• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

parkas

Prime
22,738
52,384
258
Update - 53
____________________

Main aur dinesh ne ek sath hi baith kar khana khaya. Is dauraan hamare bich sab kuch samaanya ho gaya tha. Dinesh ke hi puchhne par maine use bataya ki maine apna bangla bench diya hai aur usme se kuch paiso dwara yahi gaziabad me hi ek jagah flat le liya hai. Us flat me main apni biwi maya aur apne ek dushman ki beti minakshi ke sath rah raha hu. Maine unhe ye bhi bataya ki minakshi ke sath main kuch bhi galat nahi kar raha hu. Wo meri kaid se bhaag na jaye is liye maine use bandhak banaya hua hai. Jis din mera maksad pura ho jaayega us din main use azaad kar duga.

Dono miya biwi ab kyoki meri asaliyat se waakif ho chuke the is liye unki nazar me meri ek alag hi ahmiyat ho gayi thi. Ye alag baat hai ki swati ke chehre par kabhi kabhi mujhe nirasha ke se bhaav ubhar aate dikh jate the.

Khana khatm hua hi tha ki door bell baji. Swati ne ja kar darwaza khola to pata chala bachche apne school college se aa gaye the. Teeno bachcho ne mujhe dekhte hi namaste kiya aur fir wo andar ki taraf chale gaye. Idhar maine bhi dinesh bhai se jane ki ijazat maagi to usne kaha ki mujhe uske yaha se kamra khaali karne ki koi zarurat nahi hai lekin kyoki maine apne liye flat le liya hai to beshak main apne flat par rahu magar har roz mujhe uske ghar chaay pine ke liye aana padega.

Dinesh aur uski biwi swati ne apne bachcho ki kasam khaayi thi is liye ab mujhe unse kisi tarah ka khatra nahi tha aur idhar maine bhi unhe puri tarah aaswast kar diya tha ki unhe mujhse koi khatra nahi hai. Khair uske baad main aur dinesh sath hi baahar aa gaye. Dinesh apna auto le kar chala gaya aur main dusra auto khoj kar usme baith kar chalta bana. Dinesh ke kahne ke bavjood main uske auto me isi liye nahi baitha tha taaki ye ham dono ke liye hi safe rahe.

Jab main apne flat par pahucha to din dhalne laga tha. Maine dekha maya hamare bete se phone par baate karne me lagi huyi thi. Main aaya to usne phone mujhe pakda diya. Maine kuch der apne bete se baate ki. Uske baad main araam karne ke liye bed par let gaya. Main jaanta tha ki sanjay ki hatya ho jane se maamla pahle se kahi zyada garm ho jaayega jiske chalte shahar me sansani fail jayegi. Media wale aur pradesh ki janta ka bartaav bhi ugra ho sakta hai. Mujhe ehsaas tha ki har baar ki nakaami ke baad sambhav hai ki is maamle ko police se le kar CBI ke supurd kiya ja sakta hai. Bed par lete main yahi sab soch raha tha. Mere zahen me khayaal ubhra ki mujhe apne kaam ki speed badhaani hogi. Halaaki aisa karna behad hi khatarnaak saabit ho sakta tha lekin main ab wakt jaya nahi kar sakta tha. Maamla agar CBI ke hath laga to tafteesh ka daayra aur speed hi badh jaayegi, sath hi mera pakda jana bhi tay ho sakta hai. Is liye mere liye yahi behtar tha ki jitna jaldi ho sake apne dushmano ko khatm kar ke maya ke sath is desh se nikal jaau.

"Lagta hai gahre khayaalo me gum ho." Maya ki awaaz par mera dhyaan bhang hua to maine uski taraf dekha. Wo apne dono hatho me chaay ke cup liye bed ke paas hi khadi thi. Main utha to usne ek cup mujhe pakdaya aur dusra cup khud le kar wo bed par mere paas hi baith gayi.

"Sahi kaha." Maine lambi saans chhodte huye kaha____"Gahre khayaalo me hi khoya hua tha main. Soch raha tha ki sanjay ki hatya ki khabar failte hi ek baar fir se delhi shahar me sansani fail gayi hogi aur is sabke chalte media wale ek baar fir se police prashasan ko nikamma karaar degi."

"Wo to laajmi hai." Maya ne shaant bhaav se kaha____"Bhala media ya janta ko kya pata ki police prashasan ke nikamma hone ka raaz kya hai."

"Raaz to ek din khulega hi dear." Maine chaay ki ek chuski le kar kaha____"Lekin main chaahta hu ki usse pahle mera maksad pura ho jaaye aur ham dono yaha se nikal jaaye. Uske baad yaha kiske bare me kya pata chalega isse hame koi lena dena hi nahi rah jaayega. Dusre desh me ham ek nayi pahchaan ke sath zindagi jiyenge."

"Main bhi yahi soch rahi thi." Maya ne kaha____"Lekin lagta hai halaat hamari soch se kahi zyada bigad jaayenge. Agar aisa hua to ham dono ke liye mushkile badh jaayengi."

"Maine faisla kar liya hai." Maine spasth lahje me kaha____"Ab main wakt barbaad nahi karuga balki jitna jaldi ho sakega apne maksad ko pura karunga. Main jaanta hu ki isme jaan tak jane ka khatra hai lekin mujhe ye khatra mol lena hi padega. Agar ye maamla CBI ke hatho supurd kar diya gaya to mere liye har kadam par khatra paida ho jaayega aur mumkin hai ki main apne maksad me kamyaab bhi na ho paau. Is liye isse pahle ki case CBI ke hath me jaye mujhe jald se jald ye khel samaapt karna hoga."

"Kya aisa nahi ho sakta ki tum apne kadam ab yahi par rok lo?" Maya ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Main jaanti hu ki tumhara maksad pura huye bina tumhe shaanti nahi milegi aur na hi tumhare anusaar tumhare mata pita ki rooh ko shaanti milegi lekin wo bhi to upar se dekh hi rahe honge ki tum is wakt kin halaato me fanse huye ho? Kya wo ye chaahte honge ki unki rooh ko sukoon dene ke liye unka beta apni jaan hi gawa de? Mera khayaal hai aisa wo hargiz nahi chaah sakte. Duniya ke koi bhi mata pita aisa nahi chaahenge. Unki rooh ko sukoon dene ke liye itna hi bahut hai vikram. Meri baat maan lo aur ab yahi par ruk jaao. Hamari apni zindagi ke bare me socho jaan jise khud upar wale ne tohfe ki shakl me hame di hai. Hamari zindagi ka na sahi apne bete ke bare me socho. Us bete ke bare me jo pichhle bees saalo se apne pita ke pyaar ke liye taras raha hai."

"Tumhe kya lagta hai main kuch sochta hi nahi hu?" Maine gambheer bhaav se kaha____"Aree is seene me bahut kuch bhara hua hai maya. Main kisi ko dikhata nahi hu aur na hi mujhse apne andar ka haal baya karna aata hai magar yakeen maano is seene me jaha ek taraf dhadhakte huye shole bhadak rahe hain wahi dusri taraf jazbaato ka bhayankar sailaab bhi hilore le raha hai jise main badi mushkil se kaabu kiye huye hu. Tumse kahi zyada main ek nayi shuruaat ki hasrat rakhta hu. Apne bete ko apne kaleje se laga kar apne dil ke tufaan ko shaant karna chaahta hu. Is khel ko uske aakhiri anjaam ke paas la kar main usse mukar nahi sakta. Main ye bilkul bhi bardaast nahi kar sakta ki upar maujood mere dushmano ki aatmaaye mujhe haara hua khiladi samjhe aur mujh par hase. Itna hi nahi mera jo dushman zinda hai wo bhi mere bare me aisi hi raay bana le. Maine un sabko maut di hai to ab khud maut ke khauf se bhaag nahi sakta balki maut ke seene ko raundta hua apne aakhiri bache dushman ko bhi maut doonga. Mujhe apni koi parwaah nahi hai. Agar sach me mujhe maut aa gayi to sirf isi baat ka ranz rahega ki apne bete ko do pal ke liye apne kaleje se laga na saka."

