• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,743
354
Well Done Thumbs Up GIF
Awesome Thats Great GIF by Digital Pratik
Well Done Ok GIF by funk
Awesome John Abraham GIF by T-Series
200.gif
Pow Reaction GIF
Very Good High Quality GIF
Awesome Thats Great GIF by Digital Pratik
You Rock Very Good GIF
200.gif
200.gif
200.gif
Art Love GIF by Ka-pow
Shukriya bhai
 
  • Like
Reactions: parkas

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,743
354
Update - 24
____________________







Apna sara samaan le kar main bhi kamre me aa gaya tha. Kamre me andhera to tha hi lekin sath hi ajeeb si gandh bhi bhari huyi thi. Maine khidki ke dono palle khol diye the taaki andar ki gandh baahar nikal jaaye. Kamre ke farsh par dhool thi. Torch ki roshni me maine dekha ki us dhool me kaafi saare pairo ke nishaan bane huye the. Zaahir hai ye nishaan tab bane the jab main pichhli baar yaha aaya tha.

Minakshi abhi bhi behosh thi aur rassiyo me jakdi huyi thi. Use kabhi bhi hosh aa sakta tha ki is liye main chaahta tha ki isse pahle ki use hosh aaye main use kisi dusre kamre me pahucha kar uski kuch is tarah se byawastha kar du taaki wo apni marzi se kuch na kar sake. Main jaanta tha ki peshaab karne aur toilet jane ke liye mujhe uske bandhan kholne hi padenge aur ye mere liye ek nayi magar jatil samasya ho hone wali thi lekin ye bhi sach tha ki use peshaab aur toilet jane ke liye mujhe itna to compromise karna hi padega. Khair main torch le kar kamre se baahar nikal gaya. Bangle me har taraf andhera aur sannata faila hua tha. Meri jagah koi dusra hota to yakeenan dar ke mare uska moot nikal jata.

Kuch hi der me main ek dusre kamre me pahucha. Andar ghuste hi naak me tez gandh bhar gayi jiske chalte maine fauran hi apni naak band kar li. Darwaze ko khol diya maine taaki gandh nikal jaaye. Is kamre me koi khidki nahi thi. Ye ek guest room tha. Kamre me ek normal bed tha jis par danlap ka gadda bichha hua tha. Ye alag baat hai ki us gadde me dhool hi dhool chhapi huyi thi. Maine use bed se nikaal kar palat diya. Dusri taraf dhool to nahi thi lekin gadde se gandh zarur aa rahi thi. Is liye maine use bed se nikaal kar diwaar ke sahaare ek taraf khada kar diya. Bed ke alawa kamre me ek chhota sa table tha aur ek taraf lakdi ka chhota sa drawer rakha hua tha. Baaki pura kamra khaali tha. Kamre ke ek taraf attache bathroom tha. Main gaya aur bathroom ke darwaze ko bhi khol diya. Andar se tez gandh aayi jiske chalte main fauran hi door hat gaya.

Bed ke sirhaane par ek chaadar yu hi tangi huyi thi jise maine uthaya aur usi se kamre ke farsh par faili dhool ko saaf karne laga. Kareeb das minute ki mehnat ke baad kamre ki haalat kaafi had tak thik nazar aane lagi. Darwaza khula hua tha is liye andar ki gandh nikalti ja rahi thi. Main torch liye waapas minakshi ke paas aaya aur use utha kar usi kamre me le aaya jis kamre ko maine saaf kiya tha. Minakshi ko maine bed par leta diya. Uske baad maine rassi wale uske bandhan khol diye. Uske dono hath peechhe ki taraf tape se bandhe huye the aur muh par bhi tape laga hua tha. Main bed par uske bagal se baitha sochne laga ki is jagah par baaki sab to thik hai lekin paani aur bijli ki samasya hai. Bijli ke bina to kaam chal jayega lekin paani ke bina bilkul bhi nahi chalega. Mere zahen me khayaal ubhra ki paani ke liye kuch na kuch jugaad karna hi hoga.

Abhi main ye sab soch hi raha tha ki tabhi bed par padi minakshi ke jism me halchal huyi. Maine gardan ghuma kar uski taraf dekha. Use hosh aa raha tha. Kuch hi palo me usne aankhe khol di. Kamre me torch ki roshni faili huyi thi is liye wo kamre me idhar udhar nazre ghuma kar dekhne lagi. Mujh par nazar padte hi wo halke se chaunki aur fir khud ko bandhano se chhudane ka nakaam prayaas karne lagi.

"Ab se tumhe isi jagah par rahna hai." Maine uski taraf dekhte huye kaha____"Aur tab tak rahna hai jab tak ki tumhari puri kaum ka khaatma nahi ho jata. Main apne har shikaar ko maut dete wakt mobile se uska video banaauga aur fir tumhe dikhaauga. Ummid karta hu ki wo video dekh kar tumhe kaafi achha lagega."

Meri baat sun kar minakshi ne kuch kahne ki koshish ki lekin muh me tape laga hone ki vajah se wo bas goon goon hi kar ke rah gayi. Uske chehre par ghor bebasi ke bhaav ubhar aaye the.

"Ab main tumse tumhari choot maar service ke bare me kuch nahi puchhuga." Maine kaha____"Lekin haan agar kabhi tumhara khud hi batane ka dil kare to beshak bata sakti ho. Khair tumhari jankaari ke liye main ye batana zaruri samajhta hu ki is jagah par bijli aur paani ka naamo nishaan nahi hai. Is liye raat me tumhe andhere me rahna padega aur kyoki paani nahi hai is liye tatti peshaab jaisa kaam yu hi pade pade apne kapdo me hi karna padega. Shuru shuru me tez durgandh ke chalte tumhe bhaari takleef to zarur hogi lekin fir aadat pad jaayegi. Baaki tumhe zinda rakhne ke liye main samay samay par tumhe khane pine ke liye kuch na kuch laata rahuga."

Meri baate sun kar minakshi is baar buri tarah machli. Kadaachit use meri is baat ne buri tarah hila diya tha ki tatti peshaab use apne kapde me hi karna padega. Wo baar baar kuch kahne ki koshish kar rahi thi magar muh me chipke tape ki vajah se kuch kah nahi pa rahi thi. Mere dimaag me ekdam se bijli ki tarah khayaal aaya ki isse behtar torture kya ho sakta hai minakshi ka? Mujhe yakeen tha ki minakshi apne sath is tarah ka torture zyada der tak bardaast nahi kar paayegi. Yaani jaldi hi wo mujhse wo sab kuch batane ke liye guhaar lagane lagegi jo main usse jaanna chaahta hu. Is khayaal ke sath hi main man hi man muskuraya.

