• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
Ab agar in sabke pure pariwar khatm nahi huye, inka vansh aage badhane wala koi bach gaya to badla adhura hi rah jayega.

Aur ek baat.... Badla katl karke hi nahi liya ja sakta, unki jindgi ko atmhatya ke mod par lejakar bhi liya ja sakta hai...
"wo sabkuchh chheen lo unse jisko hasil karne ke liye wo jindgi bhar sahi-galat sabkuchh karte rahe... Daulat, izzat, pariwar

Agle update ka besabri se intzar hai
Socha to maine bhi yahi hai lekin fir ye socha ki agar badle ki aag me andhe ho kar vikram ke dwara unke family members ko bhi maar diya gaya to kya ye uchit hoga? Log sawaal karenge ki vikram ke mata pita ke sath to shayad Sanjay and uske baaki dosto ne bura kiya tha to badla bhi unhi se lena chahiye, family ke baaki logo ne to kuch na kiya tha fir unko maar kar vikram ne bhi galat hi kiya. Well dekhte hain kya hota hai :?:
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,531
34,460
219
Socha to maine bhi yahi hai lekin fir ye socha ki agar badle ki aag me andhe ho kar vikram ke dwara unke family members ko bhi maar diya gaya to kya ye uchit hoga? Log sawaal karenge ki vikram ke mata pita ke sath to shayad Sanjay and uske baaki dosto ne bura kiya tha to badla bhi unhi se lena chahiye, family ke baaki logo ne to kuch na kiya tha fir unko maar kar vikram ne bhi galat hi kiya. Well dekhte hain kya hota hai :?:
Ap kuchh bhi likho to bhi sab galtiya hi dhudhenge
Aur
Kuchh na likho, tab bhi

Galati pariwar ki Nahi, lekin badla bhi to pariwar hi lega.... Aage chalkar

Jaise vikram
Galat uske maa-baap bhi the.... Lekin use badla har haal me lena hai

Think logically.
Not socially
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
Update - 13
____________________





Us waqt shaam ke aath baj rahe the jab main Delhi ke Dwarka sector-18 me ek jagah auto se utra tha. Auto wala to chala gaya tha lekin main kuch der tak wahi par khada aas paas ka jaayja le raha tha. Pichhli din jab main yaha aaya tha to main ek ek kar ke apne pita ke sabhi dosto ke ashiyane khoj kar dekh liye the. Un sab ke thikane khojne me mujhe yaha zyada samasya nahi aayi thi kyoki unke bare me zyadatar log jaante the. Unke thikaano ke sath sath mujhe unke kaam dhandhe yaani business ka bhi pata chal chuka tha jo ki sabne alag alag jagaho par apna bakaayda office bana rakha tha. Pichhli baar ki bhaaga daudi me maine yahi sab pata kiya tha ki unme se kaun kis waqt kaha par aata jata hai.

(Dosto, yaha par main apne parents aur apne dosto ke sath sath unke parents ka ek baar fir se parichay dena uchit samajhta hu)

* Awdhesh Pratap Singh (Mere Pita/Dead)
* Madhuri Singh (Meri Maa/Dead)
Main apne mata pita ki iklauti aulaad hu. Naam to aap sab jaante hi hain mera, fir bhi bata deta hu...mera naam Vikram Singh hai.

Mere dost aur unke parents...

(01) Sanjay Bhatiya (Ranjan ke pita)
* Keerti Bhatiya (Ranjan ki maa)
* Komal Bhatiya (Ranjan Ki chhoti bahan)

(02) Siraj Patel (Tarun ke pita)
* Saumya Patel ( Tarun ki maa)
* Sakshi Patel (Tarun ki judwa bahan)
* Minakshi Patel (Tarun ki chhoti bahan)

(03) Jeewan Saini (Shekhar ke pita)
* Garima Saini (Shekhar ki maa)
* Deepti Saini (Shekhar ki bahan)
* Gaurav Saini (Shekhar ka chhota bhai)
Deepti aur gaurav dono twins hain.

(04) Gulfam Ali (Zafar ke pita)
* Sadia Begam (Zafar ki maa)
* Neelofer Begam (Zafar ki dusri maa)
* Nadia Ali (Zafar ki bahan)
* Nazia Ali (Zafar ki biwi)
* Rabia Ali (Zafar ki sauteli bahan)
* Sofia Ali (Zafar ki suteli bahan)
* Gulnaaz Ali (Zafar ki sauteli bahan)

Zafar ke pita ko aur bhi bete chahiye the lekin Sadia ki bachchedani kharab ho jane ki vajah se gulfam Ali ne dusra niqaah neelofer se kiya. Neelofer ke dwara gulfam ko sirf teen betiya hi paida huyi. Uske baad koi aulaad huyi hi nahi. Gulfam ne ek hi bete par Santosh kiya aur teesra niqaah karne ka khayaal hamesha ke liye zahen se nikaal diya tha.

(Dosto, to ye tha mere dosto aur unki family ka parichay)

Apne baye hath me bandhi ghadi par maine ek nazar daali aur fir aage ki taraf badh chala. Mere paas sirf ek thaila tha jise maine apne daye kandhe par taang rakha tha. Us thaile me meri zarurat ka dher saara samaan bhara hua tha. Thaila kapde ka tha jisme chain lagi huyi thi. Jism par kurta pajama tha jo zyada saaf nahi tha. Sir par uljhe huye baal aur chehre par nakli mooth daadhi jiske zyadatar baal safed the. Yaani ek adhed shakhs ka huliya bana rakha tha maine. Aankho par power wala chashma aur hath me ek chhadi jise maine aate waqt ek dukaan se khareedi thi.

