• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,132
46,600
259
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

ये क्या लोचा हो गया। हम सबने उम्मीद लगाई थी कि ये गुलफाम होगा, लेकिन जिसका खून हुआ वह तो संजय निकला। मतलब कहानी के शुरुआत से और बीस साल पहले जो कुछ भी हुआ था उस हिसाब से तो संजय ही मुख्य खलनायक के रूप में सामने आया था लेकिन संजय की हत्या ने इस धारणा को गलत साबित कर दिया। मतलब मुख्य खलनायक संजय नहीं कोई और है। कहीं वो गुलफाम तो नहीं। क्या जफर का संदेह करना जायज है, लेकिन जिस तरह से गुलफाम का गोल मटोल जवाब आया, उसके ऊपर के संदेह को पुख्ता करता है। ये कहानी का एक नया ट्विस्ट है।।

इस मामले में पुलिस को निकम्मा नहीं कहा जा सकता है, क्योंकि पुलिस तब तक किसी मुजरिम को आसानी से नहीं पकड़ सकती है जब तक कि भुक्तभोगी परिवार उसकी मदद नहीं करते वो मदद चाहे थोड़ी सी ही हो,
मसलन किसी के ऊपर संदेह जताएं हत्या का। पुलिस पर जोर दें अपराधी को पकड़ने का। लेकिन इस मामले में ऐसा नहीं है। भुक्तभोगी परिवार ही हत्यारे को बचाने में लगा हुआ है तो पुलिस क्या ही कर सकती है।

स्वाति भौजी ने आज जिस अंदाज में विक्रम से बात की उससे एक बार तो विक्रम की हवा ही निकल गई थी, लेकिन विक्रम ने समझदारी दिखाते हुए मामले को संभाल लिया। दिनेश का डरना भी स्वाभाविक है। जिस स्थिति में दिनेश ने विक्रम को देखा और उससे जो निष्कर्ष निकाला, उससे तो यही समझेगा वो कि ऐसे लोगों से न दोस्ती भली होती है और न ही दुश्मनी। इसलिए उसने पुलिस की मदद न लेकर खुद विक्रम से बात की। विक्रम ने भी अपने बारे में दिनेश को सबकुछ बताने का निर्णय लिया है। तो क्या वो अपने बारे में हर बात दिनेश को बताएगा या फिर कुछ बातें छिपा जाएगा ये देखना दिलचस्प होगा। वैसे मुझे लगता है कि विक्रम ने जब दिनेश का घर छोड़ने का निर्णय ले लिया है तो उसे दिनेश को सबकुछ बता कर नया झमेला नहीं खड़ा करना चाहिए। क्या पता ये जानकर कि विक्रम ने कई कत्ल किये हैं। दिनेश पुलिस के पास चला जाए। खैर देखते हैं आगे क्या होता है।
 
TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,743
354
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

ये क्या लोचा हो गया। हम सबने उम्मीद लगाई थी कि ये गुलफाम होगा, लेकिन जिसका खून हुआ वह तो संजय निकला। मतलब कहानी के शुरुआत से और बीस साल पहले जो कुछ भी हुआ था उस हिसाब से तो संजय ही मुख्य खलनायक के रूप में सामने आया था लेकिन संजय की हत्या ने इस धारणा को गलत साबित कर दिया। मतलब मुख्य खलनायक संजय नहीं कोई और है। कहीं वो गुलफाम तो नहीं। क्या जफर का संदेह करना जायज है, लेकिन जिस तरह से गुलफाम का गोल मटोल जवाब आया, उसके ऊपर के संदेह को पुख्ता करता है। ये कहानी का एक नया ट्विस्ट है।।
Sanjay and party ke apne pange the, baaki asal kaun hai ye aage pata chal jaayega...
इस मामले में पुलिस को निकम्मा नहीं कहा जा सकता है, क्योंकि पुलिस तब तक किसी मुजरिम को आसानी से नहीं पकड़ सकती है जब तक कि भुक्तभोगी परिवार उसकी मदद नहीं करते वो मदद चाहे थोड़ी सी ही हो, मसलन किसी के ऊपर संदेह जताएं हत्या का। पुलिस पर जोर दें अपराधी को पकड़ने का। लेकिन इस मामले में ऐसा नहीं है। भुक्तभोगी परिवार ही हत्यारे को बचाने में लगा हुआ है तो पुलिस क्या ही कर सकती है।
Bilkul sahi kaha, lekin media ko ye kaha pata hai ki police kiske ishare par kaisa kaam kar rahi hai...yahi vajah hai ki us par nikamma hone ka thappa laga hai...
स्वाति भौजी ने आज जिस अंदाज में विक्रम से बात की उससे एक बार तो विक्रम की हवा ही निकल गई थी, लेकिन विक्रम ने समझदारी दिखाते हुए मामले को संभाल लिया।
Samajhdaari dikhayega tabhi to use uske dono laddu aur niche ki ras malaayi milegi :D
दिनेश का डरना भी स्वाभाविक है। जिस स्थिति में दिनेश ने विक्रम को देखा और उससे जो निष्कर्ष निकाला, उससे तो यही समझेगा वो कि ऐसे लोगों से न दोस्ती भली होती है और न ही दुश्मनी। इसलिए उसने पुलिस की मदद न लेकर खुद विक्रम से बात की। विक्रम ने भी अपने बारे में दिनेश को सबकुछ बताने का निर्णय लिया है। तो क्या वो अपने बारे में हर बात दिनेश को बताएगा या फिर कुछ बातें छिपा जाएगा ये देखना दिलचस्प होगा। वैसे मुझे लगता है कि विक्रम ने जब दिनेश का घर छोड़ने का निर्णय ले लिया है तो उसे दिनेश को सबकुछ बता कर नया झमेला नहीं खड़ा करना चाहिए। क्या पता ये जानकर कि विक्रम ने कई कत्ल किये हैं। दिनेश पुलिस के पास चला जाए। खैर देखते हैं आगे क्या होता है।
Jo kuch usne dekha tha uske anusaar uska waisa sochna jaayaz tha...vikram se baat kar ke dekhiye kya hota hai....well thanks dear :kiss:
 
TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,743
354
Update - 51
____________________

Dusre din..!
Sanjay bhatiya ke bangle me kohram macha hua tha. Sanjay ki biwi keerti, bahu shruti aur sath hi ranjan aur shruti ke dono bachche yaani deepak aur dipali ka ro ro kar bura haal tha. Ranjan ki chhoti bahan komal bhi kuch din pahle apne pati ke sath videsh se aa gayi thi. Apne baap sanjay ki is tarah huyi maut se wo bhi bahut dukhi thi aur ro rahi thi. Jeewan ki biwi garima, uski bahu aur uske pote poti. Isi tarah siraj ki biwi saumya aur uska beta tarun. Udhar gulfam apni biwi sadia aur beta zafar ke sath bangle me maujood tha. Sabka bura haal tha. Gulfam aur zafar to ye soch soch kar chakit the ki vikram ne itni security ke bavjood bangle ke andar sanjay ke apne hi kamre me ghus kar uski hatya kar di hai.

Asal me sanjay ki hatya ho jane ka pata subah sabse pahle keerti ko hi chala tha. Raat to wo behosh hi thi is liye jab subah uski neend khuli to uski nazar apne pati par padi aur jab usne sanjay ko apne bagal se bed me us haalat me dekha to uske hosh hi ud gaye the. Iske baad usne jab thik se dekha to sanjay ki haalat ne use sab kuch maano samjha hi diya ki uski ye haalat kaise aur kisne ki hogi. Bas uske baad to kohram mach jaana laajmi hi tha. Keerti ne tez awaaz me rona dhona aur cheekhna chillana shuru kiya to bangle me dusre kamre me soye huye baaki logo ki bhi neende hawa ho gayi aur fir jaise hi sab bhaag kar sanjay ke kamre me aaye to andar ka nazara dekh kar sab ke sab maano sakte me aa gaye the. Keerti ke aartnaad par hosh aaya to un sabka bhi rona dhona shuru ho gaya tha. Deepak ne samajhdaari dikhate huye baaki sabko phone kar ke is bare me bataya to kuch hi samay me baaki log bhi bangle me jama ho gaye.