Meri baate sun kar maya chakit bhaav se dekhti rah gayi mujhe. Uske chehre par hairaani ke alawa nirasha aur dukh ke bhaav ubhar aaye the. Maine chaay ke cup ko bed par rakh kar uske khubsurat chehre ko apni dono hatheliyo me liya aur fir pyaar se bola_____"Tumne mujhe mukammal mard banaya tha dear is liye is mard ko namard na banaao warna mera apna hi zameer mujhe chain se jeene nahi dega. Wo kahega ki aakhiri wakt me maine maut ke dar se apne aakhiri dushman ko zinda chhod diya. Yakeen karo dear, tumhara vikram itna kamzor nahi hai ki koi uske sath kuch kar dega. Tum dekhna, main apne aakhiri dushman ko mitti me mila kar bade shaan ke sath tumhari aankho ke saamne haazir ho jaaunga."

"Bahut ziddi ho tum." Maya ki aankho se aansu chhalak pade____"Kaise apne dil ko is tarah patthar bana lete ho tum?"

"Sach kahu to aisa sirf tumhare pyar ki hi vajah se mere liye sambhav hua hai." Maine uski aankho ke aansu saaf karte huye pyar se kaha____"Tumhare milne se pahle mere andar itna dridh sankalp nahi tha. Kyoki tab sirf ek hi soch thi ki ya to marunga ya fir mar jaauga. Jeene ki koi hasrat hi nahi thi. Aakhir kis ke liye jeeta main lekin jab tumse mulakaat huyi aur apne bete ke bare me pata chala to ek alag hi tarah ka ehsaas jaagrit ho gaya. Bas ek baar is sab se faarig ho jaau fir dekhna main khud hamari duniya ko khushiyo ke naye naye rango se bharne ki koshish me lag jaauga."

Maya kuch der tak mujhe dekhti rahi aur fir aage badh kar usne haule se mere hotho ko choom liya. Uske narm hotho ki chhuwan se mere samuche jism me jhurjhuri si daud gayi. Khair raat me hamne dono dinner kiya aur fir so gaye.

[][][][][][]

"Main tumse milna chaahta hu." Raat ke andhere me ek pedh ke peechhe chhupe khade ek saye ne mobile ko kaan se lagaye dheemi awaaz me kaha____"Yakeen maano main tumhe fansaane ke liye koi jaal nahi bun raha balki tumhare bhale ke liye hi tumse milna chaahta hu."

"..........!" Dusri taraf se kuch kaha gaya.
"Haan main samajh sakta hu." Saye ne pahle ki tarah hi dheeme swar me kaha_____"Lekin bharosa to karna hi padega tumhe. Main bhi to apni jaan ko khatre me daal kar baahar ghoom raha hu, ye jaante huye bhi ki jane kis taraf se tumhare roop me maut mujh par aa jhapte."

".................!" Udhar se fir kuch kaha gaya.
"Thik hai." Saaye ne gahri saans li_____"Agar tum aisa hi chaahte ho to yahi sahi. Maine to ye socha tha ki rubaru mil kar tasalli se baate hongi magar khair koi baat nahi. Waise ek baat hai jise jaanna tumhare liye zaruri hai. Sambhav hai ki tab shayad tumhe mujh bharosa ho."

"................!" Udhar se fir ek baar kuch kaha gaya jis par saaye ne dheeme swar me hi lekin apni awaaz ko khaas banate huye kuch der tak kuch kaha aur fir phone cut kar ke use paint ki pocket me daal liya.

[][][][][][][]

"Y...ye kya kah rahi hain aap??" Mobile phone ko apne kaan se lagaye gulfam ne chaunkte huye kaha_____"Tarun kal shaam se ghar nahi lauta?"

"Haan bhai sahab." Dusri taraf se saumya dukhi bhaav se kah rahi thi_____"Uski security me lage aadmiyo ne bataya ki wo kal shaam ko apne office se baahar hi nahi aaya. Jab kaafi samay guzar gaya to un logo ne usko khojna shuru kiya magar wo unhe office me hi kya balki puri company me hi kahi nahi mila."

"Badi hairatangez baat hai ye." Gulfam ne sochne wale andaz se kaha_____"Aakhir apni security walo ki aankho me dhool jhonk kar wo apne office se kaise gayab ho gaya hoga?"

"Main khud ye soch soch kar pareshan ho gayi hu bhai sahab." Saumya ne adheerta se kaha_____"Aur ab to mera dil ye soch soch kar baitha ja raha hai ki kahi wo vikram ke hath na lag gaya ho. Agar aisa hua to wo mere bete ko bhi maar daalega. Pati ko to kho hi chuki hu ab apne bete ko nahi khona chaahti main. Uske bachche anaath ho jaayenge bhai sahab. Bhagwan ke liye use khojiye aur bacha lijiye use."

Saumya rone lagi to gulfam ne use kisi tarah shaant kiya aur fir ashwasan de kar phone cut kar diya. Is wakt uske chehre par kuch zyada hi pareshani aur chinta ke bhaav ubhar aaye the. Usne kuch der socha aur fir mobile par kisi ko phone milane laga.

[][][][][][]

CMS ka head quarter....!
Ek lambe chaude haal me neem andhera tha jiske doosre chhor par sabse upar ek khaas kism ka singhasan rakha hua tha. Us singhasan me kaale kapdo me lipta hua bada hi rahasyamay insaan baitha hua tha. Kaale glubs me dhanke hath ki do ungliyo ke beech mota sa shigaar fansa hua tha jisme se halka dhua nikal raha tha. Haal ke daye baye kayi kursiya rakhi huyi thi jinme chaar kursiyo par insaani saaye baithe huye the. Un sabke jismo par bhi black colour ka libaas tha. Kaale nakaab se sirf unki aankhe hi chamak rahi thi.

"Halaat bahut bigad gaye hain sir." Daayi taraf ki kursi me baithe ek saaye ne apni khaas awaaz me kaha_____"Us vikram ki vajah se pure shahar me dahshat ka maahaul paida ho gaya hai jiske chalte media walo ne aisa hangama kiya hua hai ki baat upar tak pahuch gayi hai. Aise me agar government ne koi thos faisla liya to nateeja achha nahi hoga."

"Har news channel wale is case ko CBI ke supurd karne ki maang kar rahe hain sir." Doosre saaye ne kaha_____"Agar maamla CBI ke hath chala gaya to hamari sanstha ke vajood par bhi khatra paida ho jaayega."

"Aisa kuch nahi hoga." Singhasan par baithe rahasyamay shakhs ne apni ajeeb si awaaz me kaha____"Maana ki mahaul sansanikhej ho gaya hai aur media wale is maamle ko CBI ke hatho me dene ki maang kar rahe hain lekin ye sab itna asaan nahi hai. Government tab tak is case ko CBI ke surpurd nahi karegi jab tak iski ijazat ham khud na de."

Singhasan par baithe rahasyamay insaan ki ye baate sun kar nakaab ke andar chhupe chaaro ke chehro par hairat ke bhaav ubhar aaye. Kisi ke mukh se fauran koi alfaaz khaariz na ho saka.