"Lagta hai tum mujhse kuch kahna chaahti ho." Maine uske saahas aur himmat par chot karne ke irade se kaha____"Par filhaal mera kuch bhi sunne ka mood nahi hai. Raat aadhe se zyada guzar chuki hai is liye tum araam se so jaao. Mujhe bhi araam karna hai. Subah hone se pahle main is jagah se chala jaauga. Uske baad fir raat me hi tumse milne aauga. Ummid karta hu ki tab tak tum apna achhe se khayaal rakhogi."

Kahne ke sath hi main bed se utha to minakshi ekdam tezi se bed par machalne lagi. Wo puri koshish kar rahi thi bandhano se khud ko chhudane ka magar chhoot nahi pa rahi thi. Kamre ke andar waise bhi garmi thi jiske chalte wo paseena paseena ho gayi thi. Bebas aur ashaay awastha me wo meri taraf dekhte huye machle ja rahi thi. Aankho me yaachna jaise bhaav dikhne lage the mujhe.

"Are ab jane bhi do mujhe." Maine uski taraf dekhte huye kaha____"Aaj bahut mehnat ki hai maine is liye ab ja kar araam karuga. Subah hone se pahle nikalna bhi to hai na mujhe."

Meri in baato se minakshi ki haalat aur bhi buri huyi ja rahi thi. Mujhe laga kahi ye abhi isi wakt na toot jaye. Usne shayad kalpana bhi nahi ki thi ki uske sath achanak se aisa kuch bhi ho jaayega. Us jagah par use laga tha ki wo mere dwara torcher karne par toot nahi sakegi lekin ab yaha aane ke baad aur meri baate sunne ke baad maano use apni sthiti ka achhe se abhaas ho gaya tha. Maine socha ek baar uski baat sun leni chahiye kyoki agar main uski koi baat sune bina hi yaha se chala gaya to sambhav hai ki maare ghabrahat ke uski dhadkane wakt se pahle hi ruk jaaye.

"Achha thik hai." Fir maine uski taraf badhte huye kaha____"Main tumhari baat sun leta hu lekin tumhe promise karna hoga ki mere dwara tumhare mukh se tape hata diye jane par tum chillaogi nahi. Chalo promise karo."

Minakshi meri baat sun kar jaldi jaldi haan me apna sir hilaane lagi. Uski haalat dekh kar main man hi man muskuraya aur fir hath badha kar uske mukh se tape nikaal diya. Tape nikalte hi minakshi gahri gahri saanse lagi.

"Ye...ye kaun si jagah hai?" Fir wo badhawaasi ki haalat me bol padi____"Aur aap mujhe aisi haalat me yaha akele kyo chhod dena chaahte hain?"

"Kya tumhe meri majburi ka zara bhi ehsaas nahi hai?" Maine uski aankho me dekhte huye kaha____"Tumhe sochna chahiye ki main jis raaste me chal raha hu aur jo kaam kar raha hu usme mere liye kitna risk hai. Tumhi ne kaha tha na ki tumhari sanstha ke log pagal kutte ki tarah meri gandh soonghte fir rahe hain to ab tum hi bataao ki mujhe apni safety ke liye sochna chahiye ki nahi?"

"Haan main samajh sakti hu." Minakshi ne kaha____"Lekin mujhe is baat se problem hai ki yaha na to paani ki byawastha aur na hi bijli ki. Upar se aap kah rahe hain ki mujhe tatti peshaab apne kapdo me hi karna hoga. Bhala main ye sab kaise bardaast kar paaugi? Isse to achha yahi hai ki aap mujhe abhi isi wakt khatm kar dijiye."

"Jab tumhara shikaar kiya tha tab mere man me yahi baat thi ki jeewan ki tarah tumhe bhi khatam kar duga." Maine use samjhane wale andaaz se kaha___"Lekin ab maine apna irada badal diya hai. Main bhi ab dekhna chaahta hu ki choot maar service ke member kab tak tootne se khud ko roke rakhte hain?"

"Please aisa mat kijiye." Minakshi maano gidgida uthi____"Main aapke aage hath jodti hu. Kya aapke dil me zara bhi daya bhaav nahi hai?"

"Ye mere daya bhaav ka hi nateeja hai ki tum abhi tak zinda ho." Maine kaha____"Aur maine tumhare sath kuch bhi galat nahi kiya hai. Isse zyada daya bhaav main chaah kar bhi nahi dikha sakta kyoki mera dil khud hi daya bhaav dikhane ke liye raazi nahi hai. Khair ab baate bahut ho gayi, tum araam karo. Kal raat ko mulakaat hogi ab."

"Nahi nahi rukiye please." Minakshi machalte huye ro hi padi____"Mujhe jaan se maar dijiye lekin ye sab mat kijiye. Aisi jillat me main ek pal bhi nahi rah sakti."

"Kamaal hai." Maine kaha____"Choot maar service ki member ho kar itna jaldi dhairya kho diya tumne. Maine to yahi ummid ki thi ki kuch din to durgandh me rah hi logi."

"Nahi hargiz nahi." Minakshi ne inkaar me zor zor se sir hilaate huye kaha____"Apne hi tatti peshaab me san kar main ek pal bhi nahi rah paaugi. Aap mujhse sanstha ka pata jaanna chaahte hain na to thik hai main bataati hu."

"Nahi, mujhe ab tumse kuch bhi nahi jaanna hai." Maine sapaat lahje me kaha____"Maine pura irada kar liya hai tumhe tumhare hi tatti peshaab me dubane ka. Main chaahta hu ki tum us gandagi me kuch din raho aur mahsoos karo ki insaan ki ek aukaat aisi bhi hoti hai."

"Aakhir kyo kar rahe hain aisa?" Minakshi buri tarah fafak kar ro padi____"Maine to aapke sath kuch bhi bura nahi kiya hai, fir kyo mere sath aisa kar rahe hain aap?"

"Tumne suna hoga ki genhu ke sath ghun ko bhi pisna padta hai." Maine kaha____"Kahne ka matlab ye ki tumhare maa baap genhu hain aur tum ghun ho, is liye apne maa baap ke bure karmo ka dand tumhe bhi bhogna padega. Main tumhare baap aur uske dosto ki puri nashl ka is duniya se naamo nishaan mita dena chaahta hu."

"Aakhir itna bada kaun sa apraadh kiya hai mere maa baap ne jiske chalte aap unka aur unke dosto ki puri nashl ko hi mita dena chaahte hain?" Minakshi ne sisakte huye kaha____"Kya sirf is liye ki unme se koi bhi bees saalo me aapse milne jail nahi aaya tha?"

"Agar baat sirf itni hi hoti to main kabhi aisa koi kadam nahi uthata." Maine kaha____"Lekin baat isse kahi zyada badh kar hai. Tumhare baap aur uske dosto ne ek sath mil kar ek saazish rachi thi aur us saazish me mere maa baap ko bali ka bakra banaya tha. Ye sab usi ka parinaam hai dear. Mere badle ki aag tab tak shaant nahi hogi jab tak ki main is puri kaum ka naamo nishaan nahi mita deta."

