log ko bata sakta hun, are ye chhodo mai tumhe inki pic bhi de sakta hun lekin jaane do nahi to ye devanagri me galiyan likh ke pm karenge :lol:



Waise chai ke intezar me 10 min ka qatl karne ke baad finally maine in se baat cheet shuru ki



sabse pahle apne friends and fans ko wish kijiye :p:

Samajh nahi aa raha kya bolu, Bas yahi kahuga ki aaj kal jaise halaat hain un halaato ko madde nazar rakhte huye ghar par hi rahe aur apne sath sath apne pariwar ko bhi safe rakhe.

Apne dost bhaiyo ke liye yahi kahuga ki unka bahut bahut shukriya jinhone meri kahaniya padhi aur kahani likhne ke safar me mera sath aur sahyog diya. Apne dost bhaiyo ke liye ishwar se yahi dua karta ki wo hamesha khush rahe aur unhe har wo uplabdhi mile jiski unhone hasrat ki ho...




Virtual forums ka apka safar kaise shuru hua

Asal me mujhe pahle aisi sites ke bare me koi jankaari nahi thi aur na hi main ye soch sakta tha ki is tarah ki koi sites bhi hoti hongi jaha par ek se badh kar ek writers maujood honge aur wo apni behtareen kahaniyo ke dwara sabhi paathako ka manoranjan karte honge. Khair, kahani likhne ka shauk tha to ek dost ne bataya ki ek site hai jaha par main kahani likh sakta hu. Dost ke dwara mujhe xossip jaisi site ka pata chala. Waha par maine kuch samay tak dekha aur kuch writers ki kahaniya bhi padhi. Us waqt man me yahi vichaar aate the ki main bhi likhu kintu aisi sites par kis naam ke sath aur kis tarah se shuruaat karu is bare me main uljhan me rahta tha. Kuch samay baad ek aur site ka pata chala jiska naam desibees tha. Maine bahut soch vichaar kar ke us site par register kiya aur kahani likhna shuru kar diya. Uske kuch samay baad XForum ke bare me kisi ne bataya mujhe to yaha par register kiya aur fir tab se yahi hu. Yaha par bahut kuch seekha aur bahut kuch dekhne sunne ko bhi mila. Achhe achhe dost mile jinse mujhe bahut kuch seekhne ko mila aur aage bhi yahi ummid karta hu ki yaha par mera gyaan vardhan hota rahega.


XF par kaise aana hua apka aur kaisa raha yahan par ab tak ka safar

Shuruaat me to naya naya tha is liye zyada cheezo ke bare me jaanta nahi tha. Us samay apna ek hi kaam rahta tha kahani likhna aur apne readers bhaiyo ka manoranjan karna. Uske baad waqt aur halaat badle. Kahte hain na ki samay kabhi ek jaisa nahi rahta to apne sath bhi yahi hua. Kahne ka matlab ye ki guzarte waqt ke sath paristhitiya badli jinka asar mujh par bhi pada. Kuch kaal ke liye kahani likhna band kar diya aur ek tarah se ye achha hi hua kyoki isse ek cheez ye hui ki main story section se baahar aa gaya aur ek normal member ki tarah cc karne laga. Isi daur me mujhe sabse zyada cheezo ka pata chala aur maine bahut kuch seekha aur jana samjha. Har insaan ke jeewan me achha aur bura waqt aata hai jiski vajah se insaan idhar se udhar ho jata hai. Apne sath bhi wahi hua, is dauraan kayi dost bane aur kayi chhoot gaye jiske liye khushi bhi huyi aur dukh bhi hua lekin ye to is sansaar saagar me chalta hi rahta hai. Uske liye shog manana na to buddhimaani hai aur na hi shayad isse hame ya kisi ko koi fark padta hai. Kisi baat ke liye kisi ko dosh dena galat hai kyoki har aadmi ki apni apni soch hoti hai aur apna apna nazariya hota hai cheezo ko dekhne aur samajhne ka. Khair waqt jaisa bhi ho agar ham me dhairya aur sahansheelta hai to ham har cheez ko asaani se jazb kar sakte hain. Maine bhi yaha rah kar yahi seekha. Shuruaat me bhale hi dhairya aur sahansheelta ki kami thi jiske chalte mushkile bhi aayi lekin ab waqt aur halaat ko jazb karna aa gaya hai. Aaj yahi sochta hu ki ab tak ke safar me jinse bhi mera raabta hua aur jis tareeke se hua wo achha hi hua kyoki isse bhi ek mahatwapoorn cheez yahi seekhne ko mili ki insaan ko dhairya kaise rakhna chahiye aur kisi cheez ko asaani se jazb kaise karna chahiye. Main apne har us dost bhai ka shukriya ada karta hu jinki vajah se mujhe aisi seekh mili. Ishwar un sabhi bhaiyo ko hamesha khush rakhe aur unhe har din ek nayi kamyaabi ata kare.