Mere right side me kuch hi doori par ek kothi bani huyi dikh rahi thi. Halaaki kothiya to uske agal bagal se aur bhi bani huyi thi lekin meri nigaah sirf usi par thahar gayi thi. Kothi ke baahar boundary me lage main gate ke bagal se ek name plate lagi huyi thi jis par likhe naam ko maine ek baar man hi man padha aur fir kuch hi doori par nazar aa rahi juice ki dukaan ki taraf badh chala. Juice ki dukaan par pahuch kar maine juice wale se ek glass anaar ka juice banane ko kaha. Yu to mera juice pine ka koi irada nahi tha lekin samay guzaarne ke liye main uski dukaan ke paas hi rahna chaahta tha. Pichhle din jab main yaha aaya tha to isi juice wale se maine thodi bahut jankaari haasil ki thi. Us din mera huliya asli tha lekin aaj nahi. Khair yahi par mujhe ek aadmi se pata chala tha ki kothi me rahne wala maalik har shaam us juice wale ke yaha juice pine aata hai.

Juice pine ke kareeb das minute baad mera intzaar khatam hua. Maine dekha kothi ka main gate khula aur usme se ek car baahar nikli. Use dekh anayaas hi meri dhadkane tez ho gayi. Main kyoki jaanta tha ki wo juice wale ke paas hi aayega is liye main thoda side se ho kar khada ho gaya. Kuch hi der me car aa kar joice wale ke saamne ruki. Juice wale ko shayad uski dincharya pata thi is liye uske aate hi usne uska pahle se hi banaya hua juice liya aur uski car ki taraf badh chala. Car ka sheesha neeche hua to maine uske andar baithe shakhs ko dekha. Bees saalo baad shaklo surat me fark aa gaya tha lekin maine pahchanne me koi galti nahi ki. Juice wale ne car ki khidki se use juice ka packed glass pakdaya aur wapas palat gaya. Udhar juice ka glass pakadne ke baad usne car ka sheesha upar kiya aur agle kuch hi second me car chal padi.

Ise meri kismat kahiye ya ittefaaq ki us car ke chalte hi uske peeche se ek auto aa gaya. Maine use hath diya aur usme baith kar aage badh chala. Auto wale ko maine bataya ki wo aage ja rahi car ke peeche chale. Auto wale ne meri baat sun kar meri taraf ghoor kar dekha to maine use bataya ki main saamne ja rahi car wale ka naukar hu aur mujhe unse behad zaruri baat karni hai is liye unke peeche ja raha hu. Auto wala jhat se us car ke pichhe ho liya. Mere dil ki dhadkane anayaas hi badh chali thi. Mere andar ek bechaini si bharti ja rahi thi. Kuch samay baad car ek jagah par ruki to maine auto wale ko ruk jane ke liye bola aur use uska kiraya de kar auto se utar gaya. Auto wale ke jane ke baad main tezi se us car ki taraf badha. Mere dil ki dhadkane ab aur bhi tezi se chalne lagi thi.

Isse pahle ki car ka driving door khulta main kisi jinn ki tarah khidki ke paas pahuch kar khada ho gaya. Mera ek hath kurte ki jeb me tha. Car ki driving sheet par baithe shakhs ki nazar ekdam se mujh par padi to wo halke se chaunka aur fir sawaaliya bhaav se meri taraf dekhte huye khidki ka sheesha neeche kiya.

"Sahab gareeb ke liye kuch rupiya de dijiye." Maine dusre hath ki hatheli ko uski taraf failate huye deen heen bhaav se kaha____"Din bhar ka bhookha hu sahab. Bhookh ke mare jaan ja rahi hai."

Meri baat sun kar shakhs ne kuch pal meri taraf dekha aur fir apni coat ki jeb par hath daalne laga. Wo apni gardan ko halka sa neeche kar coat ki taraf dekhne laga tha. Raasta zara sunsaan tha aur aas paas mujhe koi aata jata bhi nahi dikha to maine ise sunahra awsar dekh jaldi se kurte se apna hath nikala. Mere hath me ek rumaal tha. Maine tezi se hath me liya hua wo rumaal car ki khidki se andar daala aur jhat se us shakhs ki naak par rakh kar daba diya. Us shakhs ko kadachit mujhse aise kisi bhi kaam ki ummid nahi thi is liye wo ekdam se pahle to uchhal hi pada aur fir tezi se apne hatho se apni naak par rakhe mere hath ko hatane ki koshish karne laga lekin kyoki mujhe pahle se hi is baat ka pata tha is liye maine pura zor laga diya tha. Us shakhs ko zyada der tak koshish nahi karni padi kyoki agle kuch hi palo me uska jism dheela padta chala gaya aur wo behoshi ki gart me doob gaya. Maine fauran hi uski naak se hath hataya aur rumaal ko waapas apne kurte ki jeb me daal liya. Rumaal me chloroform chhidak rakha tha maine jiske asar se wo shakhs kuch hi palo me behosh ho gaya tha.