"Kis tarah ki saazish rachi thi mere dad ne aur unke dosto ne?" Minakshi ne bhaari uljhan se meri taraf dekhte huye puchha tha.
"Is bare me main nahi balki tumhara baap aur uske dost khud tumhe batayenge." Maine kaha____"Ab koi baat nahi. Araam se so jaao. Mujhe bhi apni neend puri karni hai."

"Ek minute ruk jaaiye please." Minakshi ne hadbada kar kaha____"Mujhe bahut zoro ki peshaab lag aayi hai. Please mere bandhan khol dijiye. Main bathroom me ja kar peshaab kar lena chaahti hu. Uske baad aap fir se mujhe bandhano me baandh dena."

"Aadat daal lo dear." Maine uski aankho me dekhte huye kaha____"Ab se tumhe apni hi gandagi me rahna hai. Haan agar tumhe bhookh lagi ho to bataao, mere paas kuch khana bacha hua rakha hai."

"Bhagwan ke liye aisa mat kijiye." Minakshi ne maano minnat karte huye kaha____"Achha sirf ek baar to bathroom me mujhe peshaab kar lene dijiye. Mujhe bhookh bhi lagi hai. Dopahar ke do baje ke kareeb hi khana khaya tha maine."

"Main tumhare hath nahi kholuga." Maine kaha____"Balki tumhara shalwaar aur tumhari penty zarur utaar duga. Uske baad tum bathroom me peshaab karne ja sakti ho."

"Nahi main khud apni shalwaar aur penty utaar lugi." Minakshi ne kaha___"Aap bas mere hatho ke bandhan khol dijiye."
"Yaha tumhari marzi nahi chalegi." Maine sard lahje me kaha____"Yaha wahi hoga jo sirf aur sirf main chaahuga. Agar tumhe manjoor nahi hai to bhaad me jaao. Mujhe koi shauk nahi hai tumhe beparda dekhne ka."

Minakshi ke saamne dusra koi raasta nahi tha is liye aakhir use meri baat maanni hi padi. Maine uski shalwaar aur penty uske jism se nikaal di. Chikni jaangho ke beech bina baalo wali choot par meri nazar padi to ekdam se mere jism me sansani fail gayi. Maine fauran hi apni nazar hata li. Minakshi bed se neeche utri aur bathroom ki taraf jane lagi. Kuch palo ke liye mujhe uski gori aur bhaari gaand dikhi thi lekin fir kurte ne uski gaand ko dhank diya tha. Kareeb do minute baad wo waapas aai aur puri imandaari se bed par chup chaap baith gayi. Maine jaise hi uski penty aur shalwaar ki taraf hath badhaya to wo mana karne lagi ki main use wo kapde na pahnaau. Asal me wo nahi chaahti thi ki next time jab use tatti ya peshaab lage to wo kapdo me hi kar dene par bivas ho jaye. Us haalat me wo us durgandh ko bardaast nahi kar sakti thi magar main bhala kaha uski marzi chalne de sakta tha?

Minakshi ko bhookh lagi thi is liye main apne bag se wo khana le aaya jo mere khane se thoda bach gaya tha. Maine apne hath se hi minakshi ko khana khilaya. Main uske hath nahi kholna chaahta tha kyoki mujhe us par zara bhi bharosa nahi tha. Sanstha me judo karaate ki bhi training di jaati thi to bahut had tak sambhav tha ki hath khule hone par wo mujh par hamla bhi kar sakti thi. Khair khane ke baad maine use bottle ka paani pilaya. Uske baad maine zabardasti uski penty aur shalwaar pahna di. Is beech wo kayi baar kah chuki thi ki wo mujhe sanstha ke head quarter ka pata batana chaahti hai lekin maine jaanne se saaf inkaar kar diya.

Minakshi ke hath to pahle se hi bandhe huye the aur ab maine uske dono pair bhi tape se baandh diye the. Uske baad bhi jab mujhe tasalli na huyi to maine rassi se bhi uske hath pair baandh diye. Is beech wo mujhse raham ki bheekh maagti rahi magar maine zara bhi raham nahi kiya. Uska achhe se intjaam karne ke baad main torch le kar kamre se baahar aa gaya. Baahar se maine kamre ki kundi laga di aur fir apne wale kamre me aa kar bed par let gaya. Mujhe araam aur neend ki shakht zarurat thi. Aaj kaafi thak gaya tha is liye jaldi hi main neend ki aagosh me chala gaya.

[][][][][][]

Subah ka ujala hone se pahle hi meri aankh khul gayi. Main hadbada kar utha. Bag se paani ka bottle le kar main bathroom gaya aur waha par maine hath muh dhoya. Uske baad minakshi ko dekhne ke liye main kamre se nikla. Jaldi hi main kundi khol kar uske kamre me pahuch gaya. Torch ki roshni me maine dekha minakshi bed par soyi padi thi. Uske dono hath peechhe ki taraf waise hi tape se bandhe huye the jaise maine baandha tha. Muh par bhi tape chipka hua tha. Mere man me khayaal ubhra ki is haalat me yakeenan use takleef ho rahi hogi kyoki uska jism akad gaya hoga lekin use is haalat me rakhna meri majboori thi.

Minakshi ko dekhne ke baad main chup chaap waapas kamre se baahar aa gaya aur darwaze ki kundi laga di. Mujhe yaad aaya ki mere paas thode hi paise bache hain is liye main torch le kar seedhiyo se utar kar neeche aaya. Bangle me andhere ke sath sath pahle ki tarah hi sannata faila hua tha. Jaldi hi main apne mata pita ke kamre me pahucha aur fir us kamre me bane tahkhane me. Kuch hi der me main tahkhane ki us jagah par pahuch gaya jaha par pichhli baar maine us khaas keel jaisi cheez ko alke se dabaya tha. Us keel ko dabaya to ek ajeeb si awaaz ke sath gupt tahkhane ka darwaza khul gaya. Main fauran hi uske andar gaya aur box ke neeche se chaabhi nikaal kar box ka taala khola. Box se noto ki do gaddi nikaali aur fir use taala laga kar chaabhi ko box ke neeche rakh diya. Kamre se baahar aa kar maine us keel jaisi dikhne wali button ko dabaya to darwaza fir se band ho gaya.

Apne mata pita ke kamre se nikal kar maine darwaze ko kundi laga kar band kiya aur fir seedhiyo ki taraf badh chala. Saamne ek bada sa dring room tha aur uske aage bangle ka mukhya darwaza tha. Kuch pal ruk kar maine idhar udhar ka jaayja liya aur seedhiyo ki taraf badh chala. Abhi maine seedhiyo par kadam hi rakha tha ki tabhi bangle ke mukhya darwaze par badi ajeeb si awaaz huyi jiske chalte main chaunka aur ruk kar darwaze ki taraf dekhne laga. Meri dhadkane anayaas hi tez ho gayi thi.

