• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy THE TIME MACHINE .........ACTION SCIENCE FICTION THRILLER

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Bhai log sarvapratham ye khani meri ekdum nhi hainamere ko credit chahiye.....iska writer niks77kill hai aur ye bhaisahab kha hai mujhe nhi pta inki ye story aj se 4 saalpehle aayi thi and bhagwan ki kripa se ye completed bhi hai....mere pass is story ke sare updates hai...jinki sankhya 8 haiaur ye ek gazab ki story hai...agar aap log ki aagya ho to isko yha post kr du....
mujhe pta hai meri tin stories already ruuning hai... but mujhe isko regular post krne mai koi dikkat nhi hai kyoki ek to english font mai already hai aur dusra mujhe koi edit nhi krna hai isme.......
 
Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Index
Index...

update1 update 2 update 3 update 4 update 5
update 6 update 7 update 8 update 9 update 10
update 11 update 12 update 13 update 14 update 15
update 16 update 17 update 18 update 19 update 20
update 21 update 22 update 23 update 24 update 25
update 26 update 27 update 28 update 29 update 30
update 31 update 32 update 33 update 34 update 35
[TD] UPDATE 36[/TD][TD] UPDATE 37[/TD][TD] UPDATE 38[/TD][TD] UPDATE 39[/TD][TD] UPDATE 40[/TD] [TR][TD] UPDATE 41[/TD][TD] UPDATE 42[/TD][TD] UPDATE 43[/TD][TD] UPDATE 44[/TD][TD] UPDATE 45[/TD] [TR][TD] UPDATE 46[/TD][TD] UPDATE 47[/TD][TD] UPDATE 48[/TD][TD] UPDATE 49[/TD][TD] UPDATE 50[/TD] [TR][TD] UPDATE 51[/TD][TD] UPDATE 52[/TD][TD] UPDATE 53[/TD][TD] UPDATE 54[/TD][TD] UPDATE 55[/TD] [TR][TD] UPDATE 56[/TD][TD] UPDATE 57[/TD][TD] UPDATE 58[/TD][TD] UPDATE 59[/TD][TD] UPDATE 60[/TD] [TR][TD] UPDATE 61[/TD][TD] UPDATE 62[/TD][TD] UPDATE 63[/TD][TD] UPDATE 64[/TD][TD] UPDATE 65[/TD] [TR][TD] UPDATE 66[/TD][TD] UPDATE 67[/TD][TD] UPDATE 68[/TD][TD] UPDATE 69[/TD][TD] UPDATE 70[/TD] [TR][TD] UPDATE 71[/TD][TD] UPDATE 72[/TD][TD] UPDATE 73[/TD][TD] UPDATE 74[/TD][TD] UPDATE 75[/TD] [/TR][/TR][/TR][/TR][/TR][/TR] [/TR]
 
Last edited:

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Kya Time-Travel sambhav hai?? Kya koi samay mai peeche jakar apna past badal sakta hai.
Ye kahani aise hi ek insaan ki kahani hai jisne ek hadse mai apna pyar kho diya aur phir use wapas pane ke liye time-machine tak bana dali.
Kaun dost hai aur kaun dushman ye har mod par equation badalte rahenge.
Lekin kya apna pyar wo wapas paa saka?? Sazisho se bhari ye kahani aap jarur padhiye jiske har mod par haii ek naya twist.
Aapke sochne ka tarika badal degi ye kahani.
 
Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
1. Kawya Dies
Episode 1

Gaurav aaj phir let ho gaya tha lekin ye koi
nai baat nahi thi. Wo hamesha se hi let-Latif tha aur
aalsi bhi lekin bechara aadat se majboor tha. Uske
dosto ko bi ashcharya hota tha ki itna aalsi insaan
quantum physics ka genius Kaise ho sakta hai aur
kaise kawya jaisi ladki usse se impress ho gai.
Gaurav ka room-partner aur uska jigri yaar tha
sarang Jo khud bi quantum physics mai champion
tha magar gaurav to jaise maa ke pate se hi physics
seekh kar aaya tha.
Sarang ne gaurav ko jaldi-jaldi taiyaar hote hue
dekha to apni hansi rok na paya aur use chidate hue
bola, ''beta, aaj to tu kawya se maar khakar hi
rahega. Pata nai kawya jaisi ladki tujh jaise ghonchu
se kaise pyar kar baithi.''
''kamine... to bas yehi sochio... saale dost hai ya
dushman.''
''sahi hi to keh raha hu. Usne tujhe 8 baje Milne ko
kaha tha aur tune 8:15 to yaha hostel mai hi Baja
diye. Sach mai bhai, agar kawya meri gf hoti to use
mai apni nazro se kabhi door hi nai karta.''
Sarang sach hi to kah raha tha. Kawya jitni sunder
aur masum shayad hi koi ladki hogi is duniya mai
magar uski achhi kahe ya buri kismat ki wo gaurav
pe fida thi. Halanki gaurav mai koi khami nai thi. Wo
handsome tha, well-behaved tha, genius tha magar
aalsi bhi tha jis karan kawya usse kai baar naraz bi
ho chuki thi lekin bechara aadat ka maara tha.
Lekin aaj uski let-latifi usko kitni bhari padne wali
thi iska andaja bhi gaurav ko nahi tha.
Jaldi se taiyaar hokar jab wo kareeb 9:15 par green-wood mall pahuncha to waha kawya use nai dikhi.
Usne use phone kiya to phone switch-off jaa raha
tha.
Wo use aas-pass dhoondne laga magar wo kahi
nahi dikhi. Pareshan hokar wo yeh soch kar wapas
jaane laga k kawya usse buri tarah naraz hokar
wapas ghar chali gayi hai aur isiliye phone bhi
switch-off kar rakha hai.
Wo apni bike taken pahuncha hi tha k use kuch shor
sunayi diya. Janne k liye ki maajra kya h wah usi
taraf chal pada.
Waha kafi bheed jama thi jo kisi cheez ko ghere hue
khadi thi. Bheed ko cheerkar jab wo andar ghusa to
uski ankhe phati ki phati reh gai aur uski taango
jawab de diya. Waha kawya ki khoon se lathpath
laash padi thi.
Thodi hi der mai police aa gayi jisse use saari
ghatna ka Pata chala. Kawya jab intejaar karte karte
thak gayi aur vapas jaa rahi thi to ek gunde ne use
rok liya aur uske saath jabardasti karne laga. Jab
kawya ne uska virodh kiya to usne kawya ko goli
maar di.
Police se saari kahani sunkar gaurav phoot-phoot
kar rone laga aur apni let-latifi ko kosne laga.
Tab tak sarang bhi waha aa chuka tha aur kawya k
parents bhi. Sarang k liye apne dost ko samhalna
mushkil ho raha tha isliye wo use apne saath wapas
hostel le aaya.
Gaurav ab ro nai raha tha magar kuch bol bhi nahi
raha tha. Room mai bhi wo khamosh hi apne bed pe
pada raha.
Achanak wo bola ''Bhai mai mar jaunga uske bina.
Muje kawya wapas chahiye.''
Sarang ki ankh mai bhi aansu aa gaye,''Apne aap ko
samhal gaurav, wo ab kabhi wapas nai ayegi.''
''Muje kawya wapas chahiye.'' Gaurav ne ek hi rat
laga rakhi thi.
Sarang ne uski manodisha ko sochkar usse jyada
behes nai ki aur side palatkar so gaya.
Agle din gaurav jaldi taiyaar hokar kahi nikal gaya
aur shaam ko hi lauta kuch books k sath.
Uske aate hi sarang bola, ''police ne us kutte ko
pakad liya.''
''ohhh....''
''tujhe khushi nai hui???''
''kya fayda? Meri kawya to chali gai.''
''Haaa... magar phir bhi...''
''Bhai, meri ek madad karega?''
''kya???''
''Muje kawya wapas chahiye aur use wapas laane
ke liye mujhe teri madad chahiye.''
''tu pagal ho gaya hai kya? Kawya mar chuki hai, wo
ab kabhi wapas nahi ayegi.''
''mai use wapas laa sakta hu.''
''kaise?''
Kuch der chup rehne ke baad gaurav bola, ''Time-machine se....''
 
Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
  • Like
Reactions: Jitu kumar
174
340
78

Pahle hi update me dhamaka wow maja aa gya hai
Story ka plot Acha lag raha hai Bhai
Aap update post karte rahana daily bahot log jur jayenge dhire dhire story se
 
Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Pahle hi update me dhamaka wow maja aa gya hai
Story ka plot Acha lag raha hai Bhai
Aap update post karte rahana daily bahot log jur jayenge dhire dhire story se
guru siliye to isko post kr rha hu
 
Jitu kumar

Active Member
1,946
6,490
143
Bahot hi shandaar, story hai bhai,
maine ye story xp par padhi thi,
aaj bhi iss story ka jaadu vaise hi kaayam hai jaise 4 saal pahle tha
 
  • Like
Reactions: Mayaviguru
Top