• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,743
354
Update - 01
_________________

Subah ke kareeb aath baje the.
Jailer shivkant wagle apne awaas ke baahar hare bhare lawn me rakhi ek kursi par baitha akhbaar padh raha tha. Ek hath me chaay ka cup tha jisme bhari chaay ko wo kuch der ke antraal me pi leta tha. Uska swaasthya kuch samay se thik nahi tha is liye wo chhutti par tha. Halaaki ab wo pahle se kuch behtar tha kintu uske adhikariyo ne use kuch din aur rest karne ke liye kaha tha.

"Ye tumhare hath me kya hai bahadur?" Savitri ki madhur awaaz se akhbaar padh rahe wagle ka dhyaan toota jiske chalte usne awaaz ki disha me dekha. Savitri ghar ke andar se nikal kar usi ki taraf aa rahi thi lekin ghar ke naukar bahadur ko dekh kar usne usse thithak kar puchha tha.

Wagle ne dekha uske naukar bahadur ke hath me peele rang ka koi parcel jaisa kuch nazar aa raha tha. Wagle samajh gaya ki uski khubsurat biwi ne usse usi ke bare me puchha hai.

"Pata nahi maalkin." Bahadur ne apni jagah par ruk kar usse kaha____"Abhi abhi ek aath das saal ka ladka ise liye mere paas aaya aur ise mujhe pakda kar bola ki ise jailer uncle ko de du."

"Badi ajeeb baat hai." Bahadur ki baat sun kar jaha wagle ke chehre par chaukne wale bhaav ubhar aaye wahi savitri ne sochne wale bhaav se kaha____"Koi aath das saal ka ladka aisi cheez tumhe pakda gaya aur tumne usse puchha bhi nahi ki isme kya hai aur wo inhe (Wagle) dene ko kyo bola tha?"

"Maine usse puchha tha maalkin." Bahadur ne safaai dete huye kaha____"Lekin wo bina koi jawaab diye lagbhag bhaagte huye waapas chala gaya."

"Ye to aur bhi ajeeb baat hai." Savitri ne socho ke bhaav liye wagle ki taraf dekha____"Aaj se pahle to aisa kabhi nahi hua ki kisi ladke ne is tarah se koi cheez aapke paas pahuchane ke liye bahadur ko di ho. Aakhir aisi kya cheez ho sakti hai isme? Kahi koi bomb womb to nahi hai isme?"

"Tum bekaar me hi itna soch rahi ho savitri." Wagle ne samaanya bhaav darshate huye kaha lekin man hi man wo bhi soch me pad gaya tha. Fir usne bahadur se kaha____"Ise table par rakh do bahadur aur andar se metal ditector le kar aao zara."

Wagle ke kahne par bahadur ne us parcel jaisi cheez ko wagle ke samne rakhi table par rakha aur bhagta hua andar chala gaya. Thodi der baad jab wo waapas aaya to uske hath me metal detector tha. Wagle ne usse metal detector liya aur use chalu kar ke us parcel jaisi cheez par ghumana shuru kiya. Savitri aur bahadur apni apni saanse roke wagle ke kriya kalaapo ko dekhte rahe.

"Hamne kaha tha na savitri ki tum bekaar me hi itna soch rahi ho." Kuch der baad wagle ne metal detector ko bahadur ki taraf badhate huye kaha____"Isme aisi koi khatarnaak cheez nahi hai jisse hame kisi tarah ka koi nuksaan pahuch sake."

"Fir bhi ye sochne wali baat to hai hi ki ek aath das saal ke ladke ne aisi cheez bahadur ke dwara aapko dene ke liye kyo kaha hoga?" Savitri ne kaha____"Aakhir kaun tha wo ladka aur kaha se aaya tha?"

"Hamara khayaal hai ki is parcel ke andar jo bhi cheez hai." Wagle ne sochne wale andaz se kaha_____"Use us ladke ke dwara kisi aur ne bhejwaya hai ham tak."

"Ye kya kah rahe hain aap?" Savitri ke sath sath bahadur bhi chaunka.
"Yahi sach hai savitri." Wagle ne samjhane wale andaz se kaha____"Tum khud socho ki ek aath das saal ka ladka aisi koi cheez kaha se aur kyo le kar aayega hamare liye? Zaahir hai us ladke ko ye cheez kisi aur ne hi di aur usne usse ye kah kar bahadur ke paas bheja ki wo ise hame de de."

"Agar aapki baat sach hai." Savitri ne uljhan bhare bhaav se kaha____"To fir is cheez ko kisne diya hoga us ladke ko? Kaun ho sakta hai wo?"
"Tum ye sab mat socho." Wagle ne sapaat lahje me kaha____"Ham dekhte hain kya hai isme."

Wagle ke kahne par savitri kuch der tak wagle ke chehre ki taraf dekhti rahi fir bina kuch kahe aa kar usne table se chaay ka cup liya aur palat kar andar ki taraf chali gai. Bahadur bhi waha se chala gaya.

Dono ke jane ke baad wagle ne table par rakhe huye us peele rang ke parcel ki taraf dekha. Man me kai tarah ke sawaal aur vichaar ubhar rahe the lekin wo bhi janta tha ki jab tak parcel ke andar ki cheez ko dekha nahi jayega tab tak pata nahi chal sakega ki aakhir ye sab chakkar kya hai. Ye soch kar wagle ne parcel ko hath me liya aur pahle use kuch palo tak tatola uske baad usne parcel ko kholna shuru kiya. Ek taraf jaha wagle ke zahen me kai saare khayaal ubhar rahe the wahi dil ki dhadkane bhi thoda badh gai thi.

Wagle ne parcel khola.
parcel ke andar maujood ek diary par nazar padte hi wo chaunka aur sath hi zahen me bijli ki si tezi se hazaro khayaal ubharne lage. Abhi das pandrah second bhi na guzra tha ki achanak hi wagle ke zahen me jaise koi visfot sa hua aur palak jhapakte hi zahen me ek naam ubhar aaya aur sath hi aankho ke samne ek chehra jaise full roshni ke sath flash ho utha. Wo chehra tha______Vikram Singh ka.

Wagle ne bade dhyaan se diary ko dekha. Diary ke mote cover par The Revenge likha nazar aaya aur uske neeche likha tha____Vikram Singh. Wagle ab puri tarah sure ho chuka tha ki ye parcel us tak kisne pahuchaya tha. Palak jhapakte hi uske zahen me vikram singh se sambandhit har baat goojne lagi. Vikram Singh ke dwara di hui wo diary uske zahen me ubhar aai jisne use vikram singh ke bare me bahut kuch bataya tha aur jis diary ne khud uski zindagi ko kafi had tak badal diya tha.

Jailer shivkant wagle parcel me maujood us diary ko aplak dekhe ja raha tha aur sath hi jane kin khayaalo me khota ja raha tha. Vikram singh naam ka kirdaar uski zindagi me ekdam se anokha sa ho gaya tha. Aaj pure chhah maheene guzar gaye the use uski jail se riha huye. In chhah maheeno me aisa koi din nahi gaya tha jab usne vikram singh ko yaad na kiya ho ya yu kahe ki vikram singh use yaad na aaya ho. Shuruaat ke teen maheene aise the jab wo har roz akhbaaro par aur news channelo par aisi khabre sunta aur padhta tha jisme ek aise rahasyamayi qaatil ka zikra hota raha tha jisne police aur prashasan ki naak me dam kar rakha tha. Har news channel par sirf usi rahasyamayi qaatil ka zikra hota tha. Aaj bhi police aur prashasan ke liye ye ek rahasya bana hua hai ki aakhir wo kaun tha jisne itne saare katl kiye aur in hatyaao ke peeche uska asal maksad kya tha?

