• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy THE TIME MACHINE .........ACTION SCIENCE FICTION THRILLER

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Episode 2

Dr. Gupta: The Tachyon Man


Sarang hairani se apne dost ko dekh
raha tha. Use lag raha tha ki uska dost kawya ki
maut k sadme se pagal ho gaya hai, ''bhai samhal
apne aap ko, ye kaisi behki-behki baatein kar raha
hai. Pagal to nai ho gaya hai. Ye namumkin hai.''
Gaurav poore josh ke sath bola- ''bhai mai sach keh
raha hu aur ye bilkul mumkin hai.''
Phir thoda ruk kar bola- ''kabhi 'tachyons' ka naam
suna hai?''
Sarang ko ab bhi pata nai tha ki gaurav kya kehna
aur karna chahta hai.
''Ha suna hai... aise particles jinki speed light ki
speed se bhi jyada hoti hai. Par ye sirf ek theory hai
aur tera matlab kya hai?''
Gaurav apni kitabo mai najre gadaye hi bola, ''ye ab
sirf ek theory nai rahi. Pichle mahine hi colorado ke
ek professor ne in particles ko apni laboratory mai
create kar liya hai. Unka naam Dr. Gupta hai aur ha
wo Indian hai.''
''Sach... magar isse hume kya?''
''Dr. Gupta agle friday ko India aa rahe hai. Agar
hum unse 'tachyons' ko kaabu mai karna seekh le to
hum time-travel kar sakte hai.''
''jara dhang se samjhayega, kaise??''
''Einstein ke mutabik jo cheez light ki speed se travel
karti hai wah time-travel kar sakti hai. Agar hum
tachyons ka istemal apni time-machine mai kare to
hum asani se time-travel kar sakte hai aur samay
mai peeche jakar kawya ko ba....''
Baat poori hone se pehle hi gaurav ki aankhe bheeg
gai thi. Lekin apne aansoo pochta hua wo bola,
''maine sab setting kar li hai. Hum unke paas as a
student jayenge aur unse hume sikhane ko
kahenge.''
''Agar wo nai maane to...''
''Maine kaha na ki maine sab setting kar li hai. Tu
uski chinta mat kar.''
''Lekin tujhe meri madad kis liye chahiye?''
''Bhai tujhe to Pata hi hai ki mere paas itna paisa nai
hai ki akela hi time-machine bana saku jabki is
kaam mai karodo ka kharcha ayega. Agar tu apne
papa se k..k.keh ke...''
Sarang ke pita 'TekRek' naam ki company mai CEO
the jo army ke liye hathiyar banane ka kaam karti
thi.
''Papa shayad hi manenge bhai. Unke liye business
hi sabkuch hai, isliye wo itni badi rakam kabhi aise
risky project mai nahi lagayenge.''
''Ek baar meri unse baat karwa de bhai. Mai unhe
mana lunga.''
''Jaisa tu theek samje. Mai kal hi teri unse meeting
karwa dunga.''

Agle din Gaurav bahut khush tha. Uske liye aaj ek
bada din tha. Aaj use 2 kaam niptane the. 1 tha
sarang k papa ke sath deal karna aur dusra nikhil ko
raaji karna. Nikhil uska dost tha aur kismat se Dr.
Gupta ka bhanja bhi.
Nikhil ko patana itna tough nai tha jitna sarang ke
pita Mr. Verma ko tha. Lekin usne unhe bi raaji kar
liya magar ek bhari keemat par.

Ab bas ek hi kaam bacha tha aur wo tha Dr. Gupta
se mulakat aur unhe impress karke unke gyaan ki
chabhi hasil karna.

Dr. Gupta ek 40-45 saal ke aadmi the aur koi bhi
unhe dekhte hi bata sakta tha ke wo ek scientist hai.
Weh jyadatar samay apna lab-coat penne rehte the
aur har waqt sirf science ki baate hi kiya karte the.
Weh samay ke kafi paband the isliye Nikhil ne
Gaurav ko khaas chetawani di thi ki kabhi unko
intejar na karaye aur bilkul punctual rahe.
Gaurav chooki quantum physics ka jadugar tha use
Dr. Gupta ko impress karne mai jyada time nai laga
aur Dr. Gupta ne use aur sarang ko apna student bana liya.
Magar unka assistant gaurav ko bilkul pasand nai
karta tha. Wo achanak kahi se prakat hota aur
gaurav k bane banaye kaam ko bigad deta.
Aur ek din...

