• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
दुश्मनों को अपने मांद से बाहर निकालना है तो विक्रम को भी खुलेआम सबके सामने आना ही होगा । वो लोग कहां है ? फिलहाल उनका कार्यक्षेत्र क्या है ? वर्तमान में दिखते कैसे है वो लोग ? वो उसी शहर में हैं या कहीं और शिफ्ट हो गए हैं ? यह सब जानने के लिए उसे चारा डालना ही होगा ।
Agar khule-aam usne wo sab kiya hota to police ko zarur pata chal jata ki itni hatyaaye kisne ki hain. Aap ye kyo bhool rahe hain ki current me situation kya hai. :D
पैतृक संपत्ति को ऐसे ही कोई नहीं हड़प सकता । वो बीस साल के बाद आए या तीस साल के बाद , उसकी सम्पत्ति उसकी ही रहेगी । और अगर किसी ने जबरन कब्जा कर भी लिया है तो वो कानून का सहारा ले सकता है ।
Sahi kaha aapne, lekin us time uske zahen me aise hi khayaal ubhar rahe the. :dazed:
फिलहाल तो विक्रम अपने आशियाने में प्रवेश किया है और वह भी बीस सालों बाद । उसके लिए वह लम्हा बहुत ज्यादा इमोशनल होना चाहिए । बचपन की यादें , मां बाप की यादें , दोस्तों के साथ बिताए हुए पल , बहुत कुछ उसके आंखों के सामने नाच रहे होंगे ।
Bilkul sahi kaha aapne. :approve:
बहुत ही खूबसूरत अपडेट था शुभम भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट ।
Shukriya bhaiya ji is khubsurat sameeksha ke liye :hug:
 
TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
Update - 06
____________________

Yu to bees saalo me har cheez ka kayakalp ho chuka tha lekin yamuna nadi par bana ye bridge aaj bhi waisa hi tha. Halaaki waqt ki maar ka asar us par bhi pada tha kintu wo aaj bhi apne vajood ko banaye huye tha. Us waqt din dhalne laga tha aur main bridge ke upar khada cigarette foonk raha tha. Bridge par se logo ka aana jana laga hua tha. Main pichhle aadhe ghante se logo ko aate jaate dekh raha tha aur guzarte waqt ke sath logo ki bheed aur bhi badhti ja rahi thi. Pahle me aur aaj me yahi to ek fark ho chuka tha ki log raat ko bhi din samajh kar nirantar chalne lage the.

Sara din main alag alag auto me baith kar shahar ki khaak chhaanta fira tha lekin wahi hua tha jiski mujhe pahle se hi ummid thi. Mere dushmano ne apna thikana badal liya tha aur ab main is baat se puri tarah anjaan tha ki aaj kal wo kin jagaho par apna ashiyana bana rakhe the. Din bhar ki bhaag daud me main ye bhi dekh chuka tha ki jin jagaho par pahle unke office hua karte the aaj un jagaho par alag hi tarah ki building bani huyi thi. Apni taraf se maine ye jaanne ki puri koshish ki thi ki un jagaho par aaj bhi unke office hain ya nahi lekin nateeja kuch na nikla tha. Zaahir hai jaise jaise waqt guzarta hai waise waise log bhi waqt ke sath badalte huye apni har cheez badalte rahte hain, aur ye usi ka nateeja tha ki main puri tarah niraash ho kar is waqt bridge par khada cigarette foonk raha tha.

Bees saal pahle jis jagah par C. M. S. ka headquarter maujood tha waha par bhi ab alag tarah ki buildings ban gayi thi aur abaadi badh gayi thi. Main samajh sakta tha ki aise me C. M. S. ka headquarter us jagah par maujood nahi ho sakta tha. Halaaki maine iske bavjood apni taraf se pata karne ki koshish ki thi lekin koi faayda nahi hua tha. Iski ek vajah ye bhi thi ki mujhe khud ko bhi chhupa ke rakhna tha kyoki kahi na kahi mere man me is baat ki aashanka bhi thi ki sambhav hai ki mujhe jaanne wale meri talaash me idhar udhar bhatak rahe honge. Halaaki is waqt maine apna aisa huliya bana rakha tha ki mere jaanne pahchanne wale mujhe pahchaan hi nahi sakte the lekin fir bhi ehtiyaat ke taur par main savdhaani barat raha tha.

Shaam dhal chuki thi aur aas paas maujood har cheez bijli ki roshni se naha gayi thi. Guzarte waqt ke sath mere andar ki bechaini me izafa bhi ho raha tha aur man me tarah tarah ki ashankaayen bhi ubhar rahi thi lekin iske bavjood main bridge par khada waqt ke guzarne ka intzaar kar raha tha.

Jab mere intzaar ki Intehaa ho gayi to main apni jagah se hila aur bridge par chal pada. Dil ki dhadkane anayaas hi tez ho gayi thi. Rah rah kar zahen me ye khayaal ubhar aate the ki aate jate huye logo ke hujoom me kya koi aisa bhi shakhs ho sakta hai jo mujhe pahchaan lega? Halaaki mera khayaal tha ki ek maheene guzar jane ke baad aisa hona sambhav to nahi tha lekin durbhagya ke bare me kya kaha ja sakta tha?

Bridge paar kar ke main nadi ke paar aaya aur logo ke beech se chalte huye main seedha sadak par aage badhta raha. Ye wahi jagah thi jaha ek zamane me mera har roz ka aana jana tha. Ye wahi jagah thi jaha par kahi mera ek bada sa ashiyana tha. Mujhe ummid to nahi thi lekin main ek baar apne us ashiyane ko dekh lena chaahta tha jaha par ek zamane me mera hasta khelta pariwar tha aur maine apne mata pita aur apne dosto ke sath haseen din guzaare the.