Writer banne ka kyon socha apne

Hindi ke prasiddh novel writer Ved prakash sharma shuru se hi mere pasandida lekhak rahe hain. Unhi ke novels padh kar mere zehan me novel likhne ka khayaal aaya tha aur maine novel likhna shuru kiya tha. Dhire dhire likhne ka shauk aur bhi badhta gaya, halaki kuch saalo baad maine likhna band kar diya kyoki usse meri sehat par aur mere niji kaamo par asar padne laga tha lekin tab tak mere andar ek writer ek kavi ne janm le liya tha jisne har waqt mujhe likhne ke liye majbur kiya. Usi samay mere ek dost ne in sites ke bare me bataya aur fir maine socha ki chalo yahi par thoda bahut likhna shuru karta hu.


Classics se seedhe sex stories, ye change kaise aaya

Classic writer..kya sach me.???
Main to khud ko bahut hi mamuli sa writer maanta hu kyoki writing ke kshetra me abhi mujhe bahut kuch seekhne ki zarurat hai aur main seekhne ki koshish karta bhi hu.
Sex site par likhne ke bare me kya kahu. Yahi kahuga ki shuruaat me to aisi sites par likhne ki himmat hi nahi ho rahi thi kyoki yaha par kahaniyo me khula sex tha jo ki mere liye shuruaat me bahut hi unjhelable tha aur chakit kar dene wala tha. Maine to socha bhi nahi tha ki aisi sites bhi hoti hongi aur aisi stories bhi likhi jaati hongi lekin sachchaayi ka pramaad meri aankho ke saamne tha is liye hajam karna hi pada. Khair jaisa ki maine bataya ki aisi sites par likhne ki himmat hi nahi ho rahi thi is liye pahle as a reader maine xossip par kuch kahaniya padhni shuru ki. Shuruaat me bahut ajeeb lagta tha kintu fir dhire dhire is sabki aadat hone lagi. Kuch kahaniyo ko padhne ke baad mujhe ye ehsaas hua ki yaha par jo bhi writers hain wo kisi bhi maamle me kam nahi hain. Wo sab apni jagah par bahut hi kaabil hain aur pahuche huye hain. Aakhir kisi tarah maine khud ko samjhaya aur aisi sites par likhne ke liye khud ko taiyaar kiya lekin main apne real name ke sath aisi sites par kahaniya nahi likhna chaahta tha is liye maine khud ko ek kaalpnik naam diya aur utar aaya is duniya par. Shuruaat desibees site par likhne se huyi thi aur us site ke baad xforum par aa gaya. Xforum par hi maine apni pahli kahani complete ki. Yaha par sabka bharpoor sath aur sahyog mila. Beete do dhaayi saalo me cheeze badal gayi hain aur shayad maine bhi khud ko yaha ke watawaran me dhaal liya hai. Ab to aisa hai ki sex story likhne ya apdhne me bilkul bhi asahajta nahi hoti



aapne incest tag me bhi stories likhi jise samj me bahut hi ghranit najar se dekha jata hai aap kya kahna chahenge is par