Baat chhupane ki bahut koshish ki gayi magar bangle ke andar ka shor sharaba baahar tak goonj utha tha aur fir zaahir tha ki logo ko pata chal hi jana tha. Uske baad kya tha, baat badi tezi se failte huye media tak pahuch gayi. Gulfam aur zafar ki koshishe nakaam hi saabit huyi. Aakhir kisi tarah bangle me andar ke kohram ko shaant kiya gaya aur fir majburan police ko suchit kiya gaya. Police aayi to sabse pahle usne kamre me andar apni tafteesh ki aur fir sanjay ki dead body ko le gayi. Police ke liye ye samajhna behad hi asaan tha ki hatyara kaha se aaya aur fir kis tarike se apna kaam kar ke wo kamre se nikal gaya. Khidki ka kata hua kaanch saari kahani baya kar raha tha. Kamre me kayi jagah hatyare ke foot prints baramad huye lekin usse hatyare ka pata chalna mushkil kaam tha. Halaaki police vibhaag ke jo log is hatya ki jaanch ke liye aaye the unhe pahle se hi sab pata tha is liye DCP ke hukum par usi tarah karyawaahi kar rahe the jaisa ki iske pahli waali hatyaao par kiye the.

Media ko pata chal chuka tha is liye jaldi hi news channels par is baat ki khabar ne ek baar fir se delhi shahar me sansani faila di. Ek baar fir se media ne delhi police ko nakara aur nikamma ghosit kar diya. Iske sath hi is baat par zor diya jane laga ki agar is maamle ko samhaal paana police ke bas ka nahi hai to is maamle ko CBI ke hawale kar diya jaye.

Gulfam ne sabki nazar bacha kar itna zarur kar liya tha ki sanjay ki peeth par rakhi cms ki chip ko utha kar apni jeb me daal liya tha. Saara din aise hi rone dhone aur sabko samhaalne me guzar gaya. Sanjay ki hatya is tarah se vikram kar dega kisi ko bilkul bhi iski ummid nahi thi. Sab ke liye ek sanjay hi aakhiri ummid ke roop me bacha tha so wo bhi is tarike se chal basa tha. Teeno pariwaro ke mukhiya upar wale ke paas pahuch chuke the. Vikram ne tarun ko zarur chhod rakha tha abhi lekin sawaal tha ki kab tak? Udhar gulfam aur zafar bhi baaki hi the. Na chaahte huye bhi sabke zahen me ye khayaal ubhar hi aaya ki iske baad kya ab gulfam aur zafar me se kisi ka number lagayega vikram?

"Vikram to sach me bada shaatir nikla abbu." Shaam ko ek hi car se apne bangle ki taraf ja rahe zafar ne bagal se baithe apne abbu yaani gulfam se kaha_____"Mujhe to yakeen hi nahi ho raha ki sanjay uncle ka usne katl kar diya hai."

"Yahi to khaas baat hai us kambakht me." Gulfam ne gahri saans lene ke baad gambheer bhaav se kaha____"Wo har baar hamari ummido ke khilaaf hi ja kar apne kaam ko anjaam deta hai. Hamne is baat ka tasavvur tak nahi kiya tha ki wo kambakht sanjay ko uske bangle me aa kar aur uske hi kamre me ghus kar maar dega. Mujhe abhi bhi ye baat hajam nahi ho rahi."

"Ab hajam ho ya na ho." Zafar ne gambheerta se kaha____"Magar hakikat to yahi hai na abbu ki usne aisa kar diya hai? Kal tak ham yahi soch rahe the ki ab ham vikram ko yakeenan khoj kar pakad lenge aur wo is baar kisi ki bhi hatya nahi kar paayega magar hamari har ummid ke khilaaf usne aisa kar diya. Itni security ke kaayam rahte huye bhi wo maut ki shakl ikhtiyaar kar ke aaya aur uncle ka katl kar ke chala gaya."

"Security walo tak ko pata nahi chala ki wo kab kaise andar daakhil ho gaya tha." Gulfam ne kaha_____"Ye alag baat hai ki security ka ek aadmi bhi vikram ke kahar ka shikaar ho gaya. Mujhe lagta hai ki vikram ne use jate wakt maara hoga."

"Jaise bhi hua ho abbu." Zafar ne gahri saans li____"Magar ye thik nahi hua. Sanjay uncle ki hatya ke baad ab to zahen me bas yahi khayaal aa raha hai ki vikram ka agla shikaar kaun hoga? Kya ham ya abhi wo tarun ko bhi apne kahar ka shikaar banane ka sochega?"

"Uska koi aitbaar nahi raha ab." Gulfam ne ek baar fir se gahri saans li____"Sanjay ki jagah wo tarun ka bhi shikaar kar sakta tha magar usne uski jagah sanjay ka shikaar kiya. Zaahir hai wo jab bhi kuch karta hai hamare tasavvur ke khilaaf hi karta hai. Yaani is baar wo ham dono me se kisi ko bhi apna shikaar bana sakta hai. Behtar hoga ki ham dono mukammal taur par satark rahe aur sath hi tarun ko bhi safe rakhne ka soche."

"Mujhe ek baat khatak rahi hai abbu." Car chala rahe zafar ne sochne wale andaz me kaha_____"Aur wo ye ki vikram ne is baar sanjay uncle ko hi apna agla shikaar kyo banaya?"
"Kya matlab hai tumhara?" Gulfam ke maathe par shikan ubhar aayi.

"Main ye kahna chaahta hu abbu ki wo apne agle shikaar ke roop me tarun ka ya fir mera intekhaab kar sakta tha." Zafar ne khaas bhaav se kaha____"Jabki usne aisa nahi kiya. Balki usne direct sanjay uncle ka hi intekhaab kiya aur unhe jaan se maar bhi diya. Sawaal hai ki sanjay uncle ko hi kyo? Tarun ya mujhe kyo nahi apna agla shikaar banaya? Sabse badi baat to ye bhi ki usne aapko bhi apna shikaar nahi banaya jabki main isi khauf me tha ki is baar kahi wo aapke sath hi na kuch galat kar de."

"Is bare me to wahi bata sakta hai ki usne sanjay ka hi intekhaab kyo kiya apne agle shikaar ke liye?" Gulfam ne kuch sochte huye kaha.

"Aam taur par aisa hota hai abbu ki kahani me jo main villain hota hai uska khaatma sabse aakhir me hi hota hai." Zafar ne kaha____"Main ye samajh raha tha ki vikram ki nazar me sanjay uncle hi main villain hain aur wo aakhir me hi unka katl karega. Sanjay uncle ki hatya is baat ka jaise saboot hai ki wo main villain nahi the to ab sawaal hai ki vikram ki nazar me main villain kaun hai ya wo sabse zyada kise apna dushman maanta hai? Uske parents ke sath jo kuch bees saal pahle hua tha usme sanjay, siraj, jeewan uncle ke sath aap bhi shaamil the. Un teeno ko to vikram ne khatm kar diya to ab aap hi bache hain. To kya main ye samjhu ki kahani ke main villain aap hi hain?"

Zafar ki in baato ko sunne ke baad gulfam chakit bhaav se dekhta rah gaya tha use. Fauran kuch kahte na ban pada tha usse. Chehre par kayi tarah ke bhaav ubhre aur fir gaayab ho gaye. Udhar zafar ne ye sab kahne ke baad ek nazar apne abbu ki taraf dekha aur fir car ki wind screen ke paar dekhne laga tha.

"Mera khayaal hai abbu ki ham log jis stage par hain." Zafar apne abbu ki taraf bina dekhe gambheer bhaav se bola____"Usme kisi se kuch bhi raaz rakhne ka wakt nahi raha. Maine jo kuch kaha aur jin sabooto ke madde nazar kaha use aap na to galat kah sakte hain aur na hi usse inkaar kar sakte hain. To bataiye abbu ki maine jo kaha wahi hakikat hai na? Yaani aap hi is kahani ke main villain hain?"

"Fizool ki baate mat karo." Gulfam ne sahsa shakht bhaav se kaha_____"Aur chup chaap car chalaao."

