• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy THE GAMER- How underdog become An Esports legend

Spiegel

Supreme
673
2,872
124
Iss Acc se ye meri second story hai pehlei abhi hold pe hai usko kuch time baad suru karunga jaisa ki mene bola tha, ab is wali story pe aata hun me bahut time se gaming ke upar story likhna chahta tha aur wo bhi esport based jo me ab likh raha hun.

ye story meri OC hai mene kahi se copy nahi ki par isme jis game par based hai wo kuch games se inspire hai, vaise bhi mujhe khud ke idea pe story likhna pasand hai but jaiase demon girl wali story kuch LN ya manga ke mix idea se inspire thi yaha waha ki par jaydatar story meri khud ki soch se banai huvi thi jo abhi trend bhi chal raha hai manhwas me jaise ek time pe bahut sari system wale manhwa aane lage hai kyun ki wo genre ka trend hai bahut aasani se usko likha bhi ja sakta hai fir anime me isekai ka trend chal raha hai upar se villainess and reincarnation to abhi bhara pada hai par mene jyada gaming ke upar nahi dekha jo bhi anime and manhwa hai gaming ke based pe usme se lagbhag sabhi mmorpg pe based hai and esport pe to kuch hi hai. jyadatar tar cdrama hi hai jo esport pe drama banate hai jo bahut acche hote hai par koi bhi battle royle game pe based nahi hai ya fir mene dekha nahi so ye wali story me jo game hai wo puri battle royle game pe based hogi.


ye story 2026 me based hai yani ke future me and mobile gaming pe hai mene pehle pc gaming ka socha tha par uske bare me mujhe jyada pata nahi tha isliye mobile gaming pe hai jisme mujhe pata hai ki yaha esport kaise work karta hai upar se india me mobile gaming hi jyada kheli jati hai.
SO ab aate hai story pe jis game pe ye based hai uska naam mene rakha hai EVE-HUNTERS jo 2025 me launch hua tha jo ek battleroyle role-playing game hai jisme aapko koi character choose karna hota hai jisko aap game me use karoge jisko hunter bola jata hai. so aap samaj hi gaye honge ki ye ek dum apex legend jaisi game hai par isme ek twist hai ki isme aap 2nd character bhi choose kar sakte ho wo bhi bich game me jiski vajah se hi hai ye game compi me bahut jayda popular huvi aur wo kyun wo aage story me pata chalega par simple ans hai ki 2nd character ki vajah se aap pura game change kar sakte the puri strategy change ho sakti hai jo esport ke liye sabse best chij thi.

so is game ko mene bahut sari meri fav ya aese hi kuch games mujhe pasand aay ho uske based pe dimag me banai hai iske maps bhi kuch games pe based honge kuch mene soche hai wo honge isme abhi mene 20 character yani hunters rakhe hai jisme sabke alag alag skills honge har character ke paas 2 skill honge ek normal and ek ultimate jaise apex me hota hai so aap samaj hi gaye honge ye game bahut jyada apex ke jaisi hai par kuch chije alag hogi varna jaydatar apex ki tarah hi hai.


YEAR- 2026

is game ko launch huve abhi 1 saal ho gaya tha par ek hi saal me ye hadd se jyada popular ho gai thi abhi india ka har koi mobile me yahi game khel raha tha par jyadatar classic ya normal mode hi khelte the kyun ki usme bhi maja aata tha jab aap is game ko pehli baar new acc se khelte the tab aapko bas 4 character hi milte hai jisse aap aage aage game khel ke jayda character open kar sakte hai jaise kuch mission hote hai usko complete karne se aapka character unlock hoga fir aap usse khel sakte hai jaise character unlock karne me muskil ho vaise hi us character ka level hota tha jaise comman,rare,epic, legendary, mythical aese hi alag alag character the par game ke balance ke liye koi bhi character dusre character se jyada powerfull nahi tha isilye sabko soch ke banaya hua tha kyun ki esports me aap bina balance ki game ko use nahi kar sakte hai isliye sab character ka ek tarah se balance banaya hua tha kuch character ki skills bahut hi great thi par usko master karna muskil tha par end of the day game me sab character balanced the bas unki rarity pe based the.

