• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Tawaif

james_kr

Member
235
259
63
Credit goes to original writer " Aashiq Tera " sir .
Thanx to him for such a lovely story .
TAWAIF
One of the best story of xp
thanks to "AASHIQ TERA" bhai
apne itne acchi story hum sab
kliye likhe
thanks to SHAH40" Bhai
apko bhi
apne hum sab ko dobar ish story
ko read karn k moka diya
main toh soch bhi nahi tha
k kabhi wapis story ko phed pao
ga
thanks bhai
 

Shah40

Active Member
1,354
2,023
143

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Prolonged

"'TAWAIF" -EK aisi vednaa jise na kisi taaruf ki jarurat , na kisi pahchan ki darakaar . Uska pesha hai jism bechana .......majboori me ...ya shayad "shauk" me ..... Sharm aur hayaa to bahut pahle hi neelam ho jati hai..............shayad usi din jis din uske sath ye TAWAIF naam jud jata hai ..ya yu kahen ki jod diya jata hai .Bechane ko uske paas kuchh bachta hai to sirf jism......Lekin sab iljaam apne seene par haskar sajaa lene wali tawaif kahaa se aati hai?? koi alag duniyaaa, koi alag samaaj ...koi alag DESH...nhi !!! hmaare hi kanoon , hamare hi riwaz use Tawaif bana dete hain . Tawaif to sirf ek khilona hoti hai...jis se jism ki bhookh mitayi jati hai. wo kisi ke raat ki Rani to kisi ke saanjh ki baati nhi ban paati ...kabhi nhi. ....Na kisi ki beti, na kisi ki biwi,na kisi ki premika....na koi majahab , na koi jaat , na koi biradari...... EK tawayaf ki sirf ek hi pahchan hoti hai.........."Tawaif to sirf Tawaif hoti haii
behtreen
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 1-------------

MUMBAI ke ek posh ilaake me sthit ek shandar kothi....bahar gate ke pass lagi huyi name plate...MAANAS VILLA, S234/A, SADANAND CHAUHAN , M.L.A........ Sadanand Chauhan area ke sabse prithisthit aur sabse rayish vyakti...dosto ke bich Sadaa babu ke naam se jaane jate hain...unhi Ki hai ye kothi.


7 din pahle aaye state ke elction result me wo ek regional party ke MLA chune gaye the aur aaj usi jeet ko celebrate karne ke liye apne jaan ne walo ko aur party workers ko treat de rahe the .. Ek aur khusi ki baat thi.....2 saal baad unka beta Alok USA se MBA karke wapas aaya tha...to is dohri khusi ke muake par Manas Villa ko bhavya tarike se sajaya gaya tha. Sadanand sahab ke paas daulat ki koi kami nahi thi.....khandani rayeesh the, to zahir hai shauk bhi rayisho wale the............


sharaab aur shabaab............Lekin bachcho par kabhi is rang ki parchhayi nhi padne di thi unhone. Biwi ki maut kisi bimari ke chalte bahut pahle hi ho gayi thi....dusri shaadi nhi ki sadaa babu ne..do hi bachche the....beta Alok aur beti Anjali.....Alok Anjali se lagbhag 2 saal bada tha. …..Anjali ki shadi huye 6 mahine hi huye the aur wo foreign me settle ho gayi thi. Aaj wo nhi aa payi thi aur Alok apni behan ki shadi me nhi aa paya tha. Sadanand sahab ne kabhi bhi apni kisi ichhha ko apne bachho par thopa nhi tha....





dono hi bachche kafi khule mijaaj ke the. Party apne joro shoro par thi...ameero ki party thi to tarah tarah ki desi videshi sharaab bhi apni rangat me thi aur party ke kuchh nav-yuvak netao ne shabaab ka intzaam bhi kiya tha. Intzaam kya tha abhi wo kisi ko nhi pata tha. Sadaa Babu se bhi chipaakar unhe surprise dene ka plan tha. ALOK, behad dilkash aur handsome peronality ka malik...lambaa kad, majboot kad kathi....gora surkh cherhra...kali bhawraa si aankhe , chehre par ek gambhirata aur personalty me ek thahraav.....Dekhne se kisi gambhir vicharo wale lekhak ki yaad dialata.




Wo sab se hi bade rasaan se mil rha tha....state ke jaane maane logo se Sadaa babu apne bete ki jaan pahchaan karwa rhe the.Alok ke saath ek videshi mulk ki ladki bhi thi .......dudh si rangat , najuk si, laal laal hoth ,bhure-safed baal aur bhuri bilori aankhe........bahut khubsurat na sahi lekin behad maasoom lag rhi thi wo . Alok ke saath-saath lagi huyi hasti khilkhilati....naam tha Sophiya aur ALOK use Sophi kahkar bula rha tha.. ***********************************************




"Wo taiyaar ho gayi ?? " Lailaa Bai ne darwaze par aate hi puchha. "j....j...jeee" jaldi se apne saamne baithi ladki ke jude me clip fasaate huye Runaa ne jawaab diya. "hmmm ab der nako karo........jaldi se le aao niche, tame ho gaya hai pirogaraam ka........" lailaa bai ne paan ke thuk ko nigalte huye aankhe tarerakar kahaa.



Laila bai , apne jamaane ki mashoor Tawaif aur is samay Mumbai ke sabse mashoor kothe ki malkin ...aaj ke sabaab ka intzaam KI zimmedari unhe hi mili thi aur wo itne bade mauke ko hath se nhi jane de sakti thi ...isliye aaj pahli baar kisi kothe se baahr ki mahfil par unhone apne "kohinoor" ko utaraa tha.



Runaa unke kothe ki khas makeup karne wali auarat kaa naam tha......aur is samay wo us ladki ko taiyaar kar rhi thi jise aaj ka prograamme karna tha.......Lailaa bai jise "kohinoor" kahti thi . wo aaine ki or chehra karke baithi thi aur runaa pichhe se uske baal bnaa rhi thi Ladki taiyaar ho gayi thi aur stage par pade parde ke piche khadi thi...do parde lage the ...ek stage ke bhi bahar jis se kisi ko stage bhi nahi dikh rha tha....aur dusra stage ke dusri chhor ki or ...jaisa aam taur par kisi play me laga hota hai .



Lekin behad khubsoorati se sajaay gya tha...tarah tarah ke juhmar lage huye the....kul milkakar stage ko kisi rangmahal ke jaisa bannane ki kosis ki gayi thi . Ladki (kohinoor) ka aadhe se jyada chehra ghunghat me dhaka hua tha....ek transparent sa dress pahna hua tha usne....gori chitti najuk si kaya aur patli kamar ...kamsin jawani ko numaya kar rhi thi...unnat ubharo par padaa jheena.



sa kapda unki laaj bachaye huye tha....ladki ka chehra nhi dikh rha tha lekin jitna dikh rha tha utna hi kaafi tha jawano aur budho ke dil par bijliyaan giarane ke liye. "Ja kohinoor, waqt ho gya..." Runaa ne parde ki or ishara karte huye kaha. "Baji aaj jane kyu dil bahut ghabraa rha hai...baaji aaj dar lag rha hai... aap bol do na Lailaa baji ko ki mai nahi karungi aaj...kisi aur ko bol de...please baji.." kohinoor ka chehra to nhi dikh rha tha lekin uski aawaz bhigi si lag rhi thi.



yakeenan aurato ke dard ka sachcha humdard, aansu , uski aankho se bah niklaa tha. "Tu janti hai na kohinoor, mai kuchh nhi kar sakti...jaa meri bachchi ..jaa..." Runaa ki aankhe bhi bheeg gayi lekin wo jaanti thi ki is daldal se ab koi nhi bacha sakta tha uss masoom ablaa ko. Kuchh hi der me announce kiya jane laga..........jaane kya kya bol rha tha announce karne wala lekin kohinoor ko matlab tha bas apne naam se ........Jiske baad use jana tha.......aur usne bas utna hi suna.......... "




To dosto pesh hai aaj ki mahfil me ..........kohinoooooooorrrrrrrrrrr………………." Logo ki aah aur wah suru ho gayi thi...seetiyon ki aawazen bhi aane lagi....sharifon ke mahfil me ek Tawaif nachne wali jo thi. Aakhirkaar parda uthaa diyaa gya..............ek manmohak Sangeet ke bich bahut si ladkiyo se ghiri huyi kohinoor sabke saamne aa gayi......apne aansuo ko sambhalate huye salaam karne ke liye usne jaraa sa sar uthaya........uufffff.....pahli hi nazar jis par padi uske baad kahi nhi padi..........kohinoor ke pair kaap gaye. ...........pair kaampe aur ghungharoo baj


uthe...logo ne ek Tawaif ke dard par bhi taliyaan baja di





..........Ghunghat par haath apne aap sarak gaya aur wo thoda aur lambaa kar liya usne..........aansuon ki baadh sare bandhan tod kar bah nikli.....Waah re zaalim kismat......aaj barso baad..........kohinoor mano but ban gayi thi ....kisi tilism ke asar me ho mano..........lekin jald hi parde ke pichhe se aati ghudkiyo aur galiyon ne uska tilism tod diya...aur fir kohinoor ke ghunghroo bolne lage.......aahon aur siskiyo ke bich uske geet fut pade........dard ke geet............pahli hi line gaayi usne .......... "Piya lagi lagan bas tere naam ki, tujh pe balihari jau kasam raam ki..
bahut khubsurat.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update-2

Alok ke chehre ka rang jaise bilkul ud gaya tha us aawaz ko sunkar.......uske chehre par sare jaamne ka dard umad aaya tha....bechaini har saans ke saath badhne lagi.
wo badhawaas sa us ghunghat ke andar chhipe mukhde ko dekhne ki kosis kar rha tha....lekin chahkar bhi wo stage par jakar aisa nhi kar pa rha tha.....sabse najre chura kar wo ek deedar ko taras rha tha us Tawaif ke .