Gulfam ke shakht mizaaj ko dekh zafar ne kuch kahne ka irada to kiya lekin fir jane kya soch kar khamosh rah gaya. Kuch hi der me car unke bangle ke gate se andar daakhil ho gayi. Car ke rukte hi gulfam apni taraf ka gate khol kar niche utra aur khamoshi se bangle ke andar ki taraf badh gaya. Idhar zafar kuch palo tak apne abbu ko jata dekhta raha aur fir khud bhi apni taraf ka gate khol kar niche utar aaya.

[][][][][][]

Maya ko jab maine saari baate bataayi to uske maano hosh hi ud gaye the. Uske baad wo mujh par gussa bhi ho gayi thi. Kahne lagi thi ki maine uske mana karne par bhi itna bada jokhim kyo uthaya tha? Aakhir mere bahut samjhane par uska gussa shaant hua aur fir wo mere kahne par chaay banane chali gayi thi. Subah ho hi gayi thi lekin ham dono ki hi aankhe neend ki vajah se bojhil thi. Main to khair apne shikaar ko thikane lagane ke liye gaya hua tha lekin maya meri fikra me raat bhar nahi so paayi thi.

Maya ne minakshi ke liye khana banaya aur use de kar waapas kamre me mere paas aa gayi thi. Kuch der ham baate karte rahe uske baad ek dusre se lipat kar so gaye.

Us wakt dopahar ke do baj rahe the jab maya ne mujhe jagaya. Yu to meri neend puri nahi huyi thi lekin maya ko koi samaan magwana tha is liye usne mujhe jaga diya tha. Khair fresh ho kar main uska samaan lene ke liye flat se nikal gaya. Raaste me main soch raha tha ki ab jab main maya ke sath gaziabad me apne naye kharide huye flat par hi shift ho gaya hu to fir dinesh ke yaha rahne ka koi matlab hi nahi hai. Is liye maine socha ki aaj hi waha se apna samaan le kar aur kamra khaali kar ke apne flat par aa jata hu.

Maine maya ko la kar uska samaan diya aur fir maya se ye kah kar waapas chala gaya ki shaam tak aa jaauga. Mukhya sadak se main ek auto me baitha aur dinesh ke ghar ki taraf chal pada. Kuch hi der me main uske ghar pahuch gaya. Door bell bajate huye main sochne laga ki swati se fir mera saamna ho jayega. Mujhe yaad aaya ki pichhli baar jab main yaha aaya tha to maine swati se badi hi berukhi se baat ki thi.

Khair, darwaza khula to meri nazar neele rang ki saadi pahne swati par padi. Main ye tahe dil se maanta tha ki teen teen bade bade bachcho ki maa hote huye bhi swati gazab ki maal nazar aati thi. Uska figer aur uski personality kahi se bhi use adhed hone ka saboot nahi de rahi thi. Maine notice kiya ki mujh par nazar padte hi uske khubsurat chehre par ajeeb se bhaav ubhar aaye the aur sath hi ghabrahat ke bhi. Darwaza khol kar wo ek taraf hati to main khamoshi se andar daakhil ho gaya. Chaar kadam chalne ke baad maine upar jane ke liye seedhiyo par kadam rakha hi tha ki mere zahen me kuch aaya jisse main ruk gaya.

"Us din ke mere bartaav ke liye mujhe maaf kar dijiye bhabhi ji." Maine palat kar unse bade sammaan ke sath kaha. Meri baat sun kar unke chehre par chaukne wale bhaav ubhre lekin boli kuch nahi. Unke kuch na bolne par main kuch palo tak unke jawaab ka intzaar karta raha. Jab wo kaafi der tak kuch na boli to main ek kadam unki taraf badha.

"Ye to aap bhi jaanti hain na ki galtiya har insaan se hoti hain." Maine pahle ki tarah hi namra bhaav se unki taraf dekhte huye kaha_____"Mujhse bhi huyi hai aur yakeen maaniye mujhe apni galti ka ehsaas bhi hai. Tabhi to aapse apni galti ke liye maafi maang raha hu. Please maaf kar dijiye na."

"Kuch galtiya aisi hoti hain jinke liye koi maafi nahi hoti." Swati ne ajeeb bhaav se kaha_____"Mere is ghar me aarti ke sath tumne jo kuch kiya uske liye to tumhe maaf kiya ja sakta hai lekin is ghar ke baahar jo tum karte ho uske liye tumhe maafi nahi di ja sakti."

Swati ki ye baat sun kar main man hi man buri tarah chaunka. Bijli ki tarah mere zahen me hazaaro tarah ke khayaal ubharte chale gaye. Main soch me pad gaya ki ye kya kah rahi hai? Is ghar se baahar main jo kaam karta hu uske liye maafi nahi di ja sakti ka kya matlab hua? Kahi aisa to nahi ki swati ko pata chal gaya ho ki main is ghar se baahar apne dushmano ki hatyaaye karta hu? Zahen me ye sawaal goonja to palak jhapakte hi meri haalat kharaab si hone lagi magar tabhi maine socha ki aisi baat bhala swati ko kaise pata ho sakti hai? Nahi nahi, zarur use koi galat fahmi huyi hai.

"Kya hua?" Mujhe socho me gum dekh swati ne byang bhaav se kaha____"Sach sunte hi zubaan me taala lag gaya?"

"Taala nahi lag gaya bhabhi ji." Maine khud ko samhaalte huye kaha____"Balki main to ye soch raha hu ki aap ye kya kah rahi hain? Bhala main is ghar ke baahar aisa kaun sa kaam karta hu jiske liye aap mujhe maafi nahi de sakti?"

"Shuru me jab tum yaha aaye the to tumhari haalat dekh kar main yahi samjhi thi ki tum ek seedhe saade insaan ho." Swati ne kaha_____"Aur ye bhi ki shayad tum akele hi ho jo is duniya ke sataye huye nazar aate ho lekin jaise jaise tumhare karnaame sune usse main chakit rah gayi. Aarti ke sath tumhare galat sambandho ki to main khud hi gawaah hu lekin iske alawa jo tum karte ho wo to aisa hai jiske bare me main kalpana bhi nahi kar sakti thi."

"Aakhir aap kis bare me baat kar rahi hain bhabhi?" Main andar se ghabra to gaya tha lekin fir bhi apni tasalli ke liye puchh baitha tha_____"Saaf saaf bataiye ki aakhir maine iske alawa aur kya kiya hai?"

"Maine darwaze me andar se taala laga diya hai." Swati ne ajeeb bhaav se muskurate huye kaha____"Aur ab ye taala tabhi khulega jab poonam ke papa aa jaayenge. Tum yaha se bhaag kar kahi nahi ja sakte?"

"M..main bhala kyo bhaaguga bhabhi?" Swati ki baato aur uski harkato se main ekdam se ashcharya chakit rah gaya tha, bola_____"Aaj ye kya ho gaya hai aapko? Mere bare me pata nahi kaisi kaisi ajeeb baate kar rahi hain aap aur ab darwaze par taala laga kar kah rahi hain ki main yaha se bhaag nahi sakta. Aakhir is sabka ka kya matlab hai bhabhi?"

"Poonam ke papa ko aa jane do." Swati ne kaha_____"Uske baad pata chal jaayega ki ye sab kya hai aur kyo hai? Tab tak tum upar apne kamre me ja kar araam kar sakte ho. Aur....aur agar chaay paani wagairah chahiye to bata do."

Swati ki ajeeb baate sun kar main hairaani se uski taraf dekhe ja raha tha. Mere se teen kadam ki doori par khadi wo bala ki khubsurat mahila is wakt mujhe duniya ki sabse ajeeb mahila nazar aa rahi thi.

"Thik hai." Maine apne andar ke bhuchaal ko kaabu karte huye shaant bhaav se kaha_____"Agar aap aisa hi chaahti hain to aisa hi sahi. Ab to main bhi jaanna chahta hu ki aakhir ye sab kya hai? Dinesh bhai sahab ko phone lagaiye aur unhe jaldi se bulaaiye yaha."

Mere kahne par swati ajeeb bhaav se muskuraayi aur fir mere bagal se nikal kar andar ki taraf badh gayi. Kuch palo tak main apni jagah par khada kuch sochta raha aur fir seedhiyo par chadhte huye upar apne kamre ke paas aa gaya. Anayaas hi meri nazar aarti ke darwaze par padi to maine dekha ki usme taala jhool raha hai. Maine socha ye kaha gayi?