Maine gardan ghuma kar aas paas dekha aur fir jaldi se car ka driving door khol kar us shakhs ko puri taakat se zor laga kar pare dhakela lekin wo tas se mas na hua. Tabhi maine dekha uske seene par sheet belt lagi huyi thi. Maine ghabra kar jaldi se hath badha kar sheet belt ko khola aur fir use pare dhakela to is baar wo dusri taraf khisak gaya, balki ye kaha jaye to behtar hoga ki ludhak sa gaya. Mere paas zyada samay nahi tha is liye main thodi si jagah me hi driving sheet par baith gaya aur door ko band kar sheesha upar kar diya. Sheet par baithne ke baad maine use thoda aur apne baaye taraf khiskaya aur fir us par sheet belt laga diya. Maine fauran hi car start ki aur aage dauda diya car ko. Meri dhadkane dhaad dhaad kar ke baj rahi thi. Ghabrahat ke mare jaan halak me fasi huyi mahsoos ho rahi thi. Mujhe yakeen nahi ho raha tha ki mujhe itni asaani se mera shikaar mil gaya tha. Maine to iske liye kuch aur hi socha hua tha lekin halaat ne kuch aur hi karwa diya tha. Khair jo bhi hua aur jaise bhi hua mere liye to achha hi hua tha lekin ab mere liye ek samasya ye paida ho gayi thi ki main use le kar jaau kaha?

Kuch door aane ke baad mujhe kuch yaad aaya to main ekdam se chaunka aur car ki speed ko dheema kar ke jaldi se us shakhs ki jebe check karne laga. Jaldi hi mujhe uski coat ki jeb me pada hua uska mobile mil gaya. Mobile ko dekh kar mere zahen me bijli si chamki. Maine car ko side kar ke rok diya. Thaile se ek chhoti si diary aur pen nikala kar maine us mobile ki screen ko on kiya. Shukar tha mobile me koi lock nahi laga hua tha. Main fauran hi mobile me contact list dekhne laga. Kuch hi palo me mujhe wo naam aur number mile jinke bare me mobile ko dekh kar mere zahen me bijli si kaundhi thi. Maine fauran hi mobile ki contact list se un naam aur numbers ko apni diary me likhna shuru kar diya. Naam aur numbers likhne ke baad maine mobile ko switch off kiya aur use car ke dash board par fenk diya. Uske baad maine fir se car ko aage badha diya. Raaste me chalte huye mujhe yaad aaya ki ek jagah kayi saari new construction buildings thi jaha par sannata faila hua tha. Yaani waha par shayad maujooda waqt me construction ka kaam ruka hua tha. Maine fauran hi car ko us taraf hi tezi se dauda diya.

Kareeb bees minute baad main us jagah par pahucha. Raat ho chuki thi aur shahar me rang birangi lights jugunuo ki tarah jhilmilati huyi nazar aa rahi thi. Asmaan me chand tha jiski roshni dhara par chhitki padi thi is liye maine car ki head light ko band kar diya tha. New construction buildings ke paas pahuch kar maine car ke engine ko band kiya aur fir driving door khol kar car se baahar utra. Aas paas ka bariki se jaayja lene ke baad main ghoom kar dusri taraf aaya aur door khol kar maine us shakhs ka sheet belt khol kar use kheench kar baahar nikala. Wo shakhs puri tarah anta gaafil tha. Jism bhaari tha is liye mujhe usko samhalne me thodi mushkil hone lagi thi lekin aakhir kisi tarah maine use apne kandhe par laada aur ek building ki taraf badh chala.

Kareeb aath das minute ki kathor mehnat ke baad main us shakhs ko liye building ke teesre maale par ek taraf bane ek kamre me le kar aaya. Kamra andar se ganda hi tha lekin mere liye ye bhi behtar tha. Kamre ke ek taraf lohe ki do folding chairs diwaar se tiki huyi nazar aayi. Maine shakhs ko farsh par aahista se letaya aur ek chair ko open kar farsh par rakh diya. Uske baad maine us shakhs ko utha kar us kursi par baitha diya. Shakhs ko kursi par baithane ke baad maine apne thaile se ek rassi nikaali aur us shakhs ke hath pair us kursi par kas kar bandh diye. Ab wo us kursi par bandha baitha hil dul nahi sakta tha. Thaile se maine ek tape nikala aur use uske mukh par chipka diya. Sab kuch thik karne ke baad maine dusri kursi ko bhi open kiya aur usme araam se baith gaya.

Main janta tha ki jis shakhs ko maine is tarah se apne kabje me liya tha uske waapas ghar na lautne par der sawer hangama ho sakta tha aur iske liye ye bhi nishchit hi tha ki uski khoj me na jane kaun kaun se log lag jayenge. Kahne ka matlab ye ki mere paas zyada waqt nahi tha, yaani mujhe jo kuch karna tha jaldi hi karna tha.

Main wapas neeche gaya aur us shakhs ki car ko building ke andar aisi jagah par khadi kar diya ki baahar se wo kisi ko asaani se nazar na aa sake. Car me mujhe paani ka ek bottle rakha hua mila jise le kar main waapas teesre maale par maujood us kamre me aa gaya. Kursi me rassiyo dwara bandha wo shakhs abhi bhi behosh tha. Dusri kursi par baithne ke baad maine pahli baar uski personality par gaur kiya. Chehre ki rangat saaf thi aur achha khaasa raub bhi jhalak raha tha usme. Sir ke baal aadhe se zyada safed ho chuke the. Chehre ki jhurriya uski badhi huyi umar ka saboot de rahi thi. Mere hisaab se saath ya baasath saal ke aas paas ki umar ka tha wo. Meri aankho ke saamne ateet ke kuch chitra ubharne lage jinme kuch hasti muskurati tasveere dikh rahi thi. Kuch palo ke liye dil me ajeeb sa ehsaas paida hua lekin fir ekdam se mere jabde kaste chale gaye.