Ab aate hai character ki class pe jaydatar main 4 class hoti hai mmorpg games me ek hota hai Attacker yani dps damage dena wala dusra hota hai supporter jiska kaam support ka hota hai fir tank jo team ka shield hota hai jo dusri team ka jyadatar damage leta hai fir aata hai healer jo team ko heal karta hai khud ko bhi aese ye main classes hai jo koi rpg game me hoti hai jo is game me bhi hogi par kuch aur classes hai jo aage story me pata chalegi aur iss game me weapons guns and melee hi honge aur kuch drons jo character yani hunters ke paas ho abse sab alag alag characters ko me hunters hi kahunga. so iss gam me bahut sari acchi chije thi aur kuch alag bhi usme se ek thi perks jo aapko ingame me collect karna padta tha jisse aap apni class change kar sakto aap ek hi baar class change kar sakte the game me enter honge ke baad jisko 15 second ka time lagta tha.

ab aate hai utilitys par isme neds smokes stunned jaisi chije thi, and loots me aap shiled, helmet, guns jaisi chije le sakte the is game me vehicles bhi the bike cars jaise un sab par aage story me pata chalta rahega par guns ke bare me bata deta hun jaise pistols, smg, AR, dmr and snipers jo is games use honge.

ab guns and kapse hai to sath me alag alag skins bhi hoti hai jiske liye log pagal hote hai kyun ke us skins ko aap sabko dikha sakte hai khas kar aapke friends ko upar se wo dikhne me bhi bahut acchi lagti hai to aapko game khelne me bhi bahut maja aata hai ek tarah se aapko dusron se alag banati hai skins jo aapke real life characters ko game me dikhati hai jasie apako konsa color pasand hai kis tarah ke kapde pasnd hai ye sab jaise aap real life me hi koi kapde pahan rahe ho aesa lagta hai isliye bahut logo ko alag alag skins pasand hoti hai jaise kuch skins ke sath kuch effects bhi aate hai jaise emote ya kill msg jisko game wale sare log dekh sakte hai ki ha is bande pe ye wali chij hai alag alag skins ke bare me bhi aage baat karunga game.

skins ke alava aata hai ranking jo har ek pvp game me hota hai aur rank ke sath aata hai ranking system har game me alag alag type ke tier use hote hai par jyadatar ke same hi hote hai isme me BRONZE- SILVER-GOLD-PLATINUM-DIAMOND-MASTER-GRANDMASTER-IMMORTAL is tarah ka use karunga jiske bare me bhi aage bata dunga

ab thoda bata dun battle royle games ke bare me jisko nahi pata par jyadatar ko pata hi hoga fir bhi bata deta hun jo sab games me alag alag hota hai par is game ke based par bata deta hun isme ek team se 4 log sath me khel sakte hai ek aur total 20 team khel sakti hai yani 80 log ek map me dusra map tha jisme 100 log sath me khel sakte the jo bada map tha yani 25 team and 3rd map me 16 teams yani 64 player and abhi 4th map aane wala hai par game aaya nahi uske bare me jab story me aage relese hoga tab bata dunga.
ab aate hai ingame jisme pehle in game lobby jisme aapko 1min ka wait karna padta hai fir flight ya glider baloon, bus jo bhi bol do kyun ke aapke skin ke based pe hoga ki flight ki type ki rahegi yaha tak ki dragons bhi honge jiske upar log beth sake aur niche jumb jo sabse jyada hunter pass ke points ke based hoga jaise battle pass and royle pass hota hai isme hunter pass hai jisme jiski sabse jyada rank uske hisab se flight change hogi yani jiske paas jo bhi type ki skins ho.
jump ke baad hota hai glid usme bhi skins pe rehta ke aappe konsi chij hai kuch pe parasuit hota hai kuch pe glider aap samaj hi gaye honge fir aata hai drop waha aapko jo jo loot lenii hai wo luck ya aapke samaj ke hisab se mil sakti hai jaise aapko pata ho ki kis jagah pe kitni loot milti hai vaise hi maps me sab alag alg area hota hai jaha pe aap drop le sakte hai fir loot ke baad aata hai zone ya circle jo alag alag map me alag alag time pe aate hai fir jaise jaise zone chota hota hai vaise vaise aapko zone me jana hai agar bahar rehte ho to health kam hogi jo zone ki size pe depend karta hai aayi konsa zone hai firse zone me 1damage per second hota hai vaise jaise jaise zone chota hota hai aese damage per second badta hai vaise 8 zone honge sabhi map me jisme ek second me kitna dmg hoga hai wo aage story me batavunga uske chart me, fir jaise jaise zone chota hota hai vaise vaise players bhi ek dusre ke paas me aate hai fir fight hoti hai jo bach gaya wo aage jayega aur sath me kills ke points leke jayega jisse uski rank badegi upar se survive ki rank bhi badegi aur jo last me jistega wo winner hoga and jisko aap maroge wo mar nahi jayega wo knock hoga agar last player nahi hai to and usko revive karke bacha bhi jaya sakta hai aur sath me wo aage bad sakte hai.