Subah ke paanch bajne wale the aur main ye sochne laga tha ki bangle ke mukhya darwaze se ye kaisi awaaz aa rahi thi? Abhi main ye soch hi raha tha ki tabhi aur zyada ajeeb awaaz aane lagi aur agle hi pal main ye dekh kar buri tarah chaunka ki darwaza khulne laga hai. Main darwaze ke khulne par use aankhe faade dekhne laga tha. Man me bijli ki tarah kayi saare sawaal ubhar aaye. Kya ye koi bhutiya chakkar tha jo bangle ka mukhya darwaza apne aap hi khulta chala ja raha tha ya fir iske peechhe koi dusri vajah thi? Mere dekhte hi dekhte mukhya darwaza kareeb aadha khul gaya aur tabhi maine us aadhe khule darwaze ke beecho beech neem andhere me kisi insaani saaye ko darwaze ke pallo ko pakde khada dekha. Palak jhapakte hi maare ghabrahat ke mera bura haal ho gaya. Mujhe itna bhi hosh nahi raha ki main seedhi ke pahle paydaan par khada hu aur darwaze se agar koi insaan andar aaya to uski nazar mujh par pad sakti hai. Us surat me yakeenan mere liye khatra badh jana tha.

Abhi main aankhe faade aur saanso ko roke darwaze ke khule huye us drishya ko dekh hi raha tha ki tabhi wo insaani saaya aage badhte huye andar daakhil hua aur fir palat kar mukhya darwaze ke dono pallo ko pakad kar darwaze ko band karne laga. Main hairaan pareshaan wali haalat me tha aur soche ja raha tha ki aakhir kaun ho sakta hai ye? Itna to main yakeen se kah sakta tha ki wo koi bhoot ya koi aatma jaisi cheez nahi thi. Yaani koi zinda insaan hi tha lekin kaun? Mere man me khayaal ubhra ki kya mujhe uske kareeb ja kar use pakad lena chahiye aur fir usse puchhna chahiye ki wo kaun hai? Mujhe apna ye khayaal sahi to laga lekin agle hi pal main ye sochne laga ki pahle mujhe dekhna chahiye ki mere pita ke ujaad pade bangle me ye rahasyamayi insaan karne kya aaya hai? Is khayaal ke sath hi main badi sawdhani se seedhiyo ke paas hi ek jagah ja kar chhip gaya.

Mukhya darwaza kyoki band ho chuka tha is liye wo insaani saaya ab mujhe dikhaayi dena band ho gaya tha lekin haan uski kaali aakriti ka abhaas zarur ho raha tha. Meri nazre usi par jami huyi thi. Tabhi main chaunka kyoki us insaani saaye ne hawa me koi diya jalaya tha jiski vajah se andar bangle me madhyam prakash fail gaya tha aur us prakash ke hote hi maine dekha ki wo insaani saaya asal me koi aurat thi. Mere liye ye bade hi ashcharya ki baat thi ki bees saal se ujaad pade is bangle me koi zinda aurat itni himmat juta kar yu akele me kya karne aayi hai? Mere man me us aurat ke bare me jaanne ki utsukta teevra ho gayi. Mujhe uski peeth dikh rahi thi jis par us aurat ke khule huye baalo ka aadhe se zyada hissa pada hua tha. Baaki uske jism par dark brown colour ka kurta shalwaar tha. Uske hath me shayad koi mombatti thi jise ek hath me liye wo ek jagah khadi thi aur idhar udhar nazre ghuma rahi thi. Meri dhadkane uski maujoodgi ki wajah se kabhi tham ja rahi thi to kabhi tez ho ja rahi thi.

Kuch der tak wo mombatti ke madhyam prakash me idhar udhar dekhti rahi uske baad wo mere mata pita ke kamre ki taraf badh chali. Mere zahen me bijli ki khayaal ubhra ki ye mere mata pita ke kamre ki taraf kyo ja rahi hai? Kya use tahkhane ke bare me pata hai? Kya wo tahkhane me jane ke liye hi yaha aayi hai magar tahkhane me aakhir use milega hi kya?

Main to achhi tarah jaanta tha ki tahkhane me uske matlab ki koi cheez nahi thi, kyoki jo cheez pahle maujood thi use mere pita ke dosto ne pahle hi nikaal liya tha to fir ye unke kamre me kyo ja rahi hai? Achanak mere zahen me khayaal ubhra ki kya use tahkhane ke us gupt kamre ke bare me pata hoga jisme wo do box rakhe huye hain? Nahi nahi, bhala use us gupt kamre ke bare me kaise pata ho sakta hai? Jab mere pita ke dosto ko aaj tak pata nahi chal paya to is aurat ko kaise is baat ka bhaan ho sakta hai tahkhane ke andar hi koi gupt kamra bhi ho sakta hai?

Main soche ja raha aur wo kuch hi der me mere mata pita ke kamre ke paas pahuch gayi. Main seedhiyo ke paas hi chhupa us par nazre jamaye huye tha. Darwaze ke kareeb pahuch kar wo ruki aur pata nahi kya dekhne lagi. Kuch hi palo me wo palat gayi. Usne darwaze ko hath bhi nahi lagaya tha aur ye mere liye maano chakit kar dene wali baat thi kyoki darwaze par uske dwara hath tak na lagaye jane ka matlab tha ki uske bare me meri saari shankaye byarth hi thi. Main sochne laga ki agar wo tahkhane me jane ke liye mere mata pita ke kamre me nahi jane wali hai to fir uske yaha aane ka maksad kya hai?

Maine dekha ki hath me mombatti liye wo ek dusre kamre ki taraf badhne lagi thi. Main apni dhaad dhaad bajti dhadkano ko kaabu karne ka prayaas karte huye use hi dekhe ja raha tha. Kuch hi der me wo dusre kamre ke darwaze ke paas pahuch gayi. Kuch palo tak jane wo kya dekhti rahi uske baad wo bina darwaze ko hath lagaye palti, is beech uske us taraf chale jane se main seedhiyo par badi sawdhani se chadhte huye upar aa gaya tha. Maine dekha ki agle kuch hi samay me usne neeche ke saare kamre ke darwazo ko check kar liya aur ab wo seedhiyo ki taraf badh rahi thi. Use seedhiyo ki taraf aata dekh main chaunka. Ekdam se mere zahen me visfot hua ki kahi wo koi aisi cheez to nahi khoj rahi jo mujhse sambandhit ho? Maine kal hi minakshi ka kidnap kiya tha aur ab wo mere kabje me thi to kahi ye aurat usi ke chakkar me to nahi yaha aayi hai? Mujhe apna ye khayaal uchit laga is liye ekdam se mere jabde shakht ho gaye. Iska matlab ye aurat minakshi ke pariwar me se hi koi hai lekin sabse bada sawaal ye tha ki use ye kaise andesa ho sakta hai ki minakshi ko main is bangle me le ke aaya hounga?