Whi dusri or poori mahfil us Tawaif ke nach gaane ka luft utha rhi thi........Paise luta rhi thi uspar....ek Tawaif ka swaang apne rang me sabko rang rha tha………………kash koi uske dil ka rang bhi dekhta.kash kisi ko usme kisi apne ka aks dikhta….kaashhhhh ! Jane kis mitti ki bani thi .....dil ro rha tha, aankhe baras rhi thi lekin kohinoor ke pair thirak rahe the....Uske hoth dard me rache us geet ko gaaye ja rhe the...Vednaa to pahle se thi uske dil me bas aaj wo foot kar bahar nikal rhi thi. Har saaj ke sath alok ke dil ki aashanka badhti ja rhi thi …



man hi man wo apne bhagwaan se vinti kar rha tha ki jo use mahsoos ho rha hai,wo sach na ho……lekin beet te waqt ke har pal ke saath uski ashanka aur badhti hi ja rhi thi.


Har taal ke saath kohinoor ke ghungharoon ki aawaz tej ho rhi thi….. uski dard me dubi aawaz Alok ko bahut takleef pahucha rhi thi……… “mujha pe chhaai hai kaisi ye deevaanagi, maine maana tujhe apana bhagavaan ji ; mujhako saugandh saajan mere raam ki bin tere main nahi ab kisi kaam ki ………”…… Inhi line ke saath ek pal ko thithki kohinoor……mano sablog kisi sehar ke aalam se bahar aa gaye.



lekin agle hi pal fir se wo ghunghroo bol uthe…….. “teri dahaleez pe, oooo, teri dahaleez pe dam ye nikale mera Tujhe pe bali haari jau kasam raam kiiiiiiiiiiiii……………….” Saaj ki taal tej hoti ja rhi thi aur sath hi saath kohinoor ke ghunghruon ki aawaz bhi….buri tarah se thak chuki thi wo lekin aaj to wo kisi junoon me naach rhi thi……..jab tak pair saath dete wo nhi rukti. Vaisa mujraa shayad hi wha maujood kisi shakhs ne apni jindagi me dekha tha……lekin us kalaa ki koi tareef karne wala nhi tha…sabki aankhe bas uske jism par thi…….aakhirkaar thak kar kohinoor ke ghunghruon ne jawaab de diya……geet ke aakhiri bol Alok par ek nazar dalte huye kohinoor ne ataa kiye…….





tujh pe bali haari jau kasam raam kiiiiiiiiiiiii……….tujh pe balihari jau kasam raam ki……….” Aur fir kohinoor ke ghunghroo toot gaye. Wo ladkhada kar stage par gir padi……….shayad behosh ho gayi thi………uske chehre par padaa jheena sa ghunghat bhi hat chuka tha aur Alok bhi shayad behosh hi ho gya tha aansuon me dube us masoom mukhde ko dekhkar. “ kaajal ” Alok ke muh se cheekh nikal gayi……..uski aankho me aansu bhar aaye…….is se pahle koi kuchh samajh pata Alok stage par pahuch chuka tha aur Kohinoor ko apne majboot bajuo me utha stage se utra aur andar ki or chal diya. Sadaa babu chauk uthe the Alok ke is bartaav se.



Narazagi aur sharmindagi dono hi unke chehre par saaf saaf jhalak rhi thi….lekin abhi kuchh kah kar wo apni matti paleet nhi karna chahte the.so chup rahe. Mahol thoda gambhir ho gaya…….aur aise me MLA sahab ke hi kisi shohde ne aur rang chadha diya…… “lagta hai apne ALOK babu ko pasand aa gayi ye tawaif…….he he he….Sadaa babu beta aap par hi gaya hai…….” Sadaa babu bhi jabrdasti ka muskuraa diye..aur mahfil me maujood logo ko ek nayaa bahana mil gaya tha…..kuchh to yha tak man rhe the ki Alok us Tawaif ke saath pahle hi raaten gujaar chuka hai aur is liye hi use pahle se jaanta hai……Vaise bhi shareefo ka kisi Tawaif se bhala aur kya rishta ho sakat tha???





Lekin sadaa babu ka chehraa gambhir ho gya tha…unhe pata tha ki Alok kya hai ?? kisi tufaan ki aashankaa ho rhi thi unhe……apne ek khaas aadmi ko bulakar unhone kuchh kaha aur andar bhej diya. Wo aadmi seedhe Lilaa bai ke paas gaya aur uke kaan me kuchh bola….Laila khud soch rhi thi kya kare….jis tarah se Alok kohinoor ko uthakar le gaya bahut kuchh sochane par majboor kar gaya use …par wo bhi poori ghagh thi.





Apne “kohinnor “ ko yu hi kaise jaane deti . wo bhi uthkar teji se andar ki or chali gayi. Wahi Runaa ke chehre par ek santosh ke bhav the…barso baad aaj uske dil me umeed ka koi chirag jalaa tha. Idhar Alok kuchh sadme ki si halat me kohinoor ko uthaye apne room ki or chala ja rha tha. Sophi uske saath saath chal rhi thi lekin kuchh bol nhi rahi thi.


bas chuchaap Alok ke chehre ko dekhe jaa rhi thi.Sophi ne jaldi se aage badhkar darwaja khola.. Alok kohinoor ko lekar andar dakhil hua aur use apne bed par litaa diya……..uske sirhaane baithkar chuchap uskechaand se mukhde ko takne lagaa. khyalo ki ek aandhi chal rhi thi uske man me .


Kahaa wo masoom si salwaar kameej me lipti kaajal aur kahaa ye kohinoor- ek Tawaif. kitna kuchh badal diya tha in kuchh salo ne. Lekin kuchh aisa tha jo abhi bhi nhi badalaa tha….wo thi Kaajal ki masoomiyat, uske chehre ki pakizagi..uska wo Sadaapan. Kam se kam Alok to is baat ko mahsoos kar rha tha.Sophi whi chuchap khadi Alok ke chehre par aate jaate bhavo ko dekh kar kuchh anumaan lagane ki kosis kar rhi thi…


Alok ne apne haath kohinoor ke mathe ko chhune ke liye badhaye hi the ki… “are are huzoor……… .kuchh muh dikhayi to karwayi do…are aisi bhi kaa jaldi……aap hi ki hai…..jo chahe karna …par tanki thahar jao…….Are hmko to talaash thi tohre jaise jauhari ki jo aiki sahi keemat lagggggg…………..” Lailaa ki muh ki baat muh me hi rah gayi itni jor se gurraya



Alok………. “Halak se jubaan khich lunga agar kaajal ke bare me ek aur lafz gandaa nikala to……..tu keemat lagayi kaajal ki ……..tu…….” palak jhapakte hi Lailaa ki gardan Alok ke panje me thi Alok ki aankhe khoon barsaa rhi thi mano…jaise koi hosh hi na tha use…. Sophi but ban gayi thi bilkul ..shant-shant se, suljhe suljhe se rahne wale Alok ka ye roop pahli baar dekha tha usne.




Bahut dar gayi thi wo….Lailaa ka chehra ekdam laal ho gya tha aur wo alok se chhutne ki poori koisis kar rhi thi lekin sab bekaar. “chhod dijiye malik ise…….Allah ka wasta hai aapko……..aapke rab ka wasta chhod dijiye…”Runa dakhil hi huyi thi kamre me ki andar ka nazara dekhkar Alok ki or bhagi aur minnate karne lagi. Alok par jaise koi nasha sawaar tha…uski pakad dheeli nhi ho rhi thi……Runaa kisi ko bulane ke liye bahar ki or bhagi. “ye kya ho rha hai????chhodo use….”sadanand ki kadak aawaz kamre me gunj gayi.



Uska bhi asar Alok par nhi padaa
ha……. Wo aage badhe aur Alok ke haath ko pakad kar lailaa ke gale se hata diya………Alok apne papa ki or ektak dekhne lagaa mano puchh rha ho ki kya galat kar rha hu?? . Sadaanand ka chehra gusse se tamtamaya hua tha…lekin Alok ek sawaliya nazro se unki or dekh rha tha……aam taur par Sadanand gussa hote to Alok sar jhuka kar wha se chalaa jata tha…lekin aaj zindagi me pahli baar aisa nhi hua tha…….aur isi baat ne Sadanand ko aur gussa dila diya.