"Agar aisa hai tab to achhi baat hai sir." Ek anya saaye ne kaha_____"Lekin vikram jaise sirfire insana ka koi bharosa nahi hai. Wo hamari sanstha ke liye bahut bada khatra hai. Minakshi ke dwara usne jaan liya hoga ki hamari sanstha ka head quarter kaha par hai, is liye wo kabhi bhi yaha aa kar tabaahi macha sakta hai."

"Wo kuch nahi kar sakega." Rahasyamay shakh ki ajeeb awaaz hall me goonji____"Ab tak usne jo kuch kiya hai wo sab hamari nazro me raha hai. Yu samjho ki hamne uske dwara badi asaani se aisa hone diya hai. Abhi to wo yahi samajh raha hai ki wo bahut bada khaleefa hai jise ab tak koi pakad hi nahi paaya hai. Jabki wo moorkh to ye kalpana bhi nahi kar sakta ki ham jab chaahe tab use badi asaani se pakad sakte hain."

"Y...ye aap kya kah rahe hain sir?" Hall me baithe baaki chaaro ne buri tarah chaukte huye kaha tha_____"Agar aap sach me use pakad sakte hain to ab tak use pakda kyo nahi? Kyo use hamare agents ki is tarah hatya karne di?"

"Wo sab is sanstha ke kachra the tripple ex." Rahasyamay shakhs ne kaha____"Aur is sanstha ke sir dard bhi. Is liye unka is tarah se safaya ho jana behtar tha."

Rahasyamay saye ki ye baate sun kar baaki chaaro ke mukh se koi bol na foota. Nakaab se jhaankti aankho me ashcharya ka sagar hilore leta hua dikh raha tha. Fir jaise unhe hosh aaya to chaaro ne ek dusre ki taraf dekha aur fir singhasan me baithe cms ke chief ko dekhne lage.

"Baaki kisi baat ki chinta karne ki koi zarurat nahi hai tum logo ko." Hall me chief ki rahasyamay awaaz goonji_____"Filhaal ek nayi problem khadi ho gayi hai jisko jald se jald niptana zaruri hai."

"K..kaisi problem sir?" Chaaro me se ek ne puchha.
"Hame khabar mili hai ki agent 015 yaani ki tarun achanak se gayab ho gaya hai." Chief ne kaha____"Hamne uske jism me maujood chip ke jariye uski location pata karne ki koshish ki thi magar koi faayda nahi hua. Hamare agents ko wo chip to mil gayi hai lekin wo khud nahi mila."

"Iska to ek hi matlab ho sakta hai sir." Dusre saaye ne kaha____"Ki wo vikram ke hath lag gaya hoga. Vikram ne abhi tak aisa hi to kiya hai. Hamare jis agent ko bhi usne pakda hai to usne sabse pahle uske jism se wo chip hi nikaali thi."

"Bevkoofo jaisi baate mat karo." Hall me chief ki gurrahat bhari awaaz goonji____"Mana ki vikram ne ab tak aisa hi kiya hai lekin is baar aisa nahi hua hai."

"S...sorry sir." Us saye ne hadbada kar kaha____"L..lekin agar aisa nahi hua to fir kaise tarun gayab ho gaya? Baat kuch samajh me nahi aayi sir?"

"Jaisa ki hamne tum logo ko bataya ki vikram par hamari nazar hai aur ham jab chaahe usko pakad sakte hain." Chief ne kaha____"Kahne ka matlab ye ki wo jo bhi karta hai wo sab hamari nazar me hota hai magar tarun ko usne gayab nahi kiya hai aur na hi wo uske hath laga hai. Hame lagta hai ki tarun ke gayab hone ke pichhe koi aisi vajah hai jise sochna aur samajhna behad zaruri hai."

"Hamare liye kya hukum hai sir?" Ek anya saaye ne sanjeeda bhaav se puchha.
"Tum log use khojne ke liye apne sabhi sources ka use karo." Chief ne kaha____"Aur sath hi use jald se jald khoj kar hamare saamne haazir karo."

Chaaro ne adab se sir nawaya aur palat kar hall se baahar nikal gaye. Singhasan par baithe chief ne bujh gaye shigaar ko lighter se jalaya aur uska gahra gahra kash lene laga.

✤༺༻✤
Bahut hi shaandar update diya hai TheBlackBlood bhai....
Nice and awesome update....
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,530
34,451
219
Kaise hain dosto....I hope sab kushal Mangal se hi honge :approve:

Mujhe pata hai ki pichhle saal maine kya kaha tha lekin wakt aur halaat kuch is tarah se mere saamne aa gaye ki story continue rakhne ki to baat door forum me haaziri lagane tak ka mauka na mila. Halaaki haaziri to laga sakta tha lekin fir story me update ki maang bhi hone lagti joki de pana mere liye hargiz bhi sambhav nahi tha. Waise abhi ek din aaya tha main lekin jaldi hi offline ho jana pada tha :dazed:
Current time me bahut zyada byastata chal rahi hai. Lakh koshisho ke baad bhi story ki taraf dhyaan dene ka mauka nahi milta aur yahi vajah rahi ki khaali hath yaha aane ka dil nahi kiya. Shadi ki taiyariya joro se ho rahi hain aur is sabki vajah se sala bijli ki tarah zahen me rah rah kar ye khayaal aa jata hai ki bahut jald main barbaad hone wala hu aur itna hi nahi abhi tak jo main azaad pankshi ki tarah parwaaz kar raha tha use jald hi ek iase pinjare me kaid kar diya jayega jisse chaah kar bhi main kabhi nikal na sakuga. Well honi ko kaun taal sakta hai...khair :verysad:

Is story ko May ke baad hi restart kar sakuga aur agar time mila to beech me bhi ek do update likhne ki koshish karuga, halaaki aisa sambhav to nahi hai par koshish karuga. Is story ko complete karne ke baad hi प्यार का सबूत ki taraf rukh karuga. :declare:
अपडेट तो पढ़ते ही रहेंगे......... मई का इंतज़ार रहगा :D .......... शादी है तो दावत की उम्मीद में
 
9,438
39,700
218
बहुत ही बेहतरीन अपडेट था यह। विक्रम और माया के बीच हुए कन्वर्सेशन के तो कहना ही क्या ! आउटस्टैंडिंग डायलॉग।
विक्रम के द्वारा कहे गए हर डायलॉग बहुत बहुत खुबसूरत थे।
विक्रम और माया का यह सोचना कि वो फाॅरेन मे सेफ रहेंगे , सही हो भी सकता है और सही नही भी हो सकता है। अगर वो भारत मे अपराधी घोषित कर दिए गए हों और किसी अन्य देश मे उन्होने शरण ले लिया हो तब भारत सरकार प्रत्यार्पण संधि के तहत उन्हे वापस भारत ला सकती है। बशर्ते उस देश के साथ इस तरह की संधि हो।

तरूण का गायब होना सी.एम.एस के लिए भी परेशानी का शबब बन गया है। अगर वो विक्रम के चंगुल मे नही है तो फिर उसे किस ने बंधक बना लिया है ? और यह भी आश्चर्य की बात है कि इनके चीफ को विक्रम के हर हरकतों पर नजर बनी हुई है।

शायद जिन दो लोगों ने रात के वक्त बातें की थी , उन्होने ऐसा किया हो। लेकिन वो लोग है कौन ?
इन दो लोग मे एक व्यक्ति विक्रम लग रहा है पर दूसरा कौन है ? कहीं तरूण ही तो नही ! कहीं तरूण , विक्रम के साथ तो नही मिल गया ?