Khair taala khol kar main kamre ke andar aaya aur charpaayi par pasar gaya. Zahen me swati ki hi baate goonj rahi thi. Baar baar mujhe yahi lag raha tha ki swati ko shayad meri asaliyat ka pata chal gaya hai lekin mujhe ye samajh nahi aa raha tha ki ye baat use pata kaise chali hogi? Kya uske pati dinesh ne bataya hoga? Agar dinesh ne use bataya hoga to fir sawaal ye hai ki dinesh ko kaise pata chala? Sochte sochte mere dimaag ki nashe dard karne lagi magar jawaab na soojha. Is sabki soch me main itna gum ho gaya ki mujhe samay ke guzar jane ka hosh hi na raha. Hosh to tab aaya jab mere kamre ka darwaza baahar se kisi ne zor zor se khatkhataya.

Main hadbada kar utha aur ja kar jaldi se darwaza khola to dekha baahar dinesh khada tha. Uske chehre par maujood shakhti aur gusse ke bhaav dekh mujhe bada ajeeb sa mahsoos hua. Yaha tak ki mere samuche jism me jhurjhuri si daud gayi.

"Dinesh bhai sahab kya baat hai?" Maine samaanya bhava se puchha____"Aapko dekh kar aisa lag raha hai jaise aap kisi baat se behad khafa hain?"

"Sahi lag raha hai tumhe?" Usne sapaat lahje me kaha____"Main khafa hi hu aur bahut zyada khafa hu. Maine tumhe apna samajh kar apne hi ghar me rahne ki jagah di thi lekin tum to aise insaan nikle jiske bare me main to kya upar wala bhi nahi soch sakta tha."

"Aakhir baat kya hai dinesh bhai?" Maine apni ghabrahat ko kisi tarah kaabu karte huye puchha_____"Yaha aaya to bhabhi ji ka mood ukhda hua dekha aur ab aapka. Mujhe samajh nahi aa raha ki aakhir ye maajra kya hai?"

"Maajre ka izaad to tum karte ho keshav bhai." Dinesh ne kaha_____"Ham to seedhe saade log hain. Mehnat majdoori kar ke do wakt ki roti khate hain magar tum.....? Khair main tumse is bare me zyada kuch kahna nahi chaahta. Bas itna hi kahna hai ki tum apna samaan lo aur kamra khaali kar do....fauran."

Dinesh ki in do took baato ko sun kar main dekhta rah gaya use. Saala dono miya biwi badi ajeeb baate kar rahe the. Mera zahen do bhaago me bat gaya tha. Ek taraf main ye soch kar hairaan pareshaan sa tha ki in dono ko kahi meri asaliyat to nahi pata chal gayi? Dusri taraf main ye bhi soch raha tha ki meri asaliyat bhala kaise pata chal gayi hogi inhe? Main sab kuch saaf saaf jaanna chaahta tha.

"Agar aap yahi chaahte hain to yakeenan main isi wakt kamra khaali kar ke yaha se chala jaunga." Maine is baar gambheerta se kaha_____"Lekin usse pahle mujhe bhi ye jaanne ka haq hai ki aakhir baat kya ho gayi hai? Aisa kya kar diya hai maine jiske liye aap dono mujhse itna zyada khafa ho gaye hain aur ab mujhe kamra khaali karne ko kah rahe hain?"

"Dekho keshav bhai." Dinesh is baar thoda shaant bhaav se bola_____"Ham sadharan log hain. Apni mehnat se khaate kamate hain aur izzat ke sath rahte hain. Ham nahi chaahte ki kisi vajah se hamare is chhote se sansaar me koi aisi baat aa jaye jisse ki hamara ye pariwar tabaah ho jaye. Tum jo karte ho wo tum beshak karo lekin yaha rah kar nahi. Main chaahta to police ko bhi tumhare bare me bata sakta tha lekin maine ye soch kar nahi bataya ki is sabki vajah se kahi ham par hi koi musibat na aa jaye. Is liye hamne faisla kiya ki ab ham tumhe apne ghar me nahi rakhenge."

Dinesh ki baato ne mere upar bomb hi fod diya tha. Mujhe samajhte der na lagi ki use mere bare me sab kuch pata chal gaya hai. Tabhi to wo police ko suchit kar dene ki baat kar raha tha. Magar abhi bhi main mut-maeen nahi hua tha.

"Aisa lagta hai jaise aapko koi galat fahmi ho gayi hai dinesh bhai." Maine halke se muskurate huye kaha_____"Main nahi jaanta ki aapko mere bare me kya pata chala hai jiske liye aap ye sab kah rahe hain. Haan, agar aap chaahte hain ki main yaha na rahu to beshak main chala jaunga lekin mujhe saaf saaf bataaiye ki aapko mere bare me kya pata chala hai?"

"Agar tum sunna hi chahate ho to thik hai." Dinesh ne gahri saans li. Fir aas paas nazar daalne ke baad kaha____"Tum mere sath niche aao. Wahi par tasalli se batata hu tumhe."

Dinesh itna bol kar palat kar chal diya to main bhi uske piche chal pada. Kuch hi der me main uske sath niche chhote se dring room me aa gaya. Baahar ka darwaza andar se band tha. Dinesh ke bachche school college se abhi nahi aaye the. Ham dono ko baithe huye abhi kuch hi pal guzre the ki andar se swati hath me tray liye dring room me aayi aur tray ko center table me rakh diya. Tray me chaay ke teen cup rakhe huye the. Ek cup dinesh ne utha liya aur fir mujhe bhi ishara kiya to maine bhi ek cup utha liya. Aakhiri bacha cup swati le kar dinesh ke bagal se hi baith gayi.

"Ab bataaiye." Maine chaay ki ek chuski lene ke baad dinesh se kaha____"Aakhir aapko mere bare me aisa kya pata chal gaya hai jiske liye aap mujhe yaha se jane ko kah rahe hain?"

Mere puchhne par dinesh ne chaay ki do teen chuskiya li aur fir lambi saans kheechte huye bolna shuru kar diya. Usne mujhe wahi sab bataya jo baate mere yaha na rahne par wo apni patni ko bata chuka tha. Uski baate sun kar main andar hi andar ye soch kar hairaan hua ki saala ye mera pichha kar raha tha. Wo to shukar tha ki sahi wakt par uska ek auto chala rahe mohit ka uske paas phone aa gaya tha warna pichha karte huye wo mere naye flat par hi pahuch jata.

"Tumhare puchhne par maine tumhe saari baate bata di hain." Dinesh ne kaha_____"Magar mujh par bas yahi meharbaani karo ki is sabke liye tum hamare sath kuch ulta seedha mat kar dena. Isi dar se hamne police ko bhi kuch nahi bataya. Bas itna hi chaahte hain ki tum yaha se chale jaao."

"Aap bhi kamaal karte hain dinesh bhai." Main uski baato par muskuraya____"Mera pichha karte huye aapne jo kuch dekha aur fir jo kuch anumaan lagaya wo yakeenan aapke hisaab se sahi hai. Yaani aapki jagah main hota to main bhi yahi sochta ki aap jism faroshi ka dhandha karte hain jiske liye aap galat tarike se kisi ki aurat ya bahan beti ko kidnap kar ke le aate hain. Aapne bilkul sahi anumaan lagaya tha bhai sahab lekin yakeen maaniye hakikat ye hai hi nahi."

"K..kya matlab hai tumhara?" Swati ne ghoorte huye mujhse kaha_____"Tum ye kahna chaahte ho ki poonam ke papa ne apni aankho se jo kuch dekha hai wo sab jhooth hai?"

"Maine aisa to nahi kaha bhabhi." Maine swati ki taraf dekha_____"Dinesh bhai ne jo dekha wo unke hisaab se aur unke nazariye se sahi hai. Agar unki jagah main hota to main bhi yahi anumana lagata lekin wo kahte hain na ki aksar aankho dekha aur kaano suna bhi jhooth ya galat ho jata hai. Ye sach hai ki us din taxi me main hi tha aur jo kuch karte huye dinesh bhai ne mujhe dekha wo sab sach tha lekin ye sahi nahi hai ki main jism faroshi ka dhandha karta hu ya karwata hu."

