• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Taqdeer [Completed]

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,113
143
Update 25

Rohan wanhi khade hoke Zara ki sikayat sury kar di Raj ke aage,

Rohan : yaar haad hai, pata nahi ladkiya itni confuse kyun hoti hai saman lete time, itna sa saman pack karne ke liye madam ne pure 3 ghante liye.

Rohan sikayad karte karte hi ander aake sofe pe beth jata hai, aur idhar Rohan ki baate sunke Zara ka gussa badhne lagata hai.

Raj : ye baat to mai maan hi nahi sakte, kyun ki Zara kabhi bhi yesi chizo mai time waste nahi karti.
Rohan : hota hoga, per aaj to madam ne bahut late kar diya.

Zara Rohan ko gusse mai ghurti huyi kitchen mai chali gayi.

Raj Rohan ke paas aake,

Raj : budhu, kyun ki aaj sayad wo apna time de rahi thy tujhe, samajha ki nahi.

Rohan : oooo teri ki!!!! Isiliye kabhi mujhse uss chiz ki to kabhi iss chiz, aur kabhi kabhi dress ki bare mai bhi puch rahi thy ki ye lun ya na lun wagera wagera, aur mujhe laga ki wo jana chahti hai to maine bhi bina kuch bole hi betha raha.

Raj : tu na tubelight hi rahega..chal chod, aaj maine dinner banaya hai….
Rohan : sachi..tune banaya hai, per kis khushi mai, bata bata kanhi Ruhi….

Abhi Rohan aage kuch bolta Ruhi wanhi aajati hai.

Ruhi : saab kuch ready hai sir..aare bhai aap kaab aaye aur Zara kanha hai….

Abhi Zara ki baat ho hi rahi thy ki Zara bhi piche se kitchen se aajati hai,

Zara : mai yanha hun Ruhani, chalo kisi ne to mere bare mai pucha warna to kisi ko to meri parwah hi nahi hai.

Ruhi ko Zara ki baate bilkul bhi samajh nahi aarahi thy ki wo yesa kyun bol rahi hai,

Ruhi : kuch hua hai kya!!!

Raj : aare kuch nahi hua chalo nahi to khana thanda ho jayega, chalo….

Saab loog jaab piche garden aate hai to dekhte hi reh jate hai, saab kuch bahut khubsurat lag raha tha, Zara kuch bolna ke liye apna munh kholne hi wali thy ki Raj bol padta hai,

Raj : ye saab Rohan ka plan tha tumhe surprise dene ke liye….

Zara herani se Rohan ko dekti hai,

Rohan : sach bol raha hun maine to baas dinner arrange karne ke liye kaha tha per tum dono ne to kamal kar diya, ye maine kabhi socha bhi nahi tha. Thank you yaar, Thanks Ruhani….

Raj : chal chod na yaar, chal khate hai warna khana thanda ho jayega….

Fir sabhi jake beth jate hai table pe aur bethe bhi yese hi saab apni apni jaan ke aage, Raj ke samne Ruhi, Rohan ke samne Zara.

Rohan (dhire se Raj ke kaan mai) : oye tune akele hi Manav ko sajja de di, maine bola tha na mai bhi chalunga, aur mujhe na kisi ki maare huye arsha ho gaya hai to…hehehe….

Raj : yaar chod na wese bhi jaab se haam loog sarif huye hai sara jamana hi badmash ban gaya hai per kisi aur ke baare mai bhi pata karna hai to Viren ki jarurat padegi….

Ye dono dhire dhire baat kar rahe thy ki jesse koi dusra inke baate sunna le, per Ruhi to baas inhe hi dekh rahi thy, aur Zara to apne hi khyalo mai khoyi huyi thy….

Jaab Ruhi ko bardast na hua to Raj ke pair mai apna pair de mara table ke niche se….

Raj : ouch…..

Rohan : kya hua!!!

Raj : baad mai baat karte hai….

Raj Ruhi ko gusse se dekhne lagta hai per Ruhi usse hi double gusse se dekh rahi thy, to Raj ke phat ke char ho gayi, aur idhar Rohan ka dhyan Zara per gaya to Rohan ne Zara ke pair mai apna pair leke touch kiya aur iss touch se Zara to pura hi hill gayi.