in game role - game role sabhi team use nahi karti thi khas kar classic wali par kuch time baad unka role bina bole hi set ho jata hai jiske bare me unko pata bhi nahi chalta jaise jyada kill karne wala assulter ban aaja hai aur classic me jo jyada kill leta hai wohi jyadatar igl( in-game leader) hi hota hai aur uski hi baat mante hai baki players par har baar hai nahi hota kyun ke jyadatar log ek dusre ki jyada bate mante hi nahi hai khash kar jayda sath me na khelo ho aur do player jyada kill lene wale ho ya fir dusre player ko kill ki jagah survival points chahiye to aesa sab hota rehta hai game me sath me galiya bhi chalti rehti hai bhar bhar ke.
Ab aate hai sabse imp chij pe jo story me hai wo hai esport- esports me sab chije thodi thodi alag thi jaise koi bhi map ho sirf 16 team hi khel sakti hai yahi 64 bande hi kill ka 1 point hota hai bas pehle 2 zone me kills le to 1 kill ka 2 points hota hai baki sabhi zone me 1 point aur rank me 1st pe 15 pointa 2nd pe 123rd [e10 fir 4th pe 8 5th pe 6 th pe 4 7th pe 2 and 8se 12 tak 1 and 13 se 16 0 iska bhi chart dunga aage

ab esport me sabse badi chije hoti hai stratagy analyst zone reading dusre teams ke drop and unki reading ke wo kaha se zone me jate hai yani zone rotation fir khud ka zone rotation fir aage jagah leni ya fir push karna wo sab hoti hai wo sab chije posible hoti hai acchi team synergy se aayi bhale aapki agar gun power thoda kam hoga par team synergy acchi hogi to aap wo fight dusri acchi gun power wali team se jeet sakte hai.

