• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy THE TIME MACHINE .........ACTION SCIENCE FICTION THRILLER

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Bahot hi shandaar, story hai bhai,
maine ye story xp par padhi thi,
aaj bhi iss story ka jaadu vaise hi kaayam hai jaise 4 saal pahle tha

Ha bhai ye wakai ek shandar story thi....aur hamesha rehegi
Waise kya aapne use pura padha tha
 
  • Like
Reactions: Jitu kumar

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Update 2 will be posted very soon
 
  • Like
Reactions: Jitu kumar

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Episode 2

Dr. Gupta: The Tachyon Man

Sarang hairani se apne dost ko dekh
raha tha. Use lag raha tha ki uska dost kawya ki
maut k sadme se pagal ho gaya hai, ''bhai samhal
apne aap ko, ye kaisi behki-behki baatein kar raha
hai. Pagal to nai ho gaya hai. Ye namumkin hai.''
Gaurav poore josh ke sath bola- ''bhai mai sach keh
raha hu aur ye bilkul mumkin hai.''
Phir thoda ruk kar bola- ''kabhi 'tachyons' ka naam
suna hai?''
Sarang ko ab bhi pata nai tha ki gaurav kya kehna
aur karna chahta hai.
''Ha suna hai... aise particles jinki speed light ki
speed se bhi jyada hoti hai. Par ye sirf ek theory hai
aur tera matlab kya hai?''
Gaurav apni kitabo mai najre gadaye hi bola, ''ye ab
sirf ek theory nai rahi. Pichle mahine hi colorado ke
ek professor ne in particles ko apni laboratory mai
create kar liya hai. Unka naam Dr. Gupta hai aur ha
wo Indian hai.''
''Sach... magar isse hume kya?''
''Dr. Gupta agle friday ko India aa rahe hai. Agar
hum unse 'tachyons' ko kaabu mai karna seekh le to
hum time-travel kar sakte hai.''
''jara dhang se samjhayega, kaise??''
''Einstein ke mutabik jo cheez light ki speed se travel
karti hai wah time-travel kar sakti hai. Agar hum
tachyons ka istemal apni time-machine mai kare to
hum asani se time-travel kar sakte hai aur samay
mai peeche jakar kawya ko ba....''
Baat poori hone se pehle hi gaurav ki aankhe bheeg
gai thi. Lekin apne aansoo pochta hua wo bola,
''maine sab setting kar li hai. Hum unke paas as a
student jayenge aur unse hume sikhane ko
kahenge.''
''Agar wo nai maane to...''
''Maine kaha na ki maine sab setting kar li hai. Tu
uski chinta mat kar.''
''Lekin tujhe meri madad kis liye chahiye?''
''Bhai tujhe to Pata hi hai ki mere paas itna paisa nai
hai ki akela hi time-machine bana saku jabki is
kaam mai karodo ka kharcha ayega. Agar tu apne
papa se k..k.keh ke...''
Sarang ke pita 'TekRek' naam ki company mai CEO
the jo army ke liye hathiyar banane ka kaam karti
thi.
''Papa shayad hi manenge bhai. Unke liye business
hi sabkuch hai, isliye wo itni badi rakam kabhi aise
risky project mai nahi lagayenge.''
''Ek baar meri unse baat karwa de bhai. Mai unhe
mana lunga.''
''Jaisa tu theek samje. Mai kal hi teri unse meeting
karwa dunga.''

Agle din Gaurav bahut khush tha. Uske liye aaj ek
bada din tha. Aaj use 2 kaam niptane the. 1 tha
sarang k papa ke sath deal karna aur dusra nikhil ko
raaji karna. Nikhil uska dost tha aur kismat se Dr.
Gupta ka bhanja bhi.
Nikhil ko patana itna tough nai tha jitna sarang ke
pita Mr. Verma ko tha. Lekin usne unhe bi raaji kar
liya magar ek bhari keemat par.

Ab bas ek hi kaam bacha tha aur wo tha Dr. Gupta
se mulakat aur unhe impress karke unke gyaan ki
chabhi hasil karna.

Dr. Gupta ek 40-45 saal ke aadmi the aur koi bhi
unhe dekhte hi bata sakta tha ke wo ek scientist hai.
Weh jyadatar samay apna lab-coat penne rehte the
aur har waqt sirf science ki baate hi kiya karte the.
Weh samay ke kafi paband the isliye Nikhil ne
Gaurav ko khaas chetawani di thi ki kabhi unko
intejar na karaye aur bilkul punctual rahe.
Gaurav chooki quantum physics ka jadugar tha use
Dr. Gupta ko impress karne mai jyada time nai laga
aur Dr. Gupta ne use aur sarang ko apna student bana liya.
Magar unka assistant gaurav ko bilkul pasand nai
karta tha. Wo achanak kahi se prakat hota aur
gaurav k bane banaye kaam ko bigad deta.
Aur ek din...
 
174
340
78

Awesome update
Kahani v light speed jaise badh rahi hai
 
  • Like
Reactions: Mayaviguru

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159

spritemathews

Well-Known Member
2,996
6,682
158
I am happy to see you again, But I don't understand as this story is already there & it's completed why do you want to write again. just a curiosity
 
Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
B
I am happy to see you again, But I don't understand as this story is already there & it's completed why do you want to write again. just a curiosity
Bro apki bat sahi hai but ye xf par nhi hai sayad..and ye mujhe ek nlock buster lagi thi isliye post krne ka socha ..isiliye maine maine iska crediit bhi readers ko original writer ko hi dene ka bola hai and unka name bhi mention kiya..hai...mai sirf normal likhta hu...but yha ke jo new writers hai jo sci fic par likhte hai ya magical lilhte hai unle liye ye el sampla oa kam kar sakti hai.....ye inspire kar soati hai un new writers ko...
 
  • Like
Reactions: spritemathews
Top