“tumhe to mai baad me dekhunga…….Babu laal uthakar fenk do is haramjadi tawaif ko haweli ki bahar..badjaat ,saali…..hoti hi aisi hain ki kisi ka bhi ghar fod de………” Sadanand ne bahar jama ho chuki apne aadmiyo ki bheed me se kisi ka naam liya. Ek kala mota gunde jaisa dikhne wala aadmi aage badha…….. Is se pahle ki wo Bed ki or badh pata uska rasta rok liya Alok ne…… “Aisi galti mat karna……” Alok thik uske saamne khada ho gaya……….



Bechara gunda kasmakash me pad gaya….kiski sune…….lekin tha to wo sadaa babu ka hi aadmi……. “suna nhi tumne…….??” Sadanand chauhaan fir se gurra uthe.





Wo gunda Alok ke saamne se nikalte hua kuchh kadam hi badha tha ki alok ka jordaar ghunsa uske left jabde par pada………ek jordaar chikh ke saath wo jameen par gir padaa……… Sadanand ko samajh me nhi aa rha tha ki Alok ko kya ho gya hai?? Ek Tawaif ke liye aaj wo apne baap ke khilaaf ho gya tha… “please papa mujhe majboor mat kijiye…haath jodta hu .



Toda sa muka dijiye……bas kuchh waqt……” Alok ne aaj tak kabhi apne paap ki baat nhi tali thi, unchi aaaz me baat tak nhi ki thi kabhi…lekin aaj …….aaj to wo koi aur hi tha.koi deewana. “Aisa kya hai us Tawaif me…are mai tere liye aisi randiyon ki line laga …………..” Sadanand chauhaan ki aawaz gala me hi rah gayi ek bar fir itni jor se garzaa Alok……. “basssssss papa………..”sadanad ke samne aankho me shola dahkate khada tha Alok.mutthiyaa bheech gayi thi uski





mano kah rha ho kash aap mere baap na hote to aaj…………!! “Bas kijiye aap log..bhagwaan ke liye …….mat ladiye ek Tawaif ke liye……”is shorgul me Kohinoor ko hosh aa gya tha. “Tum???????? Oh to ye baat hai……” Sadanand ki nazar jaise hi Kohinoor par padi unke chehre par ek kuteel muskaan aa gyai “Aap??????” Sadanand ki chehre par nazar padte hi Runaa ke muh se anaayash hi nikal gaya...
damdaar update.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Updated -3



Sadanand ek tak Runaa ki or dekh rhe the...kuchh bol nhi rhe the..mano kuchh yaad aa gya ho unhe...Runaa ka bhi whi haal tha........lekin ek naagwari thi Runa ke chhre par..aisa lag rha tha ki ateet ke kuchh aise panne uski aankho ke saamne aagye the jinhe wo kabhi dubara padhna nhi chahti thi. Jaise hi sadanand ko ahsaas hua sabki maujudagi ka, apne aap ko sambhaal liya unhone...... "Jao sab log" sadaanand ki aawaz sunte hi sare naukar wha se chale gaye.....Babulaal bhi uthkar apne jabde ko sambhalata dheere dheere bahar chalaa gya. Kamre me ab sirf Runa, Sadababu,kohinoor ,Alok aur Sophi rah gaye the.Lailaa chali gayi par Runa nhi gayi.kyu?? ye to sirf Runa hi jaane. "Le jao ise yhaa se......"Sadanand apne gusse par kabu paane ki kosis karte huye fufkaar rhe the. "kahin nhi jayegi ye...Tab tak nhi , jab tak mai nhi kahunga........." Alok ek baar fir se apne baap ki khilafat par utar aaya.


Mai jaungi !!!, chaliye Runa baji........" is baar bahut der se sara tamasaha dekh rhi kohinoor bol padi. " Tum kahin nhi jaogi........." Alok ne ghoor kar use dekha. "Tawaif hu mai Alok babu......." ek dard umad aaaya kohinoor ke chehre par. "kajal ?" Alok kuchh kahne hi wala thi ki kohinoor cheekh padi. "kohinoor naam hai mera..........kajal nhi hun mai....." Alok sann rah gya is baar....kuchh nhi bola.....bolta bhi to kya. Sadanand Runaa se nazre nhi milaa rhe the...lekin gussa unke chehre se saaf saf jhalak rha tha. Alok ko samajh me nhi aa rha tha ki wo kya bole.....chupchap lachar sa kajal ko dekh rha tha. kuchh pal ke liye sab log khamosh ho gaye aur Sadanand ne is khamoshi ko toda......... "Lailaa ko bulao" unhone ne kaha...par koi tas se mas na hua...naukar to unke wha the nhi aur jo the wo abhi unke hukm ki tameel nhi karne wale the......khud hi jor jor se aawazen lagaane lage Laila ko........... Laila nhi aayi to jhunjhlaa kar hi bahar ki badhe aur jaate jaate........ "Le jao Runaa Bai ise yhaa se..kahi aisa na ho ki........."bas kuchh kahte kahte ruk gaye aur daant peeste huye bahar chale gaye.


Runaa ne kohinoor ko hath pakdaa aur chal di......kohinoor ne ek baar bhi Alok ki or nhi dekha....uske chehre par ek udasi thi..ek bebasi. Wo bahar chali gayi.... .Runaa ne jate jaate Alok ki or dekha aur aankho hi aankho me use shant rahne ka ishara kiya. Alok khada dekhta rha...Ek baar fir se majboor. Runa us se kuchh kahna chahti thi shayad par kohinoor ke saamne shayad nhi. Runaa pichhle darwaaze se bahar aayi to dekha kuchh door par khadi Lailaa Sadanand se baat kar rhi thi aur baar baar haan me sar hilaa rhi thi. Wo chuchaap Kohinoor ke saath jakar Car me baith gayi...Kohinoor ke chehre par ek dard tha...ek pachhtawaa tha. Wo aankhe munde seat ki back se lagi baithi thi..aankho se ek ek karke dheere dheere aansu uske gore gore galo par ludhak rhe the. Achanak Runaa ki nazar usi darwaaze se bahar aate Sophi par padi...kuchh kaundha uske dimaag me... "Kohinoor me abhi aayi..wo mai apna purse bhool gayi andar........."Runa ne kaha . "jee baaji" Kohinoor bina aankhe khole hi boli. Runa teji se bahar nikali aur sabse nazre bachate huye Sophi ke paas pahuchi.Is se pahle sophi kuchh samajh paati Runa ne use chup rahne ka ishara kiya aur uska haath pakad kar darwaaze se andar ho gayi. " Wo ladkaa kahaa hai?? andar hi hai ??wo..wo thik hai na...??" Runaa fikrmandi se puchh rhi thi. " Who...?? kaun ..Alok " Sophi ne dheere se kahaa. "Haan...." Runaa ne itna hi kaha.....ki bahar se Lailaa ki aawaze aane lagi.....

O Runaaa?kahaa mar gayiiii" "suno mai jaa rhi hun...us ladke se kahnaa bahut jald kohinoor milegi us se..kuchh waqt lag sakta hai lekin milegi jaroor....kahnaa ki bahut majboor hai Kohinoor...kahnaa ki ......samjhaa dena use..." jaldi jaldi itnaa hi bol payi Runa aur bahar nikal gayi.Shayad jo karne aayi thi wo kar bhi na payi.par wo kisi bhi tarah se Laila ke shak ke dayre me nhi aana chahti thi. Sophi uski baaten to shayad hi samjh payi ho lekin uske haav bhav aur uske kahne ka matalab khoob samajh gayi thi. "kahaa mar gayi thi tu " Runa ko dekhte hi Lailaa ne daanta. "Jee wo purse bhool gayi thi apna andar" "To kaha hai purse ??" "w..wo..wo thodi na milega..kisi naukar ke haath lag gya hoga... vaise bhi shakl se to sare chor hi lag rhe hain.." Runa bolte bolte car me ghus gayi. Lailaa bhi Car me baith gayi....aur car chal di. Lailaa bade dhyaan se kohinnor ko dekh rhi thi.......jo kuchh hua tha use poora to nhi pta chal paya tha ...lekin


kohinoor ke liye Alok ne uska gala dabaya tha ,ye achchi tarah yaad tha....bhala kaise bhool jati. "Sali tu cheej kya hai re....aaye haaye rajaaaa !!!! jamaana to dekho..Tawaif ki mohabbat me ek shareefjada sala apne baap se lad gaya......ha ha ha.....achcha ek baat bta.... aiii bata na !! ...kya chakkar hai ....itni si der me kya jaadu foonk diya....pahle ka yaraana lagta hai....saali mai to tujhe badi shareef samjhti thi....khair mujhe kya ...Sadababu se jyada keemat kaun dega teri........aur mujhe to bas noto se matlab hai......." Lailaa chatkaare le lekar bol rhi thi...zahir hai use kisi bade maal ki umeed dilayi gayi thi...Kohinoor chup chap aansu bahaye ja rhi thi aur Runa ekdam shant thi ..mano apne mauke ka intzaar kar rhi ho........apne waqt ka intzaar kar rhi ho. Bahut kuchh chal rha tha uske dimaag me ...kuchh ateet ke bare me kuchh bhavishya ke bare me.......kuchh buri yaaden, kuchh achchhe sapne. Car ek bade se bangle ke saamne jakar ruki.......wha nhi jahaa Lailaa bai ka kotha tha. "Aaj raat hum yhin rukenge....." Lailaa ne kaha aur haweli ke andar chal di. Runa ko kya aitraaz hona tha..Tawaif ki to zindagi hi yahi hoti hai...koi kotha ya fir har raat nya bangalaa...."Ghar" kaha hota hai unke naseeb me. Raat ke 12 baj rhe the aur Runa , Laila ke samne baithi thi Bangle me . Runa Sadanand ko dekhkar chauki thi, ye Laila ne dekha tha..Lailaa ne puchha to usne kah diyaa ki uske dhandhe me aane ke baad , Sadnand kuchh suru ke customer me se tha.Lailaa ko bhi pta hi tha ki Tawaifon ki kisi se bhi pahchaan bas jism ke saude tak hi hoti hai..usne bhi jyada nhi puchha.