Ruhi : chalo dinner start karte hai.

Fir saab khana suru karte hai, Rohan Zara to Raj ki tarif kar rahe thy khane ke liye, per Ruhi to jesse aaj kuch aur hi khyalo mai thy. Khana ke bich mai hi Rohan Zara se panga le raha tha, kabhi apna pair uske pair mai touch karna, aur kuch yese baate karna ki usko gussa aaye, per ye baat alaga hai ki wo baas gussa hone ka natak karti thy, aaj Zara ko Rohan ki iss tarah ke harkat pe behed pyaar aaraha tha.

Agle din Raj Zara ke sath ja chuka tha Rohan air Ruhi office sambhal rahe thy. Ek hafta yese hi gujar gaya….

Rohan to Zara ke bina bura haal tha, usse kisi bhi chiz mai interest aahi nahi raha tha, kyun ki uske sath baat bhi nahi kar pata tha, jaab Raj se pucha to pata chala ki uska phone kho gaya hai, aur wanha jake dono kaam mai bhi busy ho gaye.

Aur idhar Ruhi ko bhi kuch samajh nahi aaraha tha ki wo Raj ko kyun itna miss kar rahi hai, per ye baat wo manne ko tayar hi nahi thy. Ander hi ander ladh rahi thy khud se, fir baas yese hi samajha liya apne maan ko ki wo uska acha dost banke rahegi hamesha.

Kuch din baad Anu bhi aagayi, Rohan na to Anu ko akela chod sakta tha na hi Ruhi ko….

Lekin ek baat achi huyi Anu ko Ruhi bahut pasand aagayi thy, aur dono ache dost bhi ban gaye thy.

Rohan aur Anu ne Ruhi ko kuch time liye Raj ke ghar unke sath rehne ke liye mana liya, aab ye teeno Raj ke ghar maj hi rehte hai.

Raj Rohan aur Ruhi se baas thodi baate karta tha aur Anu se bhi. Ek mahina yese hi bit jata hai, Raj ka bhi kaam khatam ho gaya tha issi bich Zara ne Rohan se baate hi nahi ki, Rohan Raj se puchta tha Zara ke baare mai per Raj Zara ke baare mai kuch bhi nahi batata tha.

Raj aur Zara ke ghar wapas aane se ek din pehle Ruhi ki tabiyat thodi kharap thy to wo office nahi gayi thy ghar mai hi rehke rest kar rahi thy.
Rohan ko kuch urgent file ki jarurat padi to usne kisiko bheja wo paper lane ke liye jo ki Raj ke kamre mai hi thy, jaab wo admi aaya to Ruhi ne hi wo file lake de di, per file dhundne ke chakar mai sare kamre mai file ki dher lag gayi thy, to Ruhi usse thik se rakhne lagi, abhi rakh hi rahi thy ki ek kitab se ek school ki photo giri….

Jaab Ruhi ne usse utha kar dekha to uske school ki uniform mai ek dubla patla ladka khada tha aur sath mai ek sadharan kapdo mai ek aur ladka tha. Jaab usne ache se dekha to pehchan gayi ki ye Rohan Bhai aur Raj sir hi hai.

Ruhi : sir..sir..mere hi school mai padhe hai .per kesse….ye….Rajveer….Raj…nahi ye…mere dil pehle bhi yanhi kaha tha…per…Ruhi ke ankho mai anshu aagaye..usse kuch samajh hi nahi aaraha tha ki wo soch rahi hai wo sach hai ya nahi.

Abhi ro rahi thy ki Anu bhi kamre mai aagyi aur Ruhi ko rota dekh ke wo bhi dar gayi….

Anu : Ruhi di..di..kya hua aap yese ro kyun rahe ho….

Ruhi ne apna chehra saaf karke : Anu ye sir ki photo hai aur ye..sir iss school uniform mai….

Anu : di ye bhai ka hi school tha, bhai ne 11th taak yanhi padhayi ki hai fir pata nahi kya hua ki bhai ne school chod diya aur iss sehar ko chodne ki jid karne lage to hamare anath ashram ke kaka ne apne ek dost jo ki Bangalore ke anath ashram chalate thy, mujhe, bhai aur Rohan Bhai ko unke paas bhej diya….