बहुत ही खूबसूरत अपडेट शुभम भाई। आउटस्टैंडिंग अपडेट।
 
Ajju Landwalia

Well-Known Member
2,587
10,449
144
Update - 53
____________________

Main aur dinesh ne ek sath hi baith kar khana khaya. Is dauraan hamare bich sab kuch samaanya ho gaya tha. Dinesh ke hi puchhne par maine use bataya ki maine apna bangla bench diya hai aur usme se kuch paiso dwara yahi gaziabad me hi ek jagah flat le liya hai. Us flat me main apni biwi maya aur apne ek dushman ki beti minakshi ke sath rah raha hu. Maine unhe ye bhi bataya ki minakshi ke sath main kuch bhi galat nahi kar raha hu. Wo meri kaid se bhaag na jaye is liye maine use bandhak banaya hua hai. Jis din mera maksad pura ho jaayega us din main use azaad kar duga.

Dono miya biwi ab kyoki meri asaliyat se waakif ho chuke the is liye unki nazar me meri ek alag hi ahmiyat ho gayi thi. Ye alag baat hai ki swati ke chehre par kabhi kabhi mujhe nirasha ke se bhaav ubhar aate dikh jate the.

Khana khatm hua hi tha ki door bell baji. Swati ne ja kar darwaza khola to pata chala bachche apne school college se aa gaye the. Teeno bachcho ne mujhe dekhte hi namaste kiya aur fir wo andar ki taraf chale gaye. Idhar maine bhi dinesh bhai se jane ki ijazat maagi to usne kaha ki mujhe uske yaha se kamra khaali karne ki koi zarurat nahi hai lekin kyoki maine apne liye flat le liya hai to beshak main apne flat par rahu magar har roz mujhe uske ghar chaay pine ke liye aana padega.

Dinesh aur uski biwi swati ne apne bachcho ki kasam khaayi thi is liye ab mujhe unse kisi tarah ka khatra nahi tha aur idhar maine bhi unhe puri tarah aaswast kar diya tha ki unhe mujhse koi khatra nahi hai. Khair uske baad main aur dinesh sath hi baahar aa gaye. Dinesh apna auto le kar chala gaya aur main dusra auto khoj kar usme baith kar chalta bana. Dinesh ke kahne ke bavjood main uske auto me isi liye nahi baitha tha taaki ye ham dono ke liye hi safe rahe.

Jab main apne flat par pahucha to din dhalne laga tha. Maine dekha maya hamare bete se phone par baate karne me lagi huyi thi. Main aaya to usne phone mujhe pakda diya. Maine kuch der apne bete se baate ki. Uske baad main araam karne ke liye bed par let gaya. Main jaanta tha ki sanjay ki hatya ho jane se maamla pahle se kahi zyada garm ho jaayega jiske chalte shahar me sansani fail jayegi. Media wale aur pradesh ki janta ka bartaav bhi ugra ho sakta hai. Mujhe ehsaas tha ki har baar ki nakaami ke baad sambhav hai ki is maamle ko police se le kar CBI ke supurd kiya ja sakta hai. Bed par lete main yahi sab soch raha tha. Mere zahen me khayaal ubhra ki mujhe apne kaam ki speed badhaani hogi. Halaaki aisa karna behad hi khatarnaak saabit ho sakta tha lekin main ab wakt jaya nahi kar sakta tha. Maamla agar CBI ke hath laga to tafteesh ka daayra aur speed hi badh jaayegi, sath hi mera pakda jana bhi tay ho sakta hai. Is liye mere liye yahi behtar tha ki jitna jaldi ho sake apne dushmano ko khatm kar ke maya ke sath is desh se nikal jaau.

"Lagta hai gahre khayaalo me gum ho." Maya ki awaaz par mera dhyaan bhang hua to maine uski taraf dekha. Wo apne dono hatho me chaay ke cup liye bed ke paas hi khadi thi. Main utha to usne ek cup mujhe pakdaya aur dusra cup khud le kar wo bed par mere paas hi baith gayi.

"Sahi kaha." Maine lambi saans chhodte huye kaha____"Gahre khayaalo me hi khoya hua tha main. Soch raha tha ki sanjay ki hatya ki khabar failte hi ek baar fir se delhi shahar me sansani fail gayi hogi aur is sabke chalte media wale ek baar fir se police prashasan ko nikamma karaar degi."

"Wo to laajmi hai." Maya ne shaant bhaav se kaha____"Bhala media ya janta ko kya pata ki police prashasan ke nikamma hone ka raaz kya hai."

"Raaz to ek din khulega hi dear." Maine chaay ki ek chuski le kar kaha____"Lekin main chaahta hu ki usse pahle mera maksad pura ho jaaye aur ham dono yaha se nikal jaaye. Uske baad yaha kiske bare me kya pata chalega isse hame koi lena dena hi nahi rah jaayega. Dusre desh me ham ek nayi pahchaan ke sath zindagi jiyenge."

"Main bhi yahi soch rahi thi." Maya ne kaha____"Lekin lagta hai halaat hamari soch se kahi zyada bigad jaayenge. Agar aisa hua to ham dono ke liye mushkile badh jaayengi."

"Maine faisla kar liya hai." Maine spasth lahje me kaha____"Ab main wakt barbaad nahi karuga balki jitna jaldi ho sakega apne maksad ko pura karunga. Main jaanta hu ki isme jaan tak jane ka khatra hai lekin mujhe ye khatra mol lena hi padega. Agar ye maamla CBI ke hatho supurd kar diya gaya to mere liye har kadam par khatra paida ho jaayega aur mumkin hai ki main apne maksad me kamyaab bhi na ho paau. Is liye isse pahle ki case CBI ke hath me jaye mujhe jald se jald ye khel samaapt karna hoga."

"Kya aisa nahi ho sakta ki tum apne kadam ab yahi par rok lo?" Maya ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Main jaanti hu ki tumhara maksad pura huye bina tumhe shaanti nahi milegi aur na hi tumhare anusaar tumhare mata pita ki rooh ko shaanti milegi lekin wo bhi to upar se dekh hi rahe honge ki tum is wakt kin halaato me fanse huye ho? Kya wo ye chaahte honge ki unki rooh ko sukoon dene ke liye unka beta apni jaan hi gawa de? Mera khayaal hai aisa wo hargiz nahi chaah sakte. Duniya ke koi bhi mata pita aisa nahi chaahenge. Unki rooh ko sukoon dene ke liye itna hi bahut hai vikram. Meri baat maan lo aur ab yahi par ruk jaao. Hamari apni zindagi ke bare me socho jaan jise khud upar wale ne tohfe ki shakl me hame di hai. Hamari zindagi ka na sahi apne bete ke bare me socho. Us bete ke bare me jo pichhle bees saalo se apne pita ke pyaar ke liye taras raha hai."

"Tumhe kya lagta hai main kuch sochta hi nahi hu?" Maine gambheer bhaav se kaha____"Aree is seene me bahut kuch bhara hua hai maya. Main kisi ko dikhata nahi hu aur na hi mujhse apne andar ka haal baya karna aata hai magar yakeen maano is seene me jaha ek taraf dhadhakte huye shole bhadak rahe hain wahi dusri taraf jazbaato ka bhayankar sailaab bhi hilore le raha hai jise main badi mushkil se kaabu kiye huye hu. Tumse kahi zyada main ek nayi shuruaat ki hasrat rakhta hu. Apne bete ko apne kaleje se laga kar apne dil ke tufaan ko shaant karna chaahta hu. Is khel ko uske aakhiri anjaam ke paas la kar main usse mukar nahi sakta. Main ye bilkul bhi bardaast nahi kar sakta ki upar maujood mere dushmano ki aatmaaye mujhe haara hua khiladi samjhe aur mujh par hase. Itna hi nahi mera jo dushman zinda hai wo bhi mere bare me aisi hi raay bana le. Maine un sabko maut di hai to ab khud maut ke khauf se bhaag nahi sakta balki maut ke seene ko raundta hua apne aakhiri bache dushman ko bhi maut doonga. Mujhe apni koi parwaah nahi hai. Agar sach me mujhe maut aa gayi to sirf isi baat ka ranz rahega ki apne bete ko do pal ke liye apne kaleje se laga na saka."