sabse badi baat aati hai esport me wo hai aapka midnset aapko panic nahi hona hai jara bhi par wo aapke hath me nahi hota kaise bhi player ho kabhi na kbhi panic ho jate hai and uski vajah se puri panic mode me chali jati hai fir wo bhale world ki ya india ki no1 team ho wo bhi bahut niche gir sakti hai yaha tak ke wo tier 2 level ki team se bhi haar sakti hai aur uski mindset me aata hai confidence and overconfidence agar aapke paas confidence hai wo fir sabse acchi chij hai kyun ki jab aap confidence hote hai tab aapke reflex bahut hi tej hote hai pura adrenaline rush hota hai waha pe aap kisiko bhi maar sakte hai bas aapki muscle memory ke sath aapka unconscious mind kab kya kar lega aapko bhi pata nahi chalege aur aap heran ho javoge ki ye mene kar diya tab aapke reflex sabse fast hote hai upar se apaka aim and recoile control bhi sabse best hota hai aapko kuch sochna nahi padta sab apne aap hi ho jata hai aap apne aap hi sab calls dene lagte hai aur aap kisise fight lene se darte nahi hai. fir aata hai overconfidence ye ek tarah se panic jaisa hai par isme aap kills bahut le lenge par sabse buri baat hogi wo ye ki aapko zone and dusri team ka kuch pata hi nahi hoga bas aap flow ke sath khelte rahonge jisme kabhi aap jyada kill ke sath jeet sakte ho par wo 5 me se ek game hoga jisme aapko acche se kill milegne aayni ke 7 se jyada and winner aap 10 me se ek hi baar ban pavoge jaydatar fight me aapki team 1v1 karne jayegi jisme se sayad wo jeet jaye par bahut baar samne wali team ke 2 bando se ek banda me jayega jisse aapki team se ek banda marega hi upar se aap sabse jyadabar 3rd party honge jiski aapko bhanak bhi nahi hogi and har match me 2 ya 5 kill ke sath aap game se nikal javoge par uske baad aati hai sabse badi chij wo sabse danger hai agar aap overconfidence me agar ek tournament haar gaye fir uske baad aata hai wo hai yips aani aapke lode lag gaye agar is state me aapka mind aagaya to waha se bahar niklna bada muskil hai kyun ke iske baad aap ka dimag apne aap hi fight se darne lagega wo fight nahi lega wo bas bachne ke liye jayega ya fir kuch aesi chije karega jise dekh ke aapke teammates bhi bolenge ye kya kar raha haii bsdk ke and puri ko ye yips hua to aapki org ke lode lag gaye ye samaj lo jaisa aapne dekha bhi hoga bahut sari team ko jo ek time pe world ki best thi aur kuch month baad wo puri tarah se bikhar gai hoti hai.

vaise is game me ek baar hi world championship huvi thi jo kuch month pehle huvi thi jisme semi final ke 24 team me india ki 4 teams thi and 16 team final me india ki 2 team ek 11th thi and dusri 7th jo 5th se 7 points hi kam the and 4th 10 point aur wo team thi TRON



ye sab baat huvi normal ab aate hai esport ke sath fayde ki agar aap acche player ho ya aapki team acchi hai to aapko koi org moka degi unke sath judne ka jaha aapko salary milti hai sath me bahut sari acchi acchi chije provide hoti hai jisse aap apna best game de sakte jaise accha device , coach, manager, analyst. and aap koi tournamet jitte hai to sath me aapki popularity badegi wo youtube ya insta pe ho ya dusri gaming stream site pe ho waha se aapko paise milenge and kuch time me aap jyada accha khele to celebirty par aesa nahi hai ki aapko esport player hona jaruri hai aese bhi bahut sare classic player hai jo celeb ban gaye hai bas aapka content accha hona chahiye jo jayda logo ko pasand aaye and is sroty me streamers ki baat bahut jyada hogi and logo ke comments ki bhi


Ab suru karte hai story abhi 2026 me 1 saal ho gaya tha EVE-HUNTERS ko aaye huve har koi school ya collage me yahi game khel raha tha ek dusre ko apni rank dikha rahe the apna gamplay dekha rahe the apni alag alag skins dikha rahe the aur skins ke mamle me sabse best chij is game ne jo ki thi jo baki games nahi ki thi wo thi apni khud ki market lana jiska naam tha hunter-market jisme website ya app me jake aap skins bech sakte ya kharid sakte the paise dekar yaha tak ki aap hunters yani character bhi bech sakte the jiska 25% eve-hunter ko jata tha aayi agar aapne 1k ki kuch skins bechi to 250rs eve ko jayenge jinhone ye game develope ki thi aur sath me aap koi skin ko auction bhi kar sakte the jisme aapko 24 hours milte the usme se agar aapki chij kisine kharidi nahi fir bhi aapko kuch paise dene padte the jo price set ke upar rehta tha par jyada se jyada 1k hi hota hai.

ab market hone se bahut si chije gaming me change ho gai thi jo sport player ya stremer nahi tha wo bhi paisa kama sakta tha apni mehnat se kyun ki kuch mission ya rank tak janega skin and hunters milte the usko bech sakte the aese hi bahut sare mission aate rehte the time to time jo game ko majedar banaye rakhte tha jaise aapko master me hoke puri team ko 35 kills karne hai jo muskil hai par acchi team hai to kar sakti hai uske liye aapko skin milti hai to aap usko bech sakte ho market me aur jitni bhi baat kills karo utni hi baar aapko wo skin milti hai jisse aap acche khase paise kama sakte ho.