Shuruaat me kai baar aisa hua tha jab koi na koi police wala vikram singh ke bare me usse puchhne aata tha lekin fir koi nahi aaya. Aisa laga tha jaise police walo ka vikram singh ke bare me usse puchhna bewajah tha, ya wo ye samajh chuke the ki vikram singh nahi balki koi aur hi hai jo in hatyaao ko anjaam de raha hai. Shivkant wagle khud bhi hairaan aur confuse tha ki in hatyaao ka doshi waastav me kaun ho sakta hai. Halaaki vikram singh ki diary padhne ke baad wo samajh chuka tha ki ye saare katl vikram singh ne hi kiye honge kyoki jo kuch uske sath hua tha aur jo kuch usne bees saalo me saha tha ya khoya tha uska kuch na kuch anjaam to nikalna hi tha uske dwara. Ek tarah se agar ye kaha jaye to galat na hoga ki wagle achhi tarah janta tha ki in saari hatyaao ke peeche vikram singh ka hi hath hai lekin ye hairaani ki baat thi ki usne is bare me kabhi kisi police wale ko kuch nahi bataya tha. Kabhi kabhi wo khud sochta tha ki kya in hatyaao ke peeche kahi na kahi wo bhi jimmedaar hai? Kahne ka matlab ye ki use sach pata tha lekin usne apne department ko kuch nahi bataya tha. Usne ye nahi bataya ki vikram singh ne use aisi diary di thi jisme uska pura itihaas likha hua hai. Zaahir hai agar police department ko vikram singh ki diary milti to wo samajh jate ki in hatyaao ki asal vajah kya hai.

Wagle jab bhi is bare me sochta tha to wo apne andar apradh bojh sa mahsoos karne lagta tha lekin fir wo apne aapko ye kah kar samjhata tha ki vikram singh ke sath jo hua usme vikram singh ka koi kasoor nahi tha. Use aise apraadh ke liye apni zindagi ke bees saal jail me rah kar barbaad kar dene pade jo usne kiya hi nahi tha. Ek jawaan ladka jiska ek achha sa bhavisya ho sakta tha usne bina kisi apradh ke bees saal jail me guzaar diye. Wo is sadme se kabhi ubar hi nahi paaya tha ki uske mata pita uske sawaalo ke jawaab diye bina duniya se chale gaye. Usne us sadme me kabhi ye tak sochna gawara nahi kiya ki uske mata pita ne khud khushi ki thi ya unka kisi ne katl kar diya tha. Upar baitha vidhata sabko dekhta hai. Der se hi sahi lekin sabka bhaagya badalta hai. Ek bekasoor ko jin logo ne uske hi mata pita ke katl me use fasaya tha un logo ko ab shaan se jeene ka koi adhikaar nahi tha.

Wagle yahi sab soch kar khud ko bahla liya karta tha. Uske dil me vikram singh ke liye apnepan ki bhaavna thi aur wo chaahta tha ki ek baar wo vikram singh ko apni aankho se dekhe lekin wo achhi tarah jaanta tha ki ab ye sambhav nahi hai kyoki itna kuch hone ke baad vikram singh use kabhi apna chehra nahi dikhayega. Usne apni taraf se vikram singh ko khojne ki bahut koshish ki thi lekin safal nahi hua tha. Dusre use is baat ka bhi khayaal tha ki uske aise kisi kriya kalaapo se department ko us par shak na ho jaye jisse khud us par kisi tarah ka sankat aa jaye.

Wagle ne apni biwi savitri ko bhi vikram singh ke bare me bata diya tha aur sath hi usne uski diary bhi savitri ko padhne ko di thi. Asal me savitri aksar usse zor de kar ye puchhti thi ki uske andar achanak se ye badlaav kaise aa gaya tha aur wagle ne bhi use promise kiya tha ki wo use iski asal vajah zarur batayega. Kuch samay baad wagle ne bahut soch samajh kar savitri ko vikram singh ki diary padhne ko de di thi lekin iske sath hi usne use apne dono bachcho ki kasam de kar ye bhi kaha tha ki wo kabhi bhi kisi bhi haal me vikram singh aur uski diary ke bare me kisi ko bhi kuch na bataye.

Savitri ne vikram singh ki diary ko padha to uski bhi wahi haalat hui jo khud uske pati ki hui thi. Savitri ko bhi vikram singh ke liye ye jaan kar dukh hua tha ki us bechare ne bina apraadh ke bees saal jail me saza ke taur par guzare. Savitri aksar wagle se akele me vikram singh ke bare me baate karti thi aur jab bhi tv par un hatyaao se sambandhit news dekhti thi to wo bhi wagle se yahi kahti thi ki agar ye hatyaye sach me vikram singh kar raha hai to wo galat nahi kar raha hai. Apni patni ki aisi baate wagle ko dilasa ke sath sath bal bhi deti thi ki usne agar apne department se is bare me chhupaya hai to usne kuch galat nahi kiya hai.

"Kya hua." Savitri ki awaaz par wagle ka ek baar fir se dhyaan toota to usne chaunk kar awaaz ki disha me dekha. Savitri usse kuch hi doori par khadi thi_____"Ab dhoop me hi baithe rahenge kya? Andar chaliye, aapki dawa ka samay ho gaya hai."

Savitri ke kahne par wagle ne sir hilaya aur parcel me us diary ko band kar ke utha. Uske baad parcel ko le kar wo ghar ke andar ki taraf badh chala. Savitri usi ki taraf dekh rahi thi. Uske dono bachche chhuttiyo me apni mausi ke paas pune gaye huye the. Ghar ke andar jab dono pahuche to savitri se raha na gaya.

"Kuch pata chala aapko?" Savitri ne kamre me aate hi wagle se puchha____"Kya tha us parcel me aur kisne bheja hai use?"
"Jisne ye parcel ham tak pahuchaya hai." Wagle bed par baithte huye bola_____"Use tum achhi tarah janti ho."

"Kya matlab?" Savitri ke chehre par chaukne ke sath sath hairaani bhare bhaav ubhre____"Mera matlab ye kya kah rahe hain aap? Bhala aise kisi aadmi ko main kaise jaanti hu?"

"Vikram Singh." Wagle ne uski taraf dekhte huye shaant bhaav se kaha____"Vikram singh ko to jaanti ho na tum? Ye parcel usi ne ham tak is tareeke se bhejwaya hai."

"Vi...vikram singh???" Savitri ka chehra ashcharya se bhar gaya____"Mera matlab kya sach me usi ne bheja hai ise?"
"Haan dear." Wagle ne gahri saans li____"Aur iska saboot hai parcel me maujood ye diary."

Kahne ke sath hi wagle ne parcel khol kar usme se diary nikaal kar savitri ko dikhaya aur fir kaha_____"Ye diary vikram singh ki hai jisme uska naam likha hai aur ab ye asaani se samjha ja sakta hai ki uski is diary me yakeenan wo sab kuch likha hoga jo usne jail se riha hone ke baad kiya hoga."

"Badi ajeeb baat hai." Savitri abhi bhi chakit thi____"Use aapki jail se riha huye pure chhah maheene guzar chuke hain aur is beech usne waastav me kya kya kiya hoga iska hame kuch pata nahi tha. Ye alag baat hai ki tv par ham jin hatyaao ki news dekhte the usse ham yahi samajhte the ki un hatyaao me nishchay hi vikram singh ka hath hoga. Khair wo sab to ek alag baat rahi lekin ye samajh nahi aaya ki itne maheeno baad vikram singh ne aapko is tarah ki koi diary kyo bheji? Jaha itne maheene wo hamare liye gumsuda sa bana raha wahi ab bhi to bana rah sakta tha? Fir aisi diary aapko bhej kar apni asaliyat aapse kyo batana chahta hai wo? Kya use zara bhi is baat ka dar nahi ki aap is diary ke dwara uski asaliyat police department ko bata denge?"

"Sahi kaha tumne." Wagle ne gahri saans chhodte huye kaha____"Use hamse kisi bhi tarah ka koi dar nahi hai. Asal me use pahle bhi hamse kisi baat ka dar nahi tha. Agar hota to wo chhah maheene pahle hamari jail se riha hote waqt hame apne hath se likhi hui aisi diary na deta jisme uska pura itihaas likha hua tha. Use ham par pura bharosa hai savitri, tabhi to usne hame ek baar fir se apni ek diary bheji hai. Isme koi shak nahi ki is diary me usne wahi sab likha hoga jo usne jail se riha hone ke baad kiya hoga."