Wo aurat seedhiya chadhti huyi upar hi chali aa rahi thi aur main faisla nahi kar pa raha tha ki aisi situation me mujhe kya karna chahiye? Kya is aurat ko bhi mujhe minakshi ki tarah dhar lena chahiye? Maine dekha wo aurat bilkul upar aa gayi thi. Main fauran hi palat kar apne wale kamre me sawdhaani se daakhil ho gaya aur darwaze ko bas utna hi khula rakha taaki uski jhiri se main us aurat ki gati vidhi par nazar rakh saku. Ek ek pal mere liye maano sadiyo ke jaisa lag raha tha aur in ek ek palo me meri haalat ajeeb si huyi ja rahi thi.

Kareeb paanch minute baad maine darwaze ke baahar paida ho gaye halke prakash ko dekha. Main samajh gaya ki wo mere kamre ki taraf hi aa rahi hai. Darwaze ki jhiri se main saanse roke usi ke aana ka intzaar kar raha tha. Maine soch liya tha ki ab us aurat ko bhi main minakshi ki tarah hi yaha kaid kar luga. Kuch hi palo me maine dekha ki jhiri se dikhne wala prakash ab pahle se tez ho gaya hai. Yaani wo aurat mere kamre ke kareeb pahuchne hi wali thi. Na chaahte huye bhi meri dhadkane mere kaabu se baahar huyi ja rahi thi aur ghabrahat ke chalte mera chehra paseene se tarbatar ho gaya tha. Tabhi us aurat ke aane ka mujhe abhaas hua. Darwaze ki jhiri se mujhe sabse pahle us aurat ke hath me jalti huyi mombatti dikhi aur fir agle hi pal mombatti ke prakash me nahaayi huyi wo aurat nazar aayi. Jaise hi meri nazar darwaze ki jhiri se aur mombatti ke prakash me chamakte us aurat ke chehre par padi to meri aankhe ekdam se sikud gayi aur agle kuch hi palo me main buri tarah chaunka. Zahen me badi tezi se ek visfot hua aur sath hi bijli ki tarah ye khayaal ubhra ki ye yaha kaise?

✤༺༻✤
Update - 25
____________________






Darwaze ki jhiri se main jis aurat ko dekh kar chaunka tha uske raat ke is wakt yaha hone ki main kalpana bhi nahi kar sakta tha. Mujhe apni aankho par yakeen nahi ho raha tha. Dil ki dhadkane kuch der ke liye maano tham hi gayi thi. Aankho ke saamne guzre huye ateet ke na jane kitne hi manzar ekdam se fast farword hote chale ja rahe the. Tabhi ekdam se main chaunka kyoki darwaze ko us aurat dwara meri taraf dhakela gaya tha. Hakikat ki duniya me aate hi mere zahen me bijli ki tarah ek khayaal ubhra jis par main muskura utha. Ab mujhe us aurat se gharane ki ya chhupne ki zarurat nahi thi balki ab to main khud hi uska tahe dil se stakbaal karna chaahta tha. Jhapat kar use apne gale se laga lena chaahta tha.

Us aurat ne darwaze ko meri taraf push kiya to main ek jhatke se darwaze se hat gaya aur andar kamre ki taraf aa kar khada ho gaya. Dil ki dhadkane ekdam se tez ho gayi thi aur sath hi samuche jism me ek meethe ehsaas ki tarange daudne lagi thi. Maine dekha darwaza halke se khula aur mombatti ka prakash andar kamre me failne laga. Kuch hi palo me wo aurat darwaze ke andar daakhil huyi. Mujhe aisa laga jaise mera koi khwaab hahikat me badal gaya ho. Mombatti ka prakash ab pure kamre me fail gaya tha aur ham dono hi ek dusre ko achhi tarah dekh sakte the. Uski nazar jaise hi mujh par padi to wo apni jagah par kisi but ki tarah khadi rah gayi. Ektak meri taraf dekhte huye sahsa uski aankho me aansu tairte huye nazar aaye aur fir ekdam se jaise uske sabra ka baandh toot gaya. Mombatti liye wo tezi se meri taraf badhi aur ek jhatke se mujhse lipat gayi. Uske lipatte hi mujhe aisa karaar aaya ki bas kaleje ko thandak hi pad gayi.

"Mujhe pata tha tum mujhe yahi miloge." Usne mujhse lipte huye hi dukhi bhaav se kaha____"Isi liye to tumhe khojne kahi aur gayi hi nahi. Hotel se nikli to seedha yahi aayi hu. Mera dil kahta tha ki tum mujhe yahi miloge."

"Mombatti bujha do maya." Maine use khud se alag karte huye dheeme swar me kaha____"Is kamre ki khidki se iska prakash baahar ja raha hai aur aise me kisi ki bhi nazar pad sakti hai."

Meri baat sun kar maya ne fauran hi foonk maar kar mombatti ko bujha diya. Mombatti ke bujhte hi kamre me andhera chha gaya. Ab ham dono ki sirf aakriti hi dikh rahi thi.

"Ye kya haalat bana li hai tumne apni?" Maya ne mere chehre ki nakli daadhi moonchh ko tatolte huye kaha____"Kyo aisi raah par chal pade ho jiska anjaam behad hi khatarnaak hai?"

"Ye sab chhodo maya." Maine use uske kandho se pakad kar kaha____"Aur apne bare me bataao. Kya abhi bhi tum usi sanstha se judi huyi ho?"