Meri baate sun kar maya chakit bhaav se dekhti rah gayi mujhe. Uske chehre par hairaani ke alawa nirasha aur dukh ke bhaav ubhar aaye the. Maine chaay ke cup ko bed par rakh kar uske khubsurat chehre ko apni dono hatheliyo me liya aur fir pyaar se bola_____"Tumne mujhe mukammal mard banaya tha dear is liye is mard ko namard na banaao warna mera apna hi zameer mujhe chain se jeene nahi dega. Wo kahega ki aakhiri wakt me maine maut ke dar se apne aakhiri dushman ko zinda chhod diya. Yakeen karo dear, tumhara vikram itna kamzor nahi hai ki koi uske sath kuch kar dega. Tum dekhna, main apne aakhiri dushman ko mitti me mila kar bade shaan ke sath tumhari aankho ke saamne haazir ho jaaunga."

"Bahut ziddi ho tum." Maya ki aankho se aansu chhalak pade____"Kaise apne dil ko is tarah patthar bana lete ho tum?"

"Sach kahu to aisa sirf tumhare pyar ki hi vajah se mere liye sambhav hua hai." Maine uski aankho ke aansu saaf karte huye pyar se kaha____"Tumhare milne se pahle mere andar itna dridh sankalp nahi tha. Kyoki tab sirf ek hi soch thi ki ya to marunga ya fir mar jaauga. Jeene ki koi hasrat hi nahi thi. Aakhir kis ke liye jeeta main lekin jab tumse mulakaat huyi aur apne bete ke bare me pata chala to ek alag hi tarah ka ehsaas jaagrit ho gaya. Bas ek baar is sab se faarig ho jaau fir dekhna main khud hamari duniya ko khushiyo ke naye naye rango se bharne ki koshish me lag jaauga."

Maya kuch der tak mujhe dekhti rahi aur fir aage badh kar usne haule se mere hotho ko choom liya. Uske narm hotho ki chhuwan se mere samuche jism me jhurjhuri si daud gayi. Khair raat me hamne dono dinner kiya aur fir so gaye.

[][][][][][]

"Main tumse milna chaahta hu." Raat ke andhere me ek pedh ke peechhe chhupe khade ek saye ne mobile ko kaan se lagaye dheemi awaaz me kaha____"Yakeen maano main tumhe fansaane ke liye koi jaal nahi bun raha balki tumhare bhale ke liye hi tumse milna chaahta hu."

"..........!" Dusri taraf se kuch kaha gaya.
"Haan main samajh sakta hu." Saye ne pahle ki tarah hi dheeme swar me kaha_____"Lekin bharosa to karna hi padega tumhe. Main bhi to apni jaan ko khatre me daal kar baahar ghoom raha hu, ye jaante huye bhi ki jane kis taraf se tumhare roop me maut mujh par aa jhapte."

".................!" Udhar se fir kuch kaha gaya.
"Thik hai." Saaye ne gahri saans li_____"Agar tum aisa hi chaahte ho to yahi sahi. Maine to ye socha tha ki rubaru mil kar tasalli se baate hongi magar khair koi baat nahi. Waise ek baat hai jise jaanna tumhare liye zaruri hai. Sambhav hai ki tab shayad tumhe mujh bharosa ho."

"................!" Udhar se fir ek baar kuch kaha gaya jis par saaye ne dheeme swar me hi lekin apni awaaz ko khaas banate huye kuch der tak kuch kaha aur fir phone cut kar ke use paint ki pocket me daal liya.

[][][][][][][]

"Y...ye kya kah rahi hain aap??" Mobile phone ko apne kaan se lagaye gulfam ne chaunkte huye kaha_____"Tarun kal shaam se ghar nahi lauta?"

"Haan bhai sahab." Dusri taraf se saumya dukhi bhaav se kah rahi thi_____"Uski security me lage aadmiyo ne bataya ki wo kal shaam ko apne office se baahar hi nahi aaya. Jab kaafi samay guzar gaya to un logo ne usko khojna shuru kiya magar wo unhe office me hi kya balki puri company me hi kahi nahi mila."

"Badi hairatangez baat hai ye." Gulfam ne sochne wale andaz se kaha_____"Aakhir apni security walo ki aankho me dhool jhonk kar wo apne office se kaise gayab ho gaya hoga?"

"Main khud ye soch soch kar pareshan ho gayi hu bhai sahab." Saumya ne adheerta se kaha_____"Aur ab to mera dil ye soch soch kar baitha ja raha hai ki kahi wo vikram ke hath na lag gaya ho. Agar aisa hua to wo mere bete ko bhi maar daalega. Pati ko to kho hi chuki hu ab apne bete ko nahi khona chaahti main. Uske bachche anaath ho jaayenge bhai sahab. Bhagwan ke liye use khojiye aur bacha lijiye use."

Saumya rone lagi to gulfam ne use kisi tarah shaant kiya aur fir ashwasan de kar phone cut kar diya. Is wakt uske chehre par kuch zyada hi pareshani aur chinta ke bhaav ubhar aaye the. Usne kuch der socha aur fir mobile par kisi ko phone milane laga.

[][][][][][]

CMS ka head quarter....!
Ek lambe chaude haal me neem andhera tha jiske doosre chhor par sabse upar ek khaas kism ka singhasan rakha hua tha. Us singhasan me kaale kapdo me lipta hua bada hi rahasyamay insaan baitha hua tha. Kaale glubs me dhanke hath ki do ungliyo ke beech mota sa shigaar fansa hua tha jisme se halka dhua nikal raha tha. Haal ke daye baye kayi kursiya rakhi huyi thi jinme chaar kursiyo par insaani saaye baithe huye the. Un sabke jismo par bhi black colour ka libaas tha. Kaale nakaab se sirf unki aankhe hi chamak rahi thi.

"Halaat bahut bigad gaye hain sir." Daayi taraf ki kursi me baithe ek saaye ne apni khaas awaaz me kaha_____"Us vikram ki vajah se pure shahar me dahshat ka maahaul paida ho gaya hai jiske chalte media walo ne aisa hangama kiya hua hai ki baat upar tak pahuch gayi hai. Aise me agar government ne koi thos faisla liya to nateeja achha nahi hoga."

"Har news channel wale is case ko CBI ke supurd karne ki maang kar rahe hain sir." Doosre saaye ne kaha_____"Agar maamla CBI ke hath chala gaya to hamari sanstha ke vajood par bhi khatra paida ho jaayega."

"Aisa kuch nahi hoga." Singhasan par baithe rahasyamay shakhs ne apni ajeeb si awaaz me kaha____"Maana ki mahaul sansanikhej ho gaya hai aur media wale is maamle ko CBI ke hatho me dene ki maang kar rahe hain lekin ye sab itna asaan nahi hai. Government tab tak is case ko CBI ke surpurd nahi karegi jab tak iski ijazat ham khud na de."

Singhasan par baithe rahasyamay insaan ki ye baate sun kar nakaab ke andar chhupe chaaro ke chehro par hairat ke bhaav ubhar aaye. Kisi ke mukh se fauran koi alfaaz khaariz na ho saka.