ab aate hai streamers pe jo alag site pe stream karte the kuch ko sponsership mili hoti hai us site se jisse unko paise milte hai hours ke hisab se fir aese hi bahut brand hote hai jiise aapko sponsership milti hai sath me paise bhi jaise kisi brand ke headphone use karne ke ya unke devices use karne ke aesi bahut sari chije thi isme aese hi kuch exmple ke tor pe baat karenge ek team ki jiska org ka naam tha TRON jo hunter world championship (HWC) me 7th pe thi vaise esports me pehle jyada ladkiya nahi thi par ab kuch ladkiya aane lagi hai vaisi hi ek ladki thi YAVNIKA jo tron ke sath khelti thi aani ki world me jo 7th pe team thi uski player hai aani india me sabse best girl player ek hisab se waha world champ me bhi sirf 8 hi ladkiya thi usme jis team me ladki ho aur sabse upar ho wo vaisi tron pehli thi jiski vajah se yavnika india me pehle se hi popular to thi hi par world me bhi ho gai upar se uski khubsurti in sab bato pe chand chand laga deti thi usa pretty sa face jo gusse me bahut aacha dikhta tha ab gaming me ya social media me bas accha dikhna hi kafi tha aapko celeb banne ke liye par upar se ye bahut hi acchi player thi iski team me jo player the usme se ek tha anish jo india ka sabse best player mana jata hai uska in game name yani ign hai TRONxPsycho jo bahut hi jyada famouse tha.

yavnika ke abhi insta pe 20M se jayda follwers hai usme se jyadatar game ke uske fans hai par baki log jinko game ke bare me nahi pata wo iski khubsurti dekh ke isko follow karne lage fir baad me unko game ke bare me pata chala and uske youtube 16M subs hai jo 7 month pehle banai huvi channel ke liye bahut acche hai waha anish ke yt pe 23M subs the and isnta pe 15M followers and unke org ko insta pe 4M se jayda followers hai and yt pe bhi 2M hai par waha pe jyada post org relate hoti hai so kuch me view kuch me jayda aesa hai, par tron ke sabhi player ke followrs and subs jyada the sab M me khel rahe the sab pe ab paise bhi bahut aagaye the org ke owner ke paas aese bhi pehle bahut paise hai unke bare me baad me aage baat karunga.

yavnika ka ign (in-game name) hai TRONxMISA, ab aate hai present pe aaj yavnika collage first time ja rahi thi 1 month ho gaya tha uske first year collage ka uski collage ka naam tha YN, usko principal bhi kuch nahi kehne wale the kyun ke wo abhi celeb thi wo bhi chahte the ki unke collage ka naam bade jab usne principal ko bataya ki wo first time collage me aarahi hai to unke hosh ud gaya aur yavnika ne bata diya tha principal ko ki uske aane ke baad usko thodi personal space milni chahiye kyun ki bahut sare log uchal uchal ke selfie lene aate hai jo usko bilkul pasand nahi tha par uske fans the wo samaj sakti thi isliye wo direct mana bhi nahi kar sakti thi isliye usne principal se baat ki aur unhone sabhi class me jake bata diya tha ki yavnika ko personal space dena and ek ek karke selfie lena jyada paresan mat karna.

ab time aagaya yavnika pehli baar collage me pohchi uski car collage me enter huvi par waha pehle se hi bahut sare student phone leke khade the jo usne socha tha ki hoga jo bacche padhne nahi aate the wo bhi aaj aaye the jab wo car se utri to bahut log bhaag ke paas me aagaye par uske bodygaurd the jiski vajah se usko problem jayda nahi huvi sab selfie lene lage aur misa misa chilane lage jo uska game name tha jyadatar log usi naam se jante the usko students sab pagla gaye the kuch dur par prinipal bhi khade the sath me kuch teacher bhi jinko bhi photos lene the andar jane ke baad par yaha students jagah hi nahi de rahe the aese bhare pade the ek dusre ke upar selfie lene ke liye aur aese hi sab chal raha .