"Us sanstha ko to bees saal pahle hi maine alvida kah diya tha vikram." Maya ne gahri saans le kar kaha____"Jab mujhe ye pata chala ki tumhe tumhare hi mata pita ka katl kar dene ke jurm me police ne giraftaar kar liya hai aur fir kuch din baad court ne tumhe umar kaid ki saza suna di to is khabar se main ekdam se toot gayi. Mujhe yakeen hi nahi ho raha tha ki aisa bhi kuch ho jaayega magar sach to yahi tha. Main achhi tarah jaanti thi ki tumne apne mata pita ka katl nahi kiya hai balki tumhe kisi saazish ke tahat bahut hi bure tarike se fansaya gaya hai lekin sach jaanne ke baad bhi main tumhare liye kuch bhi nahi kar sakti thi. Jeewan me bahut dukh takleefe aur bahut sangharsh jhela tha maine lekin tumse milne ke baad zindagi se jaise lagaav sa ho gaya tha mujhe. Jaldi hi ehsaas ho gaya tha mujhe ki mere dil ne tumse aisi mohabbat kar li hai jo chaah kar bhi apne andar se us mohabbat ke khubsurat ehsaas ko nikaal nahi sakta hai. Ham chori chhipe milne lage lekin ham jis sanstha se talluk rakhte the usme hamare is rishte ka koi matlab nahi tha. Badi mushkil se apne dil par patthar rakh kar tumhe khud se juda kiya tha lekin jab maine tumhare bare me wo sab suna to dil tadap gaya. Akele me ye soch soch kar roti thi ki shayad ye sab meri aur meri mohabbat ki vajah se hua hai. Man bahut dukhi ho gaya tha. Sanstha se nafrat ho gayi magar sanstha se bhaag kar bhala kaha jaati? Kuch din aise hi guzre lekin ek din achanak mujhe jeene ki ek ummid mil gayi. Us ummid ko maine bilkul bhi nazarandaaz nahi kiya. Sanstha me rahte huye itne paise to jama kar hi liye the ki us ummid ke base par ek alag hi duniya basa lu. Bas, ek din is shahar se hi kya balki is desh se hi gaayab ho gayi."

"Ye kya kah rahi ho tum?" Main uski baate sun kar hairaan to tha hi lekin aakhiri baat sun kar chaunk bhi gaya tha, bola____"Tum is desh ko hi chhod kar chali gayi thi lekin ye kaise sambhav kar liya tha tumne?"

"Kisi cheez ko shiddat se chaaho to kya nahi ho sakta mere bhole sanam." Maya ne mere chehre ko halke se sahlaya____"Tumhare jane ke baad sach me jeene ki koi tamanna nahi rah gayi thi. Tumhari barbaadi ke liye khud ko hi jimmedaar maan rahi thi main. Fir ek din jo ummid mujhe nazar aayi thi uske liye mujh me ek nayi jaan aa gayi aur maine har kisi se bagawat karne ka soch liya. Ye alag baat hai ki upar wale ne meri raah me mushkile nahi paida ki."

"Aakhir kis ummid ki baat kar rahi ho tum?" Maine sochne wale bhaav se puchha____"Jiske liye tumne sanstha ko alvida kah kar ye desh hi chhod diya tha?"

"Us ummid ke bare me sunoge to khushi se pagal ho jaaoge." Maya ne ye kaha to meri dhadkane anjaani ashanka se tez ho gayi. Zahen me tarah tarah ke khayaal ubharne lage the lekin kuch samajh na aaya balki buri tarah ulajh kar rah gaya.

"Kaash ye zindagi mujhe pagal hi kar deti maya." Fir maine feeki si muskaan ke sath kaha____"Kam se kam apne dilo dimaag me kisi tarah ka bojh aur kisi tarah ki peeda liye to na ghoomta. Apno ko khoya to pagal na hua. Apno ko khone ka ilzaam laga to pagal na hua. Bees saal jail me rah kar jane kaisi kaisi yaatnaye sahi tab bhi pagal na hua aur aaj tum mili to is khushi me bhi pagal nahi hua. Kya isse bhi badi koi baat ho sakti hai jo mujhe pagal kar degi?"

"Tum dard me pagal nahi huye to kya hua vikram." Maya ne ajeeb bhaav se kaha____"Lekin mujhe yakeen ki tum khushi me zarur pagal ho jaaoge."

"To der kis baat ki hai maya?" Maine majbuti se uske kandho ko pakad kar kaha____"Tum mujhe wo khushi bataao jisse ki main pagal ho jaau. Yakeen maano, main sach me pagal ho jana chaahta hu. Ye dukh dard aur apni zinda laash ka bojh mujhse ab nahi uthaya jata."

"Aisa mat kaho mere sanam." Maya ne kheech kar mujhe khud se chhupka liya. Barsho baad koi apna mila tha jisne mujhe itni mohabbat se apne seene se lagaya tha. Meri aankho ke aansuo ne meri aankho se bagawat kar ke bah jane me zara bhi deri nahi ki.

Maya, ek maa ki tarah mujhe pyar se dulaar rahi thi. Wo ekdam shaant thi aur mujhe rone se bilkul bhi mana nahi kar rahi thi. Shayad wo chaahti thi ki mere andar se barsho ka jama hua ye dard roopi gubaar nikal jaaye aur main fir se ek majboot insaan ban jaau. Kafi der tak main uske seene se laga rota raha. Uske baad main usse alag hua.

"Mujhe lagta hai ki ye sahi jagah nahi hai baate karne ki." Maya ne kaha____"Aur is jagah par rahna bhi safe nahi hai. Is liye hame yaha se nikalna chahiye."
"Par mere paas iske alawa filhaal koi aisi jagah nahi hai." Maine kaha____"Jaha main safety se rah saku."

"Uski chinta tum mat karo." Maya ne mere chehre ko fir pyar se sahlaya____"Yaha aaj bhi meri pahchaan ke kuch log hain jo hamari thodi bahut to help kar hi sakte hain."

"Main is bangle ko bechna chaahta hu maya." Maine kuch sochte huye kaha____"Aur badle me door kahi koi aisi jagah lena chaahta hu jaha safety se tumhare sath rah saku."

"Main bhi ab tumhare hi sath apni baaki ki zindagi bitana chaahti hu vikram." Maya ne adheerta se kaha____"Ek aisi zindagi jo khushiyo ke rango se bhari ho. Main jaanti hu ki tumne in bees saalo me bahut kuch saha hai is liye main apne pyar se tumhare har dukh dard door kar dena chaahti hu."

"Ye tab tak sambhav nahi hai maya." Maine sahsa shakht bhaav se kaha____"Jab tak ki mera ek ek dushman mere dwara khaak me nahi mil diya jata aur jis sanstha ne meri barbaadi ki shuruaat ki thi uska namo nishaan nahi mita deta."

"Main tumhe is sabke liye bilkul bhi nahi rokugi vikram." Maya ne mere chehre ko apni hatheliyo me le kar kaha____"Kyoki main achhi tarah jaanti aur samajhti hu ki is sabke khatm ho jane ke baad hi tumhe shaanti milegi aur tum kisi dusri cheez ke bare me soch paaoge. Is liye beshak tum un sabse apna badla lo lekin dhyaan rahe ye raah aisi hai jaha har kadam par bhayanak khatra hai jiske liye tumhe bahut hi zyada samhal kar chalna hoga."

"Haan main jaanta hu." Maine kaha____"Abhi tak to main akela tha lekin ab tum bhi mere sath ho. Tum mera har kadam par sath dogi na maya?"