Runa, ek kaam hai tujh se ..." "jee kahiye" "Sadaa babu ne kaha hai ki kohinoor ko kuchh dino ke liye is shahar se htana hai..jab tak unka beta yha hai ...fir wo kohinoor ka koi bandobast kar denge........." Laila bole ja rhi thi. "jee" Runa ka dimaag bahut teji se kaam kar rha tha. "to mai chahti hun ki tu use lekar apne gaav chali jaa.....bade log hain..yha rahegi aur us launde ke hatthe chadh gayi to jaane Sadababu kya karenge..samajh rhi hai na tu......" "jee"Runaa ne bas itna hi kaha. "kal ka tera aur uska ticket karwaa deti hun......aur sun use kuchh mat batana ....use yahi pata chalna chahiye ki wo ladka iske saath raat gujarna chah rha tha aur uske baap ko ye pasand nhi tha....aur isiliye use kuchh din ke liye shahar se door bheja ja rha hai...kyuki baat ek bade aadmi ki hai..neta ki hai...agar baat khul gayi to teri aur meri dono ki khaal utar jayegi...bahut zaalim hote hai ye khaadi wale." Lailaa apni aadat ke veeprit kafi sanjeedagi se baat kar rhi thi......Use khud nhi pata tha ki Alok kaise janta hai kohinoor ko...aur kohinoor kaise janti hai use...vaise bhi wo jaankar kya karti..use koi dilchaspi nhi thi..use to bas kohinoor ke roop me ek tijori mili thi jiski sahi keemat use milni thi.


Bechari Laila Runa ko wo samjhaa rhi thi jo wo abhi tak khud na samjhi thi.daulat ka parda padaa tha aankho par, isiliye Alok ki tadap bhool gayi thi.vaise aur kar bhi kya sakti thi wo, jo kaha gya tha use wo karna tha aur iski keemat use mil rahi thi...is se jyada use matalab nhi tha kisi cheej se. Uski nazar me Kohinoor bhi ek Tawaif thi aur agar alok ke saath uska koi rishta tha bhi to bas ek Tawaif ka apne aashiq se hone wala rishta ...aur Laila ko achchhe se pta tha aise rishton ki umr bahut lambi nhi hoti...sirf tab tak jab tak us se achchhi Twaif kisi kothe par na aa jaye.yahi uska anubhav tha aur yhi uski apni soch thi. "jee bahut behtar...aisaa hi hoga.." Runa ne ek baar fir bas itna hi kahaa. "Ek baat bataa..ye sala sadaa ka Laundaa paagal hai kya...........mera gala dabane lagaa.....abe sala kya shadi karegaa us se......ek Tawaif se..aaj tak to kisi shareefzade ne ki nhi....ye saala ameeron ke chochale na.......are Amreeka se aaya hai na...........chhod Rajjaaaaa.........apni samajh me kahaa aane wala hain..........apne ko to rokde se matlab aur wo apun ko mil rha hai........."Laila bol to Runa se rahi thi ...lekin sari baaten khud se hi kiye jaa rhi thi. Runa man hi man khuda ka shukriya adaa kar rhi thi..shukr tha ki uske saath Kohinoor ko bhej rhi thi lailaa.Usne soch liya tha ki ek baar pahle kohinoor se baat ho jaye , sari sachchayi pata chal jaye......fir wo ek kosis jarur karegi,agar us kosis ki jarurat lagi use to. Dusre din dophar ke 2 baje ki train se kohinoor aur Runa , Runa ke ke gaav ko rawana ho gaye .Unke saath Lailaa ka ek khas aadmi bhi tha -Jumman . khub lamba chauda , kala robila chehra, laal aankhe...kurta aur lungi pahne huye.......kisi daanav ke jaisa.......thodi door par baitha apni cheel si najro se Runa aur kohinoor ko ghoor rha tha. Train apni raftaar se manjil ki or badhi ja rhi thi....Runa ke god me sar rakh kar leti Kohinoor kal se bilkul khamosh thi..bas haan hu me har baat ka zawab de rhi thi.kal se usne kuchh bhi nhi khaya tha..Rah rahkar dard ki ek lahar si daud jati thi uske seene me.Aankhe nam thi aur lab khamosh..bas dil me yadon ka ek tufaan tha,jo tham hi nhi rha tha.

Train me jyada bheed nhi thi.....Jumman ki seat pichhe thi aur Runa aur kohinoor ki aamne saamne.... raat ho chuki thi...sabne kuchh thoda bahut khaya....aur Kohinoor ek baar fir Runa ki god me late gayi...jummna ke hone se dono koi baat nhi kar rhi thi. Thodi der baat jumman uthkar apni seat par chala gya sone....ab un dono ke aas paas ki sare seaten khali thi...Runa ne ek nazar jumman par dali...kuchh hi der me uske kharraton ki aawzen aane lagi.........aur vaise bhi wo dusri or chalaa gya tha to ab wo unki baaten sun payegi aisa lagbhag asambhav hi tha.kam se kam Runa aur Kohinoor ko to yhi lag rha tha ki jumman so gya .aur vaise bhi kal se Runa ke dil me haichal machi huyi thi ...sawalo ka ek ambaar tha uske man me.ab us se sabr nhi ho rha tha..... "kohinoore" Runa bade pyar se uske balo me hath pherte huye boli. "hmmm" kohinoor halke se boli.. "kaun hai ye Ladka, wo tujhe Kajal bula rha tha...kaise janta hai wo tere bare me ???........" Runa ne ek saath wo sab kuchh puchha, jo wo kal se hi puchhna chah rhi thi. kohinoor ne aankhe kholi aur suni suni najro se use dekhne lagi....mano puchh rhi ho ki kya fark padta hai ab......usne to khud hi Alok ko dutkaar diya tha kal...khud kah diyaa tha ki kya haq hai uspar ...fir ab kyu....?? "Batao kohinoor kaun hai ye ladka ?? " "Nhi baaji....please ab mat puchhiye .......mai bahut sharminda hun...kal jaane kaise ek kamjor lamhe ka shikaar ho gayi use achanak apne saamne pakar mai...agar mujhe pata hota ki yha wo hoga to mai kabhi naa aati........kabhi bhi nhi....." kohinoor ki aawaz me ek pachhtawa tha.


Pta to mujhe bhi nhi tha ki wha kaun milega, nhi to mai bhi naa aati." ek sapne ke se aalam me Runa ne kaha. "Khair wo sab baten fir kabhi, abhi meri baat sun.......badi kismat wali hai tu ki tujhe koi chahne wala hai......uski najro se chahat jhalak rhi thi ...ek Tawaif ki zindagi me wo pal nhi aata jab koi uski khatir apno ke khilaf ho jaye. ..use to bas khareeda jaata hai , becha jata hai aur ekdusre se baanta jata hai...apnaya nhi jata.....lekin us ladke ki aankho me kuchh aur hi tha.......muhabbat thi...dekh mujhe bata sakuchh......Shayad mai kuchh kar pau tere liye...ek chhoti si kosis ......." Runa ne uska chehra apni or karke uski aankho me dekhte huye kaha......... "Aisa kyu hota hai baaji ek Tawaif ke saath.....na uske paas manjhi ki khubsoort yaaden hoti hain na aane wale din ke suhaane sapne....kyu itna andhera hota hai uski zindagi me....kyu jab dil rota hai tab bhi use hasna padta hai............Baji ! koi kyu nhi badal deta is duniyaa ki ye riwayte .........kyu bna di jati hai koi masoom kaajal ek Kohinoor........ " kohinoor ki aankhe chhalak padi aur wo Runa ke saath apni manjhi ke galiyaro me dubti chlai gayii....... Is baat se bekhabar ki do aankhe aur do kaan unki har baat ,har harkat dekh aur sun rhe the.......Jumman isi khel ka to shatir khiladi tha. "Runa baji, meri zindagi me chand din khusiyo ke bhi the ...jinhe yaad karke ab mujhe sabse jyada takleef hoti hai.......kajal ..haan yhi naam tha mera , mere college me........" kohinoor apne yado ke safar par le chali Runa ko.
awesome update
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update-4