Wagle ki in baato ke baad kamre me gahra sannata chha gaya. Savitri ke chehre par hairaani ke sath sath sochne wale bhaav bhi ubhre huye the. Shayad wo vikram singh ke bare me gahraai se sochne me gum ho gai thi.

"Waise kya aap sach me is diary ke bare me bhi apne department ko kuch nahi batayenge?" Kuch der ki khamoshi ke baad savitri ne wagle se utsuktavas puchha.

"Sawaal hi nahi uthta savitri." Wagle ne savitri ke khubsurat chehre ki taraf dekhte huye kaha____"Ab agar hamne apne department ko is bare me kuch bataya to maamla hamari soch se kahi zyada bigad jayega kyoki us soorat me department hamse sawaal karega ki jab hame vikram singh ke bare me pahle se sab kuch pata tha to hamne pahle hi unhe sab kuch kyo nahi bataya? Nahi savitri, ab is sabke bare me department ko batane ka matlab hai apne hi gale me faansi ka fanda daal lena. Is liye jaise ab tak ham chup the waise hi aage bhi ham chup hi rahenge. Fir chaahe bhale hi is diary me vikram singh ka itihaas kitna hi gairkanuni aur sangeen se sangeen apraadh wala kyo na maujood ho."

"Khair, ham bhale hi vikram singh ke bare me ye jaante ho ki usne in chhah maheeno me kya kiya hai." Savitri ne kaha_____"Aur usne kitni hatyaaye ki hain lekin ye sab usne kis tarah se kiya aur police us tak kyo nahi pahuch paai ye jaanne ki jigyasa is diary ko dekh kar badh gai hai."

"Hamara bhi yahi haal hai savitri." Wagle ne kaha____"Hamare man me bhi ab ye jaanne ki jigyasa badh gai hai ki vikram singh ne is diary me kya likha hoga?"

"To der kis baat ki hai?" Savitri ne bed par wagle ke bagal se baithte huye kaha____"Is diary ko kholiye. Ham dono is diary me likhe vikram singh ke itihaas ko padhte hain."

"Abhi nahi." Wagle ne apni badhi hui dhadkano ko kaabu karte huye kaha____"Abhi tum dopahar ke liye lunch taiyar karo. Ham dono lunch karne ke baad tasalli se is diary ko padhenge."
"Theek hai." Savitri ne bed se uthte huye kaha____"Main fatafat khana bana leti hu. Tab tak aap bhi dawa le kar araam kijiye."

Savitri ke aisa kahne par wagle ne haan me sir hilaya aur fir diary ko waapas parcel me lapet kar ek taraf rakh diya. Savitri kamre se ja chuki thi lekin wagle achhi tarah samajhta tha ki is diary ke dwara vikram singh ke bare me uski tarah savitri ke man me bhi utsukta badh chuki hai. Uski tarah wo bhi jald se jald vikram singh ke aage ka kissa jaanne ke liye utsuk ho uthi hai. Khair kisi tarah waqt guzra. Savitri ne lunch taiyar kiya aur dono ne mil kar khaya. Wagle ka swasthya ab pahle se behtar tha is liye usne bhi aaj savitri ke sath sab kuch khaya. Halaaki savitri ne iske liye use mana bhi kiya lekin wo nahi maana. Lunch karne ke baad dono hi kamre me aaye aur vikram singh ki diary me likhe uske itihaas ko padhne ka pura man bana liya. Wagle ne parcel se diary nikaali aur diary ke mote cover par likhe The Revenge ko dhyaan se dekhne laga. Savitri ki bhi nigahe unhi shabdo par jam gai thi.

✤༺✧༻✤
Update - 02
____________________

Jailer shivkant wagle ne diary ke mote cover ko palta hi tha ki usme ek tah kiya hua kaagaz nazar aaya. Us kaagaz par nazar padte hi wagle ne savitri ki taraf dekha. Savitri ne bhi Wagle ki taraf dekha lekin dono bole kuch nahi balki wagle ne hath badha kar us tah kiye huye kaagaz ko utha liya. Dono hi samajh chuke the ki wo kaagaz asal me vikram singh ka khat hai. Khair wagle ne us khat ko khola. Dono ko hi us khat me likha majmoon clear nazar aa raha tha jise dono ne man hi man padhna shuru kiya.

Aadarneeya jailer sahab,
Aapko mera pranaam.!
Asha karta hu ki aap apne pariwar ke sath sakushal honge. Upar wale se main yahi dua karta hu ki aap hamesha kushal se hi rahe. Maaf kijiyega mujhe, kyoki meri vajah se shayad aapko fir se disturb hona padega lekin yakeen maaniye main aapko disturb karne ke bare me khwaab me bhi nahi soch sakta. Asal me insaani janwaro se bhare is sansaar me mera koi nahi hai aur na hi is jeewan me koi ho sakta hai lekin jane kyo aapse apnapan sa mahsoos hota hai. Aapke liye mere toote huye dil me behad hi sammaan ki bhaavna hai aur main bhi ye mahsoos karta hu ki mujh jaise byakti ke liye aapke dil me bhi thodi si jagah to zarur hai. Agar aapke dil me mere liye jagah na hoti to aapne kab ka mujhe police ke hatho pakadwa diya hota. Pichhle chhah maheeno me aapne tv news channelo par jo kuch bhi dekha suna hoga usse itna to aap bhi samajh hi gaye honge ki wo sab kyo ho raha tha aur kaun kar raha tha lekin sab kuch jaanne samajhne ke baavjood aapne kabhi police ko mere bare me batane ka nahi socha. Isse zaahir hai ki aap mujhe kahi na kahi apna maante hain aur ye hargiz nahi chaahte ki mere sath kuch bura ho.

Socha tha ki aapse kabhi bhi kisi tarah ka raabta nahi rakhuga aur na hi aapko kabhi apni aage ki zindagi me ghati ghatnaaon ke bare me bataauga magar aisa karna mujhe jaayaz nahi laga. Mujhe laga jaise aisa kar ke main selfish kahlaauga. Mera zameer jo aksar mujhse ye kahta hai ki jisne is duniya me gair ho kar bhi mujhe apne chhote bhai ki tarah pyar aur sneh diya uske man me hamesha ke liye apne prati aisi bhaavna kyo daalu jiski vajah se aap sukoon se ji hi na sake. Aapko pura haq hai mere jeewan ki har sachchaai ko jaanne ka, bas yahi soch kar maine faisla kiya ki aapko wo sab bataauga jo kuch maine aapki jail se riha hone ke baad kiya hai ya jo kuch mere sath hua hai.

Main nahi jaanta jailer sahab ki niyati mujhse kya kya karwayegi lekin itna zarur jaanta hu ki is zindagi me sukoon naam ki cheez mujhe kabhi nahi milegi. Aapki jail se riha hone ke baad yahi lagta tha ki ab jo kuch main karuga usse mere dil ko sukoon milega lekin yakeen maaniye zara sa bhi to aisa nahi hua. Zahen me bas yahi khayaal aata hai ki kaash main us sadme se ubarta hi nahi aur marte dam tak aapki jail me hi rahta. Par shayad niyati ne mere liye kabhi kuch achha socha hi nahi.

Aakhir me bas yahi kahuga ki meri is diary ko padhne ke baad ise jala dijiyega aur diary me chaahe jaisa bhi sach aapke saamne aaye usse aap vichlit mat hoiyega. Upar wala aapko hamesha khush rakhe.....Achha ab alvida..!!