[/QUOTE
achchhi update
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Episode 3

Dr. Gupta's Behaviour & The Deal
Episode 3
Aur ek din to had ho gai jab Dr. Gupta bi us par bewajah bhadak gaye aur use buri tarah daant diya. Gaurav ko Dr. Gupta aur unke assistant balwinder ka vyavhar kafi ajeeb lagta tha. Kabhi to wo bilkul normal rahte the aur kabhi bina baat ke hi us par bhadakne lagte the.
Kai baar gaurav ka man waha se bhagne ko karta par har baar wah apna maksad yaad karta aur phir jut jaata Dr. Gupta ke sabse bade raaj ko janne ke liye. Halaki sarang bhi Uske sath hi tha par aisa lagta tha ki jaise Dr. Gupta aur balwinder ki khaas chid usi se hai.

Aise hi kai mahine gujar gaye aur gaurav un dono ka ajeebo-garib vyavhar ko jhelte hue Dr. Gupta ka kafi khaas shishya ban gaya tha.
Aur phir wo din bhi aa hi gaya jab Dr. Gupta use pehli baar apne sath tachyons par experiment karwane wale the.
Lekin aaj to unka vyavhar pehle ke mukable kai guna jyada ajeeb tha. Ek pal wo use samjha rahe hote aur agle hi pal wo chidchidane lagte. Balwinder ko dekhkar to aisa lag raha tha jaise aaj wo use kachha hi chaba jayega. Aaj to Dr. Gupta ne us par hath bhi lagbhag utha hi diya tha. Ye to kuch jyada hi ajeeb ho raha tha magar phir bhi gaurav ka irada pathhar jaisa majboot tha. Wo kuch bhi sehen karne ko taiyaar tha agar badle mai Dr. Gupta use tachyons ka nirmaan karna aur unhe kaboo mai karna sikha de to... akhirkar experiment achhi tarah ho hi gaya.
Us din ke baad kai baar Dr. Gupta ne gaurav ke sath milkar tachyons par experiment kiye magar us din k baad se jaise jadoo sa ho gaya tha. Dr. Gupta aur balwinder dono hi bilkul normal ho chuke the. Wo hamesha hi usse pyar se bolte kabhi bewajah gussa nai karte. Aur balwinder to, jise gaurav phooti ankh nahi suhata tha, uska achha dost ban gaya tha. Akhir tha to wo bhi unhi ki umra ka hi.

Sarang ke man mai ek udhed-bun kafi samay se chal rahi thi. Aur jab Dr. Gupta ke sath training ka akhiri din aaya to use yahi sahi samay laga apni baat gaurav se karne ka kyuki gaurav agle hi din se time-machine par kaam shuru karne wala tha.
Apni duvidha gaurav ke samne rakhte hue kaha, ''bhai tune papa ko akhir manaya kaise?''
''Abe, tu abhi tak usi baat par atka hua hai..'' Gaurav dheere se bola,''Dr. Gupta aa rahe hai. Unke samne time-machine ka jikra mat kariyo.''
Dr. Gupta aate hi josh ke sath bole, ''ha to boys, apne akhiri experiment ke liye ready ho..''
Jawab gaurav ne diya, ''jii sir.'' phir kuch atakte hue wo bola, '' s..sir... mai k.. kuch... pooch sakta hoo..''
Dr. Gupta ne muskurate hue kaha, ''yahi na, ki tumhare tachyons par pehle experiment se pehle tak mai tumse har vakt chida aur gusse mai kyu rehta tha..''
Gaurav ashcharya ke sath Dr. Gupta ko dekhta hue bola, ''j..j..ji..sir...''
Dr. Gupta ab gambhir mudra mai bole, ''sach kahu to muje bhi nai pata. Tumhe dekhte hi muje lagta ki muje tumhe yaha se bhagana hai aur meri antaratma ki awaaj mujse tumhe har vakt bas neecha dikhane ko kehti..''
Ek lambi saans lete hue Dr. Gupta phir bole, ''tumhe ye sab bada ajeeb lag raha hoga magar yahi sach hai. Tumhe dekhte hi kai baar mere man mai yahi khayal aata ki tum yaha sirf ek hi maksad se aaye ho aur wo hai tachyons ka raaj jankar unka galat istemal karna. Halanki mai janta tha ki ye sach nai hai kyuki Maine Nikhil se maine tumhari sirf tareef hi suni thi aur tum waise hi the. Aur phir tachyons ke sang tumhare pehle experiment ke baad achanak hi muje wo khayal aana band ho gaye..
Chalo bahut baatein ho gayi. Lab mai aa jao, aaj ka experiment bahut important hai..'' kehte hue Dr. Gupta waha se chale gaye.