ye sab niche chal raha tha tab second floor pe do student khade the jo ye sab niche ho raha tha wo sab dekh rahe the ye dekh ke first studetn bolal '' yaar ye to mene socha tha usse bhi jyada khubsurat dikhti hai mujhe laga sirft insa pe fliter lagati hogi par real life me usse bhi jyada acchi dikhti hai'' ye sunke dusra student bola '' ha wo to hai par sath me khelti bhi to bahut accha hai '' ye baat sunke pehla student bola '' ha tujhe to acchi game khelne wali hi pasand aayegi bhale dikhne me jaisi bhi ho, par wo chod tu kab aage badega ya fir aese hi puri life underdogs banke nikal dega '' ye sunke dusra student smile karke bola '' uska tension mat le bas ye hamari igl pata nahi kaha gand marva raha hai kuch din se jab wo bolega vaisa hi hoga '' first student bola '' wo bhi baat hai par kuch time me HIL ( hunter indian league ) aaraha hai usme jo top pe honge unko china me invite milga jo world championship se kam nahi hai '' ye sunke haste huve second student bola '' tu tension mat le chote me dhamaka karne ke liye ready hun bas team wale bole to sahi "
 
Last edited:

Spiegel

Supreme
673
2,872
124
Hunters and weapons list:


NAME-ANYA
TYPE-ATTACKER
SPECIES-HUMAN
SKILL-BLUR( YE SKILL USE KARNE PE 25 METER ME SARE ENEMY KE DEVICE ME BLUR YA SHAKE AAJATA HAI 10 SECONDS KE LIYE. JISSE SCREEN THODI SHAKE HOTI HAI JISSE AIM KARNE ME DIKKAT HO JATI HAI. YE SKILL KA COOLDOWN TIME 25 SECONDS HAI)

ULT SKILL-XSENSE( ISS SKILL SE 40 METER KE AREA ME SARE ENEMY KE SENSE KAM HO JATE HAI UPAR SE BLUR AAJATA HAI JISSE FOOTSTEPS NAHI SUNAI, MAP ME BHI NAHI DIKHTE. COOLDOWN TIME 1 MIN SATH ME 15 PERK KI JARURAT PADTI HAI SKILL USE KARNE ME)



png-transparent-wet-xbox-360-playstation-3-video-game-drawing-others-video-game-fictional-character-



NAME- IVY
TYPE- SUPPORT
SPECIES-METAHUMAN
SKILL- POISON BOMBS ( 70METER TAK KAHI PE BHI POISON BOMB DAAL SAKTE HAI PAR ENEMY KE SATH TEAMMATES KI BHI HEALTH JATI HAI JO 1SEC ME 10 DMG HOTA HAI. COOLDOWN TIME 15 SECONDS)
ULT SKILL- POISON ARENA (15 SECONDS KE LIYE GUN KA DMG 1.5X HO JATA HAI 15 KE PASS ME JO AATA HAI USKA DMG APANE AAP 1SEC ME 7 DMG HONE LAGTA HAI. 15PERK KI JARURAT AND COOLDOWN 1MIN )



saul-sifontes-14-animas-female


MINX


NAME-SORA
TYPE-SUPPORT
SPECIES-HUMAN
SKILL-EXTRA BAG CAPACITY +100(NO COOLDOWN)
ULT SKILL- BAG CAPACITY +125 EVEN IF CLASS CHANGES (20PERK NO COOLDOWN)


png-transparent-point-blank-garena-nfinity-games-massively-multiplayer-online-role-playing-game-othe







NAME-MINX
TYPE- HEALER
SPECIES- MAGE
SKILL-HEALTH REWIND BY EXACT 10 SECONDS (COOLDOWN 45 SEC, JO 10 SECOND PEHLE THI WAHI HEALTH HO JATI HAI KAM HO YA JYADA HO TEAMMATES KI BHI HEALTH REWIND KAR SAKTE HAI )
ULT SKILL- ULT HEALTH BUFF(10 METER KE AAP WALE SABKI HEALTH KO 1SEC ME 15 TAK BADA SAKTE HAI , 15 PERK 1 MIN COOLDOWN )