Mai bachpan se hi padhne me achchhi thi aur swabhav ki shant…….logo se jyada ghulna milna mujhe nhi aata tha...shayad iski vajah meri parvarish aur mera pariwarik akelapan tha……..Bachpan se hi mai apne Nana ke yha rahi ...meri Mummi shahar me rahti thi ...Papa ke bare me jyada pata nhi hai..shivay iske ki wo bachpan me hi gujar gaye the.Bas itna hi bataya tha maa ne….chhoti thi to is se jyada puchha nhi, badi huyi to maa ko kabhi batane ki fursat nhi mili…ya shayad….".. Bolte bolte kajal ki aankhe bhar aayi.Runa shant bhav se sun rhi thi...mano uski apni hi kahani ho. kaajal ne ek lambi saans li aur fir bolna suru kiya........... "Bachpan se apne mummy papa ke bare me taane sunte sunte mujhe khud ke vajood se nafarat si ho gayi thi……log alag alag baaten karte the.....lekin mera man nhi manta tha….…mujhe hmesa lagta jarur mummy ki koi majboori hogi jo main unse door hun…..lekin thi to bachchi hi, kabhi kabhi sochti thi ki jab kisi ko meri jaroorat hi nhi thi to kyu mai duniyaa me layi gayi thi…?? Na jyada kisi se bolna , naa kahi aana jana......meri duniyaa mere vajood ke charo or simat si gayi thi. Ghar ke saare kaam karti aur fir baki ka waqt apni kiatabo ko gale se lagaa leti.....wo kabhi koi taana ,koi ulahna nhi deti thi...meri kitabe meri dost banti gayi aur shayad yhi vajah thi ki mai padhne me kaafi zaheen thi.lekin bachpan kya hota hai maine jana nhi. “Ek geet hai runa baji, mujhe bada pasand tha……abhi bhi pasand hai.” Kaajal ne kisi chhote bachche ki tarah Runa ke haatho ko sahlaate huye kaha. “kaun sa??”Runa ne puchha.


Maine maa ko dekha hai, maa ka pyar nhi dekha……..suna hai aapne ???” kahte kahte kajal ka gala bhar aaya “Nhi suna….aage bataa” Runa ka bhi whi haal tha, bas itna hi boli. "Runa baji, maa baap ke pyaar na mil paane ka khalipan meri zinadagi me ek nasoor ban gaya....kabhi maine bachpan ke wo khusiyon wali din nhi dekhe...khair………., jab tak Nana the sab kuchh thik tha..mummy bhi kabhi kabhi aati thi..Nana kuchh puchhte to bas itna hi kahti thi ki shahar me naukari ke liye kosis kar rhi hu...mummy ka sochna bhi shayad thik tha.Unhe shayad pata tha ki Nana ke na hone par ,mai ya wo ,kabhi nanihaal me nhi rah payenge...aur unka sochna bevajah nhi tha." "Mai bahut chhoti thi jab Nana ka dehaant ho gya....mai khoob royi ....bilkul toot gayi......Nana ke rahte ek sahara tha...ek aasara tha......mere Nana mujhe bahut pyar karte the……unke baad nanihaal me mama mami ne rahne nhi diya.....Maa ne mujhe boarding school bhej diya....shayad unhe koi naukri mil gayi thi.....Mumbai me…maine puchha to unhone kuchh nam bhi bataya tha post ka..mujhe yaad nhi rha….." ...Fir ek pal ko ruki kajal, do ghoont pani piya aur ek gahri saans lekar fir bolne lagi. "Mera nanihaal Bengal ke ek chhote se gaon me tha aur mera borading school wha kolkata me..........boarding school me maine jee lagakar padhna suru kar diya...sabkuchh pichhe chhodkar.........maa kabhi kabhi aati thi.......lekin mujhe maa se bhi koi khas lagav nhi tha..........maa ke saath mai kabhi jyada rhi hi nhi thi.....ya shayad meri ma hi mujhse door


rahi thi....mujhe nhi pta kya vajah thi.....haan, paise mahine ke maihne mere paas aate the........" "Fir borading se mai college me aa gayi aur girls hostel me rahne lagi........mai 18 saal ki ho chuki thi....zindagi ka ek aisa padaav jab har ladki ki aankhe sunhre satrangi sapne sajone lagati hain.....lekin mere sapne bahut chhote the..........padhayi poori karna aur ek chhoti si naukri...mere sapno ki tabeer is se jyada ho paye, aisa hausla kabhi kar hi nhi payi mai.........aur na koi aisa tha jo mere sapne ki udaan ko pankh deta. ….mai badi ho gayi thi .........shayad apni umar se jyada badi ho gayi thi.......lekin mere andar ka khalipan nhi gaya.......... meri maa ka mere paas na hona mujhe khalne lagaa tha ab...." "College ke pahla saal khatm ho chuka tha...result bhi aa gya tha...maine college top kiya tha…..claas me chup chup si rahne wali mai, back benchar me shumaar, mujhe koi jaanta hi nhi tha.......lekin result ke aane ke baad se bahut highlight ho gayi thi mai...............meri kismat ek nya mod le rhi thi...achchha ya bura mujhe khud nhi pata tha......" "college me mujhe Sammanit kiya gay tha us din.......mujhe khusi nhi huyi thi ye kahna shayda galat hoga............khair, meri khusi me shamil hone wala mera koi apna nhi tha....maa se kabhi kabhar baat ho jati thi.lekin bas as a formailty..aisa nhi tha ki meri maa mujhe pyar nhi karti thi...lekin shayad kabhi us pyaar ka ahsaas wo nhi dila payi mujhe....tab tak nhi jab tak unki maut na ho gayi." kajal ki aankhe ek baar fir se bhar aayi……..Runa chuchap sun rhi thi. Train apni raftaar se daud rhi thi..........kajal bhi aaj apne dil ka sara dard kah dena chahti thi....wo dard jo kisi keede ke jaise use andar hi andar khaye ja rha tha.



Usne fir se bolna suru kiya........... "Dheere dheere college me mere ek do dost bane........mujhse dosti ki koi khas vajah nhi thi……… ..shiway meri jahaanat ke.......study me achhch hona kuchh logo ke liye shayad college me bhi mayne rakhta tha...Aise hi dosto me thi Anjali...........Sadanand chauhaan ki beti….." kajal ne Runa ki aankho me dekha. Sadanand ka naam lete hi , Runa ke chehre ko dekhar aisa lag rha tha ki uske man me koi uthal puthal machi huyi thi. "kya hua Runa baaji" kajal ne badi masoomiyat se puchha...... "kuchh nhi meri bachchi ..bas yehi soch rhi hu ki har Tawif ki kahani itni ek si kyu hoti hai......khair, bata aage ......usi ke jariye us launde se teri mulakat huyi hogi ??...." "Jee.Alok se ..haan Runa baaji Alok naam hai unka........meri mulakat pahli baar college me huyi thi wo Anjali ko chhodane aaye the........pahli baar college ke bahar hi hi hello huyi.." "kolkata me Alok aur Anjali rahkar padhai karte the...unki family Mumbai me rahti thi...Vaise un dono ke alawa bas uske papa hi the family me.....kafi rayeesh log the...ek achcha khasa flat le rakha tha Alok ne...Alok jab bhi milte mujhe ek alag hi nazar se dekhte the...aur jab kabhi galti se meri nazar pad jati to bas halka se muskura dete.......mai samajh nhi pati ki kya karu, lekin maine kabhi khud se kadam unki or nhi badhaye..........." kajal mano safai pesh karte huye boli..haan..ek Tawaif ko ye safai deni hi padti hai...us par ilzaam jo hota hai ameerzadon , shareefzado ko faans lene ka.