''kitni ajeeb baat hai na..'' gaurav unke jaate hi bola.
''ajeeb to hai par tune meri baat ka jawab nahi diya..'' sarang ab bhi apni hi udhed-bun se peecha chudana chahta tha.
''konsi baat?'' gaurav ne anjan bante hue kaha.
''yahi ki tune papa ko manaya kaise?'' sarang ab seedhe gaurav ki ankho mai dekha raha tha.
''maine unhe aisi deal di ki wo mana nahi kar paye..'' gaurav ne kaha.
''Kaisi deal??'' sarang ki bechaini ab badti ja rahi thi.
''Yahi ki agar machine kamyab hui aur ban gai to ye unki company ki property hogi jise wo jaise chahe istemal kar sakte hai.. muje use sirf ek hi baar istemal karne ki ijajat hogi..'' gaurav ne akhirkar raaj khol hi diya.
''aur agar machine nahi bani to...'' sarang ne phir shanka prakat ki.
''Aise kaise nai banegi.. jaroor banegi.. dekh liyo..'' gaurav josh ke sath bola.
''Phir bhi... agar nahi bani to...'' sarang ko ab bhi time-machine ke banne par shak tha.
''To muje sari umra company ke liye kaam karna hoga wo bhi bina salary ke.. aur ha tere dad ke liye bhi..'' gaurav ke chehre se josh ab gayab ho gaya tha aur phir wo bola, ''Dr. Gupta intejar kar rahe honge.. chal chalte hai..''
to be continued...
sunder update.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
..
Balwinder Joins The Team
Episode 4

Aaj ka experiment akhiri hone ke sath sath
bahut hi important bhi tha.
Aaj Dr. Gupta in dono ko sikhane wale the ki kaise
tachyons ki direction ko control karna hai aur apni
marzi se disha deni hai. Aaj ka experiment bhi poori
tarah safal hua aur ab gaurav apne maksad ko
poora karne ke liye bilkul taiyar tha.

Lekin ek baat jo gaurav ne sochi hi nai thi uska
dhyan agle hi din sarang ne usko dilaya
''tu tachyons apne paas banayega kaise??''
''matlab??'' gaurav ko wakai samaj nai aaya tha.
''matlab, tachyons ko banane ke liye jo machines
chahiye wo to sirf Dr. Gupta ke paas hi hai..'' sarang
ne samjhaya.
''Abe, ye to maine socha hi nahi..'' gaurav ab
asmanjas mai pad gaya.
''ab kya karega??'' sarang ne uske aage ke neeti ke
bare mai janna chaha jo ab dhundli pad chuki thi.
''shayad ballu madad kare..'' gaurav kuch der
sochne ke baad bola.
''Kaun?? balwinder?? ha shayad wo madad kar
sakta hai.'' sarang bhi shayad yahi soch raha tha.
''lekin phir hume use sab kuch batana padega..''
sarang kisi aur ko ye baat batane ke paksh mai nai
tha.
''aur koi chara nai hai bhai..
hume use batana hi padega..'' gaurav ne apni
lachari jahir ki.
''Dekh le, kahi koi aur dikkat na khadi ho jaye. Tune
to dekha hi hai ki wo tujhe bilkul bhi pasand nahi
karta tha..'' sarang ne apni shanka batai.
''bhai wo to bahut pehle ki baat hai.. ab to wo
hamara kafi achha dost ban gaya hai.. dekh lena wo
madad jaroor karega..'' gaurav ko balwinder par
poora bharosa tha.
''chalo baat karke dekh lete hai.. kya pata baat ban
hi jaye.. lekin time-machine wali baat jarurat padne
par hi batayenge..'' sarang ab bhi ye baat raaj hi
rakhna chahta tha.
''chal maani teri baat..'' gaurav khush hote hue
bola.