Per aap yese kyun thy, apni ankhe ghumake, kanhi bhai apke koi purana dost ya crush to nahi nikle..hehehe…..

jabardast update bro
 
park

Well-Known Member
8,099
9,989
173

Nice and superb update...
 
NewWriter23

Member
368
2,071
123
Update 26
Anu ka yese bolne se Ruhi ko to ander se acha lagta hai per upar se,
Ruhi : nahi Anu yesi koi baat nahi hai,
(mann mai; aab tumhe kya batau baas ek baar confirm ho jaye), wo mai bhi issi school mai padhi hun to….
Anu : ohh..aap bhi bhai ke hi school mai thy….
Ruhi : hmm, tum ye batao ki sir ne kis saal 11th class kari thy.
Anu : sochte huye; di mujhe to yaad nahi hai,
Anu baate sunke Ruhi udas ho jati hai, yanhi ek rasta tha sab kuch confirm karne ke liye ki sir hi mere Raj hai, mera dil to pehle se hi yanhi kahta tha, jaab bhi sir mere karib hote thy hamesha hi apnapan lagta tha per, aab kese pata karu?
Anu : di..di..kanha kho gayi (wo baate Ruhi apne mann mai hi soch rahi thy), ohh aap ye soch rahi hogi ki bhai apne batchmate hai ya nahi….
Ruhi : hmm..yanhi soch rahi thy….
Anu : ye baat to apko ek minute mai hi pata chal jayega, issi photo se hi, iske piche date aur time likha hua hoga.
Ruhi ye baat sunke ek dam khush ho jati hai aur jaldi se photo palat ke date dekhti hai, 2012 February….
Ruhi : ye to wanhi year hai jaab mai..matlab….
Anu : di matlab bhai apke batchmate hai….
Ruhi : in saab se to yanhi lagta hai….
Anu : di wese kaal Raj bhai aahi rahe hai to aap khud hi puch lena….
Ruhi : Raj?....tum sir ko Raj kehti ho….
Anu : han di bhai ka Nick name Raj hai, pehle to har koi Raj kehte thy per aab nahi baas mai, Rohan Bhai hi kehte hai, aur koi nahi….
Ruhi (mann mai) : aab mai pure tarike se sure hun ki sir hi mere Raj hai, aur Rohan Bhai bhi Raj bulate hai per mere samne to kabhi nahi bole hamesha Rajveer bulate thy, kyun?
Anu : di ye saab chodo na, mujhe shopping per jana hai please.. please chalo na….
Ruhi : ok ok chalte hai, tum na ek dam bachi ban jati ho….
Fir dono nikal jate hai shopping per,
idhar Rohan udas sa marine drive per patharo pe betha hua tha.
Rohan : pata nahi kyun Raj Zara se meri baat nahi karwa raha hai..ya kanhi..wo to jaan bhuj ke mujhse baat nahi kar rahi hai…mujhe aur gussa to nahi ho gayi ya..ya..mujhse dur rehna chahti hai aab..nahi..nahi ye mai hone nahi dunga..baas aab aajaye baas..aur intezar nahi ho raha hai..pata nahi Raj ne kese Ruhi ke samne apne aap ko rok rakha hai aur dur reh raha hai mera to bura haal ho gaya hai.
Raat ko teeno Rohan, Ruhi aur Anu khana kha reh thy, Ruhi aur Rohan to khane ke sath sath Anu ki bak bak bhi sun rahe thy. Anu to baas Raj ke ilawa pehli baar usse koi itna acha laga tha usse. Ruhi ko to baas kabhi chodti hi nahi thy.
Abhi ye saab khana kha hi rahe thy ki Rohan ko Raj ka call aata hai,
Rohan : han…han…kal..chal thik hai jaldi aaja….
Call cut karne ke baad;
wo Raj..Rajveer ka phone tha, wo kaal aarahe hai sham tak….
Ruhi ne jaab suna to behed khush ho jati hai, ki usse aab baas Raj ke aane ka intezar tha. Saab khana kha ke sone ke liye chal dete hai….
Rat ke yanhi koi 1-1.30 baje boor bell bajti hai to saab jag gaye bell ki awaj sunke….
Ruhi nind mai hi thy aur jake darwaja kholti hai, Rohan aur Anu bhi aagaye thy taab tak….
Ruhi ne jese hi darwaja khola to samne Raj khada tha..Ruhi ko laga ki wo sapna hi dekh rahi hai aur wo abhi bhi nind mai hi hai..wo baas muskurake Raj ko dekh rahi thy ki tabhi Raj ke piche se Zara bhi aagayi aur Ruhi ko gale lag gayi….
Zara ke gale lagane se Ruhi ki nind ek daam se udd gayi aur wo jo sapna samajh rahi thy wo hakikat hi hai….