Sadak ke dono taraf tarah tarah ki buildings ban gayi thi jinke ground floor par kayi tarah ki dukaane thi. Bees saalo me ye bhi ek badlaav ho gaya tha. Ye sab dekh kar mere zahen me khayaal ubhra ki kya in bees saalo me aaj bhi mera wo ashiyana waisa hi maujood hoga ya kisi ne us jagah ko khareed kar waha ka kayakalp kar diya hoga? Zahen me kayi tarah ke khayaal bunte huye main chalta hi ja raha tha. Kafi der paidal chalne ke baad main baye taraf jane wali ek gali me mud gaya. Pahle jaha ye galiya thodi chaudi hua karti thi aaj wahi galiya thoda tang si ho gayi thi.

Mere zahen me galiyo ki jo tasveere thi un tasveero ke anusaar hi main aage badhta ja raha tha. Jaha zahen me tarah tarah ki ashankaaye ubhar rahi thi wahi dil ki dhadkane bhi badhi huyi thi. Chalte chalte main ekdam se baahar aa gaya. Asmaan me chaand ki roshni thi is liye maine door se ek aisi building ko dekha jise dekh kar meri dhadkane tham gayi si prateet huyi kintu agle hi pal mere jism ka roya roya ek khushi ke ehsaas se aanandit ho utha.

Bade ashcharya ki baat thi ki dono taraf se jaha nayi nayi buildings ban gayi thi unhi ke beech wo bangla bhi apne vajood ko kaayam kiye huye khada tha. Main aage badh kar uske thoda kareeb gaya to dekha us bangle ki haalat bees saalo me behad kharaab si ho gayi thi. Mujhe bilkul bhi ummid nahi thi ki bees saalo baad uska vajood ho sakta tha lekin main apni aankho se uske vajood ko dekh raha tha. Usko dekha to aankho ke saamne jane kitne hi chehre aur jane kitne hi drishya ubhar aaye. Dil me ek tez dard utha aur meri aankho me aansu aa gaye.

Mujhe apni vastusthiti ka ehsaas hua to maine hadbada kar khud ko samhala aur tezi se aage badh chala. Pahle se kahi zyada abaadi badh gayi thi aur yahi vajah thi ki main ye soch kar hairaan tha ki mere pita dwara banwaya gaya wo bangla aaj bhi kaise apna vajood banaye huye tha? Aaj ke waqt me jaha log dusre ka sab kuch hadap lene ki neeyat rakhte hain wahi ye bangla bees saalo baad bhi waisa hi apni jagah par maujood tha. Kya aaj tak kisi ne bhi use hadapne ki koshish na ki hogi? Aakhir us bangle me rahne wala tha hi kaun? Ek main tha lekin mere bhi hone ya na hone ka koi matlab nahi tha, fir bees saalo baad bhi ye kaise apni jagah par maujood ho sakta tha? Achanak hi mere dimaag ki batti jali aur badi tezi se zahen me khayaal ubhra____Kya iski vajah ye ho sakti hai ki mere pita ke dosto ne ise kisi ko hadapne nahi diya hoga? Agar aisa tha to sawaal tha ki wo bhala aisa kyo chahenge?

Mera zahen kayi saare sawaalo se bhar gaya tha lekin jawaab ek ka bhi nahi tha. Maine apne zahen se in sabhi sawaalo ko jhatka aur aage badh chala. Bangle ka maujood hona ashcharya ki baat to thi hi lekin ye bhi sochne wali baat thi ki kya us bangle me koi rahta hoga? Zaahir hai uski dekh rekh ke liye koi caretaker to hoga hi. Halaaki bees saalo baad bangle ki jo haalat thi usse lagta to nahi tha ki uski koi dekh rekh karta hoga lekin zahen me paida ho rahe sawaalo ka jawaab milna to zaruri hi tha mere liye.

Sadak ke ek taraf mujhe ek dhaba nazar aaya to main us dhaabe ki taraf hi badh chala. Din bhar ki bhaag daud me main buri tarah gaya tha aur bhookh bhi lagi thi. Meri ichha thi ki main kisi tarah bangle me daakhil ho jaau lekin is waqt aisa karna sahi nahi tha is liye dhaabe ko dekh kar maine yahi socha ki waha ja kar apne pet ki aag bhi bujhaauga aur thoda waqt bhi guzaaruga.

Dhaabe me pahuch kar main sabse last wali kursi table me ja kar baith gaya. Mere baithte hi ek ladka aaya to maine usse khane ke bare me puchha. Usne mujhe ek menu card pakdaya jise dekhne ke baad maine use order diya. Kuch hi der me khana table par mere saamne maujood tha. Mujhe kyoki waqt guzaarna tha is liye maine bahut hi dheemi gati se khana shuru kiya. Is waqt mera huliya ek adhed aadmi ka tha. Badi badi daadhi moonchh lagaye hone ki vajah se bhi main ahtiyaat se hi khana kha raha tha.

Dhaabe me khana khate huye maine kareeb aadha ghanta laga diya. Jo ladka mujhe khana paros raha tha usse maine dheemi awaaz me puchha ki kya yaha par daru ka jugaad ho sakta hai to usne saaf inkaar kar diya. Halaaki daru peene ka apna koi mood nahi tha aur na hi aise waqt me ye uchit tha lekin mujhe waqt guzaarna tha is liye maine us ladke ko kaha ki agar wo mere liye daru ka jugaad kar de to main use tip ke roop me paise duga. Ladka tip ki baat sun kar muskuraya aur mujhse dheemi awaaz me bola ki yaha par to daru ka koi jugaad nahi hai lekin wo theke se mere liye daru khareed kar la sakta hai.

Ladke ko maine paanch sau ka note pakdaya aur usse kaha ki isme se daru ka ek quarter le lena aur baaki paise khud rakh lena. Ladka meri baat sun kar khush ho gaya aur ja kar pahle dhaabe ke maalik se kuch kaha aur fauran dhaabe se baahar nikal gaya. Main jaanta tha ki use waapas lautne me time lagega kyoki saare raaste main khud dekhta hua aaya tha ki idhar aas paas kahi par bhi theka nahi tha. Halaaki ye bhi sambhav tha ki kahi par black me daru milti ho jiska use pata ho. Khair apne paas aur koi chara nahi tha is liye main apni jagah par baitha raha aur dhaabe me aane jane wale logo ko bhi dekhta raha.