Agle hi din dono balwinder ke ghar pahunch gaye.
Wo un dono ko dekhkar bahut khush hua.
''Are gaurav.. sarang.. tum dono yaha.. aao baitho..
yaha kaise aana hua..'' ballu ek hi saans mai bolta
hi chala gaya.
''Wo... bhai... hume tumhari thodi madad chahiye
thi..'' kehte hue gaurav ne shuru se lekar ant tak
saari baat use bata di time-machine wali bhi.
''Oh my god!! tum log pagal to nai ho gaye ho.. time-travel impossible hai.. aur Gupta sir ke machines ke
blue-prints tumhe dene ka matlab hai unse
gaddari.. ye mai nai kar sakta..'' pehle ki tarah
balwinder ek saans mai sab kuch bolta hi chala
gaya.
''bhai hum wo blue-prints tumhe wapas kar denge
aur wada karte hai unka galat istemal nai karenge..''
gaurav ne use samjhane ki koshish ki.
''chale jao dono isse pehle ki mai police ko bulao..''
gaurav ki baat sune bagair balwinder gusse mai
unpar phat pada.
Dono ko yakeen nahi tha ki balwinder ka reaction
kuch aisa hoga isliye dono waha se bina ek shabd
aur bole waha se nikal gaye.
Lekin wo kuch door nikle hi the ki peeche se
balwinder ki awaaj aayi, ''ruko ek minute..''
''maine bahut socha aur mai tumhari madad karne
ke liye taiyar hoo.. lekin ek shart par..'' bhagte hue
unke paas akar phir ek hi saans mai wo sabkuch bol
gaya.
Dono ki ankhe chamak uthi. ''kya shart hai
tumhari..'' dono ek sath bole.
''ek to wahi jo tumne kahi ki unhe wapas kar doge
aur unka galat istemal nai karoge.. aur dusri ye ki
mai bhi time-machine banane mai tumhari madad
karoonga aur tumhare sath time-travel par bhi
chalunga.'' balwinder ko to jaise ek saans mai hi
sab kuch kahne ki aadat thi.
''Lekin ye to do sharte hui.. lekin chalo theek hai..''
gaurav ne haste hue kaha aur dono waha se chale
gaye. Aur ballu apne mobile par ek number milate
hue waha se apne ghar ki taraf mud gaya.
''ha bhai wo maan gaye, apna kaam ban gaya
samjho..'' balwinder rahasyamayi dhang se
muskurate hue phone par kisi se baat karne laga.

''Hum ballu ko kaise le ja sakte hai.. ye koi picnic
thode hi hai..'' hostel pahunchte hi sarang ne chinta
ke sath halka sa gussa late hue kaha.
''Agar use na kar dete to wo hume kabhi blue-prints
nai deta..'' gaurav ne kaha.
''lekin kahi wo koi pareshani na khadi kar de.''
sarang ne chintit hote hue kaha.
''tab ki tab dekhi jayegi..'' gaurav ne befikra hote hue
kaha aur sarang ne bhi aage behes nai ki.

Aur 3-4 din baad hi balwinder unke paas blue prints
lekar pahunch gaya. Gaurav ab apni manjil ke aur
najdeek aa gaya aur kuch hi dino ke andar un teeno
ne milkar wo machines bana li wo bhi chote size
mai taki unhe time machine mai fit kiya ja sake.