Ruhi : Zara..si..sir...aa..aap dono..iss time..aap to kal aane wale thy na, ye sari baate Ruhi Raj ko dekh hi keh rahi hoti hai.
Raj bhi Ruhi ko hi dekh raha hota hai per idhar Rohan aaj kuch bahut bada karne wala tha.
Wo sidha aage aata hai aur Zara ka hath pakad ke ander hall mai le jata hai, baki sabhi bhi unke piche ander aajate hai, aur kisiko kuch samajh hi nahi aaraha tha ki ye Rohan achanak yesa kyun behave kiya.
Anu bhi Raj ke gale milti hain aur Rohan ke baare mai hi puchti hai,
Anu : inhe kya ho gaya hai bhai….
Raj : pyaar hua hai aur abhi abhi judayi bhi dekh li….hehehehe…
Ruhi to baas suru se leke aab tak baas Raj ko dekh rhi hoti hai bade pyaar se….
Idhar Rohan jaab Zara ka hath pakad ke leke ander aaya to Zara bhi kuch samajh nahi pa rahi thy,
Zara.: Rohan..Rohan..kya hua hai aapko, mujhe yese kyun khich ke le rahe hai.
Rohan bina kuch bole apne gutne ke baal pe beth jata hai aur Zara ka hath to pehle hi pakda hua tha,
Rohan : Zara mai tumse behed pyaar karta hun, tab se jaab mai tumhe pehli baar dekha tha airport pe taab se, kya tum mujhse shadi karogi..aur mere ghar ki mere dil Rani banogi….
Zara ko to pehel jhatka lagta hai ki Rohan ne aate hi usse ye saab keh diya,
Zara : ye..ye….
Rohan apni baat jari dekhte huye,
Rohan : jaab se dur gayi ho na tum pata nahi kitne tadpa hun tumhe ek baar dekhne ke liye, aur tumhari awaj sunne ke liye..mai nahi reh sakta tumhare bager..iss ek mahine mai baas jindegi kaat raha tha, ji nahi pa raha tha….tumhare sath meri jindegi jina chahta hun.
Kya tum mujhse shadi karogi?
Rohan ki ye saab baate sunke Zara ko behed khushi hoti hai aur khusi mai uski ankhe bhi naam ho jati hai,
Anu to suru se phone mai video banane mai lagi huyi thy, Raj dono ko dekh ke smile kar raha tha, aur Ruhi….Ruhi to baas hath jod ke Zara ko han bolne ke intezar kar rahi thy aur uske ankho mai bhi anshu thy khushi ke…
Zara : mai jaab yanha aarahi thy taab behed gussa mai thy aap pe…per..per..maine ye kabhi nahi socha tha ki aap ye saab bolenge..mai apko bata nahi sakti ki aap mere liye kya hai, maine bhi apko pehle hi nazar mai pyaar kar bethi thy, aur itna pyaar kar bethi ki kabhi bayan hi na kar sakunga, han mai apse shadi karne ke liye tayar hun….
Rohan ne jesse hi han suna wo jhat se uth ke Zara ko gale laga liya, Anu to ye saab enjoy kar rahi thy bahut jyada, aur Ruhi Raj ka hath pakad liya tha, aur un dono ko dekh rahi thy aur Raj Ruhi ko,
Raj dhire se Ruhi ke kaan ke paas ja kar bolta hai,
Raj : itna khush ho to apne iss dost ke gale bhi lag sakti ho, hath pakad ne se kya hoga….
Ruhi ne jese hi Raj ko dekha to dekhti reh gayi kyun ki Raj uske behed hi karib tha aur Ruhi ka dil jor jor se dhadak raha tha…..
Ruhi : am sorry sir…maine dekha nahi tha….
Raj kuch kehne ko hua ki Anu Ruhi ko khich ke Rohana aur Zara ke paas le gayi aur Raj kehte kehte rukh gaya….
Anu : oye love birds, kuch to saram karo yanha bade bujurg moujud hai aur tum dono baas chipke khade ho….haye kya jamana aagaya hai….hehehehe….
Rohan aur Zara Anu ki baato se alag ho jate hai, per Zara saram se gadi ja rhai thy to Anu aur Ruhi dono ne usko gale laga liya.
Ruhi : mai sach mai aaj bahut khush hun, aur aaj se mai Zara ko bhabhi hi bolne wali hun, kyun aaj to officially ho gaya hai baas stamp lagna bakai hai.
Fir Ruhi Rohan ki bhi gale lag jati hai aur congratulate karti hai….
Raj : aare yaar jiski wajah se ye saab hua usse to koi puch hi nahi raha hai….
fir munh fulake sofe pe jake beth jata hai Raj....
 