"Agar aisa hai tab to achhi baat hai sir." Ek anya saaye ne kaha_____"Lekin vikram jaise sirfire insana ka koi bharosa nahi hai. Wo hamari sanstha ke liye bahut bada khatra hai. Minakshi ke dwara usne jaan liya hoga ki hamari sanstha ka head quarter kaha par hai, is liye wo kabhi bhi yaha aa kar tabaahi macha sakta hai."

"Wo kuch nahi kar sakega." Rahasyamay shakh ki ajeeb awaaz hall me goonji____"Ab tak usne jo kuch kiya hai wo sab hamari nazro me raha hai. Yu samjho ki hamne uske dwara badi asaani se aisa hone diya hai. Abhi to wo yahi samajh raha hai ki wo bahut bada khaleefa hai jise ab tak koi pakad hi nahi paaya hai. Jabki wo moorkh to ye kalpana bhi nahi kar sakta ki ham jab chaahe tab use badi asaani se pakad sakte hain."

"Y...ye aap kya kah rahe hain sir?" Hall me baithe baaki chaaro ne buri tarah chaukte huye kaha tha_____"Agar aap sach me use pakad sakte hain to ab tak use pakda kyo nahi? Kyo use hamare agents ki is tarah hatya karne di?"

"Wo sab is sanstha ke kachra the tripple ex." Rahasyamay shakhs ne kaha____"Aur is sanstha ke sir dard bhi. Is liye unka is tarah se safaya ho jana behtar tha."

Rahasyamay saye ki ye baate sun kar baaki chaaro ke mukh se koi bol na foota. Nakaab se jhaankti aankho me ashcharya ka sagar hilore leta hua dikh raha tha. Fir jaise unhe hosh aaya to chaaro ne ek dusre ki taraf dekha aur fir singhasan me baithe cms ke chief ko dekhne lage.

"Baaki kisi baat ki chinta karne ki koi zarurat nahi hai tum logo ko." Hall me chief ki rahasyamay awaaz goonji_____"Filhaal ek nayi problem khadi ho gayi hai jisko jald se jald niptana zaruri hai."

"K..kaisi problem sir?" Chaaro me se ek ne puchha.
"Hame khabar mili hai ki agent 015 yaani ki tarun achanak se gayab ho gaya hai." Chief ne kaha____"Hamne uske jism me maujood chip ke jariye uski location pata karne ki koshish ki thi magar koi faayda nahi hua. Hamare agents ko wo chip to mil gayi hai lekin wo khud nahi mila."

"Iska to ek hi matlab ho sakta hai sir." Dusre saaye ne kaha____"Ki wo vikram ke hath lag gaya hoga. Vikram ne abhi tak aisa hi to kiya hai. Hamare jis agent ko bhi usne pakda hai to usne sabse pahle uske jism se wo chip hi nikaali thi."

"Bevkoofo jaisi baate mat karo." Hall me chief ki gurrahat bhari awaaz goonji____"Mana ki vikram ne ab tak aisa hi kiya hai lekin is baar aisa nahi hua hai."

"S...sorry sir." Us saye ne hadbada kar kaha____"L..lekin agar aisa nahi hua to fir kaise tarun gayab ho gaya? Baat kuch samajh me nahi aayi sir?"

"Jaisa ki hamne tum logo ko bataya ki vikram par hamari nazar hai aur ham jab chaahe usko pakad sakte hain." Chief ne kaha____"Kahne ka matlab ye ki wo jo bhi karta hai wo sab hamari nazar me hota hai magar tarun ko usne gayab nahi kiya hai aur na hi wo uske hath laga hai. Hame lagta hai ki tarun ke gayab hone ke pichhe koi aisi vajah hai jise sochna aur samajhna behad zaruri hai."

"Hamare liye kya hukum hai sir?" Ek anya saaye ne sanjeeda bhaav se puchha.
"Tum log use khojne ke liye apne sabhi sources ka use karo." Chief ne kaha____"Aur sath hi use jald se jald khoj kar hamare saamne haazir karo."

Chaaro ne adab se sir nawaya aur palat kar hall se baahar nikal gaye. Singhasan par baithe chief ne bujh gaye shigaar ko lighter se jalaya aur uska gahra gahra kash lene laga.

✤༺༻✤

Behad Shandar update he TheBlackBlood Shubham Bhai,

Dinesh aur uski biwi Swati ko to Vikram ne samjha diya aur dono maan bhi gaye................

Maya aur Vikram ke beech ke dialogues bahut hi sunder tarike se likhe gaye he..........ekdum fantastic........

Tarun ka yoo hi gayab ho jana............shayad Tarun jaanbujhkar gayab hua he...............Vikram se milne ke liye..................

CMS ke chief ke ye kehna ki Vikram par uski nazar he.............aur wo jab chahe Vikram ko daboch sakta he.................kahi na kahi ishara kar raha he ki Vikram ab jinke sath rah raha he ya jo log Vikram ki sachchayi jante he.............unme se hi koi CMS ka member he...............

Shayad mujhe CMS ke chief ke baare me pata chal gaya he.............lekin me abhi naam reveal karke sabka maja spoil nahi karna chahta.............

Intezar rahega agli dhamakedar update ka.................
 
TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,742
354

Thanks
 
Update - 54
____________________

Us wakt raat ke do baj chuke the. Har taraf gahan sannata chhaya hua tha. Bed me mere bagal se leti maya gahri neend me so rahi thi. Ek ridam me chalti huyi uski saanso se saaf zaahir ho raha tha ki wo gahri neend me hai. Iske pahle main kayi baar check kar chuka tha aur isi natije par pahucha tha ki wo gahri neend me hai. Baharhaal main jab puri tarah se mut-maeen ho gaya to bahut hi aahista se bed se utha aur fir zara si bhi awaaz ya aahat kiye bina bed se utar kar us taraf badha jis taraf ki diwaal me lage hanger par mere kapde tange huye the.

Kapde pahanne me maine zyada waqt jaya nahi kiya. Uske baad pahle ki hi tarah main bina koi awaaz ya aahat kiye kamre ke darwaze ke paas pahucha aur bahut hi saawdhaani se darwaze ki kundi khol kar be-awaaz kamre se baahar nikal aaya. Baahar aa kar maine khule huye darwaze se ek baar bed par soi padi maya par nazar daali aur fir darwaze ko aapas me bhida kar main mukhya darwaze ki taraf badhta chala gaya.

Flat se baahar aa kar maine aas paas ka muaayna kiya aur fir paidal hi ek taraf ko badhta chala gaya. Main jaanta tha ki raat ke is wakt mujhe koi waahan milna mumkin nahi tha fir bhi man me ek ummid thi ki shayad koi waahan nazar aa hi jaye.

Sadak par kareeb bees minute chalne ke baad ek jagah mujhe auto dikha to main tez raftaar se chalte huye us auto ke paas pahuch gaya. Auto driver se maine ek jagah chalne ko kaha to usne jane se saaf inkaar kar diya. Kahne laga raat bahut ho gayi hai aur use ab apne ghar jana hai. Maine use zyada paise dene ka laalach diya aur sath hi apni kuch majburi ka bhi bakhaan kiya jiska natija ye hua ki aakhir wo chalne ke liye raaji ho gaya.

Main jaanta tha ki raat ke is wakt mera kisi waahan me yu kahi aana jana khatre se khaali nahi tha lekin iske bavjood maine ye rishk le liya tha. Raaste me auto wale se thodi bahut baat cheet huyi aur main apne gantavya par pahuch gaya. Maine auto wale ko paanch minute rukne ko kaha aur ek taraf ko badh chala. Is taraf zyada roshni to nahi thi magar andhera bhi zyada nahi tha. Man me kayi saare sawaal aur khayaal liye main dhadakte dil ke sath ek taraf ko badhta hi chala ja raha tha.