______Vikram Singh..

Khat me likhe lambe chaude majmoon ko padh kar wagle aur savitri ne ek gahri saans li. Khat padhte waqt un dono ko aisa laga tha jaise vikram singh khud hi khat se nikal kar unke saamne aa gaya tha aur apne mukh se hi us khat ko padh kar unhe sab kuch suna raha tha. Is ehsaas ke sath hi dono ke jism me ek ajeeb si sihran daud gayi thi. Khair kuch der tak dono hi us khat ko ghoorte rahe uske baad wagle ne us khat ko tah kar ke diary ke beech me chhupa diya.

Wagle aur savitri bed par let gaye aur fir vikram singh ki diary ko khol kar usme likhe kisse ko padhna shuru kiya. Diary ke pahle hi page par upar bade aksharo me The Revenge likha nazar aaya unhe jise padh kar dono ke hi zahen me ek hi khayaal ubhra_____Badla.

✧✧✧

Adalat ne meri baaki saza ko maaf kar ke mujhe riha kar diya tha is liye jab main jail ke mukhya darwaze se baahar nikla to meri aankho ke saamne ek alag hi duniya nazar aayi. Ek aisi duniya jo mere liye bees saalo baad puri tarah badal chuki thi. Aisa laga jaise main kisi aur hi duniya me aa kar khada ho gaya tha. Sambhav tha ki us duniya me maujood kuch log mujhe jaante rahe ho lekin mere liye us duniya ka har insaan ajnabi ho gaya tha. Zahen kuch der ke liye ekdam se khaali sa ho gaya tha. Main moorkho ki tarah charo taraf nazre ghuma ghuma kar dekh raha tha. Kuch der baad jane kaise meri tandra tooti to main ekdam se chauka. Uske baad achanak hi meri aankho ke saamne mera guzra hua kal maano kisi film ki tarah ujaagar hone laga. Ek ek kar ke har cheez aur har baat meri aankho ke saamne dikhne lagi. Kuch der baad ekdam se wo saari cheeze gayab ho gayi aur main present me aa gaya.

Sach kahu to us waqt apne kadam aage badhane ki zara bhi ichha nahi ho rahi thi. Ji chaahta tha ki palat kar waapas usi darwaze ke andar chala jaau jaha meri waastavik duniya thi. Jaha log mujhe achhi tarah jaante the. Baahar ki duniya me mere liye kuch bhi aisa nahi tha jiski mujhe chaah ho ya jaha par koi mera intzaar kar raha ho. Main kaafi der tak apni jagah par khada yahi sochta raha ki yaha se ab kaha jaau main? Baahar ki duniya me na mera koi apna tha aur na hi mera koi ghar tha. Jo kuch tha bhi wo bees saal pahle nestanaboot kar chuka tha main. Waise bhi main ab waapas us jagah par jana nahi chahta tha jaha jane par mujhe sirf aur sirf taqleef hi milni thi.

Kafi soch vichaar ke baad aakhir maine apne kadam aage badhaye kyoki ab main chaah kar bhi waapas us jail ke andar nahi ja sakta tha. Bees saal pahle ek duniya mujhse chheen li gayi thi aur ab bees saal baad fir se meri ek duniya mujhse chheen li gayi thi. Niyati mere dwara abhi ek khel khelna chaahti thi aur sach to ye tha ki maine bhi niyati ke khel ko apna khel samajh kar pure josh ke sath khelne ka faisla kar chuka tha.

Main achhi tarah jaanta tha ki baahar ki is duniya me aaj bhi kuch log aise hain jo mere waapas aane ki raah dekh rahe honge. Aisa is liye kyoki ab tak unhe bhi pata chal hi gaya raha hoga ki adalat ne meri baaki ki saza ko maaf kar ke mujhe riha kar diya hai. Aise me mujhe jaanne wale mere kuch aziz log yakeenan meri raah dekh rahe honge jabki maine to ab soch liya tha ki jo main bees saal pahle karne me kamyaab nahi hua tha use ab main is tareeke se karuga ki uske asar se har koi dahal jaye.

Mere paas khone ke liye kuch bhi nahi tha aur na hi mujhe apne jeewan ki koi parwaah thi. Maine mahsoos kiya ki achanak hi mere andar ek aisi aag dhadhak uthi thi jo na jane kis kis ko jala kar khaaq me mila dene amaada ho rahi thi.

Jail se jab main baahar nikla tha to us waqt mere paas ek bag tha jisme mere wo kapde the jo aapne mujhe apni taraf se tohfe ke roop me diye the ya yu kahu ki mujhe apna chhota bhai samajh kar diya tha. Kapdo ke sath kuch paise the jo maine bees saal jail me kaam kar ke kamaye the. Iske alawa mere paas kuch bhi nahi tha.

Zindagi me kisi bhi cheez ki hasrat nahi thi aur na hi mere man me ye tha ki main apne baaki jeewan me kuch aisa karu jisse mere naam ke sath sath meri vansh bel aage badh sake. Zindagi me ab bas ek hi hasrat thi ki aise har us insaan ko maut ke ghaat utaar dena hai jiska zara sa bhi mere mata pita ki maut se talluk tha. Mujhe ab apni koi parwaah nahi thi aur na hi mujhe kisi ka dar tha lekin haan ye sab main is tareeke se karna chaahta tha ki mere kisi bhi kaarya ka kam se kam police ko koi saboot na mile aur na hi wo log mujh tak pahuch paaye jinki saanso me main full stop lagane wala tha.

Kuchh der ke liye in sab baato se mera chehra patthar ki tarah kathor ho gaya tha lekin jald hi maine apne jazbaato ko kaabu kiya aur aage badh chala. Mukhya sadak par aaya to mujhe ek auto aata hua dikha jise maine hath de kar rukwaya aur usme baith kar auto driver se apne gantavya ka pata bataya. Usse pahle maine ye achhi tarah dekh liya tha ki aas paas koi aisa byakti to nahi hai jo mujh par chhip kar nazar rakhe huye ho. Yu to aisa koi nazar nahi aaya lekin sambhav tha ki aisa koi byakti zarur raha ho jise main dekh na paya hou.

Kareeb paune ghante baad auto driver ne jis jagah par auto roka wo bus stand tha. Auto se utar kar maine auto wale ko uske paise diye aur bus stand ke andar badh chala. Bees saalo me saari duniya hi badal gayi thi. Jaha pahle kuch na tha waha badi badi imaarte ban gayi thi. Achhi sadke aur hazaro ki tadaat me waahan sadak par sarpat daudte nazar aa rahe the. Insaano se zyada waahan nazar aa rahe the. Zahen me khayaal ubhra ki desh me ameero ki sankhya bahut zyada ho gayi hai shayad. Khair bus stand ke andar aaya to dekha stand ka bhi naksha badal gaya tha. Achha khasa bus stand bana hua tha jaha par kataar se har jagah jane ke liye bus khadi thi.

Dher saari buso ke beech mujhe us jagah jane wali bus ko khojne me zyada mehnat nahi karni padi jis jagah main jana chaahta tha. Khair ticket le kar main bus me baith gaya. Kareeb das minute baad bus chali to jane kyo meri dhadkane badh gayi. Bus ki khidki se main baar baar baahar maujood logo ke chehro ko dekh raha. Har chehra mere liye ajnabi hi tha lekin fir bhi main kisi aise chehre ko khoj lene ki ummid kiye huye tha jo mere liye parichit ho lekin aisa hua nahi.

Bus ka safar shuru hua to maine sheet ki pichhli pusht se sir tika liya aur apni aankhe band kar li. Aankhe band huyi to bees saal pahle ka guzra hua kal dikhne laga. Ek aisa guzra hua kal jo meri zindagi ka ek aham hissa tha.

✧✧✧

"Hamara yu milna thik nahi hai vikram." Maya ne gambheer bhav se meri taraf dekhte huye kaha_____"Tum achhi tarah jante ho ki aisa karna ham dono ke liye kitna khatarnaak ho sakta hai."