Lekin Runa baji Alok ek behad achhche insaan the.....i mean hain…..suljhe huye ...zindagi se bharpoor………..hasmukh.....aur mujhe bhi achchhe lagte the."pahli baar ek halki si sharm ki laali kajal ke galo pe chamak gayi.....usne bolna jari rakha. "Hum teeno aksar ek sath bahar aane jane lage.......Alok ke papa kolkata nhi aate the...mera to koi aanewala tha nhi……..Maa kabhi aati to 2-4 ghante me chali jati.......ab mai khus rahne lagi thi ...Anjali aur Alok ke saath ne ek aur hi duniyaa dikha di thi mujhe.........Anjali ek bahut achchi dost thi ...ek aisi dost jispar mai khud se jyada yakeen karti thi...aur Alok???...abhi tak is uljhan me thi ki is rishte ko kya naam du.........jo naam tha us rishte ka wo mai accept nhi kar paa rhi thi.......dil dar rha tha ki kahi apni udaan se uncha sapna na dekh baithu.....jiske tute huye tukde aankho ko chubhne lage..........haan baji, khata kar di thi is dil ne....un dilkash aankho ki bhasa ye dil samajh gaya tha....mujhe muhabbat ho gayi thi....ek khamosh muhabbat…” ”Ek aisi khamosh muhbbat jiska gala bhi mai badi khamoshi se ghot deti, lekin kismat ko to mera majak bnana tha..aisa kar na saki..yhi meri khata thi ki maine usi pal un dono ka saath nhi chhod diya…nhi chhod payi baaji…sehraa ke pyase ko pani ki ek boond mil jaye to wo kaise chhod de…………mai bhi bachpan se isi thode se apnepan ko tarsi thi..mai nhi chhod payi….…mujhe to muhabbat ka samundar mil gaya tha…..haan, ye nhi pata tha ki ye samundar mujhe dubo dega." kajal ki chehre ki udasi aur gahari ho gayi , par usne khud ko sambhala aur bolna jaari rakha. "Anjali meri class mate thi aur hum dono aksar college sath hi jate the...Alok hmse ek saal senior the lekin wo dusre college me the..........Alok apni car me hum dono ko college chhodate huye khud ke college jate the......mai hamesa Alok.


se door bhagti thi..kabhi koi mauka nhi deti kisi bhi baat ka.....Aur fir ek din jab mai anjali ke ghar pahuchi.........."kajal ke aankho ke saamne sare purane manjar ubhar aaye.....uske pyar aur dard ki kahani. Anjali jise mai pyar se "Anju" kahti thi apne room me bistar par leti thi........."kya hua Anju..........?? Tu abhi tak taiyaar nhi huyi........college nhi chalna kya......" "Nhi yaar........tabiyat thodi thik nhi lag rhi...........Please tu chali jaa ..nhi to lecture miss ho jayega....tera rahega to mai bhi kar lungi.."pata nhi kyu mujhe lag rha tha ki Anju jhooth bol rhi hai....lekin aisi koi badi baat bhi nhi thi..mai bahar aane lagi. "Sun ,bhai ke saath chali jaa naa...."Anju ne pichhe se kaha. Mere dil dhakk se rah gaya..aaj tak mai kabhi akeli Alok ke saath kahi nhi gayi thi...Maine saaf saaf mana kar diya aur jaldi jaldi wha se nikal gayi.dar tha ki kahi Alok se saamna na ho jaye.Mai muhbbat se bhag rhi thi Baji, wo muhabbat jo har roj jane kaise khud hi badhti ja rhi thi.......shayad Alok ki sharafat ka bada haath tha isme …ya fir shayad unke apnepan ka ..ya shayad mere akelepan ka……….mujhe nhi pata.
beautiful update.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Updated-5


Class khatm karke mai bahar nikli hi thi ki kisi ne aawaz lagayi.......... "Kajal........." maine palat kar dekha, Alok apni bike se take lagaaye khade the...aaj bike se ..shayad akele the isliye. Mai whi thoda sa hatkar khadi ho gayi...himmat nhi ho rhi thi ki unki or jau..wo khud chalte huye mere paas aa gaye.......... "wo..woo.....claass khatm ho gayi....???."Alok bhi shayad mujhse pahli baar akele me baat karne me jhijhak rhe the. "jee, aap yha...??.."Maine bas itna hi kaha. "Haan wo maine socha ki aap ko leta chalu colleg se..to......?? " "par aaj anju nhi aayi……..batay nhi usne..??" pahli bbar mai mujhe kisi ko chedane me majaa aa rha tha. "jee..ba..bataya usne.. tabhi to mai aapko lene......."Alok ke muh se achanak nikal gaya...aur fir jaise achanak break laga diya unhone……….mujhe hasi aa rhi thi.....maine bhi jyada paresaan karna thik nhi samjhaa ,…..hasi ko control karte huye boli....... "mujhe lene ?.....ok..chaliye" aur pahli baar mai halk sa muskura di……..

Alok ek tak mujhe dekhte rah gaye, mujhe bada ajeeb lag rha tha..."chalen??" maine thode jor se kaha. "aaw...haan...please aaiye......" Alok ke saath unki bike par baithe, aaj jindagi me pahli baar mujhe mahfooj hone ka ahsaas ho rha tha...jaane kyu?? hum dono hi shant the Alok ne bike ki speed kafi kam rakhi thi ..aur mai us se thoda dur hatkar baithi thi. "Aap itni chup kyu hain aaj......" Alok ne baat suru ki. "jee...nhi to..wo Anju ki tabiyat thik hai ab ?? .......mera matlab jab aap aaye to ??" Mai bhi ulte seedhe sawaal puchh rhi thi. "haan ....thik to thi..kahi bahar gayi hai shayad...kyu kuchh hua tha kya use..."Alok ne kahaa. Mujhe bada ajeeb laga......mujhse to bola ki tabiyat thik nhi....aur ab bahar gayi...fir mujhe laga ki kya pata Alok se chhupana chahti ho........mai chup ho gayi. "jee wo yu hi aaj colege nhi aayi to ...." maine bas itna hi kaha.

Achanak ek mod par bike thodi si lahrayi to maine jaldi se Alok ke kandhe par hath rakh diya....ek sukoon mila tha mujhe......ek ahsaas ki mai besahaara nhi hu......ek meethi si hook dil me uthi..........kash ye sahara umar bhar ka sahara ban jaye to zindagi kitni khubsoorat ho jaye. "kajal jee, kahi coffe peeye kya...aaj jane kyu bada man kar rha hai...." Alok ne kaha. "jee bas thodi der me aap apne ghar pahuch jayenge.......jarur pee lijiyega......." Maine kaha. "Are...ghar par kaun coffee banayega...wo anjali ki bachchi?? are wo to coffe ka kaadha bana deti hai.........aur fir aap kaha hongi ghar par..." Alok ne is baar pichhe mud kar dekhte huye kaha, ek sharart thi un aankho me. "aap please aage dekhiye.......kahin bike thok di to...mujhe abhi nhi marna...." mai zindagi me pahli baar shayad itne betakullafi se kisi se baat kar rhi thi. jawab me Alok jor se hasne lage... "to ek coffe ho jaye...haan kar dijiye naa" Is baar mai mna nhi kar paayi.......... yhi sab meri khatayen thi baji !! jinki saja mujhe mil rhi hai…kyu na manaa kar diya unhe maine……??..kyu na mnaa kar diya …..??” kajal ka bas chalta to wo shayad apne ateet ke har panne ko jala deti. Runa use dekhti rahi, kya khata hai is masoom si bachchi ki…...........isme kya galat hai use samjh me nhi aa rha tha…lekin kajal ko sab apna kasoor lag rha tha.....Sabkuchh.

Runa ne uske gaal par bah aaye aansuon ko ponchh diya….kajal aage bolne lagi……… “Coffee shop me baithe,Alok mujhe dekhe ja rhe the aur mai pareshan ho rhi thi........ "Ab mai kabhi aapke saath nhi aaungi" maine paresaan hokar kaha. "kyu" "Aise hi........" Mai chup ho gayi...thodi der Alok bhi chup rahe........ Aankhe to Alok ki bahut kuchh kah rhi thi par hoth shayad abhi bhi himmat nhi juta paa rhe the... wo pahli baar tha jab hum dono saath bahar rhe the. kuchn halki fulki baaten hoti rahi uske baad lekin hum dono me se kisi ne kuchh kaha nhi..jo ekdusre se kahna tha. Wapas aate samay meri nazar Anjali par padi.......kisi ladke ke saath thi….maine Alok ko nhi bataya….socha pahle Anjali se baat karungi…..puchhungi kaun hai wo. Us din ke baad aksar Alok mujhse akele milne ke bahane dundhte ..mujhe bhi achchha lagta tha...thodi thodi bhanak to Anju ko bhi lag gayi thi aur usne mujhe chhedna bhi suru kar diya tha….Mai na chahte huye bhi Alok ki or khichi chali jaa rhi thi …..Dil gustakhi par utar aaya tha. Anju se us ladke ke bare me puchha to wo taal gayi..bas itna hi kaha ki waqt aane par sab bta degi. Mai bhi chup ho gayi.