123005-1920x1080-5edd7b55985f318555d64e73eb1947c4




NAME-SONIC
TYPE- ATTACK
SPECIES-HUMAN
SKILL- 2X SPEED( 20 SEC COOLDOWN)
ULT SKILL- GOD SPEED ( SABKI SPEED BAD JATI HAI PLAYER KI 2X YAHA TAK KE VEHICLE KI 1.5X HEALING KI SPEED BHI BAD JATI 20 SEC KE LIYE HAI AND CHANGE CLASS SIRF 5 SEC ME HO JATA HAI. 1MIN COOLDOWN 15 PERK KI JARURAT )


15-3d-game-character-by-cgni-school-preview

NAME-BLINK
TYPE-TANK+ATTACKER
SPECIES-UNKNOWN
SKILL-INVISIBILITY (CAN TURN 80% INVISIBLE FOR 10 SEC, 40 SEC COOLDOWN)
ULT SKILL-MIRROR SHIELD - ( CAN MAKE 3 MIRROR SHIELDS, 1MIN COOLDOWN AND 15 PERK)





e96d9f6f939ae42a3dc61cc74ef62869


NAME-OHAM
TYPE-TANK
SPECIES-MONSTER
SKILL- ALWAYS HAVE SHIELD IN FRONT OF HIM ( SHIELD AAGE SE 80% BODY COVER KARTI HAI CHEST SE KNEEL TAK JISSE 50% DMG KAM HOTA HAI PAR SATH ME SPEED BHI KAM HOTI HAI)
ULT SKILL- TOTAL DEFENCE SHIELD FOR 15 SEC ( AAS PAAS 15 METER ME JO TEAMMATES HOGA USKO BHI DEFENCE MILEGA PAR ANADAR SE BAHAR KOI GOLI NAHI MARSAKTA NAHI BAHA KI GOLI ANDAR AASAKTI HAI, BHAGTE TIME BHI USE KAR SAKTE HAI, 1 MIN COOLDOWN AND 15 PERK )





ec7995f4b837dce0184518eb370ad638

NAME-MECHA
TYPE-SUPPORT
SPECIES- MECHA
SKILL- CAN BREAKS WALL WITH PUNCH ( 40 SEC COOLDOWN)
ULT SKILL- 2 KNOCKOUT PUNCH ( CAN KILL OR KNOCKOUT SOMEONE THROUGH WALL YA DIRECT HIT PUNCH, 45 SEC COOLDOWN AND 5 PERK)



d7vlemw-2020da3e-080a-4db6-b42e-d0865049b296


NAME-XIV
TYPE- SUPPORT
SPECIES- HUMAN
SKILL-ERASE ( CAN ERASE MOST OF ANY SKILL USED ON PLAYER , 45 COOLDOWN)
ULT SKILL-ALL ERASE ( CAN ERASE ALL SKILL USED IN 25 METER AREA AND OTHER PLAYERS CAN'T USE SKILL FOR 10 SECONDS, 1 MIN COOLDOWN, 15 PERKS)




Sniper-KZ2

NAME-RANGER
TYPE- ATTACK
SPECIES- HUMONOID
SKILL-EYESIGHT -CAN SEE OTHER PLAYERS THROUGH ANYTHING IN 25 METER AREA ( 45 SEC COOLDOWN )
ULT SKILL- ULT EYES - CAN DETECT VEHICLES IN 150 METERS ALSO PLAYERS IN 40 METERS ( 1MIN COOLDOWN, 15 PERKS)


0-c-Hg5ihx-GGk-T4-X0-Jf



NAME-CHIGO
TYPE- SUPPORT
SPECIES- HUMAN
SKILL-NUKE - ONLY HUNTER WHO CAN USE GRANDE LAUNCHER ( ONLY 7 PER MATCH AND 4 MIN AFTER MATCH START, +70 DMG PER NED IF HIT DIRECTLY, MAX 70 METER RANGE)
ULT SKILL-RPG LAUNCHER - 100% DMG IF HIT DIRECTLY, CAN BLAST VEHICLES IN ONE SHOT( 1MIN COOLDOWN 15 PERK, NORMAL RANGE BUT HIGH RECOIL AND SLOW SPEED)