Bottle me bhare paani ko maine uske chehre par chhidka. Aankho ki putaliyo me halki si halchal huyi lekin wo hosh me na aaya. Maine uske mukh par chipka tape nikala aur fir baar baar uske chehre par paani ka chhidkaaw kiya aur aakhir me mujhe safalta mil hi gayi. Chehra paani se bilkul tar ho chuka tha aur niche uske kapdo par gira hua tha jisse uske kapde bhi geele ho gaye the. Hosh me aate hi usne pahle apni palke jhapkaayi aur fir aankhe khol kar idhar udhar dekhne laga. Apni ajeeb si haalat ka ehsaas hote hi wo buri tarah chaunka aur fir ekdam se uske chehre par dar jaise bhaav ubhar aaye. Abhi wo thik se khud ko samhaal bhi na paaya tha ki apne baye taraf ek dusri kursi par ek budhe ajnabi ko baitha dekh wo ekdam se uchhal pada. Aankho me dher saare sawaal naach gaye se prateet huye.

"Tu....tum??? Tum to wahi ho na jo mujhse khane ke liye paise maang raha tha???" Shakhs mujhe dekh kar chaunka, fir apni haalat ko dekhte huye bola_____"Par main is haalat me kaise hu, aur....aur ye kaun si jagah hai?"

"Kamaal hai." Maine ajeeb bhav se uski taraf dekhte huye kaha_____"Mujhe to laga tha ki khud ko aisi haalat me dekhte hi tum samajh jaaoge ki tumhare sath aisa kuch karne wala is duniya me kaun ho sakta hai lekin maaf karna galat laga tha mujhe."

Meri baate sun kar us shakhs ke chehre par socho ke gahre bhaav ubhar aaye. Aankhe sikud si gayi, jaise samajhne ki koshish kar raha ho ki main kaun ho sakta hu aur uske sath aisa maine kyo kiya hoga? Kuch der tak wo yu hi meri taraf dekhte huye ajeeb bhaav se sochta raha aur fir agle kuch hi der me ekdam se uske chehre ke bhaav badalte nazar aaye.

"Ka.....kahi tum." Usne bhay mishrit ashcharya ke sath kaha_____"Vikram singh to nahi ho?"
"Bahut khoob." Main uske andaze par anayaas hi muskura utha____"Tumhare zubaan se apna naam sun kar itna to main samajh gaya hu ki bees saalo me aisa koi din nahi gaya hoga jab tumne mujhe ya mere naam ko yaad na kiya ho."

"Tumhe bhala ham kyo bhool jaate bete?" Us shakhs ne ekdam se prem bhaav akhtiyaar karte huye kaha_____"Tum sirf awdhesh ke hi nahi balki ham sab ke laadle the. Ham sabne bachpan me tumhe apni god me khilaya tha. Tum hamare bete ho beta. Bhala ham tumhe kaise bhool sakte the? Tumhare sath ishwar ne jo kuch kiya hai usse ham sab aaj bhi dukhi hain."

"Kya sach me?" Maine byang bhaav se kaha____"Kya sach me tum log mere liye itna dukhi ho ki bees saalo me ek baar bhi mujhse milne jail nahi aaye? Tum log kya sach me mujhe apna beta maante the ki kabhi ye tak sochna zaruri nahi samjha ki maa baap ki hatya ho jane ke baad jab unki hi hatya ka ilzaam mere sir laga to mujh par kya guzri hogi aur in bees saalo tak kya guzarti rahi hogi?"

"Ham sab tumhare gunahgaar hain beta." Us shakhs ne khed bhare bhaav se nazre churate huye kaha_____"Ye sach hai ki in bees saalo me ham log ek baar bhi tumse milne kabhi jail nahi gaye the lekin iska matlab ye nahi tha ki hamara dil tumhare liye dukhi nahi tha. Insaan ke jeewan me uski kuch aisi majburiya hoti hain jinki wajah se wo bebas aur lachaar ho jata hai."

"Tumhe kya lagta hai uncle?" Maine shakht bhaav se kaha_____"Kya main itna bevkoof hu jo tumhari in chikni chupdi baato par yakeen kar luga? Kya tum mujhse ye ummid karte ho ki main tum sabko begunaah samajh kar maaf kar duga? Nahi, hargiz nahi...tum sab apna apna sir patak kar mar bhi jaaoge tab bhi main tum sab dogle logo ki baato par yakeen nahi karuga. Umar qaid ki saza ko niyati ne jab bees saal baad hi khatm kar ke mujhe riha kar diya to main samajh gaya ki niyati mujhse kya chaahti hai. Wo chaahti thi ki jin logo ke gunaaho ko kanoon saza nahi de saka unhe unke kukarmo ki saza mere hi hatho mile."

"Ye tum kaisi baate kar rahe ho beta?" Shakhs ke chehre par dahshat ke bhaav ubhar aaye_____"Hamne bhala kaun sa kukarm kiya hai aur tum hame kyo kisi baat ke liye saza doge? Pata nahi tum ye sab kya apne man me baitha rakhe ho."

"Mere mata pita ki hatya kyo ki gayi thi?" Maine uski baat par dhyaan na dete huye thande swar me puchha____"Aur unki hatya me kaun kaun shaamil tha?"