"Ab isse koi fark nahi padta maya." Maine uske gaal ko apni ulti hatheli se sahlate huye kaha_____"Waise bhi duniya ki ek sachchaai ye hai ki jiske sath jab bhi kuch hona hota hai wo ho ke hi rahta hai. Insaan laakh koshish kar le magar honi ko nahi taal sakta. Is liye tumhe bhi meri tarah kisi baat se koi fark nahi padna chahiye. Ye zindagi chaar din ki hai ise waise hi enjoy karo jaise tumhara dil kare. Maut to ek din sabko aani hai lekin wo bhi apne sahi waqt par hi aayegi."

"Main aksar socha karti hu ki ek insaan jo ladki zaat se baat karne me bhi jhijhakta tha." Maya ne meri aankho me dekhte huye kaha_____"Wo aaj itna befikra aur nidar ho chuka hai ki use ab kisi bhi baat se koi fark hi nahi padta."

"Sochta to main bhi hu kabhi kabhi." Maine muskurate huye kaha_____"Lekin fir khayaal aata hai ki mujhe trained karne wali to tum hi ho. Training ke baad jab main tum teeno se juda hua tha tab kafi samay tak main tum teeno ko bhool nahi paya. Dil karta tha palak jhapakte hi tum teeno ke paas aa jaau lekin aisa sambhav hi nahi tha. Mujhe pata hi nahi tha ki wo training center aakhir kis jagah par maujood hai jaha par meri teen teen khubsurat guru deviya aur hasinaye rahti hain lekin itna zarur janta tha ki tum teeno isi shahar me kahi to zarur hogi. Bas yahi soch kar main tum teeno ki talash me gupt tareeke se lag gaya tha. Ye meri kismat hi thi ki tum mujhe mil gayi aur sanstha ko iski bhanak tak nahi lag paayi."

"Ham jis sanstha me hain." Maya ne kaha_____"Us sanstha me hame yahi baat hamesha yaad rakhne ke liye kahi jati hai ki ham sanstha ke kisi bhi agent se personally milne ki koshish na kare aur agar aisa kiya to uski ek hi saza hogi____Saza-E-Maut."

"Jinse dil lag jata hai wo kaha kisi baat ki parwah karte hain." Maine muskura kar maya ke hotho ko choom liya_____"Tum sath ho to maut ko bhi has ke gale laga lenge."

"Pahle jab tum mile the." Maya ka chehra fir se gambheer ho gaya_____"Tab is baat ka dar itna zyada nahi satata tha lekin ab satane laga hai vikram. Ab mujhe har pal ye dar satata hai ki kahi se sanstha ka koi aadmi aa dhamkega aur ham dono ko maut ke ghaat utaar dega."

"Kamaal hai." Main fir uski taraf dekhte huye muskuraya____"Aakhir ab aisa kya ho gaya hai jo tumhe har pal is tarah ka dar satane laga hai?"

"Main tumse pyar karne lagi hu vikram." Maya ne bhaari gale se kaha_____"Tum bhale hi mujhe is laayak na samjho lekin mere dil me tumhare prati aise hi jazbaat paida ho chuke hain aur yahi vajah hai ki mujhe ab is sabse dar satane laga hai. Ab sochti hu ki kaash main tumhe milti hi nahi aur agar milti bhi to tumhe pahle hi khud se milne se mana kar deti. Ab to tumse dil lag gaya hai vikram aur main nahi chahti ki tumhe kuch ho. Kyoki agar aisa kuch hua to main na to khud ko maaf kar paaugi aur na hi tumhare bina khud ko zinda rakh paaugi."

Maya ye sab kahte huye itna bhaavuk ho gayi ki uska gala bhar aaya aur sath hi aankho se aansu chhalak pade. Ye pahli baar tha jab maya ne khul kar apne dil ki baat mujhse kahi thi. Pasand to main bhi use karta tha lekin wo meri premika nahi thi aur na hi main usse pyar karta tha. Uske prati mere andar ek komal ehsaas zarur tha jiske chalte main baar baar usse milne ki hasrat karta tha. Aaj megha ki in baato ne mujhe jhatka sa de diya tha. Mujhe samajh na aaya ki main usse is bare me kya kahu. Ek pal me hi jaise sab kuch badal gaya tha.

"Tum meri in baato se ye soch kar pareshan na ho vikram ki tumhe meri baato ka kya jawaab dena chahiye?" Maya ne mujhe khamosh dekh kar kaha_____"Main janti hu ki mere jaisi ladki jo na jane kitne hi mardo ke neeche let chuki hai uske prem ko koi bhi ladka accept nahi karega aur sach kahu to mujhe kisi se aisi ummeed bhi nahi hai. Maine bahut koshish ki khud ko samjhane ki lekin main nakaam ho gayi vikram. Tum mere dil ke har zarre me sama chuke ho."

"Tumne khud ko itna kamtar samjha aur mujhe asmaan me chadha diya? Bhala ye kya baat huyi maya?" Maine feeki muskaan ke sath kaha_____"Jabki tumhe sochna chahiye ki ham jis hamaam me hain waha to sabhi nange hi hain. Kisi ka bhi character gangajal se dhula hua nahi hai. Tum jaisi bhi ho meri nazar me tumhari ehmiyat had se bhi zyada hai. Tum wo ho dear jisne mujhe mukammal mard banaya aur jisne mere andar ke namard ko nikaal kar door fenk diya hai. Haan, ye sach hai ki main tumhare prem ko except nahi kar sakta kyoki ham dono ek aisi sanstha se talluk rakhte hain jaha par ham dono ka aapas me milna sangeen gunaah hai. Main bhi nahi chaahta ki meri vajah se tum par kisi tarah ka koi sankat aa jaye. Is liye aaj se main tumse milne nahi aauga. Yu samajh lo ki ham dono ek dusre ke liye ajnabi ho gaye hain."

"Aisa kyo kah rahe ho vikram?" Maya ne dukhi bhaav se kaha____"Kya is liye ki maine tumse apne pyar ka izhaar kar diya hai?"

"Nahi maya." Maine uske khubsurat chehre ko apni hatheliyo me thaam kar kaha____"Aisi baat nahi hai. Asal me mujhe bhi is baat ka ehsaas ho gaya hai ki hamara ab aur milna ham dono ke liye hi theek nahi hai. Isse pahle ki baat aur badh jaye achha yahi hai ki ham dono ek dusre se yu chori chhupe milna band kar de."

Maya meri baat sun kar ekdam se mujhse lipat gayi. Maine bhi use apne seene se chhupka liya. Usne mujhe kas kar apni taraf bheench liya. Aisa laga jaise wo mujhe khud se alag hi nahi karna chahti thi. Agle hi pal uski siskiyo ki awaaze aane lagi. Uska yu jonk ki tarah mere seene se chipak jana aur fir rona is baat ka saboot tha ki wo mujhe sach me behad pyar karti thi aur mere liye behad fikramand ho chuki thi. Halaaki mere andar uske jaisi feelings nahi thi lekin uske aise behaviour se main apne andar ajeeb sa feel karne laga tha. Khair jab maya ka sisakna band hua to maine dheere se use khud se alag kiya aur fir uski taraf dekha. Uska khubsurat chehra aansuo se tar tha aur surkh pad gaya tha.

"Kya mujhe yu vida karogi?" Maine uski thuddhi ko pakad kar upar uthate huye kaha_____"Main to ye chaahta hu ki meri guru apne hotho par dilkash muskaan saja le taaki main us manmohak muskaan ko apni aankho me basa kar yaha se jaau."

"Tum meri jaan maang lo vikram." Maya ki aankh se aansu ka ek katra chhalak gaya_____"Magar mere hotho par muskaan nahi saj sakti."

"Sajani padegi maya." Maine uske chehre ko apni hatheliyo me le kar kaha____"Main itna bhi patthar dil nahi hu ki tumhare chehre par dukh dard ke bhaav dekhu aur tumhe yu hi chhod kar chala jaau. Is liye please apne manmohak chehre par se ye dukh dard ke bhaav mita kar khushi ke bhaav paida karo aur mujhe khushi se muskurate huye vida karo."