Naik

Well-Known Member
20,247
75,392
258
Update 1

"Jo dard chupana chahate hai,
wo dard pe pehra rakhte hai,
padhle na gham koi chehre pe,
chehre pe chehra rakhte hai."

Raj bina kisiko bataye party se nikal gaya. Raat bahut ho gayi thy aur raste bhi khali tha. Magar raste se bhi jyada khalipan to uske ander tha. Wo ek sunsan jagah per jake rukh gaya aur car se bahar aagaya, uske hath mai aaj ki trophies thy. Wo Ashman ki aur dekh ke,

Raj : dekha Ruhi aaj mai desh ka sabse bada admi ban gaya hun, per tum mere paas nahi ho....paas kya tum to janha bhi hogi tumhe to pata bhi nahi hoga ki koi tumhe itna yaad karta hai. Per itni to tasalli hai mujhe ki tumhe to mai yaad bhi nahi hun. Itna bol kar wo hasne lagta hai.

Thodi der wanhi rehke wo ghar lout jata hai. Jaab wo ghar jata hai to uski behen Anu uska intezaar kar rahi thy. Jaab wo ghar mai ghusta hai aur Anu ki nazar uspe padti hai to Anu uthke jake sidhe Raj ke gale lag jati hai.

Anu : Raj bhai kanha thy aapko pata hai mai kitni dar gayi thy.

Raj (Anu ki pith sehlate huye) : aare kya ho gaya meri behen ko.

Anu : bhai aap yese mujhe bina bataye maat jaya karo.

Raj : chal thik hai meri Anu aage se tujhe bata ke jaunga, chal aab khana khila de bahut zoro se bhuk lagi hai.

Anu : thik hai aap jake pehle fresh ho jayiye mai khana lagati hun.

fir Raj apne karme ki aur chal deta hai fresh hone ke liye aur Anu kitchen mai khana nikal ne ke liye.

Rajveer Singh, aur Anu (Anushka Singh) dono bhai behen hai aur dono hi anath hai. Inke bare aage kahani mai pata chalega.

Thodi der baad Raj fresh hoke dinning table aake beth jata hai.

Raj : aur kitne der Anu.

Anu : baas 2 min, Anu kitchen se hi awaj lagati hai.

Ye lijiye bhai, aap ki favourite dish Sambar, Dosa aur gajar ka halwa. Ye thy Anu ki awaj aur wo sara plate Raj ke samne rakh deti hai.

Anu : wese bhai yesi unique choice aapki hi ho sakti hai. Ye kehke hasne lag jati hai.hehehe

Raj : sach hai mai hun hi unique. Chal hasna band kar aaja tu bhi khale.

Anu bhi Raj ke paas beth jati hai, "Bhai aap thik to ho na, aaj aap India's no.1 businessman aur most desirable man bane ho, fir bhi aap khush nahi lag rahe hai, kyun bhai?"

Raj : Anu bacha..chal khana khale aur wese bhi koi baat nahi hai aaj bus mujhe maa baba ko miss kar raha tha, aur tuna apne iss chote se dimag per jyada zor maat dala kar.
chal mun khol aur khale, aur uske baad dono ek dusre ko khilane lag jate hai aur issi tarah khana bhi khatam ho jata hai.