Ab bas time-machine banana hi baaki tha.
to be continued...
badhiya update.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
.The Dream & Remembering The Past
Episode 5
Pata nahi kyu par gaurav ka man aaj bhi usse wahi baat keh raha tha jo weh pichhle 7 dino se keh raha tha. Jab se gaurav, sarang aur balwinder ne 'TekRek' ki lab mai time-machine par kaam karna shuru kiya hai gaurav ki antaratma usse bas yahi kahti ki time-machine banana uske bas ki baat nahi hai. Aur kabhi wo ye bhi sochta ki use time-machine nahi banani chahiye kyuki uska galat istemal bhi ho sakta hai. Galat hatho mai padne par ye duniya ko khatam tak kar sakti hai.
Gaurav khud se ki baatein karne laga tha jise dekhkar sabhi use pagal samajhne lage the. Lekin gaurav har baar apne man ko mana leta aur kawya ko yaad karke jut jaata apne maksad ko paane ke liye. Ab tak koi aisa din nahi beeta tha jisme wo kawya ko yaad karke roya na ho. Use sabse jyada dukh is baat ka tha ki kawya ki maut ki vajah uski let-latifi thi.
Kawya ko yaad karte hi wo us din ma kho jaata jab wo pehli baar mile the. Kawya gaurav se 1 saal junior thi aur wo uska college mai pehla din tha. College mai pehla din matlab ragging to honi hi thi. Gaurav ke hi 4 dosto raj, abhishek, Nikhil aur Amir ne ye 'jimmedari' apne upar li thi. In charo me sabse jyada kamine Nikhil aur Amir the. Ye dono langotiya yaar the aur har shararat mai sabse aage rehte the. Us din bhi juniors ko sabse jyada pareshan yahi dono kar rahe the aur unka sath raj aur abhishek de rahe the. Us din college ke gate se dakhil hone wale 7 students mai sirf kawya hi ekmatra ladki thi baki sabhi ladke the.
Lekin un charo ko is baat se koi fark nai pada tha. Ha kawya ko dekhkar charo ek baar ko mantra-mugdh jaroor ho gaye the. Saaf gora rang, gulabi honth, kamar tak lambe kale ghane baal aur bachhon jaisi adwitiya aur pyari muskan wali kawya ne us din peeli t-shirt ke upar black color ki half jacket aur blue jeans pehni hui thi jisme wo ekdum pari lag rahi thi.
''sir... mai jaaun..'' kawya darte huye un charo se boli.
Charo jaise ek sath neend se jaage the ''hhhh... kya???'' nikhil bola.
''Are aise kaise... ek kaam kardo aur phir chali jana miss... kya naam hai tumhara..'' abhishek ne hanse huye kaha.
''Ji...kawya...'' kawya ne darte huye hi jawab diya.
''Haa to kawya ji... hum tumhare seniors hai isliye tumhe hamari sabhi baatein manni hai.. janti ho na..'' nikhil muskurate huye bola.
''Jii...'' kawya usi tarah sahamte huye boli.
''Very good.. to theek hai.. wo samne jo aam ka ped dikh raha hai waha se hamare liye aam todkar lao.. wo bhi chadkar..'' nikhil kutilta se hanste huye college garden ke ek ped ki taraf ishara karte huye bola.
''Jii???'' abki baar kawya thar-thar kaamp rahi thi. ''mujhe chadna nahi aata..'' wo boli.
''achha to phir agar ye nahi kar sakti to hum charo ko gaal par ek-ek 'kiss' do aur chali jao..'' is baar amir bola jo abhi tak bas use ghoor hi raha tha.
''Jiii??'' is baar kawya ki ankh mai ansoo the.
''Ye Jii Jii kya laga rakha hai.. ya to ped pe chado ya hum sabko ek-ek kiss do..'' is baar raj gurraya.
Kawya wahi khade-khade hi rone lagi tabhi ek aur tej awaaj waha goonji, '' tum charo ko sharm nahi aati kisi ladki se aisa ghatiya majak karte huye..'' ye awaaj gaurav ki thi.
''Gaurav.. bhai.. hum to bas ise college life mai dhaal rahe the.. agar seniors ki ijjat nahi karegi, unki baat nahi manegi to jindagi mai aage kaise bhadegi..'' nikhil kheese niporta hua bola.
''Ijjat ki maa-ki-ankh..ye bhi koi tarika hua bhala ragging ka.. seedhe seedhe phut lo warna principal sir se kehkar 1 minute mai restigate kara dunga..''
College mai gaurav ko sabhi teachers bahut mante the. Gaurav poore college ka sabse genius banda tha isliye principal sir bhi us ko bahut chahte the.
Charo waha se turant khisak liye.
''Apne Dosto ki taraf se mai aapse mafi mangta hu.. dil ke bure nahi hai wo..'' gaurav kawya se bola.
Kawya bina kuch kahe waha se sharmate huye chali gayi.
Us din ke baad se to bas jaise kawya ko bahane hi chahiye the gaurav se baat karne ke, Uske sath time spend karne ke. Gaurav to us par pehle din se hi lattoo tha aur shayad kawya bhi uski dewani ho chuki thi.