"Tum bhi mujhe aakhiri baar apna pyar de do vikram." Maya ne mere unhi hatho ki kalaaiyo ko thaam kar kaha jin hatho me maine uska chehra liya hua tha_____"Mujhe itna pyar karo ki main tumhare pyar ki yaado ko hamesha ke liye apne dil me saja kar rakh lu."

Main bhala apni guru ki is hasrat ko kaise nakaar sakta tha is liye khushi se maine jhuk kar use utha liya aur fir le ja kar bed par aahista se leta diya. Uske khubsurat gore saffaak badan par black colour ki t-shirt thi aur neeche dheeli si pajaami. Khule huye baal bed par uske sir ke neeche aas paas bikhar se gaye the. Wo mujhe behad hi mohabbat bhari nigaaho se dekhne lagi thi. Wo mohabbat to nahi thi lekin vikat aakarshan zarur tha jiski vajah se main uske upar chhata chala gaya.

✤༺✧༻✤
 
kingkhankar

Well-Known Member
5,952
13,666
188

Loved this first update.

Seems to be another great story is getting cooked with brilliant spices and right amount of required ingredients......
 
parkas

Prime
22,799
52,505
258

Nice and excellent update....
 
9,453
39,758
218
बड़ी ताज्जुब की बात है कि सी एम सी बीस सालों बाद भी फल फूल रहा है । इसका मतलब काफी गहरी जड़ें हैं इस संस्था की ।
और शायद ऐसा भी लग रहा है कि माया अभी तक उस संस्था से जुड़ी हुई है ।
लेकिन यह देखकर बहुत आश्चर्य हुआ कि वो विक्रम से मोहब्बत करती है । इसके पहले कभी उसने कभी इशारा तक नहीं किया था । अचानक से एक सजायाफ्ता खूनी में ऐसा क्या ढूंढ लिया जो उससे मोहब्बत कर बैठी ! कानून की नजरों में वह अपने मां बाप का खूनी है । क्या उसे पता था कि विक्रम के मा बाप का खून विक्रम ने नहीं किया था ? क्या वो जानती है कि असल खूनी कौन है ?

पर एक प्लस तो प्वाइंट विक्रम के लिए वो जरूर सिद्ध हो सकती है । वो घर के भेदिया का काम कर सकती है । सी एम सी के बारे में वो विक्रम से ज्यादा जानकारी रखी हो सकती है ।
देखते हैं दोनों की जुगलबंदी आगे क्या रंग लाती है !

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट शुभम भाई ।
 
Aapne shayad thik se padha nahi bhaiya ji. Maya se mohabbat wala chapter abhi ka nahi hai. Present me vikram bus me baitha ateet ko yaad kar raha tha. Yaani Maya se uska connection ateet me tha. Haan ye alag baat hai ki first part me ye connection dikhaya nahi gaya tha lekin uska bhi ek reason tha jo aage pata chalega. Khair Shukriya is khubsurat sameeksha ke liye :hug:
 
Update - 03
___________________

Bus jhatke se ek jagah ruki to main ateet ke khayaalo se baahar aa gaya. Khidki se baahar dekha to kuch samajh na aaya ki ye kaun si jagah hai. Bees saal me maano saari duniya hi badal gayi thi. Har cheez mere liye ajnabi dikh rahi thi. Maine agli sheet par baithe ek aadmi se us jagah ke bare me puchha to usne bataya ki bus jis jagah par khadi hai wo jagah gaziabad hai. Us aadmi ki baat sun kar main chaunka.

Isse pahle ki bus aage badhti main fauran hi apni sheet se utha aur apna chhota sa thaila liye tezi se aage badhte huye bus ke aage wale gate se neeche utar gaya. Dil ki dhadkane badh gayi thi jinhe maine niyantrit kiya aur ek taraf ko badh chala. Main apne shahar aur apni janmbhumi se door aa gaya tha. Main filhaal us taraf nahi jana chaahta tha jaha par mere pahchaan wale mere aane ki raah dekh rahe ho. Is ajnabi duniya ko kuch din thahar kar jaanna samajhna chahta tha. Main jaanna chaahta tha ki is nayi duniya me mere liye kya kya badal chuka tha.

Shayad meri kismat mujh par meharbaan thi. Asal me mujhe yaha kahi par rahne ke liye ek aisa thikana chahiye tha jo mere liye bilkul surakshit ho aur kisi tarah ki koi pareshani na ho. Main ek jagah jis auto me baitha tha us auto driver se baato hi baato me maine puchha tha ki yaha kahi par kiraye se sasta kamra milega kya? Auto wala bhala aadmi tha, usne mirror me meri taraf dekhte huye muskura kar kaha ki uska apna khud ka ek chhota sa makaan hai. Agar main uske yaha rahna chahu to kiraye se kamra le kar rah sakta hu. Auto wale ki baat sun kar maine socha ye sahi rahega. Uske puchhne par maine bataya ki main ek jagah kaam karta hu aur iske pahle jaha rahta tha waha par koi khaas suvidha nahi thi is liye main apne liye kahi dusri jagah thikana talash raha hu.

Sare raaste auto wale se meri is subject par baat cheet hoti rahi aur aakhir me mujhe usi ke yaha rahne ke liye kiraye se ek kamra mil gaya. Auto wala mujhe le kar seedha apne ghar hi pahuch gaya tha. Maine usse aise lahje me baat ki thi ki use mujh par kisi tarah ka shak nahi hua tha. Jab main uske ghar pahucha to dekha uska makaan do manjila tha. Ground floor par wo aur uski family rahti thi jabki upar ke floor me do kamre the jiske ek kamre me koi kirayedaar tha aur dusra kamra khaali tha. Saamne ki taraf aadha chhat khaali tha. Baye taraf kone me toilet aur bathroom tha jiski chhat ke upar plastic ki tanki rakhi huyi thi.

Auto wale ka naam Dinesh jha tha. Uski bhasha se saaf pata chalta tha ki wo bihar ka tha. Usne raaste me bataya tha ki wo yaha bees saal pahle aaya tha. Dheere dheere paise jod jod kar usne zameen le kar ye makaan banwaya tha. Shadi hone ke baad wo yahi par rahne laga tha lekin kabhi kabhaar wo apne gaav bihar bhi jata hai. Khair Dinesh mujhe le kar upar ke floor par aaya aur usne mujhe kamra dikhaya aur baaki sab cheezo ke bare me bhi bataya. Maine kamre ke andar ja kar dekha ki kamra theek thaak hi tha aur sabse badi baat mere liye behad hi perfect tha. Upar ke floor par bane dono kamre aaju baaju se hi the. Dusre kamre ka darwaza andar se band tha. Dinesh ne bataya ki us kamre me ek aadmi apni biwi ke sath rahta hai. Un dono ki ek ladki bhi hai jo kareeb (**) saal ki hai aur school me padhti hai.

Dinesh ke pariwar me uski biwi aur teen bachche the jinme se do ladkiya thi aur ek ladka. Pahle ek atharah saal ki ladki hai aur uske baad do judwa ladke ladkiya. Teeno hi school me padhte hain. Badi wali ladki 12th me padhti hai. Mujhe uski family se koi lena dena nahi tha balki main to yaha par is liye rahna chaahta tha taaki ek safe jagah se main apne kisi bhi kaam ko anjaam de saku. Dinesh bada hi batooni kism ka insaan tha. Mere bina kuch puchhe hi usne sabke bare me batana shuru kar diya tha. Khair maine Dinesh se kaha ki mujhe kamra aur jagah pasand hai is liye main jaldi hi apna samaan le kar yaha rahne ke liye aa jaauga.

Maine dinesh se to kah diya tha ki main apna samaan le kar aa jaauga lekin sach to yahi tha ki mere paas apna koi samaan tha hi nahi. Maine socha thoda bahut aisa samaan yaha lana hi padega taaki dinesh ko mujh par kisi tarah ka shak na ho. Main dinesh ko bata kar uske ghar se nikal gaya. Saara din main shahar me idhar se udhar bhatakta raha. Shaam ko main kuch samaan ek chhote se dagge me le kar aaya. Mere samaan me ek folding charpaai thi, charpaai me bichhane ke liye kuch kapde the. Kuch kapde maine apne pahanne ke liye khareede the aur kuch meri zarurat ka aisa samaan tha jo aane wale samay me mere kaam aane wala tha.