"Ye sab tum kya kah rahe ho beta?" Shakhs ke chehre par paseena ubhar aaya tha_____"Koi dusra tumhare pata pita ki hatya kyo karega? Shuru me to ham sab yahi samajhte the ki tumne hi awesh aur gusse me aa kar apne pata pita ko jaan se maar diya hoga lekin jab adalat me jab tum ashcharyajanak roop se chup rahe to hame samajh aaya ki nahi, tum apne mata pita ka khoon nahi kar sakte. Tumhare sanskaar aise the hi nahi ki tumse aisa kuch khwaab me bhi ho jata. Matlab saaf tha ki Awdhesh aur Madhuri bhabhi ne khud khushi ki thi. Shayad wo apne raaz ke khul jane ki vajah se tumhara saamna nahi kar sakte the is vajah se unhone apni jaan dene ka raasta akhtiyaar kar liya tha."

"Maine kaha na uncle ki tum sab apna apna sir patak kar mar bhi jaaoge tab bhi tum logo ki baato par main yakeen nahi karuga." Maine sapaat lahje me kaha_____"Behtar yahi hoga ki sab kuch sach sach bata do warna apni bhayawah maut ke liye taiyar ho jaao."

✤༺༻✤
Update - 14
____________________





Kursi par rassiyo me bandhe baithe shakhs ke chehre par bebasi ke bhaav gardish karte nazar aa rahe the. Idhar usko dekh kar baar baar mera khoon khaul uthta tha. Mere paas zyada waqt nahi tha. Maut to uski nishchit thi lekin usse pahle main ye chaahta tha ki wo apne mukh se kaboole ki mere mata pita ki maut me uska bhi hath tha.

"Tum jitna waqt lagaaoge jeewan uncle utna hi tum apni maut ko bhayanak banaaoge." Maine sard lahje me kaha_____"Tumhe shayad andaza bhi nahi hai ki bees saalo se mere andar majood badle ki aag tum sabko kis tarah se jala dene ke liye aatur hai. Abhi to ye shuruaat hai. Tum sab bees saalo se aisho araam me zindagi ji rahe the lekin ab us zindagi ka khatma hone ka samay aa gaya hai. Mera yakeen karo main tum sabka wo hasra karuga jiske bare me tum logo ne socha bhi nahi hoga. Ek ek kar ke main tum sabki saanse chheen luga aur tum log kuch nahi kar paaoge aur haan ye mat sochna ki tum sabka aaka tumhe ya tumhari family ko mere qaher se bacha lega."

"Main tumhe kaise yakeen dilaau vikram ki tum jaisa soch rahe ho waisa kuch bhi nahi hai." Jeewan ne hataash bhaav se kaha_____"Tumhare mata pita ki maut me ham me se kisi ka bhi koi hath nahi hai. Aree hath hone ki to baat hi door hai ham log unke liye aisa soch bhi nahi sakte the. Tum khud socho ki ham me se koi bhala kyo tumhare mata pita ki hatya kar dena chahega?"

"Daulat ke liye jeewan uncle." Maine shakht bhaav se uski aankho me jhaankte huye kaha_____"Sone ke un biscuits ke liye jinki vajah se tum sab mere pita se kayi baar charcha kar chuke the lekin mere pita ne tum me se kisi ko us sone ka rahasya nahi bataya tha."

Jeewan meri baat sun kar mujhe awaak sa is tarah dekhne lag gaya tha maano usne mere roop me kisi ajoobe ko dekh liya ho. Buri tarah ashcharya chakit tha wo. Fir ekdam se uske chehre ke bhaav badi tezi se badle.

"Ye tum kya kah rahe ho vikram?" Jeewan ne khud ko samhaalte huye kaha____"Aakhir tum kis sone aur biscuits ki baat kar rahe ho? Hame to is bare me kuch pata hi nahi hai."

"Tu aise kabool nahi karega haramkhor." Maine gusse me kheech ke ek tamacha jeewan ke gaal par raseed kar diya jisse uski cheekh nikal gayi_____"Tujhe lagta hai ki mujhe kuch pata hi nahi hai aur jo tu kahega use main maan luga lekin ye teri galat fahmi hai. Socha tha apne badle ki aag me sirf tum logo ko hi jala kar rakh karuga lekin ab tum logo ke alawa tumhari puri nashl ko bhi jalaauga. Ek ek kar ke tum sabke pariwar walo ko is duniya se rukhsat karuga."

"Aisa mat kaho vikram beta." Jeewan pahli baar sahma sa nazar aaya____"Agar tumhe sach me yahi lagta hai ki hamne hi tumhare mata pita ki hatya ki hai to tum shauk se hamari jaan le lo lekin hamare pariwar walo ko kuch mat karna. Unka is sab se koi lena dena nahi hai."

Jeewan jane kya kya kahe ja raha tha lekin mera dhyaan achanak se is baat par gaya ki jeewan baar baar apni peeth ko kursi ki pichhli pusht se ragad kyo raha tha? Yu to uski peeth kursi ki pichhli pusht se hi tiki huyi thi lekin rassi se bandhe hone ki vajah se wo zyada hil dul nahi sakta tha. Iske bavjood wo baar baar apni peeth ko ajeeb tarah se ragad raha tha. Ekaek mere dimag ki batti jali. Jeewan aur uske sabhi dost C.M.S. jaisi sanstha se taalluk rakhte the to zaahir hai unke paas sanstha se sampark karne ka apna koi khaas jariya raha hoga. Halaaki bees saal pahle ka mujhe pata tha lekin aaj ka nahi pata tha. Mujhe uski us ajeeb harkat se us par shak hua to main fauran hi uske peeche ki taraf gaya.