Kareeb bees minute baad dhaabe wala ladka lauta. Use waapas aaya dekh mere chehre par mayusi ke bhaav ubhar aaye the. Wo muskurate huye mere paas aaya aur apni pant ki jeb se nikaal kar daru ki ek bottle mujhe pakda diya. Mere zahen me sahsa ek khayaal aaya to maine usse kaha ki daru ke sath kuch aur bhi to chahiye is liye uska bhi jugaad karo kuch. Kahne ke sath hi maine ek sau ka note uski taraf badhaya. Ladke ne muskura kar note pakda aur fir se baahar chala gaya. Uske is tarah chale jane par is baar dhaabe ke maalik ne use awaaz bhi lagaai lekin wo ruka nahi. Maine man hi man socha chalo thoda time aur guzar jaayega lekin main galat tha. Wo ladka paanch minute me hi waapas aa gaya aur mere saamne namkeen ke kuch packets aur ek soda ki bottle rakh diya aur sath me cigarette ka packet bhi. Maine cigarette ke packet ko khol kar dekha usme teen cigarette padi huyi thi baaki packet khaali tha. Mere zahen me khayaal ubhra ki ladka kaafi tez hai. Khair dhaabe me baithne ka mere paas ab dusra koi chara nahi tha is liye maine apne bag me sare samaan ko thoosa aur uth kar chal diya.

Counter par ja kar maine khane ke paise diye aur dhaabe se baahar aa gaya. Sadak ke dono taraf dekhte huye maine ek gahri saans li aur fir palat kar us disha ki taraf badh chala jaha par mera ashiayana dikh raha tha.

[][][][][][]

Raat to lagbhag ghir hi chuki thi lekin street lights ki vajah se roshni faili huyi thi, ye alag baat thi ki us roshni ki vajah se mujhe zyada pareshani nahi hone wali thi. Maine puri tarah se aas paas ka jaayja le liya tha aur is baat se befikar ho chuka tha ki kisi ke dwara mujhe dekha nahi ja sakta tha.

Yu to sadak ke dono taraf uche uche makaan bane huye the lekin jis jagah par mera bagla bana hua tha uska kshetrafal baaki makaano se kahi zyada tha. Bangle ke chaaro taraf bani unchi boundary wall kahi kahi se toot gayi thi. Street lights ki roshni bangle par zyada to nahi pad rahi thi lekin jitni bhi pad rahi thi usse wo aisa nazar aa raha jaise koi bhutiya mahal ho. Diwaaro ka pent puri tarah se kharaab ho chuka tha aur diwaaro me lambi lambi lataaye jhool rahi thi. Zaahir hai in bees saalo me kisi ne bhi uski saaf safaayi nahi ki thi. Main samajh nahi pa raha tha ki itne bade shahar me jaha har taraf kayakalp ho chuka tha wahi naye naye makaano ke darmyaan maujood ye bangla aaj bhi kaise apna vajood kaayam kiye huye tha?

Main ghoom kar bangle ke us sthaan par aaya jis jagah se main bees saal pahle aksar khidki ke raaste neeche aa kar C. M. S. Jaisi sanstha ka agent ban kar apne customer ko sex ki service dene jaya karta tha. Jaisa ki maine bataya boundary wall kahi kahi se tooti huyi thi is liye mujhe andar jane me koi samasya nahi huyi thi. Boundary ke andar pahle behad hi sundar hari hari ghaas hua karti thi lekin is waqt waha badi badi jhaadiya thi aur chhote bade pedh paudhe uge huye the. Raat ke waqt aisi jagah par jana khatre se khaali nahi tha kyoki jhaadiyo ke beech koi bhi zahreela jeev maujood ho sakta tha jo mujhe nuksaan pahucha sakta tha lekin iske bavjood main waha maujood tha. Maine bag se ek chhoti si torch nikaal li thi aur usi torch ke sahare main boundary ke andar aaya tha. Is waqt jaha ek taraf mujhe aisi jagah par aane se dar ka abhaas hone laga tha wahi main ye soch kar bhi thoda ghabra raha tha ki aas paas ki kisi building se koi mujhe dekh na le.

Upar dikh rahi khidki ko kuch der tak nihaarne ke baad maine ek baar fir se aas paas ka jaayja liya. Sab kuch apne anuroop jaan kar maine jaldi se bag se ek rassi nikaali aur uske ek sire ko nikaal kar badi savdhani se khidki ke saamne bani balcony ki taraf uchhaal diya. Rassi tezi se upar gayi lekin balcony se takra kar waapas neeche aa gayi. Mere dil ki dhadkane samaanya se zyada tez ho chali thi. Man me ghabrahat aur ashankaao ka bawandar sa chaalu ho gaya tha. Maine ek baar fir se rassi ke chhor ko pakad kar upar balcony ki taraf uchhala lekin nateeja pahle jaisa hi nikla. Ye dekh kar mere andar gusse ke sath sath bechaini badhne lagi. Mujhe dar tha ki aas paas ki building se koi mujhe dekh na le warna mere saare mansoobo par paani fir jayega. Khud ko shaant karne ka maine prayaas kiya aur aas paas ka jaayja le kar ek baar fir se rassi ke chhor ko upar ki taraf uchhaal diya. Rassi ka chhor tezi se upar gaya aur is baar balcony ke kunde se ghoom kar neeche ki taraf aa gaya. Ye dekh kar mere andar khushi ka ehsaas jaagrit hua, halaaki rassi ka chhor abhi bhi thoda upar latak raha tha lekin maine kisi tarah use neeche ki taraf sarkaya aur jab wo mere hath me aa gaya to maine use ek hath se kheecha aur dusre hath se rassi ke baaki hisse ko dheela kar diya jisse rassi ka pahla chhor aur neeche aa gaya.