Aur ek din gaurav ne ijhar-e-ishq kar hi diya aur kawya ne bhi uska jawab 'I LOVE YOU TOO' se hi diya.
Aur us manhoos din, jab gaurav ne use hamesha ke liye khoya, unke ijhar-e-ishq ki pehli anniversary thi.

''Gaurav... bhai kaha kho gaya..'' sarang ne gaurav ko hilate huye poocha.
Gaurav jaise neend se jaaga tha. Aas paas dekha to yaad aaya ki wo 'TekRek' ki lab mai hai.
''Kya baat hai??'' Gaurav oonghte hue bola.
''Machine lagbhag ban gayi hai..'' sarang ne use khush hote huye bataya, ''bas akhiri tools rah gaye hai fit karne ko.. jo tu hi kar sakta hai..''
''Theek hai.. aata hu..'' gaurav bola aur Uske sath chal diya.
to be continued
umda update.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
..Episode 6
Jab tak machine ban nahi gayi gaurav ka man hamesha hi use rokne ki koshish karta tha. Gaurav ko to ab ye lagne laga tha ki uska man aur wo do alag-alag insaan hai jinki aapas mai behas hamesha chalti rehti hai. Gaurav ko pata hi nahi tha ki Uske man mai aise khayal kyu aate hai jabki wo machine banane ke liye maansik aur sharirik dono tarah se drid tha.

Kuch din baad...
Machine taiyar ho chuki thi bas ab use test karna baaki tha.
''Mai jaunga test karne..'' gaurav ne dridta se kaha.
''tu pagal ho gaya hai kya?? Kuch gadbad ho gayi to??'' sarang ne chintit hote huye kaha.
''Abe kuch nahi hoga.. machine sahi hi bani hai..'' gaurav poori tarah ashvast tha.
''To mai bhi sath chaloonga..'' sarang ne kaha.
''Lekin phir bhi machine test to karni hi chahiye..'' balwinder bhi pehle machine ko kaam karte dekhna chahta tha.
''lekin machine mai remote control system nahi hai.. kisi na kisi ko machine ko ander se hi operate karna hoga..'' gaurav ne kaha.
''Ek kaam karte hai.. machine ko 1 ghanta peeche le jate hai aur 2 second ka return timer set karte hai..
Agar machine ne kaam kiya to wo 2 second mai hi laut ayegi aur agar nahi to Andar wala banda bas 1 ghanta hi samay mai peeche rahega..'' sarang ne idea diya.
''Idea to achha hai.. lekin machine ko test mai hi karunga..'' gaurav bola.
''Chal theek hai.. best of luck..'' sarang ne usse kaha.
''Best of luck buddy..'' balwinder ne bhi use best of luck kaha aur gaurav machine ke control area mai ghus gaya aur gate band kar liya.
Machine dekhne mai badi ajeeb thi. Uske dono side par bade-bade antenna lage the aur peeche tachyons wali machines ke prototype lage the. Beech mai control area tha jisme ek chair thi aur Uske aage control board tha. Gaurav ne control board par maujood ek touch-screen par 1 ghanta pehle ka time set kiya yani 2 July 2021 1:47 P.M. aur return timer 2 second par set kiya. Uske baad kuch sochkar location set kar di.