Raj : Anu kal mai mumbai ja raha hun, jo nayi company ki announcement ki thy maine aaj party mai usko mumbai mai open kiya hai. 1 mahine usse setup karne mai lagega to mai wanhi rahunga. Tu apna khyal rakhna aur wese bhi teri MBA ko bhi khatam hone mai 1 hi mahina baki hai fir aajana mere paas.

Anu : bhai aapna meri chinta maat karo mai apni khyal rakh lungi per aap wanha ja rahe hai to anath ashram jarur jana aur kaka se mil lena.

Raj : thik hai Anu. Chal aab so jate hai kal jana bhi hai. Good Night Anu.

Anu : good night bhai.

Dono bhai behen apne apne kamre mai chale jate hai sone ke liye.

Agle din Raj mumbai ke liye nikal gaya. Ye wanhi seher hai janha uska bachpan gujra tha. Uske dil mai bahut kuch chal raha tha. Ruhi se bhi to issi sehar mai hi mila tha ya ye kehlo ki mil kar bhi nahi mila tha. Yahi saab sochte sochte kaab mumbai pahunc gaya kuch pata hi nahi chala.

Driver car ko ek bade se banglow ke samne rokta hai.

Driver : Sir ghar aagaya hai.

Driver ke pukarne se Raj apne yaado se bahar nikalta hai, "thik hai, tum saman nikal kar le jao aur khana kha se aram karo, bahut der se car chala rahe ho. Ye car key mujhe de do mai aata hun.

Driver : ji sir.

Jesse ki Raj ne kaha tha driver sara saman nikal ke banglow ke ander chala jata hai aur Raj car leke nikal jata hai kahi aur.

Thodi der drive karne ke baad wo ek anath ashram ke samne aake rukta hai aur car se utar ke anath ashram ke ander chala jata hai. Yese hi anath ashram mai ghumte ghumte ek kamre ke aage aake rukh jata hai aur us kamre ko ache se dekhne lag jata hai.

Tabhi uske piche se awaj aati hai, "ye kamra bilkul wesa hi rakha hua hai jesa tu chod ke gaya tha Raj".

Raj jaab wo awaj ki disha ki aur ghumta hai to ek budha admi khade thy wo bhi ek dande ke sahare se.

Raj kaka kehke sidhe jake pehle uss admi ka pair chuta hai fir gale lag jata hai.

Kaka : (Raj ko gale lagate huye) mera bacha, kesa hai tu? Aur gudiya kesi hai? (Kaka Anu ko pyaar se gudiya kehte thy)

Raj : kaka mai to badhiya hun aur Anu bhi badhiya hai baas apko yaad karti rehti hai.

Kaka : hmm gudiya ko to akshar phone aata rehta hai per tera nahi aata hai kabhi bhi. Jyada hi busy rehta hai.

Raj : nahi nahi kaka, wo...wo...mai

Kaka : rehne de janta hun tujhe, tu jisse pyaar karta hai usse apna pyaar jata nahi pata hai.

Raj : hmm kaka aur yanhi mera sabse bada kamjori hai.

kaka : chod wo saab aa beth idhar, tere se bahut bate karni hai.

Fir dono kafi der tak bare karte hai.

Raj : chalo kaka aab mai chalta hun, kal office bhi jana hai, apna khyal rakhna aur bacho ka bhi.

Kaka : tu bhi apna aur gudiya rakhna, bye.

fir Raj apne ghar aajata hai aur kaam khatam karke dinner karke fir Anu se thodi der baate karke so jata hai.