Dinesh ghar par nahi tha. Uski biwi ne bataya ki wo raat ke nau ya das baje tak hi waapas ghar aata hai. Khair main apna samaan le kar upar apne kamre me pahuch gaya. Dagge wale ko maine uska kiraya diya aur kamre me aa kar apna samaan jamane laga. Main din bhar bhatakne ki vajah se buri tarah thak gaya tha is liye kisi tarah samaan jamaya aur folding charpaai bichha kar usme pasar gaya. Mujhe pata hi nahi chala ki kab meri aankh lag gai.

Kisi ke chillane ki vajah se meri aankh khuli. Bagal wale kamre se chillane ki awaaze aa rahi thi. Pahle to mujhe kuch samajh na aaya lekin jaldi hi mujhe vastusthiti ka abhaas hua. Main charpaai se utha aur darwaza khol kar baahar nikla. Abhi main idhar udhar dekh hi raha tha ki tabhi seedhiyo se Dinesh aata dikha.

"Ye kaun itna chilla raha hai dinesh bhai?" Maine dinesh ko dekhte hi samaanya bhaav se puchha.
"Ab tumse ka bataye keshav bhaiya." Dinesh ne mera wo naam le kar kaha jo maine use bataya tha____"Sasura ee logan ka ee roz ka naatak ba. Tohare bagal se jo log rahte hain na oo log hamre yaha dui saal pahile aaye rahe. Dunau miya biwi bahute achhe the lekin pichhle chhar mahina se ee logan ke beech ladaayi jhagda shuru hoi gawa hai. U ka hai na ramesh sasura rojana daru pe ke aa jathay aur fer aisene apni mehraaru se jhagda shuru kar dethay. Sasura guard ki naukari ma jaun kamathay daru ma uda dethay. Ab tu hi batawa keshav bhaiya aisene ma kaisan pariwar ka theek se laalan paalan hoi aur jab hobey na kari ta mehariya jhagda ta karbay kari."

Main dinesh ki baate sun kar bola kuch nahi kyoki main achhi tarah samajh gaya tha ki wo batooni aadmi mere kuch bolne par fir se shuru ho jayega. Is liye main chup hi raha aur fir Dinesh se sone ka bahana bana kar apne kamre ki taraf waapas chal pada.

Raat jane kab tak bagal wale kamre se shor sunaayi deta raha jisse meri neend me khalal padta raha. Main yaha aaya tha sukoon aur safety ke liye lekin aise me bhala kaha sukoon aur safety mil sakti thi. Pahle mujhe laga ki ja kar us sharaabi ki tabiyat durust karu lekin fir socha ki sharabi se kya muh lagna? Is waqt wo hosh me nahi hai. Khair kisi tarah meri aankh lagi to main neend ke aagosh me chala gaya.

Subah kisi ne jab mere kamre ka darwaza zor se khatkhataya to meri aankh khuli. Maine darwaza khola to dekha baahar Dinesh apne hath me chaay ka cup liye khada tha. Mujhe dekhte hi uske hotho par muskaan ubhar aayi.

"Ham soche ki ee bakhat tumko bhi chaay ki talab lagi hoi ese ham tohare liye chaay le aaye." Dinesh muskurate huye bola____"Ham jaanathay ki tu akela aadmi apne khaatir chaay waay aur khana waana ta banaibe na kari, ese hamne tohari bhauji ko bol diya hai ki ab se u tohare khaatir bhi khana pina bana liya kare. Khair ee lo pahile chaay piya."

"Are dinesh bhai is sabke liye aapko pareshani uthane ki koi zarurat nahi hai." Maine kaha____"Mujhe ye achha nahi lagega ki tumhe ya tumhare pariwar ko meri vajah se pareshan hona pade. Ye sach hai ki main akela aadmi apne liye khud khana pina nahi banaata hu, balki baahar hi khana pina kar leta hu lekin apne liye main ye sab nahi chaahta."

"Kaunau baat nahi keshav bhaiya." Dinesh ne usi muskaan ke sath kaha____"Jaun paisa tu baahar khaay piyay ma kharch kar det ho uhay paisa hiya kharch kar diha. Ham tohare se dui chaar paisa kam hi lai leb."

Mujhe laga ki kahi dinesh subah subah apni baato se mera bheja fry hi na kar de is liye maine uski baato par haan me sir hilaya aur usse chaay ka cup le liya. Dinesh ye jaan kar khush ho gaya ki ab se main uske yaha hi khana khaauga aur khane ke paise duga. Khair chaay khatam hone tak wo mere kamre me hi baitha raha aur apni baato se mera sir khata raha. Uske baad wo khaali cup le kar chala gaya.

Dinesh ke jane ke baad main sochne laga ki apna kharcha aur kamre ka kiraya chukane ke liye mujhe koi aisa kaam bhi karna padega jisse aamdani ho. Jail me bees saal rah kar maine na jane kaise kaise kaam kiye the lekin yaha ki duniya me kaun sa kaam karu ye mujhe samajh nahi aa raha tha. Tabhi mere dimaag ki batti jali. Mujhe driving karna aata tha, halaaki kaam to aur bhi karne aate the lekin driving karna is liye bhi theek laga tha kyoki usme rozana mujhe paise mil sakte the. Dinesh auto chalata tha is liye maine socha ki usse is bare me baat karuga. Usse kah duga ki pahle wala kaam maine chhod diya hai.

Main fresh hone ke liye kamre se baahar nikla to meri nazar bagal wale kamre me rahne wale usi sharaabi par padi jo raat me daaru pi kar apni biwi se jhagda kar raha tha. Umar me mujhse kam hi tha wo aur jism bhi thoda dubla sa tha, halaaki lambaai kareeb chhah fit ki rahi hogi. Dubla hone ki vajah se wo aisa lag raha tha jaise baans ka danda ho. Peeth halki jhuki huyi thi. Khair, uski nazar bhi mujh par padi thi lekin na usne kuch bola aur na hi maine. Wo saj dhaj kar kahi jaane ke liye taiyar tha. Main chup chaap chalte huye seedha bathroom me ghus gaya.

Aadhe ghante baad fresh ho kar main bathroom se baahar nikla to meri nazar chhat par lagi ek dori par geele kapde daal rahi aurat par padi. Tees ya battees ke aas paas ki umar thi uski. Rang halka saanwla tha lekin chehre ke nain naksh achhe the aur jism bhi thik thaak tha. Chehre se fisal kar meri nazar seedha uske unnat ubhaaro par thahar gayi thi jo uske blouj me kase huye the. Mujh par nazar padte hi pahle to wo chaunki fir mujhse nazre hata kar apne kaam me lag gayi. Ab kyoki wahi par uska pati maujood tha is liye main bina ruke seedha apne kamre me aa gaya.

Main kapde pahan kar taiyar hi hua tha ki fir se Dinesh ne darwaza khatkhataya. Maine jab darwaza khola to usne muskurate huye kaha ki naasta taiyar hai is liye neeche chal kar main uske sath hi naasta kar lu. Uski baat sun kar maine haan me sir hila diya. Main jaanta tha ki mere kuch kahne ka koi matlab nahi niklega is liye behtar tha ki uske kahe ke anusaar hi chalu.

Kamre me taala laga kar main uske sath seedhiyo se neeche aa gaya. Upar chhat par jane ke liye neeche mukhya darwaze ke andar aate hi bagal se seedhiya bani huyi thi. Seedhiyo ke bagal se ek channel gate laga hua tha. Usi channel gate ke andar Dinesh neeche ground floor par apni family ke sath rahta tha. Baahar ki taraf bagal se ek shatter laga hua ek bada sa kamra tha jaha par Dinesh apna auto khada karta tha. Asal me wo kamra usne apna auto khada karne ke use ke liye chhoda hua tha taaki uska auto safe rahe.