Jeewan mujhe apne peeche aaya dekh ghabra sa gaya. Idhar maine fauran hi uske coat ke button kholne shuru kar diye. Jeewan mere aisa karne par buri tarah hilne laga tha aur yahi prayaas kar raha tha ki main uska coat na utaaru. Kuch hi der me maine uska coat khol diya. Ab samasya ye thi ki dono hath bandhe hone ki vajah se uska coat puri tarah utara nahi ja sakta tha is liye maine apne thaile se ek kainchi nikaali aur peeche se uske coat ko kaatna shuru kar diya. Kuch hi der me aalam ye tha ki jeewan ki peeth ka hissa beparda ho gaya tha. Uska coat, uski shirt aur uski baniyaan sab maine kainchi se kaat diya tha. Maine uski nangi peeth ko dhyaan se dekhna shuru kiya to kuch hi palo me main ye dekh kar chaunka ki uski peeth ke thoda upar ki taraf ek cut laga hua tha jo ki kaafi purana lag raha tha.

Jeewan ki peeth par kareeb dedh inch ka cut tha jiske dono taraf chaar paanch halki halki dhaari si bani huyi thi. Aisa lagta tha jaise us cut ko kabhi sila gaya ho. Maine gaur kiya jeewan isi jagah ko kursi ki pichhli pusht par ragad raha tha. Maine uski peeth par bane us cut ko apne hath se sahlana shuru kiya to jeewan aur bhi tezi se hilne laga. Uski is harkat se mera shak aur bhi gahra gaya. Us jagah par sahlaane se mujhe kuch ajeeb sa feel hua to main fauran hi hata aur apne thaile se chaaku nikaal kar waapas uske peeche ki taraf gaya.

"Ye...ye tum kya rahe ho vikram beta?" Jeewan achanak se hi pareshaani me hadbada kar bol utha_____"Kya tum sach me mujhe jaan se maar dene wale ho?".
"Chinta mat kar." Maine chaaku ko uski peeth ke cut wale hisse ki taraf le jate huye kaha_____"Itni asaan maut nahi duga tujhe balki tujhe tadapne ka pura mauka duga."

"Aaaahhhhhh." Kahne ke sath hi maine chaaku ko uske cut wale hisse par ghusa diya jisse jeewan ki dard bhari karaah nikal gayi.

Jeewan ki peeth se khoon bahne laga tha jise maine rokne ki zara bhi koshish nahi ki balki mera dhyaan to is baat par tha ki mera shak sahi hai ya bewajah. Kuch hi palo me maine uski peeth ke us hisse ko chaaku se cut lagate huye chaaku ko usme ghusa diya. Jeewan dard se buri tarah cheekha to maine apni ek hatheli uske muh par chipka di. Jeewan ki peeth khoon se rangi ja rahi thi aur wo dard se tadap raha tha lekin main tabhi ruka jab mujhe tasalli huyi. Mera shak bewajah nahi tha yaani uski peeth par bana cut ek khaas tarah ka tha. Chaaku se kured kar maine uski peeth se ek chhoti si cheez nikaali jo kisi chip ki tarah dikh rahi thi. Khoon se sani huyi us chip ko main dhyaan se dekhne laga tha.

"Ab tu bata ki ye kya hai?" Maine us chip jaisi cheez ko jeewan ki aankho ke saamne kar ke shakht bhaav se kaha____"Dekh sach sach batana mujhe warna tu soch bhi nahi sakta ki ye chaaku main tere jism ke kaun se hisse me ghusa duga."

"Ye....aahhhh...ye ek chhota sa transmitter hai." Jeewan ne dard ko jabt karne ki koshish karte huye kaha.
"Bahut khoob." Main ekdam se bol utha____"C.M.S. jaisi sanstha ne beete saalo me kafi tarakki kar li hai."

"C...C.M.S.?????" Jeewan ne mere mukh se C.M.S. ka naam sun kar buri tarah chaunkne ki acting ki thi____"Ye kaisa naam hai hai? Kiski baat kar rahe ho tum?"

"Acting mat kar buddhe." Maine uski aankho me dekhte huye kaha____"Mujhe sab pata hai aur tujhe bhi pata hai ki bees saal pahle main bhi choot maar service jaisi sanstha ka sadasya tha. Tab nahi jaanta tha lekin aaj jaanta hu ki mujhe aisi ghatiya sanstha me shaamil karne ke peechhe tum sabka hi hath tha. Apni biwiyo ki khwaaish ko pura karne ke liye tum logo ne apne apne beto ko bhi usi sanstha me shaamil kar liya tha."

Jeewan mere mukh se ye sab sun kar jaise patthar ki shila me tabdeel ho gaya tha. Uske chehre par ashcharya ke bhaav taandav sa kar rahe the, fir ekdam se usne un sabhi bhaavo ko apne chehre par se gaayab kar liya.

"Tum ye sab kaise jaante ho?" Fir usne gambheer bhaav se kaha____"Kya tumhare us detective kulkarni ne tumhe ye sab bataya tha? Nahi nahi....use to is sabke bare me kuch pata hi nahi chal paya tha, kyoki usse pahle hi hame uske bare me pata chal gaya tha aur fir.....!"

"Aur fir tum logo ne uska kriya karm kar dene me zara bhi deri nahi ki thi, hai na?" Maine zaher se bhari muskaan me uski baat ko pura kiya to jeewan ne sir jhuka liya.

"Bees saalo me bahut kuch badal gaya hai is liye main nahi janta ki C.M.S. ka naya adda kaha par hai." Maine kaha____"Lekin tu batayega ki aisi ghatiya sanstha ne kis jagah par apna naya makaam bana rakha hai.?"