"To fir tum hi bataao ki sach kya hai?" Swati ne teekhe bhaav se kaha____"Main jaanti hu ki tum is bare me koi man gadhant kahani suna doge aur khud ko paak saaf kar loge."

"Aisa kuch bhi nahi hai bhabhi." Maine muskurate huye kaha_____"Apni safaayi me main koi man gadhant kahani nahi sunaaunga. Balki sab kuch sach sach bataauga, fir bhale hi mera sach jaan kar aap log mere liye koi musibat khadi de."

✤༺༻✤
Update - 52
____________________

"Ham bhala kyo tumhare liye koi musibat khadi karenge?" Swati ne ajeeb bhaav se kaha____"Galat kaam kar ke tum khud hi apne liye musibat khadi kar rakhe ho. Aaj nahi to kal tumhe apne in galat kaamo ke liye bura anjaam bhugatna hi padega."

"Jaisa ki maine pahle bhi kaha ki aankhe aur kaan jo dekhte sunte hain wo hamesha sach nahi hota." Maine gambheer bhaav se kaha____"Kabhi kabhi insaan waise hi galat samajh baithta hai jaise dinesh bhai ne samjha hai."

"To tum wo bataao jo sach hai." Dinesh ne mujhe ghoorte huye kaha____"Main bhi to sunu ki tumhara sach kya hai? Mujhe bataao ki maine jo dekha wo kaise jhooth ho sakta hai?"

"Main aap dono ko apna sach zarur bataauga dinesh bhai." Maine kaha____"Lekin usse pahle aap dono ko apne bachcho ki kasam khaani hogi ki mera sach jaanne ke baad aap dono mere sach ke bare me ya mere bare me kisi se kabhi bhi kuch nahi kahenge."

"Y..ye kya kha rahe ho tum?" Dinesh ke sath sath swati bhi buri tarah chaunki thi meri baat par, jabki dinesh ne nagwaari bhare bhaav se kaha____"Tumhare kisi sach ke liye bhala ham kyo apne bachcho ki kasam khaaye? Kal ko tumne hamare aur hamare bachcho ke sath kuch ulta sidha kar diya to?"

"Tab us candition me aap beshak mere bare me police ko bata dijiyega." Maine spasht bhaav se kaha_____"Waise mujhe batane ki zarurat to nahi hai lekin itna samay ho gaya mujhe yaha rahte huye to kya kabhi aapko zara bhi ye abhaas hua hai ki maine aap dono par ya aapke bachcho par koi galat drishti daali ho?"

Meri baat sun kar dinesh to kuch na bola lekin swati shakht bhaav se ghoorne lagi mujhe. Main jaanta tha ki wo aarti ke sath bane mere sambandho ke chalte mujhe ghoorne lagi thi. Is liye maine uski taraf dekhte huye kaha____"Aur jo kuch hua hai uske liye main jimmedaar nahi tha."

"K..kya matlab hai tumhara?" Dinesh uljhan poorn bhaav se bol pada____"Ye tum kiski baat kar rahe ho jiske liye tum jimmedaar nahi ho?"

Dinesh ke is sawaal par swati thoda hadbada si gayi. Dinesh ka us par dhyaan tha hi nahi is liye wo uske chehre par ubhar aayi hadbadahat ko dekh na saka. Idhar maine baat ko samhaalte huye usko jawaab diya_____"Wahi jo meri zindagi me mere sath ghatit hua hai."

Meri is baat par swati ne raahat ki saans li lekin uska mujhe ghoorna band na hua. Sach kahu to is wakt wo jis andaz me mujhe ghoor rahi thi usse wo mujhe bahut hi haseen lag rahi thi. Khubsurat chehre par aise bhaav the jaise kisi premika ke chehre par tab hote hain jab wo apne premi se kisi baat ke liye roothi huyi hoti hai. Iska ehsaas mujhe pahli baar hua. Pahle to main chaunka lekin fir jane kya soch kar anayaas hi main man hi man muskura utha.

"Aisa bhi to ho sakta hai ki tumne hamesha is baat ka ehtiyaat rakha ho ki tumhari kisi harkat ko ham log taad na paaye." Dinesh ne meri poorv ki baato par maano tark diya_____"Zaahir hai jis tarah ka tum kaam karte ho uske chalte tum apne kaam ke bare me ham me se kisi ko bhanak kaise lagne de sakte the?"

"Aap abhi bhi usi baat par atke huye hain dinesh bhai." Main feeki muskaan hotho par saja kar kaha_____"Jabki aapne us din jo kuch dekha aur fir jo samjha wo bilkul hi galat hai."

"To fir bataao na ki sach kya hai?" Dinesh ne teekhe bhaav se kaha____"Taxi me us din tumhare sath do aurte thi. Jinme se ek aurat ko tumne bandhak banaya hua tha. Kya tum mujhe moorkh samajhte ho ki main itna bhi na samajh paau ki wo sab kya tha?"

"Aap logo ko meri baat ka yakeen hi nahi hai to main kya karu?" Maine kaha____"Aur sach main tabhi bata sakta hu jab aap dono apne bachcho ki kasam kha kar ye kahenge ki mera sach jaanne ke baad aap mere bare me kabhi kisi se kuch nahi kahenge."

Meri baate sun kar dono miya biwi ajeeb duvidha me pad gaye nazar aane lage the. Idhar main bhi andar se thoda vichlit tha, kyoki wo dono mere bare me bhale hi galat samajh rahe the lekin jo bhi samajh rahe the uske chalte wo mujhe musibat me to daal hi sakte the. Is liye mere liye ye zaruri tha ki main un dono ko convince karu aur unke dwara apne upar aane wali musibat ko khatm karu.

"Mera yakeen karo dinesh bhai." Maine shaleenta se kaha____"Main waisa bilkul bhi nahi hu jaisa aap dono samajh rahe hain aur na hi wo sach hai jo aap dono samjha hai. Is baat ka bhi yakeen kijiye ki mere dwara aap par ya aapke pariwaar par kabhi koi musibat nahi aayegi. Aapne mujh jaise insaan ko apne ghar me rahne ke liye jagah di. Apne ghar ka namak khilaya. Main itna gira hua insaan nahi hu dinesh bhai ki kisi ke namak ki ehmiyat ko bhi na samjhu. Apna sach batane ke liye main aap logo ko aapke bachcho ki kasam khaane ko bhi isi liye kah raha hu taaki aap mera sach jaanne ke baad mere bare me kisi ko bata na sake. Main jaanta hu ki bachcho ki kasam dilana kisi bhi tarike se sahi ya uchit nahi hai lekin kya karu...main bhi ek insaan hu aur chaahta hu ki mujh par kabhi koi musibat na aaye."

"Mujhe samajh nahi aa raha ki aakhir aisa kaun sa sach hai tumhara." Dinesh ne bechain bhaav se kaha_____"Jise batane ke liye tum hamse hamare hi bachcho ki kasam khaane ko kah rahe ho?"

"Maine aapko dil se apna bada bhai mana hai dinesh bhai." Maine gambheerta se kaha____"Aur yakeen maaniye main khwaab me bhi aap logo ke sath bura karne ka nahi soch sakta. Agar aap logo ko apne bachcho ki kasam khaane me etraaz hai to thik hai main iske bavjood aap dono ko apna sach bataane ko taiyaar hu. Sirf isi yakeen ke sath ki aap log bhi mujhe apna samjhate hain aur mera sach jaanne ke baad mere bare me kisi se kuch nahi kahenge."

Meri baate sun kar dono hairaani se mujhe dekhte rah gaye the. Chehre par kayi tarah ke bhaav tairte nazar aaye. Kuch palo ke baad dono ne ek dusre ki taraf dekha. Aankho hi aankho me jane kya baate ki dono ne uske baad dinesh meri taraf mukhaatib ho kar bola_____"Thik hai, agar aisi baat hai to ham dono apne bachcho ki kasam kha kar kahte hain ki tum apna jo bhi sach hame bataaoge wo marte dam tak hamare seene me dafan rahega. Ham kabhi kisi se tumhare bare me nahi batayenge. Keshav bhai, hamne bhi isi bharose par apne bachcho ki kasam kha li hai ki tum kabhi hamare bharose ka khoon nahi karoge aur na hi kabhi hamare sath bura karne ka sochoge. Khair ab bataao ki sach kya hai?"