Rassi ke dono siro ko maine ek sath apni taraf kheench kar uski majbooti aur uski sthiti ka jaayja liya. Santust hone ke baad maine ek baar fir se aas paas baareeki se nazar ghumaayi aur fir rassi par jhool gaya. Bag meri peeth par maujood tha. Rassi ke dono bhaago ko pakde main upar ki taraf badhne laga. Ek waqt tha jab is kaam me mujhe zara bhi mehnat ka abhaas nahi hota tha lekin aaj wahi kaam karne me mujhe mushkil ho rahi thi. Abhi main aadhi hi door pahucha tha ki meri saanse foolne lagi aur sath hi rassi par se meri pakad kamzor hone lagi. Ekdam se mere zahen me khayaal ubhra ki agar rassi par meri pakad kamzor huyi to main palak jhapakte hi neeche gir jaauga aur sambhav hai ki mujhe chot bhi lag jaye. Maine apne andar himmat paida ki aur puri shakti laga kar upar ki taraf badhne laga.

Badi mushkil se main upar pahucha. Balcony ke upar aa kar mujhe aisa laga jaise maine mount everest jaisi unchaayi ko paar kar liya hai. Meri saanse buri tarah fool gayi thi aur dono hatheliya dard karne lagi thi. Main samajh gaya ki ye umar ka prabhaav hai. Halaaki mere inhi hatho ne jail me rah kar jane kitne hi shakht kaam kiye the. Khair maine khidki ke paas baith kar kuch der araam kiya aur fir aas paas ka jaayja le kar uth kar khada ho gaya.

Khidki par laga sheesha toota hua tha, yaani main badi asaani se apne hath ko andar daal kar khidki ke palle ko khol sakta tha lekin ekdam se aisa karne ki meri himmat na huyi. Bees saal se ye bangla yu hi pada hua tha, zaahir hai andar kisi bhi tarah ka khatra maujood ho sakta tha. Khidki se andar dekha to mujhe kahi par bhi roshni ka abhaas nahi hua jo ki swabhaavik hi tha. Maine dhadakte dil ke sath jeb se torch nikaali aur aas paas ka jaayja lene ke baad khidki ke toote huye hisse par torch le ja kar torch ke button ko dabaya to torch ki roshni andar kamre me fail gayi. Jaisa ki mujhe ummid thi andar kamre me dhool aur kachre ka ambaar sa laga hua tha. Maine torch ke focus ko chaaro taraf ghuma ghuma kar achhi tarah andar ka jaayja liya. Khidki ke toote huye hisse se ajeeb si smell aa rahi thi.

Andar kamre me har wo cheez apni jagah par hi rakhi huyi nazar aayi jaise bees saal pahle rakhi huyi thi. Ek taraf jaha mere man me andar ja kar bangle ki har cheez ko dekhne ki teevra ichha jaagrit hone lagi thi wahi dusri taraf ye dar bhi badhta ja raha tha ki bees saal se viraan pade is bangle me mujhe raat ke is waqt is tarah nahi jana chahiye.

Torch band kar ke main waapas balcony me baith gaya tha aur sochne laga tha ki kya karu? Main janta tha ki din ke ujaale me yaha aana sambhav nahi tha lekin ye bhi sambhav nahi tha ki raat ke is waqt main akele bangle ke andar jaau. Kafi der tak main isi udhedbun me baitha raha. Aakhir kafi soch vichaar kar aur himmat juta kar maine andar jane ka faisla kiya.

Khidki ke toote huye hisse se hath daal kar maine khidki ke kunde ko neeche sarkane ka prayaas kiya lekin safal na hua. Kunda buri tarah jaam ho gaya tha aur ye mere liye ek nayi samasya ban gaya tha. Jab kaafi koshish ke baad bhi kunda tas se mas na hua to maine bag se ek hathaudi nikaali aur use le kar badi savdhani se kunde par halke se maara. Do teen baar andajan maarne ke baad maine fir se kunde ko hath se neeche ki taraf sarkane ki koshish ki. Is baar kunda thoda hilta hua mahsoos hua. Ye jaan kar mere andar ummid jagi to maine fir se hathaudi dwara kunde ko do teen baar maara aur uske baad hath se kunde ko sarkaya to thode prayaas ke baad kunda neeche sarak gaya. Khidki par zor laga kar maine uske ek palle ko kisi tarah khol hi liya. Aise hi maine dusre palle ke kunde ko bhi sarkaya aur palle ko khola. Is kaam me mujhe kaafi masakkat karni padi. Main is baat ka bhi dhyaan rakh raha tha ki zyada awaaz na ho aur na hi aas paas ki building se koi mujhe dekh le.

Khidki ke dono palle khul chuke the. Andar se aati smell aur bhi tez ho gayi thi. Maine torch ko andar kar ke fir se andar ka jaayja liya aur fir khidki ke raaste andar aa gaya. Kamre me aaya to naak me tez smell bharti chali gayi jisse maine naak ko hatheli se dhank liya. Torch ki roshni me maine charo taraf ka jaayja liya aur fir kamre ke darwaze ki taraf badha. Meri ummid ke vipreet darwaza ajeeb si awaaz ke sath khulta chala gaya. Andar har taraf ghana andhera byaapt tha aur sannata aisa ki sui bhi gire to dhamake jaisi awaaz ho. Dar aur ghabrahat ke mare mera bura haal hua ja raha tha lekin kisi tarah himmat juta kar main aage badh raha tha. Darwaza khol kar jaise hi main gallary me aaya to fadfad ki badi tez awaaz huyi jisne mere mukammal vajood ko hila kar diya. Aisa laga jaise dar ke is jhatke se mera heart hi fail ho gaya ho. Kahi koi parinda tha jo na jane kaise aahat pa kar apni jagah se ud kar bhaag gaya tha.