Mai aur Alok ab bahar milte to khub sari baten karte..Muhabbat to karte the lekin na kabhi lafjo me ijhaar hua tha na ikraar... aur na hi kabhi hmne apni maryada laanghne ki kosis ki .ek dost ke jaise hi Alok rahte the.har pal mere liye kuchh bhi kar jane ko taiyaar. apne saare dard mano bhool gayi thi.mai khus rahne lagi thi ..bahut khus. Alok ko aaj USA jana tha... sirf ek hafte ke liye......mai subah se hi udaas thi....phone bhi nhi tha mere pas..Alok ne ek baar dena chaha tha ,maine mnaa kar diya tha lene se....aaj lag rha tha ki kash le liya hota...Alok ke papa aaye huye the.........to mai wha nhi jana chah rhi thi..jaane kyu dar lagta tha...sirf Anju aur Alok hi the jinke saath mai has bol leti thi..baaki sari duniyaa ke liye mai whi udaas si kajal thi ...aur mujhe shayad koi fark bhi nhi padta tha . Alok sham ko chale gaye........mai chahkar bhi mil na payi unse............man bahut udaas ho rha tha, lekin fir dil ko samjha liya tha ki sirf ek hafte ki hi to baat hai. Mai apne hostel ke room me baithi thi.......wardon ne aakar kaha ki bahar koi mujhse milne aaya hai. Maine apne kapde thik kiye aur bahar chal di...mujhse kaun milne aa sakta hai ??? “Jee..??” bahar khade ek anjaan vyakti se maine puchha. “Aap hi hain Miss Kajal ? ” usne puchhaa. “j..jeee..aappp…..??” Mai confuse hote huye boli . “Mujhe Sadanand sahab ne bheja hai…Alok babu ke pita jee…aap se milna chahte hain… main unka driver hu….” Us


vyakti ne kaha. Mujhe kuchh samajh me nhi aaya kya bolu…lekin aisi koi vajah bhi nhi thi ki mai mna karu…maine use 2 min rukne ko kaha aur andar chali gayi…. Thodi der baad mai us driver ke saath Car me Alok ke ghar pahuchi …man me bure bure khyaal aa rhe the…koi gunaah nhi kiya tha maine, fir bhi jane kyu khud ko hi mujrim lag rhi thi, shayad mujh jaise ek aam ladki ka un unche tabke ke logo se talluk rakhna hi ek gunaah tha. Kisi tarah se mai apne aap ko samete sambhale ek ek kadam ginti ghar ke andar chalti gayi…kal tak jis ghar me jaate mera man khusi se bhar jata tha aaj usi ghar me jaate huye ek dar sa lag rha tha. Mai bheetar gayi..ghar par shayad anju bhi nhi thi……darwaja halka sa khola aur andar jhankaa samne sofe par Alok ke papa baithe the…pahli baar mil rhi thi …haan ek do bar photo dekha tha…chehre se hi rob jhalak rha tha. “aa jao” unki tej aawaz kano me padi to rha saha hosh bhi hwa ho gya. “ Namaste Uncle…” Mai andar pahuchi aur aage badhkar unke pair chhune chahe.. “thik hai thik hai…”Wo khade ho gaye. “Janti ho Alok kaun hai…??” ajeeb sawal tha, y shayad m thik se samajh nhi payi thi.


jee”?? maine na samjhne ke andaaz me dheere se kaha. “Mera beta Alok……….. Janti ho na use……” unka har shabd ek hathode ke tarah dimaag ki nase hila de rha tha. “jee” maine bas itna hi kaha. “Mai Sadanand Chauhaan….aur wo mera beta hai..karodo ki property ka ek lauta waris…hmm..Tumhe to sab pta hi hoga…tabhi to ye jaal bichhaya hai…..bolo kya kahna chahogi……..” Aakhir whi iljaam mujhpar lag gya tha jis se mai bachna chahti thi. Jaane kaha se mwre andar itani himmat aa gayi……shayad mere nirdosh man ko ye arop bardasht nhi hua tha……… “kuchh nhi kahna chahungi…….kyuki mujhe nhi lagta ki mujhe aapko koi bhi safai dene ki jarurat hai…kya hak hai mujh par iljaam lagane ka………..kaun si daulat loot li hai maine aapki…….puchh lijiye apne bete se aur apni beti se..aaj tak ek dhelaa nhi liya hai maine……..aap bade log hain , pata hai mujhe…....lekin yu bebuniyad iljaam mat............”Meri baat muh me hi rah gayi , Alok ke papa chilla uthe………. “Aur kya umeed ki ja sakti hai ek Tawaif ki Beti se.......phaansana….ye to pesha hai tum logo ka ”



Sadanand ke sabd mere kaleje par bijli ban kar gire….aisa laga jaise duniyaa ke is mele me aaj mai bikul bemol ho gayi. Begunaah hote huye bhi mujh par har aarop sabit ho gya tha.Mai mano but ban gayi thi. Sadanand ne meri maa ko hi nhi mujhe bhi Tawaif kah diya tha. Tanhayi ke sehraa me jhulse apne paavo ke liye sheetal chhaya ki talash me nikli kajal aaj ek aisi aag me jal rhi thi jisne uski shaksiyat ko raakh kar diyaa tha.
nice update.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Updated-6

Meri aankho ke saamne mano andhera chhaa gayaa .....meri maa ek Tawaif !!......mai cheekh uthi... "Nhiiiii...jhooth bol rhe ho aap........meri maa aisi nhi ho sakti ...jhoothe ho aap..."mai cheekh rhi thi aur Sadanand meri halat se mje le rhe the. "mai yha nhi rahta ..lekin iska ye matlab nhi ki mujhe pata nhi rhta ki mere bachche kaise hain kya kar rhe hain, kis se mil rhe hain.....


Babulaal........!!!" sadanand ne aawaz lagayi. " haan sahab" bahar se ek daudta hua aaya unki aawaz par...... " Dekho ye hai , maine ise sirf yha isiliye rakha hai ki mere bachcho ko koi takleef na ho....unhe nhi pata hota lekin mujhe har roj pata chalta rhta hai unki har harkat ke baare me.......kaha jaate hain kis se milte hain.......

.jab se tumhara Alok se milna julana badha tabhi maine tumhare bare me sab pata lagaane lag gya...mere bete se mujhe aisi umeed nhi tha ki wo itni low class ladki ko pasand karega...”


kajal ne Runa ki or dekha , Runa ne aankho aankho me hi puchha kya hua......... "Baji , us din unki baato se saaf jahir tha ki unhe is baat se koi problem nhi thi ki unka beta ya beti kisi se pyaar karte hain , balki unke liye galat ye tha ki wo ladki unke status ki nhi thi........ jaane kyu unhe ye ahsaas ni hua ki wo hamari muhabbat ke baare me isliye jaan paaye kyuki hmari muhabbat me paap nhi tha..............


.hm kuchh chupana chahte hi nhi the....Anjali ke bare me to kuchh nhi kaha baji ,haan shayad wo ladka unke standard ka tha...khair ," kajal fir aage batane lagi....... Sadanand ne bahut kuchh kaha baji, bolte gaye, mai sunti rahi............... “Mai samajh gayaa ki tum koi bahut hi chalak ladki ho...aur fir tumahre bare me pata lagwaya........


mera shaq sach saabit hua...jitna socha us se jyada ghatiyaa nikli tum.........kya nam bataya hai re iski maa ka........." sadananad bade maje se puchh rhe the. "Malik naam to nhi yaad.....par khabar pakki hai......." wo sahmaa se bola... "koi baat nhi........ Tawaif ka kya naam??....Tawaif hai itna hi kaafi hai.......ja tu !!” “haan,



to ab bolo kya kahna chahogi......" sadanand jaane kya kya bol rha tha lekin mujhe aur kuchh samjh nhi aa rha tha ...shiway is baat ke ki meri maa Ek Tawaif hai...mera vajood aaj mujhe aur gandaa lagne laga tha...mai ek Tawaif ki beti thi aur shayad isiliye mujhe pata nhi tha ki mera baap kaun hai. "kahogi kya....tumhara sach jo saamne aa gya...." Sadanand ko meri halat par shayad bahut khusi mil rhi thi.............mai jor jor se rone lagi..........


kyu??kyu kiya maa tumne aisa......kyu???? aaj mujhe apne maa se nafarat ho rhi thi. "Dafa ho jao yha se....aur kabhi Alok ke aas paas bhi nazar mat aana, warna fir kabhi nazar nhi aaogi......." Sadanand ki aawaz se mai ekdm saham gayi,....teji se daudati huyi main gate se bahar nikli aur pagalo ke jaise sadak par bhagne lagi.....



Alok se door hone ka gam to tha hi lekin apne vajood pr ek badnuma daag lag jaane ka dard shayad us se kahi jyada tha.shayda mai apneaap se bhag rhi thi ya shayad apni muhabbat se. Kuchh dur hi aayi thi...mai sadak par gir padi , aankho ke aansu ruk nhi rahe the...Alok ka saath chhin gya tha, mujh se meri pahli muhbbat chhin gayi thi.....mujhse to meri pahchan hi chhin gayi thi .....ek nayi pahchaan mili thi.."Twaif ki beti" ...ek aisi pahchaan jo maut se bhi badtar thi. Maine soch liya thi ki ab nhi jiyungi .......



us samay mai galat karti sahi karti, mujhe kuchh hosh nhi tha........jaha sadak par mai giri thi whi bagal me ek pull tha jiske niche nadi bah rhi thi...maine apne aansu pochhe daudakr pull par chadh gayi..nadi me chhalang lagayi hi thi ki kisi ne pichhe se pakadkar mujhe khinch liya.......... Mai us aadmi ke saath sadak par gir padi....... "mujhe mar jaane do please...mar jaane do......kya ab mai apni marzi se mar bhi nhi sakti........kaun ho tum.........???."




mai paaglo ki tarah ro rhi thi aur us se chhutne ki kosis kar rhi thi. wo lagatar mujhe shant hone ko kah rha tha aur aakhir paresaan hokar ek jordaar thappad mere galo par jad diya....chehra jaise sunn ho gya....mere aansu ruk gaye...... maine nazar uthkar uski or dekha... wo koi 50-60 saal ka aadmi thi..dubla patla sa......maila se dhoti kurta pahne......mai pahle kabhi us se nhi miil thi, maine sawaliya nazro se dekha use..mano us se puchh rhi ho ki ab mere marne par bhi duniyawalo ko aitraaj hai kya??

ek baar meri baat sun lo ...bhagwaan ke liye.." wo bade apnepan se bola... Mai kuchh nhi bolli...ekbaar fir se aankho se aansu bahne lage.........mai chuchap uski or dekhti rahi.. “Aao pahle yha se chalo ...chalo beti......."usne mujhe pakad kar uthaya, maine bhi soch liya marne ki itni bhi kya jaldi , sun leti hu kya kahna hai inhe, wo bhi mujhse??