Iske jawaab me sabse pahle to main ye kahuga ki aaj ka samaaj pahle ke samaaj jaisa nahi raha aur na hi logo ki maansikta waisi rahi hai. Waqt ke sath sath log badal gaye, logo ki soch badal gayi aur cheeze bhi badal gayi hain. Samaaj ek aisi cheez hai jo khud kabhi koi achha kaam nahi karta aisa mera maanna hai. Agar aap achha kaam karenge tab bhi samaaj ke log aapko aur aapke kaam ko galat hi kahenge aur agar galat kaam karte hain to wo to galat hai hi. Kahne ka matlab ye ki samaaj me rahte huye aap chaahe jaisa bhi kaam kare ye samaaj aapke aur aapke kaam ke bare me achha to kah hi nahi sakta. Aaj ka samaaj aapki achhaayi nahi balki aapki buraayi zyada dekhta hai.
Baat incest ki huyi hai to iske bare me main yahi kahuga ki is duniya me kuch bhi galat nahi hai kyoki aaj ka jo pariwesh hai usme zyadatar log har din aur har pal bure karm hi karte hain aur apne us bure karm ko sahi saabit karne ke liye kisi bhi had tak guzar jate hain. Aaj ki duniya me doodh ka dhula hua koi nahi hai. Aaj ki duniya me aisa koi nahi hai jiski nazar apne hi ghar ki bahan beti ke un ango par na pade jin ango par nazar pad jana bhi kisi yug me paap samjha jata tha. Insaan ka man bahut chanchal hota hai aur jab nigaah aisi jagah padti hai to insaan apne andar bure khayaal ko uthne se rok hi nahi sakta. Baad me bhale hi insaan ko apne aise khayaalo par gussa aaye ya use glaani mahsoos ho lekin baad me gussa karne ya glaani mahsoos hone se kya hota hai? Jo hona tha wo to ho hi chuka. Khair ye insaani fitrat hoti hai ki wo kisi ke bhi saamne khud ko galat nahi dikhana chaahta aur isi koshish me rahta hai ki koi bhi uske paap karm ko jaan na paaye



abhi tak ke safar me XF par apka pasandeeda pal kaun sa raha

Mere liye to favorite moment wo hota hai jab mere readers bhai meri kahani par apni khubsurat pratikriya dete hain aur main unki pratikriya padhta hu. Worst moment iske theek vipreet wali situation hoti hai. Jab writer dhaayi se teen ghante laga kar itni mehnat se update likhta hai aur readers bhai apni pratikriya me sirf "Nice Update" Likh kar nikal jate hain. Un readers bhaiyo ko writer ki mehnat se na to koi matlab nahi hota aur na hi unhe writer par taras aata hai...😜😜

:lol:
XF ke story section ke baare me kya khayal hai aapka

Xf ka story section hi forum ki jaan hai. Agar wo nahi to kadaachit xf ka koi vajood hi nahi hai...
Bahut se aise writers hain jo story section ke alawa kahi nahi jate. Iska matlab ye nahi hai ki unhe ss ke alawa aur kisi cheez ka pata hi nahi hai balki iska matlab ye hai ki wo faaltu jagaho par apna time barbaad nahi karte aur puri lagan se apni kahaniya likhte hain...



Apka favorite writer kaun hai Xf par

Writer to yaha par sab apni jagah par bahut achhe hain. kisi ek ko chunna mere liye mushkil hai. Maine yaha par kuch writers ki story padhi hai unme se mujhe sabse zyada harshit bhai ki story ne prabhaavit kiya hai. Unki story haweli ek masterpiece story hai...

XForum ke staff ke bare me kya tippani karna chahenge aap

Black hearted naam se xf par ek banda tha. Kabhi meri story par uske review bhi hote the. Jab se xf ka staff member bana kasam se gadhe ke seeng ki tarah gaayab hi hoga. Naam badal kar genius rakh liya aur ab to kabhi kabhi hi hello haye hoti hai. Mujhe aaj tak samajh nahi aaya ki jo bhi staff member banta hai usse aisa kaun sa kaam karwate hain ki bande ko hagne tak time nahi milta.😜😜😜

Khair sawaal xf ke staff ke bare me hai to jawaab me yahi kahuga ki sabhi staff members bahut achhe hain. Unki achhaayi ka saboot yahi hai ki koi unhe chaahe jitni gaaliya de wo log gaaliyo ko bhi bhagwan ke prasaad ki tarah gragan kar lete hain. Ab isse zyada kya tareef wali baat kya ho sakti hai???😆😆



ye mera roast tha :sigh: mai kaafi dikhta hun mtlb ju gayab hue the pahle :yawn:

:D

Aur kuch jo aap isme add karna chahenge apni taraf se

Kam se kam meri samajh me to aisi koi baat nahi hai. Kyoki addicted aur NW aise jiyaalo ka naam hai jo xf ko behtar se behtar banane me koi kasar nahi chhod rahe hain. Aane wale waqt me xforum me hame aur bhi aisi cheeze dekhne ko milengi jinke bare me shayad hamne kalpana bhi na ki hogi.