✤༺༻✤
Update - 07
____________________

Ek to andhera aur dusre andhere ki hi tarah gahra sannata. Itne bade bangle me gallary se aage badhne ki himmat hi nahi ho rahi thi mujh me. Mere zahen me khayaal ubhra ki raat ke is bhayawah andhere aur sannate me mujhe kahi nahi jana chahiye balki kamre me hi rah kar raat guzaar deni chahiye. Subah din ke ujaale me dekhuga ki yaha par mere liye kuch bacha hai ya nahi. Ye soch kar main waapas palta aur kamre ke andar aa gaya. Darwaze ko andar se band kar ke main palta to meri nazar khuli huyi khidki par padi. Is bangle ke dono taraf kyoki unche unche makaan ban gaye the is liye sambhav tha ki subah din ke ujaale me khuli huyi khidki par kisi ki nazar pad jaye aur wo ye dekh kar apne zahen me kisi tarah ke khayaal bana le. Maine ja kar khidki ko band kiya aur fir torch ko bed ki taraf focus kiya.

Bed par bichhe kapdo me dhool aur jaala nazar aaya to maine ek hath se us kapde ko badi sawdhani se utha kar kamre ke ek taraf rakh diya. Meri dhadkane badhi huyi thi kintu pahle ki apeksha ab mere andar ghabrahat ya dar jaisi baat nahi rah gayi thi. Bed se kapda hata to neeche saaf suthra bed dikhne laga. Maine palat kar diwaar se lagi aalmari ki taraf dekha. Mujhe ummid to nahi thi lekin fir bhi dhadakte dil ke sath uski taraf badha. Aalmari ka handle ghumaya to wo kuch der ki koshish me khul gaya. Ekaek hi meri dhadkane tez ho gayi thi. Maine aalmari ke dono pallo ko sawdhani se khola to andar se ajeeb si seelanyukt smell aayi. Maine fauran hi use band kiya aur aa kar bed par baith gaya.

Kuch der tak main yu hi sochta baitha raha. Main jaanta tha ki andhere me aisi jagah par raat guzaarna itna asaan nahi tha. Halaaki mere paas torch thi lekin torch ko bhi main baar baar jala nahi sakta tha kyoki uski roshni khidki ke raaste baahar kisi ko bhi nazar aa sakti thi. Ekaek mere zahen me khayaal aaya ki khidki ko kisi moti cheez se dhank diya jaye aur fir kamre me roshni ki jaye to baahar kisi ko pata nahi chalega. Ye khayaal mujhe sahi laga to maine fauran hi is par amal kiya. Bed se jo kapda maine nikala tha usko uthaya aur ja kar khidki par lamba kar ke khada kar diya. Wo bed ka mota wala gadda tha jisne bade araam se khidki ko dhank diya tha. Agal bagal se thodi saans to thi lekin usse koi fark nahi pad sakta tha aur wo saans zaruri bhi thi kyoki andar kamre me oxigen ka aana bhi zaruri tha.

Kamre ke farsh par dhool hi dhool thi aur mere chalne se usme kayi saare kadmo ke nishaan ban gaye the. Smell abhi bhi thi lekin ab main uska aadi ho gaya tha. Torch ki roshni me maine achhe se kamre ka jaayja lena shuru kar diya tha. Bees saal ka waqt guzar chuka tha is liye mujhe zyadatar cheeze yaad nahi thi kintu fir bhi main har cheez ko dekh raha tha. Diwaar par lage bijli ke switch par meri nazar padi lekin tabhi khayaal aaya ki yaha par bijli ka connection cut kar diya gaya hoga bijli vibhaag ne.

Kamre me ek taraf book shelf thi jis par kayi saari kitaabe rakhi huyi thi. Book shelf me dhool aur jaala laga hua tha. Kuch frame lagi tasveere thi jinme main tha, mere dost the aur do tasveere aisi thi jinme main apne mata pita ke sath tha. Torch ko hath me liye main us tasveer ke paas gaya. Saari tasveero me dhool aur jaala laga hua tha. Maine ek tasveer ko paas hi pade ek gande kapde se saaf kiya aur fir torch ki roshni me us tasveer ko dekhne laga.

Apne janm dene wale mata pita ki tasveer ko bees saalo baad dekh raha tha main. Achanak se aankho ke saamne jane kitni hi yaade taro taaza ho uthi jinki vajah se meri aankho me aansu aa gaye. Dil me bada tez dard utha jisne mere vajood ko jhakjhorna shuru kar diya. Maine badi mushkil se khud ko samhala aur tasveer se nazar hata kar main baaki cheezo ko dekhne laga.

Kareeb aadhe ghante tak main kamre me idhar se udhar dekhta raha lekin mere kaam ki koi cheez na mili. Thak haar kar main waapas bed par baith gaya tha. Zahen me khayaal ubhra ki shayad bees saal pahle yaha se cheeze hata di gayi thi. Is kamre ki hi nahi balki pure bangle ki bhi. Ab sawaal ye uthta hai ki kisne hataya hoga? Kya sarkar ne ya fir mere pita ke dosto ne?? Mera anumaan tha ki aisa mere pita ke dosto ne hi kiya hoga.

Kuch der tak main inhi sab ke bare me sochta raha aur fir bag se daru nikaal kar pine baith gaya. Kafi saalo baad daru pi raha tha main. Aisi jagah par aur aise waqt me mujhe iski shakht zarurat thi. Daru pine ke baad main usi bed par let gaya aur jane kab meri aankh lag gayi.

[][][][][][]

Charo taraf ghupp andhera tha lekin ajeeb baat ye thi ki iske baavjood aas paas maujood cheeze mujhe dikh rahi thi. Main samajh nahi pa raha tha ki main kis jagah par tha ya yu kahu ki aisi jagah par kaise pahuch gaya tha. Meri aankho ke saamne ek surang thi jo kareeb paanch fit unchi aur chaar fit chaudi thi. Surang ki diwaare mitti ki thi...kaali mitti ki. Mere aas paas dusra koi nahi tha, balki aisi jagah par main akela hi us surang ke darwaze par khada tha. Aisi jagah par khud ko dekh kar ek taraf jaha main achambhit tha wahi dusri taraf ghabraya hua bhi tha. Main baar baar apne zahen par zor daal kar ye jaanne samajhne ki koshish kar raha tha ki main yaha aaya kaise lekin kuch bhi samajh me nahi aa raha tha. Main kayi baar peeche mud ke dekh chuka tha lekin peechhe ghupp andhera tha jabki saamne surang aur us surang ke agal bagal andhere me bhi main achhi tarah dekh sakta tha jo ki mere liye kisi ashcharya se kam nahi tha.