2-jpg665ac535-2f6a-4735-b776-42b46b43a860-Original


NAME-XERO
TYPE- SUPPROT
SPECIES-MECH
SKILL-SURVEILLANCE DRON ( JAB DRON USE KAR RAHE HO TO HUNTER KO CONTROL NAHI KAR SAKTE SIRF DRON KO KAR SAKTE HAI AND DUSRE PLAYERS KA PATA LAGA ,
SAKTE HAI KI WO KAHA HAI AGAR UNHONE DRON KO CHUPKE SE GIRA NAHI DIYA T0,1 MIN COOLDOWN AND 15 SEC DRON USE)
ULT SKILL-AIRSTRIKE-DUSRE PLAYERS PE AIRSTRIKE KAR SAKTE HO DRON SE (1MIN COOLDOWN 15 PERS)


3d296287e0557546a0eef821cb6bbef6-daenp0v


NAME-MEVE
TYPE- HEALER
SPECIES-HUMONOID
SKILL- AUTOMATIC HEAL AFTER 10 SECOND 7 HEAL PER SEC FOR 10 SEC( 55 SEC COOLDOWN)
ULT SKILL- CAN CALL HEALER DRONS ( JO 15 METER ME SABKO HEAL KAR SAKTE HAI 7 HEALTH PER SECOND AND 4 FIRST-AID BHI DETE HAI )






4-3d-model-humanoid-robot-proximaroyale-preview


NAME-ZICK
TYPE- SUPPORT+ATTACK
SPECIES- ALIEN
SKILL-SUMMON ANY UTILITY TO +70 BAG CAP AND 1 BIKE PER MATCH( AFTER 2 MIN OF MATCH START)
ULT SKILL-CAN SUMMON ANYTHING +100 BAG CAP AND ANY 2 VEHICLE PER MATCH( AFTER 4 MIN OF MATCH START)



10-3d-alien-model-design-preview
 
Last edited:

Spiegel

Supreme
673
2,872
124
4 MAPS HONGE ABHI 3 HI GAME ME HAI TO WAHI ABHI KE LIYE DUNGA

TRI-LAND-( 3 ISLAND SE BANA HUA MAP HAI EK PURA ICE SE HAI 2 NORMAL HAI, JO NORMAL HAI USME SE EK BADA AND EK CHOTA JO PANI SE ALAG HOTE HAI DONO KE LIYE 2 BRIDGE AND 1 UNDERWATER TUNNEL HAI, JO BADA ISLAND HAI USSE ICE WALA ISLAND JUDA HUA HAI WAHA JANE KE LIYE BAHUT JAGAH HAI AAPAS ME JAISE DONO SATH ME HI HAI.
IISME 100 PLAYES KHELTE HAI BADA MAP HAI


2018-11-25-image-2 Battlefield-2042-Breakaway-Overview battlefield-2042-vtol-jet maxresdefault


call-of-duty-warzone-new-map-release-date-3





Sanctuary- ISME 80 PLAYERS KHELTE HAI YANI 20 TEAMS NORMAL SIZE MAP HAI AND SABSE BAHUT AASAN MAP HAI ISLIYE JYADA LOG ISI MAP ME KHELTE HAI,


cod-warzone-min-scaled



NEOCITY- CHOTA MAP HAI 64 PLAYERS KE LIYE HI PURA FUTURE KI CITY DIKHAI HUVI HAI AND BADE TOWERS HAI UPAR SE BAHUT SARE HOUSES HAI ISME JYADA FIGHT CLOSE ME HOTI HAI AND AGAR KOI TOWERS KE UPAR CHAD JAYE TO SNIPE KARNE ME MAJA AATA HIA


ako-sa-hra-hyper-scape-nova-b-244383-2582208-640



hyper-scape-hero-1
 
Last edited:
Top