Dinesh ki baate sun kar maine gahri saans li. Ye gahri saans raahat wali saans se kam nahi thi. Main ab mut-maeen ho chuka tha un dono se. Mujhe yakeen ho chuka tha ki ye dono mera sach kisi bhi haal me kisi ko nahi batayenge. Mera khayaal hai ki duniya ke koi bhi mata pita apne bachcho ki kasam kha kar aisa kuch bhi karne ka nahi soch sakte jiske chalte unke bachcho ke sath galat ho jaye. Halaaki main ye bhi samajhta tha ki agar un logo ne aisa kiya bhi to kahi na kahi wo khud bhi musibat me fans sakte the. Mera kya tha, main to apna kaam kar ke gadhe ke sir se seeng ki tarah is desh se hi gaayab ho jane wala tha.

Khair, maine ek lambi saans li aur fir dono miya biwi ko apne bare me batana shuru kar diya. Pahle apne ateet ke bare me bataya aur fir wartmaan ke bare me. Maine dono se kuch bhi nahi chhupaya. CMS jaisi sanstha ke bare me bhi bataya. Ye bhi bataya ki ye sab hua hi us sanstha ki vajah se tha aur aaj ke wakt me mera yahi maksad hai ki apne dushmano ka khaatma kar ke us sanstha ke vajood ko bhi mita du. Saara kissa sunane me ghanta bhar ka samay lag gaya. Dinesh aur swati ashcharya se muh faade mera itihaas aur mere karnaame sunte rahe the.

"Us din aapne jin do aurto ko mere sath dekha tha." Sab kuch batane ke baad maine kaha_____"Unme se jiske dono hath pichhe ki taraf kar ke bandhe huye the wo mere ek dushman siraj ki beti minakshi thi aur dusri meri biwi maya."

"B..biwi?????" Mere mukh se meri biwi shabd sunte hi dono miya biwi uchhal pade. Chakit bhaav se dekhte huye dinesh ne hi kaha_____"P..par tumne to bataya tha ki tumhara is duniya me koi nahi hai to fir tumhari biwi kaha se aa gayi?"

"Uski bhi ek alag kahani hai dinesh bhai." Maine gahri saans le kar kaha_____"Jab maine cms jaisi sanstha ko join kiya tha tab mujhe mukammal mard banane ke liye training par le jaya gaya tha. Jis jagah le jaya gaya tha waha par training dene wali teen khubsurat ladkiya thi. Unhi teeno me se ek thi maya. Halaaki trained to mujhe un teeno ne hi mil kar kiya tha lekin baad me ittefakan meri mulakaat sanstha se baahar maya se huyi. Main training period se hi uska diwana tha. Baahar jab ham log mile to dhire dhire hamare bich dosti huyi aur fir wo dosti prem sambandh me badal gayi joki sanstha ke rules ke khilaaf hi tha. Ham dono hi jaante the ki agar hamare prem samabndho ka pata sanstha ko chal gaya to anjaam bahut bhayanak hoga is liye hamne ek dusre se alag ho jane ka faisla kar liya tha. Uske baad maine kabhi maya ko nahi dekha tha. Kuch samay baad wahi kissa shuru ho gyaa jiske bare me maine abhi aap dono ko bataya hai."

"To fir maya se tumhari dusri mulakaat kaise huyi?" Dinesh ne utsukta se puchha.
"Bees saal baad jab main jail se riha ho kar baahar aaya." Maine kaha____"To mere liye ye duniya nihayat hi ajnabi ho gayi thi. Bees saalo me delhi shahar ki mukammal tasveer badal chuki thi. Sab kuch ekdam se naya tha mere liye. Shahar ki badli huyi tasveer ko dekh kar main samajh gaya tha ki wakt ke sath agar ye sab badal gaya hai to zaahir hai ki wo log bhi badal gaye honge jo mere gunahgaar the. Maine socha ki pahle kisi aisi jagah apne rahne ka jugaad kiya jaye jaha rah kar main us sabke bare me tasalli se soch saku jo aane wale samay me mujhe karna tha. Ye to ittefaaq tha dinesh bhai ki jail se riha ho kar main bus dwara gaziabad aaya aur fir fir aapke auto me baith gaya. Aapse apne rahne ke liye jagah batane ko kaha aur aapne mujhe apne hi ghar me rahne ka prastaav de diya. Khair ye to rahi is ghar me pahuchne ki baat. Aapne puchha ki maya se dusri mulakaat kaise huyi to uska jawaab ye hai ki jab main yaha rahne laga to ek din maine socha ki ab aage ka kaam shuru kiya jaye. Is liye main delhi gaya aur fir isi tarah raat ke andhere me ek din main apne bangle me pahuch gaya."

Kahne ke sath hi maine un dono ko maya se mulakaat ka saara kissa bata diya. Unhe ye bhi bataya ki maya bhi sanstha ko chhod kar pichhle bees saalo se dusre desh me thi aur wahi par usne mere bete ko janm diya tha. Usi ne mujhe bataya ki uske sath kya kya hua aur fir kaise wo videsh pahuchi jaha par usne mere bete ko janm diya. Bees saalo baad jab use pata chala ki main jail se riha ho kar baahar aa gaya hu to wo mujhse milne yaha aayi thi. Wo usi din us bangle me pahuch gayi thi jis din main bangle me gaya tha. Us bangle me hi hamari mulakaat huyi aur tab se wo mere sath hi hai.

"Badi ashcharya janak kahani hai keshav bhai tumhari." Kuch palo ki khamoshi ke baad dinesh ne lambi saans kheench kar kaha____"Main to is sabke bare me kalpana bhi nahi kar sakta tha. Ye sab sun kar ab main ye soch soch kar hairaan hu ki tumne in bees saalo me kya kuch saha hai aur ab un logo se apna badla le rahe ho. Balki ye kahu to zyada behtar hoga ki apne badla lene wale maksad ke aakhiri padaav par pahuch gaye ho."

"To wo khatarnaak kaatil tum hi ho jiske bare me aksar tv me dikhaya jata hai?" Itni der se bhauchakki si baithi swati ne pahli baar muh khola_____"Aur jise police pagal kutte ki tarah dhoondhti fir rahi hai?"

"Police to sirf apni formality ada kar rahi hai bhabhi." Maine halke se muskura kar kaha____"Wo bhi mere dushmano ke kahne par. Warna aap khud sochiye ki itne samay baad bhi main police ke hath kaise nahi lag paaya? Sach to ye hai ki agar police waakayi me pagal kutte ki tarah mujhe khojti fir rahi hoti to yakeenan kisi na kisi din main uske hath lag hi jata."

"Y..ye kya kah rahe ho tum?" Dinesh ne hairaani se meri taraf dekha____"Tumhara matlab hai ki police imandaari se apna kaam nahi kar rahi hai?"

"Bilkul." Maine sir hilaya____"Police wale unke kahne par sirf formality ada kar rahe hain. Asal me mere dushman khud nahi chaahte ki main police ke hath lagu."

"K..kya matlab??" Dinesh ki khopdi manao hawa me udne lagi____"Bhala aisa kaise ho sakta hai? Mera matlab hai ki wo log bhala aisa kaise chaah sakte hain jabki unhe khud hi apni suraksha ka khayaal rakhte huye tumhe kisi bhi haal me pakadne ko kahna chahiye tha."