Jane kitni hi der main apni jagah par khada tarah tarah ke khayaalo me khoya raha. Mere andar us kaali surang ko dekh kar bhay utpann ho chuka tha. Koi chara na dekh kar maine apne kadam us surang ki taraf badhaye. Mere hath ekdam khaali the. Dil me bhay aur ghabrahat liye main us surang me daakhil ho gaya. Abhi main us surang me chaar paanch kadam hi aage badha tha ki main ekdam se ruk gaya aur palat kar peeche ki taraf dekha to chaunk gaya. Mere andar dar ki tez laher daudti chali gayi. Peeche mukammal taur par syaah andhera tha. Yaani ab mujhe us surang ka darwaza nahi dikh raha tha. Mere dil ki dhadkane badi tezi se chal padi thi. Main ghabra kar ekdam se palta aur saamne dekha to maine ye dekh kar raahat ki saans li ki saamne ki taraf andhere me bhi mujhe us surang ke aage ka raasta dikh raha tha.

Apni haalat ko kisi tarah niyantrit kar maine dheere se apne kadam badhaye aur aage ki taraf chalne laga. Jaise jaise main us surang me aage badh raha tha waise waise us surang me aage ka raasta andhere me bhi saaf hota ja raha tha. Maine ek baar fir se palat kar peeche dekha to gahan syaah andhere ko dekh kar ek baar fir se mere andar dar ki laher daud gayi. Main ghabra kar jaldi se palta aur fir se aage badhne laga. Jane kitni hi der tak main aage badhta raha. Aisa lag raha tha jaise us surang ka koi ant hi nahi hai. Mere paanv thakne se lage the. Neeche kachchi zameen thi jo mere nange pairo me chubh si rahi thi.

Mere paanv chalte chalte buri tarah dard karne lage the aur main us dard se girne hi wala tha ki ekdam se main kisi kamre jaisi jagah par pahuch gaya. Dikhne me to wo kamre jaisa hi lag raha tha lekin uski daro diwaare surang jaisi hi kaali mitti ki thi. Diwaare to mitti ki hi ubad khabad jaisi thi lekin neeche ka farsh thoda plane tha. Main hairaani se charo taraf nazre ghuma ghuma kar dekh raha tha. Roshni ka kahi se bhi koi jariya nahi tha lekin andhere me bhi main saaf saaf us jagah ko dekh raha tha.

Saamne ki diwaar par bijli ka ek switch laga hua tha. Switch puri tarah se ganda tha aur usme jaale lage huye the. Switch ke right side ek handle jaisa tha. Mujhe samajhne me deri nahi huyi ki wo asal me kya tha. Maine ek baar kamre me charo taraf dekha aur fir us switch ki taraf chal pada. Kamre me us switch ke siva kuch bhi nahi tha. Mere man me hazaro sawaal ubhar rahe the. Khair switch ke paas pahuch kar maine uske handle par apna right hand badhaya. Handle ko pakad kar maine neeche ki taraf kheencha to wo thode zor dene par neeche ho gaya. Jaise hi wo neeche hua to kamre me ek ajeeb si gharar gharar ki tez awaaz huyi jise sun kar main buri tarah dar gaya aur hadbada kar us switch se door hat gaya.

Awaaz mere left side se aayi thi is liye maine fauran hi us taraf dekha. Main ye dekh kar chaunk gaya tha ki us taraf ek teen by paanch ka darwaza dikhne laga tha. Hairat se aankhe faade kuch der tak main us darwaze ko dekhta raha uske baad himmat juta kar main us taraf badha. Darwaze ke paas pahucha to dekha us darwaze se sat kar hi mitti ki seedhiya bani huyi thi jo neeche ki taraf ja rahi thi. Waha bhi andhera tha lekin mujhe saaf saaf neeche ja rahi seedhiya dikh rahi thi. Main man me hazaaro sawaal liye aur dil me dar liye aage badha. Ek ek kadam un seedhiyo par rakhte huye main dheere dheere neeche ki taraf badhta chala ja raha tha. Achanak hi main ruka aur palat kar peeche dekha to ek baar fir se syaah andhere ko dekh kar mere andar dar aur khauf ki laher daud gayi. Bade ashcharya ki baat thi ki peeche ka mujhe kuch bhi nahi dikh raha tha. Main ghabra kar waapas palta aur seedhiyo par se neeche utarne laga. Kuch hi der me main neeche aa gaya.

Neeche aaya to ye dekh kar meri aankhe hairaani se fail gayi ki waha har taraf tarah tarah ka samaan rakha hua tha jo ki bahut hi purana tha. Un sab par dhool aur jaale ne kabja kar rakha tha. Kamre me kuch aalmariya thi, kuch box the, kuch electric instruments the, ek taraf kuch tooti huyi kursiya padi huyi thi, diwaaro par kuch wires the jo ek sath bandhe huye the aur charo taraf ki diwaaro par dhanse huye se the, aur ek taraf zameen me ek steel ka danda sa tha jo kareeb chaar fit uncha tha aur usme ek mota sa kapda tanga hua tha. Us kapde me bhi dhool aur jaale ne kabja kiya hua tha. Kamre ki badi hi vichitra haalat thi jiski vajah se sab kuch bada bhayanak sa dikh raha tha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki main yaha par kyo tha ya ye kahu ki aisi jagah par kiske dwara laaya gaya tha?