Main dinesh ke sath neeche aaya to usne mujhe ek kursi par baithaya. Neeche jaha wo rahta tha waha kaafi saaf suthra tha aur kaafi achha bhi dikh raha tha. Ek taraf ek chhota sa hall tha jaha par kursi table lagi huyi thi. Main nazre ghuma ghuma kar dekh raha tha. Idhar Dinesh apni biwi ko awaaz de kar jaldi se naasta laane ko bol raha tha. Uski biwi ka naam kamla tha. Thodi hi der me uski biwi aur badi beti apne apne hatho me thaali liye aayi aur ham dono ke beech rakhi table par rakh diya. Uski biwi aur beti dono ne hi mujhse namaste kiya to maine bhi namaste kah kar jawaab diya. Shahar me rahne ka alag hi prabhaav hota hai jiski vajah se roop rang me nikhaar aa jata hai aur ye nikhaar Dinesh ki biwi aur beti me dikh bhi raha tha. Halaaki maine zyada dhyaan dena uchit nahi samjha. Uski beti to waise bhi meri beti jaisi hi thi.

Naaste ke dauraan hi maine dinesh se driving karne ke bare me baat ki aur usse kaha ki agar is line ka kahi koi kaam mil jaye to bataye. Meri baat sun kar Dinesh sochne wali mudra me dikhne laga.

"Waise ek baat bataye keshav bhaiya." Fir usne kaha____"Sasura dusre ki chaakri karna hi nahi chahiye. U ka hai na aisene ma bada jhamela ba. Maalik ki baat suno aur jab paisa maaga ta sasura ohuma jhanjhat. Ese ham tumka ihey salaah deb ki tu aapan khud ka auto chalawa aur roz ka paisa apne jeb ma rakha."

"Wo to thik hai dinesh bhai." Maine kaha____"Lekin apna khud ka auto kaha se laauga main?"
"Okhar chinta tu na kara." Dinesh ne kaha____"Ham tohara ke bataye nahi, hiya hamaar dui dui auto aur hain. U donau auto ma ham driver rakhe bani. U sasure roz ka hamare hath ma paisa dethe. Agar tohara ke sach ma auto chalawe ka hai ta ham ek auto tohara ka dai deb."

"Kya baat hai dinesh bhai." Maine muskurate huye kaha____"Tum to har tarah se hamare maalik ban gaye."
"Are tu hamka maalik waalik na banaba keshav bhaiya." Dinesh hasa____"Ham aisene thik hain aur haan ham rakesh driver ka phone kar ke bole det baani ki u auto laike hiya aa jaye."

Dinesh kamaal ka banda tha. Meri problem ko jhat se door kar diya tha usne. Ek ghante ke andar hi rakesh naam ka uska driver auto le kar uske saamne haazir ho gaya tha. Dinesh ne usko kisi bhuwan naam ke aadmi ke yaha jane ko kaha aur auto ki chaabi usse le li.

Auto mil jane se mujhe kaam to mil gaya tha lekin ab mere samne sabse badi samasya ye ho gayi thi ki mujhe is badli huyi duniya ke bare me kuch bhi pata nahi tha. Dinesh ko main apni ye samasya bata bhi nahi sakta tha kyoki isse meri hakikat khul jane ka dar tha. Khair main ye bakhubi samajhta tha ki shuruaat me mujhe kuch samay tak samasya hogi lekin fir jaise jaise mujhe raasto ka gyaan ho jayega waise waise mujhe asaani bhi ho jaayegi.

Dinesh ne mujhse kaha tha ki main apni sweksha se din ya raat kisi bhi waqt auto chala sakta hu aur paise kama sakta hu. Maine din me hi ye kaam karne ka socha. Khair Dinesh ke sath hi main bhi apna wala auto le kar ghar se chal diya tha. Waise ek samasya aur bhi thi jiske bare me maine dinesh ko bata diya tha aur wo ye ki mere paas koi driving licence nahi hai. Dinesh ne kaha ki wo mera ye kaam bhi kar dega.

Shuruaat ke ek hapte mere liye bahut hi mushkilo se bhare the. Ek to mujhe raasto ka gyaan nahi tha dusre is drivery line ke taur tariko se bhi main anjaan tha. Dusre auto driver is kaam me mujhse kahi zyada expert the. Khair ek hapte me main bhi kuch kuch unke jaisa banne laga tha aur sawaariyo ko apni taraf aakarshit karne laga tha.

Dheere dheere main is kaam me aur bhi expert hota ja raha tha. Is kaam me main aisa uljha ki mujhe apne mukhya kaam ke bare me hosh hi nahi rah gaya tha. Halaaki main khud bhi koi jaldbaazi nahi karna chaahta tha. Asal me main chaahta tha ki mere jaanne wale jo is ummid me baithe honge ki jail se baahar aate hi main unke peechhe badle ki bhaavna se lag jaauga unki is ummid par paani fir jaye. Wo yahi samjhe ki bees saal jail me guzaarne ke baad main ab ek aisa insaan ban gaya hu jo apne ateet ko bhool kar kisi gumnaam jagah par shaanti ki zindagi guzaarne laga houga. Halaaki main ye baat daawe ke sath nahi kah sakta tha ki aaj ke time me wo mere bare me kya soch rakhte honge aur rakhte bhi honge ya mujhe bura khwaab samajh kar bhool hi chuke honge. Khair aise hi ek maheena guzar gaya. Main sach me is kaam me itna mashgool ho gaya tha ki mujhe kisi aur cheez ke bare me sochne ka time hi nahi mil raha tha.

Is ek maheene me main dinesh aur uski family se kaafi ghul mil chuka tha. Upar jo miya biwi mere bagal wale kamre me rahte the unse bhi ab meri baat cheet hone lagi thi. Us aadmi ka naam ramesh varma tha aur kahi society me wo security guard ki naukari karta tha. Jane kaise use sharaab ki lat gayi thi jiski vajah se wo sharaab pine laga tha aur usi sharaab ke nashe me wo apni biwi Aarti se ladna jhagadna shuru kar deta tha. Un dono ki ek (**) saal ki bachchi bhi thi.

Ramesh se meri achhi baat cheet hone lagi thi, wo bhi mujhse ghul mil gaya tha. Umar me wo mujhse chhota tha is liye mujhe sammaan deta tha aur bhai sahab kahta tha. Yu to wo bada hi byohaar kushal aadmi tha lekin sharaab pine ke baad uski saari achhaaiya jane kaha gaayab ho jati thi. Main use har roz samjhata tha ki sharaab pina galat baat hai kyoki isse uski hasti khelti zindagi par bura asar pad raha hai. Mere samjhane ka asar ye hua tha ki wo ab har roz pi kar nahi aata tha. Uske is badle huye roop ko dekh kar uski biwi aarti ab thoda khush rahne lagi thi aur usse jhagda nahi karti thi. Wo aksar kahti thi ki uske pati me jo badlaav aaya hai wo meri vajah se hai aur iske liye wo mujhe dhanyawaad bhi deti thi. Apne yaha wo khane pine me jo bhi banaati thi mere liye bhi le kar aa jati thi. Mujhe ye sab achha to nahi lagta tha lekin uski khushi ke liye main kha hi leta tha. Kahne ka matlab ye ki is ek maheene me main sabhi se ghul mil gaya tha.

Sab mujhe sammaan de rahe the aur iske bare me jab bhi main sochta to meri aankhe nam ho jaati thi. Duniya me apna kaun hai aur kaisa hota hai ye jaise main bhool hi gaya tha. Maine khwaab me bhi nahi socha tha ki jail ke baahar aane ke baad ek jagah mujhe aise log bhi milenge jo mujhe apne se lagne lagenge, magar dil me lagi huyi aag mujhe zyada dino tak sukoon se nahi rahne dene wali thi.

✤༺✧༻✤
 
Top