Thodi door aakar ek sadak ki kinare ke bade se ped ki niche mai baith gayi.wo shakhse kahi se pani ki ek botal le aaya.......maine uske israar karne par doo ghoont pani piya......... "boliye kya kahna chahte hain...hain kaun aap??"mai badi mushkil se itna hi bol paayi. "Sadanand ka admi hun beti......Babulaal ke saath tumhari maa ke bare me pata lagaane ka kaam maine hi kiya tha........Mumabi me hai tumhari maa......"usne mujhe ek kothe kaa naam bataya.,aadha hi bol paya......... "chale jao yhaa se.......tum aayo ho mere hamdard ban ne...sadanand ke kutte....................chale jao is se pahle mai........." mai buri tarah bhadak uthi uski baat sunkar.wo chuchap lachaar sa whi khada rha.


jao yha se....mar gayi meri maa, koi nahi hai mera........” mai fir se rone lagi. "Mai to chala hi jaunga beti, lekin ek baat kah kar jaunga.........koi aurat apni khusi se Tawaif nhi banti, jism bechne ka dhandha wo sirf aur sirf majboori me karti hai..tab jab duniyaa ke sare raste uske liye band ho jaate hain........aur janti ho ek Tawaif ki zindagi me sab se takleef wala din kaun sa hota hai.........." mai suni suni nazaro se use dekhti rahi.......... “Wo din sabse takleeef deta hai jab uski apni aulaad use tawaif kahti hai..



jab uski aulaad us se apne baap ka naam puchhti hai.........” us din budhe vyakti ki baate mujhe achchi nhi lag rhi thi, lekin aaj mujhe lagta hai ki kitna sachcha tha wo. Mai kuchh nhi boli.......... “Tum soch rhi hogi ki mai ye sab kyu bata rha hu, maine sadaa babu ki sari baaten suni jo unhone tumse kahi..........mujhe samajh me aa gya tha ki aaj tak tumhe apni maa ki asaliyat nhi pata thi............aur tumhara dard mujhse dekha nhi gaya.....jaane anjaane mai bhi tumhari is barbadi ka hissa ban gya..maaf karna beti mai bhi majboor tha....” wo budha sachmuch dukhi lag rha tha...ek pal ko ruka fir bolne laga.......... “mujhe to bas yha kolkata railway station par ek aurat ke pichhe lagaya gya aur uska pata lagaane ko kaha gya....sadaa babu rajneeti wale hain, aksar aise kaam mujhse karwaya jaata tha......lekin mujhe nhi pata tha ki is baar ek masoom si.

bachchi unka nishaana hai......” “...jis haal me tum unke ghar se nikli, mujhe lag rha tha ki tum aisi hi koi galti karogi ......isiliye tumhaare pichhe aaya...” “to kya karu mai..........kya karu.........???? hai kaun mera duniyaa me.........kis ke liye jiyu??...........jo taane mai bachhpan se sun rhi thi ab wo aur tej ho jayenge.....meri muhabbat chhin gayi ........m..meri pahchan kho gayi hai..” mai bilakh bilkah kar rone lagi , ek baar fir se aaj mai akeli ho gayi thi..bahut akeli. “Mai janta hu tum par kya beet rahi hai....fir bhi kahunga ho sake to jakar ek baar apni maa se mil lena...

baar mile to nhi marungi. Mai apne hostel ke gate par pahuchkar palati,us budhe ne mujhe us kothe ka naam aur adress ek baar fir se bataya, “Mujhe maaf karna beti, khus raho........” bas itna hi kaha usne aur teji se palat gya......mai jab tak wo dikha use dekhti rahi aur fir wapas palatkar hostel ke andar chal di...... Maine ek hand bag me ek do kapde rakhe aur nikal padi mumbai ke liye ...apni maa se milne. Mumabi pahuchakar maine kis tarah se kothe ke bare me pata kiya………...wo sab ab mai nhi doharana chahti baji, haan par ye ahsaas ho gya ki kisi ladki ke liye ek kothe ka pata puchhna hi apne aap me ek kahani hai...


khair, mai jab wha pahuchi to mujhe pata chalaa ki meri maa hospital me hai. Bhari man se Mai hospital pahuchi............ “Meri maa mar chuki thi baaji, sirf ek khat mere naam chhodakar.....aur kuchh paise” “jaane kyu mujhe koi dukh nhi ho rha tha maa ke marne ka........tab tak nhi jab tak us khat ko nhi padha tha..........” Kajal dheere dheere sab bataye jaa rhi thi, us khat ko mano padh rhi thi, uski aankhe jal thal ho rhi thi.........Runa ki aankho me bhi aansu aa gaye the.

Maine wo paise lene se inkaar inkaar kar diya aur wo khat !!...us poore khat me meri maa ne sirf maafi mangi thi mujhse............kuchh nhi likha tha ki mera baap kaun hai.........wo kothe par kyu gayi........wo tawaif kyu bani.............


kuchh bhi nhi baji, sirf maafi maangi thi......shayad mere sawalo ka jawab meri maa ke paas nhi the.....isiliye bina kuchh bataye hi chali gayi.......” “Us din to maine apni ma ko maaf nhi kiya baji , lekin khud jis din maine pahli baar kothe par kadam rakha..us din maaf kar diya.........” kajal bol kar chup ho gayi thi. Raat ke 2 baj chuke the, Runa bhi khamosh thi... “Tu kothe par kaise pahuchi kajal......jis din tujhe mai pahli baar mili thi us din bhi puchha tha, laila se bhi puchha ............na tune bataya , na usne ...........jaane kyu mujhe lagta nhi ki asli vajah Lailaa ko bhi pta hai......bata....kaise aur kyu aayi tu kothe par............???” “Baji, maaf kijiyega...........lekin ye mai nhi bata sakti......tab bhi maine nhi bataya tha aapko, aur aaj bhi nhi bata sakti..........” kajal ke chehre par ek sakhti aa gayi......... “kajal bata de,,,shayad mai tere liye kuchh kar pau.....bata de meri bachchi.....””


runa use ykeen dilana chah rhi thi. “aapko jo batana tha maine bata diya, mai Alok ko kaise janti hu ye bata diya...aur ye bhi bata deti hu ki uske baad mai alok se kabhi nhi mili.........aur kya batau......ab jo bacha hai use jaankar kuchh hasil nhi hona hai......aur......” kajal kuchh kahte kahte ruk gayi. “aur kyaaa....” Runa ne puchha. “kuchh nhi......ek baat bataiye...........aap kaise janati hain sadanand ko........jaise wo chaunka tha aapko dekhkar, aisa lagta hai wo bhi aapko achchhe se janta hai........” kajal ne ulte Runa se hi sawaal kar diya.

kajal mai waqt aane par sab bata dungi....please mera bharosa kar....tujhe mujhpar bharosa karna hi hoga............bata mujhe......”


Runa ne fir se minnaten ki. “Thik hai runa baji.....hmesa badi bahan mana hai aapko......kar liya aap par aitbaar .......khaiye mere sar ki kasam ki kabhi aap kisi ko nhi batayengi jo mai batane ja rhi hu........aur agar aapne bataya to yaad rakhiyega kohinoor aapko fir kabhi nhi milegi is duniyaa me....boliye manjoor hai........” kajal ki baat se Runa buri tarah kilas gayi. “par agar mai kisi ko bataungi nhi to...............




.dekh tu samajh nhi rhi hai....mai sab tere liye hi kar rhi hu...bata mujhe.....” “Nhi, fir jaane dijiye.........mujhe kuchh nhi chahiye.......mai khus hu........haan ek lamhe ko kamjor pad gayi thi mai.......lekin ab nhi...aap nhi jaanti baaji us ek baat se kitni jindagiyaan barbaad hongi........kuchh nhi kahna aur mujhe........so jaiye........”



kajal ne sari baat hi khatm kar di. “thik hai , nhi bataungi...teri kasam..khuda gawah hai..kabhi nhi kahungi kisi se....ab bata...........” “ Thik hai baji to suniye............” kajal ne fir batana suru kiya............ kajal jo baat sari duniyaa se ab tak chhupati aayi thi ,aaj anjaane me wo jumman tak pahuch rhi thi..............jaane kiski jindagi daav par lag rhi thi.
super update.
 
Top