Kaka : inko sabhi Rajesh kaka kehke pukar te hai. Ye ek anath ashram chalate hai.

jaab se Raj ne taraki ki hai taab se wo haar mahine ache khasse paisa de deta hi jisse ki in bacho ki ache se parvarish ho.
Bahot behtareen shaandaar
 
Naik

Well-Known Member
20,247
75,392
258
Update 2
Raj ki iss sehar mai bahut se yaadein judi huyi hai kuch achi aur kuch buri.
Buri yaadon mai, issi seher mai Raj ki maa aur baap ki mout huyi thy, aur uske sabhi ristedaar no in dono bacho se apna muhn mod liya tha. Tab Anu baas 4 saal ki thy aur Raj 10 saal ka tha, tabhi Rajesh kaka ki najar in dono pe padi thy, aur wo un dono ko sath leke anath ashram chale aaye thy.
Kuch saal baad Raj ne 10th ke exam mai pure dist. mai top kiya aur usse ek bahut bade school mai scholarship mil gayi aage ki padhayi ke liye. Yahi se Raj ki taqdeer usse kisi se milwana chahati thy, yanhi tha Raj ka sabse achi yaadein.
Raj ne commerce liya aur Ruhi (ji han achi yaadein Ruhi ka hi tha, apko yaad to hoga, iska naam) aur Ruhi bhi issi school mai thy, aur wo non-medical ki thy. 6 mahine Ruhi ne baas Raj ke baare mai suna tha kyun ki Raj school ki magazine mai apna review likhta tha, jo ki Ruhi ko bahut pasand aate thy.
Ek din bahut zoro se barish ho rahi thy, kuch bacho ke maa baap unke bacho ko lene ke liye aaye thy aur kuch school bus mai bhi chale gaye thy. Raj bhi wanhi school ke paas apna sar chupa ke khada hua tha aur barish kaam hone ka intezar kar raha tha, tabhi usne dekha ki ek chota puppy (kutte ka bacha) bhig raha hai aur barish se bachne ki kosis kar raha hai.
Isse pehle Raj wanha pe ja pata uss puppy ke help ke liye, ek ladki aake uss puppy ko utha liya aur ek ped ke niche jake chod diya aur uski chatri (umbrella) bhi uske upar rakh diya taki uske upar barish na pade aur phir apna rumal bag se nikal ke puppy ke sar ke upar rakh diya taki wo aur bhi safe ho jaye. Raj baas uss ladki ko dekhe ja raha tha, Raj apna nazar uss ladki se hata hi nahi pa raha tha.
Wo saab kaam karke wo ladki apne car mai beth ke chali gayi. Raj baas usike baare sochta reh gaya. Wo ladki bahut hi zyada khubsurat thy. Iss baat ko bahut din ho gaye Raj usse bhula hi nahi pa raha tha usse baas uska chehra yaad aata rehta tha. Ek din kisi kaam se wo library gaya hua tha to usne wanha Ruhi ko dekha, Ruhi ko dekhne ke baad Raj ka khushi ka koi thikana hi nahi raha.
Jaab tak Ruhi wanha se chali nahi gayi tab tak Raj baas usse hi dekhe ja raha tha. Ruhi to chali gayi apne kitab ko rakh ke per kitab rakhne se pehle uss kitab se kuch gir gaya tha jo ki Raj ne dekh liya tha.
raj wanha jake uss paper ko utha ta hai aur kitab bhi nikal leta hai, wo kitab ek love story ki kitab thy aur wo paper pe Ruhi ne apna jajbat likhe huye thy.
"Agar aapka pyaar itna hi Sacha hai to kabhi bhi uske liye jhukna mat, kyun ki wo kabhi apko jhukne nahi dega, wo hi apki sabse badi takat banega." Raj ye padke uss paper ke niche kuch likhta hai fir usko kitab mai rakh ke library se chala jata hai.
Agle din jaab Ruhi wapas aati hai library aur kitab nikal ti hai padhne ke liye to wo paper pe kuch likha hua pati hai.
"Agar tum kisi se pure dil se pyaar karte ho to uski ek khushi ke liye jindegi bhar bhi jhuk jaoge aur agar nahi to tumhara pyaar kabhi sacha tha hi nahi". Ye mere bichar hai Ruhi ji, apka naam mujhe iss kitab pe likha mila aur wese bhi pure library ke iss kone mai ye kitab kisi aur ne nahi padhi hai. Wese mera naam..........
Agar aap puchogi to hi bataunga warna nahi.
Ruhi shock mai thy ki kisne uske jajbat ko samjha aur kuch samjhaya bhi, fir Ruhi kuch uss paper pe likhi aur kitab mai rakh ke chali gayi.
Bahot behtareen shaandaar lajawab update
 
Top