Is jagah par main pahle bhi kayi baar aa chuka tha is liye mujhe is jagah ke bare me thodi bahut jankaari thi. Is wakt raat ke sannate me zyada andhera to nahi tha lekin roshni bhi itni nahi thi ki main yu hi kisi ke dwara asaani se dekh liya jaau. Main puri tarah se satark aur kisi bhi tarah ki baat ho jane ke liye taiyar tha. Ye alag baat hai ki meri dhadkane is wakt zarurat se zyada hi tez gati se chalne lagi thi aur sath hi mere andar halka ghabrahat ke bhi bhaav numaya ho uthe the.

Patli sadak se chalte huye main jaldi hi ek aisi jagah par aa pahucha jaha ke liye main aaya tha. Ek madhyam size ke pedh ke thik bagal se wo kudadaan tha jisme plastic ke do ausat size ke dibbe kuch lohe ki pleto ke sahare jame huye the. Maine ek baar aas paas ka jaayja liya aur fir aankhe band kar ke kuch aisa mahsoos karne laga jo mujhe thoda ajeeb sa feel karaye lekin kuch der ki pratiksha ke baad bhi jab aisa waisa kuch bhi feel nahi hua to main aankhe khol us kudedaan ki taraf badh chala.

Apni paint ki jeb se maine plastic ke glubs nikaale aur unhe hatho me pahan kar plastic ke un do dibbo me se ek ko check karne laga. Dono dibbo me tarah tarah ka kooda bhara hua tha jo ki gandi smell de raha tha lekin main us gandi smell ki parwaah kiye bina apni talashi ke kaarya me laga raha. Pahle wale me jab mujhe wo na mila jiske liye main yaha aaya tha to maine fauran hi dusre wale dibbe me us cheez ko talashna shuru kar diya.

Jaise jaise wakt guzar raha tha mere dil ki dhadkane bhi tez hoti ja rahi thi aur sath hi ghabrahat ki vajah se mere chehre par pasine ki maatra me bhi izafa hota ja raha tha. Zahen me ek khayaal bade zor shor se taandav sa kar raha tha ki agar ye koi khatarnaak jaal hua to??? Mere zahen me taandav karta ye khayaal jaayaz bhi tha lekin iske bavjood main khud ko khatre me ghira rakhe kudedaan ke us dibbe ko talashne me laga hua tha.

Us wakt maine raahat ki saans li jab dibbe ke andar achanak se wo cheez mere hath lag gayi. Baaki koode ke beech fansi wo cheez khud bhi gandi ho gayi thi lekin plastic ke andar maujood kaagaj ka envelope saaf nazar aa raha tha. Maine fauran hi use saaf kiya aur fir envelope ke upar chadhi plastic ko nikaal kar envelope ko apni shirt ke andar daal liya. Hatho me jo plastic ke glubs the unhe nikaal kar us kudedaan me hi daal kar main fauran hi palat kar chal diya.

Auto ke paas pahucha to dekha driver beedi pi raha tha. Mujhe dekhte hi bura sa muh bana kar bola ki sahab itni raat ko main yaha aakhir kis kaam se aaya tha jiske liye maine usko bhi ghar jane nahi diya tha. Khair maine use kisi tarah bahana bana kar chup kiya aur waapas chalne ko kaha to wo chal pada.

Saare raaste main tarah tarah ke khayalo me gum raha jiski vajah se mujhe wakt ke guzar jane ka pata hi na chal paya tha. Chaunka tab jab driver ne mujhse kaha ki sahab aapka stop aa gaya hai. Maine dekha wo mujhe ajeeb tarah se dekhe ja raha tha. Maine fauran hi khud ko samhala aur chehre par khushi ke bhaav ujagar kar ke aur sath hi muskurate huye auto se niche utar kar use uske paise diye. Auto wale ko baar baar shukriya kahte huye main ek taraf ko badh chalta chala gaya.

[][][][][][]

"Y...ye kya hai keshav bhai?" Dinesh ne jab red colour ke box ko khola to uske andar maujood cheez ko ashcharya se dekhte huye bol pada____"Ye...ye to bahut mahga hoga."

"Mahga hoga ya sasta hoga ye mat sochiye dinesh bhai." Maine ek nazar swati par daali jo aankhe faade box me maujood sone ke haar ko dekhe ja rahi thi, fir dinesh se bola_____"Mujhe bas ye bataiye ki ye haar meri bhatiji poonam ke gale me achha to lagega na?"

Meri baat sun kar dinesh se kuch bolte na ban pada. Wo kabhi us bhaari bharkam haar ko dekhta to kabhi apni biwi swati ko to kabhi meri taraf. Main samajh sakta tha ki dono miya biwi us haar ki keemat ka soch kar use hajam nahi kar pa rahe the.

"Bhabhi aap hi bataiye na." Jab dinesh kuch na bol saka to maine swati se mukhatib ho kar usse puchha_____"Ye Poonam ke gale me achha lagega na...aur haan bejhijhak ho kar boliyega. Agar achha nahi lagega to main isse bhi achha wala haar apni bhatiji ke liye le aauga."

"Na..nahi nahi ye bahut achha lagega uske gale me." Swati hadbada kar boli. Fir dinesh ki taraf dekhte huye boli____"Aap bolte kyo nahi? Ye haar hamari poonam ke gale me achha lagega na?"

"Ha..haan haan achha to lagega." Dinesh ne jhijhakte huye kaha____"Par ye bahut mahga bhi to hoga."

"Mujhe samajh me nahi aa raha ki aap mahga sasta ke bare me kyo soche ja rahe hain?" Maine bura sa muh banate huye dinesh se kaha____"Poonam agar aap dono ki beti hai to wo meri bhatiji bhi to hai. Kya apni bhatiji ke liye mera koi farz nahi hai? Ya fir aap log mujhe apna hi nahi samajhte hain??"

"Are..nahi nahi keshav bhai, aisi baat nahi hai." Dinesh ne hadbadate huye kaha_____"Ham tumhe apna hi maante hain."

"Agar maante hain." Maine kaha____"To fir ye faaltu ki baate mat sochiye. Main ye haar apni bhatiji poonam ke liye laaya hu. Uska chacha hone ke naate ye mera farz banta hai ki apni bhatiji ki shadi me use koi tohfa du."

Meri baate sun kar dono ke chehro par khushi ke bhaav ubhar aaye. Swati baar baar us sone ke haar ko dekh kar khushi se fooli nahi sama rahi thi. Meri taraf badi hi kritagyata se dekh rahi thi. Maine pahli baar uski aankho me apne liye kuch alag se bhaav dekhe the. Aisa lag raha tha jaise wo mere bare me pichhla sab kuch bhool baithi thi. Sahsa mere andar kuch aise bhaav jaag uthe jinhone mujhe thoda bhaavuk sa kar diya.

"Dinesh bhai." Fir maine bhaavuk ho kar hi kaha_____"Aap dono ko to sab pata hi hai ki maine apne jeewan me kya kuch kiya hai aur kya kuch saha hai. Aaj ke wakt me is duniya me mera aisa koi nahi hai jise main apna kah saku ya jiske bare me ye kah saku ki is duniya me koi mujhe sachche dil se apna samajhta hai. Aap logo se mila aur yaha aap logo ke sath raha to barsho baad apnepan ka ehsaas jaagrit hua. Main jis raaste par chal raha hu us raaste par meri zindagi ka koi bharosa nahi hai ki kab mere sath kya ho jaye. Is liye main chaahta hu ki isse pahle ki mere sath kuch ho jaye main thoda sa hi sahi kuch aisa kar lu jise karne ke baad mujhe marne ke baad bhi sukoon aur khushi mile."