Meri baat sun kar jeewan ekaek thahaka laga kar has pada aur fir hasta hi chala gaya. Main uske is tarah hasne par buri tarah tilmila gaya tha. Fir ekdam se main chaunka. Mere hath me abhi bhi wo chip thi jo ki ek chhota sa transmitter tha. Uski vajah se jeewan se taalluk rakhne wale log kisi bhi samay mujh tak asaani se pahuch sakte the. Mujhe apni galti ka ehsaas hua aur maine fauran hi us chip ko darwaze ke paas hi rakhe ek patthar se tod kar choor choor kar diya. Ye dekh jeewan ke chehre par chinta ki lakeere ubhar aayi. Main jaanta tha ki ab yaha par rukna bhi khatre se khaali nahi hai is liye maine kurte ki jeb se chloroform wala rumaal nikala aur usse jeewan ko behosh kar diya. Uske baad jeewan ko maine rassi ke bandhan se mukt kar diya. Saara samaan thaile me daal kar maine jeewan ko apne kandhe par uthaya aur kamre se baahar ki taraf chal diya.

Waapas aane me mujhe na to zyada samay laga aur na hi zyada mehnat lagi. Jeewan ko car ki pichhli sheet par leta kar maine car start ki aur chal pada waha se. Ab mujhe kisi aisi jagah ki zarurat thi jo mere aise kaamo ke liye puri tarah se anukool ho aur safe bhi ho. Raat bhar main idhar udhar bhatakta raha aur aakhir me mujhe ek band pada karkhana mil gaya. Maine car ko udhar roka aur us karkhane ke andar ja kar uska muaayna karne laga. Maine dekha wo karkhana mere liye safe aur anukool jagah thi. Waapas aa kar maine car se jeewan ko nikala aur karkhane ke andar le ja kar use ek piller par rassiyo se kas kar baandh diya. Main janta tha ki use kuch samay baad hosh aa jayega is liye maine tape se uska muh band kiya aur baahar nikal gaya. Mujhe kuch zaruri cheeze chahiye thi aur kuch aisa samaan bhi jo aise waqt me mere kaam aa sake.

Jeewan ki car bhi mere liye musibat ban sakti thi is liye maine use jeewan ke ghar ke aas paas hi le ja kar khadi kar diya tha aur us par se apne nishaan mita diye the. Car se jeewan ka mobile le jana nahi bhoola tha main. Raat kaafi guzar gayi thi magar mujhe sukoon nahi tha. Main har kaam badi safaayi se karna chaahta tha is liye ek auto kar ke main gaziabad apne thikane ki taraf nikal liya. Main jaanta tha ki aane wala samay ab mere liye bahut hi zyada mushkilo aur chunautiyo se bhara hua hoga jiske liye mujhe har tarah se taiyar rahna tha. Jab main gaziabad apne thikane par pahucha to subah ke chaar baj chuke the aur meri kismat dekho ki Dinesh auto le kar ghar se nikalne hi wala tha. Mujhe aaya dekh pahle to wo chaunka aur fir mere us waqt aane ka kaaran puchhne laga jiska jawaab maine use diya. Use jaldi nikalna tha is liye auto le kar wo nikal gaya lekin usse pahle usne apni biwi ko bol diya tha ki mere liye naasta paani bana degi.

Thaka hua to main bahut tha lekin bistar par letne ke baad bhi mujhe neend nahi aa rahi thi. Shayad is liye ki main wo kar ke aaya tha jo apne jeewan me maine kabhi nahi kiya tha. Aane wale dino me main jo kuch bhi karne wala tha uska nateeja kya hoga ye main achhi tarah mahsoos kar sakta tha. Main isi sab ke bare me sochta raha aur jane kab meri aankh lag gayi thi.

Kisi ke dwara darwaza khatkhataye jane se meri aankh khuli to maine ja kar darwaza khola. Baahar Dinesh ki biwi Swati khadi thi. Itne dino me wo pahli baar hi upar mere kamre ke darwaze tak aayi thi. Khili huyi dhoop me uska gora rang aur bhi chamakta hua nazar aa raha tha. Meri nazre uske roop saundarya par thahar si gayi. Teen teen bachcho ki maa hone ke baad bhi wo sundar aur jawaan lag rahi thi. Mujhe apni taraf ghoorta dekh usne mera dhyaan bhang karne ke liye apne gale ko halke se khankhaara jisse main chaunk kar hakikat ki duniya me aaya. Ye soch kar thodi sharmindagi bhi huyi ki mujhe is tarah ghoorta dekh usne kya socha hoga mere bare me?

"Maaf kijiyega." Fir maine nazre jhuka kar kaha____"Pahli baar aapko khili huyi dhoop me dekha to dekhta hi rah gaya. Mujhe nahi pata tha ki hamari bhabhi ji itni khubsurat hain ki un par se nigaah hi nahi hategi.

"Achha ji aisa hai kya?" Swati ne halke se sharmate huye kaha.
"Dinesh bhai bade naseeb wale hain." Maine jab dekha ki use meri baat ka bura nahi laga to maine muskura kar kaha____"Jo unhe aapke jaisi haseen biwi mili. Kaash hamare bhi aise naseeb hote."

"Naseeb to aapke bhi achhe hi honge." Swati ne usi muskaan me kaha____"Aapki dharam patni bhi to sundar hi hongi."
"Agar main ye kahu ki maine ab tak kisi se shadi hi nahi ki hai." Maine uske haseen chehre ki taraf dekhte huye kaha____"To kya aap yakeen karengi?"