"Abhi aap samjhe nahi dinesh bhai." Maine muskurate huye kaha____"Asal me maamla sirf hatyaao ka ya mujhe pakadne bas ka hi nahi hai balki cms jaisi sanstha ke vajood ko safe rakhne ka bhi hai. Agar police mujhe pakdegi to police ko meri giraftaari ki khabar majburan media ko bhi deni padegi. Us surat me kisi na kisi tarah se mere dwara un logo ka asal bhed bhi khul sakta hai. Unka bhed khulega to cms jaisi sanstha ka naam bhi saamne aa jaayega aur uska naam saamne aaya to zaahir hai ki uske kaam bhi saamne aa jaayenge. Aap khud sochiye us sthitit me kya hoga? Jo log shahar ki aan baan shaan kahlaate hain unki izzat to sare bazaar lutegi hi sath me cms ka vajood bhi khatre me pad jaayega. Upar se agar jaanch ka hukum diya gaya to aise aise logo ka bhed bhi khul sakta hai jinke talluk cms jaisi sanstha se honge. Sochiye us surat me kya hoga.? Mera khayaal hai ki pura system hi nahi balki pura pradesh hi hil jaayega. Jane kitni hi high profile hastiyo ke chehro se naqaab hat jaayega aur ye bhi nishchit hi hai ki aise high profile log khud ko safe rakhne ke liye tabaahi bhi macha sakte hain."

"Hey bhagwan." Dinesh ashcharya se muh faad kar bol pada. Swati ke halak se to awaaz hi nahi nikal rahi thi. Uski aankhe to baahar hi aa jaane ko aatur ho gayi thi. Udhar dinesh ne kaha____"Itna bada jhamela hoga ham ta soche hi nahi rahe. Sach ta ya hai ki hamre dimaag ke battiye gul huyi gayi hai ye sab sun jaan ke."

"Sirf aapki hi batti gul nahi huyi hai dinesh bhai." Maine muskurate huye kaha____"Balki pure pradesh ki batti gul hai. Khair police bhale hi apni formality ada kar rahi hai lekin sanstha ke log gupt roop se meri khoj me abhi bhi lage huye hain. Yahi vajah hai ki main jab bhi baahar jata hu to bhesh badal kar apna huliya aisa bana leta hu jisse ki koi mujhe pahchaan hi na sake. Siraj ki beti minakshi ko apne kabje me sirf isi liye rakha hua hai taaki usse apne dushmano ke bare me chhoti se chhoti jankaari leta rahu."

Mere chup hote hi dring room me sannata chha gaya. Dinesh aur swati kisi aur hi duniya me khoye huye nazar aane lage the. Unki haalat ko main bakhubi samajh sakta tha. Kaha iske pahle wo mere bare me kaisi raay banaye huye the aur kaha ab mera sach jaan kar dono miya biwi ka dilo dimaag hi hil gaya tha.

"Main soch bhi nahi sakti thi ki seedhe saade nazar aane wale insaan ki sachchaayi aisi ho sakti hai." Swati ne lambi saans kheechte huye kaha____"Aur na hi ye soch sakti thi ki wahi seedha saada insaan itne logo ki hatyaye bhi kar sakta hai. Abhi tak to nahi lekin ye sab jaanne ke baad mujhe ab tumse dar lagne laga hai."

"Mujhse darne ki koi zarurat nahi hai bhabhi." Maine kaha_____"Main bhi aap logo ki tarah hi ek sadharan sa insaan hu. Wakt aur kismat ne jo kuch mere sath kiya hai usi ki vajah se aaj main aisa ban gaya hu. Dinesh bhai ko apna bada bhai maanta hu usi tarah aapko main bhabhi kahta hu aur waisa hi aapka sammaan bhi karta hu jaisa ki karna chahiye. Aap mujhse har tarah se badi hain is liye agar main koi galti karu to aap mujhe daant sakti hain, samjha sakti hain aur zarurat padne par meri pitaayi bhi kar sakti hain."

Meri baat sun kar dono miya biwi ke chehre par pahli baar raahat ke sath sath raunak ubharti nazar aayi. Dono ke hotho par halki muskaan bhi ubhar aayi thi. Idhar main dono ke chehro ko gaur se dekhte huye ye samajhne ki koshish karne laga tha ki meri baato se wo dono mut-maeen huye the ya nahi?

"Tumhare sath un logo ne jo kuch kiya tha wo sach me galat tha." Dinesh ne gahri saans le kar kaha____"Us sabka badla lene ke liye tum jo kar rahe ho uske bare me main samajh nahi pa raha hu ki wo kaha tak uchit hai. Maine suna hai ki saza dene wale se bada kashama kar dene wala hota hai. Tumne itne logo ki hatya ki hai to zaahir hai ki iska anjaam ek din tumhe bhi bura hi bhugatna padega aur agar kisi vajah se police se ya un logo se bach bhi gaye to kya tum kabhi apne jeewan me chain se ji paaoge? Itne logo ki hatyaao ka paap bojh ban kar kya tumhe sukh chain se jine dega?"

"Pichhle bees saal se wo log bhi to mere mata pita ka khoon kar ke aur mujhe jail me bhejwa kar aisho araam se ji hi rahe the na dinesh bhai." Maine kaha____"Kya kisi ne unse puchha ki itne saalo se wo kaise itna bada gunaah kar ke sukh chain se ji rahe hain? Sach to ye hai ki insaan chaahe jis bhi haal me rahe wo saala dukhi hi rahta hai. Arbo ki daulat aur har tarah ka aisho araam hote huye bhi insaan dukhi hi rahta hai aur chain se so nahi pata. Sawaal hai ki kyo...par shayad iska koi tark sangat jawaab nahi milega. Insaan ki yahi niyati hai aur yahi uski mansikta hai. Agar arbo ki daulat aur hazaaro tarah ke aisho araam ke baad bhi insaan dukhi hi hai to main aisi baato ko soch kar apne us maksad se pichhe kyo hatu jiske pura ho jane se mujhe yakeen hai ki meri rooh ko sukoon hi milega."

Meri baate sun kar dinesh kuch na bola. Swati bhi gahri soch me doobi nazar aayi. Kuch der ki khamoshi ke baad maine kaha_____"Khair chhodiye in sab baato ko. Main bas itna hi kahuga ki meri vajah se aap logo ko koi takleef nahi hogi aur na hi koi khatra ho sakta hai. Haan is sabke bavjood agar aap log chaahte hain ki main yaha se chala jaau to beshak main chala jaauga. Main bhi nahi chaahta ki aapke itne khubsurat pariwar par koi sankat aaye. Itne samay se main yaha tha, aap logo ne mujhe izzat di, mera khayaal rakha. Iske liye aap dono ka bahut bahut dhanyawaad. Jab tak saanse rahengi tab tak aap log yaad aayenge mujhe."

Meri baat sun kar jaha dinesh ke chehre par bechaini ke bhaav ubhar aaye wahi swati bhi kuch bechain aur pareshan nazar aane lagi thi.

"Meri ek khwaaish hai dinesh bhai." Maine dinesh ki taraf dekhte huye kaha____"Jaise poonam aapki beti hai waise hi main bhi use apni beti hi samajhta hu. Meri ichha hai ki uska chacha hone ke naate uske byaah me main bhi apni taraf se use koi uphaar du. Kripaya iske liye mujhe mana mat karna."

"Yaar keshav bhai." Dinesh ko pata nahi kya sujha ki wo jhat se uth kar mere paas aa gaya aur adheerta se bola_____"Main na bahut jazbaati aadmi hu. Tumhari kahani sun kar dil ko bahut takleef huyi. Tum apne badle ke liye jo kuch kar rahe ho wo bhale hi thoda hi sahi par galat ho lekin main bhi maanta hu ki insaan ko wahi karna chahiye jise karne se use shaanti mile. Rahi baat poonam ke byaah me use uphaar dene ki to tum shauk se do bhai. Wo bhi to tumhari hi beti hai. Mujhe to tumhari is baat se ye mahsoos kar ke khushi huyi ki itna kuch jhelne aur karne ke baad bhi tumhare andar ek achha insaan maujood hai."