Iske baad usne 'Go!' button ko jaise hi dabaya poori machine hilne lagi. Aur phir kuch hi seconds ke baad machine achanak hawa mai gayab ho gayi.
Sarang aur balwinder ankhe faad faad kar us jagah ko dekh rahe the jaha abhi thodi der pehle time-machine khadi thi.
Lekin wo abhi us jagah ko ghoor hi rahe the ki machine usi tarah hawa mai se achanak prakat ho gayi jaise gayab hui thi.
Andar gaurav vismay sa baitha tha. Jab machine ke control area ka gate kholkar dono ander ghuse to gaurav ekdum se chillyaya-
''Ye kaam karti hai.. ye sach mai kaam karti hai..''
''Achhaaa....'' dono ascharya aur khushi se ek sath bole.
''Kya dekha tune?? Machine kaha par le gayi thi?? Matlab lab mai hi thi ya kahi aur?? Hume to yaad nahi ki ghanta ghar pehle humne machine hawa mai se paida hoti dekhi ho??'' Balwinder ne ek hi saans mai saare sawal pooch liye.
''Relax.. bhai.. sab batata hu..'' gaurav ne kaha aur gheri saans lekar phir bola, ''machine hamare hostel ke room mai le gayi thi.. wo bhi ghanta bhar pehle ke..''
''Lekin waha kaise pahunch gayi?? Machine lab mai hi kyu nahi aayi?? Aur tujhe kaise malum wo ghanta bhar pehle ka hi room tha??'' sarang ne bhi ek hi saans li poori baat kehne ke liye.
''Kyuki maine hi wo location set ki thi.. tumhe to pata hi hai ki is lab mai koi wall clock nahi hai..
Time janne ke liye hi maine room ki location set ki thi.. aur waha pahunchte hi sabse pehle wall clock par hi najar ghumayi.. ab agar yaha lab mai hi aata to time kaise pata lagta wo bhi sirf 2 seconds mai hi??'' Gaurav ne samjhaya.
''Chalo.. koi baat nahi.. machine kaam kar rahi hai isse achhi baat aur kya ho sakti hai.. chalo papa ke paas chalte hai aur machine banne ki khushkhabri unhe sunate hai..'' sarang ne sari baat jaan kar tasalli se kaha.

''Rukkkoooo.....'' isse pehle gaurav kuch bolta peeche se aayi balwinder ki jordar awaaj ne uske kadam aur honth dono rok diye.
Peeche mudkar dekha to balwinder un par revolver taane khada tha.
to be continued...
khubsurat update.
 

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,195
78,117
304

Hello Everyone :hello:
We are Happy to present to you The annual story contest of Xforum "The Ultimate Story Contest" (USC)..

Jaisa ki aap sabko maalum hai abhi pichle hafte he humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time Pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit chat thread toh pehle se he Hind section mein khulla hai.

Iske baare Mein thoda aapko btaadun ye ek short story contest hai jisme aap kissi bhi prefix ki short story post kar shaktey ho jo minimum 700 words and maximum 7000 words takk ho shakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap Iss contest Mein apne khayaalon ko shabdon kaa Rupp dekar isme apni stories daalein jisko pura Xforum dekhega ye ek bahot acha kadam hoga aapke or aapki stories k liye kyunki USC Ki stories ko pure Xforum k readers read kartey hain.. Or jo readers likhna nahi caahtey woh bhi Iss contest Mein participate kar shaktey hain "Best Readers Award" k liye aapko bus karna ye hoga ki contest Mein posted stories ko read karke unke Uppar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske aalwa aapko apna thread apne section mein sticky karne kaa mouka bhi milega Taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab k liye ye ek behtareen mouka hai Xforum k sabhi readers k Uppar apni chaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna suru kar shaktey hain or woh thread 21st February takk open rahega Iss dauraan aap apni story daal shaktey hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna suru kardein toh aapke liye better rahega.

Koi bhi issue ho toh aap kissi bhi staff member ko Message kar shaktey hain..

Rules Check karne k liye Iss thread kaa use karein :- Rules And Queries Thread.

Contest k regarding Chit chat karne k liye Iss thread kaa use karein :- Chit Chat Thread.

Regards :Xforum Staff.

 
Top