Andhera to gahra tha lekin iske bavjood main kamre me maujood har cheez ko saaf dekh pa raha tha. Meri aankho ke saamne black & white colour ke tv jaise sab kuch dikh raha tha. Fark bas itna hi tha ki tv me roshni thodi tez hoti hai jabki yaha par sab kuch thoda dhundhla sa nazar aa raha tha. Main aage badha aur har cheez ko gaur se dekhne laga. Baye taraf ki diwaar ke paas aaya to meri nazar ek bade se desk par padi jisme do computer rakhe huye the. Dono computer ki haalat kharaab thi. Aisa lag raha tha jaise unhe destroy kiya gaya ho. Dhool aur jaale ne us par bhi apna kabja kar rakha tha. Chalte huye main us steel ke dande ke paas pahucha jisme ek mota sa kapda tanga hua tha. Black colour ke us kapde ko maine dhyaan se dekha to pata chala ki wo kisi Spiderman jaise shakhs ka kapda hai. Achanak se meri ankho ke saamne kuch dhundhli si tasveere ubharne lagi. Main ghabra kar us kapde se door hat gaya. Peeche kisi cheez se takraya to main khud ko girne se bachane ke liye peeche ki taraf apne dono hath kiye to main diwaar se ja takraya.

Abhi main samhal hi raha tha ki achanak gharar gharar ki awaaz se main buri tarah uchhal pada. Khauf ke maare mere halak se cheekh nikalte nikalte rah gayi. Nazar seedhiyo ki taraf padi to ye dekh kar chaunk gaya ki waha par ek darwaza ban gaya tha. Wo darwaza aisa tha ki usme se ek baar me sirf ek hi aadmi prawesh kar sakta tha. Maine kisi tarah khud ko samhala aur us taraf badh chala. Darwaze ke andar aaya to dekha wo ek chhota sa kamra tha. Kamre ki diwaare aur farsh mitti ke hi the. Kamre me lakdi ke do box rakhe huye the jinme mota sa taala laga hua tha. Dono box me dhool aur jaala laga hua tha. Maine kamre me charo taraf nazar ghumaai lekin un do box ke alawa baaki kuch nahi dikha mujhe. Main aage badha aur un dono box ko dekhne laga.

Mujhe aisa lag raha tha jaise mere kaan me koi kah raha ho ki kholo inhe. Main ghabra kar idhar udhar dekhne laga magar kaan me bolne wala mujhe kahi nazar na aaya. Dil ki dhadkane kabhi tez ho ja rahi thi to kabhi ekdam se tham ja rahi thi. Chehre par paseena mahsoos kar maine apni asteen se use ponchha aur fir un dono box ki taraf badha. Man me ye jaanne ki ajeeb si utsukta bhar gayi thi ki in dono box me aakhir kya ho sakta hai?

Box me lage taalo me jung laga hua tha. Zahen me khayaal ubhra ki bina chabhi ke ye taale kaise khulenge? Main chabhi ki talash me idhar udhar dekhne laga magar kafi der tak dekhne ke baad bhi mujhe kahi par bhi chaabhi nahi mili. Bebas bhaav se main box ke paas baith gaya aur sochne laga ki ab in taalo ko kaise kholu? Kamre me koi aisi cheez bhi nahi thi jiski madad se main un taalo ko tod paata. Maine yu hi hath badha kar ek box ke taale ko pakda aur us par yu hi zor lagaya aur agle hi pal maano chamtkaar ho gaya. Mere zor lagane par wo taala halki si awaaz ke sath khul gaya. Maine chakit bhaav se us khul gaye taale ko dekha aur fir jaldi se use kunde se nikaal kar ek taraf rakh diya.

Mere dil ki dhadkane dhaad dhaad kar ke baj rahi thi. Man me ek dar aur ek anjaani si ashanka bhar gayi thi. Jane is box ke andar kya maujood ho? Maine aankhe band kar ke apne andar himmat jutaayi aur box ke kunde ko pakad kar use upar uthana shuru kar diya. Aisa lag raha tha jaise waqt ki raftaar ekdam se dheemi ho gayi ho. Kaano me saany saany ki awaaze goojne lagi thi. Gahan khamoshi me ek ajeeb si sansani fail gayi thi. Maine us box ko pura khol diya aur jaise hi meri nazar box ke andar padi to meri aankhe ashcharya se fat padi. Muh hairat se khula ka khula rah gaya. Yakeen nahi ho raha tha ki meri aankhe jo dekh rahi hain wo sach hai ya koi sapna.

Box ke andar sona hi sona bhara hua tha jo us andhere me bhi mujhe saaf dikh raha tha. Box ke andar do bhaag the. Ek taraf ke bhaag me sone ke sikke aur jewraat the to dusre bhaag me sone ke biscuit. Biscuits ko dekh kar aisa lag raha tha jaise dher saare sone ko bhatthi me gala kar use biscuit ka akaar diya gaya ho. Biscuits me na to kuch likha hua tha aur na hi unki chamak waisi thi jaisi chamak sarkar ke gold wale biscuits me hoti hai. Main hairaan tha ki itna sona itne bade box me kisne rakha hoga? Kafi der tak main baari baari se box ke un dono bhaag ko dekh raha tha. Uske baad maine box ko band kiya aur fir dusre box ki taraf badha.

Dusra box bhi lakdi ka hi tha aur uski lambaayi chaudaayi bhi pahle wale jaisi hi thi. Us par bhi jung laga hua taala jhool raha tha. Maine us taale ko pakad kar thoda zor diya to wo bhi khul gaya. Main ye soch kar hairaan tha ki itni badi daulat par koi is tarah ka taala kyo lagayega jo itni asaani se khul jaye? Khair kunde ko pakad kar maine us box ko khola. Box ke andar laal rang ka mota kapda kisi cheez par dhanka hua tha. Us laal kapde ke upari hisse me halki dhool aur halke jaale lage dikhe. Maine us kapde ko uske chhor se pakad kar idhar udhar kiya. Uske neeche mujhe kuch awaaz si prateet huyi, aisa laga jaise andar ya to koi kaagaz hai ya fir panni. Kapda hata to mera andaza sahi nikla. Kapde ke neeche moti si panni thi aur wo panni box ke charo taraf waisi hi lagi huyi thi jaise wo laal kapda laga hua tha.