"Dhanyawad dinesh bhai." Maine dinesh ke hath ko apne hatho me le kar adheerta se kaha_____"Bees saal baad jab main jail se baahar aaya to jeene ki koi chaah nahi thi, kyoki is duniya me mera apna koi tha hi nahi. Main us mansikta me tha jiske andar na koi ummid thi aur na hi kisi khushi ka ehsaas. Agar kuch tha to sirf badle ki bhaavna. Apne dushmano ko khatm karne ki bhaavna. Maine kabhi nahi socha tha ki upar wala mujhe wo dega jiska main kabhi tasavvur bhi nahi kar sakta tha. Sach hi to hai dinesh bhai, bhala main is baat ka tasavvur kaise kar sakta tha ki is duniya me mera koi apna ho sakta hai? Kisi apne ka tasavvur nahi kar sakta tha main lekin upar wale ne mujhe mere apno ke roop me maya se milaya aur maya ke dwara mere bete se. Itne saalo baad pahli baar maine apne andar khushi ke ehsaas ko mahsoos kiya tha. Jo zindagi bematlab aur berang si thi wahi zindagi ab jine ke kabil lagne lagi aur dil me jeene ki fir se ek nayi hasrat paida ho gayi."

"Bas ab kuch mat bolo keshav bhai." Meri aankho me tairte aansuo ko dekh dinesh ne bhaavuk ho kar kaha____"Tumhari kahani sunne ke baad main mahsoos kar sakta hu ki tum par kya guzri hai itne saalo me. Main dua karta hu ki aane wala samay tumhari zindagi ko khushiyo se bhar de."

Dinesh ne mujhe ekdam se gale laga liya to meri aankho ke tairte aansu anayaas hi chhalak gaye. Saamne sofe par baithi swati bhi aankho me aansu liye meri taraf dekhe ja rahi thi. Khair kuch der baad dinesh ne mujhe khud se alag kiya aur swati se mukhaatib ho kar kaha_____"Yaar kab tak bhookha rakhogi ham dono bhaiyo ko. Jaao jaldi se khane ki thaaliya saja kar le aao. Main aur keshav sath me hi baith kar khana khayenge."

Dinesh ki baat sun kar swati ke surkh hotho par muskaan ubhar aayi. Apne saadi ke pallu se wo apne aansu ponchhte huye uthi aur kitchen ki taraf badh gayi. Idhar dinesh ne mujhse kaha ki main bhi ja kar fresh ho aau uske baad sath me baith kar khana khayenge. Dinesh ki is baat par maine sir hilaya aur uth kar upar ki taraf badh gaya. Mere dilo dimaag me ab koi vichaar nahi rah gaya tha.

[][][][][]

"Tum dono yahi par ruko." Usne chalte chalte dono security guards se kaha____"Ham ye briefcase locker me rakh kar aate hain."

Security ke dono guards ne puri mustaidi se sir hilate huye Okay sir kaha. Ye alag baat hai ki wo bina unki taraf dhyaan diye ek taraf ko badhta chala gaya. Kuch hi der me wo ek kamre me daakhil ho gaya. Kamre ke andar daakhil hote hi usne andar se darwaze ki kundi laga di. Phir palat kar usne ek baar kamre ki bhaugolik sthit ka jaayja liya aur fir kamre ke right side diwaar par lage bade se aaytakaar sheeshe ke paas pahucha. Sheesha diwaar ke beecho bich laga hua tha aur uske niche utna hi bada desk bana hua tha. Lambi desk me total teen paani ke nalke lage huye the. Usne fauran hi hath me liye briefcase ko desk par rakha aur use unlock karne laga.

Briefcase ke andar kaafi saara samaan tha joki alag hi tarah ka lag raha tha. Usne ek ek kar kuch cheezo ko nikaal kar desk par rakh diya. Ek ausat kad wale packet ko khol kar usne kareene se tah kiye huye kapde nikale joki pant shirt the. Khaali packet ke upar hi usne unhe rakha aur fir jaldi jaldi apne jism par pahle se maujood coat paint ke sath sath shirt bhi utaarne laga. Jaldi hi usne un kapdo ko desk ke ek taraf rakha aur packet se nikaale gaye paint shirt pahanne laga. Kuch hi der me wo paint shirt pahan kar ready position me aa gaya. Uske baad usne briefcase se jo dusri cheeze nikaali thi unke dwara wo sheeshe me khud ke chehre ko dekhte huye apna make-up karne laga.

Kareeb pandrah minute baad uska chehra alag hi nazar aane laga tha. Ek chhote se packet se usne kuch aur cheeze nikaali jinme se ek ko le kar wo sheeshe ki taraf jhuka aur us patli spring jaisi cheez ko apni naak me badi sawdhaani se ghusa liya jisse uski naak kuch fuli huyi dikhne lagi. Uske baad usne waisi hi cheez ek aur us packet se nikaali aur use bhi naak ke dusre chhend me ghusa liya. Ab uski naak ke dono taraf ke bhaag thoda ubhre huye ya ye kahe ki thoda fule huye nazar aane lage. Ek dusre packet se kareene se cutting ki gayi moonchh nikaal kar us par usne thoda sa jell daala aur use halke se rub karne ke baad sheeshe me khud ko dekhte huye use apni halki moochho ke upar laga kar chipka liya. Moonchho ke lagne se ab uska chehra alag hi nazar aane laga tha. Uske baad usne waisi hi cutting ki gayi nakli daadhi par bhi jell laga kar chehre par laga liya. Kuch palo tak wo sheeshe me khud ko dekhta raha uske baad usne ek hath badha kar ek nalke ki toti ko chaalu kiya to usme se paani girne laga. Chullu me thoda sa paani le kar usne dono hatheliyo me barabar barabar milaya aur use apne sir ke baalo me kuch is tarike se malne laga taaki baalo me halka sa nami ya fir gilapan aa jaaye. Briefcase ke ek bhaag se usne ek badi si kanghi nikaali aur sir ke baalo ka hair style pahle ki apeksha dusre tarike se banane laga. Jaldi hi wo apne kaam se fursat ho gaya.

Sheeshe me apne badle huye huliye ko kuch der tak dekhne ke baad usne briefcase me saari cheeze waapas rakhi aur fir use le kar kamre ke attach bathroom me ghus gaya. Andar aane ke baad usne sabse pahle bathroom ka darwaza andar se band kiya aur fir wo aage badhte huye toilet sheet ke paas pahucha. Sir utha kar usne bathroom ki chhat ko dekha aur fir us toilet sheet par badi sawdhaani se chadh kar khada ho gaya. Upar ki chhat chaukod akaar ke frame jaisi thi jiska ek bhaag shayad apni jagah se hataya ja sakta tha. Ek hath se briefcase pakde usne dusre hath se us chaukod akaar ke hisse ko thoda sa zor de kar upar ki taraf push kiya to wo be-awaaz upar ho gaya. Us hisse ko sarka kar usne apne hath ko thoda aage badhaya. Kuch hi palo me jab uska hath waapas aaya to uske hath me ek blue colour ka bag tha. Usne us bag ko us whole se nikaal kar toilet ke flush box ke upar rakha aur fir briefcase ko us bag wali jagah par rakh diya. Chaukod wale hisse ko sahi jagah fit kar ke wo toilet sheet se niche utar aaya.

Bag ki chain khol kar usne uske andar maujood cheezo ko kuch der tak dekha uske baad chain band kar usne us bag ko apni peeth par taang liya. Bathroom ka darwaza khol kar wo baahar aa gaya. Kuch hi der me wo kamre se nikal kar dusri taraf ek chhoti si gallary se hote huye ek darwaze ke paas pahucha. Paint ki jeb se usne ek ajeeb si chaabhi nikaali aur darwaze par lage taale ko khol kar usne darwaze ko aahista se khola. Sir ko thoda sa baahar nikaal kar usne baahar dekha. Baahar shaam ka dhundhalka nazar aaya use aur sath hi kareeb paanch fit ki boundary wall bhi. Usne aas paas nazar ghumaayi aur darwaze se baahar aa kar usne fauran darwaze ko band kar diya. Aankho me lage mote lence wale chashme ko durust karte huye wo tezi se boundary ke paas aaya. Ek nazar usne fir se aas paas daali aur fir dono hatho se boundary ki upari satah ko thaam liya. Agle hi pal usne ek jump si li aur dono hatho par pura zor laga kar apne jism ko upar utha liya. Agle kuch hi palo me wo boundary ke upar aa kar dusri taraf jump kar gaya. Sadak par aa kar wo tez kadmo se ek taraf ko badhta chala ja raha tha.

✤༺༻✤
 
parkas

Prime
22,827
52,554
258

Bahut hi badhiya update diya hai TheBlackBlood bhai...
Nice and lovely update....
 
Top