"Ye kya kah rahe hain aap?" Swati ke chehre par hairaani ke bhaav ubhar aaye, boli_____"Aapne ab tak shadi kyo nahi ki?"
"Kya kare?" Maine is baar Swati ko sir se le kar paanv tak dekhte huye kaha____"Aapke jaisi haseen ladki hi nahi mili kabhi."

"Dhatt." Swati meri is baat se fir se sharma gayi thi____"Ye kaisa mazaak kar rahe hain aap? Bhala main kaha se aapko ladki nazar aati hu? Teen teen bachcho ki maa hu main. Kya aap nahi jaante?"

"Wo to jaanta hu." Maine kaha____"Lekin ab iska kya kiya jaye ki aap teen teen bachcho ki maa nahi balki apni hi beti Poonam ki badi bahan lagti hain. Khair chhodiye is baat ko, kahi aisa na ho ki aap mere bare me galat soch baithe. Ye bataiye koi kaam tha kya mujhse?"

"Are haan baato baato me main bhool hi gayi ki main yaha kis liye aayi thi." Swati ne chaunkte huye kaha____"Raat ko aap kafi der se aaye the is liye subah aapko jagana uchit nahi samjha tha. Ab jabki dopahar ho gayi hai to socha ki aapki neend puri ho gayi hogi. Poonam to apne school gayi huyi hai is liye main hi aapko jagane aa gayi. Aap naha dho kar jaldi se khana khane ke liye neeche aa jaaiye."

"Kya kaha aapne?" Maine Swati ki baat se buri tarah chaunk pada tha_____"Dopahar ho gayi hai?"
"Haan ji." Swati ne kaha____"Achha ab chalti hu main....jaldi aaiyega."

Swati itna kah kar seedhiyo se neeche chali gayi thi aur main but sa darwaze par hi khada rah gaya tha. Dopahar ka samay ho gaya tha aur main ab tak yahi tha jabki mujhe jeewan ke paas hona chahiye tha. Mere andar ekdam se halchal si mach gayi thi. Itna laparwaah kaise ho sakta tha main? Abhi main ye sab soch kar khud par gussa hi ho raha tha ki tabhi achanak se main apne saamne kisi jinn ki tarah aa gayi aarti ko dekh kar chaunk pada.

"Kya baat hai." Usne mujhe ghoorte huye kaha_____"Aaj bada Swati didi ke hushn ki tareefe kar rahe the aap? Kahi dil to nahi aa gaya un par?"
"Kya tumhe isse koi aitraaz hai?" Maine uski aankho me jhaankte huye kaha.

"Mujhe bhala kyo aitraaz hoga?" Aarti ne sahsa hadbada kar kaha____"Aapka dil hai kisi par bhi aa sakta hai. Dukh to is baat ka hai ki itne samay baad bhi aapka dil kabhi mujh par nahi aaya."

"Apne man se aise behooda khayaal nikaal do." Maine thoda shakht bhaav se kaha_____"Maine aaj pahli baar unse bas thoda sa hasi mazaak hi kiya hai. Zaruri nahi ki tumhari tarah unse mera sambandh bane aur waise bhi main kisi ki jageer nahi hu jis par sirf kisi ek ka hi haq rahega."

Meri baat sun kar aarti ekdam se chup ho gayi thi. Shayad usne meri aur Swati ki baate sun li thi aur aarti ko usse mera yu hasi mazaak karna achha nahi laga tha. Yahi vajah thi ki wo swati ke jate hi mere saamne aa dhamki thi aur ye sab bol baithi thi. Meri baato ne use hakikat ka ehsaas karaya to uski nazre jhuk gayi.

"Maaf kar dijiye mujhe." Fir usne dheeme swar me kaha____"Main bhool gayi thi ki aap mere pati nahi hain balki ek aise paraaye mard hain jin par main khud hi aasakt hu aur aapki sewa me apna sab kuch saupna chaahti hu."

"Tum khud achhi tarah jaanti ho ki hamare beech koi gahra rishta nahi ho sakta." Maine kaha____"Is liye apne andar aise jazbaat ubharne hi mat do jinki vajah se aage chal kar tumhe taqleef ho. Khair ab jaao yaha se."

Aarti ke jane ke baad maine gahri saans li aur fir fresh hone ke liye bathroom me chala gaya. Kareeb ek ghante baad main lunch kar ke dinesh ke makaan se nikal pada tha. Mere zahen me baar baar jeewan uncle ka khayaal aa jata tha aur main sochne par majboor ho jata tha ki wo rassiyo me bandha ab tak waise hi baitha hoga. Uske yu gaayab ho jane se uske ghar wale aur khud C.M.S. jaisi sanstha ke log bhi shayad uski khoj me nikal chuke honge. Aane wala waqt meri liye sach much bahut hi zyada mushkilo aur chunautiyo se bhara tha lekin in chunautiyo se mujhe ghabrana nahi tha balki puri nidarta se inka saamna karna tha. Jaldi hi main ek aisi jagah pahucha jaha par kiraye se car milti thi. Itne dino me thodi bahut meri jaan pahchaan ho gayi thi is liye mujhe waha se kiraye par car lene me mushkil nahi huyi. Car le kar main fauran us karkhane ki taraf tezi se badh chala jaha par maine jeewan uncle ko baandh kar rakha hua tha.

✤༺༻✤
 
Top