Mere man me ajeeb ajeeb si ashankaye ubhar rahi thi. Dil ki dhadkane ek baar fir se dhaad dhaad kar ke bajne lagi thi. Kaapte hatho se maine us panni ko bhi hatana shuru kiya. Kuch der baad jab puri panni upar ke bhaag se hati to meri aankhe ek baar fir se ashcharya se fail gayi. Dusra box bhi andar do bhaago me bata hua tha. Jiske ek bhaag me noto ki gaddiya kareene se saja kar rakhi huyi thi aur dusre bhaag me ek ke upar ek kuch files aur kuch kaagjaat jaisi cheeze rakhi huyi dikh rahi thi. Box ke andar se ajeeb si smell aane lagi thi jisse maine apni naak ko dhank liya tha. Meri aankhe kabhi noto ki gaddiyo par jam jaati to kabhi un files aur kaagjaato par.

Main us chhote se kamre me rakhe un dono box ke andar ki cheeze dekh kar chakit to tha hi lekin meri samajh me ye nahi aa raha tha ki ye sab kaha se aaya aur kiska hai? Sabse badi baat ye ki mere yaha pahuchne ka kya matlab hai? Abhi main ye sab soch hi raha tha ki achanak ek awaaz ko sun kar main buri tarah uchhal pada. Awaaz mere peechhe se aayi thi. Maine fauran hi palat kar peeche dekha to meri aankhe ek baar fir se fat padi aur main awaak sa apni jagah baitha rah gaya. Aisa laga waqt ke sath sath meri dhadkane bhi ruk gayi ho.

Mere saamne black & white jaise andhere me ek saaya khada tha. Nahi nahi...wo khada nahi tha balki wo to zameen se do fit upar hawa me lahra raha tha. Andhere me mujhe cheeze dikh to rahi thi lekin us saaye ka chehra mujhe saaf nahi dikh raha tha. Wo mujhse kuch doori par kisi bhoot pret ki tarah hawa me lahra raha tha. Ekdam se mujhe hosh aaya to main use dekh kar buri tarah dar gaya aur mere halak se cheekh nikal gayi.

Main hadbada kar bed par uth baitha tha. Gahri gahri saanse lete huye maine apne charo taraf dekha. Halka ujala sa prateet ho raha tha. Main ye dekh kar chaunka ki main kisi kamre me rakhe bed par baitha hua hu. Dil ki dhadkane dhaad dhaad kar ke meri kanpatiyo par bajti huyi mahsoos ho rahi thi. Mathe par chichipa sa mahsoos hua to maine hath laga kar dekha. Hatheli par paseena laga hua tha. Dimaag sakriya hua to mujhe apna pichhla sab kuch yaad aane laga. Sab kuch yaad aate hi mujhe ye bhi ehsaas hua ki abhi jo kuch maine dekha tha wo sab ek khwaab tha. Us khwaab ke bare me sochte hi mere zahen me kayi saare sawaal bijli ki tarah ubhar aaye. Mujhe yaad aaya ki khwaab me main jis tarah ki jagah me ja pahucha tha waisi ek jagah maine bees saal pahle apne pita ke kamre me rakhe bed ke neeche ek gupt jagah ke neeche dekhi thi. Main samajhne ki koshish karne laga ki aakhir mere aise khwaab ka kya matlab ho sakta tha??

✤༺༻✤
 
parkas

Prime
22,840
52,576
258

Bahut hi badhiya update diya hai TheBlackBlood bhai.....
Nice and lovely update......
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,531
34,458
219

Kahani ka ab tak jo flow aur real like presentation tha wo is update se Fantasy (gapp) me badalne laga hai....

Ise thoda realistic touch dekar agar story flow ko banaye rakhein to jyada behtar hoga

1- naturally har koi apni jindgi me ayi ajib cheejo aur insano ko hamesha yad rakhta hai...
To....
Ghar me ghusne par sabse pahle use apne mata pita ke bedroom ke tahkhane me ghusne ki ichchha honi chahiye... Natural Instinct

2- sapne naturally kabhi logically connected aur continuous flow me nahi hote aur basically pure yad bhi nahi rahte
Lekin....
Aapne is sapne ko jarurat se jyada lamba kheench diya aur sath hi pura sapna ek sequence me continue scene me tha... Ye bhi kahani ke natural realistic flow ko Fantasy bana deta hai

Aage se in baton par dhyan deinge aur aise scene ko itne lambe sapno ki bajay real incidents se jodein to jyada behtar hoga....

Baaki....
Kahani me utsukta badhti ja rahi hai
 
Chaliye isi bahane koi sameeksha to dekhne ko mili aapke dwara. Lagta hai Delhi pahuch gaye hain :D

I agree with you....main khud aise update se justify nahi tha lekin chhaap diya. 21 April ki raat train me hi update likh raha tha. Well ek do update ke baad ye sab nahi rahne wala :declare:

Gaon aaya hu to thoda time milega likhne ko. Koshish yahi rahegi ki yaha jitne din chhutti par hu update likhu aur post karu, baaki dekhte hain kya hota hai :roll:
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,531
34,458
219
Chaliye isi bahane koi sameeksha to dekhne ko mili aapke dwara. Lagta hai Delhi pahuch gaye hain :D

I agree with you....main khud aise update se justify nahi tha lekin chhaap diya. 21 April ki raat train me hi update likh raha tha. Well ek do update ke baad ye sab nahi rahne wala :declare:

Gaon aaya hu to thoda time milega likhne ko. Koshish yahi rahegi ki yaha jitne din chhutti par hu update likhu aur post karu, baaki dekhte hain kya hota hai :roll:
Abhi gaon me hi hu.
..
21 ko ek relative ki beti ki shadi me tha...
26 ka bhi ek nimamtran hai
Lekin... Shayad 1-2 din me delhi pahunch jaunga.....
 
Top