Aur agar meri raay jaanna bhi zaruri hai to main bas itna hi kahuga ki xf staff ka koi bhi member kisi bhi writer ki story ko na padhe aur na hi kisi story par apna review de. Kyoki staff ka member agar aisa karta hai to uske liye yahi kaha jayega ki wo baaki writers ke sath na-insaafi karta hai....


ab chalte hain fir aana hoga agar negative rahe to ( typical lame joke :verysad: )
tab tak ke liye alvida
Good bye. Tc


To ye tha hamari lambi baat cheet ka chota sa ansh baaki time mai maine inki kahani ke future updates padhe hain jo mai tum sabko nahi batane wala jake thread par dekh lena :P:

alvida take care
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
BIOGRAPHY OF MAJOR DHYANCHAND
Dhyanchand ek mahan hockey khiladi the, unhone apne khel ke pradarshan se pure duniya mein hockey ka naam roshan kiya hai or itihaas mein apna naam swarn aksharo mein ankit kiya hai. Wah ek aise khiladi the jo kisi bhi angle se gole kar sakte the or unhe hockey ka jaadugar bhi kaha jaata hai. Unhe indian hockey ka best player maana jaata hai.



Dhyan-Chand-closeup-1



Early Life

Unka janm 29 August 1905 me uttar pradesh ke Allahabad City mein ek raajpoot parivaar mein hua tha. unke pita Army mein the or uske liye hockey khelte the. 16 age mein dhyanchand ne bhi Army join kar li or waha unhe hockey se jaise prem hi ho gaya.



Career

1922 se 1926 ke bich, Major dhyan chand keval punjab regiment or Army hockey tournament mein khelte the. Indian Hockey Federation ke gathan ke baad, iske sadasyon ne 1928 mein Amsterdam mein hone wale Olympic khelo mein acche players ki ek team bhejne ki puri koshish ki isiliye unhone 1925 mein ek inter state hockey championship shuru ki jisme paanch raajyon ki teams ne bhaag liya. dhyanchand bhi Army hockey team se United Provinces team me select hue.

Wah pahli baar Army ke bahar kisi hockey Match ka hissa ban rahe the. yaha se unke international Career ki shuruat hui. unhone lagbhag har match mein sabse jyada gole karne waale khiladi ka khitaab apane naam kiya. apne bejod aur adbhut khel ke kaaran, unhone lagataar teen Olympic khelo, Amsterdam Olympic 1928, Los Angeles 1932, Berlin Olympic 1936 (captaincy) mein team ko teen Gold Medal dilwaaye.

Dhyanchand ne Olympic khelo mein 101 gole or international khelo mein 300 gole karake ek aisa record banaya jo aaj tak nahi toota hai. Hockey ki field mein ek reputed center-forward player dhyanchand ne 42 ki age tak hockey khelne ke baad year 1948 mein hockey se sanyaas le liya.



Death

Hockey ke field mein ek reputed center-forward player dhyanchand ne 42 age tak hockey khelne ke baad year 1948 mein hocky se sanyaas le liya. Cancer jaisi bemari ka saamna karne ke baad year 1979 mein mejor dhyanchand ka nidhan ho gaya.


 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,708
42,614
354
ezgif-com-gif-maker-5.gif

ACHIEVEMENTS
1. 50k registered Members .

It's been almost 30 months since Admins have created XForum , from that day to till now we haven't spent single rupee on advertising and Achieved this milestone .
Thanx to everyone who contributed towards the Xforum :thanks: .

2 . Overall More than 3 millions posts .

3. More than 1 million posts in Hindi stories section .

Last and most important Achievement comes from the writers.

4. More than 10 millions (1 crore ) views on single story .
  1. SAAND written by anandsngh12 ( over 14 millions views )​
  2. Pyaar - 100 Baar written by Enigma ( over 10 millions views )​
  3. Manhoos se mahan tak written by Raja chouhan ( over 10 millions views )​
Congratulations guys for achieving this milestone :congrats: .
You guys are diamonds of Xforum . You have given us such great stories .
Thank you guys for being A member and writer of XFORUM .
 
Status
Not open for further replies.
Top