"Kya ye batane ki zarurat hai mujhe?" Maya ne kaha____"Tumhari ye maya ab sirf tumhare sath hi jiyegi aur maregi mere sanam. Judaayi ka zahar bahut pi liya maine. Ab kisi bhi keemat par tumse door nahi rahugi. Fir bhale hi iska chaahe jo bhi anjaam ho. Tumhe pata hai main saat samundar paar rahte huye bhi tumhari khabar rakhti thi. Jab mujhe pata chala ki tum jail se chhoot gaye ho to meri khushi ka koi thikana nahi raha. Bees saal to kisi tarah guzar hi gaye lekin ab ek ek pal bhi guzaarna mere liye mushkil ho gaya tha. Is liye main fauran hi waha se chali aayi. Yaha aayi to akhbaar ke dwara pata chala ki jeewan saini ki kisi ne hatya kar di hai aur police ko uske hatyare ki talash hai. Main samajh gayi ki jeewan ko maut ke ghaat utaarne wala tumhare alawa dusra koi ho hi nahi sakta. Achanak hi main ye sab soch kar ghabra uthi thi ki jis raah me tum chal pade ho kahi kisi din uske liye tumhe koi bhayanak anjaam na bhugatna pad jaye. Main tumhe fir se nahi khona chahti thi. Samajh me nahi aa raha tha ki itne bade shahar me tumhe kaha dhoondhu? Fir dil ne kaha ek baar mujhe tumhare apne ghar jana chahiye. Kya pata tum mujhe wahi mil jaao. Is bangle ke bare me main pata karti rahti thi is liye mujhe pata tha ki ye aaj bhi apne waarish ke aane ka intzaar kar raha hai. Khair chhodo ye sab baate aur chalo yaha se. Yaha rahna thik nahi hai."

Maya ne kaha aur apne chhote se parsh se apna mobile nikaal kar usme se kisi ko phone lagaya. Jald hi call recieve ki gayi. Maya ki baato se pata chala ki wo kisi Anita naam ki ladki ya aurat se baat kar rahi hai. Anita se usne bataya ki wo India me hai aur use rahne ke liye koi aisi jagah chahiye jo uske liye safe ho. Udhar se Anita ne usse kuch kaha jis par Maya ne khush ho kar use thank you kaha aur fir call cut kar diya.

"Jaan." Fir usne mujhse kaha____"Hame fauran yaha se karol bagh chalna hoga. Meri friend Anita ne bataya hai ki uska waha par ek flat khaali pada hua hai jiski chaabi wahi rakhe kisi gamle ke neeche rakhi hai."

"Ye sab to thik hai." Maine kaha____"Lekin ek problem hai. Siraj patel ki beti minakshi bhi hai mere sath jiska maine kidnap kar rakha hai."
"Kya???" Maya buri tarah chaunki____"Kab se hai wo tumhare sath aur kaha hai wo?"

"Aaj shaam ko hi kidnap kiya tha use." Maine kaha____"Is bangle ke hi ek kamre me baandh ke rakha hai use. Halaat hi aise bane ki use apne sath hi laana pad gaya aur ab to wo tab tak mere sath hi rahegi jab tak ki uski puri kaum ka main khaatma nahi kar deta."

"Use sath me rakhne ki kya zarurat thi tumhe?" Maya ne chintit lahje me kaha____"Aise me to har wakt tumhare liye ek khatra bana rahega. Use khatm kar ke jeewan ki hi tarah kahi fenk dena tha tumhe."

"Ye sab chhodo." Maine kaha____"Jo nahi hua use bhool jaao. Abhi agar ham yaha se kahi aur ja rahe hain to use bhi apne sath hi le jana padega warna uske liye hame waapas yaha aana padega."

Meri baat kyoki kadwa sach thi is liye maya ko bhi yahi sahi laga ki use bhi apne sath hi le chalna chahiye. Uske baad ham dono fauran hi kaam par lag gaye. Bangle ke darwaze se kyoki maya khud aayi thi is liye wo lock nahi tha. Khidki se minakshi ko rassiyo ke sahare fir se utaarna mushkil kaam tha is liye hamne faisla kiya ki use mukhya darwaze se hi le jaayege.

Minakshi ko chloroform sungha kar maine use fir se behosh kar diya. Uske baad use kandhe par laad kar main aur maya neeche aa gaye. Maya ne mukhya darwaze ko sawdhaani se khola aur khud hi pahle baahar nikal gayi taaki baahar ka muaayna kar sake. Uski taraf se green signal milne ke baad main bhi jaldi se baahar aa gaya. Meri taxi gali ke ek mod par khadi thi is liye main fauran hi us taraf badhta chala gaya. Dar bhi lag raha tha ki kahi koi dekh na le. Raat ke wakt yu to saara shahar soya pada tha lekin durbhaagya kabhi bhi kisi ko bata kar nahi aata. Khair jaldi hi main taxi ke paas pahuch gaya. Lock khol kar maine pichhla darwaza khola aur minakshi ko pichhli sheet par leta diya. Uske baad main fauran hi driving sheet par aaya. Kuch hi der me maya bhi aa kar mere bagal wali sheet par baith gayi. Uske baithte hi maine taxi ko ghuma kar sadak pad dauda diya.

Raaste me main aur maya baate karte huye ja rahe the. Wo baar baar mera chehra dekh rahi thi jis par maine use bataya ki maine makeup kiya hua hai isi liye saath saal ka buddha nazar aa raha hu. Meri is baat par maya halke se hasne lagi thi. Kareeb aadhe ghante baad ham karol bagh ki us jagah par pahuche jaha par maya ki friend anita ka flat tha. Taxi se utar kar ham dono hi upar aaye. Maya wahi rakhe kayi saare gamlo ko ek ek kar ke uthaate huye chaabi khojne lagi. Jaldi hi use ek gamle ke neeche chaabi mil gayi. Chaabi milte hi main jaldi se neeche taxi ke paas aaya aur minakshi ko pichhli sheet se nikaal kar flat me le aaya. Maya tab tak flat ka darwaza khol kar andar ja chuki thi. Main fauran hi minakshi ko liye andar aaya aur use wahi ek sofe par leta diya. Ek baar fir se main neeche taxi ke paas aaya aur apna samaan le kar taxi ko lock kiya aur fir upar flat me aa gaya.

Maya ki friend anita ke flat me do kamre, ek kitchen, do bathroom, ek chhota sa dring room aur ek dining hall tha. Ek kamre me kuch tasveere lagi huyi thi. Maya ne bataya ki wo tasveere uski friend anita ki hi hain. Maya ke anusaar Anita kabhi ek call girl hua karti thi. Kuch samay baad usne wo kaam chhod diya aur high profile jagah se door delhi me aa kar rahne lagi. Usne kaafi paisa jod rakha tha is liye usne apne liye ek ghar khareed liya. Uske sath uski ek apaahiz maa bhi thi. Apne guzar basar ke liye wo ek jagah beauty parlour me kaam karne lagi. Kareeb saal bhar baad usne apna khud ka ek beauty parlour khol liya. Usi samay maya se uski mulakaat huyi thi. Dhire dhire dono ke beech dosti ho gayi. Samay pankh lagaye udta raha. Kuch samay baad usne ek aadmi se shadi kar li. Aaj Anita apni shadi shuda zindagi se khush hai, uske bachche hain aur aaj bhi uska beauty parlour chalta hai jo ki ab kaafi bada hai jisme usne kayi saari ladkiyo ko kaam par rakha hua hai. Anita se aksar maya ki phone par baate hoti thi. Na Anita ne maya se apne bare me kabhi kuch chhupaya tha aur na hi maya ne. Dono ka ek kaala sach tha jise dono hi kabhi yaad nahi karna chaahti thi.