Ye sab kahte kahte mere andar jazbaato ka tufaan sa uth khada hua tha jiski vajah se meri aankhe nam ho gayi thi. Maine table me rakhe us box ko uthaya aur swati ki taraf badhate huye kaha_____"Ise rakhiye bhabhi aur bejhijhak ho kar mujhe bataiye ki poonam ki shadi me aur kya kya chahiye."

"Sab kuch to ho hi gaya hai." Swati ne mere hath se box ko lete huye kaha____"Baaki jo rah gaya hai wo ham apne gaav ja kar waha ke shahar se le lenge. Yaha se bhala kaun furniture wagaira dho ke le jayega."

"Haan ye bhi sahi kaha." Maine kaha____"Kaash main bhi apni bhatiji ki shadi me shaamil ho pata."
"Kya matlab hai tumhara?" Dinesh ne meri taraf dekha____"Kya tum poonam ki shadi me nahi rahoge?"

"Bahut mushkil hai dinesh bhai." Maine gahri saans li_____"Aap logo ko to pata hi hai ki main kis raaste par hu aur mera maksad kya hai. Mere chaaro taraf khatra hi khatra hai jiski vajah se main swatantra poorwak na to kahi aa ja sakta hu aur na hi chain se rah sakta hu. Khair jane dijiye, mujhe to isi me khushi hai ki maine apni bhatiji ke liye apna kuch to farz nibhaya. Upar wale se bas yahi dua karta hu ki wo hamesha use khush rakhe aur uske jeewan me kabhi bhi koi dukh na aaye."

"Achha keshav tum apni bhabhi ke paas baitho." Dinesh ne sofe se uthte huye kaha_____"Main chalta hu ab. Kuch zaruri kaam baaki hain abhi."

"Mujhe bhi jana hoga dinesh bhai." Maine kaha_____"Apne kaam ko aage badhane ke liye aage ka plan sochna hai."

"Mera kahna ye hai ki filhaal kuch din is bare me kuch bhi mat socho." Dinesh ne kuch sochte huye kaha_____"Maamla abhi garmaya hua hai aur aise me tumhare dwara kuch bhi ulta sidha karne se tum bhaari musibat me pad jaoge. Is liye behtar hai ki kuch din maamle ke thande hone ka intzaar karo."

"Poonam ke papa sahi kah rahe hain." Swati ne meri taraf dekhte huye kaha_____"Ek to waise bhi tum jo kar rahe ho wo bahut hi zyada khatarnaak kaam hai. Mera to soch kar hi badan kaamp jata hai."

"Achha ab main ja raha hu." Dinesh ne swati se kaha_____"Aur tum keshav ke liye garma garam khana taiyar kar do. Ye bina khaye yaha se jane na paye."

"Aree main bhookha thodi na hu dinesh bhai." Maine halke se muskurate huye kaha_____"Main to bhar pet khana kha ke hi yaha aaya tha."

"Mere saamne jhooth nahi chalega keshav bhai." Dinesh ne mujhe ghoorte huye kaha____"Main achhi tarah samajhta hu ki tum apne ghar se nahi balki market se sidha yaha aaye ho. Apni bhatiji ke liye haar lene jo gaye the aur ye haar tumne palak jhapakte to nahi khareed liya hoga."

"Are main jhooth kyo boluga bhala?" Maine dayneey bhaav se kaha_____"Aur fir yaha khana khane me main sharam kyo karuga? Ye mera bhi to ghar hai."

"Saaf saaf ye kyo nahi kahte ki tumhe mere hath ka bana hua khana achha nahi lagta." Swati ne meri taraf dekhte huye tunak kar kaha to main dekhta rah gaya use. Jabki uski baat par dinesh muskura utha aur fir bola_____"Ab to bhai tumhe kha ke hi jana padega yaha se. Achha tum baitho, main to chala ab."

Kahne ke sath hi dinesh palta aur baahar nikal gaya. Main kuch palo ke liye thaga sa baitha raha aur fir ekdam se mere zahen me kayi tarah ke khayaal ubharne shuru ho gaye. Maine socha saala ye kya chutiyapa hone laga? Kaha iske pahle swati mujhe gusse se ghoora karti thi aur kaha ab aisi baate aur aisa ravaiya. Zahen me khayaal ubhra maajra kya hai? Khair maajra chahe jo bhi raha ho magar sach to ye tha ki dinesh ke jane ke baad ab main aur swati ghar par akele hi rah gaye the. Aise me ek taraf jaha mujhe thoda khushi ho rahi thi to wahi dusri taraf thodi ghabrahat bhi ho rahi thi. Aisa is liye ki aarti ke maamle ke baad se swati ka bartaav mere prati kaafi sakht raha tha. Ab akele me wo mujhse kaisa bartaav karne wali thi yahi soch soch kar main thoda ghabra raha tha. Halaaki maine to pahle hi soch liya tha ki swati jis tarah ka mujhse bartaav karegi main waisa hi use jawab duga. Itna to ab main bhi samajh gaya tha ki hamare bich ka koi bhi maamla swati apne pati se batane wali nahi thi. Jab usne aarti wale maamle ko dinesh se nahi bataya to zaahir hai ki wo aage bhi aise kisi maamle ke bare me dinesh ko kuch nahi batayegi. Waise ye meri galat-fahmi bhi ho sakti thi.

"Kya hua." Mujhe khamoshi se baitha dekh swati bol padi to main ekdam se chaunka____"Kin khayaalo me kho gaye tum?"

"Ma..main...nahi to." Maine khud ko samhala____"Main bhala kin khayaalo me khone laga?"
"Aarti ki yaad to nahi aa rahi tumhe?" Swati ne gaur se meri taraf dekhte huye maano tanj sa kiya_____"Waise tumhari jankari ke liye bata du ki wo aur uska pati teen din pahle apne gaav chale gaye hain. Asal me aarti ke sasur ki tabiyat bahut kharaab thi to wo dono apni beti ko le kar chale gaye hain. Jane kab tak wapas aaye wo log."

"Mujhe na to kisi ki yaad aa rahi hai aur na hi kisi ke chale jane se koi fark padta hai." Maine ek lambi saans li fir uski aankho me dekhte huye kaha_____"Lekin haan, aapki in baato se mujhe kuch aur hi lag raha hai."

"K...kya matlab?" Swati ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Matlab behad saaf hai." Maine pahle ki tarah hi uski ankho me dekhte huye kaha_____"Aisa lagta hai jaise aapko aarti se jalan hone lagi hai."

"Ja...jalan???" Swati ekdam se hadbada gayi____"Ye kya kah rahe ho tum? Mujhe bhala usse kyo jalan hogi?"

"Ab ye to aapko hi pata hoga." Maine halke se muskura kar kaha_____"Wo bhi behtar tarike se."

Maine dekha swati ke chehre par kayi tarah ke bhaav aate jate nazar aaye. Kuch palo tak to wo mujhse nazre milaaye rakhi lekin fir jaldi hi usne nazre hata li.

"Tum baitho." Fir wo ekdam se uthte huye boli_____"Main tumhare liye khana garam kar ke laati hu."

Isse pahle ki main kuch kahta wo tezi se andar kitchen ki taraf badhti chali gayi. Black colour ki saadi me aaj wo gajab dha rahi thi. Meri nazar ekdam se uski thirakti huyi gaand par ja kar thahar gayi. Uski gaand ki thirkan dekhte hi mere jism me jhurjhuri si huyi aur sath hi mere andar halchal si mach gayi.

✤༺༻✤
 
Top