Minakshi ko ek kamre me shift kar ke maine baahar se darwaze ko kundi laga band kar diya. Maine dekha maya kitchen me thi, waha wo ham dono ke liye chaay bana rahi thi. Light ke prakash me main maya ko ab achhe tarike se dekh sakta tha. Umar ka asar beshak tha lekin aaj bhi wo bala ki khubsurat dikhti thi. Uske jism me kahi par bhi extra charbi nahi dikh rahi thi. Aisa lagta tha jaise usne khud ke jism ko achhi tarah se maintain kar rakha tha. Mujhe nahi pata ki usne videsh me rahte huye itne saal kis tarah se guzaare honge lekin itna zarur yakeen tha mujhe ki sanstha ko alvida kahne ke baad usne kabhi koi galat kaam nahi kiya hoga. Main usse dher saari baate karna chaahta tha. Use ji bhar ke dekhna chaahta tha aur use apne seene se laga kar use achhe se mahsoos karna chaahta tha.

Apna makeup utaar lene ke baad main seedha bathroom me ghus gaya tha. Aaj itni mehnat ki thi maine ki pura badan toot raha tha. Thande paani se khoob ragad ragad kar nahaya to kaafi behtar mahsoos hua. Naha kar jab main towel lapete baahar aaya to kamre me maya ko bed par baithe paaya. Wo tray me chaay ke do cup rakhe mera hi intzaar kar rahi thi.

"Ab lag rahe ho bilkul mere sona babu ki tarah." Maya ne muskurate huye kaha____"Pahle to bilkul saath saal ke buddhe bane huye the."

"C.M.S. jaisi sanstha ne ek kaam achha bhi sikhaya mujhe." Maine bed par maya ke saamne baithte huye kaha____"Makeup kar ke apne huliye ko aisa bana lena jisse koi asaani se pahchaan hi na sake. Sochta hu ki agar ye sab na seekha hota to shayad aaj mujhe khud ko chhupaye rakhne me badi mushkil ho jaati."

"Sahi kaha." Maya ne tray ko meri taraf badhate huye kaha____"Lekin iska matlab ye nahi hai ki iske liye tumhe us ghatiya sanstha ko shukriya kahna pade. Zaahir hai agar us sanstha se judte nahi to ye saare fasaad bhi nahi hote."

"Haan ye to hai." Maine tray se chaay ka cup uthate huye kaha____"Lekin us ghatiya sanstha ko ek baat ke liye to shukriya zarur kahuga."
"Kis baat ke liye?" Maya ke maathe par silwate ubhar aayi thi.

"Is baat ke liye ki usi ghatiya sanstha me mujhe tum mili thi." Maine maya ke khubsurat chehre ki taraf dekhte huye kaha____"Jisne sabse pahle to mujhe ek mukammal mard banaya aur fir mujhe apna diwana bhi banaya."

"Haan sahi kaha." Maya jaise kahi kho si gayi____"Is maamle me hame us ghatiya sanstha ko shukriya kahna hi padega. Jane kaha se dhoondh kar wo tumhe waha le aayi thi aur fir tumhe mere hawale kar diya tha. Tumhe jab main trained kar rahi thi tabhi samajh gayi thi ki tum sabse alag ho aur sabse khaas bhi ho. Uske baad sab kuch kaise badal gaya aaj tak samajh nahi paayi, siwaay is baat ke ki main tumse be-inteha pyar karti hu."

Ham dono ne baate karte huye chaay khatm ki. Maya apna aur mera cup tray me rakh kar kamre se chali gayi. Uske jane ke baad maine wahi kapde pahan liye jo iske pahle pahne huye tha. Kapde pahanne ke baad main kamre se nikal kar dring room me aa kar sofe par baith gaya.

"Kya hua?" Maya kitchen se baahar aayi aur mujhe dring room me ek sofe par baithe dekha to boli____"Tum yaha kyo aa gaye? Sona nahi hai kya?"

"Haan sona hai na." Maine uski taraf dekhte huye kaha____"Ek kaam karo tum kamre me bed par so jaao. Main yahi sofe par so jata hu."

"Aur aisa kis khushi me bhala?" Maya ne apne dono hatho ko apni kamar me rakhte huye kaha____"Kya tum ye sochte ho ki tumhare sath ek hi bed par sone se mujhe etraaz ho sakta hai?"

"Nahi aisi to koi baat nahi hai." Maine hadbada kar kaha____"main to bas aise hi kah raha hu."
"Chup chaap kamre me chalo." Maya ne maano pure adhikaar se mujhe hukum diya____"Mujhe tumhare sath ek hi bed par tumse chipak kar sona hai. Utni door se main yaha is liye nahi aayi hu ki tum mujhse door yu sofe me let kar so jaao. Ya fir tum ye samajhte ho ki main tumhare laayak nahi hu?"

"Khabardaar, agar aisi bakwas dubara ki to." Main sofe se ek jhatke me khada ho kar bol pada____"Tum kya ho mere liye ye sirf mera dil jaanta hai. Tum nahi jaanti ki tumhe yaha dekh kar mujhe kitni khushi ho rahi hai. Main to khud ko ujda hua wo chaman samajhne laga tha jiski dahleez par kabhi koi bahaar aa hi nahi sakti thi. Aaj barsho baad aisa mahsoos kar raha hu ki mera bhi is jaalim duniya me koi apna hai."

Meri baat sun kar maya bhaag kar mere paas aayi aur jhat se mujhe apne seene se laga liya. Uski siskiya nikalne lagi thi. Mujhe is tarah jakad liya tha usne jaise ab kabhi bhi mujhe chhodne ka uska irada nahi tha. Khair kuch hi der me ham dono ek sath hi kamre me aa gaye. Raat kaafi guzar gayi thi is liye kuch hi der me ham dono ek dusre se chipak kar so gaye. Aaj ki ye raat mere liye bahut hi khubsurat thi aur bahut hi khubsurat ehsaas kara rahi thi. Aaj barsho baad aisi sukoon bhari neend aayi ki main dua karne laga ki ab kabhi koi sahar na ho.

✤༺༻✤
 
Top